शनिवार 9 नवंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

009-11-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 09/11/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bāp āyā hai tum bachchō̃ kō bhakti tū ātmā sē gyānī tū ātmā banānē , patit sē pāvan banānē ' '

1Essence: Sweet children, the Father has come to change you from devotee souls to knowledgeable souls, to change you from impure to pure.

Question

2Praśhna  : gyānvān bachchē kis chintan mē̃ sadā rahtē haĩ  ?

2Question: What thoughts do you knowledgeable children constantly have?

Answer

3Uttar  : maĩ avināśhī ātmā hū̃ , yah śharīr vināśhī hai . 4Mainnē 84 śharīr dhāraṇ kiyē haĩ . 5Ab yah antim janm hai .

3Answer: I am an imperishable soul; this body is perishable; I have taken 84 bodies. 4This is the last birth.

6Ātmā kabhī chhōṭī-baṛī nahī̃ hōtī hai . 7Śharīr hī chhōṭā baṛā hōtā hai .

5Souls never become smaller or larger, it is the bodies that become large from small.

8Yah āṅkhē̃ śharīr mē̃ haĩ lēkin insē dēkhnē vālī maĩ ātmā hū̃ .

6It is the body that has eyes, but it is I, this soul, that sees through them.

9Bābā ātmāō̃ kō hī gyān kā tīsrā nētra dētē haĩ .

7Baba gives a third eye of knowledge to you souls.

10Vah bhī jab tak śharīr kā ādhār na lē̃ tab tak paṛhā nahī̃ saktē .

8He cannot teach unless He takes the support of a body.

11Aisā chintan gyānvān bachchē sadā kartē haĩ .

9These are the thoughts that you knowledgeable children constantly have.

Murli

12Ōm śhānti .

10Om shanti.

13Yah kisnē kahā  ?

11Who said this?

14Ātmā nē .

12It was the soul who said this.

15Avināśhī ātmā nē kahā śharīr dvārā .

13The imperishable soul said this through the body.

16Śharīr aur ātmā mē̃ kitnā phark hai .

14There is a vast difference between the soul and the body.

17Śharīr 5 tatva kā itnā baṛā putlā ban jātā hai .

15The body is a large puppet made of the five elements.

18Bhal chhōṭā bhī hai tō bhī ātmā sē tō jarūr baṛā hai .

16Even if a body is small, it is still much larger than a soul.

19Pahlē tō ēkdam chhōṭā piṇḍ hōtā hai , jab thōṛā baṛā hōtā hai tab ātmā pravēśh kartī hai .

17To begin with, it is a very small foetus. 18Then, when it grows a little bigger, a soul enters it.

20Baṛā hōtē-hōtē phir itnā baṛā hō jātā hai .

19It continues to grow and becomes so big.

21Ātmā tō chaitanya hai nā .

20A soul is a living being.

22Jab tak ātmā pravēśh na karē tab tak putlā kōī kām kā nahī̃ rahtā hai .

21A puppet is of no use until a soul enters it.

23Kitnā phark hai .

22There is a vast difference.

24Bōlnē , chālnē vālī bhī ātmā hī hai .

23It is the soul that speaks and moves.

25Vah itnī chhōṭī-sī bindī hī hai .

24It is a very tiny point.

26Vah kabhī chhōṭī-baṛī nahī̃ hōtī .

25It never becomes smaller or larger.

27Vināśh kō nahī̃ pātī .

26It is never destroyed.

28Ab yah param ātmā bāp nē samjhāyā hai ki maĩ avināśhī hū̃ aur yah śharīr vināśhī hai .

27The Father, the Supreme Soul, has explained to you: I am imperishable whereas this body is perishable.

29Unmē̃ maĩ pravēśh kar part bajātā hū̃ .

28I enter it to play My part.

30Yah bātē̃ tum abhī chintan mē̃ lātē hō .

29You now think about these matters.

31Āgē tō na ātmā kō jāntē thē , na paramātmā kō jāntē thē sirph kahnē mātra kahtē thē hē parampitā paramātmā .

30Previously, you neither knew about souls nor the Supreme Soul. 31You just used to say "O Supreme Father, Supreme Soul!" for the sake of it.

32Ātmā bhī samajhtē thē parantu phir kōī nē kahā tum paramātmā hō .

32You used to consider yourselves to be souls, but someone then told you that you were the Supreme Soul.

33Yah kisnē batlāyā  ?

