सोमवार 26 जनवरी 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
026-01-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
026/01/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - tumnē ādhākalp jiskī bhakti kī hai , vahī bāp khud tumhē̃ paṛhā rahē haĩ , is paṛhāī sē hī tum dēvī dēvtā bantē hō ' '
1Essence: Sweet children, the Father, Himself, the One you have been worshipping for half a cycle, is now teaching you. 2It is through this study that you become deities.
Question
2Praśhna : yōgbal K|kē lift key|kī kamāl kyā hai ?
3Question: What is the wonder of the lift of the power of yoga?
Answer
3Uttar : tum bachchē yōgbal key|kī lift sē second mē̃ ūpar chaṛh jātē hō arthāt second mē̃ jīvanmukti kā varsā tumhē̃ mil jātā hai .
4Answer: You children ascend in the lift of the power of yoga in a second, that is, you receive the inheritance of liberation-in-life in a second.
4Tum jāntē hō sīṛhī utarnē mē̃ 5 hazār varṣh lagē aur chaṛhtē haĩ ēk second mē̃ , yahī hai yōgbal key|kī kamāl .
5You know that it takes you 5000 years to come down the ladder and that you climb up in a second. 6This is the wonder of the power of yoga.
5Bāp kī yād sē sab pāp kaṭ jātē haĩ . 6Ātmā satōpradhān ban jātī hai .
7All sins of you souls are cut away by having remembrance of the Father and you become satopradhan.
Murli
7Ōm śhānti .
8Om shanti.
8Rūhānī bāp rūhānī bachchō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ .
9The spiritual Father sits here and explains to you spiritual children.
9Rūhānī bāp key|kī mahimā tō bachchō̃ kō sunāī hai .
10The praise of the spiritual Father has been told to you children.
10Vah gyān kā sāgar , sat-chit-ānand svarup hai . 11Śhānti kā sāgar hai .
11He is the Ocean of Knowledge, the Truth, the Living Being and the Blissful One; He is the Ocean of Peace.
12Unkō sab bēhad key|kī śhiphtē̃ dī jātī haĩ .
12He is given all the unlimited praise.
13Ab bāp hai gyān kā sāgar .
13The Father is the Ocean of Knowledge.
14Aur is samay jō bhī manuṣhya haĩ sab jāntē haĩ ham bhakti K|kē sāgar haĩ .
14You know that, at this time, all humans are oceans of devotion.
15Bhakti mē̃ jō sabsē tīkhā hōtā hai unkō mān miltā hai .
15Those who are the greatest devotees receive respect.
16Is samay kaliyug mē̃ hai bhakti , duḥkh . 17Satyug mē̃ hai gyān kā sukh .
16At this time, in the iron age, there is devotion and sorrow, whereas in the golden age, there is the happiness of this knowledge.
18Aisē nahī̃ ki vahā̃ gyān hai .
17It isn’t that they have this knowledge there.
19Tō yah mahimā sirph ēk hī bāp kī hai aur bachchō̃ key|kī mahimā bhī hai kyōṅki bāp bachchō̃ kō paṛhātē haĩ athavā yātrā sikhlātē haĩ .
18This praise is of just the one Father. 19It is also the praise of the children because the Father teaches you children, that is, He teaches them this pilgrimage.
20Bāp nē samjhāyā hai dō yātrāyē̃ haĩ .
20The Father has explained that there are two pilgrimages.
21Bhakta lōg tīrtha kartē haĩ , chārō̃ taraph chakra lagātē haĩ .
21Devotees go on pilgrimages and go to all the four main pilgrimage places.
22Tō jitnā time chārō̃ taraph chakra lagātē haĩ , utnā time vikār mē̃ nahī̃ jātē haĩ . 23Śharāb ādi chhī-chhī kōī chīz nahī̃ khātē pītē haĩ .
22For the duration of their pilgrimage, they don’t indulge in vice; they don’t drink alcohol or eat anything impure.
