बुधवार 29 जनवरी 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

029-01-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 29/01/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhē̃ apnē yōgbal sē hī vikarma vināśh kar pāvan ban pāvan duniyā banānī hai , yahī tumhārī sēvā hai ' '

1Essence: Sweet children, you have to have your sins absolved with the power of yoga. 2You have to become pure and make the world pure; this is the service you have to do.

Question

2Praśhna  : dēvī-dēvtā dharm key|kī kaun-sī viśhēṣhtā gāī huī hai  ?

3Question: What speciality of the deity religion is praised?

Answer

3Uttar  : dēvī-dēvtā dharm hī bahut sukh dēnē vālā hai .

4Answer: The deity religion is one that gives a great deal of happiness.

4Vahā̃ duḥkh kā nām-niśhān nahī̃ .

5There is no name or trace of sorrow there.

5Tum bachchē 3/4 sukh pātē hō .

6You children experience happiness for three quarters of each cycle.

6Agar ādhā sukh , ādhā duḥkh hō tō mazā hī na āyē .

7There would not be as much pleasure if it were half happiness and half sorrow.

Murli

7Ōm śhānti .

8Om shanti.

8Bhagvānuvāch . 9Bhagvān nē hī samjhāyā hai ki kōī manuṣhya kō bhagvān nahī̃ kahā jā saktā .

9God speaks: God has explained that no human being can be called God.

10Dēvtāō̃ kō bhī bhagvān nahī̃ kahā jātā .

10Even deities cannot be called God.

11Bhagvān tō nirākār hai , unkā kōī bhī sākārī vā ākārī rūp nahī̃ hai .

11God is incorporeal. 12He neither has a corporeal form nor a subtle form.

12Sūkṣhmavatanvāsiyō̃ kā bhī sūkṣhma ākār hai isliē uskō kahā jātā hai sūkṣhmavatan .

13Even the residents of the subtle region have subtle forms. 14This is why that place is called the subtle region.

13Yahā̃ sākārī manuṣhya tan hai isliē iskō sthūl vatan kahā jātā hai .

15Here, you have corporeal, human bodies; that is why this is called the corporeal world.

14Sūkṣhmavatan mē̃ yah sthūl 5 tatvō̃ kā śharīr hōtā nahī̃ .

16This physical body, made of the five elements, does not exist in the subtle region.

15Yah 5 tatvō̃ kā manuṣhya śharīr banā huā hai , inkō kahtē haĩ miṭṭī kā putlā .

17These human bodies are made up of the five elements; they are called puppets of clay.

16Sūkṣhmavatanvāsiyō̃ kō miṭṭī kā putlā nahī̃ kahē̃gē .

18It cannot be said that the residents of the subtle region are puppets of clay.

17Deity ( dēvtā ) dharm vālē bhī haĩ manuṣhya , parantu unkō kahē̃gē daivīguṇ vālē manuṣhya .

19Those of the deity religion are also human beings, but they are human beings with divine qualities.

18Yah daivīguṇ prāpt kiyē haĩ śhivbābā sē .

20They attained their divine qualities from Shiv Baba.

19Daivīguṇ vālē manuṣhya aur āsurī guṇ vālē manuṣhyō̃ mē̃ kitnā phark hai .

21There is a vast difference between human beings with divine qualities and those with devilish traits.

20Manuṣhya hī śhivālay vā vēśhyālay mē̃ rahnē lāyak bantē haĩ .

22It is human beings who become worthy of living in the Temple of Shiva and it also human beings who become worthy of living in the brothel.

21Satyug kō kahā jātā hai śhivālay .

23The golden age is called the Temple of Shiva.

22Satyug yahā̃ hī hōtā hai .

24The golden age exists here.

23Kōī mūlvatan vā sūkṣhmavatan mē̃ nahī̃ hōtā hai .

25It does not exist in the incorporeal world or the subtle region.

24Tum bachchē jāntē hō vah śhivbābā kā sthāpan kiyā huā śhivālay hai .

26You children understand that the Temple of Shiva is established by Shiv Baba.

25Kab sthāpan kiyā  ?

27When did He establish it?

26Saṅgam par .

28At the confluence age.

27Yah purūṣhōttam yug hai .

29This is the most auspicious confluence age.

28Abhī yah duniyā hai patit tamōpradhān , iskō satōpradhān naī duniyā nahī̃ kahē̃gē .

