मंगलवार 12 नवंबर 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
012-11-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 12/11/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - bāp āyē haĩ tum bachchō̃ kā śhrr̥iṅgār karnē , sabsē achchhā śhrr̥iṅgār hai pavitratā kā ' '
1Essence: Sweet children, the Father has come to decorate you with the best decoration of all which is purity.
Question
2Praśhna : pūrē 84 janm lēnē vālō̃ key|kī mukhya niśhānī kyā hōgī ?
2Question: What are the main signs of those who take the full 84 births?
Answer
3Uttar : 1 . vah bāp K|kē sāth-sāth teacher aur satgurū tīnō̃ kō yād karē̃gē .
3Answer: 1) As well as remembering the Father, they also remember the Teacher and the Satguru; they remember all three.
4Aisē nahī̃ , bāp yād āyē tō teacher bhūl jāē .
4It’s not that they remember the Father and forget the Teacher.
5Jab tīnō̃ kō yād karē̃ tab hī kr̥iṣhṇapurī mē̃ jā sakē̃ arthāt ādi sē part bajā sakē̃ .
5Only when they remember all three can they go to the land of Krishna, that is, play their parts from the beginning.
62 . unhē̃ kabhī bhī māyā K|kē tūphān harā nahī̃ saktē haĩ .
62) They are never defeated by storms of Maya.
Murli
7Ōm śhānti .
7Om shanti.
8Bāp pahlē bachchō̃ kō kahtē haĩ yah bhūl tō nahī̃ jātē hō - ham bāp kē āgē , teacher kē āgē aur satgurū kē āgē baiṭhē huē haĩ .
8The Father first of all asks you children: You don't forget that you are sitting in front of the Father, the Teacher and the Satguru, do you?
9Bābā nahī̃ samajhtē ki sab kōī is yād mē̃ baiṭhē haĩ .
9Baba thinks that not all of you sitting here have this awareness.
10Phir bhī bāp kā farj hai samjhānā .
10However, it is still the Father's duty to explain to you.
11Yah hai arth|earth sahit yād karnā .
11This is what it means to remember Him with understanding.
12Hamārā bābā bēhad kā bāp bhī hai , teacher bhī hai aur barōbar hamārā satgurū bhī hai jō bachchō̃ kō sāth mē̃ lē jāyēgā .
12Our Baba is the unlimited Father and Teacher and He is definitely the Satguru, the One who will take us children back with Him.
13Bāp āyē hī haĩ bachchō̃ kā śhrr̥iṅgār karnē .
13The Father has come here to decorate you children.
14Pavitratā sē śhrr̥iṅgār kartē ātē haĩ . 15Dhan bhī athāh dētē haĩ .
14He continues to decorate you with purity and also gives you limitless wealth.
16Dhan dētē hī haĩ naī duniyā kē liē , jahā̃ tumkō jānā hai .
15He gives you wealth for the new world where you have to go.
17Yah bachchō̃ kō yād karnā hai .
16You children must remember this.
18Bachchē ġaphlat kartē haĩ jō bhūl jātē haĩ . 19Vah jō pūrī khuśhī hōnī chāhiē vah kam hō jātī hai .
17Some children become careless and forget so the full happiness that they should have is reduced.
20Aisā bāp tō kabhī miltā hī nahī̃ .
18You would never find such a Father anywhere else.
21Tum jāntē hō ham bābā K|kē bachchē jarūr haĩ . 22Vah hamkō paṛhātē haĩ isliē teacher bhī jarūr hai .
19You know that you are definitely Baba's children and that He is teaching you. 20This is how He is also the Teacher.
23Hamārī paṛhāī hai hī naī duniyā amarpurī kē liē .
21Your study is for the new world, for the land of immortality.
24Abhī ham saṅgamyug par baiṭhē haĩ .
22You are now sitting at the confluence age.
25Yah yād tō jarūr bachchō̃ kō hōnī chāhiē .
23You children must definitely remember this.
26Pakkā-pakkā yād karnā hai .
24You must remember this firmly.
27Yah bhī jāntē hō is samay kanspurī āsurī duniyā mē̃ haĩ .
25You also understand that you are in a devilish world, the land of Kans, at this time.
