सोमवार 22 दिसंबर 2025 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

022-12-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

022/12/25 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - bāp jō hai , jaisā hai , usē yathārth pahchān kar yād karō , iskē liē apnī buddhi kō viśhāl banāō ' '

1Essence: Sweet children, recognise the Father accurately as He is and what He is and remember Him. 2For this, make your intellects broad and unlimited.

Question

2Praśhna  : bāp kō garīb-nivāz kyō̃ kahā gayā hai  ?

3Question: Why is the Father called the Lord of the Poor?

Answer

3Uttar  : kyōṅki is samay jab sārī duniyā garīb arthāt duḥkhī ban gaī hai tab bāp āyē haĩ sabkō duḥkh sē chhuṛānē .

4Answer: Because, at this time, when the entire world is poor and unhappy, the Father has come to liberate everyone from sorrow.

4Bākī kis par taras khākar kapṛē dē dēnā , paisā dē dēnā vah kōī kamāl key|kī bāt nahī̃ .

5It is not a big thing to have mercy for someone by giving him food and clothes.

5Issē vah kōī sāhūkār nahī̃ ban jātē .

6They do not become rich through that.

6Aisē nahī̃ maĩ kōī in bhīlō̃ kō paisā dēkar garīb-nivāz kahalāūṅgā .

7It is not by giving money to the natives that I can be called the Lord of the Poor.

7Maĩ tō garīb arthāt patitō̃ kō , jinmē̃ gyān nahī̃ hai , unhē̃ gyān dēkar pāvan banātā hū̃ .

8I make poor souls, that is, impure souls who have no knowledge, pure by giving them this knowledge.

Song

8Gīt  : yahī bahār hai duniyā kō bhūl jānē key|kī …

9Song: This is the season to forget the world!

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ nē gīt sunā .

11You sweetest children heard the song.

11Bachchē jāntē haĩ gīt tō duniyāvī manuṣhyō̃ nē gāyā hai .

12You children know that this song was created by worldly people.

12Akṣhar baṛē achchhē haĩ , is purānī duniyā kō bhulānā hai .

13Its words are very good: You have to forget this old world.

13Āgē aisē nahī̃ samajhtē thē .

14Previously, you did not understand this.

14Kaliyugī manuṣhyō̃ kō bhī samajh mē̃ nahī̃ ātā hai ki naī duniyā mē̃ jānā hōgā tō jarūr purānī duniyā kō bhūlnā hōgā .

15Iron-aged people do not understand that they definitely do have to forget the iron age if they want to go to the new world.

15Bhal itnā samajhtē haĩ purānī duniyā kō chhōṛnā hai parantu vah samajhtē haĩ ajun bahut samay paṛā hai .

16Although they understand that they have to leave the old world, they still consider there to be a lot of time left.

16Naī sō purānī hōgī , yah tō samajhtē haĩ parantu lambā time ḍālnē sē bhūl gayē haĩ .

17They understand that the new one definitely becomes old, but, by giving it a long duration, they have forgotten this.

17Tumkō ab smr̥iti dilāī jātī hai , abhī naī duniyā sthāpan hōtī hai isliē purānī duniyā kō bhūlnā hai .

18You are now being given the awareness that, since the new world is being established, the old world has to be forgotten.

18Bhūl jānē sē kyā hōgā  ?

19What will happen by forgetting it?

19Ham yah śharīr chhōṛ naī duniyā mē̃ jāyēṅgē .

20We will leave our bodies and go to the new world.

20Parantu agyān kāl mē̃ aisī-aisī bātō̃ K|kē arth|earth par kiskā dhyān nahī̃ jātā .

21However, on the path of ignorance, people's attention is not drawn to the meaning of these things.

21Jis prakār bāp samjhātē haĩ , aisē kōī bhī samjhānē vālā nahī̃ hai .

22No one can explain to you in the way that the Father does.

22Tum inkē arth|earth kō samajh saktē hō .

23You now understand the meaning of this.

23Yah bhī bachchē jāntē haĩ - bāp hai bahut sādhāraṇ .

24You children also know that the Father is very ordinary.

