गुरुवार 30 अप्रैल 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

030-04-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

030/04/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tumhārī yah wonderful university hai , jismē̃ bigaṛī kō banānē vālā bhōlānāth bāp teacher bankar tumhē̃ paṛhātē haĩ ' '

1Essence: Sweet children, this is your wonderful university in which the Father, the One who rectifies that which has gone wrong, the Innocent Lord, comes as the Teacher to teach us.

Question

2Praśhna  : is kayāmat K|kē samay mē̃ tum bachchē sabhī kō kaun sā lakṣhya dētē hō  ?

2Question: What aim do you children give everyone at this time of settlement?

Answer

3Uttar  : hē ātmāyē̃ ab pāvan banō , pāvan bannē bigar vāpis jā nahī̃ saktē .

3Answer: O souls, now become pure! 4No one can return home without becoming pure.

4Ādhākalp kā jō rōg lagā huā hai , ussē mukt hōnē kē liē tum sabkō 7 rōz bhaṭṭhī mē̃ biṭhātē hō .

5In order for them to become free from the disease that everyone has experienced for half a cycle, you make them sit in a furnace for seven days.

5Patitō̃ K|kē saṅg sē dūr rahē , kōī bhī yād na āyē tab kuchh buddhi mē̃ gyān key|kī dhārṇā hō .

6Only when they remain distant from impure company and do not remember anyone else, can their intellects imbibe this knowledge.

Song

6Gīt  : tūnē rāt ganvāī …

7Song: You wasted the night in sleeping and the day in eating.

Murli

7Ōm śhānti .

8Om shanti.

8Yah bachchō̃ kō kisnē kahā  ?

9Who said this to the children?

9Kyōṅki school mē̃ baiṭhē huē hō tō jarūr teacher nē kahā .

10Since you are sitting in a school, it must definitely have been the Teacher who said this.

10Praśhna uṭhtā hai yah teacher nē kahā , bāp nē kahā vā satgurū nē kahā  ?

11The question arises as to whether the Teacher said this, the Father said this or the Satguru said this.

11Yah versions kisnē kahē  ?

12Who spoke these versions?

12Bachchō̃ kō buddhi mē̃ pahlē-pahlē yah ānā chāhiē ki hamārā bēhad kā bāp hai , jiskō parampitā paramātmā kahā jātā hai .

13First of all, it should enter you children’s intellects that He is our unlimited Father and that He is called the Supreme Father, the Supreme Soul.

13Tō bāp nē bhī kahā , śhikṣhak nē bhī kahā tō sāth-sāth satgurū nē bhī kahā .

14Therefore, the Father said it, the Teacher said it and also the Satguru said it.

14Yah tumhārī buddhi mē̃ hai , jō student haĩ .

15This is in the intellects of those of you who are students.

15Aur college vā university mē̃ teacher paṛhātē haĩ , unkō kōī father vā gurū nahī̃ kahē̃gē .

16No teacher who teaches in other colleges and universities is called a father or guru.

16Yah hai bhī pāṭhśhālā , phir university kahō vā college kahō .

17This too is a place of study which you can call a university or a college.

17Hai tō paṛhāī nā .

18It is still a study.

18Pahlē-pahlē yah samajhnā hai , pāṭhśhālā mē̃ hamkō kaun paṛhātē haĩ  ?

19First of all, you have to understand who is teaching you in this school.

19Bachchē jāntē haĩ vah nirākār jō sabhī ātmāō̃ kā bāp hai , sarv kā sadgati dātā hai vah hamkō paṛhā rahē haĩ .

20You children know that the incorporeal One, who is the Father of all souls, the Bestower of Salvation for All, is teaching us.

20Yah sārī rachnā us ēk rachtā key|kī property hai .

21This whole creation is the property of that one Creator.

21Tō khud hī baiṭh rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā rāz samjhātē haĩ .

22Therefore, He Himself sits here and tells you the secrets of the beginning, the middle and the end of creation.

22Tum bachchō̃ nē janma liyā hai - bāp kē pās .

23You children have taken birth to the Father.

23Tum buddhi sē jāntē hō ham sabhī ātmāō̃ kā vah bāp hai , jiskō gyān kā sāgar , knowledgeful kahā jātā hai .

24Your intellects understand that He is the Father of all souls and that He is also called the Ocean of Knowledge and the knowledge-full One.

