बुधवार 18 दिसंबर 2024 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

018-12-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 18/12/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - sarvśhaktimān bāp sē buddhiyōg lagānē sē śhakti milēgī , yād sē hī ātmā rūpī battery charge hōtī hai , ātmā pavitra satōpradhān ban jātī hai ' '

1Essence: Sweet children, you receive might by linking your intellects in yoga to the Almighty Authority Father. 2It is by having remembrance that you souls can charge your batteries and become pure and satopradhan.

Question

2Praśhna  : saṅgamyug par tum bachchē kaun-sā purūṣhārth kartē hō jiskī prālabdh mē̃ dēvtā pad miltā hai  ?

3Question: What effort do you children make at the confluence age that rewards you with a deity status?

Answer

3Uttar  : saṅgam par ham śhītal bannē kā purūṣhārth kartē haĩ .

4Answer: At the confluence age, you make the effort to become cool (serene).

4Śhītal arthāt pavitra bannē sē ham dēvtā ban jātē haĩ .

5It is by becoming cool, by becoming pure, that you become deities.

5Jab tak śhītal na banē̃ tab tak dēvtā bhī ban nahī̃ saktē .

6Until you become cool, you cannot become deities.

6Saṅgam par śhītal dēviyā̃ ban sab par gyān K|kē ṭhaṇḍē chhīṇṭē ḍāl sabkō śhītal karnā hai .

7At the confluence age, you become goddesses of coolness (Sheetladevi) and sprinkle everyone with cool drops of this knowledge to make everyone cool.

7Sabkī tapat bujhānī hai . 8Khud bhī śhītal bannā hai aur sabkō bhī banānā hai .

8You first have to become cool yourself and then extinguish the fire of everyone else and make them cool.

Murli

9Ōm śhānti .

9Om shanti.

10Bachchō̃ kō pahlē-pahlē ēk hī bāt samajhnē kī hai ki ham sab bhāī haĩ aur śhivbābā sabhī kā bāp hai .

10First of all, you children just have to understand one thing: We are all brothers and Shiv Baba is the Father of us all.

11Unhē̃ sarvśhaktimān kahā jātā hai .

11He is called the Almighty Authority.

12Tumhārē mē̃ sarvśhaktiyā̃ thī . 13Tum sārē viśhva par rājya kartē thē .

12When you ruled over the whole world, you had all the powers.

14Bhārat mē̃ in dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā , tum hī pavitra dēvī-dēvtā thē .

13The kingdom of deities used to exist in Bharat. 14You were pure deities.

15Tumhārē kul vā dynasty mē̃ sabhī nirvikārī thē .

15All of your clan, that is, your whole dynasty, was viceless.

16Kaun nirvikārī thē  ?

16Who were viceless?

17Ātmāyē̃ .

17You souls.

18Abhī phir sē tum nirvikārī ban rahē hō .

18You are now, once again, becoming viceless.

19Sarvśhaktimān bāp kī yād sē śhakti lē rahē hō .

19By having remembrance of the Almighty Authority, you are receiving might from Him.

20Bāp nē samjhāyā hai ātmā hī 84 kā part bajātī hai .

20The Father has explained that it is you souls who each play a part of 84 births.

21Ātmā mē̃ hī satōpradhāntā key|kī tākat thī , vah phir din-pratidin kam hōtī jātī hai .

21You souls had satopradhan power; that gradually decreased day by day.

22Satōpradhān sē tamōpradhān tō bannā hī hai .

22From being satopradhan, you had to become tamopradhan.

23Jaisē battery key|kī tākat kam hōtī jātī hai tō motor khaṛī hō jātī hai . 24Battery discharge hō jātī hai .

23When the strength of a battery has run out, the motor comes to a halt; the battery becomes discharged.

25Ātmā key|kī battery full discharge nahī̃ hōtī , kuchh na kuchh tākat rahtī hai .

24The battery of a soul doesn’t become fully discharged; there is some power left.

26Jaisē kōī martā hai tō dīvā jalātē haĩ , usmē̃ ghr̥it ḍāltē hī rahtē haĩ ki kahā̃ jyōt bujh na jāē .

