शनिवार 14 दिसंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

014-12-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 14/12/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhārē pās|pass manmanābhav aur madhyājībhav K|kē tīkṣhṇa bāṇ haĩ , inhī̃ bāṇō̃ sē tum māyā par vijay prāpt kar saktē hō ' '

1Essence: Sweet children, you have the very sharp arrows of “Manmanabhav” and “Madhyajibhav”. 2You are able to conquer Maya with these arrows.

Question

2Praśhna  : bachchō̃ kō bāp key|kī madad kis ādhār par miltī hai  ?

3Question: On what basis do you children receive the Father's help?

3Bachchē bāp key|kī śhukriyā kis rūp sē māntē haĩ  ?

4In what way should you children thank the Father?

Answer

4Uttar  : jō bachchē jitnā bāp kō pyār sē yād kartē utnā bāp key|kī madad miltī hai .

5Answer: To the extent that you children remember the Father with love, to that extent you receive help from the Father.

5Pyār sē bātē̃ karō . 6Apnā connection ṭhīk rakhō , śhrīmat par chaltē rahō tō bāp madad kartā rahēgā .

6In order to talk to Him with love, keep your connection with Him accurate and continue to follow shrimat and the Father will then continue to help you.

7Bachchē bāp key|kī śhukriyā māntē , bābā āp paramdhām sē ākar hamē̃ patit sē pāvan banātē hō , āpsē hamē̃ kitnā sukh miltā hai .

7You children should thank the Father and say: “Baba, You come from the supreme abode and change us from impure to pure. 8We receive so much happiness from You.

8Pyār mē̃ āṅsū bhī ā jātē haĩ .

9We even shed tears out of love for You.”

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Bachchō̃ kō sabsē priya haĩ mā̃ aur bāp . 11Aur mā̃-bāp kō phir bachchē haĩ bahut priya .

11Out of everyone, one’s mother and father are the most loved, and a mother and father have a lot of love for their children.

12Ab bāp jiskō tvamēv mātāśhcha pitā kahtē haĩ .

12The Father is the One to whom people say “You are the Mother and Father”.

13Laukik mā̃-bāp kō tō kōī aisē kah na sakē̃ .

13No one says this to a physical mother or father.

14Yah mahimā hai jarūr , parantu kiskī hai - yah kōī jāntē nahī̃ .

14There is definitely this praise, but no one knows to whom it belongs.

15Agar jānē tō vahā̃ chalā jāyē aur bahutō̃ kō lē jāyē .

15If people were to know this, they would go there and take many others there too.

16Parantu drama key|kī bhāvī hī aisī hai .

16However, the drama is destined in this way.

17Jab drama pūrā hōtā hai tab hī ātē haĩ .

17Baba only comes when the drama is coming to an end.

18Āgē movie nāṭak hōtē thē , jab nāṭak pūrā hōtā thā tō sabhī actors stage par khaṛē hō jātē thē .

18Previously, there were only live plays, "talkies". 19When a play is over, all the actors come onto the stage.

19Yah bhī bēhad kā baṛā nāṭak hai .

20This drama is also an unlimited, huge play.

20Yah bhī sārā bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ ānā chāhiē - satyug , trētā , dvāpar , kaliyug . 21Yah sārī sr̥iṣhṭi kā chakra hai .

21Everything of the golden age, the silver age and the copper age, all of the cycle of the whole world, should be in the intellects of you children.

22Aisē nahī̃ mūlvatan , sūkṣhmavatan mē̃ chakra phirtā hai . 23Sr̥iṣhṭi kā chakra yahā̃ hī phirtā hai .

22It is not that the cycle turns in the supreme region or the subtle region; the world cycle turns here, in this world.

24Gāyā bhī jātā hai ēkōaṅkār satnām … yah mahimā kiskī hai  ?

23It is remembered that the incorporeal One is also called the Truth. 24Whose praise is this?

25Bhal granth mē̃ bhī sikkh lōg mahimā kartē haĩ .

25Sikh people sing this praise from the Granth.

26Gurūnānak vāch . . . ab ēkōaṅkār yah tō us ēk nirākār paramātmā key|kī hī mahimā hai parantu yah lōg paramātmā key|kī mahimā kō bhūl gurū-nānak key|kī mahimā karnē lagtē haĩ .

