शनिवार 8 फ़रवरी 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

008-02-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 08/02/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum khudāī khidmatgār sachchē salvation army hō , tumhē̃ sabkō śhānti key|kī salvation dēnī hai ' '

1Essence: Sweet children, you are God’s helpers, the true Salvation Army. 2You have to bestow the salvation of peace on everyone.

Question

2Praśhna  : tum bachchō̃ sē jab kōī śhānti key|kī salvation māṅgtē haĩ tō unhē̃ kyā samjhānā chāhiē  ?

3Question: What should you children tell anyone who asks for the salvation of peace?

Answer

3Uttar  : unhē̃ bōlō - bāp kahtē haĩ kyā abhī yahā̃ hī tumkō śhānti chāhiē .

4Answer: Tell them: “The Father asks: Do you only want peace here at this time?

4Yah kōī śhāntidhām nahī̃ hai .

5This is not a land of peace.

5Śhānti tō śhāntidhām mē̃ hī hō saktī hai , jiskō mūlvatan kahā jātā hai .

6Only in that land of peace, which is called the original home, can there be real peace.

6Ātmā kō jab śharīr nahī̃ hai tab śhānti hai .

7When souls don’t have bodies, there is peace.

7Satyug mē̃ pavitratā-sukh-śhānti sab hai .

8In the golden age, there is purity, happiness, peace; there is everything.

8Bāp hī ākar yah varsā dētē haĩ .

9Only the Father comes to give this inheritance.

9Tum bāp kō yād karō .

10Just remember the Father.”

Murli

10Ōm śhānti .

11Om shanti.

11Rūhānī bāp baiṭh rūhānī bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

12The spiritual Father explains to you spiritual children.

12Sab manuṣhya mātra yah jāntē haĩ ki mērē andar ātmā hai .

13All human beings know that there is a soul in each of them.

13Jīv ātmā kahtē haĩ nā .

14They say “living being”, do they not?

14Pahlē ham ātmā haĩ , pīchhē śharīr miltā hai .

15Originally, we are souls, then we receive bodies.

15Kōī nē bhī apnī ātmā kō dēkhā nahī̃ hai . 16Sirph itnā samajhtē haĩ ki ātmā hai .

16No one has seen his or her soul; they only understand that they are souls.

17Jaisē ātmā kō jāntē haĩ , dēkhā nahī̃ hai , vaisē parampitā paramātmā kē liē bhī kahtē haĩ param ātmā mānā paramātmā , parantu unkō dēkhā nahī̃ hai .

17Just as they know about souls, but haven’t seen any, similarly, they also say of the Supreme Soul that “the Supreme Soul” means the supreme amongst souls. 18However, He has not been seen.

18Na apnē kō , na bāp kō dēkhā hai .

19They have neither seen themselves nor the Father.

19Kahtē haĩ ki ātmā ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētī hai . 20Parantu yathārth rīti nahī̃ jāntē .

20They say that a soul leaves one body and adopts another, but they don’t know this accurately.

2184 lākh yōniyā̃ bhī kah dētē haĩ , vāstav mē̃ 84 janm haĩ . 22Parantu yah bhī nahī̃ jāntē ki kaun-sī ātmāyē̃ kitnē janma lētī haĩ  ?

21They also speak of 8.4 million species. 22In fact, there are 84 births but they do not even know which souls take how many births.

23Ātmā bāp kō pukārtī hai parantu na dēkhā hai , na yathārth rīti jāntī hai .

23Souls call out to the Father but neither have they seen Him, nor do they know Him accurately.

24Pahlē tō ātmā kō yathārth rīti jāntē tab bāp kō jāntē .

24First of all, if they knew accurately what a soul is, they would also know the Father.

25Apnē kō hī nahī̃ jāntē tō samjhāyē kaun  ?

25If they do not know themselves, who would explain?

26Iskō kahā jātā hai - self realise karnā .

26This is called “self-realisation”.

27Sō bāp bigar tō kōī karā na sakē .

27No one but the Father can bring this about.

28Ātmā kyā hai , kaisī hai , kahā̃ sē ātmā ātī hai , kaisē janma lētī hai , kaisē itnī chhōṭī ātmā mē̃ 84 janmō̃ kā part bharā huā hai , yah kōī bhī nahī̃ jāntē .

28No one knows what a soul is, what it is like, where a soul comes from, how it takes birth or how a part of 84 births is recorded in such a tiny soul.

