गुरुवार 12 मार्च 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
012-03-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
012/03/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - yah paṛhāī source of income hai , issē tum manuṣhya sē dēvtā bantē hō , 21 janmō̃ kē liē sachchī kamāī hō jātī hai ' '
1Essence: Sweet children, this study is your source of income through which you earn a true income for 21 births and change from humans into deities.
Question
2Praśhna : bāp jō mīṭhī-mīṭhī bātē̃ sunātē haĩ vah dhāraṇ kab hōṅgī ?
2Question: When will you imbibe the sweet things that the Father tells you?
Answer
3Uttar : jab buddhi par parmat vā manmat kā prabhāv nahī̃ hōgā .
3Answer: When there is no influence of the dictates of your own mind or those of others on your intellect.
4Jō bachchē sunī sunāī bātō̃ par chaltē haĩ , unkī buddhi mē̃ dhārṇā hō nahī̃ saktī .
4The children who do everything based on rumours are not able to imbibe anything.
5Sivāē gyān K|kē aur kuchh bhī kōī sunātā hai tō vah jaisē duśhman hai .
5If anyone relates anything other than this knowledge to you, that person is like an enemy.
6Jhūṭhī bātē̃ sunānē vālē bahut haĩ isliē hear no evil , see no evil , manuṣhya sē dēvtā bannē kē liē ēk bāp key|kī śhrīmat par hī chalnā hai .
6There are many who tell you lies. 7Therefore, hear no evil, see no evil! 8In order to change from humans into deities, follow the shrimat of the one Father.
Song
7Gīt : hamārē tīrtha nyārē haĩ …
9Song: Our pilgrimage is unique.
Murli
8Ōm śhānti .
10Om shanti.
9Is gīt mē̃ jaisēki apnī mahimā kartē haĩ .
11It is as though you are singing your own praise in this song.
10Apnī mahimā vāstav mē̃ key|kī nahī̃ jātī hai .
12In fact, one cannot praise oneself.
11Yah tō sab samajhnē key|kī bātē̃ haĩ jō bhāratvāsī bahut samajhdār thē , abhī bēsamajh banē haĩ .
13All of these matters have to be understood. 14The people of Bharat who were very sensible have now become senseless.
12Ab praśhna uṭhtā hai , samajhdār kaun thē ?
15Now, the question arises: Who was sensible?
13Yah kahā̃ bhī likhā huā nahī̃ hai .
16This is not written anywhere.
14Tum hō gupta .
17You are incognito.
15Kitnī wonderful bātē̃ haĩ .
18These are such wonderful matters!
16Ēk tō bāp kahtē haĩ mērē dvārā hī bachchē mujhē jān saktē haĩ . 17Phir mērē dvārā sab kuchh jān jātē haĩ .
19The Father says: Children can only come to know Me from Me; they can then know everything from Me.
18Sr̥iṣhṭi K|kē ādi madhya ant kā jō khēl hai , unkō samajh jātē haĩ .
20They can understand the play from the beginning through the middle to the end of the world.
19Aur kōī bhī nahī̃ jāntē aur ēk mukhya bhūl kī hai jō nirākār parampitā paramātmā śhiv kē badlē śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai .
21No one else knows this. 22They have made the one main mistake of putting the name of Shri Krishna instead of that of the Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva.
20Pahlā number śhāstra jinkō śhrīmat bhagavat gītā kahtē vahī wrong hō gayā hai isliē pahlē-pahlē tō siddh karnā hai ki bhagvān ēk hai .
23The number one scripture, which is called the Shrimad Bhagawad Gita, is now wrong. 24Therefore, first of all, prove that God is One.
21Phir pūchhnā hai gītā kā bhagvān kaun ?
25Then, ask them who the God of the Gita is.
22Bhārat kā ādi sanātan dēvī dēvtā dharm hai .
26There is the original, eternal deity religion of Bharat.
23Agar nayā dharm kahē̃ tō brāhmaṇ dharm hī kahē̃gē .
27If you speak of a new religion, that would be the Brahmin religion.
24Pahlē chōṭī hai brāhmaṇ phir dēvtāyē̃ .
28First, there is the topknot of Brahmins and then there are the deities.
25Ūñch tē ūñch brāhmaṇ dharm hai .
29The highest on high is the Brahmin religion.