26Guru Nanak spoke this praise. 27However, “Ek omkar” is the praise of only the incorporeal Supreme Soul, but those people forgot that it was the Supreme Soul’s praise and began to praise Guru Nanak.

27Satgurū bhī nānak kō samajh lētē haĩ .

28They also believe that Nanak was the Satguru.

28Vāstav mē̃ sr̥iṣhṭi bhar mē̃ mahimā jō bhī hai us ēk key|kī hī hai aur kōī key|kī mahimā hai nahī̃ .

29In fact, all the praise of the whole world belongs to the One alone. 30No one else should be praised.

29Abhī dēkhō brahmā mē̃ agar bābā key|kī pravēśhtā nahī̃ hōtī tō yah kauṛī tulya hai .

31Just look! 32If Baba were not to enter Brahma, Brahma would be as worthless as a shell.

30Abhī tum kauṛī tulya sē hīrē tulya bantē hō parampitā paramātmā dvārā .

33From shells you are now becoming worth diamonds through the Supreme Father, the Supreme Soul.

31Ab hai patit duniyā , brahmā key|kī rātri .

34The world is now impure; it is the night of Brahma.

32Patit duniyā mē̃ jab bāp ātē haĩ aur jō unkō pahchān lētē haĩ vah un par kurbān jātē haĩ .

35When the Father comes into the impure world and souls recognise Him, they surrender themselves to Him.

33Āj key|kī duniyā mē̃ tō bachchē bhī dhundhakārī ban paṛtē haĩ .

36Nowadays, even children are very troublesome.

34Dēvtāyē̃ kitnē achchhē thē , abhī vah punarjanma lētē-lētē tamōpradhān ban gayē haĩ .

37The deities were very good. 38By taking rebirth, they gradually became tamopradhan.

35Sannyāsī bhī pahlē bahut achchhē thē , pavitra thē . 36Bhārat kō madad dētē thē .

39Sannyasis too used to be very good. 40They used to help Bharat with their purity.

37Bhārat mē̃ agar pavitratā na hō tō kām chitā par jal jāē .

41If there had been no purity in Bharat, it would have burnt away on the pyre of lust.

38Satyug mē̃ kām kaṭārī hōtī nahī̃ .

42There is no sword of lust in the golden age.

39Is kaliyug mē̃ sab kām chitā K|kē kāṇṭō̃ par baiṭhē huē haĩ .

43Everyone in this iron age is sitting on the thorns of the pyre of lust.

40Satyug mē̃ tō aisē nahī̃ kahē̃gē .

44This wouldn’t be said of the golden age.

41Vahā̃ yah poison hōtā nahī̃ .

45This poison doesn’t exist there.

42Kahtē haĩ nā amr̥it chhōṛ viṣh kāhē kō khāē .

46It is said: “Why should you give up nectar and drink poison instead?”

43Vikārī kō hī patit kahā jātā hai .

47People who indulge in vice are called impure.

44Ājkal manuṣhya tō dēkhō 10-12 bachchē paidā kartē rahtē haĩ . 45Kōī kāydā hī nahī̃ rahā hai .

48Nowadays, people give birth to 10 or even 12 children; there is no control.

46Satyug mē̃ jab bachchā paidā hōtā hai tō pahlē sē hī sākṣhātkār hōtā hai .

49In the golden age, when a baby is to be born, they have a vision of the child in advance.

47Śharīr chhōṛnē K|kē pahlē bhī sākṣhātkār hōtā hai ki ham yah śharīr chhōṛ jākar bachchā banū̃gā .

50Whilst a soul is still in his old body, he has a vision of the baby he is going to become after leaving his body.

48Aur ēk bachchā hī hōtā hai , jāstī nahī̃ . 49Law muzīb chaltā hai .

51A couple only have one son, no more; according to the law there.

50Vr̥iddhi tō hōnī hai jarūr . 51Parantu vahā̃ vikār hōtā nahī̃ .

52The population definitely grows, but there is no vice there.

52Bahut pūchhtē haĩ tab vahā̃ paidāis kaisē hōtī hai  ?

53Many people ask you how children will be born there.

53Bōlnā chāhiē vahā̃ yōgbal sē sab kām hōtā hai .