29Apnē kō nahī̃ jāntē tō bāp kō bhī nahī̃ jāntē .

29If they don’t even know themselves, how could they know the Father?

30Yah lakṣhmī-nārāyaṇ bhī manuṣhya kā martabā hai nā .

30Lakshmi and Narayan also have a human status.

31Inhōnnē yah martabā kaisē pāyā  ?

31How did they attain that status?

32Yah kōī bhī nahī̃ jāntē .

32No one knows this.

33Jānnā tō manuṣhya kō hī chāhiē nā .

33It is definitely human beings who should know this.

34Kahtē haĩ yah vaikuṇṭha K|kē mālik thē parantu unhōnnē yah mālikpanā liyā kaisē , phir kahā̃ gayē  ?

34It is said that they were the masters of heaven, but how did they achieve that mastery and where did they then go?

35Kuchh bhī nahī̃ jāntē .

35People don’t know anything.

36Ab tum tō sab kuchh jāntē hō .

36You now know everything.

37Āgē kuchh bhī nahī̃ jāntē thē .

37Previously, you didn’t know anything.

38Jaisē bachchā pahlē jāntā hai kyā ki barrister kyā hōtā  ?

38For example, does a child know what a barrister is?

39Paṛhtē-paṛhtē barrister ban jātā hai .

39As he continues to study, he becomes a barrister.

40Tō yah lakṣhmī-nārāyaṇ bhī paṛhāī sē banē haĩ .

40So, too, this Lakshmi and Narayan became that by studying.

41Bairisṭarī , ḍôkṭarī ādi sabkē kitāb hōtē haĩ nā .

41There are books of law and medicine, etc.

42Inkā kitāb phir hai gītā .

42Their book is the Gita.

43Vah bhī kisnē sunāī  ?

43Who spoke it?

44Rājyōg kisnē sikhāyā  ?

44Who taught Raja Yoga?

45Yah kōī nahī̃ jāntē .

45No one knows this.

46Usmē̃ nām badal liyā hai .

46They have changed the name in that (the Gita).

47Śhiv jayantī bhī manātē haĩ , vahī ākar tumkō kr̥iṣhṇapurī kā mālik banātē haĩ .

47They also celebrate Shiv Jayanti. 48It is He who comes and makes you into the masters of the land of Shri Krishna.

48Śhrīkr̥iṣhṇa svarg kā mālik thā nā parantu svarg kō bhī jāntē nahī̃ .

49Shri Krishna was the master of heaven. 50However, they don’t even know heaven.

49Nahī̃ tō kyō̃ kahtē ki śhrīkr̥iṣhṇa nē dvāpar mē̃ gītā sunāī .

51Otherwise, why would they say that Shri Krishna spoke the Gita in the copper age?

50Śhrīkr̥iṣhṇa kō dvāpar mē̃ lē gayē haĩ , lakṣhmī-nārāyaṇ kō satyug mē̃ , rām kō trētā mē̃ .

52They have placed Shri Krishna in the copper age, Lakshmi and Narayan in the golden age and Rama in the silver age.

51Upadrav lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē rājya mē̃ nahī̃ dikhātē .

53Calamities and upheaval are not shown in the kingdom of Lakshmi and Narayan.

52Śhrīkr̥iṣhṇa K|kē rājya mē̃ kaṅs , rām K|kē rājya mē̃ rāvaṇ ādi dikhāyē haĩ .

54Kans (devil) has been shown in the kingdom of Shri Krishna, whereas Ravan, etc. have been shown in Rama’s kingdom.

53Yah kiskō patā nahī̃ ki rādhē-kr̥iṣhṇa hī lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ .

55No one knows that it is Radhe and Krishna who become Lakshmi and Narayan.

54Bilkul hī agyān andhiyārā hai .

56It is definitely the complete darkness of ignorance.

55Agyān kō andhiyārā kahā jātā hai .

57Ignorance is said to be darkness.

56Gyān kō rōśhnī kahā jātā hai .

58This knowledge is said to be the light.

57Ab sōjharā karnē vālā kaun  ?

59Now, who brings about this light?

58Vah hai bāp .

60It is the Father.

59Gyān kō din , bhakti kō rāt kahā jātā hai .

61The knowledge is said to be the day, and devotion the night.

60Abhī tum samajhtē hō yah bhakti mārg bhī janma-janmāntar chaltā āyā hai .

