बुधवार 30 जुलाई 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
030-07-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
030/07/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - māyā duśhman tumhārē sāmnē hai isliē apnī bahut-bahut sambhāl karnī hai , agar chaltē-chaltē māyā mē̃ phans gayē tō apnī takdīr kō lakīr lagā dēgē ' '
1Essence: Sweet children, Maya, the enemy, is in front of you. 2Therefore, take very good care of yourselves. 3If, whilst moving along, you get trapped by Maya, you will cross out your line of fortune.
Question
2Praśhna : tum rājyōgī bachchō̃ kā mukhya kartavya kyā hai ?
4Question: What is the main task of you Raja Yogi children?
Answer
3Uttar : paṛhnā aur paṛhānā , yahī tumhārā mukhya kartavya hai .
5Answer: To study and teach others is your main task.
4Tum hō īśhvarīy mat par .
6You are under God’s directions.
5Tumhē̃ kōī jaṅgal mē̃ nahī̃ jānā hai .
7You do not need to go into a jungle.
6Ghar gr̥ihastha mē̃ rahtē śhānti mē̃ baiṭh bāp kō yād karnā hai .
8Whilst living at home with your families, sit in silence and remember the Father.
7Alpha aur bē , inhī̃ dō śhabdō̃ mē̃ tumhārī sārī paṛhāī ā jātī hai .
9Your whole study is included in two words: Alpha and beta.
Murli
8Ōm śhānti .
10Om shanti.
9Bāp bhī brahmā dvārā kah saktē haĩ ki bachchō̃ good morning .
11The Father can also say through Brahma: Children, good morning.
10Parantu phir bachchō̃ kō bhī respond dēnā paṛē .
12However, you children do have to respond.
11Yahā̃ hai hī bāp aur bachchō̃ kā connection .
13Here, there is the connection of the Father and the children.
12Nayē jō haĩ jab tak pakkē hō jāē̃ , kuchh na kuchh pūchhtē rahē̃gē .
14Until those who are new have become strong, they will continue to ask about something or other.
13Yah tō paṛhāī hai , bhagvānuvāch bhī likhā hai .
15This is a study. 16“God speaks” has been written.
14Bhagvān hai nirākār .
17God is incorporeal.
15Yah bābā achchhī rīti pakkā karātē haĩ , kiskō bhī samjhānē kē liē kyōṅki us taraph hai māyā kā jōr .
18This Baba also makes this very firm in order for you to explain it to others because there is the force of Maya outside.
16Yahā̃ tō vah bāt nahī̃ hai .
19Here, it is not like that.
17Bāp tō samajhtē haĩ jinhōnnē kalp pahlē varsā liyā hai vah āpēhī ā jāyēṅgē .
20The Father understands that those who claimed their inheritance a cycle ago will automatically come.
18Aisē nahī̃ ki phalānā chalā na jāē , inkō pakaṛē̃ .
21It is not that you think so-and-so shouldn’t leave, or that you should keep hold of a certain one.
19Chalā jāē tō chalā jāē .
22If he goes, he goes.
20Yahā̃ tō jītē jī marnē key|kī bāt hai .
23Here, it is a matter of dying alive.
21Bāp adopt kartē haĩ .
24The Father adopts you.
22Adopt kiyā hī jātā hai kuchh varsā dēnē kē liē .
25Adoption definitely takes place in order to give an inheritance.
23Bachchē mā̃-bāp kē pās ātē hī haĩ varsē key|kī lālach par .
26Children also come to their parents because of their greed for the inheritance.
24Sāhūkār kā bachchā kabhī garīb kē pās adopt hōgā kyā !
27Would the child of a wealthy person ever be adopted by someone poor?
25Itnā dhan daulat ādi sab chhōṛ kaisē jāyēṅgē .
28How could he leave all of that wealth and property etc., and go?
26Adopt kartē haĩ sāhūkār .
29It is the wealthy who adopt someone.
27Abhī tum jāntē hō bābā hamkō svarg kī bādśhāhī dētē haĩ .
30Now, you know that Baba gives us the sovereignty of heaven.
28Kyō̃ na unkā banē̃gē .
31Why should we not belong to Him?
29Har ēk bāt mē̃ lālach tō rahtī hai .
