गुरुवार 24 अक्टूबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

024-10-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 24/10/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bēhad key|kī apār khuśhī kā anubhav karnē kē liē her|har pal bābā kē sāth rahō ' '

1Essence: Sweet children, in order to experience unlimited happiness, stay with Baba at every moment.

Question

2Praśhna  : bāp sē kin bachchō̃ kō bahut-bahut tākat miltī hai  ?

2Question: Which children receive a lot of power from the Father?

3Uttar  : jinhē̃ niśhchay hai ki ham bēhad viśhva kā parivartan karnē vālē haĩ , hamē̃ bēhad viśhva kā mālik bannā hai . 4Hamē̃ paṛhānē vālā svayã viśhva kā mālik bāp hai . 5Aisē bachchō̃ kō bahut tākat miltī hai .

3Answer: Those who have the faith that they are the ones who will transform this unlimited world, and that they are going to become the masters of that unlimited world, that it is the Father, the Master of the World, Himself, who is teaching them: such children receive a lot of power.

6Ōm śhānti . 7Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ kō vā ātmāō̃ kō rūhānī bāp parampitā paramātmā baiṭh paṛhātē haĩ aur samjhātē haĩ kyōṅki bachchē hī pāvan bankar svarg K|kē mālik bannē vālē haĩ phir sē .

4Om shanti. 5The spiritual Father, the Supreme Father, the Supreme Soul, sits here and teaches you sweetest spiritual children, you souls, and also explains to you because it is only you children who become pure and become the masters of the world once again.

8Sārē viśhva kā bāp tō ēk hī hai .

6The Father of the whole world is just the One.

9Yah bachchō̃ kō niśhchay hōtā hai .

7You children have this faith.

10Sārē viśhva kā bāp , sabhī ātmāō̃ kā bāp tum bachchō̃ kō paṛhā rahē haĩ .

8The Father of the whole world, the Father of all souls, is teaching you children.

11Itnā dimāg mē̃ baiṭhtā hai  ?

9Does this sit in your intellects?

12Kyōṅki dimāg hai tamōpradhān , lōhē kā bartan , iron aged .

10Your heads (intellects) are tamopradhan, iron vessels, iron aged.

13Dimāg ātmā mē̃ hōtā hai .

11The intellect is in the soul.

14Tō itnā dimāg mē̃ baiṭhtā hai  ?

12So, does this sit in your intellects?

15Itnī tākat miltī hai samajhnē key|kī ki barōbar bēhad kā bāp hamkō paṛhā rahē haĩ , ham bēhad viśhva kō palaṭtē haĩ .

13You receive sufficient power to understand that the unlimited Father truly is teaching us and that we are turn around this unlimited world.

16Is samay bēhad sr̥iṣhṭi kō dōzak kahā jātā hai .

14At this time, this unlimited world is said to be in the extreme depths of hell.

17Yah jāntē hō yā samajhtē hō garīb dōzak mē̃ haĩ bākī sanyāsī , sāhūkār , baṛē martabē vālē bahiśht mē̃ haĩ  ?

15Do you believe that the poor are in the extreme depths of hell, whereas sannyasis, wealthy people and those with a position are in heaven?

18Bāp samjhātē haĩ is samay jō bhī manuṣhya mātra haĩ sab dōzak mē̃ haĩ .

16The Father explains: All human beings at this time are in the extreme depths of hell.

19Yah sab samajhnē key|kī bātē̃ haĩ ki ātmā kitnī chhōṭī hai .

17Souls, being very tiny, are things that have to be understood.

20Itnī chhōṭī ātmā mē̃ sārī knowledge ṭhahartī nahī̃ hai yā bhulā dētē hō  ?

18Does all of this knowledge stay in such tiny souls or do you forget it?

21Viśhva key|kī sarv ātmāō̃ kā bāp tumhārē sammukh baiṭh tumkō paṛhā rahē haĩ .

19The Father of all souls of the world is sitting personally in front of you and teaching you.

22Sārā din buddhi mē̃ yah yād rahtā hai ki barōbar bābā hamārē sāth yahā̃ hai  ?

20Do you remember throughout the day that Baba truly is here with you?

23Kitnā samay baiṭhtā hai  ?

21For how long does this stay in your intellects?

24Ghaṇṭā , ādhā ghaṇṭā yā sārā din  ?