24Kabhī badrīnāth , kabhī kāśhī chakra lagātē haĩ .
23Sometimes, they go to Badrinath and sometimes, to Kashi.
25Bhakti kartē haĩ bhagvān key|kī .
24They worship God.
26Ab bhagvān tō ēk hōnā chāhiē nā .
25God is only One.
27Sab taraph tō chakra nahī̃ lagānā chāhiē nā !
26They shouldn’t go wandering around everywhere (looking for Him).
28Śhivbābā K|kē tīrtha kā bhī chakra lagātē haĩ .
27They still go on a pilgrimage to Shiv Baba.
29Sabsē baṛā banāras kā tīrtha gāyā huā hai , jiskō śhiv key|kī purī kahtē haĩ .
28The greatest pilgrimage remembered is to Benares, which is also called the place of Shiva.
30Chārō̃ taraph jātē haĩ parantu jinkā darśhan karnē jātē haĩ athavā jinkī bhakti kartē haĩ , unkī biography , occupation kā kiskō patā nahī̃ isliē unkō kahā jātā hai andhaśhraddhā .
29They go in all directions, but no one knows the biography or occupation of the One they go to have a vision of or the One they worship. 30This is why that is called blind faith.
31Kiskī pūjā karnā , māthā ṭēknā aur unkī jīvan kahānī kō na jānnā , uskō kahā jātā hai blind faith .
31To worship someone and bow down to that one and not know his biography is called blind faith.
32Ghar mē̃ bhī manātē haĩ , dēviyō̃ key|kī kitnī pūjā kartē haĩ , miṭṭī key|kī vā patthar key|kī dēviyā̃ banāē unkō bahut śhrr̥iṅgārtē haĩ .
32They celebrate all of that at home and worship the goddesses so much. 33They make goddesses of clay and decorate them a great deal.
33Samjhō lakṣhmī kā chitra banātē haĩ , unsē pūchhō inkī biography batāō tō kahē̃gē satyug key|kī mahārānī thī . 34Trētā key|kī phir sītā thī . 35Bākī inhōnnē kitnā samay rājya kiyā , lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya kab sē kab tak chalā , yah kōī bhī jāntē nahī̃ .
34For instance, they make a non-living image of Lakshmi. 35When you ask them, “What is her biography?”, they reply that she was an empress of the golden age or Sita of the silver age, but for how long did they rule? 36From when till when did the kingdom of Lakshmi and Narayan last? 37No one knows this.
36Manuṣhya bhakti mārg mē̃ yātrā par jātē haĩ , yah sab haĩ bhagvān sē milnē K|kē upāya .
38On the path of devotion, people go on pilgrimages. 39All of those paths are to meet God.
37Śhāstra paṛhnā yah bhī upāya hai bhagvān sē milnē liē .
40To study the scriptures is also a way to meet God.
38Parantu bhagvān hai kahā̃ ?
41However, where is God?
39Kahē̃gē vah tō sarvavyāpī hai .
42They say that He is omnipresent.
40Abhī tum jāntē hō paṛhāī sē ham yah ( dēvī-dēvtā ) bantē haĩ .
43You understand that you are now becoming deities through this study.
41Bāp khud ākar paṛhātē haĩ , jiskē milnē liē ādhākalp bhakti mārg chaltā hai .
44The Father Himself comes and teaches you. 45The path of devotion to meet that Father continues for half a cycle.
42Kahtē haĩ bābā pāvan banāō aur apnā parichay bhī dō ki āp haĩ kaun ?
46You say: Baba, purify us and also give us Your introduction as to who You are.
43Bābā nē samjhāyā hai ki tum ātmā bindī hō , ātmā kō hī yahā̃ śharīr milā huā hai , isliē yahā̃ karma kartī hai .
47Baba has explained that you souls are points. 48It is souls that receive bodies here. 49Therefore, souls perform actions here.
