बुधवार 6 मई 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

006-05-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

006/05/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - jab tum sampūrṇ pāvan banōgē tab hī bāp tumhārī balihārī svīkār karē̃gē , apnī dil sē pūchhō ham kitnā pāvan banē haĩ  ! 2' '

1Essence: Sweet children, only when you have become completely pure will your sacrifice be accepted. 2Each of you should ask your heart how pure you have become.

Question

3Praśhna  : tum bachchē abhī khuśhī-khuśhī sē bāp par bali chaṛhtē hō - kyō̃  ?

3Question: Why do you children sacrifice yourselves to the Father in great happiness at this time?

Answer

4Uttar  : kyōṅki tum jāntē hō , abhī ham balihār jātē haĩ tō bāp 21 janmō̃ kē liē balihār jātē haĩ .

4Answer: Because you know that by your sacrificing yourselves to the Father at this time, He will sacrifice Himself to you for 21 births.

5Tum bachchō̃ kō yah bhī mālūm hai ki ab is avināśhī rūdra gyān yagya mē̃ sab manuṣhy-mātra kō svāhā hōnā hī hai isliē tum pahlē hī khuśhī-khuśhī sē apnā tan-man-dhan sab kuchh svāhā kar saphal kar lētē hō .

5You children also know that all human beings have to be sacrificed at this time in the imperishable sacrificial fire of this knowledge of Rudra. 6This is why you sacrifice your bodies, minds and wealth in great happiness beforehand and use everything you have in a worthwhile way.

Song

6Gīt  : mukhṛā dēkh lē prāṇī …

7Song: Look at your face in the mirror of your heart!

Murli

7Ōm śhānti .

8Om shanti.

8Śhiv bhagvānuvāch .

9God Shiva speaks.

9Jarūr apnē bachchō̃ prati hī knowledge sikhātē haĩ vā śhrīmat dētē haĩ - hē bachchō̃ vā hē prāṇī , śharīr sē prāṇ nikal jātē haĩ vā ātmā nikal jātī hai , ēk hī bāt hai .

10He definitely gives this knowledge and shrimat to His children alone: O children, O souls! 11“When life leaves the body” and “When the soul leaves the body” are one and the same.

10Hē prāṇī athavā hē bachchē , tumnē dēkhā ki mērē jīvan mē̃ kitnā pāp thā aur kitnā puṇya thā  !

12O human being, or O child, did you see how much sin and charity there have been in your life?

11Hisāb tō batā diyā hai - tumhārē jīvan mē̃ ādhākalp puṇya , ādhākalp pāp hōtē haĩ .

13You have been told the calculation of how there is charity for half a cycle and sin for the other half.

12Puṇya kā varsā bāp sē miltā hai , jiskō rām kahtē haĩ .

14You receive your inheritance of charity from the Father, who is called Rama.

13Rām , nirākār kō kahā jātā hai , na ki sītā vālā rām .

15It is the incorporeal One who is called Rama. 16This doesn’t refer to the one who belongs to Sita.

14Tō ab tum bachchē jō ākar K|kē brahmā mukh vaṅśhāvalī brāhmaṇ banē hō , tumhārī buddhi mē̃ āyā hai barōbar ādhākalp ham puṇy-ātmā hī thē phir ādhākalp pāp-ātmā banē .

17It has now entered the intellects of you children, who have become Brahmins, the mouth-born creation of Brahma, that you truly were pure and charitable souls for half of this cycle and that you then became sinful souls for half the cycle.

15Abhī puṇy-ātmā bannā hai .

18You now have to become pure and charitable souls.

16Kitnā puṇy-ātmā banē haĩ , vah har ēk apnī dil sē pūchhē .

19Each one of you can ask your heart how much of a charitable soul you have become.

17Pāp-ātmā sē puṇy-ātmā kaisē banē̃gē . . . . vah bhī bāp nē samjhāyā hai .

20The Father has also explained to you how you can become a charitable soul from a sinful soul.

18Yagya , tap ādi sē tum puṇy-ātmā nahī̃ banē̃gē , vah hai bhakti mārg , issē kōī bhī manuṣhya puṇy-ātmā nahī̃ bantē haĩ .

21You cannot become charitable souls by holding sacrificial fires or by doing tapasya, etc. 22That is the path of devotion. 23No human being becomes a charitable soul by doing that.

