शुक्रवार 23 मई 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

023-05-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 23/05/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhē̃ khivaiyā milā hai is pār sē us pār lē jānē kē liē , tumhārē pair ab is purānī duniyā par nahī̃ haĩ , tumhārā laṅgar uṭh chukā hai ' '

1Essence: Sweet children, you have now found the Boatman to take you from this side to the other side. 2Your feet are no longer in this old world. 3Your anchor has been raised.

Question

2Praśhna  : jādūgar bāp key|kī wonderful jādūgarī kaun-sī hai jō dūsrā kōī nahī̃ kar saktā  ?

4Question: What wonderful magic that no one else can perform does the Father, the Magician, perform?

Answer

3Uttar  : kauṛī tulya ātmā kō hīrē tulya banā dēnā , bāgvān bankar kāṇṭō̃ kō fool|phūl banā dēnā - yah bahut wonderful jādūgarī hai jō ēk jādūgar bāp hī kartā hai , dūsrā kōī nahī̃ .

5Answer: To change souls, who are as worthless as shells, into those who are as valuable as diamonds. 6He becomes the Master of the Garden and changes thorns into flowers. 7This is wonderful magic. 8Only the Father, the Magician, performs this wonderful magic. 9No one else can perform this magic.

4Manuṣhya paisā kamānē kē liē sirph jādūgar kahlātē haĩ , lēkin bāp jaisā jādū nahī̃ kar saktē haĩ .

10People call themselves magicians simply to earn money, but none of them can perform magic like the Father.

Murli

5Ōm śhānti .

11Om shanti.

6Sārē sr̥iṣhṭi chakra vā drama mē̃ bāp ēk hī bār ātē haĩ .

12Only once does the Father come into this world cycle, into this drama.

7Aur kōī satsaṅg ādi mē̃ aisē nahī̃ samajhtē hōṅgē .

13No one in any other satsang would think like this.

8Na vah kathā karnē vālā bāp hai , na vah bachchē haĩ .

14In those places, the one who relates the religious story to them is not their father, nor are they his children.

9Vah tō vāstav mē̃ followers bhī nahī̃ haĩ .

15In fact, they are not even his followers.

10Yahā̃ tō tum bachchē bhī hō , student bhī hō aur followers bhī hō .

16Here, you are children, students and also followers.

11Bāp bachchō̃ kō sāth mē̃ lē jāyēṅgē .

17The Father will take you children back with Him.

12Bābā jāyēṅgē tō phir bachchē bhī is chhī-chhī duniyā sē apnī gul-gul duniyā mē̃ chalkar rājya karē̃gē .

18When Baba departs, you children will also leave this dirty world and go to a new beautiful world and rule there.

13Yah tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ ānā chāhiē .

19This should enter the intellects of you children.

14Is śharīr K|kē andar jō rahnē vālī ātmā hai vah bahut khuśh hōtī hai .

20The soul, living in the body, becomes very happy.

15Tumhārī ātmā bahut khuśh hōnī chāhiē .

21You souls should become very happy.

16Bēhad kā bāp āyā huā hai jō sabhī kā bāp hai , yah bhī sirph tum bachchō̃ kō samajh hai .

22The unlimited Father, who is the Father of all, has come. 23Only you children understand this.

17Bākī sārī duniyā mē̃ tō sab bēsamajh hī haĩ .

24Everyone else in the world is senseless.

18Bāp baiṭh samjhātē haĩ rāvaṇ nē tumkō kitnā bēsamajh banā diyā hai .

25The Father sits here and explains: Ravan has made you so senseless.

19Bāp ākar samajhdār banātē haĩ .

26The Father comes and makes you sensible.

20Sārē viśhva par rājya karnē lāyak , itnā samajhdār banātē haĩ .

27He makes you so sensible that you become worthy of ruling the whole world.

21Yah student life bhī ēk hī bār hōtī hai , jabki bhagvān ākar paṛhātē haĩ .

28Only once, when God comes and teaches you, do you have this student life.

22Tumhārī buddhi mē̃ yah hai , bākī jō apnē dhandhē dhōrī ādi mē̃ phansē huē bahut rahtē haĩ , unkō kabhī yah buddhi mē̃ ā na sakē ki bhagvān paṛhātē haĩ .

29This can only be in your intellects. 30It can never enter the intellects of those who are trapped in their business etc. that God teaches them.