33Who told you that?

34In bhakti mārg K|kē guruō̃ aur śhāstrō̃ nē .

34It was the gurus and the scriptures of the path of devotion.

35Satyug mē̃ tō kōī batalāyēṅgē nahī̃ .

35No one will tell you this in the golden age.

36Abhī bāp nē samjhāyā hai tum mērē bachchē hō .

36The Father has now given you the understanding that you are His children.

37Ātmā natural hai śharīr unnatural miṭṭī kā banā huā hai .

37A soul is natural, whereas a body is unnatural, made of clay.

38Jab ātmā hai tō bōltī chāltī hai .

38A body speaks and moves when a soul is in it.

39Abhī tum bachchē jāntē hō ham ātmāō̃ kō bāp ākar samjhātē haĩ .

39You children now know that the Father comes and explains to you souls.

40Nirākār śhivbābā is saṅgamyug par hī is śharīr dvārā ākar sunātē haĩ .

40Only at the confluence age does incorporeal Shiv Baba speak to you through this body.

41Yah āṅkhē tō śharīr mē̃ rahtī hī haĩ .

41These eyes are part of the body.

42Abhī bāp gyān chakṣhu dētē haĩ .

42The Father now gives each of you an eye of knowledge.

43Ātmā mē̃ gyān nahī̃ hai tō agyān chakṣhu hai .

43When there isn’t any of this knowledge in a soul, there is an eye of ignorance.

44Bāp ātē haĩ tō ātmā kō gyān chakṣhu miltē haĩ .

44Souls receive an eye of knowledge when the Father comes.

45Ātmā hī sab kuchh kartī hai . 46Ātmā karma kartī hai śharīr dvārā .

45It is the soul that does everything; the soul acts through the body.

47Abhī tum samajhtē hō bāp nē yah śharīr dhāraṇ kiyā hai .

46You now understand that the Father has adopted this body.

48Apnā bhī rāz batātē haĩ . 49Sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā rāz bhī batātē haĩ .

47He explains the secrets of Himself and also the secrets of the beginning, middle and end of the world.

50Sārē nāṭak kā bhī knowledge dētē haĩ .

48He gives this knowledge of the whole play.

51Āgē tumkō kuchh bhī patā nahī̃ thā .

49Previously, you didn't know anything.

52Hā̃ , nāṭak jarūr hai .

50Yes, this definitely is a play.

53Sr̥iṣhṭi kā chakra phirtā hai . 54Parantu kaisē phirtā hai , yah kōī nahī̃ jāntē haĩ .

51The cycle of the world keeps turning, but no one knows how it turns.

55Rachayitā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā gyān abhī tumkō miltā hai .

52You now receive the knowledge of the Creator and the beginning, middle and end of creation.

56Bākī tō sab hai bhakti .

53Everything else is devotion.

57Bāp hī ākar tumkō gyānī tū ātmā banātē haĩ .

54The Father comes and makes you into knowledgeable souls.

58Āgē tum bhakti tū ātmā thē . 59Tū ātmā bhakti kartē thē .

55Previously, you were devotee souls; you souls used to perform devotion.

60Abhī tum ātmā gyān suntē hō .

56You souls are now listening to this knowledge.

61Bhakti kō kahā jātā hai andhiyārā .

57Devotion is called darkness.

62Aisē nahī̃ kahē̃gē bhakti sē bhagvān miltā hai .

58You can't say that you meet God by performing devotion.

63Bāp nē samjhāyā hai bhakti kā bhī part hai , gyān kā bhī part hai .

59The Father has explained that there is the part of devotion and there is also the part of knowledge.

64Tum jāntē hō ham bhakti kartē thē tō kōī sukh nahī̃ thā .

60You understand that at the time you used to perform devotion there was no happiness.

65Bhakti kartē dhakkā khātē rahtē thē . 66Bāp kō ḍhūṇḍhtē thē .

61Whilst performing devotion you would stumble along searching for God.

67Abhī samajhtē hō yagya , tap , dān , puṇya ādi jō kuchh kartē thē , ḍhū̃ṛhtē-ḍhū̃ṛhtē dhakkā khātē-khātē taṅg hō jātē haĩ .

62You now understand that creating sacrificial fires, doing penance, giving donations and performing charitable acts whilst trying to find God only led to your stumbling along and becoming distressed.

68Tamōpradhān ban jātē haĩ kyōṅki girnā hōtā hai nā .

