शुक्रवार 8 मई 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

008-05-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

008/05/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - abhī tum śhūdra gharānē sē nikal brāhmaṇ gharānē mē̃ āyē hō , bāp nē brahmā mukh sē tumhē̃ adopt kiyā hai - tō isī khuśhī mē̃ rahō ' '

1Essence: Sweet children, you have now moved away from the shudra clan and come into the Brahmin clan. 2The Father has adopted you through the mouth of Brahma. 3Therefore, maintain this happiness.

Question

2Praśhna  : kaun sā guhya rāz , brāhmaṇ kul vālē bachchē hī samajh saktē haĩ  ?

4Question: Which deep secret can only you children of the Brahmin clan understand?

Answer

3Uttar  : nirākār śhivbābā hamārā pitā hai aur yah brahmā hamārī mātā hai .

5Answer: That incorporeal Shiv Baba is your Father and that this Brahma is your mother.

4Nirākār bhagvān kaisē māt-pitā , bandhu-sakhā bantē haĩ , yah guhya gupta rāz brāhmaṇ kul K|kē bachchē hī samajh saktē haĩ .

6Only you children of the Brahmin clan can understand this deep, incognito secret of how incorporeal God is your Mother, Father, Brother and Friend.

5Usmē̃ bhī jō daivī kul mē̃ ūñch pad pānē vālē haĩ vahī yah rāz yathārth rīti samajhē̃gē .

7In this too, those who are to claim a high status in the deity clan will understand this secret accurately.

Murli

6Ōm śhānti .

8Om shanti.

7Bachchē baiṭhē haĩ - samajh rahē haĩ ki hamārā bāpdādā āyā huā hai .

9You children who are sitting here understand that your BapDada has come.

8Bāp tō ikaṭṭhā hō jātā hai dādā kē sāth , tō kahē̃gē bāpdādā āyē haĩ .

10The Father becomes combined with Dada and it is therefore said that BapDada has come.

9Vah teacher bhī hai .

11He is also the Teacher.

10Bāp , dādā K|kē bigar tō kuchh batā na sakē .

12Bap (the Father) cannot tell you anything without Dada.

11Buddhi chalnī chāhiē kyōṅki yah naī bāt hai nā .

13Let your intellects work on this, because this is something new.

12Agyān kāl mē̃ yād kartē haĩ single kō . 13Kahē̃gē hamārā gurū phalānī jagah hai . 14Unkē śharīr kā nām jāntē haĩ .

14On the path of ignorance, they only remember a single one; they would say that their guru is at such-and-such a place; they know the name of his body.

15Hamārā bābā , hamārī mā̃ phalānī jagah hai .

15They say: Our father, our mother is at such-and-such a place.

16Unkā nām rūp sab kuchh hai .

16They have names and forms, etc.

17Manuṣhyō̃ nē phir short mē̃ likh diyā hai . 18Manuṣhyō̃ nē jō banāyā hai , unmē̃ kuchh na kuchh wrong hai .

17People have then written this briefly, but whatever they have written, it is wrong.

19Bhal gāyan hai tvamēv mātāśhcha pitā … yah ēk kē liē hī gāyā jātā hai .

18Although “You are the Mother and the Father”, is remembered, that is sung of only One.

20Brahmā kē liē bhī nahī̃ gāyā jātā hai .

19It is not even sung of Brahma.

21Unkā nām rūp buddhi mē̃ nahī̃ ātā . 22Na viṣhṇu kā , na śhaṅkar kā .

20Neither his name nor his form enters their intellects, nor do those of Vishnu or Shankar.

23Gātē tō haĩ tum māt-pitā ham bālak tērē .

21They sing: “You are the Mother and Father and we are Your children.”

24Tō bhī buddhi ūpar mē̃ jāyēgī .

22In spite of that, their intellects go up above.

25Śhrīkr̥iṣhṇa kō yād kōī kar na sakē .

23They wouldn’t remember Shri Krishna at that time.

26Yād phir bhī nirākār kō hī karē̃gē , unkī mahimā hai .

24They would still only remember the incorporeal One. 25There is His praise.

