बुधवार 27 अगस्त 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

027-08-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

027/08/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - apnī satōpradhān takdīr banānē kē liē yād mē̃ rahnē kā khūb puruṣhārth karō , sadā yād rahē maĩ ātmā hū̃ , bāp sē pūrā varsā lēnā hai ' '

1Essence: Sweet children, in order to make your fortune satopradhan, make a great deal of effort to stay in remembrance. 2Constantly remember: I am a soul and I have to claim my full inheritance from the Father.

Question

2Praśhna  : bachchō̃ kō yād kā chart rakhnā muśhkil kyō̃ lagtā hai  ?

3Question: Why do some children find it difficult to keep a chart of their remembrance?

Answer

3Uttar  : kyōṅki kaī bachchē yād kō yathārth samajhtē hī nahī̃ haĩ .

4Answer: Because some do not understand remembrance accurately.

4Baiṭhtē haĩ yād mē̃ aur buddhi bāhar bhaṭaktī hai . 5Śhānt nahī̃ hōtī .

5When they sit down to have remembrance, their intellects wander outside; they do not become peaceful.

6Vah phir vāyumaṇḍal kō kharāb kartē haĩ .

6They then spoil the atmosphere.

7Yād kartē hī nahī̃ tō chart phir kaisē likhē̃ .

7If they don’t have remembrance, how can they write their chart?

8Agar kōī jhūṭh likhtē haĩ tō bahut daṇḍ paṛ jātā hai .

8If someone writes lies, he receives a great deal of punishment.

9Sachchē bāp kō sach batānā paṛē .

9You have to tell truth to the true Father.

Song

10Gīt  : takdīr jagākar āī hū̃ …

10Song: Having awakened my fortune, I have come.

Murli

11Ōm śhānti .

11Om shanti.

12Rūhānī bachchō̃ kō phir bhī rūhānī bāp rōz-rōz samjhātē haĩ ki jitnā hō sakē dēhī-abhimānī banō .

12Every day, the spiritual Father explains to you children that you must become soul conscious as much as possible.

13Apnē kō ātmā niśhchay karō aur bāp kō yād karō kyōṅki tum jāntē hō ham us bēhad K|kē bāp sē bēhad sukh key|kī takdīr banānē āyē haĩ .

13Have the faith that each of you is a soul and remember the Father because you know that you have to come to this unlimited Father to create your unlimited fortune of happiness.

14Tō jarūr bāp kō yād karnā paṛē .

14Therefore, you definitely have to remember the Father.

15Pavitra satōpradhān bannē bigar satōpradhān takdīr banā nahī̃ saktē .

15Without becoming pure and satopradhan, how can you make your destiny satopradhan.

16Yah tō achchhī rīti yād karō .

16Remember this very well.

17Mūl bāt hai hī ēk .

17There is only one main thing.

18Yah tō apnē pās|pass likh dō .

18Write this down and keep it with you.

19Bā̃h par nām likhtē haĩ nā .

19People write things on their arms.

20Tum bhī likh dō - ham ātmā haĩ , bēhad K|kē bāp sē ham varsā lē rahē haĩ kyōṅki māyā bhulā dētī hai isliē likhā huā hōgā tō ghaṛī-ghaṛī yād rahēgī .

20You too can write: I am a soul and am claiming my inheritance from the unlimited Father. 21Maya makes you forget this. 22If you have written it somewhere, you can remember it again and again.

21Manuṣhya ōm kā vā kr̥iṣhṇa ādi kā chitra bhī lagātē haĩ yād kē liē .

23People put up a picture of Om or of Krishna etc., so that they can remember it.

22Yah tō hai nayē tē naī yād .

24This is the newest of all remembrances.

23Yah sirph bēhad kā bāp hī samjhātē haĩ .

25Only the unlimited Father explains this to you.

24Is samajhnē sē tum saubhāgyaśhālī tō kyā padam bhāgyaśhālī bantē hō .

26By understanding this, you don’t only become one hundred times fortunate, but you become multimillion times fortunate.

25Bāp kō na jānnē kāraṇ , yād na karnē kāraṇ kaṅgāl ban gayē haĩ .

27Due to not knowing the Father and not remembering Him, you have become poverty-stricken.

