सोमवार 25 अगस्त 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
025-08-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
025/08/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - kadam-kadam par jō hōtā hai vah kalyāṇkārī hai , is drama mē̃ sabsē adhik kalyāṇ unkā hōtā hai jō bāp kī yād mē̃ rahtē haĩ ' '
1Essence: Sweet children, whatever happens at every step, it is beneficial. 2In this drama, those who stay in remembrance of the Father experience the most benefit.
Question
2Praśhna : drama key|kī kis nūndh kō jānnē vālē bachchē apār khuśhī mē̃ rah saktē haĩ ?
3Question: By knowing which secret that is fixed in the drama can you children maintain limitless happiness?
Answer
3Uttar : jō jāntē haĩ ki ḍrāmānusār ab is purānī duniyā kā vināśh hōgā , natural calamities bhī hōṅgī . 4Lēkin hamārī rājdhānī tō sthāpan hōnī hī hai , ismē̃ kōī kuchh kar nahī̃ saktā .
4Answer: Those who know that, according to the drama, this old world is now going to be destroyed can maintain limitless happiness. 5There will also be natural calamities,but your kingdom is definitely going to be established and no one can do anything to prevent it.
5Bhal avasthāyē̃ nīchē-ūpar hōtī rahē̃gī , kabhī bahut umaṅg , kabhī ṭhaṇḍē ṭhār hō jāyēṅgē , ismē̃ mūnjhnā nahī̃ hai .
6The stage of you children fluctuates; sometimes you have a great deal of enthusiasm and sometimes you become cool. 7However, you mustn’t become confused about that.
6Sabhī ātmāō̃ kā bāp bhagvān hamkō paṛhā rahē haĩ , is khuśhī mē̃ rahnā hai .
8Maintain the happiness that God, the Father of all souls, is teaching you.
Song
7Gīt : mahaphil mē̃ jal uṭhī śhamā …
9Song: The Flame has ignited in the happy gathering of moths.
Murli
8Ōm śhānti .
10Om shanti.
9Mīṭhē-mīṭhē number-vār puruṣhārth anusār chaitanya parvānō̃ kō bābā yād-pyār dē rahē haĩ .
11Baba is giving love and remembrance to you sweetest living moths who are numberwise, according to your efforts.
10Tum sab hō chaitanya parvānē .
12All of you are living moths.
11Bāp kō śhamā bhī kahtē haĩ , parantu unkō jāntē bilkul nahī̃ haĩ .
13The Father is called the Flame but no one knows Him at all.
12Śhamā kōī baṛī nahī̃ , ēk bindī hai .
14The Flame is not large; He is just a point.
13Kiskī bhī buddhi mē̃ nahī̃ hōgā ki ham ātmā bindī haĩ . 14Hamārī ātmā mē̃ sārā part hai .
15It doesn’t enter the intellect of anyone that a soul is a point and that a whole part is recorded in each soul.
15Ātmā aur paramātmā kā knowledge aur kiskī buddhi mē̃ nahī̃ hai .
16The knowledge of souls and the Supreme Soul is not in the intellect of anyone else.
16Tum bachchō̃ kō hī bāp nē ākar samjhāyā hai , ātmā kā realisation diyā hai .
17The Father has come and explained this to you children. 18He has given you realisation of souls.
17Āgē yah patā nahī̃ thā ki ātmā kyā hai , paramātmā kyā hai !
19Previously, you neither knew what a soul is nor what the Supreme Soul is.
18Isliē dēh-abhimān K|kē kāraṇ bachchō̃ mē̃ mōh bhī hai , vikār bhī bahut haĩ .
20Therefore, because of their body consciousness, children have a lot of attachment and also many vices.
19Bhārat kitnā ūñch thā .
21Bharat was so elevated.
20Vikār kā nām bhī nahī̃ thā .
22There was no mention of vice at all.
21Vah thā viceless bhārat , abhī hai vicious bhārat .
23That was the viceless Bharat. 24It is now vicious Bharat.
22Kōī bhī manuṣhya aisē nahī̃ kahē̃gē jaisē bāp samjhātē haĩ .
25No human being can explain this to you in the way that the Father explains.
23Āj sē 5 hazār varṣh pahlē hamnē inkō śhivālay banāyā thā .
