शनिवार 22 नवंबर 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
022-11-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
022/11/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - sabkō yah khuśhkhabarī sunāō ki ab deity dynasty sthāpan hō rahī hai , jab viceless world hōgī tab bākī sab vināśh hō jāyēṅgē ' '
1Essence: Sweet children, give everyone the good news that the deity dynasty is being established. 2When the world becomes viceless, everything else will be destroyed.
Question
2Praśhna : rāvaṇ kā śhrāp kab miltā hai , śhrāpit hōnē key|kī niśhānī kyā hai ?
3Question: When does Ravan curse you and what is the sign of being cursed?
Answer
3Uttar : jab tum dēh-abhimānī bantē hō tab rāvaṇ kā śhrāp mil jātā hai .
4Answer: You receive Ravan’s curse when you become body conscious.
4Śhrāpit ātmāyē̃ kaṅgāl vikārī bantī jātī haĩ , nīchē utartī jātī haĩ .
5Souls who are cursed become poverty-stricken and vicious; they continue to come down.
5Ab bāp sē varsā lēnē kē liē dēhī-abhimānī bannā hai .
6Now, in order to claim your inheritance from the Father, become soul conscious.
6Apnī dr̥iṣhṭi-vr̥itti kō pāvan banānā hai .
7Make your vision and attitude pure.
Murli
7Ōm śhānti .
8Om shanti.
8Rūhānī bāp baiṭh rūhānī bachchō̃ kō 84 janmō̃ key|kī kahānī sunātē haĩ .
9The spiritual Father sits here and tells you spiritual children the story of your 84 births.
9Yah tō samajhtē hō sabhī tō 84 janm nahī̃ lētē hōṅgē .
10You understand that not everyone takes 84 births.
10Tum hī pahlē-pahlē satyug ādi mē̃ pūjya dēvī-dēvtā thē .
11You were worthy-of-worship deities at the beginning of the golden age.
11Bhārat mē̃ pahlē pūjya dēvī-dēvtā dharm kā hī rājya thā .
12At first, in Bharat, there was the kingdom of the religion of worthy-of-worship deities.
12Lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā tō jarūr dynasty hōgī .
13It was the kingdom of Lakshmi and Narayan. 14Therefore, there must surely have been a dynasty.
13Rājāī gharānē K|kē mitra-sambandhī bhī hōṅgē .
15There would also have been friends and relatives of the royal clan.
14Prajā bhī hōgī .
16There would have been subjects too.
15Yah jaisē ēk kahānī hai .
17This is like a story.
165 hazār varṣh pahlē bhī inkā rājya thā - yah smr̥iti mē̃ lātē haĩ .
18You remember that it became their kingdom 5000 years ago.
17Bhārat mē̃ ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm kā rājya thā .
19It was the kingdom of deities of the original deity religion in Bharat.
18Yah bēhad kā bāp baiṭh samjhātē haĩ , jiskō hī knowledgeful kahā jātā hai .
20The unlimited Father, who is knowledge-full, sits here and explains this.
19Knowledge kis chīz key|kī ?
21Of which aspect is this knowledge?
20Manuṣhya samajhtē haĩ vah sabkē andar kō , karma vikarma kō jānnē vālā hai .
22People believe that He knows what is inside everyone, that He knows everyone’s actions and sinful actions.
21Parantu abhī bāp samjhātē haĩ - har ēk ātmā kō apnā-apnā part milā huā hai .
23However, the Father now explains: each soul has received his own part.
22Sabhī ātmāyē̃ apnē paramdhām mē̃ rahtī haĩ .
24All souls reside in the supreme abode.
23Unmē̃ sārā part bharā huā hai .
25Their whole parts are recorded in them.
24Ready baiṭhē haĩ ki jākar karmakṣhētra par apnā part bajāyē̃ .
26They sit there ready to go and play their parts on this field of action.
25Yah bhī tum samajhtē hō ham ātmāyē̃ sab kuchh kartī haĩ .
27You understand that it is the soul who does everything.
26Ātmā hī kahtī hai yah khaṭṭā hai , yah namkīn hai .
28It is the soul who says that something is sour or that something is salty.
27Ātmā hī samajhtī hai - ham abhī vikārī pāp ātmāyē̃ haĩ . 28Āsurī svabhāv hai .
29It is souls who understand they are now vicious sinners, that they have devilish natures.