25When someone dies, a lamp is lit and kept filled with oil so that the light doesn’t go out.

27Abhī tum bachchē samajhtē hō tumhārī ātmā mē̃ pūrī śhakti thī , abhī nahī̃ hai .

26You children now understand that you souls had full strength and that you no longer have that.

28Abhī phir tum sarvśhaktimān bāp sē apnā buddhiyōg lagātē hō , apnē mē̃ śhakti bhartē hō kyōṅki śhakti kam hō gaī hai .

27You must now keep your intellects in yoga with the Almighty Authority Father and fill yourselves with power, because you have very little power left.

29Śhakti ēkdam khatm hō jāē tō śharīr hī na rahē .

28If your power were to finish completely, your bodies would not remain.

30Ātmā bāp kō yād kartē-kartē ēkdam pure hō jātī hai .

29By remembering the Father, you souls become completely pure.

31Satyug mē̃ tumhārī battery full charge rahtī hai .

30In the golden age, your batteries are fully charged.

32Phir dhīrē-dhīrē kalā arthāt battery kam hōtī jātī hai .

31Then your degrees, that is, the power of your batteries gradually discharges.

33Kaliyug ant tak ātmā key|kī tākat ēkdam thōṛī rah jātī hai .

32By the time you souls reach the end of the iron age, you have very little power left.

34Jaisē tākat kā dēvālā nikal jātā hai .

33It is as though you are bankrupt of your strength.

35Bāp kō yād karnē sē ātmā phir sē bharpūr hō jātī hai .

34By remembering the Father, you souls become full of strength.

36Tō abhī bāp samjhātē haĩ ēk kō hī yād karnā hai .

35Therefore, the Father explains: You must remember the One alone.

37Ūñch tē ūñch hai bhagvant . 38Bākī sab hai rachnā .

36God is the Highest on High; everyone else is part of creation.

39Rachnā kō rachnā sē had kā varsā miltā hai .

37A creation can only receive a limited inheritance from a creation.

40Creator tō ēk hī bēhad kā bāp hai . 41Bākī sab haĩ had K|kē .

38The unlimited Father is the only Creator; all other fathers are limited.

42Bēhad K|kē bāp kō yād karnē sē bēhad kā varsā miltā hai .

39By remembering the unlimited Father, you receive the unlimited inheritance.

43Tō bachchō̃ kō dil andar samajhnā chāhiē ki bābā hamārē liē svarg naī duniyā sthāpan kar rahē haĩ .

40Therefore, you children should know in your hearts that Baba is establishing heaven, the new world, for us.

44Drama plan anusār svarg key|kī sthāpanā hō rahī hai , jismē̃ tum bachchē hī ākar rājya kartē hō .

41Heaven is being established according to the drama plan. 42It is you children who will go and rule there.

45Maĩ tō ever pavitra hū̃ .

43I am ever pure.

46Maĩ kabhī garbh sē janm nahī̃ lētā hū̃ , na dēvī-dēvatāō̃ kī tarah janma lētā hū̃ .

44I do not take birth through a womb. 45I do not take birth as the deities do.

47Sirph tum bachchō̃ kō svarg kī bādśhāhī dēnē kē liē jab yah ( bābā ) 60 varṣh key|kī vānaprasth avasthā mē̃ hōtā hai tab inkē tan mē̃ maĩ pravēśh kartā hū̃ .

46In order to give you children the kingdom of heaven, I enter the body of this one when he reaches 60, the age of retirement.

48Yahī phir number one tamōpradhān sē number one satōpradhān bantā hai .

47Then, from being the number one tamopradhan soul, he becomes number one satopradhan.

49Ūñch tē ūñch hai bhagvān . 50Phir hai brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar - sūkṣhmavatan vāsī .

48God is the Highest on High and then there are Brahma, Vishnu and Shankar who reside in the subtle region.

51Yah brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kahā̃ sē āyē  ?

49Where did this Brahma, Vishnu and Shankar come from?

52Yah sirph sākṣhātkār hōtā hai .

50Those are just visions that you have.

53Sūkṣhmavatan bīch kā hai nā .

51The subtle region is in the middle.

54Jahā̃ sthūl śharīr hai nahī̃ .

52There are no physical bodies there.

