सोमवार 23 फ़रवरी 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

023-02-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

023/02/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - yah saṅgamyug hai chaṛhtī kalā kā yug , ismē̃ sabhī kā bhalā hōtā hai isliē kahā jātā chaṛhtī kalā tērē bhānē sarv kā bhalā ' '

1Essence: Sweet children, this confluence age is the age for ascending. 2Everyone benefits in this age. 3This is why it is said: There is benefit for everyone due to your ascending stage.

Question

2Praśhna  : bābā sabhī brāhmaṇ bachchō̃ kō bahut-bahut badhāīyā̃ dētē haĩ - kyō̃  ?

4Question: Why does Baba give all of you Brahmin children many congratulations?

Answer

3Uttar  : kyōṅki bābā kahtē tum mērē bachchē manuṣhya sē dēvtā bantē hō .

5Answer: Baba says: It is because you children of Mine become deities from humans.

4Tum abhī rāvaṇ key|kī jañjīrō̃ sē chhūṭtē hō , tum svarg kī rājāī pātē hō , pass with honour bantē hō , maĩ nahī̃ isliē bābā tumhē̃ bahut-bahut badhāīyā̃ dētē haĩ .

6You now become free from the chains of Ravan. 7You pass with honours and claim the kingdom of heaven. 8I don't do that. 9Therefore, Baba congratulates you a great deal.

5Tum ātmāyē̃ pataṅg hō , tumhārī ḍōr mērē hāth mē̃ haĩ .

10You souls are kites. 11The strings of all of you are in My hands.

6Maĩ tumhē̃ svarg kā mālik banātā hū̃ .

12I make you into the masters of heaven.

Song

7Gīt  : ākhir vah din āyā āj …

13Song: At last the day for which we had been waiting has come.

Murli

8Ōm śhānti .

14Om shanti.

9Yah amar kathā kaun sunā rahē haĩ  ?

15Who is telling you this story of immortality?

10Amar kathā kahō , satya nārāyaṇ kī kathā kahō vā tījrī kī kathā kahō - tīnō̃ mukhya haĩ .

16Whether you call it the story of immortality, the story of becoming true Narayan or the story of the third eye, all three are important.

11Abhī tum kiskē sāmnē baiṭhē hō aur kaun tumkō sunā rahē haĩ  ?

17In front of whom are you now sitting and who is telling you the story?

12Satsaṅg tō isnē bhī bahut kiyē haĩ .

18Even this one has been to many spiritual gatherings.

13Vahā̃ tō sab manuṣhya dēkhnē mē̃ ātē haĩ .

19There, you can only see human beings.

14Kahē̃gē phalānā sannyāsī kathā sunātē haĩ . 15Śhivānand sunātē haĩ .

20They say that such-and-such a sannyasi is relating a religious story, that Shivananda is relating a story.

16Bhārat mē̃ tō ḍhēr satsaṅg haĩ .

21There are many spiritual gatherings in Bharat.

17Galī-galī mē̃ satsaṅg haĩ .

22They have spiritual gatherings in every street.

18Mātāyē̃ bhī pustak uṭhāē baiṭh satsaṅg kartī haĩ .

23Even women simply take up a religious book and have a spiritual gathering.

19Tō vahā̃ manuṣhya kō dēkhnā paṛtā hai lēkin yahā̃ tō wonderful bāt hai .

24So, there, you see human beings, whereas here, it is a wonderful aspect.

20Tumhārī buddhi mē̃ kaun hai  ?

25Who is in your intellects?

21Paramātmā .

26The Supreme Soul, God.

22Tum kahtē hō abhī bābā sāmnē āyā huā hai . 23Nirākār bābā hamkō paṛhātē haĩ .

27You say that Baba has now come in front of you, that incorporeal Baba is teaching you.

24Manuṣhya kahē̃gē vah īśhvar tō nām-rūp sē nyārā hai .

28Human beings say, “But, God is beyond name and form!”

25Bāp samjhātē haĩ ki nām-rūp sē nyārī kōī chīz hai nahī̃ .

29The Father explains: Nothing is beyond name and form.

26Tum bachchē jāntē hō yahā̃ kōī bhī sākār manuṣhya nahī̃ paṛhātē haĩ aur kahā̃ bhī jāō , sārī world mē̃ sākār hī paṛhātē haĩ .

