गुरुवार 21 नवंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

021-11-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 21/11/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhē̃ ab teacher ban sabkō man vaśhīkaraṇ mantra sunānā hai , yah tum sab bachchō̃ key|kī duty hai ' '

1Essence: Sweet children, you now have to become teachers and give everyone the mantra that disciplines the mind. 2This is the duty of all you children.

Question

2Praśhna  : bābā kin bachchō̃ kā kuchh bhī svīkār nahī̃ kartē haĩ  ?

3Question: From which children does Baba not accept anything?

Answer

3Uttar  : jinhē̃ ahaṅkār hai maĩ itnā dētā hū̃ , maĩ itnī madad kar saktā hū̃ , bābā unkā kuchh bhī svīkār nahī̃ kartē .

4Answer: Baba does not accept anything from those who are arrogant about how much they give or how much they can help.

4Bābā kahtē mērē hāth mē̃ chābī hai .

5Baba says: I have the key in My hand.

5Chāhē tō maĩ kisī kō garīb banāū̃ , chāhē kiskō sāhūkār banāū̃ .

6If I wish, I can make anyone poor and I can make anyone wealthy.

6Yah bhī drama mē̃ rāz hai .

7This too is a secret in the drama.

7Jinhē̃ āj apnī sāhūkārī kā ghamaṇḍ hai vah kal garīb ban jātē aur garīb bachchē bāp K|kē kārya mē̃ apnī pāī-pāī saphal kar sāhūkār ban jātē haĩ .

8Those who are arrogant about their wealth will tomorrow become poor, whereas poor people who use every penny they have in a worthwhile way to help in the Father's task will become wealthy.

Murli

8Ōm śhānti .

9Om shanti.

9Yah tō rūhānī bachchē jāntē haĩ ki bāp āyē haĩ hamkō naī duniyā kā varsā dēnē .

10You spiritual children know that the Father has come to give us our inheritance of the new world.

10Yah tō bachchō̃ kō pakkā hai nā ki jitnā ham bāp kō yād karē̃gē utnā pavitra banē̃gē . 11Jitnā ham achchhā teacher banē̃gē utnā ūñch pad pāyēṅgē .

11You children do have the firm understanding that you will become pure to the extent that you remember the Father; to the extent that you become a good teacher, so you will claim a high status.

12Bāp tumhē̃ teacher K|kē rūp mē̃ paṛhānā sikhātē haĩ .

12The Father, as the Teacher, teaches you how to teach.

13Tumkō phir aurō̃ kō sikhānā hai .

13You then have to teach others.

14Tum paṛhānē vālē teacher jarūr bantē hō bākī tum kōī kā gurū nahī̃ ban saktē hō , sirph teacher ban saktē hō .

14You definitely become teachers who teach others, but you cannot become anyone's guru; you can only become teachers.

15Gurū tō ēk satgurū hī hai vah sikhlātē haĩ .

15The Guru is only the one Satguru who teaches you.

16Sarv kā satgurū ēk hī hai .

16The Satguru of everyone is One.

17Vah teacher banātē haĩ .

17He makes you into teachers.

18Tum sabkō teach karkē rāstā batātē rahtē hō manmanābhav kā .

18You teach everyone and show them the path of “Manmanabhav”.

19Bāp nē tumhārē par yah duty rakhī hai ki mujhē yād karō aur phir teacher bhī banō .

19The Father has given you the duty to remember Him and also to become teachers.

20Tum kōī kō bāp kā parichay dētē hō tō unkā bhī farj hai bāp kō yād karnā .

20It is also the duty of those to whom you give the Father's introduction to remember the Father.

21Teacher rūp mē̃ sr̥iṣhṭi chakra key|kī knowledge dēnī paṛtī hai .

21As the Teacher, He has to give you the knowledge of the world cycle.

22Bāp kō jarūr yād karnā paṛē .

22You definitely have to remember the Father.

23Bāp kī yād sē hī pāp miṭ jānē haĩ .

23It is by having remembrance of the Father that your sins will be erased.

24Bachchē jāntē haĩ ham pāp ātmā haĩ , isliē bāp sabkō kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō tō tumhārē pāp miṭ jāyēṅgē .