24Gyān kā sāgar hai , patit-pāvan hai .

25The Ocean of Knowledge is the Purifier.

25Gyān sē hī sadgati hōtī hai , manuṣhya patit sē pāvan bantē haĩ .

26It is only through this knowledge that there can be salvation. 27Human beings become pure from impure.

26Ab tum bachchē yahā̃ baiṭhē hō .

28You children are now sitting here.

27Aur kōī school mē̃ kiskō buddhi mē̃ nahī̃ rahtā ki hamkō gyān kā sāgar nirākār bāp paṛhā rahē haĩ . 28Yah yahā̃ hī tum jāntē hō .

29In no other school would it enter their intellects that the Ocean of Knowledge, the incorporeal One, is teaching them; it is only here that you know this.

29Tumkō hī samjhāyā jātā hai .

30This is explained to only you.

30Khās bhārat aur ām sārī duniyā mē̃ aisē kōī bhī nahī̃ samajhē̃gē ki hamkō nirākār paramātmā paṛhātē haĩ .

31Throughout the whole world in general, and Bharat in particular, no one would understand that the incorporeal Supreme Soul is teaching them.

31Unkō paṛhānē vālē haĩ hī manuṣhya teacher .

32It is only human teachers who teach them.

32Aur phir aisā bhī gyān nahī̃ hai jō samajhē̃ - ham ātmā haĩ .

33They don’t even have the knowledge that they are souls.

33Ātmā hī paṛhtī hai .

34It is souls who study.

34Ātmā hī sab kuchh kartī hai .

35It is souls who do everything.

35Phalānī naukrī ātmā kartī hai - in organs dvārā .

36Souls do such-and-such a job through their organs.

36Unkō tō yah rahtā hai ki ham phalānā hai . 37Jhaṭ apnā nām rūp yād ā jātā hai . 38Ham yah kartē haĩ , ham aisē kartē haĩ .

37They are aware that they are So-and-so; they very quickly remember their names and forms: I am doing this or I am doing that.

39Śharīr kā nām hī yād ā jātā hai , parantu vah wrong hai .

38They only remember the names of bodies, but that is wrong!

40Ham tō pahlē ātmā haĩ nā . 41Pīchhē yah śharīr liyā hai .

39First, we are souls and then we adopt bodies.

42Śharīr kā nām badaltā rahtā hai , ātmā kā nām tō nahī̃ badaltā .

40The names of our bodies continue to change, but the name ‘soul’ doesn’t.

43Ātmā tō ēk hī hai .

41Each soul’s name is only one.

44Bāp nē kahā hai mujh ātmā kā ēk hī nām śhiv hai .

42The Father has said: I, this soul, only have the one name, Shiva.

45Yah sārī duniyā jāntī hai .

43The whole world knows this.

46Bākī itnē sab nām śharīrō̃ par rakhē jātē haĩ .

44All of those other names are given to bodies.

47Śhivbābā kō tō śhiv hī kahtē haĩ , bas .

45Shiv Baba is only called Shiva, that’s all!

48Unkā kōī śharīr nahī̃ dikhāī paṛtā .

46He doesn’t have a visible body.

49Manuṣhya kē ūpar nām paṛtā hai , maĩ phalānā hū̃ .

47Names are given to human beings: I am So-and-so.

50Hamkō phalānā teacher paṛhā rahē haĩ . 51Nām lē̃gē nā .

48Such-and-such a teacher is teaching me; you would mention the name.

52Vāstav mē̃ ātmā śharīr K|kē dvārā teacher kā kām kartī hai , unkī ātmā kō paṛhātī hai .

49In fact, a soul carries out the work of a teacher through a body and teaches other souls.

53Saṅskār ātmā mē̃ hōtē haĩ .

50The sanskars are in the souls.

54Organs dvārā paṛhātī hai , part bajātī hai , saṅskār anusār .

51A soul teaches through his organs and plays his part according to his sanskars.

55Parantu dēh par nām jō paṛē haĩ , us par sārē dhandhē ādi chaltē haĩ .

52However, everything works on the basis of the names given to the bodies.

56Yahā̃ tum bachchē jāntē hō hamkō nirākār bāp paṛhātē haĩ .

53Here, you children know that the incorporeal Father is teaching you.

57Tumhārī buddhi kahā̃ chalī gaī  !

54Where did your intellects go?

58Ham ātmā us bāp K|kē banē haĩ .

