मंगलवार 17 सितंबर 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
017-09-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 17/09/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - yah rāz sabhī kō sunāō ki ābū sabsē baṛā tīrtha hai , svayã bhagvān nē yahā̃ sē sabkī sadgati kī hai ' '
1Essence: Sweet children, tell everyone the secret of Abu being the greatest pilgrimage place of all. 2It was here that God Himself granted everyone salvation.
Question
2Praśhna : kaun-sī ēk bāt manuṣhya agar samajh jāē̃ tō yahā̃ bhīṛ lag jāyēgī ?
3Question: Which one aspect, If understood, would bring crowds here?
Answer
3Uttar : mukhya bāt samajh lē̃ ki bāp nē jō rājyōg sikhāyā thā , vah abhī phir sē sikhā rahē haĩ , vah sarvavyāpī nahī̃ hai .
4Answer: The main thing they should understand is that the Father is once again teaching us the Raja Yoga that He taught us previously and that He is not omnipresent.
4Bāp is samay ābū mē̃ ākar viśhva mē̃ śhānti sthāpan kar rahē haĩ , uskā jaṛ yādgār dēlvāṛā mandir bhī hai .
5The Father has come here to Abu at this time and is establishing peace in the world. 6The non-living memorial of this is the Dilwala Temple.
5Ādi dēv yahā̃ chaitanya mē̃ baiṭhē haĩ , yah chaitanya dēlvāṛā mandir hai , yah bāt samajh lē̃ tō ābū key|kī mahimā hō jāē aur yahā̃ bhīṛ lag jāē .
7Adi Dev is sitting here in the living form. 8This is the living Dilwala Temple. 9If they were to understand this, Abu would be praised and there would be crowds here.
6Ābū kā nām bālā hō gayā tō yahā̃ bahut āyēṅgē .
10If Abu’s name became famous, many would come here.
Murli
7Ōm śhānti .
11Om shanti.
8Bachchō̃ kō yōg sikhāyā .
12You children are being taught yoga.
9Aur sab jagah sab āpēhī sīkhtē haĩ , sikhlānē vālā bāp nahī̃ hōtā . 10Ēk-dō kō āpēhī sikhlātē haĩ .
13In all other places, they learn this by themselves. 14It is not the Father who teaches them; they teach it to one another.
11Yahā̃ tō bāp baiṭh sikhlātē haĩ bachchō̃ kō . 12Rāt-din kā phark hai .
15Here, the Father teaches you children; there is the difference of day and night.
13Vahā̃ tō bahut mitra-sambandhī ādi yād ātē rahtē haĩ , itnā yād nahī̃ kar saktē haĩ isliē dēhī-abhimānī bahut muśhkil bantē haĩ .
16There, they continue to remember many friends and relatives etc., so they are unable to have that much remembrance. 17This is why they very rarely become soul conscious.
14Yahā̃ tō dēhī-abhimānī tumkō bahut jaldī bannā chāhiē , parantu bahut haĩ jinkō kuchh bhī patā nahī̃ hai .
18Here, you have to become soul conscious very quickly. 19However, there are many who know nothing at all.
15Śhivbābā hamārī service kar rahē haĩ , hamkō kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .
20Shiv Baba is serving us by telling us: Consider yourselves to be souls and remember the Father.
16Jō bāp ismē̃ virājmān haĩ , yahā̃ virājmān haĩ , unkō yād karnā paṛtā hai .
21You have to remember the Father who is present in this one, who is present here.
17Bahut bachchē haĩ jinkō yah niśhchay hī nahī̃ hai ki śhivbābā brahmā tan dvārā hamkō sikhlā rahē haĩ , jaisē aur lōg kahtē haĩ , ham kaisē niśhchay karē̃ , aisē yahā̃ bhī haĩ .
22There are many children who don't even have the faith that Shiv Baba is teaching us through the body of Brahma. 23Just as other people say, "How can I have faith in this?", so it is the same here too.
18Agar pūrā niśhchay hōtā tō bahut pyār sē bāp kō yād kartē-kartē apnē mē̃ bal bhartē , bahut service kartē kyōṅki sārē viśhva kō pāvan banānā hai nā .
24If there were full faith, they would continue to remember the Father with a lot of love and fill themselves with a lot of power and also do a lot of service because the whole world has to be purified.
19Yōg mē̃ bhī kamī hai tō gyān mē̃ bhī kamī hai .
