सोमवार 27 अक्टूबर 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

027-10-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

027/10/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1Mīṭhēbaccē - «  nāzukapanā bhī dēh-abhimān hai , rūsnā , rōnā yah sab āsurī saṅskār tum bachchō̃ mē̃ nahī̃ hōnē chāhiē , duḥkh-sukh , mān-apmān sab sahan karnā hai ' '

1Essence: Sweet children, to be delicate is to have body consciousness. 2You children must not have any devilish sanskar of sulking or crying. 3You have to tolerate happiness and sorrow, respect and disrespect.

Question

2Praśhna  : service mē̃ ḍhīlāpan ānē kā mukhya kāraṇ kyā hai  ?

4Question: What is the main reason for service becoming slack?

Answer

3Uttar  : jab dēh-abhimān K|kē kāraṇ ēk dō key|kī khāmiyā̃ dēkhnē lagtē haĩ tab service mē̃ ḍhīlāpan ātā hai .

5Answer: Service becomes slack when, out of body consciousness, you begin to look at the weaknesses of one another.

4Āpas mē̃ anbanī hōnā bhī dēh-abhimān hai .

6Not to get on with someone is also to have body consciousness.

5Maĩ phalānē kē sāth nahī̃ chal saktā , maĩ yahā̃ nahī̃ rah saktā … yah sab nāzukapanā hai .

7It is being delicate to say: I can’t live with so-and-so; I can’t stay here.

6Yah bōl mukh sē nikālnā mānā kāṇṭē bannā , nāpharmānbardār bannā .

8To say these words means to become a thorn and be disobedient.

7Bābā kahtē bachchē , tum rūhānī military hō isliē order huā tō phauran hāzir hōnā chāhiē .

9Baba says: Children, you are the spiritual military and you therefore have to be present as soon as you receive an order.

8Kōī bhī bāt mē̃ ānākānī mat karō .

10Don’t make excuses about anything.

Murli

9Ōm śhānti .

11Om shanti.

10Rūhānī bāp baiṭh rūhānī bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

12The spiritual Father sits here and explains to you spiritual children.

11Bachchō̃ kō pahlē-pahlē yah śhikṣhā miltī hai ki apnē kō ātmā niśhchay karō .

13The first teaching that you children receive is to consider yourselves to be souls.

12Dēh-abhimān chhōṛ dēhī-abhimānī bannā hai .

14Let go of body consciousness and become soul conscious.

13Ham ātmā haĩ , dēhī-abhimānī banē̃ tab hī bāp kō yād kar sakē̃ .

15I am a soul. 16Only when I become soul conscious can I remember the Father.

14Vah hai agyānkāl . 15Yah hai gyān kāl .

17That is the path of ignorance and this is the path of knowledge.

16Gyān tō ēk hī bāp dētē haĩ jō sarv key|kī sadgati kartē haĩ .

18Only the one Father who grants salvation to everyone gives you this knowledge.

17Aur vah hai nirākār arthāt unkā kōī manuṣhya ākār nahī̃ hai .

19He is incorporeal, that is, He doesn’t have a human form.

18Jiskō manuṣhya kā ākār hai unkō bhagvān nahī̃ kah saktē .

20No one with a human form can be God.

19Ab ātmāyē̃ tō sab nirākārī hī haĩ . 20Parantu dēh-abhimān mē̃ ānē sē apnē kō ātmā bhūl gayē haĩ .

21All souls are incorporeal but, because of becoming body conscious, they have forgotten that they are souls.

21Ab bāp kahtē haĩ tumkō vāpis jānā hai .

22The Father says: You now have to return home.

22Apnē kō ātmā samjhō , ātmā samajh bāp kō yād karō tab janma-janmāntar K|kē pāp bhasma hō̃ , aur kōī upāya nahī̃ .

23Consider yourselves to be souls. 24Only when you consider yourselves to be souls and you remember the Father can your sins of many births be burnt away. 25There is no other way to do this.

23Ātmā hī patit , ātmā hī pāvan bantī hai .

26It is souls who become impure and souls who become pure.

24Bāp nē samjhāyā hai pāvan ātmāyē̃ haĩ satyug-trētā mē̃ .

