गुरुवार 3 जुलाई 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

003-07-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

0 03/07/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - is bēhad nāṭak mē̃ tum wonderful actor hō , yah anādi nāṭak hai , ismē̃ kuchh bhī badlī|badalī nahī̃ hō saktā ' '

1Essence: Sweet children, you are wonderful actors in this unlimited play. 2This is an eternal play and nothing in it can be changed.

Question

2Praśhna  : buddhivān , dūrādēśhī bachchē hī kis guhya rāz kō samajh saktē haĩ  ?

3Question: Which deep secrets do only the wise, far-sighted children understand?

Answer

3Uttar  : mūlvatan sē lēkar sārē drama K|kē ādi-madhy-ant kā jō guhya rāz hai , vah dūrādēśhī bachchē hī samajh saktē haĩ , bīj aur jhāṛ kā sārā gyān unkī buddhi mē̃ rahtā hai .

4Answer: The deep secrets of the incorporeal world and the beginning, middle and end of the whole drama can only be understood by the far-sighted children. 5The full knowledge of the Seed and the tree is in their intellects.

4Vah jāntē haĩ - is bēhad K|kē nāṭak mē̃ ātmā rūpī actor jō yah chōlā pahankar part bajā rahī hai , isē satyug sē lēkar kaliyug tak part bajānā hai .

6They know that every soul is an actor in this unlimited play and that they wear costumes to play their parts from the golden age to the iron age.

5Kōī bhī actor bīch mē̃ vāpis jā nahī̃ saktā .

7No actor can return home midway.

Song

6Gīt  : tūnē rāt ganvāī …

8Song: You wasted the day in eating and the night in sleeping.

Murli

7Ōm śhānti .

9Om shanti.

8Yah gīt bachchō̃ nē sunā .

10You children heard the song.

9Ab ismē̃ kōī akṣhar right bhī haĩ , tō wrong bhī haĩ .

11Some words in that song are right and others are wrong.

10Sukh mē̃ tō simraṇ kiyā nahī̃ jātā .

12No one remembers God in times of happiness.

11Duḥkh kō bhī ānā hai jarūr .

13Sorrow definitely has to come.

12Duḥkh hō tab tō sukh dēnē kē liē bāp kō ānā paṛē .

14It is when there is sorrow that the Father has to come and give happiness.

13Mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō mālūm hai , abhī ham sukhdhām kē liē paṛh rahē haĩ . 14Śhāntidhām aur sukhdhām .

15You sweetest children know that you are now studying for the land of happiness: the land of peace and the land the happiness.

15Pahlē mukti phir hōtī hai jīvanmukti .

16First, there is liberation, then liberation-in-life.

16Śhāntidhām ghar hai , vahā̃ kōī part nahī̃ bajāyā jātā .

17The land of peace is your home; no one plays a part there.

17Actors ghar mē̃ chalē jātē haĩ , vahā̃ kōī part nahī̃ bajātē .

18When an actor goes home, he doesn’t play a part there.

18Part stage par bajāyā jātā hai .

19A part is played on a stage.

19Yah bhī stage hai .

20This too is a stage.

20Jaisē had kā nāṭak hōtā hai vaisē yah bēhad kā nāṭak hai .

21Just as there are limited plays, so this is an unlimited play.

21Inkē ādi-madhy-ant kā rāz sivāē bāp K|kē kōī aur samjhā na sakē .

22No one except the Father can explain the secrets of its beginning, middle and end.

22Vāstav mē̃ yah yātrā athavā yuddha akṣhar sirph samjhānē mē̃ kām mē̃ lātē haĩ .

23In fact, the words “pilgrimage” and “war” are only used in order to explain to you.

23Bākī ismē̃ yuddha ādi kuchh hai nahī̃ .

24There is no war etc. here.

24Yātrā bhī akṣhar hai . 25Bākī hai tō yād .

25The word “pilgrimage” is used, but, in fact, it means remembrance.

26Yād kartē-kartē pāvan ban jāyēṅgē .

26It is by continuously staying in remembrance that you will become pure.

27Yah yātrā pūrī bhī yahā̃ hī hōgī .

27This pilgrimage will also end here.

28Kahā̃ jānā nahī̃ hai .

28You don’t have to go anywhere.

29Bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai pāvan bankar apnē ghar jānā hai .

29It has been explained to you children that you have to become pure and then return home.

30Apavitr tō jā na sakē̃ .

