शनिवार 12 जुलाई 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
012-07-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
0 12/07/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tumhē̃ sachchā-sachchā vaiṣhṇav bannā hai , sachchē vaiṣhṇav bhōjan key|kī parhēj K|kē sāth-sāth pavitra bhī rahtē haĩ ' '
1Essence: Sweet children, you have to become true Vaishnavas. 2Together with taking precautions with their diet, true Vaishnavas also remain pure.
Question
2Praśhna : kaun-sā avguṇ guṇ mē̃ parivartan hō jāē tō bēḍā pār hō saktā hai ?
3Question: By transforming which weakness into a virtue can your boat go across?
Answer
3Uttar : sabsē baṛā avguṇ hai mōh .
4Answer: Attachment is the biggest weakness.
4Mōh K|kē kāraṇ sambandhiyō̃ key|kī yād satātī rahtī hai .
5Because of attachment, the remembrance of relatives troubles you.
5Kisī kā kōī sambandhī martā hai tō 12 mās tak usē yād kartē rahtē haĩ .
6(There is the example of a monkey.) 7When a relative dies, they continue to remember him for 12 months.
6Mũh ḍhak kar rōtē rahē̃gē , yād ātī rahēgī .
8They cover their faces and continue to weep, because they constantly remember him.
7Aisē hī agar bāp kī yād satāyē , din-rāt tum bāp kō yād karō tō tumhārā bēḍā pār hō jāyēgā .
9If you were harassed by remembrance of the Father and you remembered Him day and night in the same way, your boat would go across.
8Jaisē laukik sambandhī kō yād kartē aisē bāp kō yād karō tō ahō saubhāgya … .
10It would be your great fortune for you to remember the Father in the same way as you remember your physical relatives.
Murli
9Ōm śhānti .
11Om shanti.
10Bāp rōz-rōz bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki apnē kō ātmā samajh bāp kī yād mē̃ baiṭhō .
12The Father explains to you children every day: Consider yourselves to be souls and sit in remembrance of the Father.
11Āj usmē̃ add kartē haĩ - sirph bāp nahī̃ dūsrā bhī samajhnā hai .
13Today, Baba is adding to that: Don't just consider Him to be the Father. 14You also have to consider Him to be someone else.
12Mukhya bāt hī yah hai - parampitā paramātmā śhiv , unkō god father bhī kahtē haĩ , gyān sāgar bhī hai .
15The main thing is the Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva. 16He is also called God, the Father. 17He is the Ocean of Knowledge too.
13Gyān sāgar hōnē kāraṇ teacher bhī hai , rājyōg sikhlātē haĩ .
18Because He is the Ocean of Knowledge, He is also the Teacher and teaches Raja Yoga.
14Yah samjhānē sē samajhē̃gē ki satya bāp inhō̃ kō paṛhā rahē haĩ .
19Only when this is explained can they understand that the true Father is teaching us.
15Practical bāt yah sunātē haĩ . 16Vah sabkā bāp bhī hai , teacher bhī hai , sadgati dātā bhī hai aur phir unkō knowledgeful kahā jātā hai .
20He tells us the practical aspect that He is the Father of everyone and also the Teacher and the Bestower of Salvation. 21Then, He is also called the knowledge-full One.
17Bāp , teacher , patit-pāvan , gyān sāgar hai .
22He is the Father, Teacher, Purifier and the Ocean of Knowledge.
18Pahlē-pahlē tō bāp key|kī mahimā karnī chāhiē .
23First of all, praise the Father.
19Vah hamkō paṛhā rahē haĩ .
24He is teaching us.
20Ham haĩ brahmākumār-kumāriyā̃ .
25We are Brahma Kumars and Kumaris.
21Brahmā bhī rachnā hai śhivbābā key|kī aur abhī hai bhī saṅgamyug .
26Brahma too is a creation of Shiv Baba, and it is now the confluence age.
22Aim object bhī rājyōg kī hai , hamkō rājyōg sikhlātē haĩ .
27The aim and objective is of Raja Yoga; He is teaching us Raja Yoga.
23Tō teacher bhī siddha huā . 24Aur yah paṛhāī hai hī naī duniyā kē liē .
28Therefore, this proves that He is also our Teacher and that this study is for the new world.
25Yahā̃ baiṭhē yah pakkā karō - hamkō kyā-kyā samjhānā hai .
29While you are sitting here, make firm the things that you have to explain to others.
26Yah andar dhārṇā hōnī chāhiē .
30You have to inculcate this knowledge into yourselves.
