सोमवार 30 दिसंबर 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
030-12-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 30/12/24 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - ātmā rūpī battery kō gyān aur yōg sē bharpūr kar satōpradhān banānā hai , pānī K|kē snān sē nahī̃ ' '
1Essence: Sweet children, you souls have to charge your batteries with the powers of this knowledge and yoga, and thereby make yourselves satopradhan, not by bathing in water.
Question
2Praśhna : is samay sabhī manuṣhya ātmāō̃ kō bhaṭkānē vālā kaun hai ?
2Question: Who makes all human souls wander around aimlessly at this time?
3Vah bhaṭkātā kyō̃ hai ?
3Why does he make you wander around?
Answer
4Uttar : sabhī kō bhaṭkānē vālā rāvaṇ hai kyōṅki vah khud bhī bhaṭaktā hai . 5Usē apnā kōī ghar nahī̃ hai .
4Answer: It is Ravan that makes everyone wander around aimlessly because he himself is wandering around aimlessly; he doesn’t have a home of his own.
6Rāvaṇ kō kōī bābā nahī̃ kahē̃gē .
5No one would call Ravan, “Baba”.
7Bāp tō paramdhām ghar sē ātā hai apnē bachchō̃ kō ṭhikānā dēnē .
6The Father comes from His home, the supreme abode (paramdham), in order to show you children your destination.
8Abhī tumhē̃ ghar kā patā chal gayā isliē tum bhaṭaktē nahī̃ hō .
7Now that you know your home, you no longer wander around.
9Tum kahtē hō ham bāp sē pahlē-pahlē judā huē ab phir pahlē-pahlē ghar jāyēṅgē .
8You say that you separated from the Father first and that you will therefore return home first.
Murli
10Ōm śhānti .
9Om shanti.
11Mīṭhē-mīṭhē bachchē yahā̃ baiṭhkar samajhtē haĩ , inmē̃ jō śhivbābā āyē haĩ , kaisē bhī karkē hamkō sāth ghar jarūr lē jāyēṅgē .
10Sweetest children, while sitting here, you understand that, no matter what happens, Shiv Baba, who has entered this one, will definitely take us back home with Him.
12Vah ātmāō̃ kā ghar hai nā .
11That is the home of souls.
13Tō bachchō̃ kō jarūr khuśhī hōtī hōgī , bēhad kā bāp ākarkē hamkō gul-gul banātē haĩ .
12You children should definitely be experiencing happiness because the unlimited Father has come to make us beautiful.
14Kōī kapṛā ādi nahī̃ pahnātē haĩ .
13It’s not that He makes us wear clothes, etc.
15Iskō kahā jātā hai yōgbal , yād kā bal .
14This is called the power of yoga, the power of remembrance.
16Jitnā teacher kā martabā hai utnā aur bachchō̃ kō bhī martabā dilātē haĩ .
15Whatever status a teacher has claimed, he enables his students to claim that status accordingly.
17Paṛhāī sē student jāntē haĩ ki ham yah banē̃gē .
16Students can understand from their studies what they will become.
18Tum bhī samajhtē hō hamārā bābā teacher bhī hai , satgurū bhī hai .
17You too understand that your Baba is also your Teacher as well as your Satguru.
19Yah hai naī bāt .
18This is a new aspect.
20Hamārā bābā teacher hai , unkō ham yād kartē haĩ .
19We also remember our Baba as our Teacher.
21Hamkō teach kar yah banā rahē haĩ .
20This is what He is teaching us to become.
22Hamārā bēhad kā bābā āyā huā hai - hamkō vāpis ghar lē jānē .
21Our unlimited Baba has come to take us back home with Him.
23Rāvaṇ kā kōī ghar nahī̃ hōtā , ghar rām kā hōtā hai .
22Ravan has no home of his own. 23Rama has a home.
24Śhivbābā kahā̃ rahtē haĩ ?
24Where does Shiv Baba reside?
25Tum jhaṭ kahē̃gē paramdhām mē̃ .
25You would quickly say, “The supreme abode”.
26Rāvaṇ kō tō bābā nahī̃ kahē̃gē .
26Ravan wouldn’t be called, “Baba”.
27Rāvaṇ kahā̃ rahtē haĩ ?
27Where does Ravan live?
28Patā nahī̃ .
28No one knows.
29Aisē nahī̃ kahē̃gē ki rāvaṇ paramdhām mē̃ rahtē haĩ .
