बुधवार 13 नवंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

013-11-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 13/11/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - sabhī kō pahlē-pahlē alpha kā pāṭh pakkā karāō , āp ātmā bhāī haĩ ' '

1Essence: Sweet children, first make the lesson of Alpha firm for everyone. 2All of you souls are brothers.

Question

2Praśhna  : kis ēk bāt mē̃ śhrīmat , manuṣhya mat K|kē bilkul hī viparīt hai  ?

3Question: In which one aspect are God's elevated directions totally contrary to human dictates?

Answer

3Uttar  : manuṣhya mat kahtī hai ham mōkṣh mē̃ chalē jāyēṅgē . 4Śhrīmat kahtī haĩ yah drama anādi avināśhī hai . 5Mōkṣh kisī kō mil nahī̃ saktā .

4Answer: Human dictates say that you can attain eternal liberation whereas shrimat says that this drama is eternal and imperishable and that no one can attain eternal liberation.

6Bhal kōī kahē yah part bajānā hamkō pasand nahī̃ . 7Parantu ismē̃ kuchh bhī kar nahī̃ saktē .

5Although someone may say that he doesn't like playing a part here, no one can do anything about that.

8Part bajānē ānā hī hai .

6You have to come down here to play your parts.

9Śhrīmat hī tumhē̃ śhrēṣhṭh banātī hai .

7It is shrimat alone that makes you elevated.

10Manuṣhya mat tō anēk prakār kī hai .

8There are many different types of human dictates.

Murli

11Ōm śhānti .

9Om shanti.

12Abhī yah tō bachchē jāntē haĩ ki ham bābā K|kē sāmnē baiṭhē haĩ .

10You children know that you are now sitting here in front of Baba.

13Bāp bhī jāntē haĩ bachchē hamārē sāmnē baiṭhē haĩ .

11The Father too knows that His children are sitting in front of Him.

14Yah bhī tum bachchē jāntē hō bāp hamē̃ śhikṣhā dētē haĩ jō phir aurō̃ kō dēnī hai .

12You children also know that the Father is giving you teachings which you then have to give to others.

15Pahlē-pahlē tō bāp kā hī parichay dēnā hai kyōṅki sabhī bāp kō aur bāp key|kī śhikṣhā kō bhūlē huē haĩ .

13First of all, you have to give the Father's introduction because everyone has forgotten the Father and His teachings.

16Abhī jō bāp paṛhātē haĩ yah paṛhāī phir 5 hazār varṣh bād milēgī .

14The study that the Father teaches you now will be given again after 5000 years.

17Yah gyān aur kōī kō hai nahī̃ .

15No one else has this knowledge.

18Mukhya huā bāp kā parichay phir yah sab samjhānā hai . 19Ham sab bhāī haĩ .

16The Father's introduction is the main thing. 17Then, you have to explain to everyone that we are all brothers.

20Sārī duniyā key|kī jō sabhī ātmāyē̃ haĩ , sab āpas mē̃ bhāī haĩ .

18All the souls of the whole world are brothers to each other.

21Sabhī apnā milā huā part is śharīr dvārā bajātē haĩ .

19All of them have to play the parts they have been given through their bodies.

22Abhī tō bāp āyē haĩ naī duniyā mē̃ lē jānē kē liē , jiskō svarg kahā jātā hai .

20The Father has now come to take you to the new world, which is also called heaven.

23Parantu abhī ham sab bhāī patit haĩ , ēk bhī pāvan nahī̃ .

21However, all of us brothers are impure; not a single one is pure.

24Sabhī patitō̃ kō pāvan banānē vālā ēk hī bāp hai .

22It is only the one Father who can purify all the impure.

25Yah hai hī patit vikārī rāvaṇ key|kī duniyā .

23This is the impure, vicious world of Ravan.

26Rāvaṇ kā arth|earth hī hai - 5 vikār strī mē̃ , 5 vikār purūṣh mē̃ .

24Ravan means the five vices, five vices in a woman and five vices in a man.

27Bāp bahut simple rīti samjhātē haĩ .

25The Father explains to you in a very simple way.

28Tum bhī aisē samjhā saktē hō .

26Therefore, you can also explain in the same way.

29Tō pahlē-pahlē yah samjhāō ki ham ātmāō̃ kā vah bāp hai , sabhī brothers haĩ .

27First of all, explain that that One is the Father of all souls and that all souls are brothers.