27Tō bāp samjhātē haĩ - yahā̃ jab baiṭhtē hō tō laukik sambandh sē buddhiyōg nikāl , pārlaukik bāp kō yād karō .

26The Father explains: When you sit here, remove your intellects from worldly relations and remember the Father from beyond this world.

28Is samay yah sammukh hai .

27He is personally in front of you at this time.

29Bhakti mārg mē̃ jō gātē haĩ tō āṅkhē̃ ūpar karkē kahtē haĩ - tum māt-pitā . . . . hē bhagvān kah yād kartē haĩ .

28When people sing to Him on the path of devotion, they turn their eyes upwards and sing: “You are the Mother and Father.” 29They remember Him and say: “O God!”

30Bhagvān jab kahtē haĩ tō śhivliṅg kō bhī yād nahī̃ kartē .

30When they say: “God”, they don’t even remember the Shiva lingam.

31Tōtē misal aisē hī gātē haĩ .

31They simply sing like parrots.

32Lakṣhmī-nārāyaṇ kē liē bhī aisē nahī̃ kah saktē , yah tō mahārājā-mahārānī haĩ .

32You couldn’t even say this of Lakshmi and Narayan. 33They were an empress and emperor.

33Unkā bachchā hī māt-pitā kahē̃gē , bandhu nahī̃ kahē̃gē .

34Only their children would call them mother and father. 35Their children wouldn’t call them “brother”.

34Bhakta lōg gātē haĩ patit-pāvan , parantu yah buddhi mē̃ nahī̃ ātā ki śhivliṅg hōgā , aisē hī sirph kah dētē haĩ - hē bhagvān  !

36Devotees remember the Purifier, but it doesn’t enter their intellects that He would be the Shiva lingam. 37They just sing: “O God!”

35Hē bhagvān kisnē kahā , kiskō kahā  ?

38Who said: “O God”? 39To whom?

36Kuchh bhī patā nahī̃ .

40They don’t know anything at all.

37Agar yah gyān hōtā maĩ ātmā hū̃ , unkō bulātā hū̃ tō yah samajhē̃ ki vah nirākār paramātmā hai . 38Unkā rūp hī liṅg hai .

41If they had the knowledge that they are souls calling out to God, they would realise that God is incorporeal; His form is the shape of a lingam.

39Yathārth rīti kōī bāp kō yād nahī̃ kartē .

42No one remembers the Father accurately.

40Unsē prāpti kyā hōgī , kab hōgī - yah kuchh bhī nahī̃ jāntē .

43They don’t know what attainments they receive from Him or when they receive them.

41Tum bhī nahī̃ jāntē thē .

44Even you didn’t know this.

42Abhī tō bāp K|kē banē hō .

45You now belong to the Father.

43Tum jāntē hō hamkō śhivbābā nē brahmā dvārā apnā bachchā banāyā hai .

46You know that Shiv Baba has made you His children through Brahma.

44Yah brahmā mā̃ hai .

47This is Mother Brahma.

45Is brahmā mātā dvārā śhivbābā nē adopt kiyā hai .

48Shiv Baba has adopted you through Mother Brahma.

46Is samay tum achchhī rīti jāntē hō . 47Ham śhivbābā K|kē bachchē haĩ .

49At this time, you understand very clearly that you are Shiv Baba’s children.

48Sākār mē̃ phir prajāpitā brahmā K|kē bachchē haĩ .

50Then, in the corporeal form, you are the children of Prajapita Brahma.

49Prajāpitā brahmā dvārā manuṣhya sr̥iṣhṭi rachtē haĩ .

51The human world is created through Prajapita Brahma.

50Aisē nahī̃ ki kōī naī sr̥iṣhṭi rachtē haĩ  ?

52It isn’t that a new world is created; no.

51Nahī̃ , is samay ākar gōd mē̃ lētē haĩ , adopt kartē haĩ .

53He comes at this time and adopts you.

52Ab māt-pitā kahtē haĩ tō śhiv pitā ṭhaharā|ṭhahrā aur mātā brahmā ṭhaharī .

54You call Him the Mother and Father. 55Therefore, Shiva is the Father and Brahma is the mother.