54Tell them that everything happens there with the power of yoga.

54Yōgbal sē hī ham sr̥iṣhṭi key|kī rājāī lētē haĩ .

55You attain the kingdom of the world with the power of yoga.

55Bāhubal sē sr̥iṣhṭi key|kī rājāī nahī̃ mil saktī hai .

56You cannot attain the kingdom of the world with physical power.

56Bābā nē samjhāyā hai agar kriściyan lōg āpas mē̃ mil jāē̃ tō sārī sr̥iṣhṭi kā rājya lē saktē haĩ parantu āpas mē̃ milē̃gē nahī̃ , law nahī̃ kahtā , isliē dō billē āpas mē̃ laṛtē haĩ tō mākhan tum bachchō̃ kō mil jātā hai .

57Baba has said that if the Christians were to unite, they could govern the whole world. 58However, the law doesn’t allow them to unite. 59When those two cats fight one another, you children receive the butter.

57Śhrīkr̥iṣhṇa K|kē mukh mē̃ mākhan dikhāyā hai .

60Krishna is shown with butter in his mouth.

58Yah sr̥iṣhṭi rūpī mākhan hai .

61The butter they show represents the kingdom of the world.

59Bēhad kā bāp kahtē haĩ yah yōgbal key|kī laṛāī śhāstrō̃ mē̃ gāī huī hai , bāhubal key|kī nahī̃ .

62The unlimited Father says that it is the battle with the power of yoga that has been remembered in the scriptures; it is not physical power.

60Unhō̃ nē phir hiṃsak laṛāī śhāstrō̃ mē̃ dikhā dī hai .

63Wars of physical violence are spoken of in the scriptures.

61Unsē apnā kōī sambandh nahī̃ hai .

64You have no connection with that.

62Pāṇḍavō̃ kauravō̃ key|kī laṛāī hai nahī̃ .

65There isn’t a war between the Pandavas and the Kauravas.

63Yah anēk dharm 5 hajār varṣh pahlē bhī thē , jō āpas mē̃ laṛkar vināśh huē .

66All of those many religions existed 5000 years ago as well. 67All of those religions fought one another and destroyed themselves.

64Pāṇḍavō̃ nē dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā key|kī .

68You Pandavas established the deity religion.

65Yah hai yōgbal , jissē sr̥iṣhṭi kā rājya miltā hai .

69It was through this power of yoga that you attained the kingdom of the world.

66Māyājīt-jagatjīt bantē haĩ .

70You are now becoming conquerors of Maya and conquerors of the world.

67Satyug mē̃ māyā rāvaṇ hōtā nahī̃ .

71Maya, Ravan, does not exist in the golden age.

68Vahā̃ thōṛēhī rāvaṇ kā but banākar jalāyēṅgē .

72You will not make any effigies of Ravan there and burn them.

69But ( chitra ) kaisē-kaisē banātē haĩ .

73All sorts of images are made now.

70Aisā kōī daitya vā asur hōtā nahī̃ .

74There can be no such demons or devils.

71Yah bhī nahī̃ samajhtē 5 vikār strī K|kē haĩ aur 5 vikār purūṣh K|kē haĩ .

75They do not even understand that both men and women have five vices.

72Unkō milākar 10 śhīśh vālā rāvaṇ banā dētē haĩ .

76They put them together and make an effigy of Ravan with ten heads.

73Jaisē viṣhṇu kō bhī 4 bhujāyē̃ dētē haĩ . 74Manuṣhya tō yah common bāt bhī samajhtē nahī̃ haĩ .

77They also portray Vishnu with four arms; people do not understand this common aspect.

75Baṛā rāvaṇ banākar jalātē haĩ .

78They make a huge effigy of Ravan and burn that.

76Most beloved bachchō̃ kō abhī bēhad kā bāp samjhātē haĩ .

79The unlimited Father is explaining these things to you most beloved children.

77Bāp kō bachchē hamēśhā number-vār pyārē hōtē haĩ .

80A father always loves his children, numberwise.

78Kōī tō most beloved bhī haĩ tō kōī cum|kam pyārē bhī haĩ .

81Some are most beloved and some are less loved.

79Jitnā sikīladhā bachchā hōgā utnā jāstī lav|love hōgā .