30You understand that it is not a corporeal human being who is teaching you here. 31Anywhere else you go to in the world, it is corporeal beings who teach you.

27Yahā̃ tō supreme bāp hai , jiskō nirākār god father kahā jātā hai , vah nirākār sākār mē̃ baiṭh paṛhātē haĩ .

32Here, the Supreme Father, who is called incorporeal God, the Father, sits and teaches you through this corporeal one.

28Yah bilkul naī bāt huī .

33This is something completely new.

29Janm by janm tum suntē āyē hō , yah phalānā paṇḍit hai , gurū hai .

34Birth after birth, you have been hearing them say, "This one is such-and-such a pundit, or guru."

30Ḍhēr K|kē ḍhēr nām haĩ .

35They have many names.

31Bhārat tō bahut baṛā hai .

36Bharat is very big.

32Jō bhī kuchh sikhātē haĩ , samjhātē haĩ vah manuṣhya hī haĩ .

37Whoever teaches or explains to you is a human being.

33Manuṣhya hī śhiṣhya banē huē haĩ .

38Disciples are also human beings.

34Anēk prakār K|kē manuṣhya haĩ .

39There are many types of human being.

35Phalānā sunātē haĩ . 36Hamēśhā śharīr kā nām liyā jātā hai .

40They always mention the name of the body and say, “So-and-so is relating this.”

37Bhakti mārg mē̃ nirākār kō bulātē haĩ ki hē patit-pāvan āō .

41On the path of devotion, they call out to the incorporeal One: O Purifier, come!

38Vahī ākar bachchō̃ kō samjhātē haĩ .

42He comes and explains to you children.

39Tum bachchē jāntē hō ki kalp-kalp sārī duniyā jō patit ban jātī hai , unkō pāvan karnē vālā ēk hī nirākār bāp hai .

43You children know that the whole world becomes impure every cycle and that it is only the incorporeal Father who makes it pure again.

40Tum yahā̃ jō baiṭhē hō , tumhārē mē̃ bhī kōī kachchē haĩ , kōī pakkē haĩ kyōṅki ādhākalp tum dēh-abhimānī banē hō . 41Ab dēhī-abhimānī is janm mē̃ bannā hai .

44Among all of you sitting here, some of you are weak and others are strong. 45It is because you have been body conscious for half a cycle that you now have to become soul conscious in this birth.

42Tumhārī dēh mē̃ rahnē vālī jō ātmā hai unkō paramātmā baiṭh samjhātē haĩ .

46The Supreme Soul sits here and explains to each of you souls that are sitting in your body.

43Ātmā hī saṅskār lē jātī hai .

47It is the soul who carries away the sanskars.

44Ātmā kahtī hai organs dvārā ki maĩ phalānā hū̃ .

48A soul says through his organs: I am so-and-so.

45Parantu ātma-abhimānī tō kōī hai nahī̃ .

49However, no one is soul conscious.

46Bāp samjhātē haĩ jō is bhārat mē̃ sūryavanśhī-chandravanśhī thē vahī is samay ākar brāhmaṇ banē̃gē phir dēvtā banē̃gē .

50The Father explains that those who belonged to the sun dynasty and moon dynasty in Bharat will come at this time and become Brahmins and that they will then become deities.

47Manuṣhya dēh-abhimānī rahnē K|kē ādatī haĩ , dēhī-abhimānī rahnā bhūl jātē haĩ isliē bāp ghaṛī-ghaṛī kahtē haĩ dēhī-abhimānī banō .

51Human beings have the habit of being body conscious; they forget to remain soul conscious. 52This is why the Father repeatedly says: Become soul conscious!

48Ātmā hī bhinn-bhinn chōlā lēkar part bajātī hai .

53It is the soul who adopts different costumes and plays his part.

49Yah haĩ unkē organs .

54These are his organs.

50Ab bāp bachchō̃ kō kahtē haĩ manmanābhav .

55The Father now says to you children: Become Manmanabhav!

51Bākī sirph gītā paṛhnē sē kōī rājya-bhāgya thōṛēhī mil saktā hai .

56No one can receive the fortune of the kingdom by just studying the Gita.

52Tumkō is samay trikāldarśhī banāyā jātā hai .

57You are made trikaldarshi at this time.

53Rāt-din kā fark hō gayā hai .

58There is the difference of day and night.

