गुरुवार 10 अप्रैल 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

010-04-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 10/04/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - apnī unnati kē liē rōz pōtāmēl nikālō , sārē din mē̃ chalan kaisī rahī , check karō - yagya kē prati honest ( īmāndār ) rahē  ? 2' '

1Essence: Sweet children, keep a daily chart of your progress and see what your behaviour was like throughout the day. 2Check whether you remained honest with the yagya.

Question

3Praśhna  : kin bachchō̃ kē prati bāp kā bahut regard hai  ?

3Question: For which children does the Father have a lot of regard?

4Us regard key|kī niśhānī kyā hai  ?

4What is the sign of that regard?

Answer

5Uttar  : jō bachchē bāp kē sāth sachchē , yagya kē prati īmāndār haĩ , kuchh bhī chhipātē nahī̃ haĩ , un bachchō̃ prati bāp kā bahut regard hai .

5Answer: The Father has a lot of regard for the children who are honest with the Father, those who are true to the yagya and don't hide anything.

6Regard hōnē K|kē kāraṇ puchkār dē uṭhātē rahtē haĩ .

6Because He has regard for them, He gives them a lot of love and uplifts them.

7Service par bhī bhēj dētē haĩ .

7He also sends them out on service.

8Bachchō̃ kō sach sunākar śhrīmat lēnē key|kī akla hōnī chāhiē .

8You children should have the wisdom to tell the truth and take shrimat.

Song

9Gīt  : mahaphil mē̃ jal uṭhī śhamā …

9Song: The Flame has ignited in the gathering and the moths surrender to the Flame.

Murli

10Ōm śhānti .

10Om shanti.

11Ab yah gīt tō huā wrong kyōṅki paramātmā kōī śhamā tō hai nahī̃ .

11This song is wrong because you are not moths.

12Paramātmā kō vāstav mē̃ śhamā nahī̃ kahā jātā hai .

12In fact, souls cannot be called moths.

13Yah tō bhaktō̃ nē anēk nām rakh diyē haĩ .

13Devotees have given many different names.

14Na jānnē K|kē kāraṇ kahtē bhī haĩ - nētī-nētī , ham nahī̃ jāntē , nāstik haĩ .

14Because they don't know, they say: "Neti, neti" (Neither this nor that); they are atheists.

15Phir bhī jō nām āyā vah kah dētē .

15Nevertheless, they give whatever names come into their minds.

16Brahm , śhamā , ṭhikkar , bhittar mē̃ bhī paramātmā kah dētē kyōṅki bhakti mārg mē̃ kōī bhī bāp kō yathārth rīti pahchān nahī̃ saktē . 17Bāp kō hī ākar apnā parichay dēnā hai .

16They give names such as Brahm, moth, etc. 17They even say that the Supreme Soul is in the pebbles and stones. 18Because no one on the path of devotion recognises the Father accurately, the Father has to come Himself and give His own introduction.

18Śhāstra ādi kōī mē̃ bhī bāp kā parichay nahī̃ hai isliē unhō̃ kō nāstik kahā jātā hai .

19The Father's introduction is not in the scriptures etc. 20Therefore, they are called atheists.

19Ab bachchō̃ kō bāp nē parichay diyā hai , parantu apnē kō ātmā samajh bāp kō yād karnā , ismē̃ bahut hī buddhi kā kām hai .

21The Father has now given His introduction to you children. 22However, it is a great task for an intellect to consider oneself to be a soul and remember the Father.

20Is samay haĩ pattharbuddhi .

23At present, everyone has a stone intellect.

21Ātmā mē̃ buddhi hai .

24An intellect is in each soul.

22Organs dvārā patā paṛtā hai - ātmā key|kī buddhi pāras hai yā patthar hai  ?

25It is understood from a soul's organs (senses) whether that soul's intellect is divine or stone.

23Sārā madār ātmā par hai .

26Everything depends on the soul.

24Manuṣhya tō kah dētē haĩ ātmā hī paramātmā hai . 25Vah tō nirlēp hai isliē jō chāhō kartē rahō .

27People say that each soul is the Supreme Soul and that, because souls are immune to the effect of action, they can do whatever they want.

26Manuṣhya hōkar bāp kō hī nahī̃ jāntē haĩ .

28Although they are human beings, they don't know the Father.