28Samjhō kōī kō sākṣhātkār hōtā hai parantu sākṣhātkār sē kōī kr̥iṣhṇapurī , unkī dynasty mē̃ nahī̃ jā sakē̃gē .
26Even if some do have a vision, it isn’t that they will be able to go to the land of Krishna or into his dynasty through that.
29Jā tab sakē̃gē jab bāp , teacher , gurū tīnō̃ kō hī yād kartē rahē̃gē .
27It is when they continue to remember the Father, the Teacher and the Satguru, all three, that they will be able to go there.
30Yah ātmāō̃ sē bāt kī jātī hai .
28Baba tells this to you souls.
31Ātmā hī kahtī hai hā̃ bābā .
29You souls reply: Yes Baba.
32Bābā āp tō sach kahtē hō .
30Baba, you are telling us the truth.
33Āp bāp bhī hō , paṛhānē vālē teacher bhī hō .
31You are the Father and also the Teacher who teaches us.
34Supreme ātmā paṛhātī hai .
32The Supreme Soul is teaching you.
35Laukik paṛhāī bhī ātmā hī śharīr kē sāth paṛhātī hai .
33A worldly study is also taught by a soul through a body.
36Parantu vah ātmā bhī patit tō śharīr bhī patit hai .
34However, both that soul and his body are impure.
37Duniyā K|kē manuṣhyō̃ kō yah patā nahī̃ hai ki ham narkvāsī haĩ .
35People of the world do not know that they are residents of hell.
38Abhī tum samajhtē hō ham tō ab chalē apnē vatan .
36You understand that you are now to go back to your home.
39Yah tumhārā vatan nahī̃ hai .
37This is not your home.
40Yah hai rāvaṇ kā parāyā vatan .
38This is the foreign home of Ravan.
41Tumhārē vatan mē̃ tō athāh sukh haĩ .
39In your land, there is an abundance of happiness.
42Yahā̃ K|kē lōg aisē nahī̃ samajhtē - ham parāyē rājya mē̃ haĩ .
40The people here do not understand that they are in a foreign land.
43Āgē musalmānō̃ K|kē rājya mē̃ baiṭhē thē phir kriściyan K|kē rājya mē̃ baiṭhē .
41Previously, you were in the kingdom of the Muslims and then in that of Christians.
44Abhī tum jāntē hō ham apnē rājya mē̃ jātē haĩ .
42You know that you are now going to your own kingdom.
45Āgē rāvaṇ rājya kō ham apnā rājya samajh baiṭhē thē .
43Previously, you used to consider Ravan’s kingdom to be your kingdom.
46Yah bhūl gayē haĩ ham pahlē rāmrājya mē̃ thē .
44You forgot that you were in Rama’s (God’s) kingdom in the beginning.
47Phir 84 janmō̃ K|kē chakra mē̃ ānē sē rāvaṇ rājya mē̃ , duḥkh mē̃ ākar paṛē haĩ .
45Then, whilst going around the cycle of 84 births, you entered Ravan’s kingdom of sorrow.
48Parāyē rājya mē̃ tō duḥkh hī hōtā hai .
46There is only sorrow when you are in a foreign kingdom.
49Yah sārā gyān andar mē̃ ānā chāhiē .
47All of this knowledge should emerge inside you.
50Bāp tō jarūr yād āyēgā . 51Parantu tīnō̃ kō yād karnā hai .
48You do remember the Father, but you must definitely remember all three.
52Yah knowledge bhī manuṣhya hī lē saktē haĩ . 53Jānvar tō nahī̃ paṛhē̃gē .
49Only human beings can take this knowledge; animals would not study.
54Yah bhī tum bachchē samajhtē hō vahā̃ kōī bairisṭarī ādi key|kī paṛhāī hōtī nahī̃ .
50You children also understand that there are no studies to become a barrister etc. in the golden age.
55Bāp yahā̃ hī tumkō mālāmāl kar rahē haĩ tō sab tō rājāyē̃ nahī̃ bantē haĩ .
51The Father is filling you with all of these treasures here, but not all of you will become kings.
56Vyāpār bhī chaltā hōgā parantu vahā̃ tumkō athāh dhan rahtā hai .
52Although there is business there too, you have plenty of wealth.
