शनिवार 12 अक्टूबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

012-10-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 12/10/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bāp khivaiyā ban āyā hai tum sabkī naīyā kō viṣhay sāgar sē nikāl kṣhīr sāgar mē̃ lē jānē , abhī tumkō is pār sē us pār jānā hai ' '

1Essence: Sweet children, the Father has come here as the Boatman to remove the boats of all of you from the ocean of poison and to take you to the ocean of milk. 2You now have to go from this side to the other side.

Question

2Praśhna  : tum bachchē har ēk kā part dēkhtē huē kiskī bhī nindā nahī̃ kar saktē hō - kyō̃  ?

3Question: By observing the part of each one, why can you children not defame anyone?

Answer

3Uttar  : kyōṅki tum jāntē hō yah anādi banā-banāyā drama hai , ismē̃ har ēk actor apnā-apnā part bajā rahē haĩ .

4Answer: Because you know that this drama is eternally predestined. 5Each actor is playing his own part in it.

4Kisī kā bhī kōī dōṣh nahī̃ hai .

6No one can be blamed for anything.

5Yah bhakti mārg bhī phir sē pās|pass hōnā hai , ismē̃ jarā bhī change nahī̃ hō saktī .

7This path of devotion has to be passed through again. 8There cannot be the slightest change in that.

Question

6Praśhna  : kin dō śhabdō̃ mē̃ sārē chakra kā gyān samāyā huā hai  ?

9Question: In which two words is this knowledge of the whole cycle merged?

Answer

7Uttar  : āj aur kal .

10Answer: Today and tomorrow.

8Kal ham satyug mē̃ thē , āj 84 janmō̃ kā chakra lagākar nark mē̃ pahũchē , kal phir svarg mē̃ jāyēṅgē .

11Yesterday, we were in the golden age. 12Today, having been around the cycle of 84 births, we have reached hell and, tomorrow, we will go to heaven again.

Murli

9Ōm śhānti .

13Om shanti.

10Ab bachchē sāmnē baiṭhē haĩ , jahā̃ sē ātē haĩ vahā̃ apnē centres par jab rahtē haĩ tō vahā̃ aisē nahī̃ samajhē̃gē ki ham ūñch tē ūñch bābā K|kē sammukh baiṭhē haĩ .

14You children are sitting in front of Baba. 15The places you come from, when you are at those centres, you don't think that you are personally sitting in front of Baba, the Highest on High.

11Vahī hamārā teacher bhī hai , vahī hamārī naīyā kō pār lagānē vālā hai , jiskō hī gurū kahtē haĩ .

16He is our Teacher, He is the One who will take our boats across. 17He is also called the Guru.

12Yahā̃ tum samajhtē hō ham sammukh baiṭhē haĩ , hamkō is viṣhay sāgar sē nikāl kṣhīr sāgar mē̃ lē jātē haĩ .

18Here, you understand that you are personally sitting in front of Him. 19He is removing us from this ocean of poison and taking us to the ocean of milk.

13Pār lē jānē vālā bāp bhī sammukh baiṭhā hai , vah ēk hī śhiv bāp key|kī ātmā hai , jiskō hī supreme athavā ūñch tē ūñch bhagvān kahā jātā hai .

20The Father, who takes you across, is sitting personally in front of you. 21Only the soul of Father Shiva is called the Supreme and God, the Highest on High.

14Abhī tum bachchē samajhtē hō ham ūñch tē ūñch bhagvān śhivbābā K|kē sāmnē baiṭhē haĩ .

22You children understand that you are now sitting in front of Shiv Baba, God, the Highest on High.

15Vah ismē̃ ( brahmā tan mē̃ ) baiṭhē haĩ , vah tumkō pār bhī pahuñchātē haĩ .

23He is sitting in this one (the body of Brahma). 24He takes you across.

16Unkō rath bhī jarūr chāhiē nā .

25He definitely needs a chariot.

17Nahī̃ tō śhrīmat kaisē dē̃ .

26How else could He also give you shrimat?

18Abhī tum bachchō̃ kō niśhchay hai - bābā hamārā bābā bhī hai , teacher bhī hai , pār lē jānē vālā bhī hai .

27You children now have the faith that Baba is your Father, Teacher and the One who takes you across.