53Unkō kahā jātā hai māt-pitā .

56They are called mother and Father.

54Bāp brahmā dvārā kahtē haĩ tum ātmāyē̃ mērē bachchē hō .

57The Father tells you through Brahma: You souls are My children.

55Phir ātmā kō baiṭh pahchān dētē haĩ ki ātmā kyā hai  ?

58He sits here and gives you the recognition of what a soul is.

56Kahtē bhī haĩ bhrakuṭī kē bīch mē̃ rahtī hai , star misal hai aur kuchh bhī nahī̃ jāntē .

59They say that a soul resides in the centre of each forehead like a star. 60They don’t know anything else.

57Yah kah na sakē̃ ki ātmā 84 janm bhōgtī hai . 58Ātmā śharīr dvārā part bajātī hai .

61They cannot say that a soul takes 84 births, that a soul plays a part through a body.

59Bhinn-bhinn nām , rūp , dēśh , kāl sē ātmā ēk śharīr chhōṛtī hai tō sārā parivār hī badal jātā hai .

62When a soul sheds his body and changes his name, form, place and time, his whole family changes.

60Kōī adopt kartē haĩ tō parivār hī badal jātā hai .

63When someone is adopted, his whole family changes.

61Māt-pitā jissē janma liyā , unkō bhī jāntē haĩ . 62Phir jō adopt kartē haĩ unkē ghar kā ban jātē haĩ .

64He knows his parents to whom he was born and he then belongs to the family who adopted him.

63Yahā̃ tum śhūdra gharānē sē nikal ab brāhmaṇ gharānē mē̃ āyē hō .

65You have moved away from the shudra clan and come here into the Brahmin clan.

64Brahmā tan sē tumkō adopt kiyā .

66You have been adopted through the body of Brahma.

65Tum tō brāhmaṇ kul mē̃ ā gayē .

67You have come into the Brahmin clan.

66Yah bātē̃ śhāstrō̃ mē̃ nahī̃ likhī jā saktī , yah samjhāyā jātā hai .

68These things cannot be written in the scriptures; they can only be explained.

67Likhnē sē kōī samajhtē nahī̃ .

69No one understands anything just from what is written.

68Abhī tum bachchē hī jāntē hō - ham parampitā paramātmā key|kī santān banē haĩ .

70Now, only you children know that you have become the children of the Supreme Father, the Supreme Soul.

69Yah hō gaī mā̃ .

71This one is the mother.

70Brahmā kō prajāpitā hī kahtē haĩ .

72Only Brahma can be called Prajapita.

71Is dvārā tum bachchō̃ kō adopt kartā hū̃ - yah kitnī gupta bātē̃ haĩ .

73I adopt you children through this one. 74These are such deep matters!

72Sivāē sammukh K|kē kōī samajh na sakē̃ .

75None of them can understand these things unless they are explained to them personally.

73Samajhē̃gē bhī vah jō is brāhmaṇ kul K|kē hōṅgē .

76Only those who belong to this Brahmin clan will understand these things.

74Daivī kul mē̃ ūñch pad pānē vālē hōṅgē .

77They will be the ones who claim a high status in the deity clan.

75Nayē kiskī buddhi mē̃ yah bātē̃ baiṭhē̃gī nahī̃ .

78These things will not sit in the intellects of new ones.

76Na buddhi mē̃ baiṭhēgā , na kiskō samjhā sakē̃gē .

79These things won’t sit in their intellects, nor will they be able to explain them to others.

77Tumhārē mē̃ bhī number-vār puruṣhārth anusār haĩ , jinkī buddhi mē̃ baiṭhtā hai .

80Among you too, they sit in your intellects, numberwise, according to the efforts you make.

78Gāyā jātā hai tvamēv mātāśhcha pitā . . . yād kiyā jātā hai śhivbābā kō .

81It is remembered: You are the Mother and Father. 82Shiv Baba is remembered.

79Phir kahtē haĩ tum māt-pitā .

83Then it is said: You are the Mother and Father.

80Ēk bāp phir māt-pitā kaisē  ?

84How can the one Father be the Mother and Father?

81Yah bātē̃ aur kōī samjhā na sakē .