29Ātmā hī yahā̃ karmakṣhētra par śharīr lēkar sārā part bajātī hai .
30It is souls who adopt bodies and play their entire parts here on this field of action.
30Tō yah niśhchay karnā chāhiē nā ! 31Ham ātmā hī sab kuchh kartī hū̃ .
31Therefore, you should have the faith: I, a soul, am doing everything.
32Abhī bāp sē milē haĩ phir 5 hazār varṣh bād milē̃gē .
32We have now met the Father and we will meet Him again after 5000 years.
33Yah bhī samajhtē hō pūjya aur pujārī , pāvan aur patit bantē āyē haĩ .
33You understand that souls were worthy of worship and then become worshippers, that they were pure and then impure.
34Jab pūjya haĩ tō patit kōī hō na sakē .
34When they are worthy of worship, there cannot be any impure beings.
35Jab pujārī haĩ tō pāvan kōī hō na sakē .
35When they are worshippers, there cannot be any pure beings.
36Satyug mē̃ hai hī pāvan pūjya .
36In the golden age, they are pure and worthy of worship.
37Jab dvāpar sē rāvaṇ rājya śhurū hōtā hai tab sabhī patit pujārī bantē haĩ .
37When the kingdom of Ravan begins in the copper age, all become impure worshippers.
38Śhivbābā kahtē haĩ dēkhō śhaṅkarāchārya bhī mērā pujārī hai . 39Mērē kō pūjtē haĩ nā .
38Shiv Baba says: Look, Shankaracharya is also My worshipper; he worships Me.
40Śhiv kā chitra kōī kē pās hīrē kā , kōī kē pās sōnē kā , kōī kē pās chāndī kā hōtā hai .
39Some have an image of Shiva made of diamonds, some of gold and others of silver.
41Ab jō pūjā kartē haĩ , us pujārī kō pūjya tō kah nahī̃ saktē .
40Worshippers who worship now cannot be called worthy of worship.
42Sārī duniyā mē̃ is samay pūjya ēk bhī hō nahī̃ saktā .
41There cannot be a single worthy-of-worship person in the whole world at this time.
43Pūjya pavitra hōtē haĩ phir apavitr bantē haĩ .
42Those who are worthy of worship are pure and then they become impure.
44Pavitra hōtē haĩ naī duniyā mē̃ .
43Pure ones exist in the new world.
45Pavitra hī pūjē jātē haĩ .
44Only those who are pure are worshipped.
46Jaisē kumārī jab pavitra hai tō pūjnē lāyak hai , apavitr bantī hai tō phir sabkē āgē sir jhukānā paṛtā hai .
45It is just as when a girl is pure she is worshipped, but when she becomes impure she has to bow down to everyone.
47Pūjā kī kitnī sāmagrī hai .
46There is so much paraphernalia in worshipping.
48Kahā̃ bhī pradarśhanī , museum ādi khōltē hō tō ūpar mē̃ trimūrti śhiv jarūr chāhiē .
47Whenever you inaugurate a museum or an exhibition you must definitely write, “Trimurti Shiva”.
49Nīchē mē̃ yah lakṣhmī-nārāyaṇ aim object .
48Beneath that, there is the aim and objective: Lakshmi and Narayan.
50Ham yah pūjya dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā kar rahē haĩ .
49“We are establishing the religion of worthy-of-worship deities.
51Vahā̃ phir kōī aur dharm nahī̃ rahtā .
50There are no other religions there.”
52Tum samjhā saktē hō , pradarśhanī mē̃ tō bhāṣhaṇ ādi kar nahī̃ sakē̃gē .
51You can explain this. 52You are not able to give lectures, etc. at exhibitions.
53Samjhānē kē liē phir alag prabandh hōnā chāhiē .
53Other arrangements have to be made to explain to them.
54Mukhya bāt hī yah hai - ham bhāratvāsiyō̃ kō khuśhkhabarī sunātē haĩ .
54The main thing is this: We are giving good news to the people of Bharat.
55Ham yah rājya sthāpan kar rahē haĩ .
55We are establishing this kingdom.
56Yah deity dynasty thī , ab nahī̃ hai phir sē inkī sthāpanā hōtī hai aur sab vināśh hō jāyēṅgē .
56This deity dynasty used to exist; it doesn’t exist any more. 57However, it is now being established again and everything will then be destroyed.
57Satyug mē̃ jab yah ēk dharm thā tō anēk dharm thē nahī̃ .