27Bāp kahtē haĩ māyā rāvaṇ nē sabkī pattharbuddhi banā dī hai .

29The Father says: Maya, Ravan, has turned their intellects to stone.

28Din-prati-din tamōpradhān jāstī hōtē jātē haĩ .

30Day by day, they are continuing to become more and more tamopradhan.

29Māyā kā bahut jōr hai , sudhartē hī nahī̃ .

31There is a lot of force of Maya and so they don't even reform themselves.

30Bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai rāt kō sārē din kā pōtāmēl nikālō - kyā kiyā  ?

32You children have been told to write your chart at night of what you did during the whole day.

31Hamnē bhōjan dēvtāō̃ misal khāyā  ?

33Did I eat food like the deities do?

32Chalan kāydēsir chalī yā anāṛiyō̃ misal  ?

34Was my behaviour lawful, or was it like that of a foolish person?

33Rōjānā apnā pōtāmēl nahī̃ sambhālē̃gē tō tumhārī unnati kabhī nahī̃ hōgī .

35If you don't check your chart daily, you will never be able to make progress.

34Bahutō̃ kō māyā thappaṛ mārtī rahtī hai .

36Maya continues to slap many children.

35Likhtē haĩ ki āj hamārā buddhiyōg phalānē K|kē nām-rūp mē̃ gayā , āj yah pāp karma huē .

37Some write: Today, my intellect's yoga went to the name and form of so-and-so. 38Today, I committed this sin.

36Aisā sach likhnē vālā kōṭō̃ mē̃ kōī hī hai .

39Only a handful out of many write their charts this honestly.

37Bāp kahtē haĩ maĩ jō hū̃ , jaisā hū̃ mujhē bilkul nahī̃ jāntē .

40The Father says: No one knows Me as I am or what I am at all.

38Apnē kō ātmā samajh aur bāp kō yād karē̃ tab kuchh buddhi mē̃ baiṭhē .

41Only when you consider yourselves to be souls and remember the Father will something sit in your intellects.

39Bāp kahtē haĩ bhal achchhē-achchhē bachchē haĩ , bahut achchhā gyān sunātē haĩ , yōg kuchh nahī̃ .

42The Father says: Although there are many good children who explain this knowledge very well, they don't have yoga.

40Pahchān pūrī hai nahī̃ , samajh nahī̃ saktē isliē kiskō samjhā nahī̃ saktē .

43Because they don’t have full recognition and are unable to understand, they are unable to explain it to others.

41Sārī duniyā K|kē manuṣhya mātra rachtā aur rachnā kō bilkul jāntē nahī̃ tō gōyā kuchh bhī nahī̃ jāntē .

44People of the whole world don't know the Creator or creation at all. 45Therefore, they don't know anything.

42Yah bhī drama mē̃ nūndh hai . 43Phir bhī hōgā .

46This too is fixed in the drama and it will happen again.

445 hazār varṣh bād phir yah samay āyēgā aur mujhē ākar samjhānā hōgā .

47In 5000 years’ time, this age will come again and I will have to come again to explain to you.

45Rājāī lēnā cum|kam bāt nahī̃ hai  !

48It is not a small thing to claim a kingdom.

46Bahut mēhnat hai .

49It does take a lot of effort.

47Māyā achchhā hī war|vār kartī hai , baṛī yuddha chaltī hai .

50Maya attacks you very much; a great battle takes place.

48Boxing hōtī hai nā .

51There is boxing.

49Bahut hōśhiyār jō hōtē haĩ , unkī hī boxing hōtī hai .

52Only those who are very clever can engage themselves in boxing.

50Phir bhī ēk-dō kō bēhōśh kar dētē haĩ nā .

53They make one another unconscious.

51Kahtē haĩ bābā māyā K|kē bahut tūphān ātē haĩ , yah hōtā hai .

54Some say: Baba, there are many storms of Maya and such-and-such happens.

52Sō bhī bahut thōṛē sach likhtē haĩ . 53Bahut haĩ jō chhipā lētē haĩ .

55There are very few who write the truth; there are many who hide things.

54Samajh nahī̃ ki mujhē bābā kō kaisē sach sunānā hai  ? 55Kyā śhrīmat lēnī hai  ?

56They don't understand how to tell Baba the truth or what shrimat they should take.

56Varṇan nahī̃ kar saktē .

