शनिवार 9 मई 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

009-05-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

009/05/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum yahā̃ āyē hō self realise karnē , tum apnē kō ātmā samajh paramātmā bāp sē sunō , dēhī-abhimānī rahnē kā abhyās karō ' '

1Essence: Sweet children, you have come here to realise yourselves. 2Consider yourselves to be souls and listen to the Father, the Supreme Soul. 3Practise remaining soul conscious.

Question

2Praśhna  : kaī bār bachchō̃ sē kōī-kōī pūchhtē haĩ ki tumnē ātmā kā sākṣhātkār kiyā hai , tō tum unhē̃ kaun sā uttar dō  ?

4Question: What should you reply to people who ask you children if you have had a vision of a soul?

Answer

3Uttar  : bōlō hā̃ , hamnē ātmā kā sākṣhātkār kiyā hai .

5Answer: Tell them: “Yes, we have had a vision of a soul.

4Ātmā jyōtibindū hai .

6A soul is a point of light.

5Ātmā mē̃ hī achchhē vā burē saṅskār haĩ .

7It is the soul that has good and bad sanskars.

6Ātmā key|kī sārī knowledge abhī hamē̃ milī hai .

8We have now received all the knowledge of souls.

7Jab tak ātmā kā sākṣhātkār nahī̃ kiyā thā tab tak dēh-abhimānī thē .

9Before we had a vision of a soul, we were body conscious.

8Abhī hamē̃ paramātmā dvārā god realisation aur self realisation huā hai .

10We have now received God realisation and self-realisation from the Supreme Soul.”

Song

9Gīt  : na vah hamsē judā hōṅgē …

11Song: Neither will He be separated from us, nor will there be any sorrow!

Murli

10Ōm śhānti .

12Om shanti.

11Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē yah gīt sunā .

13You sweetest, spiritual children heard this song.

12Rūhānī bachchē kahtē haĩ śharīr dvārā .

14Spiritual children sing this through their bodies.

13Aisē kōī kabhī nahī̃ kahē̃gē ki ham mar miṭē̃gē sādhū-santō̃ kē ūpar .

15None of them would say that they will sacrifice themselves to sages or holy men.

14Bachchē jāntē haĩ - hamkō unkē sāth jānā hai , yah śharīr chhōṛ dēnā hai isliē kahtē haĩ , yah śharīr chōṛakarakē ham chalē jāyēṅgē bāp kē sāth .

16You children know that we have to go back with Him and leave our bodies here. 17This is why it is said: We will shed these bodies and go back home with the Father.

15Bāp āyē hī haĩ sāth lē jānē .

18The Father has only come in order to take us back with Him.

16Yah bahut samajh key|kī bāt hai .

19This is a matter of great understanding.

17Bachchē bulātē haĩ , ham patitō̃ kō ākar pāvan banāō , phir kyā karū̃ .

20Children are calling out: “Come and make us impure ones pure.” 21So, what should I do?

18Yahā̃ tō nahī̃ chhōṛ jāyēṅgē .

22I will not leave you behind here.

19Yah sārī duniyā patit hai is patit duniyā sē pāvan duniyā mē̃ lē jānē kē liē bāp āyē haĩ .

23This whole world is impure and the Father has come to take you from this impure world to that pure world.

20Ham ātmāō̃ kō sāth lē jāyēṅgē .

24He will take us souls back with Him.

21Yah sārī duniyā vicious hai - yah bhī tum jāntē hō .

25You know that this whole world is vicious.

22Tum kiskō vikārī , patit kahē̃gē tō bhī bigaṛ paṛē̃gē .

26If you called someone vicious and impure, he would get upset.

23Manuṣhyō̃ kō samjhānā baṛā yukti sē hai .

27You have to explain to people very tactfully.

24Mahimā karnī hai ēk bāp key|kī .

28Praise the one Father.

25Abhī tum bachchō̃ kō knowledge milī hai , baṛī samajh sē bāt karnī hai .

29You children have now received this knowledge. 30You have to talk very sensibly.

