रविवार 11 मई 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
011-05-25 prātaḥmurlī ōm śhānti ' ' avyakt-bāpdādā ' ' revise 07-03-2005 madhuban
0 11/05/25 Madhuban Avyakt BapDada Om Shanti 07/03/2005
1 « sampūrṇ pavitratā kā vrat rakhnā aur maĩ pan kō samarpit karnā hī śhivjayantī manānā hai ' '
1To keep the fast of complete purity and surrender the 2consciousness of “I” means to celebrate Shiv Jayanti.
2Āj viśhēṣh śhiv bāp apnē śhāligrām bachchō̃ kā birth day manānē āyē haĩ .
3Today, Father Shiva has especially come to celebrate the birthday of His saligram children.
3Āp bachchē bāp kā janm din manānē āyē hō aur bāpdādā bachchō̃ kā birth day manānē āyē haĩ kyōṅki bāp kā bachchō̃ sē bahut pyār hai .
4You children have come to celebrate the Father’s birthday and BapDada has come to celebrate the children’s birthday, because the Father has a lot of love for you children.
4Bāp avatarit hōtē hī yagya rachtē haĩ aur yagya mē̃ brāhmaṇō̃ K|kē binā yagya sampann nahī̃ hōtā hai isliē yah birth day alaukik hai , nyārā aur pyārā hai .
5As soon as the Father incarnates, He creates this sacrificial fire and a sacrificial fire cannot be completed without Brahmins. 6This is why this birthday is alokik, unique and lovely.
5Aisā birth day jō bāp aur bachchō̃ kā ikaṭṭhā hō yah sārē kalp mē̃ na huā hai , na kabhī hō saktā hai .
7There has never been any other birthday throughout the whole cycle where the birthday of the Father and the children is on the same day, nor can it ever be possible.
6Bāp hai nirākār , ēk taraph nirākār hai dūsrē taraph janm manātē haĩ .
8The Father is incorporeal. 9On the one hand, He is incorporeal and on the other hand, you celebrate His birthday.
7Ēk hī śhiv bāp hai jiskō apnā śharīr nahī̃ hōtā isliē brahmā bāp K|kē tan mē̃ avatarit hōtē haĩ , yah avatarit hōnā hī jayantī K|kē rūp mē̃ manātē haĩ .
10It is Father Shiva alone who does not have a body of His own and this is why He incarnates in the body of Father Brahma, and it is this incarnation that you celebrate in the form of a birthday.
8Tō āp sabhī bāp kā janm din manānē āyē hō vā apnā manānē āyē hō ?
11So, have all of you come to celebrate the Father’s birthday or your own birthday?
9Mubārak dēnē āyē hō vā mubārak lēnē āyē hō ?
12Have you come to give congratulations or to receive congratulations?
10Yah sāth-sāth kā vāydā bachchō̃ sē bāp kā hai .
13This is the promise of remaining together made by the children to the Father.
11Abhī bhī saṅgam par combined sāth hai , avataraṇ bhī sāth hai , parivartan karnē kā kārya bhī sāth hai aur ghar paramdhām mē̃ chalnē mē̃ bhī sāth-sāth hai .
14Now, at the confluence age, you have the combined company, your incarnation is at the same time, you are carrying out the task of transformation together and you are also returning home, the supreme abode, together.
12Yah hai bāp aur bachchō̃ K|kē pyār kā svarūp .
15This is the form of the love of the Father and the children.
13Śhiv jayantī bhagat bhī manātē haĩ lēkin vah sirph pukārtē haĩ , gīt gātē haĩ .
16Devotees also celebrate Shiv Jayanti, but they simply call out and sing songs.
14Āp pukārtē nahī̃ , āpkā manānā arthāt samān bannā .
17You don’t call out. 18Your celebration means to become equal.
15Manānā arthāt sadā umaṅg-utsāh sē uṛtē rahnā isīliē iskō utsav kahtē haĩ .
19To celebrate means keep flying with constant zeal and enthusiasm. 20That is why this is called a festival.
16Utsav kā arth|earth hī hai utsāh mē̃ rahnā .
21A festival means to maintain enthusiasm.
17Tō sadā utsav arthāt utsāh mē̃ rahnē vālē hō nā !
22So, you are constantly celebrating, that is, you constantly maintain your enthusiasm, do you not?
18Sadā hai yā kabhī-kabhī hai ?
23Is it all the time or only sometimes?
19Vaisē dēkhā jāē tō brāhmaṇ jīvan kā śhvāṅs hī hai - umaṅg-utsāh .
24In fact, the breath of Brahmin life is zeal and enthusiasm.
20Jaisē śhvāṅs K|kē binā rah nahī̃ saktē haĩ , aisē brāhmaṇ ātmāyē̃ umaṅg-utsāh K|kē binā brāhmaṇ jīvan mē̃ rah nahī̃ saktē haĩ .
