गुरुवार 10 अक्टूबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

010-10-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 10/10/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - uṭhtē-baiṭhtē buddhi mē̃ gyān uchhaltā rahē tō apār khuśhī mē̃ rahē̃gē  »

1Essence: Sweet children, while walking and moving around, let this knowledge bubble in your intellects and you will have an abundance of happiness.

Question

2Praśhna  : tum bachchō̃ kō kiskē saṅg sē bahut-bahut sambhāl karnī hai  ?

2Question: Whose company do you children have to be very cautious about?

Answer

3Uttar  : jinkī buddhi mē̃ bāp kī yād nahī̃ ṭhahartī , buddhi idhar-udhar bhaṭaktī rahtī hai , unkē saṅg sē tumhē̃ sambhāl karnī hai .

3Answer: You have to remain cautious of the company of those whose intellects do not have remembrance of the Father and whose intellects continue to wander here and there.

4Unkē aṅg sē aṅg bhī nahī̃ lagnā chāhiē kyōṅki yād mē̃ na rahnē vālē vāyumaṇḍal kō kharāb kartē haĩ .

4You should not sit next to them, nor even touch them, because those who do not stay in remembrance spoil the atmosphere.

Question

5Praśhna  : manuṣhyō̃ kō paśhchātāp kab hōgā  ?

5Question: When will people repent?

Answer

6Uttar  : jab unhē̃ patā paṛēgā ki inhē̃ paṛhānē vālā svayã bhagvān hai tō unkā mũh phīkā paṛ jāyēgā aur paśhchātāp karē̃gē ki hamnē ġaphlat key|kī , paṛhāī nahī̃ paṛhī .

6Answer: When they become aware that it is God Himself who is teaching you, their faces will go pale and they will repent for the carelessness they made of not studying this knowledge.

Murli

7Ōm śhānti .

7Om shanti.

8Ab rūhānī yātrā kō tō bachchē achchhī tarah sē samajhtē haĩ .

8You children understand the spiritual pilgrimage very well.

9Kōī bhī haṭhyōg key|kī yātrā hōtī nahī̃ .

9There are no pilgrimages of hatha yoga here.

10Yah hai yād .

10This is remembrance.

11Yād kē liē kōī bhī taklīph key|kī bāt nahī̃ hai .

11There is no question of difficulty in remembrance.

12Bāp kō yād karnā - ismē̃ kōī taklīph nahī̃ hai .

12There is no difficulty in remembering the Father.

13Yah class hai isliē sirph kāydēsir baiṭhnā hōtā hai .

13This is a class and so you have to sit in a disciplined way.

14Tum bāp K|kē bachchē banē hō , bachchō̃ key|kī pālnā hō rahī hai .

14You have become the children of the Father, and you children are being sustained.

15Kaun-sī pālnā  ?

15Which sustenance are you receiving?

16Avināśhī gyān ratnō̃ kā khajānā mil rahā hai .

16You are receiving the treasures of the imperishable jewels of knowledge.

17Bāp kō yād karnē mē̃ kōī taklīph nahī̃ hai .

17There is no difficulty in remembering the Father.

18Sirph māyā buddhi kā yōg tōṛ dētī hai .

18It is just that Maya breaks your intellects’ yoga.

19Bākī baiṭhō bhal kaisē bhī , unsē kōī yād kā tailuk nahī̃ .

19However, it doesn't matter how you sit, because that is not connected with remembrance.

20Bahut bachchē haṭhyōg sē 3-4 ghaṇṭē baiṭhtē haĩ .

20Many children sit for three to four hours like hatha yogis.

21Sārī rāt bhī baiṭh jātē haĩ .

21They even sit there through the whole night.

22Āgē tumhārī tō thī bhaṭṭhī , vah bāt aur thī , vahā̃ tumkō dhandhādhōrī tō thā nahī̃ isliē yah sikhāyā jātā thā .

22Previously, you were in a bhatthi, but that was something different. 23There, you had no business etc. and so you were taught that.

23Ab bāp kahtē haĩ tum gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahō .

24The Father now says: Live at home with your families.

24Dhandhādhōrī bhī bhal karō .

25You may also do your business.

25Kuchh bhī kām kāj kartē bāp kō yād karnā hai .

26Whatever work you do, you have to remember the Father.

26Aisē bhī nahī̃ ki abhī nirantar tum yād kar saktē hō . 27Nahī̃ .

