मंगलवार 23 जून 2026 की दैनिक मुरली

दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

023-06-2026 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

023/06/26 Morning Murli Om Shanti BapDada Madhuban

Essence

1 «  mīṭhē bachchē - tum mahān saubhāgyaśhālī hō kyōṅki tumhē̃ bhagvān vah paṛhāī paṛhātē haĩ jō ab tak kisī r̥iṣhi-muni nē bhī nahī̃ paṛhī ' '

1Essence: Sweet children, you are greatly fortunate, because God is giving you an education that has not been studied by even the rishis or munis.

Question

2Praśhna  : drama key|kī kaun see|sī|C bhāvī tum bachchē jāntē hō , duniyā K|kē manuṣhya nahī̃  ?

2Question: Which destiny in the drama do you children know but people of the world do not know?

Answer

3Uttar  : tum jāntē hō is rūdra gyān yagya sē vināśh jvālā prajjavalit huī hai .

3Answer: You know that the flames of destruction are going to emerge from the sacrificial fire of this knowledge of Rudra.

4Ab sārī purānī duniyā ismē̃ svāhā hō jāyēgī .

4The whole of this old world is now going to be sacrificed into it.

5Yah bhāvī kōī ṭāl nahī̃ saktā .

5No one can prevent this destiny.

6Yah aisā aśhvamēdh avināśhī rūdra yagya hai jismē̃ sārī sāmagrī svāhā hōgī phir ham is patit duniyā mē̃ nahī̃ āyēṅgē .

6This is the imperishable sacrificial fire of Rudra in which the horse is sacrificed and all the paraphernalia will be sacrificed. 7We will not return to this impure world.

7Isē īśhvar kī bhāvī nahī̃ , drama key|kī bhāvī kahē̃gē .

8This destiny is not created by God, but it is the destiny created in the drama.

Song

8Gīt  : mukhṛā dēkh lē prāṇī …

9Song: Look at your face in the mirror of your heart.

Murli

9Ōm śhānti .

10Om shanti.

10Tum bachchē bhī manuṣhya hō .

11You children are human beings.

11Yah manuṣhyō̃ key|kī sr̥iṣhṭi hai .

12This is a world of human beings.

12Is samay tum brāhmaṇ dharm K|kē manuṣhya banē hō .

13At this time, you are the humans who belong to the Brahmin religion.

13Bāp śhikṣhā dētē haĩ ātmāō̃ kō .

14The Father gives teachings to souls.

14Ātmā kō abhī apnē svadharm kā patā hai ki ham ātmā is śharīr kō chalānē vālī haĩ .

15You souls are now aware of your original religion: I, this soul, make this body function.

15Ātmā kā yah rath hai .

16This is the chariot of this soul.

16Jaisē bāp is rath par ākar savār huē haĩ , tumhārī ātmā bhī is rath par savār hai .

17Just as the Father rides in this chariot, so you souls are also riding in chariots (bodies).

17Sirph ātmā kō yah gyān bhūl gayā hai ki ham ātmā śhānt svarūp haĩ . 18Hamārē rahnē kā sthān hī mūlvatan mē̃ hai .

18It is just that souls have forgotten the knowledge of being embodiments of peace and of their residence being the incorporeal world.

19Yah śharīr hamkō yahā̃ miltā hai .

19We receive these bodies here.

20Aisē-aisē apnē sāth bātē̃ karnī haĩ .

20Talk to yourselves in this way.

21Bāp kahtē haĩ tum ātmā śhānt svarūp hō .

21The Father says: You souls are embodiments of peace.

22Agar tum chāhō ham śhānti mē̃ baiṭhē̃ tō apnē kō ātmā samajh śhāntidhām K|kē nivāsī samjhō .

22If you want to sit in peace, then consider yourselves to be souls who are the residents of the land of peace.

23Thōṛā samay śhānti mē̃ baiṭh saktē haĩ .

23You can sit in peace for a little while.

24Manuṣhya śhānti hī māṅgtē haĩ .

24People ask for peace.

