शनिवार 7 दिसंबर 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
007-12-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 07/12/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - sārā madār karmō̃ par hai , sadā dhyān rahē ki māyā K|kē vaśhībhūt kōī ulṭā karma na hō jiskī sajā khānī paṛē ' '
1Essence: Sweet children, everything depends on your actions. 2Constantly pay attention to see that you don’t perform any wrong actions under the influence of Maya, for which there would have to be punishment.
Question
2Praśhna : bāp key|kī nazar mē̃ sabsē adhik buddhivān kaun haĩ ?
3Question: Who are the wisest of all in the Father's vision?
Answer
3Uttar : jinmē̃ pavitratā key|kī dhārṇā hai vahī buddhivān haĩ aur jō patit haĩ vah buddhihīn haĩ .
4Answer: Those who have imbibed purity are wise. 5Those who are impure have no wisdom.
4Lakṣhmī-nārāyaṇ kō sabsē adhik buddhivān kahē̃gē .
6Lakshmi and Narayan are said to be the wisest of all.
5Tum bachchē abhī buddhivān ban rahē hō .
7You children are also becoming wise.
6Pavitratā hī sabsē mukhya hai isliē bāp sāvdhān kartē haĩ - bachchē yah āṅkhē dhōkhā na dē̃ , insē sambhāl karnā .
8Purity is essential for this. 9Therefore, the Father cautions you: Children, be careful that your eyes don't deceive you.
7Is purānī duniyā kō dēkhtē huē bhī na dēkhō .
10Even while seeing this old world, do not see it.
8Naī duniyā svarg kō yād karō .
11Remember the new world of heaven.
Murli
9Ōm śhānti .
12Om shanti.
10Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchē yah tō samajhtē haĩ is purānī duniyā mē̃ ham abhī thōṛē din K|kē musāphir haĩ .
13You sweetest, long-lost and now-found children understand that you are now travellers in this old world for only a few more days.
11Duniyā K|kē manuṣhya samajhtē haĩ ajun 40 hazār varṣh yahā̃ rahnē kā hai .
14People of the world believe that they still have to stay here for another 40,000 years.
12Tum bachchō̃ kō tō niśhchay hai nā .
15You children have faith.
13Yah bātē̃ bhūlō nahī̃ .
16Do not forget these things.
14Yahā̃ baiṭhē hō tō bhī tum bachchō̃ kō andar mē̃ gadgad hōnā chāhiē .
17Whilst sitting here, the hearts of you children should be bubbling.
15In āṅkhō̃ sē jō kuchh dēkhtē hō sab kuchh vināśh hōnē vālā hai .
18Everything you can see with your eyes is all to be destroyed.
16Ātmā tō avi-nāśhī hai .
19Souls are immortal.
17Ham ātmā nē 84 janma liē haĩ .
20I, this soul, have taken 84 births.
18Abhī bābā āyā hai ghar lē jānē kē liē .
21Baba has now come to take us back home.
19Purānī duniyā jab pūrī hōtī hai tab bāp ātē haĩ naī duniyā banānē .
22When the old world is about to be destroyed, the Father comes to create the new world.
20Naī sō purānī , purānī sō naī duniyā kaisē hōtī hai yah tumhārī buddhi mē̃ hai .
23It is in your intellects how the world changes from old to new and new to old.
21Hamnē anēkō̃ bār chakra lagāyā hai .
24We have been around this cycle many times before.
22Abhī chakra pūrā hōtā hai .
25The cycle is now coming to an end.
23Naī duniyā mē̃ ham thōṛē hī dēvtāyē̃ rahtē haĩ . 24Manuṣhya nahī̃ hōṅgē .
26There will just be a few deities in the new world; there will be no human beings there.
25Bākī karmō̃ par sārā madār hai .
27Everything depends on your karma.
26Manuṣhya ulṭā karma kartē haĩ tō vah khātā jarūr hai isliē bāp pūchhtē haĩ ki is janm mē̃ kōī aisē pāp tō nahī̃ kiyē haĩ ?