24You children know that you are sinful souls. 25This is why the Father tells everyone: Consider yourself to be a soul and remember the Father and your sins will be erased.

25Bāp hī patit-pāvan hai .

26The Father alone is the Purifier.

26Yukti batātē haĩ - mīṭhē bachchē , tumhārī ātmā patit banī hai , jis kāraṇ śharīr bhī patit banā hai .

27He gives you the method. 28Sweet children, you souls have become impure and, due to this, your bodies have also become impure.

27Pahlē tum pavitra thē , abhī tum apavitr banē hō .

29At first, you were pure and you have now become impure.

28Ab patit sē pāvan hōnē key|kī yukti tō bahut sahaj samjhātē haĩ .

30Baba now tells you a very easy way to make yourself pure from impure.

29Bāp kō yād karō tō tum pavitra ban jāyēṅgē .

31He says: Remember the Father and you will become pure.

30Uṭhtē , baiṭhtē , chaltē bāp kō yād karō .

32Whilst walking, sitting and moving around, remember the Father.

31Vō lōg gaṅgā snān kartē haĩ tō gaṅgā kō yād kartē haĩ .

33Those people go to bathe in the Ganges; they remember the Ganges.

32Samajhtē haĩ vah patit-pāvnī hai . 33Gaṅgā kō yād karnē sē pāvan ban jānā hai .

34They think that that is the Purifier and that, by remembering it, they will become pure.

34Parantu bāp kahtē haĩ kōī bhī pāvan ban nahī̃ saktē haĩ .

35However, the Father says: No one can become pure by doing that.

35Pānī sē kaisē pāvan banē̃gē .

36How can anyone become pure with water?

36Bāp kahtē haĩ maĩ patit-pāvan hū̃ .

37The Father says: I am the Purifier.

37Hē bachchō̃ , dēh sahit dēh K|kē sab dharm chhōṛ mujhē yād karnē sē tum pāvan ban phir sē apnē ghar mukti-dhām pahũch jāyēṅgē .

38O children, renounce your bodies and all bodily religions, remember Me and become pure and you will then once again reach your home, the land of liberation.

38Sārā kalp ghar kō bhūlē hō .

39You forgot your home for the whole cycle.

39Bāp kō sārā kalp kōī jāntā hī nahī̃ hai .

40Throughout the whole cycle, no one knows the Father.

40Ēk hī bār bāp khud ākar apnā parichay dētē haĩ - is mukh dvārā .

41The Father Himself only comes once and gives His introduction through this mouth.

41Is mukh key|kī kitnī mahimā hai .

42There is so much praise of this mouth.

42Gaūmukh kahtē haĩ nā .

43People speak of a gaumukh (cow’s mouth).

43Vah gaū tō jānvar hai , yah hai manuṣhya key|kī bāt .

44That cow is an animal, but this refers to a human being.

44Tum jāntē hō yah baṛī mātā hai . 45Jis mātā dvārā śhivbābā tum sabkō adopt kartē haĩ .

45You know that this one is the senior mother through whom Shiv Baba adopts all of you.

46Tum abhī bābā-bābā kahnē lagē hō .

46You have now started to say: Baba, Baba.

47Bāp bhī kahtē haĩ is yād kī yātrā sē hī tumhārē pāp kaṭnē haĩ .

47The Father also says: Your sins will be cut away through this pilgrimage of remembrance.

48Bachchē kō bāp yād paṛ jātā hai nā .

48Children remember their father.

49Uskī śhakla ādi dil mē̃ baiṭh jātī hai .

49They all have the faces of their fathers imprinted on their hearts.

50Tum bachchē jāntē hō jaisē ham ātmā haĩ vaisē vah param ātmā hai .

50You children know that, just as you are souls, so too, He is the Supreme Soul.

51Śhakla mē̃ aur kōī fark nahī̃ hai .

51There is no difference between His image and yours.

52Śharīr K|kē sambandh mē̃ tō features ādi alag haĩ , bākī ātmā tō ēk jaisī hī hai .

52The features etc. of all the bodies are different, but all the souls are alike.

53Jaisē hamārī ātmā vaisē bāp bhī param ātmā hai .

53As are you souls, so is the Father, the Supreme Soul.

54Tum bachchē jāntē hō - bāp paramdhām mē̃ rahtē haĩ , ham bhī paramdhām mē̃ rahtē haĩ .