44Dēvtāō̃ kē liē kahē̃gē ki yah satyug mē̃ rājya karkē gayē haĩ .
50Of deities it is said that they ruled in the golden age in the past.
45Kriściyan lōg tō samajhtē haĩ barōbar god father nē paradise sthāpan kiyā . 46Ham usmē̃ nahī̃ thē .
51Christians believe that God, the Father, really did establish Paradise, but that they were not there then.
47Bhārat mē̃ paradise thā , unhō̃ key|kī buddhi phir bhī achchhī hai .
52Paradise existed in Bharat. 53Their intellects are still good.
48Bhāratvāsī satōpradhān bhī bantē haĩ tō phir tamōpradhān bhī bantē haĩ .
54The people of Bharat become satopradhan and they also become tamopradhan.
49Vah itnā sukh nahī̃ dēkhtē tō duḥkh bhī itnā nahī̃ dēkhtē haĩ .
55The Christians don’t see as much happiness or as much sorrow.
50Abhī pichhāṛī K|kē kriściyan lōg kitnā sukhī haĩ .
56Those who have come now, at the end, are so happy.
51Pahlē tō vah garīb thē .
57Previously, they were poor.
52Paisā tō mēhnat sē kamāyā jātā hai nā .
58One can earn a lot of money by working hard.
53Pahlē ēk Christ āyā , phir unkā dharm sthāpan hōtā hai , vr̥iddhi hōtī jātī hai .
59Christ first came alone and established his religion which continued to grow.
54Ēk sē dō , dō sē chār … phir aisē vr̥iddhi hōtī jātī hai .
60One grew into two, then into four and it gradually expanded in that way.
55Abhī dēkhō kriściyan kā jhāṛ kitnā hō gayā hai .
61Look how big the tree of Christians has become.
56Foundation hai - dēvī-dēvtā gharānā .
62The foundation is the deity clan.
57Vah phir yahā̃ is samay sthāpan hōtā hai .
63That is being established here at this time.
58Pahlē ēk brahmā phir brāhmaṇō̃ key|kī adopted santān vr̥iddhi kō pātē haĩ .
64First of all, there is just the one Brahma, then the number of adopted children, the Brahmins, increases.
59Bāp paṛhātē haĩ tō bahut ḍhēr brāhmaṇ hō jātē haĩ .
65When the Father teaches, many Brahmins are created.
60Pahlē tō yah ēk thā nā .
66At first, there was just this one.
61Ēk sē kitnī vr̥iddhi huī hai . 62Kitnī hōnē kī hai .
67So much growth has taken place through just one and there will be so much more expansion.
63Jitnē sūryavanśhī , chandravanśhī dēvtāyē̃ thē , utnē sab bannē K|kē haĩ .
68However many sun and moon dynasty deities there are, there have to be that many (Brahmins).
64Pahlē hai ēk bāp , unkī ātmā tō hai hī .
69At first, there is just the one Father. 70His soul exists all the time.
65Bāp key|kī ham ātmāyē̃ santān kitnī haĩ ?
71How many children, souls, does the Father have?
66Ham sab ātmāō̃ kā bāp ēk anādi hai . 67Phir sr̥iṣhṭi kā chakra phirtā rahtā hai .
72The Father of all of us souls is the one eternal Father and the world cycle continues to turn.
68Sab manuṣhya tō sadaiv nahī̃ haĩ nā .
73Not all human beings exist all the time.
69Ātmāō̃ kō bhinn-bhinn part bajānā hai .
74Souls have to play their various parts.
70Is jhāṛ kā pahlē-pahlē thur hai dēvī-dēvatāō̃ kā , phir unsē tubes nikalī haĩ .
75The trunk of this tree that comes first is that of the deities. 76Then the tubes emerge from that.
71Tō bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ - bachchō̃ , maĩ ākarkē kyā kartā hū̃ ?
77Therefore, the Father sits here and explains to you children what He does when He comes.
72Ātmā mē̃ hī dhārṇā hōtī hai .