29You wouldn’t say that Ravan lives in the supreme abode; no.
30Nahī̃ , unkā jaisēki ṭhikānā hī nahī̃ .
30It is as though he has no destination.
31Bhaṭaktā rahtā hai , tumkō bhī bhaṭkātā hai .
31He simply continues to wander around and he makes you wander around too.
32Tum rāvaṇ kō yād kartē hō kyā ?
32Do you remember Ravan?
33Nahī̃ .
33No.
34Kitnā tumkō bhaṭkātē haĩ . 35Śhāstra paṛhō , bhakti karō , yah karō .
34He makes you wander around so much: you study scriptures, do devotion, do this and that.
36Bāp kahtē haĩ iskō kahā jātā hai bhakti mārg , rāvaṇ rājya .
35The Father says: That is called the path of devotion, Ravan’s kingdom.
37Gāndhī bhī kahtē thē rāmrājya chāhiē .
36Gandhi too used to say that there should be the kingdom of Rama.
38Is rath mē̃ hamārā śhivbābā āyā huā hai .
37Our Shiv Baba has entered this chariot.
39Baṛā bābā hai nā .
38He is the senior Father.
40Vah ātmāō̃ sē bachchē-bachchē kah bāt kartē haĩ .
39He talks to us souls and says: Child, child.
41Abhī tumhārī buddhi mē̃ hai rūhānī bāp aur rūhānī bāp key|kī buddhi mē̃ hō tum rūhānī bachchē , kyōṅki tumhārā connection hai hī mūlvatan sē .
40The spiritual Father is now in your intellects and you spiritual children are in the intellect of the spiritual Father. 41Our connection is with the incorporeal world.
42Ātmāyē̃ paramātmā alag rahē bahukāl … .
42Souls remained separated from the Supreme Soul for a long time.
43Vahā̃ tō ātmāyē̃ bāp kē sāth ikaṭṭhī rahtī haĩ .
43Souls reside there with the Father.
44Phir alag hōtī haĩ apnā-apnā part bajānē .
44Then they become separated from Him in order to play their parts.
45Bahutkāl kā hisāb chāhiē nā .
45There has to be an account for that long period of time.
46Vah bāp baiṭh batlātē haĩ .
46The Father sits here and explains this.
47Tum ab paṛhāī paṛh rahē hō .
47You are now studying this study.
48Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ jō achchhī rīti paṛhtē haĩ .
48Those of you who study well are numberwise.
49Vahī pahlē-pahlē mērē sē judā huē haĩ .
49They are also the ones who were separated from Me first of all.
50Vahī phir mujhē bahut yād karē̃gē tō phir pahlē-pahlē ā jāyēṅgē .
50They are the ones who then remember Me a great deal and who will also come back to Me first of all.
51Bāp bachchō̃ kō baiṭh sārē sr̥iṣhṭi chakra kā guhya rāz samjhātē haĩ , jō aur kōī bhī nahī̃ jāntē .
51The Father sits here and explains to all of you children the deep secrets of the whole world cycle. 52No one else knows this.
52Guhya bhī kahā jātā , guhyatam bhī kahā jātā hai .
53This knowledge can be called deep and it can also be called the most profound knowledge.
53Yah tum jāntē hō bāp kōī ūpar sē baiṭh nahī̃ samjhātē haĩ , yahā̃ ākar samjhātē haĩ - maĩ is kalpa vr̥ikṣha kā bījrūp hū̃ .
54You know that the Father doesn’t sit up there whilst explaining to us. 55You know that He comes down here to explain all of this. 56I am the Seed of this kalpa tree.
54Is manuṣhya sr̥iṣhṭi rūpī jhāṛ kō kalpa vr̥ikṣha kahā jātā hai .
57This human world tree is also called the kalpa tree.
55Duniyā K|kē manuṣhya tō bilkul kuchh nahī̃ jāntē .
58People of the world know nothing of this.
56Kumbhakaraṇ key|kī nīnd mē̃ sōyē huē haĩ phir bāp ākar jagātē haĩ .
59They are sleeping in the slumber of Kumbhakarna, and so the Father has come to awaken them.
57Abhī tum bachchō̃ kō jagāyā hai aur sab sōyē paṛē haĩ .
60He has now awakened you children whereas everyone else is still sleeping.