62You now understand that that path of devotion has continued for birth after birth.

61Sīṛhī utartē āyē haĩ . 62Kalā kam hōtī jātī hai .

63You have continued to come down the ladder; your degrees have continued to decrease.

63Makān nayā bantā hai phir din-pratidin āyu kam hōtī jāyēgī .

64After a new house is built, its lifespan continues to decrease day by day.

643/4 purānā huā tō unkō purānā hī kahē̃gē .

65When it has aged by three-quarters, it would definitely be called old.

65Bachchō̃ kō pahlē tō yah niśhchay chāhiē ki yah sarv kā bāp hai , jō hī sarv key|kī sadgati kartē haĩ , sarv kē liē paṛhāī bhī paṛhātē haĩ .

66First of all, you children need to have the faith that He is the Father of all, the One who bestows salvation on all and who also teaches this study to all.

66Sarv kō muktidhām lē jātē haĩ .

67He takes everyone to the land of liberation.

67Tumhārē pās|pass aim object hai .

68You have the aim and objective.

68Tum yah paṛhāī paṛhkar jāē apnī gaddī par baiṭhē̃gē .

69You will study this study and go and sit on your thrones.

69Bākī sabkō muktidhām mē̃ lē jāyēṅgē .

70The rest will be taken to the land of liberation.

70Chakra par jab samjhātē hō tō usmē̃ dikhātē hō ki satyug mē̃ yah anēk dharm haĩ nahī̃ .

71When you explain the picture of the cycle, you show that there aren’t those various religions in the golden age.

71Us samay vah ātmāyē̃ nirākārī duniyā mē̃ rahtī haĩ .

72At that time, those souls reside in the incorporeal world.

72Yah tō tum jāntē hō ki yah ākāśh polar hai .

73You know that the sky is empty space.

73Vāyu kō vāyu kahē̃gē , ākāśh kō ākāśh .

74Air would be called “air” and the sky “the sky”.

74Aisē nahī̃ ki sab paramātmā haĩ .

75It is not that everyone is the Supreme Soul.

75Manuṣhya samajhtē haĩ ki vāyu mē̃ bhī bhagvān hai , ākāśh mē̃ bhī bhagvān hai .

76Human beings believe that God is also in the air, that God is in the sky too.

76Ab bāp baiṭh sab bātē̃ samjhātē haĩ .

77The Father now sits here and explains everything.

77Bāp kē pās janm tō liyā phir paṛhātē kaun haĩ  ?

78You have been given this birth by the Father; so then, who teaches you?

78Bāp hī rūhānī teacher ban paṛhātē haĩ .

79The Father, Himself, becomes the spiritual Teacher and teaches you.

79Achchhā paṛhkar pūrā karē̃gē tō phir sāth lē jāyēṅgē phir tum āyēṅgē part bajānē .

80Achcha; if you study well and complete your studies, He will take you back with Him and you will then return here to play your parts.

80Satyug mē̃ pahlē-pahlē tum hī āyē thē .

81You definitely first went down into the golden age.

81Ab phir sab janmō̃ K|kē ant mē̃ ākar pahũchē hō , phir pahlē āyēṅgē .

82Now, once again, you have come to the end of all your births and you will then go down first.

82Ab bāp kahtē haĩ dauṛī lagāō .

83Now, the Father says: Race!

83Achchhī rīti bāp kō yād karō , aurō̃ kō bhī paṛhānā hai .

84Remember the Father well and also teach others.

84Nahī̃ tō itnē sabkō paṛhāyē kaun  ?

85Otherwise, who would teach so many?

85Bāp kā jarūr madadgār banē̃gē nā .

86You will surely become the Father’s helpers.

86Khudāī khidmatgār bhī nām hai nā .

87There is the name “The Helpers of God”.

87Aṅgrējī mē̃ kahtē haĩ salvation army .

88In English, it is called “The Salvation Army”.

88Kaun-sī salvation chāhiē  ?

89What salvation do they want?

89Sab kahtē haĩ śhānti key|kī salvation chāhiē .

90Everyone says: “We want the salvation of peace.”

90Bākī vah kōī śhānti key|kī salvation thōṛēhī dētē haĩ .

91However, it is not as though they give them the salvation of peace.

91Jō śhānti key|kī salvation māṅgtē haĩ unhē̃ bōlō - bāp kahtē haĩ kyā abhī yahā̃ hī tumkō śhānti chāhiē  ?

