सोमवार 17 फ़रवरी 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
017-02-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 17/02/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - bāp tumhārā mēhmān bankar āyā hai tō tumhē̃ ādar karnā hai , jaisē prēm sē bulāyā hai aisē ādar bhī karnā hai , nirādar na hō ' '
1Essence: Sweet children, the Father has come as your Guest, so you have to respect Him. 2You have invited Him here with love. 3You also have to respect Him; you must not show any disrespect.
Question
2Praśhna : kaun-sā naśhā tum bachchō̃ kō sadā chaṛhā rahnā chāhiē ?
4Question: Which intoxication should you children constantly have?
3Yadi naśhā nahī̃ chaṛhtā hai tō kyā kahē̃gē ?
5What would be said, if your intoxication doesn’t rise?
Answer
4Uttar : ūñchē tē ūñchī āsāmī is patit duniyā mē̃ hamārā mēhmān bankar āyā hai , yah naśhā sadā chaṛhā rahnā chāhiē .
6Answer: The highest-on-high Personality has come into this impure world as our Guest. 7Let this intoxication remain constantly high.
5Parantu number-vār yah naśhā chaṛhtā hai .
8However, your intoxication rises, numberwise.
6Kaī tō bāp kā bankar bhī sanśhaybuddhi ban hāth chhōṛ jātē tō kahē̃gē inkī takdīr .
9Even after belonging to the Father, some have doubting intellects and let go of His hand. 10It would then be said: That is their fortune.
Murli
7Ōm śhānti , ōm śhānti .
11Om shanti. 12Om shanti.
8Dō bārī kahnā paṛē .
13This has to be said twice.
9Yah tō bachchē jāntē haĩ ki ēk hai bābā , dūsrā hai dādā .
14You children know that one is Baba and that the other is Dada.
10Dōnō̃ ikaṭṭhē haĩ nā .
15The two are together.
11Bhagvān key|kī mahimā bhī kitnī ūñchī kartē haĩ parantu akṣhar kitnā simple hai - god father .
16People sing the highest praise of God, but the words “God, the Father” are very simple.
12Sirph father nahī̃ kahē̃gē , god father vah hai ūñch tē ūñch .
17You would not just say “Father”; you say “God, the Father”.
13Unkī mahimā bhī bahut ūñch hai .
18His praise is very high.
14Unkō bulātē bhī patit duniyā mē̃ haĩ .
19He is also definitely invited into this impure world.
15Khud ākar batlātē haĩ ki mujhē patit duniyā mē̃ hī bulātē haĩ parantu patit-pāvan vah kaisē hai , kab ātē haĩ , yah kiskō bhī patā nahī̃ .
20He Himself comes and tells you: I am only invited into the impure world. 21However, no one knows how He is the Purifier or when He comes.
16Ādhākalp satyug-trētā mē̃ kiskā rājya thā , kaisē huā , kiskō yah patā nahī̃ hai .
22No one knows whose kingdom it was for half a cycle in the golden and silver ages and how it was established.
17Patit-pāvan bāp ātē bhī jarūr haĩ , unkō kōī patit-pāvan kahtē , kōī liberator kahtē haĩ .
23The Purifier, the Father, definitely comes. 24Some call Him the Purifier, some call Him the Liberator.
18Pukārtē haĩ ki svarg mē̃ lē chalō .
25They call out: Take us to heaven.
19Sabsē ūñch tē ūñch hai nā .
26He is the Highest of all.
20Unkō patit duniyā mē̃ bulātē haĩ ki ākar ham bhāratvāsiyō̃ kō śhrēṣhṭh banāō .
27You invite Him to come into this impure world: Come and make us residents of Bharat elevated.
21Unkā position kitnā baṛā hai .
28His position is so high.
22Highest authority hai .
29He is the Highest Authority.
23Unkō bulātē haĩ , jabki rāvaṇ rājya hai .
30You call Him because it is the kingdom of Ravan.
24Nahī̃ tō is rāvaṇ rājya sē kaun chhuṛāvē ?
31Otherwise, who could free you from this kingdom of Ravan?
25Yah sab bātē̃ tum bachchē suntē hō tō naśhā bhī chaṛhā rahnā chāhiē .
32The intoxication of you children should remain high when listening to these things.
26Parantu itnā naśhā chaṛhtā nahī̃ hai .
33However, it does not rise that much.
27Śharāb kā naśhā sabhī kō chaṛh jātā hai , yah nahī̃ chaṛhtā hai .
34Everyone else gets intoxicated by taking alcohol, but you don’t get intoxicated by taking this.
28Ismē̃ hai dhārṇā key|kī bāt , takdīr key|kī bāt hai .