30Pūchhō yah ṭhīk hai  ?

28Ask them: Is this right?

31Likhō ham sab bhāī haĩ . 32Hamārā bāp bhī ēk hai .

29Then, tell them to write this down: We are all brothers and we have the same Father.

33Ham sab souls kā vah hai supreme soul .

30He is the Supreme Soul of all souls.

34Unkō father kahā jātā hai .

31He is called the Father.

35Yah pakkā buddhi mē̃ biṭhāō tō sarvavyāpī ādi key|kī kichṛā paṭṭī nikal jāē .

32Inculcate this in their intellects very firmly and all the rubbish of the idea of omnipresence will then be removed.

36Alpha pahlē paṛhānā hai .

33You first have to teach them Alpha.

37Bōlō , yah pahlē achchhī rīti baiṭh likhō - āgē sarvavyāpī kahtā thā , ab samajhtā hū̃ sarvavyāpī nahī̃ hai .

34First of all, tell them: Write this down clearly: Previously, I used to think that God was omnipresent. 35Now I understand that He is not omnipresent.

38Ham sab bhāī haĩ .

36We are all brothers.

39Sab ātmāyē̃ kahtī haĩ god father , parampitā paramātmā , allāh .

37All souls say: God, the Father, the Supreme Father, the Supreme Soul, Allah.

40Pahlē tō yah niśhchay biṭhānā hai ki ham ātmā haĩ , paramātmā nahī̃ haĩ . 41Na hamārē mē̃ paramātmā vyāpak hai .

38First of all, instil in them the faith that we are all souls and not the Supreme Soul and that the Supreme Soul is not present in us.

42Sabhī mē̃ ātmā vyāpak hai .

39There is a soul present in each body.

43Ātmā śharīr K|kē ādhār sē part bajātī hai .

40Souls play their parts by taking the support of bodies.

44Yah pakkā karāō .

41Make this firm for everyone.

45Achchhā phir vah bāp sr̥iṣhṭi chakra K|kē ādi , madhya , ant kā gyān sunātē haĩ .

42Achcha. 43Then, that Father comes and gives this knowledge of the beginning, the middle and the end of the cycle of the world.

46Bāp hī teacher K|kē rūp mē̃ baiṭh samjhātē haĩ .

44The Father sits here and explains to you as the Teacher.

47Lākhō̃ varṣh key|kī tō bāt nahī̃ .

45There is no question of hundreds of thousands of years for this cycle.

48Yah chakra anādi banā-banāyā hai .

46This cycle is eternally fixed.

49Equal kaisē hai - iskō jānnā paṛē .

47You have to know how it is divided equally.

50Satyug-trētā past huā , note karō .

48The golden and silver ages have passed. 49Note this down!

51Unkō kahā jātā hai svarg aur semi svarg .

50They are called heaven and semi-heaven.

52Vahā̃ dēvī-dēvatāō̃ kā rājya chaltā hai .

51There, it is the kingdom of deities.

53Satyug mē̃ hai 16 kalā , trētā mē̃ hai 14 kalā . 54Satyug kā prabhāv bahut bhārī hai . 55Nām hī hai svarg , heaven .

52In the golden age, they are 16 celestial degrees and in the silver age they are 14. The influence of the golden age is very great; its very name is heaven.

56Naī duniyā satyug kō kahā jātā hai . 57Uskī hī mahimā karnī hai .

53The new world is called the golden age and it is that which is praised.

58Naī duniyā mē̃ hai hī ēk ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm .

54In the new world, there is only the one original eternal deity religion.

59Chitra bhī tumhārē pās|pass haĩ niśhchay karānē kē liē .

55You also have pictures with which you can enable people to have faith.

60Yah sr̥iṣhṭi kā chakra phirtā rahtā hai .

56The cycle of the world continues to turn.

61Is kalp key|kī āyu hī 5 hazār varṣh hai .

57The duration of the cycle is 5000 years.

62Ab sūryavanśhī-chandravanśhī tō buddhi mē̃ baiṭhā .

58Your intellects now understand about the sun dynasty and the moon dynasty.

63Viṣhṇupurī hī badal rām-sītā purī bantī hai .

59The land of Vishnu changes and becomes the land of Rama and Sita.

64Unkī bhī dynasty chaltī hai nā .

60They too have a dynasty.

65Dō yug past huē phir ātā hai dvāparyug . 66Rāvaṇ kā rājya .