26Ēk hī bāp hai jō sadaiv kē liē jīvan kō sukhī banānē āyē haĩ .

28It is only the one Father who comes to make your life happy for ever.

27Bhal yād bhī kartē haĩ parantu jāntē bilkul nahī̃ haĩ .

29Although people remember Him, they don’t know Him at all.

28Vilāyat vālē bhī sarvavyāpī kahnā bhāratvāsiyō̃ sē sīkhē haĩ .

30People abroad have learnt from the people of Bharat to say that God is omnipresent.

29Bhārat girā hai , tō sab girē haĩ .

31When Bharat falls, everyone falls.

30Bhārat hī responsible hai apnē kō girānē aur sabkō girānē .

32It is Bharat that is responsible for making itself fall and also for making everyone else fall.

31Bāp kahtē haĩ maĩ bhī yahā̃ hī ākar bhārat kō svarg sachkhaṇḍ banātā hū̃ .

33The Father says: I come here and make Bharat into heaven, a land of truth.

32Aisā svarg banānē vālē key|kī kitnī glāni kar dī hai . 33Bhūl gayē haĩ isliē likhā huā hai yadā yadāhi . . . . . inkā bhī arth|earth bāp hī ākar samjhātē haĩ .

34They have very much defamed the One who creates such a heaven; they have forgotten Him. 35This is why it is written: When there is extreme irreligiousness, I come. 36The Father comes and explains the meaning of this too.

34Balihārī ēk bāp kī hai .

37It is the greatness of the one Father.

35Abhī tum jāntē hō bāp ātē haĩ jarūr , śhiv-jayantī manātē haĩ .

38You now know that the Father definitely comes and that this is why people celebrate the birthday of Shiva.

36Parantu śhiv-jayantī kā kadar bilkul nahī̃ hai .

39However, they don’t value the birthday of Shiva at all.

37Abhī tum bachchē samajhtē hō jarūr hōkar gayē haĩ , jiskī jayantī manātē haĩ .

40You children understand that it must definitely have been because He has been and gone that His birthday is celebrated.

38Satyugī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā vahī kartē haĩ .

41He is the One who establishes the golden-aged, original eternal deity religion.

39Aur sab jāntē haĩ ki hamārā dharm phalānē nē phalānē samay sthāpan kiyā .

42All others know that their religion was established at such-and-such a time by so-and-so.

40Unkē pahlē hai hī dēvī-dēvtā dharm .

43Before them, there was only the deity religion.

41Unkō bilkul hī nahī̃ jāntē ki yah dharm kahā̃ gum hō gayā .

44They don’t know at all where that religion disappeared to.

42Abhī bāp ākar samjhātē haĩ - bāp hī sabsē ūñch hai , aur kiskī mahimā hai nahī̃ .

45The Father now comes and explains to you. 46The Father is the highest of all. 47There is no praise of anyone else.

43Dharm sthāpak key|kī mahimā kyā hōgī .

48What is the praise of the founders of religions?

44Bāp hī pāvan duniyā key|kī sthāpanā aur patit duniyā kā vināśh karātē haĩ aur tumkō māyā par jīt pahnātē haĩ .

49The Father carries out the establishment of a pure world and the destruction of this impure world. 50He enables you to conquer Maya.

45Yah bēhad key|kī bāt hai .

51This is an unlimited aspect.

46Rāvaṇ kā rājya sārī bēhad key|kī duniyā par hai .

52The kingdom of Ravan exists over the whole unlimited world.

47Had K|kē laṅkā ādi key|kī bāt nahī̃ .

53It is not a question of that limited Lanka.

48Yah hār-jīt kī kahānī bhī sārē bhārat key|kī hī hai .

54This story of victory and defeat is of Bharat.

49Bākī tō by-plot haĩ .

55All the rest are “by-plots.”

50Bhārat mē̃ hī double sirtāj aur single tāj rājāyē̃ bantē haĩ aur jō bhī baṛē-baṛē bādśhāh hōkar gayē haĩ , kōī par bhī light kā tāj nahī̃ hōtā hai sivāē dēvī-dēvatāō̃ K|kē .

56It is in Bharat that there are the double-crowned and single-crowned kings. 57None of the other great emperors that have been and gone had a crown of light; only the deities had this.

