मंगलवार 27 जनवरी 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
027-01-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
027/01/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - kadam-kadam śhrīmat par chalō , nahī̃ tō māyā dēvālā nikāl dēgī , yah āṅkhē bahut dhōkhā dētī haĩ , inkī bahut-bahut sambhāl karō ' '
1Essence: Sweet children, follow shrimat at every step. 2Otherwise, Maya will make you bankrupt. 3Your eyes deceive you a great deal and you must therefore be very cautious about them.
Question
2Praśhna : kin bachchō̃ sē māyā bahut vikarma karātī hai ?
4Question: Which children are made to perform sinful actions by Maya?
3Yagya mē̃ vighna rūp kaun haĩ ?
5Which children become obstacles in the yagya?
Answer
4Uttar : jinhē̃ apnā ãhakār rahtā hai unsē māyā bahut vikarma karātī hai .
6Answer: Those who have their own arrogance are made to perform many sinful actions by Maya.
5Aisē mithyā ãhakār vālē murlī bhī nahī̃ paṛhtē .
7Those who have arrogance don't even study the murli.
6Aisī gaphlat karnē sē māyā thappaṛ lagāē worth not penny banā dētī hai .
8By making them make such mistakes, Maya slaps them and makes them worth not a penny.
7Yagya mē̃ vighna rūp vō haĩ jinkī buddhi mē̃ jharmuī jhagmuī ( parchintan ) key|kī bātē̃ rahtī haĩ , yah bahut kharāb ādat hai .
9Those who gossip and have rubbish in their intellects become obstacles in the yagya. 10Those habits are very bad.
Murli
8Ōm śhānti .
11Om shanti.
9Rūhānī bachchō̃ kō bāp nē samjhāyā huā hai , yahā̃ tum bachchō̃ kō is khyāl sē jarūr baiṭhnā hōtā hai - yah bāp bhī hai , teacher bhī hai , supreme gurū bhī hai aur yah bhī mahsūs kartē hō ki bāp kō yād kartē-kartē pavitra ban jākar pavitr-dhām mē̃ pahũchēṅgē .
12The Father has explained to you spiritual children that you definitely have to sit here with the thought that that One is the Father, the Teacher and the Supreme Guru. 13You also realise that by remembering the Father you will become pure and then go to that pure land.
10Bāp nē samjhāyā hai - pavitradhām sē hī tum nīchē utarē hō .
14The Father has explained that you came down from that pure land.
11Pahlē tum satōpradhān thē phir satō-rajō-tamō mē̃ āyē .
15At first, you were satopradhan and you then went through the stages of sato, rajo and tamo.
12Abhī tum samajhtē hō ham nīchē girē huē haĩ .
16You now understand that you have fallen.
13Bhal tum saṅgamyug par hō parantu gyān sē tum yah jāntē hō - hamnē kinārā kar liyā hai . 14Phir agar ham śhivbābā key|kī yād mē̃ rahtē haĩ tō śhivālay dūr nahī̃ .
17You are at the confluence age and you understand from this knowledge that you have stepped away from everything else and that, if you stay in remembrance of Shiv Baba, the land of Shiva is not far away.
15Śhivbābā kō yād hī nahī̃ kartē tō śhivālay bahut dūr hai .
18If you don't remember Shiv Baba at all, then the land of Shiva is very far away.
16Sazāyē̃ khānī paṛtī haĩ nā tō bahut dūr hō jātā hai .
19Punishment then has to be experienced and you become very distant.
17Tō bāp bachchō̃ kō kōī jāstī taklīph nahī̃ dētē haĩ .
20The Father doesn’t give you children any difficulty.
18Ēk tō bār-bār kahtē haĩ - mansā-vāchā-karmaṇā pavitra bannā hai .
21Firstly, He repeatedly tells you that you have to become pure in your thoughts, words and deeds.
19Yah āṅkhē̃ bhī baṛā dhōkhā dētī haĩ .
22Those eyes deceive you a great deal.
20Bahut sambhāl kar chalnā hōtā hai .
23You have to be very careful while moving along.
21Bābā nē samjhāyā hai - dhyān aur yōg bilkul alag hai .
24Baba has explained that trance and yoga are completely separate from one another.
22Yōg arthāt yād .
25Yoga means remembrance.
23Āṅkhē̃ khulī hōtē yād kar saktē hō .
26You can remember with open eyes.