57They are unable to speak about it.

57Bāp jāntē haĩ māyā baṛī prabal hai .

58The Father knows that Maya is very powerful.

58Sach batlānē mē̃ baṛī lajjā ātī hai , unsē karma aisē hō jātē haĩ jō batānē mē̃ lajjā ātī hai .

59They are too ashamed to speak the truth. 60They perform such acts that they are too ashamed to speak about them.

59Bāp tō bahut regard dē uṭhātē haĩ .

61The Father gives a lot of regard and uplifts you.

60Yah bahut achchhā hai , inkō all-round service par bhēj dū̃gā .

62This one is very good; I will send this one somewhere to do all-round service.

61Bas dēh-ahaṅkār āyā , māyā kā thappaṛ khāyā , yah girā .

63That’s it. 64They become arrogant and experience a slap from Maya and then fall.

62Bābā tō uṭhānē liē mahimā bhī kartē haĩ .

65Baba praises you in order to uplift you.

63Puchkār dē uṭhāūṅgā . 64Tum tō bahut achchhē hō .

66He gives you a lot of love and uplifts you: You are very good.

65Sthūl sēvā mē̃ bhī achchhē hō .

67You are also good at doing physical service.

66Parantu yathārth rīti baiṭh batātē haĩ ki mañjil bahut bhārī hai .

68However, He tells you correctly that the destination is very high.

67Dēh aur dēh K|kē sambandh kō chhōṛ apnē kō aśharīrī ātmā samajhnā - yah purūṣhārth karnā buddhi kā kām hai .

69The effort of renouncing one’s body and the relationships of one’s body and of considering oneself to be a bodiless soul is the work of the intellect.

68Sab purūṣhārthī haĩ .

70All of you are effort-makers.

69Kitnī baṛī rājāī sthāpan hō rahī hai .

71Such a huge kingdom is being established.

70Bāp K|kē sab bachchē bhī haĩ , student bhī haĩ tō followers bhī haĩ .

72All of you are the Father's children, students and followers.

71Yah sārī duniyā kā bāp hai .

73That One is the Father of the whole world.

72Sabhī us ēk kō bulātē haĩ .

74Everyone calls out to that One.

73Vah ākar bachchō̃ kō samjhātē rahtē haĩ .

75He comes and continues to explain to you children.

74Phir bhī itnā regard thōṛēhī rahtā hai .

76In spite of that, there isn't that much regard for Him.

75Baṛē-baṛē ādmī ātē haĩ , kitnā regard sē unkī sambhāl kartē haĩ .

77When important people come, they are looked after with so much regard.

76Kitnā bhabhkā rahtā hai .

78There is so much pomp.

77Is samay tō haĩ sab patit . 78Parantu apnē kō samajhtē thōṛēhī haĩ .

79At present, everyone is impure but no one considers himself to be impure.

79Māyā nē bilkul hī tuchchh buddhi banā diyā hai .

80Maya has totally degraded their intellects.

80Kah dētē satyug key|kī āyu itnī lambī hai tō bāp kahtē haĩ 100 pratiśhat bēsamajh huē nā .

81They say that the duration of the golden age is so many years. 82Therefore, the Father says: They are 100% senseless.

81Manuṣhya hōkar aur kyā kām kartē rahtē haĩ .

83Even though they are humans, just look at what they do.

825 hazār varṣh key|kī bāt kō lākhō̃ varṣh kah dētē haĩ  !

84They say that something is hundreds of thousands of years when it is only 5000 years.

83Yah bhī bāp ākar samjhātē haĩ . 845 hazār varṣh pahlē in lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .

85The Father comes and explains this: The kingdom of Lakshmi and Narayan existed 5000 years ago.

85Yah daivīguṇ vālē manuṣhya thē isliē unkō dēvtā , āsurī guṇ vālē kō asur kahā jātā hai .

86They were human beings with divine virtues. 87That is why they are called deities. 88Those with devilish traits are called devils.

86Asur aur dēvtā mē̃ rāt-din kā fark hai .

89There is the difference of day and night between deities and devils.

87Kitnā mārāmārī jhagaṛā|jhagṛā lagā paṛā hai .

90There is now so much fighting and violence.

88Khūb taiyāriyā̃ hōtī rahtī haĩ .

91All the preparations for war continue to be made.