27Don't think that you can have constant remembrance now; no.

28Is avasthā mē̃ time lagtā hai .

28It takes time to reach that stage.

29Abhī nirantar yād ṭhahar jāē phir tō karmātīt avasthā hō jāē .

29If you were to have constant remembrance now, you would reach your karmateet stage.

30Bāp samjhātē haĩ - bachchē , drama K|kē plan anusār ab bākī thōṛā samay hai .

30The Father explains: Children, according to the drama plan, there is now little time left.

31Sārā hisāb bhī buddhi mē̃ rahtā hai .

31You have the whole account in your intellect.

32Kahtē haĩ Christ sē 3 hazār varṣh pahlē bhārat hī thā . 33Unkō svarg kahā jātā thā .

32They say that 3000 years before Christ there was just Bharat, and it was called heaven.

34Abhī unhō̃ K|kē 2 hazār varṣh pūrē hōtē haĩ , 5000 varṣh kā hisāb hō jātā hai .

33Their 2000 years are now coming to an end. 34This makes it an account of 5000 years.

35Dēkhā jātā hai tumhārā nām sārā vilāyat sē hī nikalēgā kyōṅki unhō̃ key|kī buddhi phir bhī bhāratvāsiyō̃ sē tīkhī hai .

35It has been seen that your name will be glorified from abroad because their intellects are still sharper than those of the people of Bharat.

36Bhārat sē peace|pīs bhī vah māṅgtē haĩ .

36They also ask Bharat for peace.

37Bhāratvāsiyō̃ nē hī lākhō̃ varṣh kahkar aur sarvavyāpī kā gyān dēkar buddhi bigāṛ dī hai .

37It is the people of Bharat who speak of hundreds of thousands of years and give the knowledge of omnipresence and spoil their intellects.

38Tamōpradhān ban gayē haĩ .

38They have become tamopradhan.

39Vah itnē tamōpradhān nahī̃ banē haĩ , unhō̃ key|kī buddhi tō baṛī tīkhī hai .

39Those people have not become so tamopradhan. 40Their intellects are very sharp.

40Unhō̃ kā jab āvāz nikalēgā tab bhāratvāsī jāgēṅgē kyōṅki bhāratvāsī ēkdam ghōr nīnd mē̃ sōyē huē haĩ .

41When their sound spreads, the people of Bharat will awaken because the people of Bharat are sleeping in a deep sleep.

41Vah thōṛē sōyē huē haĩ .

42Those people are sleeping in a light sleep.

42Unhō̃ sē āvāz achchhā nikalēgā , vilāyat sē āyē bhī thē ki hamkō kōī batāvē - peace|pīs kaisē hō saktī hai  ? 43Kyōṅki bāp bhī bhārat mē̃ hī ātē haĩ .

43The sound from them will spread very well. 44People came from abroad asking for someone to show them how there can be peace, because the Father too only comes in Bharat.

44Yah bāt tō tum bachchē hī batā saktē hō - duniyā mē̃ phir sē vah peace|pīs kab aur kaisē hōgī  ?

45Only you children can relate these things of how and when there will be peace in the world again.

45Tum bachchē tō jāntē hō barōbar paradise athavā heaven thā .

46You children know that there truly was Paradise or heaven.

46Naī duniyā mē̃ bhārat paradise thā .

47When the world was new, Bharat was Paradise.

47Yah aur kōī bhī nahī̃ jāntē haĩ .

48No one else knows that.

48Manuṣhyō̃ key|kī buddhi mē̃ yah bāt hī baiṭh gaī hai ki īśhvar sarvavyāpī hai aur kalp key|kī āyu lākhō̃ varṣh kah dī hai .

49It is fixed in people's intellects that God is omnipresent and they have said that the duration of each cycle is hundreds of thousands of years.

49Sabsē jāstī pattharbuddhi yah bhāratvāsī hī banē haĩ .

50It is these people of Bharat who have become the ones with the most stone intellects.

50Yah gītā śhāstra ādi sab haĩ bhakti mārg K|kē .

51The Gita and the scriptures etc. all belong to the path of devotion.

51Phir bhī yah sab aisē hī banē̃gē .

52They will be written again in the same way.

52Bhal drama kō jāntē haĩ phir bhī bāp tō purūṣhārth karātē haĩ .

53Even though you know that this is the drama, the Father will enable you to make effort.

