बुधवार 26 नवंबर 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

026-11-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

026/11/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1' mīṭhē bachchē - tum abhī world servant hō , tumhē̃ kisī bhī bāt mē̃ dēh-abhimān nahī̃ ānā chāhiē ' '

1Essence: Sweet children, you are world servants at present. 2You mustn't become body conscious in any way.

Question

2Praśhna  : kaun see|sī|C ēk ādat īśhvarīy kāydē K|kē virūddh hai , jissē bahut nuksān hōtā hai  ?

3Question: Which habit is against the spiritual law and causes a lot of damage?

Answer

3Uttar  : kōī bhī philmī kahāniyā̃ sunnā vā paṛhnā , novels paṛhnā … yah ādat bilkul bēkāydē hai , issē bahut nuk-sān hōtā hai .

4Answer: To listen to film stories or read novels is totally against the law. 5Doing this causes a lot of damage.

4Bābā key|kī manā hai - bachchē , tumhē̃ aisī kōī kitābē̃ nahī̃ paṛhnī hai .

6Baba has forbidden you children to read such books.

5Agar kōī be|B . K|kē . aisī pustakē̃ paṛhtā hai tō tum ēk-dō kō sāvdhān karō .

7If any BKs read such books, you can caution them.

Song

6Gīt  : mukhṛā dēkh lē prāṇī . . . . .

8Song: Look at your face in the mirror of your heart o mind!

Murli

7Ōm śhānti .

9Om shanti.

8Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ prati rūhānī bāp kahtē haĩ - apnī jāñch karō ki yād kī yātrā sē ham tamōpradhān sē satōpradhān taraph kitnā āgē baṛhē haĩ kyōṅki jitnā-jitnā yād karē̃gē utnā pāp kaṭtē jāyēṅgē .

10The spiritual Father says to you sweetest, spiritual children: Check yourselves to see how much you have progressed on the pilgrimage of remembrance and how much you have become satopradhan from tamopradhan because the more you stay in remembrance, the more your sins will be cut away.

9Ab yah akṣhar kahā̃ kōī śhāstra ādi mē̃ likhē huē haĩ  ?

11Are these terms mentioned in any of the scriptures?

10Kyōṅki jis-jis nē dharm sthāpan kiyā , usnē jō samjhāyā uskē śhāstra banē huē haĩ jō phir baiṭh paṛhtē haĩ .

12The scriptures were created from whatever the founders of those religions explained. 13People then study them.

11Pustak key|kī pūjā kartē haĩ .

14They worship those books.

12Ab yah bhī samajhnē key|kī bāt hai , jabki yah likhā huā hai . 13Dēh sahit dēh K|kē sarv sambandh chhōṛ apnē kō ātmā samjhō .

15Since it is written, “Renounce your body and all bodily relations and consider yourself to be a soul”, this is something to be understood.

14Bāp yād dilātē haĩ - tum bachchē pahlē-pahlē aśharīrī āyē thē , vahā̃ tō pavitra hī rahtē haĩ .

16The Father reminds you that you children first came here bodiless. 17There, you remain pure.

15Mukti-jīvanmukti mē̃ patit ātmā kōī jā nahī̃ saktī .

18Impure souls cannot go into liberation or liberation-in-life.

16Vah hai nirākārī , nirvikārī duniyā .

19That is the incorporeal, viceless world.

17Iskō kahā jātā hai sākārī vikārī duniyā phir satyug mē̃ yahī nirvikārī duniyā bantī hai .

20This is called the corporeal, vicious world. 21Then, in the golden age, this world will become viceless.

18Satyug mē̃ rahnē vālē dēvtāō̃ key|kī tō bahut mahimā hai .

22There is a lot of praise of the deities who lived in the golden age.

19Ab bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai - achchhī rīti dhāraṇ kar aurō̃ kō samjhāō .

23You children have been told to imbibe all of this very well and explain to others.

20Tum ātmāyē̃ jahā̃ sē āī hō , pavitra hī āī hō .

24Where you souls came from, you were pure.

21Phir yahā̃ ākar apavitr bhī jarūr hōnā hai .

25When you come here you definitely have to become impure.

22Satyug kō viceless world , kaliyug kō vicious world kahā jātā hai .