89Is yagya mē̃ sārī duniyā svāhā hōnī hai .

92The whole world has to be sacrificed into this sacrificial fire.

90Inkē liē yah sab taiyāriyā̃ chāhiē nā .

93Therefore, everything is being prepared for this.

91Bombs nikalē sō nikalē phir band thōṛēhī hō saktē .

94Such bombs have been invented; they can’t stop manufacturing them now.

92Thōṛē samay K|kē andar sabkē pās|pass ḍhēr hō jāyēṅgē kyōṅki vināśh tō phaṭāphaṭ hōnā chāhiē nā .

95Within a short time, everyone will have many of them because destruction has to take place very quickly.

93Phir hospital ādi thōṛēhī rahēgī .

96No hospitals etc. will remain at that time.

94Kiskō patā bhī nahī̃ paṛēgā .

97No one will know anything.

95Māsī kā ghar thōṛēhī hai .

98It will not be like going to your auntie’s home.

96Vināś-sākṣātkār kōī pāī-paisē key|kī bāt nahī̃ hai .

99To have visions of destruction isn't a matter of a few pennies.

97Sārī duniyā key|kī āg dēkh sakē̃gē  !

100You’ll be able to see the whole world on fire.

98Sākṣhātkār hōtā hai - sirph āg hī āg lagī huī hai .

101You will have visions of how there is just fire everywhere.

99Sārī duniyā khatm hōnī hai .

102The whole world has to be destroyed.

100Kitnī baṛī duniyā hai .

103This is such a huge world.

101Ākāśh tō nahī̃ jalēgā . 102Inkē andar jō kuchh hai , sab vināśh hōnā hai .

104The sky won’t be set on fire; everything under the sky will be destroyed.

103Satyug aur kaliyug mē̃ rāt-din kā phark hai .

105There is the difference of day and night between that golden age and this iron age.

104Kitnē ḍhēr manuṣhya haĩ , jānvar haĩ , kitnī sāmagrī hai .

106Here, there are so many human beings and animals and things.

105Yah bhī bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ muśhkil baiṭhtā hai .

107This too sits in the children's intellects with great difficulty.

106Vichār karō - 5 hazār varṣh key|kī bāt hai . 107Dēvī-dēvatāō̃ kā rājya thā nā  !

108Just think about it. 109It is a matter of 5000 years ago when there used to be the kingdom of deities.

108Kitnē thōṛē manuṣhya thē .

110There were very few people.

109Ab kitnē manuṣhya haĩ .

111Now, there are so many people.

110Abhī hai kaliyug , inkā jarūr vināśh hōnā hai .

112It is now the iron age. 113It will definitely be destroyed.

111Ab bāp ātmāō̃ kō kahtē haĩ māmēkam yād karō .

114The Father says to you souls: Now, constantly remember Me alone.

112Yah bhī samajh sē yād karnā hai .

115He has to be remembered with understanding.

113Aisē hī śhiv-śhiv tō bahut kahtē rahtē haĩ .

116There are many who simply continue to say, "Shiva, Shiva."

114Chhōṭē bachchē bhī kah dētē parantu buddhi mē̃ samajh kuchh nahī̃ .

117Even little children say that, although their intellects have no understanding of Him.

115Anubhav sē nahī̃ kahtē ki vah bindī hai .

118They don't say it with the realisation that He is a point of light.

116Ham bhī itnī chhōṭī bindī haĩ .

119We too are such tiny points.

117Aisē samajh sē yād karnā hai .

120You have to remember Him with this understanding.

118Pahlē tō maĩ ātmā hū̃ - yah pakkā karō phir bāp kā parichay buddhi mē̃ achchhī rīti dhāraṇ karō .

121First of all, each of you must make this firm: I am a soul. 122Then, instil the Father's introduction in your intellects very well.

119Antarmukhī bachchē hī achchhī rīti samajh saktē haĩ ki ham ātmā bindī haĩ .

123Only introverted children can understand this very well: I, a soul, am a point.

120Hamārī ātmā kō abhī knowledge mil rahī hai ki hamārē mē̃ 84 janmō̃ kā part kaisē bharā huā hai , phir kaisē ātmā satōpradhān bantī hai .

124I, a soul, am now receiving this knowledge of how a part is recorded in me, this soul, for 84 births and how this soul is again becoming satopradhan.