61After those two ages have passed, the copper age, the kingdom of Ravan, comes.

67Dēvtāyē̃ vām mārg mē̃ chalē jātē haĩ tō vikār kā system ban jātā hai .

62When the deities fall on to the path of sin, the system of following the vices is created.

68Satyug-trētā mē̃ sabhī nirvikārī rahtē haĩ .

63In the golden and silver ages, everyone remains viceless.

69Ēk ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm rahtā hai .

64There is the one original eternal deity religion.

70Chitra bhī dikhānā hai , orally bhī samjhānā hai . 71Bāp hamkō teacher hōkar aisē paṛhātē haĩ .

65Show them the pictures whilst you are explaining and also explain orally: The Father becomes our Teacher and teaches us in this way.

72Bāp apnā parichay khud hī ākar dētē haĩ .

66The Father Himself comes and gives us His introduction.

73Khud kahtē haĩ maĩ ātā hū̃ patitō̃ kō pāvan banānē kē liē tō mujhē śharīr jarūr chāhiē .

67He Himself says: I come to purify the impure. 68Therefore, I definitely need a body.

74Nahī̃ tō bāt kaisē karū̃ .

69Otherwise, how could I speak?

75Maĩ chaitanya hū̃ , sat hū̃ aur amar hū̃ .

70I am the Sentient Being, the Truth and the Immortal One.

76Satō , rajō , tamō mē̃ ātmā ātī hai .

71Souls go through the stages of sato, rajo and tamo.

77Ātmā hī patit , ātmā hī pāvan bantī hai .

72It is souls who become impure and it is souls who become pure.

78Ātmā mē̃ hī sab saṅskār haĩ .

73All of the sanskars are within souls.

79Past K|kē karma vā vikarma kā saṅskār ātmā lē ātī hai .

74Souls carry the sanskars of their past good and sinful actions with them.

80Satyug mē̃ tō vikarma hōtā nahī̃ , karma kartē haĩ , part bajātē haĩ . 81Parantu vah karma akarma ban jātā hai .

75No sins are performed in the golden age. 76They act and play out their parts but those actions are neutral.

82Gītā mē̃ bhī akṣhar haĩ .

77These words are also in the Gita.

83Abhī tum practical mē̃ samajh rahē hō .

78You are now able to understand this in a practical way.

84Jāntē hō bābā āyā huā hai purānī duniyā kō badal naī duniyā banānē , jahā̃ karma akarma hō jātē haĩ .

79You know that Baba has come to transform the old world and make it new, where all actions will be neutral.

85Unkō hī satyug kahā jātā hai aur yahā̃ phir yah karma vikarma hī hōtē haĩ jiskō kaliyug kahā jātā hai .

80That is called the golden age. 81Here, actions have become sinful. 82Therefore, this is called the iron age.

86Tum abhī hō saṅgam par .

83You are now at the confluence.

87Bābā dōnō̃ hī taraph key|kī bāt sunātē haĩ . 88Ēk-ēk bāt achchhī rīti samajhē̃ - bāp teacher nē kyā samjhāyā  ?

84Baba tells you about both sides, so that you can very clearly understand every aspect that the Father, as the Teacher, teaches you.

89Achchhā , bākī hai gurū kā kartavya , unkō bulāyā hī hai ki ākar ham patitō̃ kō pāvan banāō .

85Achcha. 86That leaves the task of the Guru. 87People call out to Him: Come and purify us impure ones!

90Ātmā pāvan bantī hai phir śharīr bhī pāvan bantā hai .

88When souls become pure, their bodies also become pure.

91Jaisē sōnā , vaisē zewar bhī bantā hai .

89As is the gold, so the ornament made from it.

9224 carat kā sōnā lē̃gē aur khād nahī̃ ḍālē̃gē tō zewar bhī aisā satōpradhān banēgā .

90If you don't mix alloy into 24 carat gold, the ornament made from it would also be satopradhan.

93Alloy ḍālnē sē phir tamōpradhān ban paṛtā hai kyōṅki khād paṛtī hai nā .

91It is when alloy is mixed into it that it becomes tamopradhan. 92Bharat was at first the "Golden Sparrow".

94Pahlē bhārat 24 carat pakkē sōnē key|kī chiṛiyā thā arthāt satōpradhān naī duniyā thī phir ab tamōpradhān hai .

