शनिवार 27 सितंबर 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

027-09-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

027/09/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum abhī sachchī-sachchī pāṭhśhālā mē̃ baiṭhē hō , yah satsaṅg bhī hai , yahā̃ tumhē̃ sat bāp kā saṅg milā hai , jō pār lagā dētā hai ' '

1Essence: Sweet children, you are now sitting in a true pathshala (place of study). 2This is also a true satsang (Company of the Truth). 3Here, you receive the company of the true Father and it is this that takes you across.

Question

2Praśhna  : hisāb-kitāb K|kē khēl mē̃ manuṣhyō̃ key|kī samajh aur tumhārī samajh mē̃ kaun sā antar hai  ?

4Question: What is the difference between the understanding that you have and the understanding that other people have regarding karmic accounts?

Answer

3Uttar  : manuṣhya samajhtē haĩ - yah jō duḥkh-sukh kā khēl chaltā hai , yah duḥkh-sukh sab paramātmā hī dētē haĩ aur tum bachchē samajhtē hō ki yah har ēk K|kē karmō̃ K|kē hisāb kā khēl hai .

5Answer: People believe that, in this play of happiness and sorrow, it is God who gives both happiness and sorrow, whereas you children know that this is a play about each one’s karmic accounts.

4Bāp kisī kō bhī duḥkh nahī̃ dētē .

6The Father never causes sorrow for anyone.

5Vah tō ātē hī haĩ sukh kā rāstā batānē .

7In fact, He comes to show you the path to happiness.

6Bābā kahtē haĩ - bachchē , mainnē kisī kō bhī duḥkhī nahī̃ kiyā hai .

8Baba says: Children, I have never made anyone unhappy.

7Yah tō tumhārē hī karmō̃ kā phal hai .

9That unhappiness is the fruit of your own actions.

Song

8Gīt  : is pāp key|kī duniyā sē …

10Song: Take us away from this world of sin to a place of rest and comfort.

Murli

9Ōm śhānti .

11Om shanti.

10Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē gīt sunā .

12You sweetest, spiritual children heard the song.

11Kiskō pukārtē haĩ  ?

13To whom were they calling out?

12Bāp kō .

14To the Father.

13Bābā ākar is pāp key|kī kaliyugī duniyā sē satyugī puṇya key|kī duniyā mē̃ lē chalō .

15Baba, come and take us away from this iron-aged world of sin to a golden-aged world of charity.

14Abhī jīv ātmāyē̃ sab kaliyugī haĩ .

16All human souls are now iron aged.

15Unhō̃ key|kī buddhi ūpar jātī hai .

17Their intellects go upwards.

16Bāp kahtē haĩ maĩ jō hū̃ , jaisā hū̃ , aisā kōī nahī̃ jāntē haĩ .

18The Father says: No one knows Me as I am or what I am.

17R̥iṣhi-muni ādi bhī kahtē haĩ ham rachayitā mālik arthāt bēhad K|kē bāp aur unkī bēhad key|kī rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō nahī̃ jāntē haĩ .

19Rishis and munis too have been saying: “We do not know the Creator, the Master, that is the unlimited Father, or the beginning, middle or end of His unlimited creation.”

18Ātmāyē̃ jahā̃ rahtī haĩ vah hai brahm mahatatva , jahā̃ sūrya chānd nahī̃ hōtē haĩ .

20The place where souls reside is the element of brahm, the element of light, where neither the sun nor the moon exists.

19Na mūlvatan , na sūkṣhmavatan mē̃ .

21They neither exist in the incorporeal region nor in the subtle region.

20Bākī is māṇḍavē mē̃ tō bijliyā̃ ādi sab chāhiē nā .

22However, there does have to be light, etc. for this stage.

21Tō is māṇḍavē kō bijlī miltī hai - rāt kō chānd sitārē , din mē̃ sūrya .

23Therefore, this stage receives light from the moon and stars at night and from the sun during the day.

22Yah haĩ battiyā̃ .

24Those are the lights.

23In battiyō̃ K|kē hōtē huē bhī andhiyārā kahā jātā hai .

25Although those lights do exist, there is still said to be darkness.

24Rāt kō tō phir bhī battī jalānī paṛtī hai .

26At night, you still have to switch on a light.

25Satyug trētā kō kahā jātā hai din aur bhakti mārg kō kahā jātā hai rāt .

27The golden and silver ages are called the day and the path of devotion is called the night.

26Yah bhī samajh key|kī bāt hai .

28This is a matter of understanding.

27Naī duniyā sō phir purānī jarūr banē̃gī .