58When there was the one religion in the golden age, none of the innumerable religions existed.
58Ab yah anēk dharm milkar ēk hō jāē̃ , vah tō hō na sakē .
59It is not possible for all the many religions to become united and become one.
59Vah ātē hī ēk-dō K|kē pichhāṛī haĩ aur vr̥iddhi kō pātē rahtē haĩ .
60They come one after another and continue to grow.
60Pahlā ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm prāyaḥlōp hai .
61The first and original, eternal, deity religion has disappeared.
61Kōī bhī nahī̃ jō apnē kō dēvī-dēvtā dharm kā kahlā sakē .
62No one can call himself someone of the original, eternal, deity religion.
62Inkō kahā hī jātā hai vicious world .
63This world is called a vicious world.
63Tum kah saktē hō ham āpkō khuśhkhabarī sunātē haĩ - śhivbābā vice-less world sthāpan kar rahē haĩ .
64You can tell them: “We are giving you the good news that Shiv Baba is establishing a viceless world.
64Ham prajāpitā brahmā key|kī santān brahmākumār-kumāriyā̃ haĩ nā .
65We are the children of Prajapita Brahma, Brahma Kumars and Kumaris.
65Pahlē-pahlē tō ham bhāī haĩ phir rachnā hōtī hai tō jarūr bhāī-bahin hōṅgē .
66First of all, we are brothers. 67Then, when creation takes place, we become brothers and sisters.”
66Sab kahtē haĩ bābā ham āpkē bachchē haĩ tō bhāī-bahin key|kī criminal eye jā na sakē .
68All of you say: “Baba, we have become Your children.” 69Therefore, brothers and sisters mustn’t have criminal vision.
67Yah antim janm pavitra bannā hai , tab hī pavitra viśhva K|kē mālik ban sakē̃gē .
70Become pure in this last birth because only then will you become the masters of that pure world.
68Tum jāntē hō gati-sadgati dātā hai hī ēk bāp .
71You know that only the one Father is the Bestower of Liberation and Salvation.
69Purānī duniyā badalkar jarūr naī duniyā sthāpan hōnī hai .
72This old world will definitely change; a new one will be established.
70Vō tō bhagvān hī karē̃gē .
73Only God can do that.
71Ab vah naī duniyā kaisē create kartē haĩ , yah tum bachchē hī jāntē hō .
74You children now understand how He creates that new world.
72Abhī purānī duniyā bhī hai , yah kōī khalās nahī̃ huī hai .
75This old world also exists; it hasn’t finished.
73Chitrō̃ mē̃ bhī hai brahmā dvārā sthāpanā .
76Establishment through Brahma has also been shown in the pictures.
74Inkā yah bahut janmō̃ K|kē ant kā janm hai .
77This is the last of his many births.
75Brahmā key|kī jōṛī nahī̃ , brahmā key|kī tō adoption hai .
78Brahma doesn’t have a partner; there is the adoption of Brahma.
76Samjhānē key|kī baṛī yukti chāhiē .
79You need to explain with great tact.
77Śhivbābā brahmā mē̃ pravēśh kar hamkō apnā banātē haĩ .
80Shiv Baba enters Brahma and makes us belong to Him.
78Śharīr mē̃ pravēśh karē tab tō kahē - hē ātmā , tum hamārē bachchē hō .
81It is only when He enters a body that He can say: O soul, you are My child.
79Ātmāyē̃ tō haĩ hī phir brahmā dvārā sr̥iṣhṭi rachī jāyēgī tō jarūr brahmākumār-kumāriyā̃ hōṅgē nā , tō bahan-bhāī hō gayē .
82Souls exist anyway and then, when the world is being created through Brahma, there are definitely Brahma Kumars and Kumaris. 83Therefore, they are brothers and sisters.
80Dūsrī dr̥iṣhṭi nikal jātī hai .
84Any other type of vision finishes.
81Ham śhivbābā sē pāvan bannē kā varsā lētē haĩ .
85We are receiving our inheritance of purity from Shiv Baba.
82Rāvaṇ sē hamkō śhrāp miltā hai .
86We receive a curse from Ravan.
83Abhī ham dēhī-abhimānī bantē haĩ tō bāp sē varsā miltā hai .
87When we become soul conscious, we receive our inheritance from the Father.
84Dēh-abhimānī bannē sē rāvaṇ kā śhrāp miltā hai .