26I made this land into Shivalaya 5000 years ago.
24Mainnē hī śhivālay sthāpan kiyā thā .
27I, Myself, established Shivalaya.
25Kaisē ?
28How?
26Sō bhī tum abhī samajh rahē hō .
29You now understand this.
27Tum jāntē hō kadam-kadam par jō hōtā hai vah kalyāṇkārī hī hai .
30You know that whatever happens at every step, it is beneficial.
28Ēk-ēk din jāstī kalyāṇkārī unkā hai jō bāp kō achchhī rīti yād kar apnā bhī kalyāṇ kartē rahtē haĩ .
31Every day becomes more and more beneficial for those who remember the Father very well and benefit themselves.
29Yah hai hī kalyāṇkārī puruṣhōttam bannē kā yug .
32This is the benevolent age in which you become the most elevated beings.
30Bāp key|kī kitnī mahimā hai .
33There is so much praise of the Father.
31Tum jāntē hō abhī sachchā-sachchā bhāgavat chal rahā hai .
34You know that the true Bhagawad is now being enacted.
32Dvāpar mē̃ jab bhakti mārg śhurū hōtā hai tō pahlē-pahlē tum bhī hīrō̃ kā liṅg banākar pūjā kartē hō .
35When the path of devotion begins in the copper age, you are the first ones to create an oval image of diamonds and worship it.
33Abhī tumkō smr̥iti āī hai , ham jab pujārī banē thē tab mandir banāyē thē .
36You now remember that you built temples when you were worshippers.
34Hīrē māṇik kā banātē thē .
37You used to build them of diamonds and emeralds.
35Vah chitra tō abhī mil na sakē̃ .
38You cannot obtain those images now.
36Yahā̃ tō yah lōg chāndī ādi kā banākar pūjā kartē haĩ .
39People here make the same images of them in silver in order to worship them.
37Aisē pujāriyō̃ kā bhī mān dēkhō kitnā hai .
40Look how much regard there is for such worshippers.
38Śhiv key|kī pūjā tō sab kartē haĩ . 39Lēkin avyabhichārī pūjā tō hai nahī̃ .
41Although everyone worships Shiva, that is still not unadulterated worship.
40Yah bhī bachchē jāntē haĩ - vināśh bhī ānē kā hai jarūr , taiyāriyā̃ hō rahī haĩ .
42You children also know that destruction is definitely going to take place. 43Preparations for that are now taking place.
41Natural calamities key|kī bhī drama mē̃ nūndh hai .
44Natural calamities are also fixed in the drama.
42Kōī kitnā bhī māthā mārē , tumhārī rājdhānī tō sthāpan hōnī hī hai .
45No matter how much someone beats his head over it, your kingdom is definitely going to be established.
43Kōī key|kī bhī tākat nahī̃ jō ismē̃ kuchh kar sakē .
46No one has the power to do anything about this.
44Bākī avasthāyē̃ tō nīchē-ūpar hōṅgī hī .
47However, the stage of each of you souls does fluctuate.
45Yah hai bahut baṛī kamāī .
48This is a huge income.
46Kabhī tum bahut khuśhī mē̃ achchhē khyālāt mē̃ rahē̃gē , kabhī ṭhaṇḍē paṛ jāyēṅgē .
49Sometimes, you have very good thoughts when you are happy whereas at other times you become very cool.
47Yātrā mē̃ bhī nīchē-ūpar hōtē haĩ , ismē̃ bhī aisē hōtā hai .
50Even on a pilgrimage, there is fluctuation; it is the same here.
48Kabhī tō subah kō uṭh bāp kō yād karnē sē bahut khuśhī hōtī hai ōhō !
51Sometimes, when you wake up in the morning, there is great happiness in remembering the Father: Oho!
49Bābā hamkō paṛhā rahē haĩ .
52Baba is teaching us.
50Wonder hai .
53It is such a wonder.
51Sabhī ātmāō̃ kā bāp bhagvān hamkō paṛhā rahē haĩ .
54God, the Father of all souls, is teaching us.
52Unhōnnē phir śhrīkr̥iṣhṇa kō bhagvān samajh liyā hai .
55They believe that Shri Krishna is God.