29The new world will then definitely become old.

28Phir naī hōgī tō purānī kā jarūr vināśh hōgā .

30That will then become new again and the old one will definitely be destroyed.

29Yah hai bēhad key|kī duniyā .

31This is an unlimited world.

30Makān bhī kōī bahut baṛē-baṛē hōtē haĩ rājāō̃ ādi K|kē .

32Some of the homes of the kings, etc. are very large. 33This home is unlimited.

31Yah hai bēhad kā ghar , māṇḍavā athavā stage , inkō karmakṣhētra bhī kahā jātā hai .

34This is the stage. 35This stage can also be called the field of action.

32Karma tō jarūr karnā hōtā hai .

36You definitely have to perform actions.

33Sab manuṣhyō̃ kē liē yah karmakṣhētra hai .

37This is the field of action for all human beings.

34Sabkō karma karnā hī hai , part bajānā hī hai .

38Everyone has to perform actions. 39Everyone has to play his part.

35Part har ēk ātmā kō pahlē sē milā huā hai .

40Every soul has received a part in advance.

36Tumhārē mē̃ bhī kōī haĩ jō in bātō̃ kō achchhī rīti sē samajh saktē haĩ .

41There are also some among you who are able to understand these things very well.

37Vāstav mē̃ yah gītā pāṭhśhālā hai .

42In fact, this is a gita pathshala.

38Pāṭhśhālā mē̃ kabhī būṛhē ādi paṛhtē haĩ kyā  ?

43Do old people, etc. ever study in a pathshala?

39Yahā̃ tō būṛhē , javān ādi sab paṛhtē haĩ .

44Here, everyone studies; young and old, etc.

40Vēdō̃ key|kī pāṭhśhālā nahī̃ kahē̃gē . 41Vahā̃ kōī bhī aim object hōtī nahī̃ hai .

45This isn’t called a vedas pathshala; there is no aim or objective there.

42Ham itnē vēd-śhāstra ādi paṛhtē haĩ , insē kyā banē̃gē - vah jāntē nahī̃ .

46They study the Vedas and scriptures, etc. so much, but they don’t know what they will become by doing that.

43Kōī bhī jō satsaṅg haĩ , aim object kuchh nahī̃ hai .

47None of those satsangs have any aim or objective.

44Ab tō unkō satsaṅg kahnē sē lajjā ātī hai .

48One is embarrassed now even to call that a satsang (Company of the Truth).

45Sat tō ēk bāp hī hai , jiskē liē kahā jātā hai saṅg tārē . . . . kusaṅg bōrē . . . . . .

49Only the one Father is the Truth, and it is of Him that it is said: “Good company takes you across and bad company drowns you.”

46Kusaṅg kaliyugī manuṣhyō̃ kā . 47Sat kā saṅg tō ēk hī hai .

50Bad company is the company of iron-aged human beings and only the company of the One is the company of the Truth.

48Abhī tumkō wonder lagtā hai . 49Sārē sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā gyān kaisē bāp dētē haĩ , tumkō tō khuśhī hōnī chāhiē . 50Tum sachchī-sachchī pāṭhśhālā mē̃ baiṭhē hō .

51You are now amazed at how the Father gives you this knowledge of the beginning, the middle and the end of the whole world. 52You should have the happiness of knowing that you are sitting in this true pathshala.

51Bākī sab haĩ jhūṭhī pāṭhśhālāyē̃ , un satsaṅgō̃ ādi sē kuchh bhī bankar nikaltē nahī̃ .

53All other pathshalas are false. 54No one becomes someone special by going to those satsangs, etc.

52School-college ādi sē phir bhī kuchh bankar nikaltē haĩ kyōṅki paṛhtē haĩ . 53Bākī kahā̃ bhī paṛhāī nahī̃ hai .

55At least, by going to a school or college they can become something, because they study; there is no study anywhere else.

54Satsaṅg kō paṛhāī nahī̃ kahē̃gē .

56A satsang is not called a study.

55Śhāstra ādi tō paṛhkar phir dukān khōl baiṭhtē haĩ , paisā kamātē haĩ .

57People study the scriptures and then open shops; they earn money in that way.

56Granth thōṛā sīkhkar , gurūdvārā khōl baiṭh jātē haĩ .

58They study the Granth a little and open up a gurudwara (Sikh temple, doorway to the Guru).

57Gurūdvārē bhī kitnē khōltē haĩ .

59So many gurudwaras have been opened.

58Gurū kā dvār arthāt ghar kahē̃gē nā .