28When people perform wrong actions, their consciences bite them. 29This is why the Father asks: You have not performed any such sins in this birth, have you?
27Yah hai patit chhī-chhī rāvaṇ rājya .
30This world is the impure, dirty kingdom of Ravan.
28Yah dhundhakārī duniyā hai .
31This world is full of darkness.
29Abhī bāp tum bachchō̃ kō varsā dē rahē haĩ .
32The Father is now giving you children your inheritance.
30Abhī tum bhakti nahī̃ kartē .
33You no longer perform devotion.
31Bhakti K|kē andhiyārē mē̃ dhakkē khākar āyē hō .
34Having been stumbling along in the darkness of the path of devotion, you have now come here.
32Abhī bāp kā hāth milā hai .
35You now have the Father's hand.
33Bāp K|kē sahārē bigar tum viṣhay vaitaraṇī nadī mē̃ gōtē khātē thē .
36Because you didn’t have the Father's support, you were drowning in the river of poison.
34Ādhā-kalp hai hī bhakti , gyān milnē sē tum satyugī naī duniyā mē̃ chalē jātē hō .
37The path of devotion continues for half a cycle. 38After you are given this knowledge, you go to a golden-aged, new world.
35Abhī tō yah hai purūṣhōttam saṅgamyug jabki tum patit chhī-chhī sē gulgul , kāṇṭō̃ sē fool|phūl ban rahē hō .
39This is the auspicious confluence age when, from being impure and dirty, you become beautiful and clean; you change from thorns to flowers.
36Yah kaun banātē haĩ ?
40Who makes you this?
37Bēhad kā bāp .
41The unlimited Father.
38Laukik bāp kō bēhad kā bāp nahī̃ kahē̃gē .
42You wouldn’t call a physical father the unlimited Father.
39Tum brahmā aur viṣhṇu K|kē bhī occupation kō jān gayē hō .
43You also know the occupations of Brahma and Vishnu.
40Tō tumhē̃ kitnā śhuddha naśhā rahnā chāhiē .
44So, how much pure intoxication you should have!
41Mūlvatan , sūkṣhmavatan , sthūl-vatan … yah sab saṅgam par hī hōtā hai .
45The supreme region, the subtle region and the corporeal region all exist at the confluence age.
42Bāp baiṭh abhī tum bachchō̃ kō samjhātē haĩ purānī aur naī duniyā kā yah saṅgamyug hai .
46The Father now sits here and explains to you children that this is the confluence of the old world and the new world.
43Pukārtē bhī haĩ ki patitō̃ kō pāvan banānē āō .
47People call out: “Come and purify us impure ones!”
44Bāp kā bhī is saṅgam par part chaltā hai .
48The Father's part is only enacted at the confluence age.
45Creator , director hai nā ! 46Tō jarūr unkī kōī activity hōgī nā .
49Since He is the Creator and the Director, He would therefore surely have some activity.
47Sab jāntē haĩ ki unkō ādmī nahī̃ kahā jātā , unkō tō apnā śharīr hī nahī̃ .
50You all know that He cannot be called a human being; He doesn’t have a body of His own.
48Bākī sabkō manuṣhya vā dēvtā kahē̃gē .
51Everyone else is either a human being or a deity.
49Śhivbābā kō na dēvtā , na manuṣhya kahē̃gē .
52Shiv Baba can neither be a deity nor a human being.
50Yah tō tempory śharīr loan mē̃ liyā huā hai .
53This body has just been taken on loan temporarily.
51Garbh sē thōṛēhī paidā huē haĩ .
54He wasn’t born from a womb.
52Bāp khud kahtē haĩ - bachchē , śharīr bigar maĩ rājyōg kaisē sikhlāūṅgā !
55The Father Himself says: Children, how could I teach you Raja Yoga unless I had a body?
53Hamkō manuṣhya lōg bhal kah dētē haĩ ki ṭhikkar bhittar mē̃ paramātmā hai parantu abhī tum bachchē samajhtē hō ki maĩ kaisē ātā hū̃ .