26Kahā̃ dēkhtē hō , praśhna-uttar kartē haĩ tō bōlō ham abhī kachchē haĩ , baṛī bahin ākar respond dē̃gī .

31When you see that someone is asking too many questions, just say that you are still weak in this and that our senior sister will come and reply to you.

27Tum kahtē hō , śhivbābā samjhātē haĩ , bhagvānuvāch - manuṣhya sab patit haĩ .

32Say that it is Shiv Baba who speaks. 33God speaks: All human beings are impure.

28Patit tō bhagvān hō nahī̃ saktā .

34Impure beings cannot be called God.

29Patit-pāvan kō bulātē haĩ kyōṅki patit haĩ .

35Because people are impure, they call out to the Purifier.

30Dēhdhāriyō̃ kō bhagvān nahī̃ kah saktē .

36Bodily beings cannot be called God.

31Bhagvān nirākār śhiv kō kahā jātā hai , śhiv K|kē mandir bhī bahut haĩ .

37Incorporeal Shiva is called God. 38There are many temples to Shiva.

32Pahlē-pahlē jab ēk bāt kō samajh lēvē̃ tab ṭhahar sakē̃gē .

39Only when they understand this aspect will they then be able to remain here.

33Pahlē-pahlē batāō ki śhiv bhagvānuvāch - śhiv bābā kahtē haĩ ki māmēkam yād karō .

40First of all, tell them: God Shiva speaks. 41Shiv Baba says: Constantly remember Me alone!

34Unkō apnā śharīr hai nahī̃ .

42He doesn’t have a body of His own.

35Brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kō bhī apnā sūkṣhma śharīr hai . 36Dēkhnē mē̃ ātā hai .

43Even Brahma, Vishnu and Shankar have their own subtle bodies and they are visible.

37Yah tō dēkhnē mē̃ nahī̃ ātā hai .

44That One is not visible.

38Unkō kahā hī jātā hai - parampitā paramātmā .

45He is called the Supreme Father, the Supreme Soul.

39Tum bhī kahē̃gē ham ātmā ēk śharīr chhōṛ dūsrā lētā hū̃ .

46You also say: “I, a soul, shed one body and take another.”

40Tumnē apnī ātmā kā sākṣhātkār kiyā hai .

47You have had a vision of yourself, the soul.

41Bhakti mārg mē̃ sākṣhātkār kē liē naudhā bhakti kartē haĩ .

48On the path of devotion, people do intense devotion in order to have a vision.

42Parantu bhakti karnē vālō̃ nē kab sākṣhātkār nahī̃ kiyā hai .

49However, those who do devotion have never had a vision of God.

43Vah kyā chīz hai , yah bilkul nahī̃ jāntē haĩ .

50They don’t know what He is at all.

44Sirph kahtē haĩ - vah nirākār hai .

51They simply say that He is incorporeal.

45Bātchīt tō ātmā kartī hai .

52It is the soul who speaks.

46Saṅskār bhī ātmā mē̃ rahtē haĩ .

53Sanskars too are in each soul.

47Ātmā nikal jātī hai tō na ātmā , na śharīr bāt kar saktē haĩ .

54When a soul leaves his body, neither the soul nor the body can speak.

48Ātmā bigar śharīr kuchh kar na sakē .

55A body cannot do anything without a soul.

49Pahlē tō ātmā kō pahchānnā hai aur bāp dvārā hī bāp kō pahchān sakē̃gē .

56First of all, recognise the soul. 57You will only be able to recognise the Father through Him.

50Ātmā kō parampitā paramātmā kā sākṣhātkār kaisē hō saktā hai - jabki apnē kō hī nahī̃ jān , dēkh saktī .

58Since a soul cannot know or see himself, how could he have a vision of the Supreme Father, the Supreme Soul?

51Bhal kahtē haĩ «  chamaktā hai azab sitārā ' ' parantu yah kiskō patā nahī hai ki ātmā mē̃ 84 janmō̃ kā part nūndhā huā hai .

59Although they speak of a wonderful star sparkling in the centre of the forehead, no one knows that a part of 84 births is recorded in the soul.