25Man kō śhānti chāhiē - yah ātmā nē kahā , parantu manuṣhya yah nahī̃ jāntē haĩ ki maĩ ātmā hū̃ . 26Yah bhūl gayē haĩ .

25The soul says: My mind wants peace. 26However, people don’t know that they are souls; they have forgotten this.

27Ēk kahānī bhī hai nā - rānī K|kē galē mē̃ hār paṛā thā aur ḍhūṇḍhtī thī bāhar .

27There is a story of the queen who searched everywhere for the necklace that was around her neck.

28Tō bāp bhī samjhātē haĩ śhānti tō tumhārā svadharm hai .

28The Father explains: Peace is your original religion.

29Bachchō̃ nē samjhā hai ham ātmāyē̃ śhānt svarūp haĩ . 30Yahā̃ āī haĩ part bajānē .

29You children understand that you souls are embodiments of peace and that you have come here to play your parts.

31In organs sē detach hō jātē haĩ tō ātmā śhānt hai .

30When you become detached from those organs, you souls are peaceful.

32Ātmā apnē svadharm śhānti mē̃ jitnā chāhē baiṭh saktī hai .

31A soul can remain in his religion of peace for as long as he wants.

33Chāhō ham is śharīr sē kām na karē̃ , tō śhānt mē̃ baiṭh jāō .

32If you don’t want to work through your body, just sit down peacefully.

34Yah hai sachchī śhānti , inkō tum ḍhūṇḍhtē nahī̃ .

33This is real peace. 34You don’t have to search for it.

35Tumhārā svadharm śhānt hai .

35Your original religion is peace.

36Abhī yahā̃ part bajā rahē haĩ .

36You are now playing your parts here.

37Bāp dvārā mālūm paṛā hai , hamnē 84 janmō̃ kā part bajāyā .

37You have come to know from the Father that you have played your parts of 84 births.

38In 84 janmō̃ K|kē chakra kā kōī kō patā nahī̃ .

38No one knows about the cycle of 84 births.

39Sirph tum bachchē hī samajhtē hō .

39Only you children understand this.

40Pahlē ham sūryavanśhī rājā vā prajā thē phir chandravanśhī sō vaiśhya vãnśhī , sō śhūdra vãnśhī banē̃ .

40At first, we were sun-dynasty kings and subjects, then we went into the moon dynasty and the merchant dynasty and then the shudra dynasty.

41Ab phir sē hamkō sūryavanśhī bannā hai .

41We now have to become part of the sun dynasty again.

42Tum bachchē sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kō jān gayē hō , tum kitnē saubhāgyaśhālī hō .

42You children now know the beginning, the middle and the end of the world. 43You are greatly fortunate.

43Bāp tō yathārth bāt samjhātē haĩ .

44The Father explains everything to you accurately.

44Yah hai hī sadgati mārg .

45This is the path of salvation.

45Yah samjhānā hai ki sarv kā sadgati dātā ēk hai .

46Explain to everyone that the Bestower of Salvation for All is One.

46Abhī jān gayē hō hamkō bābā ākar 21 janmō̃ kē liē sadgati prāpt karā rahē haĩ .

47You now know that Baba is enabling you to receive salvation for 21 births.

47Bāhar vālē manuṣhya in bātō̃ kō jāntē hī nahī̃ .

48People outside don’t know these things at all.

48Tum brahmākumār-kumāriyā̃ hī jāntē hō .

49Only you Brahma Kumars and Kumaris know this.

49Kōī pūchhtē haĩ - tum be|B . K|kē . kyā jāntē hō  ?

50Some ask you BKs what you know.

50Parīkṣhā tō hōnī hī chāhiē ki brāhmaṇ vā brāhmaṇī haĩ vā nahī̃ .

51There should be a test to find out whether someone is a Brahmin or not.

51Agar tum brahmā K|kē bachchē hō tō sr̥iṣhṭi chakra kō jarūr jāntē hōṅgē .

52If you are the children of Brahma, you must definitely know about this world cycle.

52Bāp rachayitā kō jāntē hō  ?

53Do you know the Father, the Creator?