27The Father has explained that pure souls exist in the golden and silver ages.

25Patit ātmā phir rāvaṇ rājya mē̃ bantī haĩ .

28Souls then become impure in the kingdom of Ravan.

26Sīṛhī mē̃ bhī samjhāyā hai jō pāvan thē vah patit banē haĩ .

29It is also explained in the picture of the ladder how those who were pure became impure.

275 hazār varṣh pahlē tum sab ātmāyē̃ śhāntidhām mē̃ pāvan thī .

30Five thousand years ago, when you souls were in the abode of peace, you were pure.

28Uskō kahā hī jātā hai nirvāṇdhām .

31That is also called the land of Nirvana.

29Phir kaliyug mē̃ patit bantē haĩ tab chillātē haĩ - hē patit-pāvan āō .

32Later, in the iron age, when you became impure, you cried out: O Purifier come!

30Bābā samjhātē haĩ - bachchē , maĩ jō tumkō gyān dē rahā hū̃ patit sē pāvan hōnē kā , vah sirph maĩ hī dētā hū̃ jō phir prāyaḥ lōp hō jātā hai .

33The Father explains: Children, only I can give you this knowledge of changing from impure to pure. 34This knowledge then disappears.

31Bāp kō hī ākar sunānā paṛtā hai .

35The Father Himself has to come and give us this knowledge.

32Yahā̃ manuṣhyō̃ nē athāh śhāstra banāyē haĩ .

36Here, human beings have created many scriptures.

33Satyug mē̃ kōī śhāstra hōtā hī nahī̃ .

37In the golden age, there are no scriptures.

34Vahā̃ bhakti mārg riñchak bhī nahī̃ .

38There is not a trace of the path of devotion there.

35Abhī bāp kahtē haĩ tum mērē dvārā hī patit sē pāvan ban saktē hō .

39The Father says: Only through Me can you become pure from impure.

36Pāvan duniyā jarūr bannī hī hai .

40A pure world definitely has to be created.

37Maĩ tō bachchō̃ kō hī ākar rājyōg sikhātā hū̃ .

41I come and teach you children Raja Yoga.

38Daivīguṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .

42You also have to imbibe divine virtues.

39Rūsnā , rōnā yah sab āsurī svabhāv hai .

43To sulk or cry is to have a devilish nature.

40Bāp kahtē haĩ duḥkh-sukh , mān-apmān sab bachchō̃ kō sahan karnā hai .

44The Father says: You children have to tolerate happiness and sorrow, respect and disrespect.

41Nāzukapanā nahī̃ .

45You mustn’t become delicate.

42Maĩ phalānē sthān par nahī̃ rah saktī hū̃ , yah bhī nāzukapanā hai .

46To say “I cannot stay in this place” is also being delicate.

43Inkā svabhāv aisā hai , yah aisā hai , vaisā hai , yah kuchh bhī rahnā nahī̃ chāhiē .

47You shouldn’t have any thoughts such as, “This one’s nature is like this. 48This one is like that.”

44Mukh sē sadaiv fool|phūl hī nikalē̃ .

49Let only flowers constantly emerge from your lips.

45Kāṇṭā nahī̃ nikalnā chāhiē .

50Don’t allow thorns to emerge from your lips.

46Kitnē bachchō̃ K|kē mukh sē kāṇṭē bahut nikaltē haĩ .

51So many children still allow thorns to emerge from their lips.

47Kiskō gussā karnā bhī kāṇṭā hai .

52To become angry with someone is also being a thorn.

48Ēk-dō mē̃ bachchō̃ key|kī anbanī bahut hōtī hai .

53Many children are unable to get on with one another.

49Dēh-abhimān hōnē kāraṇ ēk dō key|kī khāmiyā̃ dēkhtē khud mē̃ anēk prakār key|kī khāmiyā̃ rah jātī haĩ , isliē phir service ḍhīlī paṛ jātī hai .

54Because of being body conscious, they continue to look at the weaknesses of others, and this is why their own weaknesses are left in them. 55This is how service becomes slack.

50Bābā samajhtē haĩ - yah bhī drama anusār hōtā hai .

56Baba understands that this too happens according to the drama.

51Sudharnā bhī tō hai .