35Here, it is a matter of dharna. 36It is also a matter of fortune.
29Tō bāp hai bahut baṛī āsāmī .
37The Father is a very great Personality.
30Tumhārē mē̃ bhī kōī-kōī kō pūrā niśhchay rahtā hai .
38There are still some among you who do have total faith.
31Niśhchay agar sabkō hōtā tō sanśhay mē̃ ākar bhāgtē kyō̃ ?
39If you all had faith, why would some have run away when they had doubts?
32Bāp kō bhūl jātē haĩ .
40They forgot the Father.
33Bāp K|kē banē , phir bāp kē liē kōī sanśhay buddhi nahī̃ hō saktā .
41Once you belong to the Father, your intellect should not have any doubt about the Father.
34Parantu yah bāp hai wonderful .
42This Father is wonderful.
35Gāyan bhī hai āśhcharyavat bābā kō jānantī , bābā kahantī , gyān sunantī , sunāvantī , ahō māyā phir bhī sanśhaybuddhi banāvantī .
43There is a saying: They recognise Baba and become amazed. 44They say “Baba”. 45They listen to this knowledge and relate it to others. 46Then, oh! 47Maya, you fill their intellects with doubt.
36Bāp samjhātē haĩ in bhakti mārg K|kē śhāstrō̃ mē̃ kōī sār nahī̃ hai .
48The Father explains that there is no essence in the scriptures of the path of devotion.
37Bāp kahtē haĩ mujhē kōī bhī jāntē nahī̃ .
49The Father says: No one knows Me.
38Tum bachchō̃ mē̃ bhī muśhkil kōī ṭhahar saktē haĩ .
50Even among you children, only some of you stay in remembrance and that is with difficulty.
39Tum bhī feel kartē hō ki vah yād sthāī ṭhahartī nahī̃ hai .
51You also feel that your remembrance isn’t stable.
40Ham ātmā bindī haĩ , bābā bhī bindī hai , vah hamārā bāp hai , unkō apnā śharīr tō hai nahī̃ .
52I, a soul, am a point. 53Baba too is a point. 54He is our Father. 55He doesn’t have a body of His own.
41Kahtē haĩ maĩ is tan kā ādhār lētā hū̃ .
56He says: I take the support of this body.
42Mērā nām śhiv hai .
57My name is Shiva.
43Mujh ātmā kā nām kabhī badaltā nahī̃ hai .
58My name, the name of this soul, never changes.
44Tumhārē śharīr K|kē nām badaltē haĩ .
59The names of your bodies continue to change.
45Śharīr par hī nām paṛtē haĩ .
60It is the bodies that are named.
46Śhādī hōtī hai tō nām badal jātā hai .
61When a marriage takes place, the bride’s name changes.
47Phir vah nām pakkā kar lētē haĩ .
62Then that name is fixed.
48Tō ab bāp kahtē haĩ tum yah pakkā kar lō ki ham ātmā haĩ .
63The Father says: Now make this firm: “I am a soul.”
49Yah bāp nē hī parichay diyā hai ki jab-jab atyāchār aur glāni hōtī hai tab maĩ ātā hū̃ .
64It was the Father who gave this introduction: Whenever there is deviation from righteousness and there is defamation, it is then that I come.
50Kōī akṣharō̃ kō bhī pakaṛnā nahī̃ hai .
65You don’t need to hold on to any words.
51Bāp khud kahtē haĩ mujhē patthar bhittar mē̃ ṭhōk kitnī glāni kartē haĩ , yah bhī naī bāt nahī̃ .
66The Father Himself says: They put Me in the pebbles and stones and defame Me so much! 67This is not a new thing.
52Kalp-kalp aisē patit ban aur glāni kartē haĩ , tab hī maĩ ātā hū̃ .
68Cycle after cycle, only after they become totally impure in this way and defame Me do I then come.
53Kalp-kalp kā mērā part hai .
69This is in My part, cycle after cycle.
54Ismē̃ adlī-badlī hō nahī̃ saktī . 55Drama mē̃ nūndh hai nā .
70There cannot be any change in this; it is fixed in the drama.
56Tumkō kaī kahtē haĩ sirph bhārat mē̃ hī ātā hai ! 57Kyā bhārat hī sirph svarg banēgā ?
71Many ask you: “If He only comes in Bharat, will only Bharat really become heaven?”
58Hā̃ . 59Yah tō anādi-avināśhī part hō gayā nā .
72Yes; this is the original, eternal part.
60Bāp kitnā ūñch tē ūñch hai .
73The Father is the Highest on High.
