सोमवार 7 अक्टूबर 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
007-10-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 07/10/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - bāp āyē haĩ tum bachchō̃ kō kumbhī pāk nark sē nikālnē kē liē , tum bachchō̃ nē bāp kō nimantraṇ bhī isliē diyā hai ' '
1Essence: Sweet children, the Father has come to remove you from the depths of hell. 2It was for this that you children invited the Father here.
Question
2Praśhna : tum bachchē bahut baṛē tē baṛē kārīgar hō - kaisē ?
3Question: How are you children the greatest craftsmen?
3Tumhārī kārīgarī kyā hai ?
4What is your craftsmanship?
Answer
4Uttar : ham bachchē aisī kārīgarī kartē haĩ jō sārī duniyā hī naī ban jātī hai , uskē liē ham kōī īṭ yā tagārī ādi nahī̃ uṭhātē haĩ lēkin yād kī yātrā sē naī duniyā banā dētē haĩ .
5Answer: You children carry out such great craftsmanship that the whole world becomes new. 6For this, you do not carry bricks and mortar but you make the world new by having the pilgrimage of remembrance.
5Hamē̃ khuśhī hai ki ham naī duniyā key|kī kārīgarī kar rahē haĩ .
7You have the happiness that you are constructing a new world.
6Ham hī phir aisē svarg K|kē mālik banē̃gē .
8You will then become the masters of that heaven.
Murli
7Ōm śhānti .
9Om shanti.
8Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ prati rūhānī bāp samjhātē haĩ , tum jab apnē-apnē gānv sē nikaltē hō tō yah buddhi mē̃ rahtā hai ki ham jātē haĩ śhivbābā key|kī pāṭhśhālā mē̃ .
10The spiritual Father sits here and explains to you sweetest children. 11When you leave your villages to come here, your intellects understand that you are going to Shiv Baba’s school.
9Aisē nahī̃ ki kōī sādhū-santa ādi kā darśhan karnē vā śhāstra ādi sunnē ātē hō .
12It is not that you are going to have a glimpse of a sage or holy man or to listen to a scripture.
10Tum jāntē hō ham jātē haĩ śhivbābā kē pās .
13You understand that you are going to Shiva Baba.
11Duniyā K|kē manuṣhya tō samajhtē haĩ śhiv ūpar mē̃ rahtē haĩ .
14People of the world believe that Shiva resides up above.
12Vah jab yād kartē haĩ tō āṅkhē khōlkar nahī̃ baiṭhtē .
15However, when they remember Him, they do not sit with their eyes open.
13Vah āṅkh band kar dhyān mē̃ baiṭhtē haĩ . 14Śhivliṅg jō dēkhā huā hōtā hai .
16They sit in meditation with their eyes closed because they have an image of a Shiva lingam in their minds.
15Bhal śhiv K|kē mandir mē̃ jāyēṅgē tō bhī śhiv kō yād karē̃gē tō ūpar mē̃ dēkhē̃gē vā mandir yād āyēgā .
17When they go to a Shiva Temple and remember Shiva, they look upwards, or they remember the temple.
16Kaī phir āṅkhē bandkar baiṭhtē haĩ .
18Many sit with their eyes closed.
17Samajhtē haĩ dr̥iṣhṭi kahā̃ bhī nām-rūp mē̃ agar jāyēgī tō hamārī sādhnā ṭūṭ jāyēgī .
19They believe that if their vision is drawn towards anyone’s name or form, their spiritual endeavour would break.
18Abhī tum bachchē jāntē hō ham bhal śhivbābā kō yād kartē thē . 19Kōī śhrīkr̥iṣhṇa kō yād kartē , kōī rām kō yād kartē , kōī apnē gurū kō yād kartē , gurū kā bhī chhōṭā locket banākar pahantē haĩ .
20You children now know that, although you used to remember Shiva Baba, some of you would also remember Shri Krishna, others would remember Rama and others would remember their guru. 21People make a little locket of their guru and wear that.
20Gītā kā bhī itnā chhōṭā locket banākar pahantē haĩ .
22They also make a locket of a small Gita and wear that.
21Bhakti mārg mē̃ tō sab aisē hī haĩ .