19Abhī ham ātmāyē̃ apnē ghar śhāntidhām mē̃ jānē vālī haĩ .

28We souls are now going to go back to our home, the land of peace.

20Vah bābā hamkō rāstā batā rahē haĩ .

29That Baba is showing us the path.

21Vahā̃ centres par baiṭhnē aur yahā̃ sammukh baiṭhnē mē̃ rāt-din kā fark hai .

30There is the difference of day and night between sitting there, at a centre, and sitting here.

22Vahā̃ aisē nahī̃ samajhē̃gē ki ham sammukh baiṭhē haĩ .

31There, you would not think that you are sitting personally in front of Baba.

23Yahā̃ yah mahsūstā ātī hai .

32This is the feeling that comes here.

24Abhī ham purūṣhārth kar rahē haĩ .

33You are now making effort.

25Purūṣhārth karānē vālē kō khuśhī rahēgī .

34The One who is inspiring you to make effort will be pleased.

26Abhī ham pāvan bankar ghar jā rahē haĩ .

35We are now becoming pure and going back home.

27Jaisē nāṭak K|kē actors hōtē haĩ tō samajhtē haĩ ab nāṭak pūrā huā .

36Actors in a play understand when the play has ended.

28Abhī bāp āyē haĩ ham ātmāō̃ kō lē jānē .

37The Father has now come to take us souls back.

29Yah bhī samjhātē haĩ tum ghar kaisē jā saktē hō , vah bāp bhī hai , naīyā kō pār karnē vālā khivaiyā bhī hai .

38He also explains how you can go back home. 39He is the Father and also the Boatman who takes the boat across.

30Vah lōg bhal gātē haĩ parantu samajhtē kuchh bhī nahī̃ haĩ ki naīyā kiskō kahā jātā hai , kyā vah śharīr kō lē jāyēgā  ?

40Although those people sing this, they don’t understand what they refer to when they say “boat”. 41Will He take the body?

31Abhī tum bachchē jāntē hō hamārī ātmā kō pār lē jātē haĩ .

42You now know that He takes us souls across.

32Abhī ātmā is śharīr kē sāth vēśhyālay mē̃ viṣhay vaitaraṇī nadī mē̃ paṛī hai .

43Souls, together with their bodies, are now lying in the brothel, in the river of poison.

33Ham asal rahvāsī śhāntidhām K|kē thē , hamkō pār lē jānē vālā arthāt ghar lē jānē vālā bāp milā hai .

44We were originally residents of the land of peace. 45We have found the Father who will take us across, that is, who will take us back home.

34Tumhārī rājdhānī thī jō māyā rāvaṇ nē sārī chhīn lī hai .

46It used to be your kingdom. 47Then, Maya, Ravan, snatched that away.

35Vah rājdhānī phir jarūr lēnī hai .

48That kingdom definitely has to be claimed back.

36Bēhad kā bāp kahtē haĩ - bachchō̃ , ab apnē ghar kō yād karō .

49The unlimited Father says: Children, now remember your home.

37Vahā̃ jākar phir kṣhīrsāgar mē̃ ānā hai .

50You have to go there and then go back to the ocean of milk.

38Yahā̃ hai viṣh kā sāgar , vahā̃ hai kṣhīr kā sāgar aur mūlvatan hai śhānti kā sāgar .

51Here, it is an ocean of poison and there, it is an ocean of milk. 52The incorporeal world is an ocean of peace.

39Tīnō̃ dhām haĩ .

53There are three lands.

40Yah tō hai duḥkhdhām .

54This is a land of sorrow.

41Bāp samjhātē haĩ - mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ , apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .

55The Father explains: Sweetest children, consider yourselves to be souls and remember the Father.

42Kahnē vālā kaun hai , kis dvārā kahtē haĩ  ?

56Who is telling you this and through whom does He tell you?

43Sārā din ' mīṭhē-mīṭhē bachchē ' kahtē rahtē haĩ .

57Throughout the day, He continues to say to you: Sweet children, sweet children.

44Abhī ātmā patit hai , jis kāraṇ phir śharīr bhī aisā milēgā .

58Souls are now impure and they receive bodies accordingly.

45Abhī tum samajhtē hō ham pakkē-pakkē sōnē K|kē zewar thē phir khād paṛtē-paṛtē jhūṭhē ban gayē haĩ .