57Each one has to be reformed.

52Military K|kē lōg jab laṛāī mē̃ jātē haĩ tō unhō̃ kā kām hī hai duśhman sē laṛnā .

58When the military go to war, their duty is to fight the enemy.

53Floods hōtī haĩ vā kuchh haṅgāmā huā tō bhī bahut military kō bulātē haĩ .

59The military are also called in when there are floods or some upheaval.

54Phir military K|kē lōg mazadūrō̃ ādi kā kām bhī karnē lag paṛtē haĩ .

60Then, the military start doing the work of labourers.

55Government military kō order kartī hai - yah miṭṭī sārī bharō .

61The Government orders the military to clear mud etc.

56Agar kōī na āyā tō gōlī K|kē mũh mē̃ .

62If someone doesn’t go, he would be shot.

57Government kā order mānnā hī paṛē .

63The Government’s orders have to be obeyed.

58Bāp kahtē haĩ tum bhī service kē liē bāndhē huē hō .

64The Father says: You are also bound to do service.

59Bāp jahā̃ bhī service par jānē kē liē bōlē , jhaṭ hāzir hōnā chāhiē .

65You immediately have to be ready to do service wherever the Father asks you to go and do it.

60Nahī̃ mānā tō military nahī̃ kahē̃gē .

66If you don’t accept this, you are not counted as part of this military.

61Vah phir dil par nahī̃ chaṛhtē .

67Such ones are unable to sit in the Father’s heart.

62Tum bāp K|kē madadgār hō sabkō paigām dēnē mē̃ .

68You are the Father’s helpers in giving everyone the message.

63Ab samjhō kahā̃ baṛā museum khōltē haĩ , kahtē haĩ 10 mile dūr hai , service par tō jānā paṛē nā .

69For instance, when a big museum is opened somewhere 10 miles away you still have to go and do service there.

64Kharchē kā khyāl thōṛēhī karnā hai .

70You mustn’t think about the cost.

65Baṛē sē baṛī government bēhad K|kē bāp kā order miltā hai , jiskā right hand phir dharmarāj hai .

71You are receiving the orders of the highest-on-high Government, the unlimited Father, whose right hand is Dharamraj.

66Unkī śhrīmat par na chalnē sē phir gir paṛtē haĩ .

72If you don’t follow His shrimat, you fall.

67Śhrīmat kahtī hai apnī āṅkhō̃ kō civil banāō .

73Shrimat says: Make your eyes civil.

68Kām par jīt pānē key|kī himmat rakhnī chāhiē .

74Have the courage to conquer lust.

69Bābā kā hukm hai , agar ham nahī̃ mānē̃gē tō ēkdam chaknāchūr hō jāyēṅgē .

75These are Baba’s orders. 76If you don’t follow them, you become totally crushed.

7021 janmō̃ key|kī rājāī mē̃ rōlā paṛ jāyēgā .

77You will then lose out on claiming a kingdom for 21 births.

71Bāp kahtē haĩ mujhē bachchō̃ K|kē bigar tō kabhī kōī jān na sakē .

78The Father says: No one except you children can know Me.

72Kalp pahlē vālē hī āhistē-āhistē nikaltē rahē̃gē .

79Those who came in the previous cycle will gradually continue to emerge again.

73Yah haĩ bilkul naī-naī bātē̃ .

80These are absolutely new things.

74Yah hai gītā kā yug . 75Parantu śhāstrō̃ mē̃ is saṅgamyug kā varṇan nahī̃ hai .

81This is the age of the Gita, but there is no mention of the confluence age in the scriptures.

76Gītā kō hī dvāpar mē̃ lē gayē haĩ . 77Lēkin jab rājyōg sikhāyā tō jarūr saṅgam hōgā nā .

82They have shown the Gita in the copper age, but it must surely have been at the confluence age when Raja Yoga was taught.

78Parantu kiskī bhī buddhi mē̃ yah bātē̃ nahī̃ haĩ .

83These things are not in anyone’s intellect.

79Abhī tumhē̃ gyān kā naśhā chaṛhā huā hai . 80Manuṣhyō̃ kō hai bhakti mārg kā naśhā .