82The dearer a child is to someone, the more loved he would be.

80Yahā̃ bhī jō service par tatpar rahtē haĩ , merciful rahtē haĩ , vah pyārē lagtē haĩ .

83Here, too, those who are present on service and are merciful are loved.

81Bhakti mārg mē̃ rahm māṅgtē haĩ nā  !

84People on the path of devotion ask for mercy.

82Khudā rahm karō . 83Mercy on me .

85They say: “God, please have mercy on me!”

84Parantu drama kō kōī jāntē nahī̃ haĩ .

86However, no one knows the drama.

85Jab bahut tamōpradhān ban jātē haĩ tab hī bābā kā programme hai ānē kā .

87Baba's programme is fixed for Him to come when they have become totally impure.

86Aisē nahī̃ , īśhvar jō chāhē kar saktē haĩ yā jab chāhē tab ā saktē haĩ .

88It is not that God can do whatever He wants or that He can come whenever He wants.

87Agar aisī śhakti hōtī tō phir itnī gālī kyō̃ milē  ?

89If He had such power, why has He been defamed so much?

88Vanvās kyō̃ milē̃  ?

90And, why was He sent into exile? 91(Story of Rama in the Ramayana).

89Yah bātē̃ baṛī gupta haĩ .

92These are very incognito matters.

90Śhrīkr̥iṣhṇa kō tō gālī mil na sakē .

93Krishna cannot be defamed.

91Kahtē haĩ bhagvān yah nahī̃ kar saktā  !

94It is said: “God wouldn’t do those things.”

92Parantu vināśh tō hōnā hī hai phir bachānē key|kī tō bāt hī nahī̃ .

95However, destruction definitely has to take place, so it is not a question of saving anyone.

93Sabhī kō vāpis lē jānā hai .

96Everyone has to be taken back home.

94Sthāpanā-vināśh karātē haĩ tō jarūr bhagvān hōgā nā .

97Establishment and destruction are inspired and so there must definitely be God, must there not?

95Parampitā paramātmā sthāpanā kartē haĩ , kiskī  ?

98The Supreme Father, the Supreme Soul, carries out establishment. 99Of what?

96Mukhya bāt tum pūchhō hī yah ki gītā kā bhagvān kaun  ?

100You should ask people the main question: “Who is the God of the Gita”?

97Sārī duniyā ismē̃ mūnjhī huī hai .

101The whole world is confused about this.

98Unhōnnē tō manuṣhya kā nām ḍāl diyā hai .

102They have put a human being’s name in the scripture.

99Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā tō bhagvān bigar kōī kar nahī̃ saktā .

103No one but God can establish the original eternal deity religion.

100Phir tum kaisē kahtē hō śhrīkr̥iṣhṇa gītā kā bhagvān hai .

104So, how can they say that Shri Krishna is the God of the Gita?

101Vināśh aur sthāpanā karānā kiskā kām hai  ?

105Who has the task of destruction and establishment?

102Gītā K|kē bhagvān kō bhūl gītā kō hī khaṇḍan kar diyā hai .

106By forgetting who the God of the Gita is, they have ruined the Gita.

103Yah baṛē tē baṛī bhūl hai .

107This is their greatest mistake.

104Dūsrā phir jagannāthpurī mē̃ dēvtāō̃ K|kē baṛē gandē chitra banāyē haĩ .

108Then, secondly, at Jagadnathpuri, they have made statues of the deities portrayed in very dirty postures.

105Government key|kī manā hai gandē chitra rakhnē key|kī .

109The Government has forbidden the keeping of dirty pictures.

106Tō is par samjhānā chāhiē .

110Therefore, explain this to them.

107In mandirō̃ par kōī key|kī buddhi mē̃ yah bātē̃ ātī nahī̃ haĩ .

111These things about the temples do not enter anyone's intellect.

108Yah bātē̃ bāp hī baiṭh samjhātē haĩ .

112Only the Father sits here and explains these things.

109Dēkhō , bachchiyā̃ kitnā pratigyā patra bhī likhtī haĩ .

113Look how you children write a letter with your promise.

110Khūn sē bhī likhtī .

114Some of you write it in blood.