30Impure ones cannot go back home.

31Apnē kō ātmā samajhnā hai .

31Consider yourselves to be souls.

32Mujh ātmā mē̃ sārē chakra kā part hai .

32I, a soul, am filled with a part for the whole cycle.

33Abhī vah part pūrā huā hai .

33This part is now ending.

34Bāp rāy dētē haĩ bahut sahaj , mujhē yād karō .

34The Father gives advice: It is very easy, remember Me!

35Bākī baiṭhē tō yahā̃ hī hō . 36Kahā̃ jātē nahī̃ hō .

35Otherwise, you sit here; you don’t go anywhere.

37Bāp ākar kahtē haĩ mujhē yād karō tō tum pāvan ban jāyēṅgē .

36The Father comes and says: Remember Me and you will become pure.

38Yuddha kōī hai nahī̃ .

37There is no war.

39Apnē kō tamōpradhān sē satōpradhān banānā hai .

38You have to make yourself satopradhan from tamopradhan.

40Māyā par jīt pānī hai .

39It is Maya that has to be conquered.

41Bachchē jāntē haĩ 84 kā chakra pūrā hōnā hai , bhārat satōpradhān thā .

40You children know that the cycle of 84 births has to end. 41Bharat was satopradhan.

42Usmē̃ jarūr manuṣhya hī hōṅgē .

42There would definitely be human beings here.

43Jamīn thōṛēhī badalēgī .

43The Earth will not change.

44Abhī tum jāntē hō ham satōpradhān thē phir tamōpradhān banē ab phir satōpradhān bannā hai .

44You now know that you were satopradhan, that you have become tamopradhan and that you have to become satopradhan once again.

45Manuṣhya pukārtē bhī haĩ ki ākar hamkō patit sē pāvan banāō .

45Human beings call out to Him to come and purify them.

46Parantu vah kaun hai , kaisē ātē haĩ , kuchh nahī̃ jāntē .

46However, they don’t know who He is or how He comes.

47Abhī bābā nē tumhē̃ samajhdār banāyā hai .

47Baba has now made you very sensible.

48Kitnā ūñch martabā tum pātē hō .

48You claim such a high status.

49Vahā̃ K|kē garīb bhī bahut ūñch haĩ , yahā̃ K|kē sāhūkārō̃ sē .

49Even the poor there were much more elevated than the wealthy here are.

50Bhal kitnē bhī baṛē-baṛē rājāyē̃ thē , dhan bahut thā parantu haĩ tō vikārī nā .

50Later, there were many big kings and there was plenty of wealth, but they still indulged in vice.

51Insē vahā̃ key|kī sādhāraṇ prajā bhī bahut ūñch bantī hai .

51The ordinary subjects there (heaven) are a lot more elevated than they (the later kings) were.

52Bābā phark batlātē haĩ .

52Baba is explaining the difference to you.

53Rāvaṇ kā parchhāyā ānē sē patit ban jātē haĩ .

53When the shadow of Ravan falls on souls, they become impure.

54Nirvikārī dēvtāō̃ kē āgē apnē kō patit kah māthā jākar ṭēktē haĩ .

54They call themselves impure in front of the idols of the viceless deities and bow down to them.

55Bāp yahā̃ ātē haĩ tō phaṭ sē ūñch chaṛhā dētē haĩ . 56Second key|kī bāt hai .

55When the Father comes here, He instantly elevates you; it is a matter of a second.

57Abhī bāp nē tīsrā nētra diyā hai gyān kā .

56The Father has now given each of you a third eye of this knowledge.

58Tum bachchē dūrādēśhī ban jātē hō .

57You children are becoming far-sighted.

59Ūpar mūlvatan sē lēkar sārē drama kā chakra tumhārī buddhi mē̃ yād hai .

58Your intellects can remember the whole cycle of the drama, starting from the incorporeal world up above.

60Jaisē had kā drama dēkhkar phir āē sunātē haĩ nā - kyā-kyā dēkhā .

59When you go to see a limited drama, you can relate everything you saw.

61Buddhi mē̃ bharā huā hai , jō varṇan kartē haĩ .

60You can speak of everything because your intellect is filled with it.

62Ātmā mē̃ bharkar ātē haĩ phir ākar delivery kartē haĩ .

61The soul fills himself up and then delivers it.

63Yah phir haĩ bēhad key|kī bātē̃ .

62Similarly, this is a matter of the unlimited.

64Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ is bēhad drama K|kē ādi-madhy-ant kā rāz rahnā chāhiē . 65Jō repeat hōtā rahtā hai .

63You children should keep your intellects filled with the secrets of the beginning, middle and end of this unlimited drama, which continues to repeat.

66Us had K|kē nāṭak mē̃ tō ēk actor nikal jātā hai tō phir badalē|badlē mē̃ dūsrā ā saktā hai .

64If an actor is removed from a limited play, he can be replaced by another one.

67Kōī bīmār huā tō unkē badalē|badlē phir dūsrā add kar dēgē .

65When someone falls ill, he is replaced with another.

68Yah tō chaitanya drama hai , ismē̃ zarā bhī adlī-badlī nahī̃ hō saktī .

66However, this drama is living; there cannot be the slightest change in this.

69Tum bachchē jāntē hō ham ātmā haĩ .

67You children know that you are souls.

70Yah śharīr rūpī chōlā hai , jō pahankar ham bahurūpī part bajātē haĩ .

68Those bodies are your costumes which you wear to perform your various parts.

71Nām , rūp , dēśh , features badaltē jātē haĩ .

69Your names, forms, lands, features all continue to change.

72Actors kō apnī act kā tō mālūm hōtā hai nā .

70Actors are aware of what they have to act.

73Bāp bachchō̃ kō yah chakra kā rāz tō samjhātē rahtē haĩ .

71The Father continues to explain the secrets of the cycle to you children.

74Satyug sē lēkar kaliyug tak ātē haĩ phir jātē haĩ phir nayē sir ākar part bajātē haĩ .

72You go from the golden age to this iron age, then you go home and go down to play your parts anew.

75Inkī detail samjhānē mē̃ time lagtā hai .

73It takes time to explain the details of all of this.

76Bīj mē̃ bhal knowledge hai phir bhī samjhānē mē̃ time tō lagtā hai nā .

74Although this knowledge is in the Seed, it takes time to explain it.

77Tumhārī buddhi mē̃ sārā bīj aur jhāṛ kā rāz hai , sō bhī jō achchhē buddhivān haĩ , vahī samajhtē haĩ ki iskā bīj ūpar mē̃ haĩ .

75Your intellects are aware of all the secrets of the Seed and the tree. 76In that, too, those who are very wise understand that the Seed of this tree is up above.

78Inkī utpatti , pālnā aur sanhār kaisē hōtā hai , isliē trimūrti bhī dikhāyā hai .

77They understand how the tree is created, sustained and then destroyed. 78This is why the Trimurti has been portrayed.

79Yah samjhānī jō bāp dētē haĩ , aur kōī bhī manuṣhya dē na sakē .

79No human being can give the explanation that the Father gives.

80Jab yahā̃ āyē tab patā paṛē isliē tum sabkō kahtē hō yahā̃ ākar samjhō .

80It is only when they come here that they can know about it. 81This is why you tell everyone to come here and understand.

81Kōī-kōī bahut kaṭṭar hōtē haĩ tō kahtē haĩ hamkō kuchh sunnā nahī̃ hai .

82Some are very staunch in their own beliefs. 83Therefore, they say that they don’t want to listen to anything.

82Kōī tō phir suntē bhī haĩ , kōī literature lētē haĩ , kōī nahī̃ lētē haĩ .

84Some listen to you, some even buy your literature whereas others don’t.

83Tumhārī buddhi abhī kitnī viśhāl , dūrādēśhī hō gaī hai .

85Your intellects have now become so broad, unlimited and far-sighted.

84Tīnō̃ lōkō̃ kō tum jāntē hō , mūlvatan jiskō nirākārī duniyā kahā jātā hai .

86You know about all three worlds. 87You know the supreme region which is also called the incorporeal world.

85Bākī sūkṣhmavatan kā kuchh bhī hai nahī̃ .

88The subtle region is nothing.

86Connection sārā hai mūlvatan aur sthūlvatan sē . 87Bākī sūkṣhmavatan tō thōṛā time kē liē hai .

89The whole connection is with the incorporeal world and the corporeal world; the subtle region only exists now for a short time.

88Bākī ātmāyē̃ sab ūpar sē yahā̃ ātī haĩ part bajānē .

90All souls have to come down here from up above to play their parts.

89Yah jhāṛ sab dharmō̃ kā number-vār hai .

91This tree of all religions is numberwise.