57Ghāṭā ādi hōnē kā kāydā hī nahī̃ .
53It isn’t the rule to experience any loss there.
58Lūṭ mār ādi vahā̃ hōtī nahī̃ .
54There is no looting or beating etc.
59Nām hī hai svarg .
55The very name is heaven.
60Abhī tum bachchō̃ kō smr̥iti āī hai ham svarg mē̃ thē phir punarjanma lētē-lētē nīchē utartē haĩ .
56You children now remember that you used to be in heaven and that you came down whilst taking rebirth.
61Bāp kahānī bhī unhō̃ kō hī batātē haĩ .
57The Father tells the story to you children.
6284 janm nahī̃ liyē hōṅgē tō māyā harā dēgī .
58Maya defeats the souls who haven’t taken 84 births.
63Yah bhī bāp samjhātē rahtē haĩ . 64Māyā kā kitnā baṛā tūphān hai .
59The Father explains that there are huge storms of Maya.
65Bahutō̃ kō māyā harānē key|kī kōśhiśh kartī hai , āgē chal tum bahut dēkhē̃gē , sunē̃gē .
60Maya tries to defeat many. 61As you go further, you will see and hear a lot about this.
66Bāp kē pās sabkē chitra hōtē tō tumkō wonder dikhātē - yah phalānā itnā din āyā , bāp kā banā phir māyā khā gaī .
62If the Father had photographs of everyone, He would show you the wonder of those who came for so many days, of how they belonged to the Father and how Maya then ate them.
67Mar gayā , māyā kē sāth jā milā .
63They died and went to Maya's side.
68Yahā̃ is samay kōī śharīr chhōṛtē haĩ tō isī duniyā mē̃ ākar janma lētē haĩ .
64Here, when someone dies physically, he will take another birth in this world.
69Tum śharīr chhōṛē̃gē tō bābā kē sāth bēhad ghar mē̃ jāyēṅgē .
65When you leave your bodies, you will go and live with Baba in the unlimited home.
70Vahā̃ bābā , mama , bachchē sab haĩ nā .
66There, there is Baba, Mama and the children.
71Parivār aisā hī hōtā hai .
67This is what a family consists of.
72Mūlvatan mē̃ bāp aur bhāī haĩ , aur kōī sambandh nahī̃ .
68In the supreme region, there is just the Father and brothers; there is no other relationship.
73Yahā̃ bāp aur bhāī-bahan haĩ phir vr̥iddhi kō pātē haĩ . 74Chāchā , māmā ādi bahut sambandh hō jātē haĩ .
69Here, there are the fathers, brothers and sisters. 70Afterwards, as growth continues and relationships increase, there are paternal uncles, maternal uncles etc.
75Is saṅgam par tum prajāpitā brahmā K|kē bantē hō tō bhāī-bahin hō .
71At this confluence age, you belong to Prajapita Brahma and so you are brothers and sisters.
76Śhivbābā kō yād kartē hō tō bhāī hō .
72When you remember Shiv Baba, you are brothers.
77Yah sab bātē̃ achchhī rīti yād karnī haĩ .
73You have to remember all of these things very well.
78Bahut bachchē bhūl jātē haĩ . 79Bāp tō samjhātē rahtē haĩ .
74Many of you children forget the things that the Father continues to explain to you.
80Bāp kā farj hai bachchō̃ kō sir par uṭhānā , tab tō namastē-namastē kartē rahtē haĩ .
75The Father's duty is to put His children on his head (to make His children even higher than Himself). 76This is why He continues to say namaste to you.
81Arth|earth bhī samjhātē haĩ .
77He also explains the meaning.
82Bhakti karnē vālē sādhū-santa ādi kōī tumkō jīvanmukti kā rāstā nahī̃ batātē , vah mukti kē liē hī purūṣhārth kartē rahtē haĩ .
78Sages and holy men etc. of the path of devotion can’t show you the way to liberation-in-life. 79They continue to endeavour to attain liberation.
83Vah haĩ hī nivr̥itti mārg vālē .
80They belong to the path of isolation.
84Vah rājyōg kaisē sikhlāyēṅgē .
81How could they teach Raja Yoga?
85Rājyōg hai hī pravr̥itti mārg kā .