23It is all like that on the path of devotion.
22Ghar baiṭhē bhī yād kartē haĩ .
24They remember God whilst sitting at home.
23Yād mē̃ yātrā karnē bhī jātē haĩ .
25They go on pilgrimages whilst in remembrance.
24Chitra tō ghar mē̃ rakhkar pūjā kar saktē haĩ parantu yah bhī bhakti key|kī rasm paṛī huī hai . 25Janma-janmāntar yātrāō̃ par jātē haĩ .
26They could still keep a picture at home and worship that, but it is a system of the path of devotion to go on pilgrimages for birth after birth.
26Chārō̃ dhām key|kī yātrā kartē haĩ .
27They go to all four corners on pilgrimages.
27Chār dhām kyō̃ kahtē haĩ ?
28Why do they speak of four pilgrimages?
28West|waste , east , north , south … chārō̃ kā chakra lagātē haĩ .
29They tour around in all four directions: east, west, north and south.
29Bhakti mārg jab śhurū hōtā hai tō pahlē ēk key|kī bhakti kī jātī hai , uskō kahā jātā hai avyabhichārī bhakti .
30When the path of devotion starts, there is only the worship of One. 31That is called unadulterated devotion.
30Satōpradhān thē , abhī tō is samay haĩ tamōpradhān .
32You were satopradhan but, at this time, you are tamopradhan.
31Bhakti bhī vyabhichārī , anēkō̃ kō yād kartē rahtē haĩ .
33Devotion also becomes adulterated and they continue to remember many.
32Tamōpradhān 5 tatvō̃ kā banā huā śharīr , unkō bhī pūjtē haĩ .
34They even worship tamopradhan bodies made of the five elements.
33Tō gōyā tamōpradhān bhūtō̃ key|kī pūjā kartē haĩ , parantu in bātō̃ kō kōī samajhtē thōṛēhī haĩ .
35Therefore, they are worshipping the tamopradhan evil spirits. 36However, none of them understands these things.
34Bhal yahā̃ baiṭhē haĩ parantu buddhiyōg kahā̃ bhaṭaktā rahtā hai .
37Although they may be sitting here, their intellects’ yoga continues to wander elsewhere.
35Yahā̃ tō tum bachchō̃ kō āṅkhē band kar śhivbābā kō yād nahī̃ karnā hai .
38You children must not sit here with your eyes closed to remember Shiva Baba.
36Jāntē hō bāp bahut-bahut dūrdēśh kā rahnē vālā hai .
39You understand that the Father is the Resident of a land very far away.
37Vah ākar bachchō̃ kō śhrīmat dētē haĩ .
40He comes and gives you children shrimat.
38Śhrīmat par chalnē sē hī śhrēṣhṭh dēvtā banē̃gē .
41It is by following shrimat that you will become elevated deities.
39Dēvtāō̃ key|kī sārī rājdhānī sthāpan hō rahī hai .
42The entire kingdom of the deities is now being established.
40Tum yahā̃ baiṭhē apnā dēvī-dēvatāō̃ kā rājya sthāpan kartē hō .
43Whilst sitting here, you are establishing your deity kingdom.
41Pahlē tumkō patā thōṛēhī thā vah kaisē sthāpan hōtā hai .
44Previously, you did not know how it is established.
42Abhī jāntē hō bābā hamārā bāp bhī hai , teacher bankar paṛhātē haĩ aur phir sāth mē̃ bhī lē jāyēṅgē , sadgati karē̃gē .
45You now know that Baba is your Father, that He becomes your Teacher and teaches you and that He then takes you back with Him and grants you salvation.
43Gurū lōg kiskī sadgati nahī̃ kartē haĩ .
46Those gurus cannot grant salvation to anyone.
44Yahā̃ tumkō samjhāyā jātā hai - yah ēk hī bāp , teacher , satgurū hai .
47Here, it is explained to you that that One alone is the Father, the Teacher and the Satguru.
45Bāp sē varsā miltā hai , satgurū purānī duniyā sē naī duniyā mē̃ lē jāyēṅgē .
48You receive your inheritance from the Father. 49The Satguru takes you from this old world to a new world.