84You now have the intoxication of this knowledge, whereas those people have the intoxication of the path of devotion.

81Kahtē haĩ bhagvān bhī ā jāē tō bhī ham bhakti nahī̃ chhōṛē̃gē .

85They say: Even if God were to come, we would not stop doing devotion.

82Yah utthān aur patan key|kī sīṛhī bahut achchhī hai , tō bhī manuṣhyō̃ key|kī āṅkhē̃ nahī̃ khultī haĩ .

86This picture of the ladder showing the rise and fall is very good. 87In spite of that, people’s eyes don’t open.

83Māyā K|kē naśhē mē̃ ēkdam chaknāchūr haĩ .

88They are totally engrossed in the intoxication of Maya.

84Gyān kā naśhā bahut dērī sē chaṛhtā hai .

89It takes a long time before the intoxication of this knowledge rises.

85Pahlē tō daivīguṇ bhī chāhiē .

90First of all, divine virtues are needed.

86Bāp kā kōī bhī order huā tō usmē̃ ānākānī nahī̃ karnī hai .

91Whatever orders the Father gives you, you mustn’t make any excuse.

87Yah maĩ nahī̃ kar saktā hū̃ , iskō kahā jātā hai nāpharmānbardār .

92To say, “I can’t do that”, is to be disobedient.

88Śhrīmat miltī hai aisā-aisā karnā hai tō samajhnā chāhiē ki śhivbābā key|kī śhrēṣhṭh mat hai .

93When you receive shrimat to do something, understand that that is Shiv Baba’s elevated direction.

89Vah hai hī sadgati dātā .

94Shiv Baba is the Bestower of Salvation.

90Dātā kabhī ulṭī mat nahī̃ dēgē .

95The Bestower can never give wrong directions.

91Bāp kahtē haĩ maĩ inkē bahut janmō̃ K|kē ant mē̃ pravēśh kartā hū̃ .

96The Father says: I enter this one at the end of his many births.

92Insē bhī dēkhō lakṣhmī ūñch chalī jātī hai .

97Look how Lakshmi goes ahead of him.

93Gāyan bhī hai - female kō āgē rakhā jātā hai .

98It is remembered that the females are always placed at the front.

94Pahlē lakṣhmī phir nārāyaṇ , yathā rājā rānī tathā prajā hō jātī hai .

99First is Lakshmi, then Narayan. 100As are the king and queen, so the subjects.

95Tumkō bhī aisā śhrēṣhṭh bannā hai .

101You have to become just as elevated.

96Is samay tō sārī duniyā mē̃ rāvaṇ rājya hai .

102It is now Ravan’s kingdom over the whole world.

97Sabhī kahtē haĩ rāmrājya chāhiē .

103Everyone says that they want the kingdom of God (Rama).

98Ab hai saṅgam .

104It is now the confluence age.

99Jab in lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tō rāvaṇ rājya nahī̃ thā , phir change kaisē hōtī hai , yah kōī nahī̃ jāntē .

105The kingdom of Ravan didn’t exist when it was the kingdom of Lakshmi and Narayan. 106No one knows how the change took place.

100Sabhī ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .

107Everyone is in total darkness.

101Samajhtē haĩ - kaliyug tō abhī chhōṭā bachchā , rēgaṛī pahan rahā hai .

108They think that the iron age is still in its infancy and at the crawling stage.

102Tō manuṣhya aur hī nīnd mē̃ sōyē huē haĩ .

109Therefore, people are sleeping even more deeply.

103Yah rūhānī knowledge , rūhānī bāp hī rūhō̃ kō dētē haĩ , rājyōg bhī sikhlātē haĩ .

110Only the spiritual Father gives you spirits this spiritual knowledge. 111He teaches you Raja Yoga.

104Śhrīkr̥iṣhṇa kō rūhānī bāp nahī̃ kahē̃gē .

112Shri Krishna cannot be called the spiritual Father.

105Vah aisē nahī̃ kahē̃gē ki hē rūhānī bachchō̃ .

113He would never say: O spiritual children.

106Yah bhī likhnā chāhiē - rūhānī knowledgeful bāp spiritual knowledge rūhānī bachchō̃ kō dētē haĩ .

