शुक्रवार 14 मार्च 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

014-03-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 14/03/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhārā chēhrā sadā khuśhnumā chāhiē ' hamē̃ bhagvān paṛhātē haĩ ' , yah khuśhī chēhrē sē jhalaknī chāhiē ' '

1Essence: Sweet children, your faces should be constantly happy, because God is teaching you. 2Let your faces be sparkling with this happiness.

Question

2Praśhna  : abhī tum bachchō̃ kā mukhya purūṣhārth kyā hai  ?

3Question: What main effort do you children now have to make?

Answer

3Uttar  : tum sajāō̃ sē chhūṭnē kā hī purūṣhārth kartē rahtē hō .

4Answer: You have to make effort to be liberated from experiencing punishment.

4Uskē liē mukhya hai yād kī yātrā , jissē hī vikarma vināśh hōtē haĩ .

5For this, the pilgrimage of remembrance is the main thing. 6It is by having this remembrance that your sins are absolved.

5Tum pyār sē yād karō tō bahut kamāī jamā hōtī jāyēgī .

7Remember Baba with love and you will continue to accumulate a great deal of income.

6Savērē-savērē uṭhkar yād mē̃ baiṭhnē sē purānī duniyā bhūltī jāyēgī . 7Gyān key|kī bātē̃ buddhi mē̃ ātī rahē̃gī .

8By waking up early in the morning and sitting in remembrance, you will forget this old world and only things of this knowledge will then keep coming into your intellects.

8Tum bachchō̃ kō mukh sē kōī kichaṛ-paṭṭī key|kī bātē̃ nahī̃ bōlnī haĩ .

9You children must not let any rubbish emerge from your lips.

Song

9Gīt  : tumhē̃ pākē hamnē …

10Song: Having found You, we have found everything; the earth and the sky belong to us.

Murli

10Ōm śhānti .

11Om shanti.

11Gīt jab suntē haĩ tō us samay kōī-kōī kō uskā arth|earth samajh mē̃ ātā hai aur vah khuśhī bhī chaṛhtī hai . 12Bhagvān hamkō paṛhātē haĩ , bhagvān hamkō viśhva kī bādśhāhī dētē haĩ .

12When you listen to this song, some of you understand its meaning. 13You also experience the happiness that God is teaching you and giving you the kingdom of the world.

13Parantu itnī khuśhī kōī virlē kō yahā̃ rahtī hai . 14Sthāī vah yād ṭhahartī nahī̃ hai .

14However, very few of you are able to maintain this happiness for long; your remembrance does not remain stable.

15Ham bāp K|kē banē haĩ , bāp hamkō paṛhātē haĩ . 16Bahut haĩ jinkō yah naśhā chaṛhtā nahī̃ hai .

15We belong to the Father and the Father is teaching us; there are many who don’t maintain this intoxication.

17Un satsaṅgō̃ ādi mē̃ kathāyē̃ suntē haĩ , unkō bhī khuśhī hōtī hai .

16People listen to spiritual stories in those spiritual gatherings and they experience happiness whilst listening.

18Yahā̃ tō bāp kitnī achchhī bātē̃ sunātē haĩ .

17Here, the Father tells you such beautiful things.

19Bāp paṛhātē haĩ aur phir viśhva kā mālik banātē haĩ tō student kō kitnī khuśhī hōnī chāhiē .

18The Father is teaching you and is also making you into the masters of the world. 19Therefore, you students have to experience so much happiness.

20Us jismānī paṛhāī paṛhnē vālō̃ kō jitnī khuśhī rahtī hai , yahā̃ vālō̃ kō utnī khuśhī nahī̃ rahtī . 21Buddhi mē̃ baiṭhtā hī nahī̃ .

20Those who study here don't experience as much happiness as those who study a worldly education; it just does not remain in their intellects.

22Bāp nē samjhāyā hai aisē-aisē gīt 4-5 bār sunō .

21The Father has explained: Listen to such songs four to five times.

23Bāp kō bhūlnē sē phir purānī duniyā aur purānē sambandh bhī yād ā jātē haĩ .

22When you forget the Father, you remember the old world and your old relationships.

24Aisē samay gīt sunnē sē bhī bāp kī yād ā jāyēgī .

23At such times, listen to these songs and you will remember the Father.

25Bāp kahnē sē varsā bhī yād ā jātā hai .

24When you say “Father” you remember the inheritance.

26Paṛhāī sē varsā miltā hai .

25You receive this inheritance by studying.

27Tum śhivbābā sē paṛhtē hō sārē viśhva kā mālik bannē .

26You study with Shiv Baba in order to become the masters of the world.