60The dwara (doorway) of the guru would be to his home.

59Phāṭak khultā hai , vahā̃ jākar śhāstra ādi paṛhtē haĩ .

61When they open the doors of big gurudwaras, people go and study the scriptures there.

60Tumhārā gurūdvārā hai - mukti aur jīvanmukti dhām , satgurū dvār .

62Your gurudwara, the doorway to the Satguru, is to the land of liberation and the land of liberation-in-life.

61Satgurū kā nām kyā hai  ?

63What is the name of the Satguru?

62Akāl mūrt .

64The Immortal Image.

63Satgurū kō akāl mūrt kahtē haĩ , vah ākar mukti-jīvanmukti kā dvār khōltē haĩ .

65The Satguru is called the Immortal Image. 66He comes and opens the gates to liberation and liberation-in-life.

64Akālmūrt haĩ nā .

67He is the Immortal Image.

65Jiskō kāl bhī khā nahī̃ saktā .

68Death cannot come to Him.

66Ātmā hai hī bindī , unkō kāl kaisē khāyēgā .

69A soul is just a point. 70How could a soul experience death?

67Vah ātmā tō śharīr chhōṛkar bhāg jātī hai .

71That soul would leave his body and run off.

68Manuṣhya samajhtē thōṛēhī haĩ ki ēk purānā śharīr chhōṛ phir jāē dūsrā lēgī phir ismē̃ rōnē key|kī kyā darkār hai .

72People don’t understand that a soul leaves his old body and takes a new one. 73So, what is there to cry about?

69Yah tum jāntē hō - drama anādi banā huā hai . 70Har ēk kō part bajānā hī hai .

74You know that this drama is created eternally.Everyone has to play his own part.

71Bāp nē samjhāyā hai - satyug mē̃ haĩ naṣhṭōmōhā .

75The Father has explained that those in the golden age had conquered attachment.

72Mōhjīt key|kī bhī kahānī hai nā .

76There is the story of the king who conquered attachment.

73Paṇḍit lōg sunātē haĩ , mātāyē̃ bhī sun-sun kar phir granth rakh baiṭh jātī haĩ - sunānē kē liē .

77Pundits relate the scriptures, and mothers, having listened to the Granth, start to relate it themselves.

74Bahut manuṣhya jākar suntē haĩ .

78Many people go there and listen to it.

75Unkō kahā jātā hai kanras .

79That is called pleasing the ears.

76Drama plan anusār manuṣhya tō kahē̃gē hamārā dōṣh kyā hai .

80According to the drama plan, people ask: “Why should I be blamed?”

77Bāp kahtē haĩ tum hamkō bulātē hō ki duḥkh key|kī duniyā sē lē jāō .

81The Father says: You called out to Me to come and take you away from this world of sorrow.

78Ab maĩ āyā hū̃ tō mērā sunnā chāhiē nā .

82I have now come. 83Therefore, you should listen to Me.

79Bāp bachchō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ , achchhī mat miltī hai tō vah lēnī chāhiē nā .

84The Father sits here and explains to you children. 85When you receive good directions, you should take them.

80Tumhārā bhī kōī dōṣh nahī̃ hai .

86You are not to be blamed.

81Yah bhī drama thā .

87That too is in the drama.

82Rām rājya , rāvaṇ rājya kā khēl banā huā hai .

88The play about Rama’s kingdom and Ravan’s kingdom is created.

83Khēl mē̃ kōī hār jātē haĩ tō unkā dōṣh thōṛēhī hai . 84Jīt aur hār hōtī hai , ismē̃ laṛāī kī bāt nahī̃ .

89In a play, some are defeated, but they can’t be blamed; there is victory and defeat. 90There is no question of a battle in this.

85Tumkō bādśhāhī thī .

91You had that kingdom.

86Yah bhī āgē tumkō mālūm nahī̃ thā , abhī tum samajhtē hō jō serviceable haĩ , jiskā nām bālā hai .

92Previously, you didn’t know this. 93You now know the ones who are serviceable and whose names are well known.

87Dēhlī mē̃ sabsē nāmīgrāmī samjhānē vālā kaun hai  ?

94Who is the most well-known one in Delhi who explains this knowledge?

88Tō jhaṭ nām lē̃gē Jagdīśh kā .

95They instantly mention the name of Brother Jagdish.

89Tumhārē liē magazine bhī nikāltē haĩ .

96He also has a magazine printed for you.

90Usmē̃ sab kuchh ā jātā hai .

97Everything is included in that.

