मंगलवार 19 नवंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

019-11-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 19/11/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhārī yād bahut wonderful hai kyōṅki tum ēk sāth hī bāp , teacher aur satgurū tīnō̃ kō yād kartē hō ' '

1Essence: Sweet children, your remembrance is very wonderful because you remember the Father, the Teacher and the Satguru, all three, together.

Question

2Praśhna  : kisī bhī bachchē kō māyā jab magrūr banātī hai tō kis bāt key|kī don't care kartē haĩ  ?

2Question: When Maya makes some children arrogant, what is it that they don’t care about?

Answer

3Uttar  : magrūr bachchē dēh-abhimān mē̃ ākar murlī kō don't care kartē hai , kahāvat hai nā - chūhē kō haldī key|kī gāṇṭh milī , samjhā mai pansārī hū̃ … .

3Answer: Arrogant children come into body consciousness and have “a don’t care” attitude about the murli. 4There is a saying that when a mouse found a piece of turmeric, he thought that he was a grocer.

4Bahut haĩ jō murlī paṛhtē hī nahī̃ , kah dētē haĩ hamārā tō direct śhivbābā sē connection haĩ .

5There are many who don’t read the murli at all and say that they have a direct connection with Shiv Baba.

5Bābā kahtē bachchē murlī mē̃ tō naī-naī bātē̃ nikaltī haĩ isliē murlī kabhī miss nahī̃ karnā , is par bahut attention rahē .

6Baba says: Children, there are always new things in each murli, so never miss a murli. 7Let there be a lot of attention paid to this.

Murli

6Ōm śhānti .

8Om shanti.

7Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ sē rūhānī bāp pūchhtē haĩ yahā̃ tum baiṭhē hō , kiskī yād mē̃ baiṭhē hō  ?

9The spiritual Father asks you sweetest, long-lost and now-found children: In whose remembrance are you sitting here?

8 ( bāp , śhikṣhak , satgurū key|kī ) sabhī in tīnō̃ key|kī yād mē̃ baiṭhē hō  ?

10(The Father, the Teacher and the Satguru.) 11Are all of you sitting in remembrance of all three?

9Har ēk apnē sē pūchhē yah sirph yahā̃ baiṭhē yād hai yā chaltē-phirtē yād rahtī hai  ?

12Each of you should ask yourself: “Do I have remembrance only when I am sitting here, or do I also have remembrance whilst moving around?”

10Kyōṅki yah hai wonderful bāt . 11Aur kōī ātmā kō kabhī aisē nahī̃ kahā jātā .

13This is a wonderful aspect which is not told to other souls.

12Bhal yah lakṣhmī-nārāyaṇ viśhva K|kē mālik haĩ parantu unkī ātmā kō kabhī aisē nahī̃ kahē̃gē ki yah bāp bhī hai , teacher bhī hai , satgurū bhī hai .

14Although Lakshmi and Narayan are the masters of the world, you cannot say of those souls that they are the Father, the Teacher and the Satguru.

13Balki sārī duniyā mē̃ jō bhī jīv ātmāyē̃ hai , kōī bhī ātmā kō aisē nahī̃ kahē̃gē .

15In fact, you cannot say this of any human being in the whole world.

14Tum bachchē hī aisē yād kartē hō .

16It is only you children who remember Him in this way.

15Andar mē̃ ātā hai yah bābā , bābā bhī hai , teacher bhī hai , satgurū bhī hai . 16Sō bhī supreme .

17You feel internally that that Baba is your Father, your Teacher and your Satguru and that He is the Supreme.

17Tīnō̃ kō yād kartē hō yā ēk kō  ?

18Do you remember all three or only one?

18Bhal vah ēk hai parantu tīnō̃ guṇō̃ sē yād kartē hō .

19Although He is only one, you remember Him with the qualities of all three forms.

19Śhivbābā hamārā bāp bhī hai , teacher aur satgurū bhī hai .

20Shiv Baba is our Father, Teacher and Satguru as well.

20Yah extra ordinary kahā jātā hai .

21This is something extraordinary.

21Jab baiṭhē hō athavā chaltē phirtē hō tō yah yād rahnā chāhiē .

22You should remember this whilst sitting down and also whilst walking and moving around.