82Raja Yoga is for the household path.
86Prajāpitā brahmā kō 4 bhujāyē̃ dētē haĩ tō pravr̥itti mārg huā nā .
83In devotion, Prajapita Brahma is portrayed as having four arms. 84That too indicates that this path is a household path.
87Yahā̃ bāp nē inkō adopt kiyā tō nām rakhā hai brahmā aur sarasvatī .
85The Father has adopted this one. 86Therefore, the names, Brahma and Saraswati, have been given.
88Drama mē̃ nūndh dēkhō kaisī hai .
87Just look at what is fixed in the drama!
89Vānaprasth avasthā mē̃ hī manuṣhya gurū kartē haĩ , 60 varṣh kē bād .
88People reach their age of retirement at 60 and adopt gurus.
90Ismē̃ bhī 60 varṣh kē bād bāp nē pravēśh kiyā tō bāp , teacher , gurū ban gayē .
89The Father entered this one when he was 60 and became the Father, the Teacher and the Guru.
91Abhī tō kāydē bhī bigaṛ gayē haĩ . 92Chhōṭē bachchē kō bhī gurū karā dētē haĩ .
90Nowadays, the customs have become worse: even small children are made to adopt a guru.
93Yah tō hai hī nirākār . 94Tumhārī ātmā kā yah bāp bhī bantē , teacher , satgurū bhī bantē haĩ .
91That is the incorporeal One who becomes the Father, the Teacher and the Satguru of you souls.
95Nirākārī duniyā kō kahā jātā hai ātmāō̃ key|kī duniyā .
92The incorporeal world is also called the world of souls.
96Aisē tō nahī̃ kahē̃gē duniyā hī nahī̃ hai .
93You wouldn’t say that that world doesn’t exist.
97Śhāntidhām kahā jātā hai . 98Vahā̃ ātmāyē̃ rahtī haĩ .
94It is also called the abode of peace where souls reside.
99Agar kahē̃ paramātmā kā nām , rūp , dēśh , kāl nahī̃ tō bachchē phir kahā̃ sē āyēṅgē .
95If they say the Supreme Soul doesn’t have a name, form or time period, where do His children come from?
100Tum bachchē ab samajhtē hō yah world key|kī history-geography kaisē repeat hōtī hai .
96You children now understand how the history and geography of the world repeat.
101History chaitanya key|kī hōtī hai , geography tō jaṛ vastu kī hai .
97History is of those who lived and geography is of non-living things.
102Tumhārī ātmā jāntī hai ham kahā̃ tak rājya kartē haĩ .
98You souls know for how long you ruled your kingdom.
103History gāī jātī hai jiskō kahānī kahā jātā hai .
99History, which is known as a story, is remembered.
104Geography dēśh key|kī hōtī hai .
100Geography is normally of a country.
105Chaitanya nē rājya kiyā , jaṛ tō rājya nahī̃ karē̃gē .
101It is living beings who rule a kingdom; anything that is non-living cannot rule.
106Kitnē samay sē phalānē kā rājya thā , kriściyan nē bhārat par kab sē kab tak rājya kiyā .
102History is about how long someone’s kingdom existed and from when to when Bharat was ruled by the Christians.
107Tō is world key|kī history-geography kō kōī jāntē hī nahī̃ .
103No one knows the history and geography of this world.
108Kahtē haĩ satyug kō tō lākhō̃ varṣh huā . 109Usmē̃ kaun rājya karkē gayē , kitnā samay rājya kiyā - yah kōī nahī̃ jāntā .
104They say that the golden age existed hundreds of thousands of years ago, but none of them knows who used to rule then or for how long they ruled.
110Iskō kahā jātā hai history .
105That is called history.
111Ātmā chaitanya , śharīr jaṛ hai .
106Souls are living and bodies are non-living.
112Sārā khēl hī jaṛ aur chaitanya kā hai .
107The whole play is about the living and the non-living.
113Manuṣhya jīvan hī uttam gāyā jātā hai .
108A human birth is considered to be the most elevated.
114Ādamśhumārī bhī manuṣhyō̃ key|kī ginī jātī hai . 115Jānvarō̃ key|kī tō kōī gintī kar bhī na sakē .