23Unhē̃ tō apnā dhandhā ādi hī yād rahtā hai .

31They only remember their business, etc.

24Tō tum bachchē jabki jāntē hō bhagvān hamkō paṛhātē haĩ tō kitnā harṣhit rahnā chāhiē aur tō sab haĩ pāī-paisē vālō̃ K|kē bachchē , tum tō bhagvān K|kē bachchē banē hō , tō tum bachchō̃ kō athāh khuśhī rahnī chāhiē .

32Therefore, since you children know that God is teaching you, you should be very cheerful. 33All others are children of those who are only worth a few pennies. 34Here, you have become God's children and so you should have limitless happiness.

25Kōī tō bahut harṣhit rahtē haĩ .

35Some of you do remain very cheerful.

26Kōī kahtē haĩ bābā hamārī murlī nahī̃ chaltī , yah hōtā … .

36Others say: “Baba, we cannot speak this knowledge; this happens, that happens.”

27Arē , murlī kōī muśhkil thōṛēhī hai .

37However, speaking this knowledge is not very difficult.

28Jaisē bhakti mārg mē̃ sādhū-santa ādi sē kōī pūchhtē haĩ - ham īśhvar sē kaisē milē̃  ? 29Parantu vah jāntē nahī̃ .

38On the path of devotion, people go to the sages and holy men and ask them how they can meet God, but none of them knows.

30Sirph aṅgulī sē iśhārā karē̃gē ki bhagvān kō yād karō . 31Bas , khuśh hō jātē haĩ .

39They simply signal upwards with their finger for them to remember God, that's all. 40They become happy with that answer.

32Vah kaun hai - duniyā mē̃ kōī bhī nahī̃ jāntē .

41No one in the world knows who He is.

33Apnē bāp kō kōī bhī nahī̃ jāntē .

42No one knows the Father.

34Yah drama hī aisā banā huā hai , phir bhī bhūl jāyēṅgē .

43The drama is created in this way. 44You will then forget again.

35Aisē nahī̃ ki tumhārē mē̃ sabhī bāp aur rachnā kō jāntē haĩ .

45Among you too, not everyone knows the Father and the creation.

36Kahā̃-kahā̃ tō chalan aisī chaltē haĩ , bāt mat pūchhō .

46At some places, the behaviour of children there is such, don't even ask!

37Vah naśhā hī uṛ jātā hai .

47That intoxication disappears.

38Abhī tum bachchō̃ kā pair purānī duniyā par jaisēki hai nahī̃ .

48It is as though the feet of you children are no longer in this old world.

39Tum jāntē hō kaliyugī duniyā sē ab pair uṭh gayā hai , boat ( nānv ) kā laṅgar uṭhāyā huā hai .

49You know that your feet have been raised above this iron-aged world. 50The anchor of the boat has been raised.

40Abhī ham jā rahē haĩ , bāp hamkō kahā̃ lē jāyēṅgē yah buddhi mē̃ hai kyōṅki bāp khivaiyā bhī hai tō bāgvān bhī hai .

51We are now about to leave. 52It is in your intellects where the Father is taking you, because the Father is the Boatman as well as the Master of the Garden.

41Kāṇṭō̃ kō fool|phūl banātē haĩ .

53He comes and changes thorns into flowers.

42Un jaisā bāgvān kōī hai nahī̃ jō kāṇṭō̃ kō fool|phūl banā dē .

54There is no other Master of the Garden like Him who could change thorns into flowers.

43Yah jādūgarī kōī cum|kam thōṛēhī hai . 44Kauṛī tulya ātmā kō hīrē tulya banātē haĩ .

55He changes souls who are as worthless as shells into those who are as valuable as diamonds; this magic is not a small thing.

45Ājkal jādūgar bahut nikalē haĩ , yah hai ṭhagō̃ key|kī duniyā .

56Nowadays, there are many magicians. 57This is a world of cheats.

46Bāp hai satgurū .

58The Father is the Satguru.

47Kahtē bhī haĩ satgurū akāl .

59They speak of the Satguru, the Immortal One.

48Bahut dhun sē kahtē haĩ .

60They say this with a lot of intoxication.

49Ab jabki khud kahtē haĩ satgurū ēk hai , sarv kā sadgati dātā ēk hai , phir apnē kō gurū kyō̃ kahlānā chāhiē  ?