27Yah tō jāntē haĩ kōī kō jāstī dhārṇā hōtī hai , kōī kō cum|kam .
31You know that some are able to imbibe this more than others.
28Yahā̃ bhī jō gyān mē̃ jāstī tīkhē jātē haĩ unkā nām hōtā hai .
32Here too, the names of those who are clever in this knowledge are glorified.
29Pad bhī ūñchā hōtā hai .
33Their status also becomes high.
30Parhēj bhī bābā batlātē rahtē haĩ .
34Baba continues to show you the precautions you have to observe.
31Tum pūrē vaiṣhṇav bantē hō .
35You are becoming complete Vaishnavas.
32Vaiṣhṇav arthāt jō vegetarian hōtē haĩ . 33Mās madirā ādi nahī̃ khātē haĩ . 34Parantu vikār mē̃ tō jātē haĩ , bākī vaiṣhṇav banā tō kyā huā .
36Vaishnavas means those who are vegetarian;they don’t eat meat or drink alcohol, etc., but they do indulge in vice. 37In that case what is the use of becoming a Vaishnav?
35Vaiṣhṇav kul K|kē kahlātē haĩ arthāt pyāz ādi tamōguṇī chīzē̃ nahī̃ khātē haĩ .
38They call themselves the ones who belong to the Vaishnav clan. 39This means that they don't eat onions and other tamoguni, things etc.
36Tum bachchē jāntē hō - tamōguṇī chījē̃ kyā-kyā hōtī haĩ .
40You children know what the tamoguni things are.
37Kōī achchhē manuṣhya bhī hōtē haĩ , jiskō religious minded vā bhakta kahā jātā hai .
41Some people are very good. 42They are called religious minded or devotees.
38Sanyāsiyō̃ kō kahē̃gē pavitra ātmā aur jō dān ādi kartē haĩ unkō kahē̃gē puṇya ātmā .
43Sannyasis are called pure souls, and those who give donations, etc. are called charitable souls.
39Issē bhī siddha hōtā hai - ātmā hī dān-puṇya kartī hai isliē puṇya ātmā , pavitra ātmā kahā jātā hai .
44This proves that it is souls that give donations and perform charity. 45This is why it is said: “A pure soul, a charitable soul.”
40Ātmā kōī nirlēp nahī̃ hai .
46A soul is not immune to the effect of action.
41Aisē achchhē-achchhē akṣhar yād karnē chāhiē .
47You should remember such very good terms.
42Sādhuō̃ kō bhī mahān ātmā kahtē haĩ .
48Saddhus are called great souls.
43Mahān paramātmā nahī̃ kahā jātā hai .
49It is not said: “Great Supreme Soul.”
44Tō sarvavyāpī kahnā wrong hai .
50Therefore, it is wrong to say that God is omnipresent.
45Sarv ātmāyē̃ haĩ , jō bhī haĩ sabmē̃ ātmā hai .
51They are all souls; there is a soul in every human being.
46Paṛhē likhē jō haĩ vah siddh kar batlātē haĩ jhāṛ mē̃ bhī ātmā hai .
52Those who are educated try to prove that there is a soul in trees as well.
47Kahtē haĩ 84 lākh yōniyā̃ jō haĩ unmē̃ bhī ātmā hai .
53They say that there is a soul in each of the 8.4 million species.
48Ātmā na hōtī tō vr̥iddhi kō kaisē pātī !
54They ask: “How could all these things grow if there were no soul in them?”
49Manuṣhya key|kī jō ātmā hai vah tō jaṛ mē̃ jā nahī̃ saktī .
55The human soul cannot transmigrate into non-sentient things.
50Śhāstrō̃ mē̃ aisī-aisī bātē̃ likh dī haĩ .
56Such things have been written in the scriptures.
51Indraprastha sē dhakkā diyā tō patthar ban gayā .
57For instance, someone was pushed out of Indraprasth and turned to stone.
52Ab bāp baiṭh samjhātē haĩ , bāp bachchō̃ kō kahtē haĩ dēh K|kē sambandh tōṛ apnē kō ātmā samjhō .
58The Father now sits here and explains. 59He tells to you children: Break away from all bodily relations and consider yourselves to be souls.
53Māmēkam yād karō .
60Constantly remember Me alone.
54Bas tumhārē 84 janm ab pūrē huē .
61You are now completing your 84th birth.
55Ab tamōpradhān sē satōpradhān bannā hai .
62You now have to become satopradhan from tamopradhan.
56Duḥkhdhām hai apavitr dhām .
63This land of sorrow is an impure land.