85No one else can explain these things.

82Jaisē śhāstrō̃ mē̃ vyās nē jō likhā hai vah manuṣhyō̃ nē kaṇṭha kar liyā hai vaisē tumkō bhī kahē̃gē , tumkō kōī nē batāyā hai , tumnē kaṇṭha kar diyā hai .

86People learn by heart whatever Vyas wrote in the scriptures. 87They tell you that someone has told you all of these things and that you have learnt them by heart in the same way.

83Nayē manuṣhya kē liē samajhnā baṛā muśhkil hai .

88It is very difficult for new people to understand.

84Yahā̃ rahnē vālē bhī kōī kiskō itnā bhī samjhā nahī̃ saktē . 85Tum ātmā hō - tumhārā bāp parampitā paramātmā hai .

89Even amongst those living here, no one is able to explain to others sufficiently well that they are souls and that their Father is the Supreme Father, the Supreme Soul.

86Vah bēhad kā bāp hī bēhad kā varsā dētē haĩ .

90Only the unlimited Father gives you the unlimited inheritance.

87Varsā diyā thā phir punarjanma lētē-lētē 84 janm pūrē huē , ab bāp phir varsā dēnē āyē haĩ .

91He gave you the inheritance. 92Now, after taking rebirth, you have completed your 84 births. 93Therefore, the Father has come to give you your inheritance once again.

88Yah kiskō samjhānā kitnā sahaj hai .

94It is so easy to explain this to others.

89Tum māt-pitā kiskō kahā jātā hai - vichār key|kī bāt hai nā .

95Whom you would call the Mother and Father is something to think about.

90Brahmā dvārā adopt kartē haĩ phir mā̃ bhī jarūr chāhiē .

96He adopts you through Brahma. 97Therefore, a mother is definitely needed.

91Tō jō ananya bachchī hōtī hai , drama plan anusār unkō jagat-ambā kā title diyā jātā hai .

98So, according to the drama plan, a very special daughter is given the title of the World Mother, Jagadamba.

92Male|mail|mēl kō jagat-ambā nahī̃ kah saktē , inkō jagatpitā kahē̃gē .

99A male being cannot be called the World Mother. 100He would be called the World Father, Jagadpita.

93Inkā prajāpitā nām maśhhūr hai .

101His name, Prajapita, is very well known.

94Achchhā prajā mātā kahā̃  ?

102OK, so where is Prajamata (the Mother of People)?

95Tō adopt kiyā jātā hai mātā kō .

103This is why the mother is adopted.

96Ādi dēv tō hai phir ādi dēvī kō mukarar kiyā jātā hai .

104There is Adi Dev. 105Then, Adi Devi is appointed.

97Jagat-ambā tō ēk hī hai - unkī hī mahimā hai .

106There is also only one Jagadamba and she is praised.

98Jagat-ambā par kitnā mēlā lagtā hai . 99Parantu unkē occupation kō kōī nahī̃ jāntē .

107There are so many gatherings for Jagadamba, but no one knows her occupation.

100Kalkattē mē̃ kālī kā mandir hai .

108There is a temple to Kali in Calcutta.

101Bāmbē mē̃ bhī jagat ambā kā mandir hai .

109There is a temple to Jagadamba in Bombay.

102Śhakla alag-alag hai .

110Their faces are different.

103Jagat-ambā hai kaun  ?

111Who is Jagadamba?

104Yah kōī nahī̃ jāntē .

112No one knows this.

105Unkō bhī bhagvatī kahtē haĩ .

113She is called a goddess.

106Ab jagat-ambā kō bhagvatī nahī̃ kah saktē . 107Vah tō brāhmaṇī hai , gyān-gyānēśhvarī hai , unkō bāp sē gyān milā hai .

114Jagadamba shouldn’t be called a goddess; she is a Brahmin. 115She is the princess of this knowledge. 116She received this knowledge from the Father.

108Tum sab jagat-ambā K|kē bachchē hō .

117All of you are children of Jagadamba.

109Gyān sunkar phir sunātē hō .

118You listen to this knowledge and then relate it to others.