58Tum bhī kumbhakaraṇ key|kī āsurī nīnd mē̃ sōyē huē thē .
61You too were sleeping like Kumbhakarna in that devilish sleep.
59Bāp nē ākar jagāyā hai , bachchō̃ jāgō .
62The Father came and woke you up. 63He said: Children, wake up!
60Tum gāphil hō ( albēlē hō ) sōyē paṛē hō , iskō kahā jātā hai agyān nīnd .
64You have become careless and are still sleeping. 65That is called the sleep of ignorance.
61Vah nīnd tō sab kartē haĩ .
66Everyone has the other type of sleep.
62Satyug mē̃ bhī kartē haĩ .
67They also sleep in the golden age.
63Abhī sab haĩ agyān key|kī nīnd mē̃ .
68At present, all of you are sleeping in the sleep of ignorance.
64Bāp ākar gyān dēkar sabkō jagātē haĩ .
69The Father has come to awaken you all by giving you this knowledge.
65Ab tum bachchē jāgē hō , jāntē hō bābā āyā huā hai , hamkō lē jāyēgā .
70You children have now awakened. 71You know that Baba has come and that He will take us back home with Him.
66Abhī tō na yah śharīr kām kā rahā hai , na ātmā , dōnō̃ patit ban paṛē haĩ , ēkdam mulammē kā hai .
72Neither this body nor this soul is of any use now. 73Both have become impure; alloy is mixed in them.
679 carat kahē̃ arthāt bahut thōṛā sōnā , sachchā sōnā 24 carat kā hōtā hai .
74You could call it nine carat gold or very little gold. 75Real gold is 24 carat.
68Ab bāp tum bachchō̃ kō 24 carat mē̃ lē jānā chāhtē haĩ .
76The Father now wants to make all of you 24 carat gold.
69Tumhārī ātmā kō sachchā-sachchā golden aged banātē haĩ .
77He makes you souls truly golden aged.
70Bhārat kō sōnē key|kī chiṛiyā kahtē thē .
78Bharat was called The Golden Sparrow.
71Abhī tō lōhē key|kī , ṭhikkar bhittar key|kī chiṛiyā kahē̃gē .
79You would now call it an iron sparrow, a sparrow of pebbles and stones.
72Hai tō chaitanya nā .
80Still, it is alive.
73Yah samajhnē key|kī bātē haĩ .
81All of these things have to be understood.
74Jaisē ātmā kō samajhtē hō vaisē bāp kō bhī samajh saktē hō .
82Just as souls can be understood, in the same way, the Supreme Soul can also be understood.
75Kahtē bhī haĩ chamaktā hai sitārā .
83They speak of a sparkling star.
76Bahut chhōṭā sitārā hai .
84It is a very tiny star.
77Ḍôkṭarō̃ ādi nē bahut kōśhiśh kī hai dēkhnē key|kī parantu divya dr̥iṣhṭi bigar dēkh nahī̃ saktē . 78Bahut sūkṣhma hai .
85Doctors etc. have made great efforts to try and see it. 86However, without having a divine vision, no one can see it; it is so very subtle.
79Kōī kahtē haĩ āṅkhō̃ sē ātmā nikal gaī , kōī kahtē haĩ mukh sē nikal gaī .
87Some say that a soul leaves through the eyes and some say that he leaves through the mouth.
80Ātmā nikalkar jātī kahā̃ hai ?
88Where does a soul go when he leaves his body?
81Dūsrē tan mē̃ jākar pravēśh kartī hai .
89He goes and enters another body.
82Abhī tumhārī ātmā ūpar chalī jāyēgī śhāntidhām .
90You souls are now about to go up to the land of peace.
83Yah pakkā mālūm hai bāp ākar hamkō ghar lē jāyēṅgē .
91You are very sure that the Father will come and take you back home.
84Ēk taraph hai kaliyug , dūsrē taraph hai satyug .
92On the one side, there is the iron age and on the other side, there is the golden age.
85Abhī ham saṅgam par khaṛē haĩ .
93We are now at the confluence age.
86Wonder hai .
94It is a wonder.
87Yahā̃ karōṛō̃ manuṣhya haĩ aur satyug mē̃ sirph 9 lākh !
95There are billions of humans here, whereas there are only 900,000 in the golden age.
88Bākī sabkā kyā huā ?
96What happens to the rest of them?
89Vināśh hō jātā hai .
97Destruction takes place.
