मंगलवार 24 सितंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

024-09-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 24/09/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum jitnā samay bāp kī yād mē̃ rahē̃gē utnā samay kamāī hī kamāī hai , yād sē hī tum bāp K|kē samīp ātē jāyēṅgē ' '

1Essence: Sweet children, you earn an income according to the length of time you stay in remembrance of the Father. 2It is by having this remembrance that you continue to closer to the Father.

Question

2Praśhna  : jō bachchē yād mē̃ nahī̃ rah saktē haĩ , unhē̃ kis bāt mē̃ lajjā ātī hai  ?

3Question: About which aspect do the children who cannot stay in remembrance feel ashamed?

Answer

3Uttar  : apnā chart rakhnē mē̃ unhē̃ lajjā ātī .

4Answer: They feel too ashamed to keep a chart of remembrance.

4Samajhtē haĩ sach likhē̃gē tō bābā kyā kahē̃gē .

5They wonder what Baba would say if they were to write the truth.

5Lēkin bachchō̃ kā kalyāṇ ismē̃ hī hai ki sachchā-sachchā chart likhtē rahē̃ .

6However, if you children continue to write your charts honestly, there is benefit in this for you.

6Chart likhnē mē̃ bahut phāydē haĩ .

7There is a great deal of benefit in writing a chart.

7Bābā kahtē - bachchē , ismē̃ lajjā mat karō .

8Baba says: Children, do not feel too ashamed to do this.

Murli

8Ōm śhānti .

9Om shanti.

9Rūhānī bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

10The spiritual Father sits here and explains to you children.

10Ab tum bachchē 15 minute pahlē ākar yahā̃ bāp kī yād mē̃ baiṭhtē hō .

11You children come here 15 minutes early and sit in remembrance of the Father.

11Ab yahā̃ aur tō kōī kām hai nahī̃ .

12Now, you don’t have anything else to do here.

12Bāp kī yād mē̃ hī ākar baiṭhtē hō .

13You come and sit here in remembrance of the Father.

13Bhakti mārg mē̃ tō bāp kā parichay hai nahī̃ .

14On the path of devotion, you did not have the Father’s introduction.

14Yahā̃ bāp kā parichay milā hai aur bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō .

15Here, you have received the Father’s introduction. 16The Father says: Remember Me alone.

15Maĩ tō sab bachchō̃ kā bāp hū̃ .

17I am the Father of all the children.

16Bāp kō yād karnē sē varsā tō automatically yād ānā chāhiē .

18By remembering the Father, you will automatically remember your inheritance.

17Chhōṭē bachchē tō nahī̃ hō nā .

19You are not small children.

18Bhal likhtē haĩ ham 5 mās vā 2 mās K|kē haĩ parantu tumhārī karmēndriyā̃ tō baṛī haĩ .

20Even though you write that you are five months old or two months old, your physical organs are large.

19Tō rūhānī bāp samjhātē haĩ , yahā̃ bāp aur varsē key|kī yād mē̃ baiṭhnā hai .

21The spiritual Father explains that you have to sit here in remembrance of the Father and the inheritance.

20Jāntē hō ham nar sē nārāyaṇ bannē K|kē purūṣhārth mē̃ tatpar haĩ vā svarg mē̃ jānē kē liē purūṣhārth kar rahē haĩ .

22You know that you are presently occupied in making effort to change from ordinary humans into Narayan, that you are making effort to go to heaven.

21Tō yah bachchō̃ kō note karnā chāhiē - hamnē yahā̃ baiṭhē-baiṭhē kitnā samay yād kiyā  ?

23Therefore, you children should note down for how long you remembered Baba while sitting here.

22Likhnē sē bāp samajh jāyēṅgē .

24When you write your chart, the Father will understand.

23Aisē nahī̃ ki bāp kō mālūm paṛtā hai - har ēk kitnā samay yād mē̃ rahtē haĩ  ?

25It is not that the Father knows for how long each one of you stays in remembrance.

24Vah tō har ēk apnē chart sē samajh saktē haĩ - bāp kī yād thī yā buddhi kahā̃ aur taraph chalī gaī  ?

26Only from your own chart can one understand whether you stayed in remembrance of the Father or whether your intellects were wandering in other directions.