28Tō bākī aur kyā chāhiē .

27What else do you need?

29Aisē student kō andar mē̃ kitnī khuśhī hōnī chāhiē  ! 30Rāt-din nīnd bhī fit jāē .

28Such students should experience so much internal happiness day and night. 29Your sleep would be lost day and night.

31Khās nīnd phiṭā karkē bhī aisē bāp aur teacher kō yād kartē rahnā chāhiē . 32Jaisē mastānē .

30You have to renounce sleep and especially continue to remember that Father and Teacher with intoxication, as though you are totally lost in that One.

33Ōhō , hamkō bāp sē viśhva kī bādśhāhī miltī hai  !

31“Oho! 32We are receiving the kingdom of the world from the Father!”

34Parantu māyā yād karnē nahī̃ dētī hai .

33However, Maya doesn’t allow you to have remembrance.

35Mitr-sambandhiyō̃ ādi key|kī yād ātī rahtī hai .

34You remember your friends and relatives, etc.

36Unkā hī chintan rahtā hai .

35You continue to think about all of them.

37Purānā saṛā huā kichṛā bahutō̃ kō yād ātā hai .

36Many remember old and rotten rubbish.

38Bāp jō batlātē haĩ , tum viśhva K|kē mālik bantē hō vah naśhā nahī̃ chaṛhtā .

37They have no intoxication about what the Father tells them - that they are becoming the masters of the world.

39School mē̃ paṛhnē vālō̃ kā chēhrā khuśhnumā rahtā hai .

38The faces of those who study at a school always remain happy.

40Yahā̃ bhagvān paṛhātē haĩ , vah khuśhī kōī virlē kō rahtī hai .

39Here, God is teaching you! 40Very few of you are able to maintain this happiness.

41Nahī̃ tō khuśhī kā pārā athāh chaṛhā rahnā chāhiē .

41Otherwise, your mercury of happiness would remain high.

42Bēhad kā bāp hamkō paṛhātē haĩ , yah bhūl jātē haĩ .

42You forget that the unlimited Father is teaching you.

43Yah yād rahē tō bhī khuśhī rahē .

43If you remembered this, you would remain happy.

44Parantu past kā karmabhōg hī aisā hai tō bāp kō yād kartē hī nahī̃ .

44However, the suffering of past karma of some children is such that they don’t remember the Father.

45Mũh phir bhī kichṛē taraph chalā jātā hai .

45They turn their faces towards rubbish.

46Bābā sabkē liē tō nahī̃ kahtē haĩ , number-vār haĩ .

46Baba isn’t saying this about everyone; all are numberwise.

47Mahān saubhāgyaśhālī vah jō bāp kī yād mē̃ rahē . 48Bhagvān , bābā hamkō paṛhātē haĩ  !

47The most fortunate ones are those who remember the Father and also remember that God, Baba, is teaching them.

49Jaisē us paṛhāī mē̃ rahtā hai phalānā teacher hamkō barrister banātē haĩ , vaisē yahā̃ hamkō bhagvān paṛhātē haĩ - bhagvān bhagvatī banānē kē liē tō kitnā naśhā rahnā chāhiē .

48Just as students in those studies remember that such-and-such a teacher is making them into barristers, so, here, God is teaching us in order to make us into gods and goddesses. 49Therefore, there should be so much intoxication!

50Sunnē samay kōī-kōī kō naśhā chaṛhtā hai . 51Bākī tō kuchh bhī nahī̃ samajhtē haĩ .

50Whilst listening to this, the intoxication of some of you rises, but the rest of you do not understand anything.

52Bas gurū kiyā , samajhē̃gē yah hamkō sāth lē jāyēṅgē . 53Bhagvān sē milāyēṅgē .

51People adopt a guru believing that he will take them back with him or that he will enable them to meet God.

54Yah tō khud bhagvān haĩ .

52Here, this One, Himself, is God.

55Apnē sē milātē haĩ , sāth lē jāyēṅgē .

53He enables you to meet Him in order to take you back with Him.

56Manuṣhya gurū kartē hī isliē haĩ ki bhagvān kē pās lē jāē vā śhāntidhām lē jāyē .

54People adopt a guru for him to take them back with him to the abode of peace.

57Yah bāp sammukh kitnā samjhātē haĩ .

55Here, the Father explains so much to you personally.

58Tum student hō .

56You are students.

59Paṛhānē vālē teacher kō tō yād karō .

57At least remember the Teacher who is teaching you!

60Bilkul hī yād nahī̃ kartē , bāt mat pūchhō .

58However, there is absolutely no remembrance at all; don't even ask!

