सोमवार 11 अगस्त 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

011-08-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

011/08/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhē̃ paṛhāī sē apnī karmātīt avasthā banānī hai , sāth-sāth patit sē pāvan banānē kā rāstā bhī batānā hai , rūhānī service karnī hai ' '

1Essence: Sweet children, you have to make your stage karmateet by studying. 2As well as that, you also have to show others the way to become pure from impure. 3Therefore, do spiritual service.

Question

2Praśhna  : kaun-sā mantra yād rakhō tō pāp karmō̃ sē bach jāyēṅgē  ?

4Question: By remembering which mantra can you prevent yourself from performing sinful acts?

Answer

3Uttar  : bāp nē mantra diyā hai - hear no evil , see no evil … yahī mantra yād rakhō .

5Answer: The Father has given you the mantra: Hear no evil! 6See no evil!Speak no evil! 7Remember this mantra.

4Tumhē̃ apnī karmēndriyō̃ sē kōī pāp nahī̃ karnā hai .

8You must not perform any sinful acts through your physical organs.

5Kaliyug mē̃ sabsē pāp karma hī hōtē haĩ isliē bābā yah yukti batātē haĩ , pavitratā kā guṇ dhāraṇ karō - yahī number one guṇ hai .

9Everyone in the iron age commits sinful acts. 10This is why Baba shows you the way to imbibe the virtue of purity. 11This is the number one virtue.

Murli

6Ōm śhānti .

12Om shanti.

7Bachchē kiskē sāmnē baiṭhē haĩ .

13In front of whom are you children sitting?

8Buddhi mē̃ jarūr chaltā hōgā ki ham patit-pāvan sarv K|kē sadgati dātā , apnē bēhad K|kē bāp K|kē sāmnē baiṭhē haĩ .

14It must surely be in your intellects that you are sitting in front of the Purifier, the Bestower of Salvation for All, our unlimited Father.

9Bhal brahmā K|kē tan mē̃ haĩ tō bhī yād unkō karnā hai .

15Although that Father is in the body of Brahma, you still have to remember Him.

10Manuṣhya kōī sarv key|kī sadgati nahī̃ kar saktē .

16Human beings cannot grant salvation to anyone.

11Manuṣhya kō patit-pāvan nahī̃ kahā jātā .

17No human being can be called the Purifier.

12Bachchō̃ kō apnē kō ātmā samajhnā paṛē .

18You children have to consider yourselves to be souls.

13Ham sab ātmāō̃ kā bāp vah hai .

19He is the Father of all of us souls.

14Vah bāp hamkō svarg kā mālik banā rahē haĩ .

20That Father is making us into the masters of heaven.

15Yah bachchō̃ kō jānnā chāhiē aur phir khuśhī bhī hōnī chāhiē .

21You children should know this and so you should experience happiness.

16Yah bhī bachchē jāntē haĩ ham narkvāsī sē svargvāsī ban rahē haĩ .

22You children also know that, from being residents of hell, you are becoming residents of heaven.

17Bahut sahaj rāstā mil rahā hai .

23You are being shown a very easy way.

18Sirph yād karnā hai aur apnē mē̃ daivīguṇ dhāraṇ karnē haĩ .

24You simply have to remember Him and also inculcate divine virtues into yourselves.

19Apnī jāñch rakhnī hai .

25You have to examine yourselves.

20Nārad kā misāl bhī hai .

26There is the example of Narad.

21Yah sab dr̥iṣhṭānt , gyān K|kē sāgar bāp nē hī diyē haĩ .

27The Father, the Ocean of Knowledge, gave all of those examples.

22Jō bhī sanyāsī ādi dr̥iṣhṭānt dētē haĩ , vah sab bāp K|kē diyē huē haĩ .

28All the examples that the sannyasis etc. give were originally given by the Father.

23Bhakti mārg mē̃ sirph gātē rahtē haĩ .

29People on the path of devotion simply continue to sing.

24Kachhuē kā , sarp kā , bhramarī kā dr̥iṣhṭānt dēgē . 25Parantu khud kuchh bhī nahī̃ kar saktē .

30Although they give examples of a tortoise, a snake, a buzzing bee, etc., they are not able to do anything themselves.

26Bāp K|kē diyē huē dr̥iṣhṭānt bhaktimārg mē̃ phir repeat kartē haĩ .