55Sūkṣhma śharīr sirph divya dr̥iṣhṭi sē dēkhā jātā hai .

53Those subtle bodies can only be seen in a divine vision.

56Brahmā tō hai saphēd vastradhārī . 57Vah viṣhṇu hai hīrē javāharō̃ sē sajā-sajāyā .

54Brahma is the one dressed in white, whereas Vishnu is adorned with diamonds and jewels.

58Phir śhaṅkar K|kē galē mē̃ nāg ādi dikhātē haĩ . 59Aisē śhaṅkar ādi kōī hō nahī̃ saktā .

55They portray Shankar with a snake around his neck, but Shankar couldn’t be like that.

60Dikhātē haĩ amarnāth par śhaṅkar nē pārvatī kō amar kathā sunāī .

56At Amarnath, they portray Shankar telling Parvati the story of immortality.

61Abhī phir sūkṣhmavatan mē̃ tō manuṣhya sr̥iṣhṭi hai nahī̃ . 62Tō kathā vahā̃ kaisē sunāyēṅgē  ?

57There is not a human world in the subtle region, so how could he relate a story there?

63Bākī sūkṣhmavatan kā sirph sākṣhātkār hōtā hai .

58The subtle region is simply for visions.

64Jō bilkul pavitra hō jātē haĩ unkā sākṣhātkār hōtā hai .

59You see visions of those who have become absolutely pure.

65Yahī phir satyug mē̃ jākar svarg K|kē mālik bantē haĩ .

60They are the ones who then become the masters of heaven when they go to the golden age.

66Tō buddhi mē̃ ānā chāhiē ki inhōnnē phir yah rājya-bhāgya kaisē pāyā  ?

61Therefore, it should enter your intellects how they claimed their fortune of the kingdom.

67Laṛāī ādi tō kuchh hōtī nahī̃ hai .

62There are no battles, etc. there.

68Dēvtāyē̃ hiṅsā kaisē karē̃gē  ?

63How could deities be violent?

69Abhī tum bāp kō yād kar rājāī lētē hō , kōī mānē vā na mānē .

64Whether anyone believes it or not, you are now claiming that kingdom by remembering the Father.

70Gītā mē̃ bhī hai dēh sahit dēh K|kē sab dharmō̃ kō bhūl māmēkam yād karō .

65It is mentioned in the Gita: Forget your body and all your bodily religions and constantly remember Me alone.

71Bāp kō tō dēh hī nahī̃ hai , jismē̃ mamatva hō .

66The Father doesn’t have a body to which He could be attached.

72Bāp kahtē haĩ - thōṛē samay kē liē is śharīr kā loan lētā hū̃ .

67The Father says: I just take this body on loan for a short time.

73Nahī̃ tō maĩ knowledge kaisē dū̃  ?

68Otherwise, how would I give you this knowledge?

74Maĩ is jhāṛ kā chaitanya bījrūp hū̃ .

69I am the living Seed of this tree.

75Is jhāṛ key|kī knowledge mērē hī pās|pass hai .

70Only I have the knowledge of this tree.

76Is sr̥iṣhṭi key|kī āyu kitnī hai  ? 77Kaisē utpatti , pālnā , vināśh hōtā hai  ? 78Manuṣhyō̃ kō kuchh patā nahī̃ hai .

71People know nothing of the duration of this world or how it is created, sustained and destroyed.

79Vah paṛhtē haĩ had key|kī paṛhāī .

72They study a limited study.

80Bāp tō bēhad key|kī paṛhāī paṛhākar bachchō̃ kō viśhva kā mālik banātē haĩ .

73The Father teaches you this unlimited study and makes you children into the masters of the world.

81Bhagvān kabhī dēhdhārī manuṣhya kō nahī̃ kahā jātā .

74No bodily being can ever be called God.

82Inhō̃ kō ( brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kō ) bhī apnī sūkṣhma dēh hai isliē inhē̃ bhī bhagvān nahī̃ kahē̃gē .

75They (Brahma, Vishnu and Shankar) have their own subtle bodies, and they, too, cannot be called God.

83Yah śharīr tō is dādā key|kī ātmā kā takht hai .

76This body is the throne for Dada's soul.