46In sab bātō̃ kō būṛhī-būṛhī mātāyē̃ tō samajh na sakē̃ .
50Old mothers cannot understand all of these things.
47Unhō̃ kē liē mukhya bāt hai apnē kō ātmā samajh śhivbābā kō yād karnā hai .
51The main thing is for them to consider themselves to be souls and to remember Shiva Baba.
48Ham śhivbābā K|kē bachchē haĩ , hamkō bābā svarg kā varsā dēgē . 49Būṛhī mātāō̃ kō phir aisē-aisē tōtlī bhāṣhā mē̃ baiṭh samjhānā chāhiē .
52You should sit and explain to the old mothers in simple language: We are children of Shiva Baba and Baba will give us our inheritance of heaven.
50Yah tō har ēk ātmā kā hak hai bāp sē varsā lēnā .
53Every soul has a right to claim his inheritance from the Father.
51Maut tō sāmnē khaṛā hai .
54Death is standing in front of you.
52Purānī duniyā sō phir jarūr naī bannī hai .
55The old world will definitely become new.
53Naī sō purānī .
56Then the new will become old.
54Ghar kō bannē mē̃ kitnē thōṛē mās lagtē haĩ phir purānā hōnē mē̃ 100 varṣh lag jātē haĩ .
57It takes a few months to build a new house but it takes 100 years for it to become old again.
55Abhī tum bachchē jāntē hō yah purānī duniyā ab khalās hōnī hai .
58You children now know that the old world is to be destroyed.
56Yah laṛāī jō ab lagtī hai vah phir 5 hazār varṣh kē bād lagēgī .
59The war that is going to take place will take place again after 5000 years.
57Yah sab bātē̃ buṛhiyāyē̃ tō samajh na sakē̃ .
60The old mothers are not able to understand all of these things.
58Yah phir brāhmaṇiyō̃ kā kām hai unhō̃ kō samjhānā .
61It is the duty of you teachers to explain to them.
59Unkē liē tō ēk akṣhar hī kāphī hai - apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .
62For them, even one sentence is enough: Consider yourself to be a soul and remember the Father.
60Tum ātmā paramdhām mē̃ rahnē vālī hō .
63You, a soul, are a resident of the supreme abode.
61Phir yahā̃ śharīr lēkar part bajātī hō .
64Then, you come here and take a body to play your part.
62Ātmā yahā̃ duḥkh aur sukh kā part bajātī hai .
65Souls play their parts of happiness and sorrow here.
63Mūl bāt bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō aur sukhdhām kō yād karō .
66The main thing the Father says is: Remember Me and the land of happiness.
64Bāp kō yād karnē sē pāp kaṭ jāyēṅgē aur phir svarg mē̃ ā jāyēṅgē .
67By remembering the Father, your sins will be cut away and you will go to heaven.
65Ab jitnā jō yād karē̃gē utnā pāp kaṭē̃gē .
68The more you now remember the Father, the more your sins will be cut away.
66Buṛhiyāyē̃ tō hirī huī haĩ , satsaṅgō̃ mē̃ jākar kathā suntī haĩ .
69Old mothers have the habit of listening to religious stories at spiritual gatherings.
67Unhō̃ kō phir ghaṛī-ghaṛī bāp kī yād dilānī hai .
70They have to be reminded again and again to remember the Father.
68School mē̃ tō paṛhāī hōtī , kathā nahī̃ sunī jātī .
71In a school you study, you do not listen to religious stories.
69Bhaktimārg mē̃ tō tumnē ḍhēr kathāyē̃ sunī haĩ parantu unsē kuchh bhī phāydā nahī̃ hōtā hai .
72You have heard many stories on the path of devotion but there was no benefit in them.
70Chhī-chhī duniyā sē naī duniyā mē̃ tō jā na sakē̃ .
73You were not able to go from this dirty world to the new world.
71Manuṣhya na tō rachayitā bāp kō , na rachnā kō jāntē haĩ .
74Human beings neither know the Father, the Creator, nor His creation.
72Nētī-nētī kah dētē haĩ .
75They say: Neti, neti (neither this nor that).
73Tum bhī āgē nahī̃ jāntē thē .
