सोमवार 21 अप्रैल 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
021-04-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 21/04/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - bāp āyā hai tumhē̃ current dēnē , tum dēhī-abhimānī hōṅgē , buddhiyōg ēk bāp sē hōgā tō current miltī rahēgī ' '
1Essence: Sweet children, the Father has come to give you a current. 2When you become soul conscious and connect your intellects in yoga with the one Father, you will continue to receive this current.
Question
2Praśhna : sabsē baṛā āsurī svabhāv kaun-sā hai , jō tum bachchō̃ mē̃ nahī̃ hōnā chāhiē ?
3Question: What is the most devilish nature that you children shouldn't have?
Answer
3Uttar : aśhānti phailānā , yah hai sabsē baṛā āsurī svabhāv .
4Answer: The most devilish nature is that of spreading peacelessness.
4Aśhānti phailānē vālē sē manuṣhya taṅg hō jātē haĩ .
5People get distressed by those who spread peacelessness.
5Vah jahā̃ jāyēṅgē vahā̃ aśhānti phailā dēgē isliē bhagvān sē sabhī śhānti kā var māṅgtē haĩ .
6Wherever people with such natures go, they spread peacelessness. 7This is why everyone prays to God for the blessing of peace.
Song
6Gīt : yah kahānī hai dīvē aur tūphān key|kī …
8Song: This is the story of the flame and the storms.
Murli
7Ōm śhānti .
9Om shanti.
8Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ nē gīt key|kī line sunī .
10You sweetest, long-lost and now-found children heard that line in the song.
9Gīt tō yah bhakti mārg kā hai phir unkō gyān mē̃ transfer kiyā jātā hai aur kōī transfer kar na sakē .
11That song belongs to the path of devotion but it has been transferred to this knowledge. 12No one else would be able to transfer it.
10Tumhārē mē̃ bhī number-vār purūṣhārth anusār jān saktē haĩ , dīvā kyā hai , tūphān kyā hai !
13Each of you also knows, numberwise, according to the efforts you make, what the flame is and what the storms are.
11Bachchē jāntē haĩ ātmā key|kī jyōt ujhāī huī hai .
14You children know that the lights of souls have been extinguished.
12Ab bāp āyē haĩ jyōt jagānē liē .
15The Father has now come to re-ignite your lamps.
13Kōī martē haĩ tō bhī dīvā jalātē haĩ .
16When someone dies, people light a lamp.
14Uskī baṛī khabardārī rakhtē haĩ . 15Samajhtē haĩ dīvā agar bujh gayā tō ātmā kō andhiyārē sē jānā paṛēgā isliē dīvā jalātē haĩ .
17They look after it very carefully because they believe that if it goes out that soul will have to travel in darkness. 18This is why they light a lamp.
16Ab satyug mē̃ tō yah bātē̃ hōtī nahī̃ .
19Such things do not exist in the golden age.
17Vahā̃ tō sōjharē mē̃ hōṅgē .
20There, they would be in the light anyway.
18Bhūkh ādi key|kī bāt hī nahī̃ , vahā̃ tō baṛē māl miltē haĩ .
21There's no question of hunger there; they receive many things to eat there.
19Yahā̃ hai ghōr andhiyārā .
22Here, it is extremely dark.
20Chhī-chhī duniyā hai nā .
23This world is so dirty.
21Sab ātmāō̃ key|kī jyōt ujhāī huī hai .
24The lamps of all the souls have become dim.
22Sabsē jāstī jyōt tumhārī ujhāī huī hai .
25You lamps have become the dimmest.
23Khās tumhārē liē hī bāp ātē haĩ .
26The Father comes especially for you.
24Tumhārī jyōt ujhā gaī haĩ , ab current kahā̃ sē milē ?
27You lamps have become dim. 28Where can you receive a current from?
25Bachchē jāntē haĩ current tō bāp sē hī milēgī .
29You children know that the current can only be received from the Father.
26Current jōr hōtī hai tō bulb mē̃ rōśhnī tēz hō jātī hai .
30When you receive a powerful current, the light of many others will become powerful.
27Tō abhī tum current lē rahē hō , baṛī machine sē .
31Therefore, you now have to take the current from the great machine.
