मंगलवार 14 जनवरी 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

014-01-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 14/01/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhārī nazar śharīrō̃ par nahī̃ jānī chāhiē , apnē kō ātmā samjhō , śharīrō̃ kō mat dēkhō ' '

1Essence: Sweet children, you should not look at anyone’s body. 2Consider yourselves to be souls and don’t look at anyone’s body.

Question

2Praśhna  : har ēk brāhmaṇ bachchē kō viśhēṣh kin dō bātō̃ par dhyān dēnā hai  ?

3Question: To which two special aspects should each of you Brahmin children pay attention?

Answer

3Uttar  : 1 - paṛhāī par , 2 - daivī guṇō̃ par .

4Answer: This study and the divine virtues.

4Kaī bachchō̃ mē̃ krōdh kā aṅśh bhī nahī̃ hai , kōī tō krōdh mē̃ ākar bahut laṛtē haĩ .

5Whereas some children don’t have the slightest anger, others have so much anger that they fight a great deal.

5Bachchō̃ kō khyāl karnā chāhiē ki hamkō daivīguṇ dhāraṇ karkē dēvtā bannā hai .

6You children should be concerned about imbibing divine virtues and becoming deities.

6Kabhī gussē mē̃ ākar bātchīt nahī̃ karnī chāhiē .

7Do not speak angrily to anyone.

7Bābā kahtē kisī bachchē mē̃ krōdh hai tō vah bhūtnāth-bhūtnāthinī hai .

8Baba says: The children who have anger within them are like lords and ladies of evil spirits.

8Aisē bhūt vālō̃ sē tumhē̃ bāt bhī nahī̃ karnī hai .

9You must not talk to anyone who has such evil spirits.

Song

9Gīt  : takdīr jagākar āī hū̃ … .

10Song: My fortune having awakened I have come.

Murli

10Ōm śhānti .

11Om shanti.

11Bachchō̃ nē gīt sunā .

12You children heard the song.

12Aur kōī bhī satsaṅg mē̃ kabhī record par nahī̃ samjhātē haĩ .

13The meanings of such records are not explained at any other gathering.

13Vahā̃ śhāstra sunātē haĩ .

14They simply read the scriptures there.

14Jaisē gurūdvārē mē̃ granth kā dō vachan nikāltē haĩ phir kathā karnē vālā baiṭh unkā vistār kartē haĩ .

15In the Sikh temples, those who read the Granth take two lines from it and then expand on those.

15Record par kōī samjhāyē , yah kahā̃ hōtā nahī̃ hai .

16Nowhere else is the record they play explained.

16Ab bāp samjhātē haĩ ki yah sab gīt haĩ bhakti mārg K|kē .

17The Father now explains: All of those songs belong to the path of devotion.

17Bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai , gyān alag chīz hai , jō ēk nirākār śhiv sē mil saktā hai .

18You children have been told that this knowledge is separate from devotion and can only be given by incorporeal Shiva.

18Iskō kahā jātā hai rūhānī gyān .

19This knowledge is called spiritual knowledge.

19Gyān tō bahut prakār K|kē hōtē haĩ nā .

20There are varieties of knowledge.

20Kōī sē pūchhā jāyēgā yah galīchā kaisē bantā hai , tumkō gyān hai  ?

21Someone may ask you whether you know how this carpet is made.

21Her|har chīz kā gyān hōtā hai .

22There is knowledge of everything.

22Vah haĩ hī jismānī bātē̃ .

23All of those are physical things.

23Bachchē jāntē haĩ ham ātmāō̃ kā rūhānī bāp vah ēk hai , unkā rūp dikhāī nahī̃ paṛtā hai .

24You children know that there is only the one spiritual Father of us souls and that it is not possible to see His form.

24Us nirākār kā chitra bhī hai sāligrām misal .

25The image of that incorporeal Being is like a saligram.

25Unkō hī paramātmā kahtē haĩ .

26He is called the Supreme Soul.

26Unkō kahā hī jātā hai nirākār .

27He is called the Incorporeal.

27Manuṣhya jaisā ākār nahī̃ hai .

28He doesn’t have a human form.

28Her|har vastu kā ākār jarūr hōtā hai . 29Un sabmē̃ chhōṭē mē̃ chhōṭā ākār hai ātmā kā .

29Everything definitely has a form and the tiniest form is that of a soul.

30Unkō kudrat hī kahē̃gē .

30That is called the wonder of nature.

31Ātmā bahut chhōṭī hai jō in ākhō̃ sē dēkhnē mē̃ nahī̃ ātī .

31A soul is so tiny that it cannot be seen with these eyes.

