गुरुवार 19 फ़रवरी 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
019-02-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
019/02/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - abhī bhārat khās aur ām sārī duniyā par brahspati key|kī daśhā baiṭhnī hai , bābā tum bachchō̃ dvārā bhārat kō sukhdhām banā rahē haĩ ' '
1Essence: Sweet children, there are now going to be the omens of Jupiter over Bharat in particular and the whole world in general. 2Baba is making Bharat into a land of happiness through you children.
Question
2Praśhna : 16 kalā sampūrṇ bannē kē liē tum bachchē kaun sā puruṣhārth kartē hō ?
3Question: What effort do you children make in order to become 16 celestial degrees full?
Answer
3Uttar : yōgbal jamā karnē kā .
4Answer: The effort to accumulate the power of yoga.
4Yōgbal sē tum 16 kalā sampūrṇ ban rahē hō .
5It is with the power of yoga that you become 16 celestial degrees full.
5Iskē liē bāp kahtē haĩ dē dān tō chhūṭē grahaṇ .
6For this, the Father says: Give a donation and the eclipse of the omens will be removed.
6Kām vikār jō girānē vālā hai iskā dān dō tō tum 16 kalā sampūrṇ ban jāyēṅgē .
7Donate the vice of lust that makes you fall and you will become 16 celestial degrees full.
72 - dēh-abhimān kō chhōṛ dēhī-abhimānī banō , śharīr kā bhān chhōṛ dō .
82) Renounce body consciousness and become soul conscious. 9Renounce all consciousness of your bodies.
Song
8Gīt : tum māt pitā …
10Song: You are the Mother and You are the Father.
Murli
9Ōm śhānti .
11Om shanti.
10Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē apnē rūhānī bāp key|kī mahimā sunī .
12You sweetest, spiritual children, heard the praise of your spiritual Father.
11Vah gātē rahtē haĩ yahā̃ tum practical mē̃ us bābā kā varsā lē rahē hō .
13Those people continue to sing this, whereas you children are claiming your inheritance from that Baba in a practical way.
12Tum jāntē hō - bābā hamārē dvārā hī bhārat kō sukhdhām banā rahē haĩ .
14You understand that Baba is making Bharat into a land of happiness through you.
13Jiskē dvārā banā rahē haĩ jarūr vahī sukhdhām kā mālik banē̃gē .
15Those through whom He is making it will definitely become the masters of that land of happiness.
14Bachchō̃ kō tō bahut khuśhī rahnī chāhiē .
16You children should have a lot of happiness.
15Bābā key|kī mahimā aparamapār hai .
17Baba's praise is limitless.
16Unsē ham varsā pā rahē haĩ .
18We are claiming our inheritance from Him.
17Abhī tum bachchō̃ par balki sārī duniyā par ab brahaspati key|kī avināśhī daśhā hai .
19There are now the imperishable omens of Jupiter over you children, that is, over the whole world.
18Abhī tum brāhmaṇ hī jāntē hō bhārat khās aur duniyā ām sab par ab brahaspati key|kī daśhā baiṭhnī hai kyōṅki tum ab 16 kalā sampūrṇ bantē hō .
20Only you Brahmins know that there are now going to be the omens of Jupiter over Bharat in particular and the world in general because you are now becoming 16 celestial degrees full.
19Is samay tō kōī kalā nahī̃ hai .
21At this time, there are no degrees.
20Bachchō̃ kō bahut khuśhī rahnī chāhiē .
22You children should have a lot of happiness.
21Aisē nahī̃ yahā̃ khuśhī hai , bāhar jānē sē gum hō jāē .
23It shouldn't be that you have happiness here and that it disappears as soon as you go outside.
22Jiskī mahimā gātē haĩ vah ab tumhārē pās|pass hāzir hai .
24The One whom you praise is now present in front of you.
23Bāp samjhātē haĩ - 5 hazār varṣh pahlē bhī tumkō rājāī dēkar gayā thā .
25The Father explains that He departed 5000 years ago, having given you the kingdom.
24Ab tum dēkhē̃gē - āhistē-āhistē sab pukārtē rahē̃gē .
26You will see that, gradually, everyone will continue to call out.
25Tumhārē bhī slōgan nikaltē rahē̃gē .
27You will continue to make slogans.
26Jaisē indirā gāndhī kahtī thī ki ēk dharm , ēk bhāṣhā , ēk rājāī hō , usmē̃ bhī ātmā kahtī hai nā .
