सोमवार 25 मई 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

025-05-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

025/05/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - apnē āpsē pūchhō ki maĩ karmēndriyajīt banā hū̃ , kōī bhī karmēndriy mujhē dhōkhā tō nahī̃ dētī haĩ  ! 2' '

1Essence: Sweet children, each of you should ask yourself: Have I become a conqueror of my physical senses? 2Do any of my physical senses deceive me?

Question

3Praśhna  : karmātīt bannē kē liē tum bachchō̃ kō apnē āpsē kaun sā vāydā karnā hai  ?

3Question: What should each one of you children promise yourself in order to become karmateet?

Answer

4Uttar  : apnē sē vāydā karō ki kōī bhī karmēndriy kabhī bhī chalāyamān hō nahī̃ saktī .

4Answer: Promise yourself that none of your physical senses will ever make mischief.

5Mujhē apnī karmēndriyā̃ vaśh mē̃ karnī haĩ .

5I have to control my physical senses.

6Bābā nē jō bhī direction diyē haĩ , unhē̃ amal mē̃ lānā hī hai .

6I definitely have to put into practice all the directions that Baba has given.

7Bābā kahē - mīṭhē bachchē , karmātīt bannā hai tō kōī bhī karmēndriy sē vikarma mat karō .

7Baba says: Sweet children, if you want to become karmateet, don’t perform sinful actions through any of your physical senses.

8Māyā baṛī prabal hai .

8Maya is very powerful.

9Āṅkhē̃ dhōkhēbāj haĩ isliē apnī sambhāl karō .

9The eyes are very deceitful and this is why you must take care of yourself.

Murli

10Ōm śhānti .

10Om shanti.

11Bachchē ātma-abhimānī hōkar baiṭhē hō  ?

11Children, are you sitting here in soul consciousness?

12Apnē āpsē pūchhō , har ēk bāt apnē āpsē pūchhnī paṛtī hai .

12Ask yourselves this. 13Each of you has to ask yourself everything.

13Bāp yukti batātē haĩ ki apnē sē pūchhō ātma-abhimānī hō baiṭhē haĩ  ?

14The Father shows you the way: Ask yourself: Are you sitting here in soul consciousness?

14Bāp kō yād kartē haĩ  ?

15Am I remembering the Father?

15Kyōṅki yah hai tumhārī rūhānī sēnā .

16This is your spiritual army.

16Us sēnā mē̃ tō hamēśhā javān hī bhartī hōtē haĩ .

17In other armies, it is only young ones who enrol.

17Is sēnā mē̃ javān 14-15 varṣh K|kē bhī haĩ tō 90 varṣh K|kē būṛhē bhī haĩ , tō chhōṭē bachchē bhī haĩ .

18In this army, there are young ones who are only 14 or 15 years old and even old ones who are 90 years old, as well as infants.

18Yah sēnā hai māyā par jīt pānē kē liē .

19This is the army to conquer Maya.

19Har ēk kō māyā par jīt pahan bāp sē bēhad kā varsā pānā hai kyōṅki māyā bahut duśhtar hai .

20Each of you has to conquer Maya and claim your unlimited inheritance from the Father because Maya is very powerful.

20Bachchē svayã bhī jāntē haĩ ki māyā baṛī prabal hai .

21You children can understand for yourselves that Maya is very powerful.

21Har ēk karmēndriy dhōkhā bahut dētī hai .

22Each of the physical senses causes a lot of deception.

22Sabsē pahlē jāstī dhōkhā dēnē vālī kaun see|sī|C karmēndriy hai  ?

23Which physical sense deceives you the most?

23Āṅkhē̃ hī sabsē jāstī dhōkhā dētī haĩ .

24It is the eyes that deceive you the most.

24Apnī strī hōtē huē bhī dūsrī kōī ḵẖūbṣhūrat dēkhē̃gē tō jhaṭ vah khīcēgī .

25Even though someone may have a wife of his own, when he sees another beautiful woman, he is very quickly attracted to her.

25Āṅkhē̃ baṛā dhōkhā dētī haĩ . 26Dil hōtī hai unkō hāth lagāyē̃ .

26His eyes deceive him such a lot that his heart wants to touch her.