24Ananya , achchhē-achchhē bachchē bhī pūrā samajhtē nahī̃ haĩ .

25Even very good, special children don't understand this fully.

25Bhūl jātē haĩ ki inmē̃ śhivbābā ātē haĩ .

26They forget that Shiv Baba enters this one.

26Kōī bhī direction dētē haĩ tō samajhtē nahī̃ ki yah śhivbābā kā direction hai .

27When a direction is given, they don't understand that it is Shiv Baba's direction.

27Śhivbābā kō sārā din jaisē bhūlē huē haĩ .

28It is as though they forget Shiv Baba throughout the whole day.

28Pūrā na samajhnē kāraṇ vah kām nahī̃ kartē .

29Because of not understanding fully, they do not do the work.

29Māyā yād karnē nahī̃ dētī .

30Maya does not let them remember.

30Sthāī vah yād ṭhahartī nahī̃ .

31There isn't that constant remembrance.

31Mēhnat kartē-kartē pichhāṛī mē̃ ākhir vah avasthā hōnī jarūr hai .

32By continuing to make effort, you will definitely have that stage at the end.

32Aisā kōī bhī nahī̃ jō is samay karmātīt avasthā kō pā lē .

33There is no one who can reach the karmateet stage at this time.

33Bāp jō hai , jaisā hai unkō jānnē mē̃ baṛī buddhi chāhiē .

34You need a broad intellect to know the Father as He is and how He is.

34Tumsē pūchhē̃gē bāpdādā garm kapṛē pahantē haĩ  ?

35Some people ask you: Does BapDada wear warm clothes?

35Kahē̃gē dōnō̃ kō paṛē huē haĩ .

36You reply: Both of them are wearing them.

36Śhivbābā kahē̃gē maĩ thōṛēhī garm kapṛē pahanū̃gā .

37Shiv Baba would say: I don't need to wear warm clothes.

37Mujhē ṭhaṇḍī nahī̃ lagtī .

38I don't feel the cold.

38Hā̃ , jismē̃ pravēśh kiyā hai unkō ṭhaṇḍī lagēgī .

39However, the one I have entered feels the cold.

39Mujhē tō na bhūkh , na pyās kuchh nahī̃ lagtā .

40I neither feel hungry nor thirsty.

40Maĩ tō nirlēp hū̃ .

41I am immune to all of that.

41Service kartē huē bhī in sab bātō̃ sē nyārā hū̃ .

42Even while doing service, I am beyond all of that.

42Maĩ khātā , pītā nahī̃ hū̃ .

43I don't eat or drink.

43Jaisē ēk sādhū bhī kahtā thā nā , maĩ na khātā hū̃ , na pītā hū̃ . . . . unhōnnē phir artificial vēśh dhāraṇ kar liyā hai .

44There was a sage who used to say that he neither ate nor drank; he put on an artificial appearance.

44Dēvtāō̃ K|kē nām bhī tō bahutō̃ nē rakhē haĩ .

45Many people have names that belong to the deities.

45Aur kōī dharm mē̃ dēvī-dēvtā bantē nahī̃ haĩ .

46No one becomes a deity in any other religion.

46Yahā̃ kitnē mandir haĩ .

47There are so many temples here.

47Bāhar mē̃ tō ēk śhivbābā kō hī māntē haĩ .

48Everywhere else they only believe in the one Shiv Baba.

48Buddhi bhī kahtī hai father tō ēk hōtā hai .

49Still the intellect says that there can be only the one Father.

49Father sē hī varsā miltā hai .

50It is from your father that you receive the inheritance.

50Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai - kalp K|kē is puruṣhōttam saṅgamyug par hī bābā sē varsā miltā hai .

51It is in the intellects of you children that it is at this most elevated confluence age that you receive an inheritance from Baba.

51Jab ham sukhdhām mē̃ jātē haĩ tō bākī sab śhāntidhām mē̃ rahtē haĩ .

52When we go to the land of happiness, all others remain in the land of peace.

52Tumhārē mē̃ bhī yah samajh number-vār hai .

53This is understood by you too, numberwise.