51Dēvtāyē̃ tō phir bhī svarg K|kē mālik thē nā .

58Deities were anyway the masters of heaven.

52Ab śhiv-bābā kō kahā hī jātā hai parampitā , patit-pāvan .

59Shiv Baba is called the Supreme Father, the Purifier.

53Inkō light kahā̃ dēgē .

60How can He be given light?

54Light tab dē̃ jab bigar light vālā patit bhī hō .

61Light can only be given to someone who is impure, that is, to someone who has no light.

55Vah kabhī bigar light vālā hōtā hī nahī̃ .

62Shiv Baba never becomes one without light.

56Bindī par light dē kaisē sakē̃gē .

63How could you show light on a point?

57Hō na sakē .

64It is not possible.

58Din-pratidin tumkō bahut guhya-guhya bātē̃ samjhātē rahtē haĩ , jō jitnā buddhi mē̃ biṭhā sakē .

65Day by day, Baba continues to explain many deep points which you should keep in your intellects as much as you can.

59Mukhya hai hī yād kī yātrā .

66The main thing is the pilgrimage of remembrance.

60Ismē̃ māyā K|kē vighna bahut paṛtē haĩ .

67It is in this that there are many obstacles of Maya.

61Bhal kōī yād K|kē chart mē̃ 50-60 percent bhī likhtē haĩ parantu samajhtē nahī̃ haĩ ki yād kī yātrā kiskō kahā jātā hai .

68Although some write their charts, saying that they have 50% to 60% remembrance, they don’t understand what the pilgrimage of remembrance is.

62Pūchhtē rahtē haĩ - is bāt kō yād kahē̃  ?

69They continue to ask: Can this be called remembrance?

63Baṛā muśhkil hai .

70It is very difficult.

64Tum yahā̃ 10-15 minute baiṭhtē hō , unmē̃ bhī jāñch karō - yād mē̃ achchhī rīti rahtē haĩ  ?

71Even when you sit here for 10 to 15 minutes, you should check whether you are sitting in remembrance accurately.

65Bahut haĩ jō yād mē̃ rah nahī̃ saktē phir vah vāyumaṇḍal kō kharāb kar dētē haĩ .

72There are many who are not able to stay in remembrance. 73Therefore, they spoil the atmosphere.

66Bahut haĩ jō yād mē̃ na rahnē sē vighna ḍāltē haĩ .

74There are many who create obstacles because they don’t stay in remembrance.

67Sārā din buddhi bāhar bhaṭaktī rahtī hai .

75Their intellects continue to wander outside the whole day.

68Sō yahā̃ thōṛēhī śhānt hōgī , isliē yād kā chart bhī rakhtē nahī̃ .

76Therefore, they don’t become peaceful when they come here and this is why they don’t write their charts.

69Jhūṭhā likhnē sē tō aur hī daṇḍ paṛē .

77When lies are written, there is greater punishment.

70Bahut bachchē bhūlē̃ kartē haĩ , chhipātē haĩ . 71Sach batātē nahī̃ .

78Many children make mistakes and then hide them from the Father; they do not speak the truth.

72Bāp kahē aur sach na batāyē tō kitnā dōṣh hō jātā .

79If you call Him the Father, but don't then tell Him the truth, so much sin would be accumulated.

73Kitnā bhī baṛā gandā kām kiyā hōgā tō bhī sach batānē mē̃ lajjā āyēgī . 74Aksar karkē sab jhūṭh batāyēṅgē .

80If someone does something really bad, he would be too ashamed to speak the truth about it, and so, generally, he would tell lies.

75Jhūṭhī māyā , jhūṭhī kāyā . . . . . . hai nā .

81It is said: Maya is false, the body is false and the world is false.

76Ēkdam dēh-abhimān mē̃ ā jātē haĩ .

82People have become completely body conscious.

77Sach sunānā tō achchhā hī hai aur bhī sīkhē̃gē .

83It is good to speak the truth. 84Others would then learn from you too.

78Yahā̃ sach batānā hai .

85You have to be truthful here.

79Knowledge K|kē sāth-sāth yād kī yātrā bhī jarūrī hai kyōṅki yād kī yātrā sē hī apnā aur viśhva kā kalyāṇ hōnā hai .