53Tum bachchē jāntē hō vināśh tō jarūr hōgā .

54You children know that destruction will definitely take place.

54Bāp āyē hī haĩ naī duniyā kī sthāpanā karnē .

55The Father has come to establish the new world.

55Yah tō khuśhī key|kī bāt hai nā .

56This is a matter of happiness.

56Jab kōī baṛā imtahān pās|pass kartē haĩ tō andar mē̃ khuśhī hōtī hai nā .

57When someone passes a difficult examination, he feels happy inside.

57Ham yah sab pās|pass kar yah ( dēvtā ) jākar banē̃gē .

58We feel that we have passed all of this and will then go and become deities.

58Sārā paṛhāī par madār hai .

59Everything depends on studying.

59Tum bachchē jāntē hō barōbar bāp hamkō paṛhākar yah banātē haĩ .

60You children know that the Father truly does teach you and make you into those (deities).

60Barōbar paradise heaven thā .

61Truly, there was Paradise, heaven.

61Manuṣhya tō bichārē bilkul hī mūnjhē huē haĩ .

62The poor helpless people have become completely confused.

62Bēhad K|kē bāp pās|pass jō gyān hai vah tum bachchō̃ kō dē rahē haĩ .

63The unlimited Father is giving you children the knowledge that He has.

63Bāp key|kī tum mahimā kartē hō - bābā knowledgeful hai phir blissful bhī hai , khajānā bhī unkē pās|pass full hai .

64You praise the Father: Baba is knowledge-full and He is also blissful. 65He is full of all treasures.

64Tumkō itnā sāhūkār kaun banātā hai  ?

66Who makes you so wealthy?

65Yahā̃ tum kyō̃ āyē hō  ?

67Why have you come here?

66Varsā pānē .

68To claim your inheritance.

67Agar kōī key|kī tandurūstī achchhī hai parantu dhan nahī̃ hai tō dhan bigar kyā hōgā  !

69If someone is very healthy but has no money, what would happen without money?

68Vaikuṇṭha mē̃ tō tumhārē pās|pass dhan rahtā hai .

70You have wealth in Paradise.

69Yahā̃ jō-jō sāhūkār haĩ , unkō naśhā rahtā hai hamārē pās|pass itnā dhan hai , yah-yah kārkhānē ādi haĩ .

71Those who are wealthy here have the intoxication of having so much wealth and factories etc.

70Śharīr chhōṛā khalās .

72However, when they leave their bodies, everything is finished.

71Tum tō jāntē hō hamkō bābā 21 janmō̃ kē liē itnā khajānā dē dētē haĩ .

73You know that Baba is giving you so many treasures for 21 births.

72Bāp khud tō khajānē kā mālik nahī̃ bantē haĩ .

74The Father Himself doesn't become the Master of the treasures.

73Tum bachchō̃ kō mālik banātē haĩ .

75He makes you children the masters.

74Yah bhī tum jāntē hō viśhva mē̃ śhānti tō sivāē god father K|kē kōī sthāpan kar na sakē .

76You also know that no one, except God, the Father, can establish peace in the world.

75Sabsē first class chitra hai - yah trimūrti gōlē kā .

77The Trimurti and the cycle (together) is a first-class picture.

76Is chakra mē̃ hī sārā gyān bharā huā hai .

78All the knowledge is contained in this cycle.

77Tumhārī aisī kōī wonderful chīz hōgī tab vah samajhē̃gē ismē̃ jarūr kōī aisā rāz hai .

79When they see that you have such a wonderful thing, they will understand that there is definitely some significance in this.

78Bachchē kōī-kōī chhōṭē-chhōṭē khilaunē banātē haĩ , vah bābā kō pasand nahī̃ ātē .

80Some children make small pictures like toys that Baba doesn't like.

79Bābā tō kahtē baṛē chitra lagāō jō dūr sē kōī paṛhkar samajh sakē .

81Baba says: Make very large pictures that people can read from a distance and understand.

80Manuṣhya attention baṛī chīz par dēgē .

82People’s attention is drawn to big things.

81Ismē̃ clear dikhāyā huā hai , us taraph hai kaliyug , is taraph hai satyug .

83It is very clearly shown in this (the cycle) that it is the iron age on this side and the golden age on that side.

82Baṛē-baṛē chitra hōṅgē tō manuṣhyō̃ kā attention khīchēgā .