91Anēk prakār key|kī points likhtē haĩ , br̥ijmōhan bhī likhtē haĩ .

98Many different points are written in that. 99Brother Brijmohan also writes such points.

92Likhnā kōī māsī kā ghar thōṛēhī hai .

100To write these points is not like going to your aunty’s home.

93Jarūr vichār sāgar manthan kartē haĩ , achchhī service kartē haĩ .

101Therefore, they must definitely churn the ocean of this knowledge. 102The service they do is very good.

94Kitnē lōg paṛhkar khuśh hōtē haĩ .

103So many become very happy when they read it.

95Bachchō̃ kō bhī refreshment miltī hai .

104Children receive refreshment.

96Kōī kōī pradarśhanī mē̃ bahut māthā mārtē haĩ , kōī-kōī karmbandhan mē̃ phansē huē haĩ , isliē itnā uṭhā nahī̃ saktē haĩ .

105Some beat their heads a great deal at the exhibitions. 106Others are trapped by their karmic bondages. 107This is why they are unable to take that much of this knowledge.

97Yah bhī kahē̃gē drama , ablāō̃ par bhī atyāchār hōnē kā drama mē̃ part hai .

108This too is called the drama. 109It is also part of the drama for innocent ones to be beaten.

98Aisā part kyō̃ bajāyā , yah praśhna hī nahī̃ uṭhtā . 99Yah tō anādi banā banāyā drama hai .

110The question of why there is such a part doesn’t arise: it is predestined in the drama.

100Unkō kuchh kar thōṛēhī saktē haĩ .

111You cannot do anything about it.

101Kōī kahtē haĩ hamnē gunāh kyā kiyā jō aisā part rakhā hai .

112Some ask: What crime have I committed that such a part has been created for me?

102Ab gunāh key|kī tō bāt nahī̃ .

113There is no question of a crime.

103Yah tō part hai .

114It is just part of it.

104Ablāyē̃ kōī tō nimitt banē̃gī , jin par sitam hōṅgē .

115Some innocent ones will be instruments to be assaulted.

105Aisē tō phir sab kahē̃gē hamkō yah part kyō̃  ?

116In that case, they would all say: Why have I been given this part?

106Nahī̃ , yah banā-banāyā drama hai .

117No, this drama is predestined.

107Puruṣhō̃ par bhī atyāchār hōtē haĩ .

118Even some men are assaulted.

108In bātō̃ mē̃ sahanśhīltā kitnī rakhnī paṛtī hai .

119You have to be very tolerant of those things.

109Bahut sahanśhīltā chāhiē .

120You need a lot of tolerance power.

110Māyā K|kē vighna tō bahut paṛē̃gē .

121Many obstacles of Maya will come.

111Viśhva kī bādśhāhī lētē hō tō kuchh mēhnat karnī paṛē .

122Since you are claiming sovereignty over the world, you do have to make some effort.

112Drama mē̃ āpdāyē̃ , khiṭpiṭ ādi kitnī hai .

123There are so many calamities and conflicts, etc. in the drama.

113Ablāō̃ par atyāchār likhā huā hai .

124"Assaults on innocent ones" has been written about.

114Rakta kī nadiyā̃ bhī bahē̃gī .

125Rivers of blood will flow too.

115Kahā̃ bhī safety nahī̃ rahēgī .

126There won't be safety anywhere.

116Abhī tō subah kō class ādi mē̃ jātē hō , centres par .

127You are now able to go to the centres for morning class.

117Vah bhī samay āyēgā jō tum bāhar nikal bhī nahī̃ sakē̃gē .

128The time will come when you won't even be able to go out.

118Din-pratidin jamānā bigaṛtā jātā hai aur bigaṛnā hai .

129Day by day, the times are getting worse and they have to become worse still.

119Duḥkh K|kē din bahut zōr sē āyēṅgē .

130Days of sorrow will come with great force.

120Bīmārī ādi mē̃ duḥkh hōtā hai tō phir bhagvān kō yād kartē , pukārtē haĩ .

131When someone has an illness and suffers pain, he remembers God and calls out to Him.

121Abhī tumkō mālūm hai bākī thōṛē din haĩ . 122Phir ham apnē śhāntidhām , sukhdhām jarūr jāyēṅgē .

132You know that only a few more days now remain, and that we will then definitely go to our land of peace and then to our land of happiness.

123Duniyā kō tō yah bhī patā nahī̃ hai .

133No one in the world knows even this.

124Abhī tum bachchē feel kartē hō nā . 125Abhī bāp kō pūrī rīti jān gayē haĩ .