25Yah bhī buddhi mē̃ hai abhī bābā āyēṅgē tō yah bhī yād ṭhaharī nā .

27It is also in your intellects that Baba is now to come and this too is remembrance.

26Kitnā samay yād kiyā , vah chart mē̃ sach likhē̃gē .

28For how long did you remember Him? 29You should write this honestly in your chart.

27Jhūṭh likhnē sē tō aur hī sauguṇā pāp chaṛhēgā aur hī nuksān hō jāyēgā isliē sach likhnā hai - jitnā yād karē̃gē utnā vikarma vināśh hōṅgē . 28Aur yah bhī jāntē hō ham nazdīk ātē jātē haĩ .

30By writing a lie, you will accumulate one hundred-fold sin and there will be further loss. 31Therefore, you have to write the truth. 32The more you remember Him, the more your sins will be absolved and you know that you will also continue to move closer to Baba.

29Ākhrīn jab yād pūrī hō jāyēgī tō ham phir bābā kē pās chalē jāyēṅgē .

33Ultimately, when your remembrance is over, you will go to Baba.

30Phir kōī tō jhaṭ naī duniyā mē̃ ākar part bajāyēṅgē , kōī vahā̃ hī baiṭhē rahē̃gē .

34Then, some will quickly go down to play their parts in the new world and others will continue to sit up there.

31Vahā̃ kōī saṅkalp tō āyēgā nahī̃ .

35You will not have any thoughts there.

32Vah hai hī muktidhām , duḥkh-sukh sē nyārē .

36That is the land of liberation where you are beyond sorrow and happiness.

33Sukhdhām mē̃ jānē kē liē ab tum purūṣhārth kartē hō .

37You are now making effort to go to the land of happiness.

34Jitnā tum yād karē̃gē utnā vikarma vināśh hōṅgē .

38The more you stay in remembrance, the more your sins will be absolved.

35Yād kā chart rakhnē sē gyān key|kī dhārṇā bhī achchhī hōgī .

39By keeping a chart of remembrance, you will be able to imbibe knowledge well.

36Chart rakhnē mē̃ tō phāydā hī hai .

40There is only benefit in keeping a chart.

37Bābā jāntē haĩ yād mē̃ na rahnē kāraṇ likhnē mē̃ lajjā ātī hai .

41Baba knows that it is because you do not stay in remembrance that you feel too ashamed to write your chart.

38Bābā kyā kahē̃gē , murlī mē̃ sunā dēgē .

42“What would Baba say?” 43Perhaps He would tell everyone in the murli.

39Bāp kahtē haĩ ismē̃ lajjā key|kī kyā bāt hai .

44The Father says: There is no question of being ashamed about this.

40Dil andar har ēk samajh saktē haĩ - ham yād kartē haĩ vā nahī̃  ?

45Each one of you knows in your heart whether you have remembrance or not.

41Kalyāṇkārī bāp tō samjhātē haĩ , note karē̃gē tō kalyāṇ hōgā .

46The benevolent Father explains: If you note down your chart, there will be benefit.

42Jab tak bābā āyē , utnā samay jō baiṭhē usmē̃ yād kā chart kitnā rahā  ?

47Whilst you sat here waiting for Baba to come, what was your chart of remembrance?

43Fark dēkhnā chāhiē .

48You should see the difference.

44Pyārī chīz kō tō bahut yād kiyā jātā hai .

49Someone who is loved is remembered a great deal.

45Kumār-kumārī key|kī sagāī hōtī hai tō dil mē̃ ēk-dō key|kī yād ṭhahar jātī hai .

50When a kumar and a kumari become engaged, the remembrance of each other stays in their hearts.

46Phir śhādī hōnē sē pakkī hō jātī hai . 47Bigar dēkhē samajh jātē haĩ - hamārī sagāī huī hai .

51Even without seeing one another, they know that they are engaged and, after getting married, that remembrance becomes firm.

48Abhī tum bachchē jāntē hō ki śhivbābā hamārā bēhad kā bāp hai .

52You children now understand that Shiv Baba is your unlimited Father.

49Bhal dēkhā nahī̃ hai parantu buddhi sē samajh saktē hō , vah bāp agar nām-rūp sē nyārā hai tō phir pūjā kiskī kartē hō  ?

53Although you have not seen Him, you can understand Him with your intellects. 54If that Father is beyond name and form, then why do you worship Him?