121Yah sab baṛī antarmukh hō samajhnē key|kī bātē̃ haĩ .

125Only when you become introverted can you understand these matters.

122Ismē̃ hī time lagtā hai .

126It takes time to do this.

123Bachchē jāntē haĩ hamārā yah antim janm hai .

127You children know that this is your last birth.

124Abhī ham jātē haĩ ghar .

128We are now about to return home.

125Yah buddhi mē̃ pakkā hōnā chāhiē ki ham ātmā haĩ .

129It should be firm in your intellects that each of you is a soul.

126Śharīr kā bhān kam hō tab bātchīt karnē mē̃ sudhār hō .

130Only when your awareness of bodies is reduced can your behaviour and words be reformed.

127Nahī̃ tō chalan bilkul hī badtar hō jātī hai kyōṅki śharīr sē alag hōtē nahī̃ .

131Otherwise, because you don't become detached from your bodies, your behaviour becomes even worse.

128Dēh-abhimān mē̃ ākar kuchh na kuchh kah dētē haĩ .

132By becoming body conscious, you say something or other.

129Yagya sē tō baṛē honest chāhiē .

133There has to be great honesty in the yagya.

130Abhī tō bahut albēlē haĩ .

134At the moment, you are very careless.

131Khān , pān , vātāvaraṇ kuchh sudhārā nahī̃ hai .

135You haven't changed your food, drink or atmosphere etc.

132Abhī tō bahut time chāhiē .

136A lot of time is still needed.

133Serviceable bachchō̃ kō hī bābā yād kartē haĩ , pad bhī vahī pā sakē̃gē .

137Baba remembers the serviceable children. 138They are the ones who will be able to claim a status.

134Aisē hī apnē kō sirph khuśh karnā , vah tō chanā chabānā hai .

139Simply to please yourself about what you do is like chewing roasted chickpeas.

135Ismē̃ baṛī antarmukhtā chāhiē .

140You need to be introverted in this.

136Samjhānē key|kī bhī yukti chāhiē .

141You need tact when you explain to others.

137Pradarśhanī mē̃ kōī samajhtē thōṛēhī haĩ .

142No one understands at the exhibitions.

138Sirph kah dētē ki āpkī bātē̃ ṭhīk haĩ .

143They simply say that what you say is right.

139Yahā̃ bhī number-vār haĩ .

144Here, too, it is numberwise.

140Niśhchay hai ham bachchē banē haĩ , bāp sē svarg kā varsā miltā hai .

145You have the faith that you have become the Father's children and that you receive the inheritance of heaven from the Father.

141Agar ham bāp key|kī pūrī service kartē rahē̃gē tō hamārā tō yahī dhandhā hai .

146Your only business is to continue to do the Father's service fully.

142Sārā din vichār sāgar manthan hōtā rahēgā .

147In that case, you would be churning the ocean of this knowledge throughout the day.

143Yah bābā bhī vichār sāgar manthan kartā hōgā nā .

148This Baba must also be churning the ocean of this knowledge.

144Nahī̃ tō yah pad kaisē pāyēgā  !

149How else could he claim a status?

145Bachchō̃ kō dōnō̃ ikaṭṭhā samjhātē rahtē haĩ .

150Both together continue to explain to you children.

146Dō engine milī haĩ kyōṅki chaṛhāī baṛī hai nā .

151Because it is a steep climb, you have been given two engines.

147Pahāṛī par jātē haĩ tō gāṛī kō dō engine lagātē haĩ .

152When a train is climbing a mountain, it has two engines.

148Kabhī-kabhī chaltē-chaltē gāṛī khaṛī hō jātī hai tō khisak kar nīchē chalē ātē haĩ .

153Sometimes, the train stops moving forward and even slips back.

149Hamārē bachchō̃ kā bhī aisē haĩ .

154It is the same with My children.

150Chaṛhtē-chaṛhtē , mēhnat kartē-kartē phir chaṛhāī chaṛh nahī̃ saktē .

155Whilst climbing and making effort, they stop; they are unable to climb any more.

151Māyā kā grahaṇ vā tūphān lagtā hai tō ēkdam nīchē girkar purjā-purjā hō jātē haĩ .

156They experience an eclipse or storm of Maya. 157Then, they totally fall and break into pieces.