54You children know that the Father resides in the supreme abode. 55We souls also reside in the supreme abode.

55Bāp key|kī ātmā aur hamārī ātmā mē̃ aur kōī fark hai nahī̃ .

56There is no other difference between the Father’s soul and we souls.

56Vah bhī bindī hai , ham bhī bindī haĩ .

57He is a point and we too are points.

57Yah gyān aur kōī kō hai nahī̃ .

58No one else has this knowledge.

58Tumkō hī bāp nē batāyā hai .

59You are the only ones whom the Father tells.

59Bāp kē liē bhī kyā-kyā kah dētē haĩ . 60Sarvavyāpī hai , patthar ṭhikkar mē̃ hai , jiskō jō ātā hai vah kah dētē haĩ .

60Others say so many things about the Father, that He is omnipresent, that He is in the pebbles and stones etc. 61They all say whatever enters their minds.

61Drama plan anusār bhakti mārg mē̃ bāp K|kē nām , rūp , dēśh , kāl kō bhūl jātē haĩ .

62According to the drama plan, on the path of devotion, they forget the name, form, land and time of the Father.

62Tum bhī bhūl jātē hō .

63You also forget these things.

63Ātmā apnē bāp kō bhūl jātī hai .

64Souls forget their Father.

64Bachchā bāp kō bhūl jātā hai tō bākī kyā jānē̃gē .

65Children forget the Father and so what can they know?

65Gōyā nidhankē hō gayē .

66This means that they have become orphans.

66Dhanī kō yād hī nahī̃ kartē haĩ .

67They don’t even remember the Lord and Master.

67Dhanī K|kē part kō hī nahī̃ jāntē haĩ .

68They don’t even know the part of the Lord and Master.

68Apnē kō bhī bhūl jātē haĩ .

69They even forget themselves.

69Tum achchhī rīti jāntē hō - barōbar ham bhūl gayē thē .

70You now know very well that you truly did forget everything.

70Ham pahlē aisē dēvī-dēvtā thē , ab jānvar sē bhī badtar hō gayē haĩ .

71Previously, we were such deities and we then became even worse than animals.

71Mukhya tō ham apnī ātmā kō bhī bhūlē huē haĩ .

72The main thing is that we even forgot ourselves as being souls.

72Ab realise kaun karāvē .

73Now, who could make us realise this?

73Kōī bhī jīv ātmā kō yah patā nahī̃ hōgā ki ham ātmā kyā haĩ , kaisē sārā part bajātē haĩ  ?

74No human soul knows what he, that soul, is or how he plays his whole part.

74Ham sab bhāī haĩ - yah gyān aur kōī mē̃ nahī̃ hai .

75We are all brothers. 76No one else has this knowledge.

75Is samay sārī sr̥iṣhṭi hī tamōpradhān ban chukī hai .

77At this time, the whole world has become tamopradhan.

76Gyān nahī̃ hai .

78They do not have any of this knowledge.

77Tumhārē mē̃ ab gyān hai , buddhi mē̃ āyā ham ātmā itnā samay apnē bāp key|kī glāni kartē āyē haĩ .

79You souls now have this knowledge and your intellects understand that you had been defaming your Father for so long.

78Glāni karnē sē bāp sē dūr hōtē jātē haĩ . 79Sīṛhī nīchē utartē gayē haĩ drama plan anusār .

80By defaming the Father, you continued to distance yourself from Him and continued to come down the ladder.

80Mūl bāt hō jātī hai bāp kō yād karnē key|kī .

81According to the drama plan, the main thing is to remember the Father.

81Bāp aur kōī taklīph nahī̃ dētē haĩ .

82The Father does not give you any other difficulty.

82Bachchō̃ kō sirph bāp kō yād karnē key|kī taklīph hai .

83You children simply have the difficulty of remembering the Father.

83Bāp kabhī bachchō̃ kō kōī tak-līph dē saktē haĩ kyā  !

84Could the Father ever give any difficulty to His children?

84Law nahī̃ kahtā .

85That would not be the law.

85Bāp kahtē haĩ maĩ kōī bhī taklīph nahī̃ dētā hū̃ .

86The Father says: I do not give you any difficulty.