28Indira Gandhi used to say that there should be one religion, one language and one kingdom. 29It is a soul in her too who speaks.
27Ātmā jāntī hai barōbar bhārat mē̃ ēk rājdhānī thī , jō abhī sāmnē khaṛī hai .
30The soul understands that there truly was one kingdom in Bharat and that it is now in front of you.
28Samajhtē haĩ kabhī bhī sārā khātmā hō jāē , yah kōī naī bāt nahī̃ hai .
31You understand that everything can be completely destroyed at any time. 32This is nothing new.
29Bhārat kō phir 16 kalā sampūrṇ jarūr bannā hai .
33Bharat definitely has to become 16 celestial degrees full again.
30Tum jāntē hō ham is yōgbal sē 16 kalā sampūrṇ ban rahē haĩ .
34You know that with this power of yoga you are becoming 16 celestial degrees full.
31Kahtē haĩ nā - dē dān tō chhūṭē grahaṇ .
35It is said: Give a donation and the omens of the eclipse will be removed.
32Bāp bhī kahtē haĩ vikārō̃ kā , avguṇō̃ kā dān dō .
36The Father also says: Donate the vices and defects.
33Yah rāvaṇ rājya hai .
37This is the kingdom of Ravan.
34Bāp ākar insē chhuṛātē haĩ .
38The Father comes and liberates you from that.
35Ismē̃ bhī kām vikār baṛā bhārī avguṇ hai .
39Of all the vices, lust is the biggest defect.
36Tum dēh-abhimānī ban paṛē hō .
40You have become body conscious.
37Ab dēhī-abhimānī bannā paṛē .
41You now have to become soul conscious.
38Śharīr kā bhān bhī chhōṛnā paṛē .
42You have to renounce the consciousness of your bodies.
39In bātō̃ kō tum bachchē hī samajhtē hō . 40Duniyā nahī̃ jāntī .
43Only you children understand these things; the world does not understand these things.
41Bhārat jō 16 kalā sampūrṇ thā , sampūrṇ dēvtāō̃ kā rājya thā , abhī grahaṇ lagā huā hai .
44Bharat, which was 16 degrees full, was the kingdom of the perfect deities and it is now eclipsed.
42In lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī rājdhānī thī nā .
45There used to be the kingdom of Lakshmi and Narayan.
43Bhārat svarg thā . 44Ab vikārō̃ kā grahaṇ lagā huā hai isliē bāp kahtē haĩ dē dān tō chhūṭē grahaṇ .
46Bharat used to be heaven and it is now eclipsed by the vices, and this is why the Father says: Give a donation and the omens of the eclipse will be removed.
45Yah kām vikār hī girānē vālā hai isliē bāp kahtē yah dān dō tō tum 16 kalā ban jāyēṅgē .
47It is the vice of lust that makes you fall. 48This is why the Father says: Donate this and you will become 16 celestial degrees full.
46Nahī̃ dēgē tō nahī̃ banē̃gē .
49If you do not donate it, you cannot become this.
47Ātmāō̃ kō apnā-apnā part milā huā hai nā .
50Souls have received their own parts, have they not?
48Yah bhī tumhārī buddhi mē̃ hai .
51You have this in your intellects.
49Tumhārī ātmā mē̃ kitnā part hai .
52You souls have such great parts!
50Tum viśhva kā rājya-bhāgya lētē hō .
53You claim your fortune of the kingdom of the world.
51Yah bēhad kā drama hai . 52Athāh actors haĩ .
54This is an unlimited drama in which there are many actors.
53Ismē̃ first class actors haĩ yah lakṣhmī-nārāyaṇ . 54Inhō̃ kā number one part hai .
55The first-class actors are Lakshmi and Narayan; they have the number one parts.
55Viṣhṇu sō brahmā-sarasvatī phir brahmā-sarasvatī sō viṣhṇu bantē haĩ .
56Vishnu becomes Brahma and Saraswati and then Brahma and Saraswati become Vishnu.
56Yah 84 janm kaisē lētē haĩ .
57How do they take 84 births?
57Sārā chakra buddhi mē̃ ā jātā hai .
58You have the whole cycle in your intellects.
58Śhāstra paṛhnē sē thōṛēhī kōī samajhtē haĩ .
59No one understands anything by studying the scriptures.
59Vah tō kalp key|kī āyu hī lākhō̃ varṣh kah dētē haĩ .
60They have said that the duration of each cycle is hundreds of thousands of years.
60Phir tō svāstikā bhī ban na sakē . 61Vyāpārī lōg chaupṛā likhtē haĩ tō us par svāstikā nikāltē haĩ .