32There is greed for everything.
30Jitnā bahut paṛhē̃gē utnī baṛī lālach hōgī .
33However much someone studies, there will be that much greed.
31Tum bhī jāntē hō bāp nē hamkō adopt kiyā hai bēhad kā varsā dēnē .
34You know that the Father has adopted you to give you the unlimited inheritance.
32Bāp bhī kahtē haĩ tum sabkō ham phir sē 5 hazār varṣh pahlē muāphik adopt kartē haĩ .
35The Father says: I adopt all of you again, just as I did 5000 years ago.
33Tum bhī kahtē hō bābā ham āpkē haĩ .
36You also say: Baba, I am Yours.
345 hazār varṣh pahlē bhī āpkē banē thē .
37Five thousand years ago, too, I became Yours.
35Tum practical mē̃ kitnē brahmākumār-kumāriyā̃ hō .
38There are so many of you Brahma Kumars and Kumaris in a practical way.
36Prajāpitā bhī tō nāmīgrāmī hai .
39Prajapita is also famous.
37Jab tak śhūdra sē brāhmaṇ na banē̃ tō dēvtā ban na sakē̃ .
40Unless you become Brahmins from shudras, you cannot become deities.
38Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ ab yah chakra phirtā rahtā hai - ham śhūdra thē , abhī brāhmaṇ banē haĩ phir dēvtā bannā hai .
41This cycle continues to turn in the intellects of you children. 42We were shudras, we have now become Brahmins and we will become deities again.
39Satyug mē̃ ham rājya karē̃gē .
43We will rule in the golden age.
40Tō is purānī duniyā kā vināśh jarūr hōnā hai .
44So, this old world is definitely going to be destroyed.
41Pūrā niśhchay nahī̃ baiṭhtā hai tō phir chalē jātē haĩ .
45If they don’t have full faith, they leave.
42Kaī kachchē haĩ jō gir jātē haĩ , yah bhī drama mē̃ nūndh hai .
46There are many weak ones who fall. 47This, too, is fixed in the drama.
43Māyā duśhman sāmnē khaṛī hai , tō vah apnī taraph khīñch lētī hai .
48Maya, the enemy, is standing in front of you. 49She pulls you to her.
44Bāp ghaṛī-ghaṛī pakkā karātē haĩ , māyā mē̃ phans nahī̃ paṛnā , nahī̃ tō apnī takdīr kō lakīr lagā dēgē .
50The Father repeatedly makes this firm in you: Don’t get trapped by Maya. 51Otherwise, you will cross out your fortune.
45Bāp hī pūchh saktē haĩ ki āgē kab milē hō ?
52Only the Father can ask you: Have we met before?
46Aur kōī kō pūchhnē kā akla āyēgā hī nahī̃ .
53No one else would even have the wisdom to ask this.
47Bāp kahtē haĩ mujhē bhī phir sē gītā sunānē ānā paṛē .
54The Father says: I have to come in order to speak the Gita again.
48Ākar rāvaṇ key|kī jēl sē chhuṛānā paṛē .
55I also have to come to free you from Ravan’s jail.
49Bēhad kā bāp bēhad key|kī bāt samjhātē haĩ .
56The unlimited Father explains matters of the unlimited.
50Abhī rāvaṇ kā rājya hai , patit rājya hai jō ādhākalp sē śhurū huā hai .
57It is now Ravan’s kingdom. 58It is an impure kingdom which began half a cycle ago.
51Rāvaṇ kō 10 śhīśh dikhātē haĩ , viṣhṇu kō 4 bhujā dikhātē haĩ .
59Ravan is portrayed with ten heads and Vishnu is portrayed with four arms.
52Aisē kōī manuṣhya hōtā nahī̃ .
60There are no human beings like that.
53Yah tō pravr̥itti mārg dikhāyā jātā hai .
61That (four arms) is how the household path is depicted.
54Yah hai aim object , viṣhṇu dvārā pālnā .
62This is the aim and objective: sustenance through Vishnu.
55Viṣhṇupurī kō kr̥iṣhṇapurī bhī kahtē haĩ .
63The land of Vishnu is also called the land of Krishna.
56Śhrīkr̥iṣhṇa kō tō 2 bāhē̃ hī dikhāyēṅgē nā .