22An hour, half an hour or the whole day?

25Yah dimāg mē̃ rakhnē key|kī bhī tākat chāhiē .

23You need power to keep this in your intellects.

26Īśhvar parampitā paramātmā tumkō paṛhātē haĩ .

24God, the Supreme Father, the Supreme Soul, is teaching you.

27Bāhar mē̃ jab apnē gharō̃ mē̃ rahtē hō tō vahā̃ sāth nahī̃ hai .

25Outside, when you are living at home, He is not with you.

28Yahā̃ practical mē̃ tumhārē sāth hai .

26Here, He is with you in a practical form.

29Jaisē kōī kā pati bāhar mē̃ , patnī yahā̃ hai tō aisē thōṛēhī kahēgī ki hamārē sāth hai .

27For instance, when a woman's husband goes abroad and she herself is at home, she would not say that he is with her.

30Bēhad kā bāp tō ēk hī hai . 31Bāp sabmē̃ tō nahī̃ hai nā .

28The unlimited Father is only the One; the Father is not in everyone.

32Bāp jarūr ēk jagah baiṭhtā hōgā .

29The Father would surely be sitting in one place.

33Tō yah dimāg mē̃ ātā hai ki bēhad kā bāp hamkō naī duniyā kā mālik banānē K|kē lāyak banā rahē haĩ  ?

30So, does it enter your intellects that the unlimited Father is making you worthy of becoming the masters of the new world?

34Dil mē̃ itnā apnē kō lāyak samajhtē hō ki ham sārē viśhva K|kē mālik bannē vālē haĩ  ?

31In your hearts, do you consider yourselves to be so worthy that you are going to become the masters of the whole world?

35Ismē̃ tō bahut khuśhī key|kī bāt hai .

32This is a matter of great happiness.

36Issē jāstī khuśhī kā khajānā tō kōī kō miltā nahī̃ .

33No one receives a greater treasure of happiness than this.

37Abhī tumkō mālūm paṛā hai yah bannē vālē haĩ .

34You know that you are now going to become those.

38Yah dēvtāyē̃ kahā̃ K|kē mālik haĩ , yah bhī samajhtē hō .

35You also understand what land those deities were the masters of.

39Bhārat mē̃ hī dēvtāē̃ hōkar gayē haĩ .

36It was Bharat where the deities came and departed.

40Yah tō sārē viśhva kā mālik bannē vālē haĩ .

37You are going to become the masters of the world.

41Itnā dimāg mē̃ hai  ?

38Is this in your intellects?

42Vah chalan hai  ?

39Do you have such activity?

43Vah bātchīt karnē kā ḍhaṅg hai , vah dimāg hai  ?

40Do you have that way of speaking and such intellects?

44Kōī bāt mē̃ jhaṭ gussā kar diyā , kiskō nuksān pahuñchāyā , kiskī glāni kar dī , aisī chalan tō nahī̃ chaltē  ?

41Your behaviour is not such that you quickly get angry in a situation so that you cause a loss for someone or that you insult someone?

45Satyug mē̃ yah kabhī kōī key|kī glāni thōṛēhī kartē haĩ .

42In the golden age, they never defame anyone.

46Vahā̃ glāni K|kē chhī-chhī khyālāt vālē hōṅgē hī nahī̃ .

43There, there isn’t anyone with dirty thoughts of defamation.

47Bāp tō bachchō̃ kō kitnā jōr sē uṭhātē haĩ .

44The Father uplifts you children so strongly.

48Tum bāp kō yād karō tō pāp kaṭ jāyēṅgē .

45You remember the Father and your sins are cut away.

49Tum hāth uṭhātē hō parantu tumhārī aisī chalan hai  ?

46You raise your hands, but is your activity like theirs?

50Bāp baiṭh paṛhātē haĩ , yah dimāg mē̃ jōr sē baiṭhtā hai  ?

47The Father sits here and teaches you. 48Does this sit in your heads strongly?

51Bābā jāntē haĩ bahutō̃ kā naśhā sodawater hō jātā hai .

49Baba knows that the intoxication of many becomes like soda water.

52Sabkō itnī khuśhī kā pārā nahī̃ chaṛhtā hai .

50Not everyone's mercury of happiness rises to that extent.

53Jab buddhi mē̃ baiṭhē tab naśhā chaṛhē .

51Only when this sits in their intellects would their intoxication rise.