61In that case, the swastika couldn’t be created of four equal parts. 62Businessmen draw a swastika on their account books.
62Gaṇēśh key|kī pūjā kartē haĩ .
63They worship Ganesh (Swastika).
63Yah hai bēhad kā chaupṛā .
64That is an unlimited account book.
64Svāstikā mē̃ 4 bhāg hōtē haĩ .
65There are four parts in the swastika.
65Jaisē jagannāthpurī mē̃ chāval kā haṇḍā rakhtē haĩ , vah pak jātā hai tō 4 bhāg hō jātē haĩ .
66At the Jagadnath Temple, they cook rice in a pot and that is seen to divide into four equal parts when it is cooked.
66Vahā̃ chāval kā hī bhōg lagātē haĩ kyōṅki vahā̃ chāval bahut khātē haĩ .
67There, the bhog they offer is rice, because the people there eat a lot of rice.
67Śhrīnāth dvārē mē̃ chāval hōtē nahī̃ .
68There is no rice in the bhog at the Shrinath Dware Temple.
68Vahā̃ tō sab sachchē ghī kā pakkā māl bantā hai .
69There, everything they make is enriched with clarified butter.
69Jab bhōjan banātē haĩ tō bhī saphāī sē mũh band karkē banātē haĩ .
70When they cook, they cover their mouths with a cloth to maintain hygiene.
70Prasād bahut ijjat sē lē jātē haĩ , bhōg lagākar phir vah sab paṇḍē lōgō̃ kō miltā hai .
71They then take that holy food to offer it with a lot of respect. 72After it is offered, it is then given to the brahmin guides.
71Dukān mē̃ jākar rakhtē haĩ . 72Vahā̃ bahut bhīṛ rahtī hai .
73They then take it to their shops where there are big crowds.
73Bābā kā dēkhā huā hai .
74Baba has also seen that.
74Ab tum bachchō̃ kō kaun paṛhā rahē haĩ ?
75Who is now teaching you children?
75Most beloved bāp ākar tumhārā servant banā hai .
76The most beloved Father comes and becomes your Servant.
76Tumhārī sēvā kar rahē haĩ , itnā naśhā chaṛhtā hai ?
77He is serving you. 78Do you have this much intoxication?
77Ham ātmāō̃ kō bāp paṛhātē haĩ .
79The Father is teaching us souls.
78Ātmā hī sab kuchh kartī hai nā .
80It is souls who do everything.
79Manuṣhya phir kah dētē ātmā nirlēp hai .
81Human beings say that souls are immune to the effect of action.
80Tum jāntē hō ātmā mē̃ tō 84 janmō̃ kā avināśhī part bharā huā hai , unkō phir nirlēp kahnā kitnā rāt-din kā fark hō jātā hai .
82You know that you souls have imperishable parts of 84 births recorded in you. 83To say that souls are immune to the effect of action is like the difference of day and night.
81Yah jab kōī achchhī rīti mās ḍēṛh baiṭh samajhē tab yah points buddhi mē̃ baiṭhē̃ .
84Only when people sit and understand this knowledge for four to six weeks will these points sit in their intellects.
82Din-pratidin points tō bahut nikaltī rahtī haĩ .
85Day by day, many points emerge.
83Yah hai jaisē kastūrī .
86These are like musk (fragrance).
84Bachchō̃ kō jab pūrā niśhchay baiṭhtā hai tō phir samajhtē haĩ barōbar parampitā paramātmā hī ākar durgati sē sadgati kartē haĩ .
87When children have full faith, they understand that the Supreme Father, the Supreme Soul, really does come to take them from degradation into salvation.
85Bāp kahtē haĩ tum par abhī brahaspati key|kī daśhā hai .
88The Father says: You now have the omens of Jupiter over you.
86Mainnē tumkō svarg kā mālik banāyā ab phir rāvaṇ nē rāhū kī daśhā biṭhā dī hai .
89I made you into the masters of heaven, but Ravan has now cast the omens of the eclipse of Rahu over everyone.
87Ab phir bāp āyē haĩ svarg kā mālik banānē .
90The Father has now come once again to make you into the masters of heaven.
88Tō apnē kō ghāṭā nahī̃ lagānā chāhiē .
91Therefore, you mustn't cause yourself a loss.
89Vyāpārī lōg apnā khātā hamēśhā ṭhīk rakhtē haĩ .
92Businessmen always keep their accounts in good order.
