शनिवार 18 जनवरी 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
018-01-25 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' madhuban
0 18/01/25 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 18/01/2025
1 « pitāśhrī jī K|kē puṇya smr̥iti divas par prātaḥclass mē̃ sunānē kē liē bāpdādā K|kē madhur anmōl mahāvākya ' '
1BapDada’s sweet invaluable elevated versions to be read in class on the 2Day of Remembrance of our Pita Shri.
2Ōm śhānti .
3Om shanti.
3Rūhānī bāp abhī tum bachchō̃ sē rūhrihān kar rahē haĩ , śhikṣhā dē rahē haĩ .
4The spiritual Father is having a heart-to-heart conversation with you children and giving you teachings.
4Teacher kā kām hai śhikṣhā dēnā aur gurū kā kām hai mañjil batānā .
5It is the Teacher’s duty to give you teachings and the Guru’s duty to show you your destination.
5Mañjil hai mukti jīvanmukti key|kī .
6The destination is liberation and liberation in life.
6Mukti kē liē yād kī yātrā bahut jarūrī hai aur jīvanmukti kē liē rachnā K|kē ādi madhya ant kō jānnā jarūrī hai .
7For liberation, the pilgrimage of remembrance is essential and for liberation in life, it is necessary to know the beginning, middle and end of creation.
7Ab 84 kā chakra pūrā hōtā hai , ab vāpis ghar jānā hai .
8The cycle of 84 is now coming to an end and we now have to return home.
8Apnē sāth aisī-aisī bātē̃ karnē sē baṛī khuśhī āyēgī aur phir dūsrō̃ kō bhī khuśhī mē̃ lāyēṅgē .
9By talking to yourself in this way, you will be very happy and you will also give happiness to others.
9Dūsrō̃ par bhī mēhar karnī hai rāstā batānē key|kī . 10Tamōpradhān sē satōpradhān banānē key|kī .
10You have to have mercy to show them the path to make them satopradhan from tamopradhan.
11Bābā nē tum bachchō̃ kō puṇya aur pāp key|kī gahan gati bhī samjhāī hai . 12Puṇya kyā hai aur pāp kyā hai !
11Baba has explained the deep secrets of charity and sin to you children: what charity is and what sin is.
13Sabsē baṛā puṇya hai - bāp kō yād karnā aur dūsrō̃ kō bhī yād dilānā .
12The greatest charity is to remember the Father and to remind others also.
14Centre khōlnā , tan-man-dhan dūsrō̃ key|kī sēvā mē̃ lagānā , yah hai puṇya .
13To open a centre, to use your body, mind and wealth in serving others is charity.
15Saṅgdōṣh mē̃ ākar vyarth chintan , parchintan mē̃ apnā samay barbād karnā yah hai pāp .
14To be influenced by the company of others and then to have waste thoughts, to waste your time in thinking about others is a sin.
16Agar kōī puṇya kartē-kartē pāp kar lētē haĩ tō key|kī kamāī sārī khatm hō jātī hai .
15If, while doing charity, someone commits sin, then whatever income was earned would be finished.
17Jō kuchh bhī puṇya kiyā vah sab khatm hō jātā hai , phir jamā kē badlē nā hō jātī hai .
16Whatever charity had been performed would all be finished, and then, instead of being credited, it would be debited.
18Pāp karma key|kī sazā bhī gyānī tū ātmā bachchō̃ kē liē 100 guṇā hai kyōṅki satgurū K|kē nindak ban jātē haĩ isliē bāp śhikṣhā dētē haĩ mīṭhē bachchē , kabhī bhī pāp karma nahī̃ karnā .
17For knowledgeable souls, the punishment for sinful actions is a hundredfold, because they become those who defame the Satguru. 18This is why the Father gives you these teachings: Sweet children, never perform sinful actions.
19Vikārō̃ key|kī chōṭ khānē sē bachkar rahnā .
19Protect yourself from being hurt by the vices.
20Bāp kā bachchō̃ par lav|love hai tō taras bhī paṛtā hai .
20The Father has love for you children and so He feels mercy.