59You now understand that you were ornaments of real gold and that, after alloy was mixed into you, you became false.

46Ab vah jhūṭh kaisē nikalē , isliē yah yād K|kē yātrā key|kī bhaṭṭhī hai .

60Now, how can that falsehood be removed? 61This is called the furnace of the pilgrimage of remembrance.

47Agni mē̃ sōnā pakkā hōtā hai nā .

62It becomes real gold in the fire.

48Bāp bār-bār samjhātē haĩ , yah samjhānī jō tumkō dētā hū̃ , her|har kalp dētā āyā hū̃ .

63The Father repeatedly explains to you: I give you the explanation that I have been giving to you every cycle.

49Hamārā part hai phir 5 hazār varṣh kē bād ākar kahtā hū̃ ki bachchē pāvan banō .

64My part is to come after 5000 years and tell you: Children, become pure!

50Satyug mē̃ bhī tumhārī ātmā pāvan thī , śhānti-dhām mē̃ bhī pāvan ātmā rahtī hai .

65You souls were pure in the golden age. 66Souls remain pure in the land of peace.

51Vah tō hai hamārā ghar .

67That is our home.

52Kitnā sweet ghar hai .

68That is such a sweet home.

53Jahā̃ jānē kē liē manuṣhya kitnā māthā mārtē haĩ .

69People beat their heads so much in order to go there.

54Bāp samjhātē haĩ abhī sabkō jānā hai phir part bajānē kē liē ānā hai .

70The Father explains: Everyone now has to go back and then they have to come back here to play their parts.

55Yah tō bachchō̃ nē samjhā hai . 56Bachchē jab duḥkhī hōtē haĩ tō kahtē haĩ - hē bhagvān , hamē̃ apnē pās|pass bulāō .

71You children have understood that, when you are unhappy, you say: “O God, call us to You!

57Hamkō yahā̃ duḥkh mē̃ kyō̃ chhōṛā hai .

72Why have you left us here in sorrow?”

58Jāntē haĩ bāp paramdhām mē̃ rahtē haĩ . 59Tō kahtē haĩ - hē bhagvān , hamkō paramdhām mē̃ bulāō .

73You know that the Father resides in the supreme abode, and so you say: “O God, call us to the supreme abode!”

60Satyug mē̃ aisē nahī̃ kahē̃gē .

74You would not say this in the golden age.

61Vahā̃ tō sukh hī sukh hai .

75There, there is nothing but happiness.

62Yahā̃ anēk duḥkh haĩ tab pukārtē haĩ - hē bhagvān  ! 63Ātmā kō yād rahtī hai . 64Parantu bhagvān kō jāntē bilkul nahī̃ haĩ .

76Here, there are so many types of sorrow and this is why people call out: “O God!” 77Souls have remembrance, but they don't know God at all.

65Abhī tum bachchō̃ kō bāp kā parichay milā hai .

78You children have now received the Father's introduction.

66Bāp rahtē hī haĩ paramdhām mē̃ .

79The Father resides in the supreme abode.

67Ghar kō hī yād kartē haĩ .

80People have been remembering the home.

68Aisē kabhī nahī̃ kahē̃gē rājdhānī mē̃ bulāō .

81They would never say: “Call us to the kingdom!”

69Rājdhānī kē liē kabhī nahī̃ kahē̃gē .

82They would never ask for the kingdom.

70Bāp tō rājdhānī mē̃ rahtē bhī nahī̃ .

83The Father doesn’t even reside in the kingdom.

71Vah rahtē hī haĩ śhāntidhām mē̃ .

84He only resides in the land of peace.

72Sab śhānti māṅgtē haĩ .

85Everyone asks for peace.

73Paramdhām mē̃ bhagvān kē pās tō jarūr śhānti hī hōgī , jiskō muktidhām kahā jātā hai .

86There would definitely be peace with God in the supreme abode. 87That is also called the land of liberation.

74Vah hai ātmāō̃ K|kē rahnē kā sthān , jahā̃ sē ātmāyē̃ ātī haĩ .

88That is the residence of souls. 89Souls come from there.

75Satyug kō ghar nahī̃ kahē̃gē , vah hai rājdhānī .

90The golden age is not called the home; it is the kingdom.