52Manuṣhya bilkul dēh-abhimānī rahtē haĩ .

60Human beings are totally body conscious.

53Ab bāp kahtē haĩ dēhī-abhimānī banō .

61The Father says: Now become soul conscious!

54Apnē kō ātmā samajh phir mērē dvārā sunō .

62Consider yourselves to be souls and then listen to Me.

55Sunnē vālī ātmā hai , ātmā kō sunānē vālā paramātmā chāhiē .

63It is the soul who listens and there has to be the Supreme Soul who explains to souls.

56Manuṣhya kō samjhānē vālā manuṣhya hī hōgā .

64It is human beings who explain to human beings.

57Yah ātmā kā gyān kiskō hai nahī̃ isliē kahā jātā hai pahlē ātmā kō jānō .

65No one has any knowledge of souls. 66This is why it is said that you first have to know the soul.

58Self realise karō .

67Realise the self.

59Ātmā khud hī kahtī hai - ātmā kō ham realise kaisē karē̃ .

68The soul himself asks: How can I realise the soul?

60Yah thōṛēhī kiskō patā hai , hamārī ātmā mē̃ kaisē sārā part bharā huā hai .

69No one knows how a whole part is recorded in each soul.

61Sādhū-sannyāsī ādi kōī batā na sakē̃ .

70None of the sages or sannyasis can tell you these things.

62Bāp kō hī ākar bachchō̃ kō self realise karānā paṛtā hai .

71The Father has to come Himself to make you realise yourself.

63Bāp kahtē haĩ - apnē kō ātmā samajh mujh nirākār parampitā paramātmā sē sunō .

72The Father says: Consider yourselves to be souls and listen to Me, the incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul.

64Ātmā aur paramātmā jab milē̃ tab yah bātē̃ hō̃ .

73This conversation can only take place when souls meet the Supreme Soul.

65Duniyā kō yah patā hī nahī̃ hai ki parampitā paramātmā kab āyēṅgē . 66Kaisē ākar samjhāyēṅgē  ?

74The world doesn’t know when the Supreme Father, the Supreme Soul, comes or how He comes and explains.

67Na jānnē K|kē kāraṇ matbhēd mē̃ ā jātē haĩ .

75Because people don’t know this, there are conflicting opinions.

68Un sabkā madār hai śhāstrō̃ par .

76All of that depends on the scriptures.

69Bāp kahtē haĩ - unsē na tum mujhē realise kar sakē̃gē , na apnē kō realise kar sakē̃gē .

77The Father says: You are not able to realise Me or yourselves from any of those.

70Vah tō kah dētē ātmā sō paramātmā .

78They say that each soul is the Supreme Soul.

71Aisē kahnē sē kyā hōtā .

79What would happen by saying that?

72Hamkō patit sē pāvan kaun banāyēṅgē  ?

80Who would then make us pure from impure?

73Trikāldarśhī kaun banāyēṅgē  ?

81Who would make us trikaldarshi?

74Kōī bhī ātmā aur paramātmā kā gyān tō dē nahī̃ saktē isliē tum kahtē hō jō ātmāyē̃ apnē bāp kō nahī̃ jāntī haĩ , vah nāstik haĩ .

82No one else could then give us this knowledge of souls or the Supreme Soul. 83This is why you say that the souls who don’t know their Father are atheists.

75Vō phir kah dētē ki jō bhakti nahī̃ kartē , vah nāstik haĩ .

84Those people then say that those who don’t perform devotion are atheists.

76Ab tum bachchē bhakti tō kartē nahī̃ hō .

85You children don’t do any devotion.

77Tumhārē pās|pass chitra bahut achchhē haĩ .

86You have many good pictures.

78Chitrō̃ par hī samjhāyā jātā hai .

87Everything is explained in the pictures.

79Kōī nē world K|kē nakśhē dēkhē hī nahī̃ hōṅgē tō unkō kyā patā - London kahā̃ hai  ? 80America kahā̃ hai  ?