61Since they themselves say that the Satguru is only the One, that the Bestower of Salvation for all is only the One, why do they call themselves gurus?

50Na vah samajhtē haĩ , na lōg hī kuchh samajhtē haĩ .

62Neither do they themselves understand anything nor do the people who believe in them understand anything.

51Is purānī duniyā mē̃ rakhā hī kyā hai .

63What is there in this old world?

52Bachchō̃ kō jab mālūm hōtā hai , bābā nayā ghar banā rahē haĩ tō aisā kaun hōgā jō nayē ghar sē naphrat , purānē ghar sē prīt rakhē̃gē .

64Since you children know that Baba is building a new home for you, who would dislike that new home and still love this old one?

53Buddhi mē̃ nayā ghar hī yād rahtā hai .

65One’s intellect would only remember the new home.

54Tum bēhad bāp K|kē bachchē banē hō tō tumhē̃ smr̥iti rahnī chāhiē ki bāp hamārē liē new world banā rahē haĩ . 55Ham us new world mē̃ jātē haĩ .

66You have now become children of the unlimited Father, and so you should be aware that the Father is creating a new world for you and that you are going to that new world.

56Us new world K|kē anēk nām haĩ . 57Satyug , heaven , paradise , vaikuṇṭha ādi . . . . . . tumhārī buddhi ab purānī duniyā sē uṭh gaī hai kyōṅki purānī duniyā mē̃ duḥkh hī duḥkh hai .

67That new world has many names: the golden age, heaven, Paradise, Vaikunth, etc. 68Your intellects have now been removed from this old world because there is nothing but sorrow here.

58Iskā nām hī hai hell , kāṇṭō̃ kā jaṅgal , raurav nark , kanspurī .

69What is its name? 70Its name is hell, the forest of thorns, the extreme depths of hell, the land of Kans (the devil).

59Inkā arth|earth bhī kōī nahī̃ jāntē . 60Pattharbuddhi haĩ nā .

71No one understands the meaning of it because everyone has a stone intellect.

61Bhārat kā dēkhō hall|hāl kyā hai .

72Just look at the state of Bharat.

62Bāp kahtē haĩ is samay sab pattharbuddhi haĩ .

73The Father says: At this time, everyone has a stone intellect.

63Satyug mē̃ sab haĩ pārasbuddhi , yathā rājā rānī tathā prajā .

74In the golden age, everyone's intellect is divine. 75As are the rulers, so the people.

64Yahā̃ tō hai hī prajā kā prajā par rājya isliē sabkī stamp banātē rahtē haĩ .

76Here, it is the rule of the people over the people. 77This is why stamps are made of everyone.

65Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ yah yād rahnā chāhiē . 66Ūñch tē ūñch hai bāp .

78Therefore, the intellects of you children must remember that the Highest on High is the Father.

67Phir second number mē̃ ūñch kaun hai  ?

79Who is the secondhighest?

68Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar key|kī tō kōī ūñchāī nahī̃ hai .

80Brahma, Vishnu and Shankar cannot be considered to be this.

69Śhaṅkar key|kī tō paharvāis ādi hī kaisī banā dī hai .

81Just look at the dress that they have portrayed for Shankar!

70Kah dētē haĩ vah bhāṅg pītē , dhatūrā khātē . . . . . . . yah tō insult hai nā .

82They say that he used to drink an intoxicating drink and eat bitter flowers. 83All of that is an insult to him.

71Yah bātē̃ hōtī nahī̃ .

84Such things do not exist there.

72Yah apnē dharm kō hī bhūlē huē haĩ .

85All of those people have forgotten their own religion.

73Apnē dēvtāō̃ kē liē kyā-kyā kahtē rahtē haĩ , kitnī bēijjatī kartē haĩ  !

86Just look at what they say about their deities! 87They are so disrespectful to their deities.

74Tab bāp kahtē haĩ mērī bhī bēijjatī , śhaṅkar key|kī , brahmā key|kī bhī bēijjatī .

88Therefore, the Father says: They have defamed Me, defamed Shankar and Brahma too.

75Viṣhṇu key|kī bēijjatī nahī̃ hōtī .

89Vishnu is not defamed.

76Vāstav mē̃ gupta unkī bhī kartē haĩ , kyōṅki viṣhṇu hī rādhē-kr̥iṣhṇa haĩ .