21Bāp anubhav sunātē haĩ jab ēkānt mē̃ baiṭhtē haĩ tō pahlē ananya bachchē yād ātē haĩ . 22Bhal vilāyat mē̃ haĩ athavā kahā̃ bhī haĩ .
21The father tells you his experience: When I sit in solitude, I first remember the especially beloved children, although they may be abroad or anywhere else.
23Kōī achchhā serviceable bachchā śharīr chhōṛ jātā hai tō unkī ātmā kō bhī yād kar searchlight dētē haĩ .
22When a good, serviceable child leaves his body, Baba remembers that one’s soul and gives him a searchlight.
24Yah tum bachchē jāntē hō yahā̃ dō battiyā̃ haĩ , dōnō̃ light ikaṭṭhī haĩ .
23You children know that there are two lights here, and both lights are together.
25Yah dōnō̃ jabardast light haĩ .
24Both are very powerful lights.
26Savērē kā time achchhā hai snān kar ēkānt mē̃ chalē jānā chāhiē .
25The early morning hours are good: after bathing, go into solitude.
27Andar khuśhī bhī bahut rahnī chāhiē .
26Let there be a lot of happiness internally.
28Bēhad kā bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ - mīṭhē bachchē , apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō aur apnē ghar kō yād karō .
27The unlimited Father sits here and explains to you children: Sweet children, consider yourselves to be souls and remember Me, your Father and your home.
29Bachchē , is yād kī yātrā kō kabhī bhūlnā nahī̃ .
28Children, never forget this pilgrimage of remembrance.
30Yād sē hī tum pāvan banē̃gē . 31Pāvan bannē bigar tum vāpas ghar jā nahī̃ saktē .
29You will only become pure by having remembrance, and you cannot go back home without becoming pure.
32Mukhya hai hī gyān aur yōg .
30The main thing is this knowledge and yoga.
33Bāp kē pās yahī bahut baṛā khajānā hai jō bachchō̃ kō dētē haĩ , ismē̃ yōg key|kī bahut baṛī subject hai .
31The Father has this very big treasure that He gives to you children. 32Yoga is a very big subject in this.
34Bachchē achchhī rīti yād kartē haĩ tō bāp key|kī bhī yād sē yād miltī hai .
33When you children have good remembrance, that remembrance then begets the Father’s remembrance.
35Yād sē bachchē bāp kō khīñchtē haĩ .
34Children pull the Father through their remembrance.
36Pichhāṛī mē̃ ānē vālē jō ūñch pad pātē , uskā ādhār bhī yād hai .
35There are some who come later and yet claim a high status, the basis of that is remembrance.
37Vah kaśhiśh kartē haĩ .
36They pull Him.
38Kahtē haĩ nā - bābā rahm karō , kr̥ipā karō , ismē̃ bhī mukhya chāhiē yād .
37It is said: Baba, have mercy! 38Have compassion! 39But in this too, the main thing needed is remembrance.
39Yād sē hī current miltī rahēgī , issē ātmā healthy bantī hai , bharpūr hō jātī hai .
40Only by having remembrance will you continue to receive a current, and you souls become healthy and full through this.
40Kōī samay bāp kō kisī bachchē kō current dēnī hōtī hai tō nīnd bhī fit jātī hai .
41Sometimes, when the father has to give a current to a child, he loses his sleep over it.
41Yah phurnā lagā rahtā hai ki phalānē kō current dēnī hai .
42He has this deep concern that he has to give a current to so-and-so.
42Tum jāntē hō current milnē sē āyu baṛhtī hai , ever healthy bantē haĩ .
43You know that your life increases when you receive a current and you become everhealthy.
43Aisē bhī nahī̃ ēk jagah baiṭh yād karnā hai .
44It isn’t that you have to sit in one place and have remembrance.
44Bāp samjhātē haĩ chaltē phirtē bhōjan khātē , kārya kartē bhī bāp kō yād karō .
45The Father explains: Remember the Father while walking and moving around, while eating your meals or while doing anything.
45Dūsrē kō current dēnī hai tō rātri kō bhī jāgō .
46In order to give a current to others, stay awake at night.
46Bachchō̃ kō samjhāyā hai - savērē uṭhkar jitnā bāp kō yād karē̃gē utnā kaśhiśh hōgī .