53Sārī duniyā mē̃ gītā kā mān bahut hai kyōṅki bhagvānuvāch hai nā .
56Throughout the whole world, there is a lot of regard for the Gita because it says in it, “God speaks”.
54Parantu yah kiskō patā nahī̃ hai ki bhagvān kiskō kahā jātā hai .
57However, no one knows who God is.
55Bhal kitnī bhī position vālē baṛē-baṛē vidvān , paṇḍit ādi haĩ , kahtē bhī haĩ god father kō yād kartē haĩ parantu vah kab āyā , kyā ākar kiyā yah sab bhūl gayē haĩ .
58No matter how great the positions that scholars and pundits have and, even though they say that they remember God, the Father, they have forgotten when He comes and what He does when He comes.
56Bāp sab bātē̃ samjhātē rahtē haĩ .
59The Father continues to explain all of these things to you.
57Drama mē̃ yah sab nūndh hai .
60All of this is fixed in the drama.
58Yah rāvaṇrājya phir bhī hōgā aur hamkō ānā paṛēgā .
61This kingdom of Ravan will exist once again and we will have to enter it once again.
59Rāvaṇ hī tumkō agyān K|kē ghōr andhiyārē mē̃ sulā dētē haĩ .
62It is Ravan who puts you to sleep in the extreme darkness of ignorance.
60Gyān tō sirph ēk gyān sāgar hī batlātē haĩ jissē sadgati hōtī hai .
63Only the one Ocean of Knowledge gives you this knowledge through which there is salvation.
61Sivāē bāp K|kē aur kōī sadgati kar na sakē .
64No one except the Father can grant you salvation.
62Sarv kā sadgati dātā ēk hai .
65The Bestower of Salvation for All is just the One.
63Gītā kā gyān jō bāp nē sunāyā thā vah phir prāyaḥ lōp hō gayā .
66The knowledge of the Gita that the Father gave to you has disappeared.
64Aisē nahī̃ , yah gyān kōī paramparā chalā ātā hai .
67It isn’t that this knowledge continues from time immemorial.
65Aurō̃ K|kē kurān , Bible ādi chalē ātē haĩ , vināśh nahī̃ hō jātē .
68The Quran and the Bible etc. continue (from the time of that religion); they are not destroyed.
66Tumkō tō jō gyān abhī maĩ dētā hū̃ , inkā kōī śhāstra bantā nahī̃ hai . 67Jō paramparā anādi hō jāē .
69A scripture is not created from the knowledge that I give you now, that it would become eternal and continue all the time.
68Yah tō tum likhtē hō phir khatm kar dētē hō .
70You write this down and then have it destroyed.
69Yah tō sab natural jalkar khatm hō jāyēṅgē .
71All of this will be burnt and finished naturally.
70Bāp nē kalp pahlē bhī kahā thā , abhī bhī tumkō kah rahē haĩ - yah gyān tumkō miltā hai phir prālabdh jākar pātē hō phir is gyān key|kī darkār nahī̃ rahtī .
72The Father told you this a cycle ago and is also telling you now. 73You receive this knowledge now, and you will then receive the reward. 74Therefore, there is no need for this knowledge there.
71Bhakti mārg mē̃ sab śhāstra haĩ .
75On the path of devotion there are all the scriptures.
72Bābā tumkō kōī gītā paṛhkar nahī̃ sunātē haĩ .
76Baba doesn't relate this knowledge to you by reading the Gita.
73Vah tō rājyōg key|kī śhikṣhā dētē haĩ , jiskā phir bhakti mārg mē̃ śhāstra banātē haĩ tō agṛam bagṛam kar dētē haĩ .
77He is giving you the teachings of Raja Yoga. 78They create scriptures from this on the path of devotion and mix everything up.
74Tō tumhārī mūl bāt hai ki gītā kā gyān kisnē diyā !
79Therefore, the main aspect that you have to explain is: Who gave the knowledge of the Gita?
75Unkā nām badalī kar diyā hai , aur kōī K|kē bhī nām badlī|badalī nahī̃ huē haĩ .
80They have replaced the name of that One. 81No one else’s name has been replaced.
76Sabkē mukhya dharm śhāstra haĩ nā .
82All other religions have their main religious scripture.
77Ismē̃ mukhya hai Deityism , Islamism , Buddhism .
