शुक्रवार 7 मार्च 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
007-03-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 07/03/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - yah anādi avināśhī banā banāyā drama hai , ismē̃ jō scene pās|pass huī , vah phir kalp kē bād hī repeat hōgī , isliē sadā niśhchint rahō ' '
1Essence: Sweet children, this original, eternal drama is predestined. 2Whatever scene passes, it will repeat after a cycle. 3Therefore, always remain carefree.
Question
2Praśhna : yah duniyā apnī tamōpradhān stage par pahũch gaī hai , uskī niśhāniyā̃ kyā haĩ ?
4Question: What signs indicate that this world has now reached its tamopradhan stage?
Answer
3Uttar : din-pratidin upadrav hōtē rahtē haĩ , kitnī ghamsān hō rahī hai .
5Answer: Day by day, upheavals continue to happen and there is so much chaos.
4Chōr kaisē mār-pīṭ kar lūṭ lē jātē haĩ .
6Robbers beat people up and loot everything.
5Binā mausam barsāt paṛtī rahtī hai . 6Kitnā nuksān hō jātā hai .
7There is so much damage caused by rainfall out of season.
7Yah sab tamōpradhāntā K|kē chinh haĩ .
8All of these signs indicate that this world is tamopradhan.
8Tamōpradhān prakr̥iti duḥkh dētī rahtī hai .
9Tamopradhan nature continues to cause sorrow.
9Tum bachchē drama K|kē rāz kō jāntē hō isliē kahtē hō nothing new .
10You children know the secrets of the drama. 11Therefore, you say that it is nothing new.
Murli
10Ōm śhānti .
12Om shanti.
11Abhī tum bachchō̃ par gyān kī varṣhā hō rahī hai .
13You children are now being showered with the rain of this knowledge.
12Tum hō saṅgamyugī aur bākī jō bhī manuṣhya haĩ vah sab haĩ kaliyugī .
14All of you are now confluence aged. 15All other humans are iron aged.
13Is samay duniyā mē̃ anēk mat-matāntar haĩ .
16At present, people in the world have many different ideas and opinions.
14Tum bachchō̃ key|kī tō hai ēk mat .
17You children only have one direction.
15Jō ēk mat bhagvān key|kī hī miltī hai .
18You receive the one direction from God alone.
16Vē|way lōg bhakti mārg mē̃ jap-tap-tīrth ādi jō kuchh kartē haĩ vah samajhtē haĩ yah sab rāstē bhagvān sē milnē K|kē haĩ .
19People on the path of devotion chant, do penance and go on pilgrimages, etc.; they think that those are the ways to attain God.
17Kahtē haĩ bhakti kē bād hī bhagvān milē̃gē . 18Parantu unhō̃ kō yah patā hī nahī̃ hai ki bhakti śhurū kab hōtī hai aur kab tak chaltī hai .
20They say that only after performing devotion can one attain God, but they do not know when devotion begins or how long it lasts.
19Sirph kah dētē bhakti sē bhagvān milēgā isliē anēk prakār key|kī bhakti kartē ātē haĩ .
21They simply say that they attain God by performing devotion. 22This is why they do many types of devotion.
20Yah bhī khud samajhtē haĩ ki paramparā sē ham bhakti kartē āyē haĩ .
23They believe that they have been continuing to do devotion from the beginning of time.
21Ēk din bhagvān jarūr milēgā . 22Kōī na kōī rūp mē̃ bhagvān milēgā .
24They think that they will definitely attain God one day, that they will attain God in one form or another.
23Kyā karē̃gē ?
25What will He do?
24Jarūr sadgati karē̃gē kyōṅki vah hai hī sarv kā sadgati dātā .
26He will definitely grant salvation because He is the Bestower of Salvation for all.
25Bhagvān kaun hai , kab āyēgā , yah bhī nahī̃ jāntē . 26Mahimā bhal kisma-kisma key|kī gātē haĩ , kahtē haĩ bhagvān patit-pāvan hai , gyān kā sāgar hai .
27They do not know who God is or when He comes, even though they sing various kinds of praise of Him, that He is the Purifier, the Ocean of Knowledge.
27Gyān sē hī sadgati hōtī hai .
