शनिवार 23 मई 2026 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
023-05-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
023/05/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban
Essence
1 « mīṭhē bachchē - rāvaṇ nē tumhē̃ bahut pīṛit kiyā hai , abhī tum bhaktō̃ kā rakṣhak bhagvān āyā hai tumhārī pīṛā kō dūr karnē ' '
1Essence: Sweet children, Ravan has made you suffer a lot and so God, the Protector of Devotees, has now come to remove your suffering.
Question
2Praśhna : sapūt bachchō̃ key|kī mukhya dō niśhāniyā̃ sunāō ?
2Question: What are the two main signs of worthy children?
Answer
3Uttar : sapūt bachchē sadā māt-pitā kō follow kar takhtnaśhīn banē̃gē .
3Answer: 1) Worthy children constantly follow the mother and father and claim their throne.
4Khūb puruṣhārth mē̃ lagē rahē̃gē .
4They remain engaged in making a lot of effort.
52 - unkī bāp sē dil bahut sachchī hōgī .
52) They are very honest with the Father.
6Sachchī dil vālē sadā śhrīmat par chalē̃gē .
6Those who have honest hearts constantly follow shrimat.
7Agar andar mē̃ sachchāī nahī̃ tō yād mē̃ rah nahī̃ saktē .
7If you don’t have internal honesty, you cannot stay in remembrance.
Song
8Gīt : bhōlēnāth sē nirālā …
8Song: No one is unique like the Innocent Lord.
Murli
9Ōm śhānti .
9Om shanti.
10Mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ nē yah bhakti mārg kā gīt sunā .
10You sweetest children heard this song of the path of devotion.
11Bhakta is gīt K|kē arth|earth kō nahī̃ jāntē .
11Devotees do not understand the meaning of this song.
12Tum bhagvān K|kē bachchē banē hō .
12You have become the children of God.
13Bhagvān rakṣhak hai , bhaktō̃ kā .
13God is the Protector of Devotees.
14Tum bhī rakṣhak hō bhaktō̃ K|kē . 15Bhaktō̃ key|kī rakṣhā kartē hō .
14You too are protectors of the devotees; you protect devotees.
16Kaunsī āphat hai jō bhagat rakṣhā karnē kē liē bhagvān kō bulātē haĩ ?
15What calamities do devotees experience that make them call out to God to come and protect them?
17Bhaktō̃ kō rāvaṇ kā bahut duḥkh hai .
16Devotees receive a lot of sorrow from Ravan.
18Rāvaṇ sampradāy pīṛit hai - duḥkhō̃ sē .
17The community of Ravan is suffering so much from all their sorrow.
19Tō bhōlānāth kō yād kartē haĩ .
18They therefore remember the Innocent Lord.
20Vah hai rāvaṇ sampadrāy , yah hai rām sampradāy .
19That is the community of Ravan, whereas this is the community of Rama.
21Bhaktō̃ kō yah patā hī nahī̃ hai ki hamārā rakṣhak kaun hai ?
20Devotees don’t know who their Protector is.
22Bhal gātē haĩ , bhōlānāth rakṣhak hai . 23Parantu kyā rakṣhā kartē haĩ , yah nahī̃ jāntē .
21Although they sing that the Innocent Lord is the Protector, they don’t know how He protects them.
24Tum bachchē ab samajhtē hō ki bhōlānāth śhivbābā hī bigaṛī kō banānē vālā hai .
22You children now understand that Shiv Baba, the Innocent Lord, reforms that which has been spoilt.
25Duniyā kō tō patā nahī̃ hai ki bhagvān kiskō kahā jātā hai .
23The world doesn’t know who God is.
26Bhagvān kā patā hō tō phir bhagvān key|kī rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā bhī patā hō .
24If they knew God, they would also know the beginning, the middle and the end of His creation.
27Na bhagvān kō jāntē , na rachnā kā patā hai isliē aisē manuṣhya sampradāy kō blind bhī kahā jātā hai .
25They neither know God nor anything about His creation. 26Therefore, such a human community would be called blind.
28Dūsrē taraph tum hō , jinkō divya dr̥iṣhṭi milī hai .
27On the other hand, there are all of you who have received divine vision.
29Ab tumhārā nām hī hai brahmākumār-kumāriyā̃ .
28Your name is Brahma Kumars and Kumaris.