54Viśhva kā mālik banānē kē liē bāp hī paṛhātē haĩ .

52The Father teaches you in order to make you into the masters of the world.

55Yahā̃ tō sab haĩ patit , rāvaṇ sampradāy .

53Here, all are the impure Ravan community.

56Kathā hai nā - rām nē bandarō̃ key|kī sēnā lī . 57Phir yah-yah kiyā .

54There is the story that Rama took an army of monkeys and then did this and that.

58Abhī tum jāntē hō bābā rāvaṇ par jīt pahnākar lakṣhmī-nārāyaṇ banātē haĩ .

55You now know that Baba is enabling you to conquer Ravan and making you become like Lakshmi and Narayan.

59Yahā̃ tum bachchō̃ sē kōī pūchhtē haĩ , tum phaṭ sē kahē̃gē hamkō bhagvān paṛhātē haĩ .

56If anyone asks you children here, you would instantly say that God is teaching you.

60Bhagvānuvāch , jaisē teacher kahē̃gē ham tumkō barrister athavā phalānā banātē haĩ .

57God speaks. 58A teacher would say that he is making you into a barrister or into such-and-such.

61Niśhchay sē paṛhātē haĩ aur vah ban jātē haĩ .

59He teaches you with the faith that you will become that.

62Paṛhnē vālē bhī number-vār hōtē haĩ nā . 63Phir pad bhī number-vār pātē haĩ , yah bhī paṛhāī hai .

60Those who study are also numberwise and they then claim a status, numberwise. 61This too is a study.

64Bābā aim object sāmnē dikhā rahē haĩ .

62Baba shows you your aim and objective that is in front of you.

65Tum samajhtē hō is paṛhāī sē ham yah banē̃gē .

63You understand that you will become that through this study.

66Khuśhī key|kī bāt hai nā .

64It is a matter of happiness.

67I|āī|eye . see|sī|C . S . paṛhnē vālē bhī samajhē̃gē - ham yah paṛhkar phir yah karē̃gē , ghar banāyēṅgē , aisā karē̃gē . 68Buddhi mē̃ chaltā hai .

65Those who study the ICS would also understand: I will study this, then build a house and do this. 66Their intellects continue to work on all of that.

69Yahā̃ phir tum bachchō̃ kō bāp baiṭh paṛhātē haĩ .

67The Father sits here and teaches you children.

70Sabkō paṛhnā hai , pavitra bannā hai .

68Everyone has to study and become pure.

71Bāp sē pratigyā karnī hai ki ham kōī bhī apavitr karma nahī̃ karē̃gē .

69You have to promise the Father that you will never perform any impure acts.

72Bāp kahtē haĩ agar kōī ulṭā kām kar liyā tō key|kī kamāī chaṭ hō jāyēgī .

70The Father says: If you perform any wrong acts, everything you have earned would be lost.

73Yah mr̥ityulōk purānī duniyā hai .

71This land of death is the old world.

74Ham paṛhtē haĩ naī duniyā kē liē .

72We are studying for the new world.

75Yah purānī duniyā tō khatm hō jānī hai .

73This old world is coming to an end.

76Circumstance bhī aisē haĩ .

74The circumstances are also such.

77Bāp hamkō paṛhātē hī haĩ amarlōk kē liē .

75The Father is teaching us for the land of immortality.

78Sārī duniyā kā chakra bāp samjhātē haĩ .

76The Father explains the cycle of the whole world to you.

79Hāth mē̃ kōī bhī pustak nahī̃ hai , orally hī bāp samjhātē haĩ .

77The Father doesn't have any books in His hand; He only explains orally.

80Pahlī-pahlī bāt bāp samjhātē haĩ - apnē kō ātmā niśhchay karō .

78The first thing that the Father says is: Have the faith that you are a soul.

81Ātmā bhagvān bāp kā bachchā hai .

79A soul is a child of God, the Father.

82Parampitā paramātmā paramdhām mē̃ rahtē haĩ .

80The Supreme Father, the Supreme Soul, resides in the supreme abode.

83Ham ātmāyē̃ bhī vahā̃ rahtī haĩ .

81We souls also reside there.

84Phir vahā̃ sē number-vār yahā̃ ātē jātē haĩ part bajānē kē liē .

82Then, we continue to come down here, numberwise, to play our parts.