90Bāp ātē hī haĩ naī duniyā kī sthāpanā karnē .
98The Father only comes to establish the new world.
91Brahmā dvārā sthāpanā hōtī hai .
99Establishment takes place through Brahma.
92Phir pālnā bhī hōtī hai dō rūp mē̃ .
100Then there is sustenance through the dual form.
93Aisē tō nahī̃ 4 bhujā vālē kōī manuṣhya hōṅgē .
101It isn't that there is a human being with four arms.
94Phir tō śhōbhā hī nahī̃ hai .
102There would be no beauty in that.
95Bachchō̃ kō bhī samjhā dētē haĩ - chaturbhuj hai śhrī lakṣhmī , śhrī nārāyaṇ kā combined rūp .
103Baba explains to you children that the four-armed figure represents the combined forms of Shri Lakshmi and Shri Narayan.
96Śhrī arthāt śhrēṣhṭh .
104“Shri” means elevated.
97Trētā mē̃ dō kalā kam hō jātī haĩ .
105In the silver age, there are two degrees less.
98Tō bachchō̃ kō yah jō knowledge abhī miltī hai iskī smr̥iti mē̃ rahnā hai .
106You children must remain aware of this knowledge that you are now being given.
99Mukhya haĩ hī dō akṣhar , bāp kō yād karō .
107The main thing is to remember the words: Remember the Father!
100Dūsrē kōī key|kī samajh mē̃ nahī̃ āyēgā .
108No one else is able to understand this.
101Bāp hī patit-pāvan sarv śhaktimān hai .
109Only the Father is the Purifier, the Almighty Authority.
102Gātē bhī haĩ bābā , āpnē hamkō sārā āsmān dhartī sab kuchh dē diyā .
110They sing: “Baba, You gave us everything, including the earth and the sky.
103Aisī kōī chīz nahī̃ jō na dī hō .
111There was nothing that You didn’t give us.
104Sārē viśhva kā rājya dē diyā hai .
112You gave us the kingdom of the whole world.”
105Tum jāntē hō yah lakṣhmī-nārāyaṇ viśhva K|kē mālik thē .
113You know that Lakshmi and Narayan were the masters of that world.
106Phir drama kā chakra phirtā hai .
114The cycle of this drama continues to turn.
107Sampūrṇ nirvikārī bannā hai , number-vār purūṣhārth anusār .
115You are becoming completely viceless, numberwise, according to the efforts you make.
108Yah bhī jāntē hō vikārī sē nirvikārī , nirvikārī sē vikārī , yah 84 janmō̃ kā part anginat bār bajāyā hai . 109Uskī gintī nahī̃ kar saktē .
116You know that you became vicious from viceless and viceless from vicious. 117You have played your parts of 84 births countless times; you cannot count them.
110Ādamśhumārī bhal gintī kar lētē haĩ . 111Bākī yah jō tum tamōpradhān sē satōpradhān , satōpradhān sē tamōpradhān bantē hō , inkā hisāb nikāl nahī̃ saktē ki kitnā bār banē hō .
118You can count the population, but you can’t count how many times you changed from tamopradhan to satopradhan or how many times you changed from satopradhan to tamopradhan.
112Bābā kahtē haĩ 5 hazār varṣh kā yah chakra hai .
119Baba says: This cycle is 5000 years.
113Yah ṭhīk hai .
120This is the accurate length of time.
114Lākhō̃ varṣh key|kī bāt tō yād bhī na rah sakē .
121If it were hundreds of thousands of years, you wouldn’t be able to remember anything.
115Abhī tumhārē mē̃ guṇō̃ key|kī dhārṇā hōtī hai .
122You are now imbibing virtues.
116Gyān kā tīsrā nētra mil jātā hai .
123Each of you has received a third eye of knowledge.
117In āṅkhō̃ sē tum purānī duniyā kō dēkhtē hō .
124You see the old world with your physical eyes.
118Tīsrā nētra jō miltā hai , unsē naī duniyā kō dēkhnā hai .
125You have to use your third eye of knowledge that you have been given in order to see the new world.
119Yah duniyā tō kōī kām key|kī nahī̃ hai . 120Purānī duniyā hai .
126This world is of no use; it is an old world.
121Naī aur purānī duniyā mē̃ fark dēkhō kitnā hai .
127Just look at the difference between the new world and the old world.