84Akāl takht hai nā . 85Abhī yah akālmūrt bāp kā takht hai .

77This throne is now the immortal throne, the throne of the Father, the Immortal Image.

86Amr̥itsar mē̃ bhī akāltakht hai .

78There is a throne in Amritsar that is called the Immortal Throne.

87Baṛē-baṛē jō hōtē haĩ , vahā̃ akāltakht par jākar baiṭhtē haĩ .

79Important people are invited to sit on that Immortal Throne.

88Abhī bāp samjhātē haĩ yah sab ātmāō̃ kā akāltakht hai .

80The Father explains: All of these are the immortal thrones of souls.

89Ātmā mē̃ hī achchhē vā burē saṅskār hōtē haĩ , tab tō kahtē haĩ yah karmō̃ kā phal hai .

81Good and bad sanskars are within each soul and this is why it is said: This is the fruit of your actions.

90Sab ātmāō̃ kā bāp ēk hī hai .

82The Father of all souls is one.

91Bābā kōī śhāstra ādi paṛhkar nahī̃ samjhātē haĩ .

83Baba is not explaining to you from the scriptures.

92Yah bātē̃ bhī śhāstrō̃ ādi mē̃ nahī̃ haĩ , tab tō lōg chiṛhtē haĩ , kahtē haĩ yah lōg śhāstrō̃ kō nahī̃ māntē .

84None of these things are mentioned in the scriptures. 85This is why people become irritated and say that we don’t believe in the scriptures.

93Sādhū-santa ādi gaṅgā mē̃ jākar snān kartē haĩ tō kyā pāvan ban gayē  ?

86When sages and holy men go to bathe in the Ganges, do they become pure?

94Vāpis tō kōī jā nahī̃ saktē .

87No one can return home yet.

95Sab pichhāṛī mē̃ jāyēṅgē . 96Jaisē makkaṛō̃ kā jhuṇḍ vā makkhiyō̃ kā jhuṇḍ jātā hai .

88Everyone will return home at the end, just like a swarm of insects or a swarm of bees.

97Makkhiyō̃ mē̃ bhī queen hōtī hai , unkē pichhāṛī sabhī jātē haĩ , bāp bhī jāyēṅgē tō unkē pichhāṛī sab ātmāyē̃ bhī jāyēṅgī .

89There is the queen bee and all the other bees follow her. 90Likewise, when the Father returns home, all souls will follow Him.

98Mūlvatan mē̃ bhī jaisē sabhī ātmāō̃ kā jhuṇḍ hai . 99Yahā̃ phir hai sabhī manuṣhyō̃ kā jhuṇḍ .

91It will be as though there is a crowd of souls in the incorporeal world, whereas here, it is crowded with human beings.

100Tō yah jhuṇḍ bhī ēk din bhāgnā hai .

92This crowd here will also have to run home one day.

101Bāp ākar sabhī ātmāō̃ kō lē jātē haĩ .

93The Father will come and take all of you souls back with Him.

102Śhiv key|kī barāt gāī huī hai .

94There is the praise of Shiva’s wedding procession.

103Bachchē kahō vā bachchiyā̃ kahō . 104Bāp ākar bachchō̃ kō yād kī yātrā sikhlātē haĩ .

95Whether you are sons or daughters, the Father comes and teaches all of you children the pilgrimage of remembrance.

105Pavitra bannē bigar ātmā ghar vāpis jā nahī̃ saktī .

96Souls cannot return home without first becoming pure.

106Jab pavitra ban jāyēṅgī tō pahlē śhāntidhām mē̃ jāyēṅgī phir vahā̃ sē āhistē-āhistē ātē rahtē haĩ , vr̥iddhi hōtī rahtī hai .

97After you have become pure, you will first go to your abode of silence and then go down gradually, numberwise. 98The world population will continue to grow.

107Rājdhānī bannī hai nā .

99The kingdom has to be created.

108Sabhī ikaṭṭhē nahī̃ ātē haĩ . 109Jhāṛ āhistē-āhistē vr̥iddhi kō pātā hai nā .

100Therefore, not everyone will go down together, at the same time; the tree gradually continues to grow.