22Bābā pūchhtē haĩ aisē yād kartē hō ki yah hamārā bāp , teacher , satgurū bhī hai .

23Baba asks: Do you have the thought whilst remembering Him that He is your Father, Teacher and Satguru?

23Aisā kōī bhī dēhdhārī hō nahī̃ saktā .

24There can be no such bodily being.

24Dēhdhārī number one hai śhrīkr̥iṣhṇa , unkō bāp , teacher , satgurū kah nahī̃ saktē , yah bilkul wonderful bāt hai .

25Shri Krishna is the number one bodily being, but he cannot be called the Father, Teacher or Satguru. 26This is an absolutely wonderful aspect.

25Tō sach batānā chāhiē tīnō̃ rūp mē̃ yād kartē hō  ?

27So, you should say truthfully whether you remember Baba in all three forms.

26Bhōjan par baiṭhtē hō tō sirph śhivbābā kō yād kartē hō yā tīnō̃ buddhi mē̃ ātē haĩ  ?

28At the time of eating, do you only remember Shiv Baba or do all three emerge in your intellects?

27Aur tō kōī bhī ātmā kō aisē nahī̃ kah saktē .

29You cannot refer to any other soul in this way.

28Yah hai wonderful bāt .

30This is a wonderful thing.

29Vichitr mahimā hai bāp key|kī . 30Tō bāp kō yād bhī aisē karnā hai .

31The Father’s praise is unique and so you should also remember the Father in this way.

31Tō buddhi ēkdam us taraph chalī jāyēgī jō aisā wonderful hai .

32Your intellects will then be completely drawn to the One who is so wonderful.

32Bāp hī baiṭh apnā parichay dētē haĩ phir sārē chakra kā bhī knowledge dētē haĩ . 33Aisē yah yug haĩ , itnē-itnē varṣh K|kē haĩ jō phirtē rahtē haĩ .

33The Father sits here and introduces Himself and also gives you this knowledge of the whole cycle and of these different ages and how many years each one lasts and how it rotates.

34Yah gyān bhī vah rachayitā bāp hī dētē haĩ .

34Only that Father, the Creator, can give you this knowledge.

35Tō unkō yād karnē mē̃ bahut madad milēgī .

35You will receive a lot of help by remembering Him.

36Bāp , teacher , gurū vah ēk hī hai .

36He alone is the Father, Teacher and Guru.

37Itnī ūñch ātmā aur kōī hō nahī̃ saktī .

37No other soul can be as elevated as He is.

38Parantu māyā aisē bāp kī yād bhī bhulā dētī hai tō teacher aur gurū kō bhī bhūl jātē haĩ .

38However, Maya makes you forget to remember such a Father and you then forget the Teacher and the Guru too.

39Yah har ēk kō apnē-apnē dil sē lagānā chāhiē . 40Bābā hamkō aisā viśhva kā mālik banāyēṅgē .

39Each of you should feel in your heart that the Father is making you into a master of such a world.

41Bēhad K|kē bāp kā varsā jarūr bēhad kā hī hai .

40The inheritance of the unlimited Father is definitely unlimited.

42Sāth-sāth yah mahimā bhī buddhi mē̃ āyē , chaltē-phirtē tīnō̃ hī yād āyē̃ .

41His praise should also emerge in your intellects. 42As you walk and move around, all three should be remembered.

43Is ēk ātmā key|kī tīnō̃ hī service ikaṭṭhī haĩ isliē unkō supreme kahā jātā hai .

43Only that soul does all three types of service at the same time. 44This is why He is called the Supreme.

44Ab conference ādi bulātē haĩ , kahtē haĩ viśhva mē̃ śhānti kaisē hō  ?

45People arrange conferences etc. to find a means of establishing peace in the world.

45Vah tō ab hō rahī hai , ākar samjhō .

46Tell them that this is happening now and so they should come here to understand how.

46Kaun kar rahē haĩ  ?

47Who is doing this?

47Tumkō bāp kā occupation siddh kar batānā hai .

48You have to prove the Father’s occupation to people.

48Bāp K|kē occupation aur śhrīkr̥iṣhṇa K|kē occupation mē̃ bahut fark hai .

49There is a vast difference between the Father's occupation and Shri Krishna's occupation.

49Aur tō sabkā nām śharīr kā hī liyā jātā hai . 50Unkī ātmā kā nām gāyā jātā hai .