19Abhī tum bachchē samajhtē hō , ham puṇy-ātmā ban rahē haĩ .

24You children now understand that you are becoming charitable souls.

20Āsurī mat sē pāp-ātmā bantē-bantē sīṛhī utartē hī āyē haĩ .

25By becoming sinful souls through following devilish dictates, you have continued to come down the ladder.

21Kitnā samay ham puṇy-ātmā bantē haĩ vā sukh kā varsā lētē haĩ - yah kiskō patā nahī̃ hai .

26None of you know for how long you become charitable souls and claim the inheritance of happiness.

22Us bāp kō yād tō sabhī manuṣhya kartē haĩ , unkō hī parampitā paramātmā kahtē haĩ .

27All human beings remember that Father and they call Him the Supreme Father, the Supreme Soul.

23Brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kō paramātmā nahī̃ kahē̃gē aur kiskō paramātmā nahī̃ kah saktē haĩ .

28Brahma, Vishnu and Shankar cannot be called God.

24Bhal is samay tum prajāpitā brahmā kahtē hō parantu prajāpitā kō kabhī bhaktimārg mē̃ yād nahī̃ kartē haĩ .

29No one else can be called God. 30Although you speak of Prajapita Brahma at this time, not everyone on the path of devotion remembers the Father of People (Prajapita).

25Yād sabhī phir bhī nirākār bāp kō hī kartē haĩ - ō god father , ō bhagvān akṣhar hī nikaltē haĩ .

31Only the incorporeal Father is remembered by everyone. 32O God, the Father! 33O Bhagvan (God)! 34These are the words that emerge from their mouths.

26Ēk kō hī yād kartē haĩ .

35They only remember the One.

27Manuṣhya apnē kō god father kah na sakē̃ . 28Nā hī brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar apnē kō god father kah saktē haĩ .

36Human beings can never call themselves God, the Father, nor can Brahma, Vishnu or Shankar call themselves God, the Father.

29Unkē śharīr kā nām tō hai nā .

37They have bodily names.

30Ēk hī god father hai , unkō apnā śharīr nahī̃ hai .

38There is only the one God, the Father. 39He doesn't have a body of His own.

31Bhakti mārg mē̃ bhī śhiv key|kī bahut pūjā kartē haĩ .

40On the path of devotion, people worship Shiva a great deal.

32Abhī tum bachchē jāntē hō - śhivbābā is śharīr dvārā hamsē bāt kartē haĩ - hē bachchō̃ , kitnā pyār sē kahtē haĩ samajhtē haĩ , maĩ sarv kā patit-pāvan , sadgati dātā hū̃ .

41Now you children know that Shiv Baba is talking to you through this body: O children! 42He says this with so much love! 43He knows that He is the Purifier and the Bestower of Salvation for All.

33Manuṣhya bāp key|kī mahimā kartē haĩ nā lēkin unkō yah patā nahī̃ hai ki 5 hajār varṣh bād ātē haĩ .

44People sing the praise of the Father, but they don't know that He comes after 5000 years.

34Jarūr jab kaliyug kā ant hōgā tab hī tō āyēṅgē .

45He definitely comes when it is the end of the iron age.

35Abhī kaliyug kā ant hai tō jarūr ab āyā huā hai .

46It is now the end of the iron age and so He definitely has come.

36Tumkō śhrīmat miltī hai , śhrīmat kōī śhrīkr̥iṣhṇa key|kī nahī̃ hai .

47You receive shrimat, but it is not from Shri Krishna.

37Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī ātmā bhī śhrīmat sē sō dēvtā banī thī phir 84 janm lētē ab tum āsurī mat K|kē banē hō .

48The Shri Krishna soul too became a deity by following shrimat. 49Having taken 84 births, you now follow devilish dictates.

38Bāp kahtē haĩ - maĩ ātā hī tab hū̃ jab tumhārā chakra pūrā hōtā hai .

50The Father says: I come when your cycle is about to end.

39Tum jō śhurū mē̃ āyē thē , ab jaṛjaṛībhūt avasthā mē̃ hō .

51You, who came in the beginning, are now in a state of total decay.

40Jhāṛ purānā jaṛjaṛībhūt hōtā hai tō sārā jhāṛ aisā hō jātā hai .