88If someone hasn’t seen a world map, how would he know where London or America is?

81Jab tak teacher baiṭh map par samjhāyē isliē tumnē yah chitra banāyē haĩ parantu detail mē̃ kōī samajh nahī̃ saktē .

89They would only know that when the teacher shows them a map and explains to them. 90This is why you have had the pictures made. 91However, no one is able to understand the detail.

82Sūryavanśhiyō̃ nē yah rājdhānī kahā̃ sē lī  ?

92Where did those of the sun dynasty claim their kingdom from?

83Phir chandravanśhiyō̃ nē kaisē lī  ?

93How did the moon dynasty then claim their kingdom?

84Kyā sūryavanśhī sē laṛāī kī  ?

94Did they battle with those of the sun dynasty?

85Tum samajhtē hō sabkō varsā ēk bāp sē miltā hai .

95You understand that everyone receives their inheritance from the one Father.

86Sūryavanśhī , chandravanśhī tō viśhva K|kē mālik haĩ .

96Those of the sun and moon dynasties are the masters of the world.

87Dūsrā kōī dharm hī nahī̃ hōtā hai tō laṛāī kī bāt hī nahī̃ .

97There are no other religions for there to be any question of a battle with anyone.

88Abhī tum samajhtē hō , ham viśhva K|kē mālik bantē haĩ .

98You now understand that you are becoming the masters of the world.

89Aisē nahī̃ ki sūryavanśhiyō̃ sē chandravanśhiyō̃ nē jītā vā yuddha chalī .

99It isn’t that there was a battle and that the moon dynasty defeated the sun dynasty.

90Nahī̃ , alag-alag gharānā hōtā hai .

100No; they are both separate dynasties.

91Ab tumhārī buddhi mē̃ yah chitrō̃ key|kī sārī knowledge hai .

101You now have all the knowledge of all the pictures in your intellects.

92School mē̃ bhī student paṛhtē haĩ tō buddhi mē̃ sārī knowledge ā jātī hai .

102When students study at school, all that knowledge is in their intellects.

93Chhōṭē bachchō̃ kō kitāb mē̃ dikhāyā jātā hai - yah hāthī hai , yah phalānā hai .

103Little children are shown pictures in books such as: this is an elephant and that this is so-and-so.

94Ab tum is drama kō jān gayē hō .

104You now know this drama.

95Yah sārā chakra buddhi mē̃ hai .

105You have the whole cycle in your intellects.

96Yah haĩ sārī naī bātē̃ aur in bātō̃ kō brāhmaṇ kul hī samajhē̃gē .

106All of these things are new and only those who belong to the Brahmin clan will understand these things.

97Dūsrē tō baiṭh phāltū debate karē̃gē .

107Others will just sit and debate uselessly.

98Aisē bhī nahī̃ sabkō ikaṭṭhā samjhāyā jā saktā hai .

108It isn’t that everything will be explained to everyone at the same time.

99Nahī̃ , alag-alag samjhānā hōtā hai .

109No; you have to explain to each one individually.

100Kāydā bhī hai pahlē bāp kō , ātmā kō samajhē̃ phir class mē̃ baiṭhē̃ tō samajhē̃gē , nahī̃ tō samajh hī nahī̃ sakē̃gē .

110It is a rule that they first have to understand the Father and souls before they sit in class. 111Otherwise, they won’t be able to understand anything.

101Sanśhay uṭhātē hī rahē̃gē .

112They will just continue to have doubts.

102Tumkō samjhānā hai bhagvān ēk hī hai - vah ūñch tē ūñch hai .

113You have to explain that there is only the one God and that He is the Highest on High.

103Dēvtāō̃ kō bhī bhagvān nahī̃ kah saktē .

114Even deities cannot be called God.

104Ātmā kā bhī gyān ab tumkō milā hai .

115You have now received the knowledge of souls.

105Karma kā phal ātmā hī bhōgtī hai .

116It is souls who experience the fruit of action.

106Saṅskār ātmā mē̃ hī rahtē haĩ .

117Sanskars are in each soul.