30This world is now impure, tamopradhan. 31It cannot be called a new, satopradhan world.

29Naī duniyā kō satōpradhān kahā jātā hai . 30Vahī phir jab purānī bantī hai tō uskō tamōpradhān kahā jātā hai .

32A new world is called satopradhan and when it becomes old, it is called tamopradhan.

31Phir satōpradhān kaisē bantī hai  ?

33How does it become satopradhan again?

32Tum bachchō̃ K|kē yōgbal sē .

34Through you children with the power of yoga.

33Yōgbal sē hī tumhārē vikarma vināśh hōtē haĩ aur tum pavitra ban jātē hō .

35It is with the power of yoga that all your sins are absolved and you become pure.

34Pavitra kē liē tō phir jarūr pavitra duniyā chāhiē .

36A pure world is definitely needed for pure ones.

35Naī duniyā kō pavitra , purānī duniyā kō apavitr kahā jātā hai .

37That new world is called pure and this old world is called impure.

36Pavitra duniyā bāp sthāpan kartē haĩ , patit duniyā rāvaṇ sthāpan kartē haĩ .

38The Father establishes the pure world whereas Ravan establishes the impure world.

37Yah bātē̃ kōī manuṣhya nahī̃ jāntē .

39No human being knows these things.

38Yah 5 vikār na hō̃ tō manuṣhya duḥkhī hōkar bāp kō yād kyō̃ karē̃  !

40If these five vices didn’t exist, people would not become unhappy, nor would they remember the Father.

39Bāp kahtē haĩ maĩ hū̃ hī duḥkh hartā sukhkartā .

41The Father says: I am the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness.

40Rāvaṇ kā 5 vikārō̃ kā putlā banā diyā hai - 10 śhīśh kā .

42People make effigies of the five vices of Ravan with 10 heads.

41Us rāvaṇ kō duśhman samajhkar jalātē haĩ .

43They consider Ravan to be their enemy and burn him.

42Sō bhī aisē nahī̃ ki dvāpar ādi sē hī jalānā śhurū kartē haĩ .

44It is not that they start to burn an effigy at the beginning of the copper age; no.

43Nahī̃ , jab tamōpradhān bantē haĩ tab kōī mat-matāntar vālē baiṭh yah naī bātē̃ nikāltē haĩ .

45It is when they become tamopradhan that some come up with their new ideas.

44Jab kōī bahut duḥkh dētē haĩ tab unkā effigy ( putlā ) banātē haĩ .

46When someone causes a lot of sorrow, an effigy is made of him.

45Tō yahā̃ bhī manuṣhyō̃ kō jab bahut duḥkh miltā hai tab yah rāvaṇ kā but banākar jalātē haĩ .

47Here, too, it is when people experience a great deal of sorrow that they make an effigy of Ravan and burn it.

46Tum bachchō̃ kō 3/4 sukh rahtā hai .

48You children experience happiness for three quarters of each cycle.

47Agar ādhā duḥkh hō tō vah mazā hī kyā rahā  !

49What pleasure would there be if it were half and half?

48Bāp kahtē haĩ tumhārā yah dēvī-dēvtā dharm bahut sukh dēnē vālā hai .

50The Father says: Your deity religion is one that gives you a great deal of happiness.

49Sr̥iṣhṭi tō anādi banī huī hai .

51The world drama is eternally predestined.

50Yah kōī pūchh nahī̃ saktā ki sr̥iṣhṭi kyō̃ banī , phir kab pūrī hōgī  ?

52No one can ask why the world was created or when it will end.

51Yah chakra phirtā hī rahtā hai .

53This cycle continues to turn.

52Śhāstrō̃ mē̃ kalp key|kī āyu lākhō̃ varṣh lagā dī hai .

54It says in the scriptures that the duration of each cycle is hundreds of thousands of years.

53Jarūr saṅgamyug bhī hōgā , jabki sr̥iṣhṭi badalēgī .

55There must surely be the confluence age when the world has to be transformed.

54Abhī jaisē tum feel kartē hō , aisē aur kōī samajhtē nahī̃ .

56You now feel that no one else understands it in this way.

55Itnā bhī nahī̃ samajhtē - bachpan mē̃ rādhē-kr̥iṣhṇa nām hai phir svayamvar hōtā hai .

57They don’t even understand that the names Radhe and Krishna are their childhood names and that they then marry.