25There is something lacking in their yoga and also in their knowledge.
20Suntē tō haĩ parantu dhārṇā nahī̃ hōtī hai .
26They listen to this knowledge, but are unable to imbibe it.
21Dhārṇā agar hō tō phir aurō̃ kō bhī dhārṇā karāvē̃ .
27If they imbibed it, they would also be able to inspire others to imbibe it.
22Bābā nē samjhāyā thā vē|way lōg conference ādi kartē rahtē haĩ , viśhva mē̃ śhānti chāhtē haĩ parantu viśhva mē̃ śhānti kab thī , kis prakār huī thī , vah kuchh bhī nahī̃ jāntē .
28Baba has explained that those people continue to hold conferences etc. and that they want there to be peace in the world. 29However, they don't know when there was peace in the world or how that peace came about.
23Kis prakār key|kī śhānti thī , vahī chāhiē nā .
30Whatever type of peace there was, that is the type of peace that is needed.
24Yah tō tum bachchē hī jāntē hō viśhva mē̃ sukh-śhānti key|kī sthāpanā ab hō rahī hai .
31It is only you children who know that peace and happiness in the world are now being established.
25Bāp āyā huā hai .
32The Father has now come.
26Kaisē yah dēlvāṛā mandir hai , ādi dēv bhī hai aur ūpar mē̃ viśhva mē̃ śhānti kā nazārā bhī hai .
33Just see how this is the Dilwala Temple. 34Adi Dev is here, and there is also the scene up above of peace in the world.
27Kahā̃ bhī conference ādi mē̃ tumkō bulātē haĩ tō tum pūchhō - viśhva mē̃ śhānti kis prakār kī chāhiē ?
35Whenever people invite you to a conference etc., you can ask them: What type of peace in the world do you want?
28In lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē rājya mē̃ viśhva mē̃ śhānti thī .
36There used to be peace in the world in the kingdom of Lakshmi and Narayan.
29Vah tō dēlvāṛā mandir mē̃ pūrā yādgār hai .
37There is the accurate memorial of that in the Dilwala Temple.
30Viśhva mē̃ śhānti kā sample tō chāhiē nā .
38There has to be a sample of peace in the world.
31Lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē chitra sē bhī samajhtē nahī̃ haĩ .
39They don’t understand anything even from the picture of Lakshmi and Narayan.
32Pattharbuddhi haĩ nā .
40They have stone intellects.
33Tō unhō̃ kō batānā chāhiē ki ham batā saktē haĩ viśhva mē̃ śhānti kā sample ēk tō yah lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ aur phir inhō̃ key|kī rājdhānī bhī dēkhnā chāhtē hō tō vah bhī dēlvāṛā mandir mē̃ chalkar dēkhō .
41So, you should tell them: We can tell you that, firstly, the sample of peace in the world is Lakshmi and Narayan, and that if you want to see their kingdom, you can go to the Dilwala Temple and have a look.
34Model hī dikhāyā jāyēgā nā , vah chalkar ābū mē̃ dēkhō .
42Only a model of it would be shown, so come to Abu and see that.
35Mandir banānē vālē khud nahī̃ jāntē haĩ , jinhōnnē hī baiṭh yah yādgār banāyā hai , jiskā dēlvāṛā mandir nām rakh diyā hai .
43Those who built the memorial of this temple do not know this, but they named it the Dilwala Temple.
36Ādi dēv kō bhī biṭhāyā hai , ūpar mē̃ svarg bhī dikhāyā hai .
44They have also sat Adi Dev there and shown heaven up above.
37Jaisē vah jaṛ hai vaisē tum hō chaitanya .
45It is non-living whereas you are in living forms.
38Inkō chaitanya dēlvāṛā nām rakh saktē haĩ .
46This can be called the living Dilwala Temple.
39Parantu patā nahī̃ kitnī bhīṛ hō jāē .
47However, you can't tell how much of a crowd there would be.
40Manuṣhya hī mūnjh jāē̃ yah phir kyā hai .
48People would be confused and ask: What is this?
41Sam-jhānē mē̃ baṛī mēhnat lagtī hai .
49It takes a lot of effort to explain to them.
42Bahut bachchē bhī nahī̃ samajhtē haĩ .
50There are also many children who don't understand.
43Bhal dar par , pās|pass mē̃ baiṭhē haĩ - samajhtē kuchh bhī nahī̃ .