63You became tamopradhan as you continued to fall.

69Jhūṭhē kām karnā chhī-chhī hōnā hōtā hai .

64To act wrongly means to become dirty.

70Patit bhī ban gayē .

65You also became impure.

71Aisē nahī̃ ki pāvan hōnē kē liē bhakti kartē thē .

66It wasn't that you performed devotion in order to become pure.

72Bhagvān sē pāvan bannē bigar ham pāvan duniyā mē̃ jā nahī̃ sakē̃gē .

67Without being made pure by God, you cannot go to the pure world.

73Aisē nahī̃ ki pāvan bannē bigar bhagvān sē nahī̃ mil saktē .

68That doesn’t mean that you cannot meet God unless you have become pure.

74Bhagvān kō tō kahtē haĩ ākar pāvan banāō .

69People ask God to come and purify them.

75Patit hī bhagvān sē miltē haĩ pāvan hōnē kē liē .

70It is impure ones who meet God in order to be purified.

76Pāvan sē tō bhagvān miltā nahī̃ .

71God does not meet pure ones.

77Satyug mē̃ thōṛēhī in lakṣhmī-nārāyaṇ sē bhagvān miltā hai .

72God does not meet Lakshmi and Narayan in the golden age.

78Bhagvān ākarkē tum patitō̃ kō pāvan banātē haĩ aur tum yah śharīr chhōṛ dētē hō .

73God comes and purifies you impure ones and you then leave your bodies.

79Pāvan tō is tamōpradhān patit sr̥iṣhṭi mē̃ rah nahī̃ saktē .

74Pure ones cannot reside in this impure, tamopradhan world.

80Bāp tumkō pāvan banākar gum hō jātē haĩ , unkā part hī drama mē̃ wonderful hai .

75The Father purifies you and then disappears. 76His part in the drama is wonderful.

81Jaisē ātmā dēkhnē mē̃ ātī nahī̃ hai .

77Souls are not visible.

82Bhal sākṣhātkār hōtā hai tō bhī samajh na sakē̃ .

78Even if someone were to have a vision of a soul, he wouldn't be able to understand.

83Aur tō sabkō samajh saktē haĩ yah phalānā hai , yah phalānā hai . 84Yād kartē haĩ .

79You are able to understand about everyone else. 80You realise that this one is this and that one is that; you remember them.

85Chāhtē haĩ phalānē kā chaitanya mē̃ sākṣhātkār hō aur tō kōī matlab nahī̃ .

81People want to have a vision of someone in the living form, but there is no benefit in that.

86Achchhā , chaitanya mē̃ dēkhtē hō phir kyā  ?

82Achcha, even if you did see them in the living form, what would be the benefit of that?

87Sākṣhātkār huā phir tō gum hō jāyēgā .

83Even if you do have a vision, that vision would disappear again.

88Alpkāl kṣhaṇ bhaṅgur sukh key|kī āśh pūrī hōgī .

84Your desire for happiness would only be fulfilled for a temporary period.

89Uskō kahā jāyēgā alpkāl kṣhaṇ bhaṅgur sukh .

85That is called the temporary happiness of a moment.

90Sākṣhātkār key|kī chāhnā thī vah milā .

86The desire you had for a vision was fulfilled, that was all.

91Bas yahā̃ tō mūl bāt hai patit sē pāvan bannē key|kī .

87The main thing here is to change from impure to pure.

92Pāvan banē̃gē tō dēvtā ban jāyēṅgē arthāt svarg mē̃ chalē jāyēṅgē .

88If you become pure, you become a deity and go to heaven.

93Śhāstrō̃ mē̃ tō kalp key|kī āyu lākhō̃ varṣh likh dī hai .

89In the scriptures, they have written that the duration of each cycle is hundreds of thousands of years.

94Samajhtē haĩ kaliyug mē̃ ajun 40 hazār varṣh paṛē haĩ .

90They think that there are still 40,000 years of the iron age left.

95Bābā tō samjhātē haĩ sārā kalp hī 5 hazār varṣh kā hai . 96Tō manuṣhya andhiyārē mē̃ haĩ nā .

91Baba explains that the whole cycle lasts for 5000 years and so human beings are in darkness.

97Uskō kahā jātā hai ghōr andhiyārā .

92That is called immense darkness.

98Gyān kōī mē̃ hai nahī̃ .

93No one has any of this knowledge.

99Vah sab hai bhakti .

94All of that is devotion.