50Yād kyō̃ kartē hō  ?

55Why do you remember Him?

51Nām-rūp sē nyārī bēant tō kōī chīz hōtī nahī̃ .

56Nothing that is beyond name or form or is infinite can exist.

52Jarūr chīz kō dēkhā jātā hai tab varṇan hōtā hai .

57Surely, the things seen then describe it.

53Ākāśh kō bhī dēkhtē haĩ nā . 54Bēant kah nahī̃ saktē .

58You can see the sky, and so you cannot say that it is infinite.

55Bhakti mārg mē̃ bhagvān kō yād kartē hai - ' hē bhagvān ' tō bēant thōṛēhī kahē̃gē .

59People on the path of devotion remember God and say: O God! 60Therefore, you cannot call Him infinite.

56' hē bhagvān ' kahnē sē tō jhaṭ unkī yād ātī hai tō jarūr kōī chīz hai .

61By saying “O God” you instantly remember Him and so He surely exists.

57Ātmā kō bhī jānā jātā hai , dēkhā nahī̃ jātā .

62Souls can be understood, they cannot be seen.

58Sab ātmāō̃ kā ēk hī bāp hōtā hai , unkō bhī jānā jātā hai .

63There is only the one Father of all souls and you also have to know Him.

59Tum bachchē jāntē hō - bāp ākar paṛhātē bhī haĩ .

64You children know that the Father comes and teaches you.

60Āgē yah mālūm nahī̃ thā ki paṛhātē bhī haĩ .

65Previously, you did not know that He also teaches.

61Śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai .

66They have put Shri Krishna’s name in the Gita.

62Śhrīkr̥iṣhṇa tō in āṅkhō̃ sē dēkhnē mē̃ ātā hai .

67Shri Krishna is visible through these eyes.

63Unkē liē tō bēant , nām-rūp sē nyārā kah na sakē̃ .

68You cannot say of him that he is beyond name or form or that he is infinite.

64Śhrīkr̥iṣhṇa tō kabhī kahē̃gē nahī̃ - māmēkam yād karō .

69Shri Krishna never says: Remember me alone.

65Vah tō sammukh hai .

70He is in front of you.

66Unkō bābā bhī nahī̃ kahē̃gē .

71He cannot be called Baba either.

67Mātāyē̃ tō śhrīkr̥iṣhṇa kō bachchā samajh gōd mē̃ biṭhātī haĩ .

72Mothers consider Shri Krishna to be a baby and sit him (an idol of him) in their laps.

68Janmāṣhṭamī par chhōṭē śhrīkr̥iṣhṇa kō jhulāyēṅgē .

73On the day of Shri Krishna’s birth, they rock him in a cradle.

69Kyā sadaiv chhōṭā hī hai  !

74Does he always remain small?

70Phir rās vilās bhī kartē haĩ . 71Tō jarūr thōṛā baṛā huā phir unsē baṛā huā vā kyā huā , kahā̃ gayā , kiskō bhī patā nahī̃ .

75He is also shown dancing and so he must surely have grown a little. 76Whether he grew older, what happened to him or where he went, no one knows.

72Sadaiv chhōṭā śharīr tō nahī̃ hōgā nā .

77He would not have always had a small body.

73Kuchh bhī khyāl nahī̃ kartē haĩ .

78People do not think about these things at all.

74Yah pūjā ādi key|kī rasm chalī ātī hai .

79This system of worshipping etc. carries on.

75Gyān tō kōī mē̃ hai nahī̃ .

80None of them has any of this knowledge.

76Dikhātē haĩ śhrīkr̥iṣhṇa nē kanspurī mē̃ janma liyā .

81They show Shri Krishna taking birth in the land of the demon king, Kans.

77Ab kanspurī key|kī tō bāt hī nahī̃ .

82Now, there is no question of the land of the demon king, Kans.

78Kōī kā bhī vichār nahī̃ chaltā .

83No one thinks about these things.

79Bhakta lōg tō kahē̃gē śhrīkr̥iṣhṇa hāzirā-hazūr hai phir unkō snān bhī karātē haĩ , khilātē bhī haĩ .

84Devotees say that Shri Krishna is present everywhere and then they bathe him and also feed him.

80Ab vah khātā tō nahī̃ .