25Just as you cannot stay without breathing, in the same way, without zeal and enthusiasm, Brahmin souls cannot stay in Brahmin life.
21Aisē anubhav kartē hō nā ?
26You experience this, do you not?
22Dēkhō viśhēṣh jayantī manānē kē liē kahā̃-kahā̃ sē , dūr-dūr sē bhāg karkē āyē haĩ .
27Look, you have especially come running from so far away just to celebrate this birthday.
23Bāpdādā kō apnē janm din key|kī itnī khuśhī nahī̃ hai jitnī bachchō̃ K|kē janm din kī hai isliē bāpdādā ēk-ēk bachchē kō padamguṇā khuśhī key|kī thāliyā̃ bhar-bhar K|kē mubārak dē rahē haĩ .
28BapDada isn’t as happy about His own birthday as He is about the birthdays of you children. 29This is why, BapDada is giving each one of you children platefuls of multimillion fold happiness and congratulations.
24Mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .
30Congratulations! 31Congratulations! 32Congratulations!
25Bāpdādā kō āj K|kē din sachchē bhagat bhī bahut yād ā rahē haĩ .
33On this day, BapDada is also remembering the true devotees a great deal.
26Vah vrat rakhtē haĩ ēk din kā aur āpnē vrat rakhā hai sārē jīvan mē̃ sampūrṇ pavitra bannē kā .
34They keep a fast for just one day, whereas you keep a fast of complete purity for your whole life.
27Vah khānē kā vrat rakhtē haĩ , āpnē bhī man K|kē bhōjan vyarth saṅkalp , negative saṅkalp , apavitr saṅkalpō̃ kā vrat rakhā hai .
35They keep a fast of food, and you also keep a fast of the food of the mind, that is, of waste thoughts, negative thoughts and impure thoughts.
28Pakkā vrat rakhā hai nā ?
36You have kept a firm fast, have you not?
29Yah double foreigners āgē-āgē baiṭhē haĩ .
37The double foreigners are sitting at the front.
30Yah kumār bōlō , kumār nē vrat rakhā hai , pakkā ?
38Kumars, speak! 39Have you kept your fast firm? 40Is it firm?
31Kachchā nahī̃ .
41It is not weak, is it?
32Māyā sun rahī hai .
42Maya is also listening.
33Sab jhaṇḍiyā̃ hilā rahē haĩ nā tō māyā dēkh rahī hai , jhaṇḍiyā̃ hilā rahē haĩ .
43All of you are waving your flags, and Maya is watching you waving your flags.
34Jab vrat rakhtē haĩ - pavitra bannā hī hai , tō vrat rakhnā arthāt śhrēṣhṭh vr̥itti banānā .
44When you keep a fast of definitely having to become pure, it means you have to make your attitude elevated.
35Tō jaisī vr̥itti hōtī hai vaisē hī dr̥iṣhṭi , kr̥iti svataḥ hī ban jātī hai .
45As is your attitude, so is your vision and your actions automatically become like that.
36Tō aisā vrat rakhā hai nā ?
46So, you have kept such a fast, have you not?
37Pavitra śhubh vr̥itti , pavitra śhubh dr̥iṣhṭi , jab ēk dō kō dēkhtē hō tō kyā dēkhtē hō ?
47A pure and clean attitude, pure and clean vision; when you look at one another, what do you look at?
38Face kō dēkhtē hō yā bhr̥ikuṭī K|kē bīch chamaktī huī ātmā kō dēkhtē hō ?
48Do you look at the face or at the sparkling soul in the centre of the forehead?
39Kōī bachchē nē pūchhā ki jab bāt karnā hōtā hai , kām karnā hōtā hai tō face kō dēkh karkē hī bāt karnī paṛtī hai , āṅkhō̃ K|kē taraph hī nazar jātī hai , tō kabhī-kabhī face kō dēkh karkē thōṛā vr̥itti badal jātī hai .
49One child said that when he has to speak to others, or when he has to do something, he has to do that whilst looking at the face, and that the vision goes towards that person’s eyes. 50However, sometimes, on seeing the face, your attitude changes a little.
40Bāpdādā kahtē haĩ - āṅkhō̃ K|kē sāth-sāth bhr̥ikuṭī bhī hai , tō bhr̥ikuṭī K|kē bīch ātmā kō dēkh bāt nahī̃ kar saktē haĩ !
51BapDada says: Together with the eyes, there is also the forehead. 52So can you not speak to the soul whilst looking at the centre of the forehead?
41Abhī bāpdādā sāmnē baiṭhē bachchō̃ K|kē āṅkhō̃ mē̃ dēkh rahē haĩ yā bhr̥ikuṭī mē̃ dēkh rahē haĩ , mālūm paṛtā hai ?