134You children feel that you now know the Father fully.

126Vah sab tō samajhtē haĩ paramātmā liṅg hai .

135All of them think that God is an oval shape.

127Śhivliṅg key|kī pūjā bhī kartē haĩ .

136They even worship that oval shape (Shiva lingam).

128Tum śhiv K|kē mandir mē̃ jātē thē , kabhī yah khyāl kiyā ki śiv-liṅg kyā chīz hai  ?

137When you used to go to a temple of Shiva, did you ever wonder what the Shiva lingam was?

129Jarūr yah jaṛ hai tō chaitanya bhī hōgā  !

138Since that non-living image exists, there must be a living being whom it represents.

130Yah tab kyā hai  ?

139What is all of that?

131Bhagvān tō rachtā hai ūpar mē̃ .

140God, the Creator, is up above.

132Unkī niśhānī hai sirph pūjā kē liē .

141That image is a symbol of Him and it is used to worship Him.

133Pūjya hōṅgē tō phir yah chīzē̃ nahī̃ hōṅgī .

142When those who are worthy of worship exist, these things do not exist.

134Śhiv kāśhī K|kē mandir mē̃ jātē haĩ , kiskō patā thōṛēhī hai bhagvān nirākār hai . 135Ham bhī unkē bachchē haĩ .

143The people who go to the Shiva temple at Kashi are unaware that God is incorporeal and that they are His children.

136Bāp K|kē bachchē hōkar phir ham duḥkhī kyō̃ haĩ  ?

144“We are His children, so why do we experience sorrow?”

137Vichār karnē key|kī bāt hai nā .

145This is something to think about.

138Ātmā kahtī hai ham paramātmā key|kī santān haĩ phir ham duḥkhī kyō̃ haĩ  ?

146The soul says: “I am a child of God. 147So, why am I unhappy?”

139Bāp tō hai hī sukh dēnē vālā .

148The Father is the Bestower of Happiness.

140Bulātē bhī haĩ - hē bhagvān , hamārē duḥkh miṭāō .

149You called out: O God, remove our sorrow!

141Vah kaisē miṭāyē  ?

150How can He remove that?

142Duḥkh-sukh yah tō apnē karmō̃ kā hisāb hai .

151Happiness and sorrow are the accounts of your own karma.

143Manuṣhya samajhtē haĩ sukh kā ēvajā sukh , duḥkh kā ēvajā duḥkh paramātmā hī dētē haĩ .

152People believe that God gives happiness as the return of happiness and sorrow as the return of sorrow.

144Un par rakh dētē haĩ , bāp kahtē haĩ maĩ kabhī duḥkh nahī̃ dētā hū̃ .

153They put everything on Him. 154The Father says: I never cause sorrow.

145Maĩ tō ādhākalp kē liē sukh dēkar jātā hū̃ .

155I return home after granting you happiness for half a cycle.

146Yah phir sukh aur duḥkh kā khēl hai .

156This is a play about happiness and sorrow.

147Sirph sukh kā hī khēl hōtā phir tō yah bhakti ādi kuchh na hō , bhagvān sē milnē kē liē hī yah bhakti ādi sab kartē haĩ nā .

157If it were just a play about happiness, there would not be any worshipping, etc. 158People perform worship, etc. in order to meet God.

148Ab bāp baiṭh sārā samāchār sunātē haĩ .

159The Father sits here and explains everything to you.

149Bāp kahtē haĩ tum bachchē kitnē bhāgyaśhālī hō .

160He says: You children are so fortunate.

150Un r̥iṣhi-muniyō̃ ādi kā kitnā nām hai .

161Those rishis and munis are very famous.

151Tum hō rājr̥iṣhi , vah haĩ haṭhyōg r̥iṣhi .

162You are Raj Rishis. 163They are hatha yoga rishis.

152R̥iṣhi arthāt pavitra .

164Rishi means someone who is pure.

153Tum svarg K|kē rājā bantē hō tō pavitra jarūr bannā paṛē .

165You are becoming the kings of heaven, so you definitely do have to become pure.

154Satyug-trētā mē̃ jinkā rājya thā unkā hī phir hōgā . 155Bākī sab pīchhē āyēṅgē .

166Whoever the kingdom belonged to in the golden and silver ages, it will belong to them once again and everyone else will come later.

156Tum abhī kahtē hō ham śhrīmat par apnā rājya sthāpan kar rahē haĩ .

167You now say: “We are establishing our own kingdom by following shrimat.”

157Purānī duniyā kā vināśh hōnē mē̃ bhī samay tō lagēgā nā .