111Ēk kathā bhī hai nā śhrīkr̥iṣhṇa kō khūn nikalā tō drōpadī nē apnā chīr phāḍkar bāndh diyā .

115There is a story of how Draupadi tore off a piece of her sari and bandaged Shri Krishna’s bleeding wound.

112Yah lav|love hai nā .

116That is a symbol of her love.

113Tumhārā lav|love hai śhivbābā kē sāth .

117Your love is for Shiv Baba.

114Inkā ( brahmā kā ) khūn nikal saktā hai , inkō duḥkh hō saktā hai lēkin śhivbābā kō kabhī duḥkh nahī̃ hō saktā kyōṅki unkō apnā śharīr tō hai nahī̃ .

118This one, Brahma, can bleed. 119He can feel pain, but Shiv Baba cannot feel pain, because He doesn’t have a body of His own.

115Śhrīkr̥iṣhṇa kō agar kuchh lagē tō duḥkh hōgā nā . 116Tō unkō phir paramātmā kaisē kah saktē .

120If Shri Krishna had been wounded, he would have felt pain and so how could you call him God?

117Bābā kahtē maĩ tō duḥkh-sukh sē nyārā hū̃ .

121Baba says: I am beyond happiness and sorrow.

118Hā̃ , bachchō̃ kō ākar sadā sukhī banātā hū̃ .

122Yes, I do come and make you children constantly happy.

119Sadā śhiv gāyā jātā hai .

123It is said that Shiva is constant.

120Sadā śhiv , sukh dēnē vālā kahtē haĩ - mērē mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchē jō sapūt haĩ , gyān dhāraṇ kar pavitra rahtē haĩ , sachchē yōgī aur gyānī rahtē haĩ , vah mujhē pyārē lagtē haĩ .

124They say that Shiva is the One who gives constant happiness. 125I love my sweetest, long-lost and now-found, worthy children who imbibe this knowledge and remain pure, those who remain truly enlightened and yogi.

121Laukik bāp kē pās bhī kōī achchhē , kōī burē bachchē hōtē haĩ .

126A physical father would also have some good children and some bad children.

122Kōī kul kō kalaṅk lagānē vālē nikal paṛtē haĩ . 123Bahut gandē ban jātē haĩ .

127Some turn out to be very bad and thereby defame their family name; they become very dirty.

124Yahā̃ bhī aisē haĩ .

128The same thing happens here.

125Āśhcharyavat bachchā banantī , sunantī , kathantī phir phārkatī dēvantī . . . isliē hī niśhchay patra likhvāyā jātā hai .

129They become amazed, they come here and belong to Baba, they listen to this knowledge, they give this knowledge to others and then they divorce Baba.

126Tō vah likhat phir sāmnē dī jāyēgī .

130This is why you are asked to write a letter of your faith.

127Blood sē bhī likhkar dētē haĩ .

131This letter will then be presented to you.

128Blood sē likhkar pratigyā kartē haĩ .

132Some of you even write it with your blood; you make a promise, writing it in blood.

129Ājkal tō kasam bhī uṭhvātē haĩ . 130Parantu vah hai jhūṭhā kasam .

133Nowadays, people are made to take the oath, but that is a false oath.

131Īśhvar kō hāzir-nāzir jānnā arthāt yah bhī īśhvar hai , maĩ bhī īśhvar kasam uṭhātā hū̃ .

134To believe that God is present everywhere means to take the oath with the consciousness, “I am God and you are God”.

132Bāp kahtē haĩ abhī tum practical mē̃ hāzir nāzir jāntē hō .

135The Father says: You now understand how the Father can be present everywhere in a practical way.

133Bābā in āṅkhō̃ rūpī khiṛkiyō̃ sē dēkhtē haĩ .

136Baba sees through the windows of these eyes.

134Yah parāyā śharīr hai . 135Loan par liyā hai .

137This is a foreign body taken on loan.

136Bābā kirāyēdār hai . 137Makān kō kām mē̃ lāyā jātā hai nā .

138Baba is the Tenant making use of this house.

138Tō bābā kahtē haĩ maĩ yah tan kām mē̃ lātā hū̃ .

139Similarly, Baba says: I make use of this body.

139Bābā in khiṛkiyō̃ sē dēkhtē haĩ .