92Tell those who ask for the salvation of peace that the Father asks: Is it only here that you want peace?

92Yah kōī śhāntidhām thōṛēhī hai .

93After all, this is not a land of peace.

93Śhānti tō śhāntidhām mē̃ hī hō saktī hai , jiskō mūlvatan kahā jātā hai .

94Only in that land of peace, which is called the original home, can there be peace.

94Ātmā kō śharīr nahī̃ hai tō śhānti mē̃ hai .

95When a soul does not have a body, he is at peace.

95Bāp hī ākar yah varsā dētē haĩ .

96Only the Father comes and gives this inheritance.

96Tumhārē mē̃ bhī samjhānē key|kī baṛī yukti chāhiē .

97Amongst you also, some of you need to explain with great tact.

97Pradarśhanī mē̃ agar ham khaṛē hōkar sabkā sunē̃ tō bahutō̃ key|kī bhūlē̃ nikālē̃ kyōṅki samjhānē vālē number-vār tō haĩ nā .

98If Baba were to stand in the middle of the exhibition and listen to everyone, a lot of mistakes would be pointed out, because those who explain are numberwise.

98Sab ēkras hōtē tō brāhmaṇī aisē kyō̃ likhtī ki phalānē ākar bhāṣhaṇ karē̃ .

99If everyone were the same, why would teachers write to ask for so-and-so to come and give a lecture?

99Arē , tum bhī brāhmaṇ hō nā .

100Ah! but you too are a Brahmin.

100Bābā phalānē hamārē sē hōśhiyār haĩ .

101“Baba, so-and-so is cleverer than I am.”

101Hōśhiyārī sē hī manuṣhya darjā pātē haĩ nā . 102Number-vār tō haĩ nā .

102It is because of cleverness that human beings receive a status; they are numberwise.

103Jab imtahān key|kī result nikalēgī tō phir tumkō āpēhī sākṣhātkār hōgā phir samajhē̃gē ham tō śhrīmat par nahī̃ chaltē .

103When the exam results come out, you will automatically have a vision and you will then realise that you didn’t follow shrimat.

104Bāp kahtē haĩ kōī bhī vikarma mat karō .

104The Father says: Don’t carry out any sinful acts.

105Dēhdhārī sē lāgat nahī̃ rakhō .

105Don’t have attachment to bodily beings.

106Yah tō 5 tatvō̃ kā banā huā śharīr hai nā .

106Bodies are made up of the five elements.

1075 tatvō̃ key|kī thōṛēhī pūjā karnī hai vā yād karnā hai .

107It is not that you have to worship the five elements or remember them.

108Bhal in āṅkhō̃ sē dēkhō parantu yād bāp kō karnā hai .

108You can see through those eyes but you have to remember the Father.

109Ātmā kō ab knowledge milī hai . 110Ab hamkō ghar jānā hai phir vaikuṇṭha mē̃ āyēṅgē .

109The soul has now received the knowledge that we are now to go home and that we will then go to Paradise.

111Ātmā kō samajh saktē haĩ , dēkh nahī̃ saktē , vaisē yah bhī samajh saktē haĩ .

110A soul can be understood but cannot be seen.

112Hā̃ divya dr̥iṣhṭi sē apnā ghar vā svarg dēkh saktē haĩ .

111Yes, in your divine visions you are able to see your own home as well as heaven.

113Bāp kahtē haĩ - bachchē , manmanābhav , madhyājī bhav mānā bāp kō aur viṣhṇupurī kō yād karō . 114Tumhārī aim object hī yah hai .

112The Father says: Children, “Manmanabhav” and “Madhyajibhav” means: Remember the Father and the land of Vishnu, which is your aim and objective.

115Bachchē jāntē haĩ hamkō abhī svarg mē̃ jānā hai , bākī sabkō mukti mē̃ jānā hai .

113You children know that we are now to go to heaven; everyone else is to go into liberation.

116Sab tō satyug mē̃ ā nahī̃ saktē .

114Not everyone can go to the golden age.

117Tumhārā hai Deityism .

115Your religion is deityism.

118Yah hō gayā manuṣhya kā dharm .

116This then is the religion of human beings.

119Mūlvatan mē̃ tō manuṣhya nahī̃ haĩ nā .

117There are no human beings in the incorporeal world.

120Yahā̃ hai manuṣhya sr̥iṣhṭi .