28Dēkhō , bāmbē jaisē śhahar mē̃ kitnē ḍhēr ādmī rahtē haĩ , kitnī jāstī current chāhiē .
32Just look how so many people live in a city like Bombay. 33Therefore, so much current is needed.
29Jarūr itnī baṛī machine hōgī .
34There definitely has to be a large generator.
30Yah hai bēhad key|kī bāt .
35However, here, it is a matter of the unlimited.
31Sārē duniyā key|kī ātmāō̃ key|kī jyōt bujhī huī hai .
36All the lamps of the souls of the whole world have become dim.
32Unkō current dēnā hai .
37A current has to be given to them.
33Mūl bāt bāp samjhātē haĩ , buddhiyōg bāp sē lagāō .
38The Father explains: The main thing to do is to connect your intellects in yoga with the Father.
34Dēhī-abhimānī banō .
39Become soul conscious.
35Kitnā baṛā bāp hai , sārī duniyā K|kē patit manuṣhyō̃ kō pāvan karnē vālā supreme bāp āyā hai sabkī jyōt jagānē .
40He is such a great Father. 41The Supreme Father, who purifies all the impure human beings of the world, has come to ignite everyone's lamp.
36Sārī duniyā K|kē manuṣhy-mātra key|kī jyōt jagātē haĩ .
42He ignites the lamps of all the human beings of the world.
37Bāp kaun hai , kaisē jyōt jagātē haĩ ? 38Yah tō kōī nahī̃ jāntē .
43No one knows who the Father is or how He ignites everyone's lamp.
39Unkō jyōti svarūp bhī kahtē haĩ phir sarvavyāpī bhī kah dētē haĩ .
44People say that He is the form of light, but they then say that He is omnipresent.
40Jyōti svarūp kō bulātē haĩ kyōṅki jyōti bujh gaī hai .
45Because everyone's light is extinguished, they call out to the Form of Light.
41Sākṣhātkār bhī hōtā hai , akhaṇḍ jyōti kā .
46People have visions of the eternal light.
42Dikhlātē haĩ arjun nē kahā maĩ tēj sahan nahī̃ kar saktā hū̃ . 43Bahut current hai .
47They show how Arjuna said that he was unable to tolerate so much light, that there was such a powerful current.
44Tō ab in bātō̃ kō tum bachchē abhī samajhtē hō .
48You children now understand these things.
45Sabkō samjhānā bhī yah hai ki tum ātmā hō .
49You have to explain to everyone that they are all souls.
46Ātmāyē̃ ūpar sē yahā̃ ātī haĩ .
50Souls come down here from up above.
47Pahlē ātmā pavitra hai , unmē̃ current hai . 48Satōpradhān hai .
51At first, souls are pure. 52They have a current (power) and are satopradhan.
49Golden age mē̃ pavitra ātmāyē̃ haĩ phir unkō apavitr bhī bannā hai .
53In the golden age, souls are pure and they then have to become impure.
50Jab apavitr bantē haĩ tab god father kō bulātē haĩ ki ākar liberate karō arthāt duḥkh sē mukt karō .
54When they become impure, they call out to God, the Father: Come and liberate us! 55Liberate us from sorrow!
51Liberate karnā aur pāvan banānā dōnō̃ kā arth|earth alag-alag hai .
56Being liberated is a separate thing from being purified.
52Jarūr kōī sē patit banē haĩ tab kahtē haĩ bābā āō , ākar liberate bhī karō , pāvan bhī banāō .
57They must definitely have been made impure by someone, which is why they say: Baba, come and liberate us and purify us!
53Yahā̃ sē śhāntidhām lē chalō .
58Take us away from here to the land of peace!
54Śhānti kā var dō .
59Give us the blessing of peace!
55Ab bāp nē samjhāyā hai - yahā̃ śhānt mē̃ tō rah nahī̃ saktē .
60The Father has explained that no one can stay in peace here.
56Śhānti tō hai hī śhāntidhām mē̃ .
61Only in the land of peace is there peace.
57Satyug mē̃ ēk dharm , ēk rājya hai tō śhānti rahtī hai . 58Kōī haṅgāmā nahī̃ .
62In the golden age, there is one religion and one kingdom. 63Therefore, there is peace there; there is no chaos there.