83The main religions are Deityism, Islam and Buddhism.
78Bhal karkē kōī kahtē haĩ ki pahlē Buddhism hai pīchhē Islamism .
84Some say that there was first Buddhism and then Islamism.
79Bōlō , in bātō̃ sē gītā kā kōī tailuk nahī̃ hai .
85Tell them that such things are not connected with the Gita.
80Hamārā tō kām hai bāp sē varsā lēnē kā .
86We are only concerned about claiming our inheritance from the Father.
81Bāp kitnā achchhī rīti samjhātē haĩ - yah hai baṛā jhāṛ .
87The Father explains so clearly that this is a big tree.
82Achchhā hai , jaisā flower vase hai . 833 tubes nikaltī haĩ .
88It is very good; it is like a flower vase; three tubes emerge from it.
84Kitnā achchhī samajh sē banāyā huā jhāṛ hai .
89The tree has been created to give a such clear understanding.
85Kōī bhī jhaṭ samajh jāyēṅgē ki ham kis dharm K|kē haĩ . 86Hamārā dharm kisnē sthāpan kiyā ?
90Anyone can very quickly understand which religion he belongs to and who established that religion.
87Yah dayānand , aravinda ghōs ādi tō abhī hōkar gayē haĩ .
91Dayananda and Aurobindo Ghose etc. have recently been and gone.
88Vō lōg bhī yōg ādi sikhlātē haĩ . 89Hai sab bhakti .
92They too taught yoga etc., but all of that is devotion.
90Gyān kā tō nām-niśhān nahī̃ .
93There is no name or trace of this knowledge.
91Kitnē baṛē-baṛē title miltē haĩ .
94They have been given such huge titles!
92Yah bhī sab drama mē̃ nūndh hai , phir bhī hōgā - 5 hazār varṣh bād .
95All of that is fixed in the drama. 96It will happen again after 5000 years.
93Śhurū sē lēkar yah chakra kaisē chalā hai , phir kaisē repeat hōtā rahtā hai ? 94Tum jāntē hō .
97You know how the cycle continues to turn from the beginning and how it will repeat again.
95Abhī kā present phir past hō future hō jāyēgā .
98The present time will become the past and it will then become the future.
96Past , present , future .
99It is said: Past, present and future.
97Jō past hō jātā hai vah phir future hōtā hai .
100Whatever is the past then becomes the future.
98Is samay tumkō knowledge miltī hai phir tum rājāī lētē hō , in dēvtāō̃ kā rājya thā nā .
101You receive this knowledge at this time and you then claim your kingdom. 102It used to be a kingdom of the deities.
99Us samay aur kōī kā rājya nahī̃ thā .
103At that time, there was no other kingdom.
100Yah bhī ēk kahānī misal batāō .
104Tell them all of this in the form of a story.
101Baṛī sundar kahānī ban jāyēgī .
105It will become a very beautiful story.
102Long-long 5 hazār varṣh pahlē yah bhārat satyug thā , kōī dharm nahī̃ thā , sirph dēvī-dēvatāō̃ kā hī rājya thā .
106Long, long ago, 5000 years ago, Bharat was the golden age. 107There was no religion except the kingdom of the deities at that time.
103Unkō sūryavanśhī rājya kahā jātā thā .
108That was called the sun-dynasty kingdom.
104Lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya chalā 1250 varṣh , phir unhōnnē rājya diyā dūsrē bhāiyō̃ kṣhatriyō̃ kō phir unkā rājya chalā .
109For 1250 years, it was the kingdom of Lakshmi and Narayan. 110Then they gave their kingdom to their brothers, the warriors, and their kingdom then continued.
105Tum samjhā saktē hō ki bāp nē ākar paṛhāyā thā .
111You can explain that the Father came and taught you.
106Jō achchhī rīti paṛhē vah sūryavanśhī banē̃ .
112Those who had studied well became part of the sun dynasty.
107Jō fail huē unkā nām kṣhatriya paṛā .
113Those who failed were named warriors.
108Bākī laṛāī ādi key|kī bāt nahī̃ hai .
114However, there was no question of a war etc.
109Bābā kahtē haĩ bachchē tum mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hō jāyēṅgē .