57Śhāntidhām aur sukhdhām hai pavitra dhām .
64The land of peace and that land of happiness are pure lands.
58Yah tō samajhtē hō nā .
65You understand this much.
59Sukhdhām mē̃ rahnē vālē dēvtāō̃ kē āgē māthā ṭēktē haĩ .
66People bow down to the idols of the deities who resided in a land of happiness.
60Siddha hōtā hai bhārat mē̃ naī duniyā mē̃ pavitra ātmāyē̃ thī , ūñch pad vālē thē .
67This proves that they were pure souls in the new world of Bharat. 68They had a high status.
61Abhī tō gātē haĩ mujh nirguṇ hārē mē̃ kōī guṇ nāhī .
69Now people sing: “I am without virtue, I have no virtues.”
62Hai bhī aisē .
70It truly is like that.
63Kōī guṇ nahī̃ haĩ .
71They have no virtues at all.
64Manuṣhyō̃ mē̃ mōh bhī bahut hōtā hai , marē huē key|kī bhī yād rahtī hai .
72Human beings have a lot of attachment; they constantly remember those who have died.
65Buddhi mē̃ ātā hai yah mērē bachchē haĩ .
73It’s in their intellects: “This one was my child”.
66Pati athavā bachchā marē tō unkō yād kartē rahtē .
74When someone's husband or child dies, she continues to remember him.
67Strī 12 mās tak tō achchhī rīti yād kartī hai , mũh ḍhak kar rōtī rahtī hai .
75A widow would remember him so much for nearly 12 months. 76She covers her face and continues to weep all the time.
68Aisē mũh ḍhak kar agar tum bāp kō yād karō din-rāt tō bēḍā hī pār hō jāē .
77If you were to cover your face and remember the Father day and night in the same way, your boat would go across.
69Bāp kahtē haĩ - jaisē pati kō tum yād kartī rahtī hō aisē mērē kō yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hō jāē̃ .
78The Father says: Just as you continue to remember your husband, remember Me in the same way and your sins will be absolved.
70Bāp yuktiyā̃ batlātē haĩ aisē-aisē karō .
79The Father shows you different ways of doing this.
71Pōtāmēl dēkhtē haĩ āj itnā kharchā huā , itnā phāydā huā , balance rōz nikāltē haĩ .
80Continue to check your accounts: Today, there was this much expenditure and this much profit. 81They calculate their balance every day.
72Kōī mās-mās nikāltē haĩ .
82Some calculate it every month.
73Yahā̃ tō yah bahut jarūrī hai , bāp nē bār-bār samjhāyā hai .
83It is most essential to do this here. 84The Father tells you this again and again.
74Bāp kahtē haĩ tum bachchē saubhāgyaśhālī , hajār bhāgyaśhālī , krōṛ bhāgyaśhālī , padam , arab , kharab bhāgyaśhālī hō .
85The Father says: You children are one hundred times, a thousand times, a million times, a billion times and multimillion times fortunate.
75Jō bachchē apnē kō saubhāgyaśhālī samajhtē haĩ , vah jarūr achchhī tarah sē bāp kō yād kartē rahē̃gē .
86The children who consider themselves to be fortunate would definitely be remembering the Father so much.
76Vahī gulāb K|kē fool|phūl banē̃gē .
87They will become roses.
77Yah tō nutshell mē̃ samjhānā hōtā hai .
88This has to be explained in a nutshell.
78Bannā tō khuśhbūdār fool|phūl hai .
89You have to become fragrant flowers.
79Mukhya hai yād kī bāt .
90The main thing is remembrance.
80Sanyāsiyō̃ nē yōg akṣhar kah diyā hai .
91Sannyasis use the term "yoga".
81Laukik bāp aisē nahī̃ kahē̃gē ki mujhē yād karō yā pūchhē ki mujhē yād kartē hō ?
92Your physical father wouldn’t say, "Remember me!" 93He wouldn’t even ask you if you were remembering him.
82Bāp bachchē kō , bachchā bāp kō yād hai hī . 83Yah tō law hai .
94A father remembers his children and his children remember their father all the time; that is the law.
84Yahā̃ pūchhnā paṛtā hai kyōṅki māyā bhulā dētī hai .
95You have to be asked that here, because Maya makes you forget.
85Yahā̃ ātē haĩ , samajhtē haĩ ham bāp kē pās jātē haĩ tō bāp kī yād rahnī chāhiē isliē bābā chitra bhī banātē haĩ tō vah bhī sāth mē̃ hō .