54Bāp samjhātē haĩ maĩ tumkō rājyōg sikhātā hū̃ .

59The Father explains: I teach you Raja Yoga.

55Śhrīkr̥iṣhṇa tō satyug kā prince hai .

60Shri Krishna is a prince of the golden age.

56Jō sūryavanśhī dēvtāyē̃ thē unmē̃ kōī gyān nahī̃ .

61The sun-dynasty deities don’t have this knowledge.

57Gyān tō prāyaḥlōp hō jāyēgā .

62This knowledge will have disappeared.

58Gyān hai hī sadgati kē liē .

63This knowledge is for receiving salvation.

59Satyug mē̃ durgati mē̃ kōī hōtā hī nahī̃ .

64In the golden age, no one is in degradation.

60Vah hai hī satyug . 61Abhī hai kaliyug .

65That is the golden age, whereas it is now the iron age.

62Bhārat mē̃ pahlē sūryavanśhī 8 janm phir chandravanśhī 12 janm .

66In Bharat, there are first eight births in the sun dynasty and then 12 births in the moon dynasty.

63Yah ēk janm abhī tumhārā sabsē achchhā janm hai .

67This one birth of yours now is the best birth of all.

64Tum hō prajāpitā brahmā mukh vaṅśhāvalī .

68You are the mouth-born creation of Prajapita Brahma.

65Yah hai sarvōttam dharm .

69This is the most elevated Brahmin religion.

66Dēvtā dharm sarvōttam dharm nahī̃ kahē̃gē .

70The deity religion cannot be called the most elevated religion.

67Brāhmaṇ dharm sabsē ūñch hai .

71The Brahmin religion is the most elevated of all.

68Dēvtāyē̃ tō prālabdh bhōgtē haĩ .

72Deities simply experience their reward.

69Ājkal bahut social worker haĩ .

73Nowadays, there are many social workers.

70Tumhārī hai rūhānī service .

74Your work is spiritual service.

71Vah hai jismānī sēvā karnā .

75Theirs is physical service.

72Rūhānī service ēk hī bār hōtī hai .

76This spiritual service can only be done once.

73Āgē yah social worker ādi nahī̃ thē .

77Previously, there were no social workers etc.

74Rājā-rānī rājya kartē thē .

78The king and queen used to rule.

75Satyug mē̃ dēvī-dēvtā thē .

79In the golden age, there were deities.

76Tum hī pūjya thē phir pujārī banē .

80You were worthy of worship and you then became worshippers.

77Lakṣhmī-nārāyaṇ dvāpar mē̃ jab vām mārg mē̃ jātē haĩ tō mandir banātē haĩ .

81Lakshmi and Narayan went onto the path of sin in the copper age and people then continued to build temples to them.

78Pahlē-pahlē śhiv kā banātē haĩ .

82First of all, they build a temple to Shiva.

79Vah hai sarv kā sadgati dātā tō unkī jarūr pūjā hōnī chāhiē .

83He is the Bestower of Salvation for All. 84Therefore, He must surely be worshipped.

80Śhivbābā nē hī ātmāō̃ kō nirvikārī banāyā thā nā .

85Shiv Baba made souls viceless. 86Then, there is worship of the deities.

81Phir hōtī hai dēvtāō̃ key|kī pūjā . 82Tum hī pūjya thē phir pujārī banē .

87You were worthy of worship and you then became worshippers.

83Bābā nē samjhāyā hai - chakra kō yād kartē rahō .

88Baba has told you: Continue to remember the cycle.

84Sīṛhī utartē-utartē ēkdam paṭ par ākar paṛē hō .

89You have come down the ladder and have now fallen to the ground.

85Ab tumhārī chaṛhtī kalā hai .

90It is now your stage of ascending.

86Kahtē haĩ chaṛhtī kalā tērē bhānē sarv kā bhalā .

91It is said: There is benefit for everyone due to your ascending stage.

87Sārī duniyā K|kē manuṣhya mātra key|kī ab chaṛhtī kalā kartā hū̃ .

92I now bring the stage of ascending for all the human beings of the world.

88Patit-pāvan ākar sabkō pāvan banātē haĩ .

93The Purifier comes and purifies everyone.

89Jab satyug thā tō chaṛhtī kalā thī aur bākī sab ātmāyē̃ muktidhām mē̃ thī .

94When it was the golden age, after your stage of ascending, all the rest of the souls were in the land of liberation.