110Tumhārā dhandhā hī yah huā .

119This is your business.

111Tumkō īśhvar paṛhātē haĩ , kōī manuṣhya nahī̃ paṛhātē haĩ .

120God is teaching you. 121It isn’t a human being who is teaching you.

112Yah brahmā bhī tō manuṣhya hai .

122This Brahma too is a human being.

113Manuṣhya kōī kō bhī pāvan banā nahī̃ saktē .

123Human beings cannot purify anyone.

114Manuṣhyō̃ key|kī buddhi itnī dull hō gaī hai jō kuchh bhī samajhtē nahī̃ haĩ .

124The intellects of human beings have become so dull that they don’t understand anything at all.

115Patit-pāvan tō ēk hī bāp hai .

125Only the one Father is the Purifier.

116Vah ātē hī haĩ , patitō̃ kō pāvan banānē .

126He only comes to purify the impure.

117Yah sārī duniyā tamōpradhān hai , sab patit haĩ .

127This whole world is tamopradhan; all are impure.

118Naī duniyā pāvan , purānī duniyā patit .

128That new world is pure and this old world is impure.

119Purānī duniyā mē̃ haĩ narkvāsī . 120Naī duniyā mē̃ haĩ svargvāsī .

129There are the residents of hell in this old world and the residents of heaven in that new world.

121Buddhi bhī kahtī hai satyug mē̃ sirph bhāratvāsī dēvī-dēvtāyē̃ hōṅgē aur kōī nahī̃ thē .

130The intellect also says that, in the golden age, there will just be deities who are the residents of Bharat; there will be no one else there.

122Abhī tum bachchō̃ kō yah gyān milā hai .

131You children have now received this knowledge.

123Naī duniyā mē̃ pahlē sūryavanśhī dēvtā thē phir chandravanśhī huē , tō sūryavanśhī past hō gayē .

132There were sun-dynasty deities in the new world, and then there was the moon dynasty. 133Therefore, the sun dynasty became the past.

124Chandravanśhī kē bād phir vaiśhya vãnśhī . . . ātē haĩ barōbar lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya thā .

134Then, after the moon dynasty, there was the merchant dynasty. 135There truly was the kingdom of Lakshmi and Narayan.

125Achchhā unkē āgē kyā thā .

136OK, what existed before them?

126Yah kōī samajh na sakē̃ .

137No one understands this.

127Tum bachchō̃ kō bāp nē chakra kā rāz samjhāyā hai .

138The Father has explained the secrets of the cycle to you children.

128Dvāpar mē̃ haĩ vaiśhya vãnśhī .

139There is the merchant dynasty in the copper age.

129Kaliyug mē̃ hōtē haĩ śhūdra vãnśhī .

140In this iron age, there is the shudra dynasty.

130Abhī tum jāntē hō - ham brāhmaṇ banē haĩ .

141You now understand that you have become Brahmins.

131Tumkō bāp nē apnā banāyā hai arthāt śhūdra dharm sē dēvtā dharm mē̃ transfer kiyā hai .

142The Father has made you belong to Him, that is, He has transferred you from the shudra religion to the deity religion.

132Ab sūryavanśhī , chandravanśhī tō haĩ nahī̃ .

143Those of the sun and moon dynasties don’t exist at this time.

133Na lakṣhmī-nārāyaṇ kā rājya hai , na rāmrājya hai .

144There is neither the kingdom of Lakshmi and Narayan nor the kingdom of Rama.

134Ab hai kaliyug kā ant .

145It is now the end of the iron age.

135Kaliyug kē bād jarūr satyug āyēgā .

146There will definitely be the golden age after the end of this iron age.

136Kaliyug mē̃ yah purānī , patit duniyā hai , mahān duḥkhī haĩ isliē dēvtāō̃ key|kī jākar mahimā gātē haĩ , māthā ṭēktē haĩ .

147There is this old, impure world in the iron age; everyone is in great sorrow. 148This is why they sing the praise of the deities and bow down to their idols.

137Achchhā lakṣhmī-nārāyaṇ kō yah rājya kisnē diyā  ?

149OK, who gave Lakshmi and Narayan their kingdom?