55I, a soul, now belong to that Father.

59Ātmā samajhtī hai nirākār father hamkō ākar is sākār dvārā paṛhātē haĩ .

56The soul understands that the incorporeal Father comes and teaches you through this corporeal form.

60Unkā nām hai śhiv .

57His name is Shiva.

61Śhivjayantī bhī manātē haĩ .

58People also celebrate the birthday of Shiva.

62Śhiv tō hai bēhad kā bāp , unkō hī parampitā paramātmā kahā jātā hai . 63Vah sabhī ātmāō̃ kā bāp hai , ab unkī jayantī kaisē manātē haĩ .

59Shiva is the unlimited Father. 60Therefore, He alone is called the Supreme Father, the Supreme Soul; He is the Father of all souls. 61How do they celebrate His birthday?

64Ātmā śharīr mē̃ pravēśh kartī hai vā garbh mē̃ ātī hai .

62Does the soul enter a body or enter a womb?

65Ūpar sē ātī hai , yah kiskō mālūm nahī̃ paṛtā .

63No one knows that the soul comes from up above.

66Christ kō dharm sthāpak kahtē haĩ .

64Christ is called a founder of a religion.

67Unkī ātmā pahlē-pahlē ūpar sē ānī chāhiē .

65That soul first of all has to come from up above.

68Satōpradhān ātmā ātī hai . 69Kōī bhī vikarma kiyā huā nahī̃ hai .

66A satopradhan soul comes down; he has not performed any sinful actions.

70Pahlē satōpradhān phir satō , rajō , tamō mē̃ ātē haĩ tab vikarma hōtē haĩ .

67A soul is at first satopradhan and then, as he goes through the stages of sato, rajo and tamo, he performs sinful actions.

71Pahlē ātmā jō āyēgī , satōpradhān hōnē K|kē kāraṇ kōī duḥkh nahī̃ bhōg saktī .

68Because a soul is at first satopradhan when he comes down, he cannot experience any sorrow.

72Ādhā time jab pūrā hōtā hai tab vikarma karnē lagtī hai .

69It is only when that soul has been down for half his time that he then begins to perform sinful actions.

73Āj sē 5 hajār varṣh pahlē barōbar sūryavanśhī rājya thā aur sab dharm bād mē̃ āyē .

70There truly was the sun-dynasty kingdom 5000 years ago. 71All other religions came into existence later.

74Bhāratvāsī viśhva K|kē mālik thē .

72The people of Bharat were the masters of the world.

75Bhārat kō avināśhī khaṇḍ kahā jātā hai aur kōī khaṇḍ thā nahī̃ .

73Bharat is called an imperishable land. 74There were no other lands.

76Tō śhivbābā hai bigaṛī kō banānē vālā , bhōlānāth śhiv kō kahā jātā hai , na ki śhaṅkar kō .

75Shiv Baba is the One who rectifies everything that has gone wrong. 76Shiva, not Shankar, is called the Innocent Lord.

77Bhōlānāth śhiv bigaṛī kō banānē vālā hai .

77Shiva, the Innocent Lord, is the One who rectifies everything that has gone wrong.

78Śhiv aur śhaṅkar ēk nahī̃ haĩ , alag-alag haĩ .

78Shiva and Shankar are not the same; they are different.

79Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar key|kī kōī mahimā nahī̃ hai .

79There is no praise of Brahma, Vishnu or Shankar.

80Mahimā sirph ēk śhiv kī hai jō bigaṛī kō banātē haĩ .

80There is only the praise of Shiva for putting right everything that has gone wrong.

81Kahtē haĩ - maĩ sādhāraṇ būṛhē tan mē̃ ātā hū̃ .

81He says: I enter an ordinary old body.

82Isnē 84 janm pūrē kiyē , ab khēl pūrā huā .

82This one has completed his 84 births and the play is now to end.

83Yah purānā chōlā , purānē sambandh bhī khalās hō jānē vālē haĩ .

83This old costume and these old relationships are all to be finished.

84Ab kiskō yād karē̃  ?

84Now, whom should you remember?

85Khatm hōnē vālī chīz kō yād nahī̃ kiyā jātā hai .

85You don’t remember things that are to be finished.

86Nayā makān bantā hai tō phir purānē sē dil haṭ jātī hai .

86When a new house is being built, the heart is removed from the old house.