53Agar gyān K|kē vichārō̃ mē̃ rahtē haĩ tō unhō̃ K|kē bōl hī vah nikalē̃gē .

54Those who keep thinking about this knowledge will automatically be able to speak about it.

54Tum rūp-basant ban rahē hō - bābā dvārā .

55You are becoming rup and basant (embodiments of yoga and showering knowledge) through Baba.

55Tum rūp bhī hō aur basant bhī hō .

56You are rup as well as basant.

56Duniyā mē̃ aur kōī kah na sakē ki ham rūp-basant haĩ .

57None in the world can say that they are rup and basant.

57Tum abhī paṛh rahē hō , pichhāṛī tak number-vār puruṣhārth anusār paṛh lē̃gē .

58You are now studying and will continue until the end, numberwise, according to your efforts.

58Śhivbābā ham ātmāō̃ kā bāp hai nā .

59Shiv Baba is the Father of all souls.

59Yah bhī dil sē lagtā tō hai nā .

60You feel this in your hearts.

60Bhakti mārg mē̃ thōṛēhī dil sē lagtā hai .

61You do not feel it in your hearts on the path of devotion.

61Yahā̃ tum sammukh baiṭhē hō .

62Here, you are personally sitting in front of Him.

62Samajhtē hō bāp phir is samay hī āyēṅgē phir kōī aur samay bāp kō ānē key|kī darkār hī nahī̃ .

63You understand that the Father will only come again at this time and that there is no need for Him to come again at any other time.

63Satyug sē trētā tak ānā nahī̃ hai . 64Dvāpar sē kaliyug tak bhī ānē kā nahī̃ hai .

64Neither is there any need for Him to come between the golden and silver ages, nor between the copper and iron ages.

65Vah ātē hī haĩ kalp K|kē saṅgamyug par .

65He comes at the confluence of the cycles.

66Bāp hai bhī garīb nivāz arthāt sārī duniyā jō duḥkhī garīb hō jātī hai unkā bāp hai .

66The Father is the Lord of the Poor, that is, He is the Father of this whole world which is poor and suffering.

67Inkī dil mē̃ kyā hōgā  ?

67What is in His heart?

68Ham garīb nivāz haĩ . 69Sabkā duḥkh athavā garībī miṭ jāē .

68I am the Lord of the Poor; everyone's sorrow and poverty should all end.

70Vō tō sivāē gyān sē kam hō na sakē .

69Sorrow and poverty cannot be reduced except through this knowledge.

71Bākī kapṛā ādi dēnē sē kōī sāhūkār tō nahī̃ ban jāyēṅgē nā .

70No one can become rich just by being given clothes and food.

72Karkē garīb kō dēkhnē sē dil hōgī inkō kapṛā dē dē̃ , kyōṅki yād paṛtā hai nā - maĩ garīb nivāz hū̃ .

71Perhaps, on seeing the poor, I would feel like giving clothes to them because I remember that I am the Lord of the Poor.

73Sāth-sāth yah bhī samajhtā hū̃ - maĩ garīb nivāz kōī in bhīlō̃ kē liē hī nahī̃ hū̃ . 74Maĩ garīb nivāz hū̃ jō bilkul hī patit haĩ unhō̃ kō pāvan banātā hū̃ .

72However, at the same time, I also understand that I am not only the Lord of the Poor for them; I am the Lord of the Poor who purifies those who are completely impure.

75Maĩ hū̃ hī patit-pāvan .

73I am the Purifier.

76Tō vichār chaltā hai , maĩ garīb nivāz hū̃ parantu paisē ādi kaisē dū̃ .

74I think about this. 75Even though I am the Lord of the Poor, how could I give money?

77Paisē ādi dēnē vālē tō duniyā mē̃ bahut haĩ .

76There are many in this world who can give money.

78Bahut funds nikāltē haĩ , jō phir anāth āśhram mē̃ bhēj dētē haĩ .

77They collect a lot of funds that are then donated to orphanages.

79Jāntē haĩ anāth rahtē haĩ arthāt jiskō nāth nahī̃ .

78They know that to be an orphan means to be someone who has no lord and master.

80Anāth mānā garīb .