59Yahā̃ manuṣhya taṅg hōtē haĩ aśhānti sē .
64Here, people are distressed because of peacelessness.
60Ēk hī ghar mē̃ kitnā jhagaṛā hō paṛtā hai .
65Even in the same family, there is so much fighting.
61Samjhō strī-purūṣh kā jhagaṛā hai tō mā̃ , bāp , bachchē , bhāī-bahan ādi sab taṅg hō paṛtē haĩ .
66If there's a fight between husband and wife, the mother, father, children, brothers and sisters all become distressed.
62Aśhānti vālā manuṣhya jahā̃ jāyēgā aśhānti hī phailāyēgā kyōṅki āsurī svabhāv hai nā .
67Because peaceless human beings have devilish natures, they spread peacelessness wherever they go.
63Abhī tum jāntē hō satyug hai sukhdhām .
68You now know that the golden age is a land of happiness.
64Vahā̃ sukh aur śhānti dōnō̃ haĩ . 65Aur vahā̃ ( paramdhām mē̃ ) tō sirph śhānti hai , unkō kahā jātā hai sweet silence home .
69In that land, there are both peace and happiness, whereas in the supreme abode, there is only peace. 70That place is called the sweet silence home.
66Muktidhām vālō̃ kō sirph itnā hī samjhānā hōtā hai tumkō mukti chāhiē nā tō bāp kō yād karō .
71Just explain to those who want to go the land of liberation: Since you want liberation, remember the one Father.
67Mukti kē bād jīvanmukti jarūr hai .
72After liberation, there is definitely liberation-in-life.
68Pahlē jīvanmukt hōtē haĩ phir jīvanbandh mē̃ ātē haĩ . 69Ādhā-ādhā hai nā .
73First, you have to live in freedom and you then live your lives in bondage: it is half and half.
70Satōpradhān sē phir satō , rajō , tamō mē̃ jarūr ānā hai .
74You definitely have to pass through the stages of satopradhan, sato, rajo and tamo.
71Pichhāṛī mē̃ jō ēk ādhā janma liē ātē hōṅgē , vah kyā sukh-duḥkh kā anubhav kartē hōṅgē .
75What happiness and sorrow would they experience, those who only come at the end and just take one or two births?
72Tum tō sārā anubhav kartē hō .
76You experience total happiness.
73Tum jāntē hō itnē janm ham sukh mē̃ rahtē haĩ phir itnē janm duḥkh mē̃ hōtē haĩ .
77You know for how many births you are in happiness and for how many births you are in sorrow.
74Phalānē-phalānē dharm naī duniyā mē̃ ā nahī̃ saktē . 75Unkā part hī bād mē̃ hai , bhal nayā khaṇḍ hai , unkē liē jaisē ki vah naī duniyā hai . 76Jaisē bauddhī khaṇḍ , kriściyan khaṇḍ nayā huā nā .
78You know that those of other religions cannot enter the new world; their parts are later on. 79Although it is just a new land, it is as though it is a new world for them, just as the land of Buddhists and the land of Christians are new.
77Unkō bhī satō , rajō , tamō sē pās|pass karnā hai .
80They too have to pass through their stages of sato, rajo and tamo.
78Jhāṛ mē̃ bhī aisē hōtā hai nā .
81The same thing is portrayed in the picture of the tree.
79Āhistē-āhistē vr̥iddhi hōtī jātī hai .
82Gradually, it grows and expands.
80Pahlē jō nikalē vah nīchē hī rahtē haĩ .
83Those who emerge first still have to remain down here.
81Dēkhā hai nā - nayē-nayē pattē kaisē nikaltē haĩ .
84You must have seen how new leaves emerge.
82Chhōṭē-chhōṭē harē pattē nikaltē rahtē haĩ phir baur ( fool|phūl ) nikaltā hai , nayā jhāṛ bahut chhōṭā hai .
85Small green leaves emerge first and then the flowers emerge. 86A new tree is at first very small.
83Nayā bīj ḍālā jātā hai , unkī pūrī parvariśh nahī̃ hōtī tō saṛ jātā hai .
87When a seed is sown, the new plant has to be looked after very carefully. 88Otherwise, it would decay.
84Tum bhī pūrī parvariśh nahī̃ kartē hō tō saṛ jātē haĩ .