64Shri Krishna can only be shown with two arms.
57Manuṣhya tō kuchh bhī samajhtē nahī̃ haĩ .
65Human beings just don’t understand anything.
58Bāp har ēk bāt samjhātē haĩ .
66The Father explains each and every thing.
59Vah sab hai bhakti mārg .
67All of that is in the path of devotion.
60Abhī tumkō gyān hai , tumhārī aim object hī hai nar sē nārāyaṇ bannē key|kī .
68You now have this knowledge. 69Your aim and objective is to become like Narayan from ordinary humans.
61Yah gītā pāṭhśhālā hai hī jīvanmukti prāpt karnē kē liē .
70This Gita Pathshala is definitely for attaining liberation-in-life.
62Brāhmaṇ tō jarūr chāhiē .
71Brahmins are definitely needed.
63Yah hai rūdra gyān yagya .
72This sacrificial fire is of this knowledge of Rudra.
64Śhiv kō rūdra bhī kahtē haĩ .
73Shiva is also called Rudra.
65Ab bāp pūchhtē haĩ gyān yagya kr̥iṣhṇa kā hai yā śhiv kā hai ?
74Now, the Father asks: Is the sacrificial fire of this knowledge that of Krishna or of Shiva?
66Śhiv kō paramātmā hī kahtē haĩ , śhaṅkar kō dēvtā kahtē haĩ .
75Shiva is called the Supreme Soul; Shankar is called a deity.
67Unhōnnē phir śhiv aur śhaṅkar kō ikaṭṭhā kar diyā hai .
76They have combined Shiva and Shankar.
68Ab bāp kahtē haĩ hamnē inmē̃ pravēśh kiyā hai .
77The Father now says: I have entered this one.
69Tum bachchē kahtē hō bāpdādā .
78You children say: BapDada.
70Vah kahtē haĩ śhivśhaṅkar .
79They say: Shiv-Shankar.
71Gyān sāgar tō hai hī ēk .
80The Ocean of Knowledge is only one.
72Abhī tum jāntē hō brahmā sō viṣhṇu bantē haĩ gyān sē .
81You now know that Brahma becomes Vishnu by this knowledge.
73Chitra bhī barōbar banātē haĩ .
82The picture is also created accurately.
74Viṣhṇu key|kī nābhī sē brahmā nikalā .
83Vishnu emerged from the navel of Brahma.
75Iskā arth|earth bhī kōī samajh nahī̃ saktē .
84No one can understand the meaning of this.
76Brahmā kō śhāstra hāth mē̃ diyē haĩ .
85Brahma has been portrayed with some scriptures in his hand.
77Abhī śhāstrō̃ kā sār bāp baiṭh sunātē haĩ yā brahmā ?
86Now, who sits and speaks the essence of the scriptures? 87Is it the Father or Brahma?
78Yah bhī master gyān sāgar bantē haĩ .
88This one too becomes a master ocean of this knowledge.
79Bākī chitra itnē ḍhēr banāyē haĩ , vah kōī yathārth haĩ nahī̃ . 80Vah haĩ sab bhakti mārg K|kē .
89Countless pictures have been made, but they are not accurate; they all belong to the path of devotion.
81Manuṣhya kōī 8-10 bhujā vālē hōtē nahī̃ . 82Yah tō sirph pravr̥itti mārg dikhāyā hai .
90No human being with eight or ten arms exists; that just symbolises the household path.
83Rāvaṇ kā bhī arth|earth batāyā hai - ādhākalp hai rāvaṇ rājya , rāt .
91The meaning of Ravan has also been shown. 92For half a cycle, it is Ravan’s kingdom, the night.
84Ādhākalp hai rāmrājya , din .
93For half a cycle it is Rama’s kingdom, the day.
85Bāp har ēk bāt samjhātē haĩ .
94The Father explains each and every thing.
86Tum sab ēk bāp K|kē bachchē hō .
95You are all the children of the one Father.
87Bāp brahmā dvārā viṣhṇupurī key|kī sthāpanā kartē haĩ aur tumkō rājyōg sikhātē haĩ .
96The Father establishes the land of Vishnu through Brahma and He teaches you Raja Yoga.