79An orphan means someone who is poor.

81Tumhārā bhī nāth nahī̃ thā arthāt bāp nahī̃ thā .

80You too did not have the Lord, that is, you did not have the Father.

82Tum garīb thē , gyān nahī̃ thā .

81You were poor because you had none of this knowledge.

83Jō rūp-basant nahī̃ , vah garīb anāth haĩ .

82Those who are not rup and basant are poor and "anath" (orphans,without anything).

84Jō rūp basant haĩ unkō sanāth kahā jātā hai .

83Those who are rup and basant are "sanath" (one who possesses everything).

85Sanāth sāhūkār kō , anāth garīb kō kahā jātā hai .

84The rich are "sanath" and the poor are "anath".

86Tumhārī buddhi mē̃ hai sab garīb haĩ , kuchh unhō̃ kō dē dēvē̃ .

85It is in your intellects that all are poor and that we must give them something.

87Bāp garīb-nivāz hai tō kahē̃gē aisī chīzē̃ dēvē̃ jissē sadā kē liē sāhūkār ban jāyē̃ .

86Because the Father is the Lord of the Poor, He says: Give them something through which they can become wealthy for ever.

88Bākī yah kapṛā ādi dēnā tō common bāt hai .

87Otherwise, to give clothes etc. is a common thing.

89Unmē̃ ham kyō̃ paṛē̃ .

88Why should we get involved in that?

90Ham tō unkō anāth sē sanāth banā dēvē̃ .

89We should change them from orphans to wealthy.

91Bhal kitnā bhī kōī padmapati hai , parantu vah bhī sab alpkāl kē liē hai .

90Even if someone is a multimillionaire, all of that is temporary.

92Yah hai hī anāthō̃ key|kī duniyā .

91This is the world of orphans.

93Bhal paisē vālē haĩ , vah bhī alpkāl kē liē .

92Even though there are rich people, all of that is temporary.

94Vahā̃ haĩ sadaiv sanāth .

93There, they constantly belong to the Lord and Master.

95Vahā̃ aisē karma nahī̃ kūṭtē .

94There, none of them repent for their actions.

96Yahā̃ kitnē garīb haĩ .

95Here, there are so many poor people.

97Jinkō dhan hai , unhō̃ kō tō apnā naśhā chaṛhā rahtā hai - ham svarg mē̃ haĩ .

96Those who are wealthy are intoxicated and think that they are in heaven.

98Parantu haĩ nahī̃ , yah tum jāntē hō .

97However, you know that that is not so.

99Is samay kōī bhī manuṣhya sanāth nahī̃ haĩ , sab anāth haĩ .

98You know that, at this time, no human being is "sanath" (one who belongs to the Lord and Master); all are orphans.

100Yah paisē ādi tō sab miṭṭī mē̃ mil jānē vālē haĩ .

99All the money etc. is going to turn to dust.

101Manuṣhya samajhtē haĩ hamārē pās|pass itnā dhan hai jō putr-pōtrē khātē rahē̃gē . 102Paramparā chaltā rahēgā . 103Parantu aisē chalnā nahī̃ hai .

100Human beings think that they have so much wealth that their great grandchildren will be able to use it, that it will continue for generations, but it will not be like that.

104Yah tō sab vināśh hō jāyēgā isliē tumkō is sārī purānī duniyā sē vairāgya hai .

101All of it will be destroyed. 102That is why you should have disinterest in this entire old world.

105Tum jāntē hō naī duniyā kō svarg , purānī duniyā kō nark kahā jātā hai .

103You know that the new world is called heaven and that the old world is called hell.

106Hamkō bābā naī duniyā kē liē sāhūkār banā rahē haĩ .

104Baba is making us wealthy for the new world.

107Yah purānī duniyā tō khatm hō jānī hai .

105The old world is going to be destroyed.

108Bāp kitnā sāhūkār banātē haĩ .

106The Father is making us so wealthy.

109Yah lakṣhmī-nārāyaṇ sāhūkār kaisē banē̃  ?

107How did this Lakshmi and Narayan become so wealthy?

110Kyā kōī sāhūkār sē varsā milā vā laṛāī kī  ?