93It was 24 carat gold. 94It was a satopradhan new world, whereas it has now become tamopradhan.

95Pahlē pure sōnā hai .

95To begin with, it is pure gold.

96Naī duniyā pavitra , purānī duniyā apavitr . 97Khād paṛtī jātī hai .

96The new world is pure and the old world is impure and alloy continues to be mixed into it.

98Yah bāp hī samjhātē haĩ aur kōī manuṣhya gurū lōg nahī̃ jāntē .

97It is the Father alone who explains this. 98No human beings or gurus know this.

99Bulātē haĩ ākar pāvan banāō .

99They call out: Come and purify us!

100Satgurū kā kām hai vānaprasth avasthā mē̃ manuṣhyō̃ kō gr̥ihastha sē kinārā karānā .

100The task of the Satguru is to draw human beings away from their households and take them into the stage of retirement.

101Tō yah sārī knowledge drama plan anusār bāp hī ākar dētē haĩ .

101So, according to the drama plan, the Father alone comes and gives you all of this knowledge.

102Vah hai manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp .

102He is the Seed of the human world tree.

103Vahī sārē vr̥ikṣha key|kī knowledge samjhātē haĩ .

103He is the One who explains the knowledge of the whole tree.

104Śhivbābā kā nām sadaiv śhiv hī hai .

104Shiv Baba's name is always Shiva.

105Bākī ātmāyē̃ sab ātī haĩ part bajānē , tō bhinn-bhinn nām dharātī haĩ .

105All souls have to come down here to play their parts, and so they adopt different names.

106Bāp kō bulātē haĩ parantu unhē̃ jāntē nahī̃ - vah kaisē bhāgyaśhālī rath mē̃ ātē haĩ tumkō pāvan duniyā mē̃ lē jānē .

106Although people call out to the Father, they do not know Him. 107How does He enter the Lucky Chariot in order to make you go to the pure world?

107Tō bāp samjhātē haĩ maĩ unkē tan mē̃ ātā hū̃ , jō bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ hai , pūrā 84 janma lētē haĩ .

108The Father explains: I enter the body of the one who is in the final one of his many births. 109He takes the full 84 births.

108Rājāō̃ kā rājā banānē kē liē is bhāgyaśhālī rath mē̃ pravēśh karnā hōtā hai .

110I have to enter this Lucky Chariot in order to make him into the king of kings.

109Pahlē number mē̃ hai śhrīkr̥iṣhṇa .

111Shri Krishna is the first number.

110Vah hai naī duniyā kā mālik . 111Phir vahī nīchē utartē haĩ . 112Sūryavanśhī , chandravanśhī , phir vaiśhya , śhūdra vãnśhī phir brahmā vãnśhī bantē haĩ .

112He is the master of the new world and then he comes down whilst passing through the sun dynasty, the moon dynasty and then the dynasties of merchants and shudras. 113He then becomes part of the dynasty of Brahma.

113Golden sē silver … phir tum iron sē golden ban rahē hō .

114From being golden aged he becomes silver aged. 115You are now once again becoming golden aged from iron aged.

114Bāp kahtē haĩ mujh ēk apnē bāp kō yād karō .

116The Father says: Remember Me, your Father alone.

115Jismē̃ mainnē pravēśh kiyā hai , inkī ātmā mē̃ tō zarā bhī yah knowledge nahī̃ thī .

117The soul whose body I have entered didn't have the slightest bit of this knowledge.

116Inmē̃ maĩ pravēśh kartā hū̃ , isliē inkō bhāgyaśhālī rath kahā jātā hai .

118I enter this one, and that is why he is called the Lucky Chariot.

117Khud kahtē haĩ maĩ inkē bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ ātā hū̃ .

119The Father Himself says: I come at the time of the final one of this one's many births.

118Gītā mē̃ akṣhar accurate haĩ . 119Gītā kō hī sarv śhāstramaī śhirōmaṇī kahā jātā hai .

120The words in the Gita are accurate; it is called the jewel of all scriptures.

120Is saṅgamyug par hī bāp ākar brāhmaṇ kul aur dēvī-dēvtā kul key|kī sthāpanā kartē haĩ .

121The Father comes at this confluence age and establish the Brahmin clan and the deity clan.

121Aurō̃ kā tō sabkō mālūm hai hī , inkā kōī kō patā nahī̃ hai .

122Everyone knows about the other clans, but no one knows about these.

122Bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ arthāt saṅgamyug par hī bāp ātē haĩ .

123The Father comes at the final one of this one's many births, which is at the confluence age.

123Bāp kahtē haĩ maĩ bījrūp hū̃ .

124The Father says: I am the Seed.

124Śhrīkr̥iṣhṇa tō hai hī satyug kā rahvāsī .

125Shri Krishna is a resident of the golden age.

125Unkō dūsrī jagah tō kōī dēkh na sakē .

126He cannot be seen in any other place.

126Punarjanma mē̃ tō nām , rūp , dēśh , kāl sab badal jātā hai .

127When he takes rebirth, his name, form, land and time period will all have changed.

127Pahlē chhōṭā bachchā sundar hōtā hai phir baṛā hōtā hai phir vah śharīr chhōṛ dūsrā chhōṭā lētā hai .

128To begin with, he is a beautiful young baby. 129Then, when he grows old, he discards that old body and takes another young body.

128Yah banā-banāyā khēl hai . 129Drama K|kē andar fix hai .

130This is a predestined play that is fixed in the drama.

130Dūsrē śharīr mē̃ tō unkō śhrīkr̥iṣhṇa nahī̃ kahē̃gē .

131He is not called Shri Krishna in his next body.

131Us dūsrē śharīr par nām ādi phir dūsrā paṛēgā . 132Samay , features , tithi , tārīkh ādi sab badal jātā hai .

132The next body is given a different name, because his features, date, time period etc. will all have changed.

133World key|kī history-geography hūbahū repeat kahā jātā hai .

133It is said that the history and geography of the world repeat identically.

134Tō yah drama repeat hōtā rahtā hai .

134This drama continues to repeat.

135Satō , rajō , tamō mē̃ ānā hī hai .

135You have to go through the stages of sato, rajo and tamo.

136Sr̥iṣhṭi kā nām , yug kā nām sab badaltē jātē haĩ . 137Abhī yah hai saṅgamyug .

136The name of the world and the name of the age change; it is now the confluence age.

138Maĩ ātā hī hū̃ saṅgam par .

137I come at this confluence.

139Yah hamkō andar mē̃ pakkā karnā hai .

138You have to make this firm within you.

140Bāp hamārā bāp , teacher , gurū hai jō phir satōpradhān bannē key|kī yukti bahut achchhī batātē haĩ .

139The Father is your Father, Teacher and Guru who shows you a very good way to become satopradhan.

141Gītā mē̃ bhī hai dēh sahit dēh K|kē sab dharm chhōṛ apnē kō ātmā samjhō .

140It is written in the Gita: Renounce the consciousness of your body and all the religions of bodies and consider yourself to be a soul.

142Vāpis apnē ghar jarūr jānā hai .

141You definitely have to return to your home.

143Bhakti mārg mē̃ kitnī mēhnat kartē haĩ bhagvān pās|pass jānē kē liē .

142People on the path of devotion make so much effort to go to God.

144Vah hai muktidhām .

143That is the land of liberation.

145Karma sē mukt ham incorporeal duniyā mē̃ jākar baiṭhtē haĩ .

144You become free from performing actions and then go and sit in the incorporeal world.

146Pārṭdhārī ghar gayā tō part sē mukt huā .

145When an actor returns home, he is free from playing his part.

147Sab chāhtē haĩ ham mukti pāvē̃ . 148Parantu mukti tō kiskō mil na sakē .

146Everyone wants to receive liberation but no one can claim eternal liberation.

149Yah drama anādi avināśhī hai .

147This drama is eternal and imperishable.

150Kōī kahē yah part bajānā hamkō pasand nahī̃ , parantu ismē̃ kōī kuchh kar na sakē .

148Some say that they don't like playing their parts. 149However, no one can do anything about that.

151Yah anādi drama banā huā hai .

150This drama is eternally fixed.

152Ēk bhī mukti kō nahī̃ pā saktē .

151Not a single one can receive eternal liberation.

153Vah sab haĩ anēk prakār key|kī manuṣhya mat .

152Human beings have many different ideas.

154Yah hai śhrīmat , śhrēṣhṭh banānē liē .

153These are the elevated directions that enable you to become elevated.

155Manuṣhya kō śhrēṣhṭh nahī̃ kahē̃gē . 156Dēvtāō̃ kō śhrēṣhṭh kahā jātā hai .