30Board par bhī nām lagā huā hai - brahmākumārī īśhvarīy viśhva vidyālay .
29The name written on the board is: Brahma Kumaris World Spiritual University.
31Sirph brahmākumāriyā̃ hō nahī̃ saktī .
30It cannot just be Brahma Kumaris.
32Prajāpitā brahmā hai nā .
31The Father of People is Brahma.
33Pitā kē pās bachchē aur bachchiyā̃ dōnō̃ hōtē haĩ .
32A father has both sons and daughters.
34Prajāpitā brahmā kō hī itnē ḍhēr bachchē hō saktē haĩ .
33Only Prajapita Brahma can have so many children.
35Tō samajhnā chāhiē yah bēhad kā pitā hai .
34So, you should understand that he is an unlimited father.
36Yah bhī jāntē haĩ brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kō rachnē vālā bāp hī hai , jiskō nirākār kahā jātā hai .
35You also know that it is only the Father who creates Brahma, Vishnu and Shankar and that He is called the incorporeal One.
37Yah hō gayā bēhad kā bāp .
36He is the unlimited Father.
38Yah bhī jāntē hō parampitā paramātmā brahmā dvārā rachnā rachtē haĩ .
37You also know that the Supreme Father, the Supreme Soul, creates creation through Brahma.
39Inkī sārī rachnā hai - sab manuṣhya mātra vāstav mē̃ śhivvanśhī haĩ .
38His entire creation, all human beings, are, in fact, the dynasty of Shiva.
40Abhī tum ākar prajāpitā brahmā key|kī santān banē hō .
39You have now become the children of Prajapita Brahma.
41Yah hai naī rachnā .
40This is a new creation.
42Parampitā paramātmā brahmā dvārā rachnā rachtē haĩ tō tumkō brahmākumār-kumāriyā̃ kahā jātā hai .
41The Supreme Father, the Supreme Soul, creates the creation through Prajapita Brahma. 42Therefore, you are called Brahma Kumars and Kumaris.
43Itnē bēhad K|kē bachchē haĩ jarūr bēhad kā varsā lētē hōṅgē .
43There are so many unlimited children and they must therefore definitely be claiming the unlimited inheritance.
44Bachchē jāntē haĩ , ham brahmākumār-kumāriyō̃ kō śhivbābā nē adopt kiyā hai .
44You children know that Shiv Baba has adopted you Brahma Kumars and Kumaris.
45Śhivbābā kahtē haĩ - tum hamārē bachchē hō .
45Shiv Baba says: You are My children.
46Tum ātmāyē̃ bhī nirākār thī .
46You souls were also incorporeal.
47Parantu gyān tō sākār mē̃ chāhiē .
47However, knowledge is required in the corporeal form.
48Tum jāntē hō ham ādi sanātan dēvī dēvtā dharm K|kē thē , brahmā dvārā rachnā yahā̃ hōtī hai .
48You know that you belonged to the original, eternal deity religion. 49Creation takes place here through Brahma.
49Śhiv jayantī bhī yahā̃ manāī jātī hai .
50The birthday of Shiva is also celebrated here.
50Yahā̃ magadh dēśh mē̃ hī janma liyā hai .
51He took birth in this impure land.
51Bāp kahtē haĩ yah dēśh bahut pavitra svarg thā .
52The Father says: This country (Bharat) was pure heaven.
52Abhī inkō nark , magadh dēśh kahā jātā hai .
53It is now called hell, an impure dirty land.
53Phir svarg bannā hai .
54It has to become heaven again.
54Tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai śhivbābā hamkō phir sē rājyōg sikhāē pavitra banātē haĩ .
55It is in the intellects of you children that Shiv Baba is once again teaching you Raja Yoga and making you pure.
55Gātē bhī haĩ patit-pāvan bhaktō̃ K|kē rakṣhak bhagvān .
56They sing that the Purifier is God, the Protector of Devotees.
56Bhakta hī pukārtē haĩ .
57Only devotees call out.
57Patit hōtē huē bhī apnē kō patit nahī̃ samajhtē haĩ .
58Although they are impure, they don’t consider themselves to be impure.
58Bāp samjhātē haĩ - tum sabhī patit hō .
59The Father explains that all of you are impure.
59Pāvan duniyā satyug kō , patit duniyā kaliyug kō kahā jātā hai .