31On the path of devotion, they simply repeat the examples that the Father gives now.

27Bhakti mārg hai hī past kā .

32The path of devotion is of the past.

28Is samay jō practical hōtā hai uskā phir gāyan hōtā hai .

33Whatever happens in a practical way at this time is later remembered on the path of devotion.

29Bhal dēvtāō̃ kā janm din athavā bhagvān kā janm din manātē haĩ parantu jāntē kuchh bhī nahī̃ haĩ .

34Although they celebrate the birthday of the deities and of God, they don’t know anything.

30Abhī tum samajhtē jātē hō .

35You are now beginning to understand everything.

31Bāp sē śhikṣhā lēkar patit sē pāvan bhī bantē hō aur patitō̃ kō pāvan bannē kā rāstā bhī batātē hō .

36You take teachings from the Father to become pure from impure and you also show others the way to become pure from impure.

32Yah hai tumhārī mukhya rūhānī service .

37This is your main spiritual service.

33Pahlē-pahlē kōī kō bhī ātmā kā gyān dēnā hai . 34Tum ātmā hō .

38First of all, give anyone who comes to you the knowledge of souls: You are a soul.

35Ātmā kā bhī kiskō patā nahī̃ .

39No one knows about souls.

36Ātmā tō avināśhī hai .

40Souls are imperishable.

37Jab samay hōtā hai ātmā śharīr mē̃ ākar pravēśh kartī hai tō apnē kō ghaṛī-ghaṛī ātmā samajhnā hai .

41At the right time, a soul enters a body. 42Therefore, you repeatedly have to consider yourselves to be souls.

38Ham ātmāō̃ kā bāp parampitā paramātmā hai .

43The Father of us souls is the Supreme Father, the Supreme Soul.

39Param teacher bhī hai .

44He is also the Supreme Teacher.

40Yah bhī hardam bachchō̃ kō yād rahnā chāhiē .

45You children have to remember this at every moment.

41Yah bhūlnā nahī̃ chāhiē .

46You should not forget this.

42Tum jāntē hō ab vāpis jānā hai .

47You now understand that you have to return home.

43Vināśh sāmnē khaṛā hai .

48Destruction is standing ahead of you.

44Satyug mē̃ daivī parivār bahut chhōṭā hōtā hai .

49In the golden age, the deity family is very small.

45Kaliyug mē̃ tō kitnē ḍhēr manuṣhya haĩ . 46Anēk dharm , anēk matē̃ haĩ .

50In the iron age, there are many human beings; there are innumerable religions and innumerable opinions.

47Satyug mē̃ yah kuchh bhī hōtā nahī̃ .

51None of these things exists in the golden age.

48Bachchō̃ kō sārā din buddhi mē̃ yah bātē̃ lānī haĩ .

52You children should keep these matters in your intellects throughout the day.

49Yah paṛhāī hai nā .

53This is a study, is it not?

50Us paṛhāī mē̃ tō kitnē kitāb ādi hōtē haĩ .

54In worldly studies they have so many books etc.

51Har ēk class mē̃ nayē-nayē kitāb kharīd karnē paṛtē haĩ .

55They have to buy new books for each class.

52Yahā̃ tō kōī bhī kitāb vā śhāstrō̃ ādi key|kī bāt nahī̃ .

56Here, there is no question of books or scriptures etc.

53Ismē̃ tō ēk hī bāt , ēk hī paṛhāī hai .

57Here, there is just one thing, just one study.

54Yahā̃ jab British government thī , rājāō̃ kā rājya thā , tō sṭēmpa mē̃ bhī rājā-rānī K|kē sivāē aur kōī kā phōṭō nahī̃ ḍāltē thē .

58When the British Government used to be here, it was a kingdom of kings, so they didn’t use photos of anyone, but the king or queen, on the stamps.

55Ājkal tō dēkhō bhakta ādi jō bhī hōkar gayē haĩ unkī bhī sṭēmpa banātē rahtē haĩ .

59Nowadays, they continue to make stamps of even devotees etc. who have been and gone.

56In lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya hōgā tō chitra bhī ēk hī mahārājā-mahārānī kā hōgā .

60When it is the kingdom of Lakshmi and Narayan, there will just be the picture of one emperor and empress.