100Rāvaṇ jab sē ātā hai tō bhakti bhī unkē sāth hai aur jab bāp ātē haĩ tō unkē sāth gyān hai .

95Ever since Ravan came, devotion has been here with him. 96When the Father comes, He brings this knowledge with Him.

101Bāp sē ēk hī bār gyān kā varsā miltā hai .

97It is only once that you receive the inheritance of this knowledge from the Father.

102Ghaṛī-ghaṛī nahī̃ mil saktā .

98You can't receive it again and again.

103Vahā̃ tō tum kōī kō gyān dētē nahī̃ . 104Darkār hī nahī̃ .

99There is no need for you to give this knowledge to anyone there.

105Gyān unkō miltā hai jō agyān mē̃ haĩ .

100Only those who are ignorant receive knowledge.

106Bāp kō kōī bhī jāntē hī nahī̃ .

101No one knows the Father at all.

107Bāp kō gālī dēnē bigar kōī bāt hī nahī̃ kartē .

102They don't say anything without insulting the Father.

108Yah bhī tum bachchē abhī samajhtē hō .

103You children now understand this too.

109Tum kahtē hō īśhvar sarvavyāpī nahī̃ hai , vah ham ātmāō̃ kā bāp hai aur vah kahtē ki nahī̃ paramātmā ṭhikkar-bhittar mē̃ hai .

104You say that God is not omnipresent, that He is the Father of all souls, whereas they say: “No, God is in the pebbles and stones.”

110Tum bachchō̃ nē achchhī tarah samjhā hai - bhakti bilkul alag chīz hai , unmē̃ jarā bhī gyān nahī̃ hōtā .

105You children have clearly understood that devotion is totally distinct from this knowledge. 106There isn't the slightest bit of this knowledge in it.

111Samay hī sārā badal jātā hai .

107The time period completely changes.

112Bhagvān kā bhī nām badal jātā hai phir manuṣhyō̃ kā bhī nām badal jātā hai .

108The name of God changes and the names of human beings also change.

113Pahlē kahā jātā hai dēvtā phir kṣhatriya , vaiśhya , śhūdra .

109In the beginning, they are called deities, then warriors, merchants and shudras.

114Vah daivī guṇō̃ vālē manuṣhya haĩ aur yah haĩ āsurī guṇō̃ vālē manuṣhya . 115Bilkul chhī-chhī haĩ .

110Those are human beings with divine virtues, whereas these human beings have devilish traits; they are completely dirty.

116Guru nānak nē bhī kahā hai aśhaṅkh chōr … manuṣhya kōī aisā kahē tō unkō jhaṭ kahē̃gē tum yah kyā gālī dētē hō .

111Guru Nanak said: “Many people earn their living in an unrighteous way.” 112If someone else were to say this, people would instantly say that he is insulting them.

117Parantu bāp kahtē haĩ yah sab āsurī sampradāy haĩ .

113However, the Father says: All of it belongs to the devilish community.

118Tumkō clear kar samjhātē haĩ . 119Vah rāvaṇ sampradāy , vah rām sampradāy .

114He clearly explains to you: That is the community of Rama and the other is the community of Ravan.

120Gāndhī jī bhī kahtē thē hamkō rām-rājya chāhiē .

115Gandhiji too used to say that he would like to have the kingdom of Rama.

121Rāmrājya mē̃ sab nirvikārī haĩ , rāvaṇ rājya mē̃ haĩ sab vikārī .

116In the kingdom of Rama all are viceless; in the kingdom of Ravan all are vicious.

122Inkā nām hī hai vēśhyālay . 123Raurav nark hai nā .

117This kingdom is called a brothel, the very depths of hell.

124Is samay K|kē manuṣhya viṣhay vaitaraṇī nadī mē̃ paṛē haĩ .

118At this time, human beings are in a river of poison.

125Manuṣhya , jānvar ādi sab ēk samān haĩ .

119Human beings and animals, etc. are all alike.

126Manuṣhya key|kī kōī bhī mahimā nahī̃ hai .

120There is no praise of human beings.

1275 vikārō̃ par tum bachchē jīt pākar manuṣhya sē dēvtā pad pātē hō , bākī sab khatm hō jātē haĩ .

121You children are the ones who conquer the five vices and receive a deity status by changing from humans into deities. 122Everything else finishes.

128Dēvtāyē̃ satyug mē̃ rahtē thē .

123Deities used to reside in the golden age.