78It is souls who imbibe everything.
73Bāp baiṭh sunātē haĩ - maĩ āyā kaisē ?
79The Father sits here and explains how He comes.
74Tum sab bachchē jabki patit banē hō tō yād kartē hō .
80All of you children remember Me when you have become impure.
75Satyug-trētā mē̃ tō tum sukhī thē tō yād nahī̃ kartē thē .
81In the golden and silver ages, you were happy; you didn’t remember Me.
76Dvāpar kē bād jab duḥkh jāstī huā hai tab pukārā hai - hē parampitā paramātmā bābā .
82When sorrow started to increase in the copper age, you called out to Me: O Baba, Supreme Father, Supreme Soul!
77Hā̃ bachchō̃ , sunā .
83Yes, children, I heard you.
78Kyā chāhtē hō ?
84What do you want?
79Bābā ākar patitō̃ kō pāvan banāō .
85Baba, come and purify the impure!
80Bābā ham bahut duḥkhī , patit haĩ .
86Baba, we are very unhappy and impure.
81Hamkō ākar pāvan banāō .
87Come and purify us.
82Kr̥ipā karō , āśhīrvād karō .
88Have mercy on us. 89Bless me!
83Tumnē mujhē pukārā hai - bābā , ākar patitō̃ kō pāvan banāō .
90You called out to Me: Baba, come and purify the impure.
84Pāvan satyug kō kahā jātā hai .
91The golden age is called pure.
85Yah bhī bāp khud baiṭh batlātē haĩ .
92The Father Himself sits here and explains this.
86Drama K|kē plan anusār jab saṅgamyug hōtā hai , sr̥iṣhṭi purānī hōtī hai tab maĩ ātā hū̃ .
93According to the drama plan, when it is the confluence age, when the world has become old, it is then that I come.
87Tum samajhtē hō sannyāsī bhī dō prakār K|kē haĩ .
94You understand that there are two types of sannyasi.
88Vah haĩ haṭhyōgī , unkō rājyōgī nahī̃ kahā jātā .
95They are hatha yogis. 96They cannot be called Raja Yogis.
89Unhō̃ kā hai had kā sannyās .
97Their renunciation is limited.
90Gharbār chhōṛ jāē jaṅgal mē̃ rahtē haĩ .
98They leave their homes and families and go and live in the jungles.
91Gurūō̃ K|kē followers bantē haĩ .
99They become followers of gurus.
92Gōpīchand rājā kē liē bhī ēk kathā sunātē haĩ .
100They relate the story of King Gopichand.
93Usnē kahā tum gharbār kyō̃ chhōṛtē hō ?
101He asked: Why are you leaving your home?
94Kahā̃ jātē hō ?
102Where are you going?
95Śhāstrō̃ mē̃ bahut kuchh kahāniyā̃ haĩ .
103There are many stories in the scriptures.
96Abhī tum be|B . K|kē . rājāō̃ kō bhī jākar gyān aur yōg sikhlātē hō .
104You BKs also go to the kings and teach them this knowledge and yoga.
97Ēk aṣhṭāpā gītā bhī hai , jismē̃ dikhātē haĩ - rājā kō vairāgya āyā , bōlā hamkō kōī paramātmā sē milāyē .
105There is the Ashthavakra Gita in which a king is portrayed having disinterest in the world. 106He said: I want someone to help me attain God.
98Ḍhiṇḍhōrā piṭvāyā .
107He announced this to the whole kingdom.
99Vah yahī samay hai .
108This is that same time.
100Tum jākar rājāō̃ kō gyān dētē hō nā , bāp sē milānē liē .
109You go and give this knowledge to the kings to enable them to meet the Father.
101Jaisē tum milē hō tō aurō̃ kō bhī milānē key|kī kōśhiśh kartē hō .
110Just as you have met the Father, you also try to make others meet Him.