56Although people say that the Supreme Soul is in the pebbles and stones, you children now understand how I come.
54Abhī tum rājyōg sīkh rahē hō .
57You are now learning Raja Yoga.
55Kōī manuṣhya tō sikhlā na sakē .
58No human being can teach this.
56Dēvtāyē̃ tō rājyōg sīkh na sakē̃ .
59No deity can study Raja Yoga.
57Yahā̃ is purūṣhōttam saṅgamyug par rājyōg sīkhkar dēvtā bantē haĩ .
60It is here, in the elevated confluence age, that you become deities by studying Raja Yoga.
58Abhī tum bachchō̃ kō athāh khuśhī hōnī chāhiē - hamnē abhī 84 kā chakra pūrā kiyā hai .
61You children should have great happiness that you are now completing the cycle of 84 births.
59Bāp kalp-kalp ātē haĩ , bāp khud kahtē haĩ yah bahut janmō̃ K|kē ant kā janm hai .
62The Father comes at the end of every cycle. 63The Father Himself says that this is the last of this one’s many births.
60Śhrīkr̥iṣhṇa tō satyug kā prince thā vahī phir 84 kā chakra lagātē haĩ .
64Shri Krishna was a prince of the golden age; he went around the cycle of 84 births.
61Śhivbābā tō 84 K|kē chakra mē̃ nahī̃ āyēṅgē .
65Shiv Baba does not enter the cycle of 84 births.
62Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī ātmā hī sundar sē śhyām bantī hai , yah bātē̃ kiskō patā nahī̃ haĩ .
66The Shri Krishna soul changes from ugly to beautiful. 67No one else knows these things.
63Tumhārē mē̃ bhī number-vār hī jāntē haĩ .
68You too only know this, numberwise.
64Māyā bahut kaṛī hai . 65Kiskō bhī chhōṛtī nahī̃ hai .
69Maya is very strong; she doesn’t leave anyone alone.
66Bāp kō sab mālūm paṛtā hai .
70The Father comes to know everything.
67Māyā grāh ēkdam hap kar lētī hai .
71Maya, the alligator, can completely swallow anyone.
68Yah bāp achchhī rīti jāntē haĩ .
72The Father knows this very well.
69Aisē nahī̃ samjhō bāp kōī antaryāmī hai .
73However, don’t think that the Father is antaryami (One who knows the secrets of each one's heart); no.
70Nahī̃ , bāp sabhī key|kī activity kō jāntē haĩ .
74However, the Father can see the activities of everyone.
71Samāchār tō ātē haĩ nā .
75News also comes to Baba.
72Māyā ēkdam kachchā hī pēṭ mē̃ ḍāl dētī hai .
76Maya completely swallows you raw.
73Aisī bahut bātē̃ tum bachchō̃ kō mālūm nahī̃ paṛtī haĩ .
77There are many such aspects that you children do not understand.
74Bāp kō tō sab mālūm paṛtā hai .
78The Father knows everything.
75Manuṣhya phir samajh lētē paramātmā antaryāmī hai .
79People think that the Supreme Soul knows all the secrets within everyone.
76Bāp kahtē haĩ maĩ antaryāmī nahī̃ hū̃ .
80The Father says: I do not know all the secrets within each one.
77Har ēk key|kī chalan sē mālūm tō paṛtā hai nā .
81I know all about you from your behaviour.
78Bahut hī chhī-chhī chalan chaltē haĩ isliē bāp ghaṛī-ghaṛī bachchō̃ kō khabardār kartē haĩ . 79Māyā sē sambhālnā hai .
82The behaviour of some is very dirty. 83Therefore, the Father repeatedly cautions you children and says that you have to be careful about Maya.
80Phir bhal bāp samjhātē haĩ tō bhī buddhi mē̃ nahī̃ baiṭhtā , kām mahāśhatru hai , mālūm bhī na paṛē ki ham vikār mē̃ gayē haĩ , aisē bhī hōtā hai isliē bāp kahtē haĩ kuchh bhī bhūl ādi hōtī hai tō sāph batā dō , chhipāō mat .