51Even those who are sitting at God's door, next to Him, don't understand anything.
44Pradarśhanī mē̃ anēk prakār K|kē manuṣhya jātē haĩ , ḍhēr maṭh-panth haĩ , vaiṣhṇav dharm vālē bhī haĩ .
52All types of people go to see the exhibitions. 53There are so many sects and cults. 54There are those of the Vaishnav religion too.
45Vaiṣhṇav dharm kā arth|earth hī nahī̃ samajhtē haĩ .
55They don't even understand the meaning of the Vaishnav religion.
46Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī bādśhāhī kahā̃ hai , jāntē hī nahī̃ .
56They don't know where the kingdom of Shri Krishna is.
47Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī rājāī kō bhī svarg , baikuṇṭh kahā jātā hai .
57The kingdom of Shri Krishna is also called heaven, Paradise.
48Bābā nē kahā thā jahā̃ bulāvā hō , vahā̃ jākar tum samjhāō - viśhva mē̃ śhānti kab thī ?
58Baba has said: Wherever you are invited to speak, you can go and explain to them: When was there peace in the world?
49Yah ābū sabsē ūñch tē ūñch tīrtha hai kyōṅki yahā̃ bāp viśhva key|kī sadgati kar rahē haĩ , ābū pahāṛī par unkā sample dēkhnā hō tō chalkar dēlvāṛā mandir dēkhō .
59This Abu is the greatest pilgrimage place of all because it is here that the Father grants salvation to everyone in the world. 60If you want to see a sample of this in the Abu mountains, then go and see it in the Dilwala Temple.
50Viśhva mē̃ śhānti kaisē sthāpan kī thī - unkā sample hai .
61That is a sample of how peace was established in the world.
51Sunkar bahut khuśh hōṅgē .
62They would be very happy on hearing this.
52Jainī lōg bhī khuśh hōṅgē .
63Even the Jains would be happy to hear this.
53Tum kahē̃gē yah prajāpitā brahmā hamārā bāp hai ādi dēv .
64You would say that Prajapita Brahma, our father, is Adi Dev.
54Tum samjhātē hō phir bhī samajhtē nahī̃ haĩ .
65You explain to them, and yet they don't understand.
55Kahtē haĩ brahmākumāriyā̃ patā nahī̃ kyā kahtī haĩ .
66They say: We can’t understand what the Brahma Kumaris say.
56Tō ab tum bachchō̃ kō ābū key|kī bahut ūñchī mahimā karkē samjhānā chāhiē .
67So, you children should praise Abu very highly and explain to them.
57Ābū hai baṛē tē baṛā tīrtha .
68Abu is the greatest pilgrimage place of all.
58Bāmbē mē̃ bhī samjhā saktē hō - ābū pahāṛ baṛē tē baṛā tīrtha hai kyōṅki parampitā paramātmā nē ābū mē̃ ākar svarg key|kī sthāpanā kī hai .
69You can even explain to people in Bombay: The Abu mountain is the greatest pilgrimage place of all because the Supreme Father, the Supreme Soul, came in Abu and established heaven.
59Kaisē svarg key|kī rachnā rachī hai - vah svarg kā aur ādi dēv kā model sab ābū mē̃ hai , jiskō kōī bhī manuṣhya samajhtē nahī̃ .
70A model of the creation of heaven and one of Adi Dev are in Abu. 71None of the people understand this.
60Ham ab jāntē haĩ , tum nahī̃ jāntē hō isliē ham tumkō samjhātē haĩ .
72We now know this, but you don’t know it and this is why we are explaining it to you.
61Pahlē tō tum pūchhō ki viśhva mē̃ śhānti kis prakār chāhtē hō , kabhī dēkhā hai ?
73First of all, ask them: What type of peace do you want in the world? 74Have you ever seen it?
62Viśhva mē̃ śhānti tō inkē ( lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē ) rājya mē̃ thī .
75There was peace in the world in the kingdom of Lakshmi and Narayan.
63Ēk hī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm thā , inkī dynasty kā rājya thā .
76There was just the one original eternal deity religion. 77There was the kingdom of their dynasty.
64Chalō tō inhō̃ key|kī rājdhānī kā model ābū mē̃ tumkō dikhāyē̃ .
78Come and we will show you the model in Abu of their kingdom.
65Yah tō hai hī purānī patit duniyā .
79This is an old impure world.