90Yah hai manuṣhyō̃ kā jhāṛ aur bilkul accurate hai .

92This tree is of human beings; it is absolutely accurate.

91Kuchh bhī āgē-pīchhē hō na sakē . 92Na ātmāyē̃ aur kōī jagah baiṭh saktī haĩ .

93Nothing in it can take place earlier or later, nor can souls sit anywhere else.

93Ātmāyē̃ brahm mahatatva mē̃ khaṛī hōtī haĩ , jaisē stars ākāśh mē̃ khaṛē haĩ .

94Souls stand up there in the brahm element just as stars hang in the sky.

94Yah stars tō dūr sē chhōṭē-chhōṭē dēkhnē mē̃ ātē haĩ . 95Haĩ tō baṛē .

95When those stars are seen from a distance they seem to be tiny but, in fact, they are large.

96Lēkin ātmā tō na chhōṭī-baṛī hōtī hai , na vināśh kō pātī hai .

96However, souls neither become larger or smaller nor can they ever be destroyed.

97Tum golden age mē̃ jātē hō phir iron age mē̃ ātē hō .

97You go to the golden age and then come into this iron age.

98Bachchē jāntē haĩ ham golden age mē̃ thē , ab iron age mē̃ ā gayē haĩ .

98You children know that you were in the golden age and that you have now come into this iron age.

99Kōī value nahī̃ rahī hai .

99There is no value left.

100Bhal māyā key|kī chamak kitnī bhī hai parantu yah hai rāvaṇ key|kī golden age , vah hai īśhvarīy golden age .

100No matter how much sparkle of Maya there is, it is still the golden age of Ravan whereas that is God’s golden age.

101Manuṣhya kahtē rahtē haĩ - 6-7 varṣhō̃ mē̃ itnā anāj hōgā , jō bāt mat pūchhō .

101People continue to speak of how there will be so much grain in six to seven years, don’t even ask!

102Dēkhō , unhō̃ kā plan kyā hai aur tum bachchō̃ kā plan kyā hai  ?

102Look what their plan is and what the plan of you children is!

103Bāp kahtē haĩ mērā plan hai purānī kō nayā banānā .

103The Father says: My plan is to make the old new.

104Tumhārā ēk hī plan hai .

104You just have the one plan.

105Jāntē hō bāp key|kī śhrīmat sē ham apnā varsā lē rahē haĩ .

105You know that you are claiming your inheritance by following the Father’s shrimat.

106Bābā rāstā batātē haĩ , śhrīmat dētē haĩ , yād mē̃ rahnē key|kī mat dētē haĩ .

106Baba shows you the way. 107He gives you shrimat and the direction to stay in remembrance.

107Mat akṣhar tō hai nā .

108There is the word “direction”.

108Saṅskr̥it akṣhar tō bāp nahī̃ bōltē haĩ .

109The Father doesn’t speak in Sanskrit.

109Bāp tō hindī mē̃ hī samjhātē rahtē haĩ .

110He only explains in Hindi.

110Bhāṣhāyē̃ tō ḍhēr haĩ nā .

111There are so many languages.

111Interpreter bhī hōtē haĩ , jō sunkar phir sunātē haĩ .

112There are also interpreters who listen to what is said and then translate it.

112Hindī aur english tō bahut jāntē haĩ . 113Paṛhtē haĩ .

113Many people know Hindi and English; they study them.

114Bākī mātāyē̃ ghar mē̃ rahnē vālī itnā nahī̃ paṛhtī haĩ .

114However, the mothers who look after their homes don’t study that much.

115Ājkal vilāyat mē̃ aṅgrējī sīkhtē haĩ tō phir yahā̃ ānē sē bhī english bōltē rahtē haĩ . 116Hindī bōl hī nahī̃ saktē .

115Nowadays, when people learn English abroad, they continue to speak English even when they come back here and they can’t even speak Hindi.

117Ghar mē̃ ātē haĩ tō mā̃ sē english mē̃ bāt karnē lag paṛtē haĩ .

116When they go home, they start speaking to their mothers in English.

118Vah bichārī mūnjh paṛtī haĩ ham kyā jānē̃ english sē .

117Their poor mothers become confused because they don’t know English.

119Phir unkō ṭūṭī-phūṭī hindī sīkhnī paṛē .

118Then they have to learn broken Hindi.

120Satyug mē̃ tō ēk rājya ēk bhāṣhā thī , jō ab phir sē sthāpan kar rahē haĩ .