47It is explained to you children: The more you remember the Father when you wake up early in the morning, the greater the pull there will be.
47Bāp bhī searchlight dēgē .
48The Father will also give you a searchlight.
48Ātmā kō yād karnā arthāt searchlight dēnā , phir iskō kr̥ipā kahō , āśhīrvād kahō .
49To remember a soul means to give him a searchlight. 50You can call that mercy or blessings.
49Tum bachchē jāntē hō yah anādi banā banāyā drama hai .
51You children know that this is an eternally predestined drama.
50Yah hār jīt kā khēl hai .
52This is a game of victory and defeat.
51Jō hōtā hai vah ṭhīk hai .
53Whatever happens is fine.
52Creator kō drama jarūr pasand hōgā nā .
54The Creator would definitely like the drama, would He not?
53Tō creator K|kē bachchō̃ kō bhī pasand hōgā .
55So, the children of the Creator would also like it.
54Is drama mē̃ bāp ēk hī bār bachchō̃ kē pās bachchō̃ key|kī dil va jān , sik va prēm sē sēvā karnē ātē haĩ .
56In this drama, the Father only comes once to you children, with love in his heart, with heart and soul, to serve you children.
55Bāp kō tō sab bachchē pyārē haĩ .
57The Father loves all the children.
56Tum jāntē hō satyug mē̃ bhī sab ēk dō kō bahut pyār kartē haĩ .
58You know that in the golden age, everyone loves each other a lot.
57Jānvarō̃ mē̃ bhī pyār rahtā hai .
59There is love amongst the animals too.
58Aisē kōī jānvar nahī̃ hōtē jō pyār sē na rahē̃ .
60There isn’t a single animal who doesn’t live with love.
59Tō tum bachchō̃ kō yahā̃ master pyār kā sāgar bannā hai .
61So, you children have to become master oceans of love here.
60Yahā̃ banē̃gē tō vah saṅskār avināśhī ban jāyēṅgē .
62If you become that here, that sanskar will become imperishable.
61Bāp kahtē haĩ kalp pahlē misal hūbahū phir sē pyārā banānē āyā hū̃ .
63The Father says: I have come to make you lovely, exactly as I did a cycle ago.
62Kabhī kisī bachchē kā gussē kā āvāj suntē haĩ tō bāp śhikṣhā dētē haĩ bachchē gussā karnā ṭhīk nahī̃ hai , issē tum bhī duḥkhī hōṅgē , dūsrō̃ kō bhī duḥkhī karē̃gē .
64Whenever the Father hears the sound of a child’s anger, He gives this teaching: Child, it is not good to get angry, because you will have sorrow and you will cause sorrow for others.
63Bāp sadākāl kā sukh dēnē vālā hai tō bachchō̃ kō bhī bāp samān bannā hai .
65The Father is the One who gives you permanent happiness and so you children have to become like the Father.
64Ēk dō kō kabhī duḥkh nahī̃ dēnā hai .
66Never cause sorrow for one another.
65Bahut-bahut lovely bannā hai .
67You have to become very, very lovely.
66Lovely bāp kō bahut lav|love sē yād karē̃gē tō apnā bhī kalyāṇ , dūsrō̃ kā bhī kalyāṇ karē̃gē .
68When you remember the lovely Father with a lot of love, you will benefit yourselves and also others.
67Abhī viśhva kā mālik tumhārē pās|pass mēhmān bankar āyā hai .
69The Lord of the World has come to you as your Guest.
68Tum bachchō̃ K|kē sahyōg sē hī viśhva kā kalyāṇ hōnā hai .
70Only with the help of you children is the world going to be benefitted.
69Jaisē tum rūhānī bachchō̃ kō bāp ati pyārā lagtā , vaisē bāp kō bhī tum rūhānī bachchē bahut pyārē lagtē hō kyōṅki tum hī śhrīmat par sārē viśhva kā kalyāṇ karnē vālē hō .
71Just as you spiritual children find the Father very lovely, similarly, the Father finds you spiritual children very lovely, because only you are the ones who will benefit the whole world by following shrimat.
70Abhī tum yahā̃ īśhvarīy parivār mē̃ baiṭhē hō .
72You are now sitting here in this Godly family.