87Yah phir hai bēhad key|kī bāt .

87This is an unlimited aspect.

88Sarv key|kī sadgati hōtī hai arthāt rāvaṇ K|kē rājya sē sabkō chhuṭkārā miltā hai .

88Everyone receives salvation, that is, everyone is liberated from the kingdom of Ravan.

89Rāvaṇ nē sabkō bigāṛ diyā hai .

89Ravan has spoilt everyone.

90Bhārat bilkul hī kaṅgāl bhraṣhṭāchārī hai .

90Bharat is absolutely poverty-stricken and corrupt.

91Lōg bhraṣhṭāchār samajhtē haĩ corruption , adulteration kō , chōrī ṭhagī kō .

91People refer to corruption as corruption and adulteration or stealing and cheating.

92Parantu bāp kahtē haĩ - pahlā bhraṣhṭāchār hai mūt palītī bannā .

92However, the Father says: The first form of corruption is to become impure.

93Śharīr vikār sē paidā hōtā hai isliē iskō vicious world kahā jātā hai .

93Because bodies are created through vice, this is called a vicious world.

94Satyug kō viceless kahā jātā hai .

94The golden age is called a viceless world.

95Ham satyug mē̃ pravr̥itti mārg vālē dēvī dēvtā thē .

95We were deities of the family path in the golden age.

96Kahtē haĩ pavitra hōnē sē vikār bigar bachchē kaisē paidā hōṅgē . 97Bōlō , ham apnī rājdhānī bāhubal sē nahī̃ yōgbal sē sthāpan kartē haĩ .

96When they ask how children can be born if people remain pure and don’t indulge in vice, tell them that you are establishing your kingdom, not with physical power, but with the power of yoga.

98Tō kyā yōgbal sē bachchē nahī̃ paidā hō saktē haĩ  ! 99Jabki hai hī viceless world , pavitra gr̥ihasth āśhram .

97Therefore, since that is a viceless world, where there are pure households, can children not be born through the power of yoga?

100Yathā rājā rānī sampūrṇ nirvikārī tathā prajā .

98As the king and queen are completely viceless, so too are the subjects.

101Yahā̃ haĩ sampūrṇ vikārī .

99Here, all are completely vicious.

102Satyug mē̃ vikār hōtē nahī̃ .

100There are no vices in the golden age.

103Uskō kahā jātā hai īśhvarīy rājya .

101That is called the Godly kingdom.

104Īśhvar bāp kā sthāpan kiyā huā .

102It is established by God, the Father.

105Abhī tō hai rāvaṇ rājya .

103This is now the kingdom of Ravan.

106Śhivbābā key|kī pūjā hōtī hai , jisnē svarg sthāpan kiyā .

104Shiv Baba, who established heaven, is worshipped.

107Rāvaṇ , jisnē nark banāyā uskō jalātē ātē haĩ .

105They have been burning Ravan, the one who created hell.

108Dvāpar kab śhurū huā , yah bhī kiskō patā nahī̃ hai .

106No one knows when the copper age began.

109Yah bhī samajh key|kī bāt hai .

107This is also something to be understood.

110Yah hai hī tamōpradhān āsurī duniyā .

108This is a tamopradhan, devilish world.

111Vah hai īśhvarīy duniyā . 112Uskō svarg daivī pāvan duniyā kahā jātā hai .

109That is the Godly world; it is called heaven, a pure divine world.

113Yah hai nark , patit duniyā .

110This is hell, an impure world.

114Yah bātē̃ bhī samajhē̃gē vahī jō rōz paṛhē̃gē .

111Only those who study every day will understand these things.

115Bahut kahtē haĩ phalānī jagah school thōṛēhī hai .

112Many say that there isn’t a school at this place (Madhuban).

116Arē head office tō hai nā .

113Oh! 114But this is the head office!

117Tum ākar direction lē jāō .

115You can come here and take directions.

118Baṛī bāt tō nahī̃ hai .

116It is not a big thing.

119Sr̥iṣhṭi chakra kō second mē̃ samjhāyā jātā hai .

117The world cycle is explained in a second.

120Satyug , trētā past hō gayā phir dvāpar , kaliyug , yah bhī past huā .

118The golden and silver ages have passed, and the copper and iron ages have also now passed.

121Abhī hai saṅgamyug .

119It is now the confluence age.

122Naī duniyā mē̃ jānē kē liē paṛhnā hai .