61Achchhē-achchhē bachchē bhī yād nahī̃ kartē .

59Even good children don't have remembrance.

62Śhivbābā hamkō paṛhātē haĩ , vah gyān kā sāgar hai , hamkō varsā dētē haĩ , yah yād rahē tō bhī khuśhī kā pārā chaṛhā rahē .

60“Shiv Baba is teaching us. 61He is the Ocean of Knowledge. 62He is gives us the inheritance.” 63If you remembered this, your mercury of happiness would rise.

63Bāp sammukh batātē haĩ phir bhī vah naśhā nahī̃ chaṛhtā .

64The Father is telling you all of this personally, but your intoxication of this still does not rise.

64Buddhi aur-aur taraph chalī jātī hai .

65Your intellects wander in other directions.

65Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

66The Father says: Remember Me and your sins will be absolved.

66Maĩ guarantee kartā hū̃ - ēk bāp K|kē sivāē aur kōī kō yād na karō .

67I guarantee this to you. 68Do not remember anyone except the one Father.

67Vināśh hōnē vālī chīz kō yād kyā karnā hai .

69What is the point of remembering things that are going to be destroyed?

68Yahā̃ tō kōī martā hai tō 2-4 varṣh tak bhī unkō yād kartē rahtē .

70When someone dies here, people remember him for two to four years afterwards.

69Unkā gāyan kartē rahtē .

71They keep praising him.

70Ab bāp sammukh kahtē haĩ bachchō̃ kō ki mujhē yād karō .

72The Father now personally says to you children: Remember Me!

71Jō jitnā pyār sē yād kartē haĩ utnā pāp kaṭtē jātē haĩ .

73The more you remember Baba with love, the more your sins will be cut away.

72Bahut kamāī hōtī hai .

74You will also earn a great deal of income.

73Savērē uṭhkar bāp kō yād karō .

75Wake up early in the morning and remember the Father.

74Bhakti bhī manuṣhya savērē uṭhkar kartē haĩ .

76Devotees also do their devotion early in the morning.

75Tum tō hō gyān vālē .

77However, you are on the path of this knowledge.

76Tumhē̃ purānī duniyā key|kī kichaṛpaṭṭī mē̃ nahī̃ phansnā hai .

78You must not become trapped in the rubbish of the old world.

77Parantu kaī bachchē aisē phans paṛtē haĩ jō bāt mat pūchhō .

79Many children become trapped in such a way, don't even ask!

78Kichaṛpaṭṭī sē nikaltē hī nahī̃ . 79Sārā din kichṛā hī bōltē rahtē .

80They don't move away from rubbish; they keep talking about things of rubbish throughout the day.

80Gyān key|kī bātē̃ buddhi mē̃ ātī hī nahī̃ .

81The things of this knowledge just don't enter their intellects.

81Kaī tō aisē bachchē bhī haĩ jō sārā din service par bhāgtē rahtē haĩ .

82However, there are some children who run around doing service throughout the day.

82Bāp key|kī jō service kartē haĩ , yād bhī vah āyēṅgē .

83The Father, of course, remembers those who do service.

83Is samay sabsē jāstī service par tatpar manōhar dēkhnē mē̃ ātī hai .

84At present, it is Manohar who does the most service.

84Āj karnāl gaī , āj kahā̃ gaī , service par bhāgtī rahtī hai .

85Today, she goes to Karnal; tomorrow, somewhere else. 86She continues to run around doing service.

85Jō āpas mē̃ laṛtē rahtē vō service kyā kartē hōṅgē  !

87What service would those who quarrel amongst themselves do?

86Bāp kō pyārē kaun lagē̃gē  ?

88Who is loved by the Father the most?

87Jō achchhī service kartē haĩ , din-rāt service key|kī hī chintā rahtī hai , bāp key|kī dil par bhī vahī chaṛhtē haĩ .

89Those who do service very well. 90Those who are concerned about doing service day and night are the ones who win the Father's heart.

88Ghaṛī-ghaṛī aisē gīt tum suntē rahō tō bhī yād rahē , kuchh naśhā chaṛhē .

91By continuing to listen to these songs again and again, you will be able to stay in remembrance and your intoxication will rise a little.

89Bābā nē kahā hai , kōī samay kiskō udāsī ā jātī hai tō record bajānē sē khuśhī ā jāyēgī .

92Baba has said: If any of you feel a little sad at any time, play these records and you will have happiness.

90Ōhō  !

93“Oho!

91Ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ .

94We are becoming the masters of the world!”

92Bāp tō sirph kahtē haĩ mujhē yād karō .