56Dōnō̃ alag-alag rājdhānī K|kē haĩ phir unkā svayamvar hōtā hai tō lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ .

58Each of them belongs to a separate kingdom; then, when they marry, they become Lakshmi and Narayan.

57Yah sab bātē̃ bāp samjhātē haĩ .

59The Father explains all of these aspects.

58Bāp hī knowledgeful hai .

60The Father is knowledge-full.

59Aisē nahī̃ ki vah jānī-jānanahār hai .

61It is not that He is the One who knows the secrets in everyone’s heart.

60Ab tum bachchē samajhtē hō bāp tō ākar knowledge dētē haĩ .

62You children understand that the Father comes now and gives this knowledge.

61Knowledge pāṭhśhālā mē̃ miltī hai .

63Knowledge is received in a pathshala (place of study).

62Pāṭhśhālā mē̃ aim object tō jarūr hōnī chāhiē .

64There must definitely be an aim and objective in a pathshala.

63Abhī tum paṛh rahē hō .

65You are now studying.

64Chhī-chhī duniyā mē̃ rājya nahī̃ kar saktē .

66You cannot rule in this dirty world.

65Rājya karē̃gē gul-gul duniyā mē̃ .

67You will rule in a beautiful world.

66Rājyōg kōī satyug mē̃ thōṛēhī sikhāyēṅgē .

68No one teaches Raja Yoga in the golden age.

67Saṅgamyug par hī bāp rājyōg sikhlātē haĩ .

69It is only at the confluence age that the Father teaches Raja Yoga.

68Yah bēhad key|kī bāt hai .

70This is an unlimited aspect.

69Bāp kab ātē haĩ , kiskō bhī patā nahī̃ .

71No one knows when the Father comes.

70Ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .

72Everyone is in extreme darkness.

71Gyān sūrya nām sē jāpān mē̃ vō lōg apnē kō sūryavanśhī kahlātē haĩ .

73People in Japan call themselves those of the sun dynasty.

72Vāstav mē̃ sūryavanśhī tō dēvtāyē̃ ṭhaharē .

74In fact, it is the deities who belong to the sun dynasty.

73Sūryavanśhiyō̃ kā rājya satyug mē̃ hī thā .

75The kingdom of the sun dynasty is in the golden age.

74Gāyā bhī jātā hai gyān sūrya pragaṭā … tō bhaktimārg kā andhiyārā vināśh .

76It is said that when the Sun of Knowledge rises, the darkness of the path of devotion is dispelled.

75Naī duniyā sō purānī , purānī duniyā sō phir naī hōtī hai .

77The new world becomes old and the old world becomes new.

76Yah bēhad kā baṛā ghar hai .

78This world is a big unlimited home.

77Kitnā baṛā māṇḍavā hai .

79It is a huge stage.

78Sūrya , chānd , sitārē kitnā kām dētē haĩ .

80The sun, moon and stars do so much work.

79Rātri kō bahut kām chaltā hai .

81A lot of work is carried out at night.

80Aisē bhī kaī rājā lōg haĩ jō din kō sō jātē , rāt kō apnī sabhā ādi lagātē haĩ , kharīdadārī kartē haĩ .

82There were some kings who slept during the day and held court at night. 83They would go out to buy things at night.

81Yah abhī tak bhī kahā̃-kahā̃ chaltā hai .

84Even now, this happens in some places.

82Mills ādi bhī rāt kō chaltī haĩ .

85Mills etc. are also run during the night.

83Yah haĩ had K|kē din-rāt . 84Vah hai bēhad key|kī bāt .

86These are limited days and nights whereas the other is a matter of the unlimited.

85Yah bātē̃ sivāē tumhārē aur kisī key|kī buddhi mē̃ nahī̃ haĩ .

87These things are not in the intellect of anyone except you.

86Śhivbābā kō bhī jāntē nahī̃ .

88They don’t even know Shiv Baba.

87Bāp her|har bāt samjhātē rahtē haĩ .

89The Father continues to explain every aspect.

88Brahmā kē liē bhī sam-jhāyā hai - prajāpitā brahmā hai .

90It is also explained of Brahma that he is the Father of Humanity.

89Bāp jab sr̥iṣhṭi rachtē haĩ tō jarūr kismē̃ pravēśh karē̃gē .

91When the Father comes to create the world, He definitely has to enter someone.

90Pāvan manuṣhya tō hōtē hī satyug mē̃ haĩ .

92Pure human beings exist in the golden age.