90Ghāṭā ḍālnē vālē kō anāṛī kahā jātā hai .
93Those who cause themselves a loss are called fools.
91Ab yah tō sabsē baṛā vyāpār hai .
94This is now the biggest business of all.
92Kōī birlā vyāpārī yah vyāpār karē .
95Scarcely a few businessmen do this business.
93Yahī avināśhī vyāpār hai aur sab vyāpār tō miṭṭī mē̃ mil jānē vālē haĩ .
96This business is an imperishable business, whereas all other businesses are going to turn to dust.
94Abhī tumhārā sachchā vyāpār hō rahā hai .
97You are now doing true business.
95Bāp hai gyān kā sāgar , saudāgar , ratnāgar .
98The Father is the Ocean of Knowledge, the Businessman and the Jewel Merchant.
96Pradarśhanī mē̃ dēkhō kitnē ātē haĩ .
99Look how many people come to the exhibitions.
97Centre mē̃ kōī muśhkil āyēṅgē .
100Hardly any of them come to the centres.
98Bhārat tō bahut lambā-chauṛā hai nā .
101Bharat is very big.
99Sab jagah tumkō jānā hai .
102You have to go everywhere.
100Pānī key|kī gaṅgā sārē bhārat mē̃ hai nā .
103The Ganges of water exist everywhere in Bharat, do they not?
101Yah bhī tumkō samjhānā paṛē . 102Patit-pāvan kōī pānī key|kī gaṅgā nahī̃ .
104You also have to explain that the Purifier is not the River Ganges.
103Tum gyān gaṅgāō̃ kō jānā paṛēgā .
105You Ganges of this knowledge have to go everywhere.
104Chārō̃ taraph mēlē pradarśhanī hōtē rahē̃gē .
106There will continue to be melas and exhibitions etc. in all four directions.
105Din-pratidin chitra bantē rahē̃gē .
107Day by day, pictures continue to be made.
106Aisē śhōbhāvān chitra hō̃ jō dēkhnē sē hī mazā ā jāē . 107Yah tō ṭhīk samjhātē haĩ , ab lakṣhmī-nārāyaṇ key|kī rājdhānī sthāpan hō rahī hai .
108They should be so beautiful that people enjoy looking at them and feel that the things you explain are very good. 109The kingdom of Lakshmi and Narayan is now being established.
108Sīṛhī kā chitra bhī first class hai .
110The picture of the ladder is first class.
109Abhī brāhmaṇ dharm key|kī sthāpanā hō rahī hai .
111The Brahmin religion is also now being established.
110Yah brāhmaṇ hī phir dēvtā bantē haĩ .
112You Brahmins then become deities.
111Tum abhī puruṣhārth kar rahē hō tō dil andar apnē sē pūchhtē rahō hamārē mē̃ kōī chhōṭā-mōṭā kāṇṭā tō nahī̃ hai ?
113You are now making effort. 114Therefore, each of you should continue to ask your heart: Do I have any small or large thorn in me?
112Kām kā kāṇṭā tō nahī̃ hai ?
115Do I have the thorn of lust in me?
113Krōdh kā chhōṭā kāṇṭā vah bhī baṛā kharāb hai .
116Even a small thorn of anger is very bad.
114Dēvtāyē̃ krōdhī nahī̃ hōtē haĩ .
117Deities do not have anger.
115Dikhātē haĩ - śhaṅkar key|kī āṅkh khulnē sē vināśh hō jātā hai .
118It is shown that when Shankar opens his eye, destruction takes place.
116Yah bhī ēk kalaṅk lagāyā hai .
119That too is a false allegation.
117Vināśh tō hōnā hī hai .
120Destruction has to take place.
118Sūkṣhmavatan mē̃ śhaṅkar kō kōī sāmp ādi thōṛēhī hō saktē .
121Shankar cannot have a snake etc. around him in the subtle region.
119Sūkṣhmavatan aur mūlvatan mē̃ bāg bagīchē sarp ādi kuchh bhī nahī̃ hōtē .
122There are no parks, gardens or snakes in the subtle region or in the incorporeal world.
120Yah sab yahā̃ hōtē haĩ .
123All of those things exist here.
121Svarg bhī yahā̃ hōtā hai .
124Heaven also exists here.
122Is samay manuṣhya kāṇṭō̃ misal haĩ , isliē inkō kāṇṭō̃ kā jaṅgal kahā jātā hai .
125At this time, human beings are like thorns and that is why this is called a forest of thorns.