32Tum bachchō̃ kō divya dr̥iṣhṭi miltī hai jissē sab sākṣhātkār kartē hō .

32You children have now been given divine eyesight with which you can have visions of everything.

33Jō past hō gayē haĩ unkō divya dr̥iṣhṭi sē dēkhā jātā hai .

33You can see with divine eyesight those who existed in the past.

34Pahlē number mē̃ tō yah past hō gayā hai .

34That one became the past first of all.

35Ab phir āyē haĩ tō unkā bhī sākṣhātkār hōtā hai .

35He has now come again and so you also have a vision of Him.

36Hai bahut sūkṣhma .

36He is very subtle.

37Issē samajh saktē haĩ , sivāē parampitā paramātmā K|kē ātmā kā gyān kōī dē nahī̃ saktā .

37From this, it can be understood that no one but the Supreme Father, the Supreme Soul, can give this knowledge of souls.

38Manuṣhya , ātmā kō yathārth rīti nahī̃ jāntē vaisē paramātmā kō bhī yathārth rīti nahī̃ jān saktē .

38People do not know souls accurately. 39In the same way, they cannot know the Supreme Soul accurately.

39Duniyā mē̃ manuṣhyō̃ key|kī anēk mat haĩ .

40People in the world have innumerable opinions.

40Kōī kahtē ātmā paramātmā mē̃ līn hō jātī , kōī kyā kahtē .

41Some say that souls merge into the Supreme Soul and others say something else.

41Abhī tum bachchō̃ nē jānā hai , sō bhī number-vār purūṣhārth anusār , sabkī buddhi mē̃ ēkras tō baiṭh nahī̃ saktā .

42You children now understand this, numberwise, according to the efforts you make. 43This cannot sit in everyone's intellect to the same extent.

42Ghaṛī-ghaṛī buddhi mē̃ bhī biṭhānā hōtā hai .

44You repeatedly have to make this sit in your intellects.

43Ham ātmā haĩ , ātmā kō hī 84 janmō̃ kā part bajānā hai .

45We are souls and we play our parts of 84 births.

44Ab bāp kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh mujh parampitā paramātmā kō jānō̃ aur yād karō .

46The Father now says: Consider yourselves to be souls, know Me, the Supreme Father, the Supreme Soul, and remember Me.

45Bāp kahtē haĩ maĩ inmē̃ pravēśh kar tum bachchō̃ kō knowledge dētā hū̃ .

47The Father says: I enter this one and give this knowledge to you children.

46Tum bachchē apnē kō ātmā nahī̃ samajhtē hō isliē tumhārī nazar is śharīr par chalī jātī hai .

48Because you children don’t consider yourselves to be souls, your vision goes towards this body.

47Vāstav mē̃ tumhārā insē kōī kām nahī̃ hai .

49In fact, you do not have anything to do with this one.

48Sarv kā sadgati dātā tō vah śhivbābā hai , unkī mat par ham sabkō sukh dētē haĩ .

50The Bestower of Salvation for All is Shiv Baba and we give happiness to everyone according to His directions.

49Inkō bhī ahaṅkār nahī̃ ātā ki ham sabkō sukh dētē haĩ .

51This one has no arrogance about giving happiness to everyone.

50Jō bāp kō pūrā yād nahī̃ kartē haĩ unsē avguṇ nikaltē nahī̃ haĩ .

52Those who do not remember the Father accurately cannot have their defects removed.

51Apnē kō ātmā niśhchay nahī̃ kartē haĩ .

53They do not have the faith that they are souls.

52Manuṣhya tō na ātmā kō , na paramātmā kō jāntē haĩ .

54People neither know about souls nor the Supreme Soul.

53Sarvavyāpī kā gyān bhī bhāratvāsiyō̃ nē phailāyā hai .

55It was the people of Bharat who spread the idea of omnipresence around.

54Tumhārē mē̃ bhī jō serviceable bachchē haĩ vah samajhtē haĩ , bākī sab itnā nahī̃ samajhtē haĩ .

56The serviceable children amongst you understand this, but the rest of you don’t understand as much.

55Agar bāp key|kī pūrī pahchān bachchō̃ kō hō tō bāp kō yād karē̃ , apnē mē̃ daivīguṇ dhāraṇ karē̃ .

57If you children recognised the Father accurately and fully, you would remember Him and also imbibe divine virtues.

56Śhivbābā tum bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

58Shiv Baba explains this to you children.

57Yah haĩ naī bātē̃ .

59This is a new aspect.

58Brāhmaṇ bhī jarūr chāhiē .