86Kuchh bhī praśhna ādi pūchhtē haĩ , kahtā hū̃ in bātō̃ mē̃ time west|waste kyō̃ kartē hō  ?

87When they ask questions, I tell them: Why do you waste your time on those matters?

87Bāp kō yād karō .

88Remember the Father!

88Maĩ āyā hī hū̃ tumkō lē jānē , isliē tum bachchō̃ kō yād kī yātrā sē pāvan bannā hai .

89I have only come to take you back home. 90This is why you children have to stay on the pilgrimage of remembrance and become pure; that’s all.

89Bas maĩ hī patit-pāvan bāp hū̃ .

91I alone am the Purifier Father.

90Bāp yukti batātē haĩ - kahā̃ bhī jāō bāp kō yād karnā hai .

92The Father shows you this method: Wherever you go, remember the Father.

9184 K|kē chakra kā rāz bhī bāp nē samjhā diyā hai .

93The Father has also explained the secrets of 84 births to you.

92Ab apnī jāñch karnī hai - kahā̃ tak ham bāp kō yād kartē haĩ .

94You now have to check yourself to see to what extent you remember the Father, that's all.

93Bas aur kōī taraph kā vichār nahī̃ karnā hai .

95You must not think of anything else.

94Yah tō most easy hai . 95Bāp kō yād karnā hai .

96To remember the Father is most easy.

96Bachchā thōṛā baṛā hōtā hai tō automatically mā̃-bāp kō yād karnē lag paṛtā hai .

97When a child grows a little, he automatically begins to remember his parents.

97Tum bhī samjhō ham ātmā bāp K|kē bachchē haĩ , yād kyō̃ karnā paṛtā hai  !

98You too should realise that you souls are the children of the Father. 99Why do you have to remember Him?

98Kyōṅki hamārē ūpar jō pāp chaṛhē huē haĩ , vah is yād sē hī khatm hōṅgē isliē gāyan bhī hai ēk second mē̃ jīvanmukti .

100Because the sins you have accumulated can only be absolved by having this remembrance. 101This is why it is remembered that you can attain liberation-in-life in a second.

99Jīvanmukti kā madār paṛhāī par hai aur mukti kā madār yād par hai .

102Liberation-in-life depends on how you study and liberation depends on your remembrance.

100Jitnā tum bāp kō yād karē̃gē aur paṛhāī par dhyān dēgē tō ūñch number mē̃ martabā pāyēṅgē .

103To the extent that you remember the Father and pay attention to your studies, accordingly you will claim a high numbered status.

101Dhandhā ādi tō bhal kartē rahō , bāp kōī manā nahī̃ kartē .

104You may continue to carry on with your business, etc. 105The Father does not forbid you to do that.

102Dhandhā ādi jō tum kartē hō - vah bhī din-rāt yād rahtā hai nā .

106Day and night, you remember the business, etc. that you do, do you not?

103Tō ab bāp yah rūhānī dhandhā dētē haĩ - apnē kō ātmā samajh mujhē yād karō aur 84 K|kē chakra kō yād karō .

107So, the Father now gives you this spiritual business to do. 108Consider yourselves to be souls and remember Me and remember the cycle of your 84 births.

104Mujhē yād karnē sē hī tum satōpradhān banē̃gē .

109Only by remembering Me will you become satopradhan.

105Yah bhī samajhtē hō , abhī purānā chōlā hai phir satōpradhān nayā chōlā milēgā .

110You understand that your costumes are now old and that you are to receive new, satopradhan costumes.

106Apnē pās|pass buddhi mē̃ tant rakhnā hai , jissē bahut phāydā hōnā hai .

111You have to keep the essence of this knowledge in your intellects. 112By doing this you will experience a lot of benefit.

107Jaisē school mē̃ subject tō bahut hōtē haĩ phir bhī english par mark achchhī hōtī haĩ kyōṅki english hai mukhya bhāṣhā .

113Out of the many subjects you have in school, it is in English that you receive good marks, because English is the main language.

108Unhō̃ kā pahlē rājya thā isliē vah jāstī chaltī hai .

114Because it used to be their kingdom previously, it is used more.

109Abhī bhī bhāratvāsī karjdār hai .

115Even now, the people of Bharat are in debt to them.