89When you don’t give them proper sustenance, they decay and die.
85Bāp ākar manuṣhya sē dēvtā banātē haĩ phir usmē̃ number-vār bantē haĩ .
90The Father comes and changes humans into deities. 91They become deities, numberwise.
86Rājdhānī sthāpan hōtī hai nā .
92A kingdom is being established.
87Bahut fail hō paṛtē haĩ .
93Many fail.
88Bachchō̃ key|kī jaisī avasthā hai , aisā pyār bāp sē miltā hai .
94Children receive love from the Father according to their stage.
89Kaī bachchō̃ kō bāhar sē bhī pyār karnā hōtā hai .
95Some children have to be shown external love.
90Kōī-kōī likhtē haĩ bābā ham fail hō gayē .
96Some children write: Baba, I have failed.
91Patit ban gayē .
97I have become impure.
92Ab unkō kaun hāth lagāyēgā !
98Now, who would bother with such children?
93Vah bāp key|kī dil par chaṛh nahī̃ saktē .
99They cannot climb into the Father's heart.
94Pavitra kō hī bābā varsā dē saktē haĩ .
100Baba can only give this inheritance to pure souls.
95Pahlē ēk-ēk sē pūrā samāchār pūchh pōtāmēl lētē haĩ .
101First of all, each of you is asked about your news and then your chart is examined.
96Jaisī avasthā vaisā pyār .
102The love you receive is according to your stage.
97Bāhar sē bhal pyār karē̃gē , andar jāntē haĩ yah bilkul hī buddhū hai , service kar nahī̃ saktē .
103Someone may be given love superficially, but it would be understood that if he cannot do service, that one is a total buddhu.
98Khyāl tō rahtā hai nā .
104There is concern for him.
99Agyān kāl mē̃ bachchā achchhā kamānē vālā hōtā hai tō bāp bhī bahut prēm sē milēgā .
105On the path of ignorance, when someone's son is earning a good income, his father would greet him with a lot of love.
100Kōī itnā kamānē vālā nahī̃ hōgā tō bāp kā bhī itnā pyār nahī̃ rahtā .
106However, if he is not earning a good income, his father wouldn't have as much love for him.
101Tō yahā̃ bhī aisē hai .
107It is the same here.
102Bachchē bāhar mē̃ bhī service kartē haĩ nā .
108You children have to serve others outside too.
103Bhal kōī bhī dharm vālā hō , unkō samjhānā chāhiē .
109No matter what religion people belong to, you have to explain to them.
104Bāp kō liberator kahā jātā hai nā .
110The Father is called the Liberator.
105Liberator aur guide kaun hai , unkā parichay dēnā hai .
111You have to give everyone the introduction of the Liberator and tell them who the Guide is.
106Supreme god father ātē haĩ , sabkō liberate kartē haĩ .
112God, the Supreme Father, comes to liberate everyone.
107Bāp kahtē haĩ tum kitnē patit ban gayē hō .
113The Father says: You have become so impure.
108Purity hai nahī̃ .
114There is no purity left.
109Ab mujhē yād karō .
115Now, remember Me!
110Bāp tō ever pure hai .
116The Father is ever pure.
111Bākī sab pavitra sē apavitr jarūr bantē haĩ . 112Punarjanma lētē-lētē utartē ātē haĩ .
117Everyone else definitely changes from pure to impure; they continue to come down whilst taking rebirth.
113Is samay sab patit haĩ isliē bāp rāy dētē haĩ - bachchē , tum mujhē yād karō tō pāvan ban jāyēṅgē .
118Everyone is now impure. 119This is why the Father advises you: Children, remember Me and you will become pure.
114Ab maut tō sāmnē khaṛā hai .
120Death is standing in front of you.
115Purānī duniyā kā ab ant hai .
121It is now the end of the old world.
116Māyā kā pomp kitnā hai isliē manuṣhya samajhtē haĩ yah tō svarg hai .
122Some people have so much pomp of Maya that they believe this to be heaven.
117Aeroplane , bijliyā̃ ādi kyā-kyā haĩ , yah hai sab māyā kā pomp .
123All the aeroplanes, electricity etc. that you see are the pomp of Maya.