85Yah baṛī bēhad key|kī stage hai .

83This is a big, unlimited stage.

86Is stage par pahlē actors part bajānē bhārat mē̃ , naī duniyā mē̃ ātē haĩ .

84Actors come on to this stage to play their parts first of all in Bharat, in the new world.

87Yah unhō̃ key|kī activity hai .

85This is their activity.

88Tum unkī mahimā bhī gātē hō .

86You also sing their praise.

89Kyā unhō̃ kō multi-millionaire kahē̃gē  ?

87Would you call them multimillionaires?

90Un lōgō̃ kē pās tō anginat athāh dhan rahtā hai .

88Those people have countless wealth.

91Bāp tō aisē kahē̃gē nā - yah lōg , kyōṅki bāp tō bēhad kā hai .

89The Father refers to them as “those people” because He is the unlimited Father.

92Yah bhī drama banā huā hai .

90This drama is predestined.

93Tō jaisē śhivbābā nē inhō̃ kō aisā sāhūkār banāyā tō bhaktimārg mē̃ phir unkā ( śhiv kā ) mandir banātē haĩ pūjā kē liē .

91So, it was because Shiv Baba made them so wealthy that they then built a temple to Shiva on the path of devotion in order to worship Him.

94Pahlē-pahlē unkī pūjā kartē haĩ jisnē pūjya banāyā .

92First of all, they worship the One who made them worthy of worship.

95Bāp rōz-rōz samjhātē tō bahut haĩ , naśhā chaṛhānē kē liē .

93The Father explains a great deal to you daily in order to make you intoxicated.

96Parantu number-vār purūṣhārth anusār jō samajhtē haĩ , vah service mē̃ lagē rahtē haĩ tō tājē rahtē haĩ . 97Nahī̃ tō bānsī hō jātē haĩ .

94If those who understood numberwise, according to their efforts, remained busy in doing service, they would remain fresh; otherwise, they become stale.

98Bachchē jāntē haĩ barōbar yah bhārat mē̃ rājya kartē thē tō aur kōī dharm nahī̃ thā .

95You children know that when you ruled the kingdom in Bharat, there truly were no other religions at that time.

99Deityism hī thī .

96There was just deityism.

100Phir bād mē̃ aur-aur dharm āyē haĩ .

97Then, the other religions came later.

101Abhī tum samajhtē hō yah sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai .

98You now understand how this world cycle turns.

102School mē̃ aim object tō chāhiē nā .

99In a school, you need an aim and objective.

103Satyug ādi mē̃ yah rājya kartē thē phir 84 K|kē chakra mē̃ āyē haĩ .

100They used to rule at the beginning of the golden age and they then went around the cycle of 84 births.

104Bachchē jāntē haĩ yah hai bēhad key|kī paṛhāī .

101You children know that this is an unlimited study.

105Janma-janmāntar tō had key|kī paṛhāī paṛhtē āyē hō , ismē̃ baṛā pakkā niśhchay chāhiē .

102You have been studying limited studies for birth after birth. 103You need to have a lot of faith in this.

106Sārē sr̥iṣhṭi kō palṭānē vālā , rejuvenate karnē vālā arthāt nark kō svarg banānē vālā bāp hamkō paṛhā rahē haĩ .

104The Father, who makes the whole world turn around, that is, the One who rejuvenates the world, that is, the One who changes hell into heaven, is teaching us.

107Itnā jarūr hai muktidhām tō sab jā saktē haĩ . 108Svarg mē̃ tō sabhī nahī̃ āyēṅgē .

105It is definite that everyone goes to the land of liberation; not everyone will go to heaven.

109Yah ab tum jāntē hō hamkō bāp is viṣhay sāgar vēśhyālay sē nikāltē haĩ .

106You know that the Father is now removing us from this ocean of poison, from this brothel.

110Abhī barōbar vēśhyālay hai .

107It truly is a brothel now.

111Kab sē śhurū hōtā hai , yah bhī tum jān chukē hō .

108You now also know when it began.

1122500 varṣh huā jab yah rāvaṇ rājya śhurū huā hai . 113Bhakti śhurū huī hai .

109It has now been 2500 years since the kingdom of Ravan and devotion began.

114Us samay dēvī-dēvtā dharm vālē hī haĩ , vah vām mārg mē̃ ā gayē .

110At that time, there were only those of the deity religion who went on to the path of sin.