27Bachchō̃ kō samjhāyā jātā hai - sadaiv buddhi sē yah samjhō ki ham brahmākumār-kumāriyā̃ bhāī-bahin haĩ , ismē̃ māyā bahut gupta dhōkhā dētī hai isliē yah chart mē̃ bhī likhnā chāhiē ki āj sārē din mē̃ kaun-kaunsī karmēndriy nē hamkō dhōkhā diyā  ?

27It has been explained to you children that your intellects must always understand that you Brahma Kumars and Kumaris are brothers and sisters. 28Maya deceives you a great deal in a very incognito way. 29This is why you should also write in your chart which of the physical senses deceived you throughout the day.

28Sabsē jāstī duśhman haĩ yah āṅkhē̃ .

30The eyes are the worst enemy.

29Tō yah likhnā chāhiē - phalānī kō dēkhā , hamārī dr̥iṣhṭi gaī .

31Therefore, you should write that when you saw so-and-so, your eyes were drawn.

30Sūrdās kā bhī misāl hai nā .

32There is the example of Surdas (someone who blinded himself because his eyes deceived him).

31Apnī āṅkhē̃ nikāl dī .

33He blinded himself.

32Apnī jāñch karē̃gē tō āṅkhē̃ dhōkhā jāstī dētī haĩ .

34When you check yourself, you will find that your eyes deceive you the most.

33Apnī strī kō bhī chhōṛ kōī achchhī dēkhī tō us par phidā hō jātē haĩ .

35Sometimes, a man leaves his own wife and becomes besotted with another beautiful woman.

34Kōī gāyan mē̃ hōśhiyār hōgī , śhrr̥iṅgār achchhā hōgā tō āṅkhē̃ jhaṭ chalāyamān hō jāyēṅgī isliē bābā kahtē haĩ yah āṅkhē̃ bahut dhōkhā dētī haĩ .

36If someone is a very good singer and has put on beautiful make-up, his eyes very quickly cause mischief (be drawn). 37This is why Baba says: These eyes deceive you a lot.

35Bhal service bhī kartē haĩ parantu āṅkhē̃ bahut dhōkhā dētī haĩ .

38Although you may be doing service, your eyes deceive you a lot.

36Is duśhman key|kī pūrī jāñch rakhnī hai .

39You have to be very cautious of this enemy.

37Nahī̃ tō samjhō ham apnē pad kō bhraṣhṭa kar lē̃gē .

40Otherwise, it is understood that you are destroying your own status.

38Jō samajhdār bachchē haĩ unkō apnē pās|pass diary mē̃ note karnā chāhiē - phalānī kō dēkhā tō hamārī dr̥iṣhṭi gaī phir apnē kō āpēhī sazā dō .

41Sensible children should note down in their diaries: When I saw so-and-so, my vision was drawn to that one. 42In that case, you should punish yourself!

39Bhakti mārg mē̃ bhī pūjā K|kē time buddhi aur-aur taraph bhāgtī hai , tō apnē kō cūṭī ( chuṭkī ) sē kāṭtē haĩ .

43On the path of devotion too, if their intellects wander in other directions while they are praying, they pinch themselves.

40Tō jab aisī kōī strī ādi sāmnē ātī hai tō kinārā kar lēnā chāhiē .

44When such a woman comes in front of you, you should move away.

41Khaṛē hōkar dēkhnā nahī̃ chāhiē .

45You shouldn’t just stand there watching her.

42Āṅkhē̃ bahut dhōkhā dēnē vālī haĩ isliē sannyāsī lōg āṅkhē̃ band kar baiṭhtē haĩ .

46The eyes cause a lot of deception and this is why sannyasis sit with their eyes closed.

43Strī kō pichhāṛī mē̃ , puruṣh kō āgē mē̃ biṭhātē haĩ .

47The men sit at the front and make the women sit at the back.

44Kaī aisē bhī hōtē haĩ jō strī kō bilkul dēkhtē nahī̃ haĩ .

48There are some sannyasis who don’t look at women at all.

45Tum bachchō̃ kō tō bahut mēhnat karnī hai .

49You children have to make a lot of effort.

46Viśhva kā rājya bhāgya lēnā kōī cum|kam bāt thōṛēhī hai .

50It is not a small thing to claim the fortune of the kingdom of the world!

47Vō lōg tō karkē 10 , 12 , 20 hajār , ēk-dō , lākh-krōṛ ikaṭṭhā karē̃gē aur khalās hō jāyēṅgē .