107Ātmā suntī hai in organs dvārā .

118The soul listens through these organs.

108Bhagvān bāp ēk hai , varsā unsē miltā hai .

119Bhagvan (God), the Father, is only One and you receive the inheritance from Him.

109Bābā nē samjhāyā hai - tum apnē kō ātmā niśhchay karō aur bāp sē buddhiyōg lagāō .

120Baba has said: Have the faith that each of you is a soul and that you have to connect your intellect in yoga to the Father.

110Janma-janmāntar bhakti kartē āyē hō .

121You have been doing devotion for birth after birth.

111Hanūmān K|kē bhī pujārī hōṅgē tō hanūmān kō yād karē̃gē vā śhrīkr̥iṣhṇa K|kē pujārī hōṅgē tō śhrīkr̥iṣhṇa kō yād karē̃gē .

122The worshippers of Hanuman will continue to remember Hanuman and the worshippers of Shri Krishna will continue to remember Shri Krishna.

112Abhī tumkō samjhāyā jātā hai - tum ātmā hō . 113Tumhārā parampitā paramātmā hai .

123It is now explained to you that you are souls and that the Supreme Soul is your Supreme Father.

114Unkō yād karnē sē hī bāp kā varsā milēgā , jō bāp hai svarg kā rachayitā , tō jarūr ham svarg mē̃ hōnē chāhiē .

124It is only by remembering Him that you will receive the inheritance from the Father who is the Creator of heaven. 125We will definitely be in heaven.

115Bhārat svarg thā .

126Bharat used to be heaven.

116Abhī tō svarg hai nahī̃ , jō rājāī hō .

127Heaven doesn’t exist now, so there is no kingdom of heaven.

117Nark mē̃ tō rāvaṇ key|kī rājāī hai .

128In hell it is the kingdom of Ravan.

118Hamārī rājdhānī kaisē chalī phir nīchē utarē , kuchh bhī nahī̃ jāntē .

129You didn’t know anything about how you ruled your kingdom or how you then came down.

119Abhī tum jāntē hō punarjanma lētē-lētē hamkō nīchē utarnā hī hai .

130You now know that you definitely have to come down while taking rebirth.

120Ab phir bāp kahtē haĩ , mujhē yād karō tō tum pāvan banē̃gē . 121Svarg kā varsā milēgā .

131The Father says: Now remember Me and you will become pure and receive your inheritance of heaven.

122Ham bāp K|kē bantē haĩ tō bāp kā varsā miltā hai .

132When we belong to the Father, we receive the Father’s inheritance.

123Parantu jab tak tamōpradhān sē satōpradhān na banē̃ , yōg sē pāvan na banē̃ tab tak varsā mil na sakē .

133However, until we become satopradhan from tamopradhan and become pure by having yoga, we cannot receive the inheritance.

124Bāp kahtē haĩ , mujhē yād karnē sē tumhārē vikarma vināśh hōṅgē , vikarmājīt banē̃gē , yah guarantee hai .

134The Father says: By remembering Me, your sins will be absolved and you will become conquerors of sinful actions. 135This is a guarantee.

125Samjhānī dēnī paṛtī hai .

136This explanation has to be given.

126Kōī samajhē̃gē , kōī tēj buddhi vālē hōtē tō śhōr machānē lagtē haĩ . 127Kōī na kōī vighna ḍālnē vālē nikal paṛtē haĩ .

137Some will understand, whereas others who are hot headed will begin to shout out loudly; there will be someone or other who will create obstacles.

128Kōī haṅgāmā karē tō bōlnā chāhiē - ēkānt mē̃ ākar samjhō .

138If anyone creates upheaval, tell him: “Come by yourself to understand this.

129Yahā̃ kā kāydā hai - 7 rōz bhaṭṭhī mē̃ rahkar samajhnā kyōṅki yah gyān nayā hōnē K|kē kāraṇ manuṣhya mūnjhtē haĩ .

139It is a rule here that you have to stay in a furnace (bhatthi) for seven days in order to understand all of these things.” 140Because this is new knowledge, people get confused.