108Did they fight for it or did they inherit it from someone rich?

111Jaisē dūsrē rājgaddī pātē haĩ , kyā aisē rājgaddī pāī  ?

109Did they receive the throne in the way other kings receive their thrones?

112Vā karmō̃ anusār yah dhan milā  ?

110Or, did they receive this wealth based on their actions?

113Bāp kā karma sikhlānā tō bilkul hī nyārā hai .

111The way in which the Father teaches us about actions is unique.

114Karm-akarm-vikarm akṣhar bhī clear hai nā .

112The terms ‘actions’, ‘neutral actions’ and ‘sinful actions’ are completely clear.

115Śhāstrō̃ mē̃ kuchh akṣhar haĩ , āṭē mē̃ namak jitnē rah jātē haĩ .

113Some words in the scriptures are right, but they are like a pinch of salt in a sackful of flour.

116Kahā̃ itnē krōṛ manuṣhya , bākī 9 lākh rahtē haĩ . 117Quarter percent bhī nahī̃ huā .

114Here, there are millions of human beings whereas there, there are only 900,000. It isn't even a quarter per cent.

118Tō iskō kahā jātā hai āṭē mē̃ namak .

115This is called a pinch of salt in a sackful of flour.

119Duniyā sārī vināśh hō jātī hai .

116The whole world is to be destroyed.

120Bahut thōṛē saṅgamyug mē̃ rahtē haĩ .

117Very few remain in the confluence age.

121Kōī pahlē sē śharīr chhōṛ jātē haĩ . 122Vah phir receive karē̃gē . 123Jaisē mugalī bachchī thī , achchhī thī tō janm bilkul achchhē ghar mē̃ liyā hōgā .

118Some leave their bodies early; they will then receive the others, just as sister Mugli was very good, and so she must have taken birth in a good home.

124Number-vār sukh mē̃ hī janma lētē haĩ .

119They take birth, numberwise, in happiness.

125Sukh tō unkō dēkhnā hai , thōṛā duḥkh bhī dēkhnā hai .

120They have to experience happiness and a little sorrow as well.

126Karmātīt avasthā tō kiskī huī nahī̃ hai .

121No one has attained the karmateet stage.

127Janm baṛē sukhī ghar mē̃ jākar lē̃gē .

122They will take birth in very happy homes.

128Aisē mat samjhō yahā̃ kōī sukhī ghar haĩ nahī̃ .

123Don't think that there are no happy families here.

129Bahut parivār aisē achchhē hōtē haĩ , bāt mat pūchhō .

124There are many very good families here, don’t even ask!

130Bābā kā dēkhā huā hai .

125Baba has seen some.

131Bahuē̃ ēk hī ghar mē̃ aisē śhānt milāp mē̃ rahtī haĩ jō bas , sabhī sāth mē̃ bhakti kartī haĩ , gītā paṛhtī haĩ . . . . .

126The daughters-in-law all live together very peacefully and in unity and do their devotion and read the Gita together.

132Bābā nē pūchhā itnī sab ikaṭṭhī rahtī haĩ , jhagaṛā|jhagṛā ādi nahī̃ hōtā  !

127Baba asked: Do all of you stay together and yet not fight?

133Bōlā hamārē pās|pass tō svarg hai , ham sabhī ikaṭṭhē rahtē haĩ . 134Kabhī laṛtē-jhagaṛtē nahī̃ haĩ , śhānt mē̃ rahtē haĩ .

128They replied: We are in heaven; we all live together and remain peaceful and never fight.

135Kahtē haĩ yahā̃ tō jaisē svarg hai tō jarūr svarg past hō gayā hai tab kahnē mē̃ ātā hai nā ki yahā̃ tō jaisē svarg lagā paṛā hai .

129They say that it is like being in heaven. 130That means that heaven definitely used to be here; that is why it is referred to in this way.

136Parantu yahā̃ tō bahutō̃ kā svabhāv svargvāsī bannē kā dikhāī nahī̃ dētā . 137Dās-dāsiyā̃ bhī tō bannē haĩ nā . 138Yah rājdhānī sthāpan hōtī hai .