61Patitō̃ kō pāvan banānē vālā bāp kahtē haĩ mujhē bulātē hī is patit duniyā mē̃ haĩ .
74The Father who purifies the impure says: They only call Me into this impure world.
62Maĩ tō sadā pāvan hū̃ .
75I am ever pure.
63Mujhē pāvan duniyā mē̃ bulānā chāhiē nā !
76I should be invited into that pure world.
64Parantu nahī̃ , pāvan duniyā mē̃ bulānē key|kī darkār hī nahī̃ .
77However, there is no need for Me in a pure world.
65Patit duniyā mē̃ hī bulātē haĩ ki ākar pāvan banāō .
78They only call out to Me in this impure world: Come and purify us!
66Maĩ kitnā baṛā mēhmān hū̃ .
79I am such a great Guest.
67Ādhākalp sē mujhē yād kartē āyē hō .
80You have continued to remember Me for half a cycle.
68Yahā̃ kōī baṛē ādmī kō bulāyēṅgē , karkē ēk-dō varṣh bulāyēṅgē .
81Here, if you invite an important person to come, that invitation would last, at the most, for one or two years.
69Phalānā is varṣh nahī̃ tō dūsrē varṣh āyēgā .
82If not this year, so-and-so will come next year.
70Inkō tō ādhākalp sē yād kartē āyē hō .
83You have been remembering that One for half a cycle.
71Inkē ānē kā part tō fix huā paṛā hai .
84That One’s coming is also fixed in His part; it is predestined.
72Yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .
85No one knows this either.
73Bahut ūñch tē ūñch bāp hai .
86He is the highest-on-high Father.
74Manuṣhya bāp kō ēk ōr tō prēm sē bulātē haĩ , dūsrī ōr mahimā mē̃ dāġ lagā dētē haĩ .
87On the one hand, human beings invite the Father with love and, on the other hand, they tarnish His praise.
75Vāstav mē̃ yah baṛē tē baṛā guest of|off honour ( baṛī mahimā vālā mēhmān ) hai , jiskī honour ( mahimā ) kō dāġ lagā diyā hai , kah dētē haĩ vah patthar ṭhikkar sabmē̃ haĩ .
88In fact, that One is the highest Guest of Honour, but they have tarnished His honour. 89They just say: He is in the pebbles and stones, in everything.
76Kitnī highest authority hai , bulātē bhī bahut prēm sē haĩ , parantu haĩ bilkul buddhū .
90He is the Highest Authority. 91They invite Me to come with so much love too, but they are completely senseless.
77Maĩ hī ākar apnā parichay dētā hū̃ ki maĩ tumhārā father hū̃ .
92I come and give you My introduction and tell you that I am your Father.
78Mujhē god father kahtē haĩ .
93I am called God, the Father.
79Jab sab rāvaṇ key|kī kaid mē̃ hō jātē haĩ tab hī bāp kō ānā hōtā hai kyōṅki sab haĩ bhaktiyā̃ athavā brides - sītāyē̃ .
94Only when everyone is imprisoned by Ravan does the Father need to come, because all the devotees are His brides, Sitas.
80Bāp hai bridegroom - rām .
95The Father is the Bridegroom, Rama.
81Ēk sītā key|kī bāt nahī̃ hai , sab sītāō̃ kō rāvaṇ key|kī jēl sē chhuṛātē haĩ .
96It is not a matter of one Sita. 97He liberates all the Sitas from Ravan’s jail.
82Yah hai bēhad key|kī bāt .
98This is an unlimited matter.
83Yah hai purānī patit duniyā .
99This is an old, impure world.
84Iskā purānā hōnā phir nayā hōnā accurate hai , yah śharīr ādi tō kōī jaldī purānē hō jātē , kōī jāstī time chaltē haĩ .
100It is accurate for it to become old and then new. 101Some bodies grow old quickly; others last for a longer time.
85Yah drama mē̃ accurate nūndh hai .
102This is fixed accurately in the drama.
86Pūrē 5 hazār varṣh bād phir mujhē ānā paṛtā hai .
103I have to come again after 5000 years.
87Maĩ hī ākar apnā parichay dētā hū̃ aur sr̥iṣhṭi chakra kā rāz samjhātā hū̃ .
104Only when I come can I give you My introduction and explain the secrets of the cycle.
88Kiskō bhī na mērī pahchān hai , na brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar key|kī , na lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī , na rām-sītā key|kī pahchān hai .
105Neither does anyone recognise Me, nor do they know Brahma, Vishnu, Shankar, Lakshmi and Narayan or Rama and Sita.
89Ūñch tē ūñch actors drama K|kē andar tō yahī haĩ .