140Baba looks at you through these windows.

140Hāzir-nāzir hai .

141He is present here and looking at you.

141Ātmā jarūr organs sē hī kām lēgī nā .

142A soul would definitely have to work through his organs.

142Maĩ āyā hū̃ tō jarūr sunāūṅgā nā .

143I have entered this one and so I would definitely speak.

143Organs use kartē haĩ tō jarūr kirāyā bhī dēnā paṛēgā .

144I would certainly have to pay rent for the use of these organs.

144Tum bachchē is samay nark kō svarg banānē vālē hō .

145You children are now changing hell into heaven.

145Tum rōśhnī dēnē vālē , jāgr̥it karnē vālē hō .

146You are the ones who have to awaken everyone; you are those who give everyone light.

146Aur tō sab kumbhakaraṇ key|kī nīnd mē̃ sōyē paṛē haĩ .

147Everyone else is sleeping in the sleep of Kumbhakarna.

147Tum mātāyē̃ jagātī hō , svarg kā mālik banātī hō .

148You mothers awaken them; you make them into the masters of heaven.

148Ismē̃ majority mātāō̃ kī hai , isliē vandē mātaram kahā jātā hai .

149The majority of you here are mothers. 150This is why it is said: “Salutations to the mothers”.

149Bhīṣhma pitāmah ādi kō bhī tumnē hī bāṇ mārē haĩ .

151You are the ones who shot the arrows at Bhishampitamai, etc.

150Manmanābhav-madhyājībhav kā bāṇ kitnā sahaj hai .

152The arrows of “Manmanabhav” and “Madhyajibhav” are very easy to shoot.

151Inhī̃ bāṇō̃ sē tum māyā par bhī jīt pā lētē hō .

153It is with these arrows that you become able to conquer Maya.

152Tumhē̃ ēk bāp kī yād , ēk key|kī śhrīmat par hī chalnā hai .

154You have to remember the one Father and follow the shrimat of that One.

153Bāp tumhē̃ aisē śhrēṣhṭh karma sikhlātē haĩ , jō 21 janm kabhī karma kūṭnē key|kī darkār hī na paṛē .

155The Father teaches you such elevated actions that you will not have to repent for your actions for 21 births.

154Tum everhealthy-everwealthy bantē hō .

156You are becoming ever healthy and ever wealthy.

155Anēk bār tum svarg K|kē mālik banē hō .

157You have become the masters of the world many times.

156Rājya liyā aur phir ganvāyā hai .

158You attained your kingdom and then lost it again.

157Tum brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ hī hero-heroine kā part bajātē hō .

159You jewels of the Brahmin clan play the parts of heroes and heroines.

158Drama mē̃ sabsē ūñch part tum bachchō̃ kā hai .

160You children play the most elevated parts in the drama.

159Tō aisē ūñch banānē vālē bāp kē sāth bahut lav|love chāhiē .

161Therefore, you should have a lot of love for the Father who makes you so elevated.

160Bābā āp kamāl kartē hō .

162“Baba, You perform such a miracle!

161Na man , na chit , hamkō thōṛēhī patā hai , ham sō nārāyaṇ thē .

163I never had the slightest thought that I was Narayan.”

162Bābā kahtē haĩ tum sō nārāyaṇ athavā sō lakṣhmī dēvī-dēvtā thē phir punarjanma lētē-lētē asur ban gayē hō .

164Baba says: You children were like Lakshmi and Narayan and deities. 165Then, whilst taking rebirth, you changed into devils.

163Abhī phir purūṣhārth kar varsā pāō .

166Now make effort and claim your inheritance.

164Jitnā jō purūṣhārth kartē haĩ , sākṣhātkār hōtā rahtā hai .

167It is said, “The more effort one makes, the more visions one receives”.

165Rājyōg ēk bāp nē hī sikhlāyā thā .

168Only the one Father taught you this Raja Yoga.

166Sachchā-sachchā sahaj rājyōg tō tum abhī sikhlā saktē hō .

169You can now teach this true and easy Raja Yoga to others.

167Tumhārā pharz hai bāp kā parichay sabkō dēnā .

170Your duty is to give everyone the Father's introduction.

168Sabhī nidhankē ban paṛē haĩ .