123Satyug hai phūlō̃ kā bagīchā .
126The golden age is a garden of flowers.
124Tum dēkhtē hō bābā kaisā bagīchā banātē haĩ .
127You can see what type of garden Baba is creating.
125Most beautiful banātē haĩ .
128He is making it most beautiful.
126Sabkō hasīn banātē haĩ .
129He is making everyone beautiful.
127Khud tō ever hasīn hai .
130He Himself is ever beautiful.
128Sab sajaniyō̃ kō athavā bachchō̃ kō hasīn banātē haĩ .
131He makes all of you brides, that is, all of you children, beautiful.
129Rāvaṇ nē bilkul kālā banā diyā hai .
132Ravan made you completely ugly.
130Ab tum bachchō̃ kō khuśhī hōnī chāhiē hamārē ūpar brahaspati key|kī daśhā baiṭhī hai .
133You children should now have the happiness that you have the omens of Jupiter over you.
131Ādhā samay sukh , ādhā samay duḥkh hō tō ussē phāydā hī kyā ?
134What benefit would there be if there were happiness for only half the time and sorrow for half the time?
132Nahī̃ , 3/4 hissā sukh , 1/4 hissā duḥkh hai .
135No; there is three-quarters happiness and one quarter sorrow.
133Yah drama banā huā hai .
136This drama is predestined.
134Bahut lōg pūchhtē haĩ drama aisā kyō̃ banāyā hai ?
137Many people ask why the drama was created in this way.
135Arē yah tō anādi hai nā .
138This drama is eternal.
136Kyō̃ banā , yah praśhna uṭh nahī̃ saktā .
139You cannot ask why it was created.
137Yah anādi avināśhī drama banā huā hai .
140This eternal and imperishable drama is predestined.
138Banī-banāī ban rahī hai .
141That which is predestined is taking place.
139Kiskō bhī mōkṣh nahī̃ mil saktā .
142No one can receive eternal liberation.
140Yah tō anādi sr̥iṣhṭi chalī ātī hai , chaltī hī rahēgī .
143This eternal world continues all the time and will continue to exist.
141Pralay hōtī nahī̃ .
144There can never be complete annihilation.
142Bāp naī duniyā banātē haĩ parantu usmē̃ guñjāis kitnī hai .
145The Father makes the world new, but there are so many subtle margins.
143Jab manuṣhya patit duḥkhī hōtē haĩ tab bulātē haĩ .
146When human beings become impure and unhappy, they call out to Him.
144Bāp ākar sabkī kāyā kalpatarū banātē jō ādhākalp tumhārī kabhī akālē mr̥iityu nahī̃ hōgī .
147The Father comes and makes everyone's body pure so that you never experience untimely death for half a cycle.
145Tum kāl par jīt pātē hō .
148You gain victory over death.
146Tō bachchō̃ kō bahut puruṣhārth karnā chāhiē .
149Therefore, you children should make a lot of effort.
147Jitnā ūñch pad pāyē̃ utnā achchhā hai .
150The higher the status you claim, the better it is.
148Puruṣhārth tō har ēk jāstī kamāī kē liē kartā hī hai .
151Everyone makes effort to earn a greater income.
149Lakṛī vālē bhī kahē̃gē ham jāstī kamāī karē̃ .
152Even those who collect wood would say that they want to earn a greater income.
150Kōī ṭhagī sē bhī kamātē haĩ .
153Some earn by cheating.
151Paisē par hī āphat hai .
154Money is the cause of problems.
152Vahā̃ tō tumhārē paisē kōī lūṭ na sakē .
155There, no one can loot your money.
153Dēkhō duniyā mē̃ tō kyā-kyā hō rahā hai .
156Look at what is happening in the world.
154Vahā̃ aisī kōī duḥkh key|kī bāt nahī̃ hōtī hai .
157There is nothing of sorrow there.
155Ab tum bāp sē kitnā varsā lētē hō .
158You are now claiming such a big inheritance from the Father!
156Apnī jāñch karnī chāhiē - ham svarg mē̃ jānē lāyak haĩ ?
159Examine yourselves and see whether you are worthy of going to heaven.
157 ( nārad kā misāl ) manuṣhya anēk tīrtha ādi kartē rahtē haĩ , miltā kuchh bhī nahī̃ .
160(Example of Narad). 161People continue to go on many pilgrimages, but they don't attain anything.
158Gīt bhī hai nā - chārō̃ taraph lagāyē phērē phir bhī hardam dūr rahē .
162There is also the song: We have gone around in all four directions and still remain far away from You.