51Those people would probably collect ten, twelve, twenty thousand, or one or two hundred thousand, or a million. 52However, everything is now to be destroyed.

48Tum bachchō̃ kō tō avināśhī varsā miltā hai . 49Sab kuchh prāpti hō jātī hai .

53You children receive the imperishable inheritance; you attain everything.

50Aisī kōī chīz nahī̃ rahtī jiskī prāpti kē liē māthā mārnā paṛē .

54There is nothing to attain for which you would have to beat your head.

51Kaliyug ant aur satyug ādi mē̃ rāt-din kā fark hai .

55There is the difference of day and night between the end of this iron age and the beginning of that golden age.

52Yahā̃ tō kuchh bhī nahī̃ hai .

56There is nothing here.

53Abhī tumhārā yah hai puruṣhōttam saṅgamyug .

57This is now your most elevated confluence age.

54Puruṣhōttam akṣhar jarūr likhnā hai .

58You must definitely write the term “most elevated”.

55Manuṣhya sē dēvtā kiyē … tum abhī brāhmaṇ banē hō .

59It didn’t take God long to change humans into deities. 60You have now become Brahmins.

56Manuṣhya tō bilkul ghōr andhiyārē mē̃ haĩ .

61People are in complete darkness.

57Bahut haĩ jō svarg kō dēkh na sakē̃ .

62There are many who won’t be able to see heaven.

58Bāp kahtē haĩ - bachchē , tumhārā dharm bahut sukh dēnē vālā hai .

63The Father says: Children, your religion is one that gives a lot of happiness.

59Manuṣhyō̃ kō thōṛēhī kuchh patā hai .

64People don’t understand anything.

60Bhāratvāsī bhī bhūl gayē haĩ ki heaven kyā chīz hai .

65Even the people of Bharat have forgotten what heaven was.

61Kriściyan lōg bhī khud kahtē haĩ heaven thā .

66Christians speak of the existence of heaven.

62In lakṣhmī-nārāyaṇ kō god-goddess kahtē haĩ nā .

67Lakshmi and Narayan are called a god and goddess.

63Tō jarūr god hī aisā banāyēṅgē .

68Therefore, it is definitely only God who would make them that.

64Tō bāp samjhātē haĩ - mēhnat bahut karnī hai .

69The Father explains: You have to make a lot of effort.

65Rōz apnā pōtāmēl dēkhō .

70Look at your charts every day.

66Kaun see|sī|C karmēndriy nē hamkō dhōkhā diyā  ?

71Which physical senses deceived me today?

67Mukh bhī bahut dhōkhā dētā hai .

72Even the mouth deceives a great deal.

68Āgē kachahrī hōtī thī . 69Sab apnī bhūl batātē thē . 70Hamnē phalānī chīz chhipākar khā lī .

73In the early days, Baba used to hold a court in which everyone would confess the mistakes they had made: I secretly took something and ate it.

71Achchhē-achchhē baṛē ghar key|kī bachchiyā̃ batlā dētī haĩ , aisē-aisē māyā war|vār kartī hai .

74Even some daughters from very good homes would admit this. 75Maya attacks you in this way.

72Chhipākar khānā bhī chōrī hai .

76To eat something secretly is stealing.

73Sō bhī śhivbābā K|kē yagya key|kī chōrī - yah tō bahut kharāb hai .

77That, too, from Shiv Baba’s yagya! 78That is very bad.

74Kakh kā chōr sō lakh kā chōr .

79Someone who steals even a straw is the same as someone who steals one hundred thousand.

75Māyā ēkdam nāk sē pakaṛtī hai .

80Maya completely catches hold of you by your nose.

76Yah ādat bahut burī hai .

81This is a very bad habit.

77Burī ādat hōgī tō ham kyā banē̃gē  !

82What would you become if you have bad habits?

78Svarg mē̃ jānā kōī baṛī bāt nahī̃ hai . 79Parantu usmē̃ phir martabā bhī tō hai nā .

83It is not a big thing to go to heaven, but there are different levels of status there.

80Kahā̃ rājā kahā̃ prajā . 81Kitnā phark hai .

84There is so much difference between kings and subjects.

82Tō karmēndriyā̃ bhī bahut dhōkhā dēnē vālī haĩ .

85The physical senses deceive you a great deal.

83Unkī sambhāl karnā chāhiē .

86You should be cautious of them.