26The golden age is called the viceless world and the iron age is called the vicious world.

23Ab tum patit-pāvan bāp kō yād kartē hō ki hamkō pāvan viceless banānē āp vicious duniyā , vicious śharīr mē̃ āō .

27You remember the Purifier Father. 28You say: Come into the vicious world, in a vicious body in order to make us pure and viceless.

24Bāp khud baiṭh samjhātē haĩ - brahmā K|kē chitra par hī mūñjhtē haĩ ki dādā kō kyō̃ biṭhāyā hai .

29The Father Himself sits here and explains. 30People are confused about the picture of Brahma and ask: Why do you keep this picture of Dada here?

25Samjhānā chāhiē yah tō bhāgīrath hai .

31You have to explain that this one is “The Lucky Chariot”.

26Śhiv bhagvānuvāch hai - yah rath mainnē liyā hai kyōṅki mujhē prakr̥iti kā ādhār jarūr chāhiē .

32God Shiva speaks: I have taken this chariot because I definitely have to take the support of matter.

27Nahī̃ tō maĩ tumkō patit sē pāvan kaisē banāū̃ .

33How else would I make you pure from impure?

28Rōz paṛhānā bhī jarūr hai .

34I definitely have to teach you every day.

29Ab bāp tum bachchō̃ kō kahtē haĩ apnē kō ātmā samajh māmēkam yād karō .

35The Father now says to you children: Consider yourselves to be souls and constantly remember Me alone.

30Sabhī ātmāō̃ kō apnē bāp kō yād karnā hai .

36All souls have to remember their Father.

31Śhrīkr̥iṣhṇa kō sabhī ātmāō̃ kā bāp nahī̃ kahē̃gē .

37Shri Krishna cannot be said to be the Father of all souls.

32Unkō tō apnā śharīr hai .

38He has his own body.

33Tō yah bāp bahut sahaj samjhātē haĩ - jab bhī kisī kō samjhāō tō bōlō - bāp kahtē haĩ tum aśharīrī āyē , ab aśharīrī bankar jānā hai .

39The Father explains this to you very easily: Whenever you explain to others, tell them: The Father says that you came bodiless and that you have to return bodiless.

34Vahā̃ sē pavitra ātmā hī ātī hai .

40Only pure souls come from there.

35Bhal kal kōī ātē tō bhī pavitra haĩ , tō unkī mahimā jarūr hōgī .

41Anyone who comes down tomorrow would also be pure and would definitely be praised.

36Sannyāsī , udāsī , gr̥ihasthī jinkā nām hōtā hai , jarūr unkā yah pahlā janm hai nā .

42The sannyasis and householders whose names are glorified must definitely be in their first birth.

37Unkō ānā hī hai dharm sthāpan karnē .

43They only come to establish their religion.

38Jaisē bābā gurūnānak kē liē samjhātē haĩ .

44Baba explains about Guru Nanak.

39Ab gurū akṣhar bhī kahnā paṛtā hai kyōṅki nānak nām tō bahutō̃ kā hai nā .

45You definitely have to write the word “Guru” because many people have the name Nanak.

40Jab kiskī mahimā kī jātī hai tō us matlab sē kahā jātā hai .

46When someone is praised, that praise should be meaningful.

41Na kahē̃ tō achchhā nahī̃ .

47If you don't use the correct praise, it doesn't seem right.

42Vāstav mē̃ bachchō̃ kō samjhāyā hai - gurū kōī bhī hai nahī̃ , sivāē ēk K|kē .

48In fact, it has been explained to you children that there is no guru but the One.

43Jiskē nām par hī gātē haĩ satgurū akāl . . . vah akālmūrt hai arthāt jiskō kāl na khāyē , vah hai ātmā , tab yah kahāniyā̃ ādi baiṭh banāī haĩ .

49It is of Him that you say: The Satguru is the immortal One. 50He is the Immortal Image, that is, the One who never experiences death. 51He is a soul. 52This is why they have sat and created those stories.

44Philmī kahāniyō̃ key|kī kitāb , novels ādi bhī bahut paṛhtē haĩ .

53Many of you still read film stories and novels.

45Bābā bachchō̃ kō khabardār kartē haĩ . 46Tumhē̃ kabhī bhī kōī novel ādi nahī̃ paṛhnā hai .