85Now he (idol of Krishna) does not eat anything.

81Rakhtē haĩ mūrti K|kē sāmnē aur khud khā lētē haĩ .

86They place all the food in front of the idol and then eat it themselves.

82Yah bhī bhakti mārg huā nā .

87That too is the path of devotion.

83Śhrīnāth jī par itnā bhōg lagātē haĩ , vah tō khātā nahī̃ , khud khā jātē haĩ .

88They offer a lot of bhog to him at the Shrinath Temple, but he does not eat any of it. 89Those who offer it eat it.

84Dēviyō̃ key|kī pūjā mē̃ bhī aisē kartē haĩ .

90They do the same thing in the worship of the goddesses.

85Khud hī dēviyā̃ banātē haĩ , unkī pūjā ādi kar phir ḍubō dētē haĩ .

91They make idols of the goddesses, worship them and then sink them.

86Jēvarāt ādi utārkar ṛubōtē haĩ phir vahā̃ tō bahut rahtē haĩ , jiskō jō hāth mē̃ āyā vah uṭhā lētē haĩ .

92They remove the jewellery from the idols and then sink them. 93Then, the many people that are there take away whatever they can get hold of.

87Dēviyō̃ key|kī hī jāstī pūjā hōtī hai .

94It is the goddesses that are worshipped the most.

88Lakṣhmī aur durgā dōnō̃ key|kī mūrtiyā̃ banātē haĩ .

95They make idols of both Lakshmi and Durga.

89Baṛī mama bhī yahā̃ baiṭhī hai nā , jiskō brahmaputrā bhī kahtē haĩ .

96The senior mother is also here. 97She is called Brahmaputra (child of Brahma).

90Samajhē̃gē nā ki is janm aur bhaviṣhya K|kē rūp key|kī pūjā kar rahē haĩ .

98You would understand that they are worshipping her form of this birth and her future form.

91Kitnā wonderful drama hai .

99This is such a wonderful drama!

92Aisī-aisī bātē̃ śhāstrō̃ mē̃ ā na sakē̃ .

100These things cannot be mentioned in the scriptures.

93Yah hai practical activity .

101This is the practical activity.

94Tum bachchō̃ kō ab gyān hai .

102You children now have this knowledge.

95Samajhtē hō sabsē jāstī chitra banāyē haĩ ātmāō̃ K|kē .

103You understand that most of the images that are created are of souls.

96Jab rūdra yagya rachtē haĩ tō lākhō̃ sāligrām banātē haĩ .

104When a sacrificial fire of Rudra is created, hundreds of thousands of saligrams are made.

97Dēviyō̃ K|kē kab lākhō̃ chitra nahī̃ banāyēṅgē .

105They never make hundreds of thousands of images of goddesses.

98Vah tō jitnē pujārī hōṅgē utnī dēviyā̃ banātē hōṅgē . 99Vah tō ēk hī time par lākh sāligrām banātē haĩ .

106However many worshippers there are, they would make that many idols of goddesses, whereas they make hundreds of thousands of saligrams at the same time.

100Unkā kōī fix din nahī̃ hōtā hai . 101Kōī muhūrtt ādi nahī̃ hōtā hai .

107Neither do they have a fixed day for that, nor is there an auspicious time for it.

102Jaisē dēviyō̃ key|kī pūjā fix time par hōtī hai .

108However, they do have a fixed time for the worship of the goddesses.

103Sēṭh lōgō̃ kō tō jab khyāl mē̃ āyēgā ki rūdra yā sāligrām rachē̃ tō brāhmaṇ bulāyēṅgē .

109When a businessman has the thought of creating a sacrificial fire of Rudra and saligrams, he invites a brahmin priest.

104Rūdra kahā jātā hai ēk bāp kō phir unkē sāth ḍhēr sāligrām banātē haĩ .

110The one Father is called Rudra. 111Together with Rudra, they create many saligrams.

105Vō sēṭh lōg kahtē haĩ itnē sāligrām banāō . 106Unkī tithi-tārīkh kōī mukarar nahī̃ hōtī .

112Those businessmen tell them to create a certain number of saligrams, but they don’t have a fixed time or date for that.

107Aisē bhī nahī̃ ki śhiv jayantī par hī rūdra pūjā kartē haĩ .

113It is not that they worship Rudra on Shiv Jayanti.