60Brahmins are definitely needed.

59Prajāpitā brahmā key|kī santān kab hōtē haĩ , yah duniyā mē̃ kiskō patā nahī̃ hai .

61No one in the world knows the period when the children of Prajapita Brahma exist.

60Brāhmaṇ tō ḍhēr K|kē ḍhēr haĩ . 61Parantu vah haĩ kukh vaṅśhāvalī .

62There are many physical brahmins, but that creation are born from wombs.

62Vah kōī mukh vaṅśhāvalī brahmā key|kī santān nahī̃ haĩ .

63They are not mouth-born creation, the children of Brahma.

63Brahmā key|kī santān kō tō īśhvar bāp sē varsā miltā hai .

64The children of Brahma receive an inheritance from God, the Father.

64Tumkō ab varsā mil rahā hai nā .

65You are now receiving that inheritance.

65Tum brāhmaṇ alag hō , vō alag haĩ .

66You Brahmins are separate from those brahmins.

66Tum brāhmaṇ hōtē hī hō saṅgam par , vah hōtē haĩ dvāpar-kaliyug mē̃ .

67You Brahmins exist at the confluence age whereas those brahmins exist in the copper and iron ages.

67Yah saṅgamyugī brāhmaṇ hī alag haĩ .

68You confluence-aged Brahmins are totally separate.

68Prajāpitā brahmā K|kē ḍhēr bachchē haĩ .

69Prajapita Brahma has many children.

69Bhal had K|kē bāp kō bhī brahmā kahē̃gē kyōṅki bachchē paidā kartē haĩ . 70Parantu vah hai jism key|kī bāt .

70A physical father is also called Brahma because he creates children, but that is a matter connected with bodies.

71Yah bāp tō kahē̃gē sab ātmāyē̃ hamārē bachchē haĩ .

71This Father (Shiva) would say: All souls are My children.

72Tum hō mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchē .

72You are the sweetest, spiritual children.

73Yah kiskō samjhānā sahaj hai .

73It is easy to explain this to anyone.

74Śhivbābā kō apnā śharīr nahī̃ hai .

74Shiv Baba doesn’t have a body of His own.

75Śhiv jayantī manātē haĩ , parantu unkā śharīr dēkhnē mē̃ nahī̃ ātā .

75People celebrate the birthday of Shiva, but He doesn’t have a body which you could see.

76Bākī aur sabkā śharīr hai .

76Everyone else has a body.

77Sab ātmāō̃ kā apnā-apnā śharīr hai .

77All souls have their own bodies.

78Śharīr kā nām paṛtā hai , paramātmā kā apnā śharīr hī nahī̃ isliē unkō param ātmā kahā jātā hai .

78It is their bodies that are given names. 79The Supreme Soul doesn’t have a body of His own and this is why He is called the Supreme Soul.

79Unkī ātmā kā hī nām śhiv hai . 80Vah kabhī badaltā nahī̃ .

80That soul is called Shiva; that name never changes.

81Śharīr badaltē haĩ tō nām bhī badal jātē haĩ .

81When someone changes his body, the name also changes.

82Śhivbābā kahtē haĩ maĩ tō sadaiv nirākār param ātmā hī hū̃ .

82Shiv Baba says: I am constantly the incorporeal Supreme Soul.

83Drama K|kē plan anusār abhī yah śharīr liyā hai .

83According to the drama plan, I have now taken this body.

84Sannyāsiyō̃ kā bhī nām badaltā hai .

84Even the names of sannyasis change.

85Gurū kā bantē haĩ tō nām badaltā hai .

85When someone belongs to a guru, his name is changed.

86Tumhārē bhī nām badalē thē . 87Parantu kahā̃ tak nām badaltē rahē̃gē .

86You also used to have your names changed, but for how long would Baba continue to change everyone's name?

88Kitnē bhāgantī hō gayē .

87So many ran away.

89Jō us samay thē unkā nām rakh diyā .

88Those who were here at that time had their names changed.

90Ab nām nahī̃ rakhtē haĩ .

89No one's name is changed now.

91Kis par bhī viśhvās nahī̃ hai .

90You cannot trust anyone.

92Māyā bahutō̃ kō harā dētī hai tō bhāgantī hō jātē haĩ isliē bābā kiskā bhī nām nahī̃ rakhtē haĩ .

91Maya defeats many and so they run away. 92This is why Baba doesn’t give a new name to anyone.

93Kiskā rakhē̃ , kiskā na rakhē̃ , vah bhī ṭhīk nahī̃ .

93It is not good if He gives a name to one and not to another.