119In the golden age, there was one kingdom and one language. 120That is being established once again.

121Her|har 5 hazār varṣh bād yah sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai sō buddhi mē̃ rahnā chāhiē .

121Keep it in your intellects how the world cycle turns every 5000 years.

122Ab ēk bāp key|kī hī yād mē̃ rahnā hai .

122You now have to stay in remembrance of the one Father.

123Yahā̃ tumkō phursat achchhī rahtī hai .

123You have a lot of time here.

124Savērē mē̃ snān ādi kar bāhar ghūmnē phirnē mē̃ baṛā mazā ātā hai , andar mē̃ yahī yād rahē ham sab actors haĩ .

124In the morning, after bathing etc., you can enjoy yourself a great deal by going for a walk. 125Just remember internally how all of us are actors.

125Yah bhī abhī smr̥iti āī hai .

126You now have this awareness.

126Bābā nē hamkō 84 K|kē chakra kā rāz batāyā hai .

127Baba has told us the secrets of the cycle of 84 births.

127Ham satōpradhān thē , yah baṛī khuśhī key|kī bāt hai .

128We were satopradhan; this is a matter of great happiness.

128Manuṣhya ghūmtē-phirtē haĩ , unkī kuchh bhī kamāī nahī̃ . 129Tum tō bahut kamāī kartē hō .

129Human beings keep moving around; they have no income whereas you earn a great deal.

130Buddhi mē̃ chakra bhī yād rahē phir bāp kō bhī yād kartē rahō .

130Keep the cycle in your intellects and also continue to remember the Father.

131Kamāī karnē key|kī yuktiyā̃ bābā bahut achchhī-achchhī batātē haĩ .

131Baba shows you many good ways to earn an income.

132Jō bachchē gyān kā vichār sāgar manthan nahī̃ kartē haĩ unkī buddhi mē̃ māyā khiṭ-khiṭ kartī hai .

132When children don't churn the ocean of this knowledge, Maya causes their intellects a lot of disturbance.

133Unhē̃ hī māyā taṅg kartī hai .

133Maya troubles them.

134Andar mē̃ yah vichār karō hamnē yah chakra kaisē lagāyā hai . 135Satyug mē̃ itnē janma liē phir nīchē utartē āyē .

134Think about how you have gone around the cycle, how you took this many births in the golden age and then continued to come down.

136Ab phir satōpradhān bannā hai .

135You now have to become satopradhan once again.

137Bābā nē kahā hai - mujhē yād karō tō satōpradhān ban jāyēṅgē .

136Baba has said: Remember Me and you will become satopradhan.

138Chaltē-phirtē buddhi mē̃ yād rahē tō māyā key|kī khiṭ-khiṭ samāpt hō jāyēgī . 139Tumhārā bahut-bahut fāydā hōgā .

137Keep the remembrance of Baba in your intellects while walking and moving around and the disturbances of Maya will end and you will experience a great deal of benefit.

140Bhal strī-puruṣh sāth jātē hō . 141Har ēk kō apanēsir mēhnat karnī hai , apnā ūñch pad pānē .

138Even though a couple may come here together, each of them has to make his and her own individual effort to claim a high status.

142Akēlē mē̃ jānē sē tō bahut hī mazā hai . 143Apnī hī dhun mē̃ rahē̃gē .

139There is a lot of pleasure in coming here alone because you can concentrate on yourself.

144Dūsrā sāth mē̃ hōgā tō bhī buddhi idhar-udhar jāyēgī .

140If there is another person with you, your intellect would be pulled here and there.

145Hai bahut sahaj , bagīchē ādi tō sab jagah haĩ , engineer hōgā tō unkā yahī chintan chaltā rahēgā ki yahā̃ pul banānī hai , yah karnā hai .

141It is very easy here. 142There are gardens everywhere. 143If an engineer saw them, he would think about how he could create a bridge here or there. 144He would constantly be thinking about what he could do.

146Buddhi mē̃ plan ā jātā hai .

145Plans emerge in the intellect.

147Tum bhī ghar mē̃ baiṭhō phir bhī buddhi us taraph lagī rahē .

146The intellects of even those who are sitting at home should be connected there.

148Yah ādat rakhō tō tumhārē andar yahī chintan chaltā rahē .

147Adopt this habit and just constantly think about this.

149Paṛhnā bhī hai , dhandhā ādi bhī karnā hai .

148You have to study and also carry on with your business.