130Kōī bhī pahlē nayā centre khultā hai tō usmē̃ hōśhiyār hōnē chāhiē jō sabkō samjhā sakē̃ .

141When a new centre is opened, there needs to be someone clever there who can explain to everyone.

131Bhagvān tō sabkā ēk hai , sab ātmāyē̃ bhāī haĩ .

142The God of all is One and all souls are brothers.

132Paramātmā sabkā bāp hai .

143The Supreme Soul is the Father of all.

133Pukārtē haĩ patit-pāvan āō tō jarūr vah pāvan hai , vah kabhī patit hōtē nahī̃ .

144People call out: “O Purifier, come! “ Therefore, He must definitely be pure; He never becomes impure.

134Bāp hī ākar patitō̃ kō pāvan banāyēṅgē .

145Only the Father comes and purifies the impure.

135Satyug mē̃ sab haĩ pāvan .

146In the golden age, all are pure.

136Kaliyug mē̃ sab haĩ - patit .

147In the iron age, all are impure.

137Patit bahut hōtē haĩ , pāvan thōṛē hōtē haĩ .

148There are many who are impure and very few who are pure.

138Satyug mē̃ sab tō nahī̃ jāyēṅgē .

149Not everyone will go to the golden age.

139Jō patit sē pāvan bantē haĩ , vahī pāvan duniyā mē̃ jātē haĩ .

150Those who become pure from impure will go to the pure world.

140Bākī sab nirvāṇ duniyā mē̃ chalē jāyēṅgē .

151All the rest will go to the land of Nirvana.

141Yah bhī jāntē haĩ , sārī duniyā ākar mat nahī̃ lēgī .

152You also know that not everyone in the world will come here to take directions.

142Yah muśhkil hai jō tum sārī duniyā kō mat dō .

153It would be difficult for you to give directions to the whole world.

143Abhī sabkī kayāmat kā samay hai .

154It is now the time of settlement for everyone.

144Vināśh sabkā hōnā hai .

155Everything has to be destroyed.

145Samjhānē key|kī baṛī yukti chāhiē . 146Jō śhānti sē baiṭh sunē̃ , disturbance na karē̃ .

156A very good method to explain all of this is needed so that people will sit and listen to it all peacefully without making a disturbance.

147Pahlē-pahlē tō bāp kā parichay dēnā hai . 148Śhivbābā hī patit-pāvan ṭhaharā|ṭhahrā , vahī samjhātē haĩ .

157First of all, give the Father’s introduction: Shiv Baba alone is the Purifier. 158Only He explains to us.

149Gītā mē̃ bhī akṣhar maśhhūr haĩ . 150Patit-pāvan bāp hī kahtē haĩ ki mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē .

159This expression of the Gita is very well known: The Purifier Father says: Remember Me and your sins will be absolved.

151Gītā sē hī yah akṣhar tailuk rakhtē haĩ .

160These words are only connected with the Gita.

152Śhivbābā nē kahā hai - mujhē yād karō .

161Shiv Baba said: Remember Me!

153Maĩ sarvśhaktimān , patit-pāvan hū̃ .

162I am the Almighty Authority, the Purifier.

154Gītā gyān dātā , gyān kā sāgar hū̃ .

163I am the Bestower of the Knowledge of the Gita and the Ocean of Knowledge.

155Gītā K|kē akṣhar tō haĩ nā .

164These words are from the Gita.

156Sirph vah kahtē haĩ śhrīkr̥iṣhṇa bhagvānuvāch , tum kahtē hō śhiv bhagvānuvāch .

165It is just that people say that they are the versions of God Shri Krishna, whereas you say that they are the versions of God Shiva.

157Bhagvān nirākār hai , vah kabhī punarjanma mē̃ nahī̃ ātē haĩ , alaukik divya janma lētē haĩ .

166God is incorporeal; He never takes rebirth. 167He takes a divine and unique birth.

158Khud hī samjhātē haĩ - maĩ sādhāraṇ būṛhē tan mē̃ ātā hū̃ , jiskō hī bhāgīrath kahtē haĩ .