96When you come here, you understand that you are going to the Father. 97So, let there be remembrance of the Father. 98This is why Baba has had these pictures created. 99You should also have these with you.
86Pahlē-pahlē hamēśhā bāp key|kī mahimā śhurū karō .
100First of all, begin with the praise of the Father: “This is our Baba.
87Yah hamārā bābā hai , yū̃ tō sabkā bāp hai . 88Sarv kā sadgati dātā , gyān kā sāgar knowledgeful hai .
101In fact, He is everyone's Father. 102He is the Bestower of Salvation for All, the Ocean of Knowledge and the knowledge-full One.
89Bābā hamkō sr̥iṣhṭi chakra K|kē ādi-madhy-ant kā gyān dētē haĩ , jissē ham trikāldarśhī ban jātē haĩ .
103Baba is giving us this knowledge of the beginning, middle and end of the world cycle through which we become trikaldarshi.”
90Trikāldarśhī is sr̥iṣhṭi par kōī manuṣhya hō nahī̃ saktā .
104No human being in this world would be trikaldarshi.
91Bāp kahtē haĩ yah lakṣhmī-nārāyaṇ bhī trikāldarśhī nahī̃ haĩ .
105The Father says: Even Lakshmi and Narayan wouldn’t be trikaldarshi.
92Yah trikāldarśhī ban kyā karē̃gē !
106Of what use would it be for them to be trikaldarshi?
93Tum bantē hō aur banātē hō .
107You become this and make others the same.
94In lakṣhmī-nārāyaṇ mē̃ gyān hōtā tō paramparā chaltā .
108If Lakshmi and Narayan had this knowledge, it would have continued from time immemorial.
95Bīch mē̃ tō vināśh hō jātā hai isliē paramparā tō chal na sakē .
109However, destruction takes place in between. 110Therefore, it cannot continue from time immemorial.
96Tō bachchō̃ kō is paṛhāī kā achchhī rīti simraṇ karnā hai .
111So you children have to remember this study very well.
97Tumhārī bhī ūñch tē ūñch paṛhāī saṅgam par hī hōtī hai .
112Your highest-on-high study takes place at the confluence age.
98Tum yād nahī̃ kartē hō , dēh-abhimān mē̃ ā jātē hō tō māyā thappaṛ mār dētī hai .
113When you don't stay in remembrance, but become body conscious, Maya slaps you.
99Jab 16 kalā sampūrṇ banē̃gē tab vināśh key|kī bhī taiyārī hōgī .
114When you have become 16 celestial degrees full, the preparations for destruction will also have been completed.
100Vah vināśh kē liē aur tum avināśhī pad kē liē taiyārī kar rahē hō .
115They are making preparations for destruction and you are making preparations to claim your imperishable status.
101Kaurav aur pāṇḍavō̃ key|kī laṛāī huī nahī̃ , kauravō̃ aur yādavō̃ key|kī lagtī hai .
116There wasn’t a war between the Kauravas and the Pandavas; the war was between the Kauravas and the Yadavas.
102Drama anusār pākistān bhī hō gayā .
117Pakistan was created according to the drama.
103Vah bhī śhurū tab huā jab tumhārā janm huā .
118That began after you took birth.
104Ab bāp āyē haĩ tō sab practical hōnā chāhiē nā .
119Now that the Father has come, everything has to happen in a practical way.
105Yahā̃ kē liē hī kahtē haĩ rakta kī nadiyā̃ bahtī haĩ tab phir ghī key|kī nadī bahēgī .
120It is of here that it is said: “Rivers of blood flow everywhere and then there will be rivers of ghee.”
106Ab bhī dēkhō laṛtē rahtē haĩ .
121Even now, look: they continue to fight so much.
107Phalānā śhahar dō nahī̃ tō laṛāī karē̃gē .
122"Give us this particular city or we will start a war."
108Yahā̃ sē pās|pass na karō , yah hamārā rāstā hai .
123"Don't pass through here. 124This is our path."
109Ab vah kyā karē̃ .
125What can they do?
110Steamer kaisē jāyēṅgē !
126How would steamers be able to go across?
111Phir rāy kartē haĩ .
127Then they hold talks.
112Jarūr rāy pūchhtē hōṅgē .
128They definitely have to ask others for advice.
113Madad key|kī ummīd milī hōgī , vah āpas mē̃ hī khatm kar dēgē .
129Whatever hopes they had of receiving help, they are finished for them.
114Yahā̃ phir civil war key|kī drama mē̃ nūndh hai .
130Civil war is fixed in the drama here.
115Abhī bāp kahtē haĩ - mīṭhē bachchē , bahut-bahut samajhdār banō .