152Thōṛī hī service key|kī tō ahaṅkār ā jātā hai , gir paṛtē haĩ .

158When some do just a little service, they become arrogant and fall.

153Samajhtē nahī̃ ki bāp hai , sāth mē̃ dharmarāj bhī hai .

159They don't understand that Dharamraj is with the Father.

154Agar kuchh aisā kartē haĩ tō hamārē ūpar bahut bhārī daṇḍ paṛtā hai issē tō bāhar mē̃ rahē̃ vah achchhā hai .

160If they perform any such acts, great punishment has to be experienced. 161It would be better for them to go and live outside.

155Bāp kā bankar aur varsā lēnā , māsī kā ghar nahī̃ haĩ .

162To belong to the Father and claim your inheritance is not like going to your auntie’s home.

156Bāp kā bankar aur phir aisā kuchh kartē haĩ tō nām badnām kar dētē haĩ .

163If, after belonging to the Father, you perform such acts, you defame His name.

157Bahut chōṭ lag jātī hai .

164You would then be hurt very badly.

158Vāris bannā kōī māsī kā ghar thōṛēhī hai .

165To become an heir is not like going to your auntie’s home!

159Prajā mē̃ kōī itnē sāhūkār bantē haĩ , bāt mat pūchhō .

166Some of the subjects become so wealthy, don't even ask.

160Agyānkāl mē̃ kōī achchhē hōtē haĩ , kōī kaisē  !

167On the path of ignorance too, some are good, and some are not so good.

161Nālāyak bachchē kō tō kah dēgē hamārē sāmnē sē haṭ jāō .

168Parents tell their unworthy children not even to stand in front of them.

162Yahā̃ ēk-dō bachchē key|kī tō bāt nahī̃ .

169Here, it is not just a question of one or two children.

163Yahā̃ māyā baṛī jabardast hai .

170Here, Maya is very powerful.

164Ismē̃ bachchō̃ kō bahut antarmukh hōnā hai , tab tum kiskō samjhā sakē̃gē .

171Therefore, you children have to become very introverted. 172Only then will you be able to explain to anyone.

165Tumhārē par balihār jāyēṅgē aur phir bahut pachhatāyēṅgē - ham bāp kē liē itnī gālī dētē āyē .

173They will then be ready to sacrifice themselves to you. 174They will repent a great deal because they have been insulting the Father so much.

166Sarvavyāpī kahnā yā apnē kō īśhvar kahnā , unhō̃ kē liē sazā cum|kam thōṛēhī hai .

175The punishment for someone who calls God omnipresent or who says that he himself is God is not small.

167Aisēhī thōṛēhī chalē jāyēṅgē .

176They cannot return just like that.

168Unhō̃ kē liē tō aur hī musībat hai .

177For them it is even more of a problem.

169Jab samay āyēgā tō bāp in sabsē hisāb lē̃gē .

178When the time comes, the Father will ask for their accounts.

170Kayāmat K|kē samay sabkā hisāb-kitāb chuktū hōtā hai nā , ismē̃ baṛī viśhālbuddhi chāhiē .

179At the time of judgement, everyone's accounts have to be settled. 180A very broad, unlimited intellect is needed to understand this.

171Manuṣhya tō dēkhō kis-kis kō peace|pīs prize dētē rahtē haĩ .

181Just look at people; they give peace prizes to all sorts.

172Ab vāstav mē̃ peace|pīs karnē vālā tō ēk hai nā .

182In fact, there is only the One who can bring about peace.

173Bachchō̃ kō likhnā chāhiē - duniyā mē̃ purity-peace-prosperity bhagvān key|kī śhrīmat par sthāpan hō rahī hai .

183You children have to write: Purity, peace and prosperity are being established in the world according to God's shrimat.

174Śhrīmat tō maśhhūr hai .

184Shrimat is very well known.

175Śhrīmat bhagavat gītā śhāstra kō kitnā regard dētē haĩ .

185People give so much regard to the Shrimad Bhagawad Gita scripture.

176Kōī nē kiskē śhāstra vā mandir kō kuchh kiyā tō kitnā laṛ paṛtē haĩ .

186When someone does something to another one’s scripture or temple, fighting breaks out.

177Abhī tum jāntē hō yah sārī duniyā hī jalkar bhasma hō jāyēgī .

187You now know that this whole world will burn and be destroyed.