24Dhyān kō yōg nahī̃ kahā jātā .
27Trance is not called yoga.
25Dhyān mē̃ jātē haĩ tō unkō na gyān , na yōg kahā jātā .
28When someone goes into trance, that is neither called knowledge nor yoga.
26Dhyān mē̃ jānē vālō̃ par māyā bhī bahut war|vār kartī hai , isliē ismē̃ bahut khabardār rahnā hōtā hai .
29Maya attacks a lot those who go into trance. 30Therefore, you have to remain very cautious about that.
27Bāp key|kī kāydē anusār yād chāhiē .
31There has to be very systematic remembrance of the Father.
28Kāydē K|kē virūddh kōī kām kiyā tō ēkdam māyā girā dēgī .
32If you perform any unlawful actions, Maya will make you fall right down.
29Dhyān key|kī tō kabhī ichchhā bhī nahī̃ rakhnī hai , ichchhā mātram avidyā . 30Tumhē̃ kōī bhī ichchhā nahī̃ rakhnī hai .
33You must never have any desire for trance. 34Become completely ignorant of the knowledge of all desires; you mustn't have any desires at all.
31Bāp tumhārī sab kāmanāyē̃ bigar māṅgē pūrī kar dētē haĩ , agar bāp key|kī āgyā par chaltē hō tō .
35The Father fulfils all your desires without your asking for anything, but only if you follow His directions.
32Agar bāp key|kī āgyā kā ullaṅghan kar ulṭā rāstā liyā tō hō saktā hai svarg mē̃ jānē kē badlē nark mē̃ gir jāyē̃ .
36If you disobey His directions and take the wrong path, it is then possible that, instead of going to heaven, you will fall into hell.
33Gāyan bhī hai gaj kō grāh nē khāyā .
37It is sung: The alligator ate the elephant.
34Bahutō̃ kō gyān dēnē vālē , bhōg lagānē vālē āj haĩ nahī̃ kyōṅki kāydē kā ullaṅghan kartē haĩ tō pūrē māyāvī ban jātē haĩ .
38Those who gave this knowledge to many and who used to offer bhog are no longer here. 39Because they disobeyed all the rules, they left and belonged completely to Maya.
35Deity bantē-bantē devil ban jātē haĩ isliē is mārg mē̃ khabardārī bahut chāhiē . 36Apnē ūpar control rakhnā hōtā hai .
40Instead of becoming deities, they became devils. 41This is why you have to be very cautious on this path; you have to control yourselves.
37Bāp tō bachchō̃ kō sāvdhān kartē haĩ .
42The Father cautions you children.
38Śhrīmat kā ullaṅghan nahī̃ karnā hai .
43Do not disobey shrimat.
39Āsurī mat par chalnē sē hī tumhārī utartī kalā huī hai .
44It was by following devilish dictates that you went into the descending stage.
40Kahā̃ sē ēkdam kahā̃ pahũch gayē haĩ .
45From being so high, look where you have now reached!
41Ēkdam nīchē pahũch gayē haĩ .
46You have reached the very bottom.
42Ab bhī śhrīmat par na chalē , bēparvāh banē tō pad bhraṣhṭa ban jāyēṅgē .
47If, even now, you don't follow shrimat but become careless, your status is destroyed.
43Bābā nē kal bhī samjhāyā jō kuchh śhrīmat K|kē ādhār bigar kartē haĩ tō bahut disservice kartē haĩ .
48Baba also explained yesterday: When you do something without shrimat, there is a lot of disservice done.
44Bigar śhrīmat karē̃gē tō girtē hī jāyēṅgē .
49If you do something without shrimat, you continue to fall.
45Bābā nē śhurū sē mātāō̃ kō nimitt rakhā hai kyōṅki kalaṣh bhī mātāō̃ kō miltā hai .
50From the beginning, Baba has made mothers the instruments because it is the mothers who are given the urn.
46Vandē mātaram gāyā huā hai .
51It is sung: Salutations to the mothers!
47Bābā nē bhī mātāō̃ key|kī ēk committee banāī . 48Unhō̃ K|kē havālē sab kuchh kar diyā .
52Baba set up a committee of mothers and handed everything over to them.
49Bachchiyā̃ trustworthy ( viśhvāspātra ) hōtī haĩ .
53Daughters are trustworthy.
50Puruṣh aksar karkē dēvālā mārtē haĩ .
54It is generally men who go bankrupt.