122Tum jāntē hō ham hī naī duniyā K|kē mālik thē phir 84 janm lētē-lētē yah banē haĩ .
128You know that only you were the masters of the new world. 129Then, while taking 84 births, this is what you have become.
123Yah achchhī rīti yād rakhnā chāhiē aur phir dūsrē kō bhī samjhānā hai - kaisē ham yah bantē haĩ ?
130You have to remember these things very well and then explain to others how you become this.
124Brahmā sō viṣhṇu , phir viṣhṇu sō brahmā bantē haĩ .
131Brahma becomes Vishnu, and then Vishnu becomes Brahma.
125Brahmā aur viṣhṇu kā fark dēkhtē hō nā .
132You can see the difference between Brahma and Vishnu.
126Viṣhṇu kaisā sajā-sajāyā baiṭhā hai aur yah brahmā kaisē sādhāraṇ baiṭhā hai .
133Vishnu is sitting beautifully decorated, whereas Brahma is sitting in an ordinary form.
127Tum jāntē hō yah brahmā , vah viṣhṇu bannē vālā hai .
134You know that this Brahma will become that Vishnu.
128Yah kiskō samjhānā bhī bahut sahaj hai . 129Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kā āpas mē̃ kyā sambandh hai ?
135It is very easy to explain to anyone the relationship between Brahma, Vishnu and Shankar.
130Tum jāntē hō yah viṣhṇu K|kē dō rūp lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ .
136You know that Vishnu is the dual form of Lakshmi and Narayan.
131Yahī viṣhṇu dēvtā sō phir yah manuṣhya brahmā bantē haĩ .
137The deity Vishnu then becomes the ordinary human Brahma.
132Vah viṣhṇu satyug kā hai , brahmā yahā̃ kā hai .
138Vishnu belongs to the golden age whereas Brahma belongs here.
133Bāp nē samjhāyā hai brahmā sē viṣhṇu bannā second mē̃ , phir viṣhṇu sē brahmā bannē mē̃ 5 hazār varṣh lagtē haĩ .
139The Father has explained that it only takes a second to become Vishnu from Brahma, but it takes 5000 years to change from Vishnu to Brahma.
134Tattvam .
140The same applies to you too.
135Kēval ēk brahmā hī tō nahī̃ bantē haĩ nā !
141It isn't only one who becomes Brahma.
136Yah bātē̃ sivāē bāp K|kē aur kōī samjhā na sakē .
142No one but the Father can explain these things to you.
137Yahā̃ kōī manuṣhya gurū kī bāt nahī̃ hai .
143There isn't anything about human beings or gurus here.
138Inkā bhī gurū śhivbābā , tum brāhmaṇō̃ kā bhī gurū śhivbābā hai .
144This one's Guru is Shiv Baba, and the Guru of you Brahmins is also Shiv Baba.
139Unkō sadgurū kahā jātā hai .
145He is called the Satguru.
140Tō bachchō̃ kō śhivbābā kō hī yād karnā hai .
146Therefore, you children must remember Shiv Baba alone.
141Kōī kō bhī yah samjhānā tō bahut sahaj hai - śhivbābā kō yād karō .
147It’s easy to tell anyone: Remember Shiv Baba.
142Śhivbābā svarg naī duniyā rachtē haĩ .
148Shiv Baba creates the new world of heaven.
143Ūñch tē ūñch bhagvān śhiv hai .
149God Shiva is the Highest on High.
144Vah ham ātmāō̃ kā bābā hai .
150He is the Baba of us souls.
145Tō bhagvān bachchō̃ kō kahtē haĩ mujh bāp kō yād karō .
151Therefore, God says to you children: Remember Me, your Father!
146Yād karnā kitnā sahaj hai .
152It’s so easy to remember.
147Bachchā paidā hōtā hai aur jhaṭ mā̃-mā̃ unkē mukh sē āpēhī nikaltā hai .
153When a baby is born, the word “maa-maa” soon automatically emerges from his mouth.
148Mā̃-bāp K|kē sivāē aur kōī pās|pass nahī̃ jāyēgā .
154He wouldn’t go to anyone but his parents.
149Mā̃ mar jātī hai , vah phir aur bāt hai .
155Of course, it’s a different matter if the mother dies.
150Pahlē haĩ mā̃ aur bāp phir pīchhē aur mitra-sambandhī ādi hōtē haĩ .
156First are the mother and father, then there are the friends and relatives, etc.