57Aisē nahī̃ jō past dēvtāyē̃ hōkar gayē haĩ unkē chitra miṭ gayē haĩ .

61It isn’t that the pictures of the deities who existed in the past have all been destroyed; no.

58Nahī̃ , purānē tē purānē dēvtāō̃ kā chitra bahut dil sē lētē haĩ kyōṅki śhivbābā kē bād next haĩ dēv-tāyē̃ .

62People have a great interest in buying old pictures of the ancient deities because the deities are next to Shiv Baba.

59Yah sab bātē̃ tum bachchē dhāraṇ kar rahē hō aurō̃ kō rāstā batānē .

63You children have to imbibe all of these things in order to show others the path.

60Yah hai bilkul naī paṛhāī .

64This is a completely new study.

61Tumnē hī yah sunī thī aur pad pāyā thā aur kōī nahī̃ jāntē .

65You heard this previously and claimed a status. 66No one else knows this.

62Tumkō rājyōg parampitā paramātmā sikhlā rahē haĩ .

67The Supreme Father, the Supreme Soul, is teaching you Raja Yoga.

63Mahābhārat laṛāī bhī maśhhūr hai .

68The Mahabharat War is very well known.

64Kyā hōtā hai sō tō āgē chal dēkhē̃gē .

69We shall see what happens as we progress further.

65Kōī kyā kahtē , kōī kyā kahtē .

70Some say one thing and others say something else.

66Din-pratidin manuṣhyō̃ kō touch hōtā jātā hai .

71Day by day, human beings will continue to be touched by this.

67Kahtē bhī haĩ world war|vār lag jāyēgī .

72They even say that there is going to be a world war.

68Ussē pahlē tum bachchō̃ kō apnī paṛhāī sē karmātīt avasthā prāpt karnī hai .

73Before it takes place, you children have to reach your karmateet stage through this study.

69Bākī asurō̃ aur dēv-tāō̃ key|kī kōī laṛāī nahī̃ hōtī hai .

74However, there isn’t a war between the devils and the deities.

70Is samay tum brāhmaṇ sampradāy hō jō phir jākar daivī sampradāy bantē hō isliē is janm mē̃ daivīguṇ dhāraṇ kar rahē hō .

75At this time you are the Brahmin community and you then become the deity community. 76This is why you are imbibing divine virtues in this birth.

71Number one daivīguṇ hai pavitratā kā .

77The number one divine virtue is purity.

72Tum is śharīr dvārā kitnē pāp kartē āyē hō .

78You have been committing so much sin through your bodies.

73Ātmā kō hī kahā jātā hai pāp ātmā , ātmā in karmēndriyō̃ sē kitnē pāp kartī rahtī hai .

79It is souls who are said to be sinful souls. 80Souls commit so much sin through their physical senses.

74Ab hear no evil . . . . . . . kiskō kahā jātā hai  ?

81Who is told, “Hear no evil"?

75Ātmā kō .

82Souls.

76Ātmā hī kānō̃ sē suntī hai .

83It is souls who hear through their ears.

77Bāp nē tum bachchō̃ kō smr̥iti dilāī hai ki tum ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm vālē thē , chakra khākar āyē ab phir tumkō vahī bannā hai .

84The Father has reminded you children: You used to belong to the original eternal deity religion, you have been around the cycle, and so you now have to belong to that again.

78Yah mīṭhī smr̥iti ānē sē pavitra bannē key|kī himmat ātī hai .

85When these sweet memories emerge, the soul has the courage to become pure.

79Tumhārī buddhi mē̃ hai hamnē kaisē 84 kā part bajāyā hai . 80Pahlē-pahlē ham yah thē . 81Yah kahānī hai nā .

86It is in your intellects how you have played your parts of 84 births: This is what you were in the beginning, this is a story.

82Buddhi mē̃ ānā chāhiē 5 hazār varṣh pahlē ham sō dēvtā thē .

87It should enter your intellects that 5000 years ago we were deities.

83Ham ātmā mūlvatan key|kī rahnē vālī haĩ .

88We souls are residents of the incorporeal world.

84Āgē yah zarā bhī khyāl nahī̃ thā - ham ātmāō̃ kā vah ghar hai . 85Vahā̃ sē ham ātē haĩ part bajānē . 86Sūryavanśhī-chandravanśhī . . . . . . banē .