115Bhakti kē liē hī mandir banātē haĩ .

111People build temples in order to perform devotion.

116Sōmnāth kā mandir kitnā baṛā banāyā huā hai .

112They built such a big temple to Somnath.

117History tō sunī hai . 118Mandir mē̃ kyā thā  !

113You have heard the history of what there was in that temple.

119Tō us samay kitnē dhanvān hōṅgē  !

114At that time, they must have been so wealthy.

120Sirph ēk mandir tō nahī̃ hōgā nā .

115There wouldn't have been just one temple.

121History mē̃ karkē ēk kā nām ḍālā hai .

116In the history of it, they have put the name of just one.

122Mandir tō bahut sē rājāyē̃ banātē haĩ .

117Many kings built temples.

123Ēk-dō kō dēkh pūjā tō sab karē̃gē nā . 124Ḍhēr mandir hōṅgē .

118By seeing one another, everyone would have performed worship; there would have been many temples.

125Sirph ēk kō tō nahī̃ lūṭā hōgā . 126Dūsrē bhī mandir āspās hōṅgē .

119It wouldn't have been just one temple that was looted; there would have been other temples nearby.

127Vahā̃ gānv kōī dūr-dūr nahī̃ hōtē haĩ .

120The villages there were not far away from one another.

128Ēk-dō K|kē najdīk hī hōtē haĩ kyōṅki vahā̃ train ādi tō nahī̃ hōgī nā .

121They would have been near one another because there weren't any trains etc. there.

129Bahut najdīk ēk-dō K|kē rahtē hōṅgē phir āhistē-āhistē sr̥iṣhṭi phailtī jātī hai .

122They would have lived close to one another and then, gradually the world (population) continued to expand.

130Abhī tum bachchē paṛh rahē hō .

123You children are now studying.

131Baṛē tē baṛā bāp tumkō paṛhātē haĩ .

124The greatest of all Fathers is now teaching you.

132Yah tō naśhā hōnā chāhiē nā .

125You should have this intoxication.

133Ghar mē̃ kabhī rōnā pīṭnā nahī̃ hai .

126There shouldn't be any weeping or wailing in your homes.

134Yahā̃ tumkō daivī guṇ dhāraṇ karnē haĩ .

127Here, you have to imbibe divine virtues.

135Is purūṣhōttam saṅgamyug mē̃ tum bachchō̃ kō paṛhāyā jātā hai .

128You children are being taught at this most auspicious confluence age.

136Yah hai bīch kā samay jabki tum change hōtē hō .

129This is the in-between period when you change.

137Purānī duniyā sē naī duniyā mē̃ jānā hai .

130You have to go from the old world to the new world.

138Abhī tum purūṣhōttam saṅgamyug par paṛh rahē hō .

131You are now studying at this most auspicious confluence age.

139Bhagvān tumkō paṛhātē haĩ .

132God is teaching you.

140Sārī duniyā kō palṭātē haĩ .

133He is turning the whole world around.

141Purānī duniyā kō nayā banā dētē haĩ , jis naī duniyā kā phir tumkō mālik bannā hai .

134He makes the old world new, so you have to become the masters of that new world.

142Bāp bāndhā huā hai tumkō yukti batānē kē liē . 143Tō phir tum bachchō̃ kō bhī us par amal karnā hai .

135The Father is bound to show you the way, so you children have to follow that.

144Yah tō samajhtē hō ham yahā̃ K|kē rahnē vālē nahī̃ haĩ .

136You understand that you are not residents of this place.

145Tum yah thōṛēhī jāntē thē ki hamārī rājdhānī thī .

137You didn't know that it used to be your kingdom.

146Abhī bāp nē samjhāyā hai - rāvaṇ K|kē rājya mē̃ tum bahut duḥkhī hō .

138The Father has now explained that you are very unhappy in this kingdom of Ravan.

147Iskō kahā hī jātā hai vikārī duniyā .

139This is called a vicious world.

148Yah dēvtāyē̃ haĩ sampūrṇ nirvikārī .

140Those deities were completely viceless.

149Apnē kō vikārī kahtē haĩ .

141People call themselves vicious.

150Ab yah rāvaṇ rājya kab sē śhurū huā , kyā huā zarā bhī kiskō patā nahī̃ hai .

142No one knows anything about when the kingdom of Ravan began or what happened.