131The Father now says: Sweet children, become very, very sensible.
116Yahā̃ sē bāhar ghar mē̃ jānē sē phir bhūl nahī̃ jāō .
132When you leave here and go back to your homes, do not forget.
117Yahā̃ tum ātē hō kamāī jamā karnē .
133You come here to accumulate an income.
118Chhōṭē-chhōṭē bachchō̃ kō lē ātē hō tō unkē bandhan mē̃ rahnā paṛtā hai .
134When you bring small children here, you remain bound to them.
119Yahā̃ tō gyān sāgar K|kē kaṇṭhē par ātē hō , jitnī kamāī karē̃gē utnā achchhā hai .
135You have come here to the shores of the Ocean of Knowledge. 136Therefore, the more you earn, the better it is.
120Ismē̃ lag jānā chāhiē .
137Become busy doing this.
121Tum ātē hī hō avināśhī gyān ratnō̃ key|kī jhōlī bharnē .
138You come here to fill your aprons with the imperishable jewels of this knowledge.
122Gātē bhī haĩ nā bhōlānāth bhar dē jhōlī .
139People sing: “O Innocent Lord, fill our aprons!”
123Bhakta tō śhaṅkar kē āgē jākar kahtē haĩ jhōlī bhar dō .
140Devotees go in front of an image of Shankar and say: “Fill our aprons!”
124Vah phir śhiv-śhaṅkar kō ēk samajh lētē haĩ .
141They consider Shiva and Shankar to be one and the same.
125Śhiv-śhaṅkar mahādēv kah dētē haĩ .
142They say: “Shiv Shankar, Mahadev (the Great Deity).”
126Tō mahādēv baṛā hō jātā .
143So the Great Deity is to be considered greater.
127Aisī chhōṭī-chhōṭī bātē̃ bahut samajhnē kī haĩ .
144Little things like this have to be understood very clearly.
128Tum bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai - abhī tum brāhmaṇ hō , knowledge mil rahī hai .
145It is explained to you children: You are Brahmins and you are now receiving this knowledge.
129Paṛhāī sē manuṣhya sudhartē haĩ .
146Human beings reform themselves by studying.
130Chāl-chalan bhī achchhī hōtī hai .
147Their activity and behaviour become very good.
131Abhī tum paṛhtē hō .
148You are now studying.
132Jō sabsē jāstī paṛhtē aur paṛhātē haĩ , unkē manners bhī achchhē hōtē haĩ .
149Those who study the most and teach others have very good manners too.
133Tum kahē̃gē sabsē achchhē mammā-bābā K|kē manners haĩ .
150You would say that Mama and Baba have the best manners.
134Yah phir hō gaī baṛī mama , jismē̃ pravēśh kar bachchō̃ kō rachtē haĩ .
151This one is the senior mother. 152Baba enters him and creates you children.
135Māt-pitā combined haĩ .
153The mother and Father are combined.
136Kitnī gupta bātē̃ haĩ .
154These are such incognito matters.
137Jaisē tum paṛhtē hō vaisē mama bhī paṛhtī thī .
155Just as you are studying, Mama too studied.
138Unkō adopt kiyā .
156She was then adopted.
139Sayānī thī tō drama anusār sarasvatī nām paṛā .
157According to the drama, because she was very wise, she was named Saraswati.
140Brahmaputrā baṛī nadī hai .
158The Brahmaputra is the largest river.
141Mēlā bhī lagtā hai sāgar aur brahmaputrā kā .
159There is the meeting of the Brahmaputra River with the ocean.
142Yah baṛī nadī ṭhaharī tō mā̃ bhī ṭhaharī nā .
160This one is the biggest river; therefore, he is also the mother.
143Tum mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō kitnā ūñch lē jātē haĩ .
161You sweetest children are uplifted so much.
144Bāp tum bachchō̃ kō hī dēkhtē haĩ .
162The Father only sees you children.
145Unkō tō kisī kō yād karnā nahī̃ hai .
163He doesn't have to remember anyone else.
146Inkī ātmā kō tō bāp kō yād karnā hai .
164This one's soul has to remember the Father.
147Bāp kahtē haĩ ham dōnō̃ , bachchō̃ kō dēkhtē haĩ .
165The father says: Both of us look at you children.
148Mujh ātmā kō tō sākṣhī hō nahī̃ dēkhnā hai , parantu bāp K|kē saṅg mē̃ ham bhī aisē dēkhtā hū̃ .
166I, this soul, don't have to look at everything as a detached observer, but in the Father’s company, I also look at everything in that way.