89Previously, we didn’t have the slightest thought about that being the home of us souls and that we came from there to play our parts, that we became part of the sun dynasty and then the moon dynasty.

87Abhī tum brahmā key|kī santān brāhmaṇ vãnśhī hō .

90You are now the Brahmin dynasty, the children of Brahma.

88Tum īśhvarīy aulād banē hō .

91You have become the children of God.

89Īśhvar baiṭh tumkō śhikṣhā dētē haĩ .

92God sits here and gives you teachings.

90Yah supreme bāp , supreme teacher , supreme gurū bhī hai .

93That Supreme Father is also the Supreme Teacher and the Supreme Guru.

91Ham unkī mat sē sab manuṣhyō̃ kō śhrēṣhṭh banātē haĩ .

94By following His directions, we are making all human beings elevated.

92Mukti-jīvanmukti dōnō̃ śhrēṣhṭh haĩ .

95Liberation and liberation-in-life are both elevated.

93Ham apnē ghar jāyēṅgē phir pavitra ātmāyē̃ ākar rājya karē̃gī .

96We will go to our home, then come down as pure souls and rule.

94Yah chakra hai nā .

97This is a cycle.

95Iskō kahā jātā hai svadarśhan chakra .

98This is called the discus of self-realisation.

96Yah gyān key|kī bāt hai .

99This aspect is of this knowledge.

97Bāp kahtē haĩ tumhārā yah svadarśhan chakra rūknā nahī̃ chāhiē .

100The Father says: Your discus of self-realisation should not stop.

98Phirtē rahnē sē vikarma vināśh hō jāyēṅgē . 99Tum is rāvaṇ par jīt pā lē̃gē . 100Pāp miṭ jāyēṅgē .

101By spinning it continuously, your sins will be absolved and you will conquer Ravan; your sins will be erased.

101Ab smr̥iti āī hai , simraṇ karnē kē liē .

102You now have awareness of all of this. 103Therefore, you can think about it.

102Aisē nahī̃ , mālā baiṭh simraṇ karnī hai .

104It isn’t that you have to sit and turn the beads of a rosary.

103Ātmā mē̃ andar gyān hai jō tum bachchō̃ kō aur bhāī-bahinō̃ kō samjhānā hai .

105You souls have this knowledge inside you. 106Therefore, you children have to explain it to other brothers and sisters.

104Bachchē bhī madadgār tō banē̃gē nā .

107Those children will also become helpers, will they not?

105Tum bachchō̃ kō hī svadarśhan chakradhārī banātā hū̃ .

108I make you children into spinners of the discus of self-realisation.

106Yah gyān mērē mē̃ hai isliē mujhē gyān kā sāgar manuṣhya sr̥iṣhṭi kā bījrūp kahtē haĩ .

109I have this knowledge, which is why I am called the Ocean of Knowledge, the Seed of the Human World Tree.

107Unkō bāgvān kahā jātā hai .

110He is also called the Master of the Garden.

108Dēvī-dēvtā dharm kā bīj śhiv-bābā nē hī lagāyā hai .

111Shiv Baba has sown the seed of the deity religion. 112You are now becoming deities.

109Abhī tum dēvī-dēvtā ban rahē hō . 110Yah sārā din simraṇ kartē rahō tō bhī tumhārā bahut kalyāṇ hai .

113Even if you only continue to remember this much throughout the day, you can experience a great deal of benefit.

111Daivīguṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .

114You have to imbibe divine virtues.

112Pavitra bhī bannā hai .

115You also have to become pure.

113Strī-puruṣh dōnō̃ ikaṭṭhē rahtē pavitra bantē hō .

116Husband and wife live together and yet remain pure.

114Aisā dharm tō hōtā nahī̃ .

117There is no other religion like this.

115Nivr̥itti mārg vālē tō vah sirph puruṣh bantē haĩ .

118On the path of isolation, only the men remain pure.

116Kahtē haĩ nā - strī-puruṣh dōnō̃ ikaṭṭhē pavitra rah nahī̃ saktē , muśhkil hai .

119They say: It is difficult for husband and wife to live together and remain pure.

117Satyug mē̃ thē nā .

120However, everyone was like this in the golden age, were they not?

118Lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī mahimā bhī gātē haĩ .

121People sing the praise of Lakshmi and Narayan.