91Kaliyug mē̃ tō sab vikār sē paidā hōtē haĩ isliē patit kahā jātā hai .

93In the iron age all are born through vice; that is why they are called impure.

92Manuṣhya kahē̃gē vikār bigar sr̥iṣhṭi kaisē chalēgī  ? 93Arē , dēvtāō̃ kō tum kahtē hō sampūrṇ nirvikārī .

94People ask you how the world could continue without vice, but you tell them that the deities are completely viceless.

94Kitnī śhuddhatā sē unhō̃ K|kē mandir banātē haĩ .

95You build temples to them with such cleanliness and purity.

95Brāhmaṇ bigar kōī kō andar allow nahī̃ karē̃gē .

96No one, except those brahmins, is allowed in.

96Vāstav mē̃ in dēvtāō̃ kō vikārī kōī touch kar nahī̃ saktā .

97In fact, no vicious ones are allowed to touch those deity idols.

97Parantu ājkal tō paisē sē hī sab kuchh hōtā hai .

98However, nowadays, anything can be done when you have money.

98Kōī ghar mē̃ mandir ādi rakhtē haĩ tō bhī brāhmaṇ kō hī bulātē haĩ .

99When people have a temple in their home, they invite a brahmin priest to come.

99Ab vikārī tō vah brāhmaṇ bhī haĩ , sirph nām brāhmaṇ hai .

100Now, even those brahmin priests are vicious; they are simply called brahmins.

100Yah tō duniyā hī vikārī hai tō pūjā bhī vikāriyō̃ sē hōtī hai .

101This world is vicious and so worshipping too is conducted by vicious ones.

101Nirvikārī kahā̃ sē āyē  !

102Where could viceless ones come from?

102Nirvikārī hōtē hī haĩ satyug mē̃ .

103Viceless ones only exist in the golden age.

103Aisē nahī̃ ki jō vikār mē̃ nahī̃ jātē unkō nirvikārī kahē̃gē . 104Śharīr tō phir bhī vikār sē paidā huā hai nā .

104It is not that those who do not indulge in vice are called viceless; their bodies have been created through vice.

105Bāp nē ēk hī bāt batāī hai ki yah sārā rāvaṇ rājya hai .

105The main aspect that the Father has explained is that this whole world is the kingdom of Ravan.

106Rāmrājya mē̃ haĩ sampūrṇ nirvikārī , rāvaṇ rājya mē̃ haĩ vikārī .

106Completely viceless ones exist in the kingdom of Rama whereas vicious ones exist in the kingdom of Ravan.

107Satyug mē̃ pavitratā thī tō peace prosperity thī .

107There was purity in the golden age and there was also peace and prosperity.

108Tum dikhlā saktē hō satyug mē̃ in lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā nā .

108You can show how there used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan in the golden age.

109Vahā̃ 5 vikār hōtē nahī̃ .

109The five vices do not exist there.

110Vah hai hī pavitra rājya , jō bhagvān sthāpan kartē haĩ .

110That is a pure kingdom which God establishes.

111Bhagvān patit rājya thōṛēhī sthāpan kartē haĩ .

111God cannot establish an impure kingdom.

112Satyug mē̃ agar patit hōtē tō pukārtē nā .

112If people were impure in the golden age, they would call out to God.

113Vahā̃ tō kōī pukārtē hī nahī̃ .

113No one there calls out.

114Sukh mē̃ kōī yād nahī̃ kartē .

114No one in happiness remembers God.

115Paramātmā key|kī mahimā bhī kartē haĩ - sukh K|kē sāgar , pavitratā K|kē sāgar . . . . . . . .

115People sing praise of God and say that He is the Ocean of Happiness, the Ocean of Purity.

116Kahtē bhī haĩ śhānti hō . 117Ab sārī duniyā mē̃ śhānti manuṣhya kaisē karē̃gē  ?

116They even say that there should be peace in the world, but how could human beings bring peace to the whole world now?

118Śhānti kā rājya tō ēk svarg mē̃ hī thā .

117The kingdom of peace only exists in heaven.

119Jab kōī āpas mē̃ laṛtē haĩ tō sulah ( śhānti ) karānā hōtā hai .

118When people fight one another, someone else has to make peace between them.

120Vahā̃ tō hai hī ēk rājya .

119There, there is only the one kingdom.

121Bāp kahtē haĩ is purānī duniyā kō hī ab khatm hōnā hai .