71Bāp sammukh baiṭhā hai .
73The Father is sitting personally in front of you.
72Tumhī̃ sē khāū̃ , tumhī sē baiṭhū̃ … tum jāntē hō śhivbābā ismē̃ ākar kahtē haĩ mīṭhē bachchē , dēh sahit dēh K|kē sabhī sambandhō̃ kō bhūl māmēkam yād karō .
74“I eat with You, I sit with You…” 75You know that Shiv Baba enters this one and says: Sweet children, forget your bodies and all your bodily relations and constantly remember Me alone.
73Yah antim janm hai , yah purānī duniyā , purānī dēh khalās hō jānī hai .
76This is the final birth, this is an old world and this old body is to be finished.
74Kahāvat bhī hai āp muyē mar gaī duniyā .
77There is the saying: “When you die, the world is dead for you.”
75Puruṣhārth kē liē thōṛā sā saṅgam kā samay hai .
78For making effort, there is just this little time of the confluence age.
76Bachchē pūchhtē haĩ bābā yah paṛhāī kab tak chalēgī !
79Some children ask: “Baba, till when will this study continue?”
77Jab tak daivī rājdhānī sthāpan hō jāē tab tak sunātē rahē̃gē .
80He will continue to speak this knowledge to you until the divine kingdom is established.
78Phir transfer hōṅgē naī duniyā mē̃ .
81You will then be transferred to a new world.
79Bābā kitnā nirãhakār sē tum bachchō̃ key|kī sēvā kartē haĩ , tō tum bachchō̃ kō bhī itnī sēvā karnī chāhiē .
82Baba is serving you children while being so egoless. 83So, you children also have to do just as much service.
80Śhrīmat par chalnā chāhiē .
84You have to follow shrimat.
81Kahā̃ apnī mat dikhāī tō takdīr kō lakīr lag jāyēgī .
85When you follow your own dictates, your fortune is crossed out.
82Tum brāhmaṇ īśhvarīy santān hō .
86You Brahmins are Godly children.
83Brahmā key|kī aulād bhāī-bahan hō , īśhvarīy pōtrē-pōtriyā̃ hō , unsē varsā lē rahē hō .
87The children of Brahma are brothers and sisters, Godly grandsons and granddaughters. 88You are claiming your inheritance from Him.
84Jitnā puruṣhārth karē̃gē utnā pad pāyēṅgē .
89To the extent that you make effort, so you will accordingly claim a status.
85Ismē̃ sākṣhī rahnē kā bhī bahut abhyās chāhiē .
90In this, you need to have a lot of practice of being detached.
86Bāp kā pahlā pharmān hai aśharīrī bhav , dēhī-abhimānī bhav .
91The Father’s first order is: May you be bodiless. 92May you be soul conscious.
87Apnē kō ātmā samajh mujh bāp kō yād karō tab hī jō khād paṛī hai vah nikalēgī , sachchā sōnā ban jāyēṅgē .
93Consider yourselves to be souls and remember Me, the Father, for only then will the alloy in you be removed and you will become real gold.
88Tum bachchē adhikār sē kah saktē hō bābā ō mīṭhē bābā , āpnē mujhē apnā banākē sab kuchh varsē mē̃ dē diyā hai .
94You children can say with a right: “Baba, O sweet Baba! 95You made me belong to You and gave me everything as my inheritance.
89Is varsē kō kōī chhīn nahī̃ saktā hai , itnā tum bachchō̃ kō naśhā rahnā chāhiē .
96No one can snatch away this inheritance.” 97You children have to have this much intoxication.
90Tum hī sabhī kō mukti jīvanmukti kā rāstā batānē vālē light house hō , uṭhtē-baiṭhtē , chaltē-phirtē tum light house hōkar rahō .
98You are the lighthouses who show everyone the path to liberation and liberation in life. 99While walking, sitting and moving around, just be a lighthouse.
91Bāp kahtē haĩ bachchē , ab time bahut thōṛā hai , gāyā bhī jātā hai ēk ghaṛī ādhī ghaṛī … jitnā hō sakē ēk bāp kō yād karnē lag jāō aur phir chart kō baṛhātē rahō .