110Pahlē-pahlē ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hai jō bāp sthāpan kartē haĩ .

101The Father first of all establishes the original, eternal, deity religion.

111Brāhmaṇ bhī pahlē-pahlē vahī bantē haĩ jinhē̃ dēvtā bannā hai .

102The first ones to become Brahmins are those who are to become deities.

112Prajāpitā brahmā tō hai nā . 113Prajā mē̃ bhī bhāī-bahan hō jātē haĩ .

103There is Prajapita Brahma (Father of People), and so there would also be brothers and sisters among the people.

114Brahmākumār-kumāriyā̃ tō yahā̃ ḍhēr bantē haĩ .

104Many become Brahma Kumars and Kumaris here.

115Jarūr niśhchaybuddhi hōṅgē tab tō itnē ḍhēr marks lētē haĩ .

105It must definitely be because their intellects have faith that they are able to claim so many marks.

116Tumhārē mē̃ jō pakkē haĩ vah vahā̃ pahlē ātē haĩ , kachchē vālē pichhāṛī mē̃ hī āyēṅgē .

106Those of you who are firm will go there first and the weak ones will go later.

117Mūlvatan mē̃ sabhī ātmāyē̃ rahtī haĩ phir nīchē ātī haĩ tō vr̥iddhi hōtī jātī hai .

107All souls first reside in the incorporeal world and then, as they come down, the population grows.

118Śharīr bigar ātmā kaisē part bajāyēgī  ?

108How could a soul play his part without a body?

119Yah pārṭdhāriyō̃ key|kī duniyā hai jō chārō̃ yugō̃ mē̃ phirtī rahtī hai .

109This is a world of actors, and it continues to turn around all the four ages.

120Satyug mē̃ ham sō dēvtā thē phir kṣhatriya , vaiśhya , śhūdra bantē haĩ .

110In the golden age, we were deities, then we became warriors, merchants and then shudras.

121Abhī yah hai purūṣhōttam saṅgamyug .

111It is now the most auspicious confluence age.

122Yah yug abhī hī bantā hai jabki bāp ātē haĩ .

112This age only exists now, when the Father comes.

123Yah abhī bēhad key|kī knowledge bēhad kā bāp hī dētē haĩ .

113Only the unlimited Father gives this unlimited knowledge.

124Śhivbābā kō apnē śharīr kā kōī nām nahī̃ hai .

114Shiv Baba doesn't have a body of His own that could be given a name.

125Yah śharīr tō is dādā kā hai . 126Bābā nē thōṛē samay kē liē yah loan liyā hai .

115This body belongs to this Dada and Baba has taken it on loan for a short period.

127Bāp kahtē haĩ hamkō tumsē bāt karnē kē liē mukh tō chāhiē nā .

116The Father says: I need a mouth so that I can talk to you.

128Mukh na hō tō bāp bachchō̃ sē bāt bhī na kar sakē .

117How could the Father talk to His children if He didn’t have a mouth?

129Phir bēhad key|kī knowledge bhī is mukh sē sunātā hū̃ , isliē iskō gaūmukh bhī kahtē haĩ .

118I give you unlimited knowledge through this mouth. 119This is why His mouth is called "Gaumukh" (mouth of a cow).

130Pahāṛō̃ sē pānī tō kahā̃ bhī nikal saktā hai . 131Phir yahā̃ gaūmukh banā diyā hai , ussē pānī ātā hai .

120Water can emerge from anywhere in the mountains, and so they have created a "Gaumukh” here where water emerges.

132Unhē̃ phir gaṅgājal samajh pītē haĩ .

121They consider that to be the water of the Ganges and drink it.

133Us pānī kā phir kitnā mahatva rakhtē haĩ .

122They give so much importance to that water.

134Is duniyā mē̃ hai sab jhūṭh .

123Everything in this world is false.

135Sach tō ēk bāp hī sunātē haĩ . 136Phir vah jhūṭhē manuṣhya is bāp key|kī knowledge kō jhūṭh samajh lētē haĩ .

124Only the one Father tells you the truth, but false people consider the Father's knowledge to be false.

137Bhārat mē̃ jab satyug thā tō iskō sachkhaṇḍ kahā jātā thā .