159Ab bāp tumkō kitnī achchhī yātrā sikhlātē haĩ , ismē̃ kōī taklīph nahī̃ .
163The Father is now teaching you such a good pilgrimage! 164There is no difficulty in this.
160Sirph bāp kahtē haĩ māmēkam yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē .
165The Father says: Simply remember Me and your sins will be absolved.
161Bahut achchhī yukti sunātā hū̃ . 162Bachchē suntē haĩ .
166I am telling you children a very good method, and you listen to this.
163Yah mērā loan liyā huā śharīr hai .
167This is the body that I take on loan.
164Is bāp kō kitnī khuśhī hōtī hai . 165Hamnē bābā kō śharīr loan par diyā hai .
168This father has so much happiness that he has given his body on loan to Baba.
166Bābā hamkō viśhva kā mālik banātē haĩ .
169Baba is making me into the master of the world.
167Nām bhī hai bhāgīrath .
170The name of this body is “The Lucky Chariot”.
168Abhī tum bachchē rāmpurī mē̃ chalnē liē puruṣhārth kar rahē hō .
171You children are now making effort to go to the land of Rama.
169Tō pūrā puruṣhārth mē̃ lag jānā chāhiē .
172Therefore, you should occupy yourselves fully in making effort.
170Kāṇṭā kyō̃ bannā chāhiē .
173Why should you become a thorn?
171Tum brāhmaṇ-brāhmaṇiyā̃ hō .
174You are Brahmins.
172Sabkā ādhār murlī par hai .
175Everything depends on the murli.
173Murlī tumkō nahī̃ milēgī tō tum śhrīmat kahā̃ sē lāyēṅgē .
176Where could you receive shrimat from without the murli?
174Aisē nahī̃ sirph ēk brāhmaṇī kō hī murlī sunānī hai .
175Kōī bhī murlī paṛhkar sunā saktē haĩ . 176Bōlnā chāhiē - āj tum sunāō .
177Ab tō pradarśhanī K|kē chitra bhī samjhānē kē liē achchhē banē haĩ .
177Many good exhibition pictures have been created for you to explain to others.
178Yah mukhya chitra tō apnī dukān par rakhō , bahutō̃ kā kalyāṇ hōgā .
178Keep these main pictures at your shop and many will benefit.
179Bōlō , āō tō ham tumkō samjhāyē̃ . 180Yah sr̥iṣhṭi kā chakra kaisē phirtā hai .
179Tell them: Come inside and we will explain to you how this world cycle turns.
181Kiskā kalyāṇ karnē mē̃ thōṛā time gayā tō harjā thōṛēhī hai .
180It doesn't matter if it takes a little time to benefit someone.
182Us saudē kē sāth yah saudā karā saktē hō .
181Together with doing that business, you can also do this business.
183Yah bābā kā avināśhī gyān ratnō̃ kā dukān hai .
182This is Baba's shop of the imperishable jewels of this knowledge.
184Number one hai sīṛhī kā chitra aur gītā K|kē bhagvān śhiv kā chitra .
183The picture of the ladder is a number one picture. 184There is also the picture of Shiva, the God of the Gita.
185Bhārat mē̃ śhiv bhagvān āyā thā , jiskī jayantī manātē haĩ .
185It is because God Shiva came into Bharat that the birthday of Shiva is celebrated here.
186Ab phir vah bāp āyā hai .
186That Father has now come again.
187Yagya bhī rachā huā hai .
187The sacrificial fire has also been created.
188Tum bachchō̃ kō rājyōg kā gyān sunā rahē haĩ .
188You children are being given the knowledge of Raja Yoga.
189Bāp hī ākar rājāō̃ kā rājā banātē haĩ .
189Only the Father comes and makes you into kings of kings.
190Bāp kahtē haĩ maĩ tumkō sūryavanśhī rājā-rānī banātā hū̃ , jinhō̃ kō phir vikārī rājāyē̃ bhī naman kartē haĩ .
190The Father says: I am making you into sun-dynasty kings and queens whose idols, kings who indulge in vice will bow down to.
191Tō svarg kā mahārājā-mahārānī bannē kā pūrā puruṣhārth karnā chāhiē .
191Full effort has to be made in order to become an emperor or empress of heaven.
192Bābā kōī makān ādi banānē key|kī manā nahī̃ kartē haĩ . 193Bhal banāō .
192Baba doesn’t forbid you to construct houses; you may build them.