118This is a world of human beings.

121Manuṣhya hī tamōpradhān aur phir satōpradhān bantē haĩ .

119It is human beings who become tamopradhan and then satopradhan.

122Tum pahlē śhūdra varṇa mē̃ thē , abhī brāhmaṇ varṇa mē̃ hō .

120Previously, you belonged to the shudra caste and you are now in the Brahmin caste.

123Yah varṇa sirph bhāratvāsiyō̃ K|kē haĩ .

121This caste system only belongs to the people of Bharat.

124Aur kōī bhī dharm kō aisē nahī̃ kahē̃gē - brāhmaṇ vãnśhī , sūryavanśhī .

122The Brahmin dynasty, the sun dynasty, would not be said for any other religion.

125Is samay sab śhūdra varṇa K|kē haĩ .

123At this time, everyone belongs to the shudra caste.

126Jaṛjaṛībhūt avasthā kō pāyē huē haĩ .

124They have reached a state of total decay.

127Tum purānē banē tō sārā jhāṛ jaṛjaṛībhūt tamōpradhān banā hai phir sārā jhāṛ thōṛēhī satōpradhān ban jāyēgā .

125When you became old, the whole tree became decayed and tamopradhan. 126Then, how can the whole tree become satopradhan?

128Satōpradhān nayē jhāṛ mē̃ tō sirph dēvī-dēvtā dharm vālē hī haĩ phir tum sūryavanśhī sē chandravanśhī ban jātē hō . 129Punarjanma tō lētē hō nā .

127In the new, satopradhan tree, only those of the deity religion exist. 128Then, from being the sun dynasty, you become part of the moon dynasty; you take rebirth.

130Phir vaiśhya , śhūdra vãnśhī … yah sab bātē̃ haĩ naī .

129Then you become part of the merchant dynasty and then the shudra dynasty. 130These things are all new.

131Hamkō paṛhānē vālā gyān kā sāgar hai .

131The One who teaches us is the Ocean of Knowledge.

132Vahī patit-pāvan sarv kā sadgati dātā hai .

132He is the Purifier, the Bestower of Salvation for All.

133Bāp kahtē haĩ tumkō gyān maĩ dētā hū̃ .

133The Father says: I give you this knowledge.

134Tum dēvī-dēvtā ban jātē hō phir yah gyān rahtā nahī̃ .

134You become deities. 135This knowledge will then no longer exist.

135Gyān diyā jātā hai ajñāniyō̃ kō .

136This knowledge is given to those who are ignorant.

136Sabhī manuṣhya agyān andhiyārē mē̃ hai , tum hō sōjharē mē̃ .

137All human beings are in the darkness of ignorance. 138You are in the light.

137Inkē 84 janmō̃ key|kī kahānī tum jāntē hō .

139You know the story of the 84 births of this one.

138Tum bachchō̃ kō sārā gyān hai .

140You children have this knowledge.

139Manuṣhya tō kahtē bhagvān nē yah sr̥iṣhṭi rachī hī kyō̃ .

141Human beings ask: “Why did God create this world?”

140Kyā mōkṣh nahī̃ mil saktā  !

142Can we not receive eternal liberation (moksh)?

141Arē , yah tō banā-banāyā khēl hai . 142Anādi drama hai nā .

143Aha, but this is a predestined play; it is an eternal drama.

143Tum jāntē hō ātmā ēk śharīr chhōṛ jākar dūsrā lētī hai , ismē̃ chintā karnē key|kī darkār hī kyā  ?

144You know that a soul sheds one body and goes and adopts another. 145What need is there to worry about in this?

144Ātmā nē jākar apnā dūsrā part bajāyā .

146That soul went to perform his next part.

145Rōyē̃ tab jab vāpis chīz milnī hō . 146Vāpis tō ātī nahī̃ phir rōnē sē kyā phāydā .

147There would be a point in crying if you were going to get that thing back, but it does not come back, so what is the benefit in crying?

147Abhī tum sabkō mōhjīt bannā hai .

148All of you now have to become conquerors of attachment.

148Kabristān sē mōh kyā rakhnā hai  !

149Why do you have attachment to a graveyard?

149Ismē̃ tō duḥkh hī duḥkh hai .

150There is sorrow and nothing but sorrow in that.

150Āj bachchā hai , kal bachchā bhī aisā ban jātā jō bāp key|kī pāg utārnē mē̃ bhī dērī na karē .