51Tō bāp bhī kalaṣh mātāō̃ par rakhtē haĩ .
55Therefore, the Father places the urn on the mothers.
52Is gyān mārg mē̃ mātāyē̃ bhī dēvālā mār saktī haĩ .
56On this path of this knowledge, even mothers go bankrupt.
53Padmāpadma bhāgyaśhālī jō bannē vālē haĩ , vah bhī māyā sē hār khāē dēvālā mār saktē haĩ .
57Those who are to become multimillion times fortunate can be defeated by Maya and go bankrupt.
54Ismē̃ strī-puruṣh dōnō̃ dēvālā mār saktē haĩ .
58Here, both men and women can go bankrupt.
55Usmē̃ sirph puruṣh dēvālā mārtē haĩ .
59Outside, it is just men who go bankrupt.
56Yahā̃ tō dēkhō kitnē hār khākar chalē gayē , gōyā dēvālā mār diyā nā .
60Here, look how so many were defeated and left! 61This means that they went bankrupt.
57Bāp baiṭh samjhātē haĩ - bhāratvāsiyō̃ nē pūrā dēvālā mārā hai .
62The Father sits here and explains that the people of Bharat have become completely bankrupt.
58Māyā kitnī jabardast hai .
63Maya is so powerful.
59Samajh nahī̃ saktē haĩ ham kyā thē ? 60Kahā̃ sē ēkdam nīchē ākar girē haĩ !
64They don't understand what they were and from where they have completely fallen down.
61Yahā̃ bhī ūñch chaṛhtē-chaṛhtē phir śhrīmat kō bhūl apnī mat par chaltē haĩ tō dēvālā mār dētē .
65Here, too, while climbing up, they forget shrimat and begin to follow their own dictates and thereby go bankrupt.
62Phir batāō unkā kyā hall|hāl hōgā .
66Therefore, what would their condition be?
63Vah tō dēvālā mārtē haĩ phir 5-7 varṣh bād khaṛē hō jātē haĩ .
67Outside, they go bankrupt and then, after five to seven years, they become active again.
64Yah tō 84 janmō̃ kē liē dēvālā mār dētē haĩ . 65Phir ūñch pad pā na sakē̃ , dēvālā mārtē hī rahtē haĩ .
68Here, they go bankrupt for 84 births and cannot claim a high status; they continue to go bankrupt.
66Kitnē mahārathī bahutō̃ kō uṭhātē thē , āj haĩ nahī̃ . 67Dēvālē mē̃ haĩ .
69So many maharathis used to uplift so many, but they themselves are no longer here today; they went bankrupt.
68Yahā̃ ūñch pad tō bahut hai , parantu phir khabardār nahī̃ rahē̃gē tō ūpar sē ēkdam nīchē gir paṛē̃gē .
70Here, the status is very high. 71Nevertheless, if you are not cautious, you can fall right down from the very top.
69Māyā hap kar lētī hai .
72Maya completely swallows you.
70Bachchō̃ kō bahut khabardār hōnā hai .
73You children have to be very cautious.
71Apnī mat par committee ādi banānā , usmē̃ kuchh rakhā nahī̃ hai .
74There is nothing to be gained by setting up committees and following your own dictates.
72Bāp sē buddhiyōg rakhō - jissē hī satōpradhān bannā hai .
75Connect your intellects in yoga with the Father. 76By doing this, you will become satopradhan.
73Bāp kā bankar aur phir bāp sē yōg nahī̃ lagātē , śhrīmat kā ullaṅghan kartē haĩ tō ēkdam gir paṛtē haĩ .
77If, after belonging to the Father, you don't have yoga with the Father but disobey shrimat, you fall down completely.
74Connection hī ṭūṭ paṛtā hai .
78The connection is then broken.
75Link ṭūṭ paṛtā hai .
76Link ṭūṭ jāē tō check karnā chāhiē ki māyā hamkō itnā kyō̃ taṅg kartī hai .
79If the link is broken, check yourself as to why Maya is troubling you so much.
77Kōśhiśh kar bāp kē sāth link jōṛnī chāhiē .
80Try to connect yourselves to the Father.
78Nahī̃ tō battery charge kaisē hōgī .
81How else would your batteries become charged?
79Vikarma karnē sē battery discharge hō jātī hai .
82Your batteries become discharged when you perform sinful actions.
80Ūñch chaṛhtē-chaṛhtē gir paṛtē haĩ .