168It does take time for this old world to be destroyed.

158Satyug ānā hai , kaliyug jānā hai .

169The golden age has to come and the iron age has to go.

159Kitnī baṛī duniyā hai .

170The world is so large.

160Ēk-ēk śhahar manuṣhyō̃ sē kitnā bharā huā hai .

171Every city is full of so many people.

161Dhanvān ādmī duniyā kā chakra lagātē haĩ .

172Wealthy people go on world tours.

162Parantu yahā̃ sārī duniyā kō kōī dēkh na sakē .

173However, here, no one can see the whole world.

163Hā̃ satyug mē̃ dēkh saktē haĩ kyōṅki satyug mē̃ hai hī ēk rājya , itnē thōṛē rājāyē̃ hōṅgē , yahā̃ tō dēkhō kitnī baṛī duniyā hai .

174Yes, they can see it in the golden age, because there is just the one kingdom and very few kings.

164Itnī baṛī duniyā kā chakra kaun lagāyē .

175Here, the world is so large. 176Who would tour the whole world?

165Vahā̃ tumkō samudra mē̃ jānē kā nahī̃ hai .

177There, you won't even have to travel by sea.

166Vahā̃ Ceylon , barmā ādi hōṅgē  ?

178Do Ceylon, Burma, etc. exist there?

167Nahī̃ , kuchh bhī nahī̃ .

179Not at all. 180None of those places exist there.

168Yah karāchī nahī̃ hōgī .

181Even Karachi doesn't exist there.

169Tum sab mīṭhī nadiyō̃ K|kē kinārē par rahtē hō .

182All of you reside on the banks of the sweet rivers.

170Khētī bāṛī ādi sab hōtī hai , sr̥iṣhṭi tō baṛī hai .

183There are many farms and fields, etc. 184The world is large.

171Manuṣhya bahut thōṛē rahtē haĩ phir pīchhē vr̥iddhi hōtī hai .

185Initially, there are very few human beings and then the number of them increases.

172Phir vahā̃ jākar apnā rājya sthāpan kiyā .

186Then they go abroad and establish their own kingdoms.

173Dhīrē-dhīrē hap kartē gayē . 174Apnā rājya sthāpan kar diyā .

187They gradually begin to take over everything and establish their own kingdoms.

175Abhī tō sabkō chhōṛnā paṛtā hai .

188Everyone now has to let go of them.

176Ēk bhārat hī hai , jisnē kisī kā bhī rājya chhīnā nahī̃ hai kyōṅki bhārat asul mē̃ ahiṃsak hai nā .

189It is Bharat alone that has never snatched anyone's kingdom away, because in reality Bharat is non-violent.

177Bhārat hī sārī duniyā kā mālik thā aur sab pīchhē āyē haĩ jō ṭukṛē-ṭukṛē lētē gayē haĩ .

190It was Bharat alone that was the master of the whole world. 191All the others came later and took pieces of land.

178Tumnē kōī kō hap nahī̃ kiyā hai , aṅgrējō̃ nē hap kar liyā hai .

192You have not taken over anyone. 193The British took over many countries.

179Tum bhāratvāsiyō̃ kō tō bāp viśhva kā mālik banātē haĩ .

194The Father is making you people of Bharat into the masters of the world.

180Tum kahā̃ gayē thōṛēhī hō .

195You did not go and settle anywhere.

181Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ yah sārī bātē̃ haĩ , būṛhī mātāyē̃ tō itnā sab samajh na sakē̃ .

196All of these things are in the intellects of you children. 197The old mothers cannot understand any of these things.

182Bāp kahtē haĩ achchhā hai jō tum kuchh bhī paṛhī nahī̃ hō .

198The Father says: It is good that you haven’t studied anything.

183Paṛhā huā sab buddhi sē nikālnā paṛtā hai , ēk bāt sirph dhāraṇ karnī hai - mīṭhē bachchē bāp kō yād karō .

199You have to remove from your intellects everything you have studied. 200Simply imbibe one thing: Sweet children, remember the Father!

184Tum kahtē bhī thē nā bābā āp āyēṅgē tō ham vārī jāyēṅgē , kurbān jāyēṅgē .

201You used to say: “Baba, when You come, we will sacrifice ourselves to You.

185Tumhē̃ phir hamārē par kurbān jānā hai .

202You then have to sacrifice Yourself to us.”

186Lēn-dēn hōtī hai nā .

203There is an exchange.

187Śhādī K|kē time strī-puruṣh ēk dō K|kē hāth mē̃ namak dētē haĩ .