100The Father says: Children, there is now very little time. 101It is remembered: one moment, half a moment… 102As much as possible, engage yourselves in remembering the one Father and then continue to increase your chart.
92Achchhā !
103Achcha.
93Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē lucky aur lovely gyān sitārō̃ kō mātpitā bāpdādā kā dil va jān sik va prēm sē yādpyār aur good morning .
104To you sweetest, long-lost and now-found lucky and lovely stars of knowledge, love and remembrance from the Mother, the Father, BapDada’s heart and soul, with deep, deep love, love, remembrance and good morning.
94Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
105The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
95Avyakt-mahāvākya - nirantar yōgī banō
106Avyakt Elevated versions: Constantly be a yogi.
96Jaisē ēk second mē̃ switch on aur of|off kiyā jātā hai , aisē hī ēk second mē̃ śharīr kā ādhār liyā aur phir ēk second mē̃ śharīr sē parē aśharīrī sthiti mē̃ sthit hō jāō .
107Just as you put a switch on or off in a second, similarly, take the support of your body in a second, and then, in a second, go beyond your body and become stable in the bodiless stage.
97Abhī-abhī śharīr mē̃ āyē phir abhī-abhī aśharīrī ban gayē , yah practice karnī hai , isī kō hī karmātīt avasthā kahā jātā hai . 98Jaisē kōī vastra dhāraṇ karnā vā na karnā apnē hāth mē̃ rahtā hai .
108Come into your body one moment and then become bodiless in the next. 109You have to practise this; it is called the karmateet stage - just as it is in your hands whether to wear certain clothes or not to wear them.
99Āvaśhyaktā huī dhāraṇ kiyā , āvaśhyaktā na huī tō utār diyā .
110When there is a need, you wear them and when there isn’t, you take them off.
100Aisā hī anubhav is śharīr rūpī vastra kō dhāraṇ karnē aur utārnē mē̃ hō .
111Let there be the same experience in adopting the costume of your body and taking it off.
101Karma kartē bhī aisā anubhav hōnā chāhiē jaisē kōī vastra dhāraṇ kar kārya kar rahē haĩ , kārya pūrā huā aur vastra sē nyārē huē .
112While performing actions, have the experience of wearing a costume and carrying out your task. 113Then, as soon as you finish the task, become detached from the costume.
102Śharīr aur ātmā dōnō̃ kā nyārāpan chaltē-phirtē bhī anubhav hō . 103Jaisē kōī practice hō jātī hai nā , lēkin yah practice kinhē̃ hō saktī hai ?
114Experience the detachment of the body and soul while walking and moving around, just as you would develop any other practice. 115However, who is able to practise this?
104Jō śharīr kē sāth vā śharīr K|kē sambandh mē̃ jō bhī bātē̃ haĩ , śharīr key|kī duniyā , sambandh vā anēk jō bhī vastuyē̃ haĩ unsē bilkul detach hōṅgē , jarā bhī lagāv nahī̃ hōgā tab nyārā hō sakē̃gē .
116Those who are completely detached from their bodies, everything connected with their bodies, the physical world and relations and everything else, and who have no attachment: only they can remain separate.
105Agar sūkṣhma saṅkalp mē̃ bhī halkāpan nahī̃ hai , detach nahī̃ hō saktē tō nyārēpan kā anubhav nahī̃ kar sakē̃gē .
117If there isn’t any lightness in your subtle thoughts, if you are unable to be detached, you will not be able to experience being separate.
106Tō har ēk kō ab yah practice karnī hai , bilkul hī nyārēpan kā anubhav hō .
118So, now, each one of you has to practice this, to experience complete separation.
107Is stage par rahnē sē anya ātmāō̃ kō bhī āp lōgō̃ sē nyārēpan kā anubhav hōgā , vah bhī mahsūs karē̃gē .
119By your staying in this stage, other souls will also experience being detached; they will also experience this stage from you souls.
108Jaisē yōg mē̃ baiṭhnē K|kē samay kaī ātmāō̃ kō anubhav hōtā hai nā , yah drill karānē vālē nyārī stage mē̃ haĩ , aisē chaltē-phirtē phariśhtēpan K|kē sākṣhātkār hōṅgē .