94Kahtē tō sab haĩ - bābā , ham āpkē hō chukē haĩ , parantu yathārth rīti hamārē hōtē thōṛēhī haĩ .

94Although you all say: Baba, we now belong to You, you do not belong to Baba accurately.

95Bahut haĩ jō vāris bannē K|kē rāz kō bhī nahī̃ jāntē haĩ .

95Many of you don’t understand the meaning of becoming an heir.

96Bābā kē pās milnē ātē haĩ parantu vāris nahī̃ haĩ .

96Many come to meet Baba, but they are not heirs.

97Vijay mālā mē̃ nahī̃ ā saktē .

97They’re unable to enter the rosary of victory.

98Kōī achchhē-achchhē bachchē samajhtē haĩ ham tō vāris haĩ . 99Parantu bābā samajhtē haĩ yah vāris hai nahī̃ .

98Some good children consider themselves to be heirs, but Baba knows that they are not heirs.

100Vāris bannē kē liē bhagvān kō apnā vāris banānā paṛē , yah rāz samjhānā bhī muśhkil hai .

99In order to become an heir, you first have to make God your Heir. 100It is difficult to explain these secrets.

101Bābā samjhātē haĩ vāris kiskō kahā jātā hai .

101Baba explains to you children what it means to be an heir.

102Bhagvān kō kōī vāris banāyē tō milkiyat dēnī paṛē .

102When you make God your Heir, you have to give Him all of your property.

103Tō bāp phir vāris banāyē .

103Then the Father would make you His heir.

104Milkiyat tō sivāē garībō̃ K|kē kōī sāhūkār dē na sakē .

104Only the poor can do this; the rich are unable to give their property.

105Mālā kitnī thōṛō̃ key|kī bantī hai .

105The rosary is created from only a few children.

106Yah bhī kōī bābā sē pūchhē tō bābā batā saktē haĩ - tum vāris bannē K|kē hakdār hō vā nahī̃  ?

106If you were to ask Baba, Baba could tell you whether or not you have a right to become an heir.

107Yah bābā bhī batā saktē haĩ .

107That Baba, as well as this Baba, could tell you.

108Yah common bāt hai samajhnē key|kī .

108This is a common aspect to understand.

109Vāris bannē mē̃ bhī bahut akla chāhiē .

109You need wisdom in order to become an heir.

110Dēkhtē haĩ lakṣhmī-nārāyaṇ viśhva K|kē mālik thē , parantu vah mālikpanā kaisē liyā - yah kōī nahī̃ jāntē .

110You can see that Lakshmi and Narayan were the masters of the world, but no one knows how they claimed that mastership.

111Abhī tumhārī aim object tō sāmnē hai .

111Your aim and objective is now in front of you.

112Tumkō yah bannā hai .

112That is what you have to become.

113Bachchē bhī kahtē haĩ ham tō sūryavanśhī lakṣhmī-nārāyaṇ banē̃gē , na ki chandravanśhī rām-sītā .

113You children say that you will become the sun-dynasty Lakshmi or Narayan, not the moon-dynasty Rama or Sita.

114Rām-sītā key|kī bhī śhāstrō̃ mē̃ nindā key|kī huī hai .

114Rama and Sita are defamed in the scriptures.

115Lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī kabhī nindā nahī̃ sunē̃gē .

115You would never hear any defamation of Lakshmi and Narayan.

116Śhivbābā key|kī , śhrīkr̥iṣhṇa key|kī bhī nindā hai .

116There is defamation of Shiv Baba and of Shri Krishna.

117Bāp kahtē haĩ maĩ tum bachchō̃ kō itnā ūñch tē ūñch banātā hū̃ .

117The Father says: I make you children the most elevated of all.

118Mērē sē bhī bachchē tīkhē chalē jātē haĩ .

118You children become even higher than I am.

119Lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī bhī kōī nindā nahī̃ karē̃gē .

119No one would ever defame Lakshmi or Narayan.

120Bhal śhrīkr̥iṣhṇa key|kī ātmā tō vahī hai , parantu na jānnē kāraṇ nindā kar dī hai .

120Although the Shri Krishna soul is the same as the Narayan one, because people do not know this, they have defamed him.

121Lakṣhmī-nārāyaṇ kā mandir bhī baṛā khuśhī sē banātē haĩ .

121They build a temple to Lakshmi and Narayan with a lot of happiness.

122Vāstav mē̃ banānā chāhiē rādhē-kr̥iṣhṇa kā , kyōṅki vah satōpradhān hai .

122In fact, the temple they build should be to Radhe and Krishna because they were satopradhan.