131However, there are many here who do not have the nature of being like residents of heaven; maids and servants also have to be created, the kingdom is being established.

139Bākī jō brāhmaṇ bantē haĩ vah daivī gharānē mē̃ ānē vālē haĩ . 140Parantu number-vār haĩ .

132Those who become Brahmins are the ones who will go into the deity kingdom, but it is numberwise.

141Kōī tō bahut mīṭhē hōtē haĩ , sabkō pyār kartē rahē̃gē .

133Some are very sweet and are very loving to everyone.

142Kabhī kiskō gussā nahī̃ karē̃gē .

134They never become angry with anyone.

143Gussā karnē sē duḥkh hōtā hai .

135By becoming angry, you experience sorrow.

144Jō mansā-vāchā-karmaṇā kiskō duḥkh hī dētē rahtē haĩ - unkō kahā jātā hai duḥkhī ātmā .

136Those who continue to cause sorrow for others through their thoughts, words and deeds are called sorrowful souls.

145Jaisē puṇya ātmā , pāp ātmā kahtē haĩ nā .

137It is said: Charitable souls and sinful souls.

146Śharīr kā nām lētē haĩ kyā  ?

138Do they use the names of the bodies?

147Vāstav mē̃ ātmā hī bantī hai , sab pāp ātmāyē̃ bhī ēk jaisī nahī̃ hōtī haĩ .

139In reality, it is souls who become that. 140Not all sinful souls are the same.

148Puṇya ātmā bhī sab ēk jaisī nahī̃ hōtī .

141Charitable souls are not the same either.

149Number-vār puruṣhārth anusār hōtē haĩ .

142They are all numberwise, according to their efforts.

150Student khud samajhtē hōṅgē nā ki hamārē characters , avasthā kaisī hai  ? 151Ham kaisē chaltē haĩ  ?

143Students understand for themselves as to what their characters and stages are like and how they interact with others.

152Sabkō mīṭhā bōltē haĩ  ?

144Do we speak sweetly to everyone?

153Kōī kuchh kahē ham ulṭā-sulṭā javāb tō nahī̃ dētē haĩ  ?

145Even when someone says something, do I reply in a bad manner?

154Bābā kō kaī bachchē kahtē haĩ - bachchō̃ par gussā ā jātā hai .

146Some children tell Baba that they become angry with their children.

155Bābā kahtē haĩ jitnā hō sakē pyār sē kām lō|low .

147Baba says: As much as possible, handle every situation with love.

156Nirmōhī bhī bannā chāhiē .

148You also have to become free from attachment.

157Yah tō tum bachchē samajhtē hō - hamkō yah lakṣhmī-nārāyaṇ bannā hai .

149You children understand that you want to become like Lakshmi and Narayan.

158Aim object sāmnē khaṛī hai .

150Your aim and objective is standing in front of you.

159Kitnī ūñch aim object hai .

151It is such a high aim and objective.

160Paṛhānē vālā bhī highest hai nā .

152The One who is teaching you is also the highest.

161Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī mahimā kitnī gātē haĩ - sarvguṇ sampann , 16 kalā sampann . . . . ab tum bachchē jāntē hō ham vah ban rahē haĩ .

153They sing a great deal of praise of Shri Krishna, that he is full of all virtues and 16 celestial degrees full. 154Now, you children know that we are becoming that.

162Tum yahā̃ āyē hī hō yah bannē kē liē .

155You have come here to become that.

163Tumhārī yah sachchī satya nārāyaṇ kī kathā hai hī nar sē nārāyaṇ bannē key|kī .

156Your story of becoming true Narayan is the story of becoming Narayan from an ordinary human being.

164Amarkathā hai amarpurī jānē key|kī .

157The story of immortality is to go to the land of immortality.

165Kōī sannyāsī ādi in bātō̃ kō nahī̃ jāntē .

158None of the sannyasis etc. are aware of any of these things.

166Kōī bhī manuṣhya mātra kō gyān kā sāgar vā patit-pāvan nahī̃ kahē̃gē .

159No human being can be called the Ocean of Knowledge or the Purifier.