114You also have to write: The spiritual, knowledge-full Father is giving spiritual children this spiritual knowledge.

107Bāp samjhātē haĩ duniyā mē̃ sabhī manuṣhya haĩ dēh-abhimānī . 108Maĩ ātmā hū̃ , yah kōī nahī̃ jāntē haĩ .

115The Father explains: All the human beings of the world are body conscious; none of them knows that they are souls.

109Bāp kahtē haĩ kiskī bhī ātmā līn nahī̃ hōtī hai .

116The Father says: No soul can ever become merged.

110Abhī tum bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai , daśhaharā , dīpāvalī kyā hai .

117It has been explained to you children what Dashera and Deepawali are.

111Manuṣhya tō jō bhī pūjā ādi kartē haĩ , sab blind faith key|kī , jiskō guḍḍī pūjā kahā jātā hai , patthar pūjā kahā jātā hai .

118All the worshipping etc. that people do is blind faith. 119It is called playing with dolls. 120It is also called worshipping stone.

112Abhī tum pārasbuddhi bantē hō tō patthar key|kī pūjā nahī̃ kar saktē hō .

121You are now becoming those with divine intellects. 122Therefore, you no longer worship stone.

113Chitrō̃ kē āgē jākar māthā ṭēktē haĩ . 114Kuchh bhī samajhtē nahī̃ .

123People go and bow their heads in front of the idols, but they don’t understand anything.

115Kahtē bhī haĩ gyān , bhakti aur vairāgya .

124It is said: Knowledge, worship and disinterest.

116Gyān ādhākalp chalā phir bhakti śhurū huī .

125This knowledge lasts for half a cycle and then worshipping begins.

117Ab tumkō gyān miltā hai tō bhakti sē vairāgya ā jātā hai .

126You are now receiving this knowledge. 127Therefore, there is disinterest in devotion.

118Yah duniyā hī badaltī hai .

128This world is changing.

119Kaliyug mē̃ bhakti hai .

129There is devotion in the iron age.

120Satyug mē̃ bhakti hōtī nahī̃ .

130There is no devotion in the golden age.

121Vahā̃ hai hī pūjya .

131There, everyone is worthy of worship.

122Bāp kahtē haĩ - bachchē , tum māthā kyō̃ ṭēktē hō .

132The Father asks: Children, why do you bow your heads?

123Ādhākalp tumnē māthā bhī ghisāyā , paisē bhī gãvāyē , milā kuchh nahī̃ .

133For half a cycle, you rubbed your heads on the floor and used up all your money and achieved nothing.

124Māyā nē ēkdam māthā mūḍ liyā hai . 125Kaṅgāl banā diyā hai .

134Maya has completely scalped you and made you poverty-stricken.

126Phir bāp ākar sabkā māthā ṭhīk kar dētē haĩ .

135The Father has now come to put everyone’s head right.

127Abhī āhistē-āhistē kuchh european lōg bhī samajhtē haĩ .

136Some Europeans have now also gradually begun to understand.

128Bābā nē samjhāyā hai - yah bhāratvāsī tō bilkul tamōguṇī ban gayē haĩ .

137Baba has explained that the people of Bharat have become completely tamoguni.

129Vah aur dharm vālē phir bhī pīchhē ātē haĩ tō sukh bhī thōṛā , duḥkh bhī thōṛā miltā hai .

138Those of other religions come later. 139Therefore, they experience less happiness and less sorrow.

130Bhāratvāsiyō̃ kō sukh bahut tō duḥkh bhī bahut hai .

140The people of Bharat experience a great deal of happiness and a great deal of sorrow.

131Śhurū mē̃ hī kitnē dhanvān ēkdam viśhva K|kē mālik hōtē haĩ .

141At the beginning, they are so wealthy; they are the masters of the world.

132Aur dharm vālē kōī pahlē thōṛēhī dhanvān hōtē haĩ .

142Those of other religions are not wealthy at first.

133Pīchhē vr̥iddhi kō pātē-pātē abhī ākar dhanvān huē haĩ .

143They become wealthy gradually after their religion has expanded.

134Ab phir sabsē bhikhārī bhī bhārat banā hai .

144Bharat has now become the poorest of all.