178Yah mandir-masjid ādi kō jalātē rahē̃gē .

188Those temples, mosques etc. will continue to be burnt.

179Yē sab hōnē K|kē pahlē pavitra hōnā hai .

189However, before all of that happens, you have to become pure.

180Yah ōnā lagā rahē .

190You should have this concern.

181Gharbār bhī sambhālnā hai .

191You also have to look after your households.

182Yahā̃ ātē tō ḍhēr K|kē ḍhēr haĩ . 183Yahā̃ bakriyō̃ muāphik tō nahī̃ rakhnā hai nā kyōṅki yah tō amūlya jīvan hai , inkō tō bahut sambhāl sē rakhnā hai .

192Many people come here; you can't all just live here like goats. 193Because this life is an invaluable life, it has to be looked after very well.

184Bachchō̃ ādi kō lē ānā - yah band kar dēnā hōgā .

194Bringing young children here will have to be stopped.

185Itnē bachchō̃ kō kahā̃ baiṭh sambhālē̃gē .

195How can someone here sit and also look after all your children?

186Bachchō̃ kō chhuṭṭiyā̃ milī tō samajhtē haĩ aur kahā̃ jāyē̃ , chalō madhuban mē̃ bābā kē pās jātē haĩ .

196When children have holidays, some think: Where else can we go? 197Let's go to Baba in Madhuban.

187Yah tō jaisē dharmaśhālā hō jāē .

198This then becomes like a dharamshala (rest place for pilgrims).

188Phir university kaisē huī  !

199So, how could it be a university?

189Bābā jāñch kar rahē haĩ phir kab order kar dēgē - bachchē kōī bhī na lē āyē .

200Baba observes this now and He will issue an order at some point that no one will be allowed to bring children here.

190Yah bandhan bhī kam hō jāyēṅgē .

201That bondage will also be lessened.

191Mātāō̃ par taras paṛtā hai .

202There is a feeling of mercy for the mothers.

192Yah bhī bachchē jāntē haĩ śhivbābā tō hai gupta .

203You children know that Shiv Baba is incognito.

193Inkā bhī kiskō regard thōṛēhī hai .

204Some have no regard for this one.

194Samajhtē haĩ hamārā tō śhivbābā sē connection hai .

205They believe that they have a connection with Shiv Baba.

195Itnā bhī samajhtē nahī̃ - śhivbābā hī tō in dvārā samjhātē haĩ nā .

206They don't even understand that Shiv Baba has to explain through this one.

196Māyā nāk sē pakaṛ ulṭā kām karātī rahtī hai , chhōṛtī hī nahī̃ .

207Maya catches hold of some by their nose and makes them perform wrong acts. 208She doesn't let go.

197Rājdhānī mē̃ tō sab chāhiē nā .

209In a kingdom, all are needed.

198Yah sab pichhāṛī mē̃ sākṣhātkār hōṅgē .

210You will have all these visions at the end.

199Sajāō̃ K|kē bhī sākṣhātkār hōṅgē .

211You will also have visions of punishment.

200Bachchō̃ kō pahlē bhī yah sab sākṣhātkār huē haĩ . 201Phir bhī kōī-kōī pāp karnā chhōṛtē nahī̃ .

212Even though some children also had these visions before, they don't stop committing sin.

202Kaī bachchō̃ nē jaisē gāṇṭh bāndh lī hai ki hamkō tō bannā hī third class hai , isliē pāp karnā chhōṛtē hī nahī̃ .

213It's as though some children have tied a knot to become third class. 214Therefore, they don't stop committing sin.

203Aur hī achchhī rīti apnī sajāyē̃ taiyār kar rahē haĩ .

215In fact, they are making very good preparations for their own punishment.

204Samjhānā tō paṛtā hai nā . 205Yah gāṇṭh nahī̃ bāndhō ki hamkō tō third class hī bannā hai .

216It has to be explained to them: Do not tie a knot for having to become third class.

206Abhī gāṇṭh bāndhō ki hamkō aisā lakṣhmī-nārāyaṇ bannā hai .

217Now tie a knot for becoming Lakshmi or Narayan.

207Kōī tō achchhī gāṇṭh bāndhtē haĩ , chart likhtē haĩ - āj K|kē din hamnē kuchh kiyā tō nahī̃  !