151Usmē̃ bhī jōṛī-jōṛī hōgī . 152Chāchā-chāchī dō hai nā .
157There are couples in that too: the paternal aunt and uncle.
153Kumārī hōgī phir baṛī hōtē hī kōī chāchī kahē̃gē , kōī māmī kahē̃gē .
158When a kumari becomes a woman, some would call her their maternal aunt and some their paternal aunt.
154Abhī tumkō bāp samjhātē haĩ tum sab bhāī hō . 155Bas , aur sab sambandh cancel kartē haĩ .
159The Father explains to you: All of you are now brothers; all of your previous relationships are cancelled.
156Bhāī-bhāī samajhē̃gē tō ēk bāp kō yād karē̃gē .
160When you consider yourselves to be brothers, you will remember the one Father.
157Bāp bhī kahtē haĩ - bachchō̃ , mujh ēk bāp kō yād karō .
161The Father too says: Children, remember Me, your Father!
158Kitnā baṛā bēhad kā bāp hai .
162He is our most senior, unlimited Father of all.
159Vah baṛā bābā tumkō bēhad kā varsā dēnē āyē haĩ .
163That senior Baba has come to give you the unlimited inheritance.
160Ghaṛī-ghaṛī kahtē haĩ manmanābhav .
164Baba repeatedly says: Manmanabhav!
161Apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karō , yah bāt bhūlō mat .
165Consider yourselves to be souls and remember the Father. 166Do not forget this.
162Dēh-abhimān mē̃ ānē sē hī bhūl jātē haĩ .
167It is by becoming body conscious that you forget.
163Pahlē-pahlē tō apnē kō ātmā samajhnā hai - ham ātmā sāligrām haĩ aur ēk bāp kō hī yād karnā hai .
168First of all, you must consider yourselves to be souls. 169We souls are saligrams. 170We have to remember the one Father.
164Bāp nē samjhāyā hai maĩ patit-pāvan hū̃ , mujhē yād karnē sē tumhārī battery jō khālī hō gaī hai vah bharpūr hō jāyēgī , tum satōpradhān ban jāyēṅgē .
171The Father has told you: I am the Purifier. 172By remembering Me, your batteries which have become empty will become full and you will become satopradhan.
165Pānī key|kī gaṅgā mē̃ tō janma-janmāntar ghuṭkā khāyā hai lēkin pāvan ban nahī̃ sakē .
173You have been choking in the water of the Ganges for birth after birth, but you weren’t able to become pure.
166Pānī kaisē patit-pāvan hō saktā hai ?
174How could that water be the Purifier?
167Gyān sē hī sadgati hōtī hai .
175It is only with this knowledge that you receive salvation.
168Is samay hai hī pāp ātmāō̃ key|kī jhūṭhī duniyā .
176At present, the world is false and full of sinful souls.
169Lēn-dēn bhī pāp ātmāō̃ sē hī hōtī hai .
177Your give and take is also with sinful souls.
170Mansā-vāchā-karmaṇā pāp ātmā hī bantē haĩ .
178You became sinful souls through your thoughts, words and deeds.
171Abhī tum bachchō̃ kō samajh milī hai .
179You children have now received understanding.
172Tum kahtē hō ham yah lakṣhmī-nārāyaṇ bannē kē liē purūṣhārth kartē haĩ .
180You say that you are making effort to become like Lakshmi and Narayan.
173Abhī tumhārī bhakti karnā band hai .
181You have now stopped performing devotion.
174Gyān sē sadgati hōtī hai .
182Only with this knowledge can there be salvation.
175Yah ( dēvtāyē̃ ) sadgati mē̃ haĩ nā .
183Those deities were in salvation.
176Bāp nē samjhāyā hai yah bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ haĩ .
184The Father has explained that this one is in the last of his many births.
177Bāp kitnā sahaj samjhātē haĩ .
185The Father explains everything very easily.
178Tum bachchē kitnī mēhnat kartē hō .
186You children make plenty of effort.
179Kalp-kalp kartē hō .
187You make those efforts every cycle.
180Purānī duniyā kō badal naī duniyā banānī hai .
188You have to change this old world into a new world.
181Kahtē haĩ nā bhagvān jādūgar hai , ratnāgar hai , saudāgar hai .
189They say that God is the Magician, the Jeweller and the Businessman.
182Jādūgar tō hai nā .
190He is the Magician.