84When there are big pictures, people's attention can be drawn.

83Tourist bhī dēkhē̃gē , samajhē̃gē bhī vah achchhī tarah sē .

85Tourists will also see them and very clearly understand them.

84Yah bhī jāntē haĩ Christ sē 3 hazār varṣh pahlē svarg thā .

86You know that 3000 years before Christ, there was heaven.

85Bāhar tō aisē nahī̃ jāntē .

87People outside do not know this.

865 hazār varṣh kā hisāb tum clear samjhātē hō tō yah itnā baṛā banānā chāhiē jō dūr sē dēkh sakē̃ aur akṣhar bhī paṛhē̃ , jissē samajhē̃ ki duniyā key|kī ant tō barōbar hai .

88You clearly explain the account of 5000 years. 89Therefore, you should make such big pictures that people can see them from far away and also be able to read them. 90Through this they will be able to understand that this is definitely the end of the world.

87Bombs tō taiyār hōtē rahtē haĩ .

91Bombs continue to be prepared.

88Natural calamities bhī hōgī .

92There will also be natural calamities.

89Tum vināśh kā nām suntē hō tō andar mē̃ khuśhī bahut hōnī chāhiē .

93When you hear the word “destruction” there should be a lot of internal happiness.

90Parantu gyān hī nahī̃ hōgā tō khuśh bhī hō na sakē .

94However, if you have none of this knowledge, there cannot be happiness.

91Bāp kahtē haĩ dēh sahit sab kuchh chhōṛ apnē kō ātmā samjhō , apnī ātmā kā yōg mujh bāp kē sāth lagāō .

95The Father says: Renounce everything including your bodies and consider yourselves to be souls. 96Let the yoga of you souls be connected to Me, the Father.

92Yah hai mēhnat key|kī bāt .

97This is something that requires effort.

93Pāvan bankar hī pāvan duniyā mē̃ ānā hai .

98It is only after you have become pure that you can go to the pure world.

94Tum samajhtē hō ham hī bādśhāhī lētē haĩ , phir ganvātē haĩ .

99You understand that we claim our sovereignty and then lose it.

95Yah tō bahut sahaj hai .

100This is very easy.

96Uṭhtē , baiṭhtē , chaltē andar mē̃ ṭapaknā chāhiē , jaisē bābā kē pās gyān hai nā .

101While you are walking, sitting and moving around, this knowledge should trickle inside you. 102Baba has this knowledge.

97Bāp āyē hī haĩ paṛhākar dēvtā banānē .

103The Father has come to teach you and to make you into deities.

98Tō itnī athāh khuśhī bachchō̃ kō rahnī chāhiē nā .

104So, you children should have an abundance of happiness.

99Apnē sē pūchhō itnī athāh khuśhī hai  ?

105Ask yourself: Do I have such an abundance of happiness?

100Bāp kō itnā yād kartē haĩ  ?

106Do I remember the Father that much?

101Chakra key|kī bhī sārī knowledge buddhi mē̃ hai , tō itnī khuśhī rahnī chāhiē .

107You also have all of the knowledge of the cycle, and so there should be that much happiness.

102Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō aur bilkul khuśhī mē̃ rahō .

108The Father says: Remember Me and remain in total happiness.

103Tumkō paṛhānē vālā dēkhō kaun hai  !

109Look who is teaching you!

104Jab sabkō mālūm paṛēgā tō sabkā mũh hī phīkā hō jāyēgā .

110When they all become aware of this, their faces will then go pale.

105Parantu abhī unhō̃ K|kē samajhnē mē̃ thōṛī dērī hai .

111However, there is still a little time for them to understand.

106Abhī dēvtā dharm K|kē itnē members tō banē nahī̃ haĩ .

112There are so many members of the deity religion that have not yet been created.

107Sārī rājāī sthāpan huī nahī̃ hai .

113The whole kingdom has not yet been established.

108Kitnē ḍhēr manuṣhyō̃ kō bāp kā paigām dēnā hai  !

114You have to give the Father's message to so many people.

109Bēhad kā bāp phir sē hamkō svarg kī bādśhāhī dē rahē haĩ .

115The unlimited Father is once again giving us the sovereignty of heaven.

110Tum bhī us bāp kō yād karō .

116You too can remember that Father.

111Bēhad kā bāp tō jarūr bēhad kā sukh dēgē nā .