88Jarūr saṅgam par hī rājyōg sikhāyēṅgē .
97Surely, He would teach Raja Yoga only at the confluence age.
89Dvāpar mē̃ gītā sunāī , yah tō wrong hō jātā hai .
98To say that the Gita was spoken in the copper age is wrong.
90Bāp sach batlātē haĩ .
99The Father speaks the truth.
91Bahutō̃ kō brahmā kā , śhrīkr̥iṣhṇa kā sākṣhātkār hōtā hai .
100Many have visions of Brahma or Shri Krishna.
92Brahmā kā saphēd pōśh hī dēkhtē haĩ .
101They see Brahma dressed in white.
93Śhivbābā tō hai bindī .
102Shiv Baba is a point.
94Bindī kā sākṣhātkār hō tō kuchh samajh na sakē̃ .
103If they had a vision of a point, they wouldn’t be able to understand anything.
95Tum kahtē hō ham ātmā haĩ , ab ātmā kō kisnē dēkhā hai , kōī nē nahī̃ .
104You say: I am a soul. 105Now, who has then seen that soul? 106No one.
96Vah tō bindī hai .
107It, too, is a point.
97Samajh saktē haĩ nā .
108You can understand, can you not?
98Jō jis bhāvnā sē jiskī pūjā kartē haĩ , unkō vahī sākṣhātkār hōgā .
109Whoever someone worships with devotional feelings, they would have a vision of only that one.
99Dūsrā agar rūp dēkhē̃ tō mūnjh paṛē̃ .
110If they were to see any other form, they would become confused.
100Hanūmān key|kī pūjā karēgā tō unkō vahī dikhāī paṛēgā .
111If someone worships Hanuman, he would only see him.
101Gaṇēśh K|kē pujārī kō vahī dikhāī paṛēgā .
112A worshipper of Ganesh would only see Ganesh.
102Bāp kahtē haĩ hamnē tumkō itnā dhanvān banāyā , hīrē javāharō̃ K|kē mahal thē , tumkō anginat dhan thā , tumnē abhī vah sab kahā̃ ganvāyā ?
113The Father says: I made you so wealthy. 114There were palaces of diamonds and precious stones; you had countless wealth. 115Where did you lose it all?
103Abhī tum kaṅgāl ban gayē hō , bhīkh mā̃g rahē hō .
116Now that you have become poverty-stricken, you are begging for alms.
104Bāp tō kah saktē haĩ nā .
117The Father can tell you all of this.
105Abhī tum bachchē samajhtē hō bāp āyē haĩ , ham phir sē viśhva K|kē mālik bantē haĩ .
118You children understand that now the Father has come, we are becoming the masters of the world again.
106Yah drama anādi banā huā hai .
119This eternal drama is predestined.
107Harēk drama mē̃ apnā part bajā rahē haĩ .
120Each one is playing his part in the drama.
108Kōī ēk śharīr chhōṛ jākar dūsrā lētē haĩ , ismē̃ rōnē key|kī kyā bāt hai .
121If someone sheds a body and adopts another, what need is there to cry about in that?
109Satyug mē̃ kabhī rōtē nahī̃ .
122You never cry in the golden age.
110Abhī tum mōhjīt ban rahē hō .
123You are now conquering attachment.
111Mōhjīt rājāyē̃ yah lakṣhmī-nārāyaṇ ādi haĩ .
124Lakshmi and Narayan, etc. are the sovereigns who triumph over attachment.
112Vahā̃ mōh hōtā nahī̃ .
125Attachment doesn’t exist there.
113Bāp anēk prakār key|kī bātē̃ samjhātē rahtē haĩ .
126The Father continues to explain various aspects.
114Bāp hai nirākār .
127The Father is incorporeal.
115Manuṣhya tō usē nām-rūp sē nyārā kah dētē haĩ . 116Lēkin nām-rūp sē nyārī kōī chīz thōṛēhī hōtī hai .
128Human beings just say that He is beyond name and form, but there is nothing beyond name and form.
117Hē bhagvān , ō god father kahtē haĩ nā .
129They call out, "O God! 130O God, the Father!"?
118Tō nām-rūp hai nā .
131So, He has a name and form.
119Liṅg kō śhiv paramātmā , śhivbābā bhī kahtē haĩ .