90Bāp baiṭh samjhātē haĩ mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ mērā janm bhārat mē̃ hī hōtā hai .

95The Father sits here and explains: Sweetest children, I only take birth in Bharat.

91Śhivbābā āyā thā , gāyā huā hai .

96It is remembered that Shiv Baba came.

92Ab phir āyā huā hai .

97He has now come once again.

93Iskō kahā jātā hai rājasva aśhvamēdh avināśhī rūdra gyān yagya .

98This is called: The sacrificial fire of this imperishable knowledge for self-sovereignty in which the horse is sacrificed.

94Svarājya pānē kē liē yagya rachā huā hai .

99This sacrificial fire was created to attain self-sovereignty.

95Vighna bhī paṛē thē , ab bhī paṛ rahē haĩ .

100There were obstacles then. 101There are obstacles now too.

96Mātāō̃ par atyāchār hōtē haĩ .

102Mothers are assaulted.

97Kahtē haĩ bābā hamkō yah naṅgan kartē haĩ .

103They say: Baba, we are being stripped.

98Hamkō yah chhōṛtē nahī̃ haĩ .

104They don’t leave us alone.

99Bābā hamārī rakṣhā karō .

105Baba, protect us!

100Dikhātē haĩ drōpadī key|kī rakṣhā huī .

106They have shown how Draupadi was protected.

101Abhī tum 21 janmō̃ kē liē bēhad K|kē bāp sē varsā lēnē āyē hō .

107You have come to the unlimited Father to claim your inheritance for 21 births.

102Yād kī yātrā mē̃ rahkar apnē kō pavitra banātē hō .

108You stay on the pilgrimage of remembrance and purify yourselves.

103Phir vikār mē̃ gayē tō khalās , ēkdam gir paṛē̃gē isliē bāp kahtē haĩ pavitra jarūr rahnā hai .

109Then, by indulging in vice, everything is finished and you fall right down. 110This is why the Father says: You definitely have to remain pure.

104Jō kalp pahlē banē thē vahī pavitratā key|kī pratigyā karē̃gē phir kōī pavitra rah saktē haĩ , kōī nahī̃ rah saktē haĩ .

111Those who became this in the previous cycle will make a promise for purity. 112Then, some are able to remain pure and others are not.

105Mukhya bāt hai yād kī .

113The main thing is remembrance.

106Yād karē̃gē , pavitra rahē̃gē aur svadarśhan chakra phirātē rahē̃gē tō phir ūñch pad pāyēṅgē .

114If you stay in remembrance, remain pure and spin the discus of self-realisation, you can claim a high status.

107Viṣhṇu K|kē dō rūp rājya kartē haĩ nā .

115The dual-form of Vishnu rules the kingdom.

108Parantu viṣhṇu kō jō śhaṅkh chakra dē diyā hai vah dēvtāō̃ kō nahī̃ thā . 109Lakṣhmī-nārāyaṇ kō bhī nahī̃ thā .

116However, the ornaments of the conch shell and the discus that they have given to Vishnu do not belong to the deities; Lakshmi and Narayan do not have them.

110Viṣhṇu tō sūkṣhmavatan mē̃ rahtē haĩ , unkō chakra K|kē knowledge key|kī darkār nahī̃ hai .

117Vishnu resides in the subtle region. 118He doesn’t need the knowledge of the cycle.

111Vahā̃ movie chaltī hai .

119There is just “movie” there.

112Abhī tum jāntē hō ki ham śhāntidhām K|kē rahnē vālē haĩ .

120You now understand that you are residents of the land of peace.

113Vah hai nirākārī duniyā .

121That is the incorporeal world.

114Ab ātmā kyā chīz hai , vah bhī manuṣhya mātra nahī̃ jāntē .

122Human beings don’t understand what a soul is.

115Kah dētē ātmā sō paramātmā .

123They say that each soul is the Supreme Soul.

116Ātmā kē liē kahtē haĩ ēk chamaktā huā sitārā hai , jō bhr̥ikuṭī K|kē bīch rahtā hai .

124It is said of a soul that it is a sparkling star that resides in the centre of each one’s forehead.

117In āṅkhō̃ sē dēkh na sakē̃ .

125It cannot be seen with these eyes.