125When Bharat was in the golden age, it was called the land of truth.

138Phir bhārat hī purānā bantā hai tō her|har bāt , her|har chīz jhūṭhī hōtī hai .

126Now that Bharat has become old, everything has become false.

139Kitnā fark hō jātā hai .

127There is such a great contrast.

140Bāp kahtē haĩ tum hamārī kitnī glānī kartē hō .

128The Father says: You have defamed Me so much.

141Sarvavyāpī kah kitnā insult kiyā hai .

129You have insulted Me and defamed Me by calling Me omnipresent.

142Śhivbābā kō bulātē hī haĩ ki is purānī duniyā sē lē chalō .

130You have been calling out to Shiv Baba: Take us away from this old world.

143Bāp kahtē haĩ mērē sabhī bachchē kām chitā par chaṛhkar kaṅgāl ban gayē haĩ .

131The Father says: All of My children have become bankrupt by sitting on the pyre of lust.

144Bāp bachchō̃ kō kahtē haĩ tum tō svarg K|kē mālik thē nā .

132The Father speaks to you children and says: You were once the masters of heaven.

145Smr̥iti ātī hai  ?

133Do you remember this?

146Bachchō̃ kō hī samjhātē haĩ , sārī duniyā kō tō nahī̃ samjhāyēṅgē . 147Bachchē hī bāp kō samajhtē haĩ .

134He only explains this to you children. 135He does not explain it to the whole world because only you children understand what the Father says.

148Duniyā is bāt kō kyā jānē  !

136What would the world know about this?

149Sabsē baṛā kāṇṭā hai kām kā .

137The biggest thorn is lust.

150Nām hī hai patit duniyā . 151Satyug hai 100 percent pavitra duniyā .

138The very name of this world is the impure world, whereas the golden age is the 100% per cent pure world.

152Manuṣhya hī , pavitra dēvtāō̃ kē āgē jākar naman kartē haĩ .

139Human beings go and bow down in front of those pure deity idols.

153Bhal bahut bhakta haĩ jō vegetarian haĩ , parantu aisē nahī̃ ki vikār mē̃ nahī̃ jātē haĩ .

140Although many devotees are vegetarians, it isn't that they don’t indulge in vice.

154Aisē tō bahut bāl brahmchārī bhī rahtē haĩ . 155Chhōṭēpan sē kabhī chhī-chhī khānā ādi nahī̃ khātē haĩ .

141Many remain celibate from childhood and, from their childhood onwards, they don’t eat dirty food either.

156Sannyāsī bhī kahtē haĩ nirvikārī banō .

142Sannyasis too say: Become viceless!

157Gharbār kā sannyās kartē haĩ phir dūsrē janm mē̃ bhī kisī gr̥ihasthī kē pās janma lē phir gharbār chhōṛ jaṅgal mē̃ chalē jātē haĩ .

143Sannyasis renounce their homes and families; they then take their next birth to householders and they once again renounce their homes and families and go into the forests.

158Parantu kyā patit sē pāvan ban saktē haĩ  ?

144However, would it be possible for them to become pure from impure?

159Nahī̃ . 160Patit-pāvan bāp key|kī śhrīmat bigar kōī patit sē pāvan ban nahī̃ saktē .

145No; no one can become pure from impure without being given shrimat by the Purifier Father.

161Bhakti hai utartī kalā kā mārg . 162Tō phir pāvan kaisē banē̃gē  ?

146The path of devotion is the path of descent, and so how could they become pure?

163Pāvan banē̃ tō ghar jāvē̃ , svarg mē̃ ā jāē̃ .

147If they did become pure, they would be able to go back home and then go to heaven.

164Satyugī dēvī-dēvtāyē̃ kab gharbār chhōṛtē haĩ kyā  ?

148Do the golden-aged deities ever renounce their homes and families?

165Unhō̃ kā hai had kā sannyās , tumhārā hai bēhad kā sannyās .

149The sannyasis’ renunciation is limited, whereas your renunciation is unlimited.

166Sārī duniyā , mitra-sambandhī ādi sabkā sannyās .

150You renounce the whole world including your friends and relatives.

167Tumhārē liē abhī svarg key|kī sthāpanā hō rahī hai .