132A lingam is called Shiva, the Supreme Soul, and also Shiv Baba.
120Bābā tō hai nā barōbar .
133He is certainly Baba, is He not?
121Bābā K|kē jarūr bachchē bhī hōṅgē .
134Baba would surely also have children.
122Nirākār kō nirākār ātmā hī bābā kahtī hai .
135Only incorporeal souls call the Incorporeal, “Baba”.
123Mandir mē̃ jāyēṅgē tō unkō kahē̃gē śhivbābā phir ghar mē̃ ākar bāp kō bhī kahtē haĩ bābā .
136When they go to His temple, they call Him, “Shiv Baba”. 137Then, when they go home, they also call their father “baba”.
124Arth|earth tō samajhtē nahī̃ , ham unkō śhivbābā kyō̃ kahtē haĩ !
138They don’t understand why they call Him Shiv Baba.
125Bāp baṛē tē baṛī paṛhāī dō akṣhar mē̃ paṛhātē haĩ - alpha aur bē .
139The Father teaches the highest study in two words: Alpha and beta.
126Alpha kō yād karō tō bē-bādaśāhī tumhārī hai .
140By remembering Alpha and beta, the sovereignty becomes yours.
127Yah baṛā bhārī imtahān hai .
141This is a very big examination.
128Manuṣhya baṛā imtahān pās|pass kartē haĩ tō pahlē vālī paṛhāī kōī yād thōṛēhī rahtī hai .
142When human beings pass a high exam, they don’t remember their earlier studies.
129Paṛhtē-paṛhtē ākhrīn tant ( sār ) buddhi mē̃ ā jātā hai .
143They continue to study and the essence remains in their intellects at the end.
130Yah bhī aisē hai .
144This here is also like that.
131Tum paṛhtē āyē hō . 132Ant mē̃ phir bāp kahtē haĩ manmanābhav , tō dēh kā abhimān ṭūṭ jāyēgā .
145You continue to study and, finally, the Father says: Manmanabhav! 146Then your consciousness of bodies breaks.
133Yah manmanābhav key|kī ādat paṛī hōgī tō pichhāṛī mē̃ bhī bāp aur varsā yād rahēgā .
147If you have instilled the habit of “Manmanabhav”, then, at the end, you will remember the Father and the inheritance.
134Mukhya hai hī yah , kitnā sahaj hai .
148This is the main thing. 149It is so easy!
135Us paṛhāī mē̃ bhī abhī tō patā nahī̃ kyā-kyā paṛhtē haĩ .
150Nowadays, in other studies, who knows what sorts of things they study.
136Jaisē rājā vaisā vah apnī rasam chalātē haĩ .
151As is the king, so accordingly, are the customs and systems that He dictates.
137Āgē maṇ , sēr , pāv kā hisāb chaltā thā .
152Previously, the weighing system was in tons and pounds.
138Abhī tō kilo ādi kyā-kyā nikal paṛā hai .
153Now, however, it is kilos etc.
139Kitnē alag-alag prānt hō gayē haĩ .
154So many separate states have been formed.
140Dēhlī mē̃ jō chīz ēk rūpayā sēr , bāmbē mē̃ milēgī dō rūpayā sēr , kyōṅki prānt alag-alag haĩ .
155Something that costs one rupee in Delhi will cost you two rupees in Bombay, because they are separate states.
141Harēk samajhtē haĩ ham apnē prānt kō bhūkh thōṛēhī mārē̃gē .
156Everyone understands they are not going to allow their state to starve.
142Kitnē jhagaṛē|jhagṛē ādi hōtē haĩ , kitnā rōlā hai .
157There is so much fighting etc. 158There is so much confusion.
143Bhārat kitnā solvent thā phir 84 kā chakra lagātē insolvent ban paṛē haĩ .
159Those of Bharat were so solvent. 160Then, whilst going around the cycle of 84 births, they became insolvent.
144Kahā jātā hai hīrē jaisā janm amōlak kauṛī badalē|badlē khōyā rē … bāp kahtē haĩ tum kauṛiyō̃ K|kē pichhāṛī kyō̃ martē hō .
161It is said: A birth like an invaluable diamond was lost in return for worthless shells. 162The Father says: Why do you kill yourself for shells?