204At their wedding ceremony, the bride and groom give each other salt.

188Bāp kō bhī kahtē haĩ , ham purānā sab kuchh āpkō dētē haĩ .

205You tell the Father: “I give you everything of mine that is old.

189Marnā tō hai , yah sab khatm hōnā hai .

206Everyone has to die. 207Everything is going to be destroyed.

190Āp hamkō phir naī duniyā mē̃ dēnā .

208You will then give us all of that in the new world.”

191Bāp ātē hī haĩ sabkō lē jānē .

209The Father has come to take everyone back home.

192Kāl hai nā .

210He is the Great Death.

193Sindh mē̃ kahtē thē - yah kaun sā kāl hai jō sabkō bhagākar lē jātē haĩ , tum bachchē tō khuśh hōtē hō . 194Bāp ātē hī haĩ lē jānē .

211In Sindh, they used to ask: “Which Death is this that is taking everyone away?” 212You children become very happy, because the Father has come to take you back home.

195Ham tō khuśhī sē apnē ghar jāyēṅgē .

213You will return to your home in great happiness.

196Sahan bhī karnā paṛtā hai .

214There is a lot that has to be tolerated.

197Achchhē-achchhē baṛē-baṛē ghar key|kī mātāyē̃ mārē̃ khātī haĩ .

215Very good mothers from important homes also experience being beaten.

198Tum sachchī kamāī kartē hō .

216You are earning a true income.

199Manuṣhya thōṛēhī jāntē haĩ , vah haĩ hī kaliyugī śhūdra sampradāy . 200Tum hō saṅgamyugī , puruṣhōttam ban rahē hō .

217People don't know anything. 218They are the iron-aged shudra community, whereas you are the confluence-aged community. 219You are becoming the most elevated beings.

201Jāntē hō pahlē number mē̃ puruṣhōttam yah lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ nā .

220You know that the number one, most elevated beings are Lakshmi and Narayan.

202Phir degree kam hōtī jāyēgī .

221Then their degrees continue to decrease.

203Ūpar sē nīchē ātē rahē̃gē . 204Phir āhistē-āhistē girtē rahē̃gē .

222They first come down from up above and then they gradually continue to fall.

205Is samay sab gir chukē haĩ .

223At this time. everyone has fallen.

206Jhāṛ purānā hō chukā hai , tanā saṛ gayā hai .

224The tree has become very old and the trunk has decayed.

207Ab phir sthāpanā hōtī hai . 208Foundation lagtā hai nā .

225Therefore, the establishment is now taking place; the foundation is being laid.

209Kalam kitnā chhōṭā hōtā hai phir unsē kitnā baṛā jhāṛ baṛh jātā hai .

226The sapling is very small. 227Then, such a big tree grows from it.

210Yah bhī jhāṛ hai , satyug mē̃ bahut chhōṭā jhāṛ hōtā hai .

228There is this tree in the golden age too. 229At that time, the tree is very small.

211Ab kitnā baṛā jhāṛ hai .

230Now it is very big.

212Variety fool|phūl kitnē haĩ , manuṣhya sr̥iṣhṭi K|kē . 213Ēk hī jhāṛ mē̃ kitnī variety hai .

231There are so many varieties of flowers of the human world; there are so many varieties on just the one tree.

214Anēk variety dharmō̃ kā jhāṛ hai manuṣhyō̃ kā .

232This is the human tree of the variety of religions.

215Ēk sūrat na milē dūsrē sē .

233One person's face cannot be identical to another’s.

216Banā-banāyā drama hai nā . 217Ēk jaisā part kōī kā hō nahī̃ saktā .

234It is predestined in the drama that no two people can play the same part.

218Inkō kahā jātā hai kudratī banā-banāyā bēhad kā drama , inmē̃ bhī banāvaṭ bahut hai .

235This is called an unlimited, predestined, wonderful drama, and there are many artificial things in this too.

219Jō chīz real hōtī hai vah khatm bhī hōtī hai .

236The things that are real continue to be used up.

220Phir 5 hazār varṣh kē bād reality mē̃ āyēṅgē .

237Then, once again, after 5000 years, they come into reality (existence).

221Chitra ādi bhī kōī real banē huē thōṛēhī haĩ .

238The pictures, etc. that have been made are not real (true likenesses).

222Brahmā key|kī bhī śhakla phir 5 hazār varṣh bād tum dēkhē̃gē .

239You will see the face of Brahma again after 5000 years.

223Is drama K|kē rāz kō samajhnē mē̃ buddhi baṛī viśhāl chāhiē .