168He, Himself, explains: I enter an ordinary old body which is called The Lucky Chariot.

159Brahmā dvārā hī rachnā rachtē haĩ .

169He creates creation through Brahma.

160Tō manuṣhya kā nām brahmā rakhā jātā hai .

170This is why a human being is named Brahma.

161Vyakt brahmā sē phir pāvan avyakt phariśhtā ban jātē haĩ .

171From being corporeal Brahma he becomes a pure, subtle angel.

162Bāp ātē hī haĩ - patitō̃ kō pāvan banānē .

172The Father comes to purify the impure.

163Tō jarūr phir patit duniyā patit śharīr mē̃ āyēṅgē .

173Therefore, He would definitely come into the impure world and enter an impure body.

164Yah hai detail key|kī samjhānī .

174This is a detailed explanation.

165Pahlē tō samjhānā chāhiē - bhagvān kahtē haĩ ki kalp pahlē muāphik mujhē yād karō tō tumhārē vikarma vināśh hōṅgē , patit sē pāvan banō .

175First of all, explain that God says: Remember Me as you did in the previous cycle and your sins will be absolved. 176Become pure from impure!

166Gātē bhī haĩ , hē patit-pāvan āō .

177They even sing: “O Purifier, come!”

167Gaṅgā tō hai hī .

178The Ganges exists all the time.

168Tum pukārtē hō tō jarūr kahā̃ sē āyēṅgē .

179Since you call out, He must definitely come from somewhere.

169Patit-pāvan ātē haĩ patit sē pāvan banānē kā part bajānē .

180The Purifier comes to play His part of purifying the impure.

170Bāp kahtē haĩ , tum pāvan thē phir tumhārē mē̃ khād paṛī hai , vah yōgbal sē hī nikalēgī .

181The Father says: You were pure and you then had alloy mixed into you. 182That can only be removed with the power of yoga.

171Tum pavitra ban jāyēṅgē phir pāvan duniyā mē̃ hī āyēṅgē . 172Patit duniyā kā vināśh hō jāyēgā .

183When you become pure, you will go to that pure world and this impure world will be destroyed.

173Jō samjhāyā jātā hai usē achchhī rīti sē dhāraṇ karnā hai .

184Imbibe very well everything that is explained to you.

174Ham tō sirph ūñch tē ūñch bāp key|kī mahimā kartē haĩ .

185We simply praise the highest-on-high Father.

175Bēhad kā bāp samjhātē haĩ tum 84 janmō̃ kā part bajātē-bajātē kitnē patit banē hō .

186The unlimited Father explains that you have become very impure while playing your parts of 84 births.

176Pahlē pāvan thē , ab patit banē hō phir yād kī yātrā par rahnē sē tum pāvan ban jāyēṅgē .

187You were pure at first and you have now become impure. 188Now, by staying on the pilgrimage of remembrance, you will become pure.

177Bhakti mārg sē tum sīṛhī nīchē utartē hī āyē hō .

189You have been coming down the ladder on the path of devotion.

178Yah tō bilkul hī sahaj bāt hai . 179Yah tō bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ baiṭhnā chāhiē .

190This is a very easy thing; let it sit in the intellects of you children.

180Savērē uṭhkar vichār sāgar manthan karnā chāhiē phir jō bhī āyē unkō samjhānā hai .

191Wake up early in the morning and churn the ocean of this knowledge and then explain to anyone who comes to you.

181Murlī key|kī mukhya points note kar dēnī chāhiē phir repeat karnī chāhiē . 182Tō dil par pakkā hō jāē .

192Note down the main points of the murli and then repeat them to yourself so that they become firm in your hearts.

183Pahlī-pahlī mukhya bāt hai bāp kō yād karnā .

193The first and foremost thing is to remember the Father.

184Bāp hī kahtē haĩ manmanābhav , mujhē yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē .

194The Father says: Manmanabhav! 195Remember Me and your sins will be absolved!

185Ab karō na karō tumhārī marjī .