53R̥iṣhi-muni ādi tō rachtā aur rachnā kō jāntē hī nahī̃ .

54The rishis and munis neither know the Creator nor the creation at all.

54Tō gōyā nāstik ṭhaharē .

55Therefore, they are atheists.

55Tum bhī nāstik thē . 56Tum bhī rachtā bāp aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō nahī̃ jāntē thē .

56You too were atheists; you too didn’t know the Father, the Creator, or the beginning, middle and end of creation.

57School mē̃ pahlē anpaṛh hī ātē haĩ .

57It is those who are uneducated who go to school.

58Phir kahē̃gē school mē̃ yah-yah paṛhā hai .

58They would then say that they learnt this and that at school.

59Abhī tum hō īśhvarīy paṛhāī mē̃ .

59You are now studying this Godly study.

60Parampitā paramātmā tumkō paṛhā rahē haĩ .

60The Supreme Father, the Supreme Soul, is teaching you.

61Yah buddhi mē̃ samajhnā chāhiē .

61Your intellects have to understand this.

62Rachtā tō ēk śhivbābā hī hai .

62Only the one Shiv Baba is the Creator.

63Rūdra nē gyān yagya rachā yah śhāstrō̃ mē̃ bhī hai .

63It says in the scriptures that Rudra created a sacrificial fire of knowledge.

64Ab rūdra aur śhiv paramātmā mē̃ fark tō kōī hai nahī̃ .

64However, there is no difference between Rudra and Shiva, the Supreme Soul.

65Yah bhī hai ki rūdra gyān yagya sē vināśh jvālā nikalī .

65It also says that the flames of destruction emerged from the sacrificial fire of the knowledge of Rudra.

66Sirph rūdra śhiv kī jagah śhrīkr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai .

66It is just that they have put Shri Krishna’s name instead of the name of Rudra, Shiva.

67Hai vahī gītā .

67It is the same Gita.

68Kahtē haĩ is gyān yagya sē vināśh jvālā prajjavalit huī .

68They say that the flames of destruction emerged from this sacrificial fire of knowledge.

69Tō svarājya kē liē yah gyān yagya hai .

69Therefore, the sacrificial fire of this knowledge is for attaining self-sovereignty.

70Ismē̃ purānī duniyā svāhā hōnī hai .

70This old world is to be sacrificed into it.

71Yagya mē̃ sārī āhuti arthāt sāmagrī ḍāltē haĩ . 72Sab svāhā kar dētē haĩ .

71They put all their offerings into a sacrificial fire; they sacrifice everything.

73Tō is rūdra gyān yagya mē̃ sārī purānī duniyā svāhā hō jāyēgī .

72So, the whole of the old world will be sacrificed into this sacrificial fire of the knowledge of Rudra.

74Tum ab rājyōg sīkh rahē hō .

73You are now studying Raja Yoga.

75Is patit duniyā mē̃ phir āyēṅgē nahī̃ .

74You will not return to this impure world.

76Yah duniyā phir khatm hō jānī hai .

75This world is to be destroyed.

77Tum jāntē hō , natural calamities ādi sab hōṅgī .

76You know that there will also be natural calamities.

78Yah sārī knowledge tumhārī buddhi mē̃ baiṭhnā chāhiē .

77Let all of this knowledge sit in your intellects.

79Śhivbābā kahtē haĩ - mērī buddhi mē̃ hī sārā gyān hai .

78Shiv Baba says: Only I have all the knowledge in My intellect.

80Bāp sat hai , chaitanya hai , gyān kā sāgar hai .

79The Father is the Truth, the Sentient Being and the Ocean of Knowledge.

81Sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kō jāntē haĩ .

80He knows the beginning, the middle and the end of the world.

82R̥iṣhi-muni tō kahtē haĩ , ham rachtā aur rachnā kō nahī̃ jāntē .

81Rishis and munis say that they neither know the Creator nor the creation.

83Tumsē kōī pūchhē̃gē tumkō kyā miltā hai  ? 84Bōlō - jiskō baṛē-baṛē r̥iṣhi-muni ādi kahtē thē ki ham rachtā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kō nahī̃ jāntē haĩ sō ham jāntē haĩ .