154You wouldn’t call human beings elevated; it is the deities who are called elevated.

157Unhō̃ kē āgē sab naman kartē haĩ .

155Everyone bows down to them.

158Tō vah śhrēṣhṭh ṭhaharē nā . 159Parantu yah bhī kiskō patā nahī̃ hai .

156Therefore, they must be elevated, but no one understands this.

160Abhī tum samajhtē hō ki 84 janm tō lēnā hī hai .

157You understand that you have to take 84 births.

161Śhrīkr̥iṣhṇa dēvtā hai , vaikuṇṭha kā prince .

158Shri Krishna is a deity, a prince of heaven.

162Vah yahā̃ kaisē āyēgā .

159How could he come here?

163Na usnē gītā sunāī .

160It wasn't he (Shri Krishna) who spoke the Gita.

164Sirph dēvtā thā isliē sabhī lōg unkō pūjtē haĩ .

161It is simply because he was a deity that everyone worships him.

165Dēvtā haĩ pāvan , khud patit ṭhaharē .

162Deities are pure, whereas they themselves are impure.

166Kahtē bhī haĩ mujh nirguṇ hārē mē̃ kōī guṇ nāhī . . . . . . . āp hamkō aisā banāō .

163They say: We virtueless ones are without virtue; we have no virtues. 164Make us virtuous!

167Śhiv kē āgē jākar kahē̃gē hamkō mukti dō .

165They go in front of an image of Shiva and say: Grant me liberation!

168Vah kabhī jīvanmukt , jīvanbandh mē̃ ātē hī nahī̃ isliē unhē̃ pukārtē haĩ mukti dō .

166Because Shiva never enters into liberation-in-life or into any bondage, they call out to Him: Grant us liberation!

169Jīvanmukti bhī vahī dētē haĩ .

167He is the One who grants liberation-in-life.

170Abhī tum samajhtē hō bābā aur mama K|kē ham sab bachchē haĩ , unsē hamē̃ athāh dhan miltā hai .

168You now understand that you are all the children of Mama and Baba. 169You receive an abundance of wealth from them.

171Manuṣhya tō bēsamajhī sē māṅgnī kartē rahtē haĩ .

170People without understanding keep asking for something.

172Bēsamajh tō jarūr duḥkhī hī hōṅgē nā .

171Those without any understanding would definitely experience sorrow.

173Athāh duḥkh bhōgnē paṛtē haĩ .

172They have to experience limitless sorrow.

174Tō yah sab bātē̃ bachchō̃ kō buddhi mē̃ rakhnī hai .

173Therefore, you children have to keep all of these things in your intellects.

175Ēk bēhad K|kē bāp kō na jānnē kāraṇ kitnā āpas mē̃ laṛtē rahtē hai . 176Orphan ban paṛē haĩ .

174Because they do not know the one unlimited Father, they continue to fight one another so much; they have become orphans.

177Vah hōtē haĩ had K|kē orphans , yah haĩ bēhad K|kē orphans .

175There, they are limited orphans; here, they are unlimited orphans.

178Bāp naī duniyā sthāpan kartē haĩ .

176The Father is establishing a new world.

179Abhī hai hī patit ātmāō̃ key|kī patit duniyā .

177It is now an impure world of impure souls.

180Pāvan duniyā satyug kō kahā jātā hai , purānī duniyā kaliyug kō .

178The golden age is called a pure world, and the iron age is called an old world.

181Tō buddhi mē̃ yah sab bātē̃ haĩ nā .

179All of these things are in your intellects.

182Purānī duniyā kā vināśh hō jāyēgā phir naī duniyā mē̃ transfer hō jāyēṅgē .

180This old world is to be destroyed and you will be transferred to that new world.

183Abhī ham temporary saṅgamyug par khaṛē haĩ .

181You are now standing temporarily at the confluence age.

184Purānī duniyā sē naī ban rahī hai .

182This old world is changing into a new world.

185Naī duniyā kā bhī patā hai .

183You also know about that new world.

186Tumhārī buddhi ab naī duniyā mē̃ jānī chāhiē .

184Your intellects should now go to that new world.

187Uṭhtē-baiṭhtē yahī buddhi mē̃ rahē ki ham paṛhāī paṛh rahē haĩ . 188Bāp hamkō paṛhātē haĩ .

185Whether you are sitting or moving around, your intellects must remember that you are studying the things that the Father teaches you.