108Nahī̃ , aksar karkē śhubh din br̥ihaspati kō hī rakhtē haĩ .

114No, generally, they fix a Thursday as the auspicious day.

109Dīpmālā par lakṣhmī kā chitra thālī mē̃ rakhkar unkī pūjā kartē haĩ . 110Phir rakh dētē haĩ .

115On Deepmala, they place an idol of Lakshmi on a tray, worship it and then put it away.

111Vah hai mahālakṣhmī , yugal haĩ nā .

116That is called Mahalakshmi, the dual-form.

112Manuṣhya in bātō̃ kō jāntē nahī̃ .

117People do not know about these matters.

113Lakṣhmī kō paisē kahā̃ sē milē̃gē  ?

118Where could Lakshmi get money from?

114Yugal tō chāhiē nā .

119She needs a partner.

115Tō yah ( lakṣhmī-nārāyaṇ ) yugal haĩ . 116Nām phir mahālakṣhmī rakh dētē haĩ .

120This Lakshmi and Narayan are a couple and they have been given the name Mahalakshmi.

117Dēviyā̃ kab huī , mahālakṣhmī kab hōkar gaī  ?

121When did the goddesses come into existence? 122When did Mahalakshmi exist?

118Yah sab bātē̃ manuṣhya nahī̃ jāntē haĩ .

123People do not know any of these things.

119Tumkō ab bāp baiṭh samjhātē haĩ .

124The Father now sits here and explains to you.

120Tumhārē mē̃ bhī sabkō ēkras dhārṇā nahī̃ hōtī hai .

125Even all of you are not able to imbibe these things to the same extent.

121Bābā itnā sab samjhākar phir bhī kahtē śhivbābā yād hai  ?

126Baba explains so much and then asks: Do you remember Shiv Baba?

122Varsā yād hai  ?

127Do you remember the inheritance?

123Mūl bāt hai yah .

128This is the main thing.

124Bhakti mārg mē̃ kitnā paisā west|waste kartē haĩ .

129They waste so much money on the path of devotion.

125Yahā̃ tumhārī pāī bhī west|waste nahī̃ hōtī hai .

130Here, not a single penny of yours is wasted.

126Tum service kartē hō solvent bannē kē liē .

131You do service in order to become solvent.

127Bhakti mārg mē̃ tō bahut paisē kharcha kartē haĩ , insolvent ban paṛtē haĩ .

132People spend a lot of money on the path of devotion and they become insolvent.

128Sab miṭṭī mē̃ mil jātā hai .

133Everything turns to dust.

129Kitnā phark hai  !

134There is such a vast difference.

130Is samay jō kuchh kartē haĩ vah īśhvarīy service mē̃ śhivbābā kō dētē haĩ .

135Whatever you do at this time, you give to Shiv Baba for Godly service.

131Śhivbābā tō khātē nahī̃ haĩ , khātē tum hō .

136Shiv Baba does not eat anything; you eat it.

132Tum brāhmaṇ bīch mē̃ trustee hō .

137You Brahmins are the trustees in between.

133Brahmā kō nahī̃ dētē hō . 134Tum śhivbābā kō dētē hō .

138You do not give anything to Brahma; you give to Shiv Baba.

135Kahtē haĩ - bābā , āpkē liē dhōtī-kamīz lāī hai .

139Some say: Baba, I have brought a dhoti and a shirt for you.

136Bābā kahtē haĩ - inkō dēnē sē tumhārā kuchh bhī jamā nahī̃ hōgā .

140Baba says: You will not accumulate anything by giving to this one.

137Jamā vah hōtā hai jō tum śhivbābā kō yād kar inkō dētē hō .

141You will only accumulate when you give to this one in remembrance of Shiv Baba.

138Phir yah tō samajhtē hō brāhmaṇ śhivbābā K|kē khajānē sē hī paltē haĩ .

142You also understand that Brahmins are sustained from Shiv Baba’s treasure store.

139Bābā sē pūchhnē key|kī darkār nahī̃ hai ki kyā bhējū̃  ?

143There is no need to ask Baba what you should send.

140Yah tō lē̃gē nahī̃ .

144He will not accept anything.

141Tumhārā jamā hī nahī̃ hōgā , agar brahmā kō yād kiyā tō .