120The Father says: This old world is now to be destroyed.

122Is mahābhārat laṛāī mē̃ sab vināśh hōtē haĩ .

121Everyone will be destroyed in this Great War (Mahabharat).

123Vināśh kālē viparīt buddhi - akṣhar bhī likhā huā hai .

122The words, “Those whose intellects have no love for God at the time of destruction”, have been written.

124Barōbar pāṇḍav tō tum hō nā . 125Tum hō rūhānī paṇḍē . 126Sabkō muktidhām kā rāstā batātē hō .

123You are true Pandavas: you are spiritual guides: you show everyone the path to the land of liberation.

127Vah hai ātmāō̃ kā ghar śhāntidhām . 128Yah hai duḥkhdhām .

124That is the home of souls, the land of peace, whereas this is a land of sorrow.

129Ab bāp kahtē haĩ is duḥkhdhām kō dēkhtē huē bhī bhūl jāō .

125The Father says: Now, whilst seeing this land of sorrow, forget it.

130Bas , abhī tō hamkō śhāntidhām mē̃ jānā hai .

126We now have to return to the land of peace.

131Yah ātmā kahtī hai , ātmā realise kartī hai .

127It is the soul who says this. 128It is the soul who that realises this.

132Ātmā kō smr̥iti āī hai ki maĩ ātmā hū̃ .

129The soul has the awareness, “I am a soul”.

133Bāp kahtē haĩ maĩ jō hū̃ jaisā hū̃ . . . . . . . aur tō kōī samajh na sakē .

130The Father says: No one else can understand Me as I am or the form that I have.

134Tumkō hī samjhāyā hai - maĩ bindī hū̃ .

131I have explained to you that I am just a point.

135Tumhē̃ yah ghaṛī-ghaṛī buddhi mē̃ rahnā chāhiē ki hamnē 84 kā chakra kaisē lagāyā hai .

132You should remember again and again how you have been around the cycle of 84 births.

136Ismē̃ bāp bhī yād āyēgā , ghar bhī yād āyēgā , chakra bhī yād āyēgā .

133By doing this, you will remember the Father; you will remember the home as well as the cycle.

137Is world key|kī history-geography kō tum hī jāntē hō .

134Only you know the history and geography of this world.

138Kitnē khaṇḍ haĩ .

135There are so many lands.

139Kitnī laṛāī ādi lagī .

136There are so many wars etc. that have taken place.

140Satyug mē̃ laṛāī ādi key|kī bāt hī nahī̃ .

137There is no question of wars etc. in the golden age.

141Kahā̃ rām rājya , kahā̃ rāvaṇ rājya .

138Just look at the difference between the kingdom of Rama and the kingdom of Ravan.

142Bāp kahtē haĩ abhī tum jaisēki īśhvarīy rājya mē̃ hō kyōṅki īśhvar yahā̃ āyā hai rājya sthāpan karnē .

139The Father says: It is as though you are now in God’s kingdom because God has come here in order to establish a kingdom.

143Īśhvar khud tō rājya kartē nahī̃ , khud rājāī lētē nahī̃ .

140God Himself does not rule that kingdom. 141He does not claim a kingdom for Himself.

144Niṣhkām sēvā kartē haĩ .

142He does altruistic service.

145Ūñch tē ūñch bhagvān hai sab ātmāō̃ kā bāp .

143God is the Highest on High, the Father of all souls.

146Bābā kahnē sē ēkdam khuśhī kā pārā chaṛhnā chāhiē .

144By saying “Baba”, your mercury of happiness should rise.

147Atīndriya sukh tumhārī antim avasthā kā gāyā huā hai .

145The supersensuous joy of your final stage has been remembered.

148Jab imtahān K|kē din najdīk ātē haĩ , us samay sab sākṣhātkār hōtē haĩ .

146At the time when the days of your examination come close, you will have visions of everything.

149Atīndriya sukh bhī bachchō̃ kō number-vār hai .

147The supersensuous joy of you children is numberwise.

150Kōī tō bāp kī yād mē̃ baṛī khuśhī mē̃ rahtē haĩ .

148Some stay in remembrance of the Father with a great deal of happiness.

151Tum bachchō̃ kō sārā din yahī feeling rahē ki ōhō bābā , āpnē hamē̃ kyā sē kyā banā diyā  !

149You children should have this feeling throughout the whole day: O Baba, You have transformed us so much!