151Today, he is a child; tomorrow, the child becomes such that he does not take long to knock his father’s hat off (to insult him).

151Bāp sē bhī laṛ paṛtē haĩ .

152They even fight with their father.

152Iskō kahā hī jātā hai nidhan key|kī duniyā .

153This is called a world of orphans.

153Kōī dhanī-dhōṇī hai nahī̃ jō śhikṣhā dē .

154They have no Lord or Master to give them teachings.

154Bāp jab aisī hālat dēkhtē haĩ tō dhaṇkā banānē ātē haĩ . 155Bāp hī ākar sabkō dhaṇkā banātē haĩ .

155When the Father sees them in such a state, He comes to make them into the ones who belong to the Lord and Master. 156Only the Father comes and makes everyone belong to the Lord and Master.

156Dhaṇī ākar sab jhagaṛē|jhagṛē miṭā dētē haĩ .

157The Parent comes and puts an end to all their fighting.

157Satyug mē̃ kōī jhagaṛā|jhagṛā hōtā nahī̃ .

158In the golden age, there is no fighting.

158Sārī duniyā K|kē jhagaṛē|jhagṛē miṭā dētē , phir jayjaykār hō jātī hai .

159He puts an end to fighting in the whole world and then there are the cries of victory.

159Yahā̃ majority mātāō̃ kī hai .

160Here, the majority is of mothers.

160Dāsī bhī inkō samajhtē haĩ .

161People also consider them to be servers.

161Hathiyālā bāndhtē samay kahtē haĩ , tumhārā pati hī īśhvar gurū ādi sab kuchh hai .

162When they tie a wedding thread on her wrist, they tell her: “Your husband is your god, your guru, everything.”

162Pahlē mister phir mrs. .

163First, it is Mr and then Mrs.

163Ab bāp ākar mātāō̃ kō āgē rakhtē haĩ .

164The Father now comes and puts you mothers in front.

164Tumhārē ūpar kōī jīt pā na sakē .

165No one can have victory over you.

165Tumkō bāp sab kāydē sikhlā rahē haĩ .

166The Father is teaching you all the laws.

166Mōhjīt rājā key|kī ēk kathā hai .

167There is a story of King Mohjeet (conqueror of attachment).

167Vah sab banāī huī kahāniyā̃ haĩ .

168Those stories are all made up.

168Satyug mē̃ tō akālē mr̥iityu hōtī hī nahī̃ . 169Samay par ēk śharīr chhōṛ dūsrā lē lētē haĩ .

169In the golden age, there is no untimely death; you shed your bodies at the right time and take others.

170Sākṣhātkār hōtā hai - ab yah śharīr būṛhā huā hai phir nayā lēnā hai , chhōṭā bachchā jākar bannā hai .

170You have a vision: “This body has now become old and a new one has to be adopted. 171I have to go and become a little baby.”

171Khuśhī sē śharīr chhōṛ dētē haĩ .

172They leave their bodies in happiness.

172Yahā̃ tō bhal kitnē bhī būṛhē hōṅgē , rōgī hōṅgē aur samajhē̃gē bhī ki kahā̃ yah śharīr chhūṭ jāē tō achchhā hai phir bhī marnē K|kē samay rōyēṅgē jarūr .

173Here, however, no matter how old they are, how diseased they are, even though they understand that it is good if the body is discarded, in spite of that, at the time of death, they definitely cry.

173Bāp kahtē haĩ abhī tum aisī jagah chaltē hō jahā̃ rōnē kā nām nahī̃ .

174The Father says: You are now to go to such a place where there is no trace of crying.

174Vahā̃ tō khuśhī hī khuśhī rahtī hai .

175There is nothing but happiness there.

175Tumkō kitnī apār bēhad key|kī khuśhī rahnī chāhiē .

176You should have such unlimited happiness.

176Arē , ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ  !

177Aha, we are becoming the masters of the world!

177Bhārat sārē viśhva kā mālik thā .

178Bharat was the master of the whole world.

178Abhī ṭukṛā-ṭukṛā hō gayā hai .

179Now, it is in pieces.

179Tum hī pūjya dēvtā thē phir pujārī bantē hō .

180You were worthy of worship deities; you then became worshippers.

180Bhagvān thōṛēhī āpēhī pūjya , āpēhī pujārī banē̃gē .