145You will not accumulate anything by remembering Brahma.

142Brahmā kō tō lēnā hai śhivbābā K|kē khajānē sē . 143Tō śhivbābā hī yād paṛēgā .

146Brahma himself has to take from Shiv Baba’s treasure store, so then, he would only remember Shiv Baba.

144Tumhārī chīz kyō̃ lēvē̃ .

147Why should he accept anything from you?

145Be|B . K|kē . kō dēnā bhī wrong hai .

148It is wrong to give to a BK.

146Bābā nē samjhāyā hai tum kōī sē bhī chīz lēkar pahanē̃gē tō unkī yād ātī rahēgī .

149Baba has explained that if you accept something from anyone and wear it, you will constantly remember that person.

147Kōī halkī chīz hai tō unkī bāt nahī̃ . 148Achchhī chīz tō aur hī yād dilāyēgī - phalānē nē yah diyā hai .

150If it is something small, it doesn’t matter, but if it is something very good, then that would remind you of that person even more. 151“So-and-so gave me this”.

149Unkā kuchh jamā tō hōtā nahī̃ . 150Tō ghāṭā paṛā nā .

152They do not accumulate anything, it becomes a loss.

151Śhivbābā kahtē haĩ māmēkam yād karō .

153Shiv Baba says: Remember Me alone.

152Mujhē kapṛē ādi key|kī darkār nahī̃ .

154I have no need of clothes etc.

153Kapṛē ādi bachchō̃ kō chāhiē . 154Vah śhivbābā K|kē khajānē sē pahanē̃gē .

155It is the children who need clothes etc. and they will obtain them from Shiv Baba’s treasure store.

155Mujhē tō apnā śharīr hai nahī̃ .

156I do not have a body of My own.

156Yah tō śhivbābā K|kē khajānē sē lēnē K|kē hakdār haĩ .

157This one has the right to take from Shiv Baba’s treasure store.

157Rājāī K|kē bhī hakdār haĩ .

158He also has the right to the kingdom.

158Bāp K|kē ghar mē̃ hī bachchē khātē pītē haĩ nā .

159You children eat and drink in the Father’s home.

159Tum bhī service kartē , kamāī kartē rahtē hō .

160You also do service and earn an income.

160Jitnī service bahut , utnī bahut kamāī hōgī .

161The more service you do, the more income you earn.

161Khāyēṅgē , piyē̃gē śhivbābā K|kē bhaṇḍārē sē .

162You eat and drink from Shiv Baba’s treasure-store.

162Unkō nahī̃ dēgē tō jamā hī nahī̃ hōgā .

163If you do not give to Him, you do not accumulate anything.

163Śhivbābā kō hī dēnā hōtā hai .

164You have to give to Shiv Baba alone.

164Bābā , āpsē bhaviṣhya 21 janmō̃ kē liē padmāpadmapati banē̃gē .

165Baba, through You, we will become multimillion times fortunate for our future 21 births.

165Paisē tō khatm hō jāyēṅgē isliē samarth kō ham dē dētē haĩ .

166Our money will be finished. 167Therefore, we give to the One who is powerful.

166Bāp samarth haĩ nā .

168The Father is powerful.

16721 janmō̃ kē liē vah dētē haĩ .

169He gives you everything for 21 births.

168Indirect bhī īśhvar arth|earth dētē haĩ nā .

170People also give indirectly in the name of God.

169Indirect mē̃ itnā samarth nahī̃ hai .

171There isn’t as much power in giving something indirectly.

170Abhī tō bahut samarth hai kyōṅki sammukh hai .

172You now receive a lot of power because He is personally in front of you.

171World almighty authority is samay kē liē hai .

173It is now that the World Almighty Authority exists.

172Īśhvar arth|earth kuchh dān-puṇya kartē haĩ tō alpkāl kē liē kuchh mil jātā hai .

174When you donate something in the name of God, you receive something in return for a temporary period.

173Yahā̃ tō bāp tumkō samjhātē haĩ - maĩ sammukh hū̃ . 174Maĩ hī dēnē vālā hū̃ .

175Here, the Father explains to you that He is personally in front of you and that He is the One who gives everything.

175Isnē bhī śhivbābā kō sab kuchh dēkar sārē viśhva kī bādśhāhī lē lī nā .