54Baba cautions you children: You must not read novels etc.

47Kōī-kōī kō ādat hōtī hai .

55Some have that habit.

48Yahā̃ tō tum saubhāgyaśhālī bantē hō .

56Here, you are becoming those who are one hundred times fortunate.

49Kōī be|B . K|kē . bhī novels paṛhtē haĩ isliē bābā sab bachchō̃ kō kahtē haĩ - kabhī bhī kiskō novel paṛhtā dēkhō tō jhaṭ uṭhākar phāṛ dō , ismē̃ ḍarnā nahī̃ hai . 50Hamkō kōī śhrāp na dē vā gussē na hō , aisī kōī bāt nahī̃ .

57Even some BKs read novels. 58This is why Baba tells all of you children: Whenever you see someone reading a novel, take it and tear it up! 59It isn't that you have to be afraid in case someone curses you or becomes angry with you.

51Tumhārā kām hai - ēk-dō kō sāvdhān karnā .

60There is nothing like that. 61You have the duty to caution one another.

52Film key|kī kahāniyā̃ sunnā yā paṛhnā bēkāydē hai .

62It is against the law to listen to film stories or read them.

53Bēkāydē kōī chalan hai tō jhaṭ report karnī chāhiē .

63You should instantly report it to Baba if someone's behaviour is unlawful.

54Nahī̃ tō sudharē̃gē kaisē  ?

64How else would they reform themselves?

55Apnā nuksān kartē rahē̃gē .

65They will continue to cause themselves harm.

56Khud mē̃ hī yōgbal nahī̃ hōgā tō yahā̃ kyā baiṭh sikhlāyēṅgē .

66If you have no power of yoga yourself, what would you sit and teach others?

57Bābā key|kī manā hai .

67Baba forbids you.

58Agar phir aisā kām karē̃gē tō andar dil jarūr khātī rahēgī .

68If someone does this sort of thing, his conscience would definitely bite him.

59Apnā nuksān hōgā isliē kōī mē̃ bhī kōī avguṇ dēkhtē hō tō likhnā chāhiē .

69There would be a loss for him or herself. 70Therefore, when you see this weakness in others, you have to write to Baba.

60Kōī bēkāydē chalan tō nahī̃ chaltē  ?

71Is their activity unlawful?

61Kyōṅki brāhmaṇ is samay servant haĩ nā .

72At this time, you Brahmins are servants.

62Bābā bhī kahtē haĩ bachchē namastē .

73Baba also says: Children, namaste!

63Arth|earth sahit samjhātē haĩ .

74He explains to you with meaning.

64Bachchiyā̃ paṛhānē vālī jō haĩ - unmē̃ dēh-abhimān nahī̃ ānā chāhiē .

75Children who teach others should not have any body consciousness.

65Teacher bhī student kā servant hōtā hai nā .

76A teacher is a servant of students.

66Governor ādi bhī chiṭṭhī likhtē haĩ , nīchē sahī karē̃gē I am obedient servant .

77Governors etc. sign their letters, with the words, "I am your obedient servant."

67Bilkul sammukh nām likhē̃gē .

78They sign their name just below that.

68Bākī klarka likhēgā - apnē hāth sē .

79A clerk would write the letter by hand.

69Kabhī apnī baṛāī nahī̃ likhē̃gē .

80He wouldn't write his own praise.

70Ājkal gurū tō apnē āpkō āpēhī śhrī-śhrī likh dētē .

81Nowadays, gurus write their own title as, "Shri Shri".

71Yahā̃ bhī kōī aisē haĩ - śhrī phalānā likh dētē haĩ .

82Here, too, there are some who write, "Shri So-and-so".

72Vāstav mē̃ aisē bhī likhnā nahī̃ chāhiē . 73Na female śhrīmatī likh saktī hai .

83In fact, you shouldn't write this; nor should a female write "Shrimati" for herself.

74Śhrīmat tab milē jab śhrī-śhrī svayã ākar mat dēvē .

84It is only when Shri Shri Shiv Baba comes Himself and gives you directions that you can receive shrimat.

75Tum samjhā saktē hō ki jarūr kōī key|kī mat sē yah ( dēvtā ) banē haĩ nā .