76Previously, you too did not know.
74Abhī tum bhakti mārg kō achchhī rīti jān gayē hō .
77You have now come to know the path of devotion very well.
75Ghar mē̃ bhī bahutō̃ kē pās mūrtiyā̃ hōtī haĩ , chīz vahī hai , kōī-kōī pati lōg bhī strī kō kahtē haĩ - tum ghar mē̃ mūrti rakh baiṭh pūjā karō .
78Many have idols in their homes. 79It is the same thing (whether in a temple or a home). 80Some husbands tell their wives: Keep the idol at home and worship that.
76Bāhar dhakkā khānē kyō̃ jātī hō , parantu unhō̃ key|kī bhāvnā rahtī hai .
81Why do you have to go wandering about outside? 82However, they have the devotional feeling of going to a temple.
77Abhī tum samajhtē hō tīrtha yātrā karnā mānā bhakti mārg K|kē dhakkē khānā .
83You now understand that to go on pilgrimages means to stumble along on the path of devotion.
78Anēk bār tumnē 84 K|kē chakra kāṭē .
84You have been around the cycle of 84 births many times.
79Satyug-trētā mē̃ tō kōī yātrā nahī̃ hōtī .
85There are no pilgrimages in the golden and silver ages.
80Vahā̃ kōī mandir ādi hōtā nahī̃ .
86There are no temples etc. there either.
81Yah yātrāyē̃ ādi sab bhakti mārg mē̃ hī hōtī haĩ .
87All of those pilgrimages etc. only take place on the path of devotion.
82Gyān mārg mē̃ yah sab kuchh hōtā nahī̃ .
88None of those things take place on this path of this knowledge.
83Unkō kahā jātā hai bhakti .
89That is called devotion.
84Gyān dēnē vālā tō ēk K|kē sivāē dūsrā kōī hai nahī̃ .
90No one, except the One, can give you this knowledge.
85Gyān sē hī sadgati hōtī hai .
91There is salvation through knowledge.
86Sadgati dātā ēk hī bāp hai .
92The Father alone is the Bestower of Salvation.
87Śhivbābā kō kōī śhrī śhrī nahī̃ kahtē , unkō title key|kī darkār nahī̃ .
93No one can call Shiva Baba Shri, Shri. 94He does not need a title.
88Yah tō baṛāī kartē haĩ , unkō kahtē hī haĩ ' śhivbābā ' .
95They just praise His greatness. 96They call Him “Shiva Baba”.
89Tum bulātē hō śhivbābā ham patit ban gayē haĩ , hamkō ākar pāvan banāō .
97You call out to Him: Shiva Baba, we have become impure! 98Come and purify us!
90Bhaktimārg K|kē duban mē̃ galē tak phans paṛē haĩ .
99People have sunk up to their necks in the bog of the path of devotion.
91Phanskar phir chillātē haĩ , viṣhay vāsanā K|kē duban mē̃ ēkdam phans paṛtē haĩ .
100They become trapped in that and then cry out. 101They are completely trapped in that bog of the poison of vices.
92Sīṛhī nīchē utartē-utartē phans paṛtē haĩ .
102They become trapped as they come down the ladder.
93Kōī kō bhī patā nahī̃ paṛtā , tab kahtē haĩ bābā hamkō nikālō .
103No one knows what to do, and so they say: Baba, remove us from here!
94Bābā kō bhī drama anusār ānā hī paṛtā hai .
104According to the drama, Baba has to come.
95Bāp kahtē haĩ maĩ bandhāyamān hū̃ , in sabkō duban sē nikālnē .
105The Father says: I am bound to remove everyone from this bog.
96Inkō kahā jātā hai kumbhī pāk nark . 97Raurav nark bhī kahtē haĩ .
106This bog is called the extreme depths of hell.
98Yah bāp baiṭh samjhātē haĩ , unkō patā thōṛēhī paṛtā hai .
107The Father sits here and explains this. 108Those people do not know this.
99Tum bāp kō dēkhō nimantraṇ kaisā dētē hō .
109Just look at the sort of invitation you give the Father!
100Nimantraṇ tō kōī śādī-murādī ādi par diyā jātā hai .