52When a tree reaches the state of total decay, the whole tree becomes like that.

41Bāp samjhātē haĩ - tumhārē tamōpradhān bannē sē sab tamōpradhān ban gayē haĩ .

53The Father explains: By your becoming tamopradhan, everyone has become tamopradhan.

42Yah manuṣhya sr̥iṣhṭi kā , variety dharmō̃ kā jhāṛ hai , iskō ulṭā jhāṛ kahtē haĩ , iskā bīj ūpar mē̃ hai .

54This is the variety religion tree of the human world. 55It is also called the inverted tree; its Seed is up above.

43Us bīj sē hī sārā jhāṛ nikaltā hai .

56The whole tree emerges from that Seed.

44Manuṣhya kahtē bhī haĩ «  god father ' ' .

57People say: O God, the Father!

45Ātmā kahtī hai , ātmā kā nām ātmā hī hai .

58Souls say this. 59The name of each soul is soul.

46Ātmā śharīr mē̃ ātī hai tō śharīr kā nām rakhā jātā hai , khēl chaltā hai .

60When a soul enters a body, a name is given to the body. 61The play continues.

47Ātmāō̃ key|kī duniyā mē̃ khēl nahī̃ chaltā .

62There is no play in the world of souls.

48Khēl kī jagah hī yah hai .

63This is the place for the play.

49Nāṭak mē̃ rōśhnī ādi sab hōtī hai .

64There is light and everything here for the play.

50Bākī jahā̃ ātmāyē̃ rahtī haĩ , vahā̃ sūrya chānd nahī̃ haĩ , drama kā khēl nahī̃ chaltā hai .

65There is no sun, moon or performance of the drama where souls live.

51Rāt-din yahā̃ hōtē haĩ .

66Day and night exist here.

52Sūkṣhmavatan vā mūlvatan mē̃ rāt-din nahī̃ hōtē , karmakṣhētra yah hai .

67There is no night or day in the subtle region or in the incorporeal world. 68This is the field of action.

53Ismē̃ manuṣhya achchhē karma bhī kartē haĩ , burē karma bhī kartē haĩ .

69It is here that people perform good and bad actions.

54Satyug-trētā mē̃ achchhē karma hōtē haĩ kyōṅki vahā̃ 5 vikār rūpī rāvaṇ kā rājya hī nahī̃ .

70There are good actions in the golden and silver ages because Ravan’s kingdom of the five vices is not there.

55Bāp baiṭh karma , akarma , vikarma kā rāz batātē haĩ .

71The Father sits here and tells you the secrets of action, neutral action and sinful action.

56Karma tō karnā hī hai , yah karmakṣhētra hai .

72Actions have to be performed because this is the field of action.

57Satyug mē̃ jō manuṣhya karma kartē haĩ vah akarma hō jātā hai .

73All the actions that people in the golden age perform are neutral.

58Vahā̃ rāvaṇrājya hī nahī̃ , unkō heaven kahā jātā hai .

74There is no kingdom of Ravan there. 75That is called heaven.

59Is samay heaven hai nahī̃ .

76There is no heaven at this time.

60Satyug mē̃ ēk hī bhārat thā aur kōī khaṇḍ nahī̃ thā .

77In the golden age, there was just the one Bharat; there were no other lands.

61Heavenly god father kahtē haĩ tō bāp jarūr heaven hī rachē̃gē .

78It is said: Heavenly God, the Father. 79Therefore, the Father definitely creates heaven.

62Yah sab nation vālē jāntē haĩ ki bhārat prāchīn dēśh hai .

80Those of all nations know that Bharat is an ancient land.

63Pahlē-pahlē sirph bhārat hī thā , yah kōī nahī̃ jāntē haĩ .

81No one knows that there was only Bharat at first.

64Abhī tō nahī̃ hai nā .

82It is not like that any more.

65Yah hai hī 5 hajār varṣh key|kī bāt .

83This is a matter of 5000 years ago.

66Kahtē bhī haĩ Christ sē 3 hajār varṣh pahlē bhārat heaven thā .

84It is said that Bharat became heaven 3000 years before Christ.

67Rachayitā jarūr rachnā rachē̃gē .

85The Creator definitely creates creation.