135Andhaśradvālū bhī bhārat hai .

145It is in Bharat that there are those with blind faith.

136Yah bhī drama banā huā hai .

146This too is predestined in the drama.

137Bāp kahtē haĩ mainnē jiskō heaven banāyā , vah hell ban gayā hai .

147The Father says: That which I made into heaven has now become hell.

138Manuṣhya bandarbuddhi ban gayē haĩ , unkō maĩ ākar mandir lāyak banātā hū̃ .

148The people here have become those with monkey intellects. 149I come to make them worthy of sitting in a temple.

139Vikār baṛē kaṛē hōtē haĩ .

150The vices are so strong.

140Krōdh kitnā hai .

151There is so much anger.

141Tumhārē mē̃ kōī krōdh nahī̃ hōnā chāhiē .

152Let there be no anger in you.

142Bilkul mīṭhē , śhānt , ati mīṭhēbanō .

153Become completely sweet and peaceful; extremely sweet.

143Yah bhī jāntē hō kōṭō mē̃ kōī hī nikaltē haĩ - rājāī pad pānē vālē .

154You also know that only a handful out of multimillions emerge to claim a royal status.

144Bāp kahtē haĩ maĩ āyā hū̃ tumkō nar sē nārāyaṇ banānē .

155The Father says: I have come to change you from ordinary humans into Narayan.

145Usmē̃ bhī 8 ratna mukhya gāyē jātē haĩ .

156In that, it is eight main jewels who are remembered.

1468 ratna aur bīch mē̃ hai bāp .

157There are eight jewels with the Father who is in the middle of them.

1478 haĩ pass with honours , sō bhī number-vār puruṣhārth anusār .

158Eight pass with honours and that too is numberwise according to the efforts they make.

148Dēh-abhimān kō tōṛnē mē̃ baṛī mēhnat lagtī hai .

159It takes a great deal of effort to break body consciousness.

149Dēh kā bhān bilkul nikal jāē .

160The consciousness of your bodies must be completely removed.

150Kōī-kōī pakkē brahm gyānī jō hōtē haĩ , unhō̃ kā bhī aisē hōtā hai .

161Some of those who strongly believe in the knowledge of the brahm element are also like that.

151Baiṭhē-baiṭhēdēh kā tyāg kar dētē haĩ .

162They renounce their bodies just while sitting somewhere.

152Baiṭhē-baiṭhēaisē śharīr chhōṛtē haĩ , vāyumaṇḍal ēkdam śhānt hō jātā hai aur aksar karkē prabhāt K|kē śhuddha samay par śharīr chhōṛtē haĩ .

163Just while sitting somewhere, they leave their bodies, and the atmosphere becomes completely quiet. 164Mostly, they leave their bodies in the pure, early hours of the morning.

153Rāt kō manuṣhya bahut gand kartē haĩ , subah kō snān ādi karkē bhagvān-bhagvān kahnē lagtē haĩ . 154Pūjā kartē haĩ .

165At night, human beings perform dirty acts and, in the morning, after bathing etc., they begin to remember God and worship Him.

155Bāp sab bātē̃ samjhātē rahtē haĩ .

166The Father continues to explain everything.

156Pradarśhanī ādi mē̃ bhī pahlē-pahlē tum alpha kā parichay dō .

167At the exhibitions etc., first of all, give Alpha’s introduction.

157Pahlē alpha aur bē .

168First Alpha, and then beta, the kingdom.

158Bāp tō ēk hī nirākār hai .

169The Father is only One. 170He is the incorporeal One.

159Bāp rachayitā hī baiṭh rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā gyān samjhātē haĩ .

171The Father, the Creator, sits here and tells you this knowledge of the beginning the middle and the end of creation.

160Vahī bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō .

172The same Father says: Constantly remember Me alone.

161Dēh K|kē sambandh chhōṛ apnē kō ātmā samajh māmēkam yād karō .

173Renounce all bodily relations. 174Consider yourselves to be souls and constantly remember Me alone.

162Bāp kā parichay tum dēgē phir kiskō himmat nahī̃ rahēgī praśhna-uttar karnē key|kī .

175When you give them the Father’s introduction, no one will have the courage to question it.