60The golden age is called a pure world and the iron age is called an impure world.
60Bāp tumhē̃ sab right batātē haĩ .
61Everything the Father tells you is right.
61Lākhō̃ varṣh key|kī tō kōī chīz hōtī nahī̃ .
62There cannot be anything that is hundreds of thousands of years old.
62Manuṣhya ghōr andhiyārē mē̃ haĩ , samajhtē haĩ - kaliyug tō abhī chhōṭā bachchā hai .
63People are in extreme darkness. 64They think that the iron age is still in its infancy.
63Aur tum jāntē hō maut sāmnē khaṛā hai .
65You know that death is just ahead.
64Andhiyārē aur rōśhnī kā varṇan saṅgam par hī kiyā jātā hai .
66It is only at the confluence age that you speak about darkness and light.
65Ab tum ghōr prakāśh mē̃ āyē hō .
67You have now come into total light.
66Satyug mē̃ tum yah varṇan nahī̃ kar sakē̃gē . 67Vahā̃ yah knowledge hī nahī̃ rahtī .
68You will not be able to speak about these things in the golden age; this knowledge won’t remain there.
68Is samay bāp baiṭh bachchō̃ kō samjhātē haĩ , tum satyug mē̃ sūryavanśhī gharānē K|kē thē phir ant mē̃ ākar śhūdravanśhī gharānē K|kē banē hō .
69The Father sits here at this time and explains to you that, in the golden age, you belonged to the sun-dynasty clan and that, at the end, you became part of the shudra-dynasty clan.
69Ab phir brāhmaṇ vãnśhī banē hō .
70You have now once again become part of the Brahmin clan.
70Abhī tum hō sarvōttam brāhmaṇ kul K|kē , tum hō ūñch tē ūñch .
71You belong to the most elevated Brahmin clan; you are the highest of all.
71Yah īśhvarīy kul hai nā .
72This is the Godly clan.
72Bāp kē pās ātē haĩ tō bābā pūchhtē haĩ - kiskē pās|pass āyē hō ?
73When you come to the Father, He asks you: Whom have you come to?
73Tō kahtē haĩ bāp kē pās .
74You reply: To the Father.
74Bāp dō haĩ - ēk hai laukik , dūsrā pārlaukik .
75There are two fathers: a worldly one and the One from beyond this world.
75Sabhī sāligrāmō̃ kā bāp ēk hī śhiv hai .
76The Father of all the saligrams is Shiva alone.
76Tumhārī buddhi mē̃ yah ṭapaktā hai .
77This knowledge continues to trickle into your intellects.
77Ham ēk bāp K|kē bachchē haĩ , jissē varsā lētē haĩ .
78We are the children of the one Father from whom we claim our inheritance.
78Nirākār varsā tō sākār dvārā hī dēgē nā .
79The incorporeal One gives the inheritance through the corporeal one.
79Bāp khud kahtē haĩ - maĩ sādhāraṇ tan mē̃ ākar pravēśh kartā hū̃ .
80The Father Himself says: I come and enter an ordinary body.
80Ab bāp bachchō̃ kō kahtē haĩ bachchē , dēhī-abhimānī bhav .
81The Father now says: Children, may you be soul conscious!
81Apnē kō ātmā samjhō .
82Consider yourselves to be souls.
82Yah dēh vināśhī hai , ātmā avināśhī hai .
83This body is perishable, whereas the soul is imperishable.
83Ātmā kō hī 84 janma lēnē paṛtē haĩ , na ki dēh kō .
84It is the soul not the body that has to take 84 births.
84Dēh tō badaltī rahtī hai , phir dūsrē mitra-sambandhī miltē haĩ .
85The body is continually changed and it also has different friends and relatives.
85Abhī ātmā kō bēhad K|kē bāp sē varsā lēnā hai - parampitā paramātmā dvārā .
86Souls now have to receive their inheritance from the unlimited Father, the Supreme Father, the Supreme Soul.
86Tum hī sunkar phir dhāraṇ kartē hō .
87You listen to this and then imbibe it.
87Saṅskār tumhārī ātmā mē̃ haĩ .
88The sanskars are in you souls.
88Ātmā mē̃ hī saṅskār rahtē haĩ .
89Sanskars are always in souls.
89Aisē nahī̃ ki śharīr K|kē saṅskār kahē̃gē .