194Paisē bhī tō miṭṭī mē̃ mil jāyēṅgē , issē kyō̃ na makān banāē ārām sē rahō .
193The money would otherwise turn to dust anyway. 194Instead, why not build a home and live comfortably?
195Paisē kām mē̃ lagānē chāhiē .
195The money should be used.
196Makān bhī banāō , khānē kē liē bhī rakhō .
196Build houses and also keep some money for food.
197Dān-puṇya bhī kartē haĩ .
197People also give donations and perform charity.
198Jaisē kaśhmīr kā rājā apnī property jō private thī , vah sab ārya samājiyō̃ kō dān mē̃ diyā .
198For example, the King of Kashmir donated all his private property to the Arya Samajis.
199Apnē dharm , jāti kē liē kartē haĩ nā .
199People do everything for those who belong to their own caste and religion.
200Yahā̃ tō vah kōī bāt nahī̃ .
200It is not like that here.
201Sab bachchē haĩ .
201Here, all are children.
202Jāti ādi key|kī bāt nahī̃ .
202There is no question of caste etc. here.
203Vah hai dēh key|kī jāti ādi .
203Those are limited castes etc.
204Maĩ tō tum ātmāō̃ kō viśhva kī bādśhāhī dētā hū̃ , pavitra banāē .
204I make you souls pure and give you the sovereignty of the world.
205Drama anusār bhāratvāsī hī rājya-bhāgya lē̃gē .
205According to the drama, you people of Bharat receive your fortune of the kingdom.
206Ab tum bachchē jāntē hō - hamārē ūpar brahaspati key|kī daśhā baiṭhī huī hai .
206You children understand that you now have the omens of Jupiter over you.
207Śhrīmat kahtī hai māmēkam yād karō aur kōī bāt nahī̃ .
207Shrimat says: Constantly remember Me alone. 208You don't have to do anything else.
208Bhakti mārg mē̃ vyāpārī lōg kuchh na kuchh dharmāū jarūr nikāltē haĩ .
209Businessmen on the path of devotion put something aside for charity.
209Uskā bhī dūsrē janm mē̃ alpkāl kē liē miltā hai .
210They receive a temporary reward for that in their next birth.
210Ab tō maĩ direct āyā hū̃ , tō tum is kārya mē̃ lagāō .
211I have now come here directly. 212Therefore, you should use everything for this task.
211Mujhē tō kuchh nahī̃ chāhiē .
213I don't want anything.
212Śhivbābā kō apnē liē kōī makān ādi banānā hai kyā .
214Does Shiv Baba have to build houses etc. for Himself?
213Yah sab tum brāhmaṇō̃ kā hai .
215All of these are for you Brahmins.
214Garīb sāhūkār sab ikaṭṭhē rahtē haĩ .
216Both poor and wealthy all stay here together.
215Kōī-kōī bigaṛtē haĩ - bhagvān kē pās bhī sam dr̥iṣhṭi nahī̃ hai .
217Some become upset because they think that God doesn't have equal vision for everyone.
216Kōī kō mahal mē̃ , kōī kō jhōpṛī mē̃ rakhtē haĩ .
218They say that some are given mansions to live in, whereas others have to live in huts.
217Śhivbābā kō bhūl jātē haĩ .
219They forget Shiv Baba.
218Śhivbābā key|kī yād mē̃ rahē tō kabhī aisī bātē̃ na karē̃ .
220If they were to stay in remembrance of Shiv Baba, they would never say such things.
219Sabsē pūchhnā tō hōtā hai nā .
221Everyone has to be considered.
220Dēkhā jātā hai yah ghar mē̃ aisā ārām sē rahtā hai tō vah prabandh dēnā paṛē isliē kahtē haĩ sabkī khātirī karō .
222If people are used to living like that at home, they have to be given similar facilities. 223This is why you are told to offer hospitality to everyone.
221Kōī bhī chīz na hō tō mil saktī hai .
224If you don't have something, it can be given to you.
222Bāp kā tō bachchō̃ par lav|love rahtā hai .
225The Father loves His children.
223Itnā lav|love aur kōī kā rah na sakē .
226No one else can have as much love.
224Bachchō̃ kō kitnā samjhātē haĩ puruṣhārth karō .
227You children have been told so many times that you have to make effort.
225Aurō̃ kē liē bhī yukti rachō .
228Create clever methods for others.
226Ismē̃ chāhiē 3 pair pr̥ithvī K|kē , jismē̃ bachchiyā̃ samjhātī rahē̃ .
229For this, you need three feet of land where children can continue to explain.