84However, even though the Father explains, it doesn’t sit in the intellects of some. 85Lust is the greatest enemy. 86They don't even realise that they are indulging in vice; this happens too. 87Therefore, Baba says: If you have made a mistake, tell Baba truthfully and do not hide it.
81Nahī̃ tō sauguṇā pāp hō jāyēgā .
88Otherwise, the sin will multiply one hundred-fold.
82Vah andar khātā rahēgā .
89Your consciences will keep biting you inside.
83Vr̥iddhi hōtī rahēgī . 84Ēkdam gir paṛē̃gē .
90The sin will continue to grow until you completely fall.
85Bachchō̃ kō bāp kē sāth bilkul hī sachchā rahnā hai . 86Nahī̃ tō bahut-bahut ghāṭā paṛ jāyēgā .
91You children have to remain completely truthful with the Father, or else you will suffer a great loss.
87Yah tō rāvaṇ key|kī duniyā hai .
92This is Ravan’s world.
88Rāvaṇ key|kī duniyā kō ham yād kyō̃ karē̃ .
93Why should we remember Ravan’s world?
89Hamē̃ tō naī duniyā mē̃ jānā hai .
94We have to go to a new world.
90Bāp nayā makān ādi banātē haĩ tō bachchē samajhtē haĩ hamārē liē nayā makān ban rahā hai . 91Khuśhī rahtī hai .
95When a father is having a new house built, his children are very happy, because they understand that a new house is being built for them.
92Yah tō bēhad key|kī bāt hai .
96This is an unlimited aspect.
93Hamārē liē naī duniyā svarg ban rahā hai .
97The new world of heaven is being created for us.
94Abhī ham naī duniyā mē̃ jānē vālē haĩ phir jitnā bāp kō yād karē̃gē utnā gul-gul banē̃gē .
98We are now about to leave for the new world. 99According to how much we remember the Father, we will become that beautiful.
95Ham vikārō̃ K|kē vaśh hō kāṇṭē ban paṛē haĩ .
100Because we were influenced by the vices, we became thorns.
96Tum bachchē jāntē hō - jō nahī̃ ātē haĩ vah tō māyā K|kē vaśh hō gayē haĩ .
101You children know that those who have stopped coming here are influenced by Maya.
97Bāp kē pās haĩ hī nahī̃ . 98Traitor ban gayē haĩ . 99Purānē duśhman pās|pass chalē gayē haĩ .
102They are no longer with the Father but have become traitors and gone back to the old enemy.
100Aisē-aisē bahutō̃ kō māyā hap kar lētī hai . 101Kitnē khatm hō jātē haĩ .
103Maya swallows many in this way; so many die.
102Bahut achchhē-achchhē haĩ jō kahkar jātē haĩ ham aisē karē̃gē , yah karē̃gē .
104There were many very good ones who said that they were going to do this and that.
103Ham tō yagya kē liē prāṇ bhī dēnē kē liē taiyār haĩ .
105They were also ready to give their lives to the yagya.
104Āj vah haĩ nahī̃ .
106Today, they are not here.
105Tumhārī laṛāī hai hī māyā kē sāth .
107Your battle is with Maya.
106Duniyā mē̃ yah kōī nahī̃ jāntē ki māyā sē laṛāī kaisē hōtī hai .
108No one in the world knows how this battle with Maya takes place.
107Śhāstrō̃ mē̃ phir dikhāyā hai dēvtāō̃ aur asurō̃ mē̃ laṛāī huī . 108Phir kauravō̃ aur pāṇḍavō̃ key|kī laṛāī huī .
109The scriptures portray a battle between the deities and the devils and how the war between the Kauravas and the Pandavas took place.
109Kōī sē pūchhō yah dō bātē̃ śhāstrō̃ mē̃ kaisī haĩ ?