118Yah ab khatm hōnā hai . 119Phir svarg key|kī sthāpanā hō jāyēgī .
124All of it will be destroyed and then heaven will be established.
120Yah bijliyā̃ ādi sab svarg mē̃ tō hōtē haĩ .
125Electricity etc. exist in the golden age too.
121Ab yah sab svarg mē̃ kaisē āyēṅgē .
126How do all these things go to heaven?
122Jarūr jānkārī vālā chāhiē nā . 123Tumhārē pās|pass bahut achchhē-achchhē kārīgar lōg bhī āyēṅgē .
127Those who have all of these skills are definitely needed. 128Many good skilled workers will come.
124Vah rājāī mē̃ tō āyēṅgē nahī̃ phir bhī tumhārī prajā mē̃ ā jāyēṅgē .
129They won't become part of the royal family, but they will at least be among the subjects.
125Engineer ādi sīkhē huē achchhē-achchhē kārīgar āyēṅgē .
130Very good engineers who have learnt these skills very well will come.
126Yah fashion sārā bāhar vilāyat sē ātā jātā hai .
131All of this fashion continues to come from the foreign lands.
127Tō bāhar vālō̃ kō bhī tumhē̃ śhivbābā kā parichay dēnā hai .
132Therefore, you have to give those abroad Shiv Baba's introduction.
128Bāp kō yād karō .
133Tell them: Remember the Father.
129Tumkō bhī yōg mē̃ rahnē kā hī purūṣhārth bahut karnā hai , ismē̃ hī māyā K|kē tūphān bahut ātē haĩ .
134You also have to make a great deal of effort to stay in yoga. 135It is only in this that the many storms of Maya come.
130Bāp sirph kahtē haĩ māmēkam yād karō .
136The Father simply says: Constantly remember Me alone!
131Yah tō achchhī bāt hai nā .
137This is a good thing.
132Christ bhī unkī rachnā hai , rachayitā supreme soul tō ēk hai .
138Christ too is His creation. 139Only the Supreme Soul is the Creator.
133Bākī sab hai rachnā .
140Everyone else is part of creation.
134Varsā rachtā sē hī miltā hai .
141The inheritance is only received from the Creator.
135Aisē-aisē achchhī point jō haĩ vah note karnī chāhiē .
142Note down all of these good points.
136Bāp kā mukhya kartavya hai sabkō duḥkh sē liberate karnā .
143The Father's main task is to liberate everyone from sorrow.
137Vah sukhdhām aur śhāntidhām kā gate|get khōltē haĩ .
144He opens the gates to the land of peace and the land of happiness.
138Unhē̃ kahtē haĩ - hē liberator duḥkh sē liberate kar hamē̃ śhāntidhām-sukhadhām lē chalō .
145People call out to Him: O Liberator, liberate us from sorrow and take us to the land of peace and the land of happiness.
139Jab yahā̃ sukhdhām hai tō bākī ātmāyē̃ śhāntidhām mē̃ rahtī haĩ .
146When we are in our land of happiness, all other souls reside in the land of peace.
140Heaven kā gate|get bāp hī khōltē haĩ .
147Only the Father can open the gate to heaven.
141Ēk gate|get khultā hai naī duniyā kā , dūsrā śhāntidhām kā .
148One gate that He opens is to the new world and the other is to the land of silence.
142Ab jō ātmāyē̃ apavitr hō gaī haĩ unkō bāp śhrīmat dētē haĩ apnē kō ātmā samjhō , mujhē yād karō tō tumhārē pāp kaṭ jāē̃ .
149The Father gives this shrimat to all souls who have become impure: Consider yourselves to be souls and remember Me and your sins will be cut away.
143Ab jō-jō purūṣhārth karē̃gē tō phir apnē dharm mē̃ ūñch pad pāyēṅgē .
150Those who make this effort will claim a high status in their own religion.
144Purūṣhārth nahī̃ karē̃gē tō cum|kam pad pāyēṅgē .
151If you don't make effort, you claim a low status.
145Achchhī-achchhī points note karō tō samay par kām ā saktī haĩ .
152Note down good points. 153They will be useful to you when you need them.
146Bōlō , śhivbābā kā occupation ham batāyēṅgē tō manuṣhya kahē̃gē yah phir kaun haĩ jō god father śhiv kā occupation batātē haĩ .