28Only through this knowledge is there salvation.
28Yah bhī jāntē haĩ bhagvān nirākār hai . 29Jaisē ham ātmā bhī nirākār haĩ , pīchhē śharīr lētī haĩ .
29They know that God is incorporeal, just as we souls are incorporeal. 30Then we take bodies.
30Ham ātmāyē̃ bhī bāp kē sāth paramdhām mē̃ rahnē vālī haĩ .
31We souls reside with our Father in the supreme abode.
31Ham yahā̃ key|kī vāsī nahī̃ haĩ .
32We are not residents of this place.
32Kahā̃ K|kē nivāsī haĩ , yah bhī yathārth rīti nahī̃ batlātē haĩ .
33They are not able to tell you accurately of the place where you originally reside.
33Kōī tō samajhtē haĩ - ham svarg mē̃ chalē jāyēṅgē . 34Ab sīdhā svarg mē̃ tō kiskō bhī jānā nahī̃ hai .
34Some think that they will go to heaven but no one is able to go directly to heaven from here.
35Kōī phir kahtē jyōti jyōt mē̃ samā jāyēṅgē .
35Some say that they will merge into the eternal light.
36Yah bhī wrong hai .
36That too is wrong.
37Ātmā kō vināśhī banā dētē haĩ .
37That would make souls perishable.
38Mōkṣh bhī hō na sakē .
38There cannot be eternal liberation (moksh).
39Jabki kahtē haĩ banī banāī … yah chakra phirtā rahtā hai . 40History-geography repeat hōtī hai .
39Since they speak of an eternally predestined drama, it indicates that this cycle continues to turn, that history and geography continue to repeat.
41Parantu chakra kaisē phirtā hai , yah nahī̃ jāntē .
40However, they do not know how the cycle turns.
42Na chakra kō jāntē , na īśhvar kō jāntē .
41They neither know the cycle nor God.
43Bhakti mārg mē̃ kitnā bhaṭaktē haĩ .
42They wander around so much on the path of devotion.
44Bhagvān kaun hai yah tum jāntē hō .
43You know who God is.
45Bhagvān kō father bhī kahtē haĩ tō buddhi mē̃ ānā chāhiē nā . 46Laukik father bhī tō hai phir ham unkō yād kartē haĩ tō dō father hō gayē - laukik aur pārlaukik .
44You call God “The Father”. 45Therefore, because we each have a physical father and yet we still remember that One, let it enter the intellects that there are two fathers - lokik (of this world) and the Parlokik (beyond this world).
47Us pārlaukik bāp sē milnē kē liē itnī bhakti kartē haĩ .
46People do so much devotion in order to attain that parlokik Father.
48Vah parlōk mē̃ rahtē haĩ .
47He resides in Parlok (the world beyond).
49Nirākārī duniyā bhī hai jarūr .
48There is definitely the incorporeal world.
50Tum achchhī rīti jāntē hō - manuṣhya jō kuchh kartē haĩ vah sab hai bhaktimārg .
49You know very well that everything people do belongs to the path of devotion.
51Rāvaṇ rājya mē̃ bhakti hī bhakti hōtī āī hai . 52Gyān hō na sakē .
50Devotion and only devotion has continued in the kingdom of Ravan; there cannot be this knowledge.
53Bhakti sē kabhī sadgati nahī̃ hō saktī .
51There can never be salvation through devotion.
54Sadgati karnē vālē bāp kō yād kartē haĩ tō jarūr vah kabhī ākar sadgati karē̃gē .
52People remember the Father who grants salvation. 53Therefore, He must surely have come at some time and granted salvation.
55Tum jāntē hō yah bilkul hī tamōpradhān duniyā hai .
54You know that this world is totally tamopradhan.
56Satōpradhān thē abhī tamōpradhān haĩ , kitnē upadrav hōtē rahtē haĩ .
55It was once satopradhan; it is now tamopradhan. 56So many upheavals continue to take place.
57Bahut ghamsān hō rahī hai . 58Chōr bhī lūṭtē rahtē haĩ .
57There is so much chaos and robbers continue to loot everything.
59Kaisē-kaisē mār pīṭkar chōr paisē lūṭ lē jātē haĩ .
58They beat people up and loot their money.