183Purānī duniyā kō hell sē badal heaven banā dētē haĩ . 184Kitnā jādū hai abhī tum heaven K|kē rahvāsī ban rahē hō . 185Jāntē hō abhī ham hell K|kē rahvāsī haĩ .
191He changes this old world of hell into heaven; therefore, a great deal of magic is performed. 192You are now becoming residents of heaven and you know that, at present, you reside in hell.
186Hell aur heaven alag hai .
193Heaven is separate from hell.
1875 hazār varṣh kā chakra hai . 188Lākhō̃ varṣh key|kī tō bāt hī nahī̃ .
194This cycle is 5000 years; it cannot be a question of hundreds of thousands of years.
189Yah bātē̃ bhūlnī nahī̃ chāhiē .
195You must not forget these things.
190Bhagvānuvāch hai nā - kōī jarūr hai jō punarjanma rahit hai .
196There are the versions of God. 197There definitely has to be someone who is beyond rebirth.
191Śhrīkr̥iṣhṇa kō tō śharīr hai . 192Śhiv kō hai nahī̃ . 193Unkō mukh tō jarūr chāhiē . 194Tumkō sunānē kē liē ākar paṛhātē haĩ nā .
198Shri Krishna has a body of his own whereas Shiva does not; therefore, He (Shiva) definitely needs someone’s mouth with which He can give you this knowledge. 199He comes here to teach you.
195Drama anusār sārī knowledge hī unkē pās|pass hai .
200According to the drama, the Father has all of this knowledge.
196Vah sārē kalp mē̃ ēk hī bār ātē haĩ duḥkhdhām kō sukhdhām banānē .
201He only comes once during the whole cycle in order to change this land of sorrow into a land of happiness.
197Sukh-śhānti kā varsā jarūr bāp sē milā hai tab tō manuṣhya chāhtē haĩ nā , bāp kō yād kartē haĩ .
202You definitely did receive your inheritance of peace and happiness from the Father and that is what you people want again. 203This is why you remember the Father.
198Bāp gyān dēkhō kaisē sahaj rīti dētē haĩ .
204Just see how easily the Father gives you this knowledge.
199Yahā̃ baiṭhē bhī bāp kō yād karō , bājōlī yād karō tō bhī manmanābhav hī hai .
205While you are sitting here, you have to remember the Father and also remember this somersault, because this too is “Manmanabhav”.
200Bāp hī yah sārā gyān dēnē vālā hai .
206The Father is the only one who gives this entire knowledge.
201Tum kahē̃gē ham bēhad K|kē bāp pās|pass jātē haĩ . 202Bāp hamkō śhāntidhām-sukhadhām lē jānē kā rāstā batātē haĩ .
207You tell others that you are going to see the unlimited Father, that the Father is showing us the path to the land of peace and the land of happiness.
203Yahā̃ baiṭhē ghar kō yād karnā hai .
208While you sit here, you should also remember your home.
204Apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karnā hai , ghar kō yād karnā hai aur naī duniyā kō yād karnā hai .
209Consider yourselves to be souls. 210You have to remember the Father, the home and the new world.
205Yah purānī duniyā tō khatm hōnī hī hai .
211This old world is definitely going to be destroyed.
206Āgē chalkar tum vaikuṇṭha kō bhī bahut yād karē̃gē .
212As you make progress, you will remember heaven a great deal.
207Ghaṛī-ghaṛī vaikuṇṭha mē̃ jātē rahē̃gē .
213It will be as though you go to heaven again and again.
208Śhurū mē̃ bachchiyā̃ ghaṛī-ghaṛī āpas mē̃ baiṭh vaikuṇṭha mē̃ chalī jātī thī .
214At the beginning, some daughters used to sit together and go to Vaikunth (heaven) again and again.
209Yah dēkhkar baṛē-baṛē ghar vālē apnē bachchō̃ kō bhēj dētē thē .
215When people from important families saw this, they sent their children.
210Nām hī rakhā thā ōm nivās .
216It was called Om Nivas at that time.
211Kitnē ḍhēr bachchē āyē phir haṅgāmā huā .
217So many children came and then there was upheaval.
212Bachchō̃ kō paṛhātē thē . 213Āpēhī dhyān mē̃ chalē jātē thē .
218He used to teach children and they would automatically go into trance.
214Abhī yah dhyān-dīdār kā part band kar diyā hai .