154Tell them: We will tell you about Shiva Baba's occupation. 155People then reply: Who are you to tell us Godfather Shiva's occupation?
147Bōlō , tum ātmā K|kē rūp mē̃ tō sab brothers hō .
156Tell them: In the form of souls, we are all brothers.
148Phir prajāpitā brahmā dvārā rachnā rachtē haĩ tō bhāī-bahan hōtē haĩ .
157He then creates creation through Prajapita Brahma. 158Therefore, we become brothers and sisters.
149God father jiskō liberator , guide kahtē haĩ , unkā occupation ham āpkō batlātē haĩ .
159We will tell you the occupation of God, the Father, the One called the Liberator and the Guide.
150Jarūr hamkō god father nē batāyā hai tab āpkō batātē haĩ .
160It was definitely God, the Father, who told us this. 161Therefore, we can also tell you this.
151Son shows father .
162Son shows the Father.
152Yah bhī samjhānā chāhiē . 153Ātmā bilkul chhōṭā star hai , in āṅkhō̃ sē unkō dēkhā nahī̃ jātā hai . 154Divya dr̥iṣhṭi sē sākṣhātkār hō saktā hai .
163You also have to explain that souls are like very tiny stars. 164They cannot be seen with one's physical eyes; they can be seen in divine visions.
155Bindī hai , dēkhnē sē phāydā thōṛēhī hō saktā hai .
165Souls are just points of light. 166There is no benefit in seeing one.
156Bāp bhī aisī hī bindī hai , unkō supreme soul kahtē haĩ .
167The Father too is just a point of light, but He is called the Supreme Soul.
157Soul ēk jaisā hī hai parantu vah supreme hai , knowledgeful hai , blissful hai , liberator aur guide hai .
168All souls look alike but He is the Supreme, the Knowledge-Full One, the Blissful One, the Liberator and the Guide.
158Unkī bahut mahimā karnī paṛē .
169He has to be praised a lot.
159Jarūr bāp āyēṅgē tab tō sāth lē jāyēṅgē nā .
170The Father definitely has to come here. 171Only then can He take you back with Him.
160Ākar knowledge dēgē .
172He comes and gives you this knowledge.
161Bāp hī batlātē haĩ ātmā itnī chhōṭī hai , maĩ bhī itnā hū̃ .
173Only the Father tells you that souls are very tiny and that He Himself is just as tiny.
162Knowledge bhī jarūr kōī śharīr mē̃ pravēśh kar dēgē .
174He definitely has to incarnate in a body in order to give you this knowledge.
163Ātmā K|kē bājū mē̃ ākar baiṭhū̃gā .
175I come and sit beside this soul.
164Mērē mē̃ power hai , organs mil gayē tō maĩ dhanī hō gayā .
176I have power in Me. 177Once I have taken organs, I become the Master.
165In organs dvārā baiṭh samjhātā hū̃ , inkō Adam bhī kahā jātā hai .
178I sit here and explain to you through these organs. 179This one is also called Adam.
166Adam hai pahlā-pahlā ādmī .
180Adam is the first human being.
167Manuṣhyō̃ kā sijarā hai nā .
181There is the genealogical tree of human beings.
168Yah mātā-pitā bhī bantē haĩ , insē phir rachnā hōtī hai , hai purānā parantu adopt kiyā hai , nahī̃ tō brahmā kahā̃ sē āyā .
182He also becomes a mother as well as a father. 183Creation then takes place through him. 184He is the oldest one. 185He has been adopted. 186Otherwise, where could Brahma come from?
169Brahmā K|kē bāp kā nām kōī batāyē .
187Can anyone tell you the name of Brahma's father?
170Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar yah kiskī rachnā tō hōgī nā !
188Brahma, Vishnu and Shankar are definitely the creation of someone.
171Rachayitā tō ēk hī hai , bāp nē tō inkō adopt kiyā hai , yah itnē chhōṭē bachchē baiṭh sunāyē̃ tō kahē̃gē yah tō bahut baṛī knowledge hai .
189There is only the one Creator. 190The Father, the Creator, has adopted this one. 191If small children were to sit here and explain all of these things, people would think: This knowledge is very great.