50All others are called by their bodily names, whereas the name of that one soul is praised.

51Vah ātmā bāp bhī hai , teacher , gurū bhī hai .

51That soul is the Father, the Teacher and the Guru.

52Ātmā mē̃ knowledge hai parantu vah dē kaisē  ?

52There is knowledge in that soul, but how can He give it?

53Śharīr dvārā hī dēgē nā .

53He can only give this knowledge through a body.

54Jab dētē haĩ tab tō mahimā gāī jātī hai .

54It is when He gives this knowledge that He is praised.

55Ab śhiv jayantī par bachchē conference kartē haĩ .

55You children hold conferences on Shiv Jayanti.

56Sab dharm K|kē nētāō̃ kō bulātē haĩ .

56You invite the leaders of all the different religions to come.

57Tumkō samjhānā hai īśhvar sarvavyāpī tō hai nahī̃ .

57You have to explain that God is not omnipresent.

58Agar sabmē̃ īśhvar hai tō kyā har ēk ātmā bhagvān bāp bhī hai , teacher bhī hai , gurū bhī hai  !

58If God is in everyone, then is every soul God, the Father, the Teacher and the Guru?

59Batāō sr̥iṣhṭi K|kē ādi , madhya , ant kā knowledge hai  ?

59Tell me: Do you have the knowledge of the beginning, middle and end of the world cycle?

60Yah tō kōī bhī sunā na sakē .

60No one can tell you this.

61Tum bachchō̃ K|kē andar mē̃ ānā chāhiē ūñch tē ūñch bāp key|kī kitnī mahimā hai .

61There is such great praise of the highest-on-high Father and it should emerge inside you children.

62Vah sārē viśhva kō pāvan banānē vālā hai .

62He is the One who purifies the whole world.

63Prakr̥iti bhī pāvan ban jātī hai .

63Matter too becomes pure.

64Conference mē̃ pahlē-pahlē tō tum yah pūchhē̃gē ki gītā kā bhagvān kaun hai  ?

64At the time of a conference, you should first ask: Who is the God of the Gita?

65Satyugī dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā karnē vālā kaun  ?

65Who established the golden-aged deity religion?

66Agar śhrīkr̥iṣhṇa kē liē kahē̃gē tō bāp kō gum kar dēgē yā tō phir kah dētē vah nām-rūp sē nyārā hai . 67Jaisēki hai hī nahī̃ .

66If they say that it was Shri Krishna, the Father’s name disappears. 67Or, if they say that He is beyond name and form, it is as though He does not exist.

68Tō bāp bigar orphans ṭhaharē nā .

68Therefore, without the Father, it means that they are orphans.

69Bēhad K|kē bāp kō hī nahī̃ jāntē .

69They just do not know the unlimited Father.

70Ēk dō par kām kaṭārī chalākar kitnā taṅg kartē haĩ . 71Ēk-dō kō duḥkh dētē haĩ .

70They use the sword of lust and cause so much distress and sorrow for one another.

72Tō yah sab bātē̃ tumhārī buddhi mē̃ chalnī chāhiē .

71Therefore, your intellects should churn all of these things.

73Contrast karnā hai - yah lakṣhmī-nārāyaṇ bhagvān-bhagvatī haĩ nā , inhō̃ key|kī bhī vaṅśhāvalī hai nā . 74Tō jarūr sab aisē god-goddess hōnē chāhiē .

72You have to show them the contrast: Lakshmi and Narayan are a goddess and god. 73Because theirs is a dynasty, they must all be gods and goddesses.

75Tō tum sab dharm vālō̃ kō bulātē hō .

74So, you should invite people from all religions to come.

76Jō achchhī rīti paṛhē-likhē haĩ , bāp kā parichay dē saktē haĩ , unkō hī bulānā hai .

75You must only invite those who are well educated and who can clearly give the Father’s introduction.

77Tum likh saktē hō jō ākar rachayitā aur rachnā K|kē ādi , madhya , ant kā parichay dēvē unkē liē ham ānē-jānē , rahnē ādi kā sab prabandh karē̃gē - agar rachtā aur rachnā kā parichay diyā tō .

76You can write to them and say that we will make arrangements for the travel and accommodation of those who are able to give the introduction of the Creator and the beginning, middle and end of creation.