115Baba says: Children, remember Me and you will be absolved of your sins.
110Tumhē̃ vikārō̃ par jīt pānī hai .
116You have to conquer the vices.
111Bāp nē ordinance nikālā hai , jō kām par jīt pāyēṅgē vahī jagatjīt banē̃gē .
117The Father has issued this ordinance: Those who conquer lust become conquerors of the world.
112Pīchhē ādhākalp bād phir vām mārg mē̃ girtē haĩ .
118Later, after half a cycle, they fall on to the path of sin.
113Unhō̃ K|kē bhī chitra haĩ . 114Śhakla dēvtāō̃ key|kī banī huī hai .
119There are their images; the features are those of the deities.
115Rām rājya aur rāvaṇ rājya ādhā-ādhā hai .
120The kingdom of Rama (God) and the kingdom of Ravan are half and half.
116Unkī kahānī baiṭh banānī chāhiē . 117Phir kyā huā , phir kyā huā .
121Create a story about this and explain what happened next and what happened after that.
118Yahī satya nārāyaṇ key|kī kahānī hai .
122This is the story of the true Narayan.
119Satya tō ēk hī bāp hai , jō is samay ākar sārē ādi-madhy-ant kā tumkō knowledge dē rahē haĩ , jō aur kōī dē na sakē .
123Only the one Father is the Truth. 124He is now giving you this knowledge of the beginning, the middle and the end. 125No one else can give you this knowledge.
120Manuṣhya tō bāp kō hī nahī̃ jāntē .
126Human beings don’t even know the Father.
121Jis drama mē̃ actor haĩ , unkē creator-director ādi kō nahī̃ jāntē . 122Tō bākī kaun jānē̃gē !
127If they don’t know the Creator and Director of the drama in which they are the actors, who else would?
123Abhī tumkō bāp batātē haĩ - drama anusār yah phir bhī aisē hōgā .
128The Father is now explaining to you that all of this will happen in the same way according to the drama.
124Bāp ākar tum bachchō̃ kō phir paṛhāyēṅgē .
129The Father will come to teach you again.
125Yahā̃ dūsrā kōī ā na sakē .
130No one else can come here.
126Bāp kahtē haĩ maĩ bachchō̃ kō hī paṛhātā hū̃ .
131The Father says: I only teach you children.
127Kōī nayē kō yahā̃ biṭhā nahī̃ saktē .
132No new people can sit here.
128Indraprastha key|kī kahānī bhī hai nā .
133There is the story of Indraprasth.
129Nīlam parī , pukhrāj parī nām hai nā .
134There are the names of the different angels, like sapphire and topaz.
130Tumhārē mē̃ bhī kōī hīrē jaisā ratna hai .
135There are some amongst you who are like diamonds.
131Dēkhō Ramēśhh nē aisī bāt nikālī pradarśhanī key|kī jō sabkā vichār sāgar manthan huā .
136Look how Ramesh created the exhibition through which everyone started to think about that.
132Tō hīrē jaisā kām kiyā nā .
137Therefore, he did something worth diamonds.
133Kōī pukhrāj hai , kōī kyā hai !
138Some are topaz and others are of another type of jewel.
134Kōī tō bilkul kuchh nahī̃ jāntē .
139Some know nothing at all.
135Yah bhī jāntē hō ki rājdhānī sthāpan hōtī hai .
140You know that a kingdom is being established.
136Unmē̃ rājāyē̃-rāniyā̃ ādi sab chāhiē .
141Kings and queens etc. are all needed in that.
137Tum samajhtē hō ham brāhmaṇ śhrīmat par paṛhkar viśhva K|kē mālik bantē haĩ .
142You know that you Brahmins are studying by following shrimat and that you will then become the masters of the world.
138Kitnī khuśhī hōnī chāhiē .
143You should have so much happiness.
139Yah mr̥ityulōk khatm hōnā hai .
144This land of death is now going to be destroyed.
140Yah bābā tō abhī hī samajhtē rahtē haĩ ki ham jākar bachchā banē̃gē .
145Even at this time, this Baba understands that he is to go and become a baby.
141Bachpan key|kī vah bātē̃ abhī hī sāmnē ā rahī haĩ , chalan hī badal jātī hai .