26Jō brāhmaṇ brahmā dvārā parampitā paramātmā rachtē haĩ , vahī brāhmaṇ phir dēvtā bantē haĩ .
30The Brahmins created by the Supreme Father, the Supreme Soul, Shiva, through Brahma are the Brahmins who then become deities.
27Mukhya bāt hai bhagvān sabkā bāp hai , naī duniyā kā rachayitā .
31The main thing is that God is the Father of all; He is the Creator of the new world.
28Jarūr naī duniyā hī rachē̃gē nā .
32He surely creates a new world.
29Naī duniyā mē̃ nayā bhārat hōtā hai .
33There is new Bharat in that new world.
30Janm bhī bhārat mē̃ liyā hai .
34He has taken birth in Bharat.
31Bhārat kō hī svarg banā rahē haĩ brahmā dvārā .
35He is making Bharat into heaven through Brahma.
32Tumkō apnā banākar phir paṛhātē haĩ manuṣhya sē dēvtā banānē .
36He makes you belong to Him and then teaches you how to change you from humans into deities.
33Pahlē tum śhūdra varṇa K|kē thē phir āyē brāhmaṇ varṇa mē̃ phir daivī varṇa mē̃ .
37Previously, you belonged to the shudra clan and you have come into the Brahmin clan and will then go into the deity clan.
34Pīchhē vr̥iddhi hōtī rahtī hai . 35Ēk dharm sē anēk dharm hō jātē haĩ .
38Later, the population will continue to grow and there will be innumerable religions from the one religion.
36Ṭāl ṭāliyā̃ bhī sab dharmō̃ key|kī ban jātī haĩ , har ēk dharm sē nikaltī haĩ .
39There are still branches and twigs that emerge from every other religion.
37Tīn tubes hōtī haĩ nā . 38Yah hai mukhya .
40There are three main tubes; this is the main one.
39Har ēk sē apnī-apnī śhākhāyē̃ nikaltī haĩ .
41Their own branches emerge from each of them.
40Mukhya hai foundation phir tīn tubes haĩ mukhya .
42The main one is the foundation and then there are three main tubes.
41Thur hai ādi sanātan dēvī dēvtā dharm kā . 42Jō abhī sab rājyōg sīkh rahē hō .
43The trunk is those of the original, eternal deity religion who are all studying Raja Yoga at this time.
43Dēlvāṛā mandir baṛā achchhā banā huā hai , unmē̃ sārī samjhānī hai .
44The Dilwala Temple has been built very well and the whole explanation is in that.
44Bachchē yahā̃ baiṭhē haĩ kalp pahlē bhī tumnē rājyōg key|kī tapasyā kī thī .
45You children are sitting here where you did the tapasya of Raja Yoga in the previous cycle too.
45Jaisē Christ kā yādgār kriściyan dēśh mē̃ hai . 46Vaisē tum bachchō̃ nē yahā̃ tapasyā kī hai tab tumhārā bhī yādgār yahā̃ hai .
46Just as the memorial of Christ exists in Christian countries, so, you children did tapasya here and this is why your memorial too is here.
47Hai baṛā sahaj . 48Parantu kōī bhī jāntē nahī̃ haĩ .
47This is very easy to understand but no one knows about it.
49Sannyāsī lōg tō kah dētē haĩ yah sab kalpanā hai , jaisī jō kalpanā karē .
48Sannyasis say that everything is imagination and whatever one imagines.
50Tumhārē liē bhī kahtē haĩ yah chitra ādi sab kalpanā sē banāyē haĩ .
49They also say of you that you have created all the pictures out of your imagination.
51Jab tak bāp kō jānē̃ , kalpanā hī samajhtē haĩ .
50Unless they know the Father, they will consider it to be our imagination.
52Knowledgeful tō ēk bāp hai nā .
51Only the one Father is the knowledge-full One.
53Tō mukhya hai bāp kā parichay dēnā .
52So, the main thing is to give the Father’s introduction.
54Vah bāp svarg kā varsā dētē haĩ , kalp pahlē bhī diyā thā .
53That Father gives the inheritance of heaven. 54He also gave it in the previous cycle.
55Phir 84 janma lēnā paṛē .
55You then had to take 84 births.
56Bhāratvāsiyō̃ K|kē hī 84 janm hōtē haĩ .