86Together with this knowledge, the pilgrimage of remembrance is also essential because it is only through the pilgrimage of remembrance that you yourselves and the world are going to benefit.

80Knowledge samjhānē kē liē bahut sahaj hai .

87This knowledge is very easy to explain.

81Yād mē̃ hī mēhnat hai .

88It is remembrance that requires effort.

82Bākī bīj sē jhāṛ kaisē nikaltā hai , vah tō sabkō mālūm rahtā hai .

89Everyone knows how a tree emerges from a seed.

83Buddhi mē̃ 84 kā chakra hai , bīj aur jhāṛ key|kī knowledge hōgī nā .

90You have the cycle of 84 births in your intellects; there is also the knowledge of the Seed and the tree.

84Bāp tō satya hai , chaitanya hai , gyān kā sāgar hai .

91The Father is the Truth, the Living Being and the Ocean of Knowledge.

85Unmē̃ knowledge hai samjhānē kē liē .

92He has this knowledge which He explains to you.

86Yah hai bilkul uncommon bāt .

93This is something totally uncommon.

87Yah manuṣhya sr̥iṣhṭi kā jhāṛ hai .

94This is the human world tree.

88Yah bhī kōī nahī̃ jāntē .

95No one knows this either.

89Sab nētī-nētī kartē gayē .

96All have been saying, "Neti, neti!" (neither this nor that).

90Duration kō hī nahī̃ jāntē tō bākī kyā jānē̃gē .

97If they don't know the duration, what else would they know?

91Tumhārē mē̃ bhī bahut thōṛē haĩ jō achchhī rīti jāntē haĩ , isliē seminar bhī bulātē haĩ . 92Apnī-apnī rāy dō .

98Among you too, there are very few who know this very well. 99That is why you arrange seminars to take everyone's opinion.

93Rāy tō kōī bhī dē saktē haĩ .

100Anyone can give advice.

94Aisē nahī̃ ki jinkē nām haĩ unkō hī dēnī hai .

101It isn't only those whose names are mentioned who can give advice.

95Hamārā nām nahī̃ hai , ham kaisē dēvē̃ .

102It isn't that, because your name isn't mentioned, you can't give advice; no.

96Nahī̃ , kōī kō bhī service arth|earth kōī rāy hō , advice hō likh saktē hō .

103If anyone has some advice to give for service, then just put it in writing.

97Bāp kahtē haĩ kōī bhī rāy āyē tō likhnā chāhiē .

104The Father says: Whenever you want to give some advice, just write to Baba.

98Bābā is yukti sē service bahut baṛh saktī hai .

105"Baba, service can increase a great deal with this method."

99Kōī bhī rāy dē saktē haĩ .

106Anyone can give advice.

100Dēkhē̃gē kis-kis prakār key|kī rāy dī hai .

107Baba will then see the different types of advice that have come.

101Bābā tō kahtē rahtē haĩ - kis yukti sē ham bhārat kā kalyāṇ karē̃ , sabkō paigām dēvē̃ .

108Baba continues to tell you to gather together and think about how to give everyone the message and benefit Bharat.

102Āpas mē̃ vichār nikālō , likhkar bhējō .

109Write and tell Baba these things.

103Māyā nē sabkō sulā diyā hai .

110Maya has put everyone to sleep.

104Bāp ātē hī haĩ jab maut sāmnē hōtā hai .

111The Father comes when death is in front of you.

105Ab bāp kahtē haĩ sabkī vānaprasth avasthā hai , paṛhō na paṛhō , marnā jarūr hai .

112The Father says: It is now everyone's stage of retirement. 113Whether you study or not, everyone definitely has to die.

106Taiyārī karō na karō , naī duniyā jarūr sthāpan hōnī hai .

114Whether you make preparations or not, the new world is definitely going to be established.

107Achchhē-achchhē bachchē jō haĩ vah apnī taiyārī kar rahē haĩ .

115All the good children are making their own preparations.

108Sudāmā kā bhī misāl gāyā huā hai - chāval muṭṭhī lē āyā .

116The example of Sudama has been remembered because he brought a handful of rice.