66Naī duniyā tō nahī̃ kahē̃gē nā .
80It would not be called a new world.
67Naī duniyā kā model tō yahā̃ hai , naī duniyā ab sthāpan hō rahī hai .
81The model of the new world is here. 82That new world is now being established.
68Tum jāntē hō tab batlātē hō .
83You know this and that is why you tell them.
69Sabhī nahī̃ jāntē haĩ , na batlātē haĩ , na samajh mē̃ hī ātā hai .
84Not everyone knows this, and no one can tell others for they too would not be able to understand it.
70Bāt hai bahut sahaj .
85It is something very simple.
71Ūpar mē̃ svarg key|kī rājdhānī khaṛī hai , nīchē ādi dēv baiṭhā hai jiskō Adam bhī kahtē haĩ .
86The kingdom of heaven is up above and Adi Dev, who is also called Adam, is sitting down below.
72Vah hai great-great grand father .
87He is the great-great-grandfather.
73Aisī tum mahimā sunāyēṅgē tō sunkar khuśh hōṅgē .
88When you tell them this praise, they will be happy.
74Hai bhī barōbar accurate , kahō tum śhrīkr̥iṣhṇa key|kī mahimā kartē hō parantu tum jāntē tō kuchh nahī̃ hō .
89It is very accurate. 90Tell them: You praise Shri Krishna, but you don't know anything at all.
75Śhrīkr̥iṣhṇa tō baikuṇṭh kā mahārājā , viśhva kā mālik thā .
91Shri Krishna was the Emperor of Paradise, the master of the world.
76Uskā tum model dēkhnā chāhtē hō tō chalō ābū mē̃ , tumkō baikuṇṭh kā model dikhlāyēṅgē .
92If you want to see a model of that, then come to Abu and we will show you a model of Paradise.
77Kaisē purūṣhōttam saṅgamyug par rājyōg sīkhtē haĩ , jissē phir viśhva K|kē mālik banē haĩ , vah bhī model dikhāvē̃ .
93Also show the model of how you studied Raja Yoga at the most auspicious confluence age through which you became the masters of the world.
78Saṅgamyug key|kī tapasyā bhī dikhāyē̃ .
94Also show the tapasya of the confluence age.
79Practical jō huā thā unkā yādgār dikhāyē̃ .
95Show the memorial of the things that happened in a practical way.
80Śhivbābā jisnē lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya sthāpan kiyā , unkā bhī chitra hai , ambā kā bhī mandir hai .
96There is also the picture of Shiv Baba who established the kingdom of Lakshmi and Narayan and there is the Amba Temple too.
81Ambā kō kōī 10-20 bhujāyē̃ nahī̃ haĩ .
97Amba does not have 10 or 20 arms.
82Bhujāyē̃ tō dō hī hōtī haĩ .
98She can only have two arms.
83Tum āō tō tumkō dikhāyē̃ .
99Come and we will show you.
84Baikuṇṭh bhī ābū mē̃ dikhāyē̃ .
100Also show Paradise in Abu.
85Ābū mē̃ hī bāp nē ākar sārē viśhva kō heaven banāyā hai . 86Sadgati dī hai .
101It was in Abu that the Father came and created heaven in the world and granted salvation.
87Ābū sabsē baṛā tīrtha hai , sab dharm vālō̃ key|kī sadgati karnē vālā ēk hī bāp hai , unkā yādgār chalō tō āpkō ābū mē̃ dikhāyē̃ .
102Abu is the greatest pilgrimage place of all. 103It is only the one Father who grants salvation to those of all religions.
88Ābū key|kī tō tum bahut mahimā kar saktē hō .
104Come and we will show you His memorial in Abu.
89Tumkō sab yādgār dikhāyē̃ .
105You can praise Abu a great deal.
90Kriściyan lōg bhī jānnā chāhtē haĩ - prāchīn bhārat kā rājyōg kisnē sikhāyā , kyā chīz thī ?
106We will show you all the memorials. 107Christians also want to know who taught the Raja Yoga of ancient Bharat and what it was.
91Bōlō , chalō ābū mē̃ dikhāyē̃ .
108Tell them: Come to Abu and we will show it to you.
92Baikuṇṭh bhī pūrā accurate banāyā hai ūpar chhat mē̃ .
109The model of Paradise is also created accurately on the ceiling.
93Tum aisā nahī̃ banā saktē hō .