110Bhal kōī kitnē bhī dhanvān haĩ parantu buddhi mē̃ yah tō hai nā ki hamārē rājya K|kē jō heads haĩ , vah karjdār haĩ .

116No matter how wealthy people are, they have it in their intellects that the heads of the Government are in debt.

111Gōyā ham bhāratvāsī karzdār haĩ .

117This means that we people of Bharat are in debt.

112Prajā jarūr kahēgī nā ham karjdār haĩ .

118People would say, would they not, that they are in debt?

113Yah bhī samajh chāhiē nā .

119You need to have this understanding.

114Jabki tum rājāī sthāpan kar rahē hō . 115Tum jāntē hō ham sabhī in sab karjō̃ sē chhūṭkar solvent bantē haĩ phir ādhākalp ham kōī sē bhī karjā uṭhānē vālē nahī̃ haĩ .

120Since you are establishing a kingdom, you know that you are being liberated from all of those debts and are becoming solvent. 121Then, for half a cycle, you won’t be in debt to anyone.

116Karjdār patit duniyā K|kē mālik haĩ .

122The masters of the impure world are in debt.

117Abhī ham karjdār bhī haĩ , patit duniyā K|kē mālik bhī haĩ .

123At present, we are in debt and also the masters of this impure world.

118Hamārā bhārat aisā hai - gātē haĩ nā .

124People sing the praise of Bharat: Our Bharat is like this!

119Tum bachchē jāntē hō ham bahut sāhūkār thē . 120Parījādē , parījādiyā̃ thē .

125You children know that you used to be very wealthy; you were princes and princesses.

121Yah yād rahtā hai . 122Ham aisē viśhva K|kē mālik thē .

126You remember that you were the masters of such a world.

123Abhī bilkul karjdār aur patit ban paṛē haĩ .

127You have now become impure and totally in debt.

124Yah khēl key|kī result bāp batlā rahē haĩ .

128The Father tells you the result of this game.

125Result kyā huī hai .

129What is the result?

126Tum bachchō̃ kō smr̥iti āī hai . 127Satyug mē̃ ham kitnē sāhūkār thē , kisnē tumkō sāhūkār banāyā  ?

130You children now remember how wealthy you were in the golden age. 131Who made you so wealthy?

128Bachchē kahē̃gē - bābā , āpnē hamkō kitnā sāhūkār banāyā thā .

132Children say: Baba, You made us so wealthy.

129Ēk bāp hī sāhūkār banānē vālā hai .

133Only the one Father can make you so wealthy.

130Duniyā in bātō̃ kō nahī̃ jāntī .

134No one in the world knows these things.

131Lākhō̃ varṣh kah dēnē sē sab bhūl gayē haĩ , kuchh nahī̃ jāntē haĩ .

135By speaking of hundreds of thousands of years, they have forgotten everything. 136They do not know anything.

132Tum abhī sab kuchh jān gayē hō .

137You now understand everything.

133Ham padmāpadam sāhūkār thē .

138We were multimillion times wealthy.

134Bahut pavitra thē , bahut sukhī thē .

139We were very pure and happy.

135Vahā̃ jhūṭh pāp ādi kuchh hōtā nahī̃ .

140There were no lies or sin etc. there.

136Sārē viśhva par tumhārī jīt thī .

141You had conquered the whole world.

137Gāyan bhī hai śhivbābā āp jō dētē hō vah aur kōī dē nahī̃ saktā .

142It is sung: Shiv Baba, no one else can give us what You give us.

138Kōī key|kī tākat nahī̃ jō ādhākalp kā sukh dē sakē .

143No one has the strength to give happiness for half a cycle.

139Bāp kahtē haĩ bhakti mārg mē̃ bhī tumkō bahut sukh athāh dhan rahtā hai .

144The Father says: On the path of devotion too, you had a lot of happiness and an abundance of wealth.

140Kitnē hīrē javāhar thē jō phir pichhāṛī vālō̃ K|kē hāth mē̃ ātē haĩ .

145You had so many jewels and diamonds which then went into the hands of those who came after you.

141Abhī tō vah chīz hī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī hai .

146You cannot even see those things anywhere now.

142Tum fark dēkhtē hō nā .

147You can see the difference.