76Ab tum kahā̃-kahā̃ sē āyē hō .

91You have now come here from so many different places.

77Yahā̃ ākar sammukh baiṭhē hō .

92You have come and are sitting here personally.

78Bāp ' bachchē-bachchē ' kah bāt kartē haĩ .

93The Father talks to you, and says: "Children, children!"

79Bāp K|kē rūp mē̃ bachchē-bachchē bhī kahtē haĩ phir teacher ban sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā rāz athavā history-geography samjhātē haĩ .

94As the Father, He calls you "Children, children", and then, as the Teacher, He explains the secrets of the beginning, middle and end of the world to you, that is, He explains the history and geography to you.

80Yah bātē̃ kōī śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ haĩ .

95These things are not mentioned in any of the scriptures.

81Tum bachchē jāntē hō mūlvatan hai ham ātmāō̃ kā ghar .

96You children know that the incorporeal world is the home of you souls.

82Sūkṣhmavatan tō hai hī divya dr̥iṣhṭi key|kī bāt .

97The subtle region is a matter of divine visions.

83Bākī satyug , trētā , dvāpar , kaliyug tō yahā̃ hī hōtā hai .

98However, the golden, silver, copper and iron ages only exist here.

84Part bhī tum yahā̃ bajātē hō .

99It is here that you play your parts.

85Sūkṣhmavatan kā kōī part nahī̃ .

100There are no parts played in the subtle region.

86Yah sākṣhātkār key|kī bāt hai .

101That is just a matter of visions.

87Kal aur āj , yah tō achchhī rīti buddhi mē̃ hōnā chāhiē .

102You should have today and tomorrow in your intellects very clearly.

88Kal ham satyug mē̃ thē phir 84 janm lētē-lētē āj nark mē̃ ā gayē haĩ .

103Yesterday, we were in the golden age and, having taken 84 births, today we are in hell.

89Bāp kō bulātē bhī nark mē̃ haĩ .

104You call the Father into hell.

90Satyug mē̃ tō athāh sukh haĩ , tō kōī bulātē hī nahī̃ .

105In the golden age, there is an abundance of happiness and so no one calls Him there.

91Yahā̃ tum śharīr mē̃ hō tab bāt kartē hō .

106Here, you are in bodies and that is why you are able to speak to Him.

92Bāp bhī kahtē haĩ maĩ jānī jānanhār hū̃ arthāt sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kō jāntā hū̃ . 93Parantu sunāū̃ kaisē  !

107The Father says: I am also Janijananhar (The One who knows everything), that is, I know the beginning, middle and end of the world but, how can I narrate that to you?

94Vichār key|kī bāt hai nā isliē likhā huā hai - bāp rath lētē haĩ .

108This is something to think about. 109This is why it is written that the Father adopts a chariot.

95Kahtē haĩ mērā janm tumhārē sadr̥iśhya nahī̃ hai .

110He says: My birth is not like yours.

96Maĩ ismē̃ pravēśh kartā hū̃ .

111I enter this one.

97Rath kā bhī parichay dētē haĩ .

112He also gives you the introduction of the chariot.

98Yah ātmā bhī nām-rūp dhāraṇ kartē-kartē tamōpradhān banī hai .

113This soul has become tamopradhan whilst adopting names and forms.

99Is samay sab chhōrē haĩ , kyōṅki bāp kō jāntē nahī̃ haĩ . 100Tō sab chhōrē aur chhōriyā̃ hō gayē .

114At this time, all are orphans. 115Because they do not know the Father, they are all orphans.

101Āpas mē̃ laṛtē haĩ tō kahtē haĩ nā - chhōrē-chhōriyā̃ laṛtē kyō̃ hō  !

116When children fight amongst themselves, it is said: Girls and boys, why are you fighting amongst yourselves?

102Tō bāp kahtē haĩ mujhē tō sab bhūl gayē haĩ .

117The Father says: Everyone has forgotten Me.

103Ātmā hī kahtī hai chhōrē-chhōriyā̃ .

118It is a soul that says: Girls and boys!

104Laukik bāp bhī aisē kahtē haĩ , bēhad kā bāp bhī kahtē haĩ chhōrē-chhōriyā̃ yah hall|hāl kyō̃ huā hai  ?