90However, they do defame him in an incognito way because Vishnu is also Radhe and Krishna.

77Ab kr̥iṣhṇa chhōṭā bachchā tō mahātmā sē bhī ūñch gāyā jātā hai .

91Krishna is an infant and considered to be more elevated than a great soul.

78Yah ( brahmā ) tō pīchhē sanyās kartē haĩ , vah tō chhōṭā bachchā hai hī pavitra . 79Pāp ādi kō jāntē nahī̃ .

92This Brahma renounced everything when he became old, whereas an infant is pure and innocent anyway; he doesn’t know anything about sin.

80Tō ūñch tē ūñch hai śhivbābā , phir bhī bichārō̃ kō patā nahī̃ hai ki prajāpitā brahmā kahā̃ hōnā chāhiē .

93The Highest on High is Shiv Baba. 94Even then, those poor things don't know where Prajapita Brahma has to be.

81Prajāpitā brahmā kō dikhātē bhī śharīrdhārī haĩ .

95Prajapita Brahma is shown as a bodily being.

82Ajmēr mē̃ unkā mandir hai .

96There is a temple to him in Ajmer.

83Dāṛhī mū̃chh dētē haĩ brahmā kō , śhaṅkar vā viṣhṇu kō nahī̃ dētē .

97Brahma is portrayed with a beard and moustache. 98Neither Shankar nor Vishnu is portrayed like that.

84Tō yah samajh key|kī bāt hai .

99Therefore, it is a matter of understanding.

85Prajāpitā brahmā sūkṣhmavatan mē̃ kaisē hōgā  !

100How could Brahma, the Father of Humanity, be in the subtle region?

86Vah tō yahā̃ hōnā chāhiē .

101He has to be down here.

87Is samay brahmā key|kī kitnī santān haĩ  ?

102There are so many children of Brahma at this time.

88Likhā huā hai prajāpitā brahmākumār-kumāriyā̃ itnē ḍhēr haĩ tō jarūr prajāpitā brahmā hōgā .

103It has been written that there are so many Prajapita Brahma Kumars and Kumaris. 104Therefore, there must definitely be Prajapita Brahma.

89Chaitanya hai tō jarūr kuchh kartē hōṅgē .

105Since he is in a living form, he must definitely be doing something.

90Kyā prajāpitā brahmā sirph bachchē hī paidā kartē haĩ yā aur bhī kuchh kartē haĩ .

106Would Prajapita Brahma simply be creating children or would he also be doing something else?

91Bhal ādi dēv brahmā , ādi dēvī sarasvatī kahtē haĩ parantu unkā part kyā hai , yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .

107Although Adi Dev Brahma and Adi Devi Saraswati are mentioned, no one knows what their parts are.

92Rachtā hai tō jarūr yahā̃ hōkar gayā hōgā .

108Since they are creators, they must surely have existed here.

93Jarūr brāhmaṇō̃ kō śhivbābā nē adopt kiyā hōgā .

109Shiv Baba must surely have adopted Brahmins.

94Nahī̃ tō brahmā kahā̃ sē āyē  ?

110Where else could Brahma have come from?

95Yah naī bātē̃ haĩ nā .

111This is a new aspect.

96Jab tak bāp nahī̃ āyā hai tab tak kōī jān nahī̃ saktē .

112No one can understand this until the Father comes and explains.

97Jiskā jō part hai vahī bajātē haĩ .

113Whatever someone's part is, it can only be played by that person.

98Buddha nē kyā part bajāyā , kab āyā , kyā ākar kiyā - kōī nahī̃ jāntē .

114What part did Buddha play? 115When did he come and what did he do when he came? 116No one knows this.

99Tum abhī jāntē hō kyā vah gurū hai , teacher hai , bāp hai  ?

117Do you know whether he was a guru or a teacher or a father?

100Nahī̃ . 101Sadgati tō dē na sakē .

118No; he cannot grant anyone salvation.

102Vah tō sirph apnē dharm K|kē rachtā ṭhaharē , gurū nahī̃ .

119He is simply the creator of his own religion. 120He is not a guru.

103Bāp bachchō̃ kō rachtē haĩ . 104Phir paṛhātē haĩ .

121The Father creates children and then He teaches them.

105Bāp , teacher , gurū tīnō̃ hī haĩ .

122He is the Father, the Teacher and the Guru; all three.