84Ūñch pad pānā hai tō bāp K|kē direction par pūrā chalnā hai .

87If you want to claim a high status, you have to follow the Father’s directions fully.

85Bāp direction dēgē māyā phir bīch mē̃ ākar vighna ḍālēgī .

88The Father gives directions and Maya comes in between and creates obstacles.

86Bāp kahtē haĩ - bhūlō mat , nahī̃ tō ant mē̃ bahut pachhatāyēṅgē .

89The Father says: Don’t forget! 90Otherwise, there will be great repentance at the end.

87Nā-pass hōnē kā phir sākṣhātkār bhī hōgā .

91You will then also have visions of failing.

88Abhī tum kahtē hō ham nar sē nārāyaṇ banē̃gē . 89Parantu apnē sē pūchhō , apnā pōtāmēl nikālō .

92You now say that you will change from an ordinary human into Narayan, but you must check yourselves and also write your charts.

90Bahut haĩ , jō muśhkil samajhkar amal mē̃ lātē haĩ .

93There are many who hardly understand this or put it into practice.

91Parantu bābā kahtē haĩ issē tumhārī unnati bahut hōgī .

94However, Baba says: You will progress a lot by doing this.

92Sārē din kā pōtāmēl nikālnā chāhiē .

95You should write your chart for the whole day.

93Yah āṅkhē̃ bahut dhōkhā dētī haĩ .

96One’s eyes deceive one a lot.

94Kōī kō dēkhē̃gē tō khyāl āyēgā , yah tō bahut achchhī hai phir bāt karē̃gē .

97When someone sees another, he will think that she is very nice and will then talk to her.

95Dil hōgī - unkō kuchh saugāt dū̃ , yah khilāū̃ , vahī chintan chaltā rahēgā .

98Then his heart’s desire would be to give her a gift or to give her tasty things to eat. 99He would be constantly thinking about her.

96Bachchē samajhtē haĩ ismē̃ mēhnat bahut baṛī hai .

100You children understand that this requires a lot of effort.

97Karmēndriyā̃ bahut dhōkhā dētī haĩ . 98Rāvaṇ rājya hai nā .

101The physical senses deceive you a lot because this is the kingdom of Ravan.

99Bāp kahtē haĩ - vahā̃ chintā key|kī kōī bāt nahī̃ hōtī hai kyōṅki rāvaṇ rājya hī nahī̃ .

102The Father says: There is nothing to worry about there, because the kingdom of Ravan does not exist there.

100Chintā key|kī bāt hī nahī̃ .

103There is nothing to worry about at all.

101Vahā̃ bhī chintā hō tō phir nark aur svarg mē̃ fark hī kyā rahē  ?

104If there were worries there too, what would then be the difference between heaven and hell?

102Tum bachchē bahut-bahut ūñch pad pānē kē liē bhagvān sē paṛhtē hō .

105You children are studying with God in order to attain a very high status.

103Bāp samjhātē haĩ - māyā nindā karātī hai .

106The Father explains: Maya makes you defame Me.

104Tumnē apkār kiyā , maĩ upkār kartā hū̃ .

107You defamed Me and I came and uplifted you.

105Bachchē , tum agar kudr̥iṣhṭi rakhē̃gē tō apnā hī nuksān karē̃gē .

108Children, if you have impure vision, you will cause yourselves a loss.

106Bahut baṛī mañjil hai isliē bābā kahtē haĩ - apnā pōtāmēl dēkhō .

109The destination is very high. 110This is why Baba says: Look at your own chart.

107Kōī vikarma tō nahī̃ kiyā  ?

111Did I perform any sinful action?

108Kiskō dhōkhā tō nahī̃ diyā  ?

112Did I deceive anyone?

109Ab vikarmājīt bannā hai .

113You now have to become conquerors of sinful actions.

110Vikarmājīt K|kē saṃvat kā kiskō patā nahī̃ hai sivāē tum bachchō̃ K|kē .

114No one, apart from you children, knows about the era of the conquerors of sinful actions.

111Bāp nē samjhāyā hai - vikarmājīt kō 5 hajār varṣh huē , phir vikarma kartē haĩ tō vām mārg mē̃ jātē haĩ .

115The Father explains that it is now 5000 years since the era of the conquerors of sinful actions. 116Then, when they perform sinful actions, they go onto the path of sin.

112Karma , akarma , vikarma akṣhar tō haĩ nā .