120You have to study to go to that new world.

123Har ēk kā hak hai paṛhnā .

121Everyone has a right to study.

124Bābā ham naukrī kartē haĩ .

122Baba, I am doing this job.

125Achchhā ēk haphtā gyān lē phir chalē jānā , murlī miltī rahēgī .

123Achcha, just come and take this knowledge for one week and then go back and you will continue to receive murlis.

126Pahlē 7 rōz bhaṭṭhī mē̃ jarūr rahnā hai .

124First, you definitely have to stay in a furnace for seven days.

127Bhal 7 rōz āyēṅgē parantu sabkī buddhi ēk jaisī nahī̃ rahēgī .

125Even though they come for seven days, not all their intellects remain the same.

1287 rōz bhaṭṭhī mānā kōī key|kī bhī yād na āyē .

126To stay in a furnace for seven days means that you mustn’t remember anyone during that time.

129Kōī sē patra vyavahār ādi bhī na hō .

127There shouldn’t even be any correspondence with anyone.

130Sab ēk jaisā tō samajh nahī̃ saktē .

128Not everyone can understand to the same extent.

131Yahā̃ patitō̃ kō pāvan bannā hai .

129Here, the impure have to become pure.

132Yah patitpanā bhī rōg hai , ādhākalp K|kē mahārōgī manuṣhya haĩ .

130This too is a disease; human beings have been diseased for half a cycle.

133Unkō alag biṭhānā paṛē .

131They have to be made to sit separately.

134Kōī kā bhī saṅg na hō .

132They should have no company at all.

135Bāhar jāyēṅgē , ulṭā-sulṭā khāyēṅgē , patit K|kē hāth kā khāyēṅgē .

133If they went outside, they would eat impure things and food cooked by impure beings.

136Satyug mē̃ dēvtāyē̃ pāvan haĩ nā .

134In the golden age, there were pure deities.

137Unkē liē dēkhō khās mandir bantē haĩ .

135Look how people build special temples to them.

138Dēvtāō̃ kō phir patit chhū na sakē .

136Impure ones cannot touch the deity idols.

139Is samay tō manuṣhya bilkul patit bhraṣhṭāchārī haĩ .

137At this time, human beings are completely impure and corrupt.

140Śharīr viṣh sē paidā hōtā hai isliē inkō bhraṣhṭāchārī kahā jātā hai .

138Their bodies are created through poison and this is why they are called corrupt.

141Sannyāsiyō̃ kā bhī śharīr viṣh sē banā huā hai .

139Even the bodies of sannyasis have been created through poison.

142Bāp kahtē haĩ pahlē-pahlē ātmā kō pavitra hōnā hai , phir śharīr bhī pavitra chāhiē isliē purānē impure śharīr sab vināśh hō jānē haĩ . 143Sabkō vāpis jānā hai .

140The Father says: First, the souls have to become pure. 141Then the bodies also have to be pure. 142This is why all of these old impure bodies will be destroyed; everyone has to return home.

144Yah hai kayāmat kā samay . 145Sabkō pavitra ban vāpis jānā hai .

143This is the time of settlement; everyone has to become pure and return home.

146Bhārat mē̃ hī hōlikā manātē haĩ .

144It is only in Bharat that people have the festival of Holika.

147Yahā̃ 5 tatvō̃ K|kē śharīr tamōpradhān haĩ .

145Here, the bodies of five elements are tamopradhan.

148Satyug mē̃ śharīr bhī satōpradhān hōtē haĩ .

146In the golden age, the bodies are satopradhan.

149Śhrīkr̥iṣhṇa kā chitra hai nā .

147There is the picture of Shri Krishna.

150Nark kō lāt mārnā hōtā hai kyōṅki satyug mē̃ jānā hai .

148Hell has to be kicked away because you have to go to the golden age.

151Murdē kō bhī jab śhmaśhān mē̃ lē jātē haĩ tō pahlē mũh śhahar taraph , pair śhmaśhān taraph kartē haĩ .

149When a corpse is being taken to the cremation ground, the face is at first towards the city and the feet towards the crematorium.

152Phir jab śhmaśhān K|kē andar ghustē haĩ tō mũh śhmaśhān taraph kar dētē haĩ .

150However, when they enter the crematorium, they turn the corpse around.

153Abhī tum svarg mē̃ jātē hō tō tumhārā mũh us taraph hai .