106Dūsrē kōī kō thōṛēhī kahē̃gē ki tum paṛhāō .

123He doesn’t ask anyone else to teach you.

107Aur kōī kē pās yah knowledge hai hī nahī̃ .

124No one else has this knowledge.

108Bēhad kā bāp hī gyān kā sāgar hai . 109Tō jarūr gyān sunāyēṅgē .

125Only the unlimited Father is the Ocean of Knowledge and so He would definitely give us this knowledge.

110Bāp nē hī svarg kā rājya-bhāgya diyā thā . 111Abhī phir sē dē rahē haĩ .

126Only the Father gave us our fortune of the kingdom of heaven and He is now giving us that once again.

112Bāp kahtē haĩ tum phir sē 5 hazār varṣh bād ākar milē hō .

127The Father says: You have come and met Me once again after 5000 years.

113Bachchō̃ kō andar mē̃ khuśhī hai jiskō sārī duniyā ḍhūṇḍh rahī hai , vah hamē̃ mil gayā .

128You children should have the internal happiness that you have now found the One for whom everyone else in the world is still searching.

114Bābā kahtē haĩ bachchē tum 5 hazār varṣh kē bād phir sē ākar milē hō .

129Baba says: Children, you have now come and met Me once again after 5000 years.

115Bachchē kahtē - hā̃ bābā , ham āpkō anēk bār milē haĩ .

130You children reply: Yes Baba, we have met You innumerable times before.

116Bhal kitnā bhī kōī tumkō mārē-pīṭē andar mē̃ tō vah khuśhī hai nā . 117Śhivbābā K|kē milnē key|kī yād tō hai nā .

131If you are beaten, at least you can remember that you have met Shiv Baba.

118Yād sē hī kitnē pāp kaṭtē haĩ .

132It is only by having remembrance of Him that your sins can be cut away.

119Ablāō̃ , bāndhēliyō̃ K|kē tō aur hī jāstī kaṭtē haĩ kyōṅki vah jāstī śhivbābā kō yād kartī haĩ .

133The sins of innocent ones, those in bondage, are cut away even more because they remember Shiv Baba a lot more.

120Atyāchār hōtē haĩ tō buddhi śhivbābā key|kī taraph chalī jātī hai . 121Śhivbābā rakṣhā karō .

134When they are being assaulted, their intellects go to Shiv Baba; "Shiv Baba, protect me!"

122Tō yād karnā achchhā hai nā .

135Therefore, it is good to remember Him.

123Bhalē rōz mār khāō , śhiv-bābā kō yād karē̃gī , yah tō bhalāī hai nā . 124Aisē mār par tō balihār jānā chāhiē . 125Mār paṛtī hai tō yād kartē haĩ . 126Kahtē haĩ gaṅgā jal mukh mē̃ hō , gaṅgā kā taṭ hō , tab prāṇ tan sē nikalē̃ .

136It is said: “At the time of death, one should be on a bank of the Ganges and have the water of the Ganges on your lips.”

127Tumkō jab mār miltī hai , buddhi mē̃ alpha aur bē yād hō . 128Bas .

137Therefore, let there be the remembrance of Alpha and beta in your intellect; that's all.

129Bābā kahnē sē varsā jarūr yād āyēgā .

138By saying "Baba", you definitely remember your inheritance.

130Aisā kōī bhī nahī̃ hōgā , jiskō bābā kahnē sē varsā yād na paṛē .

139There isn't anyone who wouldn't remember his inheritance when he says "Baba".

131Bāp kē sāth milkiyat jarūr yād āyēgī .

140Together with remembering one's father, one definitely remembers the property of one’s father.

132Tumkō bhī śhivbābā kē sāth varsā jarūr yād āyēgā .

141Together with Shiv Baba you also remember the inheritance.

133Vah tō tumkō viṣh kē liē ( vikār kē liē ) mār dēkar śhivbābā key|kī yād dilātē haĩ .

142Although they beat you for vice, they do make you remember Shiv Baba.

134Tum bāp sē varsā pātē hō , pāp kaṭ jātē haĩ .

143Therefore, you receive your inheritance from the Father and your sins are also being cut away.

135Yah bhī drama mē̃ tumhārē liē gupta kalyāṇ hai .

144This is incognito benefit for you in the drama.

136Jaisē kahā jātā hai laṛāī kalyāṇkārī hai tō yah mār bhī achchhī huī nā .