172Jin bachchō̃ kō achchhī dhārṇā hōtī hai unhē̃ bahut khuśhī rahēgī , kabhī ubāsī nahī̃ āyēgī .
192It is the children who imbibe this knowledge very well who remain very happy. 193They never yawn.
173Kōī samajhnē vālā nahī̃ hōgā tō ubāsī dētā rahēgā .
194Someone who doesn't understand anything continues to yawn.
174Yahā̃ tō tumkō kabhī ubāsī nahī̃ ānī chāhiē .
195You should never yawn here.
175Kamāī K|kē samay kabhī ubāsī nahī̃ ātī hai .
196One never yawns at the time of earning an income.
176Grāhak nahī̃ hōṅgē , dhandhā ṭhaṇḍā hōgā tō ubāsī ātī rahēgī .
197It is when there are no customers, because business is slack, that they continue to yawn.
177Yahā̃ bhī dhārṇā nahī̃ hōtī hai .
198Here, some do not imbibe this knowledge.
178Kōī tō bilkul samajhtē nahī̃ haĩ kyōṅki dēh-abhimān hai . 179Dēhī-abhimānī hō baiṭh nahī̃ sakē̃gē .
199Some don't understand anything at all because of their body consciousness; they are unable to sit in soul consciousness.
180Kōī na kōī bāhar key|kī bātē̃ yād ā jāyēṅgī .
200They continue to remember something or other of the world outside.
181Points ādi bhī note nahī̃ kar sakē̃gē .
201They aren't even able to note down the points.
182Shrewd buddhi jhaṭ note karē̃gē - yah points bahut achchhī haĩ .
202Those with shrewd intellects will instantly note down the points: This point is very good.
183Students key|kī chalan bhī teacher kō dēkhnē mē̃ ātī hai nā .
203A teacher is able to see the behaviour of the students.
184Sensible teacher key|kī nazar sab taraph phirtī rahtī hai tab tō certificate dētē haĩ paṛhāī kā .
204A sensible teacher's eyes are everywhere. 205This is how he is able to give a certificate for that study.
185Manners kā certificate nikāltē haĩ .
206There is also a certificate for manners.
186Kitnā absent rahā , vah bhī nikāltē haĩ .
207There is also the register of present and absent.
187Yahā̃ tō bhal present hōtē haĩ parantu samajhtē kuchh nahī̃ , dhārṇā hōtī nahī̃ .
208Some of you who are present here do not understand anything. 209There is no imbibing.
188Kōī kahtē haĩ buddhi dull hai , dhārṇā nahī̃ hōtī , bābā kyā karē̃gē !
210Some say: My intellect is dull and I'm unable to imbibe anything. 211What can Baba do about that?
189Yah tumhārē karmō̃ kā hisāb-kitāb hai .
212That is your karmic account.
190Bāp tō tadbīr ēk hī karātē haĩ .
213The Father inspires everyone to make the same effort.
191Tumhārī takdīr mē̃ nahī̃ hai tō kyā karē̃gē .
214What can He do if that's not in your fortune?
192School mē̃ bhī kōī pās|pass , kōī fail hōtē haĩ .
215In a school too, some pass and some fail.
193Yah hai bēhad key|kī paṛhāī , jō bēhad kā bāp paṛhātē haĩ .
216This is an unlimited study which only the unlimited Father can teach.
194Aur dharm vālē gītā key|kī bāt nahī̃ samajhē̃gē .
217People of other religions don't understand the things mentioned in the Gita.
195Nation dēkh samjhānā paṛtā hai .
218You have to explain to them according to their nation (country).
196Pahlē-pahlē ūñch tē ūñch bāp kā parichay dēnā paṛtā hai . 197Vah kaisē liberator , guide hai !
219First of all, give them the introduction of the highest-on-high Father and how He is the Liberator and the Guide.
198Heaven mē̃ yah vikār hōtē nahī̃ .
220The vices don't exist in heaven.
199Is samay inkō kahā jātā hai śhaitānī rājya .
221At present, this is a devilish kingdom.
200Purānī duniyā hai nā , inkō golden aged nahī̃ kahē̃gē .
222This world is old; it wouldn't be called a golden-aged world.
201Naī duniyā thī , ab purānī huī hai .