152Āpsē kitnā na hamē̃ sukh miltā hai . . . . . . . bāp kō yād kartē prēm K|kē āṅsū ā jātē .

150We receive so much happiness from You. 151Whilst remembering the Father, we have tears of love.

153Kamāl hai , āp ākarkē hamkō duḥkh sē chhuṛātē hō , viṣhay sāgar sē kṣhīrsāgar mē̃ lē chaltē hō , sārā din yahī feeling rahnī chāhiē .

152It is a wonder how You come and liberate us from sorrow. 153You remove us from the ocean of poison and take us to the ocean of milk. 154You should have this feeling throughout the whole day.

154Bāp jis samay tumkō yād dilātē haĩ tō tum kitnē gadgad hōtē hō .

155When the Father reminds you, you bubble with so much happiness.

155Śhivbābā hamkō rājyōg sikhlā rahē haĩ .

156Shiv Baba is teaching us Raja Yoga.

156Barōbar śhivrātri bhī manāī jātī hai . 157Parantu manuṣhyō̃ nē śhivbābā kē badlē śhrīkr̥iṣhṇa kā nām gītā mē̃ dē diyā hai .

157The festival of Shiv Ratri is celebrated, but people have put Shri Krishna’s name in the Gita instead of Shiv Baba’s.

158Yah baṛē tē baṛī ēkaz bhūl hai .

158This mistake is the greatest one they have made.

159Number one gītā mē̃ hī bhūl kar dī hai .

159This is the number one mistake in the Gita.

160Drama hī aisā banā huā hai .

160The drama has been created in this way.

161Bāp ākar yah bhūl batātē haĩ ki patit-pāvan maĩ hū̃ vā śhrīkr̥iṣhṇa  ?

161The Father comes and corrects this mistake and says that He, not Shri Krishna, is the Purifier.

162Tumkō mainnē rājyōg sikhlāē manuṣhya sē dēvtā banāyā .

162I taught you Raja Yoga and changed you from ordinary humans into deities.

163Gāyan bhī mērā hai nā . 164Akāl mūrt , ajōni . . . . . . . śhrīkr̥iṣhṇa key|kī yah mahimā thōṛēhī kar saktē . 165Vah tō punarjanma mē̃ ānē vālā hai .

163There is praise of Me as the Immortal Image, the One who does not take rebirth. 164You cannot sing this praise of Shri Krishna; he takes rebirth.

166Tum bachchō̃ mē̃ bhī number-vār haĩ , jinkī buddhi mē̃ yah sab bātē̃ rahtī haĩ .

165It is numberwise amongst you children as to which ones retain all of these aspects in their intellects.

167Gyān kē sāth chalan bhī achchhī chāhiē .

166Together with having this knowledge, your behaviour also needs to be good.

168Māyā bhī kōī cum|kam nahī̃ .

167Maya is no less.

169Jō pahlē āyēṅgē vah jarūr itnī tākat vālē hōṅgē .

168Those who came first will definitely have that much strength.

170Pārṭdhārī bhinn-bhinn hōtē haĩ nā .

169There are various types of actor.

171Hero-heroine kā part bhāratvāsiyō̃ kō hī milā huā hai .

170It is the people of Bharat who have been given the parts of heroes and heroines.

172Tum sabkō rāvaṇ rājya sē chhuṛātē hō .

171You liberate everyone from the kingdom of Ravan.

173Śhrīmat par tumkō kitnā bal miltā hai .

172You receive so much power by following shrimat.

174Māyā bhī baṛī duśhtar hai , chaltē-chaltē dhōkhā dē dētī hai .

173Maya too is very powerful; whilst you are moving along, she deceives you.

175Bābā pyār kā sāgar hai tō tum bachchō̃ kō bhī bāp samān pyār kā sāgar bannā hai .

174Baba is the Ocean of Love and so you children also have to become oceans of love like the Father.

176Kabhī kaṛuvā nahī̃ bōlō .

175Never use bitter words.

177Kiskō duḥkh dēgē tō duḥkhī hōkar marē̃gē .

176If you cause sorrow for anyone, you will die in sorrow.

178Yah ādatē̃ sab miṭānī chāhiē .

177You should now finish all of those habits.

179Gandē tē gandī ādat hai viṣhay sāgar mē̃ gōtē khānā .

178The dirtiest habit is to choke in the ocean of poison.

180Bāp bhī kahtē haĩ kām mahāśhatru hai .