189Student kō yah yād rahnā chāhiē phir bhī vah yād number-vār purūṣhārth anusār rahtī hai .

186You students should remember this, but your remembrance still remains numberwise according to the efforts you make.

190Bāp bhī number-vār purūṣhārth anusār yād-pyār dētē haĩ .

187The Father also gives you love and remembrance, numberwise, according to your efforts.

191Achchhā paṛhnē vālē kō teacher jarūr pyār jāstī karē̃gē .

188The Teacher too would of course have greater love for someone who studies well.

192Kitnā antar paṛ jātā hai .

189There is so much difference!

193Ab bāp tō samjhātē rahtē haĩ .

190The Father continues to explain everything.

194Bachchō̃ kō dhārṇā karnī hai .

191You children have to imbibe everything.

195Ēk bāp K|kē sivāē aur kōī taraph buddhi na jāē .

192Your intellects should not go in any direction other than the Father's.

196Bāp kō yād nahī̃ karē̃gē tō pāp kaisē kaṭē̃gē .

193If you do not remember the Father, how would your sins be cut away?

197Māyā ghaṛī-ghaṛī tumhārā buddhiyōg tōṛ dēgī .

194Maya will repeatedly break your intellects’ yoga.

198Māyā bahut dhōkhā dētī hai .

195Maya deceives you very much.

199Bābā misāl dētē haĩ bhakti mārg mē̃ ham lakṣhmī key|kī bahut pūjā kartē thē .

196This Baba gives you examples: On the path of devotion, I used to worship Lakshmi a lot.

200Chitra mē̃ dēkhā lakṣhmī pāṅw dabā rahī hai tō usē mukt karā diyā .

197When I saw Lakshmi massaging Narayan's feet in that picture, I liberated her.

201Unkī yād mē̃ baiṭhtē jab buddhi idhar-udhar jātī thī tō apnē kō thappaṛ mārtē thē - buddhi aur taraph kyō̃ jātī hai  ?

198When I was sitting in remembrance of him (Narayan), if my intellect wandered here and there, I would slap myself - why is my intellect going in other directions?

202Ākhrīn vināśh bhī dēkhā , sthāpanā bhī dēkhī .

199Finally, I had a vision of destruction and also one of the establishment of a new world.

203Sākṣhātkār key|kī āśh pūrī huī , samjhā ab yah naī duniyā ātī hai , ham yah banē̃gē . 204Bākī yah purānī duniyā tō vināśh hō jāyēgī .

200My desire for visions was fulfilled. 201I understood that that new world was now about to come, that that is what I was to become and that this old world was to be destroyed.

205Pakkā niśhchay hō gayā .

202There was this firm faith.

206Apnī rājdhānī kā bhī sākṣhātkār huā tō bākī is rāvaṇ K|kē rājya kō kyā karē̃gē , jabki svarg kī rājāī miltī hai , yah huī īśhvarīy buddhi .

203There was also a vision of my own kingdom. 204Therefore, I asked myself: Since I am being given the kingdom of heaven, why should I carry on in this world of Ravan? 205This is known as a Godly intellect.

207Īśhvar nē pravēśh kar yah buddhi chalāī .

206God entered me and made my intellect work.

208Gyān kalaṣh tō mātāō̃ kō miltā hai , tō mātāō̃ kō hī sab kuchh dē diyā , tum kārōbār sambhālō , sabkō sikhlāō .

207The urn of knowledge was given to the mothers. 208Therefore, everything was handed over to the mothers and they were told: You look after all the business and teach everyone.

209Sikhlātē-sikhlātē yahā̃ tak ā gayē .

209By continuing to teach everyone, you have come this far.

210Ēk-dō kō sunātē-sunātē dēkhō ab kitnē hō gayē haĩ .

210Just by telling others, look how many of you there are!

211Ātmā pavitra hōtī jātī hai phir ātmā kō śharīr bhī pavitra chāhiē .

211When souls become pure, they need pure bodies.

212Samajhtē bhī haĩ phir bhī māyā bhulā dētī hai .

212Although they do understand about purity, Maya makes them forget.

213Tum kahtē hō 7 rōz paṛhō tō kahtē haĩ kal āyēṅgē .

213You tell them to study for seven consecutive days and they reply, "We will come tomorrow."

214Dūsrē din māyā khalās kar dētī hai . 215Ātē hī nahī̃ .