110You can ask anyone how these two aspects in the scriptures were possible.
110Dēvtāyē̃ tō ahiṃsak hōtē haĩ . 111Vah hōtē hī haĩ satyug mē̃ .
111Deities are non-violent; they are in the golden age.
112Vah phir kyā kaliyug mē̃ laṛnē āyēṅgē .
112Would they come into the iron age to fight?
113Kaurav aur pāṇḍav kā bhī arth|earth nahī̃ samajhtē .
113No one understands who the Kauravas and the Pandavas were.
114Śhāstrō̃ mē̃ jō likhā hai vahī paṛhkar sunātē rahtē haĩ .
114They just read whatever is written in the scriptures and then recite it.
115Bābā key|kī tō sārī gītā paṛhī huī hai .
115Baba has studied the whole Gita.
116Jab yah gyān milā tō vichār chalā ki gītā mē̃ yah laṛāī ādi key|kī bātē̃ kyā likhī haĩ ?
116When I received this knowledge, I started to think about the meaning of those things about war that have been written in the Gita.
117Śhrīkr̥iṣhṇa tō gītā kā bhagvān nahī̃ hai .
117Shri Krishna is not the God of the Gita.
118Inkē andar bāp baiṭhā thā tō in dvārā us gītā kō bhī chhuṛvā diyā .
118The Father was sitting in this one, and so He made us put aside that Gita.
119Abhī bāp dvārā kitnā sōjharā milā hai .
119We have now so much light from the Father.
120Ātmā kō hī sōjharā hōtā hai tab bāp kahtē haĩ apnē kō ātmā samjhō , bēhad K|kē bāp kō yād karō .
120It is the souls that receive light. 121This is why the Father says: Consider yourselves to be souls and remember the unlimited Father.
121Bhakti mē̃ tum yād kartē thē , kahtē thē āp āyēṅgē tō balihār jāyēṅgē .
122When you used to remember Him in devotion, you said: When You come, I will surrender myself to You.
122Parantu vah kaisē āyēṅgē , kaisē balihār jāyēṅgē , yah thōṛēhī samajhtē thē .
123However, you didn’t understand how He would come or how you would surrender yourself to Him.
123Abhī tum bachchē samajhtē hō jaisē bāp hai vaisē ham ātmā bhī haĩ . 124Bāp kā hai alaukik janm , tum bachchō̃ kō kaisē achchhī rīti paṛhātē haĩ .
124You children now understand that we souls are just the same as the Father, but that the Father's birth is unique. 125He teaches you children so well.
125Tum khud kahtē hō yah tō vahī hamārā bāp hai .
126You yourselves say: That One is the same Father.
126Jō kalp-kalp hamārā bāp bantē haĩ .
127He is the One who becomes our Father every cycle.
127Ham sabhī bābā-bābā kahtē haĩ . 128Bābā bhī bachchē-bachchē kahtē haĩ , vahī teacher rūp mē̃ rājyōg sikhlātē haĩ . 129Viśhva kā tumkō mālik banātē haĩ .
128We all say "Baba, Baba" and Baba says: “Children, children.” 129As your Teacher, He teaches you Raja Yoga and makes you into the masters of the world.
130Tō aisē bāp kā bankar phir usī teacher sē śhikṣhā bhī lēnī chāhiē .
130Whilst belonging to this Father, you must also take in the teachings that He gives you as your Teacher.
131Sun-sun kar gad-gad hōnā chāhiē .
131Your hearts should be bubbling with happiness whilst you are listening to this.
132Agar chhī-chhī banē̃ tō vah khuśhī āyēgī hī nahī̃ .
132If someone becomes dirty, there cannot be that happiness.
133Bhal kitnā māthā mārē̃ , vah phir hamārē jāti bhāī nahī̃ .
133Even though they try hard, they are not part of our clan.
134Yahā̃ manuṣhyō̃ K|kē kitnē surname hōtē haĩ .
134There are so many surnames for people.
135Vah sabhī haĩ had key|kī bātē̃ .