143Tum hī pūjya dēvī-dēvtā thē phir tum hī pujārī banē hō .

148You were worthy of worship deities and you then became worshippers.

144Āpēhī pūjya , āpēhī pujārī .

149You were worthy-of-worship souls and then worshippers.

145Bāp kōī pujārī nahī̃ bantē haĩ parantu pujārī duniyā mē̃ tō ātē haĩ nā .

150The Father does not become a worshipper, but He does enter the world of worshippers.

146Bāp tō ever pūjya hai .

151The Father is ever worthy of worship.

147Vah kabhī pujārī hōtē nahī̃ , unkā dhandhā hai tumkō pujārī sē pūjya banānā . 148Rāvaṇ kā kām hai tumkō pujārī banānā .

152He never becomes a worshipper. 153His business is to make you worthy of worship from worshippers, and Ravan's business is to make you into worshippers.

149Yah duniyā mē̃ kiskō patā nahī̃ hai .

154No one in the world knows this.

150Tum bhī bhūl jātē hō .

155You also forget this.

151Rōz-rōz bāp samjhātē rahtē haĩ .

156The Father explains every day.

152Bāp K|kē hāth mē̃ hai - kiskō chāhē sāhūkār banāyē , chāhē garīb banāyē .

157It is in the Father's hands to make anyone wealthy or poor.

153Bāp kahtē haĩ jō sāhūkār haĩ unhō̃ kō garīb jarūr bannā hai , banē̃gē hī .

158The Father says: Those who are wealthy now definitely have to become poor; they will definitely become poor.

154Unhō̃ kā part aisā hai .

159Such are their parts.

155Vah kabhī ṭhahar na sakē̃ .

160They would never be able to stay here.

156Dhanvān kō ahaṅkār bhī bahut rahtā hai nā - maĩ phalānā hū̃ , yah-yah hamkō hai .

161Wealthy people have a lot of arrogance of being such-and-such and of having this and that.

157Ghamaṇḍ tōṛnē liē bābā kahtē haĩ - yah jab āyēṅgē dēnē kē liē tō bābā kahē̃gē darkār nahī̃ hai . 158Yah apnē pās|pass rakhō .

162In order to break their arrogance, Baba says: When they come to offer something to Baba, Baba would tell them that He has no need of it and to keep it with them.

159Jab jarūrat hōgī tō phir lē lē̃gē kyōṅki dēkhtē haĩ - kām kā nahī̃ hai , apnā ghamaṇḍ hai .

163He will ask for it when He needs it, because He sees that it is of no use. 164They have their own arrogance.

160Tō yah sab bābā K|kē hāth mē̃ hai nā - lēnā vā na lēnā .

165So, whether to accept something or not is all in Baba's hands.

161Bābā paisē kyā karē̃gē , darkār nahī̃ .

166What would the Father do with money? 167He does not need it.

162Yah tō tum bachchō̃ kē liē makān ban rahē haĩ , ākarkē bābā sē milkar hī jānā hai . 163Sadaiv tō rahnā nahī̃ hai .

168These buildings are being built for you children. 169You come here to meet Baba and you then have to go back; you cannot stay here all the time.

164Paisē key|kī kyā darkār rahēgī .

170Baba does not need money.

165Kōī laśhkar vā tōpē ādi tō nahī̃ chāhiē .

171He does not need armies or bombs etc.

166Tum viśhva K|kē mālik bantē hō .

172You become the masters of the world.

167Abhī yuddha K|kē maidān mē̃ hō , tum aur kuchh bhī nahī̃ kartē hō sivāē bāp kō yād karnē K|kē .

173You are now on a battlefield. 174You do nothing but remember the Father.

168Bāp nē pharmān kiyā hai mujhē yād karō tō itnī śhakti milēgī .

175The Father has ordered you: Remember Me and you will receive this much power.

169Yah tumhārā dharm bahut sukh dēnē vālā hai .

176This religion of yours gives a lot of happiness.

170Bāp hai sarvśhaktimān .

177The Father is the Almighty Authority.

171Tum unkē bantē hō , sārā madār yād kī yātrā par hai .

178You belong to Him. 179Everything depends on your pilgrimage of remembrance.