150Būṛhē , javān , bachchō̃ ādi sabkō pāvan bannā hai .

149The old, the young, the children etc. all have to become pure.

151Ātmā kō hak hai , bāp sē varsā lēnē kā .

150Each soul has a right to claim his inheritance from the Father.

152Bachchō̃ kō bhī chhōṭēpan mē̃ hī yah bīj paṛ jāē tō bahut achchhā .

151It is very good to sow this seed in your children in their childhood.

153Ādhyātmik vidyā aur kōī sikhā na sakē .

152No one else can teach this spiritual knowledge.

154Tumhārī yah jō ādhyātmik vidyā hai , yah tumkō bāp hī ākar paṛhātē haĩ .

153This is your spiritual knowledge that the Father teaches you when He comes.

155Un skūlō̃ mē̃ miltī hai jismānī vidyā . 156Aur vah hai śhāstrō̃ key|kī vidyā .

154In other schools you receive worldly knowledge, and the other knowledge is that of the scriptures.

157Yah phir hai rūhānī vidyā , jō tumkō bhagvān sikhlātē haĩ .

155This knowledge is spiritual which God is teaching you.

158Inkā kiskō bhī patā nahī̃ .

156No one else knows about this.

159Inkō kahā hī jātā hai spiritual knowledge . 160Jō rūh ākar paṛhātē haĩ , unkā aur kōī nām nahī̃ rakhā jā saktā .

157This is called spiritual knowledge which the Spirit comes and teaches you. 158It cannot be given any other name.

161Yah tō svayã bāp ākar paṛhātē haĩ .

159The Father Himself comes and teaches this.

162Bhagvānuvāch hai nā .

160These are the versions of God.

163Bhagvān ēk hī bār is samay ākar samjhātē haĩ , iskō rūhānī knowledge kahā jātā hai .

161God only comes once, at this time, and explains to us. 162This is called spiritual knowledge.

164Vah śhāstrō̃ key|kī vidyā alag hai .

163The knowledge of the scriptures is different from this knowledge.

165Tumkō patā hai ki knowledge ēk hai jismānī college ādi key|kī , dūsrī hai ādhyātmik śhāstrō̃ key|kī vidyā , tīsrī hai yah rūhānī knowledge .

164You know that one type of knowledge is that of worldly colleges etc., the second is the religious knowledge of the scriptures and the third is this spiritual knowledge.

166Vah bhal kitnē bhī baṛē-baṛē doctor of|off philosophy haĩ , parantu unhō̃ kē pās bhī śhāstrō̃ key|kī bātē̃ haĩ .

165No matter how great those doctors of philosophy may be, they too only know things of the scriptures.

167Tumhārī yah knowledge bilkul alag hai .

166This knowledge of yours is totally separate.

168Yah spiritual knowledge jō spiritual father sabhī ātmāō̃ kā bāp hai , vahī paṛhātē haĩ .

167Only the spiritual Father, who is the Father of all souls, teaches this spiritual knowledge.

169Unkī mahimā hai śhānti , sukh kā sāgar . . . . . . .

168His praise is: The Ocean of Peace, Happiness, etc.

170Kr̥iṣhṇa key|kī mahimā bilkul alag hai , guṇ-avaguṇ manuṣhya mē̃ hōtē haĩ , jō bōltē rahtē haĩ .

169The praise of Krishna is completely distinct from His. 170It is human beings who have virtues and defects that people speak about.

171Bāp key|kī mahimā kō bhī yathārth rīti tum jāntē hō .

171You know the accurate praise of the Father.

172Vah tō sirph tōtē muāphik gātē haĩ , arth|earth kuchh nahī̃ jāntē .

172Those people simply sing like parrots without understanding the meaning of the words.

173Tō bachchō̃ kō bābā rāy dētē haĩ apnī unnati kaisē karō .

173The Father advises you children how you can make progress.

174Puruṣhārth kartē rahē̃gē tō phir pakkā hōtā jāyēgā phir office mē̃ kām karnē samay bhī yah smr̥iti āyēgī , īśhvar key|kī smr̥iti rahēgī .

174Continue to make effort and you will continue to become strong. 175Then, while you are working in your office, you will have that remembrance and awareness of God.

175Māyā key|kī smr̥iti tō ādhākalp chalī hai , abhī bāp yathārth rīti baiṭh samjhātē haĩ .

176There has been the awareness of Maya for half a cycle. 177The Father now sits here and explains these things to you accurately.