135All of those things are limited.
136Tumhārā surname dēkhō kitnā baṛā hai .
136Look how great your surname is!
137Baṛē tē baṛā great-great grand father brahmā .
137Great-great-grandfather Brahma is the greatest.
138Unkō kōī jāntā hī nahī̃ .
138No one else knows him.
139Śhivbābā kō tō sarv-vyāpī kah diyā hai .
139They say that Shiv Baba is omnipresent.
140Brahmā kā bhī kiskō patā nahī̃ hai .
140No one even knows about Brahma.
141Chitra bhī haĩ - brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar . 142Phir brahmā kō sūkṣhmavatan mē̃ lē gayē haĩ .
141They have the picture of Brahma, Vishnu and Shankar, but they have placed Brahma in the subtle region.
143Biography kuchh bhī nahī̃ jāntē .
142They do not know his biography.
144Sūkṣhmavatan mē̃ phir brahmā kahā̃ sē āyā ?
143How could Brahma exist in the subtle region?
145Vahā̃ kaisē adopt karē̃gē .
144How would he adopt you from there?
146Bāp nē samjhāyā hai yah hamārā rath hai .
145The Father says: This is My chariot.
147Bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ mainnē ismē̃ pravēśh kiyā hai .
146I enter him in the last of his many births.
148Yah purūṣhōttam saṅgamyug gītā kā episode hai , jismē̃ pavitratā mukhya hai .
147This is now the auspicious confluence age in which the episode of the Gita takes place. 148The main aspect in this is purity.
149Patit sē pāvan kaisē bannā hai , yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .
149No one else knows how to become pure from impure.
150Sādhū-santa ādi kabhī bhī aisē nahī̃ kahē̃gē ki dēh sahit dēh K|kē sabhī sambandhō̃ kō bhūl ēk mujh bāp kō yād karō tō māyā K|kē pāp karma bhasma hō jāyēṅgē .
150Sages and holy men, etc. never say to you: “Forget your body and all your bodily relations and only remember Me, the Father, so that all the sinful actions you have committed because of Maya will then be burnt away.”
151Vah tō bāp kō hī nahī̃ jāntē haĩ .
151They do not know the Father.
152Gītā mē̃ bāp nē kahā hai in sādhuō̃ ādi kā bhī maĩ ākar uddhār kartā hū̃ .
152The Father has said in the Gita: I come to uplift those sages, etc.
153Bāp samjhātē haĩ śhurū sē lēkar ab tak jō bhī ātmāyē̃ part bajā rahī haĩ - sabhī kā yah antim janm hai .
153The Father explains: This is the last birth of all the souls who have been playing their parts from the beginning of the cycle until now.
154Iskā bhī yah antim janm hai .
154It is also this one's last birth.
155Yahī phir brahmā banā hai .
155This one has become Brahma again.
156Chhōṭēpan mē̃ gā̃vaṛē kā chhōrā thā .
156In his childhood, he was just a village urchin.
15784 janm isnē pūrē kiyē , first sē last tak .
157He has completed his 84 births, from the first to the last.
158Abhī tum bachchō̃ key|kī buddhi kā tālā khulā huā hai . 159Abhī tum buddhivān bantē hō .
158Now that the locks on the intellects of you children have opened, you are becoming wise.
160Āgē buddhihīn thē .
159Before, you were senseless.
161Yah lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ buddhivān .
160Lakshmi and Narayan are sensible.
162Buddhihīn patit kō kahā jātā hai .
161An impure soul is called senseless.
163Mukhya hai pavitratā .
162The main aspect is purity.
164Likhtē bhī haĩ māyā nē hamē̃ girā diyā .
163You write: “Maya made us fall.
165Āṅkhē̃ criminal ban gaī .
164Our eyes became criminal.”
166Bāp tō ghaṛī-ghaṛī sāvdhān kartē rahtē haĩ - bachchē , kabhī māyā sē hār nahī̃ khānā .
165The Father repeatedly cautions you. 166He says: Children, do not be defeated by Maya.