110You cannot create something like that.
94Tō yah achchhī rīti batānā hai .
111So, you have to show this very clearly.
95Tourist dhakkā khātē haĩ , vah bhī ākar samajhē̃ .
112Tourists also wander around. 113They too should come and understand.
96Tumhārā ābū kā nām bālā hō gayā tō bahut āyēṅgē .
114If the name of your Abu becomes famous, many people will come.
97Ābū bahut maśhhūr hō jāyēgā .
115Abu will become very well known.
98Jab kōī pūchhtē haĩ ki viśhva mē̃ śhānti kaisē hō ? 99Sammēlan ādi mē̃ nimantraṇ dētē haĩ tō pūchhnā chāhiē - viśhva mē̃ śhānti kab thī , vah jāntē hō ?
116When anyone asks you how there can be peace in the world or invites you to a conference etc., you should ask them: Do you know when there was peace in the world?
100Viśhva mē̃ śhānti kaisē thī - chalō ham samjhāyē̃ , models ādi sab dikhāyē̃ .
117Come and we will explain to you how there was peace in the world. 118We will also show you models etc.
101Aisā model aur kahā̃ bhī nahī̃ hai .
119Such models do not exist anywhere else.
102Ābū hī sabsē baṛā ūñch tē ūñch tīrtha hai , jismē̃ bāp nē ākarkē viśhva mē̃ śhānti , sarv key|kī sadgati kī hai .
120Abu is the greatest and highest pilgrimage place of all. 121The Father came here and created peace in the world and granted everyone salvation.
103Yah bātē̃ aur kōī nahī̃ jāntē .
122No one else knows these things.
104Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ , bhal baṛē mahārathī , museum ādi sambhālnē vālē haĩ , parantu ṭhīk rīti kiskō samjhātē haĩ vā nahī̃ , bābā read tō kartē haĩ nā .
123Amongst you too, it is numberwise. 124Although there are big maharathis who look after the museums etc., Baba reads about whether they explain to everyone clearly or not.
105Bābā sab kuchh samajhtē haĩ , jō bhī jahā̃ bhī haĩ , unkō samajhtē haĩ . 106Kaun-kaun purūṣhārth kartē haĩ , kyā pad pāyēṅgē ?
125Baba understands everything. 126He knows about everyone wherever they are: who is making what effort and what status each one will claim.
107Is samay agar mar paṛē tō kuchh bhī pad pā nahī̃ sakē̃gē .
127If some were to die at this time, they would not be able to claim a status at all.
108Yād K|kē yātrā key|kī mēhnat vah samajh nahī̃ saktē .
128They cannot understand the effort required for the pilgrimage of remembrance.
109Bāp rōz-rōz naī bātē̃ samjhātē haĩ , aisē-aisē samjhākar lē āō .
129The Father explains new things to you every day: Explain to them in this way and bring them here.
110Yahā̃ tō yādgār kāyam hai .
130The memorial here exists permanently.
111Bāp kahtē haĩ maĩ bhī yahā̃ hū̃ , ādi dēv bhī yahā̃ hai , baikuṇṭh bhī yahā̃ hai .
131The Father says: I am here, Adi Dev is here and Paradise is also here.
112Ābū key|kī bahut bhārī mahimā hō jāyēgī .
132There will then be a lot of praise of Abu.
113Ābū patā nahī̃ kyā hō jāyēgā .
133You can't tell what Abu would become.
114Jaisē dēkhō kurūkṣhētra kō achchhā banānē kē liē karōṛō̃ rūpayā uṛātē rahtē haĩ .
134For instance, in order to make Kurukshetra very good again, they continue to spend millions of rupees.
115Kitnē ḍhēr manuṣhya jākar vahā̃ ikṭṭhē hōtē haĩ , itnī badbū gandgī hōtī hai , bāt mat pūchhō .
135So many people gather there. 136There is so much bad odour and rubbish, don't even ask!
116Kitnī bhīṛ hōtī hai .
137There are so many crowds there.
117Samāchār āyā thā ki bhajan maṇḍlī key|kī ēk bas nadī mē̃ ḍūb gaī .
138There was the news that a bus load of devotees drowned in the river.
118Yah sab duḥkh hai nā .
139All of that is sorrow.
119Akālē mr̥iityu hōtī rahtī hai .
140There continues to be untimely death.