163Pahlē bāp kā niśhchay pakkā hō jāē tab bōlō 84 janm aisē liyē jātē haĩ .

176Once they have faith in the Father, tell them how we take 84 births.

164Chakra kō samajh liyā , bāp kō samajh liyā phir kōī praśnauṭhēgā nahī̃ .

177Once they have understood the cycle and the Father, they won’t have any questions.

165Bāp kā parichay dēnē bigar bākī tum tik-tik kartē hō tō usmē̃ tumhārā time bahut west|waste hō jātā hai . 166Galē hī ghuṭ jātē haĩ .

178When you rattle on, giving them this knowledge, without first giving the Father’s introduction, you waste a lot of time and your throat chokes.

167Pahlī-pahlī bāt alpha key|kī uṭhāō .

179First of all, take up the aspect of Alpha.

168Tik-tik karnē sē samajh thōṛēhī saktē haĩ .

180They won’t be able to understand anything as long as you rattle on.

169Bilkul simple rīti aur dhīrē sē baiṭh samjhānā chāhiē , jō dēhī-abhimānī hōṅgē vahī achchhā samjhā sakē̃gē .

181Sit with them and explain very slowly in a simple manner. 182Those who are soul conscious will be able to understand well.

170Baṛē-baṛē museum mē̃ achchhē-achchhē samjhānē vālō̃ kō madad dēnī paṛē .

183Those who explain well must give their help at the big museums.

171Thōṛē rōz apnā centre chhōṛ madad dēnē ā jānā hai .

184Leave your centre for a few days and go to help them.

172Pichhāṛī mē̃ centre sambhālnē kōī kō biṭhā dō .

185Appoint someone to look after your centre while you are away.

173Agar gaddī sambhālnē lāyak kōī kō āpsamān nahī̃ banāyā hai , tō bāp samajhē̃gē kōī kām K|kē nahī̃ , service nahī̃ key|kī .

186If you haven’t made anyone become like yourself and worthy of looking after your centre, the Father would think that you are of no use and haven’t done any service.

174Bābā kō likhtē haĩ service chhōṛ kaisē jāyē̃  !

187Some children write to Baba and say: How can I leave this service and go there?

175Arē bābā hukm kartē haĩ phalānī jagah pradarśhanī hai service par jāō .

188Baba is ordering you to go and do service at a particular place where there is an exhibition.

176Agar gaddī lāyak kiskō nahī̃ banāyā hai tō tum kis kām K|kē .

189If you haven’t made anyone worthy enough to look after your centre, then of what use are you?

177Bābā nē hukm kiyā - jhaṭ bhāgnā chāhiē .

190Baba has ordered you. 191Therefore, you must quickly run there.

178Mahārathī brāhmaṇī unkō kahā jātā hai .

192Such teachers are called maharathis.

179Bākī tō sab haĩ ghōṛēsavār , pyādē .

193All the rest are either the cavalry or the infantry.

180Sabkō service mē̃ madad dēnī hai .

194Everyone has to help in doing service.

181Itnē varṣh mē̃ tumnē kiskō āpsamān nahī̃ banāyā hai tō kyā kartē thē .

195If you haven’t made someone become like yourself during so many years, what have you been doing?

182Itnē samay mē̃ messenger nahī̃ banāyā hai , jō centre sambhālē̃ .

196After so much time, you still haven’t made someone into a messenger who can look after the centre?

183Kaisē-kaisē manuṣhya ātē haĩ - jinsē bāt karnē kā bhī akla chāhiē .

197So many different types of people come here. 198Therefore, you need wisdom in knowing how to talk to them.

184Murlī bhī jarūr rōz paṛhnī hai athavā sunnī hai .

199You must definitely listen to the murli every day.

185Murlī nahī̃ paṛhī gōyā absent paṛ gaī .

200If you don’t listen to the murli, you receive an absent mark.

186Tum bachchō̃ kō sārē viśhva par ghērāv ḍālnā hai .

201You children have to lay siege to (surround) the whole world.

187Tum sārē viśhva key|kī sēvā kartē hō nā .

202You children are serving the whole world.

188Patit duniyā kō pāvan banānā yah ghērāv ḍālnā hai nā .

203To make this impure world pure is to lay siege to it.