149Bāp kē sāth rahtā tō hū̃ nā .
167I am staying with the Father, after all.
150Unkā bachchā hū̃ tō sāth mē̃ dēkhtā hū̃ .
168I am His child and I look at everything with Him.
151Maĩ viśhva kā mālik ban ghūmtā hū̃ , jaisēki maĩ hī yah kartā hū̃ .
169I become the master of the world and tour around everywhere, as though I am doing everything.
152Maĩ dr̥iṣhṭi dētā hū̃ .
170I give drishti.
153Dēh sahit sab kuchh bhūlnā hōtā hai .
171Everything, including this body, has to be forgotten.
154Bākī bachchā aur bāp jaisē ēk hō jātē haĩ .
172It is as though the child and the Father become one.
155Tō bāp samjhātē haĩ khūb puruṣhārth karō .
173Therefore, the Father explains: Make a lot of effort.
156Barōbar mammā-bābā sabsē jāstī service kartē haĩ .
174Truly, Mama and Baba do the most service.
157Ghar mē̃ bhī mā̃-bāp bahut service kartē haĩ nā .
175In households, too, the mothers and fathers do a lot of service.
158Service karnē vālē jarūr pad bhī ūñch pāyēṅgē tō phir follow karnā chāhiē nā .
176Those who do service will definitely claim a high status. 177Therefore, you should follow them.
159Jaisē bāp apkāriyō̃ par bhī upkār kartē haĩ , aisē tum bhī follow father karō .
178Just as the Father uplifts those who defame Him, so you have to follow the Father in the same way.
160Iskā bhī arth|earth samajhnā hai .
179You have to understand the meaning of that.
161Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō aur kiskā bhī nahī̃ sunō .
180The Father says: Remember Me and don't listen to anyone else.
162Kōī kuchh bōlē , sunā-ansunā kar dō .
181When anyone says anything, listen but do not listen.
163Tum muskarātē rahō tō vah āpēhī ṭhaṇḍā hō jāyēgā .
182Simply continue to smile and he will automatically cool down.
164Bābā nē kahā thā kōī krōdh karē tō tum un par fool|phūl chaṛhāō , bōlō tum apkār kartē hō , ham upkār kartē haĩ .
183Baba has told you that, when someone becomes angry with you, shower flowers on him. 184Tell him: “You are defaming me and I am uplifting you.”
165Bāp khud kahtē haĩ sārī duniyā K|kē manuṣhya mērē apkārī haĩ , mujhē sarvavyāpī kahkar kitnī gālī dētē haĩ maĩ tō sabkā upkārī hū̃ .
185The Father Himself says: Human beings of the whole world defame Me. 186They have caused Me so much defamation by saying that I am omnipresent. 187However, I still uplift everyone.
166Tum bachchē bhī sabkā upkār karnē vālē hō .
188You children are also those who have to uplift everyone.
167Tum khyāl karō - ham kyā thē , abhī kyā bantē haĩ !
189Just think about what you were and what you are going to become.
168Viśhva K|kē mālik bantē haĩ .
190You are becoming the masters of the world.
169Khyāl-khvāb mē̃ bhī nahī̃ thā .
191You never even thought or dreamt of this.
170Bahutō̃ kō ghar baiṭhē sākṣhātkār huā hai .
192Many had visions whilst sitting at home.
171Parantu sākṣhātkār sē kuchh hōtā thōṛēhī hai .
193However, nothing happens through visions.
172Āhistē-āhistē jhāṛ vr̥iddhi kō pātā rahēgā .
194The tree will gradually continue to grow.
173Yah nayā daivī jhāṛ sthāpan hō rahā hai nā .
195The sapling of the new divine tree is being planted.
174Bachchē jāntē haĩ hamārā daivī phūlō̃ kā bagīchā ban rahā hai .
196You children know that your garden of divine flowers is now being created.
175Satyug mē̃ dēvtāyē̃ hī rahtē haĩ sō phir ānē haĩ , chakra phirtā rahtā hai .
197In the golden age, there will only be deities. 198That period is going to come again; the cycle continues to turn.
17684 janm bhī vahī lē̃gē .
199You are the ones who will take 84 births.
177Dūsrī ātmāyē̃ phir kahā̃ sē āyēṅgī .
200Where would other souls come from?
178Drama mē̃ jō bhī ātmāyē̃ haĩ , kōī bhī part sē chhūṭ nahī̃ saktī .
201None of the souls that are in the drama can be liberated from their parts.
179Yah chakra phirtā hī rahtā hai .