123Yah unhō̃ key|kī yuvā avasthā hai tō unkō satō kahtē haĩ . 124Vah chhōṭē haĩ isliē satōpradhān kahē̃gē .

123These (Lakshmi and Narayan) are in their adult stage and so they are called sato, whereas those (Radhe and Krishna) are young and so they are called satopradhan.

125Chhōṭā bachchā mahātmā samān hōtā hai .

124A small child is equal to a mahatma.

126Jaisē chhōṭē bachchō̃ kō vikār ādi kā patā nahī̃ rahtā , vaisē vahā̃ baṛō̃ kō bhī patā nahī̃ rahtā ki vikār kyā chīz hai .

125Just as little children do not know what vice etc. is, in the same way, the adults there have no knowledge of what vice is.

127Yah 5 bhūt vahā̃ hōtē hī nahī̃ .

126These five evil spirits do not exist there.

128Vikārō̃ kā jaisēki patā hī nahī̃ hai .

127They know nothing about vices.

129Is samay hai hī rāt .

128At present it is the night.

130Kām key|kī chēṣhṭhā bhī rāt kō hī hōtī hai .

129Only at night is there the desire for lust.

131Dēvtāyē̃ haĩ din mē̃ tō kām key|kī chēṣhṭhā hōtī nahī̃ .

130Deities exist in the day and so there is no desire for lust there.

132Vikār kōī hōtē nahī̃ .

131There are no vices there.

133Abhī rāt mē̃ sab vikārī haĩ .

132Now that it is the night, everyone indulges in vice.

134Tum jāntē hō din hōtē hī hamārē sab vikār chalē jāyēṅgē .

133You know that all your vices will end as soon as the morning comes.

135Patā nahī̃ rahtā ki vikār kyā chīz haĩ .

134You will then not know what vices are.

136Yah rāvaṇ K|kē vikārī guṇ haĩ .

135They are Ravan’s vicious traits.

137Yah hai vicious world .

136This is a vicious world.

138Viceless world mē̃ vikār key|kī kōī bāt nahī̃ hōtī .

137In that viceless world, there is no question of vice.

139Unkō kahā hī jātā hai īśhvarīy rājya .

138That is called God’s kingdom.

140Abhī hai āsurī rājya . 141Yah kōī nahī̃ jāntē .

139At present it is the devil’s kingdom, but no one knows that.

142Tum sab kuchh jāntē hō , number-vār purūṣhārth anusār .

140You now know everything, numberwise, according to the effort you make.

143Ḍhēr bachchē haĩ .

141There are many of you children.

144Kōī bhī manuṣhya samajh nahī̃ saktē ki yah sab be|B . K|kē . kiskē bachchē haĩ .

142People are unable to understand whose children you Brahma Kumars and Kumaris are.

145Sab yād kartē haĩ - śhivbābā kō , brahmā kō bhī nahī̃ .

143They all remember Shiv Baba. 144They do not remember Brahma.

146Yah khud kahtē haĩ śhivbābā kō yād karō , jissē vikarma vināśh hōṅgē , aur kōī kō bhī yād karnē sē vikarma vināśh nahī̃ hōṅgē .

145This one also says: Remember Shiv Baba through whom all your sins will be absolved. 146Your sins will not be absolved by remembering anyone else.

147Gītā mē̃ bhī kahā hai māmēkam yād karō .

147It is written in the Gita: Constantly remember Me alone.

148Śhrīkr̥iṣhṇa tō kah na sakē̃ .

148Shri Krishna didn’t say this.

149Varsā miltā hī hai nirākār bāp sē .

149You receive the inheritance from the incorporeal Father.

150Apnē kō jab ātmā samajhē̃ tab nirākār bāp kō yād karē̃ .

150Only when you consider yourselves to be souls will you be able to remember the incorporeal Father.

151Maĩ ātmā hū̃ , pahlē yah pakkā niśhchay karnā paṛē . 152Mērā bāp paramātmā hai , vah kahtē haĩ mujhē yād karō tō maĩ tumkō varsā dū̃gā .

151First of all, have the firm faith that you are souls and that your Father is the Supreme Soul. 152He says: Remember Me and I will give you your inheritance.

153Maĩ sabkō sukh dēnē vālā hū̃ .

153I am the Bestower of Happiness for All.

154Maĩ sabhī ātmāō̃ kō śhāntidhām lē jātā hū̃ .

154I take all souls back to the land of peace.

155Jinhōnnē kalp pahlē bāp sē varsā liyā hōgā vahī ākar varsā lē̃gē , brāhmaṇ banē̃gē .