78Yah tō jāntē haĩ kōī bhī yah gyān dē nahī̃ saktē .

77You know that no one else can give this knowledge.

79Bhal kōī vilāyat sē āvē , rachayitā aur rachnā K|kē ādi , madhya , ant kā parichay diyā tō ham kharchā dē dēgē .

78Even if someone comes from abroad and can give the introduction of the Creator and the beginning, middle and end of creation, we would pay all his expenses.

80Aisī advertise aur kōī kar na sakē .

79No one else can advertise in this way.

81Tum tō bahādur hō nā . 82Mahāvīr-mahāvīrniyā̃ hō .

80You are courageous; you are mahavirs.

83Tum jāntē hō inhō̃ nē ( lakṣhmī-nārāyaṇ ) viśhva kī bādśhāhī kaisē lī  ?

81Do you know how they (Lakshmi and Narayan) claimed the kingdom of the world?

84Kaun-sī bahādurī key|kī  ?

82What kind of courage did they have?

85Buddhi mē̃ yah sab bātē̃ ānī chāhiē .

83All of these things should enter your intellects.

86Kitnā tum ūñch kārya kar rahē hō .

84You are carrying out such an elevated task.

87Sārē viśhva kō pāvan banā rahē hō .

85You are purifying the whole world.

88Tō bāp kō yād karnā hai , varsā bhī yād karnā hai .

86Therefore, you have to remember the Father and the inheritance.

89Sirph yah nahī̃ ki śhivbābā yād hai . 90Parantu unkī mahimā bhī batānī hai .

87You should not just remember Shiv Baba, but you must also speak of His praise.

91Yah mahimā hai hī nirākār key|kī . 92Parantu nirākār apnā parichay kaisē dē  ?

88This praise only belongs to the Incorporeal, but how can the Incorporeal give His introduction?

93Jarūr rachnā K|kē ādi , madhya , ant kā knowledge dēnē liē mukh chāhiē nā .

89He definitely needs a mouth in order to give the knowledge of the beginning, middle and end of creation.

94Mukh key|kī kitnī mahimā hai .

90This mouth is praised a great deal.

95Manuṣhya gaūmukh par jātē haĩ , kitnā dhakkā khātē haĩ .

91People stumble around so much to go to a Gaumukh (cow’s mouth).

96Kyā-kyā bātē̃ banā dī haĩ .

92They have created all sorts of stories.

97Tīr mārā gaṅgā nikal āī .

93They say that an arrow was shot and the Ganges emerged.

98Gaṅgā kō samajhtē haĩ patit-pāvnī .

94They think that the Ganges is the Purifier.

99Ab pānī kaisē patit sē pāvan banā saktā .

95How can anyone be purified by water?

100Patit-pāvan tō bāp hī hai .

96Only the Father is the Purifier.

101Tō bāp tum bachchō̃ kō kitnā sikhlātē rahtē haĩ .

97The Father continues to teach you children so much.

102Bāp tō kahtē haĩ aisē aisē karō .

98The Father tells you what to do.

103Kaun ākar bāp rachayitā aur rachnā kā parichay dēgē .

99So, who is going to come and give the introduction of the Father, the Creator and creation?

104Sādhū-sannyāsī ādi yah bhī jāntē haĩ ki r̥iṣhi-muni ādi sab kahtē thē - nētī-nētī , ham nahī̃ jāntē haĩ , gōyā nāstik thē .

100Sages and holy men know that even the rishis and munis used to say: Neti, neti (Neither this nor that), we do not know anything. 101That means that they were atheists.

105Ab dēkhō kōī āstik nikaltā hai  ?

102Now, see if there is anyone who is a theist.

106Abhī tum bachchē nāstik sē āstik ban rahē hō .

103You children are now becoming theists from atheists.

107Tum bēhad K|kē bāp kō jāntē hō jō tumkō itnā ūñch banātē haĩ .

104You know the unlimited Father, the One who makes you so elevated.

108Pukārtē bhī haĩ - ō god father , liberate karō .

105People call out: O God, the Father, liberate us!

109Bāp samjhātē haĩ , is samay rāvaṇ kā sārē viśhva par rājya hai .

106The Father explains: At this time, it is the kingdom of Ravan over the whole world.