53Now, BapDada is sitting in front of you, so can you tell whether He is looking at your eyes or at your forehead?
42Sāth-sāth hī tō hai .
54They are both together.
43Tō face mē̃ dēkhō lēkin face mē̃ bhr̥ikuṭī mē̃ chamaktā huā sitārā dēkhō .
55So, look at the face, but look at the sparkling star in the centre of the forehead on the face.
44Tō yah vrat lō|low , liyā hai lēkin aur attention dō .
56Therefore, keep this fast. 57You are keeping this fast, but now pay more attention.
45Ātmā kō dēkh bāt karnā hai , ātmā sē ātmā bāt kar rahā hai .
58You have to speak whilst looking at the soul: the soul is speaking to the soul.
46Ātmā dēkh rahā hai .
59The soul is looking at the soul.
47Tō vr̥itti sadā hī śhubh rahēgī aur sāth-sāth dūsrā phāydā hai jaisī vr̥itti vaisā vāyumaṇḍal bantā hai .
60Your attitude will then always remain pure, and, along with that, the other benefit is: that as is your attitude, so is the atmosphere that is created.
48Vāyumaṇḍal śhrēṣhṭh banānē sē svayã K|kē puruṣhārth K|kē sāth-sāth sēvā bhī hō jātī hai .
61By creating an elevated atmosphere, as well as making your own effort, you also do service.
49Tō double phāydā hai nā !
62So, that is double benefit, is it not?
50Aisī apnī śhrēṣhṭh vr̥itti banāō jō kaisā bhī vikārī , patit āpkē vr̥itti K|kē vāyumaṇḍal sē parivartan hō jāē .
63Create such an elevated attitude that no matter how vicious or impure someone may be, he is transformed by the atmosphere created by your attitude.
51Aisā vrat sadā smr̥iti mē̃ rahē , svarūp mē̃ rahē .
64Let there constantly be this fast in your awareness and in your form.
52Ājkal bāpdādā nē bachchō̃ kā chart dēkhā , apnē vr̥itti sē vāyumaṇḍal banānē kē bajāē kahā̃-kahā̃ , kabhī-kabhī dūsrō̃ K|kē vāyumaṇḍal kā prabhāv paṛ jātā hai .
65Nowadays, BapDada is looking at the children’s charts. 66Instead of creating the atmosphere with your own attitude, sometimes the children become influenced by the atmosphere created by others.
53Kāraṇ kyā hōtā ?
67What is the reason for that?
54Bachchē rūhrihān mē̃ bahut mīṭhī-mīṭhī bātē̃ kartē haĩ , kahtē haĩ iskī viśhēṣhtā achchhī lagtī hai , inkā sahyōg bahut achchhā miltā hai , lēkin viśhēṣhtā prabhu key|kī dēn hai .
68In their heart-to-heart conversations, children say very sweet things. 69They say: “I like that one’s speciality, I receive a lot of co-operation from that one.” 70However, that speciality is a gift from God.
55Brāhmaṇ jīvan mē̃ jō bhī prāpti hai , jō bhī viśhēṣhtā hai , sab prabhu prasād hai , prabhu dēn hai .
71Whatever attainments and specialities you have in Brahmin life, they are Prabhu-prasad (an offering from God - Prabhu), they are God’s gifts.
56Tō dātā kō bhūl jāē , lēvtā kō yād karē … !
72So you forget the Bestower and you remember the ones who are the receivers.
57Prasād kabhī kiskā personal gāyā nahī̃ jātā , prabhu prasād kahā jātā hai .
73Prasad (holy offering) is never anyone’s personal possession. 74This is called “Prabhu prasad”.
58Phalānē kā prasād nahī̃ kahā jātā hai .
75It is not said to be “the prasad of So-and-so”.
59Sahyōg miltā hai , achchhī bāt hai lēkin sahyōg dilānē vālā dātā tō nahī̃ bhūlē nā !
76You receive co-operation, and that is good, but at least do not forget the Bestower who enables you to receive co-operation.
60Tō pakkā-pakkā birth day kā vrat rakhā hai ?
77So, are you keeping a firm fast for this birthday?
61Vr̥itti badal gaī hai ?
78Has your attitude changed?
62Sampann pavitratā , yah sachchā-sachchā vrat lēnā vā pratigyā karnā .
79Complete purity: this is keeping a real fast and making a promise.
63Check karō - baṛē-baṛē vikār kā vrat tō rakhā hai lēkin chhōṭē-chhōṭē unkē bāl-bachchō̃ sē mukt haĩ ?
80So, check: You are keeping the fast of the big, gross vices, but are you free from their little children?