82When people ask you what you receive here, tell them: Great rishis and munis said that they didn’t know the Creator or the beginning, the middle and the end of creation. 83We now know what they didn’t know.

85Rachtā bāp K|kē sivāē rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā rāz kōī samjhā nahī̃ saktā .

84No one but the Father, the Creator, can explain the secrets of the beginning, the middle and the end of creation.

86Rachtā hī samjhāyēṅgē .

85Only the Creator can explain that.

87Tumkō mālūm hai , makkhiyō̃ key|kī bhī rānī hōtī hai . 88Rānī kē sāth pīchhē-pīchhē sab makkhiyā̃ jātī haĩ .

86You know that there is a queen bee and that all the other bees follow her.

89Rānī arthāt mā̃ kē sāth unkā kitnā sambandh hai .

87They have such a deep relationship with the queen, the mother.

90Bēhad kā bāp bhī ātē haĩ tō sabhī bachchō̃ kō sāth lē jātē haĩ .

88When the unlimited Father comes, He takes all the children back with Him.

91Tum jāntē hō - bābā āyā huā hai , ham ātmāō̃ kō sāth lē jāyēṅgē - śhāntidhām mē̃ .

89You know that Baba has come and that He will take all of us souls back with Him to the land of peace.

92Phir sē hamārā satyug kā part śhurū hōgā .

90Then our parts will start again in the golden age.

93Jis part bajānē kē liē tum yah dēvī-dēvtā pad pā rahē hō .

91We are now claiming this deity status in order to play those parts.

94Yahā̃ tum ātē hī hō - manuṣhya sē dēvtā pad pānē .

92You human beings come here to claim the status of deities.

95Sab guṇ yahā̃ dhāraṇ karnē haĩ .

93All the virtues have to be imbibed here.

96In lakṣhmī-nārāyaṇ jaisā bannā hai .

94You have to become like Lakshmi and Narayan.

97Inkō divya dr̥iṣhṭi K|kē sivāē kōī dēkh na sakē .

95No one can see them except in a divine vision.

98Abhī tum jāntē hō ham sūryavanśhī dēvtā banē̃gē .

96You know that you will now become sun-dynasty deities.

99Tumhārī buddhi mē̃ hai ki svarg key|kī rājdhānī kaisē sthāpan hōtī hai .

97Your intellects are aware of how the kingdom of heaven is established.

100Satyug mē̃ thā hī dēvtāō̃ kā rājya parantu dēvtāō̃ K|kē rājya mē̃ bhī phir rākṣhas ādi dikhāyē haĩ .

98There was the kingdom of deities in the golden age, but people have portrayed devils etc. even in the kingdom of deities.

101Yah kōī jāntē hī nahī̃ .

99No one knows how pure Bharat was.

102Bhārat kitnā pavitra thā , mahimā bhī gātē haĩ sarvguṇ sampann . . . .

100People sing the praise: You are full of all virtues…

103Unhō̃ kē āgē māthā bhī ṭēktē haĩ .

101They even bow their heads in front of their idols.

104Mandir bhī bahut banē huē haĩ . 105Parantu yah patā nahī̃ ki ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm satyug kā kab aur kaisē sthāpan huā  ?

102Many temples have been built to them, but they don’t know how or when the original eternal deity religion of the golden age was established.

106Bhārat jō itnā ūñch thā , vah nīch kaisē banā  ?

103How did Bharat, that was so elevated, become so degraded?

107Yah kiskō bhī patā nahī̃ hai .

104No one knows this.

108Kahtē haĩ yah bhāvī banī banāī hai .

105They say that destiny has already been created.

109Kiskī bhāvī hai  ?

106Destiny of what?

110Vah bhī nahī̃ samajhtē .

107They don’t even understand this.

111Drama key|kī bhāvī samajhē̃ tō samajh mē̃ āyē . 112Drama kā rachayitā creator , director kaun hai  ?

108If they were to understand the destiny of the drama, they would understand who the Creator and Director of the drama is.