120Vahā̃ tō aisē kuchh hōtā hī nahī̃ , yah sab bātē̃ tum samjhā saktē hō .
141There is nothing like that there. 142You can explain all of these things.
121Bātchīt karnē vālā baṛā sensible chāhiē .
143The one who speaks to them has to be very sensible.
122Bāp gyān kā pump kar rahē haĩ , buddhi mē̃ biṭhā rahē haĩ .
144The Father is pumping you with this knowledge and making it sit in your intellects.
123Duniyā thōṛēhī in bātō̃ kō samajhtī hai .
145The world doesn't understand these things.
124Vah samajhtē haĩ naī duniyā kā sair karnē jātē haĩ .
146They think that they are going on a tour of the new world.
125Bāp kahtē haĩ yah duniyā ab purānī gaī ki gaī .
147The Father says: This old world is now about to end.
126Vah tō kahtē haĩ 40 hazār varṣh paṛē haĩ .
148They say that there are 40,000 years still left.
127Tum tō batlātē hō ki sārā kalp hī 5 hazār varṣh kā hai .
149You tell them that the whole cycle is 5000 years.
128Purānī duniyā kā tō maut sāmnē khaṛā hai .
150The death of the old world is just ahead.
129Iskō kahā jātā hai ghōr andhiyārā .
151This is called extreme darkness.
130Kumbhakaraṇ key|kī nīnd mē̃ sōyē paṛē haĩ .
152People are sleeping in the sleep of Kumbhakarna.
131Kumbhakaraṇ ādhākalp sōtā thā , ādhākalp jāgtā thā .
153Kumbhakarna used to sleep for half a cycle and stay awake for half a cycle.
132Tum kumbhakaraṇ thē .
154You were Kumbhakarnas.
133Yah khēl baṛā wonderful hai .
155This play is very wonderful.
134In bātō̃ kō sab thōṛēhī samajh saktē haĩ .
156Not everyone can understand these things.
135Kaī tō aisē hī bhāvnā mē̃ ā jātē haĩ .
157Some come because of their loving feelings.
136Suntē haĩ yah sab jā rahē haĩ tō chal paṛtē haĩ .
158They hear that everyone else is going somewhere, and so they also follow.
137Unkō batātē haĩ ham śhivbābā pās|pass jātē haĩ , śhivbābā svarg key|kī sthāpanā kar rahē haĩ .
159They are told: We are going to Shiv Baba who is establishing heaven.
138Us bēhad K|kē bāp kō yād karnē sē bēhad kā varsā miltā hai , bas .
160By remembering that unlimited Father, you receive the unlimited inheritance. 161That is all.
139Tō vah bhī kah dētē śhivbābā ham āpkē bachchē haĩ , āp sē varsā jarūr lē̃gē .
162So, they too say: Shiv Baba, we are Your children and so we will definitely claim the inheritance from You.
140Bas , bēṛā pār hai .
163Their boats then go across.
141Bhāvnā kā bhāṛā dēkhō kitnā miltā hai .
164Look how much they receive in return for their faith.
142Bhakti mārg mē̃ tō hai alpkāl kā sukh .
165On the path of devotion, there is temporary happiness.
143Yahā̃ tum bachchē jāntē hō bēhad K|kē bāp sē bēhad kā varsā miltā hai .
166Here, you children know that you receive an unlimited inheritance from the unlimited Father.
144Vah tō hai bhāvnā kā , alpkāl K|kē sukh kā bhāṛā .
167That is the temporary happiness as a return of their faith.
145Yahā̃ tumkō milā hai 21 janmō̃ kē liē bhāvnā kā bhāṛā .
168Here, you have received the return of your faith for 21 births.
146Bākī sākṣhātkār ādi mē̃ kuchh hai nahī̃ .
169However, there is nothing in visions etc.
147Kōī kahtē haĩ sākṣhātkār hō , tab bābā samajh jātē haĩ kuchh bhī samjhā nahī̃ hai .
170Some say that they should have a vision, and so Baba understands that they haven't understood anything.
148Sākṣhātkār karnā hai tō jākar naudhā bhakti karō .
171If you want to have a vision, go and do intense devotion.
149Ussē kuchh miltā nahī̃ hai .
172You don’t receive anything from that.
150Karkē dūsrē janm mē̃ kuchh achchhā ban paṛē̃gē .
173Perhaps you would be good in your next birth.
151Achchhā bhakta hōgā tō achchhā janm milēgā .