109There is a census of human beings; no one could possibly count how many animals there are.
116Sārā khēl tumhārē par hai .
110The whole play is about you.
117History-geography bhī tum suntē hō .
111You are the ones who listen to this history and geography.
118Bāp ismē̃ ākar tumkō sab bātē̃ samjhātē haĩ , iskō kahā jātā hai bēhad key|kī history-geography .
112The Father enters this one and explains everything to you. 113This is called unlimited history and geography.
119Yah knowledge na hōnē kāraṇ tum kitnē bēsamajh ban paṛē hō .
114It was because you didn’t have this knowledge that you became so senseless.
120Manuṣhya hōkar duniyā key|kī history-geography kō na jānē̃ tō vah manuṣhya hī kyā kām kā .
115If human beings do not know the history and geography of the world, of what use are such human beings?
121Abhī bāp dvārā tum world key|kī history-geography sun rahē hō .
116You are now listening the Father telling you to the history and geography of the world.
122Yah paṛhāī kitnī achchhī hai , kaun paṛhātē haĩ ?
117This study is very good. 118Who is teaching this?
123Bāp .
119The Father.
124Bāp hī ūñch tē ūñch pad dilānē vālā hai . 125In lakṣhmī-nārāyaṇ kā aur jō unhō̃ kē sāth svarg mē̃ rahtē haĩ unhō̃ kā ūñch tē ūñch pad hai nā .
120It is the Father who enables you to claim the highest status; the highest status is that of Lakshmi and Narayan and those who live with them in heaven.
126Vahā̃ bairisṭarī ādi tō kartē nahī̃ .
121There are no barristers etc. there.
127Vahā̃ tō sirph sīkhnā hai .
122People there only study the arts.
128Hunar na sīkhē̃ tō makān ādi kaisē banē̃ .
123If they didn't learn various skills, how would they build buildings etc?
129Ēk-dō kō hunar sikhlātē haĩ .
124They teach skills to one another.
130Nahī̃ tō itnē makān ādi kaun banāyēṅgē .
125Otherwise, who would build so many buildings etc?
131Āpēhī tō nahī̃ ban jāyēṅgē .
126They would not be built automatically.
132Yah sab rāz abhī tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ bhī number-vār purūṣhārth anusār rahtē haĩ .
127All of these secrets remain in the intellects of you children, numberwise, according to the efforts you make.
133Tum jāntē hō yah chakra phirtā rahtā hai , itnā samay ham rājya kartē thē phir rāvaṇ K|kē rājya mē̃ ātē haĩ .
128You understand that this cycle continues to turn. 129You ruled for that length of time and you then entered Ravan’s kingdom.
134Duniyā kō in bātō̃ kā patā nahī̃ haĩ ki ham rāvaṇ rājya mē̃ haĩ .
130No one else in the world knows that they are in Ravan’s kingdom.
135Kahtē haĩ hamkō bābā rāvaṇ K|kē rājya sē liberate karō .
131They say: Baba, liberate us from Ravan’s kingdom.
136Bhāratvāsiyō̃ nē kriściyan rājya sē apnē kō liberate kiyā .
132The people of Bharat liberated themselves from the rule of the Christians.
137Ab phir kahtē haĩ god father hamkō liberate karō .
133Now they say: God, the Father, liberate us!
138Smr̥iti ātī hai nā kōī bhī yah nahī̃ jāntē ki aisē kyō̃ kahtē haĩ .
134Do you remember all of this? 135No one knows why they say this.
139Abhī tumnē samjhā hai sārē sr̥iṣhṭi par hī rāvaṇ rājya hai , sab kahtē haĩ rāmrājya chāhiē tō liberate kaun karēgā ?
136You now understand that Ravan’s kingdom is over the whole world. 137Everyone says that they want the kingdom of Rama, but who will liberate them?
140Samajhtē haĩ god father liberate kar guide ban lē jāyēṅgē .
138They think that God, the Father, will liberate them, become their Guide and take them back with Him.
141Bhāratvāsiyō̃ kō itnā akla nahī̃ hai . 142Yah tō bilkul tamōpradhān haĩ .
139The people of Bharat do not have much sense; they are completely tamopradhan.