167Jabki sārī sr̥iṣhṭi hī patit hai tō ham patit-pāvan kiskō kahē̃  ?

160When the whole world is impure, whom could we call the Purifier?

168Yahā̃ kōī puṇya ātmā hō na sakē .

161No one here can be a charitable soul.

169Bāp samjhātē haĩ - yah duniyā patit hai .

162The Father explains that this world is impure.

170Śhrīkr̥iṣhṇa hai avval number .

163Shri Krishna is number one.

171Unkō bhī bhagvān nahī̃ kah saktē .

164He cannot be called God.

172Janm-maraṇ rahit ēk hī nirākār bāp hai .

165Only the one incorporeal Father is free from birth and re-birth.

173Gāyā jātā hai śhiv paramātmāē namaḥ , brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kō dēvtā kah phir śhiv kō paramātmā kahtē haĩ .

166It is sung: Salutations to the Supreme Soul, Shiva. 167Brahma, Vishnu and Shankar are called deities and Shiva is called the Supreme Soul.

174Tō śhiv sabsē ūpar huā nā .

168Therefore, Shiva is above everyone else.

175Vah hai sabkā bāp .

169He is the Father of all.

176Varsā bhī bāp sē milnā hai , sarvavyāpī kahnē sē varsā nahī̃ miltā hai .

170The inheritance is received from the Father. 171By saying that He is omnipresent, you cannot receive the inheritance.

177Bāp svarg key|kī sthāpanā karnē vālā hai tō jarūr svarg kā hī varsā dēgē .

172The Father is the One who establishes heaven and so He will definitely give you the inheritance of heaven.

178Yah lakṣhmī-nārāyaṇ haĩ number one .

173Lakshmi and Narayan are number one.

179Paṛhāī sē yah pad pāyā .

174They attained that status through this study.

180Bhārat kā prāchīn yōg kyō̃ nahī̃ maśhhūr hōgā jissē manuṣhya viśhva kā mālik bantē haĩ uskō kahtē haĩ sahaj yōg , sahaj gyān .

175Why would the ancient yoga of Bharat not be famous, since it is through that that human beings become the masters of the world? 176This is called easy yoga and easy knowledge.

181Hai bhī bahut sahaj , ēk hī janm K|kē puruṣhārth sē kitnī prāpti hō jātī hai .

177It truly is very easy. 178By making effort for one birth, you attain so much.

182Bhakti mārg mē̃ tō janm by janm ṭhōkarē̃ khātē āyē , miltā tō kuchh bhī nahī̃ .

179On the path of devotion, you were stumbling along for birth after birth and you received nothing.

183Yah tō ēk hī janm mē̃ miltā hai isliē sahaj kahā jātā hai .

180Here, you receive so much in one birth and that is why it is called easy.

184Second mē̃ jīvanmukti kahā jātā hai .

181It is said, “Liberation-in-life in a second”.

185Ājkal tō dēkhō kaisē-kaisē invention nikāltē rahtē haĩ .

182Nowadays, they invent amazing things.

186Science kā bhī wonder hai .

183It is the wonder of science.

187Silence kā bhī wonder dēkhō kaisā hai  ?

184Look at what the wonder of silence is.

188Vah sab kitnā dēkhnē mē̃ ātā hai . 189Yahā̃ kuchh nahī̃ hai .

185You can see so much of that, whereas here, there is nothing.

190Tum śhānti mē̃ baiṭhē hō , naukrī ādi bhī kartē hō , hath kār|car ḍē|day . . . aur ātmā key|kī dil yār taraph , āśhik māśhūk bhī gāyē huē haĩ nā .

186You are just sitting in silence and you also go to work. 187However, while working with your hands, your heart is with your Beloved. 188The lover and beloved are also remembered.

191Vah ēk dō key|kī śhakla par āśhik hōtē haĩ , vikār key|kī bāt nahī̃ rahtī .

189They are attracted by each other's face; there is no question of vice there.

192Kahā̃ bhī baiṭhē yād ā jāyēṅgē .

190Wherever they may be sitting, they remember one another.