117There are the terms: action, neutral action and sinful action.

113Māyā K|kē rājya mē̃ manuṣhya jō bhī karma kartē haĩ , vah vikarma hī bantā hai .

118The actions people perform in the kingdom of Maya are sinful.

114Satyug mē̃ vikār hōtē nahī̃ . 115Tō vikarma bhī kōī bantā nahī̃ .

119There are no vices in the golden age; so there are no sins commited.

116Yah bhī tum jāntē hō - kyōṅki tumkō gyān kā tīsrā nētra milā hai .

120Only you know these things because each of you receives a third eye of this knowledge.

117Tum trinētrī banē hō .

121You have become the ones with a third eye.

118Tō trikāldarśhī , trinētrī banānē vālā hai bāp .

122It is the Father who makes you trikaldarshi and trinetri.

119Tum āstik banē hō tab trikāldarśhī banē hō .

123Because you have become theists, you have also become trikaldarshi.

120Sārē drama kā rāz buddhi mē̃ hai .

124You have the secrets of the whole drama in your intellects.

121Mūlvatan , sūkṣhmavatan , sthūlvatan , 84 kā chakra phir aur dharm vr̥iddhi kō pātē haĩ .

125There is the incorporeal world, the subtle region, the corporeal world and the cycle of 84 births and how the founders of other religions come.

122Vah kōī sadgati nahī̃ kar saktē .

126They cannot grant you salvation.

123Unkō gurū bhī nahī̃ kah saktē haĩ .

127They cannot even be called gurus.

124Sarv key|kī sadgati karnē vālā ēk hī bāp hai .

128Only the one Father is the Bestower of Salvation for All.

125Abhī sabkī sadgati hōnī hai .

129Everyone is now to receive salvation.

126Vah dharm sthāpak kahē jātē haĩ , gurū nahī̃ .

130Those people are founders of religions, not gurus.

127Dharm sthāpak dharm sthāpan karnē kē nimitt banē haĩ . 128Bākī sadgati thōṛēhī kartē haĩ .

131Founders of religions are instruments to establish a religion; they don’t grant anyone salvation.

129Unkō yād karnē sē kōī sadgati nahī̃ hō saktī . 130Vikarma vināśh nahī̃ hō saktē .

132Neither can anyone receive salvation by remembering them nor can anyone’s sins be absolved.

131Vah sab hai bhakti .

133All of that is devotion.

132Tō bāp samjhātē haĩ māyā baṛī duśhtar hai , is par hī laṛāī hōtī hai .

134The Father explains: Maya is very powerful. 135There is a war with her.

133Tum hō śhiv śhakti pāṇḍav sēnā .

136You are the Shiv Shakti Pandava Army.

134Tum sab paṇḍē hō . 135Śhāntidhām , sukhdhām kā rāstā batātē hō .

137All of you are Pandavas, guides; you show everyone the path to the land of peace and the land of happiness.

136Guides tum hō .

138You are guides.

137Kahtē hō - bāp kō yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē aur phir dūsrē taraph agar kōī pāp karma karē̃gē tō sau guṇā pāp lag jāyēgā .

139You tell everyone to remember the Father so that their sins can be absolved. 140If someone then performs sinful actions, he also accumulates one hundredfold punishment.

138Jitnā hō sakē kōī vikarma nahī̃ karnā chāhiē .

141As far as possible, don’t perform any sinful actions.

139Karmēndriyā̃ dhōkhā bahut dētī haĩ . 140Bāp har ēk key|kī chalan sē samajh jātē haĩ .

142The physical senses deceive you a lot; the Father understands this from each one’s activities.

141Bachchō̃ kō māyā K|kē tūphān ātē haĩ .

143Children experience storms of Maya.

142Strī-puruṣh samajhnē sē hī tūphān ātē haĩ .

144It is only when there is the awareness of man and woman that there are storms.

143Tō in āṅkhō̃ par kitnā kabjā ( adhikār ) rakhnā chāhiē .

145So, there has to be such control over your eyes.

144Ham tō śhivbābā K|kē bachchē haĩ .

146I am the child of Shiv Baba.

145Bāp sē anjām kar rākhī bhī bāndhtē phir bhī māyā dhōkhā dē dētī hai , phir chhūṭ nahī̃ saktē haĩ .

147Some children even make a promise to the Father and have a rakhi tied but, in spite of that, Maya deceives them a lot and they can’t free themselves.