83You fall down while ascending.
81Jāntē hō aisē kaī haĩ .
84Baba knows that there are many like that.
82Śhurū mē̃ kitnē ḍhēr ākar bābā K|kē banē .
85At the beginning, so many came and belonged to Baba.
83Bhaṭṭhī mē̃ āyē phir āj kahā̃ haĩ ?
86They came into the bhatthi, but where are they today?
84Gir paṛē kyōṅki purānī duniyā yād I|āī|eye .
87They fell because they remembered the old world.
85Abhī bāp kahtē haĩ ham tumkō bēhad kā vairāgya dilā rahā hū̃ .
88The Father says: I am now inspiring you to have unlimited disinterest.
86Is purānī patit duniyā sē dil nahī̃ lagānī hai .
89Don't attach your heart to this old, impure world.
87Dil lagāō svarg sē , mēhnat hai .
90Attach your heart to heaven. 91This does require effort.
88Agar yah lakṣhmī-nārāyaṇ bannā chāhtē hō tō mēhnat karnī paṛē .
92If you want to become like Lakshmi or Narayan, you do have to make some effort.
89Buddhiyōg ēk bāp kē sāth hōnā chāhiē .
93Let your intellects’ yoga be connected to the one Father.
90Purānī duniyā sē vairāgya .
94Have disinterest in this old world.
91Achchhā , purānī duniyā kō bhūl jāē̃ yah tō ṭhīk hai .
95It is fine that you forget the old world but what should you remember?
92Bhalā yād kiskō karē̃ ? 93Śhāntidhām-sukhadhām kō .
96The land of peace and the land of happiness.
94Jitnā hō sakē uṭhtē-baiṭhtē , chaltē-phirtē bāp kō yād karō .
97Remember the Father as much as possible while you are walking, sitting and moving around.
95Bēhad sukh K|kē svarg kō yād karō .
98Remember the heaven of unlimited happiness.
96Yah tō bilkul sahaj hai .
99This is very easy.
97Agar in dōnō̃ āśhāō̃ sē ulṭā chaltē haĩ tō pad bhraṣhṭa hō paṛtē haĩ .
100When you go in the opposite direction of both of these instructions, your status is destroyed.
98Tum yahā̃ āyē hī hō nar sē nārāyaṇ bannē kē liē .
101You have come here to change from an ordinary human into Narayan.
99Sabkō kahtē hō tamōpradhān sē satōpradhān bannā hai kyōṅki return journey hōtī hai .
102You tell everyone that they have to become satopradhan from tamopradhan because this is the return journey.
100World key|kī history-geography repeat mānā nark sē svarg , phir svarg sē nark .
103The repetition of the history and geography of the world means that heaven changes into hell and that hell then changes into heaven.
101Yah chakra phirtā hī rahtā hai .
104This cycle continues to turn.
102Bāp nē kahā hai yahā̃ svadarśhan chakradhārī hōkar baiṭhō .
105The Father has told you to sit here as spinners of the discus of self-realisation.
103Isī yād mē̃ rahō , hamnē kitnā bārī yah chakra lagāyā hai .
106Stay in remembrance of this. 107We have been around this cycle so many times.
104Ham svadarśhan chakradhārī haĩ , abhī phir sē dēvtā bantē haĩ .
108We are spinners of the discus of self-realisation.
105Duniyā mē̃ kōī bhī is rāz kō nahī̃ jāntē haĩ .
109We are now becoming deities once again. 110No one in the world knows this secret.
106Yah gyān dēvtāō̃ kō tō sunānā nahī̃ hai . 107Vah tō haĩ hī pavitra .
111Deities are not going to listen to this knowledge; they are already pure.
108Unmē̃ gyān hai nahī̃ jō śhaṅkh bajāyē̃ .
112They don't have such knowledge that they would blow the conch shell.
109Pavitra bhī haĩ isliē unkō niśhānī dēnē key|kī darkār hī nahī̃ .
113Because they are already pure, there is no need for them to be given a symbol of this.
110Niśhānī tab hōtī hai jab dōnō̃ ikaṭṭhē chaturbhuj hōtē haĩ .
114That symbol is given when both together form the four-armed image.
111Tumkō bhī nahī̃ dētē haĩ kyōṅki tum āj dēvtā kal phir nīchē gir jātē hō . 112Māyā girātī hai nā .