227Kōī baṛē ādmī kā hall hō , ham sirph chitra rakh dētē haĩ .
230If an important person has a big hall, ask him: Can we keep pictures here?
228Ēk-dō ghaṇṭā subah-śhām kō class kar chalē jāyēṅgē .
231We will conduct class here for one to two hours in the morning and the evening and then leave.
229Kharchā sab hamārā , nām tumhārā hōgā .
232We will cover all the expenses and your name will become famous.
230Bahut ākar kauṛī sē hīrē jaisē banē̃gē .
233Many will come and change from shells to diamonds.
231Achchhā !
234Achcha.
232Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
235To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
233Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
236The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
234Dhārṇā kē liē mukhya sār :
237Essence for dharna:
2351 ) jō bhī andar mē̃ kāṇṭē haĩ unkī jāñch kar nikālnā hai .
2381. Check yourself and remove all the thorns from within you.
236Rāmpurī mē̃ chalnē kā puruṣhārth karnā hai .
239Make effort to go to the land of Rama (God).
2372 ) avināśhī gyān ratnō̃ kā saudā kar kisī kā bhī kalyāṇ karnē mē̃ samay dēnā hai .
2402. Do business with the imperishable jewels of this knowledge and give time to benefitting someone.
238Hasīn bannā aur banānā hai .
241Become beautiful and make others beautiful.
Blessing
239Vardān : tamōguṇī vāyumaṇḍal mē̃ apnī sthiti ēkras , achal-aḍōl rakhnē vālē master sarvśhaktimān bhav
242Blessing: May you keep your stage constant, unshakeable and immovable, even in a tamoguni atmosphere, as a master almighty authority.
240Din-pratidin paristhitiyā̃ ati tamōpradhān bannī haĩ , vāyumaṇḍal aur bhī bigaṛnē vālā hai .
243Day by day, the situations are going to become more and more tamopradhan and the atmosphere will get worse.
241Aisē vāyumaṇḍal mē̃ kamal puṣhp samān nyārē rahnā , apnī sthiti satōpradhān banānā - iskē liē itnī himmat vā śhakti key|kī āvaśhyaktā hai .
244In order to remain as detached as a lotus flower and make your stage satopradhan, you need to have that much courage and power.
242Jab yah vardān smr̥iti mē̃ rahtā ki maĩ master sarvśhaktimān hū̃ tō chāhē prakr̥iti dvārā , chāhē laukik sambandh dvārā , chāhē daivī parivār dvārā kōī bhī parīkṣhā ā jāē - usmē̃ sadā ēkras , achal-aḍōl rahē̃gē .
245When you keep the blessing of being a master almighty authority in your awareness, then, no matter what test comes in front of you through matter, physical relations or the divine family, you will always be constant, unshakeable and immovable.
Slogan
243Slōgan : vardātā bāp kō apnā sachchā sāthī banā lō tō vardānō̃ sē jhōlī bharī rahēgī .
246Slogan: Make the Father, the Bestower of Blessings, your true Companion and your apron will remain filled with blessings.
247*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
244Yē avyakt iśhārē - ēktā aur viśhvās key|kī viśhēṣhtā dvārā saphaltā sampann banō
248Avyakt Signal: With the speciality of unity and faith, become full of success.
245Is paramātm-jñān sē hī viśhva mē̃ ēk dharm , ēk rājya , ēk mat key|kī sthāpanā hōtī hai .
249It is only through this Godly knowledge that the establishment of one religion, one kingdom and one direction will take place in the world.
246Āpkē is brāhmaṇ saṅgaṭhan K|kē ēkmat key|kī viśhēṣhtā - dēvtā rūp mē̃ practical chaltī hai .
250The speciality of this Brahmin gathering of yours will then continue in a practical way in the deity form.
247Yah viśhēṣhtā hī kamāl karēgī , issē hī nām bālā hōgā , pratyakṣhatā hōgī .
251This speciality will perform wonders. 252It is through this that the name will be glorified and revelation will take place.
248Tō is viśhēṣhtā mē̃ number one banō .
253Therefore, become number one in this speciality.
249Iskē liē jō apnā mūl saṅskār hai , uskō miṭākar bāpdādā K|kē saṅskārō̃ kō copy kar samān aur sampūrṇ banō tab har ēk sē bāp dikhāī dēgā aur pratyakṣhatā hōgī .
254For this, finish your main sanskars, copy BapDada's sanskars and become complete and perfect and the Father will then be visible in each one of you and revelation will take place.