68Tamōpradhān buddhi hōnē kāraṇ itnā bhī nahī̃ samajhtē .

86Because of having tamopradhan intellects, they don’t even understand this much.

69Bhārat tō sabsē ūñch khaṇḍ hai .

87Bharat is the highest land of all.

70Pahlī birādrī hai , manuṣhya sr̥iṣhṭi key|kī .

88It is the first generation of the human world.

71Yah bhī drama banā huā hai .

89This drama is predestined.

72Sāhūkār garībō̃ kō madad kartē haĩ , yah bhī chalā ātā hai .

90Wealthy people help the poor. 91This has also continued from the beginning.

73Bhakti mārg mē̃ bhī sāhūkār garībō̃ kō dān kartē haĩ . 74Parantu yah hai hī patit duniyā .

92On the path of devotion too, the wealthy donate to the poor, but this is an impure world.

75Tō jō , jō kuchh bhī dān puṇya kartē haĩ , patit hī kartē haĩ , jiskō dān kartē haĩ vah bhī patit haĩ .

93No matter what donations are given by people, it is impure ones who donate and impure ones who receive.

76Patit , patit kō dān karē̃gē , unkā phal kyā pāyēṅgē .

94What fruit would be received from impure ones donating to impure ones?

77Bhal kitnā bhī dān-puṇya kartē āyē haĩ , phir bhī girtē āyē haĩ .

95No matter how many donations they have made and how much charity they have been performing, they have continued to come down.

78Bhārat jaisā dānī khaṇḍ aur kōī nahī̃ hōtā .

96There is no other land that donates in the way that Bharat does.

79Is samay tumhārā jō bhī tan , man , dhan hai , sab ismē̃ svāhā kartē hō , inkō kahā jātā hai rājasva aśhvamēdh avināśhī gyān yagya .

97You now sacrifice everything you have, your bodies, mind and wealth, in this. 98This is called the imperishable sacrificial fire of this knowledge of Rudra in which the horse is sacrificed to attain self-sovereignty.

80Ātmā kahtī hai - yah jō purānā śharīr hai , inkō bhī yahā̃ svāhā karnā hai kyōṅki tum jāntē hō - sārī duniyā K|kē manuṣhy-mātra ismē̃ svāhā hōtē haĩ , isliē ham kyō̃ nahī̃ khuśhī sē bābā par bali chaṛh jāyē̃ .

99The soul says: This old body also has to be sacrificed here. 100You know that the people of the whole world will be sacrificed into this. 101Therefore, why should we not sacrifice ourselves to Baba in happiness?

81Ātmā jāntī hai - ham bāp kō yād kartē haĩ .

102You souls know that you remember the Father.

82Kahtē bhī āyē haĩ , bābā āp jab āyēṅgē tō ham balihār jāyēṅgē kyōṅki ab hamārē balihār jānē sē āp phir 21 janm kē liē balihār jāyēṅgē .

103You have been saying: Baba, when You come, I will sacrifice myself to You, because when I sacrifice myself to You, you will sacrifice Yourself to me for 21 births.

83Yah saudāgarī hai .

104This is a deal.

84Ham āp par balihār jātē haĩ tō āp bhī tō 21 bār balihār jātē haĩ .

105I sacrifice myself to You and You sacrifice Yourself to me 21 times.

85Bāp kahtē haĩ - jab tak tumhārī ātmā pavitra nahī̃ banī hai tab tak ham balihārī svīkār nahī̃ kartē haĩ .

106The Father says: I will not accept the sacrifice of you souls until you have become pure.

86Bāp kahtē haĩ - māmēkam yād karō tō ātmā pure ban jāyēgī .

107The Father says: Constantly remember Me alone and you souls will become pure.

87Bāp kō bhūlnē sē tum kitnē patit duḥkhī huē hō .

108By forgetting the Father, you have become so impure and unhappy.

88Manuṣhya duḥkhī hōtē haĩ tō phir śharaṇāgati lētē haĩ .

109When people are unhappy, they seek refuge.

89Abhī tum 63 janm rāvaṇ sē bahut duḥkhī huē hō .

110You have been made very unhappy by Ravan for 63 births.

90Ēk sītā key|kī bāt nahī̃ , sab sītāyē̃ haĩ , jō bhī manuṣhya mātra haĩ .