138Kōī hai jō batā sakē .

150Is there anyone who can tell us this?

139Kōī K|kē bhī khyāl mē̃ nahī̃ hōgā kyōṅki buddhi mē̃ hai kaliyug abhī bachchā hai .

151This wouldn’t be in anyone’s thoughts, because their intellects think that the iron age is still in its infancy.

14040 hajār varṣh paṛē haĩ isliē yah khyāl ātē hī nahī̃ .

152They think that there are still 40,000 years left. 153Therefore, these thoughts don’t enter their intellects.

141Abhī tumkō yah khyāl ātā hai .

154You now have these thoughts.

142Kaī bachchē kahtē haĩ hamē̃ yād nahī̃ rahtī .

155Some children say that they are unable to stay in remembrance.

143Kyō̃ nahī̃ rahtī  ?

156Why not?

144Kyōṅki savērē-savērē uṭhkar yād mē̃ baiṭhkar dhārṇā nahī̃ kartē .

157Because they don’t wake up early in the morning and imbibe this knowledge while sitting in remembrance.

145Samajhtē bhī haĩ phir kiskō samjhā nahī̃ saktē .

158They understand it but are unable to explain it to anyone.

146Yah tō jarūr hōgā .

159This will definitely happen.

147Sab ēkras tō samajhdār ban na sakē̃ .

160Not everyone can become sensible to the same extent.

148Samajhdār bhī chāhiē , bēsamajh bhī chāhiē .

161There have to be those who are sensible and those who are senseless.

149Bahut samajhdār tō jākar rājā-rānī banē̃gē .

162Those who are very sensible will go and become kings and queens.

150Jitnā-jitnā jō jāstī samajhtē aur samjhātē haĩ unkā nām bālā hōtā hai .

163The more someone understands and explains to others, the more his name will be glorified.

151Pradarśhaniyā̃ hōtī haĩ tō likhtē haĩ bābā phalānī kō bhēj dō .

164When they hold an exhibition, they write to Baba and ask him to send So-and-so.

152Tō kyā tum nahī̃ samjhā saktē hō  ?

165Can you not explain?

153Bābā unkī practice jāstī hai .

166“Baba, that one has more practice.

154Ham thōṛē kachchē haĩ .

167We are still a little weak.”

155Bābā khud bhī kahtē haĩ - kahā̃ sē bhī nimantraṇ miltā hai tō likhkar bhējō , kaun-kaun haĩ , tō ham dēkhē̃gē kis-kisakō bhējnā chāhiē .

168Baba Himself says: Whenever you receive an invitation, write to Baba and then Baba will see who is available and who should be sent.

156Sannyāsī bhī us nimantraṇ par haĩ kyā  ?

169Are there any sannyasis who have also been invited to that same place?

157Phir bahut achchhī brahmākumārī kō bhējnā hōgā .

170In that case, a very good Brahma Kumari should be sent there.

158Achchhā kumārkā hai , manōhar hai , gaṅgē hai - ismē̃ sē kisī kō bhēj dō .

171OK, you can send anyone out of Kumarka, Manohar, Ganga.

159Bachchē tō ḍhēr haĩ .

172There are many children.

160Jagdīśh kō bhēj dō , Ramēśhh kō bhēj dō .

173Send Jagdish! 174Send Ramesh!

161Tum bhī samajhtē hō , ēk dō sē hōśhiyār haĩ . 162Jaisē judge magistrate hōtē haĩ .

175You can also understand that each one is cleverer than the other, just as there are judges and magistrates.

163Ēk dō sē hōśhiyār hōtē haĩ .

176They are all cleverer than each other.

164Government jāntī hai , ēk dō sē hōśhiyār haĩ .

177The Government knows that each one is cleverer than the other.

165Tab tō case ēk dō sē ūpar jātē haĩ phir hāīkōrṭa mē̃ jāō phir unsē ūpar .

178This is why a case goes from one court to another, higher court. 179Then, when the case reaches the High Court, it is then put to the court above that.

166Usnē bhī judgement ṭhīk na dī|the tō phir ussē ūpar jāyēṅgē . 167Inkē ūpar tum rahm karō .