64Vaisē bhī dēkhō jīvan mē̃ pravr̥itti vālō̃ kā bachchō̃ sē jyādā pōtrē-dhōtrē sē pyār hōtā hai .
81Generally, householders have more love for their grandchildren than for their children.
65Mātāō̃ kā pyār hōtā hai nā .
82You Mothers have love for them, do you not?
66Tō baṛē baṛē rūp sē tō jīt liyā lēkin chhōṭē-chhōṭē sūkṣhma svarūp mē̃ war|vār tō nahī̃ kartē ?
83So, you have conquered the big forms, but their little, subtle forms do not attack you, do they?
67Jaisē kaī kahtē haĩ - āsakti nahī̃ hai lēkin achchhā lagtā hai .
84For instance, some say: “I am not attracted, but I do like it.
68Yah chīz jyādā achchhī lagtī hai lēkin āsakti nahī̃ hai .
85I like that thing more, but I am not attracted to it.”
69Viśhēṣh achchhā kyō̃ lagtā ?
86Why do you especially like it?
70Tō check karō chhōṭē-chhōṭē rūp mē̃ bhī apavitratā kā aṅśh tō nahī̃ rah gayā hai ? 71Kyōṅki aṅśh sē kabhī vanśh paidā hō saktā hai .
87So, check that there aren’t any traces of impurity left in little forms, because a whole progeny can sometimes be created from a trace.
72Kōī bhī vikār chāhē chhōṭē rūp mē̃ , chāhē baṛē rūp mē̃ ānē kā nimitt ēk śhabda kā bhāv hai , vah ēk śhabda hai - « maĩ ' ' .
88When any vice comes, whether in a big form or a small form, there is just one word that causes it, and that one word is “I”.
73Body-conscious kā maĩ .
89The “I” of body consciousness.
74Is ēk maĩ śhabda sē abhimān bhī ātā hai aur abhimān agar pūrā nahī̃ hōtā tō krōdh bhī ātā hai kyōṅki abhimān key|kī niśhānī hai - vah ēk śhabda bhī apnē apmān kā sahan nahī̃ kar saktā , isliē krōdh ā jātā .
90Through this one word, “I”, there is arrogance or, if there isn’t full arrogance, then there is anger, because the sign of arrogance is that that one is unable to tolerate even one word of an insult and he therefore gets angry.
75Tō bhagat tō bali chaṛhātē haĩ lēkin āp āj K|kē din jō bhī had kā maĩ pan hō , uskō bāp kō dēkar samarpit karō .
91So, devotees offer a sacrifice, but, on this day, whatever limited consciousness of “I” you have, sacrifice that to the Father and finish it.
76Yah nahī̃ sōchō karnā tō hai , bannā tō hai . . . tō tō nahī̃ karnā .
92Do not think: “I have to do it anyway, I have to become that anyway.” 93Do not think about doing it at some time in the future.
77Samarth hō aur samarth ban samāpti karō .
94You are powerful. 95So be powerful and finish it.
78Kōī naī bāt nahī̃ hai , kitnē kalp , kitnē bār sampūrṇ banē hō , yād hai ?
96It is not anything new. 97How many cycles and how many times have you become complete? 98Do you remember?
79Kōī naī bāt nahī̃ hai .
99It is not anything new.
80Kalp-kalp banē hō , banī huī ban rahī hai , sirph repeat karnā hai .
100You have become that every cycle. 101You are becoming what you have already been; you simply have to repeat it.
81Banī kō banānā hai , isliē kahā jātā hai banā banāyā drama .
102You have to create that which is already created and this is why it is called the predestined drama.
82Banā huā hai sirph abhī repeat karnā arthāt banānā hai .
103It is already created, and you just have to repeat it now, that is, you have to create it.
83Muśhkil hai ki sahaj hai ?
104Is this difficult or easy?
84Bāpdādā samajhtē haĩ saṅgamyug kā vardān hai - sahaj puruṣhārth .
105BapDada believes that you have the blessing of the confluence age: easy effort.
85Is janm mē̃ sahaj puruṣhārth K|kē vardān sē 21 janm sahaj jīvan svataḥ hī prāpt hōgī .
106By having this blessing of easy effort in this birth, you will automatically attain an easy life for 21 births.
86Bāp-dādā her|har bachchē kō mēhnat sē mukt karnē āyē haĩ .
107BapDada has come to liberate every child from labouring.
8763 janm mēhnat key|kī , ēk janm paramātma pyār , muhabbat sē mēhnat sē mukt hō jāō .
108You have worked hard for 63 births. 109Therefore, now, with God’s love in this one birth, with love, become free from labouring.
88Jahā̃ muhabbat hai vahā̃ mēhnat nahī̃ , jahā̃ mēhnat hai vahā̃ muhabbat nahī̃ .