117The unlimited Father would definitely give you unlimited happiness.

112Bachchō̃ K|kē andar mē̃ tō athāh gyān key|kī khuśhī hōnī chāhiē aur jitnā bāp kō yād kartē rahē̃gē tō ātmā pavitra bantī jāyēgī .

118You children should have an abundance of the happiness of this knowledge inside you. 119To the extent that you continue to remember the Father, you souls will accordingly continue to become pure.

113Drama K|kē plan anusār tum bachchē jitnā service kar prajā banātē hō tō jinkā kalyāṇ hōtā hai unhō̃ key|kī phir āśhīrvād bhī mil jātī hai .

120According to the drama plan, the more service you children do to create subjects, the more blessings you will receive from those who are benefitted.

114Garībō̃ key|kī service kartē hō .

121You serve the poor.

115Nimantraṇ dētē rahō .

122Continue to give invitations.

116Train mē̃ bhī tum bahut service kar saktē hō .

123You can also do a lot of service on trains.

117Itnē chhōṭē badge mē̃ hī kitnī knowledge bharī huī hai .

124There is so much of this knowledge contained in such a tiny badge.

118Sārī paṛhāī kā tant ismē̃ hai .

125The essence of this whole study is in this.

119Badges tō bahut achchhē-achchhē ḍhēr banānē chāhiē jō kiskō saugāt bhī dē sakē̃ .

126You should make many very good badges so that you can also give them to others as gifts.

120Kōī kō bhī samjhānā tō bahut sahaj hai . 121Sirph śhivbābā kō yād karō .

127It is very easy to explain to others: Simply remember Shiva Baba.

122Śhivbābā sē hī varsā miltā hai tō bāp aur bāp kā varsā svarg kī bādśhāhī , kr̥iṣhṇapurī kō yād karō .

128Only from Shiva Baba do you receive this inheritance. 129Therefore, remember the Father, the Father's inheritance, the sovereignty of heaven and the land of Krishna.

123Manuṣhyō̃ key|kī mat tō kitnī mūnjhī huī hai .

130People's directions are so confusing.

124Kuchh bhī samajhtē nahī̃ haĩ .

131They don't understand anything.

125Vikār kē liē kitnā taṅg kartē haĩ .

132They harass others so much for vice.

126Kām K|kē pichhāṛī kitnā martē haĩ .

133They almost die for lust.

127Kōī bāt hī samajhtē nahī̃ .

134They don't understand anything.

128Sabkī buddhi bilkul chaṭ hō gaī hai , bāp kō jāntē hī nahī̃ .

135Everyone's intellect is totally finished. 136They don't even know the Father.

129Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

137This is also fixed in the drama.

130Sabkī mental khalās hō gaī hai ( mānasik śhakti khatm hō gaī hai ) .

138Everyone's mental ability has been totally destroyed.

131Bāp kahtē haĩ - bachchō̃ , tum pavitra banō tō aisē svarg K|kē mālik ban jāyēṅgē , parantu samajhtē hī nahī̃ .

139The Father says: Children, become pure and you will become the masters of such a heaven. 140However, they don't understand at all.

132Ātmā key|kī tākat sārī nikal gaī hai .

141All the power of souls is finished.

133Kitnā samjhātē haĩ phir bhī purūṣhārth karnā aur karānā hai .

142So much is explained to you but, nevertheless, you do have to make effort and also inspire others.

134Purūṣhārth mē̃ thaknā nahī̃ hai .

143You must not become tired of making effort.

135Heartfail bhī nahī̃ hōnā hai .

144You mustn't have heart failure either.

136Itnī mēhnat key|kī , bhāṣhaṇ sē ēk bhī nahī̃ nikalā .

145You made so much effort and yet not a single one emerged from that lecture.

137Lēkin tumnē jō sunāyā , usē jisnē bhī sunā us par chhāp tō lag gayī .

146However, the things you related were imprinted on those who heard them.

138Pichhāṛī mē̃ sab jānē̃gē jarūr .

147At the end, everyone will definitely know about this.

139Tum be|B . K|kē . key|kī athāh mahimā nikalnē vālī hai .

148You BKs will be praised a lot in the future.

140Parantu activity dēkhtē haĩ tō jaisē ēkdam bēsamajhī key|kī .

149Nevertheless, when you see the activity of some, it is total senselessness.