171Everyone is now orphaned.

169Yah bātē̃ bhī kalp pahlē vālē kōṭō̃ mē̃ kōī hī samajhē̃gē .

172Out of multimillions, only the few who understood these things in the previous cycle will understand.

170Bābā nē samjhāyā hai , sārī duniyā mē̃ mahān mūrkh dēkhnā hō tō yahā̃ dēkhō .

173Baba has said that if you want to see the greatest fools in the world, you can see them here.

171Bāp jinsē 21 janm kā varsā miltā , unkō bhī phārkatī dē dētē haĩ .

174They are those who divorce the Father, the One who would have given them the inheritance for 21 births.

172Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

175This is fixed in the drama.

173Abhī tum svayã īśhvar key|kī aulād hō .

176You are now children of God Himself.

174Phir dēvtā , kṣhatriya , vaiśhya , śhudra key|kī aulād banē̃gē .

177Then, you will take birth as children of the deities, the warriors, the merchants and the shudras.

175Abhī āsurī aulād sē īśhvarīy santān banē hō .

178You have now changed from the devil’s children into God’s children.

176Bāp paramdhām sē ākar patit sē pāvan banātē haĩ tō kitnā śhukriyā mānnā chāhiē .

179The Father comes from the supreme abode to change you from impure to pure; you should thank Him so much.

177Bhakti mārg mē̃ bhī śhukriyā kartē rahtē haĩ .

180People on the path of devotion also thank Him so much.

178Duḥkh mē̃ thōṛēhī śhukriyā mānē̃gē .

181They wouldn’t thank Him when they are unhappy.

179Abhī tumkō kitnā sukh miltā hai tō bahut lav|love hōnā chāhiē .

182You are now being given so much happiness. 183Therefore, you should love Him so much.

180Ham bāp sē pyār sē bātē̃ karē̃gē tō kyō̃ nahī̃ sunē̃gē . 181Connection hai nā .

184If you make a connection with the Father and speak to him with love, why would He not listen?

182Rāt kō uṭhkar bābā sē bātē̃ karnī chāhiē .

185You should wake up during the night and talk to Baba.

183Bābā apnā anubhav batlātē rahtē haĩ . 184Maĩ bahut yād kartā hū̃ .

186This Baba continues to share his experiences: I remember Baba a great deal.

185Bābā key|kī yād mē̃ āṅsū bhī ā jātē haĩ .

187There are even tears of love whilst in remembrance of Baba.

186Ham kyā thē , bābā nē kyā banā diyā hai - tattvam .

188What was I and what has Baba made me? 189The same applies to you too.

187Tum bhī vah bantē hō .

190You are now becoming like that.

188Yōg mē̃ rahnē vālō̃ kō bābā madad bhī dētē haĩ .

191Baba also helps those who stay in yoga.

189Āpēhī āṅkh khul jāyēgī .

192Your eyes will open automatically.

190Khaṭiyā hil jāēgī .

193Your bed will shake.

191Bābā bahutō̃ kō uṭhātē haĩ .

194Baba wakes many up in this way.

192Bēhad kā bāp kitnā rahm kartē haĩ .

195The unlimited Father has so much mercy.

193Tum yahā̃ kyō̃ āyē hō  ? 194Kahtē hō bābā bhaviṣhya mē̃ śhrī nārāyaṇ kō varnē key|kī śhikṣhā pānē āyē haĩ athavā lakṣhmī kō varnē liē yah imtahān pās|pass kar rahē hō .

196When Baba asks you why you have come here, you reply: "Baba, I have come to be taught how to become worthy of marrying Shri Narayan in the future.” 197Or, “I have to pass this examination to be able to marry Lakshmi."

195Kitnā wonderful school hai .

198This is such a wonderful school!

196Kitnī wonderful bātē̃ haĩ .

199These are such wonderful matters.

197Baṛē tē baṛī university hai .

200This is the greatest university.

198Parantu godly university nām rakhnē nahī̃ dētē haĩ .

201However, the Government doesn’t allow you to use the name "Godly University".

199Ēk din jarūr mānē̃gē .

202One day, they will definitely accept this.

200Ātē rahē̃gē .

203People will continue to come.

201Kahē̃gē barōbar kitnī baṛī university hai .