146Karmēndriyā̃ jab vaśh hō tab karmātīt avasthā hō sakē .

148Only when you control your physical senses can you reach your karmateet stage.

147Kahnā tō sahaj hai ki ham lakṣhmī-nārāyaṇ banē̃gē parantu samajh bhī chāhiē nā .

149It is easy to say that you will become Lakshmi or Narayan, but there also has to be understanding.

148Bāp kahtē haĩ direction par amal karō .

150The Father says: Put the directions into practice.

149Bābā-bābā kartē rahō .

151Continue to say: Baba, Baba!

150Bābā sē ham pūrā varsā lē̃gē .

152We will claim our full inheritance from Baba.

151Aisā teacher kabhī bhī kahā̃ bhī nahī̃ milēgā .

153We will never ever find such a Teacher anywhere else.

152In sab bātō̃ kō dēvtāyē̃ bhī nahī̃ jāntē tō pichhāṛī K|kē dharm vālē phir kaisē jān saktē haĩ .

154If even the deities don’t know these things, how could those of other religions who come later know anything?

153Bābā kahtē haĩ maĩ kuchh kahū̃ tō bhī samjhō - yah śhivbābā kahtē haĩ .

155Baba says: Even if this one says something, just consider it to be Shiv Baba who is saying it.

154Aisē mat samjhō ki yah dādā kahtē haĩ .

156Don’t think that it is this Dada who is saying it.

155Yah tō mērā rath hai , yah kyā kartā , tum bachchō̃ kō rājāī maĩ dētā hū̃ .

157This is My chariot. 158What can he do? 159I am giving you children the kingdom.

156Yah rath thōṛēhī dētā hai .

160This chariot is not doing that.

157Yah tō bilkul beggar hai .

161He is a complete beggar.

158Yah bhī bābā sē varsā lētā hai .

162He is also claiming his inheritance from Baba.

159Jaisē tum puruṣhārth kartē hō vaisē yah bhī kartā hai .

163Just as you are making effort, so this one is doing the same.

160Yah bhī student life mē̃ hai .

164He is also leading a student life.

161Yah rath loan par liyā huā hai , tamōpradhān hai .

165I have taken this chariot on loan. 166He is now impure.

162Tum pūjya dēvtā bannē kē liē , manuṣhya sē dēvtā bannē kē liē paṛhtē hō .

167You are now studying in order to become worthy-of-worship deities, to become deities from human beings.

163Kōī key|kī takdīr mē̃ nahī̃ hai tō kahtē haĩ mujhē tō sanśhay hai , śhivbābā kaisē ākar paṛhātē haĩ . 164Mujhē tō samajh mē̃ nahī̃ ātā hai .

168If this is not in someone’s fortune, he would say that he has doubts about how Shiv Baba comes and teaches, that he doesn’t understand this at all.

165Bāp kī yād bigar vikarma vināśh hō na sakē̃ .

169Your sins cannot be absolved without having remembrance of the Father.

166Pūrī sajā khānī paṛēgī .

170There will then have to be full punishment.

167Yah rājāī sthāpan hō rahī hai .

171A kingdom is being established.

168Rājāō̃ kō kitnī dāsiyā̃ hōtī haĩ .

172A king has so many maids.

169Bābā tō rājāō̃ K|kē connection mē̃ āyā huā hai .

173Baba has had a lot of connection with kings.

170Dāsiyā̃ dahēj mē̃ dētē haĩ .

174Maids are given as part of the dowry.

171Yahā̃ hī itnī dāsiyā̃ haĩ tō satyug mē̃ kitnī hōṅgī .

175Since there are so many maids here, just think how many there would be in the golden age.

172Yah bhī rājdhānī sthāpan hō rahī hai .

176This is also a kingdom that is being established.

173Bābā jāntē haĩ bachchē kyā-kyā kar rahē haĩ .

177Baba knows what each one is doing.

174Har ēk K|kē pōtāmēl sē bābā batā saktē haĩ . 175Is samay mar jāē̃ tō kyā banē̃gē  !

178Baba can tell any of you from your chart what you would become if you were to die now.

176Karmātīt avasthā kō pichhāṛī mē̃ sab number-vār pātē haĩ .

179You will all reach your karmateet stage at the end, numberwise.

177Tō yah kamāī hai .

180This is an income.