56Only the people of Bharat take 84 births.
57Phir saṅgamyug par bāp ākar rājdhānī key|kī sthāpanā kartē haĩ .
57Then, at the confluence age, the Father comes and establishes the kingdom.
58Tum bachchō̃ nē bāp dvārā samjhā hai .
58You children have understood this from the Father.
59Jab achchhī rīti samajhē̃ , buddhi mē̃ baiṭhē tab khuśhī bhī rahē .
59When you understand everything very well and it sits in your intellects, there will also be that happiness.
60Yah paṛhāī baṛī source of income hai .
60This study is a huge source of income.
61Paṛhāī sē hī manuṣhya barrister ādi bantē haĩ .
61It is by studying that people become barristers, etc.
62Lēkin yah paṛhāī manuṣhya sē dēvtā bannē kī hai .
62However, this study is to change from humans into deities.
63Prāpti kitnī bhārī hai .
63The attainment is so great.
64In jaisī prāpti kōī karā na sakē .
64No one else can enable you to attain as much.
65Granth mē̃ gāyā huā hai - manuṣhy sē dēvtā kiyē karat na lāgī vār .
65In the Granth (Sikh scripture), it is written: “It didn’t take God long to change humans into deities.”
66Parantu manuṣhyō̃ key|kī buddhi chaltī nahī̃ .
66However, people’s intellects just do not work.
67Jarūr vah dēvī-dēvtā dharm prāyaḥlōp hō gayā hai , tab tō likhtē haĩ manuṣhya sē dēvtā banē̃ .
67That deity religion has definitely disappeared. 68This is why it is written that humans changed into deities.
68Dēvtāyē̃ satyug mē̃ thē .
69Deities existed in the golden age.
69Unhō̃ kō jarūr bhagvān nē saṅgam par rachā hōgā .
70God would definitely have created them at the confluence age.
70Kaisē rachā ? 71Yah nahī̃ jāntē .
71They don’t understand how He would create them.
72Gurū nānak nē bhī paramātmā key|kī mahimā gāī hai .
72Guru Nanak too sang the praise of God.
73Un jaisī mahimā kōī nē nahī̃ gāī hai isliē granth kō bhārat mē̃ paṛhtē haĩ .
73No one else has sung the praise that he sang. 74This is why people read the Granth in Bharat.
74Gurūnānak kā kaliyug mē̃ avatār hōtā hai .
75Guru Nanak incarnates in the iron age.
75Vah hai dharm sthāpak .
76He is the founder of that religion.
76Rājāī tō pīchhē huī hai .
77It became a kingdom later.
77Bāp nē tō yah dēvī dēvtā dharm sthāpan kiyā hai .
78The Father established the deity religion.
78Vāstav mē̃ naī duniyā brāhmaṇō̃ key|kī hī kahē̃ .
79In fact, the new world can only be said to be of Brahmins.
79Chōṭī bhal brāhmaṇō̃ kī hai parantu rājdhānī dēvī dēvtāō̃ sē śhurū hōtī hai .
80Although the topknot is Brahmins, the kingdom begins with the deities.
80Tum brāhmaṇ rachē huē hō .
81You Brahmins have been created.
81Tumhārī rājdhānī nahī̃ hai .
82Yours is not a kingdom.
82Tum apnē liē rājdhānī sthāpan kartē hō .
83You are establishing a kingdom for yourselves.
83Baṛī wonderful bātē̃ haĩ .
84These are very wonderful matters.
84Manuṣhya tō kuchh nahī̃ jāntē haĩ .
85People don’t know anything at all.
85Pahlē-pahlē apnē kō mālūm huā tō apnē dvārā dūsrō̃ kō mālūm hōtā hai .
86When you first learn something, others too can then learn or know about that from you.
86Tum śhūdra sē brāhmaṇ banē hō .
87You have become Brahmins from shudras.
87Brahmā kō bhī abhī bāp dvārā mālūm paṛtā hai .
88Brahma too has now come to know about this from the Father.
88Ēk kō batāyā tō bachchō̃ kō bhī batānā hōtā hai .
89He explained everything to this one. 90Therefore, this one also has to explain to other children.
89Unkē tan dvārā tum bachchō̃ kō baiṭh samjhātē haĩ .