110Sab bhraṣhṭāchārī haĩ phir śhrēṣhṭhāchārī bhī hōṅgē nā .

107All are corrupt but they will become elevated again.

111Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai - pahlē-pahlē pavitra duniyā thī .

108It is in the intellects of you children that the world was pure in the beginning.

112Bāp apavitr duniyā thōṛēhī banāyēṅgē .

109The Father does not create an impure world.

113Bāp tō ākar pāvan duniyā sthāpan kartē haĩ , jiskō śhivālay kahā jātā hai .

110He comes and creates a pure world which is called the Temple of Shiva.

114Śhivbābā śhivālay banāyēṅgē nā .

111Shiv Baba creates Shivalaya (the Temple of Shiva).

115Vah kaisē banātē haĩ sō bhī tum jāntē hō .

112You know how He does this.

116Mahāpralay , jalmaī ādi tō hōtī nahī̃ .

113Neither does total annihilation take place nor does a total flood take place.

117Śhāstrō̃ mē̃ tō kyā-kyā likhā hai . 118Bākī 5 pāṇḍav bachē jō himālay pahāṛ par gal gayē , phir result kā kōī kō patā nahī̃ .

114They have written all sorts of things in the scriptures, such as: Only the five Pandavas were left and they then melted away on the Himalayan mountains. 115However, no one knows what happened after that.

119Yah sab bātē̃ bāp baiṭh samjhātē haĩ .

116The Father sits here and explains all of these things.

120Yah bhī tum hī jāntē hō - vah bāp , bāp bhī hai , teacher bhī hai , satgurū bhī hai .

117Only you know that the Father is the Father, the Teacher and the Satguru.

121Vahā̃ tō yah mandir hōtē nahī̃ .

118These temples do not exist there.

122Yah dēvtāyē̃ hōkar gayē haĩ , jinkē yādgār mandir yahā̃ haĩ .

119The deities used to exist; their memorial temples exist here.

123Yah sab drama mē̃ nūndh hai .

120All of this is fixed in the drama.

124Second by second naī bāt hōtī rahtī hai , chakra phirtā rahtā hai .

121Second by second, something new takes place as the cycle continues to turn.

125Ab bāp bachchō̃ kō direction tō bahut achchhē dētē haĩ .

122The Father gives very good directions to you children.

126Bahut dēh-abhimānī bachchē haĩ jō samajhtē haĩ ham tō sab kuchh jān gayē haĩ .

123Some children who are very body conscious think that they know everything.

127Murlī bhī nahī̃ paṛhtē haĩ . 128Kadar hī nahī̃ hai .

124They do not even read the murlis; they don’t value them at all.

129Bābā tākīd kartē haĩ , kōī-kōī samay murlī bahut achchhī chaltī hai .

125Baba urges you: Sometimes, a murli is very good.

130Miss nahī̃ karnā chāhiē .

126Therefore, you should not miss it.

13110-15 din key|kī murlī jō miss hōtī hai vah baiṭh paṛhnī chāhiē .

127If you have missed the murli for ten or fifteen days, you should sit and read them.

132Yah bhī bāp kahtē haĩ aisī-aisī challenge dō - yah rachtā aur rachnā K|kē ādi , madhya , ant kā knowledge kōī ākar dē tō ham unkō kharchā ādi sab dēgē .

128The Father says: Challenge them and say that if anyone comes and gives the knowledge of the Creator and the beginning, middle and end of creation, we will pay all his expenses.

133Aisī challenge tō jō jāntē haĩ vah dēgē nā .

129Only those who know about this will be able to issue this challenge in this way.

134Teacher khud jāntā hai tab tō pūchhtē haĩ nā .

130Only when a teacher knows the answer can he ask a question.

135Bigar jānē pūchhē̃gē kaisē .

131How could a teacher ask a question without knowing the answer?

136Kōī-kōī bachchē murlī key|kī bhī don't care kartē haĩ .

132Some children have a "don't care" attitude about the murli.

137Bas hamārā tō śhivbābā sē hī connection hai .

133They say: We just have a connection with Shiv Baba.

138Parantu śhivbābā jō sunātē haĩ vah bhī sunnā hai nā ki sirph unkō yād karnā hai .

134However, you also have to listen to the things that Shiv Baba says, not just remember Him.