115You are not given that symbol either because, today, you are becoming deities but, tomorrow, you fall; Maya makes you fall.
113Bāp deity banātē haĩ , māyā phir devil banā dētī hai .
116The Father makes you into deities and Maya makes you into devils.
114Anēk prakār sē māyā parīkṣhā lētī hai .
117Maya tests you in many ways.
115Bāp jab samjhātē haĩ tab patā paṛtā hai . 116Sachmuch hamārī avasthā girī huī hai .
118It is only when the Father explains everything that you can realise how you really have fallen from your stage.
117Kitnē bichārē apnā sab kuchh śhivbābā K|kē khajānē mē̃ jamā karāē phir bhī kabhī māyā sē hār khā lētē haĩ .
119So many poor helpless souls accumulated everything they had in Shiv Baba's treasure store but, in spite of that, they were sometimes defeated by Maya.
118Śhivbābā K|kē ban gayē phir bhūl kyō̃ jātē , ismē̃ yōg key|kī yātrā mukhya hai .
120Once you belong to Shiv Baba, why do you forget Him? 121The pilgrimage of remembrance is the main thing in this.
119Yōg sē hī pavitra bannā hai .
122It is only by having yoga that you can become pure.
120Knowledge K|kē sāth-sāth pavitratā bhī chāhiē .
123Together with this knowledge, purity is also needed.
121Tum bulātē bhī hō bābā hamkō ākar pāvan banāō , jō ham svarg mē̃ jā sakē̃ .
124You called out: Baba, come and purify us so that we can go to heaven.
122Yād kī yātrā hai hī pāvan ban ūñch pad pānē kē liē .
125The pilgrimage of remembrance is for you to become pure and claim a high status.
123Jō chalē jātē haĩ phir bhī kuchh na kuchh sunā hai tō śhivālay mē̃ āyēṅgē jarūr .
126Even those who left will definitely go to the land of Shiva because they have heard some of this knowledge.
124Phir pad bhal kaisā bhī pāyē̃ parantu ātē haĩ jarūr .
127Whatever status they may claim, they will definitely come.
125Ēk bār bhī yād kiyā tō svarg mē̃ ā jāyēṅgē , bākī ūñch pad nahī̃ .
128If they have remembered the Father even once, they will go to heaven but they won't receive a high status.
126Svarg kā nām sun khuśh nahī̃ hōnā chāhiē .
129Don't be happy just hearing the name of heaven.
127Fail hōkar pāī paisē kā pad pā lēnā , ismē̃ khuśh nahī̃ hōnā chāhiē .
130After you have failed, you mustn't be happy with a status worth just a few pennies.
128Bhal svarg hai parantu usmē̃ pad tō bahut haĩ nā .
131Although that is heaven, there are many different levels of status.
129Feeling tō ātī hai nā - maĩ naukar hū̃ , mēhtar hū̃ .
132You would have the feeling that you are a servant or a cleaner.
130Pichhāṛī mē̃ tumkō sab sākṣhātkār hōgā - ham kyā banē̃gē , hamsē kyā vikarma huā hai jō aisī hālat huī hai ?
133At the end, you will have visions of what you are to become. 134What sins have I performed that I have reached this condition?
131Maĩ mahārānī kyō̃ nahī̃ banī ?
135Why did I not become an empress?
132Kadam-kadam par khabardārī sē chalnē sē tum padmapati ban saktē hō .
136By remaining cautious at every step as you move along, you can become multimillionaires.
133Khabardārī nahī̃ tō padmapati ban nahī̃ sakē̃gē .
137If you are not cautious, you cannot become multimillionaires.
134Mandirō̃ mē̃ dēvtāō̃ kō padmapati key|kī niśhānī dikhātē haĩ .
138Deities are shown in the temples with the symbol of a lotus.
135Fark tō samajh saktē haĩ nā .
139You can understand the difference.
136Darjē kā bhī bahut fark hai .
140There is a lot of difference in the status.
137Abhī bhī dēkhō darjē kitnē haĩ .
141Even now, look how many different levels of status there are.
138Kitnā ṭhāṭh rahtā hai .
142They have so much splendour.
139Hai tō alpkāl kā sukh .
143All of that is temporary happiness.
140Tō ab bāp kahtē haĩ yah ūñch pad pānā hai , jiskē liē sab hāth uṭhātē haĩ tō itnā puruṣhārth karnā hai .
144The Father says: You all raise your hands for claiming a high status. 145Therefore, effort definitely has to be made for that.