91He sits and explains to you children through his body.
90Yah hai anubhav key|kī bātē̃ .
92These are matters of experience.
91Śhāstrō̃ sē tō kōī kuchh bhī samajh na sakē .
93No one can understand anything from the scriptures.
92Bāp kahtē haĩ sārē kalp mē̃ ēk hī bār maĩ aisē hī ākar samjhātā hū̃ .
94The Father says: I only come once in a whole cycle and explain to you in this way.
93Aur anēk dharmō̃ kā vināśh , ēk dharm key|kī sthāpanā karātā hū̃ .
95I establish the one religion and inspire the destruction of innumerable religions.
94Yah 5 hajār varṣh kā khēl hai .
96This is a play of 5000 years.
95Tum bachchē jāntē hō hamnē 84 janma liē haĩ .
97You children know that you have taken 84 births.
96Viṣhṇu key|kī nābhī sē brahmā dikhātē haĩ .
98They show Brahma at the end of the navel cord of Vishnu.
97Brahmā aur viṣhṇu yah kiskē bachchē haĩ ?
99Whose children are Brahma and Vishnu?
98Dōnō̃ bachchē ṭhaharē śhiv K|kē .
100Both are the children of Shiva.
99Vah hai rachayitā , vah rachnā .
101That One is the Creator and they are creation.
100In bātō̃ kō kōī samajh na sakē .
102No one can understand these things.
101Bilkul naī bāt hai .
103These things are completely new.
102Bābā bhī kahtē haĩ yah naī bātē̃ haĩ .
104Even Baba says that these are new things.
103Kōī śhāstrō̃ mē̃ yah bātē̃ hō na sakē .
105These things cannot be in the scriptures.
104Gyān kā sāgar bāp hai , vahī gītā kā bhagvān hai .
106The Father is the Ocean of Knowledge. 107He is the God of the Gita.
105Bhakti mārg mē̃ śhiv jayantī bhī manātē haĩ .
108On the path of devotion, people celebrate the birthday of Shiva.
106Satyug trētā mē̃ nahī̃ manātē .
109They don’t celebrate it in the golden or silver ages.
107Tō jarūr saṅgam par hī ātē hōṅgē .
110Therefore, He must definitely come at the confluence age.
108Yah bātē̃ tum samajhtē jātē hō aur samjhātē rahtē hō .
111You continue to understand these things and also explain them to others.
109Jō samjhānē vālē bāp key|kī mahimā hai , vah bachchō̃ key|kī hōnī chāhiē .
112Let whatever is the praise of the Father who explains to you be the praise of you children too.
110Tumkō bhī master gyān kā sāgar bannā hai .
113You also have to become master oceans of this knowledge.
111Prēm kā sāgar , sukh kā sāgar yahā̃ bannā hai .
114It is here that you have to become oceans of love and oceans of happiness.
112Kiskō duḥkh nahī̃ dēnā hai .
115Don’t cause anyone sorrow.
113Bahut mīṭhā bannā hai .
116Become very sweet!
114Tum jō kaṛuvē ēkdam jahar misal thē , sō tum viceless brāhmaṇ ban rahē hō .
117You, who were as bitter as poison, are now becoming viceless Brahmins.
115Īśhvar key|kī santān ban rahē hō .
118You have become the children of God.
116Vicious sē viceless dēvtā ban rahē hō .
119You are changing from vicious humans into viceless deities.
117Ādhākalp tum patit bantē-bantē abhī bilkul jaṛjaṛībhūt avasthā kō pāyē huē hō .
120You have now reached the state of total decay after being impure for half a cycle.
118Saṛē huē kapṛō̃ kō saṭkā lagānē sē phaṭkar chīr-chīr hō jātē haĩ .
121When worn-out, old clothes are beaten with a stick, they completely tear apart.
119Yahā̃ bhī gyān K|kē saṭakē lagāō tō purjā-purjā hō jātē haĩ .
122Here, too, when souls are beaten with the stick of this knowledge, they completely fall apart.
120Kōī kapṛā aisā mailā hai jō sāph karnē mē̃ bahut time lagtā hai .
123Some clothes are so dirty that it takes a long time to clean them.
121Phir vahā̃ bhī halkā pad mil jātā hai .
124They then receive a low status there.