88When we become body conscious, we receive a curse from Ravan.
85Śhrāp milnē sē nīchē utartē jātē haĩ .
89By being cursed, we continue to come down.
86Abhī bhārat śhrāpit hai nā .
90Bharat is now cursed.
87Bhārat kō itnā kaṅgāl vikārī kisnē banāyā ?
91Who made Bharat so poverty-stricken and vicious?
88Kōī kā tō śhrāp hai nā .
92It must have been cursed by someone.
89Yah hai rāvaṇ rūpī māyā kā śhrāp .
93This was the curse of Maya, Ravan.
90Her|har varṣh rāvaṇ kō jalātē haĩ tō jarūr duśhman hai nā .
94People burn an effigy of Ravan every year and so he must surely be an enemy.
91Dharm mē̃ hī tākat hōtī hai .
95“Religion is might”.
92Abhī ham dēvtā dharm K|kē bantē haĩ .
96We are now becoming those of the deity religion.
93Bābā nayē dharm key|kī sthāpanā karnē nimitt hai .
97Baba is the instrument to establish that new religion.
94Kitnī tākat vālā dharm sthāpan kartē haĩ .
98He establishes such a powerful religion.
95Ham bābā sē tākat lētē haĩ , sārē viśhva par vijay pātē haĩ .
99We receive strength from Baba and gain victory over the whole world.
96Yād kī yātrā sē hī tākat miltī hai aur vikarma vināśh hōtē haĩ .
100We receive strength on the pilgrimage of remembrance and our sins are absolved.
97Tō yah bhī ēk bhītī likh dēnī chāhiē . 98Ham khuśhkhabarī sunātē haĩ .
101So, also write about this temptation: “We are giving you good news.
99Ab is dharm key|kī sthāpanā hō rahī hai jiskō hī heaven , svarg kahtē haĩ .
102This religion is being established. 103It is called heaven.”
100Aisē baṛē-baṛē akṣharō̃ mē̃ likh dō .
104Write this in big letters.
101Bābā rāy dētē haĩ - sabsē mukhya hai yah .
105Baba advises you: Of all the religions this is the main one.
102Ab ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā hō rahī hai .
106The original, eternal, deity religion is being established.
103Prajāpitā brahmā bhī baiṭhā hai .
107Prajapita Brahma is also sitting here.
104Ham prajāpitā brahmākumār-kumāriyā̃ śhrīmat par yah kārya kar rahē haĩ .
108We Prajapita Brahma Kumars and Kumaris are carrying out this task by following shrimat.
105Brahmā key|kī mat nahī̃ , śhrīmat hai hī parampitā paramātmā śhiv key|kī , jō sabkā bāp hai .
109These are not the directions of Brahma. 110Shrimat is that of the Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva, who is the Father of all.
106Bāp hī ēk dharm key|kī sthāpanā , anēk dharmō̃ kā vināśh kartē haĩ .
111Only the Father establishes this one religion and destroys all the other religions.
107Rājyōg sīkh yah bantē haĩ .
112By studying Raja Yoga you become this.
108Ham bhī yah ban rahē haĩ .
113We are also becoming this.
109Hamnē bēhad kā sanyās kiyā hai kyōṅki jāntē haĩ - yē purānī duniyā bhasma hō jānī hai .
114We have unlimited renunciation because we know that this old world is going to be burnt.
110Jaisē had kā bāp nayā ghar banātē haĩ phir purānē sē mamatva miṭ jātā hai .
115When a physical father has a new home built, his attachment to the old one ends.
111Bāp kahtē haĩ yah purānī duniyā khatm hōnī hai .
116The Father says: This old world is to be destroyed.
112Ab tumhārē liē naī duniyā sthāpan kar rahē haĩ .
117He is now establishing a new world for you.
113Tum paṛhtē hī hō - naī duniyā kē liē .
118You are studying for that new world.
114Anēk dharmō̃ kā vināśh , ēk dharm key|kī sthāpanā saṅgam par hī hōtī hai .
119It is only at this confluence age that there is the destruction of the innumerable religions and the establishment of the one religion.
115Laṛāī lagēgī , natural calamities bhī āyēṅgī .
120There will be war and also natural calamities.
116Satyug mē̃ jab inkā rājya thā tō aur kōī dharm thē nahī̃ .
121When it was their kingdom in the golden age, there were no other religions.