119A physical father says this and the unlimited Father also says: Orphans, why has your condition become like this?

105Kōī dhanī dhōṇī hai  ?

120Do you not have someone to whom you belong?

106Tumkō bēhad kā bāp jō svarg kā mālik banātē haĩ , jiskō tum ādhākalp sē pukārtē āyē hō , unkē liē kahtē hō ṭhikkar bhittar mē̃ hai .

121You say of the unlimited Father, who makes you into the masters of heaven, the One you have been calling out to for half a cycle that He is in the pebbles and stones.

107Bāp ab sammukh baiṭh samjhātē haĩ .

122The Father now personally sits here and explains to you.

108Abhī tum bachchē samajhtē hō ham bābā kē pās āyē haĩ .

123You children now understand that you have come to Baba.

109Yah bābā hī hamkō paṛhātē haĩ . 110Hamārī naīyā pār kartē haĩ kyōṅki yah naīyā bahut purānī hō gaī hai .

124That Baba is the One who teaches us and takes our boats across because these boats have become very old.

111Tō kahtē haĩ inkō pār lagāō phir hamkō naī dō . 112Purānī naīyā ḵẖauphnāk hōtī hai .

125People say: Take this boat across and give us a new boat” An old boat is dangerous.

113Kahā̃ rāstē mē̃ ṭūṭ paṛē , accident hō jāē .

126It might break up on the way or have an accident.

114Tō tum kahtē hō hamārī naīyā purānī hō gaī hai , ab hamē̃ naī dō .

127So, you say that your boat has become old and you ask for a new one.

115Inkō vastra bhī kahtē haĩ , naīyā bhī kahtē haĩ .

128It your (body) is called a costume or a boat.

116Bachchē kahtē bābā hamkō tō aisē ( lakṣhmī-nārāyaṇ ) vastra chāhiē .

129Children say: Baba, we want costumes like those (of Lakshmi and Narayan).

117Bāp kahtē haĩ - mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ , svargvāsī bannē chāhtē hō  ?

130The Father says: Sweetest children, do you want to become residents of heaven?

118Her|har 5 hazār varṣh bād tumhārē yah kapṛē purānē hōtē haĩ phir nayā dētā hū̃ .

131Every 5000 years, these clothes of yours become old and I then give you new ones.

119Yah hai āsurī chōlā .

132These are devilish costumes.

120Ātmā bhī āsurī hai .

133Souls are also devilish.

121Manuṣhya garīb hōgā tō kapṛē bhī garībī K|kē pahanē̃gē .

134When people are poor, they wear cheap clothes.

122Sāhūkār hōgā tō kapṛē bhī sāhūkārī K|kē pahanē̃gē .

135If they are wealthy, they wear very expensive clothes.

123Yah bātē̃ abhī tum jāntē hō .

136You know these things at this time.

124Yahā̃ tumkō naśhā chaṛhtā hai ham kiskē sāmnē baiṭhē haĩ .

137Here, you are intoxicated knowing in front of whom you are sitting.

125Centres par baiṭhtē hō tō vahā̃ tumkō yah bhāsnā nahī̃ āyēgī .

138When you are sitting there at your centres, you don't have this feeling.

126Yahā̃ sammukh hōnē sē khuśhī hōtī hai kyōṅki bāp direct baiṭh samjhātē haĩ .

139Here, when you are here personally, you feel happy because the Father explains to you directly.

127Vahā̃ kōī samjhā-yēgā tō buddhiyōg kahā̃-kahā̃ bhāgtā rahēgā .

140When someone explains to you there, your intellects’ yoga continually wanders.

128Kahtē haĩ nā - gōrakhdhandhē mē̃ phansē rahtē haĩ . 129Phursat kahā̃ miltī hai .

141It is said: People remain trapped in mundane business; they don't have any time.

130Maĩ tumkō samjhā rahā hū̃ .

142I am explaining to you.

131Tum bhī samajhtē hō - bābā is mukh dvārā hamkō samjhātē haĩ .

143You too understand that Baba is explaining to you through this mouth.

132Is mukh key|kī bhī kitnī mahimā hai .

144There is so much praise of this mouth.

133Gaūmukh sē amr̥it pīnē kē liē kahā̃-kahā̃ jākar dhakkē khātē haĩ .

145People stumble from so far away to drink the nectar at the Gaumukh.