143Vah na itnā duḥkh uṭhātē haĩ , na itnā sukh hī pātē haĩ .
140Those people (Christians) neither receive as much sorrow nor as much happiness as the people of Bharat do.
144Bhāratvāsī sabsē sukhī bantē haĩ tō duḥkhī bhī banē haĩ . 145Hisāb hai nā .
141The people of Bharat become the happiest and then they also become the unhappiest; there is this account.
146Abhī kitnā duḥkh hai !
142There is now so much sorrow.
147Jō religious minded haĩ vah yād kartē haĩ - ō god father , liberator .
143Those who are religious minded remember God and say: O God, the Father! 144Liberator!
148Tumhārī bhī dil mē̃ hai bābā ākar hamārē duḥkh harō aur sukhdhām lē chalō .
145Your hearts also say: Baba, come and remove our sorrow and take us to the land of happiness!
149Vah kahtē haĩ śhāntidhām lē chalō .
146They say: Take us to the land of peace!
150Tum kahē̃gē śhāntidhām aur sukhdhām lē chalō .
147You say: Take us to the land of peace and the land of happiness!
151Ab bāp āyā huā hai tō bahut khuśhī hōnī chāhiē .
148Now that the Father has come, you should be very happy.
152Bhakti mārg mē̃ kanras kitnā hai . 153Unmē̃ real bāt kuchh bhī hai nahī̃ .
149There is so much sweetness for the ears on the path of devotion, there is no real things in it.
154Ēkdam āṭē mē̃ namak hai .
150There is a pinch of salt in a sackful of flour.
155Chaṇḍikā dēvī kā bhī mēlā lagtā hai .
151They have a mela for Goddess Chandika (cremator goddess).
156Ab chaṇḍiyō̃ kā phir mēlā kyō̃ lagtā hai ?
152Now, why is there a mela for cremators?
157Chaṇḍī kiskō kahā jātā hai ?
153Who is called a cremator?
158Bābā nē batāyā hai chaṇḍāl kā janm bhī yahā̃ K|kē hī lētē haĩ .
154Baba has said that it is those here who take birth as cremators there.
159Yahā̃ rahkar , khā pīkar kuchh dēkar phir kahtē haĩ - hamnē jō diyā vah hamkō dō .
155They live here, they eat and drink here, they give something and then they say: Give us back everything that we have given.
160Ham nahī̃ māntē .
156We don’t believe this and have doubts.
161Sanśhay paṛ jātā hai tō vah kyā jākar banē̃gē .
157What would such souls become if they have doubts?
162Aisī chaṇḍikā kā bhī mēlā lagtā hai .
158There is a mela for such a Chandika.
163Phir bhī satyugī tō bantē haĩ nā .
159At least they go to the golden age.
164Kuchh samay bhī madadgār banē tō svarg mē̃ ā gayē .
160If they even become helpers for some time, they can go to heaven.
165Vah bhakta lōg tō jāntē nahī̃ , gyān tō kōī kē pās hai nahī̃ .
161Those devotees do not know anything of this. 162None of them has this knowledge.
166Vah chitrō̃ vālī gītā hai , kitnā paisā kamātē haĩ .
163People earn so much money from a Gita that has pictures.
167Ājkal chitrō̃ par tō sab āśhik hōtē haĩ .
164Nowadays, everyone loves pictures.
168Uskō art samajhtē haĩ .
165They consider that to be art.
169Manuṣhyō̃ kō kyā patā dēvtāō̃ K|kē chitra kaisē hōtē haĩ .
166How could human beings know what the pictures of the deities should be like?
170Tum asul mē̃ kitnē first class thē .
167You were originally first class.
171Phir kyā ban gayē hō .
168What did you then become?
172Vahā̃ kōī andhā , kānā ādi hōtā nahī̃ .
169No one is disable there.
173Dēvtāō̃ key|kī natural śhōbhā hōtī hai . 174Vahā̃ natural beauty hōtī hai .
170Deities have natural beauty; there is natural beauty there.
175Tō bāp bhī sab samjhākar phir kahtē haĩ - bachchē , bāp kō yād karō .
171The Father explains everything and still says: Children, remember the Father.
176Bāp , bāp bhī hai , teacher , satgurū bhī hai .