90You wouldn’t say that they are the sanskars of bodies.
90Nahī̃ , tumhārī ātmā K|kē saṅskār tamōpradhān haĩ .
91No, they are the sanskars of you, the souls, which are tamopradhan.
91Unkō ab change karnā hai .
92You now have to change them.
92Kāyā kalpatarū kahā jātā hai .
93It is said: The body is eternal.
93Kāyā kalpa vr̥ikṣha samān bantī hai .
94The body becomes as eternal as the kalpa tree.
94Āyu bhī baṛī rahtī hai .
95That means, it has a long lifespan.
95Tum jāntē hō - yahā̃ tō āyu bahut chhōṭī rahtī hai .
96You know that the lifespan here is very short.
96Chhōṭī āyu mē̃ hī baiṭhē-baiṭhē akālē mr̥iityu hō jātī hai .
97When they are just sitting somewhere, some have untimely death at a young age.
97Abhī tum kāl par vijay pātē hō .
98You are now conquering death.
98Vahā̃ kāl kabhī khātā nahī̃ .
99Death never comes to you there.
99Akālē kab śharīr nahī̃ chhūṭtā .
100No one leaves his body in an untimely way there.
100Tum jāntē hō - ab yah śharīr būṛhā huā hai , inkō chhōṛkar nayā lēnā hai .
101You know that this body has now become old. 102You have to renounce it and take a new one.
101Śharīr chhōṛnē samay bhī bājē bajtē haĩ , janm lēnē samay bhī bajtē haĩ .
103There, harmoniums play at the time of leaving the body as well as at the time of taking birth.
102Vahā̃ rōnē key|kī bāt hī nahī̃ hōtī .
104There is no question of crying there.
103Tumkō bhramarī kā misāl bhī samjhāyā hai .
105The example of the buzzing moth has been explained to you.
104Tum hō brāhmaṇ-brāhmaṇiyā̃ .
106You are Brahmins.
105Brāhmaṇī aur bhramarī rāśhi miltī hai .
107The words “Brahmins” and “brahmaris” (buzzing moths) sound similar.
106Jō kām bhramarī kartī hai , vahī tum bhī kartē hō .
108You also do the same work that the buzzing moths do.
107Wonder hai nā .
109It is a wonder.
108Bhramarī kā dr̥iṣhṭānt , kachhuō̃ kā , sarp kā yah sab śhāstrō̃ mē̃ haĩ .
110These examples of the buzzing moth, the tortoise and the snake are all mentioned in the scriptures.
109Sannyāsī ādi bhī yah misāl dētē haĩ .
111Sannyasis also give these examples.
110Abhī tum bachchē bāp dvārā yah sab samajh rahē hō .
112You children are now being given all of this understanding by the Father.
111Vah tō huā bhakti mārg . 112Past kā gāyan karnā , iskā phir bād mē̃ gāyan hōgā .
113That is the path of devotion, where they remember the past. 114Everything that happens here is remembered later on.
113Is samay hī bāp is tan mē̃ ātē haĩ , inkō ( brahmā kō ) bhagvān nahī̃ kahā jātā hai .
115It is only at this time that the Father enters this body. 116This one (Brahma) is not called God.
114Vah tō phir andhaśhraddhā hō jātī hai .
117That would be blind faith.
115Aisē bhī manuṣhya haĩ jō rām kō , kr̥iṣhṇa kō bhagvān samajhtē haĩ .
118There are people who call Rama and Krishna God.
116Kr̥iṣhṇa kē liē , rām kē liē bhī kah dētē vah tō sarvavyāpī hai .
119They even say that Rama and Krishna are omnipresent.
117Kōī kr̥iṣhṇapanthī , kōī rādhē panthī hōtē haĩ .
120Some belong to the path of Radhe and others belong to the path of Krishna.
118Rādhē panthī vālē kahē̃gē , sarvatra rādhē hī rādhē haĩ .
121Those who believe in Radhe say that they only see Radhe wherever they look.
119Kr̥iṣhṇa panthī kahē̃gē , jidhar dēkhō kr̥iṣhṇa hī kr̥iṣhṇa hai .
122Those who believe in Krishna say that they only see Krishna wherever they look.
120Rām panthī rām hī rām kahē̃gē .
123Those who believe in Rama only see Rama everywhere.