174A good devotee would receive a good birth.
152Yah tō bāt hī nyārī hai .
175This is something unique.
153Yah purānī duniyā badal rahī hai .
176This old world is to change.
154Bāp hai hī duniyā badalnē vālā .
177The Father is the One who changes the world.
155Yādgār khaṛā hai nā .
178The memorial is here.
156Bahut purānā mandir hai .
179The temple is very old.
157Kuchh ṭūṭtā kartā hai tō phir marammat karātē rahtē haĩ . 158Parantu vah śhōbhā tō kam hō hī jātī hai .
180If something breaks, it is repaired, but the original beauty is still lost anyway.
159Yah tō sab vināśhī chīzē̃ haĩ .
181All of those things are perishable.
160Tō bāp samjhātē haĩ - bachchē , ēk tō apnē kalyāṇ kē liē apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō tō vikarma vināśh hō̃ .
182So, the Father explains: Children, for your own benefit, consider yourselves to be souls and remember the Father and your sins will be absolved.
161Paṛhāī kī bāt hai .
183It is a matter of studying.
162Bākī yah jō mathurā mē̃ madhuban , kunj galī ādi baiṭh banāyā hai , vah kuchh bhī hai nahī̃ . 163Na kōī gōp-gōpiyō̃ kā khēl hai .
184However, the models of Madhuban, Kunj Gali etc., that they have created in Mathura are nothing really; nor are there any games of gopes and gopis.
164Yah samjhānē mē̃ baṛī mēhnat karnī paṛtī hai .
185You have to make a lot of effort to explain these things.
165Ēk-ēk point achchhī rīti baiṭh samjhāō .
186Sit and explain each point very well.
166Conference ādi mē̃ bhī chāhiē yōg vālā .
187At the conferences, you need someone who has yoga too.
167Talvār mē̃ jauhar nahī̃ hōgā , kiskō tīr lagēgā nahī̃ .
188If the sword has no power, the arrow will not strike the target.
168Tab bāp bhī kahtē haĩ abhī dērī hai .
189The Father says: It will still take time.
169Abhī mān lē̃ ki paramātmā sarvavyāpī nahī̃ hai tō bhīṛ lag jāē .
190If they were now to believe that Supreme Soul is not omnipresent, there would be many crowds here.
170Parantu abhī time nahī̃ hai .
191However, it is not the time for that now.
171Ēk bāt mukhya samajh jāē̃ ki rājyōg bāp nē sikhāyā thā , jō is samay sikhlā rahē haĩ .
192They should understand the one main thing, that the Father taught Raja Yoga and that He is teaching it at this time.
172Iskē badalē|badlē nām uskā ḍāl diyā hai jō ki abhī sāṅvarā hai .
193Instead of this, they have inserted the name of the one who is ugly at present.
173Kitnī baṛī bhūl hai .
194This is such a big mistake.
174Issē hī tumhārā bēṛā ḍūb gayā hai .
195It was through this that your boat sank.
175Ab bāp samjhātē haĩ - yah paṛhāī source of income hai , svayã bāp manuṣhya kō dēvtā banānē kē liē paṛhānē ātē haĩ , ismē̃ pavitra bhī jarūr bannā hai , daivīguṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .
196The Father now explains: This study is your source of income. 197The Father Himself comes to teach you how to change from human beings into deities. 198You definitely need to become pure and also to imbibe divine virtues for this.
176Number-vār tō hōtē hī haĩ .
199It is numberwise.
177Jō bhī centres haĩ sab number-vār haĩ .
200All the centres are numberwise.
178Yah sārī rājdhānī sthāpan hō rahī hai .
201The whole kingdom is being established.
179Māsī kā ghar thōṛēhī hai .
202This is not like going to your aunty's home.
180Bōlō , svarg kahā jātā hai satyug kō .
203Tell them that the golden age is called heaven.
181Parantu vahā̃ kā rājya kaisē chaltā hai , dēvtāō̃ kā jhuṇḍ dēkhnā hō tō chalō ābū .
204However, if you want to know how the kingdom there continues, if you want to see a group of deities, then come to Abu.
182Aur kōī aisī jagah hai nahī̃ jahā̃ aisē chhat mē̃ rājāī dikhāī hō .
205There is no other place where the kingdom is shown on the ceiling.
183Bhal ajmēr mē̃ svarg kā model hai parantu vah aur bāt hai .