60Aisī-aisī davāiyā̃ haĩ jō suṅghākar bēhōśh kar dētē haĩ .
59They make them inhale all sorts of drugs to make them unconscious.
61Yah hai rāvaṇ rājya .
60This is the kingdom of Ravan.
62Yah bahut baṛā bēhad kā khēl hai .
61This is a huge, unlimited play.
63Iskō phirnē mē̃ 5 hazār varṣh lagtē haĩ .
62It takes 5000 years to go around the cycle.
64Khēl bhī drama misal hai . 65Nāṭak nahī̃ kahē̃gē .
63A play is like a drama (film); this wouldn't be called a play.
66Nāṭak mē̃ tō samjhō kōī actor bīmār paṛtā hai tō adlī badlī kar lētē haĩ . 67Ismē̃ tō yah bāt hō na sakē .
64If an actor in a play falls ill, he can be replaced but that is not possible in this drama.
68Yah tō anādi drama hai nā .
65This drama is eternal.
69Samjhō kōī bīmār hō paṛtā hai tō kahē̃gē aisē bīmār hōnē kā bhī drama mē̃ part hai .
66For instance, if someone is ill, it would be said that it is fixed in the drama for him to become ill.
70Yah anādi banā banāyā hai .
67This drama is eternally predestined.
71Aur kiskō tum drama kahō tō mūnjh jāyēṅgē .
68When you explain to others about this drama, they become confused.
72Tum jāntē hō yah bēhad kā drama hai .
69You know that this drama is unlimited.
73Kalp bād phir bhī yahī actors hōṅgē .
70The same actors will be there after a cycle.
74Jaisē abhī barsāt ādi paṛtī hai , kalp bād phir bhī aisē hī paṛēgī .
71Just as it is raining now, so it will be raining again after a cycle.
75Yahī upadrav hōṅgē . 76Tum bachchē jāntē hō gyān kī barsāt tō sabhī par paṛ nahī̃ saktī hai lēkin yah āvāz sabhī K|kē kānō̃ tak avaśhya jāyēgā ki gyān sāgar bhagvān āyā huā hai .
72In the same way, there will also be the same upheavals. 73You children know that the rain of this knowledge doesn't fall on everyone. 74However, the sound that God, the Ocean of Knowledge, has come will definitely reach everyone.
77Tumhārā mukhya hai yōg .
75Your main subject is yoga.
78Gyān bhī tum suntē hō bākī barsāt tō sārī duniyā mē̃ paṛtī hai .
76Only you listen to the rain of this knowledge, but that rain rains over the whole world.
79Tumhārē yōg sē sthāī śhānti hō jātī hai .
77Through your yoga there is constant peace.
80Tum sabkō sunātē hō ki svarg key|kī sthāpanā karnē bhagvān āyā huā hai , parantu aisē bhī bahut haĩ jō apnē kō bhagvān samajh lētē haĩ , tō tumkō phir kaun mānēgā isliē bāp samjhātē haĩ kōṭō mē̃ kōī nikalē̃gē .
78You tell everyone that God has come in order to establish heaven, but many call themselves God, so who would believe you? 79This is why the Father says that only a few out of many will emerge.
81Tumhārē mē̃ bhī number-vār jāntē haĩ bhagvān bāp āyā huā hai .
80Amongst you, you also understand, numberwise, that God, the Father, has come.
82Bāp sē tō varsā lēnā chāhiē nā .
81You have to take your inheritance from the Father.
83Kaisē bāp kō yād karō vah bhī samjhāyā hai .
82The Father has also explained how you should remember Him.
84Apnē kō ātmā samjhō .
83You have to consider yourselves to be souls.
85Manuṣhya tō dēh-abhimānī ban gayē haĩ .
84People have become body conscious.
86Bāp kahtē haĩ maĩ ātā hī tab hū̃ jab sabhī manuṣhyātmāyē̃ patit ban jātī haĩ .
85The Father says: Only when all human souls have become impure do I come.
87Tum kitnē tamōpradhān ban gayē hō .
86You have become completely tamopradhan.
88Ab maĩ āyā hū̃ tumkō satōpradhān banānē .
87I have now come to make you satopradhan.