117Bākī sab kahā̃ thē ?
122Where was everyone else?
118Yah knowledge buddhi mē̃ rakhnī hai .
123You have to keep this knowledge in your intellects.
119Aisē nahī̃ yah knowledge buddhi mē̃ rakhtē dūsrā kām nahī̃ kartē haĩ , kitnē khyālāt rakhtē haĩ .
124It isn’t that I don’t do any other work when I keep this knowledge in my intellect. 125I have so many other thoughts.
120Chiṭṭhiyā̃ likhnā , paṛhnā , makān kā khyāl karnā , tō bhī bāp kō yād kartā rahtā hū̃ .
126I have to read and write letters, take care of the buildings, etc., but I still continue to remember the Father.
121Bābā kō yād na karē̃ tō vikarma kaisē vināśh hōṅgē .
127How would I be absolved of my sins if I didn’t remember Baba?
122Abhī tum bachchō̃ kō gyān milā hai , tum ādhākalp kē liē pūjya ban rahē hō .
128You children have now received this knowledge. 129You are becoming worthy of worship for half a cycle.
123Ādhākalp haĩ pujārī tamōpradhān phir ādhākalp pūjya satōpradhān hōtē haĩ .
130For half a cycle you are tamopradhan worshippers, and for half a cycle you are satopradhan and worthy of worship.
124Ātmā parampitā paramātmā sē yōg lagānē sē hī pāras bantī hai .
131Souls become divine by having yoga with the Supreme Father, the Supreme Soul.
125Yād kartē-kartē iron age sē golden age mē̃ chalī jāyēgī .
132By having remembrance, souls go from the iron age to the golden age.
126Patit-pāvan ēk kō hī kahā jātā hai .
133Only the One is called the Purifier.
127Āgē chal tumhārā āvāz nikalēgā .
134As you make further progress, your sound will spread.
128Yah tō sab dharmō̃ kē liē hai .
135This knowledge is for those of all religions.
129Tum kahtē bhī hō bāp kahtē haĩ ki patit-pāvan maĩ hī hū̃ .
136Tell them that the Father says: I alone am the Purifier.
130Mujhē yād karō tō tum pāvan ban jāyēṅgē . 131Bākī sab hisāb-kitāb chuktū kar jāyēṅgē .
137Remember Me and you will become pure and you will then settle all your accounts and return home.
132Kahā̃ bhī mūnjhtē hō tō pūchh saktē hō .
138If you become confused, you can ask.
133Satyug mē̃ hōtē hī thōṛē haĩ .
139There are very few people in the golden age.
134Abhī tō anēk dharm haĩ .
140Now, there are innumerable religions.
135Jarūr hisāb kitāb chuktū kar phir aisē banē̃gē , jaisē thē .
141They will definitely settle their accounts and then become like they used to be.
136Detail mē̃ kyō̃ jāyē̃ .
142Why should you go into the detail?
137Jāntē haĩ har ēk apnā-apnā part ākar bajāyēṅgē .
143You know that each soul will play his own part.
138Abhī sabkō vāpis jānā hai kyōṅki yah sab satyug mē̃ thē hī nahī̃ .
144They all now have to return home, because none of them exist in the golden age.
139Bāp ātē hī haĩ ēk dharm key|kī sthāpanā , anēk dharmō̃ kā vināśh karnē .
145The Father comes to establish the one religion and destroy the innumerable religions.
140Ab naī duniyā kī sthāpanā hō rahī hai .
146The new world is now being established.
141Phir satyug jarūr āyēgā , chakra jarūr phirēgā .
147The golden age will then definitely come and the cycle will definitely turn.
142Too much khyālāt mē̃ na jāē , mūl bāt ham satōpradhān banē̃gē tō ūñch pad pāyēṅgē .
148There shouldn't be too much thinking about this. 149The main thing is that you have to become satopradhan and claim a high status.
143Kumāriyō̃ kō tō ismē̃ lag jānā hai , kumārī key|kī kamāī mā̃-bāp nahī̃ khātē haĩ .
150Kumaris should become busy with this. 151Parents don’t eat from the daughter’s income.
144Parantu ājkal bhūkhē hō gayē haĩ tō kumāriyō̃ kō bhī kamānā paṛtā hai .
152However, nowadays, they have become greedy for everything, and so even daughters have to go and earn money.
145Tum samajhtē hō ab pavitra ban pavitra duniyā kā mālik bannā hai .