110Where there is love, there is no labour, and where there is labour, there is no love.
89Tō bāpdādā sahaj puruṣhārthī bhav kā vardān dē rahā hai aur mukt hōnē kā sādhan hai - muhabbat , bāp sē dil kā pyār .
111So, BapDada is giving you the blessing of being an easy effort-maker, and the way to become free is love – love for the Father from your heart.
90Pyār mē̃ lavlīn aur mahā yantra hai - manmanābhav kā mantra .
112Be absorbed in love and the great tool (yantra for this) is the mantra of “Manmanabhav.”
91Tō yantra kō kām mē̃ lagāō .
113So use this tool.
92Kām mē̃ lagānā tō ātā hai nā !
114You know how to use it, do you not?
93Bāpdādā nē dēkhā saṅgamyug mē̃ paramātma pyār dvārā , bāpdādā dvārā kitnī śhaktiyā̃ milī haĩ , guṇ milē haĩ , gyān milā hai , khuśhī milī hai , in sab prabhu dēn kō , khajānō̃ kō samay par kārya mē̃ lagāō .
115BapDada has seen how, through God’s love at the confluence age, you have received so many powers and virtues, so much of this knowledge and happiness. 116Therefore, use all of these treasures and gifts from God at the right time.
94Tō bāpdādā kyā chāhtē haĩ , sunā ?
117So, did you hear what BapDada wants?
95Har ēk bachchā sahaj puruṣhārthī , sahaj bhī , tīvr bhī .
118For each child to be an easy effort-maker; easy and also intense.
96Dr̥iṛhtā kō use karō .
119Use determination.
97Bannā hī hai , ham nahī̃ banē̃gē tō kaun banēgā .
120“I have to become that; if I don’t become that, who would?
98Ham hī thē , ham hī haĩ aur her|har kalp ham hī hōṅgē .
121I was that, I am that and I will be that every cycle.”
99Itnā dr̥iṛh niśhchay svayã mē̃ dhāraṇ karnā hī hai .
122You definitely have to have such firm faith in yourself.
100Karē̃gē nahī̃ kahnā , karnā hī hai .
123Do not say that you will do it at some point; you definitely have to do it.
101Hōnā hī hai .
124It has to happen.
102Huā paṛā hai .
125It is already accomplished.
103Bāpdādā dēśh vidēśh K|kē bachchō̃ kō dēkh khuśh hai .
126BapDada is pleased to see the children of this land and abroad.
104Lēkin sirph āp sāmnē sammukh vālō̃ kō nahī̃ dēkh rahē haĩ , chārō̃ ōr K|kē dēśh aur vidēśh K|kē bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ .
127However, He is not just seeing you children who are personally in front of Him, He is also seeing all the children everywhere, of this land and abroad.
105Majority jahā̃-tahā̃ sē birth day key|kī mubārakē̃ āī haĩ , card bhī milē haĩ , e-mail bhī milē haĩ , dil kā saṅkalp bhī milā hai .
128The majority of birthday greetings have come from everywhere aboard: Baba has received cards, e-mails, and also thoughts from the heart.
106Bāp bhī bachchō̃ K|kē gīt gātē haĩ , āp lōg gīt gātē hō nā - bābā āpnē kar dī kamāl , tō bāp bhī gīt gātē haĩ mīṭhē bachchō̃ nē kar dī kamāl .
129The Father sings songs of the children and you also sing, do you not: “Baba, You performed wonders.” 130Therefore, the Father also sings the song: You sweet children have performed wonders.
107Bāpdādā sadā kahtē haĩ ki āp tō sammukh baiṭhē hō lēkin dūr vālē bhī bāpdādā K|kē dil par baiṭhē haĩ .
131BapDada always says that you are sitting personally in front of Baba, but those who are sitting far away are sitting in BapDada’s heart.
108Āj chārō̃ ōr bachchō̃ K|kē saṅkalp mē̃ hai - mubārak hō , mubārak hō , mubārak hō .
132Today, in the thoughts of the children everywhere, there was just: Congratulations! 133Congratulations! 134Congratulations!
109Bāpdādā K|kē kānō̃ mē̃ āvāj pahuñch rahā hai aur man mē̃ saṅkalp pahuñch rahē haĩ .
135This sound was reaching BapDada’s ears and the thoughts were reaching His mind.
110Yah nimitt card haĩ , patra haĩ lēkin bahut baṛē hīrē sē bhī jyādā mūlyavān gift haĩ .
136These are not just cards; cards are just in name, the letters are just in name. 137However, they are very great gifts, even greater than diamonds.
111Sabhī sun rahē haĩ , harṣhit hō rahē haĩ .
138All of you are listening and are becoming pleased.