141Kōī regard hī nahī̃ , pūrī pahchān nahī̃ .

150There is no regard for anyone, there isn't that full recognition.

142Buddhi bāhar bhaṭaktī rahtī hai .

151Their intellects continue to wander outside.

143Bāp kō yād karē̃ tō madad bhī milē .

152If they were to remember the Father, they would also be able to receive help.

144Bāp kō yād kartē nahī̃ tō gōyā vah patit haĩ .

153If they don't remember the Father, it means that they are impure.

145Tum bantē hō pāvan .

154You are becoming pure.

146Jō bāp kō yād nahī̃ kartē haĩ tō unhō̃ key|kī buddhi jarūr kahā̃ na kahā̃ bhaṭaktī rahtī hai .

155The intellects of those who don't remember the Father definitely wander somewhere or other.

147Tō unkē sāth aṅg-aṅg sē nahī̃ milnā chāhiē kyōṅki yād mē̃ na rahnē K|kē kāraṇ vah vāyumaṇḍal kō kharāb kar dētē haĩ .

156So, you must not sit close to such people, touching them. 157Because of not staying in remembrance, those people spoil the atmosphere.

148Pavitra aur apavitr ikaṭṭhē hō na sakē isliē bāp purānī sr̥iṣhṭi kō khalās kar dētē haĩ .

158Pure and impure ones cannot stay together. 159This is why the Father destroys the old world.

149Din-pratidin kāydē bhī sakht nikaltē jāyēṅgē .

160Day by day, the laws will also continue to become stricter.

150Bāp kō yād nahī̃ kartē haĩ tō phāydē kē badlē aur hī nuksān kartē haĩ .

161If you don't remember the Father, then, instead of profiting, you bring a greater loss to yourselves.

151Pavitratā kā sārā madār yād par hai .

162Everything for purity depends on having remembrance.

152Ēk jagah baiṭhnē key|kī bāt nahī̃ hai .

163It is not a question of sitting down in one place.

153Yahā̃ ikaṭṭhā baiṭhnē sē tō alag-alag pahāṛī par jākar baiṭhē̃ vah achchhā hai .

164Rather than sitting together here, it is better to sit in solitude in the mountains.

154Jō yād nahī̃ kartē haĩ vah haĩ patit .

165Those who don't have remembrance are impure.

155Unkā tō saṅg bhī nahī̃ karnā chāhiē .

166You mustn't even keep their company.

156Chalan sē bhī mālūm paṛtā hai .

167You can tell everything from their activity.

157Yād bigar pāvan tō ban na sakē̃ .

168No one can become pure without having remembrance.

158Har ēk kē ūpar pāpō̃ kā bōjhā bahut hai - janma-janmāntar kā .

169There is a big burden of the sin of many births on each one.

159Vah bigar yād kī yātrā nikalē kaisē .

170How could that be removed without the pilgrimage of remembrance?

160Vah gōyā patit hī haĩ .

171It means that they are still impure.

161Bāp kahtē haĩ maĩ tum bachchō̃ kē liē sārī patit duniyā kō khalās kar dētā hū̃ .

172The Father says: I finish the whole of the impure world for you children.

162Unkā saṅg bhī na hō .

173You must not even keep their company.

163Parantu itnī bhī buddhi nahī̃ ki kiskē sāth saṅg karnā chāhiē .

174However, some don't have enough wisdom to know whose company they should keep.

164Tumhārā pyār pāvan kā pāvan kē sāth hōnā chāhiē .

175You should have pure love for the pure One.

165Yah bhī buddhi chāhiē nā .

176You need to have that much wisdom.

166Sweet bāp aur sweet rājdhānī K|kē sivāē aur kōī yād na āyē .

177Do not remember anyone except the sweet Father and the sweet kingdom.

167Itnā sab tyāg karnā kōī māsī kā ghar nahī̃ hai .

178To renounce all of that is not like going to your aunty's home.

168Bāp kō tō bachchō̃ par athāh pyār hai .

179The Father has a lot of love for you children.

169Bachchē pāvan ban jāō tō tum pāvan duniyā K|kē mālik ban jāyēṅgē .

180You children become pure and will become the masters of the pure world.

170Ham tumhārē liē pāvan duniyā key|kī sthāpanā kar rahē haĩ .

181I am establishing the pure world for you.

171Is patit duniyā kō bilkul khalās karā dētē haĩ .