153You now understand that you have to become pure and become the masters of that pure world.
146Ham rājyōgī haĩ , bāp sē varsā jarūr lēnā hai .
154We are Raja Yogis and we definitely have to claim our inheritance from the Father.
147Abhī tum pāṇḍav sēnā K|kē banē hō .
155You now belong to the Pandava Army.
148Apnī service kartē huē bhī yah khyāl rakhnā hai , ham jākar sabkō rāstā batāyē̃ .
156Together with serving yourselves, you must also think about going to show everyone the path.
149Jitnā karē̃gē , utnā ūñch pad pāyēṅgē .
157The more service you do, the more elevated the status you will claim will be.
150Bābā sē pūchh saktē haĩ - is hālat mē̃ mar jāyē̃ tō hamkō kyā pad milēgā ? 151Bābā jhaṭ batā dēgē .
158If you asked Baba what status you would receive if you were to die in this condition, Baba could instantly tell you.
152Service nahī̃ kartē hō isliē sādhāraṇ ghar mē̃ jākar janma lē̃gē phir ākar gyān lēvē̃ sō tō muśhkil hai kyōṅki chhōṭā bachchā itnā gyān tō uṭhā nahī̃ saktā .
159Because you are not doing service, you would take birth in an ordinary home. 160It would then be difficult for you to take this knowledge, because a small child isn’t able to take much knowledge.
153Samjhō bākī 2-3 varṣh rahtē haĩ tō kyā paṛh sakē̃gē ?
161For instance, if only two or three years remain, how much would you be able to study?
154Bābā batā dēgē tum kōī kṣhatriya kul mē̃ jākar janma lē̃gē .
162Baba would tell you that you will take birth in the warrior clan.
155Pichhāṛī mē̃ karkē double tāj milēgā .
163Perhaps you would receive a double crown at the end.
156Svarg kā full sukh pā nahī̃ sakē̃gē .
164You would not be able to experience the full happiness of heaven.
157Jō full service karē̃gē , paṛhē̃gē vahī full sukh pāyēṅgē . 158Number-vār puruṣhārth anusār .
165Those who serve fully and study will attain the full happiness of heaven, numberwise, according to their efforts.
159Yahī phurnā rakhnā hai - abhī nahī̃ banē̃gē tō kalp-kalp nahī̃ banē̃gē .
166You should be concerned that if you don’t become this now, you won’t become this every cycle.
160Har ēk apnē kō jān saktē haĩ , ham kitnē marks sē pās|pass hōṅgē .
167Each of you can know for yourself how many marks you will pass with.
161Sab jān jātē haĩ phir kahā jātā hai bhāvī .
168Everyone will come to know it, and then it can only be said to be destined.
162Andar mē̃ duḥkh hōgā nā .
169You will feel sorrow inside you.
163Baiṭhē-baiṭhē hamkō kyā hō gayā !
170What happened to me while just sitting here?
164Baiṭhē-baiṭhē manuṣhya mar bhī jātē haĩ isliē bāp kahtē haĩ sustī mat karō .
171People even die while just sitting somewhere. 172This is why the Father says: Don’t become lazy.
165Puruṣhārth kar patit sē pāvan bantē rahō , rāstā batātē rahō .
173Make effort and continue to become pure from impure. 174Continue to show others the path.
166Kōī bhī mitra-sambandhī ādi haĩ , un par taras paṛnā chāhiē .
175Have mercy for your friends and relatives.
167Dēkhtē haĩ yah vikār bigar , gand khānē bigar rah nahī̃ saktē haĩ , phir bhī samjhātē rahnā chāhiē .
176Even if you can see that someone is unable to stay without vice and continues to eat impure food, continue to explain to him.
168Nahī̃ māntē tō samjhō hamārē kul kā nahī̃ hai .
177If he doesn’t understand, you must realise that he doesn’t belong to your clan.
169Kōśhiśh kar piyarghar , sasurghar kā kalyāṇ karnā hai .
178Make effort to benefit your parents' home and your in-laws’ home.
170Aisī bhī chalan na hō jō kahē̃ yah tō hamsē bāt bhī nahī̃ kartē , mukh mōṛ diyā hai .
179Don’t behave in such a way that others say you are not talking to them or that you have turned your face away from them.
171Nahī̃ , sabsē jōṛnā hai .
180No, you have to stay in contact with everyone.