181God Himself does not become worthy of worship and then a worshipper.

181Agar vah bhī pujārī banē̃ tō phir pūjya kaun banāyē  ?

182If He were to become a worshipper, who would make you worthy of worship?

182Drama mē̃ bāp kā part hī alag hai .

183The Father’s part in the drama is completely separate.

183Gyān kā sāgar ēk hai , us ēk key|kī hī mahimā hai jabki gyān kā sāgar hai tō kab ākar gyān dēvē , jō sadgati hō .

184There is only the one Ocean of Knowledge. 185Only this praise of that One exists. 186There is the Ocean of Knowledge, but when can He come and give this knowledge so that there is salvation?

184Jarūr yahā̃ ānā paṛē .

187He would surely have to come here.

185Pahlē tō buddhi mē̃ yah biṭhāō ki hamkō paṛhānē vālā kaun hai  ?

188First of all, instil it in your intellects who it is that is teaching us.

186Trimūrti , gōlā aur jhāṛ - yah haĩ mukhya chitra .

189The Trimurti, the world cycle and the tree are the main pictures.

187Jhāṛ kō dēkhnē sē jhaṭ samajh jāyēṅgē ham tō phalānē dharm K|kē haĩ . 188Ham satyug mē̃ ā nahī̃ saktē .

190On seeing the tree, they will quickly understand which religion they belong to and that they cannot come in the golden age.

189Yah chakra tō bahut baṛā hōnā chāhiē .

191This cycle should be very large.

190Likhat bhī pūrī hō .

192The writing should also be full.

191Śhivbābā brahmā dvārā dēvtā dharm yānī naī duniyā kī sthāpanā kar rahē haĩ , śhaṅkar dvārā purānī duniyā kā vināśh phir viṣhṇu dvārā naī duniyā key|kī pālnā karātē haĩ , yah siddha hō jāē .

193Shiv Baba, through Brahma, is establishing the deity religion. 194That is a new world; this old world is destroyed through Shankar and then He sustains that new world through Vishnu. 195Let this be proven.

192Brahmā sō viṣhṇu , viṣhṇu sō brahmā , dōnō̃ kā connection hai nā .

196Brahma becomes Vishnu; Vishnu becomes Brahma. 197There is a connection between the two.

193Brahmā-sarasvatī sō phir lakṣhmī-nārāyaṇ bantē haĩ .

198Brahma and Saraswati then become Narayan and Lakshmi.

194Chaṛhtī kalā ēk janm mē̃ hōtī hai phir utartī kalā mē̃ 84 janm lagtē haĩ .

199The ascending stage happens in one birth and the descending stage takes 84 births.

195Ab bāp kahtē haĩ vah śhāstra ādi right haĩ vā maĩ right hū̃  ?

200Now, the Father says: Are the scriptures, etc. right or am I right?

196Sachchī satya nārāyaṇ kī kathā tō maĩ sunātā hū̃ .

201I am the One who tells you the true story of the true Narayan.

197Abhī tumkō niśhchay hai ki satya bāp dvārā ham nar sē nārāyaṇ ban rahē haĩ .

202You now have the faith that you are becoming like Narayan from ordinary humans through the true Father.

198Pahlī mukhya yah bhī ēk bāt hai ki manuṣhya kō kabhī bāp , teacher , gurū nahī̃ kahā jātā .

203First of all, there is the one main aspect, which is that no human being is ever called the Father, Teacher and Guru.

199Gurū kō kabhī bābā vā teacher kahē̃gē kyā  ?

204Would you ever call a father a guru, or a teacher?

200Yahā̃ tō śhiv-bābā kē pās janma lētē hō phir śhivbābā tumkō paṛhātē haĩ phir sāth bhī lē jāyēṅgē .

205Here, you take birth to Shiv Baba. 206Then Shiv Baba teaches you and He then also takes you back with Him.

201Manuṣhya tō aisā kōī hōtā nahī̃ , jiskō bāp , teacher , gurū kahā jāē .

207There is no human being like this whom you could call the Father, Teacher and Guru.

202Yah tō ēk hī bāp hai , unkō kahā jātā hai supreme father .

208That One is the only Father. 209He is called the Supreme Father.

203Laukik bāp kō kabhī supreme father nahī̃ kahē̃gē .

210A physical father would never be called the Supreme Father.

204Sab yād phir bhī unkō kartē haĩ .

211After all, He is the One whom everyone remembers.