167Abhī ghar jānā hai .
167You now have to return home.
168Apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō .
168Consider yourselves to be souls and remember the Father.
169Yah purānī duniyā khatm huī ki huī .
169This old world is about to be destroyed.
170Ham pāvan bantē haĩ tō hamē̃ pāvan duniyā bhī tō chāhiē nā !
170We are becoming pure and so we also need a pure world.
171Tum bachchō̃ kō hī patit sē pāvan bannā hai .
171You children must become pure from impure.
172Bāp tō yōg nahī̃ lagāyēṅgē .
172The Father would not have yoga.
173Bābā patit thōṛēhī bantā hai jō yōg lagāvē .
173Baba doesn't become impure that He would have to have yoga.
174Bābā tō kahtē haĩ maĩ tumhārī sēvā mē̃ upasthit hōtā hū̃ .
174Baba says: I am here to serve you.
175Tumnē hī māṅgnī kī hai ki ākar ham patitō̃ kō pāvan banāō .
175You had been calling out to Me to come and purify you impure ones.
176Tumhārē hī kahnē sē maĩ āyā hū̃ .
176It is because you called out to Me to come that I have come.
177Tumhē̃ bahut sahaj rāstā batātā hū̃ sirph manmanābhav .
177I show you a very easy path to follow: Simply be “Manmanabhav”.
178Bhagvānuvāch hai nā .
178These are the words of God.
179Sirph śhrīkr̥iṣhṇa kā nām dēnē sē bāp kō sab bhūl gayē haĩ .
179Because they mentioned Shri Krishna's name, everyone has forgotten the Father.
180Bāp hai first , śhrīkr̥iṣhṇa hai second .
180The Father is first; Shri Krishna is second.
181Vah paramdhām kā mālik , vah hai vaikuṇṭha kā mālik .
181Baba is the Master of the supreme region, whereas Shri Krishna is the master of heaven.
182Sūkṣhmavatan mē̃ tō kuchh hōtā hī nahī̃ .
182Nothing happens in the subtle region.
183Sabhī mē̃ number one hai śhrīkr̥iṣhṇa , jiskō sab pyār kartē haĩ .
183Out of everyone, Shri Krishna is number one; everyone loves him.
184Bākī tō sab pīchhē-pīchhē ātē haĩ .
184All the others follow him.
185Svarg mē̃ tō sab jā bhī na sakē̃ .
185Not everyone can go to heaven.
186Tō tum mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō haḍḍī ( zigrī ) khuśhī hōnī chāhiē .
186Therefore, sweetest children, your happiness should be so deep that it penetrates your bones.
187Kaī bachchē bābā kē pās ātē haĩ jō kabhī pavitra nahī̃ rahtē haĩ .
187Many children who come to Baba can never remain pure.
188Bābā samjhātē haĩ vikār mē̃ jātē hō phir bābā kē pās kyō̃ ātē hō ?
188When Baba asks them: “Since you indulge in sin, why do you come to Baba?”
189Kahtē kyā karū̃ , rah nahī̃ saktā hū̃ .
189They reply: “What can I do? 190I cannot stay away.
190Parantu yahā̃ ātā hū̃ śhāyad kabhī tīr lag jāē .
191If I come here, perhaps the arrow can strike the target.
191Āp bigar hamārī sadgati kaun karēgā isliē ākar baiṭh jātā hū̃ .
192Who but You, the Father, would grant me salvation? 193Therefore, I come and sit here.
192Māyā kitnī prabal hai .
194Maya is very powerful.
193Niśhchay bhī hōtā hai - bābā hamkō patit sē pāvan gul-gul banātē haĩ . 194Parantu kyā karē̃ phir bhī sach bōlnē sē kabhī sudhar jāūṅgā .
195I have the faith that Baba will change me from impure to pure and beautiful, but what can I do? 196By speaking the truth, maybe I will improve.
195Hamkō yah niśhchay hai ki āpsē hī hamē̃ sudharnā hai .