113Sirph kah dētē īśhvar kī bhāvī .

109They simply say that it is the destiny of God.

114Drama kahnē sē drama K|kē ādi-madhy-ant kō jānnā chāhiē .

110When one speaks of a drama, one should also know the beginning, the middle and the end of that drama.

115Sirph kitāb paṛhnē sē drama kā patā nahī̃ paṛ saktā hai . 116Jab tak jākar kōī drama dēkhē nahī̃ .

111You can’t know a drama by simply reading a book; you have to go and see that drama.

117Jaisē akhbār mē̃ bhī paṛā thā - ēk śhrīkr̥iṣhṇa charitra kā drama banā huā hai .

112It was printed in the newspaper that a play has been created about the divine activities of Shri Krishna.

118Parantu dēkhnē bigar kōī samajh thōṛēhī saktā hai .

113However, no one can understand anything without seeing it.

119Dēkhē̃gē tab samajhē̃gē drama mē̃ yah sab hōnā hai .

114When they see it, they can then understand everything that happens in the drama.

120Tum bachchē bhī drama kō abhī samajhtē hō .

115You children now understand the drama.

121Manuṣhya kahtē haĩ - world key|kī history-geography kā yah chakra phirtā rahtā hai . 122Parantu kaisē phirtā hai , yah kiskō patā hī nahī̃ .

116People also say that this cycle of the history and geography of the world continues to turn, but no one knows how it turns.

123Nām bhī likhē huē haĩ - satyug , trētā , dvāpar , kaliyug phir saṅgamyug .

117The names of the ages are written: The golden, silver, copper, iron ages and then this confluence age.

124Parantu manuṣhyō̃ nē samajh liyā hai - yugē-yugē ātē haĩ .

118However, people have understood this to mean that God comes in every age.

125Satyug trētā kā bhī saṅgam hōtā hai . 126Parantu us saṅgam kā kōī mahatva nahī̃ hai .

119There is also a confluence of the golden and silver ages, but that confluence doesn’t have any importance.

127Vahā̃ tō kuchh hōtā nahī̃ .

120Nothing happens there at that time.

128Yah bātē̃ tum jāntē hō - satyugī sūryavanśhiyō̃ nē phir chandravanśhiyō̃ kō rājya kaisē diyā  ?

121Only you know how the golden-aged sun dynasty hands over the kingdom to the moon dynasty.

129Aisē nahī̃ ki chandravanśhiyō̃ nē sūryavanśhiyō̃ par jīt pāī .

122It isn’t that the moon dynasty conquered the sun dynasty; no.

130Nahī̃ , jō chandravanśhī kā rājā hōtā hai tō sūryavanśhī rājā-rānī unkō rājya bhāgya kā tilak dē takht par biṭhātē haĩ .

123The sun-dynasty king and queen apply a tilak of the fortune on the kingdom to the moon-dynasty king and queen and seat them on the throne.

131Rājā rām , rānī sītā kā title miltā hai .

124They then receive the titles of King Rama and Queen Sita.

132Kisnē diyā  ?

125Who gave them those?

133Kahē̃gē sūryavanśhiyō̃ nē transfer kiyā , ab tum rājya karō .

126It would be said that the sun dynasty transferred it, saying: You now rule the kingdom.

134Jō scene tum bachchō̃ nē sākṣhātkār mē̃ dēkhī hai .

127You children have seen this scene in divine visions.

135Bākī kōī laṛāī ādi nahī̃ lagtī hai .

128It isn’t that a battle takes place.

136Jaisē kiskō rājāī dī jātī hai , vaisē dētē haĩ .

129That kingdom is given to them just as a kingdom would be handed over.

137Unhō̃ K|kē pair ādi dhōkar unkō rājya tilak dētē haĩ .

130The sun dynasty wash the feet of the moon dynasty and apply a tilak of sovereignty on them.

138Vahā̃ kōī gurū gōsāī tō hōtē nahī̃ haĩ .

131There are no gurus and saints there.

139Ab tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai ham daivī svabhāv vālē bantē haĩ .