89Kalp pahlē bhī mainnē tumkō aisē samjhāyā thā . 90Tum tamōpradhān sē satōpradhān kaisē banē̃gē ? 91Sirph mujhē yād karō .
88In the previous cycle too, I explained how you can become satopradhan from tamopradhan: Simply remember Me!
92Maĩ āyā hū̃ tumkō apnā aur rachnā kā parichay dēnē .
89I have come to give you My own introduction and that of creation.
93Us bāp kō sabhī yād kartē hī haĩ rāvaṇ rājya mē̃ .
90Everyone in the kingdom of Ravan remembers that Father.
94Ātmā apnē bāp kō yād kartī hai .
91Souls remember their Father.
95Bāp hai hī aśharīrī , bindī hai nā .
92The Father is bodiless. 93He is a point.
96Unkā nām phir rakhā gayā hai .
94He is given a name.
97Tumkō kahtē haĩ sāligrām aur bāp kō kahtē haĩ śhiv .
95You are called saligrams and the Father is called Shiva.
98Tum bachchō̃ kā nām śharīr par paṛtā hai . 99Bāp tō hai hī param ātmā . 100Unkō śharīr tō lēnā nahī̃ hai .
96It is the bodies of you children that are given names, whereas the Father is the Supreme Soul; He does not have to take a body.
101Usnē inmē̃ pravēśh kiyā hai .
97He has entered this one.
102Yah brahmā kā tan hai , inkō śhiv nahī̃ kahē̃gē .
98This is the body of Brahma; it is not this one who is called Shiva.
103Ātmā nām tō tumhārā hai hī phir tum śharīr mē̃ ātē hō .
99Soul is the name of each of you and each of you enters a body.
104Vah param ātmā hai sabhī ātmāō̃ kā pitā .
100The Supreme Soul is the Father of all souls.
105Tō sabhī K|kē dō bāp hō gayē . 106Ēk nirākārī , ēk sākārī .
101Therefore, everyone has two fathers: one is incorporeal and the other is corporeal.
107Inkō phir alaukik wonderful bāp kahā jātā hai .
102This one is then called the alokik, wonderful father.
108Kitnē ḍhēr bachchē haĩ .
103There are so many children.
109Manuṣhyō̃ kō yah samajh mē̃ nahī̃ ātā hai - prajāpitā brahmākumār-kumāriyā̃ itnē ḍhēr haĩ , yah kyā haĩ !
104Because there are so many Prajapita Brahma Kumars and Kumaris, people are unable to understand this.
110Kis prakār kā yah dharm hai ! 111Samajh nahī̃ saktē .
105They are not able to understand what type of religion this is.
112Tum jāntē hō yah kumār-kumārī pravr̥itti mārg kā akṣhar hai nā .
106You know that the words "kumars and kumaris" belong to this family path.
113Mā̃ , bāp , kumārī aur kumār .
107There are the parents and the sons and daughters.
114Bhakti mārg mē̃ tum yād kartē hō tum māt-pitā . . . . . . . abhī tumkō māt-pitā milā hai , tumkō adopt kiyā hai .
108On the path of devotion, they remember Him: “You are the Mother; You are the Father.” 109You have now found the Mother and Father and He has adopted you.
115Satyug mē̃ adopt nahī̃ kiyā jātā hai . 116Vahā̃ adoption kā nām nahī̃ .
110No one is adopted in the golden age; there is no mention of adoption there.
117Yahā̃ phir bhī nām hai .
111This word exists here.
118Vah hai had kā bāp , yah hai bēhad kā bāp .
112Other fathers are limited, whereas that One is the unlimited Father.
119Bēhad key|kī adoption hai .
113This is an unlimited adoption.
120Yah rāz bahut hī guhya samajhnē lāyak hai .
114This is a very deep secret and worth understanding.
121Tum lōg pūrī rīti kiskō samjhātē nahī̃ hō .
115You do not fully explain anything to anyone.
122Pahlē-pahlē andar kōī ātē haĩ , bōlē gurū kā darśhan karnē āyē haĩ , tō tum bōlō ki yah kōī mandir nahī̃ hai .
116Whenever someone first comes here and says that he wants to have a glimpse of our guru, say to him: “This is not a temple.
