बुधवार 7 मई 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

007-05-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 07/05/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - niśhchay gyān yōg sē baiṭhtā , sākṣhātkār sē nahī̃ .

1Essence: Sweet children, your faith develops with this knowledge and yoga, not by having visions.

2Sākṣhātkār key|kī drama mē̃ nūndh hai , bākī ussē kisī kā kalyāṇ nahī̃ hōtā ' '

2Visions are fixed in the drama, but they don't benefit anyone.

Question

3Praśhna  : bāp kaun-sī tākat nahī̃ dikhātē lēkin bāp kē pās jādūgarī avaśhya hai  ?

3Question: Although He definitely has magic, what power does the Father not show?

Answer

4Uttar  : manuṣhya samajhtē haĩ bhagvān tō tākatamand hai , vah marē huē kō bhī jindā kar saktē haĩ , parantu bābā kahtē yah tākat maĩ nahī̃ dikhātā . 5Bākī kōī naudhā bhakti kartē haĩ tō unhē̃ sākṣhātkār karā dētā hū̃ .

4Answer: People believe that, because God is all-powerful, He can bring the dead back to life. 5However, Baba says: I do not reveal this power, but if someone does intense devotion, I do grant him a vision.

6Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .

6This is also fixed in the drama.

7Sākṣhātkār karānē key|kī jādūgarī bāp kē pās hai isliē kaī bachchō̃ kō ghar baiṭhē bhī brahmā vā śhrīkr̥iṣhṇa kā sākṣhātkār hō jātā hai .

7The Father has the magic of granting visions. 8This is why some children have visions of Brahma or Shri Krishna while sitting at home.

Song

8Gīt  : kaun āyā mērē man K|kē dvārē …

9Song: Who came to the door of my mind early in the morning?

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Yah bachchō̃ K|kē anubhav kā gīt hai .

11This song is the experience of all the children.

11Satsaṅg tō bahut haĩ , khās bhārat mē̃ tō ḍhēr satsaṅg haĩ , anēk mat-matāntar haĩ , vāstav mē̃ vah kōī satsaṅg nahī̃ .

12There are many gatherings of the truth (satsangs). 13There are many satsangs especially in Bharat and many opinions and ideas. 14In fact, those gatherings are not satsangs.

12Satsaṅg ēk hōtā hai .

15There is only this one satsang.

13Bākī tum vahā̃ kisī vidvān , āchārya , paṇḍit kā mũh dēkhē̃gē , buddhi us taraph jāyēgī .

16There, you would only see the faces of scholars or pundits etc. 17Your intellects would be pulled to them.

14Yahā̃ phir anōkhī bāt hai .

18However, here, it is a unique aspect.

15Yah satsaṅg ēk hī bār is saṅgamyug par hōtā hai .

19It is only once, at this confluence age, that this satsang takes place.

16Yah tō bilkul naī bāt hai , us bēhad K|kē bāp kā śharīr tō kōī hai nahī̃ .

20This is a totally new aspect. 21The unlimited Father doesn't have a body of His own.

17Kahtē haĩ maĩ tumhārā nirākār śhivbābā hū̃ .

22He says: I am your incorporeal Shiv Baba.

18Tum aur satsaṅgō̃ mē̃ jātē hō tō śharīrō̃ kō hī dēkhtē hō .

23When you go to other satsangs, you only look at the bodies.

19Śhāstra yād kar phir sunātē haĩ , anēk prakār K|kē śhāstra haĩ , vah tō tum janma-janmāntar suntē āyē hō .

24You remember the scriptures and then relate them. 25There are many different scriptures that you have been listening to for birth after birth.

20Ab hai naī bāt .

26This here is now something new.

21Buddhi sē ātmā jāntī hai , bāp kahtē haĩ - hē mērē sikīladhē bachchē , hē mērē sāligrāmō̃  !

27You souls understand with your intellects. 28The Father says: O My long-lost and now-found children! 29O My saligrams!

22Tum bachchē jāntē hō 5 hazār varṣh pahlē is śharīr dvārā bābā nē paṛhāyā thā .

30You children know that Baba taught you through this body 5000 years ago.