172Yahā̃ tum suntē hō phir us par manthan chaltā hai . 173Jaisē gāy khānā khākar phir ugārtī hai , mukh chaltā hī rahtā hai .

180Here, you have to churn everything you hear, just as cows eat grass and then chew the cud; their mouths keep working.

174Tum bachchō̃ kō bhī kahtē haĩ gyān key|kī bātō̃ par khūb vichār karō . 175Bābā sē ham kyā pūchhē̃ .

181Baba also tells you children to think a lot about the things of knowledge: What should we ask Baba?

176Bāp tō kahtē haĩ manmanābhav , jissē hī tum satōpradhān bantē hō .

182The Father says: Manmanabhav! 183Through this, you will become satopradhan.

177Yah aim object sāmnē hai .

184Your aim and objective is in front of you.

178Tum jāntē hō - sarvguṇ sampann , 16 kalā sampann bannā hai .

185You know that you have to become full of all virtues and sixteen celestial degrees full.

179Yah automatically andar mē̃ ānā chāhiē .

186You should automatically feel this inside you.

180Kōī key|kī glāni vā pāp karma ādi kuchh bhī na hō .

187You should not defame anyone or perform any sinful acts.

181Kōī bhī tumkō ulṭā karma nahī̃ karnā chāhiē .

188You should not perform any wrong acts.

182Number one haĩ yah dēvī-dēvtāyē̃ .

189Deities are number one.

183Purūṣhārth sē ūñch pad pāyā hai nā .

190They claimed a high status by making effort.

184Unhō̃ kē liē gāyā jātā hai ahiṃsā paramō dēvī-dēvtā dharm .

191It is remembered of the deities that they belonged to the supreme deity religion of non-violence.

185Kiskō mārnā yah hiṅsā huī nā .

192To kill someone is violence.

186Bāp samjhātē haĩ tō phir bachchō̃ kō antarmukh hō apnē kō dēkhnā hai - ham kaisē banē haĩ  ?

193The Father explains to you, and so you children have to remain introverted and check yourselves to see what you have become.

187Bābā kō ham yād kartē haĩ  ?

194Do I remember Baba?

188Kitnā samay ham yād kartē haĩ  ?

195For how long do I remember Baba?

189Itnī dil lag jāē jō yah yād kabhī bhūlē hī nahī̃ .

196Your hearts should be so attached to Baba that you never forget to remember Him.

190Ab bēhad kā bāp kahtē haĩ tum ātmāyē̃ mērī santān hō . 191Sō bhī tum anādi santān hō .

197The unlimited Father now says: You souls are My children; you are My eternal children.

192Vah jō āśhik-māśhūk hōtē haĩ unhō̃ kī hai jismānī yād .

198The remembrance of those lovers and beloveds is of physical beings.

193Jaisē sākṣhātkār hōtā hai phir gum hō jātē haĩ vaisē vah bhī sāmnē ā jātē haĩ .

199They have a vision of one another and it is as though they are in front of one another and then the vision disappears.

194Us khuśhī mē̃ hī khātē pītē yād kartē rahtē haĩ .

200They eat, drink and remember one another in that happiness.

195Tumhārē is yād mē̃ tō bahut bal hai .

201There is a lot of power in this remembrance of yours.

196Ēk bāp kō hī yād kartē rahē̃gē .

202You will continue to remember the one Father.

197Aur tumkō phir apnā bhaviṣhya yād āyēgā .

203You will then remember your future.

198Vināśh kā sākṣhātkār bhī hōgā .

204You will have visions of destruction.

199Āgē chal jaldī-jaldī vināśh kā sākṣhātkār hōgā .

205As you progress further, you will frequently have visions of destruction.

200Phir tum kah sakē̃gē ki abhī vināśh hōnā hai . 201Bāp kō yād karō .

206Then, you will be able to tell others that destruction is to take place and to remember the Father.

202Bābā nē yah sab kuchh chhōṛ diyā nā .

207Baba renounced everything.

203Kuchh bhī pichhāṛī mē̃ yād na āyē .

208Nothing should be remembered at the end.

204Abhī tō ham apnī rājdhānī mē̃ chalē̃ .

209We are now going to our kingdom.

205Naī duniyā mē̃ jarūr jānā hai .

210You definitely have to go to the new world.