119Abhī tum jāntē hō bābā hamkō śhūdra sē brāhmaṇ banāē phir dēvtā banātē haĩ .

122You now understand that Baba changed us from shudras into Brahmins and is making us into deities.

120Ham hī pūjya sē pujārī banē̃gē .

123We will then change from being worthy of worship to worshippers.

121Phir jab vāmmārg mē̃ jāyēṅgē tō śhiv kā mandir banāē pūjā karē̃gē .

124Then, when you go onto the path of sin, you will build temples to Shiva and worship Him.

122Tum bachchō̃ kō apnē 84 janm kā gyān hai .

125You children have this knowledge of your 84 births.

123Bāp hī kahtē haĩ tum apnē janmō̃ kō nahī̃ jāntē hō , maĩ batātā hū̃ .

126The Father says: You didn’t know of your 84 births; I now tell you.

124Aisē aur kōī manuṣhya kah na sakē .

127No human being can tell you this.

125Tumkō ab bāp svadarśhan chakradhārī banātē haĩ .

128The Father is now making you into spinners of the discus of self-realisation.

126Tum ātmā pavitra ban rahī hō .

129You souls are becoming pure.

127Śharīr tō yahā̃ pavitra ban na sakē .

130Your bodies cannot become pure here.

128Ātmā pavitra ban jātī hai tō phir apavitr śharīr kō chhōṛnā paṛtā hai .

131When you souls become pure, you will have to leave your impure bodies.

129Sab ātmāō̃ kō pavitra hōkar jānā hai .

132All souls have to become pure and return home.

130Pavitra duniyā ab sthāpan hō rahī hai .

133The pure world is now being established.

131Bākī sab sweet home mē̃ chalē jāyēṅgē .

134All the rest will return to the sweet home.

132Yah yād rakhnā chāhiē .

135Remember this.

133Bāp kī yād K|kē sāth-sāth ghar key|kī bhī yād jarūr chāhiē kyōṅki ab vāpis ghar jānā hai .

136Together with having remembrance of the Father, you also have to remember your home because you now have to return home.

134Ghar mē̃ hī bāp kō yād karnā hai .

137You have to remember the Father in the home.

135Bhal tum jāntē hō bābā is tan mē̃ ākar hamkō sunā rahē haĩ parantu buddhi paramdhām sweet home sē ṭūṭnī nahī̃ chāhiē .

138Although you know that the Father enters this body and speaks this knowledge to you, don’t allow your intellects to break away from the supreme abode, your sweet home.

136Teacher ghar chhōṛkar ātē haĩ , tumkō paṛhānē .

139The Teacher leaves His home and comes here to teach you.

137Paṛhākar phir bahut dūr chalē jātē haĩ .

140After teaching you, He will go far, far away.

138Second mē̃ kahā̃ bhī jā saktē haĩ .

141He can go anywhere in a second.

139Ātmā kitnī chhōṭī bindī hai .

142A soul is such a tiny point.

140Wonder khānā chāhiē .

143You should be amazed.

141Bāp nē ātmā kā bhī gyān diyā hai .

144The Father has given you this knowledge of souls.

142Yah bhī tum jāntē hō svarg mē̃ kōī gandī chīz hōtī nahī̃ , jismē̃ hāth-pā̃v athavā kapṛē ādi mailē hō̃ .

145You also know that there is nothing dirty in heaven through which your hands or feet or your clothes would become dirty.

143Dēvtāō̃ key|kī kaisī sundar paharvāis hai .

146The costumes of the deities are very beautiful.

144Kitnē first class kapṛē hōṅgē . 145Dhōnē key|kī bhī darkār nahī̃ .

147Their clothes are firstclass; there will be no need to wash them.

146Inkō dēkhkar kitnī khuśhī hōnī chāhiē .

148There should be so much happiness on seeing them.

147Ātmā jāntī hai bhaviṣhya 21 janm ham yah banē̃gē .

149The soul knows that this is what we are to become for our future 21 births.

148Bas dēkhtē rahnā chāhiē .

150Simply continue to look at this.

149Yah chitra sabkē pās|pass hōnā chāhiē .

151Everyone should have this picture.

150Ismē̃ baṛī khuśhī chāhiē - hamkō bābā yah banātē haĩ .

152You should have great happiness that this is what Baba is making you.