218Some tie a knot very well and also write their charts daily: Did I do anything wrong today?

208Aisē chart bhī bahut rakhtē thē , vah āj haĩ nahī̃ .

219Many used to write such charts. 220However, they are no longer here.

209Māyā bahut pachhāṛtī hai .

221Maya made them fall right down.

210Ādhākalp maĩ sukh dētā hū̃ tō ādhākalp phir māyā duḥkh dētī hai .

222I give you happiness for half a cycle and then Maya causes you sorrow for half a cycle.

211Achchhā .

223Achcha.

212Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

224To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

213Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

225The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

214Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

226Essence for dharna:

2151 ) antarmukhī bankar śharīr K|kē bhān sē parē rahnē kā abhyās karnā hai , khān-pān , chāl-chalan sudhārnā hai sirph apnē kō khuśh karkē albēlā nahī̃ hōnā hai .

227 1. Become introverted and practise staying beyond the consciousness of your body. 228Reform your food, drink, activity and behaviour. 229Don’t simply be happy with what you do and thereby become careless.

2162 ) chaṛhāī bahut ūñchī hai , isliē bahut-bahut khabardār hōkar chalnā hai .

230 2. This climb is very steep. 231Therefore, be very cautious as you move along.

217Kōī bhī karma sambhālkar karnā hai .

232Carry out every act with great caution.

218Ahaṅkār mē̃ nahī̃ ānā hai .

233Do not become arrogant.

219Ulṭā karma karkē sajāyē̃ nahī̃ taiyār karnī hai .

234Do not prepare your own punishment by doing wrong things.

220Gāṇṭh bāndhnī hai ki hamē̃ in lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā bannā hī hai .

235Tie a knot for definitely becoming like Lakshmi and Narayan.

Blessing

221Vardān  : rūhāniyat key|kī śhrēṣhṭh sthiti dvārā vātāvaraṇ kō rūhānī banānē vālē sahaj purūṣhārthī bhav

236Blessing: May you be an easy effort-maker who makes the atmosphere spiritual with your elevated stage of spirituality.

222Rūhāniyat key|kī sthiti dvārā apnē sēvākēndra kā aisā rūhānī vātāvaraṇ banāō jissē svayã key|kī aur ānē vālī ātmāō̃ key|kī sahaj unnati hō sakē kyōṅki jō bhī bāhar K|kē vātāvaraṇ sē thakē huē ātē haĩ unhē̃ extra sahyōg key|kī āvaśhyaktā hōtī hai isliē unhē̃ rūhānī vāyumaṇḍal kā sahyōg dō .

237 With your stage of spirituality, make the atmosphere at your service place spiritual so that there can easily be progress for yourself and for the souls who are to go there. 238This is because all of those who come are tired of the atmosphere outside and they need extra co-operation. 239Therefore, give them the co-operation of a spiritual atmosphere.

223Sahaj purūṣhārthī banō aur banāō .

240Become an easy effort maker and make others that too.

224Har ēk ānē vālī ātmā anubhav karē ki yah sthān sahaj hī unnati prāpt karnē kā hai .

241Let each soul who comes to you experience it to be a place where they can easily make progress.

Slogan

225Slōgan  : vardānī ban śhubh bhāvnā aur śhubh kāmnā kā vardān dētē rahō .

242Slogan: Become a bestower of blessings and continue to give the blessings of good wishes and pure feelings.

243*** Om Shanti ***

226Avyakt iśhārē - «  combined rūp key|kī smr̥iti sē sadā vijayī banō ' '

244Avyakt signal: Remain constantly victorious with the awareness of the combined form.

227Bāp combined hai isliē umaṅg-utsāh sē baṛhtē chalō .

245The Father and you are combined. 246Therefore, continue to move forward with zeal and enthusiasm.

228Kamjōrī , dilaśikastapan bāp K|kē havālē kar dō , apnē pās|pass nahī̃ rakhō .

247Hand over all your weaknesses and disheartenment to the Father; don’t keep them with you.

229Apnē pās|pass sirph umaṅg-utsāh rakhō .

248Only keep zeal and enthusiasm with you.

230Sadā umaṅg-utsāh mē̃ nāchtē rahō , gātē rahō aur brahmā bhōjan kartē rahō .

249Constantly continue to dance in zeal and enthusiasm, continue to sing and continue to have Brahma bhojan.