129Abhī is kaliyug mē̃ asur rahtē haĩ .

124Devils now reside in the iron age.

130Asurō̃ key|kī niśhānī kyā hai  ?

125What is the sign of devils?

1315 vikār .

126The five vices.

132Dēvtāō̃ kō kahā jātā hai sampūrṇ nirvikārī aur asurō̃ kō kahā jātā hai sampūrṇ vikārī .

127Deities are called completely viceless, whereas devils are called completely vicious.

133Vah haĩ 16 kalā sampūrṇ aur yahā̃ no|know kalā .

128Those deities are 16 celestial degrees full, whereas here, there are no degrees.

134Sabkī kalā kāyā chaṭ hō gaī hai .

129Everyone's celestial degrees and bodies have become totally degraded.

135Ab yah bāp bachchō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ . 136Bāp ātē bhī haĩ purānī āsurī duniyā kō change karnē .

130The Father now sits here and explains to you children that He comes to change the old, vicious world.

137Rāvaṇ rājya vēśhyālay kō śhivālay banātē haĩ .

131He changes the kingdom of Ravan, the brothel, into the Temple of Shiva.

138Unhō̃ nē tō yahā̃ hī nām rakh diyē trimūrti house , trimūrti road . . . āgē thōṛēhī yah nām thē .

132They have used the names Trimurti House, Trimurti Road, here. 133Previously, they never had these names.

139Ab hōnā kyā chāhiē  ?

134What should it really be?

140Yah sārī duniyā kiskī hai  ?

135To whom does this whole world belong?

141Paramātmā kī hai nā .

136It belongs to the Supreme Soul.

142Paramātmā key|kī duniyā hai jō ādhākalp pavitra , ādhākalp apavitr rahtī hai .

137The world of God is pure for half a cycle and impure for the other half.

143Creator tō bāp kō kahā jātā hai nā . 144Tō unkī hī yah duniyā huī nā .

138The Father is called the Creator and so this is His world.

145Bāp samjhātē haĩ maĩ hī mālik hū̃ . 146Maĩ bījrūp , chaitanya , gyān kā sāgar hū̃ .

139The Father explains: I am the Master, I am the Sentient Being, the Seed, the Ocean of Knowledge.

147Mērē mē̃ sārā gyān hai aur kōī mē̃ nahī̃ .

140I have all the knowledge. 141No one else has this knowledge.

148Tum samajh saktē hō is sr̥iṣhṭi chakra K|kē ādi , madhya , ant kā knowledge bāp mē̃ hī hai .

142You understand that only the Father has the knowledge of the beginning, middle and end of the world cycle.

149Bākī tō sab haĩ gapōṛē .

143All of the other things are tall stories.

150Mukhya gapōṛā bahut kharāb hai , jiskē liē bāp ulhanā dētē haĩ . 151Tum mujhē ṭhikkar-bhittar kuttē billī mē̃ samajh baiṭhē hō .

144The main tall story is a very bad one, and this is why the Father complains: You have been thinking that I am in the pebbles and stones and in cats and dogs.

152Tumhārī kyā durdaśhā hō gaī hai .

145Look what a bad state you have come to!

153Naī duniyā K|kē manuṣhyō̃ aur purānī duniyā K|kē manuṣhyō̃ mē̃ rāt din kā phark hai .

146The difference between the human beings of the new world and the human beings of the old world is like that of day and night.

154Ādhākalp sē lēkar apavitr manuṣhya , pavitra dēvtāō̃ kō māthā ṭēktē haĩ .

147For half a cycle, impure human beings bow their heads to the pure deity idols.

155Yah bhī bachchō̃ kō samjhāyā hai pahlē-pahlē pūjā hōtī haĩ śhivbābā key|kī .

148It has also been explained to you children that worship in the beginning is of Shiv Baba.

156Jō śhivbābā hī tumkō pujārī sē pūjya banātē haĩ .

149Shiv Baba is the One who changes you from worshippers into those who are worthy of worship.

157Rāvaṇ tumkō pūjya sē pujārī banātē haĩ .

150Ravan changes you from being worthy of worship into worshippers.

158Phir bāp drama plan anusār tumkō pūjya banātē haĩ .

151Then, according to the drama plan, the Father makes you worthy of worship.

159Rāvaṇ ādi yah sab nām tō haĩ nā .

152There are the names, Ravan, etc.