106These are the most important actors of all in the drama.
90Hai tō manuṣhya key|kī bāt .
107This applies to human beings.
91Kōī 8-10 bhujā vālē manuṣhya nahī̃ haĩ .
108There are no human beings with eight or ten arms.
92Viṣhṇu kō 4 bhujā kyō̃ dikhātē haĩ ?
109Why is Vishnu portrayed with four arms?
93Rāvaṇ K|kē 10 śhīśh kyā haĩ ?
110What are the ten heads of Ravan?
94Yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .
111No one knows this.
95Bāp hī ākar sārē world K|kē ādi-madhy-ant kā knowledge batātē haĩ .
112Only the Father comes and speaks this knowledge of the beginning, the middle and the end of the world.
96Kahtē haĩ maĩ hū̃ baṛē tē baṛā guest , parantu gupta .
113He says: I am the greatest Guest of all, but I am also incognito.
97Yah bhī sirph tum hī jāntē hō .
114Only you know this.
98Parantu jāntē huē bhī phir bhūl jātē hō .
115However, although you know, you forget.
99Unkā kitnā regard rakhnā chāhiē , unhē̃ yād karnā chāhiē .
116You should have so much regard for Him; you should remember Him.
100Ātmā bhī nirākār , paramātmā bhī nirākār , ismē̃ photo key|kī bhī bāt nahī̃ .
117Souls are incorporeal; the Supreme Soul is also incorporeal. 118There is no question of having a photo for this.
101Tumkō tō ātmā niśhchay kar bāp kō yād karnā hai , dēh-abhimān chhōṛnā hai .
119You just have to have the faith that each of you is a soul. 120Remember the Father and let go of your body consciousness.
102Tumhē̃ sadaiv avināśhī chīz kō dēkhnā chāhiē .
121Only constantly see imperishable things.
103Tum vināśhī dēh kō kyō̃ dēkhtē hō !
122Why do you look at perishable bodies?
104Dēhī-abhimānī banō , ismē̃ hī mēhnat hai .
123Become soul conscious! 124This requires effort.
105Jitnā yād mē̃ rahē̃gē utnā karmātīt avasthā kō pāē ūñch pad pāyēṅgē .
125To the extent that you stay in remembrance, accordingly you will reach your karmateet stage and attain a high status.
106Bāp bahut hī sahaj yōg arthāt yād sikhlātē haĩ .
126The Father teaches very easy yoga, remembrance.
107Yōg tō anēk prakār K|kē haĩ .
127There are many types of yoga.
108Yād akṣhar hī yathārth hai .
128The term “remembrance” is accurate.
109Paramātmā bāp kō yād karnē mē̃ hī mēhnat hai .
129Effort is required in remembering the Supreme Soul, the Father.
110Kōī virlā sach batātē haĩ ki ham itnā samay yād mē̃ rahā .
130Very few speak the truth, when they say that they stayed in remembrance for this long.
111Yād kartē hī nahī̃ haĩ tō sunānē mē̃ lajjā ātī hai .
131When they don’t have remembrance at all, they are too ashamed to say so.
112Likhtē haĩ sārē din mē̃ ēk ghaṇṭā yād mē̃ rahē , tō lajjā ānī chāhiē nā .
132They write: Throughout the whole day, I stayed in remembrance for one hour. 133So, they should be ashamed.
113Aisā bāp jiskō din-rāt yād karnā chāhiē aur ham sirph ēk ghaṇṭā yād kartē haĩ !
134Such a Father should be remembered night and day, and yet you only remember Him for an hour.
114Ismē̃ baṛī gupta mēhnat hai .
135A great deal of incognito effort is required for this.
115Bāp kō bulātē haĩ tō dūr sē ānē vālā guest huā nā .
136You invite the Father to come, so the One who comes from so far away would be the Guest.
116Bāp kahtē haĩ maĩ naī duniyā kā guest nahī̃ bantā hū̃ .
137The Father says: I don’t become the Guest in the new world.
117Ātā hī purānī duniyā mē̃ hū̃ .
138I only enter the old world.
118Naī duniyā kī sthāpanā ākar kartā hū̃ .
139I come and establish the new world.
119Yah purānī duniyā hai , yah bhī kōī yathārth nahī̃ jāntē haĩ .
140This world is old. 141No one knows this accurately.
120Naī duniyā key|kī āyu hī nahī̃ jāntē .
142They don’t even know the lifespan of that new world.
121Bāp kahtē haĩ yah knowledge maĩ hī ākar dētā hū̃ phir drama anusār yah knowledge gum hō jātī hai .