23Tumhārī buddhi ēkdam dūr chalī jātī hai . 24Tō bābā āyā hai .

31Your intellects go very far back. 32Baba has now come again.

25Bābā akṣhar kitnā mīṭhā hai .

33The word "Baba" is so sweet!

26Vah hai māt-pitā .

34He is the Mother and Father.

27Kōī bhī sunē̃gē tō kahē̃gē patā nahī̃ inhō̃ K|kē māt-pitā kaun haĩ  ?

35Anyone else listening to this would say: I don't know who their Mother and Father is.

28Barōbar vah sākṣhātkār karātē haĩ tō usmē̃ bhī vah mūnjhtē haĩ .

36He really does grant visions. 37People become confused by this.

29Kabhī brahmā kō , kabhī kr̥iṣhṇa kō dēkh lētē haĩ . 30Tō vichār kartē rahtē ki yē kyā hai  ?

38They sometimes see Brahma and sometimes Krishna and continue to wonder what that is.

31Brahmā kā bhī bahutō̃ kō ghar baiṭhē sākṣhātkār hōtā hai .

39While sitting at home, many people have a vision of Brahma.

32Ab brahmā key|kī tō kabhī kōī pūjā kartē nahī̃ haĩ . 33Śhrī kr̥iṣhṇa ādi key|kī tō kartē haĩ .

40No one worships Brahma; people worship Shri Krishna, etc.

34Brahmā kō tō kōī jāntē bhī nahī̃ hōṅgē .

41Probably, no one even knows Brahma.

35Prajāpitā brahmā tō ab āyā hai , yah hai prajāpitā .

42Prajapita Brahma has come now. 43This one is Prajapita.

36Bāp baiṭh samjhātē haĩ ki sārī duniyā patit hai tō jarūr yah bhī bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ patit ṭhaharē .

44The Father sits here and explains that this whole world is impure. 45Therefore, this one, too, has become impure at the end of his many births.

37Kōī bhī pāvan nahī̃ hai isliē kumbha K|kē mēlē par , haridvār gaṅgā sāgar K|kē mēlē par jātē haĩ , samajhtē haĩ snān karnē sē pāvan ban jāyēṅgē .

46No one is pure. 47This is why they go to the Kumbhamela and the melas at Haridwar on the River Ganges. 48They think that by bathing there, they will become pure.

38Lēkin yah nadiyā̃ kōī patit-pāvnī thōṛēhī hō saktī .

49However, those rivers are not purifiers.

39Nadiyā̃ tō nikaltī haĩ sāgar sē .

50Rivers emerge from the oceans.

40Vāstav mē̃ tum hō gyān gaṅgāyē̃ , mahatva tumhārā hai .

51In fact, you are the Ganges of this knowledge. 52You are given importance.

41Tum gyān gaṅgāyē̃ jahā̃ tahā̃ nikaltī hō , vō lōg phir dikhlātē haĩ , tīr mārā aur gaṅgā nikalī .

53You Ganges of this knowledge emerge everywhere. 54It has been portrayed that the Ganges emerged where an arrow landed.

42Tīr mārnē key|kī tō bāt nahī̃ .

55It wasn't a question of shooting an arrow.

43Yah gyān gaṅgāyē̃ dēśh-dēśhāntar jātī haĩ .

56You Ganges of this knowledge go to many different lands.

44Śhivbābā kahtē maĩ drama K|kē bandhan mē̃ bāndhā huā hū̃ .

57Shiv Baba says: I am bound by the bondage of the drama.

45Sabhī kā part niśhchit kiyā huā hai .

58Everyone's part is fixed.

46Mērā bhī part niśhchit hai .

59My part too is fixed.

47Kōī samajhtē bhagvān tō bahut tākatamand hai , marē huē kō bhī jindā kar saktē haĩ .

60People believe that God is so powerful that He can bring the dead back to life.

48Yah sabhī gapōṛē haĩ .

61All of those are tall stories.

49Maĩ ātā hū̃ paṛhānē kē liē .

62I only come to teach you.

50Bākī tākat kyā dikhāyēṅgē .

63What power would I show?

51Sākṣhātkār key|kī bhī jādūgarī hai .