193Rōṭī khātē rahē̃gē bas sāmnē unkō dēkhtē rahē̃gē .

191Even while eating a chapatti, they would continue to see the other one in front of them.

194Ant mē̃ tumhārī yah avasthā hō jāyēgī .

192At the end, your stage will be like that.

195Bas bāp kō hī yād kartē rahē̃gē .

193You will just continue to remember the Father.

196Achchhā .

194Achcha.

197Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .

195To the sweetest, beloved, long-lost, now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

198Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

196The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

199Dhārṇā kē liē mukhya sāraḥ

197Essence for dharna:

2001 ) rūp-basant ban mukh sē sadā sukhdāī bōl bōlnē haĩ , duḥkhdāī nahī̃ bannā hai .

1981. Become rup and basant and continually speak words that give happiness. 199Do not cause sorrow for others.

201Gyān K|kē vichārō̃ mē̃ rahnā hai , mukh sē gyān ratna hī nikālnē haĩ .

200Keep thinking about this knowledge and only let jewels of this knowledge emerge from your mouth.

2022 ) nirmōhī bannā hai , har ēk sē pyār sē kām lēnā hai , gussā nahī̃ karnā hai .

2012. Become free from attachment. 202Interact with everyone with love and don't become angry.

203Anāth kō sanāth banānē key|kī sēvā karnī hai .

203Do the service of making orphans belong to the Lord and Master.

Blessing

204Vardān  : apnē phariśhtē rūp dvārā gati-sadgati kā prasād bāṇṭnē vālē master gati-sadgati dātā bhav

204Blessing: May you be a master bestower of liberation and salvation and distribute the holy offering of liberation and salvation with your angelic form.

205Vartamān samay viśhva key|kī anēk ātmāyē̃ paristhitiyō̃ K|kē vaśh chillā rahī haĩ , kōī mãhagāī sē , kōī bhūkh sē , kōī tan K|kē rōg sē , kōī man key|kī aśhānti sē . . . . sabkī najar tower of|off peace|pīs key|kī taraph jā rahī hai .

205At present, all souls of the world are crying out because of the adverse situations. 206Some are doing this because everything is expensive, some are crying out physically with their mouths, some because of physical illness, and some because of the peacelessness in their minds. 207Everyone’s vision is going to the Tower of Peace.

206Sab dēkh rahē haĩ hā-hākār kē bād jay-jayakār kab hōtī hai .

208Everyone is watching to see when there will be the cries of victory after the cries of distress.

207Tō ab apnē sākārī phariśhtē rūp dvārā viśhva K|kē duḥkh dūr karō , master gati sadgati dātā ban bhaktō̃ kō gati aur sadgati kā prasād bāṇṭō .

209So, now with your physical, angelic form, remove the sorrow of the world. 210Be a master bestower of liberation and salvation and give the devotees the holy offering (prasad) of liberation and salvation.

Slogan

208Slōgan  : man kō itnā śhaktiśhālī banā lō jō kōī bhī paristhiti man kō halchal mē̃ na lā sakē .

211Slogan: Make your mind so powerful that no adverse situation is able to cause upheaval in your mind.

212*** Om Shanti ***

209Avyakt iśhārē - ab sampann vā karmātīt bannē key|kī dhun lagāō

213Avyakt Signal: Now have the deep concern to become complete and karmateet.

210Ab sēvā K|kē karma K|kē bhī bandhan mē̃ nahī̃ āō .

214Do not now have any bondage of actions while doing service.

211Hamārā sthān , hamārī sēvā , hamārē student , hamārī sahyōgī ātmāyē̃ , yah bhī sēvā K|kē karma kā bandhan hai , is karmbandhan sē karmātīt .

215“My place, my service, my students, my co-operative souls.” 216These too are karmic bondages of service. 217Be karmateet even of these karmic bondages.

212Tō karmātīt bannā hai aur «  yah vahī haĩ , yahī sab kuchh haĩ , ' ' yah mahsūstā dilāē ātmāō̃ kō samīp ṭhikānē par lānā hai .

218This is becoming karmateet. 219Give them the realisation that this is the same One, that this One is everything, and bring souls close to their destination.