102Tum kahtē hō ham tumkō svarg kā mālik banāyēṅgē , mukti-jīvanmukti dēgē .
111You tell them: We will make you into the masters of heaven and grant you liberation and liberation-in-life.
103Phir unkō bōlō śhivbābā kō yād karō , aur kōī kō nahī̃ .
112Then you tell them: Remember Shiv Baba alone and no one else.
104Tumhārē pās|pass bhī śhurū mē̃ baiṭhē-baiṭhē ēk-dō kō dēkhtē dhyān mē̃ chalē jātē thē nā .
113In the beginning, you used to look at one another and go into trance.
105Baṛā wonder lagtā thā .
114It was a great wonder.
106Bāp thā nā inmē̃ , tō vah chamatkār dikhātē thē .
115The Father was in this one and so He showed that miracle.
107Sabkī rassī khīñch lētē thē .
116He used to pull everyone’s string.
108Bāpdādā ikaṭṭhē hō gayē nā .
117Bap and Dada became one.
109Kabristān banātē thē . 110Sab bāp kī yād mē̃ sō jāō . 111Sab dhyān mē̃ chalē jātē thē .
118We used to create a graveyard where everyone would go to sleep in remembrance of the Father and they would all go into trance.
112Yah sab śhivbābā key|kī chaturāī thī .
119All of that was the cleverness of Shiv Baba.
113Iskō phir kaī jādū samajhnē lagē .
120Some began to consider it to be magic.
114Yah thā śhivbābā kā khēl .
121This was Shiv Baba’s game.
115Bāp jādūgar , saudāgar , ratnāgar hai nā .
122The Father is the Magician, the Businessman, the Jewel Merchant.
116Dhōbī bhī hai , sōnār bhī hai , vakīl bhī hai . 117Sabkō rāvaṇ key|kī jēl sē chhuṛātē haĩ .
123He is also the Laundryman, the Goldsmith and the Lawyer: He has everyone released from Ravan’s jail.
118Unkō hī sab bulātē haĩ - hē patit-pāvan , hē dūrdēśh K|kē rahnē vālē . . . . . . . hamkō ākar pāvan banāō .
124Everyone calls out to Him: O Purifier, O Resident of the faraway land, come and purify us!
119Āō bhī patit duniyā mē̃ , patit śharīr mē̃ ākar hamkō pāvan banāō .
125Come into this impure world, in an impure body and purify us.
120Abhī tum unkā bhī arth|earth samajhtē hō .
126You now understand the meaning of this.
121Bāp ākar batlātē haĩ tum bachchō̃ nē rāvaṇ K|kē dēśh mē̃ hamkō bulāyā hai , maĩ tō paramdhām mē̃ baiṭhā thā .
127The Father comes and tells you: You called out to Me to come into this land of Ravan. 128I was sitting in the supreme abode.
122Svarg sthāpan karnē kē liē mujhē nark rāvaṇ K|kē dēśh mē̃ bulāyā ki ab sukhdhām mē̃ lē chalō .
129You called Me into hell, the land of Ravan, to establish heaven. 130You said: Now take us to the land of happiness.
123Abhī tum bachchō̃ kō lē chaltē haĩ nā .
131I am now taking you children.
124Tō yah hai drama .
132Therefore, this is the drama.
125Mainnē jō tumkō rājya diyā thā vah pūrā huā phir dvāpar sē rāvaṇ rājya chalā hai .
133The kingdom that I gave you ended and the kingdom of Ravan continued from the copper age.
1265 vikārō̃ mē̃ girē , unkē phir chitra bhī haĩ jagannāthpurī mē̃ .
134You fell into the five vices and there are the images of that at Jaganathpuri.
127Pahlē number mē̃ jō thā vahī phir 84 janma lē ab pichhāṛī mē̃ hai phir unkō hī pahlē number mē̃ jānā hai .
135The one who was number one took 84 births and is now in the last number. 136He is the one who has to go into the first number again.