64Granting visions is also magic.

52Naudhā bhakti kartē haĩ tō maĩ sākṣhātkār karātā hū̃ .

65When people do intense devotion, I grant them a vision.

53Jaisē kālī kā rūp dikhlātē haĩ , un par phir tēl chaṛhātē haĩ .

66For example, I show them the form of Kali; they pour oil over her image.

54Ab aisī kālī tō hai nahī̃ , parantu kālī key|kī naudhā bhakti bahut kartē haĩ .

67However, such a Kali doesn’t really exist. 68Many people do a lot of intense devotion of Kali.

55Vāstav mē̃ kālī tō jagat ambā hai .

69In fact, Kali is Jagadamba.

56Kālī kā aisā rūp tō nahī̃ , parantu naudhā bhakti karnē sē bābā bhāvnā kā bhāṛā dē dētē haĩ .

70Kali does not have such a form as the one portrayed. 71When they do intense devotion, Baba gives them the return of their devotion.

57Kām chitā par baiṭhnē sē kālē banē , ab gyān chitā par baiṭh gōrē bantē haĩ .

72By sitting on the pyre of lust, you became ugly. 73Now, by sitting on the pyre of this knowledge, you are becoming beautiful.

58Jō kālī ab jagadambā banī hai vah sākṣhātkār kaisē karāyēgī .

74How could Kali, who has now become Jagadamba, grant visions?

59Vah tō abhī bahut janmō̃ K|kē ant K|kē bhī ant vālē janm mē̃ hai .

75She is now here at the end of the last of her many births.

60Dēvtāyē̃ tō abhī haĩ nahī̃ . 61Tō vah kyā sākṣhātkār karāyēṅgē .

76Deities do not exist now, so how could they grant visions?

62Bāp samjhātē haĩ yah sākṣhātkār key|kī chābī mērē hāth mē̃ hai .

77The Father explains: I hold the key to granting visions in My hand.

63Alpkāl kē liē bhāvnā pūrī karnē kē liē sākṣhātkār karā dētā hū̃ . 64Parantu vah kōī mērē sē nahī̃ miltē .

78I grant them a vision in order to fulfil their desires for a temporary period but none of them can meet Me through that.

65Misāl ēk kālī kā dētē haĩ . 66Is rīti bahut haĩ - hanumān , gaṇēśh ādi .

79I only gave the example of Kali, but there are many other examples such as Hanuman and Ganesh etc.

67Bhal sikkh lōg bhī gurūnānak key|kī bahut bhakti karē̃ tō unhē̃ bhī sākṣhātkār hō jāyēgā .

80Even when the Sikhs do a lot of devotion of Guru Nanak, they can have a vision of him.

68Parantu vah tō nīchē chalē ātē haĩ .

81However, they still continue to come down.

69Bābā bachchō̃ kō dikhlātē haĩ dēkhō yah gurūnānak key|kī bhakti kar rahē haĩ . 70Sākṣhātkār phir bhī maĩ karātā hū̃ .

82Baba tells you children: Look, that one is worshipping Guru Nanak, but I am the One who grants him a vision.

71Vah kaisē sākṣhātkār karāyēṅgē .

83How could he grant visions?

72Unkē pās|pass sākṣhātkār karānē key|kī chābī nahī̃ hai .

84He does not have the key to grant visions.

73Yah bābā kahtē haĩ mujhē vināśh , sthāpanā kā sākṣhātkār bhī us bābā nē karāyā , parantu sākṣhātkār sē kōī kā bhī kalyāṇ nahī̃ .

85This Baba (Brahma) says: That Baba (Shiv Baba) gave me a vision of establishment and destruction. 86However, no one experiences benefit by having a vision.

74Aisē tō bahutō̃ kō sākṣhātkār hōtē thē . 75Āj vah haĩ nahī̃ .

87There are many who used to have such visions, but they are no longer here.

76Bahut bachchē kahtē haĩ hamkō jab sākṣhātkār hō tō niśhchay baiṭhē .

88Many children say: I will develop faith when I have a vision.

77Parantu niśhchay sākṣhātkār sē nahī̃ hō saktā .