151Buddhi bilkul tamōpradhān hai .

143Their intellects are absolutely tamopradhan.

152Pārasbuddhi satyug mē̃ thē , tō viśhva K|kē mālik thē , athāh sukhī thē .

144When they were in the golden age, they had divine intellects and were the masters of the world, they were very happy.

153Uskā nām hī hai sukhdhām .

145That is called the land of happiness.

154Yahā̃ tō athāh duḥkh haĩ .

146Here, there is limitless sorrow.

155Sukh key|kī duniyā aur duḥkh key|kī duniyā kaisē hai - yah bhī bāp samjhātē haĩ .

147The Father also explains what the world of happiness is like and what the world of sorrow is like.

156Sukh kitnā samay , duḥkh kitnā samay chaltā hai , manuṣhya tō kuchh nahī̃ jāntē .

148People don't know anything: how long happiness lasts or how long sorrow lasts.

157Tumhārē mē̃ bhī number-vār samajhtē rahtē haĩ .

149Among you too, you continue to understand this, numberwise.

158Samjhānē vālā tō hai bēhad kā bāp .

150It is the unlimited Father who explains to you.

159Śhrīkr̥iṣhṇa kō bēhad kā bāp thōṛēhī kahē̃gē .

151Shri Krishna cannot be called the unlimited Father.

160Dil sē lagtā hī nahī̃ . 161Parantu kiskō bāp kahē̃ - kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

152Your hearts couldn’t accept that, but people don’t understand who it is they can call the Father.

162Bhagvān samjhātē haĩ mērī glāni kartē haĩ , maĩ tumkō dēvtā banātā hū̃ , mērī kitnī glāni kī hai phir dēvtāō̃ key|kī bhī glāni kar dī hai , itnē mūṛhmatī manuṣhya ban paṛē haĩ .

153God explains: People defame Me. 154I make you into deities. 155People have defamed Me and the deities so much. 156They have become those with such foolish intellects.

163Kahtē haĩ bhaj gōvind … .

157They say: Chant the name of Govinda…

164Bāp kahtē haĩ - hē mūṛhmatī , gōvind-gōvind , rām-rām kahtē buddhi mē̃ kuchh ātā nahī̃ ki kiskō bhajtē haĩ .

158The Father says: O ones with foolish intellects, while saying: "Govinda, Govinda, Rama, Rama," does it enter your intellects whose name you are chanting?

165Pattharbuddhi kō mūṛhmatī hī kahē̃gē .

159Those with stone intellects would be called those with foolish intellects.

166Bāp kahtē haĩ ab maĩ tumkō viśhva kā mālik banātā hū̃ .

160The Father says: I am now making you into the masters of the world.

167Bāp sarv kā sadgati dātā hai .

161The Father is the Bestower of Salvation for All.

168Bāp samjhātē haĩ tum apnē parivār ādi mē̃ kitnē phansē huē hō  !

162The Father explains: You are trapped so much in your family etc.

169Bhagvān jō kahtē haĩ vah tō buddhi mē̃ lānā chāhiē parantu āsurī mat par hirē huē haĩ tō īśhvarīy mat par chalē̃ kaisē  !

163You have to let the things that God is telling you enter your intellects. 164However, people are used to following devilish directions, and so how can they follow God’s directions?

170Gōvind kaun hai , kyā chīj hai , vah bhī jāntē nahī̃ .

165They don't even know who Govinda is.

171Bāp samjhātē haĩ tum kahē̃gē bābā āpnē anēk bār hamē̃ samjhāyā hai .

166The Father explains: You would say: Baba, You have explained to us many times.

172Yah bhī drama mē̃ nūndh hai , bābā ham phir sē āpsē yah varsā lē rahē haĩ .

167This is also fixed in the drama. 168Baba, we are once again claiming this inheritance from You.

173Ham nar sē nārāyaṇ jarūr banē̃gē .

169We will definitely become Narayan from ordinary human.

174Student kō paṛhāī kā naśhā jarūr rahtā hai , ham yah banē̃gē .

170Students definitely have the intoxication of their studies and of what they will become.

175Niśhchay rahtā hai .

171They also have that faith.

176Ab bāp kahtē haĩ tumkō sarvguṇ sampann bannā hai .

172The Father now says: You have to become full of all virtues.