141Hāth uṭhānē vālē bhī khud khatm hō jātē haĩ .
146Even some of those who raise their hands are finished off.
142Kahē̃gē yah dēvtā bannē vālē thē .
147Then, others ask: Are these ones going to become deities?
143Puruṣhārth kartē khatm hō gayē .
148Instead of making effort, they were finished off.
144Hāth uṭhānā sahaj hai . 145Bahutō̃ kō samjhānā bhī sahaj hai , mahārathī samjhātē bhī gāyab hō jātē haĩ .
149It is easy to raise your hand and also easy to explain to many. 150However, some maharathis also disappear while explaining to others.
146Aurō̃ kā kalyāṇ kar khud apnā akalyāṇ kar baiṭhtē haĩ , isliē bāp samjhātē haĩ khabardār rahō .
151While benefitting others, they cause themselves a loss. 152This is why the Father says: Be very cautious.
147Antarmukh hō bāp kō yād karnā hai . 148Kis prakār sē ?
153Become introverted and remember the Father. 154How?
149Bābā hamārā bāp bhī hai , teacher bhī hai , satgurū bhī hai , ham jā rahē haĩ - apnē sweet home mē̃ .
155Baba is our Father, our Teacher and our Satguru. 156We are going to our sweet home.
150Yah sab gyān andar mē̃ hōnā chāhiē .
157You should have all of this knowledge in you.
151Bāp mē̃ gyān aur yōg dōnō̃ haĩ . 152Tumhārē mē̃ bhī hōnā chāhiē .
158The Father has both this knowledge and yoga, and you too should have both of these.
153Jāntē haĩ śhivbābā paṛhātē haĩ tō gyān bhī huā , yād bhī huī .
159You know that Shiv Baba is teaching you. 160Therefore, that is knowledge as well as remembrance.
154Gyān aur yōg dōnō̃ ikaṭṭhā chaltā hai .
161This knowledge and yoga must both be together.
155Aisē nahī̃ , yōg mē̃ baiṭhē śhivbābā kō yād kartē rahē , knowledge bhūl jāē .
162Don't think that you only have to sit in remembrance of Shiv Baba and forget about this knowledge.
156Bāp yōg sikhātē haĩ tō knowledge bhūl jātī hai kyā !
163While the Father is teaching you yoga, does He forget this knowledge?
157Sārī knowledge unmē̃ rahtī hai .
164All of this knowledge remains in Him.
158Tum bachchō̃ mē̃ yah knowledge hōnī chāhiē . 159Paṛhnā chāhiē .
165You children have to have this knowledge; you have to study it.
160Jaisē karma maĩ karũgā , mujhē dēkh aur bhī karē̃gē .
166Whatever actions I perform, others who see me will do the same.
161Maĩ murlī nahī̃ paḍhū̃gā tō aur bhī nahī̃ paṛhē̃gē .
167If I don't study the murli, then neither will others study it.
162Maĩ jaisē durgati kō pāūṅgā tō aur bhī durgati kō pā lē̃gē . 163Maĩ nimitt ban jāūṅgā aurō̃ kō girānē K|kē .
168If I go into degradation, others will also do that and I will have become instrumental in making others fall.
164Kaī bachchē murlī nahī̃ paṛhtē haĩ , mithyā ahaṅkār ā jātā hai .
169Many children don't study the murli and have false ego.
165Māyā jhaṭ war|vār kar lētī hai .
170Maya soon attacks them.
166Kadam-kadam par śhrīmat chāhiē .
171Shrimat is needed at every step.
167Nahī̃ tō kuchh na kuchh vikarma ban jātē haĩ .
172Otherwise, one or another sinful act is performed.
168Bahut bachchē bhūlē̃ kartē haĩ phir satyānāśh hō jātī hai .
173Many children make many mistakes and then everything is destroyed.
169Gaphlat hōnē sē māyā thappaṛ lagāē worth not A penny banā dētī hai , ismē̃ baṛī samajh chāhiē .
174When you make mistakes, Maya slaps you and makes you worth not a penny. 175A lot of understanding is needed for this.
170Ahaṅkār ānē sē māyā bahut vikarma karātī hai .
176When you become arrogant, Maya makes you perform many sinful actions.
171Jab kōī committee ādi banātē hō tō usmē̃ head ēk-dō female jarūr hōnī chāhiē , jinkī rāy par kām hō .