110Invitations are generally given for weddings etc.
101Tum kahtē hō - hē patit-pāvan bābā , is patit duniyā , rāvaṇ key|kī purānī duniyā mē̃ āō .
111You say: O Purifier Baba, come into this impure old world of Ravan.
102Ham galē tak ismē̃ phansē huē haĩ .
112We are trapped in it up to our necks.
103Sivāē bāp K|kē aur tō kōī nikāl na sakē .
113No one, except the Father, can remove us from it.
104Kahtē bhī haĩ dūr-dēśh kā rahnē vālā śhivbābā , yah rāvaṇ kā dēśh hai . 105Sabkī ātmā tamōpradhān hō gaī hai isliē bulātē bhī haĩ ki ākar pāvan banāō .
114You even say: Shiva Baba, Resident of the faraway land. 115This is the kingdom of Ravan, every soul has become tamopradhan and this is why they call out: Come and purify us!
106Patit-pāvan sītārām , aisē gātē chillātē haĩ .
116They sing out loudly: Purifier! 117Rama of Sita!
107Aisē nahī̃ ki vah pavitra rahtē haĩ .
118It is not that they remain pure.
108Yah duniyā hī patit hai , rāvaṇ rājya hai , inmē̃ tum phans paṛē hō .
119This world is impure; it is the kingdom of Ravan and you are trapped in it.
109Phir yah nimantraṇ diyā hai - bābā ākar hamkō kumbhī pāk nark sē nikālō .
120This is why you have given this invitation: Baba come and remove us from these extreme depths of hell.
110Tō bāp āyē haĩ .
121Therefore, the Father has come.
111Kitnā tumhārā obedient servant hai .
122He is such an Obedient Servant of yours.
112Drama mē̃ apār duḥkh tum bachchō̃ nē dēkhē haĩ .
123You children have witnessed limitless sorrow in this drama.
113Time pās|pass hōtā jātā hai .
124Time continues to pass.
114Ēk second na milē dūsrē sē .
125One second cannot be the same as the next.
115Ab bāp tumkō lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā banātē haĩ phir tum ādhākalp rājya karē̃gē - smr̥iti mē̃ lāō .
126The Father is now making you become like Lakshmi and Narayan and you will then rule for half a cycle. 127Take this into your awareness.
116Abhī time bahut thōṛā hai .
128Very little time now remains.
117Maut śhurū hō jāyēgā tō manuṣhya vāyarē hō jāyēṅgē .
129When death begins to take place, people will become confused.
118 ( mūñjh jāyēṅgē ) thōṛē samay mē̃ kyā hō jāyēgā .
130So much will happen in just a short time.
119Kaī tō ṭhakā sunkar bhī heartfail hō jāyēṅgē .
131Some will have heart failure as soon as they even hear a bang.
120Marē̃gē aisē jō bāt mat pūchhō .
132Some will die in such a way, don’t even ask.
121Dēkhō ḍhēr būṛhī mātāyē̃ āī haĩ .
133Just look, many old mothers have come.
122Bichārī kuchh bhī samajh na sakē̃ .
134Poor helpless mothers cannot understand anything.
123Jaisē tīrthō̃ par jātē haĩ nā , tō ēk-dō kō dēkh taiyār hō paṛtē haĩ , ham bhī chaltē haĩ .
135When they see others going on a pilgrimage, they too get ready to go.
124Abhī tum jāntē hō bhakti mārg K|kē tīrtha yātrā kā arth|earth hī hai nīchē utarnā , tamōpradhān bannā .
136You now understand that the meaning of a pilgrimage on the path of devotion is to descend and become tamopradhan.
125Baṛē tē baṛī yātrā tumhārī yah hai , jō tum patit duniyā sē pāvan duniyā mē̃ jātē hō .
137This pilgrimage of yours is the greatest pilgrimage. 138It is with this that you go from the impure world to the pure world.
126Tō in bachchiyō̃ kō kuchh tō śhivbābā key|kī yād dilātē rahō .
139So, you should at least remind these children of Shiva Baba.
127Śhivbābā kā nām yād hai ?
140Ask them: Do you remember Shiva Baba?