155Those who claimed the inheritance from the Father in the previous cycle will come and become Brahmins and claim the inheritance again.

156Brāhmaṇō̃ mē̃ bhī kuchh bachchē pakkē haĩ . 157Mātēlē bhī banē̃gē , sautēlē bhī banē̃gē .

156Amongst Brahmins too, some are very firm children; there are real children and there are stepchildren.

158Ham nirākār śhivbābā key|kī vaṅśhāvalī haĩ .

157We children are the genealogical tree of incorporeal Shiva.

159Jāntē haĩ birādrī kaisē baṛhtī jātī hai .

158You know how this genealogical tree grows.

160Abhī brāhmaṇ bannē kē bād hamkō vāpis jānā hai .

159Now, having become Brahmins, we have to return home.

161Sab ātmāyē̃ śharīr chhōṛkar vāpis jānī haĩ .

160All souls have to leave their bodies and return home.

162Pāṇḍav aur kaurav dōnō̃ kō śharīr chhōṛnā hai .

161Both the Pandavas and the Kauravas have to leave their bodies.

163Tum yah gyān K|kē saṅskār lē jātē hō phir us anusār prālabdh miltī hai .

162You take the sanskars of this knowledge with you and the reward you receive is according to those.

164Vah bhī drama mē̃ nūndh hai phir gyān kā part khatm hō jātā hai .

163That too is fixed in the drama; the part of this knowledge in the drama then comes to an end.

165Tumkō 84 janmō̃ kē bād phir gyān milā hai .

164Now, after taking 84 births, you are receiving this knowledge again.

166Phir yah gyān prāyaḥ lōp hō jātā hai . 167Tum prālabdh bhōgtē hō .

165This knowledge will then disappear and you will experience your reward.

168Vahā̃ aur kōī dharm vālō̃ K|kē chitra ādi nahī̃ rahtē .

166There aren't pictures etc. of any other religions there.

169Tumhārē bhaktimārg mē̃ bhī chitra rahtē haĩ .

167You have pictures on the path of devotion.

170Satyug mē̃ kiskā chitra ādi nahī̃ rahtā .

168There aren't anyone's pictures in the golden age.

171Tumhārē chitra all-round bhakti mārg mē̃ rahtē haĩ .

169Your pictures exist throughout the path of devotion.

172Tumhārē rājya mē̃ aur kōī kā chitra nahī̃ hai , sirph dēvī-dēvtā hī rahtē haĩ .

170In your kingdom, there aren't any other pictures. 171There are only the deities at that time.

173Issē hī samajhtē haĩ ādi sanātan dēvī-dēvtā hī haĩ .

172You can understand from this that the deities are the original and eternal ones.

174Pīchhē sr̥iṣhṭi baṛhtī jātī hai .

173The world continues to grow afterwards.

175Tum bachchō̃ kō yah gyān simraṇ kar atīndriya sukh mē̃ rahnā hai .

174You children should churn this knowledge and remain in supersensuous joy.

176Bahut points haĩ .

175There are many points to churn.

177Parantu bābā samajhtē haĩ māyā ghaṛī-ghaṛī bhulā dētī hai .

176However, Baba knows that Maya makes you repeatedly forget.

178Tō yah yād rahnā chāhiē ki śhivbābā hamkō paṛhā rahē haĩ .

177You have to remember that Shiv Baba is teaching you.

179Vah hai ūñch tē ūñch .

178He is the Highest on High.

180Hamkō ab vāpas ghar jānā hai .

179We now have to return home.

181Kitnī sahaj bātē̃ haĩ .

180These things are so easy.

182Sārā madār hai yād par .

181Everything depends on remembrance.

183Hamkō dēvtā bannā hai . 184Daivī guṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .

182We have to imbibe divine virtues and become deities.

1855 vikār haĩ bhūt .

183The five vices are evil spirits.

186Kām kā bhūt , krōdh kā bhūt , dēh-abhimān kā bhūt bhī hōtā hai .

184There are the evil spirits of lust, anger and body consciousness.

187Hā̃ , kōī mē̃ jāstī bhūt hōtē haĩ , kōī mē̃ cum|kam .

185Yes, some have more evil spirits than others.

188Tum brāhmaṇ bachchō̃ kō patā hai yah 5 baṛē bhūt haĩ .

186You Brahmin children know that these five vices are big evil spirits.

189Number one hai kām kā bhūt , second number hai krōdh kā bhūt .

187The number one evil spirit is lust. 188The second number is anger.

190Kōī rough-dough bōltā hai tō bāp kahtē haĩ yah krōdhī hai .