145Ab tō bāp sē varsā lō|low , pāvan banō .
163At least become pure now and claim your inheritance from the Father.
146Bulātē bhī hō - hē patit-pāvan āō , pāvan banāō .
164They also call out: O Purifier come. 165Come and purify us.
147Tō issē siddha hai pāvan thē , ab nahī̃ haĩ .
166So, this proves that you were pure and that now you are not.
148Abhī hai hī kaliyug .
167It is now definitely the iron age.
149Bāp kahtē haĩ maĩ pāvan duniyā banāūṅgā tō patit duniyā kā jarūr vināśh hōgā isliē hī yah mahābhārat laṛāī hai jō is rūdra gyān yagya sē prajvalit huī hai .
168The Father says: If I create a pure world, this impure world would surely have to be destroyed. 169That is why there is this Mahabharat War which is ignited by the sacrificial fire of this knowledge of Rudra.
150Drama mē̃ tō yah vināśh hōnē key|kī bhī nūndh hai .
170This destruction is also fixed in the drama.
151Pahlē-pahlē tō bābā kō sākṣhātkār huā .
171First of all, Baba had a vision.
152Dēkhā itnī baṛī rājāī miltī hai tō bahut khuśhī hōnē lagī , phir vināśh kā sākṣhātkār bhī karāyā .
172Because he was to receive such a great kingdom, he started to become very happy. 173Then, he was also given a vision of destruction.
153Manmanābhav , madhyājībhav .
174“Manmanabhav, Madhyajibhav.”
154Yah gītā K|kē akṣhar haĩ .
175These are words from the Gita.
155Kōī-kōī akṣhar gītā K|kē ṭhīk haĩ .
176Some expressions of the Gita are right.
156Bāp bhī kahtē haĩ tumkō yah gyān sunātā hū̃ , yah phir prāyaḥ lōp hō jātā hai .
177The Father also says: I speak this knowledge to you. 178Then, it disappears.
157Kōī kō bhī patā nahī̃ hai ki lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tō aur kōī dharm nahī̃ thā .
179No one even knows that there was no other religion when there was the kingdom of Lakshmi and Narayan.
158Us samay jansaṅkhyā kitnī thōṛī hōgī , ab kitnī hai .
180The population at that time would have been very small. 181It is now very large.
159Tō yah change hōnī chāhiē .
182Therefore, this change has to take place.
160Jarūr vināśh bhī chāhiē .
183Destruction is also needed.
161Mahābhārat laṛāī bhī hai .
184The Mahabharat War happens for that.
162Jarūr bhagvān bhī hōgā .
185God too would be there.
163Śhiv jayantī manātē haĩ tō śhiv-bābā nē kyā ākar kiyā ?
186They celebrate the birthday of Shiva. 187What did Shiv Baba come and do?
164Vah bhī nahī̃ jāntē haĩ .
188That, too, they don’t know.
165Ab bāp samjhātē haĩ , gītā sē śhrīkr̥iṣhṇa key|kī ātmā kō rājāī milī .
189The Father now explains: Through the Gita, the Shri Krishna soul received a kingship.
166Māt-pitā kahē̃gē gītā kō , jissē tum phir dēvtā bantē hō .
190The Gita is the mother and father through which you become deities.
167Gītā K|kē gyān sē rājyōg sīkh śhrīkr̥iṣhṇa yah banā .
191Shri Krishna studied Raja Yoga through this knowledge of the Gita.
168Unhōnnē phir śhivbābā kē badlē śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai .
192They used Shri Krishna's name instead of Shiv Baba’s name.
169Tō bāp samjhātē haĩ , yah tō apnē andar pakkā niśhchay kar lō , kōī ulṭī-sulṭī bāt sunākar tumhē̃ girā na dē .
193So, the Father explains: Make this firm inside yourself, then no one will make you fall by telling you wrong things.
170Bahut bātē̃ pūchhtē haĩ - vikār bigar sr̥iṣhṭi kaisē chalēgī ?
194They ask many things: How would the world continue without vice?
171Yah kaisē hōgā ?
195How will this happen?
172Arē , tum khud kahtē hō - vah viceless duniyā thī .
196Ah, but you yourself say: It was a viceless world.