128Thōṛā bahut suntī haĩ tō svarg mē̃ āyēṅgī .
141Even if they hear a little, they will go to heaven.
129Yah phal jarūr milnā hai .
142They definitely receive this fruit.
130Bākī pad tō hai paṛhāī sē .
143However, it is through this study that you receive a status.
131Usmē̃ bahut phark paṛ jātā hai .
144There is a lot of difference in the status.
132Ūñch tē ūñch phir kam sē kam , rāt-din kā phark paṛ jātā hai .
145There is the difference of day and night between the highest of all and the lowest of all.
133Kahā̃ prime minister , kahā̃ naukar chākar .
146There is a vast difference between a Prime Minister and a servant.
134Rājdhānī mē̃ number-vār hōtē haĩ .
147All are numberwise in a kingdom.
135Svarg mē̃ bhī rājdhānī hōgī . 136Parantu vahā̃ pāp ātmāyē̃ gandē vikārī nahī̃ hōṅgē .
148There will be a kingdom in heaven too, but there will not be any sinful, vicious, dirty souls there.
137Vah hai hī nirvikārī duniyā .
149That is a viceless world.
138Tum kahē̃gē ham yah lakṣhmī-nārāyaṇ jarūr banē̃gē .
150You say that you will definitely become Lakshmi and Narayan.
139Tumkō hāth uṭhātē dēkh būṛhiyā̃ ādi bhī sab hāth uṭhā dē̃gī . 140Samajhtī kuchh nahī̃ haĩ .
151When the old mothers see you raise your hands, they also raise their hands; they do not understand anything.
141Phir bhī bāp kē pās āī haĩ tō svarg mē̃ tō jāyēṅgī parantu sab aisē thōṛēhī banē̃gī . 142Prajā bhī banē̃gī .
152Nevertheless, they have come to the Father and so they will go to heaven. 153However, not everyone can attain the same status; there have to be subjects too.
143Bāp kahtē haĩ maĩ garīb nivāj hū̃ , tō bābā garībō̃ kō dēkh khuśh hōtē haĩ .
154The Father says: I am the Lord of the Poor. 155Therefore, Baba is pleased to see the poor ones.
144Bhal kitnē bhī baṛē tē baḍē sāhūkār padampati haĩ , unsē bhī yah ūñch pad pāyēṅgē - 21 janmō̃ kē liē .
156No matter how wealthy a great multimillionaire may be, the poor can claim a higher status for 21 births than he can.
145Yah bhī achchhā hai .
157This too is good.
146Būṛhiyā̃ jab ātī haĩ tō bāp kō khuśhī hōtī hai phir bhī śhrīkr̥iṣhṇapurī mē̃ tō jāyēṅgī nā .
158When old mothers come here, the Father is pleased, because they will at least go to the land of Shri Krishna.
147Yah hai rāvaṇpurī , jō achchhī rīti paṛhē̃gē tō śhrīkr̥iṣhṇa kō bhī gōd mē̃ jhulāyēṅgē .
159This is the land of Ravan. 160Those of you who study well will be able to rock Shri Krishna in your laps.
148Prajā thōṛēhī andar ā sakēgī .
161Subjects will not be allowed to enter the palace.
149Vah tō kabhī karkē dīdār karēgī . 150Jaisē pope dīdār karātē haĩ khiṛkī sē , lākhō̃ ākar ikaṭṭhē hōtē haĩ darśhan karnē .
162They will perhaps have a glimpse, just as the Pope gives a glimpse of himself through a window. 163Hundreds of thousands of people gather outside to have a glimpse of him.
151Parantu unkā ham kyā dīdār karē̃gē .
164However, why would we want to have a glimpse of him?
152Ever pāvan tō ēk hī bāp hai jō tumkō ākar pāvan banātē haĩ .
165There is only the one Father who is ever pure and He comes to make us pure.
153Sārē viśhva kō satōpradhān banātē haĩ .
166He makes the whole world satopradhan.
154Vahā̃ yah 5 bhūt rahē̃gē nahī̃ .
167These five evil spirits will not exist there.
1555 tatva bhī satōpradhān ban jātē haĩ , tumhārē gulām ban jātē haĩ .