151Heaven is now being established for you.

168Tumhārī buddhi svarg taraph hai .

152Your intellects are now facing heaven.

169Manuṣhya tō nark mē̃ hī laṭakē paṛē haĩ . 170Tum bachchē phir bāp kī yād mē̃ laṭakē paṛē hō .

153People are still dangling in hell, whereas you children are dangling in remembrance of the Father.

171Tumkō śhītal dēviyā̃ banānē kē liē gyān chitā par biṭhāyā jātā hai .

154You are made to sit on the pyre of this knowledge in order to become goddesses of coolness.

172Śhītal akṣhar K|kē against hai tapat .

155In contrast to the word “cool”, there is the word “fire” (heat).

173Tumhārā nām hī hai śhīt-lādēvī .

156You are called goddesses of coolness.

174Ēk tō nahī̃ hōgī nā .

157There wouldn’t have been just one of you.

175Jarūr bahut hōṅgī , jinhōnnē bhārat kō śhītal banāyā hai .

158There must definitely have been many who made Bharat cool.

176Is samay sabhī kām-chitā par jal rahē haĩ .

159At present, everyone is burning on the pyre of lust.

177Tumhārā nām yahā̃ śhītlā dēviyā̃ haĩ .

160It is here that you are named goddesses of coolness.

178Tum śhītal karnē vālī , ṭhaṇḍā chhīṇṭā ḍālnē vālī dēviyā̃ hō .

161You are the goddesses who make everyone cool, the ones who sprinkle cool drops of this knowledge on everyone.

179Chhīṇṭā ḍālnē jātē haĩ nā . 180Yah hai gyān K|kē chhīṇṭē , jō ātmā kē ūpar ḍālē jātē haĩ .

162Devotees go to sprinkle drops of water, whereas it is the drops of this knowledge that are sprinkled on souls here.

181Ātmā pavitra bannē sē śhītal ban jātī hai .

163When souls become pure, they become cool.

182Is samay sārī duniyā kām chitā par chaṛh kālī hō paṛī hai .

164The souls of the whole world have now become burnt by sitting on the pyre of lust.

183Ab kalaṣh miltā hai tum bachchō̃ kō .

165You children are now being given the urn of nectar.

184Kalaṣh sē tum khud bhī śhītal bantē hō aur dūsrō̃ kō bhī banātē hō .

166With this urn, you become cool yourselves and you also make others cool.

185Yah bhī śhītal banē haĩ nā .

167This one too has become cool.

186Dōnō̃ ikaṭṭhē haĩ .

168Both husband and wife live together.

187Gharbār chhōṛnē key|kī tō bāt hī nahī̃ , lēkin gaūśhālā banī hōgī tō jarūr kōī nē gharbār chhōṛā hōgā .

169It is not a question of having to leave your home and family. 170However, when that cowshed was created at the beginning, some must definitely have left their homes.

188Kisliē  ?

171For what?

189Gyānchitā par baiṭh śhītal bannē kē liē .

172In order to be able to sit on the pyre of this knowledge and become cool.

190Jab tum yahā̃ śhītal banē̃gē tab hī tum dēvtā ban saktē hō .

173Only when you become cool here can you become deities there.

191Abhī tum bachchō̃ kā buddhiyōg purānē ghar key|kī taraph nahī̃ jānā chāhiē .

174The intellects’ yoga of you children should no longer go to your old homes.

192Bāp kē sāth buddhi laṭakī rahē kyōṅki tum sabkō bāp kē pās ghar jānā hai .

175Let your intellects cling to the Father because you all have to go back home with the Father.

193Bāp kahtē haĩ - mīṭhē bachchē , maĩ paṇḍā bankar āyā hū̃ tumkō lē chalnē .

176The Father says: “Sweet children, I have come as your Guide to take you all back home.”

194Yah śhiv śhakti pāṇḍav sēnā hai .

177You are the Shiv Shakti Pandava Army.

195Tum hō śhiv sē śhakti lēnē vālī , vah hai sarvśhaktimān .

178You are the ones who receive might from Shiva, the Almighty Authority.