160Daśhaharā jab manātē haĩ tō kitnē manuṣhyō̃ kō bāhar sē bulātē haĩ . 161Parantu arth|earth kuchh nahī̃ samajhtē .

153When they celebrate Dashera, they invite so many people from abroad, but they don't understand the significance of it at all.

162Dēvtāō̃ key|kī kitnī nindā kartē haĩ . 163Aisī bātē̃ tō bilkul haĩ nahī̃ .

154They defame the deities a great deal, but it is not like that.

164Jaisē kahtē haĩ īśhvar nām-rūp sē nyārā hai arthāt nahī̃ hai .

155They say that God is beyond name and form, but that would mean that He doesn’t exist.

165Vaisē yah jō kuchh khēl ādi banātē haĩ vah kuchh bhī hai nahī̃ .

156In the same way, the plays, etc. that they create are nothing like that.

166Yah sab haĩ manuṣhyō̃ key|kī buddhi .

157That is the intellects of human beings.

167Manuṣhya mat kō āsurī mat kahā jātā hai .

158Human dictates are called devilish dictates.

168Yathā rājā-rānī tathā prajā . 169Sab aisē ban jātē haĩ .

159All the kings, queens and subjects, everyone, becomes the same.

170Inkō kahā hī jātā hai devil world .

160This is called a devil world.

171Sab ēk-dō kō gālī dētē rahtē haĩ .

161All keep insulting one another.

172Tō bāp samjhātē haĩ - bachchē , jab baiṭhtē hō tō apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .

162Therefore, the Father explains: Children, when you sit here, consider yourselves to be souls and remember the Father.

173Tum agyān mē̃ thē tō paramātmā kō ūpar mē̃ samajhtē thē .

163When you were ignorant, you used to say that God was up above.

174Abhī tō jāntē hō bāp yahā̃ āyā huā hai tō tum ūpar mē̃ nahī̃ samajhtē hō .

164You now understand that the Father has come down here. 165Therefore, you now realise that He is not up above.

175Tumnē bāp kō yahā̃ bulāyā hai , is tan mē̃ .

166You have called the Father here into this body.

176Tum jab apnē-apnē centres par baiṭhtē hō tō samajhē̃gē śhivbābā madhuban mē̃ inkē tan mē̃ haĩ .

167Even while you are sitting at your centres, you understand that Shiv Baba is in Madhuban in this one's body.

177Bhakti mārg mē̃ tō paramātmā kō ūpar mē̃ māntē thē .

168On the path of devotion, you used to think that God was up above.

178Hē bhagvān . . . . . abhī tum bāp kō kahā̃ yād kartē hō  ?

169You used to call out:” O God!” 170Where do you now remember the Father?

179Kyā baiṭhkar kartē hō  ?

171What do you sit and do?

180Tum jāntē hō brahmā K|kē tan mē̃ hai tō jarūr yahā̃ yād karnā paṛēgā .

172You understand that He is in the body of Brahma and so you definitely have to remember Him here.

181Ūpar mē̃ tō hai nahī̃ .

173He is not up above.

182Yahā̃ āyā huā hai - purūṣhōttam saṅgamyug par .

174He has come here at this most auspicious confluence age.

183Bāp kahtē haĩ tumkō itnā ūñch banānē maĩ yahā̃ āyā hū̃ .

175The Father says: I have come here to make you very elevated.

184Tum bachchē yahā̃ yād karē̃gē . 185Bhakta ūpar mē̃ yād karē̃gē .

176You children remember Him here, whereas the devotees remember Him up above.

186Tum bhal vilāyat mē̃ hōṅgē tō bhī kahē̃gē brahmā K|kē tan mē̃ śhivbābā hai .

177Even if you are abroad, you still say that Shiv Baba is in the body of Brahma.

187Tan tō jarūr chāhiē nā .

178A body is definitely needed.

188Kahā̃ bhī tum baiṭhē hōṅgē tō jarūr yahā̃ yād karē̃gē .

179Wherever you sit, you would definitely remember Him here (in Madhuban).

189Brahmā K|kē tan mē̃ hī yād karnā paṛē .

180You have to remember Him in the body of Brahma.

190Kaī buddhihīn brahmā kō nahī̃ māntē haĩ .

181Some senseless people don’t accept Brahma.

191Bābā aisē nahī̃ kahtē brahmā kō yād na karō .

182Baba doesn’t tell you not to remember Brahma.

192Brahmā bigar śhivbābā kaisē yād paṛēgā .