120When sitting in yoga, some souls experience the one who is conducting the drill to be in a stage of detachment. 121In the same way, while walking and moving around, there will be visions of your angelic stage.
109Yahā̃ baiṭhē huē bhī anēk ātmāō̃ kō , jō bhī āpkē satyugī family mē̃ samīp ānē vālē hōṅgē , unhō̃ kō āp lōgō̃ K|kē phariśhtē rūp aur bhaviṣhya rājya pad K|kē dōnō̃ ikṭṭhē sākṣhātkār hōṅgē .
122While sitting here, many other souls who are going to be close in your golden-aged family will have visions of your angelic form and your future royal form.
110Jaisē śhurū mē̃ brahmā mē̃ sampūrṇ svarūp aur śhrīkr̥iṣhṇa kā dōnō̃ sāth-sāth sākṣhātkār kartē thē , aisē ab unhō̃ kō tumhārē double rūp kā sākṣhātkār hōgā .
123In the beginning, people used to have visions of both the perfect form of Brahma and of Shri Krishna. 124Similarly, people will have a vision of your double form.
111Jaisē-jaisē number-vār is nyārī stage par ātē jāyēṅgē tō āp lōgō̃ K|kē bhī yah double sākṣhātkār hōṅgē .
125As you continue to come into this stage of detachment, numberwise, others will also have a vision of your double form.
112Abhī yah pūrī practice hō jāē tō yahā̃ vahā̃ sē yahī samāchār ānē śhurū hō jāyēṅgē .
126Now, let there be this complete practice, and news will then begin to come from here and there.
113Jaisē śhurū mē̃ ghar baiṭhē bhī anēk samīp ānē vālī ātmāō̃ kō sākṣhātkār huē nā .
127In the beginning, while sitting at home, many souls who were to come close had visions.
114Vaisē ab bhī sākṣhātkār hōṅgē .
128In the same way, they will have visions now, too.
115Yahā̃ baiṭhē bhī bēhad mē̃ āp lōgō̃ kā sūkṣhma svarūp service karēgā .
129While sitting here, your subtle forms will do service in an unlimited way.
116Ab yahī service rahī huī hai .
130This service now remains to be done.
117Sākār mē̃ sabhī example tō dēkh liyā .
131You saw all the examples in the corporeal form.
118Sabhī bātē̃ number-vār drama anusār hōnī haĩ .
132Everything is going to happen, numberwise, according to the drama.
119Jitnā-jitnā svayã ākārī phariśhtē svarūp mē̃ hōṅgē utnā āpkā phariśhtā rūp service karēgā .
133The more you stay in your subtle, angelic forms, the more service your angelic forms will do.
120Ātmā kō sārē viśhva kā chakra lagānē mē̃ kitnā samay lagtā hai ?
134How long does it take for a soul to go around the cycle and circle the whole world?
121Tō abhī āpkē sūkṣhma svarūp bhī service karē̃gē lēkin jō is nyārī sthiti mē̃ hōṅgē . 122Svayã phariśhtē rūp mē̃ sthit hōṅgē .
135So, now, your subtle forms will do service, but only those who have this stage of detachment, only those who are stable in their angelic forms.
123Śhurū mē̃ sabhī sākṣhātkār huē haĩ .
136All the visions were seen in the beginning.
124Phariśhtē rūp mē̃ sampūrṇ stage aur puruṣhārthī stage dōnō̃ alag-alag sākṣhātkār hōtā thā .
137There were separate visions of the perfect stage in the angelic form and of the effort-making stage.
125Jaisē sākār brahmā aur sampūrṇ brahmā kā alag-alag sākṣhātkār hōtā thā , vaisē ananya bachchō̃ K|kē sākṣhātkār bhī hōṅgē .
138Just as they had visions of the corporeal Brahma and the perfect Brahma, separately, in the same way, there will be visions of you especially beloved children.
126Haṅgāmā jab hōgā tō sākār śharīr dvārā tō kuchh kar nahī̃ sakē̃gē aur prabhāv bhī is service sē paṛēgā .
139When the upheaval takes place, you won’t be able to do anything physically, and the impact of this would be felt through this service.
127Jaisē śhurū mē̃ bhī sākṣhātkār sē hī prabhāv huā nā .