139Bāp kaisē achchhī-achchhī mīṭhī-mīṭhī bātē̃ sunātē haĩ . 140Parantu māyā bilkul hī magrūr kar dētī hai .

135Baba tells you such good, sweet things, but Maya makes you completely arrogant.

141Kahāvat hai nā - chūhē kō haldī key|kī gāṇṭh milī , samjhā mai pansārī hū̃ . . . . . . . .

136There is a saying that a mouse found a piece of turmeric and thought he had become a grocer.

142Bahut haĩ jō murlī paṛhtē hī nahī̃ .

137There are many who do not read the murli at all.

143Murlī mē̃ tō naī-naī bātē̃ nikaltī haĩ nā .

138New points keep coming up in the murlis.

144Tō yah sab bātē̃ samajhnē kī haĩ .

139Therefore, you have to understand all of these things.

145Jab bāp kī yād mē̃ baiṭhtē hō tō yah bhī yād karnā hai ki vah bāp teacher bhī hai aur satgurū bhī hai .

140When you are sitting in remembrance of the Father, you also have to remember that this Father is the Father, the Teacher and the Satguru.

146Nahī̃ tō paṛhē̃gē kahā̃ sē .

141Otherwise, how would you study?

147Bāp nē tō bachchō̃ kō sab samjhā diyā hai .

142The Father has explained everything to you children.

148Bachchē hī bāp kā show karē̃gē .

143It is you children who will reveal the Father.

149Son shows father . 150Son|san kā phir father show kartē haĩ .

144Son shows Father and Father shows son.

151Ātmā kā show kartē haĩ .

145It is souls who are shown.

152Phir bachchō̃ kā kām hai bāp kā show karnā .

146Then, it is the children's task to show (reveal) the Father.

153Bāp bhī bachchō̃ kō chhōṛtē nahī̃ haĩ , kahē̃gē āj phalānī jagah jāō , āj yahā̃ jāō .

147The Father will not then let go of you. 148He will say: Today, go to this place and tomorrow, go somewhere else.

154Inkō thōṛēhī kōī order karnē vālē hōṅgē .

149There is no one who can order that One.

155Tō yah nimantraṇ ādi akhbārō̃ mē̃ paṛē̃gē .

150People will read this invitation in the newspapers.

156Is samay sārī duniyā hai nāstik .

151At this time, all the people in the world are atheists.

157Bāp hī ākar āstik banātē haĩ .

152The Father alone comes and makes you into theists.

158Is samay sārī duniyā hai worth not A penny .

153At this time, the whole world is worth not a penny.

159America kē pās bhal kitnā bhī dhan daulat hai parantu worth not A penny hai . 160Yah tō sab khatm hō jānā hai nā .

154No matter how much wealth and property America has, it is not worth a penny; all of that is going to finish.

161Sārī duniyā mē̃ tum worth pound ban rahē hō .

155Out of the whole world, only you become worth a pound.

162Vahā̃ kōī kaṅgāl hōgā nahī̃ .

156There, no one will be poverty-stricken.

163Tum bachchō̃ kō sadaiv gyān kā simraṇ kar harṣhit rahnā chāhiē .

157You children should constantly churn this knowledge and remain cheerful.

164Uskē liē hī gāyan hai - atīndriya sukh gōp-gōpiyō̃ sē pūchhō .

158It has been remembered: If you want to know about supersensuous joy, ask the gopes and gopis.

165Yah saṅgam key|kī hī bātē̃ haĩ .

159These things only apply at the confluence age.

166Saṅgamyug kō kōī bhī jāntē nahī̃ .

160No one else knows about the confluence age.

167Vihaṅg mārga key|kī service karnē sē śhāyad mahimā nikalē .

161By serving at a fast speed, praise of the confluence age may emerge.

168Gāyan bhī hai ahō prabhū tērī līlā .

162It has been said: O God, Your play is wonderful!

169Yah kōī bhī nahī̃ jāntē thē ki bhagvān bāp , teacher , satgurū bhī hai .

163No one knows that God is the Father, the Teacher and the Satguru.

170Ab father tō bachchō̃ kō sikhlātē rahtē haĩ .

164The Father continues to teach you children.

171Bachchō̃ kō yah naśhā sthāī rahnā chāhiē .