146The things of that childhood are coming in front of him now, and so the whole of his behaviour changes.
142Aisē hī vahā̃ bhī jab būṛhē hōṅgē tō samajhē̃gē ab yah vānaprasth śharīr chhōṛ ham kiśhōr avasthā mē̃ chalē jāyēṅgē .
147In the same way, when they become old there, they understand that they will shed their old bodies and go into the childhood stage.
143Bachpan hai satōpradhān avasthā .
148Childhood is the satopradhan stage.
144Lakṣhmī-nārāyaṇ tō yuvā haĩ , śhādī kiyē huē kō kiśhōr avasthā thōṛēhī kahē̃gē .
149Lakshmi and Narayan have the stage of adults. 150When they are married, they aren’t said to be in their adolescence.
145Yuvā avasthā kō rajō , vr̥iddha kō tamō kahtē haĩ isliē śhrīkr̥iṣhṇa par lav|love jāstī rahtā hai .
151The adult stage is said to be the rajo stage and the elderly stage is said to be the tamo stage. 152This is why there is greater love for Shri Krishna.
146Haĩ tō lakṣhmī-nārāyaṇ bhī vahī . 147Parantu manuṣhya yah bātē̃ nahī̃ jāntē haĩ .
153Lakshmi and Narayan are the same ones, but people don’t know these things.
148Śhrīkr̥iṣhṇa kō dvāpar mē̃ , lakṣhmī-nārāyaṇ kō satyug mē̃ lē gayē haĩ .
154Shri Krishna has been shown in the copper age and Lakshmi and Narayan in the golden age.
149Abhī tum dēvtā bannē kā puruṣhārth kar rahē hō .
155You are now making effort to become deities.
150Bāp kahtē haĩ kumāriyō̃ kō tō bahut khaṛā hōnā chāhiē .
156The Father says: You kumaris should become very active.
151Kũvārī kanyā , adhar kumārī , dēlvāṛā ādi jō bhī mandir haĩ , yah tumhārē hī accurate yādgār haĩ .
157There are the temples to the kumaris and the half kumaris. 158All the temples, like the Dilwara Temple, etc., are your accurate memorials.
152Vah jaṛ , yah chaitanya .
159Those are non-living whereas this is a living one.
153Tum yahā̃ chaitanya mē̃ baiṭhē hō , bhārat kō svarg banā rahē hō .
160We are sitting here in living forms. 161We are making Bharat into heaven.
154Svarg tō yahā̃ hī hōgā .
162Heaven will be here.
155Mūlvatan , sūkṣhmavatan kahā̃ hai , tum bachchō̃ kō sab mālūm hai .
163You children know everything about where the incorporeal world is and where the subtle region is.
156Sārē drama kō tum jāntē hō .
164You know the whole drama.
157Jō past hō gayā hai sō phir future hōgā phir past hōgā .
165Whatever has become the past will then become the future and then the past.
158Tumkō kaun paṛhātē haĩ , yah samajhnā hai .
166You have to understand who it is who is teaching you.
159Hamkō bhagvān paṛhātē haĩ .
167God is teaching us.
160Bas khuśhī mē̃ ṭhaṇḍēṭhār hō jānā chāhiē .
168You should become very cool and calm and be happy.
161Bāp kī yād sē sab ghōṭālē nikal jātē haĩ .
169By staying in remembrance of the Father, all your confusion is removed.
162Bābā hamārā bāp bhī hai , hamkō paṛhātē bhī haĩ phir hamkō sāth bhī lē jāyēṅgē .
170Baba is our Father. 171He teaches us and He will then take us back home with Him.
163Apnē kō ātmā samajh paramātmā bāp sē aisī bātē̃ karnī haĩ . 164Bābā hamkō abhī mālūm paṛā hai , brahmā aur viṣhṇu kā bhī mālūm paṛā hai .
172Consider yourselves to be souls and talk to the Father, the Supreme Soul, in this way: Baba, I now understand. 173I also understand about Brahma and Vishnu.
165Viṣhṇu key|kī nābhī sē brahmā nikalā .
174Brahma emerged from the navel of Vishnu.
166Ab viṣhṇu dikhātē haĩ kṣhīrsāgar mē̃ . 167Brahmā kō sūkṣhmavatan mē̃ dikhātē haĩ .