118Bhal kōī kitnā bhī kōśhiśh karē̃ , śhīśhē ādi mē̃ band karkē rakhē̃ ki dēkhē̃ ki ātmā nikaltī kaisē hai  ? 119Kōśhiśh kartē haĩ parantu kiskō bhī patā nahī̃ paṛtā hai - ātmā kyā chīz hai , kaisē nikaltī hai  ?

126No matter how much someone tries to lock a body in a glass case to see how the soul leaves the body, no one understands this.

120Bākī itnā kahtē haĩ ātmā star misal hai . 121Divya dr̥iṣhṭi bigar uskō dēkhā nahī̃ jātā .

127However, they do say that souls are like stars and cannot be seen without having a divine vision.

122Bhakti mārg mē̃ bahutō̃ kō sākṣhātkār hōtā hai .

128On the path of devotion, many people have visions.

123Likhā huā hai arjun kō sākṣhātkār huā akhaṇḍ jyōti hai .

129It is written that Arjuna had a vision of eternal light.

124Arjun nē kahā ham sahan nahī̃ kar saktē .

130Arjuna cried out that he was unable to tolerate it.

125Bāp samjhātē haĩ itnā tējōmay ādi kuchh hai nahī̃ .

131The Father explains: There is nothing as bright as that.

126Jaisē ātmā ākar śharīr mē̃ pravēśh kartī hai , patā thōṛēhī paṛtā hai .

132When a soul enters a body, you are not aware of it.

127Ab tum bhī jāntē hō ki bābā kaisē pravēśh kar bōltē haĩ .

133You now understand how Baba enters and speaks.

128Ātmā ākar bōltī hai .

134That soul comes here and speaks.

129Yah bhī drama mē̃ sārī nūndh hai , ismē̃ kōī K|kē tākat key|kī bāt nahī̃ .

135This too is all fixed in the drama. 136There is no question of anyone’s strength in this.

130Ātmā kōī śharīr chhōṛ jātī nahī̃ hai . 131Yah sākṣhātkār key|kī bāt hai .

137A soul doesn’t leave his body and go somewhere else; that is just a matter of a vision.

132Wonderful bāt hai nā .

138This is a wonderful aspect.

133Bāp kahtē haĩ maĩ bhī sādhāraṇ tan mē̃ ātā hū̃ .

139The Father says: I enter an ordinary body.

134Ātmā kō bulātē haĩ nā .

140They invoke a soul.

135Āgē ātmāō̃ kō bulākar unsē pūchhtē bhī thē .

141Previously, they used to invite a departed soul to come and would then ask him questions.

136Abhī tō tamōpradhān ban gayē haĩ nā .

142Now, everyone has become tamopradhan.

137Bāp ātē hī isliē haĩ ki ham jākar patitō̃ kō pāvan banāyē̃ .

143The Father only comes to purify the impure.

138Kahtē bhī haĩ 84 janm .

144They speak of 84 births.

139Tō samajhnā chāhiē ki jō pahlē āyē haĩ , unhōnnē hī jarūr 84 janma liē hōṅgē .

145Therefore, it should be understood that those who came first must definitely have taken 84 births.

140Vah tō lākhō̃ varṣh kah dētē haĩ .

146They speak of hundreds of thousands of years.

141Ab bāp samjhātē haĩ tumkō svarg mē̃ bhējā thā .

147The Father now explains: I sent you to heaven.

142Tumnē jākar rājya kiyā thā .

148You went and ruled there.

143Tum bhāratvāsiyō̃ kō svarg mē̃ bhējā thā .

149You people of Bharat were sent to heaven.

144Rājyōg sikhāyā thā saṅgam par .

150You were taught Raja Yoga at the confluence age.

145Bāp kahtē haĩ maĩ kalp K|kē saṅgamyugē ātā hū̃ .

151The Father says: I come at the confluence age of each cycle.

146Gītā mē̃ phir yugē-yugē akṣhar likh diyā hai .

152They have then written in the Gita that He comes in every age.

147Abhī tum jāntē hō ham sīṛhī kaisē utartē haĩ phir chaṛhtē haĩ .

153You now understand how you come down the ladder and how you then climb up.

148Chaṛhtī kalā phir utartī kalā .

154There is the stage of ascending and then the stage of descending.

149Abhī yah saṅgamyug hai sarv key|kī chaṛhtī kalā kā yug .

155This is now the confluence age. 156It is the age of the stage of ascending for everyone.