178Kamāī mē̃ manuṣhya kitnā busy rahtē haĩ . 179Khānā khātē rahē̃gē , telephone kān par hōgā .

181People are so busy earning an income that they are on the telephone even during their meals.

180Aisē ādmī tō gyān uṭhā na sakē̃ .

182Such people cannot take this knowledge.

181Yahā̃ garīb sādhāraṇ hī ātē haĩ .

183Only poor and ordinary ones come here.

182Sāhūkār lōg tō kahē̃gē , phursat kahā̃ .

184The wealthy say that they don’t have time. 185Oho!

183Arē , sirph bāp kō yād karō tō vikarma vināśh hō jāē̃ .

186All you have to do is to remember the Father so that your sins are absolved.

184Tō bābā mīṭhē-mīṭhē bachchō̃ kō bār-bār samjhātē haĩ .

187Baba repeatedly explains to you sweetest children.

185Har ēk kō yah paigām dēnā hai jō aisā kōī na kahē ki hamkō kyā patā śhivbābā āyā huā hai .

188Give everyone this message so that none can say that they didn’t know that Shiv Baba had come.

186Bas sārā din bābā-bābā hī kahtē rahō .

189Throughout the day, just continue to say: Baba, Baba.

187Kaī bachchiyā̃ bahut yād kartī haĩ .

190Some daughters remember Baba a great deal.

188Śhivbābā kahnē sē hī kaī bachchō̃ kō prēm K|kē āṅsū ā jātē haĩ .

191Some children have tears of love just mentioning Shiv Baba’s name.

189Kab jākar milē̃gē  !

192They are so eager to come and meet Him.

190Dēkhā nahī̃ hai tō bhī taṛaphtī rahtī haĩ aur dēkhē huē phir māntē nahī̃ .

193They haven’t even seen Baba and yet they are so desperate to meet Him, whereas those who have seen Him don’t believe in Him.

191Vah dūr baiṭhē āṅsū bahātī rahtī haĩ .

194They shed tears of love while sitting far away.

192Wonder hai nā .

195It is a wonder!

193Brahmā kā bhī bahutō̃ kō sākṣhātkār hōtā hai .

196Many have visions of Brahma.

194Āgē chal bahutō̃ kō sākṣhātkār hōgā .

197As you progress further, many will have visions.

195Manuṣhya kō marnē samay sab ākar kahtē haĩ bhagvān kō yād karō .

198When a person is dying, many others go to him and tell him to remember God.

196Tum bhī śhivbābā kō yād karō .

199You too should remember Shiv Baba.

197Bāp kahtē haĩ - bachchē , puruṣhārth mē̃ make up kartē rahō .

200The Father says: Children, continue to make up time in your efforts.

198Maukā miltā hai tō make up karō .

201Whenever you have an opportunity, make up time.

199Kamāī kitnī bhārī hai .

202The income is huge.

200Kōī-kōī tō aisē haĩ jō kitnā bhī samjhāō , tō bhī buddhi mē̃ nahī̃ baiṭhtā .

203Some are such that, no matter how much you explain to them, it just doesn’t sit in their intellects.

201Bāp kahtē haĩ aisē nahī̃ bannā hai .

204The Father says: Don’t become like that.

202Apnā kalyāṇ karō .

205Benefit yourselves.

203Bāp key|kī śhrīmat par chalō .

206Follow the Father’s shrimat.

204Tumkō bāp puruṣhō̃ mē̃ uttam banātē haĩ .

207The Father is making you the most elevated human beings of all.

205Yah hai aim object .

208This is your aim and objective.

206Bābā service kē liē kitnī yuktiyā̃ batātē rahtē haĩ .

209Baba continues to show you so many ways to do service.

207Sandēśh tō sabkō dēnā hai , jō samajhē̃ yah tō barōbar sach kahtē haĩ .

210You have to give everyone the message so that they understand that you are telling them the truth.

208Is laṛāī sē hī khās bhārat mē̃ , ām sārē viśhva mē̃ sukh-śhānti hōtī hai .

211It is only through this war that there will be peace and happiness in Bharat in particular and the world in general.

209Aisē-aisē parchē sabhī bhāṣhāō̃ mē̃ chhapānē paṛē .

212You have to print such leaflets in all languages.

210Bhārat kitnā baṛā hai .

213Bharat is huge.