122Bābā dhōbī hai . 123Tum bhī sāth mē̃ madadgār hō .
125Baba is the Laundryman and you are His helpers.
124Dhōbī bhī number-vār hōtē haĩ .
126Laundrymen are numberwise.
125Yahā̃ bhī number-vār haĩ .
127Here, you too are numberwise.
126Dhōbī achchhē kapṛē sāph na karē tō kahē̃gē nā ki yah tō jaisē hazām hai . 127Ājkal kapṛē sāph dhulānē sīkhē haĩ .
128If a laundryman doesn’t wash clothes well, it is said that he is like a barber, that he has only recently learned how to wash clothes.
128Āgē gā̃vaṛō̃ mē̃ tō bahut mailē kapṛē dhulāī hōtē thē .
129In earlier days, many dirty clothes would be washed in the villages.
129Yah hunar bhī bāhar vālō̃ sē āyā hai .
130This skill has come from people abroad.
130Bāhar vālē kuchh ijjat dētē haĩ . 131Paisē ādi key|kī madad kartē haĩ .
131People abroad give a little respect and they give aid with money, etc.
132Jāntē haĩ yah bahut baṛī birādrī vālē haĩ . 133Ab nīchē girē haĩ .
132They understand that you are from a high clan and have now fallen (Bharat).
134Girnē vālō̃ par taras paṛtā hai nā .
133There is compassion for those who have fallen.
135Bāp kahtē haĩ tumkō kitnā dhanvān banāyā thā .
134The Father says: I made you so wealthy.
136Māyā nē kyā hālat kar dī hai .
135Now look at the condition Maya has brought you to.
137Tum abhī samajhtē hō ham vijay mālā K|kē thē , phir 84 janma lē kyā jākar banē haĩ .
136You understand that you were in the rosary of victory, but look what you have now become after taking 84 births!
138Wonder hai nā .
137It is a wonder!
139Tum samjhā saktē hō , tum bhāratvāsī tō svargvāsī thē .
138You can explain to the people of Bharat that they were the residents of heaven.
140Bhārat hī svarg thā phir nīchē girtē-girtē narkvāsī bhī bannā paṛē .
139Bharat was heaven and then, by falling down, they had to become residents of hell.
141Ab bāp kahtē haĩ - pavitra ban svargvāsī banō .
140The Father now says: Become pure and become residents of heaven.
142Manmanābhav .
141Manmanabhav!
143Śhiv bhagvānuvāch māmēkam yād karō .
142God Shiva speaks: Constantly remember Me alone.
144Yād kī yātrā sē tumhārē sab pāp naṣhṭ hō jāyēṅgē .
143All your sins will be absolved in the pilgrimage of remembrance.
145Śhāstrō̃ mē̃ likhā hai - śhrīkr̥iṣhṇa nē bhagāyā , paṭrānī banānē .
144In the scriptures, it is written that Shri Krishna abducted women to make them into queens.
146Tum sab paṛh rahē hō , paṭrānī ban rahē hō .
145You are all studying and becoming queens.
147Parantu in bātō̃ kō kōī samajh nahī̃ saktē haĩ .
146However, no one can understand these things.
148Ab bāp nē ākar bachchō̃ kō samjhāyā hai .
147The Father has now come and explained to you children.
149Bāp kahtē haĩ maĩ kalp-kalp tumkō samjhānē ātā hū̃ tō pahlē bhagvān ēk hai , yah siddh kar phir batāō gītā kā bhagvān kaun hai . 150Rājyōg kisnē sikhāyā hai ?
148The Father says: I come to explain to you every cycle. 149Therefore, first prove to them that there is only the one God and then tell them who the God of the Gita is, who taught Raja Yoga.
151Bhagvān hī brahmā dvārā sthāpanā karātē haĩ aur vināśh phir pālnā karātē haĩ .
150It is God who carries out establishment through Brahma and who then carries out destruction and sustenance.
152Yah jō brāhmaṇ haĩ vahī phir dēvtā bantē haĩ .
151You Brahmins then become deities.
153Yah bātē̃ bhī samajh mē̃ unhō̃ kō āyēṅgī jinhōnnē kalp pahlē samjhā hai .
152Only those who understood these things in the previous cycle will understand them now.
154Second by second jō huā is samay tak samajhē̃gē .