206Although they have a model of heaven in Ajmer, that is something else.
184Yahā̃ tō ādi dēv bhī hai nā .
207Adi Dev is also here.
185Satyug kisnē aur kaisē sthāpan kiyā , yah tō accurate yādgār hai .
208This is an accurate memorial of who established heaven and how it was established.
186Abhī ham chaitanya dēlvāṛā nām likh nahī̃ saktē haĩ .
209We cannot write the name, "The Living Dilwala Temple", at the moment.
187Jab manuṣhya khud samajh jāyēṅgē tō āpēhī kahē̃gē ki tum likhō .
210When people understand this for themselves, they will say you can write it.
188Abhī nahī̃ .
211However, we cannot do that now.
189Abhī tō dēkhō thōṛī bāt mē̃ hī kyā kar dētē haĩ .
212Just look at what they do now even over small matters.
190Krōdhī bahut hōtē haĩ , dēh-abhimān hai nā .
213There are many who have a lot of anger; they have body consciousness.
191Dēhī-abhimānī tō kōī hō na sakē sivāē tum bachchō̃ K|kē .
214No one, except you children, can be soul conscious.
192Purūṣhārth karnā hai .
215You have to make effort.
193Aisē nahī̃ ki jō nasīb mē̃ hōgā . 194Purūṣhārthī aisē nahī̃ kahē̃gē .
216Do not think that you will receive whatever is in your fortune.
195Vah tō purūṣhārth kartē rahē̃gē phir jab fail hōtē haĩ tab kahtē haĩ takdīr mē̃ jō thā .
217An effort-maker would not say that; he would continue to make effort. 218Then, if he fails, he would say: Whatever was in my fortune!
196Achchhā !
219Achcha.
197Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
220To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
198Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
221The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
199Dhārṇā kē liē mukhya sār :
222Essence for dharna:
2001 ) dēhī-abhimānī bannē kā pūrā-pūrā purūṣhārth karnā hai .
223 1. Make full effort to become soul conscious.
201Aisē kabhī nahī̃ sōchnā hai ki jō nasīb mē̃ hōgā .
224Never think that you will receive whatever is in your fortune.
202Sensible bannā hai .
225Become sensible.
2032 ) gyān sunkar usē svarūp mē̃ lānā hai , yād kā jauhar dhāraṇ kar phir sēvā karnī hai .
226 2. Listen to this knowledge and become an embodiment of it. 227Imbibe the power of remembrance and then do service.
204Sabkō ābū mahān tīrtha key|kī mahimā sunānī hai .
228Tell everyone the praise of Abu, the greatest pilgrimage place of all.
Blessing
205Vardān : ēk bābā śhabda key|kī smr̥iti sē yād aur sēvā mē̃ rahnē vālē sachchē yōgī , sachchē sēvādhārī bhav
229Blessing: May you be a true yogi and a true server who remains engaged in having remembrance and doing service with the awareness of the one word “Baba”.
206Āp bachchē mukh sē vā man sē bār-bār « bābā ' ' śhabda kahtē hō , bachchē hō tō bābā śhabda yād ānā yā sōchnā hī yōg hai aur mukh sē bār-bār kahnā ki bābā aisē kahtē haĩ , bābā nē yē kahā - yahī sēvā hai .
230 You children repeatedly say the word “Baba” either with your mouths or in your minds. 231Since you are His children, it is yoga when you remember or think the word “Baba”. 232And to repeatedly say with your mouths, “Baba used to say this, Baba had said this” is service.
207Lēkin is bābā śhabda kō kōī dil sē kahnē vālē haĩ kōī knowledge K|kē dimāg sē .
233However, some say this word “Baba” from their hearts whereas others say it from their brains with knowledge.
208Jō dil sē kahtē haĩ unhē̃ dil mē̃ sadā pratyakṣha prāpti khuśhī aur śhakti miltī hai .
234Those who say it from their hearts receive instant attainment in their hearts in the form of happiness and power.
209Dimāg vālō̃ kō bōlnē samay khuśhī hōtī sadākāl key|kī nahī̃ .
235Those who simply use their heads receive happiness at the time of speaking, but it does not last all the time.
Slogan
210Slōgan : paramātmā rupī śhamā par phidā hōnē vālē hī sachchē parvānē haĩ .
236Slogan: True moths are those who surrender themselves to God, the Flame.
237*** Om Shanti ***