172The Father is the Father, the Teacher and the Satguru.
177Tīnō̃ rūp mē̃ yād karō tō tīnō̃ varsē milē̃gē .
173Remember Him in all three forms and you will receive all three inheritances.
178Pichhāṛī vālē tīnō̃ rūp mē̃ yād kar nahī̃ sakē̃gē .
174Those who come at the end will not be able to remember Him in all three forms.
179Phir mukti mē̃ chalē jāyēṅgē .
175They will then go into liberation.
180Bābā nē samjhāyā hai sūkṣhmavatan ādi mē̃ jō kuchh dēkhtē hō yah tō sab haĩ sākṣhātkār key|kī bātē̃ . 181Bākī history-geography sārī yahā̃ kī hai .
176Baba has said that the subtle region is just for visions, whereas the whole of history and geography is of here.
182Inkī āyu kā kiskō patā nahī̃ hai .
177No one knows how long it lasts.
183Abhī tum bachchō̃ kō bāp nē samjhāyā hai tum phir kōī kō bhī samjhā saktē hō .
178The Father has now told you children and so you can tell anyone else.
184Pahlē-pahlē tō bāp kā parichay dēnā hai .
179First of all, you have to give the Father's introduction.
185Vah bēhad kā bāp hai supreme .
180He is the unlimited Father, the Supreme.
186Laukik bāp kō paramātmā vā supreme ātmā kabhī nahī̃ kahā jātā .
181A worldly father is never called the Supreme Father or the Supreme Soul.
187Supreme tō ēk hī hai jiskō bhagvān kahā jātā hai .
182Only one is the Supreme and He is called God.
188Vah knowledgeful hai tō tumkō knowledge sikhlātē haĩ .
183He is knowledge-full, and so He teaches you this knowledge.
189Yah īśhvarīy knowledge hai source of income .
184This Godly knowledge is your source of income.
190Knowledge bhī uttam , madhyam , kaniṣhṭ hōtī hai nā .
185Knowledge too is of an elevated level, a middle level or a low level.
191Bāp hai ūñch tē ūñch tō paṛhāī bhī ūñch tē ūñch hai .
186The Father is the Highest on High and so the study is also the highest on high.
192Martabā bhī ūñch hai .
187The status is also high.
193History , geography tō jhaṭ jān jātē haĩ . 194Bākī yād kī yātrā mē̃ yuddha chaltī hai .
188You quickly come to know all about the history and geography, but you have to battle on the pilgrimage of remembrance.
195Ismē̃ tum hārtē hō tō knowledge mē̃ bhī tum hārtē hō .
189If you are defeated in this, you are also defeated in this knowledge.
196Hārkar bhāgantī hō jātē haĩ tō knowledge mē̃ bhī bhāgantī hō jātē haĩ .
190If you are defeated and run away from here, you also run away from this knowledge.
197Phir jaisē thē vaisē ban jātē haĩ aur hī unsē bhī badtar .
191In that case, you don’t just become as you were, but you become even worse than that.
198Bāp kē āgē chalan sē dēh-abhimān jhaṭ prasiddh hō jātā hai .
192Your body consciousness is very soon visible to the Father through your behaviour.
199Brāhmaṇō̃ key|kī mālā bhī hai parantu kaiyō̃ kō patā nahī̃ hai ki ham kaisē number-vār yahā̃ baiṭhē̃ . 200Dēh-abhimān hai nā .
193There is also the rosary of Brahmins, but many do not know how they could sit here, numberwise; there have body consciousness.
201Niśhchay vālē kō jarūr apār khuśhī hōgī .
194Those with faith will definitely experience a lot of happiness.
202Kiskō niśhchay hai ham yah śharīr chhōṛkar prince banū̃gā ?
195Who has the faith that when you leave your body you will become a prince?
203 ( sabnē hāth uṭhāyā ) bachchō̃ kō itnī khuśhī rahtī hai .
196(All raised their hands). 197You children have so much happiness.
204Tum sabmē̃ tō pūrē daivīguṇ hōnē chāhiē , jabki niśhchay hai .
198Since all of you have this faith, you should also all have divine virtues.
205Niśhchaybuddhi mānā vijayī mālā mē̃ pirōvantī mānā śhahzādā banantī .