153They will understand everything that happened second by second up to this moment.
155Drama mē̃ tumhē̃ bahut puruṣhārth karnā hai .
154You have to make a lot of effort in the drama.
156Yah tō bachchē samajhtē haĩ abhī hamārī vah avasthā nahī̃ huī hai . 157Time lagēgā .
155You children understand that you haven’t reached that stage yet and that it will take time.
158Karmātīt avasthā hō jāē tō phir sab number one pās|pass hō jāē̃ phir tō laṛāī bhī lag jātī .
156If you were to reach the karmateet stage, you would all pass with number one and the war would then begin.
159Āpas mē̃ khiṭpiṭ chaltī hī rahēgī .
157There will continue to be conflict with each other.
160Tum jāntē hō jahā̃ tahā̃ dēkhō laṛnē key|kī taiyāriyā̃ kar rahē haĩ . 161Sab taraph taiyāriyā̃ kar rahē haĩ .
158You understand that, wherever you look, they are making preparations to fight; they are making those preparations everywhere.
162Tumnē jō kuchh divya dr̥iṣhṭi sē dēkhā hai vah phir in āṅkhō̃ sē dēkhnā hai .
159Whatever you have seen in divine visions, you will see all of that with your physical eyes.
163Vināśh kā sākṣhātkār kiyā hai phir vaisē āṅkhō̃ sē dēkhē̃gē . 164Sthāpanā kā bhī sākṣhātkār kiyā hai phir practical mē̃ rājāī bhī dēkhē̃gē .
160You have had visions of destruction and establishment and you will then also see the kingdom in a practical way.
165Tum bachchō̃ kō tō bahut khuśhī hōnī chāhiē .
161You children should have a lot of happiness.
166Yah tō purānā tan hai .
162Those are old bodies.
167Yōg sē ātmā pavitra ban jāyēgī , phir yah purānā śharīr bhī chhōṛnā hai .
163You souls will become pure by having yoga, and you will then shed those old bodies.
16884 janmō̃ kā chakra pūrā hōtā hai phir jarūr sabkō nayē śharīr milē̃gē .
164The cycle of 84 births is ending and you will then all receive new bodies.
169Yah bhī samajhnē key|kī bahut sahaj bātē̃ haĩ .
165These are very easy matters to understand.
170Samjhā bhī saktē haĩ , kaliyug kē bād satyug jarūr hōgā .
166You can explain that, after the iron age, the golden age will definitely come.
171Anēk dharmō̃ kā vināśh jarūr hōgā . 172Phir ādi sanātan dēvī dēvtā dharm key|kī sthāpanā arth|earth bāp kō ānā paṛē .
167The innumerable religions will definitely have to be destroyed and the Father has to come to establish the original, eternal deity religion.
173Abhī tum brāhmaṇ banē hō dēvtā bannē kē liē .
168You have now become Brahmins in order to become deities.
174Dūsrē kōī hō na sakē .
169They cannot be anyone else.
175Tum jāntē hō ham śhivbābā K|kē banē haĩ , śhivbābā hamkō varsā dē rahē haĩ .
170You know that you now belong to Shiv Baba. 171Shiv Baba is giving you your inheritance.
176Śhiv jayantī mānā hī bhārat kō varsā milā .
172The birthday of Shiva means that Bharat received the inheritance.
177Śhivbābā āyā , kyā ākar kiyā .
173Shiv Baba came, but what did He do after He came?
178Islāmī , bauddhī ādi nē tō ākar apnā dharm sthāpan kiyā .
174Those of Islam and the Buddhists, etc. came and established their religions.
179Bāp nē ākar kyā kiyā ?
175What did the Father do when He came?
180Jarūr svarg key|kī sthāpanā key|kī .
176He definitely established heaven.
181Kaisē sthāpanā key|kī , kaisē sthāpanā hōtī hai sō tum abhī jāntē hō .
177You understand how He carried out the establishment and how the establishment is taking place.
182Phir satyug mē̃ yah sab bhūl jāyēṅgē .
178Then, in the golden age, you will have forgotten all of this.
183Yah bhī samajhtē hō 21 janmō̃ kā varsā abhī ham lē lētē haĩ .
179You also know that you are receiving your inheritance for 21 births.
184Yah drama mē̃ nūndh hai .