85You can explain that they definitely became deities by following someone's directions.

76Bhārat mē̃ kiskō bhī yah patā nahī̃ ki yah itnā ūñch viśhva K|kē mālik kaisē banē .

86No one in Bharat knows how they became such elevated masters of the world.

77Tumkō tō yahī naśhā chaṛhnā chāhiē .

87This intoxication should rise within you.

78Yah aim object kā chitra sadaiv chhātī sē lagā hōnā chāhiē .

88The picture of your aim and objective should constantly be against your heart.

79Kiskō bhī batāō - hamkō bhagvān paṛhātē haĩ , jissē ham viśhva kā mahārājā bantē haĩ .

89You can show this to anyone and tell them: God is teaching us and making us become the emperors of the world.

80Bāp āyē haĩ is rājya kī sthāpanā karnē .

90The Father has come to establish this kingdom.

81Is purānī duniyā kā vināśh sāmnē khaṛā hai .

91The destruction of the old world is just ahead.

82Tum chhōṭī-chhōṭī bachchiyā̃ tōtlī bhāṣhā mē̃ kiskō bhī samjhā saktī hō .

92You young daughters can explain to others in your child-like language.

83Baṛē-baṛē sammēlan ādi hōtē haĩ , unmē̃ tumkō bulātē haĩ . 84Yah chitra tum lē jāō aur baiṭhkar samjhāō . 85Bhārat mē̃ phir sē inhō̃ kā rājya sthāpan hō rahā hai .

93When they invite you to the big conferences that take place, you can take this picture and sit and explain to them that their kingdom is once again being established in Bharat.

86Kahā̃ bhī bharī sabhā mē̃ tum samjhā saktē hō .

94You can explain this to any large gathering.

87Sārā din service kā hī naśhā rahnā chāhiē .

95You should have the intoxication of doing service throughout the day.

88Bhārat mē̃ inkā rājya sthāpan hō rahā hai .

96Their kingdom is being established in Bharat.

89Bābā hamkō rājyōg sikhlā rahē haĩ .

97Baba is teaching us Raja Yoga.

90Śhiv bhagvānuvāch - hē bachchō̃ , tum apnē kō ātmā samajh mujhē yād karō . 91Tō tum yah ban jāyēṅgē 21 pīṛhī kē liē .

98God Shiva speaks: O children, consider yourselves to be souls and remember Me and you will become this for 21 generations.

92Daivī guṇ bhī dhāraṇ karnē haĩ .

99You also have to imbibe divine virtues.

93Abhī tō sabkē āsurī guṇ haĩ .

100At present, everyone has devilish traits.

94Śhrēṣhṭh banānē vālā tō ēk hī śhrī śhrī śhivbābā hai .

101Only the one Shri Shri Shiv Baba makes you elevated.

95Vahī ūñch tē ūñch bāp hamkō paṛhātē haĩ .

102That highest-on-high Father is teaching us.

96Śhiv bhagvānuvāch , manmanābhav .

103God Shiva speaks: Manmanabhav!

97Bhāgīrath tō maśhhūr hai .

104"The Lucky Chariot" is very well known.

98Bhāgīrath kō hī brahmā kahā jātā hai , jiskō mahāvīr bhī kahtē haĩ .

105Brahma is called "The Lucky Chariot". 106He is also called "Mahavir".

99Yahā̃ dēlvāṛā mandir mē̃ baiṭhē huē haĩ nā .

107He is sitting there in the Dilwala Temple.

100Jainī ādi jō mandir banānē vālē haĩ vah kōī bhī jāntē thōṛēhī haĩ .

108The Jains, who built that temple, don't understand any of this.

101Tum chhōṭī-chhōṭī bachchiyā̃ kōī sē bhī visit lē saktī hō .

109You young daughters can go and visit them.

102Abhī tum bahut śhrēṣhṭh ban rahē hō .

110You are now becoming very elevated.

103Yah bhārat key|kī aim object hai nā .

111This is the aim and objective of Bharat.

104Kitnā naśhā chaṛhnā chāhiē .

112You should have so much intoxication.

105Yahā̃ bābā achchhī rīti naśhā chaṛhātē haĩ .

113Baba makes your intoxication rise high here.