111It isn't just a question of one Sita; all human beings are Sitas.

91Rāmāyaṇ mē̃ tō kahānī likh dī hai . 92Sītā kō rāvaṇ nē śhōk vāṭikā mē̃ ḍālā .

112They have just written the story in the Ramayana of how Sita was put in the cottage of sorrow by Ravan.

93Vāstav mē̃ bāt sārī is samay kī hai .

113In fact, all of that refers to this time.

94Sabhī rāvaṇ arthāt 5 vikārō̃ key|kī jēl mē̃ haĩ isliē duḥkhī hō pukārtē haĩ - hamkō insē chhuṛāō .

114All are in the jail of Ravan, which means the five vices, and this is why they call out in sorrow: Liberate us from this!

95Ēk key|kī bāt nahī̃ .

115It is not a question of just one.

96Bāp samjhātē haĩ sārī duniyā rāvaṇ key|kī jēl mē̃ hai .

116The Father explains: This whole world is in Ravan’s jail.

97Rāvaṇ rājya hai nā .

117This is Ravan’s kingdom.

98Kahtē bhī haĩ - rāmrājya chāhiē . 99Gāndhī nē bhī kahā , sannyāsī kabhī aisē nahī̃ kahē̃gē ki rāmrājya chāhiē .

118Gandhiji and all the others said that they wanted the kingdom of Rama. 119Sannyasis never say that they want the kingdom of Rama.

100Bhāratvāsī hī kahē̃gē .

120It is only the people of Bharat who say this.

101Is samay ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hai nahī̃ aur branches haĩ , satyug thā . 102Ēk hī ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm thā .

121There is no original eternal deity religion at this time. 122There are all the other branches. 123When there was the golden age, there was just the one original eternal deity religion at that time.

103Abhī vah nām hī badalā|badlā huā hai .

124That name changed.

104Apnē dharm kō bhūl phir aur-aur dharm mē̃ convert hōtē jātē haĩ .

125They forgot their own religion and were converted to other religions.

105Musalmān āyē kitnē hinduō̃ kō apnē dharm mē̃ convert kar liyā . 106Kriściyan dharm mē̃ bhī bahut convert huē haĩ isliē bhāratvāsiyō̃ key|kī jansaṅkhyā kam hō gaī hai .

126The population of Hindus is less than it would have been, because many have been converted into other religions. 127This is why the population of the people of Bharat became smaller.

107Nahī̃ tō bhāratvāsiyō̃ key|kī jansaṅkhyā sabsē jāstī hōnī chāhiē .

128Otherwise, the population of the people of Bharat would be the largest.

108Anēk dharmō̃ mē̃ convert hō gayē haĩ .

129They were converted to many religions.

109Bāp kahtē haĩ - tumhārā jō ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm hai , vah sabsē ūñch hai .

130The Father says: Your original eternal deity religion is the highest of all.

110Satōpradhān thē , ab vahī badalkar phir tamōpradhān banē haĩ .

131You were satopradhan and you then changed and became tamopradhan.

111Ab tum bachchē samajhtē hō - gyān sāgar , patit-pāvan jiskō bulātē haĩ , vahī sammukh paṛhā rahē haĩ .

132You children understand that the Ocean of Knowledge, the Purifier, to whom you called out, is now personally teaching you.

112Vah gyān kā sāgar , prēm kā sāgar hai .

133He is the Ocean of Knowledge and the Ocean of Love.

113Christ key|kī aisī mahimā nahī̃ karē̃gē .

134Christ cannot be praised in the same way.

114Śhrīkr̥iṣhṇa kō gyān kā sāgar , patit-pāvan nahī̃ kahā jātā hai .

135Shri Krishna cannot be called the Ocean of Knowledge or the Purifier.

115Sāgar ēk hōtā hai .

136There is only one ocean.

116Chārō̃ taraph all-round sāgar hī sāgar hai . 117Dō sāgar nahī̃ hōtē haĩ .

137All around, in all four directions, there is only one ocean; there aren't two oceans.

118Yah manuṣhya sr̥iṣhṭi kā nāṭak hai , ismē̃ sabkā alag-alag part hai .

138This play is of the human world. 139Each one has his own part in this.