180This is fixed in the drama.
185Bhal vahā̃ samajhē̃gē yah bāp hai , yah bachchā hai . 186Bachchē kō varsā miltā hai . 187Parantu yah prālabdh hai abhī key|kī .
181There, although they would understand that one is the father and the other is the child and that the child receives an inheritance, they would not understand that it is the reward of this time.
188Sachchī kamāī kar 21 janmō̃ kē liē tum varsā abhī pā rahē hō .
182You are earning a true income for 21 births at this time and receiving your inheritance.
18984 janm tō lēnē hī haĩ .
183You have to take 84 births.
190Satōpradhān sē phir satō rajō tamō mē̃ āyēṅgē .
184From satopradhan, you will go through the sato, rajo and tamo stages.
191Yah achchhī rīti yād karnē sē phir khuśhī mē̃ bhī rahē̃gē .
185By remembering this very well, you will also have that happiness.
192Samjhānē mē̃ baṛī mēhnat lagtī hai .
186It takes a lot of effort to explain.
193Jab samajh jātē haĩ tō unkō baṛī khuśhī hōtī hai .
187When they understand everything, they experience great happiness.
194Jō bachchē achchhī rīti samajhtē haĩ vah phir bahutō̃ kō samjhātē rahtē haĩ .
188The children who understand everything well can then explain to many others.
195Kāṇṭō̃ kō fool|phūl banātē rahtē haĩ .
189They continue to change others from thorns into flowers.
196Yah hai bēhad key|kī paṛhāī .
190This is an unlimited study.
197Varsā bhī bēhad kā miltā hai .
191You also receive an unlimited inheritance.
198Phir ismē̃ tyāg bhī bēhad kā hai .
192There is also unlimited renunciation here.
199Gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahtē sārī duniyā kā tyāg karnā hai kyōṅki tum jāntē hō yah purānī duniyā khatm hōnī hai .
193While living at home, your whole families have to be renounced (with your intellect), because you understand that this old world is to be destroyed.
200Ab naī duniyā mē̃ jānā hai isliē bēhad kā sannyās karātē haĩ .
194You now have to go to a new world. 195This is why you are told to have unlimited renunciation.
201Sannyāsiyō̃ kā hai had kā sannyās aur unkā hai haṭhyōg .
196Sannyasis have limited renunciation, because theirs is hatha yoga.
202Ismē̃ haṭh key|kī bāt nahī̃ rahtī .
197There is no question of hatha (force) here.
203Yah tō paṛhāī hai .
198This is a study.
204Pāṭhśhālā mē̃ paṛhnā hai , manuṣhya sē dēvtā bannē kē liē .
199You study in this school how to change from humans into deities.
205Śhiv bhagvānuvāch - śhrīkr̥iṣhṇa hō na sakē .
200These are God Shiva’s versions; they cannot be the versions of Shri Krishna.
206Unkō heavenly god father nahī̃ kahē̃gē .
201Shri Krishna can never create a new world; he cannot be called “Heavenly God, the Father”.
207Heavenly prince kahē̃gē tō kitnī mīṭhī-mīṭhī bātē̃ samajhnē aur dhāraṇ karnē kī haĩ .
202He would be called a heavenly prince. 203Therefore, these are such sweet matters, which you have to understand and imbibe.
208Daivī lakṣhaṇ bhī chāhiē .
204A divine character is also needed.
209Kabhī bhī sunī sunāī bātō̃ par nahī̃ lagnā chāhiē .
205Never listen to rumours or act upon them.
210Vyās key|kī likhī huī bātō̃ par lagtē-lagtē burī gati huī hai nā .
206Look at what your condition has become by listening to the things that Vyas said.
211Sivāē gyān K|kē aur kuchh sunātē haĩ tō samjhō yah hamārā duśhman hai . 212Durgati mē̃ lē jātē haĩ .
207If someone tells you anything other than this knowledge, then understand that that one is your enemy; he would take you into degradation.
213Kabhī bhī parmat par nahī̃ lagnā chāhiē .
208Never follow the dictates of others.
214Manmat , parmat par chalā tō yah marā .
209If you follow your own dictates or those of others, you die.
215Bāp samjhātē rahtē haĩ jhūṭhī bātē̃ bōlnē vālē tō bahut haĩ .