183How can Shiv Baba be remembered without remembering Brahma?

193Bāp kahtē haĩ maĩ is tan mē̃ hū̃ .

184The Father says: I am in this body.

194Ismē̃ mujhē yād karō isliē tum bāp aur dādā dōnō̃ kō yād kartē hō .

185You remember Me in this one, and this is why you remember both Bap and Dada.

195Buddhi mē̃ yah gyān hai , inkī apnī ātmā hai .

186Your intellects have the knowledge that this one is a separate soul.

196Śhivbābā kō tō apnā śharīr nahī̃ hai .

187Shiv Baba doesn’t have a body of His own.

197Bāp nē kahā hai maĩ is prakr̥iti kā ādhār lētā hū̃ .

188The Father says: I take the support of matter.

198Bāp baiṭh sārē brahmāṇḍ aur sr̥iṣhṭi K|kē ādi , madhya , ant kā rāz samjhātē haĩ aur kōī brahmāṇḍ kō jāntē hī nahī̃ . 199Brahm jismē̃ ham aur tum rahtē hō , supreme bāp , nonsupreme ātmāyē̃ rahnē vālī us brahm lōk śhāntidhām kī haĩ .

189The Father sits here and explains the whole significance of Brahmand and the beginning, middle and end of the world. 190No one else knows about Brahmand, the brahm element, the place in which you and I reside. 191The brahm element, the land of peace, is the place where the Supreme Father and the “non-supreme” souls reside.

200Śhāntidhām bahut mīṭhā nām hai .

192The land of peace is a very sweet name.

201Yah sab bātē̃ tumhārī buddhi mē̃ haĩ .

193All of these matters are in your intellects.

202Ham asul K|kē rahvāsī brahm mahatatva K|kē haĩ , jiskō nirvāṇdhām , vānaprasth kahā jātā hai .

194Originally, you were residents of the great brahm element. 195That is called the land of nirvana, the land beyond sound.

203Yah bātē̃ abhī tumhārī buddhi mē̃ haĩ , jab bhakti hai tō gyān kā akṣhar nahī̃ .

196All of these matters are now in your intellects. 197When there is devotion, there isn't a single word of this knowledge.

204Inkō kahā jātā hai puruṣhōttam saṅgamyug jabki change hōtī hai .

198This is called the most auspicious confluence age when change takes place.

205Purānī duniyā mē̃ asur rahtē haĩ , naī duniyā mē̃ dēvtāyē̃ rahtē haĩ tō unkō change karnē liē bāp kō ānā paṛtā hai .

199Devils reside in the old world and deities reside in the new world. 200Therefore, the Father has to come to change them.

206Satyug mē̃ tumkō kuchh bhī patā nahī̃ rahēgā .

201You won’t know any of this in the golden age.

207Abhī tum kaliyug mē̃ hō tō bhī kuchh patā nahī̃ hai .

202You are now in the iron age and you still do not know.

208Jab naī duniyā mē̃ hōṅgē tō bhī is purānī duniyā kā kuchh patā nahī̃ hōgā .

203When you are in the new world, you will not know anything of this old world.

209Abhī purānī duniyā mē̃ hō tō naī kā mālūm nahī̃ hai .

204Now that you are in the old world, you have no knowledge of the new world.

210Naī duniyā kab thī , patā nahī̃ .

205People don't know when the new world existed.

211Vah tō lākhō̃ varṣh kah dētē haĩ .

206They speak of hundreds of thousands of years.

212Tum bachchē jāntē hō bāp is saṅgamyug par hī kalp-kalp ātē haĩ , ākar is variety jhāṛ kā rāz samjhātē haĩ aur yah chakra kaisē phirtā hai vah bhī tum bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

207You children understand that the Father only comes at the confluence of every cycle. 208He comes and explains the significance of the variety tree. 209He also explains to you children how this cycle turns.

213Tumhārā dhandhā hī hai yah samjhānē kā .

210Your business is to explain this to others.

214Ab ēk-ēk kō samjhānē sē tō bahut time lag jāē isliē abhī tum bahutō̃ kō samjhātē hō .

211It takes a lot of time to explain to each one individually. 212This is why you explain to many at the same time.

215Bahut samajhtē haĩ .

213Many come and understand.

216Yah mīṭhī-mīṭhī bātē̃ phir bahutō̃ kō samjhānī haĩ .

214You have to explain these sweet matters to many.