168The five elements become satopradhan; they will become your slaves.
156Kabhī bhī aisī garmī nahī̃ hōgī jō nuksān hō jāē .
169The climate will never be so hot that it causes damage.
1575 tatva bhī kāydē anusār chaltē haĩ .
170The five elements function systematically.
158Akālē mr̥iityu nahī̃ hōtī .
171There is no untimely death there.
159Abhī tum svarg mē̃ chaltē hō tō nark sē buddhiyōg nikāl lēnā chāhiē .
172Now that you are going to heaven, you should remove your intellects’ yoga from hell.
160Jaisē nayā makān banātē haĩ tō purānē sē buddhi haṭ jātī hai .
173It is the same as when you build a new house, your intellect moves away from the old one.
161Buddhi nayē mē̃ chalī jātī hai , yah phir hai bēhad key|kī bāt .
174Your intellect is drawn to the new one. 175However, this is an unlimited aspect.
162Naī duniyā kī sthāpanā hō rahī hai , purānī kā vināśh hōnā hai .
176The new world is being established and the old world is to be destroyed.
163Tum hō naī duniyā svarg banānē vālē .
177You are the ones who are constructing the new world of heaven.
164Tum bahut achchhē kārīgar hō .
178You are very good craftsmen.
165Apnē liē svarg banā rahē hō .
179You are constructing heaven for yourselves.
166Kitnē baṛē achchhē kārīgar hō , yād kī yātrā sē naī duniyā svarg banātē hō .
180You are such very good craftsmen that you are constructing the new world of heaven by having the pilgrimage of remembrance.
167Thōṛā bhī yād karō tō svarg mē̃ ā jāyēṅgē .
181Even if you have a little remembrance, you will go to heaven.
168Tum gupta vēṣh mē̃ apnā svarg banā rahē hō .
182You are creating your heaven in an incognito way.
169Jāntē hō ham is śharīr kō chhōṛ phir jākar svarg mē̃ nivās karē̃gē tō aisē bēhad K|kē bāp kō bhūlnā nahī̃ chāhiē .
183You understand that you will now shed your present bodies and then go and live in heaven. 184Therefore, you must never forget such an unlimited Father.
170Abhī tum svarg mē̃ jānē kē liē paṛh rahē hō .
185You are now studying to go to heaven.
171Apnī rājdhānī sthāpan karnē kē liē purūṣhārth kar rahē hō .
186You are making effort to establish your kingdom.
172Yah rāvaṇ key|kī rājdhānī khalās hō jānī hai .
187This kingdom of Ravan is about to be destroyed.
173Tō andar mē̃ kitnī khuśhī hōnī chāhiē .
188Therefore, you should experience such happiness inside.
174Hamnē yah svarg tō anēk bār banāyā hai , rājāī lī phir ganvāī hai .
189We have created heaven many times before. 190We have claimed the kingdom and also lost it many times before.
175Yah bhī yād karō tō bahut achchhā .
191Even if you remember this, it is very good.
176Ham svarg K|kē mālik thē , bāp nē hamkō aisā banāyā thā .
192We were the masters of heaven. 193The Father made us become like that.
177Bāp kō yād karō tō tumhārē pāp bhasma hōṅgē .
194Remember the Father and your sins will be burnt away.
178Kitnā sahaj rīti tum svarg key|kī sthāpanā kar rahē hō .
195You are establishing heaven in such an easy way.
179Purānī duniyā K|kē vināśh kē liē kitnī chīzē̃ nikaltī rahtī haĩ .
196So many things have been invented for the destruction of the old world.
180Kudratī āpdāyē̃ , mūsal ( missiles ) ādi dvārā sārī purānī duniyā khatm hōgī .
197The whole of the old world will be destroyed through natural calamities and missiles etc.
181Ab bāp āyē haĩ tumkō śhrēṣhṭh mat dēnē , śhrēṣhṭh svarg key|kī sthāpanā karnē .
198The Father has now come to give you the most elevated directions and to establish elevated heaven.
182Anēk bār tumnē yah sthāpanā kī hai tō buddhi mē̃ yād rakhnā chāhiē .
199You should keep it in your intellects that you have established heaven many times.