196Manuṣhya tō samajhtē haĩ - paramātmā marē huē kō jindā kar saktē haĩ . 197Parantu bāp kahtē haĩ - lāḍlē bachchē , is drama mē̃ har ēk kō anādi part milā huā hai .

179People think that the Supreme Soul can restore life to dead people, but the Father says: My beloved children, every soul has been given his own eternal part to play in this drama.

198Maĩ bhī creator , director , principal actor hū̃ .

180I am the Creator, the Director and the Principal Actor.

199Drama K|kē part kō ham kuchh bhī change nahī̃ kar saktē .

181I cannot change anyone’s part in this drama at all.

200Manuṣhya samajhtē haĩ pattā-pattā bhī paramātmā K|kē hukm sē hiltā hai lēkin paramātmā tō khud kahtē haĩ maĩ bhī drama K|kē adhīn hū̃ , iskē bandhan mē̃ bāndhā huā hū̃ .

182People believe that each leaf moves on the orders of the Supreme Soul, but the Supreme Soul, Himself, says: I am also dependent on the drama, I am bound by it.

201Aisē nahī̃ ki mērē hukm sē pattē hilē̃gē .

183It isn't that leaves move according to My orders.

202Sarvavyāpī K|kē gyān nē bhāratvāsiyō̃ kō bilkul kaṅgāl banā diyā hai .

184The notion of omnipresence has made the people of Bharat totally poverty-stricken.

203Bāp K|kē gyān sē bhārat phir sirtāj bantā hai .

185Through this knowledge that the Father gives, Bharat once again becomes crowned.

204Achchhā  !

186Achcha.

205Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

187To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

206Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

188The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

207Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

189Essence for dharna:

2081 ) sūryavanśhī mē̃ pahlē-pahlē ānē kē liē niśhchaybuddhi ban full marks lēnī haĩ .

190 1. In order to enter the sun dynasty at the beginning, let your intellect have faith and claim full marks.

209Pakkā brāhmaṇ bannā hai .

191Become a firm Brahmin.

210Bēhad key|kī knowledge smr̥iti mē̃ rakhnī hai .

192Keep this unlimited knowledge in your awareness.

2112 ) gyān chitā par baiṭh śhītal arthāt pavitra bannā hai .

193 2. Remain seated on the pyre of this knowledge and become cool, that is, become pure.

212Gyān aur yōg sē kām key|kī tapat samāpt karnī hai .

194Extinguish the fire of lust with this knowledge and yoga.

213Buddhiyōg sadā ēk bāp key|kī taraph laṭakā rahē .

195Your intellect must be constantly connected in yoga to the one Father.

Blessing

214Vardān  : brāhmaṇ jīvan mē̃ śhrēṣhṭh sthiti rūpī medal prāpt karnē vālē bēgampur K|kē bādśhāh bhav

196Blessing: May you receive a medal in the form of an elevated stage in your Brahmin life and thereby become an emperor of the carefree land.

215Āp sab apnī svasthiti achchhē sē achchhī banānē kē liē hī brāhmaṇ banē hō .

197 Each of you has become a Brahmin in order to make your personal stage the best of all.

216Brāhmaṇ jīvan mē̃ śhrēṣhṭh sthiti hī āpkī property hai . 217Yahī brāhmaṇ jīvan kā medal hai .

198In Brahmin life, your elevated stage is your personal property; it is the medal of Brahmin life.

218Jō yah medal prāpt kar lētē haĩ vah sadā achal aḍōl ēk-ras sthiti mē̃ rahtē , sadā niśhchint , bēgampur K|kē bādśhāh ban jātē haĩ .

199Those who receive this medal remain constantly stable in an unshakeable, immovable and constant stage and are constantly carefree; they become the emperors of the carefree land.

219Vē|way sarv ichchhāō̃ sē mukt , ichchhā mātram avidyā svarūp hōtē haĩ .

200They remain free from all desires and are embodiments of ignorance of the knowledge of desire.

Slogan

220Slōgan  : aṭūṭ niśhchay aur phalak sē kahō «  mērā bābā ' ' tō māyā samīp bhī nahī̃ ā saktī .

201Slogan: Say, “My Baba”, with unbroken faith and intoxication and Maya cannot then come close to you.

202*** Om Shanti ***