89However, faith isn’t developed by visions.

78Niśhchay baiṭhtā hai gyān aur yōg sē .

90Faith is developed by having this knowledge and yoga.

795 hazār varṣh pahlē bhī mainnē kahā thā ki yah sākṣhātkār maĩ karātā hū̃ .

91I also told you 5000 years ago that it is I who grant you these visions.

80Mīrā nē bhī sākṣhātkār kiyā .

92Meera too had a vision.

81Aisē nahī̃ ki ātmā vahā̃ chalī gaī .

93It was not that that soul went there.

82Nahī̃ , baiṭhē-baiṭhē sākṣhātkār kar lētē haĩ lēkin mērē kō nahī̃ prāpt kar saktē .

94No, while sitting somewhere, they can have a vision, but they cannot attain Me through that.

83Bāp kahtē haĩ kōī bhī bāt kā sanśhay hō tō jō bhī brāhmaṇiyā̃ ( teachers ) haĩ , unsē pūchhō .

95The Father says: If you have doubts about anything, ask the Brahmin teachers.

84Yah tō jāntē hō bachchiyā̃ bhī number-vār haĩ , nadiyā̃ bhī number-vār hōtī haĩ .

96You children know that you are numberwise. 97Rivers too are numberwise.

85Kōī tō talāv bhī haĩ , bahut gandā , bānsī pānī hōtā hai . 86Vahā̃ bhī śraddhābhāv sē manuṣhya jātē haĩ .

98Some are ponds with stagnant water; people still go there with a lot of faith and devotion.

87Vah hai bhakti key|kī andhaśhraddhā .

99That is the blind faith of devotion.

88Kabhī bhī kōī sē bhakti chhuṛānī nahī̃ hai .

100Never ask anyone to stop doing their devotion.

89Jab gyān mē̃ ā jāyēṅgē tō bhakti āpēhī chhūṭ jāyēgī .

101When they come on to the path of this knowledge, they will automatically stop doing devotion.

90Bābā bhī nārāyaṇ kā bhakta thā , chitra mē̃ dēkhā lakṣhmī dāsī ban nārāyaṇ K|kē pāṅw dabā rahī hai tō yah bilkul achchhā nahī̃ lagā .

102Baba used to be a devotee of Narayan. 103When he saw in the picture how Lakshmi was massaging Narayan's feet like a servant, he didn't like it at all.

91Satyug mē̃ aisā hōtā nahī̃ .

104It is not like that in the golden age.

92Tō mainnē ēk artist kō kahā ki lakṣhmī kō is dāsīpanē sē vidāī dē dō .

105So, I told an artist to liberate Lakshmi from being a servant.

93Bābā bhakta tō thā parantu gyān thōṛēhī thā .

106Baba was a devotee; he didn’t have any of this knowledge.

94Bhakta tō sabhī haĩ .

107Everyone is a devotee.

95Ham tō bābā K|kē bachchē mālik haĩ .

108We are Baba's children, we are masters.

96Brahmāṇḍ kā bhī mālik bachchō̃ kō banātē haĩ .

109I also make you children into the masters of Brahmand.

97Kahtē haĩ tumkō rājya-bhāgya dētā hū̃ .

110He says: I give you your fortune of the kingdom.

98Aisā bābā kabhī dēkhā  ?

111Have you ever seen such a Baba before?

99Us bāp kō pūrā yād karnā hai .

112Such a Father has to be remembered very well.

100Unkō tum in āṅkhō̃ sē nahī̃ dēkh saktē .

113You cannot see Him with your physical eyes.

101Unsē yōg lagānā hai .

114You have to have yoga with Him.

102Yād aur gyān bhī bilkul sahaj hai .

115Remembrance and this knowledge are very easy.

103Bīj aur jhāṛ kō jānnā hai .

116You have to know the Seed and the tree.

104Tum us nirākārī jhāṛ sē sākārī jhāṛ mē̃ āyē hō .

117You have become part of the corporeal tree from being part of that incorporeal tree.

105Bābā nē sākṣhātkār kā rāz bhī samjhāyā .

118Baba has explained the secret of visions to you.