143The Father says: Only I come and give you this knowledge and then, according to the drama, this knowledge disappears.
122Phir kalp bād yah part repeat hōgā .
144Then, after a cycle, this part repeats again.
123Mujhē bulātē haĩ , varṣh-varṣh śhiv jayantī manātē haĩ .
145They call out to Me. 146Year after year, they celebrate the birthday of Shiva.
124Jō hōkar jātē haĩ tō unkī varṣh-varṣh varṣī manātē haĩ .
147The anniversaries of those who have been and gone are celebrated year after year.
125Śhivbābā key|kī bhī 12 mās bād jayantī manātē haĩ parantu kab sē manātē āyē haĩ , yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .
148Shiv Baba’s birthday is also celebrated every 12 months, but no one knows when they started to celebrate it.
126Sirph kah dētē haĩ ki lākhō̃ varṣh huē .
149They simply say: It has been hundreds of thousands of years.
127Kaliyug key|kī āyu hī lākhō̃ varṣh likh dī hai .
150They have written that the duration of the iron age is hundreds of thousands of years.
128Bāp kahtē haĩ - yah hai 5 hazār varṣh key|kī bāt .
151The Father says: This cycle is a matter of 5000 years.
129Barōbar in dēvtāō̃ kā bhārat mē̃ rājya thā nā .
152It is certain that the kingdom of these deities existed in Bharat.
130Tō bāp kahtē haĩ - maĩ bhārat kā bahut baṛā mēhmān hū̃ , mujhē ādhākalp sē bahut nimantraṇ dētē āyē hō .
153Therefore, the Father says: I am the greatest Guest of Bharat. 154You have been continuing to give Me many invitations for half a cycle.
131Jab bahut duḥkhī hōtē haĩ , tō kahtē haĩ hē patit-pāvan āō .
155When you become very unhappy, you say “O Purifier, come!”
132Maĩ āyā bhī hū̃ patit duniyā mē̃ .
156I have to come into this impure world.
133Rath tō hamkō chāhiē nā .
157I too need a chariot.
134Ātmā hai akālmūrt , unkā yah takht hai .
158This soul is an immortal image; this is his throne.
135Bāp bhī akālmūrt hai , is takht par ākar virājmān hōtē haĩ .
159The Father too is the Immortal Image. 160He comes here and sits on this throne.
136Yah baṛī ramaṇīk bātē̃ haĩ .
161These things are very entertaining.
137Aur kōī sunē̃ tō chakrit hō jāē .
162If anyone else were to hear them, they would be amazed.
138Ab bāp kahtē haĩ - bachchē , mērī mat par chalō .
163The Father says: Children, now follow My directions!
139Samjhō śhivbābā mat dētē haĩ , śhivbābā murlī chalātē haĩ .
164Understand that it is Shiv Baba who is giving these directions, that it is Shiv Baba who is speaking the murli.
140Yah kahtē haĩ maĩ bhī unkī murlī sunkar bajāūṅgā .
165This one says: I also play His murli and listen to it.
141Sunānē vālā tō vah hai nā .
166It is that One who speaks it.
142Yah number one pūjya sō phir number one pujārī banā .
167The number one, worthy-of-worship one, then becomes the number one worshipper.
143Abhī yah purūṣhārthī hai .
168He is now an effort-maker.
144Bachchō̃ kō hamēśhā samajhnā chāhiē - hamkō śhivbābā key|kī śhrīmat milī hai .
169You children should always consider yourselves to be receiving Shiv Baba’s shrimat.
145Agar kōī ulṭī bāt bhī huī tō vah sulṭī kar dēgē .
170Even if anything does go wrong, He puts it right.
146Yah aṭūṭ niśhchay hai tō responsible śhivbābā hai .
171When there is this unbroken faith, Shiv Baba is responsible.
147Yah drama mē̃ nūndh hai .
172This is fixed in the drama.
148Vighna tō paṛnē hī haĩ , bahut kaṛē-kaṛē vighna paṛtē haĩ .
173Obstacles are to come anyway. 174Very severe obstacles will come.
149Apnē bachchō̃ K|kē bhī vighna paṛtē haĩ .
175Your own children also obstruct you.
150Tō hamēśhā samjhō ki śhivbābā samjhātē haĩ , tō yād rahēgī .
176Therefore, constantly understand that it is Shiv Baba who is explaining. 177You will then have remembrance of Him.
151Kaī bachchē samajhtē haĩ yah brahmā bābā mat dētē haĩ , parantu nahī̃ .
178Many children think that Brahma Baba is giving these directions. 179That is not so.
152Śhivbābā hī responsible haĩ .