151You are now going to heaven and your faces are therefore towards that.

154Śhāntidhām aur sukhdhām , pair duḥkhdhām taraph haĩ .

152Your faces are towards the land of silence and that land of happiness, and your feet are towards this land of sorrow.

155Vah tō murdē key|kī bāt hai , yahā̃ tō puruṣhārth karnā hōtā hai .

153That is a matter of a corpse whereas, here, you have to make effort.

156Sweet home kō yād kartē-kartē tum ātmāyē̃ sweet home mē̃ chalī jāyēṅgī . 157Yah hai buddhi key|kī practice .

154While remembering the sweet home, you souls will go to the sweet home; this is something for your intellects to practise.

158Yah bāp baiṭh sab rāz samjhātē haĩ .

155The Father sits here and tells you all the secrets.

159Tum jāntē hō abhī ham ātmāō̃ kō jānā hai ghar .

156You souls know that you now have to return home.

160Yah purānā chōlā purānī duniyā hai , nāṭak pūrā huā mānā 84 janm part bajāyā .

157These are old costumes in this old world. 158To say that the play has come to an end means that you have played your parts for 84 births.

161Yah bhī samjhāyā hai ki sab 84 janm nahī̃ lētē haĩ .

159It has also been explained that not everyone takes 84 births.

162Jō ātē hī bād mē̃ haĩ aur dharm mē̃ , jarūr unkē cum|kam janm hōgē .

160Those who come later, in other religions, definitely take fewer births.

163Islāmī sē bauddhiyō̃ kā cum|kam .

161Buddhists have fewer births than those of Islam.

164Kriściyan K|kē unsē cum|kam .

162Christians take even fewer births.

165Gurūnānak K|kē sikkh lōg āyē hī abhī haĩ .

163Sikhs believe in Guru Nanak; they have only just come.

166Gurūnānak kō 500 varṣh huā tō vah thōṛēhī 84 janma lē̃gē .

164It is only 500 years since Guru Nanak. 165Therefore, they wouldn’t take 84 births.

167Hisāb kiyā jātā hai .

166This can a calculated.

1685 hajār varṣh mē̃ itnē janm , tō 500 varṣh mē̃ kitnē janm huē hōṅgē  ? 16912-13 janm .

167Since there are so many births in 5000 years, there must be this many births in 500 years: perhaps 12 to 13 births.

170Christ K|kē 2 hajār varṣh hōṅgē tō unkē kitnē janm hōṅgē .

168It is 2000 years since Christ. 169Therefore, how many births would souls have taken in that time?

171Ādhā sē bhī kam hō jāyēṅgē .

170It would be less than half the number of births.

172Hisāb hai nā .

171This is the calculation.

173Ismē̃ kōī kitnē , kōī kitnē accurate nahī̃ kah saktē .

172Some may take so many births and others a different number, but you can’t tell accurately how many births.

174In bātō̃ mē̃ debate karnē mē̃ jāstī time west|waste nahī̃ karnā hai .

173You mustn’t waste too much time debating these things.

175Tumhārā kām hai bāp kō yād karnā .

174Your duty is to remember the Father.

176Phāltū bātō̃ mē̃ buddhi nahī̃ jānī chāhiē .

175Don’t use your intellects in wasteful matters.

177Bāp sē yōg lagānā , chakra kō jānnā hai . 178Bākī pāp naṣhṭ hōṅgē yād sē .

176Have yoga with the Father and understand the cycle, because it is only by having remembrance that your sins will be absolved.

179Ismē̃ hī mēhnat hai isliē bhārat kā prāchīn yōg kahtē haĩ , jō bāp hī sikhātē haĩ .

177This requires effort. 178This is why people speak of the ancient yoga of Bharat. 179Only the Father teaches this.

180Satyug , trētā mē̃ tō yōg key|kī bāt hī nahī̃ .

180There is no question of yoga in the golden and silver ages.

181Phir bhakti mārg mē̃ haṭhyōg śhurū hōtā hai .

181Hatha yoga then begins on the path of devotion.

182Yah hai sahaj rājyōg .

182This is easy Raja Yoga.

183Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karnē sē pāvan banē̃gē .

183The Father says: You will become pure by remembering Me.

184Mūl bāt yād kī hai .

184The main thing is remembrance.

185Kōī bhī pāp nahī̃ karnā hai .

185Don’t commit any sin.