176Apnē kō dēkhō - ham kyā thē , ab kyā ban gayē haĩ  !

178Look at yourselves and see what you were and what you have now become.

177Phir hamkō bābā aisā dēvtā banātē haĩ .

179Baba is once again making us into those deities.

178Yah bhī tum bachchē hī number-vār puruṣhārth anusār jāntē hō .

180Only you children understand this, numberwise, according to the efforts you make.

179Pahlē-pahlē bhārat hī thā .

181At first, there was only Bharat.

180Bhārat mē̃ hī bāp bhī ātē haĩ part bajānē .

182The Father only comes in Bharat to play His part.

181Tum bhī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm K|kē hō nā .

183You belong to the original eternal deity religion.

182Tumkō pavitra bannā hai , nahī̃ tō pichhāṛī mē̃ āyēṅgē , phir kyā sukh pāyēṅgē .

184You have to become pure. 185Otherwise, you will come later. 186What happiness will you receive then?

183Bhakti jāstī nahī̃ key|kī hōgī tō āyēṅgē nahī̃ .

187If you haven’t done that much devotion, you will not come.

184Samajh jāyēṅgē yah itnā uṭhānē vālā nahī̃ hai .

188It would be understood that so-and-so is not going to take that much of this knowledge.

185Samajh tō saktē haĩ nā .

189You can understand this.

186Bahut mēhnat kartē haĩ phir bhī kōī virlē nikaltē haĩ lēkin thaknā nahī̃ hai .

190A lot of effort is made, yet scarcely a few emerge. 191Nevertheless, you mustn’t become tired.

187Mēhnat tō karnī hai .

192You have to make effort.

188Mēhnat bigar kuchh miltā thōṛēhī hai .

193You cannot receive anything without making effort.

189Prajā tō bantī rahtī hai .

194Subjects continue to be created.

190Bābā bachchō̃ kō unnati kē liē yukti batātē haĩ - bachchē , apnī unnati karnī hai tō savērē-savērē snān ādi kar ēkānt mē̃ jākar chakra lagāō vā baiṭh jāō .

195Baba gives you a method for you to make progress. 196He says: Children, if you want to make progress, then, after bathing in the morning, go for a walk in solitude or sit down somewhere.

191Tandurūstī kē liē paidal karnā bhī achchhā hai .

197Walking is good for your health.

192Bābā bhī yād paṛēgā aur drama kā rāz bhī buddhi mē̃ rahēgā , kitnī kamāī hai .

198You will be able to remember Baba, and the secrets of the drama will remain in your intellects. 199There is so much income to earn.

193Yah hai sachchī kamāī , vah kamāī pūrī huī phir is kamāī kā chintan karō .

200This is your true income. 201Once you have finished earning that income, think about earning this income.

194Difficult kuchh bhī nahī̃ hai .

202Nothing here is difficult.

195Bābā kā dēkhā huā hai sārī jīvan kahānī likhtē haĩ - āj itnē bajē uṭhā , phir yah kiyā . . . . . . samajhtē haĩ pichhāṛī vālē paṛhkar sīkhē̃gē .

203Baba has seen how some people write their life histories: "Today I woke up at this time, then I did this,"etc. 204They think that those who read that later will learn something from it.

196Baṛē-baṛē manuṣhyō̃ key|kī biography paṛhtē haĩ nā .

205People read biographies of eminent people.

197Bachchō̃ kē liē likhtē haĩ phir bachchē bhī ghar mē̃ aisē achchhē svabhāv K|kē hōtē haĩ .

206They write for children so that they then can also have a good nature.

198Abhī tum bachchō̃ kō puruṣhārth kar satōpradhān bannā hai .

207You children now have to make effort to become satopradhan.

199Satōpradhān duniyā kā phir sē rājya lēnā hai .

208You have to claim your kingdom of that satopradhan world once again.

200Tum jāntē hō kalp-kalp ham rājya lētē haĩ aur phir ganvātē haĩ .

209You know that you claim your kingdom every cycle and then lose it.

201Tumhārī buddhi mē̃ yah sab hai .

210All of this is in your intellects.

202Yah hai naī duniyā , nayē dharm kē liē naī knowledge , isliē mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō phir bhī samjhātē haĩ - jaldī-jaldī puruṣhārth karō .

211That is a new world; this is new knowledge for that new religion. 212Therefore, you sweetest children are told: Make effort quickly!