150Sab chaṛh jātē haĩ . 151Sab ūpar mē̃ jāyēṅgē phir tum āyēṅgē svarg mē̃ part bajānē .

157You are now climbing and going up and you will then go down into heaven to play your parts.

152Satyug mē̃ dūsrā kōī dharm nahī̃ thā .

158In the golden age, there were no other religions.

153Unkō kahā jātā hai viceless world .

159That was called a viceless world.

154Phir dēvī-dēvtāyē̃ vām mārg mē̃ jākar sab vicious hōnē lagtē haĩ , yathā rājā-rānī tathā prajā .

160The deities then fell on to the path of sin and everyone began to become vicious. 161As are the king and queen, so the subjects.

155Bāp samjhātē haĩ hē bhāratvāsī tum viceless world mē̃ thē . 156Ab hai vicious world .

162The Father explains: O people of Bharat, you were in a viceless world and it is now a vicious world.

157Anēk dharm haĩ bākī ēk dēvī-dēvtā dharm nahī̃ hai .

163There are now innumerable religions, but the deity religion doesn’t exist.

158Jarūr jab na hō tab tō phir sthāpan hō .

164It is only when it no longer exists that it would surely be established once again.

159Bāp kahtē haĩ maĩ brahmā dvārā ākar ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā kartā hū̃ .

165The Father says: I come and establish the original, eternal deity religion through Brahma.

160Yahā̃ hī karēgā nā .

166He would do this here, would He not?

161Sūkṣhma vatan mē̃ tō nahī̃ karē̃gē .

167He wouldn’t do this in the subtle region.

162Likhā huā hai brahmā dvārā ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm key|kī rachnā rachtē haĩ .

168It is written that the creation of the original, eternal deity religion was through Brahma.

163Tumkō is samay pāvan nahī̃ kahē̃gē .

169You are not called pure at this time.

164Pāvan ban rahē haĩ . 165Time tō lagtā hai nā .

170You are becoming pure; it does take time.

166Patit sē pāvan kaisē banē̃ , yah kōī bhī śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ hai .

171It is not written in any scripture how you become pure from impure.

167Vāstav mē̃ mahimā tō ēk bāp kī hai .

172In fact, the praise is of just the one Father.

168Us bāp kō bhūlnē K|kē kāraṇ hī orphan ban paṛē haĩ . 169Laṛtē rahtē haĩ .

173Because of forgetting that Father, you have become orphans and continue to fight.

170Phir kahtē haĩ sab milkar ēk kaisē hō̃ .

174People ask: How can everyone unite and become one?

171Bhāī haĩ nā .

175They are all brothers.

172Bābā tō anubhavī hai .

176Baba is experienced.

173Bhakti bhī isnē pūrī kī hai . 174Sabsē adhik gurū kiyē huē haĩ .

177This one has performed all types of devotion; he adopted the most number of gurus.

175Ab bāp kahtē haĩ in sabkō chhōṛō .

178The Father says: Renounce all of them!

176Ab maĩ tumkō milā huā hū̃ .

179You have found Me.

177Sarv kā sadgati dātā ēk sat śhrī akāl kahtē haĩ nā .

180You call Him the Bestower of Salvation for All, Sat Shri Akaal (the Truth, the Most Elevated and Immortal One).

178Arth|earth nahī̃ samajhtē . 179Paṛhtē tō bahut rahtē haĩ .

181People read this a lot but they don’t understand the meaning of it.

180Bāp samjhātē haĩ abhī sab patit haĩ phir pāvan duniyā banēgī .

182The Father explains: Everyone is now impure. 183Later, the pure world will be created.

181Bhārat hī avināśhī hai .

184Only Bharat is imperishable.

182Yah kōī kō patā nahī̃ hai . 183Bhārat kā kabhī vināśh nahī̃ hōtā aur na kabhī pralay hōtī hai .

185No one knows that Bharat is never destroyed or that total annihilation never takes place.

184Yah jō dikhātē haĩ sāgar mē̃ pīpal K|kē pattē par śhrīkr̥iṣhṇa āyē - ab pīpal K|kē pattē par tō bachchā ā na sakē .

186They show Shri Krishna coming on a pipal leaf floating in the ocean. 187A baby cannot come floating on a pipal leaf.

185Bāp samjhātē haĩ tum garbh sē janma lē̃gē , baṛē ārām sē .