106Jhāṛ kā rāz bhī samjhāyā .

119He has also explained the secrets of the tree to you.

107Karma-akarma-vikarma kī gati bhī bābā nē samjhāī hai .

120Baba has explained the philosophy of action, neutral action and sinful action to you as well.

108Bāp , teacher , gurū tīnō̃ sē hī śhikṣhā miltī hai .

121You receive teachings from all three: the Father, the Teacher and the Guru.

109Abhī bābā kahtē haĩ maĩ tumkō aisī śhikṣhā dētā hū̃ , aisē karma sikhlātā hū̃ jō tum 21 janm sadā sukhī ban jātē hō .

122Baba says: I now give you such teachings and teach you such actions that you become ever happy for 21 births.

110Teacher śhikṣhā dētē haĩ nā . 111Gurū lōg bhī pavitratā key|kī śhikṣhā dētē haĩ athavā kathāyē̃ sunātē haĩ . 112Parantu dhārṇā bilkul nahī̃ hōtī .

123A teacher gives you teachings and a guru teaches purity and also tells you religious stories, but there is none of this knowledge imbibed at all.

113Yahā̃ tō bāp kahtē haĩ ant mati sō gati hōgī .

124Here, the Father says: Your final thoughts lead you to your destination.

114Manuṣhya jab martē haĩ tō bhī kahtē haĩ rām-rām kahō tō buddhi us taraph chalī jātī hai .

125When people are about to die, they are told to chant the name of Rama, so that their intellects go to Him.

115Abhī bāp kahtē haĩ tumhārā sākār sē yōg chhūṭā .

126The Father now says: Your yoga with corporeal beings has now been broken.

116Ab maĩ tumkō bahut achchhē karma sikhlātā hū̃ .

127I am now teaching you very good actions.

117Śhrī kr̥iṣhṇa kā chitra dēkhō , purānī duniyā kō lāt mārtē aur naī duniyā mē̃ ātē haĩ .

128Look at the picture of Shri Krishna: he is shown going into that new world and kicking this old world away.

118Tum bhī purānī duniyā kō lāt mār naī duniyā mē̃ jātē hō .

129You too are kicking this old world away and going to that new world.

119Tō tumhārī nark K|kē taraph hai lāt , svarg taraph hai mũh .

130Therefore, your feet are towards hell and your faces are towards heaven.

120Śhmaśhān mē̃ bhī andar jab ghustē haĩ tō murdē kā mũh us taraph kar lētē haĩ . 121Lāt pichhāṛī taraph kar lētē haĩ .

131When a corpse is taken to a cremation ground, its face is turned in that direction and the feet in the other direction.

122Tō yah chitra bhī aisā banāyā hai .

132This picture has been created in the same way.

123Mama , bābā aur tum bachchē , tumkō tō mammā-bābā kō follow karnā paṛē , jō unkī gaddī par baiṭhō .

133There are only Mama and Baba and you children. 134You have to follow Mama and Baba so that you can claim their throne.

124Rājā K|kē bachchē prince-princess kahlātē haĩ nā .

135The children of a king are called princes and princesses.

125Tum jāntē hō ham bhaviṣhya mē̃ prince-princess bantē haĩ .

136You children know that you are to become the future princes and princesses.

126Aisā kōī bāp-teacher-gurū hōgā jō tumkō aisē karma sikhlāyē  !

137Is there any other father, teacher or guru who could teach you such actions?

127Tum sadākāl kē liē sukhī bantē hō .

138You become happy for all time.

128Yah śhivbābā kā var hai , vah āśhīrvād kartē haĩ .

139This is a boon from Shiv Baba. 140He grants you this blessing.

129Yah nahī̃ , hamārē ūpar unkī kr̥ipā hai .

141It is not that we have His mercy.

130Sirph kahnē sē kuchh nahī̃ hōgā .

142Nothing happens just by asking for something.

131Tumkō sīkhnā hōtā hai .

143You have to learn everything.

132Sirph āśhīrvād sē tum nahī̃ ban jāyēṅgē .

144You do not become something just by being given blessings.

133Uskī mat par chalnā hai .

145Follow His directions.