165This intoxication should remain permanently in you children.

172Ant tak naśhā rahnā chāhiē .

166You should have this intoxication until the very end.

173Abhī tō naśhā jhaṭ sodawater hō jātā hai . 174Soda bhī aisē hōtā hai nā .

167The intoxication now very quickly becomes like soda water: soda goes flat.

175Thōṛā time rakhnē sē jaisē khārāpānī hō jātā hai .

168If you keep it for a while, it just becomes salty water.

176Aisā tō nahī̃ hōnā chāhiē .

169This should not happen.

177Kiskō aisā samjhāō jō vah bhī wonder khāyē .

170You should explain to people in such a way that they begin to wonder.

178Achchhā-achchhā kahtē bhī haĩ parantu vah phir time nikāl samajhē̃ , jīvan banāvē̃ vah baṛā muśhkil hai .

171They say that it is good, but it is very difficult for them to make time to understand and make their lives like this.

179Bābā kōī manā nahī̃ kartē haĩ ki dhandhā ādi nahī̃ karō .

172Baba does not forbid you to do business etc.

180Pavitra banō aur jō paṛhātā hū̃ vah yād karō .

173Just become pure and remember everything that Baba teaches you.

181Yah tō teacher hai nā . 182Aur yah hai un-common paṛhāī .

174That One is your Teacher and this is an uncommon study.

183Kōī manuṣhya nahī̃ paṛhā saktē .

175No human being can teach you this knowledge.

184Bāp hī bhāgyaśhālī rath par ākar paṛhātē haĩ .

176The Father enters this lucky chariot and teaches you.

185Bāp nē samjhāyā hai - yah tumhārā takht hai jis par akāl mūrt ātmā ākar baiṭhtī hai .

177The Father explained to me: This is your throne on which the soul, the immortal image, comes and sits.

186Unkō yah sārā part milā huā hai .

178You have been given that entire part.

187Abhī tum samajhtē hō yah tō real bāt hai .

179You now understand that this is something real.

188Bākī yah sab haĩ artificial bātē̃ .

180All other things are artificial.

189Yah achchhī rīti dhāraṇ kar gāṇṭh bāndh lō . 190Tō hāth lagnē sē yād āyēgā .

181You must imbibe this very well and tie a knot, so that every time you touch it, you will remember.

191Parantu gāṇṭh kyō̃ bā̃dhī hai , vah bhī bhūl jātē haĩ .

182However, you sometimes forget why that knot has been tied.

192Tumkō tō yah pakkā yād karnā hai .

183You have to remember this very firmly.

193Bāp kī yād kē sāth knowledge bhī chāhiē .

184Along with remembrance of the Father, knowledge is also needed.

194Mukti bhī hai tō jīvanmukti bhī hai .

185There is liberation, as well as liberation-in-life.

195Bahut mīṭhē-mīṭhē bachchē banō .

186Become very sweet, children.

196Bābā andar mē̃ samajhtē haĩ kalp-kalp yah bachchē paṛhtē rahtē haĩ . 197Number-vār purūṣhārth anusār hī varsā lē̃gē . 198Phir bhī paṛhānē kā teacher purūṣhārth tō karāyēṅgē nā .

187Although Baba understands that you children study every cycle and claim your inheritance, numberwise, according to the efforts you make, the Teacher who teaches you still inspires you to make effort.

199Tum ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē hō isliē yād karāyā jātā hai . 200Śhivbābā kō yād karō .

188You repeatedly forget, which is why you are reminded to remember Shiv Baba.

201Vah bāp , teacher , satgurū bhī hai .

189He is your Father, Teacher and Satguru.

202Chhōṭē bachchē aisē yād nahī̃ karē̃gē .

190Small children would not have remembrance in this way.

203Śhrīkr̥iṣhṇa kē liē thōṛēhī kahē̃gē vah bāp , teacher , satgurū hai .

191You cannot say of Shri Krishna that he is the Father, the Teacher and the Satguru.

204Satyug kā prince śhrīkr̥iṣhṇa vah phir gurū kaisē banēgā .

192How could the prince of the golden age, Shri Krishna, be a guru?

205Gurū chāhiē durgati mē̃ .

193You need a guru at a time of degradation.

206Gāyan bhī hai - bāp ākar sabkī sadgati kartē haĩ .