240You need a broad and unlimited intellect in order to understand the secrets of this drama.

224Aur kuchh na samjhō sirph ēk bāt buddhi mē̃ rakhō - ēk śhivbābā dūsrā na kōī .

241Even if you don't understand anything else, just keep one thing in your intellect: “I belong to only Shiv Baba and none other.”

225Yah ātmā nē kahā - bābā , ham āpkō hī yād karē̃gē .

242The soul says: “Baba, I will only remember You.”

226Yah tō sahaj hai nā .

243This is easy.

227Hāthō̃ sē karma kartē rahō aur buddhi sē bāp kō yād kartē rahō .

244While you continue to work with your hands, continue to remember the Father with your intellect.

228Achchhā  !

245Achcha.

229Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

246To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and Good morning from the Mother, the Father, BapDada.

230Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

247The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

231Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

248Essence for dharna:

2321 ) sahanśhīltā kā guṇ dhāraṇ kar māyā K|kē vighnō̃ mē̃ pās|pass hōnā hai .

2491. Imbibe the virtue of tolerance and pass all the obstacles of Maya.

233Anēk āpdāyē̃ āyēṅgī , atyāchār hōṅgē - aisē samay par sahan kartē bāp kī yād mē̃ rahnā hai , sachchī kamāī karnī hai .

250At the time when many calamities come and a lot of assaults take place, you have to stay in remembrance of the Father and tolerate everything. 251Earn a true income.

2342 ) viśhāl buddhi ban is banē banāyē drama kō achchhī rīti samajhnā hai , yah kudratī drama banā huā hai isliē praśhna uṭh nahī̃ saktā .

2522. Become one who has a broad and unlimited intellect and who very clearly understands this predestined drama. 253Everything in this wonderful drama is predestined. 254Therefore, no questions can arise.

235Bāp jō achchhī mat dētē haĩ , us par chaltē rahnā hai .

255Continue to follow the directions that the Father gives you.

Blessing

236Vardān  : māyājīt , vijayī bannē K|kē sāth-sāth par upkārī bhav

256Blessing: May you be the one who uplifts others and together with becoming victorious, become a conqueror of Maya.

237Abhī tak sva kalyāṇ mē̃ bahut samay jā rahā hai .

257At present, a lot of time is being spent on benefiting yourself.

238Ab par upkārī banō .

258Now, become one who uplifts others.

239Māyājīt vijayī bannē kē sāth sāth sarv khajānō̃ K|kē vidhātā banō arthāt her|har khajānē kō kārya mē̃ lagāō .

259As well as becoming a conqueror of Maya, become a bestower of all treasures, that is, use every treasure.

240Khuśhī kā khajānā , śhānti kā khajānā , śhaktiyō̃ kā khajānā , gyān kā khajānā , guṇō̃ kā khajānā , sahyōg dēnē kā khajānā bāṇṭō aur baṛhāō .

260Share and increase your treasures of happiness, powers, knowledge and virtues while giving co-operation.

241Jab abhī vidhātā pan key|kī sthiti kā anubhav karē̃gē arthāt par upkārī banē̃gē tab anēk janm viśhva rājya adhikārī banē̃gē .

261When you experience the stage of a bestower, that is, when you become one who uplifts others, you will then claim a right to the kingdom of the world for many births.

Slogan

242Slōgan  : viśhva kalyāṇkārī bannā hai tō apnī sarv kamjōriyō̃ kō sadākāl kē liē vidāī dō .

262Slogan: In order to become a world benefactor, bid farewell to all your weaknesses for all time.

263*** Om Shanti ***

243Avyakt iśhārē - ab lagan key|kī agni kō prajvalit kar yōg kō jvālā rūp banāō

264Avyakt Signal: Now ignite the fire of love and make your yoga volcanic.

244Jaisē kilā bāndhā jātā hai , jissē prajā kilē K|kē andar safe rahē .

265A fortress is built so that people can stay safe within it.

245Ēk rājā kē liē kōṭhrī nahī̃ banātē , kilā banātē haĩ .

266You would not create a small alcove for a king, you would build a fortress.

246Āp sabhī bhī svayã kē liē , sāthiyō̃ kē liē , anya ātmāō̃ kē liē jvālā rūp yād kā kilā bāndhō .

267All of you have to build a fortress of volcanic remembrance for yourself, for your companions and for all other souls.

247Yād K|kē śhakti key|kī jvālā hō tō her|har ātmā safety kā anubhav karēgī .

268When there is the volcano of the power of remembrance, all souls will then experience safety.