109Bābā hamkō bhī mahal milnē chāhiē .

117"Baba, I too should receive a palace."

110Hai hī unkē pās|pass chāval muṭṭhī tō kyā karē̃gē .

118What could he do if he only had a handful of rice and nothing else?

111Bābā nē mama kā misāl batāyā hai - chāval muṭṭhī bhī nahī̃ lē āī . 112Phir kitnā ūñch pad pā liyā , ismē̃ paisē key|kī bāt nahī̃ hai .

119Baba gives the example of Mama. 120She didn't even bring a handful of rice, and yet she claimed such a high status. 121There is no question of money in this.

113Yād mē̃ rahnā hai aur āp samān banānā hai .

122You have to stay in remembrance and make others equal to you.

114Bābā key|kī tō kōī fee ādi nahī̃ .

123Baba doesn't ask for any fees etc.

115Samajhtē haĩ hamārē pās|pass paisē paṛē haĩ tō kyō̃ na yagya mē̃ svāhā kar dē̃ .

124Some people understand that they do have some money, and so they want to give it to the yagya to be used in a worthwhile way.

116Vināśh tō hōnā hī hai . 117Sab vyarth hō jāyēgā , issē kuchh tō saphal karē̃ .

125“Destruction is going to take place anyway and so everything will go to waste. 126At least let me use something in a worthwhile way by doing this.”

118Har ēk manuṣhya kuchh na kuchh dān-puṇya ādi jarūr kartē haĩ .

127Every human being definitely gives at least some donations or performs some charity.

119Vah hai pāp ātmāō̃ kā pāp ātmāō̃ kō dān-puṇya .

128Those donations and charity come from sinful souls and go to sinful souls.

120Phir bhī uskā alpkāl kē liē phal mil jātā hai . 121Samjhō kōī university , college ādi banātē haĩ , paisē jāstī haĩ , dharmaśhālā ādi banā dētē haĩ tō unkō makān ādi achchhā mil jāyēgā . 122Parantu phir bhī bīmārī ādi tō hōgī nā .

129Nevertheless, they do receive a temporary reward for that; for instance, someone who builds a university or college etc. 130If he has a lot of wealth and builds a dharamshala, he receives a good home, but there would still be illness etc.

123Samjhō kisnē hospital ādi banāī hōgī tō karkē tandurūstī achchhī rahēgī . 124Parantu unsē sab kāmanāyē̃ tō siddha nahī̃ hōtī haĩ .

131However, if someone builds a hospital, he would have good health, but all his desires would not be fulfilled through that.

125Yahā̃ tō bēhad K|kē bāp dvārā tumhārī sab kāmanāyē̃ pūrī hō jātī haĩ .

132Here, all your desires are being fulfilled by the unlimited Father.

126Tum bantē hō pāvan tō sab paisē viśhva kō pāvan banānē mē̃ lagānā achchhā hai nā .

133You are becoming pure. 134Therefore, it is good to use all your wealth to make the world pure.

127Mukti-jīvanmukti dētē hō sō bhī ādhākalp kē liē .

135You receive liberation and liberation-in-life and that too is for half a cycle.

128Sab kahtē haĩ hamkō śhānti kaisē milē .

136Everyone asks how they can receive peace.

129Vah tō śhāntidhām mē̃ miltī hai aur satyug mē̃ ēk dharm hōnē kāraṇ vahā̃ aśhānti hōtī nahī̃ .

137That can only be received in the land of peace. 138There is no peacelessness in the golden age because there is only one religion there.

130Aśhānti hōtī hai rāvaṇ rājya mē̃ .

139In the kingdom of Ravan, there is peacelessness.

131Gāyan bhī hai nā - rām rājā rām prajā . . . . . . vah hai amarlōk .

140It is remembered that as is King Rama, so are the subjects of Rama. 141That is a land of immortality.

132Vahā̃ amarlōk mē̃ marnē kā akṣhar hōtā nahī̃ .

142The word "death" does not exist in that land of immortality.

133Yahā̃ tō baiṭhē-baiṭhē achānak mar jātē haĩ , iskō mr̥ityulōk uskō amarlōk kahā jātā hai .

143Here, people suddenly die while just sitting doing nothing. 144This is called a land of death and that is called a land of immortality.