119Bāp kahtē haĩ mērā kartavya sabsē alag hai , maĩ gyān kā sāgar hū̃ .

140The Father says: My duty is completely different from everyone else’s duty. 141I am the Ocean of Knowledge.

120Mujhē hī tum pukārtē hō hē patit-pāvan , phir kahtē hō liberator .

142You call out to Me, the Purifier. 143Then you call Me the Liberator.

121Liberate kissē kartē haĩ  ?

144From what does He liberate you?

122Yah bhī kōī nahī̃ jāntē .

145No one knows this either.

123Tum jāntē hō , ham satyug-trētā mē̃ bahut sukhī thē , uskō svarg kahā jātā hai .

146You know that you were very happy in the golden and silver ages. 147That was called heaven.

124Abhī tō hai hī nark isliē pukārtē haĩ - duḥkh sē liberate kar sukhdhām lē chalō .

148It is now hell, which is why everyone calls out: Liberate us from sorrow and take us to the land of happiness!

125Sannyāsī kabhī nahī̃ kahē̃gē ki phalānā svargvāsī huā , vah phir kahtē haĩ pār nirvāṇ gayā .

149Sannyasis never say that So-and-so has become a resident of heaven. 150They say that So-and-so has gone to Nirvana, the land beyond.

126Vilāyat mē̃ bhī kahtē haĩ left for heavenly abode .

151Abroad, too, they say: So-and-so left for the heavenly abode.

127Samajhtē haĩ , god father pās|pass gayē .

152They believe that that soul went to God, the Father.

128Heavenly god father kahtē haĩ , barōbar heaven thā .

153Because there truly was heaven, they speak of Heavenly God, the Father.

129Ab nahī̃ hai .

154It doesn’t exist now.

130Hell kē bād heaven chāhiē .

155After hell, there has to be heaven.

131God father kō yahā̃ ākar heaven sthāpan karnā hai .

156God, the Father, has to come here to establish heaven.

132Sūkṣhmavatan , mūlvatan mē̃ kōī heaven nahī̃ hōtā hai .

157Heaven is not in the subtle region or in the incorporeal world.

133Jarūr bāp kō hī ānā paṛtā hai .

158The Father definitely has to come here.

134Bāp kahtē haĩ - maĩ ākar prakr̥iti kā ādhār lētā hū̃ , mērā janm manuṣhyō̃ muāphik nahī̃ hai .

159The Father says: I come and take the support of matter. 160I do not take birth in the way that human beings do.

135Maĩ garbh mē̃ nahī̃ ātā hū̃ , tum sabhī garbh mē̃ ātē hō .

161I don’t enter a womb. 162Each of you enters a womb.

136Satyug mē̃ garbh mahal hōtā hai kyōṅki vahā̃ kōī vikarma hōtā nahī̃ jō sajā bhōgē̃ isliē uskō garbh mahal kahā jātā hai .

163In the golden age, a womb is like a palace because there are no sins performed there for which there would have to be punishment. 164This is why that is called the palace of a womb.

137Yahā̃ vikarma kartē , jiskī sajā bhōgnī paṛtī hai , isliyē garbh jēl kahā jātā hai .

165Here, souls perform sinful actions and they therefore have to experience punishment. 166This is why a womb is called a jail.

138Yahā̃ rāvaṇ rājya mē̃ manuṣhya pāp kartē rahtē haĩ .

167Here, in the kingdom of Ravan, people continue to commit sin.

139Yah hai hī pāp ātmāō̃ kī duniyā .

168This is a world of sinful souls.

140Vah hai puṇya ātmāō̃ key|kī duniyā - svarg , isliē kahtē haĩ pīpal K|kē pattē par śhrīkr̥iṣhṇa āyā .

169That is a world of charitable souls, heaven. 170It is said that Shri Krishna came floating on a pipal leaf.

141Yah śhrīkr̥iṣhṇa key|kī mahimā dikhātē haĩ .

171This is how they show the praise of Shri Krishna.

142Satyug mē̃ garbh mē̃ duḥkh nahī̃ hōtā hai .

172In the golden age, there is no sorrow in a womb.

143Bāp karma-akarma-vikarma kī gati samjhātē haĩ jiskā phir śhāstra gītā banāyā hai . 144Parantu usmē̃ śhiv bhagavānu-vāch kē badlē śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai .

173The Father explains to you the philosophy of action, neutral action and sinful action. 174They have made the scripture, the Gita, from this, but, instead of saying that God Shiva speaks, they have used Shri Krishna’s name.

145Ab tum jāntē hō , ham bēhad K|kē bāp sē bēhad sukh kā varsā lētē haĩ .

175You now know that you are claiming your inheritance of unlimited happiness from the unlimited Father.

146Abhī bhārat rāvaṇ sē śhrāpit hai isliē durgati hō gaī hai .

176Bharat is now cursed by Ravan and this is why it has become so degraded.

147Yah baṛā śhrāp bhī drama mē̃ nūndhā huā hai .

177This big curse is also fixed in the drama.

148Bāp ākar var dētē haĩ - āyuśhvān bhav , putravān bhav , sampattivān bhav . . . . . sabhī sukh kā varsā dētē haĩ .

178The Father comes and gives you the blessings: May you have a long life! 179May you have children! 180May you be wealthy! 181He gives you your inheritance of all types of happiness.

149Tumkō ākar paṛhātē haĩ , jis paṛhāī sē tum dēvtā bantē hō .

182He comes and teaches you. 183You become deities by studying this.

150Yah naī rachnā hō rahī hai .

184A new creation is being created.

151Brahmā dvārā tumkō bāp apnā banātē haĩ .

185The Father makes you belong to Him through Brahma.

152Gāyā bhī jātā hai prajāpitā brahmā .

186Prajapita Brahma has been remembered.

153Tum unkē bachchē brahmākumār-kumāriyā̃ banē hō .

187You have become his children, Brahma Kumars and Kumaris.

154Dādē sē varsā bāp dvārā lētē hō .

188You claim the Grandfather's inheritance through the father.

155Āgē bhī liyā thā .

189You claimed it previously too.

156Ab phir bāp āyā hai .

190The Father has now come again.

157Bāp K|kē bachchē tō phir bāp kē pās jānē chāhiē .

191The children of the Father should go to the Father.

158Parantu gāyā huā hai , prajāpitā brahmā dvārā manuṣhya sr̥iṣhṭi key|kī sthāpanā hōtī hai .

192However, it has been remembered that the human world was established through Prajapita Brahma.

159Tō yahā̃ hōgī nā .

193This has to take place here.

160Ātmā K|kē sambandh mē̃ kahē̃gē ham bhāī haĩ .

194In relation to souls, you say that you are brothers.

161Prajāpitā brahmā key|kī santān bannē sē tum bhāī-bahin bantē hō .

195When you become the children of Prajapita Brahma, you are brothers and sisters.

162Is samay tum sab bhāī-bahin hō , tumnē bāp sē varsā liyā thā .

196At this time, all of you are brothers and sisters. 197You claimed your inheritance from the Father.

163Ab bhī bāp sē varsā lē rahē hō .

198Even now, you are claiming your inheritance from the Father.

164Śhivbābā kahtē haĩ - mujhē yād karō .

199Shiv Baba says: Remember Me!

165Tum ātmā kō śhivbābā kō yād karnā hai .

200You souls have to remember Shiv Baba.

166Yād karnē sē hī tum pāvan banē̃gē aur kōī upāya nahī̃ hai .

201It is only by remembering Him that you will become pure. 202There is no other way.

167Pāvan bannē sivāē tum muktidhām mē̃ jā bhī nahī̃ saktē hō .

203You cannot go to the land of liberation without becoming pure.

168Jīvanmuktidhām mē̃ pahlē-pahlē ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm thā phir number-vār aur-aur dharm āyē .

204At first, in the land of liberation-in-life, there was the ancient deity religion. 205Later, all the other religions began to come into existence, numberwise.

169Bāp ant mē̃ ākar sabkō duḥkhō̃ sē mukt kartē haĩ .

206The Father comes at the end and liberates everyone from sorrow.

170Unkō kahā bhī jātā hai liberator .

207He is called the Liberator.

171Bāp kahtē haĩ - tum sirph mujhē yād karō tō tumhārē pāp bhasma hō jāyēṅgē .

208The Father says: Simply remember Me and your sins will be burnt away.

172Bulātē bhī hō bābā āō - hamkō patit sē pāvan banāō .