188The Father explains: You will take a very comfortable birth through a womb.

186Vahā̃ garbh mahal kahā jātā hai . 187Yahā̃ hai garbh jēl .

189A womb there is said to be a palace, whereas a womb here is said to be a jail.

188Satyug mē̃ hai garbh mahal . 189Ātmā kō pahlē sē hī sākṣhātkār hōtā hai . 190Yah tan chhōṛ dūsrā lēnā hai .

190In the golden age, a womb is like a palace and a soul has a vision beforehand that he will shed that body and take another.

191Vahā̃ ātma-abhimānī rahtē haĩ .

191There, they remain soul conscious.

192Manuṣhya tō na rachayitā kō , na rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō jāntē haĩ .

192Human beings neither know the Creator nor the beginning, middle or the end of creation.

193Abhī tum jāntē hō bāp hai gyān kā sāgar .

193You now know that the Father is the Ocean of Knowledge.

194Tum master sāgar hō .

194You are master oceans.

195Tum ( mātāyē̃ ) hō nadiyā̃ aur yah gōp haĩ gyān mānsarōvar .

195You mothers are the rivers and the brothers are the lakes of this knowledge.

196Yah gyān nadiyā̃ haĩ . 197Tum hō sarōvar .

196They are rivers of this knowledge and you are lakes.

198Pravr̥itti mārg chāhiē nā .

197There, it is the family path.

199Tumhārā pavitra gr̥ihasth āśhram thā . 200Abhī patit hai .

198Your ashram was that of a pure household path and it is now that of an impure household path.

201Bāp kahtē haĩ yah sadaiv yād rakhō ki ham ātmā haĩ .

199The Father says: Always remember that you are souls.

202Ēk bāp kō yād karnā hai .

200Only remember the one Father.

203Bābā nē pharmān diyā hai kōī bhī dēhdhārī kō yād na karō .

201Baba has ordered you: Don’t remember any bodily being!

204In āṅkhō̃ sē jō kuchh dēkhtē hō vah sab khatm hō jānā hai isliē bāp kahtē haĩ manmanābhav , madhyājībhav .

202Whatever you see with your eyes, it is to be destroyed. 203This is why the Father says: Manmanabhav and Madhyajibhav!

205Is kabristān kō bhūltē jāō .

204Continue to forget this graveyard.

206Māyā K|kē tūphān tō bahut āyēṅgē , insē ḍarnā nahī̃ hai .

205Many storms of Maya will come. 206You mustn’t be afraid of them.

207Bahut tūphān āyēṅgē parantu karmēndriyō̃ sē karma nahī̃ karnā hai .

207Many storms will come, but don’t perform sinful actions through your physical organs.

208Tūphān ātē haĩ tab jab tum bāp kō bhūl jātē hō .

208It is only when you forget the Father that storms come.

209Yah yād kī yātrā ēk hī bār hōtī hai .

209This pilgrimage of remembrance only takes place once.

210Vah hai mr̥ityulōk key|kī yātrāyē̃ , amarlōk key|kī yātrā yah hai .

210Those pilgrimages are of this land of death. 211This pilgrimage leads to that land of immortality.

211Tō ab bāp kahtē haĩ kōī bhī dēhdhārī kō yād na karō .

212The Father says: Don’t remember any bodily being.

212Bachchē , śhiv jayantī key|kī kitnī tārē̃ bhējtē haĩ .

213Children send so many telegrams for Shiva Jayanti.

213Bāp kahtē haĩ tattvam .

214The Father says: The same applies to you.

214Tum bachchō̃ kō bhī bāp badhāīyā̃ dētē haĩ .

215The Father also congratulates you children.

215Vāstav mē̃ tumkō badhāīyā̃ hō kyōṅki manuṣhya sē dēvtā tum bantē hō .

216In fact, you are congratulated because you change from humans into deities.

216Phir jō pass with honour hōgā unkō jāstī marks aur achchhā number milēgā .

217Then, those who pass with honours receive more marks and claim a high status.

217Bāp tumkō badhāīyā̃ dētē haĩ ki ab tum rāvaṇ key|kī jañjīrō̃ sē chhūṭtē hō .

218The Father is congratulating you because you have now become free from the chains of Ravan.

218Sabhī ātmāyē̃ pataṅgē̃ haĩ .