189Sabhī kō mukti-jīvanmukti dhām kā rāstā batānā hai , duḥkh sē chhuṛānā hai .

204Show everyone the path to the lands of liberation and liberation-in-life and liberate them from sorrow.

190Achchhā  !

205Achcha.

191Mīṭhē-mīṭhēsikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

206To you sweetest beloved, long-lost and now-found children, love remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

192Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

207The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

193Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

208Essence for dharna:

1941 ) bahut mīṭhē , śhānt , ati mīṭhēsvabhāv kā bannā hai .

2091. Become those with peaceful and extremely sweet natures.

195Kabhī bhī krōdh nahī̃ karnā hai .

210Never become angry.

196Apnī āṅkhō̃ kō bahut-bahut civil banānā hai .

211Make your eyes very, very civil.

1972 ) bābā jō hukm karē , usē phauran mānnā hai .

2122. Obey the Father’s orders instantly.

198Sārē viśhva kō patit sē pāvan banānē key|kī sēvā karnī hai arthāt ghērāv ḍālnā hai .

213Do the service of making this whole world pure from impure, that is, lay siege to it (surround it).

Blessing

199Vardān  : bāp kī yād dvārā asantōṣ key|kī paristhitiyō̃ mē̃ , sadā sukh va santōṣh key|kī anubhūti karnē vālē mahāvīr bhav

214Blessing: May you be a mahavir and experience happiness and contentment in situations of discontentment by having remembrance of the Father.

200Sadā bāp kī yād mē̃ rahnē vālē her|har paristhiti mē̃ sadā santuṣhṭ rahtē haĩ kyōṅki knowledge key|kī śhakti K|kē ādhār par pahāṛ māphik paristhiti bhī rāī anubhav hōtī hai , rāī arthāt kuchh nahī̃ .

215Those who constantly stay in remembrance of the Father remain content in every situation. 216This is because, on the basis of the power of this knowledge, even a situation as big as a mountain is experienced to be like a mustard seed; a mustard seed means it is nothing.

201Chāhē paristhiti asantōṣ kī hō , duḥkh key|kī ghaṭnā hō lēkin duḥkh key|kī paristhiti mē̃ sukh key|kī sthiti rahē tab kahē̃gē mahāvīr .

217Even in a situation of discontentment, or a situation of sorrow, when you maintain a stage of happiness, you would then be called a mahavir.

202Kuchh bhī hō jāē , nothing new K|kē sāth-sāth bāp key|kī smr̥iti sē sadā ēkras sthiti rah saktī hai , phir duḥkh aśhānti key|kī lahar bhī nahī̃ āyēgī .

218No matter what happens, together with “nothing new”, by having the awareness of the Father, you can have a constant and stable stage. 219No waves of sorrow or peacelessness can then come to you.

Slogan

203Slōgan  : apnā daivī svarūp sadā smr̥iti mē̃ rahē tō kōī key|kī bhī vyarth nazar nahī̃ jā saktī .

220Slogan: Constantly keep your divine form in your awareness and no one will be able to look at you in a wasteful way.

221*** Om Shanti ***

204Avyakt iśhārē - svayã aur sarv kē prati mansā dvārā yōg key|kī śhaktiyō̃ kā prayōg karō

222Avyakt Signal: Experiment on yourself and others with your mind with the powers of yoga.

205Jaisē science key|kī śhakti kā prayōg light K|kē ādhār par hōtā hai . 206Agar computer bhī chaltā hai tō computer might hai lēkin ādhār light hai .

223Electricity (light) is the basis of experimenting with the power of science, and a computer is considered to be might, but its basis is light.

207Aisē āpkē silence key|kī śhakti kā bhī ādhār light hai .

224In the same way, the basis of your power of silence is also light.

208Jab vah prakr̥iti key|kī light anēk prakār K|kē prayōg practical mē̃ karkē dikhātī hai tō āpkī avināśhī paramātma light , ātmik light aur sāth-sāth practical sthiti light , tō issē kyā nahī̃ prayōg hō saktā  !

225Since many types of experiments can be shown in practice by physical light, what can you not experiment with when you have the imperishable light of God, the light of your soul and the light of your practical stage.