134Vahā̃ marnā hōtā nahī̃ .

145There is no death there.

135Purānā ēk śharīr chhōṛ phir bālak ban jātē haĩ .

146They shed their old bodies and become children again.

136Rōg hōtā nahī̃ .

147There are no diseases.

137Kitnā phāydā hōtā hai .

148There is so much benefit there.

138Śhrī śhrī key|kī mat par tum ever healthy bantē hō .

149You are becoming everhealthy by following the directions of Shri Shri.

139Tō aisē rūhānī centres kitnē khulnē chāhiē .

150Therefore, many spiritual centres like this should be opened.

140Thōṛē bhī ātē haĩ vah cum|kam hai kyā .

151Even if only a few come, that is no less.

141Is samay kōī bhī manuṣhya drama K|kē duration kō nahī̃ jāntē haĩ .

152At this time, no human beings know the duration of the drama.

142Pūchhē̃gē tumkō phir yah kisnē sikhlāyā hai .

153When they ask you: Who taught you this?

143Arē , hamkō batānē vālā bāp hai .

154Tell them: It is the Father who is telling us all of this.

144Itnē ḍhēr be|B . K|kē . haĩ .

155There are so many Brahma Kumars and Kumaris.

145Tum bhī be|B . K|kē . hō . 146Śhivbābā K|kē bachchē hō .

156You too are a Brahma Kumar, a child of Shiv Baba.

147Prajāpitā brahmā K|kē bhī bachchē hō .

157You are also a child of Prajapita Brahma.

148Yah hai humanity kā great-great grand father .

158This one is the great-great-grandfather of humanity.

149Insē ham be|B . K|kē . nikalē haĩ .

159We Brahma Kumars and Kumaris have emerged from him.

150Birādariyā̃ hōtī haĩ nā .

160There are genealogical trees.

151Tumhārē dēvī-dēvatāō̃ kā kul bahut sukh dēnē vālā hai .

161Your deity clan is one that gives great happiness.

152Yahā̃ tum uttam bantē hō phir vahā̃ rājya kartē hō .

162You become elevated here and then go and rule a kingdom there.

153Yah kiskō buddhi mē̃ rah na sakē .

163This cannot stay in anyone's intellect.

154Yah bhī bachchō̃ kō samjhāyā hai dēvtāō̃ K|kē pair is tamōpradhān duniyā mē̃ paṛ na sakē .

164It has been explained to you children that deities cannot set foot in this tamopradhan world.

155Jaṛ chitra kā parchhāyā paṛ saktā hai , chaitanya kā nahī̃ paṛ saktā .

165There can be traces of their non-living images, but not of their living forms.

156Tō bāp samjhātē haĩ - bachchē , ēk tō yād kī yātrā mē̃ rahō , kōī bhī vikarma na karō aur service key|kī yuktiyā̃ nikālō .

166Therefore, the Father explains: Children, stay on the pilgrimage of remembrance. 167Don't perform any sinful acts, but create ways of doing service.

157Bachchē kahtē haĩ - bābā , ham tō lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā banē̃gē .

168Children say: Baba, I will become like Lakshmi and Narayan.

158Bābā kahtē tumhārē mukh mē̃ gulāb lēkin iskē liē mēhnat bhī karnī hai .

169The Father says: May there be a rose in your mouth (May you truly become like that). 170However, you also need to make effort to do this.

159Ūñch pad pānā hai tō āp samān banānē key|kī sēvā karō .

171In order to claim a high status, serve others to make them equal to you.

160Tum ēk din dēkhē̃gē - ēk-ēk paṇḍā apnē sāth 100-200 yātrī bhī lē āyēṅgē .

172One day, you will see that each guide brings 100 to 200 pilgrims with him.

161Āgē chal dēkhtē rahē̃gē .

173As you progress further you will see everything.

162Pahlē sē thōṛēhī kuchh kah saktē haĩ .

174You can't be told everything beforehand.

163Jō hōtā rahēgā sō dēkhtē rahē̃gē .

175You will continue to see whatever happens.

164Yah bēhad kā drama hai .

176This is an unlimited drama.

165Tumhārā hai sabsē mukhya part bāp kē sāth , jō tum purānī duniyā kō naī banātē hō .