176This one also gave everything to Shiv Baba and received the kingdom of the whole world in return.

176Yah bhī jāntē hō - is vyakt kā hī avyakt rūp mē̃ sākṣhātkār hōtā hai .

177You also know that it is visions of the avyakt form that you have through this corporeal one.

177Inmē̃ śhivbābā ākar bachchō̃ sē bāt kartē haĩ .

178Shiv Baba enters this one and speaks to you children.

178Kabhī bhī yah khyāl nahī̃ karnā chāhiē - ham manuṣhya sē lēvē̃ .

179You should never have any thought of wanting to take anything from human beings.

179Bōlō , śhivbābā K|kē bhaṇḍārē mē̃ bhēj dō , inkō dēnē sē tō kuchh nahī̃ milēgā , aur hī ghāṭā paṛ jāyēgā .

180Tell them: Send it to Shiv Baba’s treasure-store. 181You will not receive anything in return by giving to this one. 182You will incur an even greater loss.

180Garīb hōṅgē , karkē 3-4 rūpayē key|kī kōī chīz tumkō dēgē .

183If someone is poor, he would perhaps give something worth three to four rupees.

181Insē tō śhivbābā K|kē bhaṇḍārē mē̃ ḍālnē sē padma hō jāyēgā .

184If he were to put it into Shiv Baba’s treasure store instead, he would accumulate multimillions.

182Apnē kō ghāṭā thōṛēhī ḍālnā hai .

185You must not incur a loss for yourselves.

183Pūjā aksar dēviyō̃ key|kī hī hōtī hai kyōṅki tum dēviyā̃ hī khās nimitt bantī hō gyān dēnē K|kē .

186It is the goddesses that are generally worshipped, because you goddesses become the instruments to give this knowledge to others.

184Bhal gōp bhī samjhātē haĩ parantu aksar karkē tō mātāyē̃ hī brāhmaṇī ban rāstā batātī haĩ isliē dēviyō̃ kā nām jāstī hai .

187Although brothers also explain, it is generally the mothers who become teachers and show this path to others. 188This is why the goddesses are remembered more.

185Dēviyō̃ key|kī bahut pūjā hōtī hai .

189The goddesses are worshipped a great deal.

186Yah bhī tum bachchē samajhtē hō ādhākalp ham pūjya thē .

190You children also understand that you were worthy of worship for half a cycle.

187Pahlē haĩ full pūjya , phir semi pūjya kyōṅki dō kalā kam hō jātī hai .

191At first, you were fully worthy of worship. 192Then, because you lost two degrees, you became semi-worthy of worship.

188Rām key|kī dynasty kahē̃gē trētā mē̃ .

193The silver age is called the dynasty of Rama.

189Vah tō lākhō̃ varṣh key|kī bāt kah dētē haĩ , tō unkā kōī hisāb hī nahī̃ hō saktā .

194They speak of hundreds of thousands of years and so nothing can be calculated.

190Bhakti mārg vālō̃ key|kī buddhi mē̃ aur tumhārī buddhi mē̃ kitnā rāt-din kā fark hai  !

195There is the difference of day and night between the intellects of you children and of those on the path of devotion.

191Tum hō īśhvarīy buddhi , vah haĩ rāvaṇ key|kī buddhi .

196You have Godly intellects whereas they have devilish intellects.

192Tumhārī buddhi mē̃ hai ki yah sārā chakra hī 5 hazār varṣh kā hai , jō phirtā rahtā hai .

197It is in your intellects that this whole cycle is of 5000 years and that it continues to turn.

193Jō rāt mē̃ haĩ vah kahtē haĩ lākhō̃ varṣh , jō din mē̃ haĩ vah kahtē 5 hazār varṣh .

198Those in the night say that it is hundreds of thousands of years and those in the day say that it is 5000 years.

194Ādhākalp bhakti mārg mē̃ tumnē asatya bātē̃ sunī haĩ .

199For half a cycle you have been listening to false things on the path of devotion.

195Satyug mē̃ aisī bātē̃ hōtī hī nahī̃ .

200Such things do not exist in the golden age.

196Vahā̃ tō varsā miltā hai .

201There, you receive your inheritance.

197Ab tumkō direct mat miltī hai .

202You now receive direct instructions.

198Śhrīmad bhagavat gītā hai nā .