140In the beginning too, there was the impact of visions, was there not?
128Parōkṣh-aparōkṣh anubhav nē prabhāv ṛālā .
141Visions and subtle experiences created an impact.
129Vaisē ant mē̃ bhī yahī service hōnī hai .
142In the end too, this service has to take place.
130Apnē sampūrṇ svarūp kā sākṣhātkār apnē āp kō hōtā hai ?
143Does each of you have a vision of your perfect form?
131Abhī śhaktiyō̃ kō pukārnā śhurū hō gayā hai .
144They have now begun calling out to the Shaktis.
132Abhī paramātmā kō cum|kam pukārtē haĩ , śhaktiyō̃ key|kī pukār tēj raphtār sē chālū hō gaī hai .
145Now, they don’t call out to God so much, but the calling out to the Shaktis has begun in full force.
133Tō aisī practice bīch-bīch mē̃ karnī hai .
146So, you have to practise this every now and then.
134Ādat paṛ jānē sē phir bahut ānand feel hōgā .
147When you develop this habit, you will feel a lot of bliss.
135Ēk second mē̃ ātmā śharīr sē nyārī hō jāyēgī , practice hō jāyēgī .
148You souls will become detached from your bodies in a second, you will have that practice.
136Abhī yahī puruṣhārth karnā hai .
149Now, this is the effort that has to be made.
137Vartamān samay manan śhakti sē ātmā mē̃ sarv śhaktiyā̃ bharnē key|kī āvaśhyaktā hai tab magan avasthā rahēgī aur vighna ṭal jāyēṅgē .
150At present, there is a need for you souls to be filled with all powers with your churning power; only then will you have the stage of being totally absorbed in love and obstacles will be removed.
138Vighnō̃ key|kī lahar tab ātī hai jab rūhāniyat key|kī taraph force kam hō jātā hai .
151Waves of obstacles come when there is less force of spirituality.
139Tō vartamān samay śhivrātri key|kī service K|kē pahlē svayã mē̃ śhakti bharnē kā force chāhiē .
152So, at present, before doing the service for Shiv Ratri, you need to have the force for filling yourselves with power.
140Bhal yōg K|kē programmes rakhtē hō lēkin yōg dvārā śhaktiyō̃ kā anubhav karnā , karānā ab aisī classes key|kī āvaśhyaktā hai .
153You may be having programmes for yoga, but there is now a need to have classes on experiencing and giving others the experience of the powers through yoga.
141Practical apnē bal K|kē ādhār sē aurō̃ kō bal dēnā hai .
154On the basis of your own power, you now have to give power to others in a practical way.
142Sirph bāhar key|kī service K|kē plan nahī̃ sōchnē haĩ lēkin pūrī hī nazar chāhiē sabhī taraph .
155Do not think about plans for just external service, but you need to be looking in all directions.
143Jō nimitt banē huē haĩ unhō̃ kō yah khyālāt ānī chāhiē ki hamārī phulvārī kis bāt mē̃ kamjōr hai .
156Those who are the instruments have to think about which aspect their garden is weak in.
144Kisī bhī rīti sē apnē phulvārī key|kī kamjōrī par kaṛī dr̥iṣhṭi rakhnī chāhiē .
157In whatever way possible, you have to look at the weaknesses of your garden with a strict eye.
145Samay dēkar bhī kamjōriyō̃ kō khatm karnā hai .
158Make time to finish any weaknesses.
146Jaisē sākār rūp kō dēkhā , kōī bhī aisī lahar kā samay hōtā , tō din-rāt sakāśh dēnē key|kī viśhēṣh service , viśhēṣh plans chaltē thē .
159You saw the sakar form: whenever there was any particular wave, special service would then be done and special plans made to give sakaash day and night.
147Nirbal ātmāō̃ kō bal bharnē kā viśhēṣh attention rahtā thā jissē anēk ātmāō̃ kō anubhav bhī hōtā thā .
160Special attention would be paid to make weak souls full of power through which many souls used to have an experience.
148Rāt-rāt kō bhī samay nikāl ātmāō̃ kō sakāśh bharnē key|kī service chaltī thī .
161Time was made at night to do the service of filling souls with sakaash.