145Just as it is said that there is benefit in war, in the same way, there is benefit in this too.

137Ājkal bachchō̃ kā pradarśhanī mēlō̃ key|kī service par zōr hai .

146You children are now paying a lot of attention to doing service at the exhibitions and fairs.

138Nav nirmāṇ pradarśhanī K|kē sāth-sāth likh dō gate way to heaven .

147Together with the exhibition of, "The Creation of the New World", also write: Gateway to Heaven.

139Dōnō̃ akṣhar hōnē chāhiē .

148Both of these statements should be there.

140Naī duniyā kaisē sthāpan hōtī hai , unkā exhibition hai tō manuṣhyō̃ kō sunkar khuśhī hōgī .

149When people hear that there is an exhibition on how a new world is being established, they will become very happy.

141Naī duniyā kaisē sthāpan hōtī hai , unkē liē yah chitra banāyē haĩ .

150These pictures have been created for you to explain how that new world is being established.

142Ākar dēkhō .

151“Come and see them.”

143Gate way two|to|too new world , yah akṣhar bhī ṭhīk hai .

152The words, "Gateway to the New World", are also very good.

144Yah jō laṛāī hai inkē dvārā gates khultē haĩ .

153Those gates open through the war that is to take place.

145Gītā mē̃ bhī hai bhagvān āyā thā , ākar rājyōg sikhāyā thā .

154In the Gita, it is mentioned that God came and taught Raja Yoga.

146Manuṣhya sē dēvtā banāyā tō jarūr naī duniyā sthāpan huī hōgī .

155He changed human beings into deities. 156Therefore, the new world must definitely have been established by Him.

147Manuṣhya kitnā kōśhiśh kartē haĩ moon ( chānd ) mē̃ jānē key|kī .

157People make so much effort to go to the moon.

148Dēkhtē haĩ dhartī hī dhartī hai . 149Manuṣhya kuchh bhī dēkhnē mē̃ nahī̃ ātē .

158They can see that there is nothing but land there, that there aren't any human beings to be seen there.

150Itnā sunātē haĩ .

159They are only able to tell you this much.

151Issē phāydā hī kyā  !

160What is the benefit of that?

152Abhī tum real silence mē̃ jātē hō nā .

161You now go into real silence.

153Aśharīrī bantē hō .

162You become bodiless.

154Vō hai silence world .

163That is a world of silence.

155Tum maut chāhtē hō , śharīr chhōṛ jānā chāhtē hō .

164You want to die, you want to renounce your body.

156Bāp kō bhī maut kē liē hī bulātē hō ki ākar apnē sāth mukti-jīvanmukti mē̃ lē jāō .

165You called out to the Father for death. 166You called out to Him to take you with Him into liberation and liberation-in-life.

157Parantu samajhtē thōṛēhī haĩ , patit-pāvan āyēṅgē tō jaisē ham kālō̃ K|kē kāl kō bulātē haĩ .

167However, people did not understand that when they invited the Purifier to come, it was as though they were inviting the Death of all Deaths to come.

158Abhī tum samajhtē hō , bābā āyā huā hai , kahtē haĩ chalō ghar aur ham ghar jātē haĩ .

168You now understand that Baba has come. 169He says: Come, let us now return home. 170So, we are now returning home.

159Buddhi kām kartī hai nā .

171The intellect continues to work.

160Yahā̃ kaī bachchē hōṅgē jinkī buddhi dhandhē ādi taraph dauṛtī hōgī . 161Phalānā bīmār hai , kyā huā hōgā .

172There are some children here whose intellects run to their business, etc., or that So-and-so is ill, or they wonder what would have happened to him.

162Anēk prakār K|kē saṅkalp ā jātē haĩ .

173There are many different kinds of thoughts.

163Bāp kahtē haĩ tum yahā̃ baiṭhē hō , ātmā key|kī buddhi bāp aur varsē taraph rahē .

174The Father says: While you are sitting here, the intellects of you souls go to the Father and the inheritance.

164Ātmā hī yād kartī hai nā .

175It is souls that remember.

165Samjhō kōī kā bachchā london mē̃ hai , samāchār āyā bīmār hai . 166Bas , buddhi chalī jāyēgī .

176For instance, when a father receives news that his child in London is unwell, his intellect would very quickly go there.