151Aisē bābā K|kē ham bachchē phir rōtē kyō̃ haĩ  !

153So, why do you children of such a Father cry?

152Hamkō kōī phikra thōṛēhī hōnā chāhiē .

154You should not have any worries.

153Dēvtāō̃ K|kē mandir mē̃ jākar mahimā gātē haĩ - sarvguṇ sampann . . . . . . achatam kēśhavam . . . . . . kitnē nām bōltē jātē haĩ .

155People go to temples of the deities and sing songs of praise: "You are full of all virtues", etc. 156They recite so many names.

154Yah sab śhāstrō̃ mē̃ likhā huā hai jō yād kartē haĩ .

157All the names that they remember are written in the scriptures.

155Śhāstrō̃ mē̃ kisnē likhā  ?

158Who wrote them in the scriptures?

156Vyās nē . 157Yā kōī nayē-nayē bhī banātē rahtē haĩ .

159Vyas, or even some new ones write them (the scriptures).

158Granth āgē bahut chhōṭā thā hāth sē likhā huā .

160Earlier, the Granth was very small and hand written.

159Abhī tō kitnā baṛā banā diyā hai .

161They have now made it very large.

160Jarūr addition kiyā hōgā .

162They must surely have made additions to it.

161Ab gurūnānak tō ātē hī haĩ dharm key|kī sthāpanā karnē .

163Guru Nanak simply comes to establish a religion.

162Gyān dēnē vālā tō ēk hī hai .

164Only the One gives this knowledge.

163Christ bhī ātē haĩ sirph dharm key|kī sthāpanā karnē kē liē .

165Even Christ simply comes to establish a religion.

164Jab sab ā jātē haĩ phir tō vāpis jāyēṅgē .

166When everyone has come down, you will then all return.

165Ghar bhējnē vālā kaun  ?

167Who is the one who sends you home?

166Kyā Christ  ?

168Is it Christ?

167Nahī̃ . 168Vah tō bhinn nām-rūp mē̃ tamōpradhān avasthā mē̃ hai .

169No; he is in a different name, form and tamopradhan stage.

169Satō , rajō , tamō mē̃ ātē haĩ nā .

170He has to pass through the sato, rajo and tamo stages.

170Is samay sab tamōpradhān haĩ . 171Sabkī jaṛjaṛībhūt avasthā hai nā .

171At this time, everyone is tamopradhan; everyone is in a state of total decay.

172Punarjanma lētē-lētē is samay sab dharm vālē ākar tamōpradhān banē haĩ .

172At this time, having taken rebirth, those of all religions have become tamopradhan.

173Ab sabkō vāpis jānā hai jarūr .

173Everyone now definitely has to return home.

174Phir sē chakra phirnā chāhiē .

174The cycle has to turn again.

175Pahlē nayā dharm chāhiē jō satyug mē̃ thā .

175First, the new religion that existed in the golden age is needed.

176Bāp hī ākar ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā kartē haĩ .

176The Father comes and establishes the original, eternal, deity religion.

177Phir vināśh bhī hōnā hai .

177Then destruction has to take place.

178Sthāpanā , vināśh phir pālnā .

178There is establishment, destruction and then sustenance.

179Satyug mē̃ ēk hī dharm hōgā .

179In the golden age, there is just one religion.

180Yah smr̥iti ātī hai nā .

180Do you remember this?

181Sārā chakra smr̥iti mē̃ lānā hai .

181Become aware of the whole cycle.

182Abhī ham 84 kā chakra pūrā kar vāpis ghar jāyēṅgē .

182We will now complete this cycle of 84 births and then return home.

183Tum bōltē chaltē svadarśhan chakradhārī hō .

183While walking and talking, spin the discus of self-realisation.

184Vah phir kahtē kr̥iṣhṇa kō svadarśhan chakra thā , unsē sabkō mārā .

184Those people say that Krishna had a discus of self-realisation with which he killed everyone.

185Akāsur bakāsur ādi K|kē chitra dikhāyē haĩ .

185They have shown a picture of Akasur and Bakasur (pair of devils).

186Parantu aisī kōī bāt hai nahī̃ .

186However, there was nothing like that.

187Tum bachchō̃ kō abhī svadarśhan chakradhārī bankar rahnā hai kyōṅki svadarśhan chakra sē tumhārē pāp kaṭtē haĩ .