173Sampūrṇ nirvikārī kahtē hō nā phir vikār key|kī bāt kaisē hō saktī hai ?
197You say, “completely viceless” do you not? 198Then, how could it be a world of vice?
174Ab tum jāntē hō bēhad K|kē bāp sē bēhad key|kī bādśhāhī miltī hai , tō aisē bāp kō kyō̃ nahī̃ yād karē̃gē ?
199You now know that you are to receive the unlimited sovereignty from the unlimited Father. 200So, why should you not remember such a Father?
175Yah hai hī patit duniyā .
201This is an impure world.
176Kumbha K|kē mēlē par kitnē lākhō̃ jātē haĩ .
202So, many hundreds of thousands go to the Kumbha Mela.
177Ab kahtē haĩ vahā̃ ēk nadī gupta hai .
203They then say: There, one river is incognito.
178Ab nadī gupta hō saktī hai kyā ?
204Now, can a river be hidden?
179Yahā̃ bhī gaūmukh banāyā hai .
205Here, too, they have made a gaumukh (cow's mouth).
180Kahtē haĩ gaṅgā yahā̃ ātī hai .
206They say: The Ganges flows here.
181Arē , gaṅgā apnā rāstā lēkar samudra mē̃ jāyēgī ki yahā̃ tumhārē pās|pass pahāṛ par āyēgī .
207However, would the Ganges go on its way to the ocean or would it come to you on a mountain?
182Bhakti mārg mē̃ kitnē dhakkē haĩ .
208There is so much stumbling around on the path of devotion.
183Gyān , bhakti phir hai vairāgya . 184Ēk hai had kā vairāgya , dūsrā hai bēhad kā .
209There is knowledge, devotion and then disinterest; one is limited disinterest; the other is unlimited.
185Sanyāsī gharbār chhōṛ jaṅgal mē̃ rahtē haĩ , yahā̃ tō vah bāt nahī̃ .
210Sannyasis leave their homes and go and live in a jungle. 211That is not the case here.
186Tum buddhi sē sārī purānī duniyā kā sanyās kartē hō .
212You renounce the whole world with your intellects.
187Tum rājyōgī bachchō̃ kā mukhya kartavya hai paṛhnā aur paṛhānā .
213The main task of you Raja Yogi children is to study and teach others.
188Ab rājyōg kōī jaṅgal mē̃ thōṛēhī sikhāyā jātā hai .
214Now, it is not as though Raja Yoga can be taught in a jungle.
189Yah school hai .
215This is a school.
190Branches nikaltī jātī haĩ .
216Branches emerge from it.
191Tum bachchē rājyōg sīkh rahē hō .
217You children are studying Raja Yoga.
192Śhivbābā sē paṛhē huē brāhmaṇ-brāhmaṇiyā̃ sikhātē haĩ .
218The Brahma Kumars and Kumaris, who are studying with Shiv Baba, teach everyone.
193Ēk śhivbābā thōṛēhī sabkō baiṭh sikhāyēgā .
219One Shiv Baba cannot just sit and teach everyone.
194Tō yah huī pāṇḍav government .
220So this is the Pandava Government.
195Tum hō īśhvarīy mat par .
221You are under God’s directions.
196Yahā̃ tum kitnā śhānti mē̃ baiṭhē hō , bāhar tō anēk haṅgāmē̃ haĩ .
222Here, you are sitting in such peace; outside, there is so much upheaval and chaos.
197Bāp kahtē haĩ 5 vikārō̃ kā dān dō tō grahaṇ chhūṭ jāyēgā .
223The Father says: Donate the five vices and those omens will go away.
198Mērē banō tō maĩ tumhārī sab kāmanāyē̃ pūrī kar dū̃gā .
224Become Mine and I will fulfil all your desires.
199Tum bachchē jāntē hō abhī ham sukhdhām mē̃ jātē haĩ , duḥkhdhām kō āg lagnī hai .
225You children know that we are now going to the land of happiness; the land of sorrow is to be set ablaze.
200Bachchō̃ nē vināśh kā sākṣhātkār bhī kiyā hai .
226Some children too have had visions of destruction.
201Ab time bahut thōṛā hai isliē yād kī yātrā mē̃ lag jāyēṅgē tō vikarma vināśh hōṅgē aur ūñch pad pāyēṅgē .