128Yah brahmā baiṭhā hai , viṣhṇu bhī baiṭhā hai .
137This Brahma is sitting here. 138Vishnu is also sitting here.
129Inkā āpas mē̃ kyā connection hai ?
139What is the connection between them?
130Duniyā mē̃ kōī nahī̃ jāntē .
140No one in the world knows this.
131Brahmā-sarasvatī bhī asul mē̃ satyug K|kē mālik lakṣhmī-nārāyaṇ thē .
141Saraswati and Brahma are in fact Lakshmi and Narayan, the masters of heaven.
132Abhī nark K|kē mālik haĩ .
142They are now the masters of hell.
133Abhī yah tapasyā kar rahē haĩ - yah lakṣhmī-nārāyaṇ bannē kē liē .
143They are now doing tapasya in order to become Lakshmi and Narayan.
134Dēlvāṛā mandir mē̃ pūrā yādgār hai .
144There is the accurate memorial of this in the Dilwala Temple.
135Bāp bhī yahā̃ hī āyē haĩ isliē ab likhtē bhī haĩ - ābū sarv tīrthō̃ mē̃ , sab dharmō̃ K|kē tīrthō̃ mē̃ mukhya tīrtha hai kyōṅki yahā̃ hī bāp ākar sarv dharmō̃ key|kī sadgati kartē haĩ .
145The Father came here, and this is why it is written: Abu is the greatest pilgrimage place of all the pilgrimage places of all the religions because the Father comes here and grants salvation to those of all religions.
136Tum śhāntidhām hōkar phir svarg mē̃ jātē hō .
146You first go to the land of peace and then to heaven.
137Bākī sab śhāntidhām mē̃ chalē jātē haĩ .
147Everyone else will go and stay in the land of peace.
138Vah hai jaṛ yādgār , yah hai chaitanya .
148That memorial is non-living whereas this one is in the living form.
139Jab tum chaitanya mē̃ vah ban jāyēṅgē tō phir yah mandir ādi sab khatm hō jāyēṅgē .
149When you become the living form of that, all of those temples, etc. will be destroyed.
140Phir bhakti mārg mē̃ yah yādgār banāyēṅgē .
150Those memorials will then be created once again on the path of devotion.
141Abhī tum svarg key|kī sthāpanā kar rahē hō .
151You are now establishing heaven.
142Manuṣhya samajhtē haĩ - svarg ūpar mē̃ hai .
152People believe that heaven is up above.
143Abhī tum samajhtē hō yahī bhārat svarg thā , abhī nark hai .
153You now understand that this Bharat was heaven and that it is now hell.
144Yah chakra dēkhnē sē hī sārā gyān ā jātā hai .
154When you look at the cycle, the whole of this knowledge enters your intellects.
145Dvāpar sē aur aur dharm ātē haĩ tō abhī dēkhō kitnē dharm haĩ .
155Other religions start to come in the copper age. 156Look how many religions there are now.
146Yah hai iron age .
157This is the iron age.
147Abhī tum saṅgam par hō .
158You are now at the confluence age.
148Satyug mē̃ jānē kē liē puruṣhārth kartē hō .
159You are making effort to go to the golden age.
149Kaliyug mē̃ haĩ sab patthar-buddhi .
160In the iron age, everyone has a stone intellect.
150Satyug mē̃ haĩ pārasbuddhi .
161In the golden age, everyone has a divine intellect.
151Tum hī pārasbuddhi thē , tum hī phir pattharbuddhi banē hō , phir pārasbuddhi bannā hai .
162You were those with divine intellects and have become those with stone intellects. 163You now have to become those with divine intellects again.
152Ab bāp kahtē haĩ tumnē hamkō bulāyā hai tō maĩ āyā huā hū̃ aur tumkō kahtā hū̃ - kām kō jītō tō jagatjīt banē̃gē .
164The Father says: You called out for Me and so I have now come. 165I tell you: Conquer lust and become the conquerors of the world.