112Tō sabhī nē apnā birth day manā liyā .
139So you have all celebrated your birthdays.
113Chāhē dō sāl kā hō , chāhē ēk sāl kā hō , chāhē ēk saptāh kā hō , lēkin yagya key|kī sthāpanā kā birth day hai .
140Whether you are two years old or one year old or one week old, this is the birthday of the establishment of the yagya.
114Tō sabhī brāhmaṇ yagya nivāsī tō haĩ hī , isliē sabhī bachchō̃ kō bahut-bahut dil kā yādpyār bhī hai , duāyē̃ bhī haĩ , sadā duāō̃ mē̃ hī paltē rahō , uṛtē rahō .
141All Brahmins are residents of the yagya. 142This is why BapDada is giving all of you children lots and lots of love and remembrance from His heart, together with blessings. 143Constantly continue to be sustained with blessings and continue to fly.
115Duāyē̃ dēnā aur lēnā sahaj hai nā !
144It is easy to give and receive blessings, is it not?
116Sahaj hai ?
145Is it easy?
117Jō samajhtē haĩ sahaj hai , vah hāth uṭhāō .
146Those who feel it is easy, raise your hands!
118Jhaṇḍiyā̃ hilāō .
147Wave your flags!
119Tō duāyē̃ chhōṛtē tō nahī̃ ?
148So, you don’t let go of these blessings, do you?
120Sabsē sahaj puruṣhārth hī hai - duāyē̃ dēnā , duāyē̃ lēnā .
149The easiest effort of all is to give blessings and receive blessings.
121Ismē̃ yōg bhī ā jātā , gyān bhī ā jātā , dhārṇā bhī ā jātī , sēvā bhī ā jātī .
150Yoga is included in this, this knowledge is included in it, dharna is included in it and service is also included in it.
122Chārō̃ hī subject ā jātī haĩ duāyē̃ dēnē aur lēnē mē̃ .
151All four subjects are included in giving blessings and receiving blessings.
123Tō double foreigners duāyē̃ dēnā aur lēnā sahaj hai nā !
152So, double foreigners, it is easy to give and receive blessings, is it not?
124Sahaj hai ?
153Is it easy?
12520 sāl vālē jō āyē haĩ vah hāth uṭhāō .
154Those who have been in this knowledge for 20 years since you first came here, raise your hands!
126Āpkō tō 20 sāl huē haĩ lēkin bāpdādā āp sabkō padam guṇā mubārak dē rahē haĩ .
155It is 20 years that you have been coming, but BapDada is giving you all multi-millionfold congratulations.
127Kitnē dēśhō̃ K|kē āyē haĩ ?
156From how many countries have the children come?
128 ( 69 dēśhō̃ K|kē ) mubārak hō .
157(From 69 countries). 158Congratulations!
12969 vā̃ birth day manānē kē liē 69 dēśhō̃ sē āyē haĩ .
159You have come from 69 countries to celebrate the 69th birthday.
130Kitnā achchhā hai .
160It is very good.
131Ānē mē̃ taklīph tō nahī̃ huī nā .
161There wasn’t any difficulty in coming here, was there?
132Sahaj ā gayē nā !
162You came here easily, did you not?
133Jahā̃ muhabbat hai vahā̃ kuchh mēhnat nahī̃ .
163Where there is love, there is no labour.
134Tō āj kā viśhēṣh vardān kyā yād rakhē̃gē ?
164So, what special blessing of today will you remember?
135Sahaj puruṣhārthī .
165Easy effort-makers.
136Sahaj kārya jaldī-jaldī kiyā hī jātā hai .
166Anything that is easy is done quickly.
137Mēhnat kā kām muśhkil hōtā hai nā tō time lagtā hai .
167Work that requires a lot of effort is difficult and therefore takes time.
138Tō sabhī kaun hō ?
168So, who are all of you?
139Sahaj puruṣhārthī .
169Easy effort-makers.
140Bōlō , yād rakhnā .
170Say it! 171Remember it!
141Apnē dēśh mē̃ jākē mēhnat mē̃ nahī̃ lag jānā .
172When you return to your countries, do not get engrossed in labouring.
142Agar kōī mēhnat kā kām āvē bhī tō dil sē kahnā , bābā , mērā bābā , tō mēhnat khatm hō jāyēgī .
173When you have any work to do that requires labour, then say from your heart, “Baba, my Baba!” and the labour will finish.
143Achchhā .
174Achcha.
144Manā liyā nā !
175You have now celebrated, have you not?
145Bāp nē bhī manā liyā , āpnē bhī manā liyā .
176The Father celebrated and all of you also celebrated.
146Achchhā .
177Achcha.
147Abhī ēk second mē̃ drill kar saktē hō ?
178Can you do this drill in just a second now?