227There is now only a little time left. 228Therefore, if you become busy on the pilgrimage of remembrance, your sins will be absolved and you will attain a high status.
202Achchhā !
229Achcha.
203Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
230To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
204Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
231The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
205Dhārṇā kē liē mukhya sār :
232Essence for dharna:
2061 ) bāp K|kē varsē kā pūrā adhikār lēnē kē liē jītē jī marnā hai .
2331. In order to claim your full inheritance from the Father, die alive.
207Adopt hō jānā hai .
234Become adopted.
208Kabhī bhī apnī ūñchī takdīr kō lakīr nahī̃ lagānī hai .
235Never cross out your elevated fortune.
2092 ) kōī bhī ulṭī-sulṭī bāt sunkar sanśhay mē̃ nahī̃ ānā hai .
2362. Do not develop doubt by listening to wrong things.
210Zarā bhī niśhchay na hilē .
237Don’t allow your faith to shake even slightly.
211Is duḥkhdhām kō āg lagnē vālī hai isliē issē apnā buddhiyōg nikāl lēnā hai .
238This land of sorrow is to be set ablaze. 239Therefore, remove your intellect from it.
Blessing
212Vardān : viśhēṣhtā rūpī sañjīvanī būṭī dvārā mūrchhit kō surjīt karnē vālē viśhēṣh ātmā bhav
240Blessing: May you become a special soul and make unconscious ones conscious by giving them the life-giving herb in the form of specialities.
213Her|har ātmā kō śhrēṣhṭh smr̥iti key|kī , viśhēṣhatāō̃ key|kī smr̥iti rūpī sañjīvanī būṭī khilāō tō vah mūrchhit sē surjīt hō jāyēgī .
241Give every soul the life-giving herb of elevated awareness and of specialities and they will become conscious from unconscious.
214Viśhēṣhatāō̃ K|kē svarūp kā darpaṇ uskē sāmnē rakhō .
242Keep a mirror of the form of specialities in front of them.
215Dūsrō̃ kō smr̥iti dilānē sē āp viśhēṣh ātmā ban hī jāyēṅgē .
243By reminding others, you will become a special soul.
216Agar āp kisī kō kamjōrī sunāyēṅgē tō vah chhipāyēṅgē , ṭāl dēgē āp viśhēṣhtā sunāō tō svayã hī apnī kamjōrī spaṣhṭ anubhav karē̃gē .
244If you tell others about their weakness, they will try to hide it or brush it off, but if you tell them their specialities they will automatically experience their own weakness.
217Isī sañjīvanī būṭī sē mūrchhit kō surjīt kar uṛtē chalō aur uṛātē chalō .
245Use this life-giving herb to make unconscious ones conscious. 246Fly and enable others to fly.
Slogan
218Slōgan : nām-mān-śhān va sādhanō̃ kā saṅkalp mē̃ bhī tyāg hī mahān tyāg hai .
247Slogan: To renounce name, respect, honour and facilities, even in your thoughts, is great renunciation.
248*** Om Shanti ***
219Avyakt iśhārē - saṅkalpō̃ key|kī śhakti jamā kar śhrēṣhṭh sēvā kē nimitt banō
249Avyakt Signal: Accumulate the power of thoughts and become an instrument for elevated service.
220Nimitt banē huē bachchō̃ kō viśhēṣh apnē her|har saṅkalp kē ūpar attention dēnā chāhiē , jab āp nirvikalp , nirvyarth saṅkalp rahē̃gē tab buddhi ṭhīk nirṇay karēgī , nirṇay ṭhīk hai tō nivāraṇ bhī sahaj kar lē̃gē .
250You children, who have become instruments, have to pay special attention to your thoughts. 251When you remain free from sinful and waste thoughts, your intellect will be able to make a good decision, and, when you make a good decision, you will easily be able to resolve everything.
221Nivāraṇ karnē kē bajāē agar āp hī kāraṇ , kāraṇ kahē̃gē tō āpkē pīchhē vālē bhī her|har bāt mē̃ kāraṇ batātē rahē̃gē .
252Instead of resolving everything, if you yourself continue to make excuses, those who follow you will also continue to make excuses for every situation.