204They will say that this certainly is a very big university.

202Bābā tō apnē nayanō̃ par biṭhākar tumkō paṛhātē haĩ .

205Baba sits you in His eyes and teaches you.

203Kahtē haĩ tumkō svarg mē̃ pahuñchā dēgē .

206He says that He will take you to heaven.

204Tō aisē bābā sē kitnī bātē̃ karnī chāhiē . 205Phir bābā bahut madad karē̃gē .

207So, if you talk like this to Baba a lot, Baba will give you a lot of help.

206Jinkē galē ghuṭē huē haĩ , unkā tālā khōl dēgē .

208He will open the locks on those whose throats are choking.

207Rāt kō yād karnē sē bahut mazā āyēgā .

209By having remembrance at night, you will experience a lot of pleasure.

208Bābā apnā anubhav batlātē haĩ . 209Maĩ kaisī bātē̃ kartā hū̃ , amr̥itvēlē .

210Baba tells you his experience and tells you how he talks to Baba in the morning hours of nectar.

210Bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ khabardār rahnā .

211The Father says to you children: Be cautious!

211Kul kō kalaṅkit nahī̃ karnā .

212Do not defame the name of this clan.

2125 vikār dān mē̃ dē phir vāpis nahī̃ lēnā .

213Do not take back the five vices you have donated to Him.

213Achchhā  !

214Achcha.

214Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

215To the sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

215Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

216The spiritual Father says namaste to the spiritual children.

Essence for dharna

216Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

217Essence for dharna:

2171 ) bāp kā priya bannē kē liē merciful ban service par tatpar rahnā hai .

218 1. In order to be loved by the Father, be merciful and remain present on service.

218Sapūt , āgyākārī ban sachchā yōgī vā gyānī bannā hai .

219Be worthy and obedient and thereby become a true gyani and yogi soul.

2192 ) amr̥itvēlē uṭh bāp sē bahut mīṭhī-mīṭhī bātē̃ karnā hai , bāp kā śhukriyā mānnā hai .

220 2. Wake up early in the morning hours of nectar and have a sweet conversation with the Father.

220Bāp key|kī madad kā anubhav karnē kē liē most beloved bāp kō baṛē pyār sē yād karnā hai .

221You must give thanks to the Father. 222In order to experience the Father’s help, remember the most beloved Father with a lot of love.

Blessing

221Vardān  : sadā umaṅg-utsāh mē̃ rah man sē khuśhī K|kē gīt gānē vālē avināśhī khuśhnasīb bhav

223Blessing: May you have the eternal fortune of happiness by having constant zeal and enthusiasm, and by singing songs of happiness in your mind.

222Āp khuśhnasīb bachchē avināśhī vidhi sē avināśhī siddhiyā̃ prāpt kartē hō .

224 You children who have the fortune of happiness receive imperishable success by using eternal methods.

223Āpkē man sē sadā vāh-vāh key|kī khuśhī K|kē gīt bajtē rahtē haĩ .

225“Wah! 226Wah!” songs of happiness constantly emerge in your minds.

224Vāh bābā  !

227“Wah Baba!

225Vāh takdīr  !

228Wah fortune!

226Vāh mīṭhā parivār  !

229Wah sweet family!

227Vāh śhrēṣhṭh saṅgam kā suhāvanā samay  !

230Wah the beautiful time of the elevated confluence age!”

228Her|har karma vāh-vāh hai isliē āp avināśhī khuśhnasīb hō .

231Each action is “Wah! 232Wah!” and so you have the eternal fortune of happiness.

229Āpkē man mē̃ kabhī why , I|āī|eye ( kyō̃ , maĩ ) nahī̃ ā saktā .

233The question “Why me?” can never enter your minds.

230Why kē bajāē vāh-vāh aur I|āī|eye kē bajāē bābā-bābā śhabda hī ātā hai .

234Instead of “Why?” you say “Wah! 235Wah!” and instead of “I”, you say “Baba! 236Baba!”

Slogan

231Slōgan  : jō saṅkalp kartē hō usē avināśhī government key|kī stamp lagā dō tō aṭal rahē̃gē .

237Slogan: Put this imperishable Government’s stamp on whatever thoughts you have and you will stay strong.

238*** Om Shanti ***