121Samajhtē haĩ rām , kr̥iṣhṇa sē baṛā hai kyōṅki rām kō trētā mē̃ aur kr̥iṣhṇa kō dvāpar mē̃ lē gayē haĩ .
124They think that Rama is higher than Krishna because Rama has been portrayed in the silver age, whereas Krishna has been portrayed in the copper age.
122Kitnā agyān hai .
125There is so much ignorance!
123Ab bāp tum bachchō̃ kō samjhā rahē haĩ , kitnē ḍhēr brahmākumār-kumāriyā̃ haĩ , jarūr bēhad kā bāp hōgā .
126The Father is now explaining to you children. 127There are so many Brahma Kumars and Kumaris and so there must definitely be an unlimited father.
124Tum kōī sē bhī pūchh saktē hō , kabhī nām sunā hai prajāpitā brahmā kā ?
128You can ask anyone if he has ever heard of the name Prajapita Brahma.
125Bāp nē svarg key|kī naī rachnā rachī hai .
129The Father created that new creation of heaven.
126Gāyā bhī jātā hai brahmā dvārā brāhmaṇ .
130It is remembered that Brahmins are created through Brahma.
127Jab tak tum sab brāhmaṇ brahmā key|kī mukh vaṅśhāvalī nahī̃ banē hō tab tak dādē sē varsā lē nahī̃ saktē .
131You cannot claim the Grandfather’s inheritance until you become Brahmins, the mouth-born creation of Brahma.
128Bēhad K|kē bachchē bēhad kā varsā bāp sē hī lētē haĩ .
132You unlimited children claim the unlimited inheritance from the Father alone.
129Liyā thā barōbar .
133You truly did receive it.
130Barōbar svargvāsī thē .
134You truly were the residents of heaven.
131Abhī narkvāsī ban gayē haĩ , ab phir prajāpitā brahmā dvārā parampitā paramātmā viṣhṇupurī svarg rach rahē haĩ .
135You have now become the residents of hell. 136The Supreme Father, the Supreme Soul, is now creating the land of Vishnu, heaven, through Prajapita Brahma.
132Kitnā sahaj hai .
137This is so easy.
133Śhivbābā pūchhtē haĩ - āgē tumkō yah gyān thā ?
138Shiv Baba asks: Did you have this knowledge earlier?
134Inkī ātmā hī kahtī hai - mērē mē̃ yah gyān nahī̃ thā .
139This soul (Brahma) says: I did not have this knowledge in me.
135Maĩ bhī viṣhṇu kā pujārī thā , jō ham pūjya thē sō ab pujārī ākar banē̃ .
140I too was a worshipper of Vishnu. 141We, who were worthy of worship, have now become worshippers.
136Ab phir bābā ākar pujārī sē pūjya dēvtā banā rahē haĩ .
142Baba has now come and is once again making us worshippers into worthy-of-worship deities.
137Tum bachchō̃ kō andar mē̃ khuśhī rahnī chāhiē .
143You children should have this happiness inside you.
138Parampitā paramātmā nē ākar hamkō adopt kiyā hai .
144The Supreme Father, the Supreme Soul, has come and adopted you.
139Manuṣhya , manuṣhya kō adopt kartē haĩ nā .
145Human beings adopt human beings.
140Bahut manuṣhya hōtē haĩ , jinkō apnē bachchē nahī̃ hōtē haĩ tō adopt kartē haĩ .
146There are many people who adopt children when they don’t have children of their own.
141Ab bāp jāntē haĩ - mērē bachchē sab rāvaṇ K|kē ban gayē haĩ , isliē mujhē ākar phir sē adopt karnā paṛē .
147The Father knows that all of His children now belong to Ravan and that this is why He has to come once again and adopt you.
142Brahmā dvārā apnē bachchō̃ kō adopt kartē haĩ .
148He adopts His children through Brahma.
143Yah adoption kitnī wonderful hai .
149This adoption is so wonderful.
144Tum hī jāntē hō śhivbābā nē hamkō brahmā dvārā adopt kiyā hai .
150Only you know that Shiv Baba has adopted you through Brahma.
145Śhiv-bābā kahtē haĩ - mainnē tum bachchō̃ kō adopt kiyā hai , tumkō bēhad sukh kā varsā dēnē .