182He has this impure world totally destroyed.

172Yahā̃ is patit duniyā mē̃ her|har chīz tumkō duḥkh dētī hai .

183Everything in this impure world here causes you sorrow.

173Āyu bhī kamtī hōtī jātī hai , inkō kahā jātā hai worth not A penny .

184Your lifespans also continue to decrease. 185This is called, “Not worth a penny”.

174Kauṛī aur hīrē mē̃ phark tō hōtā hai nā .

186There is a difference between diamonds and shells.

175Tō tum bachchō̃ kō kitnī khuśhī hōnī chāhiē .

187So, you children should have so much happiness.

176Gāyā bhī jātā hai sach tō biṭhō nach .

188It is remembered: Where there is truth, the soul dances.

177Tum satyug mē̃ khuśhī mē̃ dance kartē hō .

189In the golden age, you dance in happiness.

178Yahā̃ key|kī kōī bhī vastu sē dil nahī̃ lagānī hai .

190Do not attach your hearts to anything here.

179Inkō tō dēkhtē huē dēkhnā nahī̃ hai , āṅkhē̃ khulī hōtē huē bhī jaisē ki nīnd hō , parantu vah himmat , vah avasthā chāhiē .

191Whilst seeing everything, you must not see it. 192It should not be that, although you have your eyes open, you are asleep. 193However, you need to have that courage and that stage.

180Yah tō niśhchay hai ki yah purānī duniyā hōgī hī nahī̃ .

194You have the faith that the old world will no longer exist.

181Itnā khuśhī kā pārā chaṛhā rahnā chāhiē .

195Your mercury of happiness should remain so high.

182Chuṭkī kāṭnī chāhiē - arē , ham śhivbābā kō yād karē̃gē tō viśhva kī bādśhāhī milēgī .

196Each of you should pinch yourself: If I remember Shiv Baba, I will receive the sovereignty of the world.

183Haṭhyōg sē bhī baiṭhnā nahī̃ hai .

197You mustn't sit here like a hatha yogi.

184Khātē-pītē , kām kartē bāp kō yād karō .

198While eating, drinking and doing your work, remember the Father.

185Yah bhī jāntē hō rājdhānī sthāpan hō rahī hai .

199You know that a kingdom is being established.

186Bāp thōṛēhī kahē̃gē dāsī banē̃ .

200The Father does not say that you have to become a maid.

187Bāp tō kahē̃gē purūṣhārth karō pāvan bannē kā .

201The Father says: Make effort to become pure.

188Bāp pāvan banānē kā purūṣhārth karātē haĩ tum phir patit bantē hō , kitnē jhūṭh pāp kartē hō .

202The Father inspires you to make effort to become pure. 203You then become impure. 204You tell so many lies and commit sin.

189Hamēśhā śhivbābā kō yād karō tō pāp sab svāhā hō jāē̃ .

205Constantly remember Shiv Baba and all your sins will be sacrificed.

190Yah bābā kā yagya hai nā .

206This is Baba's sacrificial fire.

191Baṛā bhārī yagya hai .

207It is a very important sacrificial fire.

192Vah lōg yagya rachtē haĩ - lākhō̃ rūpayā kharcha kartē haĩ .

208Those people create sacrificial fires and spend hundreds of thousands of rupees.

193Yahā̃ tō tum jāntē hō sārī duniyā ismē̃ svāhā hō jānī hai .

209You know that this whole world is to be sacrificed into this fire here.

194Bāhar sē āvāz hōgā , bhārat mē̃ bhī phailēgā .

210There will be the sound from abroad and it will spread throughout Bharat.

195Ēk tō bāp kē sāth buddhi kā yōg hō tō pāp kaṭē̃ aur phir ūñch pad bhī milē .

211First of all, if your intellects are connected in yoga to the Father, your sins can be cut away and you can also receive a high status.

196Bāp kā tō pharja hai bachchō̃ kō purūṣhārth karānā .

212The Father's duty is to inspire you children to make effort.

197Laukik bāp tō bachchō̃ key|kī sēvā kartē haĩ , sēvā lētē bhī haĩ .

213A physical father serves his children and also takes service from them.

198Yah bāp tō kahtē haĩ maĩ tum bachchō̃ kō 21 janmō̃ kā varsā dētā hū̃ , tō aisē bāp kō yād jarūr karnā hai , jissē pāp kaṭ jāē̃ .