183Anēk bār rājya liyā phir ganvāyā hai .
200You have claimed your kingdom many times and you have then lost it many times.
184Yah buddhi mē̃ chaltā rahē aur ēk-dō kō bhī yah bātē̃ sunāō .
201Continue to turn this around in your intellects and also speak about these things to one another.
185Duniyāvī bātō̃ mē̃ samay nahī̃ ganvānā chāhiē .
202You must not waste your time speaking about worldly matters.
186Bāp kō yād karō , svadarśhan chakradhārī banō .
203Remember the Father and become spinners of the discus of self-realisation.
187Yahā̃ bachchō̃ kō achchhī rīti sunkar phir bahut ugārnā hai , simraṇ karnā hai , bābā nē kyā sunāyā .
204Here, you children have to listen to all of this very carefully and then digest it well. 205You constantly have to think about what Baba says.
188Śhivbābā aur varsē kō tō jarūr yād karnā chāhiē .
206You definitely do have to remember Shiv Baba and the inheritance.
189Bāp hathēlī par bahiśht lē āyē haĩ , pavitra bhī bannā hai .
207The Father has brought heaven for you on the palm of His hand. 208You also have to become pure.
190Pavitra nahī̃ banē̃gē tō sazā khānī paṛēgī . 191Pad bhī bahut chhōṭā pā lē̃gē .
209If you do not become pure, you will have to endure punishment and you will receive a very low status.
192Svarg mē̃ ūñch pad pānā hai tō achchhī rīti dhārṇā karō .
210If you want to claim a high status in heaven, imbibe this well.
193Bāp rāstā tō bahut sahaj batātē haĩ .
211The Father shows you a very easy path.
194Achchhā !
212Achcha.
195Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
213To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
196Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
214The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
197Dhārṇā kē liē mukhya sār :
215Essence for dharna:
1981 ) bāp jō sunātē haĩ usē achchhī tarah sunkar phir ugārnā hai .
216 1. Listen carefully to everything that the Father tells you and then digest it well.
199Duniyāvī bātō̃ mē̃ apnā samay nahī̃ ganvānā hai .
217Don’t waste time speaking about worldly matters.
2002 ) bāp kī yād mē̃ āṅkhē̃ band karkē nahī̃ baiṭhnā hai .
218 2. Do not sit in remembrance of the Father with your eyes closed.
201Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī rājdhānī mē̃ ānē kē liē paṛhāī achchhī rīti paṛhnī hai .
219In order to go to the kingdom of Shri Krishna, you must study well.
Blessing
202Vardān : man-buddhi kō jhamēlō̃ sē kinārē kar milan mēlā manānē vālē jhamēlāmukt bhav
220Blessing: May you celebrate a meeting of the gathering (mela) by taking your mind and intellect away from turmoil (Jamela) and become free from it.
203Kaī bachchē sōchtē haĩ yah jhamēlā pūrā hōgā tō hamārī avasthā vā sēvā achchhī hō jāyēgī lēkin jhamēlē pahāṛ K|kē samān haĩ .
221 Some children think that when their turmoil is over, their stage and their service will then become good, but that turmoil is like a mountain.
204Pahāṛ nahī̃ haṭēgā , lēkin jahā̃ jhamēlā hō vahā̃ apnē man-buddhi kō kinārē kar lō yā uṛtī kalā sē jhamēlē K|kē pahāṛ K|kē bhī ūpar chalē jāō tō pahāṛ bhī āpkō sahaj anubhav hōgā .
222The mountain will not move, so you have to take your mind and intellect away from that turmoil with your flying stage and go over that tumultuous mountain. 223You will then experience that mountain to be easy.
205Jhamēlō̃ key|kī duniyā mē̃ jhamēlē tō āyēṅgē hī , āp mukt rahō tō milan mēlā manā sakē̃gē .
224In the world of turmoil, there will of course be a lot of turmoil, but you will remain free from that and then be able to celebrate a meeting of the gathering.
Slogan
206Slōgan : is bēhad nāṭak mē̃ hero part bajānē vālē hī hero part-dhārī haĩ .
225Slogan: Those who play hero parts in this unlimited play are hero actors.
226*** Om Shanti ***