151Shiv Baba says: I have adopted you children in order to give you your inheritance of unlimited happiness.
146Yah brahmā tō dē nahī̃ saktē .
152This Brahma cannot give it to you.
147Yah bhī manuṣhya hai nā prajāpitā brahmā .
153Prajapita Brahma is also a human being.
148Manuṣhya yah gyān nahī̃ dētē haĩ .
154Human beings cannot give this knowledge.
149Gyān kā sāgar nirākār parampitā paramātmā hī baiṭh yah gyān dētē haĩ .
155Only the Ocean of Knowledge, the incorporeal Supreme Father, the Supreme Soul, sits here and gives this knowledge.
150Brahmā kō athavā viṣhṇu kō gyān sāgar nahī̃ kahā jātā .
156Neither Brahma nor Vishnu can be called the Ocean of Knowledge.
151In tīnō̃ key|kī mahimā alag hai .
157The praise of each of the three is different.
152Gyān sāgar , patit-pāvan ēk bāp hai .
158Only the one Father is the Ocean of Knowledge and the Purifier.
153Sārī duniyā K|kē manuṣhya mātra unkō bulātē haĩ .
159People all around the world call out to Him.
154Aṅgrējī mē̃ bhī kahtē haĩ - vah liberator hai .
160In English, they say that He is the Liberator.
155Jissē duḥkh miltā hai , ussē liberate kiyā jātā hai .
161You have to be liberated from someone who causes you sorrow.
156Bāp bhī yahā̃ ākar rāvaṇ sē liberate kartē haĩ .
162The Father comes here and liberates you from Ravan.
157Rāvaṇrājya bhī yahā̃ huā hai .
163The kingdom of Ravan is also here.
158Yahā̃ hī rāvaṇ kō jalātē haĩ .
164It is here that they burn Ravan.
159Jalākar phir kahtē haĩ , sōnē key|kī laṅkā lūṭnē jātē haĩ .
165They burn him and then go and loot the golden Lanka.
160Unkō tō kuchh patā nahī̃ hai . 161Rāvaṇ kyā chīz hai , kab kā yah duśhman hai .
166They don’t know anything about who Ravan is or when he became your enemy.
162Samajhtē haĩ rām key|kī sītā churāī gaī .
167They believe that Rama’s Sita was abducted.
163Yah nahī̃ samajhtē ki ham sab sītāyē̃ haĩ . 164Ham rāvaṇ key|kī jēl mē̃ phansī huī haĩ .
168They don’t understand that all of us are Sitas, that we are trapped in Ravan’s jail.
165Yah gyān kismē̃ bhī nahī̃ hai , kathāyē̃ baiṭh sunātē haĩ .
169Many sit and relate religious stories, but no one has this knowledge.
166Śhivbābā kahtē haĩ - maĩ dūrdēśh kā rahnē vālā āyā hū̃ is dēśh parāyē .
170Shiv Baba says: I, the Resident of the faraway land, have come here into this foreign land.
167Yah patit duniyā purānī hai nā , yah hai rāvaṇ key|kī duniyā .
171This impure world is old; it is the world of Ravan.
168Bulātē bhī haĩ hē bābā āō ham patit ban gayē haĩ .
172People call out: “O Baba, come; we have become impure.”
169Bāp kahtē haĩ hamkō pāvan banānē is patit duniyā mē̃ ānā paṛtā hai .
173The Father says: I have to come into this impure world to purify you.
170Aur mujhē ānā bhī us tan mē̃ hai jō pahlē number mē̃ pāvan thā , jō sundar thā vahī ab śhyām banā hai .
174I have to enter the body of the one who had the number one pure body. 175The one who was beautiful has now become ugly.
171Kitnī wonderful bātē̃ haĩ .
176These are such wonderful matters.
172Śhrīkr̥iṣhṇa kō śhyām-sundar kyō̃ kahtē haĩ , yah kiskō patā nahī̃ hai .
177No one knows why Shri Krishna is called the ugly and the beautiful one.
173Kyā ēk śhrīkr̥iṣhṇa kō hī sarp nē ḍasā ?
178Was only Shri Krishna bitten by a snake?
174Satyug mē̃ thōṛēhī sarp ādi hōtē haĩ .
179There are no snakes in the golden age.
175Bāp kahtē haĩ - yah antim janm mērē kāraṇ pavitra banō tō pavitra duniyā K|kē mālik banē̃gē .