149Tō abhī viśhēṣh sakāśh dēnē key|kī service karnī hai .
162So, service now has to be done especially to give sakaash.
150Light house , might house bankar yah service khās karnī hai , tab chārō̃ ōr light might kā prabhāv phailēgā .
163Be a lighthouse and a might house and especially do this service. 164Only then will the impact of light and might spread everywhere.
151Abhī yahī āvaśhyaktā hai .
165There is now a need for this.
152Jaisē kōī sāhūkār hōtā hai tō apnē najdīk sambandhiyō̃ kō madad dēkar ūñchā uṭhā lētā hai , aisē vartamān samay jō bhī kamjōr ātmāyē̃ samparka aur sambandh mē̃ haĩ , unhō̃ kō viśhēṣh sakāśh dēnī hai .
166Just as a wealthy person helps his close relatives in order to uplift them, in the same way, you now have to give special sakaash to all the weak souls who are in connection and relationship with you.
153Achchhā -
167Achcha.
Blessing
154Vardān : hajār bhujā vālē brahmā bāp kē sāth kā nirantar anubhav karnē vālē sachchē snēhī bhav
168Blessing: May you be truly loving and constantly experience the company of Father Brahma, the one with a thousand arms.
155Vartamān samay hajār bhujā vālē brahmā bāp K|kē rūp kā part chal rahā hai .
169 At present, the part of Father Brahma with a thousand arms is being enacted.
156Jaisē ātmā K|kē binā bhujā kuchh nahī̃ kar saktī , vaisē bāpdādā K|kē binā bhujā rūpī bachchē kuchh nahī̃ kar saktē .
170Just as your arms are not able to do anything without you souls, in the same way, you arms, that is, you children, cannot do anything without BapDada.
157Her|har kārya mē̃ pahlē bāp kā sahyōg hai .
171In every task, there is first the Father’s help.
158Jab tak sthāpanā kā part hai tab tak bāpdādā bachchō̃ K|kē her|har saṅkalp aur second mē̃ sāth-sāth hai isliē kabhī bhī judāī kā pardā ḍāl viyōgī nahī̃ banō .
172While the part of establishment is being enacted, BapDada is with you children in every thought and at every second. 173Therefore, do not put up a curtain of separation and be separated in yoga.
159Prēm K|kē sāgar key|kī laharō̃ mē̃ laharāō , guṇgān karō lēkin ghāyal nahī̃ banō .
174Move along in the waves of the Ocean of Love, sing His praise, and do not get hurt.
160Bāp K|kē snēh kā pratyakṣha svarūp sēvā K|kē snēhī banō .
175The practical form of love for the Father is to have love for doing service.
Slogan
161Slōgan : aśharīrī sthiti kā anubhav va abhyās hī number āgē ānē kā ādhār hai .
176Slogan: The experience and practice of the bodiless stage is the basis of claiming a number ahead.
162Apnī śhaktiśhālī mansā dvārā sakāśh dēnē key|kī sēvā karō 163Her|har samay , her|har ātmā kē prati mansā svataḥ śhubhbhāvnā aur śhubhkāmnā K|kē śhuddha vibration vālī svayã kō aur dūsrō̃ kō anubhav hō .
177*** Om Shanti *** With your powerful mind, do the service of giving sakaash.Let yourself and others experience your mind to be automatically full of the pure vibrations of good wishes and pure feelings at every moment and for every soul.
164Man sē her|har samay sarv ātmāō̃ prati duāyē̃ nikaltī rahē̃ .
178Let blessings continue to emerge from your mind for all souls at every moment.
165Mansā sadā isī sēvā mē̃ busy rahē .
179Let your mind be constantly busy in doing this service.
166Jaisē vāchā key|kī sēvā mē̃ busy rahnē K|kē anubhavī hō gayē hō . 167Agar sēvā nahī̃ miltī tō apnē kō khālī anubhav kartē hō . 168Aisē her|har samay vāṇī K|kē sāth-sāth mansā sēvā svataḥ hōtī rahē .
180Just as you have become experienced in doing service with words, and if you don’t get any service to do, you experience yourselves to be empty, in the same way, together with doing service with words, let service with your mind also continue to take place automatically.