95The Father simply says: Remember Me!

93Kitnī sahaj paṛhāī hai .

96This study is very easy.

94Bābā nē achchhē-achchhē 10-12 record chhāṇṭkar nikālē thē ki harēk kē pās rahnē chāhiē . 95Parantu phir bhī bhūl jātē haĩ .

97Baba has selected ten to twelve good records that everyone should have, but you children still forget Him.

96Kaī tō chaltē-chaltē paṛhāī hī chhōṛ dētē haĩ .

98Some even stop studying.

97Māyā war|vār kar lētī hai .

99Maya attacks them whilst they are moving along.

98Bāp tamōpradhān buddhi kō satōpradhān banānē key|kī kitnī sahaj yukti batātē haĩ .

100The Father shows you a very easy way to make your intellects satopradhan from tamopradhan.

99Abhī tumkō wrong right sōchnē key|kī buddhi milī hai .

101Each of you has now received an intellect to discriminate between right and wrong.

100Bulātē bhī bāp kō haĩ - hē patit-pāvan āō .

102You people called out to the Father, “O Purifier, come!”

101Ab bāp āyē haĩ tō pāvan bannā chāhiē nā .

103Now that the Father has come, you have to become pure.

102Tumhārē sir par janma-janmāntar kā bōjhā hai , uskē liē jitnā yād karē̃gē , pavitra banē̃gē , khuśhī bhī rahēgī .

104There are burdens of innumerable births on your heads. 105Therefore, the more remembrance you have, the purer you will become and you will also have happiness.

103Bhal service tō kartē rahtē haĩ parantu apnā bhī hisāb rakhnā hai . 104Ham bāp kō kitnā samay yād kartē haĩ .

106Although you continue to do service, each of you also has to keep an account of yourself as to how much you remember the Father.

105Yād kā chart kōī rakh nahī̃ saktē .

107No one is able to keep an accurate chart of remembrance.

106Point tō bhal likhtē haĩ parantu yād kō bhūl jātē haĩ .

108You write down the points but you forget to have remembrance.

107Bāp kahtē haĩ tum yād mē̃ rah bhāṣhaṇ karē̃gē tō bal bahut milēgā .

109The Father says: Stay in remembrance whilst you give lectures and you will receive a lot of power.

108Nahī̃ tō bāp kahtē haĩ maĩ hī jākar bahutō̃ kō madad kartā hū̃ .

110Otherwise, the Father says: I also go and help many children.

109Kōī mē̃ pravēśh kar maĩ hī jākar service kartā hū̃ .

111I enter some and do service.

110Service tō karnī hai nā .

112Service has to be done.

111Dēkhtā hū̃ kiskā bhāgya khulnē kā hai , samjhānē vālē mē̃ itnā akla nahī̃ hai tō maĩ pravēśh kar service kar lētā hū̃ phir kōī-kōī likhtē haĩ - bābā nē hī yah service key|kī .

113When I see that someone's fortune is to open up, but that the one who is explaining doesn't have that much wisdom, I enter that one and do service. 114Then, some write and say: “Baba is the One who did this service.

112Hamārē mē̃ tō itnī tākat nahī̃ , bābā nē murlī chalāī .

115I didn’t have enough power; it was as though Baba spoke a murli.”

113Kōī kō phir apnā ahaṅkār ā jātā hai , hamnē aisā achchhā samjhāyā .

116However, others develop arrogance, believing that they explained very well.

114Bāp kahtē haĩ maĩ kalyāṇ karnē kē liē pravēśh kartā hū̃ phir vah brāhmaṇī sē bhī tīkhē hō jātē haĩ .

117The Father says: I enter some to bring benefit to souls and they then become even cleverer than the teacher.

115Kōī buddhū kō bhēj dū̃ tō vah samajhtē haĩ issē tō ham achchhā samjhā saktē haĩ .

118If I were to send a teacher who is a buddhu (someone not so clever), the student would think: “I am able to explain better than this one.”

116Guṇ bhī nahī̃ haĩ . 117Issē tō hamārī avasthā achchhī hai .

119Or: “This one has no virtue; my stage is better than this one's.”

118Kōī-kōī head bankar rahtē haĩ tō baṛā naśhā chaṛh jātā hai . 119Bahut bhabhkē sē rahtē haĩ .

120Some live as heads and have a lot of arrogance; they live in great splendour.

120Baṛē ādmī sē bhī tū-tū kar bāt kartē haĩ .

121Some even speak to important people with familiarity.

121Bas unkō dēvī-dēvī kahtē haĩ tō usmē̃ hī khuśh hō jātē .