202This cycle continues to turn.
180Ātmā kabhī ghaṭtī nahī̃ . 181Chhōṭī-baṛī nahī̃ hōtī hai .
203Souls never become smaller; they don’t become bigger or smaller.
182Bāp baiṭh mīṭhē bachchō̃ kō samjhātē haĩ , kahtē haĩ bachchē sukhdāī banō .
204The Father explains to you sweetest children. 205He says: Children, become bestowers of happiness.
183Mā̃ kahtī hai nā - āpas mē̃ laṛō-jhagaṛō nahī̃ .
206A mother would tell her children not to fight among themselves.
184Bēhad kā bāp bhī bachchō̃ kō kahtē haĩ yād kī yātrā bahut sahaj hai .
207The unlimited Father tells you children: The pilgrimage of remembrance is very easy.
185Vah yātrā tō janma-janmāntar kartē āyē hō phir bhī sīṛhī nīchē utartē pāp ātmā bantē jātē hō .
208You have been going on those pilgrimages for birth after birth. 209In spite of that, you souls have continued to come down the ladder and become sinful.
186Bāp kahtē haĩ yah hai rūhānī yātrā .
210The Father says: This is a spiritual pilgrimage.
187Tumkō is mr̥ityulōk mē̃ lauṭnā nahī̃ hai .
211You don't have to return to this land of death.
188Us yātrā sē tō lauṭkar ātē haĩ phir vaisē K|kē vaisē ban jātē haĩ .
212People return from those pilgrimages but remain the same as they were before they went.
189Tum tō jāntē hō ham svarg mē̃ jātē haĩ .
213You know that you are going to go to heaven.
190Svarg thā phir hōgā .
214Heaven used to exist and it will exist again.
191Yah chakra phirnā hai .
215This cycle has to turn.
192Duniyā ēk hī hai bākī stars ādi mē̃ kōī duniyā hai nahī̃ .
216There is only the one world; there is not another world in the stars etc.
193Ūpar jākar dēkhnē kē liē kitnā māthā mārtē rahtē haĩ .
217People beat their heads so much to go up there to see what is there.
194Māthā mārtē-mārtē maut sāmnē ā jāyēgā .
218While they are beating their heads, death will come to them.
195Yah sab hai science .
219All of that is science.
196Ūpar jāyēṅgē phir kyā hōgā .
220What will happen once they reach there?
197Maut tō sāmnē khaṛā hai .
221Death is standing ahead.
198Ēk taraph ūpar jākar khōj kartē haĩ .
222On the one hand, they go up above and do research.
199Dūsrē taraph maut kē liē bombs banā rahē haĩ .
223On the other hand, they continue to manufacture bombs for death.
200Manuṣhyō̃ key|kī buddhi dēkhō kaisī hai .
224Look what the intellects of human beings are like.
201Samajhtē bhī haĩ kōī prērak hai .
225They understand that someone is inspiring them to do all of that.
202Khud kahtē haĩ world war|vār jarūr hōnī hai .
226They themselves say that a world war will definitely take place.
203Yah vahī mahābhārat laṛāī hai .
227It will be that same Mahabharat War.
204Ab tum bachchē bhī jitnā puruṣhārth karē̃gē , utnā hī kalyāṇ karē̃gē .
228The more effort you children make, the more you will benefit others.
205Khudā K|kē bachchē tō hō hī .
229You are children of Khuda, God, anyway.
206Bhagvān apnā bachchā banātē haĩ tō tum bhagvān-bhagvatī ban jātē hō .
230God has made you His children. 231Therefore, you become gods and goddesses.
207Lakṣhmī-nārāyaṇ kō god goddess kahtē haĩ nā .
232Lakshmi and Narayan are called a goddess and a god.
208Kr̥iṣhṇa kō god māntē haĩ , rādhē kō itnā nahī̃ .
233People believe that Krishna is God. 234Not as many believe in Radhe.
209Sarasvatī kā nām hai , rādhē kā nām nahī̃ hai .
235There is praise of Saraswati, but not of Radhe.
210Kalaṣh phir lakṣhmī kō dikhātē haĩ .
236An urn has been shown on Lakshmi.
211Yah bhī bhūl kar dī hai .
237They have made that mistake as well.
212Sarasvatī K|kē bhī anēk nām rakh diyē haĩ .
238They have given Saraswati many names.
213Vah tō tum hī hō .
239You are the same ones.
214Dēviyō̃ key|kī bhī pūjā hōtī hai tō ātmāō̃ key|kī pūjā hōtī hai .