148Kar saktē hō nā !
179You can do it, can you not?
149Achchhā .
180Achcha.
150 ( bāpdādā nē drill karāī )
181(BapDada conducted drill.)
151Chārō̃ ōr K|kē sadā umaṅg-utsāh mē̃ rahnē vālē śhrēṣhṭh bachchō̃ kō , sadā sahaj puruṣhārthī saṅgamyug K|kē sarv vardānī bachchō̃ kō , sadā bāp aur maĩ ātmā isī smr̥iti sē maĩ bōlnē vālē , maĩ ātmā , sadā sarv ātmāō̃ kō apnē vr̥itti sē vāyumaṇḍal kā sahyōg dēnē vālē aisē master sarvśhaktivān bachchō̃ kō bāpdādā kā yādpyār , duāyē̃ , mubārak aur namastē .
182To all you elevated children everywhere who constantly maintain zeal and enthusiasm, to all you easy effort-making children who have received the blessing of the confluence age, to those who say, “I, the soul” with the awareness of a soul being with the Father, to those who give all souls the co-operation of creating the atmosphere with their attitude, to such master almighty authority children, BapDada’s love, remembrance, blessings, congratulations and namaste.
152Double vidēśhī baṛī bahinō̃ sē : sabhī nē mēhnat achchhī kī hai .
183To the double foreign senior sisters from abroad: All of you have made good effort.
153Group-group banāyā hai nā tō mēhnat achchhī kī hai .
184You have made groups and worked hard.
154Aur yahā̃ vāyumaṇḍal bhī achchhā hai , saṅgaṭhan key|kī bhī śhakti hai , tō sabkō refreshment achchhī mil jātī hai aur āp nimitt ban jātē hō .
185Here, the atmosphere is good and there is also the power of the gathering and in this way, everyone receives very good refreshment and you become the instruments for that.
155Achchhā hai .
186It is good.
156Dūr-dūr rahtē haĩ nā , tō saṅgaṭhan key|kī jō śhakti hōtī hai vah bhī bahut achchhī hai .
187You all live far away from one another and so the power of the gathering is also very good.
157Itnā sārā parivār ikaṭṭhā hōtā hai tō har ēk key|kī viśhēṣhtā kā prabhāv tō paṛtā hai .
188Such a big family gets together, and so, of course, each one’s speciality makes an impact.
158Achchhā plan banāyā hai .
189You have made a good plan.
159Bāpdādā khuśh hai .
190BapDada is pleased.
160Sabkī khuśhbū āp lē lētē hō .
191You take the fragrance of everyone.
161Vah khuśh hōtē haĩ āpkō duāyē̃ miltī haĩ .
192They become happy and you receive the blessings.
162Achchhā hai , yah jō sabhī ikaṭṭhē hō jātē hō yah bahut achchhā hai , āpas mē̃ lēn dēn bhī hō jātī hai aur refreshment bhī hō jātī hai .
193It is good that all of you get together. 194You are able to exchange ideas with one another and refreshment is also received.
163Ēk dō key|kī viśhēṣhtā jō achchhī pasand ātī hai , uskō use kartē haĩ , issē saṅgaṭhan achchhā hō jātā hai .
195You like one another’s specialities, and by your using them the gathering also becomes good.
164Yah ṭhīk hai .
196This is good.
165Centre vāsī bhāī bahinō̃ sē : ( sabhī banner dikhā rahē haĩ , us par likhā hai - prēm aur dayā key|kī jyōti jagā kar rakhē̃gē ) bahut achchhā saṅkalp liyā hai .
197Resident brothers and sisters of centres: (Banner – We will keep the light of love and mercy ignited.) 198You have had a very good thought.
166Apnē par bhī dayā dr̥iṣhṭi , sāthiyō̃ kē ūpar bhī dayā dr̥iṣhṭi aur sarv kē ūpar bhī dayā dr̥iṣhṭi .
199Have the vision of mercy for yourself, have merciful vision for your companions and also merciful vision for everyone else.
167Īśhvarīy lav|love chumbak hai , tō āpkē pās|pass īśhvarīy lav|love kā chumbak hai .
200God’s love is a magnet, so, you have the magnet of God’s love.
168Kisī bhī ātmā kō īśhvarīy lav|love K|kē chumbak sē bāp kā banā saktē hō .
201You can make any soul belong to the Father with this magnet of God’s love.
169Bāpdādā centre par rahnē vālō̃ kō viśhēṣh dil key|kī duāyē̃ dētē haĩ , jō āp sabhī nē viśhva mē̃ nām bālā kiyā hai .
202BapDada especially gives blessings from His heart to all those who are living at the centres, because all of you have glorified Baba’s name in the world.
170Kōnē-kōnē mē̃ brahmakumaris kā nām tō phailāyā hai nā !