203This is the Shrimad Bhagawad Gita.

199Aur kōī śhāstra par śhrīmad nām hai nahī̃ .

204The word “shrimat” is not mentioned in any other scripture.

200Her|har 5 hazār varṣh bād yah purūṣhōttam saṅgamyug , gītā kā yug ātā hai .

205This most auspicious confluence age, the age of the Gita, comes every 5000 years.

201Lākhō̃ varṣh key|kī tō bāt hō nahī̃ saktī hai .

206It cannot be a question of hundreds of thousands of years.

202Kabhī bhī kōī āyē tō lē jāō saṅgam par .

207Explain the confluence age to anyone who comes.

203Bēhad K|kē bāp nē rachayitā arthāt apnā aur rachnā kā sārā parichay diyā hai .

208The unlimited Father has given you the introduction of the Creator, that is, of Himself and His creation.

204Phir bhī kahtē haĩ - achchhā , bāp kō yād karō , aur kuchh dhārṇā nahī̃ kar saktē hō tō apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .

209Even then, He says: Achcha, remember the Father! 210If you are unable to imbibe this knowledge, just consider yourselves to be souls and remember the Father.

205Pavitra tō bannā hī hai .

211You have to become pure.

206Bāp sē varsā lētē hō tō daivīguṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .

212You are claiming the inheritance from the Father and so you also have to imbibe divine virtues.

207Achchhā  !

213Achcha.

208Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

214To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

209Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

215The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

210Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

216Essence for dharna:

2111 ) 21 janmō̃ kē liē padmō̃ key|kī kamāī jamā karnē kē liē direct īśhvarīy sēvā mē̃ sab kuchh saphal karnā hai .

217 1. In order to accumulate an income of multimillions for 21 births, use everything you have directly in a worthwhile way for Godly service.

212Trustee ban śhivbābā K|kē nām par sēvā karnī hai .

218Become a trustee and do service in Shiv Baba’s name.

2132 ) yād mē̃ jitnā samay baiṭhtē , utnā samay buddhi kahā̃-kahā̃ gaī - yah check karnā hai .

219 2. Check where your intellect goes whilst you are sitting in remembrance. 220Keep a true chart of your remembrance.

214Apnā sachchā-sachchā pōtāmēl rakhnā hai . 215Nar sē nārāyaṇ bannē kē liē bāp aur varsē key|kī yād mē̃ rahnā hai .

221In order to become Narayan from an ordinary human, stay in remembrance of the Father and the inheritance.

Blessing

216Vardān  : vismr̥iti key|kī duniyā sē nikal smr̥iti svarūp rah hero part bajānē vālē viśhēṣh ātmā bhav

222Blessing: May you be a special soul who has moved away from the world of forgetfulness and who plays a hero part as an embodiment of remembrance.

217Yah saṅgamyug smr̥iti kā yug hai aur kaliyug vismr̥iti kā yug hai .

223 This confluence age is the age of awareness, whereas the iron age is the age of forgetfulness.

218Āp sab vismr̥iti key|kī duniyā sē nikal āyē .

224All of you have now moved away from the world of forgetfulness.

219Jō smr̥iti svarūp haĩ vahī hero part bajānē vālī viśhēṣh ātmā haĩ .

225Those who are embodiments of remembrance are the special souls who play special parts.

220Is samay double hero hō , ēk hīrē samān valuable banē hō dūsrā hero part hai .

226At this time, you are double heroes. 227Firstly, you have become as valuable as diamonds and, secondly, you have hero parts.

221Tō yahī dil kā gīt sadā bajtā rahē ki vāh mērā śhrēṣhṭh bhāgya .

228So, constantly play this song of the heart: Wah my elevated fortune!

222Jaisē dēh kā occupation yād rahtā hai aisē yē avināśhī occupation ki «  maĩ śhrēṣhṭh ātmā hū̃ ' ' yād rahē tab kahē̃gē viśhēṣh ātmā .

229Just as you remember your physical occupation, in the same way, remember your imperishable occupation, “I am an elevated soul.” 230Only then would you be called a special soul.

Slogan

223Slōgan  : himmat kā pahlā kadam āgē baṛhāō tō bāp key|kī sampūrṇ madad milēgī .

231Slogan: Take the first step with courage and you will receive full help from the Father.

232*** Om Shanti ***