106Sab kahtē haĩ ham tō lakṣhmī-nārāyaṇ banē̃gē .

114All of you say that you will become Lakshmi or Narayan.

107Rām-sītā bannē kē liē kōī bhī hāth nahī̃ uṭhātē .

115None of you raise your hand to become Rama or Sita.

108Abhī tō tum hō ahiṃsak , kṣhatriya .

116You are now non-violent warriors.

109Tum ahiṃsak kṣhatriyō̃ kō kōī bhī nahī̃ jāntē .

117No one knows you non-violent warriors.

110Yah tum abhī samajhtē hō .

118You understand this now.

111Gītā mē̃ bhī akṣhar haĩ manmanābhav .

119There is the term "Manmanabhav" in the Gita.

112Apnē kō ātmā samjhō .

120Consider yourself to be a soul.

113Yah tō samajhnē key|kī bāt hai nā aur kōī bhī samajh nahī̃ saktē .

121This too is something to be understood. 122No one else can understand this.

114Bāp baiṭh bachchō̃ kō śhikṣhā dētē haĩ - bachchē ātma-abhimānī banō .

123The Father sits here and gives teachings to you children to become soul conscious.

115Yah ādat tumhārī phir 21 janm kē liē chaltī hai .

124This habit of yours will then continue for 21 births.

116Tumkō śhikṣhā miltī hī hai 21 janmō̃ kē liē .

125These teachings that you are receiving are for 21 births.

117Bābā ghaṛī-ghaṛī mūl bāt samjhātē haĩ - apnē kō ātmā samajhkar baiṭhō .

126Baba explains the main thing to you over and over again: Sit here while considering yourselves to be souls.

118Paramātmā bāp ham ātmāō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ , tum ghaṛī-ghaṛī dēh-abhimān mē̃ ā jātē hō phir gharbār ādi yād ā jātā hai .

127The Father, the Supreme Soul, sits here and explains to us souls. 128You repeatedly become body conscious and remember your homes and families.

119Yah hōtā hai .

129This happens all the time.

120Bhakti mārg mē̃ bhī bhakti kartē-kartē buddhi aur taraph chalī jātī hai .

130Even on the path of devotion, their intellects wander in other directions while doing their devotions.

121Ēk ṭik sirph naudhā bhakti vālē hī baiṭh saktē haĩ , jiskō tīvr bhakti kahā jātā hai .

131Only those who perform intense devotion are able to sit with that concentration. 132That is also called deep devotion.

122Ēkdam lavlīn hō jātē haĩ .

133They become completely absorbed in love.

123Tum jaisē yād mē̃ baiṭhtē hō tō kōī samay ēkdam aśharīrī ban jātē hō .

134When you sit in remembrance, you sometimes become completely bodiless.

124Jō achchhē bachchē hōṅgē - vahī aisī avasthā mē̃ baiṭhē̃gē .

135Only the good children would sit in such a stage.

125Dēh kā bhān nikal jāyēgā .

136The awareness of the body would be removed.

126Aśharīrī hō us mastī mē̃ baiṭhē rahē̃gē .

137Become bodiless and sit with that intoxication.

127Yah ādat paṛ jāyēgī .

138You should instil this habit.

128Sannyāsī haĩ tatva gyānī vā brahm gyānī .

139Sannyasis have the knowledge of the elements and the brahm element of light.

129Vah kahtē haĩ ham līn hō jāyēṅgē .

140They say: We will merge into that.

130Yah purānā śharīr chhōṛ brahm tatva mē̃ līn hō jāyēṅgē .

141We will shed these old bodies and merge into the brahm element.

131Sabkā apnā-apnā dharm hai nā .

142Everyone has his own religion.

132Kōī bhī dūsrē dharm kō nahī̃ māntē haĩ .

143No one believes in the religions of others.

133Ādi sanātan dēvī dēvtā dharm vālē bhī tamōpradhān ban gayē haĩ .

144Those who belonged to the original eternal deity religion have also become tamopradhan.

134Gītā kā bhagvān kab āyā thā  ?

145When did the God of the Gita come?

135Gītā kā yug kab thā  ?

146When was it the age of the Gita?

136Kōī bhī nahī̃ jāntē .

147No one knows this.