189When someone speaks in a rough way, the Father says that that one has anger in him.

191Yah bhūt nikal jānā chāhiē .

190That evil spirit has to be removed.

192Parantu bhūt nikalnā baṛā muśhkil hai .

191It is very difficult to remove an evil spirit.

193Krōdh ēk-dō kō duḥkh dētā hai .

192Anger causes sorrow for one another.

194Mōh mē̃ bahutō̃ kō duḥkh nahī̃ hōgā . 195Jiskō mōh hai unkō hī duḥkh hōgā isliē bāp samjhātē haĩ in bhūtō̃ kō bhagāō .

193Not as many people experience sorrow through attachment; those who do have attachment only experience sorrow. 194This is why the Father says: Chase those evil spirits away!

196Her|har bachchē kō viśhēṣh paṛhāī aur daivīguṇō̃ par attention dēnā hai .

195Each one of you children should pay special attention to this study and to divine virtues.

197Kaī bachchō̃ mē̃ tō krōdh kā aṅśh bhī nahī̃ hai . 198Kōī tō krōdh mē̃ ākar bahut laṛtē haĩ .

196Some children don’t have the slightest trace of anger, whereas others fight a great deal due to anger.

199Bachchō̃ kō khyāl karnā chāhiē hamkō daivīguṇ dhāraṇ kar dēvtā bannā hai .

197You children should think about imbibing divine virtues and becoming deities.

200Kabhī gussē sē bāt nahī̃ karnī chāhiē .

198Never speak in anger.

201Kōī gussā kartā hai tō samjhō inmē̃ krōdh kā bhūt hai .

199When someone becomes angry, you can understand that that person has an evil spirit of anger in him.

202Vah jaisē bhūtnāth-bhūtnāthinī ban jātē haĩ , aisē bhūt vālō̃ sē kabhī bāt nahī̃ karnī chāhiē .

200It is as though they become lords and ladies of evil spirits. 201Never talk to those who have such evil spirits.

203Ēk nē krōdh mē̃ ākar bāt key|kī phir dūsrē mē̃ bhī bhūt ā gayā tō bhūt āpas mē̃ laṛ paṛē̃gē .

202When someone speaks in anger and the evil spirit also enters the other one, the two evil spirits then fight each other.

204Bhūtnāthinī akṣhar baṛā chhī-chhī hai .

203The expression "Lady of evil spirits" (bhootnathni) is very dirty.

205Bhūt key|kī pravēśhtā nahī̃ hō jāē isliē manuṣhya kinārā kartē haĩ .

204You should stay away from such a person so that that evil spirit doesn’t enter you.

206Bhūt K|kē sāmnē khaṛā bhī nahī̃ hōnā chāhiē , nahī̃ tō pravēśhtā hō jāyēgī .

205Don’t remain standing in front of an evil spirit or it will enter you.

207Bāp ākar āsurī guṇ nikāl daivī-guṇ dhāraṇ karātē haĩ .

206The Father comes to enable you to remove your devilish traits and to imbibe divine virtues.

208Bāp kahtē haĩ maĩ āyā hū̃ daivīguṇ dhāraṇ karāē dēvtā banānē .

207The Father says: I have come to make you imbibe divine virtues and to make you into deities.

209Bachchē jāntē haĩ ham daivīguṇ dhāraṇ kar rahē haĩ .

208You children know that you are imbibing divine virtues.

210Dēvtāō̃ K|kē chitra bhī sāmnē haĩ .

209The images of the deities are in front of you.

211Bābā nē samjhāyā hai krōdh vālē sē ēkdam kinārā kar lō .

210Baba has told you to stay completely away from those who have anger.

212Apnē kō bachānē key|kī yukti chāhiē .

211You need wisdom to protect yourselves.

213Hamārē mē̃ krōdh na ā jāē , nahī̃ tō sau guṇā pāp paṛ jāyēgā .

212There shouldn't be any anger inside you. 213Otherwise, your sin will multiply one hundred-fold.

214Kitnī achchhī samjhānī bāp bachchō̃ kō dētē haĩ .

214The Father explains very clearly to you children.

215Bachchē bhī samajhtē haĩ - bābā hūbahū kalp pahlē muāphik samjhātē haĩ , number-vār purūṣhārth anusār samajhtē hī rahē̃gē .

215You children also understand that Baba is teaching you exactly as He did in the previous cycle. 216You children will continue to understand, numberwise, according to the efforts you make.

216Apnē ūpar bhī rahm karnā hai , dūsrē par bhī rahm karnā hai .

217Have mercy for yourselves and also for others.