122Because those people call her a goddess, she becomes happy with that.

122Aisē bhī bahut haĩ . 123Teacher sē bhī student hōśhiyār hō jātē haĩ .

123There are many places like that where the students become cleverer than the teacher.

124Imtahān pās|pass kiyā huā tō ēk bābā hī hai , vah hai gyān sāgar .

124It is only one Baba who has passed the examinations. 125He is the Ocean of Knowledge.

125Un dvārā tum paṛhkar phir paṛhātē hō .

126You study with Him and then teach others.

126Kōī tō achchhī rīti dhārṇā kar lētē haĩ .

127Some imbibe these things very well.

127Kōī bhūl jātē haĩ .

128Others forget them.

128Baṛē tē baṛī mukhya bāt hai yād kī yātrā .

129The most important and main aspect is the pilgrimage of remembrance.

129Hamārē vikarma vināśh kaisē hō̃  ?

130Otherwise, how could your sins be absolved?

130Kaī bachchē tō aisī chalan chaltē haĩ jō bas yah bābā jānē aur vah bābā jānē .

131The behaviour of some children is such that only this Baba and that Baba know.

131Abhī tum bachchō̃ kō sajāō̃ sē chhūṭnē kā hī mukhya purūṣhārth karnā hai .

132You children now have to make the main effort of becoming free from experiencing punishment.

132Uskē liē mukhya hai yād kī yātrā , jissē hī vikarma vināśh hōtē haĩ .

133For you to achieve this, your pilgrimage of remembrance is the main thing. 134It is by having this remembrance that your sins can be absolved.

133Bhal kōī paisē mē̃ madad kartē haĩ , samajhtē haĩ ham sāhūkār banē̃gē parantu purūṣhārth tō sajāō̃ sē bachnē kā karnā hai .

135Some co-operate with money. 136They think that they will become wealthy. 137However, in order to be freed from experiencing punishment you do have to make this effort.

134Nahī̃ tō bāp kē āgē sajā khānī paṛēgī .

138Otherwise, you will experience punishment in front of the Father.

135Judge kā bachchā kōī aisā kām karē tō judge kō bhī lajjā āyēgī nā .

139If the child of a judge performs a wrong act, the judge would be ashamed.

136Bāp bhī kahē̃gē ham jinkī pālnā kartā hū̃ unkō phir sajā khilāūṅgā  !

140The father would say: “How can I punish someone I have been sustaining?”

137Us samay kāndh nīchē kar hāy-hāy kartē rahē̃gē - bāp nē itnā samjhāyā , paṛhāyā , hamnē dhyān nahī̃ diyā .

141At that time, you would look down and cry out in distress, “The Father explained and taught me so much, but I didn't pay attention.”

138Bāp kē sāth dharmarāj bhī tō hai nā .

142Dharamraj is also with the Father.

139Vah tō janmapatrī kō jāntē haĩ .

143He knows your horoscope.

140Abhī tō tum practical mē̃ dēkhtē hō .

144You can now see this happening in a practical way.

14110 varṣh pavitratā mē̃ chalā , achānak hī māyā nē aisā ghū̃sā lagāyā , key|kī kamāī chaṭ kar dī , patit ban paṛā .

145Some souls follow the path of purity for ten years, then Maya suddenly punches them in such a way that they lose all the income they had earned and they become impure.

142Aisē bahut misāl hōtē rahtē haĩ .

146There are many such examples.

143Bahut girtē haĩ .

147Many fall.

144Māyā K|kē tūphānō̃ mē̃ sārā din hairān rahtē haĩ , phir bāp kō hī bhūl jātē haĩ .

148Many are distressed throughout the whole day by storms of Maya and they even forget the Father.

145Bāp sē hamkō bēhad key|kī bādśhāhī miltī hai , vah khuśhī nahī̃ rahtī .

149They don’t have the happiness of receiving the unlimited kingdom from the Father.

146Kām kē pīchhē phir mōh bhī hai .

150As well as lust, there is also attachment.

147Ismē̃ naṣhṭōmōhā bannā paṛē .

151You have to conquer attachment here.

148Patitō̃ sē kyā dil lagānī hai .

152What is the point of allowing your heart to become attached to someone impure?

149Hā̃ , yahī khyāl rakhnā hai - inkō bhī ham bāp kā parichay dē uṭhāvē̃ .

153Yes, there should be the thought of giving that one the Father's introduction and uplifting him.

150Inkō kis rīti śhivālay kā lāyak banāyē̃ .

154How can I make this one worthy to live in the Temple of Shiva?

151Andar mē̃ yah yukti rachō .