137Tum jāntē hō is saṅgamyug par hī bāp ākar rājyōg sikhlātē haĩ .

148You know that it is only at the confluence age that the Father comes and teaches us Raja Yoga.

138Tamōpradhān sē satōpradhān banātē haĩ .

149He makes us satopradhan from tamopradhan.

139Bhārat key|kī hī bāt hai .

150This refers to Bharat.

140Anēk dharm bhī thē jarūr .

151There are definitely innumerable religions.

141Gāyan hai ēk dharm key|kī sthāpanā , anēk dharmō̃ kā vināśh .

152It is remembered that there is the establishment of one religion and the destruction of innumerable religions.

142Satyug mē̃ thā ēk dharm .

153In the golden age, there was just the one religion.

143Abhī kaliyug mē̃ haĩ anēk dharm .

154Now, in the iron age, there are innumerable religions.

144Phir ēk dharm key|kī sthāpanā hōtī hai .

155Then, there will be the establishment of one religion.

145Ēk dharm thā , abhī nahī̃ hai .

156There was one religion, but that no longer exists.

146Bākī sab khaṛē haĩ .

157All the rest are still here.

147Baṛ K|kē jhāṛ kā misāl bhī bilkul ṭhīk hai .

158The example of the banyan tree is absolutely accurate.

148Foundation hai nahī̃ . 149Bākī sārā jhāṛ khaṛā hai .

159The foundation no longer exists, but the whole tree is still standing.

150Vaisē ismē̃ bhī dēvī dēvtā dharm hai nahī̃ .

160In fact, the deity religion no longer exists.

151Ādi sanātan dēvī dēvtā dharm jō tanā thā - vah ab prāyaḥlōp hō gayā hai .

161The original eternal deity religion which was the trunk has now disappeared.

152Phir sē bāp sthāpanā kartē haĩ .

162The Father is carrying out its establishment once again.

153Bākī itnē sab dharm tō pīchhē āyē haĩ phir chakra kō repeat jarūr karnā hai arthāt purānī duniyā sē phir naī duniyā hōnī hai .

163All the various religions came later, because the cycle definitely has to repeat, that is, the old world will become new again.

154Naī duniyā mē̃ inhō̃ kā rājya thā .

164It used to be their kingdom in the new world.

155Tumhārē pās|pass baṛē chitra bhī haĩ , chhōṭē bhī haĩ .

165You have large pictures as well as small ones.

156Baṛī chīz hōgī tō dēkhkar pūchhē̃gē - yah kyā uṭhāyā hai . 157Bōlō , hamnē vah chīz uṭhāī hai , jissē manuṣhya beggar to prince ban jāyē̃ .

166When people see you carrying something large and they ask, "What are you carrying?” tell them: We are carrying that which teaches human beings how to change from beggars to princes.

158Dil mē̃ baṛā umaṅg , baṛī khuśhī rahnī chāhiē .

167There should be great enthusiasm and happiness in your hearts.

159Ham ātmāyē̃ bhagvān K|kē bachchē haĩ .

168We souls are the children of God.

160Ātmāō̃ kō bhagvān paṛhātē haĩ .

169God is teaching us souls.

161Bābā hamkō nayanō̃ par biṭhāē lē jāyēṅgē .

170Baba will seat us in His eyes and take us back home.

162Is chhī-chhī duniyā mē̃ tō hamkō rahnē kā nahī̃ hai .

171We don't have to stay in this dirty world any longer.

163Āgē chal trāhi-trāhi karē̃gē , bāt mat pūchhō .

172As you progress further, there will be cries of such distress, don't even ask.

164Karōṛō̃ manuṣhya martē haĩ .

173Millions of people will die.

165Yah tō tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai .

174This is in the intellects of you children.

166Ham in āṅkhō̃ sē jō dēkhtē haĩ yah kuchh bhī rahnā nahī̃ hai .

175None of the things that you can see with your eyes will remain.

167Yahā̃ tō manuṣhya haĩ kāṇṭō̃ misal .

176Human beings here are like thorns.

168Satyug hai phūlō̃ kā bagīchā .

177The golden age is the garden of flowers.

169Phir hamārē nayan hī ṭhaṇḍē hō jāyēṅgē .

178Your eyes will then be cool.