134Gyān aur yōg key|kī dhārṇā karnī hai .

146Imbibe this knowledge and yoga.

135Bāp samjhātē haĩ ki mukh sē rām-rām kahnā bhī āvāz hō jātā . 136Tumkō tō vāṇī sē parē jānā hai .

147The Father explains: To chant, "Rama, Rama," with your mouth is just to make a noise; you have to go totally beyond sound.

137Chup rahnā hai .

148You have to remain silent.

138Khēl bhī bahut achchhē-achchhē nikaltē haĩ .

149Many good plays are created.

139Anpaṛhē kō buddhū kahā jātā hai .

150Those who are not educated are said to be buddhus (innocent fools).

140Bābā kahtē haĩ ki ab sabhī kō bhūl kar tum bilkul buddhū ban jāō .

151Baba says: Now forget everyone and become a complete buddhu.

141Maĩ jō tumkō mat dētā hū̃ us par chalō .

152Follow the directions I give you.

142Paramdhām mē̃ tum sabhī ātmāyē̃ binā śharīr K|kē rahtī hō phir yahā̃ ākar śharīr lētī hō tab jīv ātmā kahā jātā hai .

153You souls reside bodiless in the supreme abode. 154Then, when you come down here and adopt bodies, you are called living beings.

143Ātmā kahtī hai maĩ ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētī hū̃ .

155The soul says: I am to leave this body and take my next one.

144Tō bāp kahtē maĩ tumkō first class karma sikhlātā hū̃ .

156The Father says: I teach you first-class actions.

145Teacher paṛhātē haĩ , ismē̃ tākat key|kī kyā bāt hai .

157When the Teacher teaches you, that is not a matter of revealing power.

146Sākṣhātkār karātē haĩ , iskō jādūgarī kahā jātā hai .

158When He grants you a vision, that is called magic.

147Manuṣhya sē dēvtā banānā , aisī jādūgarī kōī kar na sakē .

159No one else can perform the magic of changing human beings into deities.

148Bābā saudāgar bhī hai , purānā lēkar nayā dētē haĩ .

160Baba is also the Businessman; He exchanges all your old things for new.

149Inkō purānā lōhē kā bartan kahā jātā hai . 150Inkā kōī mūlya nahī̃ hai .

161This one is called an old iron pot; he has no value.

151Ājkal dēkhō tāmbē K|kē bhī paisē nahī̃ bantē .

162Coins now aren’t even made of copper.

152Vahā̃ tō sōnē K|kē sikkē hōtē haĩ .

163However, there, there will be gold coins.

153Wonder hai nā . 154Kyā sē kyā hō gayā hai  !

164It is a wonder how everything has changed so much!

155Bāp kahtē haĩ maĩ tumkō number one karma sikhlātā hū̃ .

165The Father says: I teach you to perform number one actions.

156Manmanābhav hō jāō .

166Become “Manmanabhav”!

157Phir hai paṛhāī jissē svarg kā prince banē̃gē .

167Then, there is also this study through which you become the princes of heaven.

158Abhī dēvtā dharm jō prāyaḥlōp hō gayā hai , vah phir sē sthāpan hōtā hai .

168The deity religion that has disappeared is now once again being established.

159Manuṣhya tumhārī naī bātē̃ sunkar wonder khātē haĩ , kahtē haĩ ki strī-puruṣh dōnō̃ hī ikaṭṭhē rah pavitra rah sakē̃ - yah kaisē hō saktā  !

169People become amazed when they hear the new things that you speak about. 170They ask: How is it possible for a husband and wife to live together and yet remain pure?

160Bābā tō kahtē bhal ikaṭṭhē rahō , nahī̃ tō mālūm kaisē paṛē .

171Baba says: You may live together. 172How else would you come to know?

161Bīch mē̃ gyān talvār rakhnī hai , itnī bahādurī dikhānī hai .

173The sword of knowledge has to be kept in between you. 174So much courage has to be shown.

162Parīkṣhā hōtī hai .

175There are tests too.

163Tō manuṣhya in bātō̃ mē̃ wonder khātē haĩ kyōṅki śhāstrō̃ mē̃ tō aisī bātē̃ haĩ nahī̃ .