172Ham unkā bhī kalyāṇ karē̃ .
181You have to benefit everyone.
173Bahut merciful bannā hai .
182You have to become very merciful.
174Ham sukh taraph jātē haĩ tō aurō̃ kō bhī rāstā batāyē̃ .
183We are going into happiness. 184Therefore, we have to show others this path.
175Andhō̃ kī lāṭhī tum hō nā .
185“You are sticks for the blind.”
176Gātē haĩ andhō̃ kī lāṭhī tū .
186People sing: You are a stick for the blind.
177Āṅkhē̃ tō sabkō haĩ phir bhī bulātē haĩ kyōṅki gyān kā tīsrā nētra nahī̃ hai .
187Everyone has eyes, and yet they call out because they don’t have a third eye of this knowledge.
178Śhānti-sukh kā rāstā batānē vālā ēk hī bāp hai .
188Only the one Father shows you the path to peace and happiness.
179Yah tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ abhī hai .
189This is now in the intellects of you children.
180Āgē thōṛēhī samajhtē thē .
190Previously, you didn’t understand this.
181Bhakti mārg mē̃ kitnē mantra japtē haĩ .
191People chant so many mantras on the path of devotion.
182Rām-rām kah machhlī kō khilātē , cīṭiyō̃ kō khilātē .
192They chant the name of Rama and feed fish, ants, etc.
183Ab gyān mārg mē̃ tō kuchh bhī karnē key|kī darkār nahī̃ hai .
193Now, you don’t need to do anything like that on the path of this knowledge.
184Pakṣhī tō ḍhēr K|kē ḍhēr mar jātē haĩ .
194So many birds die.
185Ēk hī tūphān lagtā hai , kitnē mar jātē haĩ .
195So many die in just one storm.
186Natural calamities tō ab bahut jōr sē āyēgī .
196Natural calamities will come with great force.
187Yah rehearsal hōtī rahēgī .
197Rehearsals will continue to take place.
188Yah sab vināśh tō hōnā hī hai .
198Everything is to be destroyed.
189Andar mē̃ ātā hai ab ham svarg mē̃ jāyēṅgē .
199You are aware inside that you are to go to heaven.
190Vahā̃ apnē first class mahal banāyēṅgē . 191Jaisē kalp pahlē banāyē haĩ .
200There, you will have your first-class palaces built, just as you had them built in the previous cycle.
192Banāyēṅgē phir bhī vahī jō kalp pahlē banāyā hōgā .
201The same palaces that were built in the previous cycle will be built again.
193Us samay vah buddhi ā jāyēgī .
202It will enter your intellects at that time.
194Uskā khyāl ab kyō̃ karē̃ , issē tō bāp kī yād mē̃ rahē̃ .
203Why should you think about that now? 204Instead, just stay in remembrance of the Father.
195Yād kī yātrā kō nahī̃ bhūlō .
205Don’t forget this pilgrimage of remembrance.
196Mahal tō banē̃gē hī kalp pahlē misal .
206Palaces will be built as they were in the previous cycle.
197Parantu abhī yād kī yātrā mē̃ tōṛ nibhānā hai aur bahut khuśhī mē̃ rahnā hai ki hamkō bāp , teacher , satgurū milā hai .
207You have to fulfil the responsibility of staying on the pilgrimage of remembrance. 208You should remain very happy: We have found the Father, Teacher and Satguru.
198Is khuśhī mē̃ tō rōmāñch khaṛē hō jānē chāhiē .
209You should have goose pimples of happiness.
199Tum jāntē hō ham āyē hī haĩ amarpurī kā mālik bannē .
210You know that you have come here in order to become the masters of the land of immortality.
200Yah khuśhī sthāī rahnī chāhiē .
211You should have this happiness all the time.
201Yahā̃ rahēgī tab phir 21 janm vah sthāī hō jāyēgī .
212Only when you have it here all the time will it remain with you there for 21 births.
202Bahutō̃ kō yād karātē rahē̃gē tō apnī bhī yād baṛhēgī .
213When you continue to remind many others, your remembrance will also increase.
203Phir ādat paṛ jāyēgī .
214You will then develop that habit.
204Jāntē haĩ is apavitr duniyā kō āg lagnī hai .
215You know that this impure world is to catch fire.
205Tum brāhmaṇ hī hō jinkō yah khyāl hai - itnī sārī duniyā khatm hō jāyēgī .