179The Father also says: Lust is your greatest enemy.

181Kitnī bachchiyā̃ mār khātī haĩ .

180So many daughters are beaten.

182Kōī-kōī tō bachchī kō kah dēgē bhal pavitra banō .

181Some tell their daughters that they may remain pure.

183Arē , pahlē khud tō pavitra banō .

182Ah! but they should at least first become pure themselves.

184Bachchī dē dī , kharchē ādi K|kē bōjh sē aur hī chhūṭā kyōṅki samajhtē haĩ - patā nahī̃ , inkī takdīr mē̃ kyā hai , ghar bhī kōī sukhī milē yā na milē .

183By giving their daughter away, they are at least saved from the burden of all the expenditure, because they don’t know what is in the daughter’s fortune as to whether or not she will find a happy home.

185Ājkal kharchā bhī bahut lagtā hai .

184Nowadays, there is a great deal of expenditure.

186Garīb lōg tō jhaṭ dē dētē haĩ . 187Kōī kō phir mōh rahtā hai .

185The poor will surrender their daughters very quickly whereas some have a lot of attachment.

188Āgē ēk bhīlnī ātī thī , unkō gyān mē̃ ānē nahī̃ diyā kyōṅki jādū kā ḍar thā .

186Earlier, a native woman used to come here, but they didn’t allow her to take this knowledge because they were afraid of magic.

189Bhagvān kō jādūgar bhī kahtē haĩ .

187God is called the Magician.

190Merciful bhī bhagvān kō hī kahē̃gē .

188God is also called the Merciful One.

191Śhrīkr̥iṣhṇa kō thōṛēhī kahē̃gē .

189Shri Krishna cannot be called that.

192Merciful vah jō bērahmī sē chhuṛāyē .

190The Merciful One is the One who liberates you from the merciless one.

193Bērahmī hai rāvaṇ .

191Ravan is merciless.

194Pahlē-pahlē hai gyān .

192First there is this knowledge.

195Gyān , bhakti phir vairāgya .

193There is this knowledge, then devotion and disinterest.

196Aisē nahī̃ ki bhakti , gyān phir vairāgya kahē̃gē .

194It is not said: Devotion, knowledge and then disinterest.

197Gyān kā vairāgya thōṛēhī kah saktē .

195You cannot say “Disinterest in knowledge”.

198Bhakti kā vairāgya karnā hōtā hai isliē gyān , bhakti , vairāgya yah right akṣhar haĩ .

196You have to have disinterest in devotion. 197This is why the expression “Knowledge, devotion and disinterest” is right.

199Bāp tumkō bēhad kā arthāt purānī duniyā kā vairāgya karātē haĩ .

198The Father enables you to have unlimited disinterest, that is, disinterest in the whole of the old world.

200Sannyāsī tō sirph gharbār sē vairāgya karātē haĩ .

199Sannyasis only inspire you to have disinterest in your household.

201Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

200That too is predestined in the drama.

202Manuṣhyō̃ key|kī buddhi mē̃ baiṭhtā hī nahī̃ .

201This does not sit in the intellects of human beings.

203Bhārat 100 percent solvent , nirvikārī , healthy thā , kabhī akālē mr̥iityu nahī̃ hōtī thī , in sab bātō̃ key|kī dhārṇā bahut thōṛō̃ kō hī hōtī hai .

202Bharat was 100% solvent, viceless and healthy; there was never untimely death here. 203Very few of you are able to imbibe these things.

204Jō achchhī service kartē haĩ , vah bahut sāhūkār banē̃gē .

204Those who do good service will become very wealthy.

205Bachchō̃ kō tō sārā din bābā-bābā hī yād rahnā chāhiē .

205You children should remember “Baba, Baba” throughout the whole day.

206Parantu māyā karnē nahī̃ dētī .

206However, Maya does not allow you to do this.

207Bāp kahtē haĩ satōpradhān bannā hai tō chaltē , phirtē , khātē mujhē yād karō .

207The Father says: If you want to become satopradhan, remember Me whilst you are walking, moving around and eating.

208Maĩ tumkō viśhva kā mālik banātā hū̃ , tum yād nahī̃ karē̃gē  !

208I make you into the masters of the world. 209Will you not remember Me?

209Bahutō̃ kō māyā K|kē tūphān bahut ātē haĩ .

210Many of you have many storms of Maya.