134Kitnī mēhnat sē jātē haĩ . 135Manuṣhya samajhtē hī nahī̃ haĩ ki yah gaūmukh kyā hai  ?

146They come with so much difficulty; they don't even understand what that the Gaumukh is.

136Kitnē baṛē samajhdār manuṣhya vahā̃ jātē haĩ , ismē̃ phāydā kyā  ?

147So many sensible people go there, but what is the benefit of it?

137Aur hī time west|waste hōtā hai .

148Even more time is wasted.

138Bābā kahtē haĩ yah sūryāst ādi kyā dēkhē̃gē .

149Baba says: What do you see in the sunset?

139Phāydā tō inmē̃ kuchh nahī̃ .

150There is no benefit in that.

140Phāydā hōtā hī hai paṛhāī mē̃ .

151There is benefit in studying.

141Gītā mē̃ paṛhāī hai nā .

152There is a study in the Gita.

142Gītā mē̃ kōī bhī haṭhyōg ādi key|kī bāt nahī̃ .

153There is no mention of hatha yoga in the Gita.

143Usmē̃ tō rājyōg hai .

154Only Raja Yoga is mentioned in it.

144Tum ātē bhī hō rājāī lēnē kē liē .

155You come here to claim the kingdom.

145Tum jāntē hō is āsurī duniyā mē̃ tō kitnē laṛāī-jhagṛē ādi haĩ .

156You know how much fighting and quarrelling etc. there is in this devilish world.

146Bābā tō hamkō yōgbal sē pāvan banāē viśhva kā mālik banā dētē haĩ .

157Baba is purifying us with the power of yoga and making us into the masters of the world.

147Dēviyō̃ kō hathiyār dē diyē haĩ parantu vāstav mē̃ ismē̃ hathiyārō̃ ādi key|kī kōī bāt hai nahī̃ .

158People have shown goddesses with weapons, etc., but, in fact, there is no question of weapons in this.

148Kālī kō dēkhō kitnā bhayānak banāyā hai .

159Look how fearsome they have made the image of Kali.

149Yah sab apnē-apnē man key|kī bhrāntiyō̃ sē baiṭh banāyā hai .

160They have made all of those images from their own imagination.

150Dēviyā̃ kōī aisī 4-8 bhujāō̃ vālī thōṛēhī hōṅgī .

161There wouldn't be such goddesses with four or eight arms.

151Yah sab bhakti mārg hai .

162All of that belongs to the path of devotion.

152Sō bāp samjhātē haĩ - yah ēk bēhad kā nāṭak hai .

163Therefore, the Father explains: This is an unlimited play.

153Ismē̃ kōī key|kī nindā ādi key|kī bāt nahī̃ .

164There is no question of defaming anyone in this.

154Anādi drama banā huā hai .

165This eternal drama is predestined.

155Ismē̃ fark kuchh bhī paṛtā nahī̃ hai .

166It cannot be any different.

156Gyān kiskō kahā jātā , bhakti kiskō kahā jātā , yah bāp samjhātē haĩ .

167The Father explains what is called knowledge and what is called devotion.

157Bhakti mārg sē phir bhī tumkō pās|pass karnā paṛēgā .

168You still have to pass through the path of devotion.

158Aisē hī tum 84 kā chakra lagātē-lagātē nīchē āyēṅgē .

169Whilst going around the cycle of 84 in this way, you come down.

159Yah anādi banā-banāyā baṛā achchhā nāṭak hai jō bāp samjhātē haĩ .

170This is a very good, eternally created drama that the Father explains to you.

160Is drama K|kē rāz kō samajhnē sē tum viśhva K|kē mālik ban jātē hō .

171By understanding the secrets of this drama, you become the masters of the world.

161Wonder hai nā  !

172It is a wonder!

162Bhakti kaisē chaltī hai , gyān kaisē chaltā hai , yah khēl anādi banā huā hai .

173How devotion continues and how this knowledge continues is all predestined in this play.

163Ismē̃ kuchh bhī change nahī̃ hō saktā .

174There cannot be any change in that.

164Vah tō kah dētē brahm mē̃ līn hō gayā , jyōti jyōt samāyā , yah saṅkalp key|kī duniyā hai , jiskō jō ātā hai vah kahtē rahtē haĩ .