186Dēvī dēvtāō̃ K|kē mandir haĩ kyōṅki pāvan haĩ .

186Temples are built to the deities because they are pure.

187Pujārī lōg tō patit haĩ .

187The priests who look after the temples are impure.

188Pāvan dēvtāō̃ kō snān ādi karātē haĩ .

188They bathe the idols of the pure deities.

189Vāstav mē̃ patit kā hāth bhī nahī̃ lagnā chāhiē .

189In fact, even the hands of impure ones must not touch them.

190Yah sab hai bhaktimārg kā rasamrivāz .

190All of those things are the customs and systems of the path of devotion.

191Abhī tō ham pāvan ban rahē haĩ .

191We are now becoming pure.

192Pavitra ban jāyēṅgē tō phir dēvtā ban jāyēṅgē .

192When we have become pure, we will become deities.

193Vahā̃ tō pūjā ādi key|kī darkār nahī̃ rahtī .

193There is no need for worship etc. there.

194Sarv kā sadgati dātā hai hī ēk bāp .

194Only the one Father is the Bestower of Salvation for All.

195Unkō hī bhōlānāth kahtē haĩ .

195Only He is called the Innocent Lord.

196Maĩ ātā hū̃ patit duniyā , patit śharīr mē̃ purānē rāvaṇ rājya mē̃ .

196I enter this impure body in the impure world in the old kingdom of Ravan.

197Hā̃ , kōī K|kē bhī tan mē̃ pravēśh kar murlī chalā saktē haĩ .

197Yes, He can enter anyone’s body and speak a murli.

198Iskā matlab yah nahī̃ ki sarvavyāpī hai .

198That doesn’t mean that He is omnipresent.

199Har ēk mē̃ tō apnī-apnī ātmā hai .

199Each one has his own soul.

200Form mē̃ bhī likhvāyā jātā hai tumhārī ātmā kā bāp kaun hai  ?

200In the form they fill in, there is the question: Who is the Father of your soul?

201Parantu samajhtē nahī̃ haĩ .

201However, they don’t understand this.

202Ātmāō̃ kā bāp tō ēk hī hōgā .

202There is only the one Father of all souls.

203Ham sab brothers haĩ . 204Father ēk hai .

203We are all brothers and there is the one Father.

205Unsē varsā miltā hai jīvanmukti kā .

204We receive our inheritance of liberation-in-life from Him.

206Vahī liberator , guide hai .

205Only He is the Liberator and the Guide.

207Sabhī ātmāō̃ kō lē jāyēṅgē sweet home isliē purānī duniyā kā vināśh hōtā hai .

206He will take all souls back to the sweet home. 207This is why this old world is to be destroyed.

208Hōlikā hōtī hai nā .

208People celebrate the festival of Holika.

209Śharīr sab khatm hō jāyēṅgē . 210Bākī ātmāyē̃ sab vāpis chalī jāyēṅgī .

209All the bodies will be destroyed and all the souls will return home.

211Satyug mē̃ tō phir bahut thōṛē hōṅgē .

210Then, in the golden age, there will be very few people.

212Samajhnā chāhiē ki svarg key|kī sthāpanā kaun karātē haĩ , kaliyug kā vināśh kaun karātē haĩ  ?

211You have to understand who is carrying out the establishment of that golden age and who carries out the destruction of this iron age.

213Sō tō clear likhā huā hai .

212This is clearly written.

214Kahtē haĩ miṭharā ghur ta ghurāy . 215 ( pyār karō tō pyār milēgā ) bāp kahtē haĩ jō mērē arth|earth bahut service kartē haĩ , manuṣhya kō dēvtā banānē key|kī vah jāstī pyārē lagtē haĩ .

213It is said: When you give love, you receive love. 214The Father says: Those who do a lot of service to change humans into deities for Me are the ones who are loved the most.

216Jō puruṣhārth karē̃gē vahī ūñch varsā pāyēṅgē .

215Those who make effort will receive a high status.

217Varsā ātmāō̃ kō pānā hai paramātmā bāp sē .

216You souls are to receive your inheritance from the Father, the Supreme Soul.

218Ātma-abhimānī bannā paṛē .

217You have to become soul conscious.

219Kaī bahut bhūlē̃ bhī kartē haĩ , purānī ādatē̃ pakkī hō gaī haĩ .

218Some make many mistakes and their old habits become very firm.