132It is in the intellects of you children that you are becoming those with divine natures.

140Sūryavanśhī , chandravanśhī rājya mē̃ ham kitnē sukhī hōṅgē .

133We will be so happy in the sun and moon dynasty kingdoms.

141Bābā hamkō duḥkh sē nikāl sukh mē̃ lē jātē haĩ aur kōī sukhī banā na sakē .

134Baba is removing us from sorrow and taking us into happiness. 135No one else can make us happy.

142Sādhū lōg khud bhī chāhtē haĩ - ham śhāntidhām mē̃ jāyē̃ .

136Sages, themselves, want to go to the land of peace.

143Bāp kahtē haĩ - maĩ in sādhuō̃ ādi kā bhī uddhār kar sabkō śhāntidhām mē̃ lē jātā hū̃ .

137The Father says: I even uplift those sages and take them all to the land of peace.

144Sannyāsī tō ātē hī dvāpar mē̃ haĩ .

138Sannyasis only come in the copper age.

145Svarg mē̃ ham dēvtāyē̃ hī rahtē haĩ .

139Only we deities will be in heaven.

146Vahā̃ bhī section alag-alag haĩ .

140There are different sections there.

147Sūryavanśhiyō̃ kā alag , chandravanśhiyō̃ kā alag phir bād mē̃ islāmī , bauddhī , sannyāsī ādi jō bhī ātē haĩ , sabkā section alag-alag banā huā hai .

141The section of the sun dynasty is separate from that of the moon dynasty. 142Then, there are also sections for those of Islam, the Buddhists, the sannyasis, etc. who continue to come. 143All of them have their separate sections.

148Jab ham rājya kartē thē tō dūsrā kōī thā nahī̃ .

144When we used to rule, no one else existed there.

149Mūlvatan mē̃ bhī aisī mālā number-vār banī huī hai .

145Such a numberwise rosary is also created in the incorporeal world.

150Ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm vālō̃ kī hai pahlī birādrī .

146The first community is of those who belong to the original, eternal deity religion.

151Phir aur birādariyā̃ nikaltī haĩ .

147All the other communities emerge later.

152Yah birādrī hai baṛē tē baṛī aur dūsrē jō dharm sthāpak ātē haĩ - sab unsē nikalē huē haĩ .

148This is the greatest community of all. 149All the other founders of religions that come emerge from this one.

153Tum kahē̃gē islāmiyō̃ kī hai second number birādrī .

154Phir bauddhiyō̃ key|kī birādrī third number .

155Ham haĩ first bākī had key|kī aur chhōṭē-chhōṭē tō lākhō̃ hōṅgē .

150We are the first community and then there are hundreds of thousands of smaller, limited communities.

156Yahā̃ tō mukhya haĩ 4 birādariyā̃ .

151Here, there are four main communities.

157Pahlē-pahlē ham ātē haĩ phir islāmī , bauddhī kriściyan ādi ātē haĩ .

152We come first, then those of Islam come. 153Then the Buddhists come and then the Christians.

158Abhī ham nīchē gir gayē haĩ .

154We have now fallen down.

159Hamkō hī 84 janma lē part bajānā paṛtā hai .

155We have to play our parts of 84 births.

160Jō abhī last mē̃ haĩ , vahī phir first mē̃ hōṅgē .

156Those who are now the last number will then become the first number.

161Dēvī-dēvtāyē̃ ab patit hōnē K|kē kāraṇ apnē kō dēvī-dēvtā kahlā nahī̃ saktē .

157Because the deities are now impure, they cannot call themselves deities.

162Dēvtāō̃ kō tō pūjtē haĩ issē siddha hai - unhō̃ K|kē birādrī K|kē haĩ .

158Deities are worshipped and this proves that they belong to that community.

163Sikkh lōg gurūnānak kō māntē haĩ , unkī birādrī K|kē haĩ .

159The Sikhs believe in Guru Nanak; they belong to his genealogical tree.

164Satyug mē̃ pahlā number hamārī birādrī hai .

160Our genealogical tree in the golden age is the first one.

165Unsē ūñch birādrī kōī hōtī nahī̃ .