123Board par dēkhō kyā likhā huā hai !
117Just look at what is written on the board.
124Brahmākumār-kumāriyā̃ ḍhēr haĩ .
118There are so many Brahma Kumars and Kumaris.
125Yah sab prajāpitā K|kē bachchē hō gayē .
119All of them are the children of Prajapita (Father of the people).
126Prajā tō tum bhī hō .
120You too are one of the people.
127Bhagvān sr̥iṣhṭi rachtē haĩ , brahmā mukh kamal dvārā hamkō rachā hai .
121God creates the world and He creates us too through the lotus lips of Brahma.
128Ham haĩ hī naī sr̥iṣhṭi K|kē , tum hō purānī sr̥iṣhṭi K|kē .
122We belong to the new world, whereas you belong to the old world.
129Naī sr̥iṣhṭi kā bannā hōtā hai saṅgamyug par .
123It is during the confluence age that we are made to belong to the new world.
130Yah hai purūṣhōttam bannē kā yug .
124This is the age for becoming the most elevated human beings.”
131Tum saṅgamyug par khaṛē hō , vē|way kaliyug mē̃ khaṛē haĩ jaisēki partition paṛ gaī hai .
125You are standing at the confluence age whereas everyone else is in the iron age. 126It is as though there is a partition.
132Ājkal tō dēkhō kitnī partition hai .
127Just look how many partitions there are now.
133Har ēk dharm vālā samajhtē ham apnī prajā kō sambhālē̃gē , apnē dharm kō , hamjins kō sukhī rakhē̃gē isliē har ēk kahtē haĩ - hamārī state sē yah chīz bāhar na jāyē .
128The head of each religion wants to look after his own people and keep their equals and everyone in their own religion happy so that no one leaves their state.
134Āgē tō rājā kā sārī prajā par hukm chaltā thā .
129Previously, a king had a right over all of his people.
135Rājā kō māī|my bāp , ann dātā kahtē thē .
130The king was considered to be the parent, the provider of food.
136Abhī tō rājā-rānī kōī hai nahī̃ .
131There are no longer any kings or queens.
137Alag-alag ṭukṛē hō gayē haĩ .
132Everything has been split into pieces.
138Kitnē upadrav hōtē rahtē haĩ .
133There is so much upheaval and chaos.
139Achānak bāṛh ā jātī hai , bhūkamp hōtē rahtē haĩ , yah sab hai duḥkh kā maut .
134There are sudden floods and earthquakes. 135All of this is dying in sorrow.
140Abhī tum brāhmaṇ samajhtē hō ki ham sab āpas mē̃ bhāī haĩ .
136Only you Brahmins now understand how you are all brothers.
141Tō hamē̃ āpas mē̃ bahut-bahut pyār sē kṣhīrkhaṇḍ hōkar rahnā hai .
137Therefore, you have to live with one another with a lot of love, like milk and sugar.
142Ham ēk bāp K|kē bachchē haĩ tō āpas mē̃ bahut pyār hōnā chāhiē .
138You are the children of the one Father. 139So, let there be a lot of love amongst you.
143Rāmrājya mē̃ śhēr-bakrī jō ēkdam pakkē duśhman haĩ , vah bhī ikaṭṭhē pānī pītē haĩ .
140The lamb and the lion are very great enemies here and yet they drink water from the same pool in the kingdom of Rama.
144Yahā̃ tō dēkhō ghar-ghar mē̃ kitnā jhagaṛā hai .
141Here, there is fighting in every home.
145Nation-nation kā jhagaṛā|jhagṛā , āpas mē̃ hī phūṭ paṛtī hai . 146Anēk matē haĩ .
142There are wars between nations. 143Because of their many different opinions, they even fight amongst themselves.
147Abhī tum jāntē hō ham sabnē anēk bār bāp sē varsā liyā hai aur phir ganvāyā hai arthāt rāvaṇ par jīt pātē haĩ aur phir hārtē haĩ .
144You now know that you have taken your inheritance from the Father many times, and that you then lost it. 145That is, you conquer Ravan and you are then defeated by him.
148Ēk bāp key|kī śhrīmat par ham viśhva K|kē mālik ban jātē haĩ , isliē unkō ūñch tē ūñch bhagvān kahā jātā hai .