153Mukhya yah vikār hī hai .
166This is the main vice.
154Satyug mē̃ haĩ sab nirvikārī .
167Everyone in the golden age is viceless.
155Kaliyug mē̃ haĩ vikārī .
168In the iron age, they are vicious.
156Bāp kahtē haĩ bachchē , ab nirvikārī banō .
169The Father says: Children, now become viceless.
15763 janm vikār mē̃ gayē hō .
170You have been indulging in vice for 63 births.
158Ab yah antim janm pavitra banō .
171Now, in this last birth, become pure.
159Abhī marnā bhī sabkō hai .
172Everyone now has to die.
160Maĩ svarg sthāpan karnē āyā hū̃ tō ab mērī śhrīmat par chalō .
173I have come to establish heaven. 174Therefore, now follow My shrimat.
161Maĩ jō kahū̃ vah sunō .
175Listen to what I am telling you.
162Abhī tum pattharbuddhi kō pārasbuddhi banānē kā puruṣhārth kar rahē hō .
176You are now making effort to change your intellects from stone to divine.
163Tum hī pūrī sīṛhī utartē hō phir chaṛhtē hō .
177You come all the way down the ladder and then you climb up.
164Tum jaisē jinn hō .
178You are like genies.
165Jinn key|kī kahānī hai nā - usnē bōlā kām dō tō rājā nē kahā achchhā sīṛhī utarō aur chaṛhō .
179There is the story of a genie who asked a king to give him some work to do. 180So the king told him to go up and down a ladder.
166Bahut manuṣhya kahtē haĩ bhagvān kō kyā paṛī thī jō sīṛhī chaṛhātē aur utārtē haĩ .
181Many people say: What is it to God that He makes us go up and down the ladder?
167Bhagvān kō kyā huā jō aisī sīṛhī banāī !
182What happened to God that He created such a ladder?
168Bāp samjhātē haĩ yah anādi khēl hai .
183The Father explains: This is an eternal play.
169Tumnē 5 hajār varṣh mē̃ 84 janma liē haĩ .
184You have taken 84 births in 5000 years.
1705 hazār varṣh tumkō nīchē utarnē mē̃ lagē haĩ phir ūpar mē̃ jātē hō second mē̃ .
185It took you 5000 years to come down and you then go up in a second.
171Yah hai tumhārē yōgbal key|kī lift .
186This is the lift of your power of yoga.
172Bāp kahtē haĩ yād karō tō tumhārē pāp kaṭ jāyēṅgē .
187The Father says: Remember Me and your sins will be cut away.
173Bāp ātē haĩ tō second mē̃ tum ūpar chaṛh jātē hō phir nīchē utarnē mē̃ 5 hazār varṣh lagē haĩ . 174Kalāyē̃ kam hōtī jātī haĩ .
188When the Father comes, you go up in a second and you then come down over 5000 years; your degrees continue to decrease.
175Chaṛhnē key|kī tō lift hai .
189You have a lift in which you ascend.
176Second mē̃ jīvanmukti .
190“Liberation-in-life in a second”.
177Satōpradhān bannā hai .
191You have to become satopradhan.
178Phir āhistē-āhistē tamōpradhān banē̃gē . 1795 hazār varṣh lagtē haĩ .
192You will then gradually become tamopradhan; it takes 5000 years.
180Achchhā , phir tamōpradhān sē satōpradhān bannā hai ēk janm mē̃ .
193Achcha, you then have to become satopradhan from tamopradhan in one birth.
181Abhī jabki maĩ tumkō svarg kī bādśhāhī dētā hū̃ tō tum pavitra kyō̃ nahī̃ banē̃gē .
194Now that I am giving you the sovereignty of heaven, why will you not remain pure?
182Parantu kāmēśhu , krōdhēśhu bhī haĩ nā . 183Vikār na milnē sē phir strī kō mārtē haĩ , bāhar nikāl dētē haĩ , āg lagā dētē haĩ .