180The Father says: For My sake, become pure in this last birth and you will become the masters of the pure world.
176Sirph mujhē yād karō aur pavitra banō .
181Simply remember Me and become pure!
177Alpha kō yād karō - tō bē bādśhāhī tumhārī hai .
182Remember Alpha and then beta, the kingdom, is yours.
178Yah hai sahaj rājyōg , sahaj rājāī .
183This is easy Raja Yoga, an easy kingdom.
179Bachchā paidā huā aur varsē kā hakdār banā .
184As soon as a child is born, he receives the right to an inheritance.
180Yahā̃ bhī bachchē jāntē haĩ ki ham bāp K|kē banē haĩ tō svarg kī rājāī K|kē ham hakdār haĩ .
185Here, too, you children know that, because you belong to the Father, you have the right to the kingdom of heaven.
181Ab bāp kahtē haĩ - satōpradhān sē tum tamōpradhān ban gayē hō .
186The Father says: From being satopradhan you have now become tamopradhan.
182Phir satōpradhān bannā hai .
187You now have to become satopradhan again.
183Yōg aur gyān sikhānē mē̃ ēk second lagtā hai .
188It takes a second to teach yoga and this knowledge.
184Bachchā paidā huā aur vāris niśhchay kiyā .
189As soon as a child is born, he has the faith that he is an heir.
185Tum bāp K|kē banē hō tō rājdhānī kā varsā tumhārā hai .
190You now belong to the Father and so the inheritance of the kingdom is yours.
186Parantu rājā-rānī sab tō nahī̃ banē̃gē .
191However, not everyone will become a king or queen.
187Yah hai rājyōg .
192This is Raja Yoga.
188Rājā-rānī , prajā , sāhū-kār , garīb sab chāhiē isliē rūdra mālā bhī banī huī hai , jō bhakti mārg mē̃ japtē haĩ .
193All are needed: the king and queen, subjects, rich and poor people. 194This is why, on the path of devotion, people turn the beads of a rosary of Rudra that has been created.
189Tum jāntē hō ham rājyōg sīkhnē āyē haĩ .
195You know that you have come here to study Raja Yoga.
190Māt-pitā kō follow kar pahlē-pahlē sūryavanśhī , chandravanśhī banē̃gē .
196By following the mother and father, you will first become part of the sun and moon dynasties.
191Sapūt bachchē vah jō māt-pitā kō follow kar takhtnaśhīn banē̃ .
197Worthy children are those who follow the mother and father and claim their throne.
192Puruṣhārth khūb karnā chāhiē .
198You have to make a lot of effort.
193Bāp kahtē haĩ - mujhē yād karō tō kartē nahī̃ , śhrīmat par chaltē nahī̃ haĩ .
199The Father says: Remember Me! 200However, you don’t do that. 201You don’t follow shrimat.
194Andar sachchāī nahī̃ hai .
202There isn’t that honesty inside you.
195Dil sachchī hō tō śhrīmat par chaltē , bāp kō yād kartē rahē̃ .
203If you had honesty in your hearts, you would follow shrimat and continue to remember the Father.
196Śhrīmat par hī tumkō dādē sē varsā miltā hai .
204It is only by following shrimat that you receive the Grandfather’s inheritance.
197Brahmā svarg kā varsā dē nahī̃ saktē .
205Brahma cannot give you the inheritance of heaven.
198Dādē key|kī kamāī par pōtrē kā hak rahtā hai .
206Grandchildren have a right to their grandfather’s wealth.
199Bāp key|kī kamāī K|kē bachchē bhāgīdār bantē haĩ tō hakdār haĩ .
207Children inherit their father’s income and so they have a right to it.
200Yahā̃ tumkō śhivbābā sē varsā miltā hai .
208Here, you are receiving the inheritance from Shiv Baba.
201Gyān ratna bāp sē hī miltē haĩ .
209Only from the Father do you receive the jewels of this knowledge.
202Tum jāntē hō - ham brāhmaṇ hī sō phir dēvī-dēvtā banē̃gē .
210You Brahmins know that you will become deities.
203Jagat ambā kaun hai ?
211Who is Jagadamba, the world mother?
204Bāp samjhātē haĩ - yah brāhmaṇī thī , gyān-gyānēśhvarī thī phir rāj-rājēśhvarī bantī hai .