161There is no higher genealogical tree than this.

166Ham ūñch tē ūñch birādrī vālē haĩ .

162We belong to the highest-on-high community.

167Ham sabsē jāstī sukh bhōgtē haĩ , phir vahī kaṅgāl bantē haĩ .

163We experience the maximum happiness. 164We are the same ones who then become poverty-stricken.

168Sabsē jāstī duḥkhī yah haĩ .

165We are the ones who experience the most sorrow.

169Karjā bhī yah lētē rahtē haĩ .

166We are the ones who continue to incur debt.

170Kitnē sāhūkār thē , abhī kitnē garīb haĩ . 171Sab kuchh ganvā baiṭhē haĩ .

167We were so wealthy and have now become so poor; we have lost everything.

172Yah hai hī duḥkhdhām .

168This is a land of sorrow.

173Ab bāp phir tumkō sukhdhām kā mālik banātē haĩ .

169The Father is now making you into the masters of that land of happiness once again.

174Bākī sab chalē jāyēṅgē śhāntidhām .

170All the rest will go to the land of peace.

175Ādhākalp tum sukh bhōgtē hō , bākī sab śhānti mē̃ rahtē haĩ .

171You experience happiness for half a cycle. 172All the rest stay in peace.

176Chāhtē bhī haĩ - ham mukti mē̃ jāyē̃ .

173They want to go into liberation.

177Sukh kō kāg viṣhṭā samān samajhtē haĩ .

174They consider happiness to be like the droppings of a crow.

178Unkō sukhdhām kā anubhav hī nahī̃ hai .

175They don’t have any experience of the land of happiness.

179Tumkō anubhav hai .

176You have that experience.

180Mahimā bhī gātē haĩ parantu patit hōnē K|kē kāraṇ bhūl gayē haĩ .

177They even sing its praise but, because of being impure, they have forgotten it.

181Ab bāp yād dilātē haĩ - hē bhāratvāsī tum dēvī-dēvtā dharm K|kē hō .

178The Father now reminds you: O residents of Bharat, you belong to the deity religion.

182Dvāpar sē nām badalī kar diyā hai .

179You changed your name in the copper age.

183Dēvtā dharm vālē hī patit ban gayē .

180Those who belonged to the deity religion have become impure.

184Gātē bhī rahtē haĩ hē patit-pāvan āō .

181They continue to sing: O Purifier, come!

185Bāp nē batāyā hai - tum kitnē janm pāvan duniyā mē̃ thē . 186Kitnē janm patit duniyā mē̃ haĩ .

182The Father has told you for how many births you were in the pure world and for how many births you were in this impure world.

187Ab phir pāvan duniyā mē̃ jānā hai .

183You now have to go to that pure world again.

188Yah pāṭhśhālāō̃ key|kī pāṭhśhālā hai , yagyō̃ kā yagya hai .

184This is the study place (pathshala) of all study places. 185It is the sacrificial fire of all sacrificial fires.

189Sārī purānī duniyā ismē̃ khatm hōnī hai .

186The whole of the old world is to be finished in this.

190Hōlikā jalātē haĩ , yah sab parv abhī K|kē haĩ .

187They still burn Holika (female demon memorial). 188All of those festivals refer to this time.

191Ātmā chalī jāyēgī , bākī śharīr khatm hō jāyēṅgē .

189The soul will leave and the body will be destroyed.

192Yah knowledge kōī sannyāsī ādi dē na sakē̃ .

190None of the sannyasis can give you this knowledge.

193Gītā mē̃ kuchh hai parantu āṭē mē̃ lūn ( namak ) gyān prāyaḥlōp hō jātā hai .

191Some things are mentioned in the Gita, but they are like a pinch of salt in a sackful of flour. 192The knowledge disappears.

194Śhivbābā kahtē haĩ - hamnē yah yagya rachā hai , inmē̃ tan-man-dhan sab svāhā kartē hō , jītē jī martē hō .

193Shiv Baba says: I created this sacrificial fire into which you sacrifice your bodies, minds and wealth. 194You die alive.