209You even call out: Baba, come! 210Make us pure from impure!

173Teacher tō paṛhātē haĩ , ismē̃ charitra kartē haĩ kyā  ?

211A teacher just teaches you. 212Does he create your character?

174Yah bhī paṛhāī hai .

213This too is a study.

175Bāp gyān kā sāgar hī ākar gyān dētē haĩ .

214Only the Father, the Ocean of Knowledge, comes and gives you this knowledge.

176Achchhā .

215Achcha.

177Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

216To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

178Rūhānī bāp key|kī rūhānī bachchō̃ kā namastē .

217The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

179Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

218Essence for dharna:

1801 ) karma , akarma aur vikarma key|kī gati kō jān ab kōī vikarma nahī̃ karnā hai .

2191. Know the philosophy of action, neutral action and sinful action and don't perform any more sinful actions.

181Karmakṣhētra par karma kartē huē vikārō̃ kā tyāg karnā hī vikarma sē bachnā hai .

220While doing everything on this field of action, renounce all the vices and thereby remain safe from performing sinful actions.

1822 ) aisā pāvan bannā hai jō hamārī balihārī bāp svīkār kar lē .

2212. Become pure to such an extent that the Father accepts your sacrifice.

183Pāvan bankar pāvan duniyā mē̃ jānā hai .

222Become pure and go to the pure world.

184Tan-man-dhan is yagya mē̃ svāhā kar saphal karnā hai .

223Sacrifice your body, mind and wealth into this sacrificial fire and so use everything you have in a worthwhile way.

Blessing

185Vardān  : knowledge key|kī light might dvārā vighn-vināśāk bannē vālē master knowledgeful bhav

224Blessing: May you be master knowledge-full and become a destroyer of obstacles with the light and might of this knowledge.

186Bhakti mārg mē̃ gaṇēśh kō vighna-vināśhak kahkar pūjtē haĩ , sāth-sāth unhē̃ master knowledgeful arthāt vidyāpati bhī māntē haĩ .

225On the path of devotion, Ganesh is worshipped as the destroyer of obstacles. 226Together with that, he is also known as master knowledge-full, that is, the Lord of Knowledge.

187Tō jō bachchē master knowledgeful bantē haĩ vē|way kabhī vighnō̃ sē hār nahī̃ khā saktē kyōṅki knowledge kō light-might kahā jātā hai , jissē mañjil par pahuñchnā sahaj hō jātā hai .

227You children, who become master knowledge-full, are never defeated by obstacles, because this knowledge is said to be the light and might with which it becomes easy for you to reach your destination.

188Aisē jō vighna-vināśhak haĩ , bāp kē sāth sadā combined rahtē huē knowledge kā simraṇ kartē rahtē haĩ vē|way kabhī vighna hār nahī̃ ban saktē .

228In the same way, those who are destroyers of obstacles and who remain constantly combined with the Father and who continue to churn this knowledge can never be defeated by obstacles.

Slogan

189Slōgan  : andar bāhar jō bhī burāīyā̃ haĩ unhē̃ sampūrṇ will kar dō tō vil-pāvar ā jāyēgī .

229Slogan: Will all the defects you have within and without completely to the Father and you will have will power.

230*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

190Yē avyakt iśhārē - sadā achal , aḍōl , ēkras sthiti kā anubhav karō

231Avyakt Signal: Constantly experience an unshakeable, immovable and constant stage.

191Abhī anubhavī ban aurō̃ kō bhī achal aḍōl banānē kā , anubhav karānē kā samay hai .

232It is now the time to become experienced and to make others experience being unshakeable and immovable.

192Abhī khēl karnē kā samay samāpt huā .

233The time for playing games is now over.

193Ab sadā samarth ban nirbal ātmāō̃ kō samarth banātē chalō .

234Now, be constantly powerful and continue to make weak souls powerful.

194Āp lōgō̃ mē̃ nirbaltā K|kē saṅskār hōṅgē tō dūsrō̃ kō bhī nirbal banā dēgē .

235If you have the sanskars of being weak, you will also make others weak.

195Gyān key|kī her|har point kā anubhavī bannē kē liē ēkāntpriy banō , ēkāgratā kā abhyās baṛhāō .

236In order to become experienced in every point of this knowledge, have love for solitude and increase your practice of concentration.