155Internally, you can create methods for doing that.

152Mōh key|kī bāt nahī̃ .

156There is no question of attachment in that.

153Kitnā bhī pyārā sambandhī hō , unkō bhī samjhātē rahō .

157No matter how loving your relatives may be, continue to explain to them.

154Kisī mē̃ bhī haḍḍī pyār key|kī rag na jāyē .

158Do not be pulled by anyone out of deep love.

155Nahī̃ tō sudharē̃gē nahī̃ .

159Otherwise, they will not be reformed.

156Merciful bannā chāhiē .

160You have to become merciful.

157Apnē par bhī rahm karnā hai aur aurō̃ par bhī rahm karnā hai .

161You have to have mercy for yourselves and then for others.

158Bāp kō bhī taras paṛtā hai .

162The Father too feels mercy.

159Dēkhnā hai ham kitnō̃ kō āpsamān banātē haĩ .

163You have to see how many you can make similar to yourselves.

160Bābā kō sabūt dēnā paṛē . 161Hamnē kitnō̃ kō parichay diyā .

164You have to give Baba some evidence to how many you have given the Father's introduction to.

162Vah bhī phir likhtē - bābā hamkō in dvārā parichay bahut achchhā milā .

165Those souls should also write and say: “Baba, I have been given a very good introduction by this one.”

163Bābā kē pās sabūt āyē tab bābā samajhē hā̃ yah service kartē haĩ .

166Only when Baba receives such proof can He understand that you are doing service.

164Bābā kō likhē̃ bābā yah brāhmaṇī tō baṛī hōśhiyār hai .

167They should write to Baba and say that the teacher is very clever.

165Bahut achchhī service kartī hai , hamkō achchhā paṛhātī hai .

168She does service very well and she teaches very well.

166Yōg mē̃ phir bachchē fail hōtē haĩ .

169However, some children fail in the subject of yoga.

167Yād karnē kā akla nahī̃ hai .

170They do not have the sense to remember Baba.

168Bāp samjhātē haĩ bhōjan khātē hō tō bhī śhivbābā kō yād karkē khāō .

171The Father explains: At the time of eating, eat whilst in remembrance of Shiv Baba.

169Kahā̃ ghūmnē phirnē jātē hō śhivbābā kō yād karō .

172When you go for a walk, remember Shiv Baba.

170Jharmuī jhagmuī na karō .

173Don't gossip!

171Bhal kōī bāt kā khyālāt bhī ātā hai phir bāp kō yād karō tō gōyā kāmkāj kā khyāl bhī kiyā phir bābā key|kī yād mē̃ lag gayā .

174Even if you have to think about business, remain engaged in remembrance of Baba.

172Bāp kahtē haĩ karma tō bhal karō , nīnd bhī karō , sāth-sāth yah bhī karō .

175The Father says: By all means, do what you have to do, sleep, but, as well as that, also do this.

173Kam sē kam 8 ghaṇṭē tak ānā chāhiē - yah hōgā pichhāṛī tak .

176Let there be remembrance for at least eight hours. 177However, that will happen at the end.

174Dhīrē-dhīrē apnā chart baṛhātē rahō .

178Gradually increase your chart of remembrance.

175Kōī-kōī likhtē haĩ dō ghaṇṭā yād mē̃ rahā phir chaltē-chaltē chart ḍhīlā hō jātā hai .

179Some write: “We stayed in remembrance for two hours.” 180However, as they move along, their charts become weak.

176Vah bhī māyā gum kar dētī hai .

181Maya also makes them disappear.

177Māyā baṛī jabardast hai .

182Maya is very powerful.

178Jō is service mē̃ sārā din busy rahē̃gē vahī yād bhī kar sakē̃gē .

183Those who remain busy doing this service throughout the day are the ones who are able to have remembrance.

179Ghaṛī-ghaṛī bāp kā parichay dētē rahē̃gē .

184They continue to give the Father's introduction to everyone.

180Bābā yād kē liē bahut jōr dētē rahtē haĩ .

185Baba emphasises remembrance a great deal.

181Khud bhī feel kartē haĩ ham yād mē̃ rah nahī̃ saktē haĩ .

186You yourselves feel that you’re unable to stay in remembrance.

182Yād mē̃ hī māyā vighna ḍāltī hai .

187It is in this remembrance that Maya causes obstacles.

183Paṛhāī tō bahut sahaj hai .

188The study is very easy.

184Bāp sē ham paṛhtē bhī haĩ .

189You are studying with the Father.

185Jitnā dhan lē̃gē utnā sāhūkār banē̃gē .