175Vishnu is shown in a lake of milk and Brahma is shown in the subtle region.
168Vāstav mē̃ hai yahā̃ .
176In fact, he exists here.
169Viṣhṇu tō huā rājya karnē vālā .
177Vishnu is the one who rules.
170Agar viṣhṇu sē brahmā nikalā tō jarūr rājya bhī karēgā .
178If Brahma emerged from Vishnu, then he too would definitely rule.
171Viṣhṇu key|kī nābhī sē nikalā tō jaisē ki bachchā hō gayā .
179If he emerged from the navel of Vishnu, that would be like becoming a child.
172Yah sab bātē̃ bāp baiṭh samjhātē haĩ .
180The Father sits here and explains all of these things.
173Brahmā hī 84 janm pūrē kar ab phir viṣhṇupurī K|kē mālik bantē haĩ .
181Brahma completes his 84 births and then becomes the master of the land of Vishnu.
174Yah bātē̃ bhī kōī pūrī rīti samajhtē nahī̃ haĩ , tab tō vah khuśhī kā pārā nahī̃ chaṛhtā .
182Some don’t understand these things very well and so their mercury of happiness doesn’t rise.
175Gōp-gōpiyā̃ tō tum hō . 176Satyug mē̃ thōṛēhī hōṅgē .
183You are those gopes and gopis; they don’t exist in the golden age.
177Vahā̃ tō hōṅgē prince-princess .
184There, you will be princes and princesses.
178Gōp-gōpiyō̃ kā gōpī vallabh hai nā .
185Gopi Vallabh is the Father of the gopes and gopis.
179Prajāpitā brahmā hai sabkā bāp aur phir sab ātmāō̃ kā bāp hai nirākār śhiv .
186Prajapita Brahma is the father of everyone, whereas the Father of all souls is incorporeal Shiva.
180Yah sab haĩ mukh vaṅśhāvalī .
187All of you are mouth-born creations.
181Tum sab be|B . K|kē . bhāī-bahan hō gayē .
188All of you Brahma Kumars and Kumaris are brothers and sisters.
182Criminal eye hō na sakē , ismē̃ hī māyā hār khilātī hai .
189There must not be any criminal vision; it is in this that Maya defeats you.
183Bāp kahtē haĩ abhī tak jō kuchh paṛhā hai usē buddhi sē bhūl jāō .
190The Father says: Remove from your intellect everything that you have studied up to now.
184Maĩ jō sunātā hū̃ vah paṛhō .
191Study the things that I am telling you.
185Sīṛhī tō baṛī first class hai .
192The picture of the ladder is first-class.
186Sārā madār hai ēk bāt par . 187Gītā kā bhagvān kaun ?
193Everything depends on one thing: Who is the God of the Gita?
188Śhrīkr̥iṣhṇa kō bhagvān kah nahī̃ saktē .
194Shri Krishna cannot be called God.
189Vah tō sarvguṇ sampann dēvtā hai .
195He is a deity full of all virtues.
190Unkā nām gītā mē̃ dē diyā hai .
196His name is mentioned in the Gita.
191Sāṅvarā bhī unkō banāyā hai aur phir lakṣhmī-nārāyaṇ kō bhī sāṅvarā kar dētē .
197He is portrayed as dark blue and Lakshmi and Narayan are also portrayed as dark blue.
192Kōī hisāb-kitāb hī nahī̃ .
198People can't account for this.
193Rāmachandra kō bhī kālā kar dētē .
199They have even portrayed Ramachandra as dark blue.
194Bāp kahtē haĩ kām chitā par baiṭhnē sē sāṅvarā huā hai .
200The Father says: He became like that by sitting on the pyre of lust.
195Nām karkē ēk kā liyā jātā hai .
201Although the name of one is mentioned, it applies to all.
196Tum sab brāhmaṇ hō .
202All of you are Brahmins.
197Abhī tum gyān chitā par baiṭhtē hō .
203You are now sitting on the pyre of this knowledge.
198Śhūdra kām chitā par baiṭhē haĩ .
204Shudras sit on the pyre of lust.
199Bāp kahtē haĩ - vichār sāgar manthan kar yuktiyā̃ nikālō ki kaisē jagāyē̃ ?