180Only Shiv Baba is responsible.
153Parantu dēh-abhimān hai tō ghaṛī-ghaṛī inkō hī dēkhtē rahtē haĩ .
181When they repeatedly become body conscious, they continue to look at this one.
154Śhivbābā kitnā baṛā mēhmān hai tō bhī railway ādi vālē thōṛēhī jāntē haĩ , nirākār kō kaisē pahchānē̃ vā samajhē̃ .
182Shiv Baba is such a great Guest! 183In spite of that, railway employees etc., do not recognise Him. 184How could they recognise or understand the Incorporeal?
155Vah tō bīmār hō na sakē .
185He cannot become ill.
156Tō bīmārī ādi kā inkā kāraṇ batātē haĩ .
186So, whatever reason there is for illness etc., it is to do with this one.
157Vah kyā jānē̃ inmē̃ kaun hai ?
187What could they know about the One who is in this one?
158Tum bachchē bhī number-vār jāntē hō .
188You children, too, understand this, numberwise.
159Vah sabhī ātmāō̃ kā bāp aur yah phir prajāpitā manuṣhyō̃ kā bāp .
189That One is the Father of all souls and this one is the Father of Humanity.
160Tō yah dōnō̃ ( bāpdādā ) kitnē baṛē guest hō gayē .
190So, these two have become such great Guests.
161Bāp kahtē haĩ jō kuchh hōtā hai drama mē̃ nūndh hai , maĩ bhī drama K|kē bandhan mē̃ bāndhā huā hū̃ .
191The Father says: Whatever happens, it is fixed in the drama. 192I too am bound by this drama.
162Nūndh bigar kuchh kar nahī̃ saktā hū̃ .
193Because it is predestined, I can do nothing about it.
163Māyā bhī baṛī duśhtar hai .
194Maya is also very powerful.
164Rām aur rāvaṇ dōnō̃ kā part hai .
195Both Rama and Ravan have parts.
165Drama mē̃ rāvaṇ chaitanya hōtā tō kahtā - maĩ bhī drama anusār ātā hū̃ .
196If Ravan were to be someone living in the drama, he too would say: I, too, come according to the drama.
166Yah duḥkh aur sukh kā khēl hai .
197This is a play of happiness and sorrow.
167Sukh hai naī duniyā mē̃ , duḥkh hai purānī duniyā mē̃ .
198Happiness is in that new world, sorrow is in this old world.
168Naī duniyā mē̃ thōṛē manuṣhya , purānī duniyā mē̃ kitnē ḍhēr manuṣhya haĩ .
199In that new world, there are only a few people, whereas in this old world, there are so many human beings.
169Patit-pāvan bāp kō hī bulātē haĩ ki ākar pāvan duniyā banāō kyōṅki pāvan duniyā mē̃ bahut sukh thā isliē hī kalp-kalp pukārtē haĩ .
200They only call out to the Purifier Father to come and purify the world. 201It is because there used to be a lot of happiness in the pure world, that they call out to Him cycle after cycle.
170Bāp sabkō sukh dēkar jātē haĩ .
202The Father gives happiness to everyone and then departs.
171Abhī phir part repeat hōtā hai .
203This part repeats again now.
172Duniyā kabhī khalās nahī̃ hōtī .
204The world never comes to an end.
173Khalās hōnā impossible hai .
205It is impossible for it to end.
174Samudra bhī duniyā mē̃ hai nā .
206The ocean is also in the world.
175Yah third floor tō hai nā .
207This is the third floor.
176Kahtē haĩ jalmaī , pānī hō jātā hai phir bhī pr̥ithvī floor tō hai nā .
208They say: It becomes flooded, that there is water and only water everywhere. 209Nevertheless, the earth is the floor.
177Pānī bhī tō hai nā .
210There is also water.
178Pr̥ithvī floor kōī vināśh nahī̃ hō saktā .
211The floor, the earth, can never be destroyed.
179Jal bhī is floor mē̃ hōtā hai .
212Water is also on this floor.
180Second aur first floor , sūkṣhmavatan aur mūlvatan mē̃ tō jal hōtā nahī̃ .
213However, on the second and first floors, which are the subtle region and the incorporeal world, there is no water.
181Yah bēhad sr̥iṣhṭi K|kē 3 floor haĩ , jiskō tum bachchō̃ K|kē sivāē kōī bhī nahī̃ jāntē .
214This unlimited world has three floors. 215No one except you children knows this.
182Yah khuśhī key|kī bāt sabkō khuśhī sē sunānī hai .
216Tell everyone this aspect of happiness with great joy.
183Jō pūrē pās|pass hōtē haĩ , unkā hī atīndriya sukh gāyā huā hai .