219The part of visions and trance has now been stopped.
215Yahā̃ bhī kabristān banā dētē thē .
220They would pretend it was a graveyard.
216Sabkō sulā dētē thē , kahtē thē ab śhivbābā kō yād karō , dhyān mē̃ chalē jātē thē .
221Everyone was made to lie down and told: Remember Shiv Baba! 222They would then go into trance.
217Ab tum bachchē bhī jādūgar hō .
223You children too are now magicians.
218Kiskō bhī dēkhē̃gē aur vah jhaṭ dhyān mē̃ chalē jāyēṅgē .
224Anyone you look at will also quickly go into trance.
219Yah jādū kitnā achchhā hai .
225This magic is so wonderful.
220Naudhā bhakti mē̃ tō jab ēkdam prāṇ dēnē taiyār hōtē haĩ tab unkō dīdār hōtā hai .
226Only when the people who perform intense devotion are ready to sacrifice their lives do they have a vision.
221Yahā̃ tō bāp khud āyē haĩ , tum bachchō̃ kō paṛhākar ūñch pad prāpt karātē haĩ .
227The Father, Himself, has come here. 228He educates you children and enables you to claim a high status.
222Āgē chal tum bachchē bahut sākṣhātkār kartē rahē̃gē .
229As you children progress, you will have many visions.
223Bāp sē abhī bhī kōī pūchhē tō batā saktē haĩ kaun gulāb kā fool|phūl hai , kaun champā kā fool|phūl hai , kaun ṭāṅgar hai ? 224Ṭūh bhī hōtī hai nā . 225 ( ṭāṅgar , ṭūh yah sab variety phūlō̃ K|kē nām haĩ ) .
230If you were to ask the Father now, He could tell you who is going to become a rose, who is going to become jasmine and who will become a flower with no fragrance at all.
226Achchhā .
231Achcha.
227Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
232To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
228Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
233The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
229Dhārṇā kē liē mukhya sār :
234Essence for dharna:
2301 ) dēh K|kē sab sambandh cancel kar ātmā bhāī haĩ , yah niśhchay karnā hai aur bāp kō yād kar pūrē varsē kā adhikārī bannā hai .
235 1. Cancel all your bodily relations and have the faith that all souls are brothers. 236Remember the Father and claim a right to your full inheritance.
2312 ) ab pāp ātmāō̃ sē lēn-dēn nahī̃ karnī hai .
237 2. Your give and take must now no longer be with sinful souls.
232Agyān nīnd sē sabkō jagānā hai , śhāntidhām-sukhadhām jānē kā rāstā batānā hai .
238Wake everyone up from their sleep of ignorance and show them all the path to the abode of peace and the abode of happiness.
Blessing
233Vardān : man-buddhi key|kī ēkāgratā dvārā sarv siddhiyā̃ prāpt karnē vālē sadā samarth ātmā bhav
239Blessing: May you achieve total success by concentrating your mind and intellect and become a constantly powerful soul.
234Sarv siddhiyō̃ kō prāpt karnē kē liē ēkāgratā kī śhakti kō baṛhāō .
240 In order to attain total success, increase your power of concentration.
235Yah ēkāgratā kī śhakti sahaj nirvighna banā dētī hai , mēhnat karnē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ rahtī .
241This power of concentration will easily free you from obstacles. 242There will be no need to work hard.
236Ēk bāp dūsrā na kōī - iskā sahaj anubhav hōtā hai , sahaj ēkras sthiti ban jātī hai .
243One Father and none other: you will easily experience this and your stage will easily become constant and stable.
237Sarv kē prati kalyāṇ key|kī vr̥itti , bhāī kī dr̥iṣhṭi rahtī hai .
244You will have an attitude of benevolence and the vision of brotherhood for everyone.
238Lēkin ēkāgr hōnē kē liē itnā samarth banō jō man-buddhi sadā āpkē order anusār chalē .
245However, in order to concentrate, you have to become so powerful that your mind and intellect constantly work according to your orders.
239Svapn mē̃ bhī second mātra bhī halchal na hō .
246Let there not be any upheaval for even a second, even in your dreams.
Slogan
240Slōgan : kamal puṣhp K|kē samān nyārē rahō tō prabhū K|kē pyār kā pātr ban jāyēṅgē .
247Slogan: Remain as detached as a lotus and you will become worthy of receiving God’s love.
248*** Om Shanti ***