146We become the masters of the world by following the shrimat of the one Father. 147This is why He is called God, the Highest on High.
149Sarv kā duḥkh hartā , sukh kartā kahā jātā hai .
148He is called the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness for all.
150Abhī tumkō sukh kā rāstā batā rahē haĩ .
149He is now showing you the path to happiness.
151Tum bachchē āpas mē̃ kṣhīrkhaṇḍ hōnē chāhiē .
150You children have to be like milk and sugar with one another.
152Duniyā mē̃ āpas mē̃ sabhī haĩ lūnpānī . 153Ēk-dō kō mārnē mē̃ dērī nahī̃ kartē .
151People of the world are all like salt water; they do not take long to kill one another.
154Tum īśhvarīy aulād tō kṣhīrkhaṇḍ hōnē chāhiē .
152You are the children of God, and so you have to be like milk and sugar.
155Tum īśhvarīy santān dēvtāō̃ sē bhī ūñch ṭhaharē .
153You children of God are even higher than the deities.
156Tum bāp K|kē kitnē madadgār bantē hō .
154You become the Father’s helpers so much.
157Purūṣhōttam banānē K|kē madadgār hō tō yah dil mē̃ ānā chāhiē - ham purūṣhōttam haĩ , tō hamārē mē̃ vah daivīguṇ haĩ ?
155You help Him to make people elevated. 156Therefore, you should know in your hearts that you too are elevated human beings. 157Do you have divine virtues?
158Āsurī guṇ haĩ tō vah phir bāp kā bachchā tō kahlā na sakē isliē kahā jātā hai satgurū kā nindak ṭhaur na pāyē .
158Someone who has devilish traits wouldn't be considered to be a child of the Father. 159This is why it is said that one who dishonours the Satguru cannot reach the destination.
159Vah kaliyugī gurū phir apnē liē kahkar manuṣhyō̃ kō ḍarā dētē haĩ .
160Iron-aged gurus say this of themselves and make people afraid.
160Tō bāp bachchō̃ kō samjhātē haĩ - sapūt bachchē vah haĩ jō bāp kā nām bālā kartē haĩ , kṣhīrkhaṇḍ hō rahtē haĩ .
161Therefore, the Father explains to you children: Worthy children are those who glorify the Father's name and live together like milk and sugar.
161Bāp hamēśhā kahtē haĩ - kṣhīrkhaṇḍ banō .
162The Father always says: Remain like milk and sugar.
162Lūnpānī hō āpas mē̃ laṛō-jhagaṛō nahī̃ .
163Do not fight and become like salt water.
163Tumkō yahā̃ kṣhīrkhaṇḍ bannā hai .
164It is here that you have to become like milk and sugar.
164Āpas mē̃ bahut love chāhiē kyōṅki tum īśhvarīy aulād hō nā .
165You must have a lot of love for one another, because you are all God's children.
165Īśhvar most lovely hai tab tō unkō sabhī yād kartē haĩ .
166It is because God is most lovely that everyone remembers Him.
166Tō tumhārā āpas mē̃ bahut pyār hōnā chāhiē .
167Therefore, you have to have a lot of love for one another.
167Nahī̃ tō bāp key|kī ijjat ganvātē hō .
168Otherwise, you cause the Father's honour to be lost.
168Īśhvar K|kē bachchē āpas mē̃ lūnpānī kaisē hō saktē , phir pad kaisē pā sakē̃gē .
169How can the children of God be like salt water with one another? 170How could they then claim a status?
169Bāp samjhātē haĩ āpas mē̃ kṣhīrkhaṇḍ hō rahō .
171The Father says: Live like milk and sugar with one another.
170Lūn-pānī hōṅgē tō kuchh bhī dhārṇā nahī̃ hōgī .
172If you are like salt water, you will not be able to imbibe virtues.
171Agar bāp K|kē direction par nahī̃ chalē̃gē tō phir ūñch pad kaisē pāyēṅgē .
173So, how would you claim a high status if you do not follow the Father's directions?
172Dēh-abhimān mē̃ ānē sē hī phir āpas mē̃ laṛtē haĩ .