217This memorial of supersensuous joy is only remembered of those who pass fully.
184Jō rāt-din service par tatpar haĩ , service hī kartē rahtē haĩ unhē̃ bahut khuśhī rahtī hai .
218Those who are engaged in doing service day and night and who continually do nothing but service experience great happiness.
185Kōī-kōī aisē din bhī ātē haĩ jō manuṣhya rāt kō bhī jāgtē haĩ parantu ātmā thak jātī hai tō sōnā hōtā hai .
219There are some days when human beings stay awake at night. 220However, when the soul is tired, one has to sleep.
186Ātmā K|kē sōnē sē śharīr bhī sō jātā hai .
221When the soul goes to sleep, the body also goes to sleep.
187Ātmā na sōyē tō śharīr bhī na sōyē .
222If the soul doesn’t sleep, the body too doesn’t sleep.
188Thaktī ātmā hai .
223It is the soul who gets tired.
189Āj maĩ thakā paṛā hū̃ - kisnē kahā ?
224Who said “Today, I am really tired”?
190Ātmā nē .
225The soul.
191Tum bachchō̃ kō ātma-abhimānī hō rahnā hai , ismē̃ hī mēhnat hai .
226You children have to remain soul conscious. 227Only in this do you have to make effort.
192Bāp kō yād nahī̃ kartē , dēhī-abhimānī nahī̃ rahtē , tō dēh K|kē sambandhī ādi yād ā jātē haĩ .
228If you don’t remember the Father and don’t stay soul conscious, your relations of the body, etc. begin to be remembered.
193Bāp kahtē haĩ tum naṅgē āyē thē phir naṅgē jānā hai .
229The Father says: You came naked and you have to return naked.
194Yah dēh K|kē sambandh ādi bhūl jāō .
230Forget those relations of bodies, etc.
195Is śharīr mē̃ rahtē mujhē yād karō tō satōpradhān banē̃gē .
231Remember Me while you are living in those bodies and you will then become satopradhan.
196Bāp kitnī baṛī authority hai .
232The Father is such a great Authority.
197Bachchō̃ K|kē sivāē kōī jāntē hī nahī̃ .
233No one, except you children, knows Him at all.
198Bāp kahtē haĩ maĩ hū̃ garīb nivāz , sabhī sādhāraṇ haĩ .
234The Father says: I am the Lord of the Poor; all are ordinary.
199Patit-pāvan bāp āyā hai , yah jān lē̃ tō patā nahī̃ kitnī bhīṛ hō jāē .
235The Purifier, the Father, has come. 236If they were to know this, who knows how crowded it would become?
200Baṛē-baṛē ādmī ātē haĩ tō kitnī bhīṛ hō jātī hai .
237When important people come here, there is such a crowd.
201Tō drama mē̃ inkā part hī gupta rahnē kā hai .
238Therefore, according to the drama, that One’s part is to remain incognito.
202Āgē chal āhistē-āhistē prabhāv nikalēgā aur vināśh hō jāyēgā .
239As you make progress, your influence will gradually increase and destruction will take place.
203Sab thōṛēhī mil saktē haĩ .
240It is not as though everyone can meet Baba.
204Yād kartē haĩ nā tō unkō bāp kā parichay mil jāyēgā .
241They do remember the Father. 242Therefore, they will receive His introduction.
205Bākī pahũch nahī̃ pāyēṅgē .
243The rest will not be able to come here.
206Jaisē bāndhēlī bachchiyā̃ mil nahī̃ pātī haĩ , kitnē atyāchār sahan kartī haĩ .
244For example, the daughters in bondage are not able to meet Baba; they tolerate so many assaults.
207Vikār kō chhōṛ nahī̃ saktē haĩ . 208Kahtē haĩ sr̥iṣhṭi kaisē chalēgī ?
245People cannot give up vice, so they ask how the world would carry on without it.
209Arē , sr̥iṣhṭi kā bōjh bāp par hai ki tum par ?
246Ah, but is the burden of the world on the Father or on you?
210Bāp kō jān lēvē̃ tō phir aisē praśhna na pūchhē̃ .
247If they were to know the Father, they would not ask such questions.
211Bōlō , pahlē bāp kō tō jānō phir tum sab kuchh jān jāyēṅgē .
248Tell them: At least, first recognise the Father and you will then come to know everything.
212Samjhānē key|kī bhī yukti chāhiē .
249You need clever ways with which to explain.
213Achchhā !
250Achcha.
214Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
251To you sweetest, beloved long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
215Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
252The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
216Dhārṇā kē liē mukhya sār :
253Essence for dharna:
2171 ) sadā hī highest authority bāp kī yād mē̃ rahnā hai .