177Kōī sē krōdh ādi nahī̃ karnā hai .

173You must not get angry with anyone.

178Dēvtāō̃ mē̃ 5 vikār hōtē nahī̃ .

174Deities do not have the five vices in them.

179Śhrīmat par chalnā chāhiē .

175You have to follow shrimat.

180Śhrīmat pahlē-pahlē kahtī hai apnē kō ātmā samjhō .

176Shrimat first of all says: Consider yourselves to be souls.

181Tum ātmā paramdhām sē yahā̃ āī hō part bajānē , yah tumhārā śharīr vināśhī hai .

177You souls have come here from the supreme abode to play your parts. 178Those bodies of yours are perishable.

182Ātmā tō avināśhī hai .

179Souls are imperishable.

183Tō tum apnē kō ātmā samjhō - maĩ ātmā paramdhām sē yahā̃ āī hū̃ part bajānē .

180So, you have to consider yourselves to be souls. 181I, this soul, have come here from the supreme abode to play a part.

184Abhī yahā̃ duḥkhī hōtē hō tab kahtē hō muktidhām mē̃ jāvē̃ .

182It is because you are unhappy here that you say you want to go to the land of liberation.

185Parantu tumkō pāvan kaun banāyē  ?

183However, who would purify you?

186Bulātē bhī ēk kō hī haĩ , tō vah bāp ākar kahtē haĩ - mērē mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ apnē kō ātmā samjhō , dēh nahī̃ samjhō .

184People call out to the One, and so that Father comes and says: My sweetest children, consider yourselves to be souls, not bodies.

187Maĩ ātmāō̃ kō baiṭh samjhātā hū̃ .

185I sit here and explain to you souls.

188Ātmāyē̃ hī bulātī haĩ - hē patit-pāvan ākar pāvan banāō .

186It is souls who call out: O Purifier, come and make us pure!

189Bhārat mē̃ hī pāvan thē . 190Ab phir bulātē haĩ - patit sē pāvan banākar sukhdhām mē̃ lē chalō .

187It was in Bharat that people were pure and they are now calling out again: Make us pure from impure and take us to the land of happiness.

191Śhrīkr̥iṣhṇa kē sāth tumhārī prīt tō hai .

188You have love for Shri Krishna.

192Śhrīkr̥iṣhṇa kē liē sabsē jāstī vrat nēm ādi kumāriyā̃ , mātāyē̃ rakhtī haĩ .

189It is kumaris and mothers who observe many fasts in the name of Shri Krishna.

193Nirjal rahtī haĩ . 194Kr̥iṣhṇapurī arthāt satyug mē̃ jāyē̃ .

190They even go without water so that they can go to the land of Shri Krishna, that is, to the golden age.

195Parantu gyān nahī̃ hai isliē baṛā haṭh ādi kartē haĩ .

191However, they don't have this knowledge, and so they observe those things by force.

196Tum bhī itnā kartē hō , kōī kō sunānē kē liē nahī̃ , khud kr̥iṣhṇapurī mē̃ jānē kē liē .

192Everything you do is not just for telling others about, but for going to the land of Krishna yourselves.

197Tumkō kōī rōktā nahī̃ hai .

193No one can stop you.

198Vō lōg government kē āgē fast ādi rakhtē haĩ , haṭh kartē haĩ - taṅg karnē kē liē .

194Those people observe fasts etc. in front of the Government in order to harass them.

199Tumkō kōī kē pās dharnā mārkar nahī̃ baiṭhnā hai . 200Na kōī nē tumkō sikhāyā hai .

195You don't have to go on a hunger strike in that way, nor has anyone taught you how to do that.

201Śhrīkr̥iṣhṇa tō hai satyug kā first prince .

196Shri Krishna is the first prince of the golden age.

202Parantu yah kōī kō bhī patā nahī̃ paṛtā .

197However, no one knows that.

203Śhrīkr̥iṣhṇa kō vah dvāpar mē̃ lē gayē haĩ .

198They have shown Shri Krishna in the copper age.

204Bāp samjhātē haĩ - mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ , bhakti aur gyān dō chīzē̃ alag haĩ .

199The Father explains: Sweetest children, this knowledge and that devotion are two separate things.

205Gyān hai din , bhakti hai rāt .

200This knowledge is the day and devotion is the night.

206Kiskī  ?

201Of whom?

207Brahmā kī rāt aur din .