214However, on the next day, Maya finishes them off; they just do not come.

216Bhagvān paṛhātē haĩ tō bhagvān sē nahī̃ ākar paṛhtē haĩ  !

215Even though God is teaching, they do not come and study with God.

217Kahtē bhī haĩ - hā̃ , jarūr āyēṅgē parantu māyā uṛā dētī hai .

216Although they even say, "Yes, we will definitely come", Maya makes them disappear.

218Regular hōnē nahī̃ dētī hai .

217She doesn’t allow them to become regular.

219Jinhōnnē kalp pahlē purūṣhārth kiyā vah jarūr karē̃gē aur kōī haṭṭī hai nahī̃ .

218Those who made effort in the previous cycle will definitely do so again. 219There is no other shop.

220Tum purūṣhārth bahut kartē hō .

220You make plenty of effort.

221Baṛē-baṛē museum banātē hō .

221You build very big museums.

222Jinhōnnē kalp pahlē samjhā hai vahī samajhē̃gē .

222Those who understood in the previous cycle will understand again.

223Vināśh hōnā hai . 224Sthāpanā bhī hōtī jātī hai .

223Destruction has to take place and establishment continues to take place.

225Ātmā paṛhkar first class śharīr lēgī .

224Souls will study and take first-class bodies.

226Aim object yah hai nā .

225This is your aim and objective.

227Yah yād kyō̃ nahī̃ paṛnā chāhiē .

226Why should you not remember this?

228Abhī ham naī duniyā mē̃ jātē haĩ , apnē purūṣhārth anusār .

227We are now going to that new world according to the efforts we make.

229Achchhā  !

228Achcha.

230Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

229To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

231Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

230The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

232Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

231Essence for dharna:

2331 ) buddhi mē̃ sadā yād rahē ki abhī ham thōṛē samay kē liē saṅgamyug mē̃ baiṭhē haĩ , purānī duniyā vināśh hōgī tō ham naī duniyā mē̃ transfer hō jāyēṅgē isliē issē buddhiyōg nikāl dēnā hai .

232 1. Your intellect must constantly remember that you are now sitting in this confluence age for a short time. 233This old world is to be destroyed so that we can then be transferred to that new world. 234This is why you have to remove your intellect's yoga away from this old world.

2342 ) sabhī ātmāō̃ kō bāp kā parichay dē karma , akarma , vikarma key|kī guhya gati sunānī hai , pahlē alpha kā hī pāṭh pakkā karānā hai .

235 2. Give the Father's introduction to all souls and explain the deep philosophy of karma, sinful karma and neutral karma to them. 236First, make the lesson of Alpha firm for them.

Blessing

235Vardān  : śhrēṣhṭh prāptiyō̃ K|kē pratyakṣhaphal dvārā sadā khuśhhāl rahnē vālē ever healthy bhav

237Blessing: May you become ever healthy and remain constantly in a happy state by experiencing the instant fruit of elevated attainments.

236Saṅgamyug par abhī-abhī kiyā aur abhī-abhī śhrēṣhṭh prāpti key|kī anubhati huī - yahī hai pratyakṣhaphal .

238 At the confluence age, as soon as you do something, you instantly experience an elevated attainment which is its instant fruit.

237Sabsē śhrēṣhṭh phal hai samīpatā kā anubhav hōnā .

239The most elevated fruit is to experience closeness.

238Ājkal sākār duniyā mē̃ kahtē haĩ ki phal khāō tō tandarūst rahē̃gē .

240Currently, it is said in this physical world, “Eat fruit and you will stay healthy.”

239Healthy rahnē kā sādhan phal batātē haĩ aur āp bachchē her|har second pratyakṣhaphal khātē hī rahtē hō isliē ever healthy hō hī .

241Fruit is considered a means of remaining healthy and you children eat this visible fruit at every second and this is how you remain ever healthy.

240Yadi āpsē kōī pūchhē ki āpkā kyā hālchāl hai , tō bōlō ki phariśhtō̃ key|kī chāl hai aur khuśhhāl hai .

242If people ask you how you are, tell them: We move along like angels and are happy.

Slogan

241Slōgan  : sarv key|kī duāō̃ K|kē khajānē sē sampann banō tō puruṣhārth mē̃ mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī .

243Slogan: Become full of the treasure of everyone’s blessings and you will not need to labour in making effort.

244*** Om Shanti ***