174By becoming body conscious, you fight with one another.
173Dēhī-abhimānī hō tō kuchh bhī khiṭpiṭ na hō .
175If you are soul conscious, there cannot be any conflict.
174Īśhvar bāp milā hai tō phir daivī guṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .
176You have found God, the Father, and so you have to imbibe divine virtues.
175Ātmā kō bāp jaisā bannā hai .
177You souls have to become like the Father.
176Jaisē bāp mē̃ pavitratā , sukh , prēm ādi sab haĩ , tumkō bhī bannā hai .
178Just as the Father has purity, happiness and love, etc., so you have to become like Him.
177Nahī̃ tō ūñch pad pā nahī̃ saktē .
179Otherwise, you will not be able to claim a high status.
178Paṛhkar bāp sē ūñch varsā pānā hai , bahutō̃ kā jō kalyāṇ kartē haĩ , vahī rājā-rānī ban saktē haĩ .
180Study with the Father and claim a high status. 181Those who bring benefit to many are able to become kings and queens.
179Bākī dās-dāsiyā̃ jākar banē̃gē .
182All the rest become maids and servants.
180Samajh tō saktē haĩ nā - kaun-kaun kyā banē̃gē ?
183Any of you can understand what you will become.
181Paṛhnē vālē khud bhī samajh saktē haĩ - is hisāb sē ham bābā kā kyā nām nikālē̃gē .
184Someone who is studying this can accordingly understand for himself how he is going to glorify Baba's name.
182Īśhvar K|kē bachchē tō most lovely hōnē chāhiē , jō kōī bhī dēkh khuśh hō jāē .
185The children of God have to be most lovely, so that anyone who sees them becomes very happy.
183Bābā kō bhī mīṭhē vah lagē̃gē .
186Baba too should find them very sweet.
184Pahlē ghar kō tō sudhārō . 185Pahlē ghar kō phir par ( dūsrō̃ ) kō sudhārnā hai .
187First of all, one's own home has to be reformed - first the family and then others.
186Gr̥ihastha vyavahār mē̃ kamal fool|phūl samān pavitra aur kṣhīrkhaṇḍ hōkar rahō .
188Whilst living in your households, stay as pure as a lotus and live like milk and sugar.
187Kōī bhī dēkhē tō kahē - ōhō ! 188Yahā̃ tō svarg lagā paṛā hai .
189Let anyone who sees you say: “Oho, this is heaven!”
189Agyānkāl mē̃ bhī bābā nē khud aisē ghar dēkhē haĩ . 1906-7 bachchē śhādī kiyē huē sab ikaṭṭhē rahtē haĩ . 191Sab savērē uṭhkar bhakti kartē haĩ .
190Prior to this knowledge, Baba had seen such families, six or seven married sons living in the same family, all waking up early in the morning and performing devotion.
192Ghar mē̃ ēkdam śhānti lagī rahtī hai .
191There was absolute peace in the house.
193Yah tō tumhārā īśhvarīy kuṭumb hai .
192You belong to God's family.
194Hans aur bagulā ikaṭṭhā tō rah nahī̃ saktē .
193Swans and storks cannot live together.
195Tumkō tō hans bannā hai .
194You have to become swans.
196Lūnpānī hōnē sē bābā rāzī nahī̃ hōgā .
195Baba would not be pleased if you became like salt water.
197Bāp kahē̃gē tum kitnā nām badnām kartē hō .
196Baba would say: You defame My name so much!
198Agar kṣhīrkhaṇḍ hōkar nahī̃ rahē̃gē tō svarg mē̃ ūñch pad pā nahī̃ sakē̃gē , bahut sajā khāyēṅgē .
197If you do not live like milk and sugar you will not claim a high status in heaven. 198A lot of punishment will be experienced.
199Bāp kā bankar phir agar lūnpānī hō rahtē haĩ tō sauguṇā sajā khāyēṅgē . 200Phir tumkō sākṣhātkār bhī hōtē rahē̃gē ki ham kyā pad pāyēṅgē .
199If, after belonging to the Father, you become like salt water, you will experience one hundred-fold punishment and will continue to have visions of the status you will claim.
201Achchhā .
200Achcha.
202Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
201To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
203Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
202The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
204Dhārṇā kē liē mukhya sār :
203Essence for dharna:
2051 ) sadā dhyān rahē - ham īśhvar K|kē bachchē haĩ , hamē̃ most lovely hōkar rahnā hai .
204 1. Pay constant attention to becoming most lovely, because you are the children of God.
206Āpas mē̃ kabhī bhī lūnpānī nahī̃ hōnā hai .
205You must not be like salt water with one another.
207Pahlē apnē kō sudhārnā hai phir dūsrō̃ kō sudhārnē key|kī śhikṣhā dēnī hai .
206First, reform yourself and then give others teachings to reform them.
2082 ) jaisē bāp mē̃ pavitratā , sukh , prēm ādi sab guṇ haĩ , aisē bāp samān bannā hai .
207 2. Just as the Father has purity, happiness, love and all virtues, so you too must become like the Father.
209Aisā kōī karma nahī̃ karnā hai jō satgurū kā nindak banē̃ .
208Do not perform any act that would dishonour the Satguru.
210Apnī chalan sē bāp kā nām bālā karnā hai .
209You have to glorify the Father's name with your behaviour.
Blessing
211Vardān : bāp aur prāpti key|kī smr̥iti sē sadā himmat-hullās mē̃ rahnē vālē ēkras , achal bhav
210Blessing: May you remain constantly stable and unshakeable and always have courage and enthusiasm by staying aware of the Father and your attainments.
212Bāp dvārā janm sē hī jō prāptiyā̃ huī haĩ unkī list sadā sāmnē rakhō .
211 Constantly keep in front of you a list of all the attainments you have received from the Father since your birth.
213Jab prāpti aṭal , achal hai tō himmat aur hullās bhī achal hōnā chāhiē .
212For your attainment to be fixed and unshakeable, your courage and enthusiasm also have to be unshakeable.
214Achal kē bajāē yadi man kabhī chañchal hō jātā hai vā sthiti chañchaltā mē̃ ā jātī hai tō iskā kāraṇ hai ki bāp aur prāpti kō sadā sāmnē nahī̃ rakhtē .
213Instead of being unshakeable, if your mind is sometimes mischievous, or if there is some mischief in your stage, the reason for that is that you are not constantly keeping the Father and your attainments in front of you.
215Sarv prāptiyō̃ kā anubhav sadā sāmnē vā smr̥iti mē̃ rahē tō sab vighna khatm hō jāyēṅgē , sadā nayā umaṅg , nayā hullās rahēgā . 216Sthiti ēkras aur achal rahēgī .
214When the experience of all attainments is constantly in front of you and in your awareness, all obstacles will then finish and you will always have new zeal and enthusiasm, and your stage will be constant and unshakeable.
Slogan
217Slōgan : kisī bhī prakār key|kī sēvā mē̃ sadā santuṣhṭ rahnā hī achchhē marks lēnā hai .
215Slogan: To remain constantly content while doing any type of service means to claim good marks.
216*** Om Shanti ***
218Avyakt iśhārē - satyatā aur sabhyatā rūpī culture kō apnāō
217Avyakt Signal: Adopt the culture of truth and good manners
219Āp brāhmaṇ bachchē bahut-bahut royal hō .
218You Brahmin children are very royal.
220Āpkā chēhrā aur chalan dōnō̃ hī satyatā key|kī sabhyatā anubhav karāyē̃ .
219Others should experience your good manners and truthfulness from your face and behaviour.
221Vaisē bhī royal ātmāō̃ kō sabhyatā key|kī dēvī kahā jātā hai .
220It is said that royal souls are goddesses of good manners.
222Unkā bōlnā , dēkhnā , chalnā , khānā-pīnā , uṭhnā-baiṭhnā , her|har karma mē̃ sabhyatā , satyatā svataḥ hī dikhāī dētī hai .
221The way they speak, regard others, walk, eat and drink and every action they perform reveals their natural good manners and truthfulness.
223Aisē nahī̃ ki maĩ tō satya kō siddh kar rahā hū̃ aur sabhyatā hō hī nahī̃ .
222It should not be that you set out to prove the truth but don’t have any manners.
224Tō yah right nahī̃ hai .
223This cannot be right.