217Tum pradarśhanī ādi mē̃ samjhātē hō nā ab śhiv jayantī par aur bhī achchhī rīti bahutō̃ kō bulākar samjhānā hai .

215You explain at the exhibitions, etc. 216At the time of Shiv Jayanti, invite many and explain clearly to them.

218Khēl key|kī duration kitnī hai . 219Tum tō accurate batāyēṅgē .

217You can tell them accurately about the duration of this play.

220Yah topics huī . 221Ham bhī yah samjhāyēṅgē .

218These are the topics that we will explain to you.

222Tumkō bāp samjhātē haĩ nā - jissē tum dēvtā ban jātē hō .

219The Father explains this knowledge to you and through that you become deities.

223Jaisē tum samajhkar dēvtā bantē hō vaisē aurō̃ kō bhī banātē hō . 224Bāp nē hamkō yah samjhāyā hai . 225Ham kiskī glāni ādi nahī̃ kartē haĩ .

220Just as you understand it and become deities, in the same way, you have to inspire others to become the same: “The Father has explained this to us; we are not defaming anyone.

226Ham batlātē haĩ gyān kō sadgati mārg kahā jātā hai , ēk satgurū hī hai pār karnē vālā .

221We simply say that this knowledge is the path to salvation. 222Only the one Satguru takes everyone across.”

227Aisī-aisī mukhya points nikālkar samjhāō .

223Extract such main points and explain them.

228Yah sārā gyān bāp K|kē sivāē kōī dē nahī̃ saktā hai .

224No one, except the Father, can give all of this knowledge.

229Achchhā  !

225Achcha.

230Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

226To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

231Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

227The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

232Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

228Essence for dharna:

2331 ) pujārī sē pūjya bannē kē liē sampūrṇ nirvikārī bannā hai .

229 1. In order to change from a worshipper into one who is worthy of worship, become completely viceless.

234Gyānvān ban svayã kō svayã hī change karnā hai .

230Become knowledge-full and change yourself.

235Alpkāl sukh kē pīchhē nahī̃ jānā hai .

231Do not chase after temporary happiness.

2362 ) bāp aur dādā dōnō̃ kō hī yād karnā hai .

232 2. You must remember both Bap and Dada.

237Brahmā bigar śhivbābā yād ā nahī̃ saktā .

233You cannot remember Shiv without remembering Brahma.

238Bhakti mē̃ ūpar yād kiyā , abhī brahmā tan mē̃ āyā hai tō dōnō̃ hī yād ānē chāhiē .

234On the path of devotion, you remembered Him up above. 235Now that He has entered the body of Brahma, you have to remember both of them.

Blessing

239Vardān  : her|har karma mē̃ vijay kā aṭal niśhchay aur naśhā rakhnē vālē adhikārī ātmā bhav

236Blessing: May you have all rights with the firm faith and intoxication of having victory in every act.

240Vijay hamārā janm siddha adhikār hai - is smr̥iti sē sadā uṛtē chalō .

237 “Victory is our birthright.” 238Constantly continue to fly in this awareness.

241Kuchh bhī hō jāē - yē smr̥iti mē̃ lāō ki maĩ sadā vijayī hū̃ .

239No matter what happens, bring this into your awareness: “I am constantly victorious.”

242Kyā bhī hō jāē - yah niśhchay aṭal hō .

240No matter what happens, let this faith be firm.

243Naśhē kā ādhār hai hī niśhchay .

241The basis of intoxication is faith.

244Niśhchay cum|kam tō naśhā cum|kam isliē kahtē haĩ niśhchaybuddhi vijayī .

242If faith is lacking, there will be less intoxication. 243This is why it is said: “Those whose intellects have faith are victorious.”

245Niśhchay mē̃ kabhī-kabhī vālē nahī̃ bannā .

244Do not be one who only sometimes has faith.

246Avināśhī bāp hai tō avināśhī prāpti K|kē adhikārī banō .

245The Father is imperishable and so you have a right to imperishable attainments.

247Her|har karma mē̃ vijay kā niśhchay aur naśhā hō .

246Let there be the faith and intoxication of having victory in every act of yours.

Slogan

248Slōgan  : bāp K|kē snēh key|kī chhatrachhāyā kē nīchē rahō tō kōī bhī vighna ṭhahar nahī̃ saktā .

247Slogan: Stay under the canopy of the Father’s love and no obstacle will be able to stay.

248*** Om Shanti ***