202It is the night and day of Brahma.

208Parantu inkā arth|earth na samajhtē haĩ gurū , na unkē chēlē .

203However, neither gurus nor their disciples understand the meaning of that.

209Gyān , bhakti aur vairāgya kā rāz bāp nē tum bachchō̃ kō samjhāyā hai .

204The Father has explained to you children the secrets of knowledge, devotion and disinterest.

210Gyān din , bhakti rāt aur uskē bād hai vairāgya .

205This knowledge is the day, devotion is the night and, after that, there is disinterest.

211Vah jāntē nahī̃ .

206Those people don't know that.

212Gyān , bhakti , vairāgya akṣhar accurate hai , parantu arth|earth nahī̃ jāntē .

207The words "knowledge, devotion and disinterest" are accurate, but people don't know the meaning of them.

213Abhī tum bachchē samajh gayē hō , gyān bāp dētē haĩ tō ussē din hō jātā hai .

208You children now understand that by your having this knowledge that the Father gives, it becomes the day.

214Bhakti śhurū hōtī tō rāt kahā jātā hai kyōṅki dhakkā khānā paṛtā hai .

209When devotion begins, it becomes the night, because people stumble around in the dark.

215Brahmā kī rāt sō brāhmaṇō̃ key|kī rāt , phir hōtā hai din .

210The night of Brahma is the night of Brahmins and then there is the day.

216Gyān sē din , bhakti sē rāt .

211There is the day through this knowledge and the night through devotion.

217Rāt mē̃ tum vanvās mē̃ baiṭhē hō phir din mē̃ tum kitnā dhanvān ban jātē hō .

212At night, you are sitting in exile and then, during the day, you become very wealthy.

218Achchhā  !

213Achcha.

219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

214To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

215The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

221Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

216Essence for dharna:

222Apnē dil sē pūchhnā hai  :

217 1. Ask your heart:

2231 . bāp sē itnā jō khuśhī kā khajānā miltā hai vah dimāg mē̃ baiṭhtā hai  ?

218 2. Do the treasures of happiness that you receive from the Father stay in your intellect?

2242 . bābā hamē̃ viśhva kā mālik banānē āyē haĩ tō aisī chalan hai  ? 225Bātchīt karnē kā ḍhaṅg aisā hai  ?

219 3. Baba has come to make you into a master of the world. 220Therefore, are your activities and your way of speaking to others according to that?

226Kabhī kisī key|kī glāni tō nahī̃ kartē  ?

221Do you ever defame anyone?

2273 ) bāp sē pratigyā karnē kē bād kōī apavitr karma tō nahī̃ hōtā hai  ?

222 4. After making a promise to the Father, do you perform any impure actions?

Blessing

228Vardān  : sākṣhī sthiti mē̃ sthit hō paristhitiyō̃ K|kē khēl kō dēkhnē vālē santōṣhī ātmā bhav

223Blessing: May you observe the games of all adverse situations while remaining stable in the stage of a detached observer and as a contented soul.

229Kaisī bhī hilānē vālī paristhiti hō lēkin sākṣhī sthiti mē̃ sthit hō jāō tō anubhav karē̃gē jaisē puppet show ( kaṭhputlī kā khēl ) hai . 230Real nahī̃ hai .

224 No matter how much an adverse situation may shake you, you have to become stable in the stage of a detached observer and you will then experience everything to be like a puppet show, that it is not real.

231Apnī śhān mē̃ rahtē huē khēl kō dēkhō .

225You must watch the games while maintaining your honour.

232Saṅgamyug kā śhrēṣhṭh śhān hai santuṣhṭamaṇī bannā vā santōṣhī hōkar rahnā .

226The elevated honour of the confluence age is to be a jewel of contentment and to remain content.

233Is śhān mē̃ rahnē vālī ātmā parēśhān nahī̃ hō saktī .

227Souls who maintain this honour will never become distressed.

234Saṅgamyug par bāp-dādā key|kī viśhēṣh dēn santuṣhṭatā hai .

228The special gift from BapDada at the confluence age is contentment.

Slogan

235Slōgan  : aisē khuśhnumaḥ banō jō man key|kī khuśhī sūrat sē spaṣhṭ dikhāī dē .

229Slogan: Be so happy hearted that the happiness in your mind is clearly visible on your face.

230*** Om Shanti ***