220Tō kitnā bhī samjhāō vah chhūṭtī nahī̃ , ussē apnā hī pad cum|kam kar dētē haĩ .

219No matter how much you explain to them, they don’t break those habits. 220They reduce their own status through that.

221Achchhā  !

221Achcha.

222Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

222To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

223Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

223The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

224Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

224Essence for dharna:

2251 ) kisī bhī bāt key|kī debate mē̃ apnā time west|waste nahī̃ karnā hai .

2251. Don’t waste your time debating anything.

226Vyarth key|kī bātō̃ mē̃ buddhi jāstī na jāyē .

226Your intellect should not be used for wasteful matters.

227Jitnā hō sakē yād kī yātrā sē vikarma vināśh karnē haĩ .

227Stay on the pilgrimage of remembrance for as long as possible and have your sins absolved.

228Ātma-abhimānī rahnē key|kī ādat ḍālnī hai .

228Instil the habit of remaining soul conscious.

2292 ) is purānī duniyā sē apnā mũh phēr lēnā hai .

2292. Turn your face away from this old world.

230Śhāntidhām aur sukhdhām kō yād karnā hai .

230Remember the land of peace and the land of happiness.

231Nayā makān ban rahā hai tō purānē sē dil haṭā lēnī hai .

231A new building is being built. 232Therefore, remove your heart from this old one.

Blessing

232Vardān  : īśhvarīy kul key|kī smr̥iti dvārā māyā kā sāmnā karnē vālē sadā samarth svarūp bhav

233Blessing: May you constantly be an embodiment of power and with the awareness of this Godly clan, be able to face Maya.

233Kisī bhī kārya mē̃ saphaltā prāpt karnī hai tō pahlē smr̥iti dvārā samarthī svarūp banō .

234In order to be successful in any task, first of all, become aware that you an embodiment of power.

234Samarthī ānē sē māyā kā sāmnā karnā sahaj hō jāyēgā .

235When you have power, it will be easy for you to face Maya.

235Jaisī smr̥iti hōtī hai vaisā svarūp ban jātā hai isliē sadā powerful smr̥iti rahē - ki jab tak yah īśhvarīy janm hai tab tak her|har second , her|har saṅkalp , her|har kārya īśhvarīy sēvā par hū̃ .

236As is your awareness, so will be your form. 237Therefore, constantly have this powerful awareness: While I am in this spiritual birth, I am on Godly service at every second, in every thought and in every task.

236Hamārā yah īśhvarīy kul hai , yah smr̥iti key|kī seat sarv kamjōriyō̃ kō samāpt kar dēgī .

238This is my Godly clan. 239The seat of this awareness will finish all weaknesses.

Slogan

237Slōgan  : satya samay pramāṇ svayã siddha hōtā hai usē siddha karnē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ .

240Slogan: The truth is automatically proved at the right time: it does not need to be proved.

241*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

238Yē avyakt iśhārē - mahān bannē kē liē madhurtā aur namratā kā guṇ dhāraṇ karō

242Avyakt Signal: Imbibe the virtues of sweetness and humility to become great.

239Majority K|kē sāmnē service mē̃ bādhā ḍālnē vālā mukhya vighna ātā hai - mainnē yah kiyā , maĩ hī yah kar saktā hū̃ . . . yah maĩpan ānā iskō hī kahā jātā hai gyān kā abhimān , buddhi kā abhimān , service kā abhimān , in rūpō̃ mē̃ hī vighna ātē haĩ .

243The main obstacle that comes to the majority in service is: I did this. 244Only I can do this. 245When this consciousness of “I” comes, it is called the ego of knowledge, the ego of the intellect or the ego of service. 246Obstacles come through these forms.

240Is prakār K|kē vighnō̃ kō samāpt karnē kē liē sadā ēk śhabda yād rakhnā ki maĩ nimitt hū̃ .

247In order to overcome this type of obstacle, always remember one phrase: I am an instrument.

241Nimitt bannē sē hī nirākārī , niranhakārī aur namrachit , niḥsaṅkalpa avasthā mē̃ rah saktē haĩ , yahī dhārṇāyē̃ vāyumaṇḍal kō nirvighna banā dētī haĩ .

248Only by becoming an instrument can you be incorporeal, egoless and humble, and also stay in a stage that is free from (waste) thoughts. 249When you imbibe these, the atmosphere becomes free from obstacles.