175They say that So-and-so merged into the brahm element, or merged into the light, that this is a world of thoughts. 176People continue to say whatever enters their minds.

165Yah tō banā-banāyā khēl hai .

177This play is predestined.

166Manuṣhya bioscope dēkhkar ātē haĩ .

178People go to watch films.

167Kyā uskō saṅkalp kā khēl kahē̃gē  ?

179Would you call that a play of thoughts?

168Bāp baiṭh samjhātē haĩ - bachchē , yah bēhad kā nāṭak hai jō hūbahū repeat hōgā .

180The Father sits here and explains: Children, this play is unlimited and it will repeat identically.

169Bāp hī ākar yah knowledge dētē haĩ kyōṅki vah knowledgeful hai .

181Only the Father comes and gives this knowledge because He is knowledge-full.

170Manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp hai , chaitanya hai , unkō hī sārī knowledge hai .

182He is the Seed of the human world tree. 183He is living. 184He has all of this knowledge.

171Manuṣhyō̃ nē tō lākhō̃ varṣh āyu dikhā dī hai .

185People have shown the duration to be hundreds of thousands of years.

172Bāp kahtē haĩ itnī āyu thōṛēhī hō saktī hai .

186The Father says: The duration cannot be that long.

173Bioscope lākhō̃ varṣh kā hō tō kōī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ baiṭhē .

187If a film were hundreds of thousands of years long, it would not sit in anyone's intellect.

174Tum tō sārā varṇan kartē hō .

188You describe the whole thing.

175Lākhō̃ varṣh key|kī bāt kaisē varṇan karē̃gē .

189How could you speak of something that is hundreds of thousands of years long?

176Tō vah sab hai bhakti mārg .

190Therefore, all of that is of the path of devotion.

177Tumnē hī bhakti mārg kā part bajāyā .

191You are ones who played parts on the path of devotion.

178Aisē-aisē duḥkh bhōgtē-bhōgtē ab ant mē̃ ā gayē hō .

192After experiencing sorrow in that way, everyone has reached the end.

179Sārā jhāṛ jaṛjaṛībhūt avasthā kō pāyā huā hai .

193The whole tree has reached a state of total decay.

180Ab vahā̃ jānā hai .

194You now have to go back there.

181Apnē kō halkā kar dō .

195Make yourselves light.

182Isnē bhī halkā kar diyā nā .

196This one too has made himself light.

183Tō sab bandhan ṭūṭ jāē̃ .

197All bondages will then break.

184Nahī̃ tō bachchē , dhan , kārkhānē , grāhak , rājē , rajvāṛē ādi yād ātē rahē̃gē .

198Otherwise, you will remember your children, wealth, factories, customers, kings and their property etc.

185Dhandhā hī chhōṛ diyā tō phir yād kyō̃ āyēṅgē .

199If you have left your business, why would you remember any of that?

186Yahā̃ tō sab kuchh bhūlnā hai .

200Here, you have to forget everything.

187Inkō bhūl apnē ghar aur rājdhānī kō yād karnā hai .

201Forget all of that and remember your home and the kingdom.

188Śhāntidhām aur sukhdhām kō yād karnā hai .

202Remember the land of peace and the land of happiness.

189Śhāntidhām sē phir hamkō yahā̃ ānā paṛē .

203We will then have to go down there from the land of peace.

190Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō , inkō hī yōg agni kahā jātā hai .

204The Father says: Remember Me. 205This is called the fire of yoga.

191Yah rājyōg hai nā .

206This is Raja Yoga.

192Tum rājr̥iṣhi hō .

207You are Raj Rishis.

193R̥iṣhi pavitra kō kahā jātā hai .

208Pure ones are called Rishis.

194Tum pavitra bantē hō rājāī kē liē .

209You become pure in order to attain a kingdom.

195Bāp hī tumhē̃ sab satya batātē haĩ .

210Only the Father tells you the whole truth.

196Tum bhī samajhtē hō yah nāṭak hai .

211You also understand that this is a play.

197Sab actors yahā̃ jarūr hōnē chāhiē .

212All the actors definitely have to be here.

198Phir bāp sabkō lē jāyēṅgē .

213The Father will then take everyone back.

199Yah īśhvar key|kī barāt hai nā .