170Bagīchē mē̃ jānē sē nayan ṭhaṇḍē śhītal hō jātē haĩ nā .

179When you go to a garden, your eyes become very cool.

171Tō tum abhī padmāpadma bhāgyaśhālī ban rahē hō .

180You are now becoming multimillion times fortunate.

172Brāhmaṇ jō bantē haĩ unkē pāṅw mē̃ padma haĩ .

181Those who become Brahmins have millions at their feet.

173Tum bachchō̃ kō samjhānā chāhiē - ham yah rājya sthāpan kar rahē haĩ , isliē bābā nē badge banavāyē haĩ .

182You children have to explain that you are establishing this kingdom. 183This is why Baba has had the badges made.

174Saphēd sāṛī pahanī huī hō , badge lagā hō , issē svataḥ sēvā hōtī rahēgī .

184When you wear a white sari and also have your badge, this will automatically continue to serve.

175Manuṣhya gātē haĩ - ātmā paramātmā alag rahē bahukāl . . . parantu bahukāl kā arth|earth kōī bhī samajhtē nahī̃ haĩ .

185People sing: Souls remained separated from the Supreme Soul for a long time, but they don't understand the meaning of "a long time".

176Tumkō bāp nē batāyā hai ki bahukāl arthāt 5 hajār varṣh kē bād tum bachchē bāp sē miltē hō .

186The Father has told you that you meet Him after a long time, after 5000 years.

177Tum yah bhī jāntē hō ki is sr̥iṣhṭi mē̃ sabsē nāmīgrāmī haĩ yah rādhē-kr̥iṣhṇa .

187You also know that it is Radhe and Krishna who are the most well known in this world.

178Yah satyug K|kē first prince princess haĩ .

188They are the first prince and princess of the golden age.

179Kabhī kiskē khyāl mē̃ bhī nahī̃ āyēgā ki yah kahā̃ sē āyē .

189It doesn't enter the mind of anyone how they came here.

180Satyug kē āgē jarūr kaliyug hōgā .

190There definitely has to be the iron age before the golden age.

181Unhōnnē kyā karma kiyē jō viśhva K|kē mālik banē̃ .

191What actions did they perform that they became the masters of the world?

182Bhāratvāsī kōī inhō̃ kō viśhva kā mālik nahī̃ samajhtē haĩ .

192The people of Bharat don't consider them to be the masters of the world.

183Inkā jab rājya thā tō bhārat mē̃ aur kōī dharm thā nahī̃ .

193When it was their kingdom in Bharat, there were no other religions.

184Abhī tum bachchē jāntē hō - bāp hamkō rājyōg sikhā rahē haĩ .

194You children understand that the Father is now teaching you Raja Yoga.

185Hamārī aim object yah hai .

195This is your aim and objective.

186Bhal mandirō̃ mē̃ unhō̃ K|kē chitra ādi haĩ . 187Parantu yah thōṛēhī samajhtē haĩ ki is samay yah sthāpanā hō rahī hai .

196Although there are their pictures in the temples, they don't understand that establishment is taking place at this time.

188Tumhārē mē̃ bhī number-vār samajhtē haĩ .

197You, too, understand this, numberwise.

189Kōī tō bilkul hī bhūl jātē haĩ . 190Chalan aisī hōtī hai jaisē pahlē thī .

198Some completely forget all of this; their behaviour becomes as it was before.

191Yahā̃ samajhtē tō bahut achchhā haĩ , yahā̃ sē bāhar nikalē khalās .

199Here, they understand everything very well, but as soon as they go outside, everything finishes.

192Service kā śhauk rahnā chāhiē .

200You should be interested in doing service.

193Sabkō yah paigām dēnē key|kī yukti rachē̃ .

201Create ways to give everyone this message.

194Mēhnat karnī hai .

202You have to make effort.

195Naśhē sē batānā chāhiē - śhivbābā kahtē haĩ mujhē yād karō tō pāp miṭ jāyēṅgē .

203You have to tell everyone with intoxication: Shiv Baba says “Remember Me and your sins will be absolved”.

196Ham ēk śhivbābā K|kē sivāē aur kiskō yād nahī̃ kartē haĩ .

204We remember no one but one Shiv Baba.

197Achchhā  !