223This world was new, but it has now become old.
202Bachchō̃ mē̃ , jinkō service kā śhauk hai tō points note karnā chāhiē .
224The children who are keen to do service should note down the points.
203Achchhā !
225Achcha.
204Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
226To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
205Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
227The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
206Dhārṇā kē liē mukhya sār :
228Essence for dharna:
2071 ) paṛhāī mē̃ bahut-bahut kamāī hai isliē kamāī khuśhī-khuśhī sē karnī hai .
229 1. There is a lot of income to be earned through this study. 230Therefore, you must earn that income with a lot of happiness.
208Paṛhtē samay kabhī ubāsī ādi na āyē , buddhiyōg idhar-udhar na bhaṭakē .
231Never yawn at the time of studying, and never let your intellects wander off in yoga elsewhere.
209Points note kar dhārṇā kartē rahō .
232Note down the points of this knowledge and continue to imbibe them.
2102 ) pavitra ban bāp K|kē dil kā pyār pānē kā adhikārī bannā hai .
233 2. Become pure and claim a right to receive love from the Father's heart.
211Service mē̃ hōśhiyār bannā hai , achchhī kamāī karnī aur karānī hai .
234Become clever in doing service. 235Earn a good income and also inspire others to do the same.
Blessing
212Vardān : marjīvā janm key|kī smr̥iti sē sarv karmabandhanō̃ kō samāpt karnē vālē karmayōgī bhav
236Blessing: May you become a karma yogi and finish all karmic bondages by remaining aware of your birth of dying alive.
213Yah marjīvā divya janm karmbandhanī janm nahī̃ , yah karmayōgī janm hai .
237 This divine birth of dying alive is not a life of karmic bondage; it is a karma yogi life.
214Is alaukik divya janm mē̃ brāhmaṇ ātmā svatantr hai na ki partantra .
238In this alokik, divine life, Brahmin souls are independent, not dependent.
215Yah dēh loan mē̃ milī huī hai , sārē viśhva key|kī sēvā kē liē purānē śharīrō̃ mē̃ bāp śhakti bhar-kar chalā rahē haĩ , jimmēvārī bāp kī hai , na ki āp key|kī .
239Those bodies of yours are taken on loan and the Father is filling all your old bodies with power and making them act to serve the whole world. 240This is the Father’s responsibility, not yours.
216Bāp nē direction diyā hai ki karma karō , āp svatantr hō , chalānē vālā chalā rahā hai .
241The Father has given you directions on how to act. 242You are free and the One who is making everyone move is doing that.
217Isī viśhēṣh dhārṇā sē karmabandhanō̃ kō samāpt kar karmayōgī banō .
243By having this special awareness, finish all karmic bondages and become a karma yogi.
Slogan
218Slōgan : samay key|kī samīpatā kā foundation hai - bēhad key|kī vairāgya vr̥itti .
244Slogan: The foundation of the closeness of time is an attitude of unlimited disinterest.
245*** Om Shanti ***
219Avyakt iśhārē - « combined rūp key|kī smr̥iti sē sadā vijayī banō ' '
246Avyakt Signal: Remain constantly victorious with the awareness of the combined form.
220Jitnā-jitnā yād mē̃ rahē̃gē utnā anubhav karē̃gē ki maĩ akēlā nahī̃ lēkin bāp-dādā sadā sāth hai .
247The more you stay in remembrance the more, you will experience that you are not alone, but that BapDada is constantly with you.
221Kōī bhī samasyā sāmnē āyē tō yahī smr̥iti mē̃ rahē ki maĩ combined hū̃ , tō ghabrāyēṅgē nahī̃ .
248No matter what problem comes in front of you, have the awareness that you are combined and you will then not be afraid.
222Combined rūp key|kī smr̥iti sē kōī bhī muśhkil kārya sahaj hō jāyēgā .
249With the awareness of your combined form, any difficult task will become easy.
223Apnē sab bōjh bāp kē ūpar rakh svayã halkē hō jāō tō sadā apnē kō khuśhnasīb anubhav karē̃gē aur phariśhtē K|kē samān nāchtē rahē̃gē .
250Give all your burdens to the Father and become light and you will constantly experience yourself to be fortunate and continue to dance like an angel.