214This is God's bridal procession.

200Vahā̃ bāp aur bachchē rahtē haĩ phir yahā̃ ātē haĩ part bajānē .

215The Father and the children reside there, and then the children come down to play their parts here.

201Bāp tō sadaiv vahā̃ rahtē haĩ .

216The Father constantly resides there.

202Mujhē yād hī duḥkh mē̃ kartē haĩ .

217People only remember Me at times of sorrow.

203Vahā̃ phir maĩ kyā karū̃gā .

218What would I do there (in the golden age)?

204Tumkō śhāntidhām , sukhdhām mē̃ bhējā bākī kyā chāhiē  !

219I sent you to the land of peace and the land of happiness, so what else is needed?

205Tum sukhdhām mē̃ thē bākī sab ātmāyē̃ śhāntidhām mē̃ thī phir number-vār ātē gayē .

220When you were in the land of happiness, all the rest of the souls were in the land of peace, and they then continued to come down, numberwise.

206Nāṭak ākar pūrā huā .

221The play has now come to an end.

207Bāp kahtē haĩ - bachchē , ab ġaphlat mat karō .

222The Father says: Children, do not be careless now.

208Pāvan tō jarūr bannā hai .

223You definitely do have to become pure.

209Bāp kahtē haĩ yah vahī drama anusār part baj rahā hai .

224The Father says: This part is being played according to the same drama.

210Tumhārē liē drama anusār maĩ kalp-kalp ātā hū̃ .

225According to the drama, I come for you every cycle.

211Naī duniyā mē̃ ab chalnā hai nā .

226You now have to go to the new world.

212Achchhā  !

227Achcha.

213Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

228To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

214Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

229The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

215Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

230Essence for dharna:

2161 ) ab yah jhāṛ purānā jaṛjaṛībhūt hō gayā hai , ātmā kō vāpas ghar jānā hai isliē apnē kō sab bandhanō̃ sē mukt kar halkā banā lēnā hai .

231 1. This tree has now become old and decayed. 232Souls now have to return home. 233Therefore, free yourself from all bondages and make yourself light.

217Yahā̃ kā sab kuchh buddhi sē bhūl jānā hai .

234Remove everything of here from your intellect.

2182 ) anādi drama kō buddhi mē̃ rakh kisī bhī pārṭdhārī key|kī nindā nahī̃ karnī hai .

235 2. Keep this eternal drama in your intellect and do not defame any actor.

219Drama K|kē rāz kō samajh viśhva kā mālik bannā hai .

236Understand the secrets of this drama and become a master of the world.

Blessing

220Vardān  : silence key|kī śhakti dvārā ātma śhakti K|kē uṛān key|kī tīvragati karnē vālē viśhva parivartak bhav

237Blessing: May you speed up the flight of your soul with the power of silence and become a world transformer.

221Science K|kē sādhanō̃ key|kī raphtār kō science dvārā kaṭ bhī kar saktē haĩ , pakaṛ bhī saktē haĩ lēkin ātmā key|kī gati kō abhī tak na kōī pakaṛ sakā hai , na pakaṛ saktā hai , ismē̃ science apnē kō fail samajhtī hai .

238 The speed of the instruments of science can be cut with science and it can also be increased with science. 239However, no one has yet been able to match the speed of souls, nor will they be able to do so. 240Science consider themselves to have failed in this.

222Jahā̃ science fail hai vahā̃ silence key|kī śhakti sē jō chāhō vō kar saktē hō .

241Whereas science has failed, you can do whatever you want with the power of silence.

223Tō ātma śhakti key|kī uṛān tīvragati sē karō , is śhakti sē sva parivartan , chāhē kisī key|kī vr̥itti kā parivartan , vāyumaṇḍal kā parivartan kar viśhva parivartak ban saktē hō .

242So, speed up the flight of your soul with the power of silence. 243By using this power, you can transform yourself, transform anyone’s attitude and transform the atmosphere and become a world transformer.

224Tīvratā key|kī niśhānī hai sōchā aur huā .

244The sign of a fast speed is that as soon as you think, it happens.

Slogan

225Slōgan  : śhikṣhā dātā kē sāth merciful ban sahyōgī banō .

245Slogan: Be merciful and co-operate with the Bestower of Teachings.

246*** Om Shanti ***