203Śharīr par bharōsā thōṛēhī hai .

213There is no guarantee for your life.

204Ājkal maut bahut easy hō gayā hai .

214Nowadays, death is very easy.

205Vahā̃ amarlōk mē̃ aisī mr̥ityu kab hōtī nahī̃ , yahā̃ tō baiṭhē-baiṭhē kaisē mar jātē haĩ isliē apnā puruṣhārth kartē rahō . 206Jamā kartē rahō .

215There won’t be such death in the land of immortality. 216Here, people die just while sitting down doing nothing. 217This is why you have to continue to make effort and accumulate your accounts.

207Achchhā  !

218Achcha.

208Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

219To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

209Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

220The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

210Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

221Essence for dharna:

2111 ) buddhi kō gyān chintan mē̃ busy rakhnē key|kī ādat ḍālnī hai .

222 1. Adopt the habit of keeping your intellect busy in churning this knowledge.

212Jab bhī samay milē ēkānt mē̃ jākar vichār sāgar manthan karnā hai .

223Whenever you have time, go and sit in solitude and churn the ocean of this knowledge.

213Bāp kō yād kar sachchī kamāī jamā karnī hai .

224Remember the Father and accumulate your true income.

2142 ) dūrādēśhī bankar is bēhad K|kē nāṭak kō yathārth rīti samajhnā hai .

225 2. Become far-sighted and understand this unlimited play accurately.

215Sabhī pārṭdhāriyō̃ K|kē part kō sākṣhī hōkar dēkhnā hai .

226Observe the parts of all actors as a detached observer.

Blessing

216Vardān  : madhurtā K|kē vardān dvārā sadā āgē baṛhnē vālī śhrēṣhṭh ātmā bhav

227Blessing: May you constantly move forward as an elevated soul with the blessing of sweetness.

217Madhurtā aisī viśhēṣh dhārṇā hai jō kaṛavī dharnī kō bhī madhur banā dētī hai .

228 Sweetness is such a special virtue that it makes any bitter ground sweet.

218Kisī kō bhī dō ghaṛī mīṭhī dr̥iṣhṭi dē dō , mīṭhē bōl , bōl dō tō kisī bhī ātmā kō sadā kē liē bharpūr kar dēgē .

229Give anyone sweet drishti for a few moments, speak a few sweet words and you will be able to make that soul feel fulfilled.

219Dō ghaṛī key|kī mīṭhī dr̥iṣhṭi va bōl us ātmā key|kī sr̥iṣhṭi badal dēgē .

230Just a few moments of sweet drishti and a few sweet words will change the world for that soul.

220Āpkē dō madhur bōl bhī sadā kē liē unhē̃ badalnē kē nimitt ban jāyēṅgē isliē madhurtā kā vardān sadā sāth rakhnā . 221Sadā mīṭhā rahnā aur sarv kō mīṭhā banānā .

231A couple of sweet words from you will become instrumental for that soul to change for all time. 232Therefore, constantly always keep the blessing of sweetness with you. 233Remain constantly sweet and make everyone sweet.

Slogan

222Slōgan  : her|har paristhiti mē̃ rāzī rahō tō rāzyukt ban jāyēṅgē .

234Slogan: Remain happy in every situation and you will understand all secrets.

235*** Om Shanti ***

223Avyakt iśhārē - saṅkalpō̃ key|kī śhakti jamā kar śhrēṣhṭh sēvā kē nimitt banō

236Avyakt Signal: Accumulate the power of thoughts and become an instrument for elevated service.

224Jab aur sab saṅkalp śhānt hō jātē haĩ , bas ēk bāp aur āp - is milan key|kī anubhūti kā saṅkalp rahtā hai tab saṅkalp śhakti jamā hōtī hai aur yōg powerful hō jātā hai , iskē liē samānē vā samēṭnē kī śhakti dhāraṇ karō .

237When all your thoughts become quiet and there is just the one Father and you; when only the thought of the experience of this meeting stays with you, then you accumulate the power of thought and your yoga becomes powerful. 238For this, imbibe the powers to merge and to pack up.

225Saṅkalpō̃ par full brake lagē , ḍhīlī nahī̃ .

239Apply a full brake to your thoughts, not a weak one.

226Agar ēk second kē bajāē jyādā samay lag jātā hai tō samānē key|kī śhakti kamjōr hai .

240If it takes longer than a second, it means the power to merge is weak.