240You are worshipped as goddesses and you are also worshipped as souls.
215Bāp bachchō̃ kō her|har bāt samjhātē rahtē haĩ .
241The Father continues to explain everything to you children.
216Achchhā !
242Achcha.
217Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
243To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
218Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
244The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
219Dhārṇā kē liē mukhya sār :
245Essence for dharna:
2201 ) jaisē bāp apkārī par bhī upkār kartē haĩ , aisē follow father karnā hai .
246 1. The Father uplifts those who defame Him. 247Therefore, follow the Father.
221Kōī kuchh bōlē tō sunā ansunā kar dēnā hai , muskarātē rahnā hai .
248When someone says anything, listen but do not listen. 249Simply continue to smile.
222Ēk bāp sē hī sunnā hai .
250Only listen to the one Father.
2232 ) sukhdāī ban sabkō sukh dēnā hai , āpas mē̃ laṛnā-jhagaṛnā nahī̃ hai .
251 2. Become bestowers of happiness and give happiness to everyone. 252Don't fight or quarrel amongst yourselves.
224Samajhdār ban apnī jhōlī avināśhī gyān ratnō̃ sē bharpūr karnī hai .
253Become wise and fill your aprons with the imperishable jewels of this knowledge.
Blessing
225Vardān : sāgar K|kē talē mē̃ jākar anubhav rūpī ratna prāpt karnē vālē sadā samarth ātmā bhav
254Blessing: May you become a constantly powerful soul by going to the bottom of the ocean and attaining the jewels of experience.
226Samarth ātmā bannē kē liē yōg key|kī her|har viśhēṣhtā kā , her|har śhakti kā aur har ēk gyān key|kī mukhya point kā abhyās karō .
255 In order to become a powerful soul, practise every speciality, every power and every main point of this knowledge in yoga.
227Abhyāsī , lagan mē̃ magan rahnē vālī ātmā K|kē sāmnē kisī bhī prakār kā vighna ṭhahar nahī̃ saktā isliē abhyās key|kī prayōgśhālā mē̃ baiṭh jāō .
256No type of obstacle can stay in front of a soul who practises everything and who is lost in love; therefore sit in your laboratory of practice.
228Abhī tak gyān K|kē sāgar , guṇō̃ K|kē sāgar , śhaktiyō̃ K|kē sāgar mē̃ ūpar-ūpar key|kī laharō̃ mē̃ laharātē hō , lēkin ab sāgar K|kē talē mē̃ jāō tō anēk prakār K|kē vichitr anubhav K|kē ratna prāpt kar samarth ātmā ban jāyēṅgē .
257Until now, you have only been skimming the surface of the ocean of this knowledge, the ocean of virtues and the ocean of powers. 258Now, go to the bottom of the ocean and you will receive many types of unique jewels of experience and become a powerful soul.
Slogan
229Slōgan : aśhuddhi hī vikār rūpī bhūtō̃ kā āhvān kartī hai isliē saṅkalpō̃ sē bhī śhuddha banō .
259Slogan: Impurity invokes evil spirits of vice and so make even your thoughts become pure.
260*** Om Shanti ***
230Avyakt iśhārē - saṅkalpō̃ key|kī śhakti jamā kar śhrēṣhṭh sēvā kē nimitt banō
261Avyakt Signal: Accumulate the power of thoughts and become an instrument for elevated service
231Jaisē brahmā bāp nē viśhēṣh śhrēṣhṭh saṅkalp sē bachchō̃ kā āhvān kiyā arthāt rachnā rachī . 232Yah saṅkalp key|kī rachnā bhī cum|kam nahī̃ hai .
262Brahma especially invoked you children with elevated thoughts, that is, he created the creation, and this creation through thoughts was not a small thing.
233Śhrēṣhṭh śhaktiśhālī saṅkalp nē prēr kar bhinn-bhinn dharmō K|kē pardō sē nikālkar samīp lāyā .
263The elevated powerful thoughts inspired and brought close the souls out from behind the curtains of the different religions.
234Aisē āp bachchē bhī śhaktiśhālī śhrēṣhṭh saṅkalpdhārī banō .
264In the same way, you children also have to have elevated and powerful thoughts.
235Apnē saṅkalpō̃ key|kī śhakti kō jyādā kharcha nahī̃ karō , vyarth nahī̃ ganvāō .
265Do not use the power of your thoughts too much, do not waste it.
236Tō śhrēṣhṭh saṅkalp sē prāpti bhī śhrēṣhṭh hōgī .
266By having elevated thoughts, your attainment will also be elevated.