205Achcha.

198Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

206To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

199Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

207The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

200Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

208Essence for dharna:

2011 ) aim object kā chitra sadā sāth rakhnā hai .

2091. Always keep the picture of your aim and objective with you.

202Naśhā rahē ki abhī ham śhrīmat par viśhva kā mālik ban rahē haĩ .

210Have the intoxication that you are becoming the masters of the world by following shrimat.

203Ham aisē phūlō̃ K|kē bagīchē mē̃ jātē haĩ - jahā̃ hamārē nayan hī śhītal hō jāyēṅgē .

211You are going to such a garden of flowers that your eyes will be cool there.

2042 ) service kā bahut-bahut śhauk rakhnā hai .

2122. Have a lot of interest in doing service.

205Baṛē dil vā umaṅg sē baṛē-baṛē chitrō̃ par service karnī hai .

213Do service with a lot of enthusiasm and a big heart, using large pictures.

206Beggar to prince banānā hai .

214Change beggars into princes.

Blessing

207Vardān  : karmō key|kī gati kō jān gati-sadgati kā phaĩslā karnē vālē master duḥkh hartā sukh kartā bhav

215Blessing: May you become a master remover of sorrow and a bestower of happiness and, by understanding the philosophy of karma, decide between giving them liberation and salvation.

208Abhī tak apnē jīvan key|kī kahānī dēkhnē aur sunānē mē̃ busy nahī̃ rahō . 209Balki har ēk K|kē karma key|kī gati kō jān gati sadgati dēnē K|kē phaĩsalē karō .

216Do not keep busy looking at and speaking about your life story up to now, but understand the state of everyone’s karma and decide whether to give them liberation or salvation.

210Māsṭaraduḥkh hartā sukh kartā kā part bajāō .

217Play the part of being a master remover of sorrow and a bestower of happiness.

211Apnī rachnā K|kē duḥkh aśhānti key|kī samasyā kō samāpt karō , unhē̃ mahādān aur vardān dō .

218Finish the sorrow and peacelessness of your creation and give them great donations and blessings.

212Khud facilities ( suvidhāyē̃ ) na lō|low , ab tō dātā bankar dō .

219Do not take any facilities for yourself, but now be a bestower and give.

213Yadi salvation K|kē ādhār par svayã key|kī unnati vā sēvā mē̃ alpkāl kē liē saphaltā prāpt hō bhī jāyē tō bhī āj mahān hōṅgē kal mahāntā key|kī pyāsī ātmā ban jāyēṅgē .

220If you experience self-progress on the basis of some salvation (help) that you have received or if you achieve success in your service for a temporary period, then, today you would be a great soul and tomorrow, you would thirst for that greatness.

Slogan

214Slōgan  : anubhūti na hōnā - yuddha key|kī stage hai , yōgī banō yōddhē nahī̃ .

221Slogan: Not to have any experience is the stage of battling. 222So, become a yogi, not a warrior.

223*** Om Shanti ***

215Avyakt iśhārē - aśharīrī va vidēhī sthiti kā abhyās baṛhāō

224Avyakt Signal: Increase the practice of the bodiless stage (ashariri and videhi).

216Jaisē brahmā bāp avyakt ban vidēhī sthiti dvārā karmātīt banē , tō avyakt brahmā key|kī viśhēṣh pālnā K|kē pātr hō isliē avyakt pālnā kā respond vidēhī bankar dō .

225Father Brahma became avyakt and karmateet with the bodiless stage, and you are worthy of special sustenance from avaykt Brahma. 226Therefore, give the return of that avyakt sustenance by becoming bodiless.

217Sēvā aur sthiti kā balance rakhō . 218Vidēhī mānā dēh sē nyārā .

227Keep a balance between your service and your stage. ‘Bodiless’ means to be detached from your body.

219Svabhāv , saṅskār , kamjōriyā̃ sab dēh kē sāth haĩ aur dēh sē nyārā hō gayā tō sabsē nyārā hō gayā , isliē yah drill bahut sahyōg dēgī , ismē̃ controlling power chāhiē .

228Nature, sanskars and weaknesses are all connected with one’s body and so, once you are detached from your body, you are beyond all of those things. 229Therefore, this drill will help you a lot, but, for this, you need controlling power.