180If that one doesn’t give the right judgement, the case is taken to a higher court: “Have mercy on this one!”

168Ab yah sab bātē̃ yahā̃ hōtī haĩ .

181Such things happen here.

169Satyug , trētā mē̃ hōtī nahī̃ .

182They don’t happen in the golden and silver ages.

170Phir dvāpar mē̃ rājā-rānī kā rājya hōtā hai .

183From the copper age, there is the kingdom of the king and queen.

171Vahā̃ tō mahārājā-mahārānī hī case sambhāltē haĩ .

184There, it would be the emperor and empress, who look after all the cases.

172Case hōṅgē bhī thōṛē .

185There would only be a few cases.

173Abhī tō tamōpradhān patit haĩ nā .

186Now, all are impure and tamopradhan.

174Tō bādśhāh kē pās case jāyēgā tō thōṛī sazā dē dētē haĩ .

187If a case were taken to the emperor, he would give a small punishment.

175Kaṛī bhūl hōgī tō kaṛī sazā dēgē .

188If the mistake made was serious, he would give a severe punishment.

176Yahā̃ tō kitnē judge vakīl ḍhēr haĩ .

189Here, there are so many judges and lawyers.

177Itnā kārōbār mē̃ fark hai , satyug mē̃ kyā hōtā hai , yah kiskō patā nahī̃ .

190There is such a big difference in the activities. 191No one knows what happens in the golden age.

178Ab bāp nē samjhāyā hai - kōī sē bhī pūchhō , in lakṣhmī-nārāyaṇ kō jāntē hō  ?

192The Father has now explained to you: Ask anyone if they know Lakshmi and Narayan.

179Jaisē birlā hai , bahut mandir banātē rahtē haĩ tō kōī achchhā bachchā hō , unkō chiṭṭhī likhē . 180Tum lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē mandir tō bahut banvātē hō . 181Inhō̃ kō yah rājdhānī kaisē milī , jabki satyug sē pahlē kaliyug thā  ?

193For instance, Birla has built many temples to them, so a clever child should write a letter to him: “You have had many temples built to Lakshmi and Narayan, but how did they receive their kingdom, since it was the iron age before the golden age?”

182Kaliyug mē̃ tō kuchh hai nahī̃ .

194There is nothing in the iron age.

183Dēvtāō̃ nē tō kōī sē laṛāī kī nahī̃ hōgī .

195The deities would not have fought with anyone.

184Laṛāī sē kōī viśhva K|kē mālik ban nahī̃ saktē .

196No one can become a master of the world by fighting.

185Viśhva K|kē mālik jō thē unhō̃ K|kē yah lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē chitra rakhē huē haĩ .

197The pictures of Lakshmi and Narayan are the pictures of those who were the masters of the world.

186Abhī tō hai kaliyug .

198It is now the iron age.

187Yahā̃ laṛāī chaltī hai hathiyārō̃ key|kī .

199Here, people fight with weapons.

188Bāp nē samjhāyā hai kriściyan dharm vālē hī āpas mē̃ mil jāē̃ , āpas mē̃ prīt rakhē̃ tō viśhva K|kē mālik ban saktē haĩ .

200The Father has explained that if those who belong to the Christian religion were to come together and love one another, they could become the masters of the world.

189Parantu viśhva K|kē mālik tō lakṣhmī-nārāyaṇ hī bantē haĩ .

201However, it is only Lakshmi and Narayan who become the masters of the world.

190Buddhi kahtī hai yah āpas mē̃ mil jāē̃ - tō mālik ban saktē haĩ parantu satyug mē̃ king-queen tō kōī ban na sakē̃ .

202The intellect says that if they were to come together, they could become the masters of the world, but none of them can become a king or queen of the golden age.

191Drama hī aisā banā huā hai .

203The drama is created in this way.

192Abhī ham phir sē yōgbal sē svarg kā varsā lē rahē haĩ .

204We are now once again claiming our inheritance of heaven with the power of yoga.

193Tum batā saktē hō - kalp pahlē bhī saṅgam par bāp sē pad pāyā hai .