167Phir gyān buddhi mē̃ baiṭh na sakē .

177This knowledge would not then sit in his intellect.

168Yahā̃ baiṭhē huē buddhi mē̃ unkī yād ātī rahēgī .

178While sitting here, his intellect would continue to remember his child.

169Kōī kā pati bīmār hō gayā tō strī K|kē andar uthal-pāthal hōgī . 170Buddhi jātī tō hai nā .

179When a woman's husband is ill, there would be turmoil within her; her intellect would be diverted there.

171Tō tum bhī yahā̃ baiṭhē sab kuchh kartē śhivbābā kō yād kartē rahō .

180You must continue to remember Shiv Baba while sitting here or whatever else you're doing.

172Tō bhī ahō saubhāgya .

181This, too, is your great fortune.

173Jaisē vah pati kō athavā gurū kō yād kartē haĩ , tum bāp kō yād karō .

182Just as they remember their husband or guru, so you must remember the Father.

174Tumhē̃ apnā ēk minute bhī west|waste nahī̃ karnā chāhiē . 175Bāp kō jitnā yād karē̃gē tō service karnē mē̃ bhī bāp hī yād āyēgā .

183Don't waste even a minute. 184The more you remember the Father, the more you will be able to remember Him while doing service.

176Bābā nē kahā hai mērē bhaktō̃ kō samjhāō .

185The Father has said: Explain to My devotees.

177Yah kisnē kahā  ?

186Who said this?

178Śhivbābā nē .

187Shiv Baba.

179Śhrī kr̥iṣhṇa K|kē bhaktō̃ kō kyā samjhāyēṅgē  ?

188What would you explain to the devotees of Shri Krishna?

180Unkō kahō śhrī kr̥iṣhṇa naī duniyā sthāpan kar rahē haĩ . 181Mānē̃gē  ?

189Would they believe you if you told them that Shri Krishna is establishing a new world?

182Creator tō god father hai , śhrī kr̥iṣhṇa thōṛēhī hai .

190God, the Father, not Shri Krishna, is the Creator.

183Parampitā paramātmā hī purānī duniyā kō naī banā rahē haĩ , yah mānē̃gē bhī .

191They will accept it when you tell them that the Supreme Father, the Supreme Soul, is the One who makes this old world new.

184Naī sō purānī , purānī sō phir naī hōtī hai .

192The new world becomes old and then the old becomes new.

185Sirph time bahut dē dēnē sē manuṣhya ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .

193However, because it has been given a long duration, people are in total darkness.

186Tumhārē liē tō ab hathēlī par bahiśht hai .

194He is offering you heaven on the palm of His hand.

187Bāp kahtē haĩ maĩ tumkō us svarg kā mālik banānē āyā hū̃ .

195The Father says: I have come to make you into the masters of that heaven.

188Banē̃gē  ?

196Will you become that?

189Vāh , kyō̃ nahī̃ banē̃gē  !

197Wonderful! 198Why should we not become that?

190Achchhā , mujhē yād karō , pavitra banō .

199Achcha, remember Me, and become pure!

191Yād sē hī pāp bhasma hō jāyēṅgē .

200Only by your having this remembrance can your sins be burnt away.

192Tum bachchē jāntē hō vikarmō̃ kā bōjh ātmā par hai , na ki śharīr par .

201You children know that the burden of sins is on you souls and not your bodies.

193Agar śharīr par bōjhā hōtā tō jab śharīr kō jalā dētē haĩ tō uskē sāth pāp bhī jal jātē .

202If the burden were on the bodies, then, when the bodies are burnt, the sins would be burnt as well.

194Ātmā tō hai hī avināśhī , usmē̃ sirph khād paṛtī hai .

203Souls are imperishable. 204It is simply that alloy has been mixed into souls.

195Jinkō nikālnē kē liē bāp ēk hī yukti batlātē haĩ ki yād karō .

205The Father shows you the only way to remove it: Remember Me!

196Patit sē pāvan bannē key|kī yukti kaisī achchhī hai .

206The way to become pure from impure is very good.

197Mandir banānē vālē , śhiv key|kī pūjā karnē vālē bhī bhakta haĩ nā .

207Those who build temples to worship Shiva are devotees.

198Pujārī kō kabhī pūjya kah na sakē̃ .

208A worshipper cannot be called worthy of worship.

199Achchhā .