187You children now have to remain spinners of the discus of self-realisation because your sins will be cut away by doing that.

188Āsurīpanā khatm hōtā hai .

188Any devilish nature will finish.

189Dēvtāō̃ aur asurō̃ key|kī laṛāī tō hō na sakē .

189There cannot be a war between the deities and the devils.

190Asur haĩ kaliyug mē̃ , dēvtāyē̃ haĩ satyug mē̃ . 191Bīch mē̃ hai saṅgamyug .

190Devils exist in the iron age whereas deities exist in the golden age and there is the confluence age in between.

192Śhāstra haĩ hī bhakti mārg K|kē .

191The scriptures belong to the path of devotion.

193Gyān kā nām niśhān nahī̃ .

192They have no name or trace of this knowledge.

194Gyān sāgar ēk hī bāp hai sabkē liē .

193The Ocean of Knowledge is the one Father of all.

195Sivāē bāp K|kē kōī bhī ātmā pavitra ban vāpis jā nahī̃ saktī .

194Without the Father, no soul can become pure or return home.

196Part jarūr bajānā hai , tō ab apnē 84 K|kē chakra kō bhī yād karnā hai .

195You definitely have to play your parts. 196Therefore, you now also have to remember your cycle of 84 births.

197Ham abhī satyugī nayē janm mē̃ jātē haĩ .

197We will go into our golden-aged, new birth.

198Aisā janm phir kabhī nahī̃ miltā .

198We will not receive such a birth again.

199Śhivbābā phir brahmā bābā .

199There is Shiv Baba and this Brahma Baba.

200Laukik , pārlaukik aur yah hai alaukik bābā .

200There is a lokik father, the parlokik Father and this is the alokik Baba.

201Is samay key|kī hī bāt hai , inkō alaukik kahā jātā hai .

201It is only at this time that you call this one alokik.

202Tum bachchē us śhivbābā kō simraṇ kartē hō . 203Brahmā kō nahī̃ .

202You children remember Shiv Baba, not Brahma.

204Bhal brahmā K|kē mandir mē̃ jākar pūjā kartē haĩ , vah bhī tab pūjtē haĩ jab sūkṣhmavatan mē̃ sampūrṇ avyakt mūrt hai .

203Although people go to worship Brahma in that temple, that worship is only of the perfect avyakt image in the subtle region.

205Yah śharīrdhārī pūjā K|kē lāyak nahī̃ hai . 206Yah tō manuṣhya hai nā .

204This bodily being is not worthy of being worshipped, he is a human being.

207Manuṣhya key|kī pūjā nahī̃ hōtī .

205Human beings are not worshipped.

208Brahmā kō dāṛhī dikhātē haĩ tō mālūm paṛē yah yahā̃ kā hai .

206Brahma is portrayed with a beard. 207Therefore, you can tell that he belongs here.

209Dēvtāō̃ kō dāṛhī hōtī nahī̃ .

208Deities don’t have beards.

210Yah sab bātē̃ bachchō̃ kō samjhā dī haĩ .

209All of these things have been explained to you children.

211Tumhārā nām bālā hai isliē tumhārā mandir bhī banā huā hai .

210Your name is glorified and this is why your temples have been created.

212Sōmnāth kā mandir kitnā ūñch tē ūñch hai .

211The Somnath Temple is the highest of all.

213Sōmras pilāyā phir kyā huā  ?

212What happened after you were given nectar to drink?

214Phir yahā̃ bhī dēlvāṛā mandir dēkhō . 215Mandir hūbahū yādgār banā huā hai .

213Now, look at the Dilwala Temple here: that temple is an accurate memorial.

216Nīchē tum tapasyā kar rahē hō , ūpar mē̃ hai svarg .

214You are shown sitting on the ground doing tapasya and heaven is portrayed up above.

217Manuṣhya samajhtē haĩ svarg kahā̃ ūpar mē̃ haĩ .

215People think that heaven is up above somewhere.

218Mandir mē̃ bhī nīchē svarg kaisē banāyē̃  !

216How could they create heaven down below in the temples?

219Tō ūpar chhat mē̃ banā diyā hai .

217That is why they portrayed it up above, on the ceiling.

220Banānē vālē kōī samajhtē nahī̃ haĩ .

218Those who created them didn’t understand anything.