206Yōgbal sē sab pāpō̃ kō bhasma karnā hai , ismē̃ hī baṛī mēhnat karnī hai .

211You have to burn all your sins away with the power of yoga. 212A lot of effort is needed for this.

207Ghaṛī-ghaṛī bāp kō bhūl jātē haĩ kyōṅki yah baṛī mahīn chīz hai .

213You forget the Father again and again because these are very subtle things.

208Misāl jō dētē haĩ sarp kā , bhramarī kā , vah sab is samay K|kē haĩ .

214The examples of the snake and the buzzing moth belong to this time.

209Bhramarī kamāl kartī hai nā . 210Unsē tumhārī kamāl jāstī hai .

215A buzzing moth performs wonders, but your wonders are greater than hers.

211Bābā likhtē haĩ nā - gyān key|kī bhū̃-bhū̃ kartē rahō . 212Ākhrīn jāg paṛē̃gē .

216Baba writes: Continue to buzz knowledge, and they will eventually wake up.

213Jāyēṅgē kahā̃ .

217Where else can they go?

214Tumhārē pās|pass hī ātē jāyēṅgē .

218They will continue to come to you.

215Add hōtē jāyēṅgē .

219They will be added to you.

216Tumhārā nāmā-chār hōtā jāyēgā .

220Your name will be glorified.

217Abhī tō tum thōṛē hō nā .

221There are very few of you at present.

218Achchhā  !

222Achcha.

219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

223To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

224The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

221Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

225Essence for dharna:

2221 ) gyān kā khūb vichār sāgar manthan karnā hai .

226 1. You have to churn the ocean of knowledge a great deal.

223Jō sunā hai usē ugārnā hai .

227You have to continue to digest all that you have heard.

224Antarmukh hō dēkhnā hai ki bāp sē aisī dil lagī huī hai jō vah kabhī bhūlē hī nahī̃ .

228Be introspective and check whether your heart is attached to the Father to such an extent that you never forget Him.

2252 ) kōī bhī praśhna ādi pūchhnē mē̃ apnā time west|waste na kar yād kī yātrā sē svayã kō pāvan banānā hai .

229 2. Instead of wasting time asking questions, stay on the pilgrimage of remembrance and make yourself pure.

226Ant samay mē̃ ēk bāp kī yād K|kē sivāē aur kōī bhī vichār na āyē - yah abhyās abhī sē karnā hai .

230Let there be no thoughts at the end; nothing except remembrance of the Father. 231Practise this from now on.

Blessing

227Vardān  : dr̥iṛh saṅkalp rūpī vrat dvārā vr̥ittiyō̃ kā parivartan karnē vālē mahān ātmā bhav

232Blessing: May you become a great soul by transforming your attitude with your vow of determination.

228Mahān bannē kā mukhya ādhār hai «  pavitratā ' ' .

233 The main basis for becoming great is purity.

229Is pavitratā K|kē vrat kō pratigyā K|kē rūp mē̃ dhāraṇ karnā arthāt mahān ātmā bannā .

234To observe the vow of purity in the form of a promise means to become a great soul.

230Kōī bhī dr̥iṛh saṅkalp rūpī vrat vr̥itti kō badal dētā hai .

235Any vow of determination transforms one’s attitude.

231Pavitratā kā vrat lēnā arthāt apnī vr̥itti kō śhrēṣhṭh banānā .

236To observe the vow of purity means to make your attitude elevated.

232Vrat rakhnā arthāt sthūl rīti sē parhēj karnā , man mē̃ pakkā saṅkalp lēnā .

237To observe a vow means to observe the precautions in a physical way and to have this thought firmly in your mind.

233Tō pāvan bannē kā vrat liyā aur ham ātmā bhāī haĩ - yah brotherhood key|kī vr̥itti banāī .

238When you made a vow to become pure, you made your attitude one of souls being brothers, you had the attitude of brotherhood.

234Isī vr̥itti sē brāhmaṇ mahān ātmā ban gayē .

239Brahmins with this attitude become great souls.

Slogan

235Slōgan  : vyarth sē bachnā hai tō mukh par dr̥iṛh saṅkalp kā button lagā dō .

240Slogan: In order to stop wastage, put a button of determination on your lips.

241*** Om Shanti ***