212The Father explains that she too was a Brahmin. 213She was filled with this knowledge and who will then become a princess.
205Tum bhī aisē bantē hō .
214You will also become like that.
206Achchhā !
215Achcha.
207Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .
216To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.
208Rūhānī bāp key|kī rūhānī bachchō kō namastē .
217The spiritual Father says namaste to you spiritual children.
Essence for dharna
209Dhārṇā kē liē mukhya sār :
218Essence for dharna:
2101 ) ātmā mē̃ jō tamōpradhāntā K|kē saṅskār haĩ , unhē̃ yād K|kē bal sē change karnā hai .
2191. Change the tamopradhan sanskars that are in the soul with the power of yoga.
211Satōpradhān bannā hai .
220Become satopradhan.
2122 ) bāp sē rājāī kā varsā lēnē kē liē sadā sapūt bachchā ban śhrīmat par chalnā hai .
2212. In order to claim your inheritance of the kingdom from the Father, be a constantly worthy child and follow the Father’s shrimat.
213Sachchē bāp sē sachchā rahnā hai .
222Remain honest with the true Father.
214Māt-pitā kō pūrā follow karnā hai .
223Follow the mother and father completely.
215Gyān ratnō̃ kā dān kartē rahnā hai .
224Continue to donate jewels of this knowledge.
Blessing
216Vardān : apnē parivartan dvārā nirantar vijay key|kī anubhūti karnē vālē sachchē sēvādhārī bhav
225Blessing: May you constantly experience victory with your own transformation and become a true server.
217Jaisē nirantar yōgī banē hō aisē nirantar vijayī banō tō sachchē sēvādhārī ban jāyēṅgē kyōṅki vijayī ātmā , jab her|har saṅkalp , her|har kadam mē̃ vijay kā anubhav kartī hai tō unkā yah parivartan dēkh anēk ātmāō̃ key|kī sēvā svataḥ hōtī hai .
226Just as you have become constant yogis, similarly, become constantly victorious and you will then become true servers. 227This is because when victorious souls experience victory in every thought and at every step, many souls are automatically served when they see their transformation.
218Unkē nain rūhāniyat kā anubhav karātē haĩ , chalan bāp K|kē charitrō̃ kā sākṣhātkār karātī hai , mastak sē mastakmaṇi kā sākṣhātkār hōtā hai .
228Their eyes give the experience of spirituality, their behaviour gives a vision of the Father’s activities and the jewel on their foreheads shows a jewel of contentment.
219Aisē apnī avyakt sūrat sē sēvā karnē vālī viśhēṣh ātmā kō hī sachchā sēvādhārī kahā jātā hai .
229Special souls who serve with their avyakt image are called true servers.
Slogan
220Slōgan : viśhēṣhatāyē̃ vā guṇ dātā key|kī dēn haĩ , dātā kō dēkhō vyakti kō nahī̃ .
230Slogan: Specialities and virtues are gifts from God, so look at the Bestower, not at the person.
231*** Om Shanti ***
Avyakt Signal
221Yē avyakt iśhārē - sadā achal , aḍōl , ēkras sthiti kā anubhav karō
232Avyakt Signal: Constantly experience an unshakeable, immovable and constant stage.
222Ātmik sthiti K|kē abhyās sē vāyumaṇḍal kō rūhānī banāō tō aur sab bātē̃ svataḥ ṭhīk hō jāyēṅgī , sab ēkmat aur ēkras hō jāyēṅgē phir māyā bhī nahī̃ āyēgī kyōṅki vāyumaṇḍal śhaktiśhālī hōgā .
233With the practice of the soul conscious stage, make the atmosphere spiritual and everything will automatically work out fine. 234Everyone will be united in the one direction and become constant and then, because the atmosphere will be powerful, Maya will not come.
223Vāyumaṇḍal kō śhaktiśhālī banānē kē liē yād K|kē programme rakhō aur āpas mē̃ unnati kē liē ruh-ruhān key|kī classes karō , snēh milan karō . 224Dhārṇā key|kī classes rakhō tō saphaltā mil jāyēgī .
235In order to make the atmosphere powerful, make a programme for remembrance and have classes and spiritual chit-chat for your own progress. 236Have loving gatherings, have classes on dharna and you will receive success.