210The Father explains: There are many who tell lies.
216Tumkō bāp sē hī sunnā hai .
211Only listen to the Father.
217Hear no evil , see no evil . . . . . bāpdādā āyē hī haĩ manuṣhya sē dēvtā banānē tō unkī śhrīmat par chalnā chāhiē .
212Hear no evil, see no evil. 213BapDada has come to change humans into deities. 214Therefore, follow His shrimat!
218Achchhā !
215Achcha.
219Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yādpyār aur good morning .
216To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
220Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
217The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
221Dhārṇā kē liē mukhya sār :
218Essence for dharna:
2221 ) yahā̃ bāp samān sukh kā sāgar , prēm kā sāgar bannā hai .
2191. Become an ocean of happiness and an ocean of love here, like the Father.
223Sarvguṇ dhāraṇ karnē haĩ .
220Imbibe all the virtues.
224Kisī kō bhī duḥkh nahī̃ dēnā hai .
221Don’t cause anyone sorrow.
2252 ) sunī-sunāī bātō̃ par kabhī viśhvās nahī̃ karnā hai , parmat par nahī̃ chalnā hai .
2222. Don’t believe the rumours you hear. 223Never follow the dictates of others.
226Hear no evil , see no evil . . . .
224Hear no evil, see no evil.
Blessing
227Vardān : maĩ pan K|kē bōjh kō samāpt kar pratyakṣhaphal kā anubhav karnē vālē bālak sō mālik bhav
225Blessing: May you be a master and a child and finish the burden of any consciousness of “I” and thereby experience instant fruit.
228Jab kisī bhī prakār kā maĩ pan ātā hai tō bōjh sir par ā jātā hai .
226When you have any type of consciousness of “I”, you have a burden on your head.
229Lēkin jab bāp offer kar rahē haĩ ki sab bōjh mujhē dē dō āp sirph nācō̃ , uṛō . . . phir yah question kyō̃ - ki service kaisē hōgī , bhāṣhaṇ kaisē karē̃gē - āp sirph nimitt samajhkar connection power house sē jōṛkar baiṭh jāō , dilśhikasta nahī̃ banō tō bāpdādā sab kuchh svataḥ karā dēgē .
227However, when the Father is offering to take all your burdens, for you to give them to Him, so that you can simply dance and fly, then why do you question: “How will service take place? 228How will talks be given?” 229Simply consider yourself to be an instrument, connect yourself to the Powerhouse and sit down. 230Do not be disheartened, for BapDada will automatically enable everything to happen.
230Bālak sō mālik samajhkar śhrēṣhṭh stage par sthit rahō tō pratyakṣha phal key|kī anubhūti kartē rahē̃gē .
231Consider yourself to be a child and master and remain stable in your elevated stage and you will continue to experience instant fruit.
Slogan
231Slōgan : gyān dān K|kē sāth-sāth guṇdān karō tō saphaltā miltī rahēgī .
232Slogan: Along with donating this knowledge, also donate virtues and you will continue to have success.
233*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
232Yē avyakt iśhārē - « niśhchay K|kē foundation kō majbūt kar sadā nirbhay aur niśhchint rahō "
234Avyakt Signal: Make your foundation of faith strong and remain constantly fearless and carefree.
233Kaisī bhī kaṛī paristhiti hō lēkin khēl samajhnē sē kaṛī samasyā bhī halkī ban jātī hai .
235No matter how severe a situation may be, by your considering it to be a game, even that severe situation will become light.
234Kaī bachchō̃ mē̃ himmat hai isliē kōī bhī bāt hōtī hai tō kahtē haĩ - hā̃ karē̃gē , sōchē̃gē .
236Some children have courage and, if anything happens, they say, “Yes, I will do it. 237I will think about it.”
235Himmat tō hai , lēkin faith nahī̃ hai .
238They have courage, but they don’t have faith.
236Faithful K|kē bōl aisē nahī̃ hōtē .
239Those are not the words of someone who is faithful.
237Faithful kā arth|earth hī hai - man , vachan , karma her|har bāt mē̃ niśhchaybuddhi , unkē mukh sē kabhī himmathīn banānē vālē śhabda nahī̃ nikal saktē .
240Faithful means that your intellect has faith in your thoughts, words and actions. 241You would never say anything that would make someone lose his courage.