209Achcha.

200Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

210To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

201Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

211The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

202Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

212Essence for dharna:

2031 ) jisē sārī duniyā ḍhūṇḍh rahī hai , vah bābā hamē̃ mil gayā - isī khuśhī mē̃ rahnā hai .

213 1. You have now found the Baba for whom the whole world is still searching. 214Stay in this happiness.

204Yād sē hī pāp kaṭtē haĩ isliē kisī bhī paristhiti mē̃ bāp aur varsē kō yād karnā hai .

215Only by having this remembrance can your sins be cut away. 216Therefore, no matter what the circumstances are, remember the Father and the inheritance.

205Ēk minute bhī apnā samay west|waste nahī̃ karnā hai .

217Do not waste even one minute of your time.

2062 ) is purānī duniyā sē buddhi kā laṅgar uṭhā dēnā hai .

218 2. Raise the anchor of your intellect above this old world.

207Bābā hamārē liyē nayā ghar banā rahē haĩ , yah hai raurav nark , kaṅs purī , ham jātē haĩ vaikuṇṭhpurī mē̃ . 208Sadā is smr̥iti mē̃ rahnā hai .

219Baba is now building a new home for us. 220Constantly stay aware that this world is in the extreme depths of hell, the land of Kans (the devil) and that we are now going to the land of Paradise.

Blessing

209Vardān  : bihaṅg mārg key|kī sēvā dvārā viśhva parivartan K|kē kārya kō sampann karnē vālē sachchē sēvādhārī bhav

221Blessing: May you be a true server and accomplish the task of world transformation by doing service at a fast speed.

210Bihaṅg mārg key|kī sēvā karnē kē liē saṅgaṭhit rūp mē̃ «  rūp aur basant ' ' in dō bātō̃ kā balance chāhiē .

222 In order to serve at a fast speed, you need to have a balance of both “rup” and “basant” collectively.

211Jaisē basant rūp sē ēk samay par anēk ātmāō̃ kō sandēśh dēnē kā kārya kartē hō aisē hī rūp arthāt yād bal dvārā , śhrēṣhṭh saṅkalp K|kē bal dvārā bihaṅg mārg key|kī service karō .

223With the form of “basant” you are able to carry out the task of giving the message to many souls at the same time. 224Similarly, as “rup”, that is, with your power of remembrance and your power of elevated thoughts, you have to do service at a fast speed.

212Iskī bhī invention nikālō .

225Create an invention for this.

213Sāth-sāth saṅgaṭhit rūp mē̃ dr̥iṛh saṅkalp sē purānē saṅskār , svabhāv va purānī chalan K|kē til va jaũ yagya mē̃ svāhā karō tab viśhva parivartan kā kārya sampann hōgā athavā yagya key|kī samāpti hōgī .

226Together with this, collectively sacrifice the sesame seeds and barley grain of your old sanskars, your old nature and your old activity with determination and the task of world transformation will then be accomplished and the sacrificial fire completed.

Slogan

214Slōgan  : bālak aur mālik pan K|kē balance sē plan kō practical mē̃ lāō .

227Slogan: You can put your plans into a practical form by having a balance of being a master and a child.

228*** Om Shanti ***

215Avyakt iśhārē - rūhānī royalty aur purity key|kī personality dhāraṇ karō

229Avyakt signal: Imbibe the personality of spiritual royalty and purity.

216Is īśhvarīy sēvā mē̃ baṛē-sē-baṛā puṇya hai - pavitratā kā dān dēnā .

230In this Godly service, the greatest charity is to give the donation of purity.

217Pavitra bannā aur banānā hī puṇya ātmā bannā hai kyōṅki kisī ātmā kō ātma-ghāt mahā pāp sē chhuṛātē hō .

231To be pure and enable others to become pure is to be a charitable soul, because you liberate souls from the great sin of committing suicide of the soul.

218Apavitratā ātma-ghāt hai . 219Pavitratā jīy-dān hai .

232Impurity is committing suicide of the soul and purity is to give the donation of life.

220Kiskā duḥkh lēkar sukh dēnā , yahī sabsē baṛē tē baṛā puṇya kā kām hai .

233To remove someone’s sorrow and give him happiness is the greatest act of charity.

221Aisē puṇya kartē-kartē puṇyātmā ban jāyēṅgē .

234By performing such charity, you will become a charitable soul.