177You play the main parts with the Father; you are making this old world new.

166Yah hai puruṣhōttam saṅgam yug .

178This is the most elevated confluence age.

167Ab tum sukhdhām K|kē mālik bantē hō .

179You are now becoming the masters of that land of happiness.

168Vahā̃ duḥkh kā nām-niśhān nahī̃ hōgā .

180There will be no name or trace of sorrow there.

169Bāp hai hī duḥkh hartā , sukh kartā .

181The Father is the Remover of Sorrow and the Bestower of Happiness.

170Duḥkh sē ākar liberate kartē haĩ .

182He comes and liberates you from sorrow.

171Bhāratvāsī phir samajhtē haĩ itnā dhan hai , baṛē-baṛē mahal hai , bijliyā̃ haĩ , bas yahī svarg hai .

183Some people of Bharat think that, because they have all that wealth and big palaces and electricity, this is heaven for them.

172Yah sab hai māyā kā pomp .

184All of that is the pomp of Maya.

173Sukh kē liē sādhan bahut kartē haĩ .

185They invent many facilities for happiness.

174Baṛē-baṛē mahal makān banātē haĩ phir maut kaisē achānak hō jātā hai , vahā̃ marnē kā ḍar nahī̃ .

186They build huge palaces and buildings but then death suddenly comes. 187There is no fear of death there.

175Yahā̃ tō achānak mar jātē haĩ phir kitnā śhōk kartē haĩ .

188Here, when someone dies suddenly, they mourn the death of that person so much.

176Phir samādhi par jākar āṅsū bahātē haĩ .

189They go and shed tears for that person at his grave.

177Har ēk key|kī apnī-apnī rasam-rivāj hai .

190They all have their own customs and systems.

178Anēk mat haĩ .

191There are many opinions.

179Satyug mē̃ aisī bāt hōtī nahī̃ .

192Such things don't exist in the golden age.

180Vahā̃ tō ēk śharīr chhōṛ dūsrā lē lētē haĩ .

193There, theyshed a body and take another.

181Tō tum kitnā sukh mē̃ jātē hō .

194You are going to a place where there is so much happiness.

182Uskē liē kitnā puruṣhārth karnā chāhiē .

195You have to make so much effort for that.

183Kadam-kadam par mat lēnī chāhiē .

196You have to take directions at every step.

184Gurū kī vā pati key|kī mat lētē haĩ vā tō apnī mat sē chalnā hōtā hai .

197Others take directions from their gurus or husbands or they continue to move along according to their own opinions.

185Āsurī mat kyā kām dē̃gī .

198How useful are devilish directions?

186Āsurī taraph hī ḍhakēlēgī .

199They will only push you towards becoming devilish.

187Ab tumkō miltī hai īśhvarīy mat , ūñch tē ūñch isliē gāyā huā bhī hai - śhrīmat bhagvānuvāch .

200You are now receiving God's directions which are the highest on high. 201This is why it is said: Elevated versions of God.

188Tum bachchē śhrīmat sē sārē viśhva kō heaven banātē hō .

202You children are making the whole world into heaven by following shrimat.

189Us heaven K|kē tum mālik bantē hō isliē tumhē̃ her|har kadam par śhrīmat lēnī hai parantu kiskī takdīr mē̃ nahī̃ hai tō phir mat par chaltē nahī̃ haĩ .

203You are becoming the masters of that heaven. 204This is why you have to take shrimat at every step. 205However, if it is not in someone's fortune, he doesn't follow His directions.

190Bābā nē samjhāyā hai kiskō bhī apnā kuchh akla hō , rāy hō tō bābā kō bhēj dēvē̃ .

206Baba has said that if you have any advice to give, then send it to Baba.

191Bābā jāntē haĩ kaun-kaun rāy dēnē lāyak haĩ .

207Baba knows who are worthy of giving advice.

192Nayē-nayē bachchē nikaltē rahtē haĩ .

208Many new children continue to emerge.

193Bābā tō jāntē haĩ nā kaun sē achchhē-achchhē bachchē haĩ .

209Baba knows which children are good.

194Dukāndārō̃ kō bhī rāy nikālnī chāhiē - aisē yatn karē̃ jō bāp kā parichay milē .