205You can explain to them how they also attained their status from the Father a cycle ago at the confluence age.

19484 janm pūrē huē phir sē varsā lē rahē haĩ .

206We have completed 84 births and we are once again claiming our inheritance.

195Achchhā  !

207Achcha.

196Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

208To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

197Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

209The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

198Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

210Essence for dharna:

1991 ) svayã mē̃ dhārṇā karnē aur dūsrō̃ kō karānē kē liē - savērē-savērē uṭhkar bāp kī yād mē̃ baiṭhnā hai .

2111. In order to imbibe this knowledge and inspire others to imbibe it, wake up early in the morning and stay in remembrance of the Father.

200Jō samjhā hai usē dūsrō̃ kō samjhānē key|kī practice karnī hai .

212Practise explaining to others what you yourself have understood.

2012 ) laukik sambandhō̃ sē buddhi yōg nikāl ēk pārlaukik bāp kō yād karnā hai .

2132. Remove your intellect’s yoga from worldly relations and remember the one Father from beyond this world.

202Bāp sē jō gyān milā hai , vah sunkar sabkō sunānā hai . 203Yahī tumhārā dhandhā hai .

214It is your business to listen to this knowledge that you receive from the Father and to relate it to others.

Blessing

204Vardān  : samānē key|kī śhakti dvārā ēkmat kā vātāvaraṇ banānē vālē dr̥iṣhṭānt rūp bhav

215Blessing: May you have the power of accommodation and become an example of one who creates an atmosphere of unity.

205Jō ēk jaisē maṇakē haĩ , ēk key|kī hī lagan aur ēkras sthiti mē̃ sthit , ēk key|kī mat par chalnē vālē haĩ , āpas mē̃ saṅkalpō̃ mē̃ bhī ēkmat haĩ , vahī mālā mē̃ pirōyē jātē haĩ .

216Those beads are similar who have love for the One and have a constant and stable stage, those who follow the directions of the One, who are united in their thoughts among themselves. 217They are the ones who can be threaded in the rosary.

206Lēkin ēkmat kā vātāvaraṇ tab banēgā jab samānē key|kī śhakti hōgī .

218However, an atmosphere of following one direction can only be created when you have the power to accommodate.

207Yadi kōī bāt mē̃ bhinnatā hō jātī hai tō us bhinnatā kō samāō tab āpas mē̃ ēktā sē samīp āyēṅgē aur sabkē āgē dr̥iṣhṭānt rūp banē̃gē .

219If there is a difference of opinion in any situation, you have to accommodate that difference, for only then will you come close together with that unity and become an example for everyone.

Slogan

208Slōgan  : her|har saṅkalp , vāṇī aur karma mē̃ rūhāniyat dhāraṇ karō tab service mē̃ raunak āyēgī .

220Slogan: Imbibe spirituality in your every thought, word and action and there will then be splendour in the service you do.

221*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

209Yē avyakt iśhārē - sadā achal , aḍōl , ēkras sthiti kā anubhav karō

222Avyakt Signal: Constantly experience an unshakeable, immovable and constant stage.

210Kōī bhī dardnāk scene dēkhtē huē nothing new , jinhē̃ yah nothing new kā pāṭh pakkā hai vah ghabrā nahī̃ saktē .

223When you see any painful scene, be aware that it is nothing new. 224Those who have made the lesson of “nothing new” firm will never be afraid.

211Kyā huā , kaisē huā , yah huā . . . samāchār suntē , dēkhtē bhī drama key|kī banī huī bhāvī kō śhaktiśhālī ban dēkhtē aur aurō̃ kō bhī śhakti dētē chalō .

225“What happened? 226How did it happen? 227This happened…” 228While hearing and seeing the news, remain powerful while seeing the predestined drama unfold and continue to give power to others.

212Duniyā vālē ghabrātē aur āp ēkras sthiti mē̃ rah un ātmāō̃ mē̃ śhakti bhartē .

229People of the world become afraid, whereas you fill those souls with power.

213Jō bhī samparka mē̃ āyē , usē śhaktiyō̃ kā , śhānti kā dān dētē chalō .

230Continue to give the donation of peace and powers to all those who come into contact with you.