214This Father says: I give you children the inheritance for 21 births and so you must definitely remember such a Father so that your sins can be cut away.

199Bākī pānī sē thōṛēhī pāp kaṭtē haĩ .

215However, sins cannot be cut away with water.

200Pānī tō jahā̃-tahā̃ hai .

216Water flows everywhere.

201Vilāyat mē̃ bhī nadiyā̃ haĩ tō kyā yahā̃ key|kī nadiyā̃ pāvan banānē vālī , vilāyat key|kī nadiyā̃ patit banānē vālī haĩ kyā  ?

217There are rivers abroad too. 218So, is it that the rivers here purify everyone, whereas the rivers abroad make everyone impure?

202Kuchh bhī manuṣhyō̃ mē̃ samajh nahī̃ hai .

219People don't have any understanding at all.

203Bāp kō tō taras paṛtā hai nā .

220The Father feels mercy.

204Bāp samjhātē haĩ - bachchē , ġaphlat mat karō .

221The Father explains: Children, do not be careless!

205Bāp itnā gul-gul banātē haĩ tō mēhnat karnī chāhiē nā .

222The Father makes you so beautiful and so you should make effort.

206Apnē par rahm karnā hai .

223You have to have mercy for yourselves.

207Achchhā  !

224Achcha.

208Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

225To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

209Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

226The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

210Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

227Essence for dharna:

2111 ) yahā̃ key|kī kōī bhī vastu mē̃ dil nahī̃ lagānī hai .

228 1. Do not attach your heart to anything here.

212Dēkhtē huē bhī nahī̃ dēkhnā hai .

229While seeing everything, do not see it.

213Āṅkhē̃ khulī hōtē bhī jaisē nīnd kā naśhā rahtā , aisē khuśhī kā naśhā chaṛhā huā hō .

230Just as there is the intoxication of sleep, even while your eyes are open, similarly, there should be the intoxication of happiness.

2142 ) sārā madār pavitratā par hai , isliē sambhāl karnī hai ki patit K|kē aṅg sē aṅg na lagē .

231 2. Everything depends on purity. 232Therefore, you have to take care not to sit next to or touch an impure person.

215Sweet bāp aur sweet rājdhānī K|kē sivāē aur kōī yād na āyē .

233Do not remember anything other than the sweet Father and the sweet kingdom.

Blessing

216Vardān  : had key|kī ichchhāō̃ kō chhōṛ achchhā bannē vālē ichchhā mātram avidyā bhav

234Blessing: May you be good (achcha) by renounce all limited desires (ichcha) and thereby become ignorant of any knowledge of desires.

217Man mē̃ kōī bhī had key|kī ichchhā hōgī tō achchhā bannē nahī̃ dēgī .

235 If you have any type of desire in your mind, it will not allow you to become good.

218Jaisē dhūp mē̃ chaltē hō tō parchhāī āgē jātī hai , uskō agar pakaṛnē key|kī kōśhiśh karō tō pakaṛ nahī̃ saktē , pīṭh karkē ā jāō tō parchhāī pīchhē-pīchhē āyēgī .

236When you walk in the sun and your shadow is in front of you, but if you tried to catch it, you couldn’t catch it and, if you turn your back on it, it will follow you.

219Aisē hī ichchhā ākarṣhit kar rūlānē vālī hai , usē chhōṛ dō tō vah pīchhē-pīchhē āyēgī .

237In the same way, desires attract you and make you cry. 238If you leave them, they will follow you.

220Māṅgnē vālā kabhī bhī sampann nahī̃ ban saktā .

239Those who ask for anything will never become complete.

221Kōī bhī had key|kī ichchhāō̃ kē pīchhē bhāgnā aisē hai jaisē mr̥igatr̥iṣhṇā , issē sadā bachkar rahō tō ichchhā mātram avidyā ban jāyēṅgē .

240To chase any limited desire is like seeing a mirage. 241By remaining constantly safe from this, you will become ignorant of any knowledge of desires.

Slogan

222Slōgan  : apnē śhrēṣhṭh karma vā śhrēṣhṭh chalan dvārā duāyē̃ jamā kar lō tō pahāṛ jaisī bāt bhī ruī K|kē samān anubhav hōgī .

242Slogan: Accumulate blessings with your elevated actions and activities and situations like mountains will then be experienced to be like cotton wool.

243*** Om Shanti ***