221Baṛē-baṛē karōṛpati haĩ unhō̃ kō yah samjhānā hai .

219You have to explain this to the millionaires.

222Tumkō abhī gyān milā hai tō tum bahutō̃ kō dē saktē hō .

220You have now received this knowledge. 221Therefore, you can give it to many others.

223Achchhā  !

222Achcha.

224Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

223To you sweetest, beloved, long-lost, now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

225Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

224The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

226Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

225Essence for dharna:

2271 ) andar sē āsurīpanē kō samāpt karnē kē liē chaltē-phirtē svadarśhan chakradhārī hōkar rahnā hai .

2261. In order to finish your devilish nature, spin the discus of self-realisation as you move around.

228Sārā chakra smr̥iti mē̃ lānā hai .

227Keep the whole cycle in your awareness.

2292 ) bāp kī yād K|kē sāth-sāth buddhi paramdhām ghar mē̃ bhī lagī rahē .

2282. Together with having remembrance of the Father, your intellect should also be connected to the home, the supreme abode.

230Bāp nē jō smr̥itiyā̃ dilāī haĩ unkā simraṇ kar apnā kalyāṇ karnā hai .

229Think about the things that the Father has reminded you of and benefit yourself.

Blessing

231Vardān  : sarvguṇ sampann bannē K|kē sāth-sāth kisī ēk viśhēṣhtā mē̃ viśhēṣh prabhāvśhālī bhav

230Blessing: May you be filled with all virtues and together with that, also be especially influential with a particular speciality.

232Jaisē doctors general bīmāriyō̃ key|kī knowledge tō rakhtē hī haĩ lēkin sāth-sāth kisī bāt key|kī viśhēṣh knowledge mē̃ nāmīgrāmī hō jātē haĩ aisē āp bachchō̃ kō sarvguṇ sampann tō bannā hī hai phir bhī ēk viśhēṣhtā kō viśhēṣh rūp sē anubhav mē̃ lātē , sēvā mē̃ lātē āgē baṛhtē chalō .

231Doctors have the knowledge of all general illnesses but, together with those, some become well-known with special knowledge in a particular field. 232In the same way, you children definitely have to become filled with all virtues, but you should now continue to move forward by becoming experienced in a particular speciality and use it in the service you do.

233Jaisē sarasvatī kō vidyā key|kī dēvī , lakṣhmī kō dhan key|kī dēvī kah-kar pūjtē haĩ . 234Aisē apnē mē̃ sarvguṇ , sarvśhaktiyā̃ hōtē bhī ēk viśhēṣhtā mē̃ viśhēṣh research kar svayã kō prabhāvśhālī banāō .

233Just as Saraswati is worshipped as the goddess of knowledge and Lakshmi is worshipped as the goddess of wealth, in the same way, whilst you have all the virtues and powers, especially do research in a particular speciality and make yourself influential in that.

Slogan

235Slōgan  : vikārō̃ rūpī sāmpō̃ kō sahajyōg key|kī śhaiyā banā dō tō sadā niśhchint rahē̃gē .

234Slogan: Make the snake of vices your bed of easy yoga and you will remain constantly carefree.

235*** Om Shanti ***

236Avyakt iśhārē - sahajyōgī bannā hai tō paramātma pyār K|kē anubhavī banō

236Avyakt Signals: In order to be an easy yogi, become experienced in God’s love.

237Jab man hī bāp kā hai tō phir man kaisē lagāyē̃  ! 238Pyār kaisē karē̃  ! 239Yah praśhna hī nahī̃ uṭh saktā kyōṅki sadā lavlīn rahtē haĩ , pyār svarūp , master pyār K|kē sāgar ban gayē , tō pyār karnā nahī̃ paṛtā , pyār kā svarup hō gayē .

237Since your mind belongs to the Father, the questions of, “How can I engage my mind?”, or, “How can I love Him?”, cannot arise, because when you are always merged in love, when you are an embodiment of love and have become a master ocean of love, you don’t then have to make effort to love Him, because you have become an embodiment of love.

240Jitnā-jitnā gyān sūrya key|kī kiraṇē̃ vā prakāśh baṛhtā hai , utnā hī jyādā pyār key|kī laharē̃ uchhaltī haĩ .

238The more the rays of the sun of knowledge and enlightenment increase, the more the waves of love surge.