203You have spread the name of Brahma Kumaris to every corner, have you not?
171Aur bāpdādā kō bahut achchhī bāt lagtī hai ki jaisē double vidēśhī hō , vaisē double job karnē vālē hō .
204And the thing BapDada likes best of all is that, just as you are double foreigners, you also carry out double jobs.
172Majority laukik job bhī kartē haĩ tō alaukik job bhī kartē haĩ aur bāpdādā dēkhtē haĩ , bāpdādā key|kī T . V|we . bahut baṛī hai , aisī baṛī T . V|we . yahā̃ nahī̃ hai . 173Tō bāpdādā dēkhtē haĩ kaisē phaṭāphaṭ class kartē , nāśhtā khaṛē-khaṛē kartē , job mē̃ time par pahuñchtē , kamāl kartē haĩ .
205The majority of you have a lokik job and you also do an alokik job. 206BapDada sees this and BapDada’s TV is very big. 207There isn’t such a big TV here, how you have class very quickly, how you have your breakfast standing up and how you reach your workplace on time. 208You perform wonders.
174Bāpdādā dēkhtē-dēkhtē dil kā pyār dētē rahtē haĩ .
209Seeing all of this, BapDada continues to give you love from His heart.
175Bahut achchhā , sēvā kē nimitt banē hō aur nimitt bannē key|kī gift bāp sadā viśhēṣh dr̥iṣhṭi dētē rahtē haĩ .
210Very good. 211You have become instruments for service being done and, as a gift for being an instrument, the Father continues to give you special drishti.
176Bahut achchhā lakṣhya rakhā hai , achchhē hō , achchhē rahē̃gē , achchhē banāyēṅgē . 177Achchhā .
212You have kept a very good aim. 213You are good and you will remain good and make others good.
Blessing
178Vardān : sarv khajānō̃ key|kī economy kā budget banānē vālē mahīn puruṣhārthī bhav
214Blessing: May you make an economical budget of all your treasures and become a refined effort-maker.
179Jaisē laukik rīti mē̃ yadi economy vālā ghar na hō tō ṭhīk rīti sē nahī̃ chal saktā .
215 In ordinary life, if you aren’t economical in a family, the house cannot function well.
180Aisē yadi nimitt banē huē bachchē economy vālē nahī̃ haĩ tō centre ṭhīk nahī̃ chaltā .
216In the same way, if the instrument children are not economical, the centre will not function well.
181Vah huī had key|kī pravr̥itti , yah hai bēhad key|kī pravr̥itti .
217Those are limited households, whereas this is an unlimited household.
182Tō check karnā chāhiē ki saṅkalp , bōl aur śhaktiyō̃ mē̃ kyā-kyā extra kharcha kiyā ?
218So, you have to check how much extra you spent in terms of your thoughts, words and powers.
183Jō sarv khajānō̃ key|kī economy kā budget banākar usī anusār chaltē haĩ unhē̃ hī mahīn puruṣhārthī kahā jātā hai .
219Those who make an economical budget of all their treasures and go about their lives accordingly are called refined effort-makers.
184Unkē saṅkalp , bōl , karma va gyān key|kī śhaktiyā̃ kuchh bhī vyarth nahī̃ jā saktī .
220None of their thoughts, words, actions or powers of this knowledge can go to waste.
Slogan
185Slōgan : snēh K|kē khajānē sē mālāmāl ban sabkō snēh dō aur snēh lō|low .
221Slogan: Become filled with the treasure of love and give everyone love and receive love.
186Avyakt iśhārē - rūhānī royalty aur purity key|kī personality dhāraṇ karō 187Pavitratā key|kī śhakti parampūjya banātī hai .
222*** Om Shanti *** Avyakt signal: Imbibe the personality of spiritual royalty and purity.The power of purity makes you supremely worthy of worship.
188Pavitratā key|kī śhakti sē is patit duniyā kō parivartan kartē hō .
223You transform this impure world with the power of purity.
189Pavitratā key|kī śhakti vikārō̃ key|kī agni mē̃ jaltī huī ātmāō̃ kō śhītal banā dētī hai .
224The power of purity cools down souls who are burning in the fire of vices.
190Ātmā kō anēk janmō̃ K|kē vikarmō̃ K|kē bandhan sē chhuṛā dētī hai .
225It liberates souls from the bondages of vices for many births.
191Pavitratā K|kē ādhār par dvāpar sē yah sr̥iṣhṭi kuchh na kuchh thamī huī hai .
226From the copper age onwards this world has been supported a little on the basis of purity.
192Iskē mahatva kō jānkar pavitratā K|kē light kā crown dhāraṇ kar lō .
227Know the importance of this and wear your crown of the light of purity. * * *