177When you set up a committee, one or two females should definitely be at the head. 178Everything can be accomplished with their advice.
172Kalaṣh tō lakṣhmī par rakhā jātā hai nā .
179The urn is given to Lakshmi.
173Gāyan bhī hai amr̥it pilātī thī tō asur bhī baiṭh pītē thē .
180It is remembered: When nectar was being distributed, even devils came to drink it.
174Phir kahā̃ yagya mē̃ vighna ḍāltē haĩ , anēk prakār K|kē vighna ḍālnē vālē haĩ .
181There are those who cause obstacles in the yagya. 182There are those who create many types of obstacle.
175Sārā din buddhi mē̃ jharmuī jhagmuī key|kī bātē̃ rahtī haĩ , yah bahut kharāb hai .
183Throughout the day, they only have gossip in their intellects. 184That is very bad.
176Kōī bhī bāt hai tō bāp kō report karō .
185Report to the Father everything that happens.
177Sudhārnē vālā tō ēk hī bāp hai .
186Only the one Father can reform you.
178Tum apnē hāth mē̃ law nahī̃ uṭhāō .
187You mustn't take the law into your own hands.
179Tum bāp kī yād mē̃ rahō . 180Sabkō bāp kā parichay dō tab aisā ban sakē̃gē .
188Just stay in remembrance of the Father and give everyone His introduction.
181Māyā bahut kaṛī hai , kiskō bhī nahī̃ chhōṛtī hai .
189Only then will you be able to become like them (Lakshmi and Narayan).
182Sadaiv bāp kō samāchār likhnā chāhiē .
190Maya is very strong. 191She doesn’t leave anyone alone.
183Direction lētē rahnā chāhiē .
192Always write your news to the Father.
184Yū̃ tō har ēk direction miltē hī rahtē haĩ .
193Continue to take directions from Him. 194You receive directions for everything anyway.
185Bachchē samajhtē haĩ bābā nē tō āpēhī is bāt par samjhā diyā tō antaryāmī hai .
195You children think that because Baba has explained something about a particular person, He, Himself, must be Antaryami (One who knows the inner self of everyone).
186Bāp kahtē - nahī̃ , maĩ tō knowledge paṛhātā hū̃ .
196However, the Father says: No; I teach you this knowledge.
187Ismē̃ antaryāmī key|kī tō bāt hī nahī̃ .
197There is no question of being Antaryami in this.
188Hā̃ , yah jāntē haĩ ki yah sab mērē bachchē haĩ .
198Yes, I do know that all of you are My children.
189Har ēk K|kē andar key|kī ātmā mērē bachchē haĩ .
199The soul in each one is a child of Mine.
190Bākī aisē nahī̃ bāp sabmē̃ virājmān hai .
200It isn't that the Father is present in each one.
191Manuṣhya ulṭā samajh lētē haĩ .
201People have misunderstood this.
192Bāp kahtē haĩ maĩ jāntā hū̃ sabkē takht par ātmā virājmān hai .
202The Father says: I know that each one is a soul and is sitting on his throne.
193Yah tō kitnī sahaj bāt hai .
203These are such easy matters.
194Phir bhī bhūl kar paramātmā sarvavyāpī kah dētē haĩ .
204In spite of that, they forget this and say that God is omnipresent.
195Yah hai ēkaz bhūl , jis kāraṇ hī itnā nīchē girē haĩ .
205Due to this one mistake everyone has fallen so much!
196Viśhva kā mālik banānē vālē kō tum gālī dētē hō isliē bāp kahtē haĩ yadā yadāhi … bāp yahā̃ ātē haĩ tō bachchō̃ kō achchhī rīti vichār sāgar manthan karnā hai .
206You insult the One who is making you into the masters of the world. 207This is why the Father says: Whenever there is extreme irreligiousness in Bharat, I come. 208The Father has come here. 209Therefore, you children should churn the ocean of this knowledge very well.
197Knowledge par bahut-bahut manthan karnā chāhiē , time dēnā chāhiē tab tum apnā kalyāṇ kar sakē̃gē , ismē̃ paisē ādi key|kī bhī bāt nahī̃ . 198Bhūkh tō kōī mar na sakē .
210Make time to churn this knowledge very well. 211Only then will you be able to benefit yourselves. 212It is not a question of money in this; no one is going to starve to death.
199Jitnā jō bāp kē pās jamā kartē haĩ , utnā bhāgya bantā hai .