205Vah bāp tō hai hī .

212He is definitely the Father.

206Duḥkh mē̃ sab unkō yād kartē haĩ , sukh mē̃ kōī nahī̃ kartē .

213Everyone in sorrow remembers Him; no one in happiness remembers Him.

207Tō vah bāp hī ākar svarg kā mālik banātē haĩ .

214So, that Father definitely comes and makes you into the masters of heaven.

208Achchhā  !

215Achcha.

209Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

216To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

210Rūhānī bāp key|kī rūhānī bachchō̃ kā namastē .

217The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

211Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

218Essence for dharna:

2121 ) 5 tatvō̃ K|kē banē huē in śharīrō̃ kō dēkhtē huē yād bāp kō karnā hai .

219 1. While seeing these bodies made of the five elements, continue to remember the Father.

213Kōī bhī dēhdhārī sē lāgat ( lagāv ) nahī̃ rakhnā hai .

220Don’t have any attachment to a bodily being.

214Kōī vikarma nahī̃ karnā hai .

221Don’t carry out any sinful acts.

2152 ) is banē-banāyē drama mē̃ her|har ātmā kā anādi part hai , ātmā ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētī hai , isliē śharīr chhōṛnē par chintā nahī̃ karnī hai , mōhjīt bannā hai .

222 2. Each soul has an eternal part to play in this predestined drama, A soul sheds one body and adopts another. 223This is why you should not worry about leaving your body. 224You have to gain victory over attachment.

Blessing

216Vardān  : sampūrṇ āhuti dvārā parivartan samārōh manānē vālē dr̥iṛh saṅkalpdhārī bhav

225Blessing: May you have the determination to make a total sacrifice and celebrate your transformation ceremony.

217Jaisē kahāvat hai «  dharat pariyē dharm na chhōṛiyē ' ' , tō kōī bhī circumstance ā jāē , māyā K|kē mahāvīr rūp sāmnē ā jāē̃ lēkin dhārṇāyē̃ na chhūṭē .

226 There is a saying “Even if you have to die, you must not let go of your religion”. 227So, no matter what circumstances come, even if a mahavir form of Maya comes in front of you, do not let go of your principles.

218Saṅkalp dvārā tyāg key|kī huī bēkār vastuyē̃ saṅkalp mē̃ bhī svīkār na hō̃ .

228Do not accept back the useless things that you have relinquished from your mind.

219Sadā apnē śhrēṣhṭh svamān , śhrēṣhṭh smr̥iti aur śhrēṣhṭh jīvan K|kē samarthī svarūp dvārā śhrēṣhṭh pārṭdhārī ban śhrēṣhṭhatā kā khēl kartē rahō .

229Constantly be an elevated actor and, with your powerful form of elevated self-respect, elevated awareness and elevated life, continue to perform your act of greatness.

220Kamjōriyō̃ K|kē sab khēl samāpt hō jāē̃ .

230Finish all acts of weakness.

221Jab aisī sampūrṇ āhuti kā saṅkalp dr̥iṛh hōgā tab parivartan samārōh hōgā .

231When you have the determination to make such a total sacrifice, the ceremony of your transformation will then take place.

222Is samārōh key|kī date ab saṅgaṭhati rūp mē̃ niśhchit karō .

232Now, collectively fix a date for this ceremony.

Slogan

223Slōgan  : real diamond bankar apnē vibration key|kī chamak viśhva mē̃ phailāō .

233Slogan: Become a real diamond and spread the sparkle of your vibrations into the world.

234*** Om Shanti ***

224Avyakt iśhārēḥ ēkāntpriy banō ēktā aur ēkāgratā kō apnāō

235Have love for solitude and imbibe unity and concentration.

225Sādhāraṇ sēvāyē̃ karnā yē kōī baṛī bāt nahī̃ hai lēkin bigaṛī kō banānā , anēktā mē̃ ēktā lānā yē hai baṛī bāt .

236It is not a big thing to do ordinary service, but to reform that which has been spoilt and to bring about unity in diversity is a big thing.

226Bāpdādā yahī kahtē haĩ ki pahlē ēkmat , ēk bal , ēk bharōsā aur ēktā - sāthiyō̃ mē̃ , sēvā mē̃ , vāyumaṇḍal mē̃ hō .

237BapDada always says: First, there has to be the unity of one direction, one strength, one faith and then unity among companions, in service and in the atmosphere.