197I have the faith that I can be reformed by You.”
196Bābā kō aisē bachchō̃ par taras paṛtā hai phir bhī aisē hōgā .
198Baba feels mercy for such children. 199It will happen like this again.
197Nothing new .
200Nothing new!
198Bābā tō rōz-rōz śhrīmat dētē haĩ . 199Kōī amal mē̃ lātē bhī haĩ , ismē̃ bābā kyā kar saktā hai .
201Baba gives all of you shrimat every day, but only a few of you put it into practice. 202What can Baba do about this?
200Bābā kahē śhāyad inkā part hī aisā hai . 201Sab tō rājē-rāniyā̃ nahī̃ bantē haĩ .
203Baba says that, perhaps, such are their parts; not everyone can become a king or queen.
202Rājdhānī sthāpan hō rahī hai . 203Rājdhānī mē̃ sab chāhiē .
204A kingdom is being established and all varieties are needed in a kingdom.
204Phir bhī bābā kahtē haĩ bachchē himmat nahī̃ chhōṛō .
205Nevertheless, Baba says: Children, do not let go of your courage.
205Āgē jā saktē hō .
206You can make progress.
206Achchhā !
207Achcha.
207Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
208To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
208Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
209The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
209Dhārṇā kē liē mukhya sār :
210Essence for dharna:
2101 ) bāp kē sāth sadā sachchā rahnā hai .
211 1. Always be honest with the Father.
211Abhī kōī bhī bhūl hō jāē tō chhipānā nahī̃ hai .
212If you make any mistake now, do not hide it.
212Āṅkhē kabhī criminal na hō - iskī sambhāl karnī hai .
213Take care that your eyes never become criminal.
2132 ) sadā śhuddha naśhā rahē ki bēhad kā bāp hamē̃ patit chhī-chhī sē gulgul , kāṇṭō̃ sē fool|phūl banā rahē haĩ .
214 2. Constantly have the pure intoxication that the unlimited Father is changing you from impure and dirty to beautiful, from thorns into flowers.
214Abhī hamē̃ bāp kā hāth milā hai , jiskē sahārē ham viṣhay vaitaraṇī nadī pār hō jāyēṅgē .
215You are now holding on to the Father’s hand and, with this support, you will cross the river of poison.
Blessing
215Vardān : powerful brake dvārā second mē̃ negative kō positive mē̃ parivartan karnē vālē sva parivartak bhav
216Blessing: May you become a self-transformer and transform your thoughts and sanskars from negative to positive in a second with a powerful brake.
216Jab negative athavā vyarth saṅkalp chaltē haĩ , tō uskī gati bahut fast hōtī hai .
217 When you have negative, that is, waste thoughts, their speed is very fast.
217Fast gati K|kē samay powerful brake lagākar parivartan karnē kā abhyās chāhiē .
218You need to practise very quickly putting a powerful brake on them and bring about a change.
218Vaisē bhī jab pahāṛī par chaṛhtē haĩ tō pahlē brake kō check kartē haĩ .
219Before you go up a mountain, your brakes are first checked.
219Āp apnī ūñchī sthiti banānē kē liē saṅkalpō̃ kō second mē̃ brake dēnē kā abhyās baṛhāō .
220In order to make your stage elevated, increase your practice of putting a brake on your thoughts in a second.
220Jab apnē saṅkalp vā saṅskār ēk second mē̃ negative sē positive mē̃ parivartan kar lē̃gē tab sva parivartan sē viśhva parivartan kā kārya sampann hōgā .
221When you transform your thoughts and sanskars from negative to positive in a second, the task of world transformation through your self-transformation will be completed.
Slogan
221Slōgan : svayã prati aur sarv ātmāō̃ kē prati śhrēṣhṭh parivartan key|kī śhakti kō kārya mē̃ lānē vālē hī sachchē karmayōgī haĩ .
222Slogan: Those who use the elevated power of transformation on themselves and others are true karma yogis.
223*** Om Shanti ***