254 1. Remain constantly in remembrance of the Father, the Highest Authority.
218Vināśhī dēh kō na dēkh dēhī-abhimānī bannē key|kī mēhnat karnī hai .
255Do not look at anyone’s perishable body but make effort to become soul conscious.
219Yād kā sachchā-sachchā chart rakhnā hai .
256Keep an honest chart of your remembrance.
2202 ) din-rāt service mē̃ tatpar rah apār khuśhī mē̃ rahnā hai .
257 2. Remain engaged in doing service day and night and thereby experience limitless happiness.
221Tīnō̃ lōkō̃ kā rāz sabkō khuśhī sē samjhānā hai .
258Explain with happiness the secrets of the three worlds to everyone.
222Śhiv-bābā jō śhrīmat dētē haĩ usmē̃ aṭūṭ niśhchay rakhkar chalnā hai , kōī bhī vighna āyē tō ghabrānā nahī̃ hai , responsible śhivbābā hai , isliē sanśhay na āyē .
259Have unbroken faith in the shrimat that Shiv Baba gives and move forward. 260Do not be afraid when an obstacle comes. 261Shiv Baba is responsible. 262Therefore, have no doubt about anything.
Blessing
223Vardān : śhrēṣhṭh vēlā K|kē ādhār par sarv prāptiyō̃ K|kē adhikār kā anubhav karnē vālē padmāpadam bhāgyaśhālī bhav
263Blessing: May you become multimillion times fortunate and experience a right to all attainments at this elevated time.
224Jō śhrēṣhṭh vēlā mē̃ janm lēnē vālē bhāgyaśhālī bachchē haĩ , vah kalp pahlē key|kī touching K|kē ādhār par janmatē hī apnē pan kā anubhav kartē haĩ .
264 You fortunate children who take birth at this elevated time experience belonging as soon as you take birth with the touching of the previous cycle.
225Vah janmatē hī sarv property K|kē adhikārī hōtē haĩ .
265You have a right to all the property as soon as you take birth.
226Jaisē bīj mē̃ sārē vr̥ikṣha kā sār samāyā huā hai aisē number one vēlā vālī ātmāyē̃ sarv svarūp key|kī prāpti K|kē khajānē K|kē ātē hī anubhavī ban jātē haĩ .
266Just as a whole tree is merged in a seed, in the same way, you souls who come at the number one time experience the treasures of all forms of attainment as soon as you come.
227Vē|way kabhī aisē nahī̃ kahē̃gē ki sukh kā anubhav hōtā , śhānti kā nahī̃ , śhānti kā hōtā sukh kā va śhakti kā nahī̃ .
267You would never say that you experience happiness but not peace, or that you experience peace but not power.
228Sarv anubhavō̃ sē sampann hōtē haĩ .
268You are filled with all experiences.
Slogan
229Slōgan : apnē prasannatā key|kī chhāyā sē śhītaltā kā anubhav karānē kē liē nirmal aur nirmān banō .
269Slogan: In order for you to give the experience of coolness in the shade of your happiness, become clean and humble.
270*** Om Shanti ***
230Avyakt-iśhārē : ēkāntpriy banō ēktā aur ēkāgratā kō apnāō
271Have love for solitude and imbibe unity and concentration.
231Sarv sambandh , sarv rasnāyē̃ ēk sē lēnē vālā hī ēkānt-priy hō saktā hai , jab ēk dvārā sarv rasanāē̃ prāpt hō saktī haĩ tō anēk taraph jānē key|kī āvaśhyaktā hī kyā hai ?
272Those who have all relationships with the One and experience all types of sweetness from that One will have love for solitude. 273Since you can experience all sweetness from the One, what need is there for you to go in many directions?
232Sirph ēk śhabda bhī yād rakhō tō usmē̃ sārā gyān ā jātā , smr̥iti bhī ā jātī , sambandh bhī ā jātā , sthiti bhī ā jātī aur sāth-sāth jō prāpti hōtī hai vah bhī us ēk śhabda sē spaṣhṭ hō jātī .
274Just remember the One word, for all of this knowledge, awareness, relationships and your stage are included in that. 275Together with that, all of your attainment become very clear through just that one word.
233Ēk key|kī yād , sthiti ēkras aur gyān bhī sārā ēk key|kī yād kā hī miltā hai . 234Prāpti bhī jō hōtī hai vah bhī ēkras rahtī hai .
276Have remembrance of One and a constant stage. 277The knowledge that you receive is just for remembrance of the One, and the attainment that you receive is also constant.