216Only you Brahmins have the concern of the whole world being destroyed.
206Satyug mē̃ yah kuchh bhī mālūm nahī̃ paṛēgā .
217In the golden age, you will not know any of this.
207Abhī ant hai , tum yād kē liē puruṣhārth kar rahē hō .
218It is now the end and you are making effort to have remembrance.
208Achchhā !
219Achcha.
209Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
220To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
210Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
221The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
211Dhārṇā kē liē mukhya sār :
222Essence for dharna:
2121 ) patit sē pāvan bannē K|kē puruṣhārth mē̃ sustī nahī̃ karnī hai .
2231. Don’t become lazy about making effort to become pure from impure.
213Kōī bhī mitr sambandhī ādi haĩ un par taras rakh samjhānā hai , chhōṛ nahī̃ dēnā hai .
224Have mercy for your friends and relatives and explain to them. 225Don’t just leave them.
2142 ) aisī chalan nahī̃ rakhnī hai jō kōī kahē ki inhōnnē tō mũh mōṛ liyā hai .
2262. Don’t behave in such a way that others say you have turned your face away from them.
215Merciful ban sabkā kalyāṇ karnā hai aur sab khyālāt chhōṛ ēk bāp kī yād mē̃ rahnā hai .
227Become merciful and benefit everyone. 228Remove all other thoughts and stay in remembrance of the one Father.
Blessing
216Vardān : satyatā , svachchhatā aur nirbhayatā K|kē ādhār sē pratyakṣhatā karnē vālē ramtā yōgī bhav
229Blessing: May you be an entertaining, wandering yogi (ramta yogi) and bring about revelation on the basis of truth, cleanliness and fearlessness.
217Paramātma pratyakṣhatā kā ādhār satyatā hai aur satyatā kā ādhār svachchhatā vā nirbhayatā hai .
230Truth is the basis of God’s revelation, and the basis of truth is cleanliness and fearlessness.
218Yadi kisī bhī prakār key|kī asvachchhatā arthāt sachchāī saphāī key|kī kamī hai , yā apnē hī tamōguṇī saṅskārō̃ par vijayī bannē mē̃ , saṅskār milānē mē̃ yā viśhva sēvā K|kē kṣhētra mē̃ apnē siddhāntō̃ kō siddha karnē mē̃ bhay hai tō pratyakṣhatā nahī̃ hō saktī isliē satyatā aur nirbhayatā kō dhāraṇ kar ēk hī dhun mē̃ mast rahnē vālē ramtā yōgī , sahaj rājyōgī banō tō sahaj hī antim pratyakṣhatā hōgī .
231If there is any type of uncleanliness, that is, if something is lacking in your honesty or cleanliness, or if you are fearful in gaining victory over your own tamoguni sanskars, in harmonising your sanskars or to prove your principles on the field of world service, revelation cannot then take place. 232So, imbibe truth and fearlessness and become an entertaining and wandering yogi who is intoxicated with just the one concern. 233Become an easy Raja Yogi and the final revelation will easily take place.
Slogan
219Slōgan : bēhad key|kī dr̥iṣhṭi , vr̥itti hī unity kā ādhār hai isliē had mē̃ nahī̃ āō .
234Slogan: Your unlimited vision and attitude are the bases of unity and so do not be limited.
235*** Om Shanti ***
220Avyakt iśhārē - aśharīrī va vidēhī sthiti kā abhyās baṛhāō
236Avyakt Signal: Increase the practice of the bodiless stage (ashariri and videhi).
221Aśharīrī bannā wireless set hai .
237Becoming bodiless is to be like a wireless set.
222Viceless bannā hī wireless set key|kī setting hai .
238Becoming viceless is the setting for the wireless set.
223Jarā bhī aṅśh K|kē bhī aṅśhmātra vikār wireless K|kē set kō bēkār kar dēgā isliē ab karmbandhanī sē karmayōgī banō .
239The slightest trace of any vice will make the wireless set useless. 240Therefore, from being one who has some bondage of karma, become a karma yogi.
224Anēk bandhanō̃ sē mukt ēk bāp K|kē sambandh mē̃ samjhō tō sadā ever ready rahē̃gē .
241Consider yourself to be liberated from all bondages and related to only the one Father and you will remain constantly ever ready.
225Check karō - andar kōī bhī vikār chhipā huā tō nahī̃ hai ?
242Check yourselves: Are there any vices hidden within?