196Whether you do this or not is up to you.

186Bāp kā pharmān tō milā huā hai .

197You have received the Father’s order.

187Pāvan duniyā mē̃ chalnā hai tō phir patit duniyā mē̃ buddhi kā yōg nahī̃ jānā chāhiē .

198If you want to go to that pure world, your intellects’ yoga should not be diverted to this impure world.

188Vikār mē̃ nahī̃ jānā hai .

199Don’t indulge in vice!

189Samjhānī tō bahut miltī rahtī hai .

200You continue to receive many explanations.

190Achchhā  !

201Achcha.

191Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

202To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

192Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

203The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

193Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

204Essence for dharna:

1941 ) savērē-savērē uṭhkar vichār sāgar manthan karnā hai .

2051. Wake up early in the morning and churn the ocean of this knowledge.

195Bāp jō sunātē haĩ usē note kar repeat karnā hai , dūsrō̃ kō sunānā hai .

206Note down and repeat to yourself whatever the Father tells you and then tell that to others.

196Sabkō pahlē-pahlē bāp kā hī parichay dēnā hai .

207First of all, give everyone the Father’s introduction.

1972 ) pāvan duniyā mē̃ chalnē kē liē is patit duniyā sē buddhiyōg nikāl dēnā hai .

2082. In order to go to that pure world, remove your intellect’s yoga from this impure world.

Blessing

198Vardān  : number one businessman ban ēk ēk second vā saṅkalp mē̃ kamāī jamā karnē vālē padampati bhav

209Blessing: May you be a number one businessman and use every second and thought to accumulate an income and thereby become a multimillionaire.

199Number one businessman vah hai jō svayã kō busy rakhnē kā tarīkā jāntā hai .

210A number one businessman knows the way to keep himself busy.

200Businessman arthāt jiskā ēk saṅkalp bhī vyarth na jāyē , her|har saṅkalp mē̃ kamāī hō .

211A businessman means someone who doesn’t waste a single thought, but earns something with every thought.

201Jaisē vah businessman ēk ēk paisē kō kārya mē̃ lagākar padamguṇā banā dētē haĩ , aisē āp bhī ēk ēk second vā saṅkalp kamāī karkē dikhāō tab padampati banē̃gē .

212Just as those businessmen use every penny and make it into multimillions, in the same way, when you earn something at every second and with every thought, you will become a multimillionaire.

202Issē buddhi kā bhaṭaknā band hō jāyēgā aur vyarth saṅkalpō̃ key|kī complain bhī samāpt hō jāyēgī .

213By doing this, your intellect will stop wandering and the complaint of having wasteful thoughts will finish.

Slogan

203Slōgan  : jō maṅgtā hai vō khuśhī K|kē khajānē sē sampann nahī̃ hō saktā .

214Slogan: Those who ask for anything can never have the full treasure of happiness.

215*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

204Yē avyakt iśhārē - sadā achal , aḍōl , ēkras sthiti kā anubhav karō

216Avyakt Signal: Constantly experience an unshakeable, immovable and constant stage.

205Sadā master sarvśhaktivān key|kī seat par set rahnē vālē hī achal aḍōl rahtē haĩ .

217Only those who are constantly seated on the seat of a master almighty authority can remain constantly unshakeable and immovable.

206Bāpdādā kahtē haĩ bachchē śharīr bhī chalā jāyē lēkin āpkī khuśhī nahī̃ jāyē .

218BapDada says: Even if you have to shed your body, you must not let go of your happiness.

207Paisā tō uskē āgē kuchh bhī nahī̃ hai , jiskē pās|pass khuśhī kā khajānā hai uskē āgē kōī baṛī bāt nahī̃ aur sadā sahyōgī sēvādhārī bachchō̃ kē sāth bāpdādā rahtē haĩ isliē ghabrānē key|kī kōī bāt nahī̃ hai .

219Money is nothing compared to that. 220For those who have the treasure of happiness, nothing is difficult, and because BapDada is always with you constantly co-operative, serviceable children, there is nothing to be afraid about.