219All souls are like kites.

219Sabkī rassī bāp K|kē hāth mē̃ hai .

220Everyone’s string is in the Father’s hands.

220Vah sabkō lē jāyēṅgē .

221He will take everyone back with Him.

221Sarv K|kē sadgati dātā haĩ . 222Parantu tum svarg kī rājāī pānē kē liē puruṣhārth kar rahē hō .

222He is the Bestower of Salvation for All, but you are making effort to claim the kingdom of heaven.

223Achchhā  !

223Achcha.

224Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

224To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

225Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

225The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

226Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

226Essence for dharna:

2271 ) pass with honour hōnē kē liē ēk bāp kō yād karnā hai , kisī bhī dēhdhārī kō nahī̃ .

2271. In order to pass with honours, remember the one Father and not any bodily being.

228In āṅkhō̃ sē jō dikhāī dētā hai , usē dēkhtē bhī nahī̃ dēkhnā hai .

228See but don’t see whatever you see with your eyes.

2292 ) ham amarlōk key|kī yātrā par jā rahē haĩ isliē mr̥ityulōk kā kuchh bhī yād na rahē , in karmēndriyō̃ sē kōī bhī vikarma na hō , yah dhyān rakhnā hai .

2292. You are going on a pilgrimage to the land of immortality. 230Therefore, you mustn’t remember anything of this land of death. 231Pay attention to not performing any sinful actions with your physical organs.

Blessing

230Vardān  : apnē śhikṣhā svarūp dvārā śhikṣhā dēnē vālē śhikṣhā sampann yōgya śhikṣhak bhav

232Blessing: May you become full of all these teachings and teach others with your form of a worthy and capable teacher.

231Yōgya śhikṣhak usē kahā jātā hai jō apnē śhikṣhā svarūp dvārā śhikṣhā dē .

233Worthy and capable teachers are said to be those who teach with their own forms.

232Unkā svarūp hī śhikṣhā sampann hōgā .

234Their forms are full of teachings.

233Unkā dēkhanā-calanā bhī kiskō śhikṣhā dēgā .

235Their way of seeing and moving can teach others.

234Jaisē sākār rūp mē̃ kadam-kadam her|har karma śhikṣhak K|kē rūp mē̃ practical mē̃ dēkhā , jiskō dūsrē śhabdō̃ mē̃ charitra kahtē haĩ .

236You saw in the sakar form that at every step, every action was done in a practical way by the form of the teacher. 237In other words, you would call it a divine activity.

235Kisī kō vāṇī dvārā śhikṣhā dēnā tō common bāt hai lēkin sabhī anubhav chāhtē haĩ .

238It is a common thing to teach others with words, but everyone wants to have an experience.

236Tō apnē śhrēṣhṭh karma , śhrēṣhṭh saṅkalp key|kī śhakti sē anubhav karāō .

239Give everyone an experience with the power of your elevated actions and elevated thoughts.

Slogan

237Slōgan  : saṅkalpō̃ key|kī siddhi prāpt karnē kē liē ātma śhakti key|kī uṛān bhartē chalō .

240Slogan: In order to have success in your thoughts, continue to fly with the power of the soul.

241*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

238Yē avyakt iśhārē - ēktā aur viśhvās key|kī viśhēṣhtā dvārā saphaltā sampann banō

242Avyakt Signal: With the speciality of unity and faith, become full of success.

239Saṅgaṭhan kō ēktā K|kē sūtra mē̃ pirōnē kē liē vāṇī key|kī śhakti par viśhēṣh dhyān dō .

243In order to thread everyone in the gathering in the thread of unity, pay special attention to the power of your words.

240Vāṇī sadā nirmal hō , cum|kam bōlō , dhīrē bōlō aur mīṭhā bōlō .

244Let your words be always pure and gentle; speak less, speak softly and speak sweetly.

241Sammānjanak bōl hī bōlō .

245Only speak respectful words.

242Abhī tak sādhāraṇ bōl jyādā haĩ .

246Until now, there are more ordinary words.

243' alaukik bōl hō̃ , phariśhtō̃ K|kē bōl hō̃ ' , her|har bōl madhur hō .

247Let your words be spiritual, let your words be angelic. 248Let every word be sweet.

244Abhī is bāt par underline karō tab pratyakṣhatā hōgī .

249Now underline this aspect and revelation will then take place.