190The more wealth of this knowledge you take from the Father, the wealthier you will become.

186Bāp tō sabhī kō paṛhātē haĩ nā .

191The Father teaches everyone.

187Vāṇī sabkē pās|pass jātī hai sirph tum nahī̃ , sab paṛh rahē haĩ .

192The murlis go to everyone. 193It isn't just you (in Madhuban) who are studying, but everyone is studying.

188Vāṇī nahī̃ jātī tō chillātē haĩ .

194When the murlis don't arrive at a centre, they cry.

189Kaī tō phir aisē bhī haĩ jō sunē̃gē hī nahī̃ .

195However, there are also those who don't listen to the murlis.

190Aisē hī chaltē rahtē .

196They just keep moving along in whatever way they want.

191Murlī sunnē kā śhauk hōnā chāhiē .

197There has to be an interest in listening to the murlis.

192Gīt kitnā first class hai - bābā ham apnā varsā lēnē āyē haĩ .

198The song "Baba, we have come to claim our inheritance” is first class.

193Kahtē bhī haĩ nā - bābā , jaisī hū̃ , taisī hū̃ , kānī hū̃ , kaisī bhī hū̃ , āpkī hū̃ .

199They also say: “Baba, whatever I am, however I am, even if I am one eyed, I am Yours.”

194Vah tō ṭhīk hai parantu chhī-chhī sē tō achchhā bannā chāhiē nā .

200That is fine, but, having become dirty, they should become better.

195Sārā madār hai yōg aur paṛhāī par .

201Everything depends on yoga and how you study.

196Bāp kā bannē kē bād yah vichār her|har bachchē kō ānā chāhiē ki ham bāp kā banē haĩ tō svarg mē̃ chalē̃gē hī parantu hamē̃ svarg mē̃ kyā bannā hai , vah bhī sōchnā hai .

202After belonging to the Father, every child should have the thought: “Now that I belong to the Father, I will definitely go to heaven.” 203However, you also have to think about what you want to become in heaven.

197Achchhī rīti paṛhō , daivīguṇ dhāraṇ karō .

204Study very well and imbibe divine virtues.

198Bandar K|kē bandar hī hōṅgē tō kyā pad pāyēṅgē  ?

205If you remain like monkeys, what status would you claim?

199Vahā̃ bhī tō prajā naukar chākar sab chāhiē nā .

206Subjects and servants are also needed there.

200Paṛhē huē kē āgē anpaṛhē bharī ḍhōyēṅgē .

207Those who don't study now will carry the burden there of those who have studied.

201Jitnā purūṣhārth karē̃gē utnā achchhā sukh pāyēṅgē .

208The more effort you make, the greater the happiness you receive.

202Achchhā dhanvān banē̃gē tō ijjat bahut hōgī .

209If you become very wealthy you will receive a great deal of respect.

203Paṛhnē vālē key|kī ijjat achchhī hōtī hai .

210Those who study well are respected a lot.

204Bāp tō rāy dētē rahtē haĩ .

211The Father continues to give you advice.

205Bāp kī yād mē̃ śhānti mē̃ rahō .

212Remain peaceful in remembrance of the Father.

206Parantu bābā jāntē haĩ sammukh rahnē vālō̃ sē bhī dūr rahnē vālē bahut yād mē̃ rahtē haĩ aur achchhā pad pā lētē haĩ .

213However, Baba knows that some who live far away remain in remembrance more than those of you who are sitting in front of Baba. 214Therefore, they claim a higher status.

207Bhakti mārg mē̃ bhī aisā hōtā hai .

215The same thing happens on the path of devotion.

208Kōī bhakta achchhē first class hōtē haĩ jō gurū sē bhī jāstī yād mē̃ rahtē haĩ .

216Some devotees are very good and first class; they remain in remembrance more than their guru.

209Jō bahut achchhī bhakti kartē hōṅgē vahī yahā̃ ātē haĩ .

217Those who have performed devotion very well are the ones who come here.

210Sabhī bhakta haĩ nā .

218All of you are devotees.

211Sanyāsī ādi nahī̃ āyēṅgē , sabhī bhakta bhakti kartē-kartē ā jāyēṅgē .

219Sannyasis, etc. will not come. 220All devotees, having finished their devotion, will come here.

212Bāp kitnā clear kar samjhātē haĩ .

221The Father explains so clearly.

213Tum gyān uṭhā rahē hō , siddha hōtā hai tumnē bahut bhakti kī hai .

222The fact that you are taking this knowledge indicates that you have done a lot of devotion.

214Jāstī bhakti karnē vālē jāstī paṛhē̃gē . 215Cum|kam bhakti karnē vālē cum|kam paṛhē̃gē .