211Har ēk kō patā hōnā chāhiē - jō aisē kōī na kahē ki hamkō patā hī nahī̃ paṛā .

214Everyone has to know about it so that no one can say that he wasn’t aware of it. 215You would say: Oh!

212Tum kahē̃gē arē , aeroplane sē parchē girāyē , akhbār mē̃ ḍālā , tum jāgē nahī̃ .

216But we dropped leaflets from aeroplanes, printed it in the papers and you didn’t wake up.

213Yah bhī dikhāyā huā hai .

217This has also been shown.

214Achchhā  !

218Achcha.

215Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

219To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

216Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

220The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

217Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

221Essence for dharna:

2181 ) svayã mē̃ jō bhī burī ādatē̃ haĩ - unkī jāñch kar unhē̃ nikālnē kē liē mēhnat karnī hai .

2221. Check all the bad habits you have in yourself and make effort to remove them.

219Apnā sachchā-sachchā pōtāmēl rakhnā hai .

223Keep your chart with honesty.

220Bāp K|kē direction par chalnā hai .

224Follow the Father’s directions.

2212 ) aisā kōī karma nahī̃ karnā hai , jissē bāp kā nām badnām hō .

2252. Don’t do anything through which you would dishonour the Father’s name.

222Apnī unnati kā khyāl rakhnā hai .

226Be concerned for your own progress.

223Jarā bhī kudr̥iṣhṭi nahī̃ rakhnī hai .

227Don’t have the slightest bad vision.

Blessing

224Vardān  : sthūl vā sūkṣhma mē̃ her|har pharmān kō pālan karnē vālē sampūrṇ pharmānbardār bhav

228Blessing: May you follow every order, whether physical or subtle, and become completely obedient to the Father.

225Sthūl pharmān pālan karnē key|kī śhakti unhī̃ bachchō̃ mē̃ ā saktī hai jō sūkṣhma pharmān pālan kartē haĩ .

229The children who are obedient in following subtle orders develop the power to follow the physical orders.

226Sūkṣhma aur mukhya pharmān hai nirantar yād mē̃ rahō vā man-vachan-karma sē pavitra banō .

230The subtle and main order is: Constantly stay in remembrance and become pure in your thoughts, words and deeds.

227Saṅkalp mē̃ bhī apavitratā va aśhuddhatā na hō .

231Let there not be any impurity or uncleanliness in your thoughts.

228Yadi saṅkalp mē̃ bhī purānē aśhuddh saṅskār touch kartē haĩ tō sampūrṇ vaiṣhṇav vā sampūrṇ pavitra nahī̃ kahē̃gē .

232If your old, impure sanskars touch your thoughts, you cannot be called perfect Vaishnavs or completely pure.

229Isliē kōī ēk saṅkalp bhī pharmān K|kē sivāē na chalē tab kahē̃gē sampūrṇ pharmānbardār .

233So, do not have a single thought without following the orders; you would then be called one who is completely obedient.

Slogan

230Slōgan  : bāp kō jānkar dil sē bābā kahnā yah sabsē baṛī viśhēṣhtā hai .

234Slogan: To know the Father and to say: Baba from your heart is the biggest speciality.

235*** Om Shanti ***

231Yē avyakt iśhārē - sadā achal , aḍōl , ēkras sthiti kā anubhav karō

236Avyakt Signal: Constantly experience an unshakeable, immovable and constant stage.

232Ēkras sthiti banānē kē liē karmayōgī banō .

237In order to make your stage constant, become a karma yogi.

233Karmayōgī kē āgē kōī kaisā bhī ā jāē vah svayã sadā nyārā aur pyārā rahēgā .

238No matter what type of person comes in front of a karma yogi, he will remain constantly loving and detached.

234Knowledge dvārā jānēgā - iskā yah part chal rahā hai .

239Through this knowledge, he is aware that that is the part that one is playing.

235Vah achchhē kō achchhā samajhkar sākṣhī hōkar dēkhēgā aur burē kō merciful ban rahm key|kī nigāh sē parivartan karnē key|kī śhubh bhāvnā sē sākṣhī hōkar dēkhēgā , yahī ēkras sthiti banānē kā sādhan hai .

240He will consider those who are good to be good and remain a detached observer, and as a detached observer he will observe with a vision of mercy someone bad. 241Whilst being merciful, he will have benevolent and good wishes to transform that one. 242This is the way to make your stage constant.