210Shopkeepers should also give advice on how to create methods to give the Father's introduction.

195Dukān mē̃ bhī sabkō yād karātē rahē̃ .

211Continue to remind everyone in the shop.

196Bhārat mē̃ jab satyug thā tō ēk dharm thā .

212When it was the golden age in Bharat, there was just the one religion.

197Ismē̃ nārāz hōnē key|kī tō bāt hī nahī̃ .

213There is nothing to become upset about in this.

198Sabkā ēk bāp hai .

214The Father of all is One.

199Bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hō jāē̃ . 200Svarg K|kē mālik ban jāyēṅgē .

215The Father says: Constantly remember Me alone and you will be absolved of your sins and become the masters of heaven.

201Achchhā  !

216Achcha.

202Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

217To you sweetest, beloved, long-lost, now-found, children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

203Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

218The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

204Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

219Essence for dharna:

2051 ) śhrīmat par chalkar sārē viśhva kō svarg banānē key|kī sēvā karnī hai , bahutō̃ kō āp samān banānā hai .

2201. Follow shrimat and serve to make the whole world into heaven. 221Make many others equal to you.

206Āsurī mat sē apnī sambhāl karnī hai .

222Protect yourself from devilish directions.

2072 ) yād kī mēhnat sē ātmā kō satōpradhān banānā hai .

2232. Make your soul satopradhan by making effort to have remembrance.

208Sudāmā misal jō bhī chāval muṭṭhī haĩ vah sab saphal kar apnī sarv kāmanāyē̃ siddh karnī hai .

224Use the handful of rice that you have in a worthwhile way like Sudama did and have all your desires fulfilled.

Blessing

209Vardān  : ēk bāp dūsrā na kōī - is dr̥iṛh saṅkalp dvārā avināśhī , amar bhav

225Blessing: May you become immortal and imperishable by having the determination to belong to the one Father and none other.

210Jō bachchē yah dr̥iṛh saṅkalp kartē haĩ ki ēk bāp dūsrā na kōī . . . . . unkī sthiti svataḥ aur sahaj ēkras hō jātī hai .

226The stage of each child who has the determination to belong to the one Father and none other automatically and easily becomes constant and stable.

211Isī dr̥iṛh saṅkalp sē sarv sambandhō̃ key|kī avināśhī tār juṛ jātī hai aur unhē̃ sadā avināśhī bhav , amar bhav kā vardān mil jātā hai .

227When they have this determination, the imperishable thread of all relationships is forged and they receive the blessing of becoming constantly immortal and imperishable.

212Dr̥iṛh saṅkalp karnē sē puruṣhārth mē̃ bhī viśhēṣh rūp sē lift miltī hai .

228By having this determination, they receive a special lift for their efforts.

213Jinkē ēk bāp sē sarv sambandh haĩ unhē̃ sarv prāptiyā̃ svataḥ hō jātī haĩ .

229Those who have all relationships with the one Father automatically receive all attainments.

Slogan

214Slōgan  : sōcanā-bōlanā aur karnā tīnō̃ kō ēk samān banāō - tab kahē̃gē sarvōttam puruṣhārthī .

230Slogan: Let your thinking, speaking and doing all become equal and you will then be called a most elevated effort-maker.

231*** Om Shanti ***

215Avyakt iśhārē - sahajyōgī bannā hai tō paramātma pyār K|kē anubhavī banō

232Avyakt Signals: In order to be an easy yogi, become experienced in God’s love.

216Jis samay jis sambandh key|kī āvaśhyaktā hō , usī sambandh sē bhagvān kō apnā banā lō .

233At any time, when you need a particular relationship, make God belong to you with that relationship.

217Dil sē kahō mērā bābā , aur bābā kahē mērē bachchē , isī snēh K|kē sāgar mē̃ samā jāō .

234Say from your heart “My Baba” and Baba will say “My child.” 235Merge yourself in this ocean of love.

218Yah snēh chhatrachhāyā kā kām kartā hai , iskē andar māyā ā nahī̃ saktī , yahī sahajyōgī bannē kā sādhan hai .

236This love is such a canopy of protection that even Maya cannot come under this canopy. 237This is the way to become an easy yogi.