176People are amazed about these things, because they are not mentioned in the scriptures.

164Yahā̃ tō practical mē̃ mēhnat karnī paṛtī hai .

177Here, you have to make this effort in a practical way.

165Gandharvī vivāh key|kī bāt yahā̃ kī hai .

178The aspect of a pure marriage applies here.

166Abhī tum pavitra bantē hō .

179You are now becoming pure.

167Tō bābā kahtē bahādurī dikhlāō .

180Therefore, Baba says: Show your courage.

168Sanyāsiyō̃ kē āgē sabūt dēnā hai .

181The sannyasis have to be shown the proof of this.

169Samarth bābā hī sārī duniyā kō pāvan banātē haĩ .

182The Almighty Father purifies the whole world.

170Bāp kahtē haĩ bhal sāth mē̃ rahō sirph naṅgan nahī̃ hōnā hai .

183The Father says: You may live together, but live a pure life.

171Yah sabhī haĩ yuktiyā̃ .

184All of these things are ways to remain pure.

172Baṛī jabardast prāpti hai sirph ēk janm bābā K|kē direction par pavitra rahnā hai .

185You receive a huge attainment by doing this. 186You simply have to follow Baba’s directions and remain pure for one birth.

173Yōg aur gyān sē ever healthy bantē haĩ 21 janmō̃ kē liē , ismē̃ mēhnat hai nā .

187You become ever healthy for 21 births through this knowledge and yoga. 188This does take effort.

174Tum hō śhakti sēnā .

189You are the Shakti Army.

175Māyā par jīt pahan jagatjīt bantē hō .

190You conquer Maya and thereby become the conquerors of the world.

176Sabhī thōṛēhī banē̃gē .

191Not all of you will become this.

177Jō bachchē puruṣhārth karē̃gē vahī ūñch pad pāyēṅgē .

192It is the children who make effort who claim a high status.

178Tum bhārat kō hī pavitra banākar phir bhārat par hī rājya kartē hō .

193You purify Bharat and then rule over Bharat.

179Laṛāī sē kabhī sr̥iṣhṭi key|kī bādśhāhī mil na sakē .

194No one can claim sovereignty over the world by battling.

180Yah wonder hai nā .

195This is a wonder.

181Is samay sab āpas mē̃ laṛkar khalās hō jātē haĩ .

196At this time, they all fight one another and destroy themselves.

182Makkhan bhārat kō miltā hai .

197Bharat receives the butter.

183Dilānē vālī haĩ vandē mātaram .

198It is the mothers who are saluted who make this happen.

184Majority mātāō̃ kī hai .

199The majority of you is of mothers.

185Ab bābā kahtē haĩ janma-janmāntar tum gurū kartē āyē , śhāstra paṛhtē āyē hō .

200Baba says: You have been following gurus and studying scriptures for birth after birth.

186Ab ham tumkō samjhātē haĩ - judge your self , right kyā hai  ?

201It is now that I explain to you. 202Judge for yourselves what is right!

187Satyug hai righteous duniyā .

203The golden age is a righteous world.

188Māyā unrighteous banātī hai .

204Maya makes it unrighteous.

189Ab bhāratvāsī , irreligious ban paṛē haĩ .

205The people of Bharat have now become irreligious.

190Religion nahī̃ isliē might nahī̃ rahī hai .

206No might remains because they have become irreligious.

191Irreligious , unrighteous , unlawful , insolvent ban paṛē haĩ .

207They have become irreligious, unrighteous, unlawful and insolvent.

192Bēhad kā bāp hai isliē bēhad key|kī bātē̃ samjhātē haĩ , kahtē haĩ ki phir tumkō religious most powerful banātā hū̃ .

208Baba is the unlimited Father. 209He therefore explains these unlimited things to you. 210He says: I make you once again into the religious and most powerful ones.

193Svarg banānā tō powerful kā kām hai .

211It is the task of the powerful One to create heaven.

194Parantu hai gupta .

212However, He is incognito.

195Incognito warriors haĩ .

213You are incognito warriors.

196Bāp kā bachchō̃ par bahut pyār hōtā hai .