213Whatever each of you accumulates with the Father, you accordingly create your fortune.
200Bāp nē samjhāyā hai gyān aur bhakti kē bād hai vairāgya .
214The Father has explained that, after this knowledge and devotion, there is disinterest.
201Vairāgya mānā sab kuchh bhūl jānā paṛtā hai .
215Disinterest means to forget everything.
202Apnē kō detach kar dēnā chāhiē , śharīr sē ham ātmā ab jā rahī haĩ .
216You should detach yourself: I, this soul, am leaving this body.
203Achchhā !
217Achcha.
204Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
218To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
205Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
219The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
206Dhārṇā kē liē mukhya sār :
220Essence for dharna:
2071 ) apnē ūpar bahut control rakhnā hai .
2211. Have great control over yourself.
208Śhrīmat mē̃ kabhī bēparvāh nahī̃ bannā hai .
222Never become careless about following shrimat.
209Bahut-bahut khabardār rahnā hai , kabhī kōī kāydē kā ullaṅghan na hō .
223Remain very, very cautious. 224Never break any laws.
2102 ) antarmukh hō ēk bāp sē buddhi key|kī link jōṛnī hai .
2252. Become introverted and link your intellect to the one Father.
211Is patit purānī duniyā sē bēhad kā vairāgya rakhnā hai .
226Have unlimited disinterest in this impure old world.
212Buddhi mē̃ rahē - jō karma maĩ karũgā , mujhē dēkh sab karē̃gē .
227Keep it in your intellect that others will copy whatever actions they see you perform.
Blessing
213Vardān : gyān key|kī points kō her|har rōz revise kar samādhān svarup bannē vālē bēgampur K|kē bādśhāh bhav
228Blessing: May you revise points of this knowledge every day and thereby become embodiments of solutions and emperors of the land free from sorrow.
214Gyān key|kī points jō ḍāyariyō̃ mē̃ athavā buddhi mē̃ rahtī haĩ unhē̃ her|har rōz revise karō aur unhē̃ anubhav mē̃ lāō tō kisī bhī prakār key|kī samasyā kā sahaj hī samādhān kar sakē̃gē .
229Every day, revise points of this knowledge that you have in your diaries and intellects and make them your practical experience. 230You will then easily be able to find a solution to any type of problem.
215Kabhī bhī vyarth saṅkalpō̃ K|kē hammer sē samasyā K|kē patthar kō tōṛnē mē̃ samay nahī̃ ganvāō .
231Never waste your time in trying to break the rock of problems with the hammer of waste thoughts.
216 « drama ' ' śhabda key|kī smr̥iti sē high jump dē āgē baṛhō .
232Take a high jump over them with the awareness of the word “drama” and move forward.
217Phir yē purānē saṅskār āpkē dās ban jāyēṅgē , lēkin pahlē bādśhāh banō , takhtnaśhīn banō .
233Those old sanskars will then become your servants, but you must first become an emperor seated on your throne.
Slogan
218Slōgan : har ēk kō sammān dēnā hī sammān prāpt karnā hai .
234Slogan: To give everyone regard is to receive regard.
235*** Om Shanti ***
219Avyakt iśhārē - is avyakti mās mē̃ bandhanmukt rah jīvanmukt sthiti kā anubhav karō
236Avyakt Signal: In this avyakt month, stay free from bondage and experience the stage of liberation in life.
220Jīvan-bandh kē sāth hī jīvan-mukt kā anubhav hōtā hai , vahā̃ tō jīvan-bandh key|kī bāt hī nahī̃ .
237It is only by experiencing bondage in life that you can experience liberation in life. 238There, in the golden age, there is no question of bondage in life.
221Vahā̃ tō sirph usī prārabdha mē̃ hōṅgē , muktidhām key|kī mukti kā anubhav jō abhī kar saktē hō vah vahā̃ nahī̃ kar sakē̃gē isliē saṅgamyug par mukti-jīvan-mukti kā anubhav karō .
239There, you will just be in the state of your reward. 240You will not be able to experience the liberation of the land of liberation that you experience now. 241Therefore, you can experience liberation and liberation in life at this confluence age.
222Varsē K|kē adhikārī tō banē hō ab usē jīvan mē̃ dhāraṇ kar pūrā lābh uṭhāō .
242You have claimed a right to your inheritance, so now, inculcate that into your life and take the full benefit of it.