195Yah gyān tumkō abhī mil rahā hai .

195Only at this time do you receive this knowledge.

196Achchhā  !

196Achcha.

197Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning .

197To you sweetest, beloved, long-lost and now-found children, love, remembrance and good morning from the Mother, the Father, BapDada.

198Rūhānī bāp key|kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

198The spiritual Father says namaste to you spiritual children.

Essence for dharna

199Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

199Essence for dharna:

2001 ) sukhdhām mē̃ jānē kē liē apnā daivī svabhāv banānā hai .

2001. In order to go to the land of happiness, make your nature divine.

201Drama K|kē ādi-madhy-ant K|kē rāz kō buddhi mē̃ rakh harṣhit rahnā hai .

201Remain cheerful by keeping the secrets of the beginning, the middle and the end of the drama in your intellect.

202Sabkō yahī rāz samjhānā hai .

202Explain these secrets to everyone.

2032 ) svarājya lēnē kē liē is bēhad yagya mē̃ jītē jī apnā tan-man-dhan svāhā karnā hai .

2032. In order to attain self-sovereignty, sacrifice your body, mind and wealth into this unlimited sacrificial fire while you are alive.

204Sab kuchh naī duniyā kē liē transfer kar lēnā hai .

204Transfer everything to the new world.

Blessing

205Vardān  : apnē mastak dvārā tīsrē nētra kā sākṣhātkār karānē vālē sachchē yōgī bhav

205Blessing: May you be a true yogi and be shown with a third eye on your forehead.

206Yādgār mē̃ yōgī K|kē mastak par tīsrā nētra dikhātē haĩ .

206In the memorials, a third eye is shown on the forehead of yogis.

207Āp sachchē yōgī bachchē bhī apnē mastak dvārā tīsrē nētra kā sākṣhātkār karānē kē liē sadā buddhi dvārā ēk bāp K|kē saṅg mē̃ rahō .

207You true yogi children must use your intellects to stay constantly in the company of the one Father in order to show your third eye on your foreheads.

208Ēk bāp dūsrē ham , tīsrā na kōī , jab aisī sthiti hōgī tab tīsrē nētra kā sākṣhātkār hōgā .

208One is the Father, the second is I and there is no third person. 209When you have such a stage, others will see your third eye.

209Agar buddhi mē̃ kōī tīsrā ā gayā tō phir tīsrā nētra band hō jāyēgā isliē sadaiv tīsrā nētra khulā rahē - iskē liē yād rakhnā ki tīsrā na kōī .

210If a third person enters your intellect, your third eye would then close. 211So, to make sure that your third eye remains constantly open, you have to remember that there mustn’t be any third person.

Slogan

210Slōgan  : praśhnachit bannā arthāt parēśhān hōnā aur parēśhān karnā .

212Slogan: To be full of questions means to become distressed and to distress others.

213*** Om Shanti ***

Avyakt Signal

211Yē avyakt iśhārē - sadā harṣhit rahnē kē liē apnī nature kō saral banāō , sahanśhīl banō .

214Avyakt Signal: To remain constantly cheerful, be easy-natured and tolerant.

212Jō jaisē karma kartā hai vaisā unkā nām bhī paṛtā hai .

215A person is given a title according to the actions he performs.

213Karma yadi śhrēṣhṭh haĩ tō nām paṛēgā śrēṣṭhamaṇī .

216If your actions are elevated, you will be given the title of an elevated jewel.

214Śrēṣṭhamaṇī bannē kē liē man , vāṇī , karma mē̃ saraltā aur sahanśhīltā yah dōnō̃ guṇ āvaśhyak haĩ .

217In order to become an elevated jewel, both virtues of simplicity and tolerance are needed in your thoughts, words and actions.

215Agar saraltā hai sahanśhīltā nahī̃ tō bhī śhrēṣhṭh nahī̃ isliē saraltā aur sahanśhīltā dōnō̃ sāth-sāth chāhiē .

218If there is simplicity but not tolerance, then too, you cannot be said to be elevated. 219Therefore, as well as having simplicity, also be tolerant.