195However, when they don't receive poison, those who are angry and lustful beat their wives. 196They throw them out or set fire to them.
184Ablāō̃ par kitnē atyāchār hōtē haĩ .
197Poor innocent mothers are assaulted so much.
185Yah bhī drama mē̃ nūndh hai .
198This too is fixed in the drama.
186Achchhā !
199Achcha.
187Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
200To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
188Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
201The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
189Dhārṇā kē liē mukhya sār :
202Essence for dharna:
1901 ) jagat kā mālik bannē vā viśhva kī bādśhāhī lēnē kē liē mukhya kām vikār par jīt pānī hai .
2031. In order to become a master and claim the sovereignty of the world, conquer the main vice of lust.
191Sampūrṇ nirvikārī jarūr bannā hai .
204You must definitely become completely viceless.
1922 ) jaisē hamē̃ bāp milā hai aisē sabkō bāp sē milānē key|kī kōśhiśh karnī hai .
2052. Just as you have found the Father, you must also try to enable everyone else to find the Father.
193Bāp key|kī sahī pahchān dēnī hai .
206Give them the Father’s introduction.
194Sachchī-sachchī yātrā sikhlānī hai .
207Teach them the true pilgrimage.
Blessing
195Vardān : gam key|kī duniyā sāmnē hōtē huē bhī bēgampur key|kī bādśhāhī kā anubhav karnē vālē aṣhṭ śhakti svarup bhav
208Blessing: May you become an embodiment of the eight powers and experience the sovereignty of the land free from sorrow while facing the world of sorrow in front of you.
196Gam aur bēgam key|kī abhī hī knowledge hai , gam key|kī duniyā sāmnē hōtē bhī sadā bēgampur K|kē bādśhāhī kā anubhav karnā - yahī aṣhṭ śhakti svarup , karmēndriy jīt bachchō̃ key|kī niśhānī hai .
209It is only now that you have the knowledge of sorrow and of being free from sorrow. 210Constantly to experience the sovereignty of the land free from sorrow while facing the world of sorrow in front of you is a sign of you children being embodiments of the eight powers and conquerors of your physical senses.
197Abhī hī bāp dvārā sarvśhaktiyō̃ key|kī prāpti hōtī hai lēkin agar kōī na kōī saṅgdōṣh vā kōī karmēndriy K|kē vaśhībhūt hō apnī śhakti khō lētē hō tō jō bēgampur kā naśhā vā khuśhī prāpt hai vah svataḥ hī khō jātī hai .
211It is now that you attain all of these powers from the Father. 212However, if you lose your powers because of one or another influence of company or because of being influenced by any of your physical senses, you then automatically lose the intoxication and happiness of the land free from sorrow.
198Bēgampur K|kē bādśhāh bhī kaṅgāl ban jātē haĩ .
213Then, even you emperors of the land free from sorrow would become poverty stricken.
Slogan
199Slōgan : dr̥iṛhtā kī śhakti sadā sāth hō tō saphaltā galē kā hār hai .
214Slogan: Keep your power of determination constantly with you and success will become the garland around your neck.
215*** Om Shanti ***
200Avyakt iśhārē - is avyakti mās mē̃ bandhanmukt rah jīvanmukt sthiti kā anubhav karō
216Avyakt Signal: In this avyakt month, stay free from bondage and experience the stage of liberation in life.
201Apnē saṅkalpō̃ K|kē tūphān vā kōī bhī sambandh dvārā , prakr̥iti vā samasyāō̃ dvārā tūphān va vighna ātē haĩ tō unsē mukti pānē kē liē yōg yukta , yukti-yukt banō .
217When there are storms in your mind, or when there are storms or obstacles through relationships, matter or problems, then in order to be free from them, become yogyukt and yuktiyukt.
202Jab tak yōgyukt nahī̃ tab tak vighnō̃ sē yukta hō .
218Until you become yogyukt, you will be bound by bondages.