223Those who have done more devotion will study more than those who have done less devotion.

216Mukhya mēhnat hai yād kī .

224The main effort lies in having remembrance.

217Yād sē hī vikarma vināśh hōṅgē aur bahut mīṭhā bhī bannā hai .

225Only by having this remembrance can your sins be absolved. 226You also have to become very sweet.

218Achchhā .

227Achcha.

219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē serviceable , vaphādār , pharmānbardār bachchō̃ kō bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

228To you sweetest, long-lost and now-found, serviceable, faithful, obedient children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

229The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

221Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

230Essence for dharna:

2221 ) kitnā bhī kōī pyārā sambandhī hō usmē̃ mōh key|kī rag nahī̃ jānī chāhiē .

231 1. No matter how loving your relatives may be, you must not allow any thread of attachment to pull you.

223Naṣhṭōmōhā bannā hai .

232Become a conqueror of attachment.

224Yukti sē samjhānā hai .

233Explain to them tactfully.

225Apnē ūpar aur dūsrō̃ par rahm karnā hai .

234Have mercy for yourself and for others.

2262 ) bāp aur teacher kō bahut pyār sē yād karnā hai .

235 2. Remember the Father and the Teacher with a lot of love.

227Naśhā rahē bhagvān hamkō paṛhātē haĩ , viśhva kī bādśhāhī dētē haĩ  !

236Have the intoxication that God is teaching you and that He is giving you the sovereignty of the world.

228Ghūmtē phirtē yād mē̃ rahnā hai , jharmuī , jhagmuī nahī̃ karnā hai .

237When you go for a walk, stay in remembrance. 238Do not gossip.

Blessing

229Vardān  : avināśhī rūhānī raṅg key|kī sachchī hōlī|holy dvārā bāp samān sthiti K|kē anubhavī bhav

239Blessing: May you experience the stage of being equal to the Father with the true Holi of His imperishable, spiritual colour.

230Āp paramātma raṅg mē̃ raṅgī huī hōlī|holy ātmāyē̃ hō .

240 You are the holy souls who are coloured with God’s colour.

231Saṅgamyug hōlī|holy jīvan kā yug hai .

241The confluence age is the age of a holy life.

232Jab avināśhī rūhānī raṅg lag jātā hai tō sadākāl kē liē bāp samān ban jātē hō .

242When you are coloured with this imperishable, spiritual colour, you become equal to the Father for all time.

233Tō āpkī hōlī|holy hai saṅg K|kē raṅg dvārā bāp samān bannā .

243So, your Holi is to be coloured with His company and become equal to the Father.

234Aisā pakkā raṅg hō jō aurō̃ kō bhī samān banā dō .

244Let there be such a strong colour that you also make others equal to you.

235Her|har ātmā par avināśhī gyān kā raṅg , yād kā raṅg , anēk śhaktiyō̃ kā raṅg , guṇō̃ kā raṅg , śhrēṣhṭh vr̥itti dr̥iṣhṭi , śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā kā rūhānī raṅg chaṛhāō .

245Colour every soul with the imperishable colour of this knowledge, the colour of remembrance, the colour of all powers, the colour of virtues and the spiritual colour of an elevated attitude, vision, good wishes and pure feelings.

Slogan

236Slōgan  : dr̥iṣhṭi kō alaukik , man kō śhītal , buddhi kō merciful aur mukh kō madhur banāō .

246Slogan: Let your vision be alokik, your mind cool, your intellect merciful and your mouth sweet.

247*** Om Shanti ***

237Avyakt iśhārē - satyatā aur sabhyatā rūpī culture kō apnāō

248Avyakt Signal: Adopt the culture of truth and good manners

238Satyatā K|kē śhakti svarūp hōkar , naśhē sē bōlō , naśhē sē dēkhō .

249Become an embodiment of the power of truth and speak and see with intoxication.

239Ham almighty government K|kē anuchar haĩ , isī smr̥iti sē ayathārtha kō yathārth mē̃ lānā hai .

250We are followers of the Almighty Government. 251By having this awareness, make anything wrong right.

240Satya kō prasiddh karnā hai na ki chhipānā hai lēkin sabhyatā kē sāth .

252We have to reveal the truth, not hide it, but we have to do this with manners.

241Naśhā rahē ki ham śhiv key|kī śhaktiyā̃ haĩ .

253Have the intoxication that you are the Shaktis of Shiva.

242Himmatē śhaktiyā̃ , madadē sarvśhaktivān .

254When the Shaktis have courage, the Almighty Authority helps.