217Kōī apnē par rahm nahī̃ kartē , dūsrē par kartē haĩ tō vah ūñch chaṛh jātē haĩ , khud rah jātē haĩ .

218Some have mercy for others but none for themselves. 219The others then climb high whilst they themselves remain behind.

218Khud vikārō̃ par jīt pahantē nahī̃ , dūsrē kō samjhātē haĩ , vah jīt pahan lētē haĩ .

220They themselves do not conquer the vices, but they explain to others. 221So the others then conquer the vices.

219Aisē bhī wonder hōtā hai .

222There are such wonders!

220Achchhā  !

223Achcha.

221Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

224To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and Good morning from the Mother, the Father, BapDada.

222Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

225The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

223Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

226Essence for dharna:

2241 ) gyān kā simraṇ kar atīndriya sukh mē̃ rahnā hai .

227 1. Churn this knowledge and remain in supersensuous joy.

225Kisī sē bhī rough-dough bātchīt nahī̃ karnī hai .

228Do not talk to anyone in a rough way.

226Kōī gussē sē bāt karē tō ussē kinārā kar lēnā hai .

229Move away from anyone who speaks to you in anger.

2272 ) bhagvān kā vāris bannē kē liē pahlē unhē̃ apnā vāris banānā hai .

230 2. In order to become an heir of God, first make Him your Heir.

228Samajhdār ban apnā sab bāp havālē kar mamatva miṭā dēnā hai .

231Become sensible and finish all your attachment by giving everything that belongs to you to the Father.

229Apnē ūpar āpēhī rahm karnā hai .

232Have mercy for yourself.

Blessing

230Vardān  : sākṣhī hō ūñchī stage dvārā sarv ātmāō̃ kō sakāśh dēnē vālē bāp samān avyakt phariśhtā bhav

233Blessing: May you become an avyakt angel, like the father by giving sakaash to all souls while in your highest stage and as a detached observer.

231Chaltē phirtē sadaiv apnē kō nirākārī ātmā aur karma kartē avyakt phariśhtā samjhō tō sadā khuśhī mē̃ ūpar uṛtē rahē̃gē .

234 Constantly consider yourself to be an incorporeal soul and, while walking and moving around and performing actions, consider yourself to be an avyakt angel and you will continue to fly up above.

232Phariśhtā arthāt ūñchī stage par rahnē vālā .

235An angel is someone who stays in the highest stage.

233Is dēh key|kī duniyā mē̃ kuchh bhī hōtā rahē lēkin sākṣhī hō sab part dēkhtē rahō aur sakāśh dētē rahō .

236No matter what continues to happen in this physical world, be a detached observer and continue to observe everyone’s part and continue to give them sakaash.

234Seat sē utarkar sakāśh nahī̃ dī|the jātī .

237You cannot give sakaash by getting off your seat.

235Ūñchī stage par sthit hōkar vr̥itti , dr̥iṣhṭi sē sahyōg key|kī , kalyāṇ key|kī sakāśh dō , mix hōkar nahī̃ tab kisī bhī prakār K|kē vātāvaraṇ sē safe rah bāp samān avyakt phariśhtā bhav K|kē vardānī banē̃gē .

238Remain stable in the highest stage and, with the help of your attitude and drishti, give the sakaash of benevolence, not while in a mixed state of mind. 239Only then will you be able to remain safe in any type of atmosphere and receive the blessing of becoming an avyakt angel, like the father.

Slogan

236Slōgan  : yād bal dvārā duḥkh kō sukh mē̃ aur aśhānti kō śhānti mē̃ parivartan karō .

240Slogan: With the power of remembrance, transform sorrow into happiness and peacelessness into peace.

241*** Om Shanti ***

237Apnī śhaktiśhālī mansā dvārā sakāśh dēnē key|kī sēvā karō

242With your powerful mind, do the service of giving sakaash.

238Apnī śhubh bhāvnā , śhrēṣhṭh kāmnā , śhrēṣhṭh vr̥iti , śhrēṣhṭh vibration dvārā kisī bhī sthān par rahtē huē mansā dvārā anēk ātmāō̃ key|kī sēvā kar saktē hō .

243You can serve many souls while staying at any place, with your pure feelings, elevated wishes, elevated attitude, and elevated vibrations.

239Iskī vidhi hai - light house , might house bannā .

244The way to do this is to be a lighthouse and a might house.

240Ismē̃ sthūl sādhan , chance vā samay key|kī problem nahī̃ hai .

245There is no question of having physical facilities, a chance or time for this.

241Sirph light-might sē sampann bannē key|kī āvaśhyaktā hai .

246You simply need to be full of light and might.