199For your intellect to have faith means to be threaded in the rosary of victory and that also means to become princes.
206Ēk din jarūr āyēgā jō foreigners sabsē jāstī ābū mē̃ āyēṅgē aur sab tīrtha yātrā ādi chhōṛ dēgē .
200The day will come when many foreigners will come to Mt. 201Abu and will stop going to all the other pilgrimage places.
207Vah chāhtē haĩ bhārat kā rājyōg sīkhē̃ .
202They want to study the Raja Yoga of Bharat.
208Kaun hai jisnē paradise sthāpan kiyā .
203Who created that Paradise?
209Purūṣhārth kiyā jātā hai , kalp pahlē yah huā hōgā tō jarūr museum ban jāyēgā .
204Effort is made, and if it happened in the previous cycle, the museum will definitely be created.
210Samjhānā hai aisī pradarśhanī hamēśhā kē liē lagānē chāhtē haĩ . 2114-5 varṣh kē liē lease par bhī makān lēkar lagā saktē haĩ .
205You have to explain that you want to put on a permanent exhibition like that, so ask whether you can take a lease for four or five years on the building.
212Ham bhārat key|kī hī sēvā kartē haĩ , sukhdhām banānē kē liē .
206You are serving Bharat to make it into a land of happiness.
213Ismē̃ bahutō̃ kā kalyāṇ hōgā .
207Many will benefit through this.
214Achchhā .
208Achcha.
215Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
209To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
216Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
210The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
217Dhārṇā kē liē mukhya sār :
211Essence for dharna:
2181 ) apār khuśhī mē̃ rahnē kē liē sadā smr̥iti rahē ki svayã bāp hamārā śhrr̥iṅgār kar rahē haĩ , vah hamē̃ athāh dhan dētē haĩ .
212 1. In order to stay in limitless happiness, constantly maintain the consciousness that the Father Himself is decorating you, that He is giving you limitless wealth.
219Ham naī duniyā amarpurī kē liē paṛh rahē haĩ .
213You are studying for the new world, the land of immortality.
2202 ) vijaymālā mē̃ pirōnē kē liē niśhchaybuddhi ban daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ .
214 2. In order to be threaded in the rosary of victory, keep your intellect faithful and imbibe divine virtues.
221Jō diyā usē vāpas lēnē kā saṅkalp kabhī na āyē .
215Never think about taking back what you have given.
222Sanśhaybuddhi ban apnā pad nahī̃ ganvānā hai .
216Never let your intellect have doubt and thereby lose your status.
Blessing
223Vardān : krōdhī ātmā kō rahm K|kē śhītal jal dvārā guṇ dān dēnē vālē vardānī ātmā bhav
217Blessing: May you donate virtues with the cool water of mercy to souls who have anger in them and thereby become a blessed soul.
224Āpkē sāmnē kōī krōdh agni mē̃ jaltā huā āyē , āpkō gālī dē , nindā karē … tō aisī ātmā kō bhī apnī śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā dvārā , vr̥itti dvārā , sthiti dvārā guṇ dān yā sahanśhīltā key|kī śhakti kā vardān dō .
218 When someone who is burning with anger comes in front of you to insult and defame you, then, with your good wishes and pure feelings, with your attitude and stage, bless that soul with the virtue and power of tolerance.
225Krōdhī ātmā parvaśh hai , aisī parvaśh ātmā kō rahm K|kē śhītal jal dvārā śhānt kar dō , yah āp vardānī ātmā kā kartavya hai .
219Angry souls are under an external influence and so, with the cool water of mercy, make such souls peaceful. 220This is the duty of you blessed souls.
226Chaitanya mē̃ jab āp mē̃ aisē saṅskār bharē haĩ tab tō jaṛ chitrō̃ dvārā bhaktō̃ kō vardān miltē haĩ .
221It is because you are filled with such sanskars in the living form that your devotees receive such blessings from your non-living images.
Slogan
227Slōgan : yād dvārā sarv śhaktiyō̃ kā khajānā anubhav karnē vālē hī śhakti sampann bantē haĩ .
222Slogan: Those who experience the treasure of all powers by having remembrance become filled with all powers.
223*** Om Shanti ***