194It has been remembered that the Father comes and grants everyone salvation.

207Śhrīkr̥iṣhṇa kō tō sāṅvarā aisā banā dētē jaisē kālā kōylā .

195They make Shri Krishna as dark as coal.

208Bāp kahtē haĩ is samay sab kām chitā par chaṛh kālē kōylē ban paṛē haĩ tab sāṅvarā kahā jātā hai .

196The Father says: By sitting on the pyre of lust, everyone at this time has become like coal. 197That is why he is called ugly.

209Kitnī guhya bātē̃ samajhnē kī haĩ .

198These are such deep matters to understand.

210Gītā tō sab paṛhtē haĩ .

199Everyone studies the Gita.

211Bhāratvāsī hī haĩ jō sabhī śhāstrō̃ kō māntē haĩ .

200It is only the people of Bharat who believe in all the scriptures.

212Sabkē chitra rakhtē rahē̃gē .

201They keep everyone's image.

213Tō unkō kyā kahē̃gē  ?

202So, then, what can you say about that?

214Vyabhichārī bhakti ṭhaharī nā .

203It means that their devotion is adulterated.

215Avyabhichārī bhakti ēk hī śhiv kī hai .

204Unadulterated devotion is of only the one Shiva.

216Gyān bhī ēk hī śhivbābā sē miltā hai .

205Only from Shiv Baba do you receive this knowledge.

217Yah gyān hī different hai , iskō kahā jātā hai spiritual knowledge .

206This knowledge is different. 207This is called spiritual knowledge.

218Achchhā  !

208Achcha.

219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

209To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

210The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

221Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

211Essence for dharna:

2221 ) vināśhī naśhē kō chhōṛ alaukik naśhā rahē ki ham abhī worth not penny sē worth pound ban rahē hai .

212 1. Renounce any intoxication of perishable things and keep your spiritual intoxication of now changing from being worth not a penny to being worth a pound.

223Svayã bhagvān hamē̃ paṛhātē haĩ , hamārī paṛhāī uncommon hai .

213God, Himself, is teaching you and your study is uncommon.

2242 ) āstik ban bāp kā show karnē vālī service karnī hai .

214 2. Become theists and serve to reveal the Father.

225Kabhī bhī magrūr ban murlī miss nahī̃ karnī hai .

215You must not become arrogant and miss any murli.

Blessing

226Vardān  : pavitratā K|kē foundation dvārā sadā śhrēṣhṭh karma karnē vālī pūjya ātmā bhav

216Blessing: May you become a worthy-of-worship soul who constantly performs elevated actions by having the foundation of purity.

227Pavitratā pūjya banātī hai .

217 Purity makes you worth of worship.

228Pūjya vahī bantē haĩ jō sadā śhrēṣhṭh karma kartē haĩ .

218Those who constantly perform elevated actions become worth of worship.

229Lēkin pavitratā sirph brahmcharya nahī̃ . 230Mansā saṅkalp mē̃ bhī kisī kē prati negative saṅkalp utpanna na hō . 231Bōl bhī ayathārtha na hō . 232Sambandh-sampark mē̃ bhī fark na hō , sabkē sāth achchhā ēk jaisā sambandh hō .

219However, purity is not just celibacy; let there not be any negative thoughts for anyone in your mind; let there not be any inappropriate words; let there not be any difference in your relationships and connection; let there be the same good relationship with everyone.

233Mansā-vāchā-karmaṇā kisī mē̃ bhī pavitratā khaṇḍit na hō tab kahē̃gē pūjya ātmā .

220When there is no impurity in your thoughts, words or actions, you would then be said to be a soul who is worthy of worship.

234Maĩ param pūjya ātmā hū̃ - is smr̥iti sē pavitratā kā foundation majbūt banāō .

221“I am a supremely worthy of worship soul.” 222By having this awareness you can make you foundation of purity strong.

Slogan

235Slōgan  : sadā isī alaukik naśhē mē̃ rahō «  vāh rē maĩ ' ' tō man aur tan sē natural khuśhī key|kī dance kartē rahē̃gē .

223Slogan: Constantly have this spiritual intoxication, “Wah re mai (The wonder of myself)”, and you will naturally continue to dance in happiness in your mind and with your body.

224*** Om Shanti ***