210Bāp samjhātē haĩ - yah tō hōgā . 211Drama mē̃ nūndh hai .

211The Father explains: All of that will happen; it is fixed in the drama.

212Svarg key|kī sthāpanā tō hōnī hī hai .

212Heaven will definitely be established.

213Sadaiv naī duniyā tō rah nahī̃ saktī .

213The world cannot remain new for ever.

214Chakra phirēgā tō nīchē jarūr utarē̃gē .

214The cycle has to turn and so you will definitely come down again.

215Her|har chīz naī sē phir purānī jarūr hōtī hai .

215Everything definitely has to become old from new.

216Is samay māyā nē sabkō April fool banāyā hai , bāp ākar gul-gul banātē haĩ .

216At this time, Maya has made an April fool of everyone. 217The Father comes to make you beautiful.

217Achchhā  !

218Achcha.

218Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

219To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

219Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

220The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

220Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

221Essence for dharna:

2211 ) bāp samān pyār kā sāgar bannā hai .

222 1. Become oceans of love like the Father.

222Kabhī kisī kō duḥkh nahī̃ dēnā hai .

223Never cause sorrow for anyone.

223Kaṛuvē bōl nahī̃ bōlnē haĩ .

224Don’t speak bitter words.

224Gandī ādatē̃ miṭā dēnī haĩ .

225Finish all your dirty habits.

2252 ) bābā sē mīṭhī-mīṭhī bātē̃ kartē isī feeling mē̃ rahnā hai ki ōhō bābā , āpnē hamē̃ kyā sē kyā banā diyā  !

226 2. Whilst talking sweetly to Baba, maintain this feeling: O Baba, You have transformed us so much.

226Āpnē hamē̃ kitnā sukh diyā hai  !

227You have given us so much happiness.

227Bābā , āp kṣhīr sāgar mē̃ lē chaltē hō . . . . . . . sārā din bābā-bābā yād rahē .

228Baba, You take us to the ocean of milk. 229Have remembrance of Baba throughout the day.

Blessing

228Vardān  : sarv sambandh aur sarv guṇō̃ key|kī anubhūti mē̃ sampann bannē vālē sampūrṇ mūrt bhav

230Blessing: May you be filled with the experience of all relationships and all virtues and thereby become an image of perfection.

229Saṅgamyug par viśhēṣh sarv prāptiyō̃ mē̃ svayã kō sampann banānā hai isliē sarv khajānē , sarv sambandh , sarvguṇ aur kartavya kō sāmnē rakh check karō ki sarv bātō̃ mē̃ anubhavī banē haĩ .

231 At the confluence age, you especially have to make yourself full of all attainments. 232Therefore, put all your treasures, relationships, virtues and tasks in front of you and check whether you have become experienced in all of these aspects.

230Yadi kisī bhī bāt K|kē anubhav key|kī kamī hai tō usmē̃ svayã kō sampann banāō .

233If you are missing any experience, make yourself complete with it.

231Ēk bhī sambandh vā guṇ key|kī kamī hai tō sampūrṇ stage vā sampūrṇ mūrt nahī̃ kahlā saktē isliē bāp K|kē guṇō̃ vā apnē ādi svarūp K|kē guṇō̃ kā anubhav karō tab sampūrṇ mūrt banē̃gē .

234If you lack even one relationship or virtue, you cannot be said to have the stage of perfection or be an image of completion. 235Therefore, experience the Father’s virtues and the virtues of your original form and you will become an image of perfection.

Slogan

232Slōgan  : jōśh mē̃ ānā bhī man kā rōnā hai - ab rōnē kā file khatm karō .

236Slogan: To become forceful is to cry in your mind. 237Therefore, now close the file of crying.

238*** Om Shanti ***

233Apnī śhaktiśhālī mansā dvārā sakāśh dēnē key|kī sēvā karō

239With your powerful mind, do the service of giving sakaash.

234Mansā sēvā karnē kē liē sarv śhaktiyō̃ kō apnē jīvan kā aṅg banā lō .

240In order to do service through your mind, make all the powers a part of your life.

235Aisē bāp samān perfect banō jō andar kōī defect na hō tab śhrēṣhṭh saṅkalpō̃ key|kī ēkāgratā dvārā arthāt mansā dvārā svataḥ sakāśh phailēgī .

241Become perfect, the same as the Father, so that no defects remain inside you, for only then will your sakaash spread automatically with the concentration of your elevated thoughts, that is, through your mind.