214The Father has a lot of love for you children.

197Mat dētē haĩ .

215He gives you directions.

198Bāp key|kī mat , teacher key|kī mat , gurū kī mat , sōnār key|kī mat , dhōbī key|kī mat - ismē̃ sabhī matē̃ ā jātī haĩ .

216The directions of the Father, the directions of the Teacher, the directions of the Guru, the directions of the Goldsmith and the directions of the Laundryman are all included in these directions.

199Achchhā .

217Achcha.

200Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

218To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

201Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

219The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

202Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

220Essence for dharna:

2031 ) is ēk antim janm mē̃ bāp K|kē direction par chal ghar gr̥ihastha mē̃ rahtē pavitra rahnā hai .

221 1. Follow the Father's directions in this one last birth and live a pure life whilst living at home with your family.

204Ismē̃ bahādurī dikhānī hai .

222Show your courage in this.

2052 ) śhrīmat par sadā śhrēṣhṭh karma karnē haĩ .

223 2. Constantly follow shrimat and perform elevated actions.

206Vāṇī sē parē jānā hai , jō kuchh paṛhā vā sunā hai usē bhūl bāp kō yād karnā hai .

224Go beyond sound. 225Forget everything you have studied and heard previously and remember the one Father.

Blessing

207Vardān  : paristhitiyō̃ kō good luck samajh apnē niśhchay K|kē foundation kō majbūt banānē vālē achal aḍōl bhav

226Blessing: May you become unshakeable and immovable and make the foundation of your faith strong by considering adverse situations to be your good luck.

208Kōī bhī paristhiti āyē tō āp high jump dē dō kyōṅki paristhiti ānā bhī good-luck hai .

227 When adverse situations come, take a high jump because those adverse situations are a sign of your good luck.

209Yah niśhchay K|kē foundation kō majbūt karnē kā sādhan hai .

228They are the way to make the foundation of your faith strong.

210Āp jab ēk bārī aṅgad K|kē samān majbūt hō jāyēṅgē tō yah paper bhī namaskār karē̃gē .

229When you become as strong as Angad once and for all, those test papers will then also salute you.

211Pahlē vikarāl rūp mē̃ āyēṅgē aur phir dāsī ban jāyēṅgē .

230First, they will come in a fearsome form and they will then come as your servants.

212Challenge karō ham mahāvīr haĩ .

231Challenge them as mahavirs.

213Jaisē pānī kē ūpar lakīr ṭhahar nahī̃ saktī , aisē mujh master sāgar kē ūpar kōī paristhiti war|vār kar nahī̃ saktī .

232Just as a line cannot be drawn on water, in the same way, no adverse situation can attack you, a master ocean.

214Sva-sthiti mē̃ rahnē sē achal-aḍōl ban jāyēṅgē .

233By staying in your original stage, you will become unshakeable and immovable.

Slogan

215Slōgan  : purānē varṣh kō vidāī dēnē K|kē sāth-sāth kaḍuvēpan kō bhī vidāī dē dō .

234Slogan: Together with saying, “Goodbye” to the old year, also say “Goodbye” to bitterness.

235*** Om Shanti ***

216Avyakt iśhārē - rūhānī royalty aur purity key|kī personality dhāraṇ karō

236Avyakt signal: Imbibe the personality of spiritual royalty and purity.

217Yadi vardātā aur vardānī dōnō̃ kā sambandh samīp aur snēh K|kē ādhār sē nirantar hō aur sadā combined rūp mē̃ rahō tō pavitratā key|kī chhatrachhāyā svataḥ rahēgī .

237If the relationship between the Bestower of Blessings and yourself, the one who receives the blessings is close and constant on the basis of your being loving, if you constantly remain in your combined form, there will automatically be a canopy of purity that remains.

218Jahā̃ sarvśhaktivān bāp hai vahā̃ apavitratā svapn mē̃ bhī nahī̃ ā saktī hai .

238Where there is the Father, the Almighty Authority, there cannot be any impurity even in your dreams.

219Jab akēlē hōtē hō tō pavitratā kā suhāg chalā jātā hai .

239It is when you become alone that the suhaag (tilak of being wed) of purity is goes away.