205The Father says: Churn the ocean of this knowledge and create methods to awaken others.
200Jāgēṅgē bhī drama anusār .
206They will of course awaken according to the drama.
201Drama baṛā dhīrē-dhīrē chaltā hai .
207The drama moves very, very slowly.
202Achchhā !
208Achcha.
203Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
209To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
204Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
210The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
205Dhārṇā kē liē mukhya sār :
211Essence for dharna:
2061 ) sadā isī smr̥iti mē̃ rahnā hai ki ham gōpī vallabh K|kē gōp-gōpiyā̃ haĩ .
2121. Remain constantly aware that you are the gopes and gopis who belong to Gopi Vallabh.
207Isī smr̥iti sē sadā khuśhī kā pārā chaṛhā rahē .
213By your having this awareness, your mercury of happiness will remain constantly high.
2082 ) abhī tak jō kuchh paṛhā hai , usē buddhi sē bhūl bāp jō sunātē haĩ vahī paṛhnā hai .
2142. Remove everything from your intellect that you have studied up to now and study the things that the Father now teaches you.
209Ham bhāī bahin haĩ is smr̥iti sē criminal eye kō khatm karnā hai .
215Finish your criminal eye with the awareness of being brothers and sisters.
210Māyā sē hār nahī̃ khānī hai .
216Don't be defeated by Maya.
Blessing
211Vardān : sēvā dvārā yōgyukt sthiti kā anubhav karnē vālē rūhānī sēvādhārī bhav
217Blessing: May you be a spiritual server and experience a yogyukt stage while doing service.
212Brāhmaṇ jīvan sēvā kā jīvan hai .
218Brahmin life is a life of service.
213Māyā sē jindā rakhnē kā śhrēṣhṭh sādhan sēvā hai .
219The elevated way to remain alive and safe from Maya is to do service.
214Sēvā yōgyukt banātī hai lēkin sirph mukh key|kī sēvā nahī̃ , sunē huē madhur bōl kā svarūp ban sēvā karnā , niḥsvārth sēvā karnā , tyāg , tapasyā svarūp sē sēvā karnā , had key|kī kāmnāō̃ sē parē niṣhkām sēvā karnā - iskō kahā jātā hai īśhvarīy vā rūhānī sēvā .
220Doing service makes you yogyukt, but not just by doing service with words. 221To serve by becoming an embodiment of the sweet words you hear, to do altruistic service, to serve through your renunciation and by becoming an embodiment of tapasya, to do altruistic service by going beyond limited desires: this is known as Godly or spiritual service.
215Mukh kē sāth man dvārā sēvā karnā arthāt manmanābhav sthiti mē̃ sthit hōnā .
222To serve with your mind as well as with your mouth means to become stable in the stage of “Manmanabhav”.
Slogan
216Slōgan : ākr̥ti kō na dēkhkar nirākār bāp kō dēkhē̃gē tō ākarṣhaṇ mūrt ban jāyēṅgē .
223Slogan: By not looking at shape (bodies), but looking at the incorporeal Father, you will become an image that attracts.
224*** Om Shanti ***
217Avyakt iśhārē - sahajyōgī bannā hai tō paramātma pyār K|kē anubhavī banō
225Avyakt Signal: In order to be an easy yogi, become experienced in God’s love.
218Bāpdādā kā bachchō̃ sē itnā pyār hai jō samajhtē haĩ har ēk bachchā mērē sē bhī āgē hō .
226BapDada has so much love for you children that He feels each of His children should go ahead of Him.
219Duniyā mē̃ bhī jissē jyādā pyār hōtā hai usē apnē sē bhī āgē baṛhātē haĩ .
227In the world too, whomever you love the most, you make that one go ahead of you.
220Yahī pyār key|kī niśhānī hai .
228This is a sign of love.
221Tō bāpdādā bhī kahtē haĩ mērē bachchō̃ mē̃ ab kōī bhī kamī nahī̃ rahē , sab sampūrṇ , sampann aur samān ban jāyē̃ .
229So, BapDada also says: “Let there not be any weaknesses in My children. 230Let everyone become complete, perfect and equal.”
222Yahī paramātma pyār sahajyōgī banā dētā hai .
231This love from God makes you all into easy yogis.